Update-56
“aur nahi toh kya.. tumhe kya laga sirf tum hee baato ko gol-gol ghuma sakte ho...? mujhe bhi aata hai baate banana…”beanie apne sar me daalte hue Riya boli... uske beanie nikalte hee meri nazar uske laal hote hue nose aur chicks par gayi... aur mera mann kiya ki main jabran use pakad kar jabardasti kiss kar loon... is it right to do that even if she is not ready ...? or not..? am I losing my mind...? Where is Ved..? I need you, man...
“tumhare gharwale mere bare me jaante hai..? tumhare papa goli toh nahi maarne wale na mujhe…”apne sabhi mansik paristhitiyo ko door karke finally maine Riya Rose par concentrate kiya aur ek normal sa sawal puchha. kyunki andar se kitna bhi chuda hua hoon , baahar se toh cool dikhana hee tha.
“kyun aisa kya hai..? jo papa goli marenge tumhe…”
“indian tradition hai ye… upar se Police Inspector hai tumhare papa.. toh gun-van jugad karne ka bhi lafda nahi hai... aise ek pal me bandook nikalenge aur hachak se 6 ki 6 goli mere andar”
Ye kahte hue Riya Rose ke papa kis tarah se mujhe goli maarenge , main wo karke use dikhane laga aur goli khane ke baad main bahaduri se kaise neeche girkar mar jaunga, maine wo bhi karke dikhaya. Matlab Oscar winning performance tha wo.
“achchha… yadi ye tradition hai tab toh apne culture ko follow karna hee padega…”bolte-bolte Riya achanak hans padi..
“kya hua...”
“wo saamne aadmi dekh rahe ho… ? wo humare Jabalpur wale school ke sports teacher ki tarah ekdum dikhte hai”
“uski yaad kaise aa gayi is waqt....?”
“ tumhe pata hai, mere na… jabalpur wale school ke sports teacher alag hee English bolte the… humlog apne school ke principal ko father bolte the… ek baar jab wo round me the toh sports wale teacher ne kaha tha ki … Father had just passed away in the corridor…”
“cool…”
“ek baar examanitation hall me sports wale teacher ki duty lagi toh bole… give me a red pen of any colour…”bolkar Riya khilkhila kar hasne lagi aur haste hue ek mukka mere seene pe maar aur diya…
“hahaha….. very funny”chhati sahlate hue maine kaha “humare wale ne kaha tha ki…. I want to meet your father, mother and parents…”
“sachhi…?”fir se ek mukka seene me pelte hue Riya has padi…aur fir apni hasi rok kar boli “ek baar humare sports teacher ne sabko ground me bola ki… stand in a straight circle…. Lol…”
“hahaha… ayiiiii…”ek aur mukka jab mere seene me pada toh sahlate hue main bola “ye toh wahi baat ho gayi… umar akmal, mother from another brother…”
Abki baar Riya aisi hasi ki jiski koyi had nahi, wo bench pakad-pakad ke hase jaa rahi thi aur mujhe pakka yakin hai ki us din yadi wo bench nahi pakadti toh haste-haste jaroor neeche gir jaati aur idhar main khud ko taiyar kar raha tha , uske agle mukke ke liye... jitna jor-jor se wo hasti utne jor se hee mukka maarti. Isliye mujhe abki dar bhi lag raha tha ki.. is baar kahi pura taqat laga ke naa maar de.. waise, isko dikhta nahi kya... ki.... mujhe dard ho raha hai iske mukke se...? Sanjana hoti toh shayad samajh jaati... abhi mera dimag khiska aur ekat mukka maar diya seene me iske exotic atoms par toh ashleel bol degi mujhe... Khair, Riya ne agla mukka mara par abki baar maine apne dono hatho se ise rok liya… Mazak hai kya... pyaar apni jagah, dard apni jagah.
Riya Rose, ek toh waise hee thandi me uska naak laal ho jata tha upar se aise non-stop hasne ke karan abki uska pura chehra hee laal ho gaya tha. Riya aise hee bench ke kinare ko pakad kar hasti rahi aur waha thodi doore me mauzood logo ki najar jab hum par padne lagi toh maine Riya ko shant karane ka socha aur uska gaal pakad kar kheench diya.
“dekh ke… mar mat jaana”
Maine Riya ka gaal kheencha aur fir gaal kheenchkar uske gaal ko sahlaane bhi laga

main uske jis gaal ko sahla raha tha Riya ne us taraf apna sar kandhe ki taraf jhukaya aur mere hath ko apne gaal aur kandhe ke beech daba diya…
“tum pahle kyun nahi aayi Sanskar Valley me…?”use aisa karte dekh maine puchha
“yadi pahle aayi hoti toh tum school ki baki ladkiyo ki tarah mujhe bhi friendzone kar dete na, isliye…”
“ye kisne kaha…”
“sabhi ladkiya kahti hai… kuch toh tumhe gay bhi kahti hai”
“wait.. what... gay... ? toh ye sochti hai school ki ladkiya mere baare me….”
tabhi Riya ka mobile ekdum se baja... mujhe toh uske mobile ka ringtone bhi aaj tak yaad hai. mobile bajte hee wo boli....
“papa ka phone hai….ek minute, chup rahna…”Riya ne call receive kiya, usne kya baat kiya , kis topic par baat kiyaa .. mujhe naahi pata.. wo bas huu.. haan karti rahi aur fir thodi der ke baad call disconnect karke meri oor palti...
“sorry, Atharva… papa ka call hai. mujhe jaana hoga… ”
“ok… waise bhi papa ka call kabhi miss nahi karna chahiye..”aankh maar kar maine kaha aur mujhe aisa karte dekh Riya chauk gayi… par kyunki wo jaldi me thi isliye wo mujhe kuch bol nahi payi…. Par wo mere aankh maarne se chaunki kyun...? us din raat me jab use ghar tak maine use chhoda tha tab bhi toh aankh maara tha maine...? raat ke kaaran dikha nahi hoga sahayd us din.....
Riya ke jaane ke baad main kuch der aur us park me baitha raha. Idhar-udhar dekhta raha… idhar-udhar ki baate sochta raha. Main bahut khush tha un dino… Riya aur mera rishta us level tak nahi pahucha tha , lekin uski shuruat ho chuki thi, par ek chiz jo main nahi jaanta tha wo ye ki… mere aur Riya ke beech relation shuru nahi ho raha tha balki khatm ho raha tha. Jo ab jab bhi main ateet me jhakta hoon toh mujhe samajh aata hai.
Uske agle din school me wo hua Jiska main sadiyo se intezaar kar raha tha aur aaj finally ye ho raha tha. Par ab mujhe iski jyada parwaah nahi thi. Na hee mujhpar iska kuch khas asar ho raha tha. Pata nahi kyun, par yahi toh main chahta tha. Aur un dino mere har sawalo aur uljhano ki tarah is uljhan ka bhi sirf ek hee jawab tha aur wo jawab tha.... Riya Rose. Aur ye Ranjan, ye lawda kaha rah gaya… lunch ho gaya aur aaya nahi abhi tak…. Saxsena bhi neeche intejaar kar raha hoga , iska.
“it’s done…. It’s over…”Ranjan lunch me botony ki book liye jaise hee humare class me ghusa toh gate ke paas se hee wo khushi se cheekha… uski khushi ka thikana nahi tha.
Use aise khush dekh-kar maine aur Ved ne …infact waha class me mauzood sabhi ladke-ladkiyo ne yahi socha ki shayad Ranjana ko finally green signal mil gaya hai principal ki taraf se quiz team me shaamil hone ke liye. Pahle-pahal toh maine bhi yahi socha aur fir apne ghadi me time dekhkar maine jab timing match ki toh paaya ki itni jaldi toh ye possible hee nahi hai kyunki abhi just 5-10 minute pahle lunch hua hai aur itni jaldi Ranjan principal office me jakar, questions ke answer dekar, wapas mere class me wapas aa jaye, ye toh karib –karib namumkin hai. kyunki 5 minute toh normally aane-jaane me hee lag jate hai…..
“it’s done…. It’s over…”Ranjan humare paas aakar ek aur baar bola bola aur khushi –khushi me Ved ki taraf botony ki book fek diya “catch kar be ….”
“kya done… kya over…”
“it’s done, man…. It’s over…”aankh band karke apne lambe-lambe baalo ko dono hath se peechhe karte hue Ranjan bola…
“wahi toh puchh rahe hai… kya hua done aur kya hua over…”
“yeee hua done … aur yeeee hua over… 2-2 points tum dono par, bahut point chahdate ho pure school par…”
“wo toh thik hai.. Ranjan. Par hua kya..?”
“Jafar aur Sanjana ka break-up ho gaya…”
“kyaaa…..”Ved ne botony ka jo book catch kiya tha, ye sunte hee book uske hath se neeche gir gayi… jise uthakar wapas desk par rakhte hue Ved ne fir se puchha “kyaaaa….”
“yaaaaa…..”