Update-54
Thodi der se hee sahi par Sanjana ke ghar ka darwaja khula aur Sanjana ne hee khola... wo shayad mere darwaja peetne ke style se jaan gayi thi ki dwar par is samay swayam Atharva Dev khade hai... waise bhi uske ghar ka darwaja mere aalawa aaj tak shayad hee kisi aur ne jor-jor se peeta ho... wo andar se hee boli...
“Atharva, tu kyun aaya hai. us din hee seedhiyo ke paas kah diya tha naa ki mere ghar kabhi mat aana...”
“kab kaha tha...? mujhe yaad nahi aur jab yaad nahi toh yaad kaise rakhunga aur jab yaad nahi rakhunga toh uske according kaam kaise karunga...”
Aur mere itnaa bolne ke kuch der baad darwaje ka halka sa.. ekdum halka sa , jitney me se uski gardan baahar nikal jaaye ... sirf utna hee darwaja khula aur Sanjana ne apni gardan baahar ki...
“kya chahiye tujhe...”
“main tum logo ki tarah swarthi nahi hoon ki jab kuch chahiye ho, tabhi kisi ke paas jaunga... ye toh tum jaise tuchch logo ka swabhav hai. hum Atharva hai.. Atharva Dev... samast dev hamari Vandana karte hai..... Devo ke dev ~Atharva Dev”
“tu yaha mere saamne apni sirf tareef karne aaya hai...?”darwaja pura kholte hue wo boli
“aur nahi toh... tujhe kya laga ki mujhe teri yaad aa rahi thi, isliye yaha aaya... ? lol... pahle ki baat alag thi, par abhi apun ki life me Riya Rose hai... waise ... tere honth uske honth ki tarah pink kyun nahi hai...?”
“great talk, Atharva... Really, Great Talk... BYE..”daant peeste hue Sanjana boli aur darwaja mere muh pe de maarne ke liye usne jaise hee apna hath darwaje ki taraf kiya........ maine apna agla daav khel diya. Wo kya hai ki sab kuch planning ke according hona chahiye.
Sanjana darwaja ukhad ke mere muh pe maarne ki kriya karti, uske pahle hee maine uske baad hone wali apni pratikriya de di... bole toh... Newton ke third law waale action ke pahle hee reaction.... matlab Sanjana jo karti , fir uske baad main jo karta .. wo maine pahle hee kar diya aur aisa karke Sanjana jo karne waali uska astitva hee mita diya... bole toh Newton ke third law me action ke without hee reaction ka apne aap paida hona.... Got it..? Nope...? ok... maan lo ki ek deewar ko main Jafar samajh ke mukke pe mukka maarta hoon, jiske baad mere hath me zakhm ke nishan aa jate hai... ye toh hui normal action-reaction. Par kya ho yadi main deewar me mukka naa maru , lekin fir bhi wo zakhm mere hath me aa jaye...?? yep.. itni deep level ki planning rahti hai apni.. But How is this even possible... I mean reaction without action...? AM I A GOD....?
Sanjana mujhe dekh gusse se daarwaja band karti uske pahle hee maine wo kar diya jo main uske darwaja band karne ke baad karne waala tha aur is tarah se maine Sanjana ke darwaja band karne waale incident ko ekdum se remove kar diya.
“hey silky... wo, school me chocolate nahi de paya tha na.. toh yaha dene aaya hu…”Sanjana ko dekh muskurate hue maine apne jeb se chocolate nikala aur uski oor badha diya...
Ab Sanajan ka jo hath thodi der pahle mere muh par darwaja band karne waala tha , wahi hath ab chocolate lene ke liye aage badh raha tha... Told Ya, Bitches... I just removed that incident. par fir bhi wo school ke mafiq udas thi...? par kyun..? chocolate main use de toh raha hoon, fir kyun udas hai...?shayad Jafar waale incident ko lekar udas hogi... Sanjana apna hath aage mere hath ki oor dheere-dheere badhane lagi , maine jyada dhyan toh nahi diya us waqt... par jab chocolate lene ke liye uska dahina hath, mere hath ki taraf badh raha tha toh uska hath halka-halka kaanp raha tha... shayad khushi se...? shayad use bhi khushi ka bukhar ho gaya ho... jaise mujhe hua tha kuch dino pahle, jab Vindhya Hospital ke baahar Riya Rose ne mujhe hot chocolate ke liye invite kiya tha.
Par wo toh udas thi, fir use khushi ka bukhar kaise ho sakta hai....? mujhe uspar gaur karna chahiye tha. anyway, Chocolate use dene ke baad maine uska hath pakad liya aur bola...
“Silky, chehre ka rang kyun utra hua hai... bimar hai kya...?”
Sanjana bimar hai ya nahi ye check karne ke liye main use ghoorne laga aur mujhe aisa ghoorta dekh wo muskurane lagi, wo muskura toh rahi thi, par uski muskan me wo school wali udasi ab bhi maujood thi. Wo udas bhale thi par atleast wo muskura toh rahi thi, yehi badi baat thi aur is se bhi badi baat ki wo mujhe dekh kar muskura rahi thi… Fuck Me. Why Was I that dumb.
“normal toh hai tera body temperature…. Matlab sab thik hai”uska hath chhodte hue maine kaha “fir tera chehra utra hua kyun hai...”
“normal hu toh normal hee rahega na… dumb-dumb”
“normal hai toh fir udas kyun hai aur yadi udas hai toh fir normal kyun hai... normal people udas nahi hote aur udas people normal nahi hote... actually, mujhe samajh nahi aa raha ki main kya bole jaa raha hoon. tu pakka Aunty ji ko lekar pareshan hai…? ab samjha... Ya fir Jafar ko lekar….? Ya fir study ko lekar...? ya fir painting completion ko lekar...? ya fir....firrr”bolte –bolte main sochne laga ki aur kya reason ho sakta hai Sanjana ki pareshani ka.
“tu jaa, Jiju aate hee honge… dukan se…”
“kaun…? Karan Naik…? Wo bidu hai apun ka ab… dekha nahi kaise mere kahne matra se hee usne kal ....kalll... kal ho naa ho... Naina... jo hai sama, jee bhar jiyo. Mast gaana hai... tu bata tujhe kya hua…”
“tu jaa... I’m just tired….”
“then sleep… ya main lori sunau… 2009 chal raha hai aur aaj kal net me sab available hai…”
“sleeping can’t heal my tiredness… Atharva”darwaje ke bahar gamle me lage ek phool ko dekhte hue Sanjana boli, jiske baad meri nazar bhi uski nazar ka pichha karte hue us phul tak jaa pahuchi
“wo toh murjha gaya , use kyun dekh rahi hai.. thoda aage dekh.. ekdum fresh fresh maal hai..”maine kaha
“wowww...”wo fir muskurayi aur is baar uski muskan me udasi aur bhi jyada gahra gayi.. matlab mera bheja khisak gaya uske wowww kahne ke baad waala reaction dekh kar...
Jafar se itna pyar karti hai ye..? ki is kadar udas ho jayegi... sab saala meri vazah se hua hai aur aaj jab Interceptor ki kamaan sambhale hue sochta hoon toh sach me aisa lagta hai ki... wo sab meri hee galti thi.
“I’m Sorry...Sanjana..”
“why did you say sorry...”
“I.. don’t ...... know... ”aankhe chhoti-chhoti karke, kandhe uchaka kar maine kaha... mujhe naa toh us waqt kuch samajh aaya ki maine sorry kyun kaha aur naa hee kuch sujha ki ab iske aage kya bolu...
Par ye bolne ke baad jab Sanjana ne meri taraf dekha toh uske us chehre ko main aaj tak nahi bhool paya… bada ajeeb sa mila-jula expression tha Sanjana ke chehre pe… matlab wo jo rahta hai na… gusse wala… matlab frustration wala… ek minute… explain karta hoon... maan lo koyi aadmi udas ho, kisi chiz se gussa ho aur kisi chiz se dara hua bhi ho… in teeno ko yadi ek sath combine kar diya jaye toh jo final expression banega… waisa hee expression Sanjana ka bhi us samay tha. matlab koyi bata nahi sakta ki .. wo mujjhse gussa hai ya fir mere kaaran dukhi hai…. khair main ise khushi ka bukhar hee manta raha.
“Jafar ke bare me tune bataya tha na jiju ko…?” itni der me pahli baar meri aankho me aankhe daalkar Sanjana puchhi… aur idhar main ab bhi sochne me laga hua tha ki Sanjana mere kaaran udas hai ya fir gussa...?
P.S.-1 : Riya , Jafar se baat kyun ki.. itne pyaar se...? usne baat hee kaha ki..? Jafar ne kaha hi riya,.. riya ne kaha .. hi Jafar... murder thodi kiya hai Jafar ki.. uske Hi ka reply nahi degi Riya...
P.S.-2 : Jafar ko Naik ji ne pela fir bhi wo school kyun aaya... ab Naik ne Jafar ko rassi me baandh kar toh maara nahi hoga aur naa hee gang bulaya raha hoga . ki Jafar bhag naa sake.. par haan Naik ke changul se chhootne me time lag gaya hoga .. tab tak... do teen mukkan.. do teen laat. chalta hai.
P.S.-3 : Atharva, ne darwaje par laat klyun maara.. without reason... ? You, really asking me this question

ek dialogue is update hai... Karan Naik toh bidu hai apna aB