Update-55
“kya bol rahi hai…”Sanjana ki taraf hath dikhakar haste hue maine kaha “mujhe kya lena dena Jafar aur tere se…”
“sach me…”
“aur nahi toh kya…”
“toh fir school me jo chocolate tujhe Riya ko bahut pahle de dena chahiye tha… wo lunch me mujhe dekhkar, mujhe kyun dene aa raha tha…? aur fir jab waha nahi de paya toh abhi yaha kyun aaya hai…? bimar toh Riya ki maa bhi thi, fir uske liye donation campaign kyun nahi chalaya… tune.…”
“good idea…. Mujhe kyun nahi sujha ye… anyway, kaun si painting bana rahi hai..?”
“tu jaa Atharva…. Aish kar, you deserve it…”
“ye double meaning tha kya..? ya fir triple meaning ..? main kuch samjha nahi.. ek baar fir se bol toh..”
“Tu jaa Atharva... Aish kar...”
Jab Sanjana ne dobara kaha toh maine dimag lagaya... uske expression , tone ko analyse karne ki koshish ki.. lekin kuch bhi palle nahi pada. Isliye maine time travel karne ka socha... Remember that trick ...? jo maine Clash of Canvas ke result ke time use ki thi... jab Riya aur Sanjana mere sar par tandav karte hue kiski painting better hai , ye puch rahi thi... tab apun ne time travel karke bataya tha ki kaise Jafar ke kaaran ye situation paida hui...? bas same concept. Mera matlab past ke Future me hone wale ek incident ko past ke present me bayan karna... lekin sab kuch rahega past me hee... Afterall I'm The fucking Narrator, so let's begin.
Past’s Future
“Ranjan.... dekh yar, main apni badayi nahi kar raha, matlab ek tarike se kar raha hoon.. par ye khud ki badayi karne se jyada ek sawal hai... main bahut brilliant hoon , fate-hal intelligent hoon. Ye mujhe pata hai ... fir bhi kabhi-kabhi saamne wale ki normal baat ya expression bhi mujhe samajh nahi aati.. main unka haanv-bhaav etc. kuch nahi samajh paata aur jo mann me aata hoon bol ke nikal leta hoon, jis-se log hurt ho jaate hai... fir mujhe chutiya –vutiya kahte hai ki main chutiya tha.. warna wo pat jaati, mere sath ye hota, wo hota... aisa kuch-kuch taana maarte hai... shuru me sirf Ved kahta tha.. lekin ab Riya Rose ka mere prati bartaav dekh kar lag raha hai ki... ye sach me sach hai..”
“well, tu chahe kitna bhi intelligent kyun naa ho.. kitna bhi brilliant kyun naa ho, kitne bhi tikdam kyun naa laga le.. tera IQ level 200, 300 hee kyun naa paar kar jaaye... hai toh tu 18 saal ka hee naa. Abhi se thodi sab samajh me aayega. Feelings aur experience toh umra aur situation ke sath-sath hee aayegi... tension mat le, sab thik ho jayega...... ek din....”muskurate hue Ranjan ne kaha... wo us waqt kyun muskuraya.... ? main aaj tak suspence me hoon...
Past’s Present
“ye double meaning tha kya..? ya fir triple meaning ..? main kuch samjha nahi.. ek baar fir se bol toh..”
“Tu jaa Atharva... Aish kar...”
Pata nahi kya kahna chahti thi wo... is baar bhi samajh nahi aaya. Fir se repeat karne ko bolu kya..? nope.. aise me toh beijjati ho jayegi. Ek kaam karta hoon koyi random sa dialogue maar deta hoon... bas yahi sochkar conversation ko aage badhate hue maine kaha...
“ Sanjana, you should often talk about yourself.. . about your problems… it makes things easier”
“ and why should i…? I mean.. just look around. Nobody gives a damn about anyone , everyone is too busy in their lives… just look at yourself…. You’re too busy in your melodrama thaaaaat”
“that… ?”Silky ke sentence khatam karne se pahle hee main bol pada... kyunki mere random dialogue ko usne kuch jyada hee seriously le liya tha ... isliye use beech me rokna toh banta tha.
.
“tujhe mana kiya tha na mere ghar me aane se…”mujhe peechhe se sirf itna hee sunayi diya aur uske agle hee pal maine khud ko jameen me pada hua paaya. Kisi ne mujhe ekdum achanak jor se utha kar patka tha yaa fir feka tha... behenchod kasam se dimag fry ho gaya tha us waqt.. matlab ek pal main Sanjana se uske saamne khade hokar baat kar raha tha aur agle hee pal aise jameen me leta hua dard se karah raha tha.. what the fuck did just happen...?
Kuch samay laga mujhe sab samajhne me ki Sanjana ke saamne se achanak adrishya hokar main jameen ki dhool kyun khaane laga tha....Mujhe toh laga tha ki ab main aur Karan Naik ek dusare ko achchhi tarah se jaante hai, samajhte hai aur humara concept bilkul clear hai… atleast mera toh clear hee tha. Lekin Karan Naik ka concept clear nahi tha. Mera matlab… kya jaroorat thi us behan ke lawde ko mujhse aise bartaav karne ki… sale ne itni jor se utha ke feka tha ki jab pichhwade ke bal main neeche gira toh kuch der dard ke maare uth hee nahi paya….
“tere ko na… main aakhiri baar bol raha hu, yadi agli baar mere ghar ke aas-paas bhi bhatka naa toh , jaha milega na … wahi zameen khan ke zinda gaad dunga… tere maa-baap tak zindagi bhar isi soch me rhenge ki tere sath hua kya..”
“sorry … aainda aisa nahi hoga…”((ruk madarchod, thoda aur bada hone de… fir teri maa chodta hu... par teri maa toh budhi ho gayi hogi, nope.. plan cancel.. teri behan chodunga. ))
Iske baad mere muh se ek shabd nahi nikla, main waha se utha aur apna pichhwada sahlate hue, langdate hue.... wapas apne ghar ki taraf chal diya… kyunki dard ke kaaran abki main Karan Naik ko patthar maar kar bhag bhi nahi sakta tha . isliye meri bhalayi isi me thi ki.. shanti se.. chup-chap waha se nikal loon....
“tujhe ek baar me samajh nahi aata kya, Sanjana… ab dekh kya rahi hai use… chal andar… aise ladke sirf aur sirf ladkiyo ka istemaal karna jaante hai... ”
.
.
Us din ke baad main Sanjana ke ghar kabhi nahi gaya yaha tak ki us-se baat karna bhi band kar diya… pata nahi kyun… par maine kar diya. Karan Naik ko toh us samay main kuch nahi kar sakta tha , isiliye shayad khunnas me maine Sanjana ko hee ignore karna shuru kar diya tha. Waise bhi us samay main Riya ke peechhe is kadar pad gaya tha ki Sanjana kuch khas mere khayalo me thi bhi nahi. un dino aur us ghatna ke baad toh bilkul bhi nahi.... isliye maine apna main focus Riya Rose par kendrit kiya kyunki ekmatra wahi toh aisi ladki thi, pure school me.... jo bindas kisi se bina darkar rahti thi. Waise, Pahle Sanjana bhi isi category me aati thi par jab se Karan Naik humare mohalle me rahne aaya tha, wo ab fearless nahi rahi thi. Ya fir kahu ki Riya meri zindgi me is kadar bas chuki thi ki.... kisi dusari ladki ke liye mere dil me ab koyi jagah hee nahi bachi thi. Rahi sahi kasar Ved ke one girl at a time waale gyan aur Karan Naik ke us harkat ne puri kar di. par Mere sath Aisa hoga... matlab main Riya Rose ko lekar itna pagal ho jaunga ... ye Riya ko pahli baar dekh kar bilkul bhi nahi laga tha par ab sach yahi tha… wo toh bas gol wali hat pahne bio class ke bahar khadi thi jab main us-se first time baat karne gaya tha...... tab kisne socha tha ki itna kuch hoga aur itna kuch abhi aage hona baaki hai....
“kiske bare me soch rahe ho…..”jab park me Riya ke sath baithe-baithe main Sanjana ke khayalo me hee khoya raha toh mujhe wapas haqiqat se waqif karate hue Riya puchhi…
“bas wo quiz ke bare soch raha tha… jab hum jeetenge toh kya moment hoga wo.. pure hall me taaliya baj uthegi….”
“aur yadi haar gaye toh…?”
“tab pure hall me gaaliya sunayi degi…no problem.. I think I’m beyond that”
“chocolate…..?”dairy milk ka ek packet meri taraf badhate hue Riya boli...
“mere liye…? Oh teri....ye kaise mumkin hai... pahle toh aisa nahi dekha maine kahi...”
“kya nahi dekha...”
“ Ek ladki ka ladke ko chocolate dena matlab ulti ganga bahne jaisa hai…”
“ganga seedhi bahe ya ulti… tumhe us-se kya… tumhe toh sirf dubki lagana hai…”chocolate ka packet mere hath me pakda kar Riya muskurayi….
“ye double meaning tha kya… ya fir triple meaning...? I’m bit confused ...”
“aur nahi toh kya.. tumhe kya laga sirf tum hee baato ko gol-gol ghuma sakte ho...? mujhe bhi aata hai baate banana…”beanie apne sar me daalte hue Riya boli... uske beanie nikalte hee meri nazar uske laal hote hue nose aur chकicks par gayi... aur mera mann kiya ki main jabran use pakad kar jabardasti kiss kar loon... is it right to do that even if she is not ready ...? or not..? am I losing my mind...? Where is Ved..? I need you, man...
“tumhare gharwale mere bare me jaante hai..? tumhare papa goli toh nahi maarne wale na mujhe…”