• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,101
16,060
219
Update - 29

Bhai only laugh for this update.. ise jada kuch nahi tha... mujhe laga tha sirf ved hi le sakta hai lekin mira ne jo li hai maa kasam maza aa gaya aur apne uspar apni writing se chaar chand laga diye, atharva ka har baat par taunt dena.. matalb ki sachi dosti aur timing ka pehlu ho aap... sahi mein mira ne dho dala pura ka pura uppr se lekar niche ved ke dick tak :roflol: :roflol: Uske baad bulla sir ki wapsi aur atharva ka bachna... matlab itni jaldi.. chitti the robot ka concept apne hi to nahi diya tha, maar kar fir wapis, vo kursi ka hilne wala scene matlab aise anokhe anokhe avtar aap hi laa sakte ho bhai.. its is awesome... mazaa gaya sahi mein yaar... aap ki kahani padte waqt aisa lagta hai jeevan hai to yahi hai... reality se dur aur fir bhi uske pass.. :adore: :adore:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,101
16,060
219
Update - 30

Are bhaibhai bhai bhai.... Hahahaa... :lol: Otorhinoalaryngologist Ye kahan se aya pehle to ye batao... meaning to hoga par mene aisa word nahi suna aise word sirf medicial mein hote hain jahan tak meri samajh hai... Bhai adha update gazab hasne wala tha lekin baad mein VED sir aye... sahi mein jo gyan bantta hai unhone gazab..... ise kehte hain brain with dick... :D Maza aa gaya bhai.. full to comedy tha.. lekin sanjana ka naam lene par kahani ulti na padh jaye..ho sakta hai sanjana ko acha na lage... na jane kaise... kahan se kahan tak soch lete ho aap... mein to riya rose ke reaction ka wait kar raha tha par vo apne skip maar dia aur collection ab 5000 se jada ka hone wala hai.. dekhte hain kya hoga aaagee..... :vhappy1:

“yahi toh mauka hai be… uska dikha ki tera true self kya hai… genuine bande, isiliye reject hote hai… kyunki wo ladki ko impress karne ke chakkar me wo banne lagte hai, jo wo hai nahi… ab tu khud ko khiladi dikhata hai Riya ke saamne , isliye pela jaata hai tu. Sanjana bhi isiliye nahi pati. Riya Rose ko tu apna true version dikha. Isliye, Ved Sir ki baat maan aur kud jaa maidan-e-jung me... ise tu Riya Rose ka swayamvar maan ke chal... yadi jeet gaya toh Riya Rose varmala liye tera intezaar karti hue milegi... South Rewa Park me. Aise hee nahi maine khud ko Sexy Saahityakar ki upadhi di hai... bahut deep understanding level hai apna... logo ko sirf dekh ke hee main jaata hoon ki wo kis ladki ko soch kar mutth maarne ka soch rahe hai.... ”

Gurudev :roflol: :roflol: Bhai... yar tussi sahi mein great ho... kahe ved ne hai par vichar to legendary insan ke hai :bow: :bow:
 
10,458
48,873
258
Update-56


“tumhare gharwale mere bare me jaante hai..? tumhare papa goli toh nahi maarne wale na mujhe…”apne sabhi mansik paristhitiyo ko door karke finally maine Riya Rose par concentrate kiya aur ek normal sa sawal puchha. kyunki andar se kitna bhi chuda hua hoon , baahar se toh cool dikhana hee tha.

“kyun aisa kya hai..? jo papa goli marenge tumhe…”

“indian tradition hai ye… upar se Police Inspector hai tumhare papa.. toh gun-van jugad karne ka bhi lafda nahi hai... aise ek pal me bandook nikalenge aur hachak se 6 ki 6 goli mere andar”

Ye kahte hue Riya Rose ke papa kis tarah se mujhe goli maarenge , main wo karke use dikhane laga aur goli khane ke baad main bahaduri se kaise neeche girkar mar jaunga, maine wo bhi karke dikhaya. Matlab Oscar winning performance tha wo.

“achchha… yadi ye tradition hai tab toh apne culture ko follow karna hee padega…”bolte-bolte Riya achanak hans padi..

“kya hua...”

“wo saamne aadmi dekh rahe ho… ? wo humare Jabalpur wale school ke sports teacher ki tarah ekdum dikhte hai”

“uski yaad kaise aa gayi is waqt....?”

“ tumhe pata hai, mere na… jabalpur wale school ke sports teacher alag hee English bolte the… humlog apne school ke principal ko father bolte the… ek baar jab wo round me the toh sports wale teacher ne kaha tha ki … Father had just passed away in the corridor…”

“cool…”

“ek baar examanitation hall me sports wale teacher ki duty lagi toh bole… give me a red pen of any colour…”bolkar Riya khilkhila kar hasne lagi aur haste hue ek mukka mere seene pe maar aur diya…

“hahaha….. very funny”chhati sahlate hue maine kaha “humare wale ne kaha tha ki…. I want to meet your father, mother and parents…”

“sachhi…?”fir se ek mukka seene me pelte hue Riya has padi…aur fir apni hasi rok kar boli “ek baar humare sports teacher ne sabko ground me bola ki… stand in a straight circle…. Lol…”

“hahaha… ayiiiii…”ek aur mukka jab mere seene me pada toh sahlate hue main bola “ye toh wahi baat ho gayi… umar akmal, mother from another brother…”

Abki baar Riya aisi hasi ki jiski koyi had nahi, wo bench pakad-pakad ke hase jaa rahi thi aur mujhe pakka yakin hai ki us din yadi wo bench nahi pakadti toh haste-haste jaroor neeche gir jaati aur idhar main khud ko taiyar kar raha tha , uske agle mukke ke liye... jitna jor-jor se wo hasti utne jor se hee mukka maarti. Isliye mujhe abki dar bhi lag raha tha ki.. is baar kahi pura taqat laga ke naa maar de.. waise, isko dikhta nahi kya... ki.... mujhe dard ho raha hai iske mukke se...? Sanjana hoti toh shayad samajh jaati... abhi mera dimag khiska aur ekat mukka maar diya seene me iske exotic atoms par toh ashleel bol degi mujhe... Khair, Riya ne agla mukka mara par abki baar maine apne dono hatho se ise rok liya… Mazak hai kya... pyaar apni jagah, dard apni jagah.

Riya Rose, ek toh waise hee thandi me uska naak laal ho jata tha upar se aise non-stop hasne ke karan abki uska pura chehra hee laal ho gaya tha. Riya aise hee bench ke kinare ko pakad kar hasti rahi aur waha thodi doore me mauzood logo ki najar jab hum par padne lagi toh maine Riya ko shant karane ka socha aur uska gaal pakad kar kheench diya.

“dekh ke… mar mat jaana”

Maine Riya ka gaal kheencha aur fir gaal kheenchkar uske gaal ko sahlaane bhi laga :D main uske jis gaal ko sahla raha tha Riya ne us taraf apna sar kandhe ki taraf jhukaya aur mere hath ko apne gaal aur kandhe ke beech daba diya…

“tum pahle kyun nahi aayi Sanskar Valley me…?”use aisa karte dekh maine puchha

“yadi pahle aayi hoti toh tum school ki baki ladkiyo ki tarah mujhe bhi friendzone kar dete na, isliye…”

“ye kisne kaha…”

“sabhi ladkiya kahti hai… kuch toh tumhe gay bhi kahti hai”

“wait.. what... gay... ? toh ye sochti hai school ki ladkiya mere baare me….”

tabhi Riya ka mobile ekdum se baja... mujhe toh uske mobile ka ringtone bhi aaj tak yaad hai. mobile bajte hee wo boli....

“papa ka phone hai….ek minute, chup rahna…”Riya ne call receive kiya, usne kya baat kiya , kis topic par baat kiyaa .. mujhe naahi pata.. wo bas huu.. haan karti rahi aur fir thodi der ke baad call disconnect karke meri oor palti...

“sorry, Atharva… papa ka call hai. mujhe jaana hoga… ”

“ok… waise bhi papa ka call kabhi miss nahi karna chahiye..”aankh maar kar maine kaha aur mujhe aisa karte dekh Riya chauk gayi… par kyunki wo jaldi me thi isliye wo mujhe kuch bol nahi payi…. Par wo mere aankh maarne se chaunki kyun...? us din raat me jab use ghar tak maine use chhoda tha tab bhi toh aankh maara tha maine...? raat ke kaaran dikha nahi hoga sahayd us din.....

Riya ke jaane ke baad main kuch der aur us park me baitha raha. Idhar-udhar dekhta raha… idhar-udhar ki baate sochta raha. Main bahut khush tha un dino… Riya aur mera rishta us level tak nahi pahucha tha , lekin uski shuruat ho chuki thi, par ek chiz jo main nahi jaanta tha wo ye ki… mere aur Riya ke beech relation shuru nahi ho raha tha balki khatm ho raha tha. Jo ab jab bhi main ateet me jhakta hoon toh mujhe samajh aata hai.

Uske agle din school me wo hua Jiska main sadiyo se intezaar kar raha tha aur aaj finally ye ho raha tha. Par ab mujhe iski jyada parwaah nahi thi. Na hee mujhpar iska kuch khas asar ho raha tha. Pata nahi kyun, par yahi toh main chahta tha. Aur un dino mere har sawalo aur uljhano ki tarah is uljhan ka bhi sirf ek hee jawab tha aur wo jawab tha.... Riya Rose. Aur ye Ranjan, ye lawda kaha rah gaya… lunch ho gaya aur aaya nahi abhi tak…. Saxsena bhi neeche intejaar kar raha hoga , iska.

“it’s done…. It’s over…”Ranjan lunch me botony ki book liye jaise hee humare class me ghusa toh gate ke paas se hee wo khushi se cheekha… uski khushi ka thikana nahi tha.

Use aise khush dekh-kar maine aur Ved ne …infact waha class me mauzood sabhi ladke-ladkiyo ne yahi socha ki shayad Ranjana ko finally green signal mil gaya hai principal ki taraf se quiz team me shaamil hone ke liye. Pahle-pahal toh maine bhi yahi socha aur fir apne ghadi me time dekhkar maine jab timing match ki toh paaya ki itni jaldi toh ye possible hee nahi hai kyunki abhi just 5-10 minute pahle lunch hua hai aur itni jaldi Ranjan principal office me jakar, questions ke answer dekar, wapas mere class me wapas aa jaye, ye toh karib –karib namumkin hai. kyunki 5 minute toh normally aane-jaane me hee lag jate hai…..

“it’s done…. It’s over…”Ranjan humare paas aakar ek aur baar bola bola aur khushi –khushi me Ved ki taraf botony ki book fek diya “catch kar be ….”

“kya done… kya over…”

“it’s done, man…. It’s over…”aankh band karke apne lambe-lambe baalo ko dono hath se peechhe karte hue Ranjan bola…

“wahi toh puchh rahe hai… kya hua done aur kya hua over…”

“yeee hua done … aur yeeee hua over… 2-2 points tum dono par, bahut point chahdate ho pure school par…”

“wo toh thik hai.. Ranjan. Par hua kya..?”

“Jafar aur Sanjana ka break-up ho gaya…”

“kyaaa…..”Ved ne botony ka jo book catch kiya tha, ye sunte hee book uske hath se neeche gir gayi… jise uthakar wapas desk par rakhte hue Ved ne fir se puchha “kyaaaa….”

“yaaaaa…..”
रिया रोज को थोड़ा बहुत अंदेशा है कि अथर्व उसे प्यार करता है । उसकी बातों से ये भी पता चलता है कि स्कूल की लड़कियों का अथर्व के बारे में क्या राय है ।
सच कहा जाए तो लड़कियां अथर्व को पसंद करती हैं , उसे अपना ब्वाय फ्रेंड बनाना चाहती है पर अथर्व को अपने मेल दोस्तों से ही फुर्सत नहीं है । खास तौर पर वेद से ।

रिया को लगता है कि वो पहले इस स्कूल में पढ़ने आती तो बाकी लड़कियों की तरह उसे भी अथर्व फ्रेंड जोन में डाल देता । फ्रेंड जोन एक ऐसा सिचुएशन है जहां पर - एक लड़का और एक लड़की - फ्रैंड तो होते हैं पर उनमें से कोई एक - चाहे लड़की हो या लड़का - किसी दूसरे को मतलब किसी अन्य को प्यार करता है / करती है । पर उन्हें इससे कोई परवाह नहीं होता , वो उसे सिर्फ अपना फ्रैंड ही मानता है ।

अथर्व की शराफत के लिए क्या कहा जाए ! इसके चलते कुछ लड़कियां तो उसे गे तक मानने लग गई है ।

पर रिया रोज का ये कहना कि अथर्व उसे भी अपने फ्रैंड जोन में डाल देता , उसके अथर्व के प्रति एक अलग झुकाव को प्रदर्शित करता है ।

रंजन के खुश होने का कारण स्वाभाविक ही है । आखिर वो भी तो संजना को मन ही मन चाहता है ।

बेहतरीन अपडेट ज्ञानी भाई ।
आउटस्टैंडिंग अपडेट ।
 
Last edited:

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Chapter-12: BIG BOOM

Update-52


“ka hua… ka boli bio wali…” Ranjan chehra latkaye class me aaya toh maine puchha “saxsena kya bola…? tujhe quit karne ke liye toh nahi bola…naa”


Principal office se aane ke baad se hee Ranjan ekdum shant tha aur mujhe aashanka ho chali thi ki kahi... us bio wali ne Ranjan ko baahar ka raasta toh nahi dikha diya...? upar se Ranjan itni der se kuch bol bhi nahi raha tha , isliye ye aashanka aur badhti gayi...

“bol na... kya hua...”

“chodte hai…” hawa me dahina hath uthakar Ranjan aise gurraya

Ranjan aise gurraya, maano koyi jung jeet li ho usne... waise bhi us samay wo humare liye ek jung ke samaan hee tha... isliye Ranjan ka is tarah chillana shayad sahi tha... us par jab Nagdi Gang ko is-se nuksan ho toh fir kuch bhi karna sahi ho jata hai. atleast , us samay toh tha hee.

“toh matlab ab no mini, no madhu.. hai na..?”

“sab tension door… bas kal aur bulayi hai next 2 chapter se question karegi… kasam se bhai, first time zindagi me lag raha hai apni bhi value hai aur kuch valuable karne jaa raha hu… hum log jeet toh jayenge na…?”

“pata nahi, itna door ka nahi sochta main… bas tu bio sambhal le… waise main aur Ved bhi thoda-thoda bio rat le rahe rahe hai.. aur thoda-thoda se mera matlab... pura-pura”

“Bhatti, yar... first time mera kisi chiz me naam aayega. Main toh abhi se hee ekdum josh me aa gaya hoon... jab Vidhayak pure hall me waha maujood sabhi logo ke saamne mera naam announce karenge ki Sanskar Valley ko represent kar rahe hai…. Atharva, Ved Aur Ranjan. Sab kitne chaunk jayenge mera naam sunkar... par fir mere liye taaliya bhi bajayenge , cheer bhi karenge. Parents allowed hai kya…? Papa ko bulaunga main. Mujhse kabhi bola toh nahi unhone kisi chiz ko lekar lekin mujhe pata hai ki hare k ke parents ki ye expectation hoti hai apne bachcho se.. ki uska ladka ya ladki stage par khada ho aur baaki sab taaliya bajaye aur yadi jeet gaye toh fir.... wo kitne khush honge, Bhatti... par kya school waale allow karenge unhe...?? ”

“sab allowed hai… bas bol dena ki daru na peekar aaye warna josh-josh me question puchhne wale ko hee naa mashak de…”

“achchha thik hai, main nikalta hu ghar…”

“aajkal tu har din bhag kyun jaata hai lunch ke baad…?”

“ Mujhe dhabe pe jaana padta hai. do workers ko papa ne sharab ke nashe me buri tarah peet kar bhaga diya aur sham hote tak bheed itni badh jaati hai ki aadmi kam pad jate hai… teen din se raat ko ghar me nahi balki dhabe me so raha hu aur kal raat ko toh darwaja bhi toot gaya, ab sirf darwaje ko utha kar gate ke paas rakh leta hu… chal achchha... bye…”

“bye….”

Ranjan ke sath-sath main bhi class se bahar aaya aur class ke baahar khade hokar bio walo ki class ki taraf dekh Riya ko dhoondhane laga… kyunki uske liye main 120 rs wala chocolate laya tha… thanks to Mira. Main abhi bio class ki taraf Riya ko dhoondh hee raha tha ki mujhe seedhiyo se upar aati hui Sanjana dikhi aur Meri nazar Riya ko dhoondhna chhod seedhiyo se upar aate Sanjana par tik gayi. Seedhiya paar karke Sanjana jaise hee corridor me aayi , usne adatan meri class ki taraf dekha , idhar main use hee dekhe jaa raha tha aur isi dauran humari najre ek –dusare se jaa mili. hum dono ki najre jaise hee ek –dusare se mili.

hum dono jis position me khade the... jo kar rahe the waise hee jas ke tas khade rahe... maano hum dono me se koyi jara sa bhi hilega ya fir koyi harqat karega toh saamne wala turant ek pal me waha se adrishya ho jaayega. Maine Sanjana ko gaur se dekha.. bahut udas lag rahi thi wo. jiska karan bhi shayad main hee tha. Par main karta bhi kya…? Us din yadi uski khushi ki parwaah karta toh apni khushi gawa deta… uske chaahne wale toh fir bhi bahut the. upar se Ved ne already one girl at a time wala concept mujhe samjha diya tha jisme se yaa toh Riya Rose ya fir Silky Sanjana... mujhe in dono me se kisi ek ka chunav karna tha. Sanjana ke paas toh fir bhi Jafar tha, Ranjan waiting list me tha. Mere paas kaun tha…?



maine us din Riya Rose ki painting kyun choose ki maine ispar jyada vichar nahi kiya. Ved ne halanki ek sidhhant dekar explain kiya tha ki maine aisa kyun kiya. Par sach kahu toh maine ispar kabhi jyada vichar hee nahi kiya aur naa hee ab iski koyi parwah hai aur ab jyada sochne-vicharne ka koyi tuk bhi nahi. Kyunki jo hona tha , wo toh already ho chuka tha. lekin us din class ke baahar maine apna dahina hath utha kar wahi se khade-khade Sanjana ko hii kaha. Ofcourse usne meri aawaz nahi suni hogi, maine chilla kar kaha bhi nahi tha par wo samajh gayi ki main use Hii kah raha hoon. Jiska jawab Sanjjana ne ek feeki muskan ke sath diya... uski wo feeki muskan seedhe mere dil me chubhi aur maine turant jeb me rakha chocolate nikal kar Sanjana ko dikhaate hue hawa me lahrane laga aur ishare se us-se puchha ki… use chahiye kya..?



mere aisa karte hee Uski feeki muskan me feekapan kam hua aur wo sach me muskurane lagi…

“main aata hu udhar… udhar hee ruk…” maine kaha , ye jaante hue bhi ki use sunayi nahi dega… lekin wo meri harqato se samajh gayi aur wahi ruki rahi…

main hath me dairy milk lahrate hue khushi-khushi Sanjana ki taraf badha aur sochne laga ki chocolate dekar use style se sorry bol dunga aur sath me ye bhi kah dunga ki Riya Rose ki painting better nahi thi… wo toh use patane ke liye maine aisa kah diya tha. Kaha wo aur kaha Riya-Viya. Fir Sanjana mujhse pahle ke mafiq baat karne lagegi… fir life set. Fir mere ek taraf girlfriend aur dusari taraf girl friend. Mast threesome hoga humara... fir chat Sanjana patt Riya Rose. Yahi sab sochte hue hue main Sanjana ki taraf badh raha tha.

ki............ Riya apne muh me botal fasaye paani peete hue apne class se nikli. Riya ke class ke nikalte tak me Main lagbhag bio class ke paas pahuch hee chuka tha aur jab Riya ne pani peene ke baad botal ko apne juicy lips se alag kiya toh uski nazar mujh par padi...

“tum school aaye ho, subah se dikhe nahi toh mujhe laga absent ho…”

“Riiiiii… Yaaa…. Hiiii... tumhare honth sach me pink hai yaa lipstick lagayi ho...? wanna know my willd guess...? tumhare lips koyle ke mafiq kaale hai, par lipstick laga ke tum unhe chhipa rahi ho..."

"bilkul... yahi toh kaam hai mera... ki din bhar lipstick lagate rahu..."

" tumhari naak din me kyun laal hai.. ? abhi thodi itni thandi pad rahi hai…”

“pata nahi…. Apne aap meri naak laal ho jati hai… aur ye kya hai, chocolate…. Wow…”itna kahte hee Riya ne mere hath se chocolate apne aap le liya aur maine mana bhi nahi kiya “mujhe naa... ye wala flavour bahut pasand hai... thanks…”

Riya chocolate ka packet faadne lagi aur main thodi door me pichhe khadi Sanjana ki taraf dekha... uski asli muskan jo kuch der pahle lauti thi wo fir se feeki muskan me tabdil hone lagi… Sanjana ne mujhse kuch nahi kaha, bas mujhe Riya ke sath dekh feeke muskan liye muskurati rahi aur ungaliyo se ok gesture banaya , ok gesture..? arey wahi jisme index finger ko thumb se jodkar wow-vow kahte hai aksar… waisich…

Toh apni ungaliyo se mujhe, Riya ke sath dekhkar Sanjana ne wow kaha aur waha se chup –chap apne class ki oor badh gayi…. Main Sanjana ko rokna chahta tha, Riya se aadha chocolate lekar Sanjana ko dena chahta tha aur wo udas kyun hai uska kaaran puchhna chahta tha . lekin us samay maine aisa kuch bhi nahi kiya. Sanjana ke jane ke baad main wahi Riya ke paas khada raha aur Riya se baat karne me busy ho gaya….

“maine na.. painting complete kar li.. tumhe dikhau..”

“dikhao..”

“oOo.. sorry. Wo toh main layi hee nahi… ghar me hai… kal jab submit karungi tab dikhaungi.. ok..”

“ok…”

“ruko… do minute..”bolkar Riya apne class ke andar bhagi aur main palatkar arts class ki taraf dekhne laga… ki shayad Sanjana waha gate pe khadi hogi… par wo waha nahi thi aur tab tak Riya bhi wapas aa gayi…

“kasam se… had karti hai yar tu bhi… ab ye beanie pahnegi ... din dahade… bhagwan se toh dar”

“hahaha….. ho gaya tumhara… meri naak laal hona matlab mujhe beanie pahan lena chahiye…”beanie apne sar me daalte hue Riya boli

“berry beanie booo…”

“Evening at the park…?”

“nahi.. wo Ranjan ke dhabe pe jana hai. time nahi hai, apun ke paas....”ye maine aise hee kah diya, jab Riya ne mujhse park me aane ke liye puchha toh... jabki mujhe kahi nahi jaana tha. par us din maine aisa kyun kaha ,main aaj tak suspence me hoon.
nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update-53



“kya-kya milta hai Ranjan ke hotel me…”

“sab kuch… chalogi mere sath… kabhi”ye kahte hue meri aankh me fir jhunjhuni chadh gayi aur palke apne aap laplapane lagi

“itni thandi me…? Never...”

“soch lo… kya pata fir kabhi mauka na mile. main kya bolta hu ki..... ye yahaaaa....? saala”

“hiii Riya…”main Riya ke sath apni baat puri khatm kar pata us-se pahle hee Jafar naa jaane kaha se bich me tapak pada… uske aankh ke neeche kala nishan tha, jaise use kisi ne kal raat pela ho ya fir kahi gira ho… hath me bhi usne crepe bandage bandha hua tha + sar me bhi ek do kharoch thi…

“hiii Jafar….”Riya ne jawab diya

“ye beanie kyun pahan liya… abhi se…”usne puchha

“kyunki beanie pahanne se thandi nahi lagti… isliye… ”chidhte hue maine kaha…

“achchha yaad aaya, tumhari naak laal ho gayi matlab tumhe thandi lag rahi hai… bataya tha tumne…”Jafar meri taraf dekh kar muskuraya aur waha se seedhe class me ghus gaya…

“ise bhi bataya tha tumne…?”chaukte hue maine Riya ko ghoora … kyunki Jafar ko jo karna tha wo us ek line aur us ek muskan ke sath kar gaya tha.

“haan… pure class ko pata hai ye baat…..”

“Atharva…..”Jafar ke jaate hee Ved waha achanak se tapak pada, saale romance nahi karne denge. Kabhi ye toh kabhi wo... kabhi yaha toh kabhi waha... Ab aaj park jaunga sham ko Riya se milne. Bhad me gaya quiz competition ka practice.

Ab Ved ko achanak yaha tapakne ke kaaran gariya kar bhaga bhi nahi sakta tha, kyunki yadi main use gaali deta toh wo bhi mujhe gaali deta,wo bhi mujhse buri wali.. isliye... maine use kuch nahi kaha. Jiske baad Ved ne ishaare se mujhe waha se door chalne ke liya kaha

“kya hua.... main nahi jaunga... maine tera pen nahi churaya, black wala toh bilkul nahi”

“chal..”

“prayer ke baad jab tu class me late aaya tha toh us samay main tere tiffin se samosa nikal ke bhi nahi khaya.... wo jaroor Nagdi gang ki harkat hogi. I can prove it..”

“abey chal... dabi me batata hoon tujhe... chal... abey chal.... dabi me kuch baat karna hai..”

“chhhiiiii... main aisa-waisa ladka nahi hoon...”

“ teri toh.....” jab maine waha se jaane ke liye mana kar diya toh Ved mujhe pakad kar jabran kheenchne laga..

“kaha jaana hai…”Ved ko door dhakel maine puchha

“yahhaaaa… 7 points… ab chal… yaa fir Riya ko clash of canvas ka sach.....”

“kabhi mana kiya hoon tere ko kisi chij ke liye.. chal jaldi...ok… bye Riya…”Riya ke hath se bacha hua chocolate chheen kar main bola... jab maine Riya ke hath se chocolate chheena toh uski shakal dekhne layak ho gayi thi, kyunki wo us waqt bite lene ke liye chocolate ko apne muh ki taraf le jaa rahi thi, yaha tak ki usne apna muh tak khol liya tha. meri is harqat par wo gussa toh bahut hui, par kuch bol nahi paayi aur idhar main, Ved ke sath apne class ki taraf jaane laga.

“bol…”class me ghuste hue maine Ved se kaha..

“kaand hua hai … aur kisi ko pata bhi nahi hai…”

“dusari baat- jab kisi ko nahi pata toh , tujhe kaise pata aur pahli baat- kya kaand hua hai ”

“ dusari baat- mujhe pata aise chala kyunki Jafar jab Sanjana se neeche is bare me baat kar raha tha... baat kya kar raha tha, actually lad raha tha toh main wahi ek kinare me chhipkar sun raha tha… main gaya toh Ranjan se milne tha… par wo mujhe mila nahi. Badle me ye kahabar mil gayi aur pahli baat- kaand ye hua hai ki Karan Naik ne Jafar ko kal kutte ki tarah mara hai ..... waise, Ranjan kaha gaya…? bio wali abhi tak uska le rahi hai kya muh me…”

“wo aakar ghar bhi chala gaya…… par tu wo chhod aur ye bata ki Karan Naik ko Jafar kaha se mil gaya...? meri teleportation wali theory kaam kar gayi matlab”

“ghar gaya tha, Sanjana se milne… chodu, saala.... actually, Sanjana ne call karke khud Jafar ko ghar me bulaya tha ki... ghar me koyi nahi hai aur use Jafar se kuch baat karni hai… par actual me Sanjana ne Jafar ko nahi bulaya tha, balki Karan Naik ne Sanjana ko majboor kiya tha.. ki… wo Jafar ko call karke ghar bulaye. Jafar bhi lawda , chutiya… choot ke chakkar me pahuch gaya… fir wo dhoya Karan Naik ne usko ki…. Dauda-dauda kar mara hai aur usne ye baat abhi tak kisi ko batayi bhi nahi hai… puri duniya ko bike se girne ki story bata raha hai.. ”

“thik hee toh hua… ”


Tab mere dimag me ek khurapati idea aaya ki kya ho agar iska credit bhi main le loon....? mera matlab sabke saamne nahi... sirf Mira ke saamne....? fir toh Mira se aur paisa wasoola jaa sakta hai... right..? I mean, is it right to do that..? who cares...

“par Karan Naik ko Jafar ke bare me maloom kaise chala…? Main abhi tak yahi soch raha hoon... Sanjana toh batayi nahi hogi...?”

“woooo…. Actually Maine bataya tha. Jis din main Sanjay Gandhi Sanjana ki maa se milne gaya tha…”

“sahi me ?…. fir toh tu utna bhi chutiya nahi hai... ”

“Told Ya, I ‘m The Deception King :evilgrin: bitch”

.

Ved ne jab mujhe Jafar aur Karan Naik ki is muthbhed ke bare me bataya toh mere mann se ek bojh halka ho gaya… main toh abhi tak yahi soch raha tha ki Sanjana ki udasi ka karan main hu… par ab pata chala ki uski udasi ka mukhya kaaran main nahi balki Karan Naik tha. Usne Sanjana ke boyfriend ko badhiya tagde se dhoya tha aur isme wo bhi shamil thi… bhale hee Karan Naik ne Sanjana ki maa ka naam lekar use majboor kiya ho… par Sanjana isme shamil thi. Dusare shabdo me kahu toh Sanjana khud apni is haalat ki jimmedar thi aur yadi teesare shabdo me kahu toh… actual me main hee jimmedar tha, kyunki maine hee Karan Naik ke kaan me Jafar naam ki makkhi ko bhinbhinane ke liye us din hospital me chhoda, jise Karan Naik ne kal achi tarah masala…. Toh Jafar ki pelayi Sanjana ke udasi ka karan thi aur idhar main khud ko dosh de raha tha.

.

Ved ne jab mujhe ye khabar sunayi toh main jald se jald Sanjana se milna chaha… us-se baat karna chaha. Main aisa kar bhi leta, lekin Gupta ji ke karan jo last period hume khali mil jata tha wo bhi aaj nahi mila… I mean… aaj unhone 3 periods back to back liye , jiske baad hum sabki haalat registaan me paani ke liye tadapte hue Musafir ki tarah ho gayi thi… Gupta ji ka bhasad sun-sunkar humsara sar fatt gaya. Puri body paralyze ho chuki thi Gupta Ji ke teen class ke baad aur kasam se yadi bhagwan mujhe koyi ek vardan mangne ke liye us waqt kahte toh... Riya Rose ko naa mangkar main Gupta ji ki maut mangta.


Saale ne pure dimag ki terahi-barkhi kar di thi... dimag ki haalat aise thi ki maano dimag me koyi straw daalkar dimag choos raha ho.... Sale ne 3 back to back class ke beech 5 minute ka ek break tak nahi diya yaha tak ki pani peene tak nahi jaane diya aur pure 3 periods dimag chusta raha…. Hum log adhmare ho gaye the aur jab school khatm hua toh kafi samay lag gaya puri class ko khud ko chalne ki haalat me lane ke liye , tab tak kafi samay ho beet chuka tha.



jiske kaaran main Sanjana se nahi mil paya aur wo Karan Naik ke sath bike me baithkar seedhe waha se chali gayi…. par baat karni jaroori thi, kyunki yadi Sanjana ne dimag laga liya toh wo kaise bhi karke iske tah tak jaroor pahuch jayegi ki maine hee khud ko bachane ke liye Jafar ko Karan Naik ke saamne kar diya tha. isliye wo aisa soche, mera matlab aisa sochne ki soche.. uske pahle hee uski us soch ko usi ki soch me dafan karna ati awashyak tha, taaki wo bilkul bhi aisa naa soch sake... balki wo ye soche, jo main use sochne ke liye majboor karne waala tha. saala, main bhi kya-kya soch leta hoon aur aksar isi soch me pad jaata hoon ki koyi itna ishmart kaise ho sakta hai :cool:

khair, main Sanjana ke ghar ki taraf badha… waise bhi ab Jafar ki kutayi waale incident ke baad mujhe tension lene ki koyi jaroorat nahi thi, kyunki Karan Naik se toh apni toh dosti ho chuki thi , isliye apne ko wo kyun rokega. Sanjana se setting toh Jafar ki hai… ye baat use ab pata hai , mera toh sirf hii, bye, how are, I’m fine wala rishta hai… apne ko toh koyi rok-tok nahi hai… bas isiliye toh Jafar ka naam maine diya tha Karan Naik ko. Yahi sab sochte hue main bindas apni dhun me mast Sanjana ke ghar ki taraf badha aur Sanjana ke ghar pahuchakar uska darwaja khatkhataya…. Wo bhi Jor-jor se aur is dauran jab darwaja nahi khula toh hawa me uchak kar style se Sanjana ke darwaje par do laat bhi maara.... ye sochte hue ki Sanjana ke ghar ka darwaja, darwaja nahi balki Jafar hai.
very nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update-54



Thodi der se hee sahi par Sanjana ke ghar ka darwaja khula aur Sanjana ne hee khola... wo shayad mere darwaja peetne ke style se jaan gayi thi ki dwar par is samay swayam Atharva Dev khade hai... waise bhi uske ghar ka darwaja mere aalawa aaj tak shayad hee kisi aur ne jor-jor se peeta ho... wo andar se hee boli...

“Atharva, tu kyun aaya hai. us din hee seedhiyo ke paas kah diya tha naa ki mere ghar kabhi mat aana...”

“kab kaha tha...? mujhe yaad nahi aur jab yaad nahi toh yaad kaise rakhunga aur jab yaad nahi rakhunga toh uske according kaam kaise karunga...”

Aur mere itnaa bolne ke kuch der baad darwaje ka halka sa.. ekdum halka sa , jitney me se uski gardan baahar nikal jaaye ... sirf utna hee darwaja khula aur Sanjana ne apni gardan baahar ki...

“kya chahiye tujhe...”

“main tum logo ki tarah swarthi nahi hoon ki jab kuch chahiye ho, tabhi kisi ke paas jaunga... ye toh tum jaise tuchch logo ka swabhav hai. hum Atharva hai.. Atharva Dev... samast dev hamari Vandana karte hai..... Devo ke dev ~Atharva Dev”

“tu yaha mere saamne apni sirf tareef karne aaya hai...?”darwaja pura kholte hue wo boli

“aur nahi toh... tujhe kya laga ki mujhe teri yaad aa rahi thi, isliye yaha aaya... ? lol... pahle ki baat alag thi, par abhi apun ki life me Riya Rose hai... waise ... tere honth uske honth ki tarah pink kyun nahi hai...?”

“great talk, Atharva... Really, Great Talk... BYE..”daant peeste hue Sanjana boli aur darwaja mere muh pe de maarne ke liye usne jaise hee apna hath darwaje ki taraf kiya........ maine apna agla daav khel diya. Wo kya hai ki sab kuch planning ke according hona chahiye.



Sanjana darwaja ukhad ke mere muh pe maarne ki kriya karti, uske pahle hee maine uske baad hone wali apni pratikriya de di... bole toh... Newton ke third law waale action ke pahle hee reaction.... matlab Sanjana jo karti , fir uske baad main jo karta .. wo maine pahle hee kar diya aur aisa karke Sanjana jo karne waali uska astitva hee mita diya... bole toh Newton ke third law me action ke without hee reaction ka apne aap paida hona.... Got it..? Nope...? ok... maan lo ki ek deewar ko main Jafar samajh ke mukke pe mukka maarta hoon, jiske baad mere hath me zakhm ke nishan aa jate hai... ye toh hui normal action-reaction. Par kya ho yadi main deewar me mukka naa maru , lekin fir bhi wo zakhm mere hath me aa jaye...?? yep.. itni deep level ki planning rahti hai apni.. But How is this even possible... I mean reaction without action...? AM I A GOD....? :shy:

Sanjana mujhe dekh gusse se daarwaja band karti uske pahle hee maine wo kar diya jo main uske darwaja band karne ke baad karne waala tha aur is tarah se maine Sanjana ke darwaja band karne waale incident ko ekdum se remove kar diya.

“hey silky... wo, school me chocolate nahi de paya tha na.. toh yaha dene aaya hu…”Sanjana ko dekh muskurate hue maine apne jeb se chocolate nikala aur uski oor badha diya...

Ab Sanajan ka jo hath thodi der pahle mere muh par darwaja band karne waala tha , wahi hath ab chocolate lene ke liye aage badh raha tha... Told Ya, Bitches... I just removed that incident. par fir bhi wo school ke mafiq udas thi...? par kyun..? chocolate main use de toh raha hoon, fir kyun udas hai...?shayad Jafar waale incident ko lekar udas hogi... Sanjana apna hath aage mere hath ki oor dheere-dheere badhane lagi , maine jyada dhyan toh nahi diya us waqt... par jab chocolate lene ke liye uska dahina hath, mere hath ki taraf badh raha tha toh uska hath halka-halka kaanp raha tha... shayad khushi se...? shayad use bhi khushi ka bukhar ho gaya ho... jaise mujhe hua tha kuch dino pahle, jab Vindhya Hospital ke baahar Riya Rose ne mujhe hot chocolate ke liye invite kiya tha.

Par wo toh udas thi, fir use khushi ka bukhar kaise ho sakta hai....? mujhe uspar gaur karna chahiye tha. anyway, Chocolate use dene ke baad maine uska hath pakad liya aur bola...

“Silky, chehre ka rang kyun utra hua hai... bimar hai kya...?”

Sanjana bimar hai ya nahi ye check karne ke liye main use ghoorne laga aur mujhe aisa ghoorta dekh wo muskurane lagi, wo muskura toh rahi thi, par uski muskan me wo school wali udasi ab bhi maujood thi. Wo udas bhale thi par atleast wo muskura toh rahi thi, yehi badi baat thi aur is se bhi badi baat ki wo mujhe dekh kar muskura rahi thi… Fuck Me. Why Was I that dumb.

“normal toh hai tera body temperature…. Matlab sab thik hai”uska hath chhodte hue maine kaha “fir tera chehra utra hua kyun hai...”

“normal hu toh normal hee rahega na… dumb-dumb”

“normal hai toh fir udas kyun hai aur yadi udas hai toh fir normal kyun hai... normal people udas nahi hote aur udas people normal nahi hote... actually, mujhe samajh nahi aa raha ki main kya bole jaa raha hoon. tu pakka Aunty ji ko lekar pareshan hai…? ab samjha... Ya fir Jafar ko lekar….? Ya fir study ko lekar...? ya fir painting completion ko lekar...? ya fir....firrr”bolte –bolte main sochne laga ki aur kya reason ho sakta hai Sanjana ki pareshani ka.

“tu jaa, Jiju aate hee honge… dukan se…”

“kaun…? Karan Naik…? Wo bidu hai apun ka ab… dekha nahi kaise mere kahne matra se hee usne kal ....kalll... kal ho naa ho... Naina... jo hai sama, jee bhar jiyo. Mast gaana hai... tu bata tujhe kya hua…”

“tu jaa... I’m just tired….”

“then sleep… ya main lori sunau… 2009 chal raha hai aur aaj kal net me sab available hai…”

“sleeping can’t heal my tiredness… Atharva”darwaje ke bahar gamle me lage ek phool ko dekhte hue Sanjana boli, jiske baad meri nazar bhi uski nazar ka pichha karte hue us phul tak jaa pahuchi

“wo toh murjha gaya , use kyun dekh rahi hai.. thoda aage dekh.. ekdum fresh fresh maal hai..”maine kaha

“wowww...”wo fir muskurayi aur is baar uski muskan me udasi aur bhi jyada gahra gayi.. matlab mera bheja khisak gaya uske wowww kahne ke baad waala reaction dekh kar...

Jafar se itna pyar karti hai ye..? ki is kadar udas ho jayegi... sab saala meri vazah se hua hai aur aaj jab Interceptor ki kamaan sambhale hue sochta hoon toh sach me aisa lagta hai ki... wo sab meri hee galti thi.

“I’m Sorry...Sanjana..”

“why did you say sorry...”

“I.. don’t ...... know... ”aankhe chhoti-chhoti karke, kandhe uchaka kar maine kaha... mujhe naa toh us waqt kuch samajh aaya ki maine sorry kyun kaha aur naa hee kuch sujha ki ab iske aage kya bolu...

Par ye bolne ke baad jab Sanjana ne meri taraf dekha toh uske us chehre ko main aaj tak nahi bhool paya… bada ajeeb sa mila-jula expression tha Sanjana ke chehre pe… matlab wo jo rahta hai na… gusse wala… matlab frustration wala… ek minute… explain karta hoon... maan lo koyi aadmi udas ho, kisi chiz se gussa ho aur kisi chiz se dara hua bhi ho… in teeno ko yadi ek sath combine kar diya jaye toh jo final expression banega… waisa hee expression Sanjana ka bhi us samay tha. matlab koyi bata nahi sakta ki .. wo mujjhse gussa hai ya fir mere kaaran dukhi hai…. khair main ise khushi ka bukhar hee manta raha.

“Jafar ke bare me tune bataya tha na jiju ko…?” itni der me pahli baar meri aankho me aankhe daalkar Sanjana puchhi… aur idhar main ab bhi sochne me laga hua tha ki Sanjana mere kaaran udas hai ya fir gussa...?


P.S.-1 : Riya , Jafar se baat kyun ki.. itne pyaar se...? usne baat hee kaha ki..? Jafar ne kaha hi riya,.. riya ne kaha .. hi Jafar... murder thodi kiya hai Jafar ki.. uske Hi ka reply nahi degi Riya... :D

P.S.-2 : Jafar ko Naik ji ne pela fir bhi wo school kyun aaya... ab Naik ne Jafar ko rassi me baandh kar toh maara nahi hoga aur naa hee gang bulaya raha hoga . ki Jafar bhag naa sake.. par haan Naik ke changul se chhootne me time lag gaya hoga .. tab tak... do teen mukkan.. do teen laat. chalta hai.

P.S.-3 : Atharva, ne darwaje par laat klyun maara.. without reason... ? You, really asking me this question :D ek dialogue is update hai... Karan Naik toh bidu hai apna aB :lol:
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update-55



“kya bol rahi hai…”Sanjana ki taraf hath dikhakar haste hue maine kaha “mujhe kya lena dena Jafar aur tere se…”

“sach me…”

“aur nahi toh kya…”

“toh fir school me jo chocolate tujhe Riya ko bahut pahle de dena chahiye tha… wo lunch me mujhe dekhkar, mujhe kyun dene aa raha tha…? aur fir jab waha nahi de paya toh abhi yaha kyun aaya hai…? bimar toh Riya ki maa bhi thi, fir uske liye donation campaign kyun nahi chalaya… tune.…”

“good idea…. Mujhe kyun nahi sujha ye… anyway, kaun si painting bana rahi hai..?”

“tu jaa Atharva…. Aish kar, you deserve it…”

“ye double meaning tha kya..? ya fir triple meaning ..? main kuch samjha nahi.. ek baar fir se bol toh..”

“Tu jaa Atharva... Aish kar...”

Jab Sanjana ne dobara kaha toh maine dimag lagaya... uske expression , tone ko analyse karne ki koshish ki.. lekin kuch bhi palle nahi pada. Isliye maine time travel karne ka socha... Remember that trick ...? jo maine Clash of Canvas ke result ke time use ki thi... jab Riya aur Sanjana mere sar par tandav karte hue kiski painting better hai , ye puch rahi thi... tab apun ne time travel karke bataya tha ki kaise Jafar ke kaaran ye situation paida hui...? bas same concept. Mera matlab past ke Future me hone wale ek incident ko past ke present me bayan karna... lekin sab kuch rahega past me hee... Afterall I'm The fucking Narrator, so let's begin.

Past’s Future

“Ranjan.... dekh yar, main apni badayi nahi kar raha, matlab ek tarike se kar raha hoon.. par ye khud ki badayi karne se jyada ek sawal hai... main bahut brilliant hoon , fate-hal intelligent hoon. Ye mujhe pata hai ... fir bhi kabhi-kabhi saamne wale ki normal baat ya expression bhi mujhe samajh nahi aati.. main unka haanv-bhaav etc. kuch nahi samajh paata aur jo mann me aata hoon bol ke nikal leta hoon, jis-se log hurt ho jaate hai... fir mujhe chutiya –vutiya kahte hai ki main chutiya tha.. warna wo pat jaati, mere sath ye hota, wo hota... aisa kuch-kuch taana maarte hai... shuru me sirf Ved kahta tha.. lekin ab Riya Rose ka mere prati bartaav dekh kar lag raha hai ki... ye sach me sach hai..”

“well, tu chahe kitna bhi intelligent kyun naa ho.. kitna bhi brilliant kyun naa ho, kitne bhi tikdam kyun naa laga le.. tera IQ level 200, 300 hee kyun naa paar kar jaaye... hai toh tu 18 saal ka hee naa. Abhi se thodi sab samajh me aayega. Feelings aur experience toh umra aur situation ke sath-sath hee aayegi... tension mat le, sab thik ho jayega...... ek din....”muskurate hue Ranjan ne kaha... wo us waqt kyun muskuraya.... ? main aaj tak suspence me hoon...



Past’s Present

“ye double meaning tha kya..? ya fir triple meaning ..? main kuch samjha nahi.. ek baar fir se bol toh..”

“Tu jaa Atharva... Aish kar...”

Pata nahi kya kahna chahti thi wo... is baar bhi samajh nahi aaya. Fir se repeat karne ko bolu kya..? nope.. aise me toh beijjati ho jayegi. Ek kaam karta hoon koyi random sa dialogue maar deta hoon... bas yahi sochkar conversation ko aage badhate hue maine kaha...

“ Sanjana, you should often talk about yourself.. . about your problems… it makes things easier”

“ and why should i…? I mean.. just look around. Nobody gives a damn about anyone , everyone is too busy in their lives… just look at yourself…. You’re too busy in your melodrama thaaaaat”

“that… ?”Silky ke sentence khatam karne se pahle hee main bol pada... kyunki mere random dialogue ko usne kuch jyada hee seriously le liya tha ... isliye use beech me rokna toh banta tha.

.

“tujhe mana kiya tha na mere ghar me aane se…”mujhe peechhe se sirf itna hee sunayi diya aur uske agle hee pal maine khud ko jameen me pada hua paaya. Kisi ne mujhe ekdum achanak jor se utha kar patka tha yaa fir feka tha... behenchod kasam se dimag fry ho gaya tha us waqt.. matlab ek pal main Sanjana se uske saamne khade hokar baat kar raha tha aur agle hee pal aise jameen me leta hua dard se karah raha tha.. what the fuck did just happen...?

Kuch samay laga mujhe sab samajhne me ki Sanjana ke saamne se achanak adrishya hokar main jameen ki dhool kyun khaane laga tha....Mujhe toh laga tha ki ab main aur Karan Naik ek dusare ko achchhi tarah se jaante hai, samajhte hai aur humara concept bilkul clear hai… atleast mera toh clear hee tha. Lekin Karan Naik ka concept clear nahi tha. Mera matlab… kya jaroorat thi us behan ke lawde ko mujhse aise bartaav karne ki… sale ne itni jor se utha ke feka tha ki jab pichhwade ke bal main neeche gira toh kuch der dard ke maare uth hee nahi paya….

“tere ko na… main aakhiri baar bol raha hu, yadi agli baar mere ghar ke aas-paas bhi bhatka naa toh , jaha milega na … wahi zameen khan ke zinda gaad dunga… tere maa-baap tak zindagi bhar isi soch me rhenge ki tere sath hua kya..”

“sorry … aainda aisa nahi hoga…”((ruk madarchod, thoda aur bada hone de… fir teri maa chodta hu... par teri maa toh budhi ho gayi hogi, nope.. plan cancel.. teri behan chodunga. ))

Iske baad mere muh se ek shabd nahi nikla, main waha se utha aur apna pichhwada sahlate hue, langdate hue.... wapas apne ghar ki taraf chal diya… kyunki dard ke kaaran abki main Karan Naik ko patthar maar kar bhag bhi nahi sakta tha . isliye meri bhalayi isi me thi ki.. shanti se.. chup-chap waha se nikal loon....

“tujhe ek baar me samajh nahi aata kya, Sanjana… ab dekh kya rahi hai use… chal andar… aise ladke sirf aur sirf ladkiyo ka istemaal karna jaante hai... ”

.

.

Us din ke baad main Sanjana ke ghar kabhi nahi gaya yaha tak ki us-se baat karna bhi band kar diya… pata nahi kyun… par maine kar diya. Karan Naik ko toh us samay main kuch nahi kar sakta tha , isiliye shayad khunnas me maine Sanjana ko hee ignore karna shuru kar diya tha. Waise bhi us samay main Riya ke peechhe is kadar pad gaya tha ki Sanjana kuch khas mere khayalo me thi bhi nahi. un dino aur us ghatna ke baad toh bilkul bhi nahi.... isliye maine apna main focus Riya Rose par kendrit kiya kyunki ekmatra wahi toh aisi ladki thi, pure school me.... jo bindas kisi se bina darkar rahti thi. Waise, Pahle Sanjana bhi isi category me aati thi par jab se Karan Naik humare mohalle me rahne aaya tha, wo ab fearless nahi rahi thi. Ya fir kahu ki Riya meri zindgi me is kadar bas chuki thi ki.... kisi dusari ladki ke liye mere dil me ab koyi jagah hee nahi bachi thi. Rahi sahi kasar Ved ke one girl at a time waale gyan aur Karan Naik ke us harkat ne puri kar di. par Mere sath Aisa hoga... matlab main Riya Rose ko lekar itna pagal ho jaunga ... ye Riya ko pahli baar dekh kar bilkul bhi nahi laga tha par ab sach yahi tha… wo toh bas gol wali hat pahne bio class ke bahar khadi thi jab main us-se first time baat karne gaya tha...... tab kisne socha tha ki itna kuch hoga aur itna kuch abhi aage hona baaki hai....

“kiske bare me soch rahe ho…..”jab park me Riya ke sath baithe-baithe main Sanjana ke khayalo me hee khoya raha toh mujhe wapas haqiqat se waqif karate hue Riya puchhi…

“bas wo quiz ke bare soch raha tha… jab hum jeetenge toh kya moment hoga wo.. pure hall me taaliya baj uthegi….”

“aur yadi haar gaye toh…?”

“tab pure hall me gaaliya sunayi degi…no problem.. I think I’m beyond that”

“chocolate…..?”dairy milk ka ek packet meri taraf badhate hue Riya boli...

“mere liye…? Oh teri....ye kaise mumkin hai... pahle toh aisa nahi dekha maine kahi...”

“kya nahi dekha...”

“ Ek ladki ka ladke ko chocolate dena matlab ulti ganga bahne jaisa hai…”

“ganga seedhi bahe ya ulti… tumhe us-se kya… tumhe toh sirf dubki lagana hai…”chocolate ka packet mere hath me pakda kar Riya muskurayi….

“ye double meaning tha kya… ya fir triple meaning...? I’m bit confused ...”

“aur nahi toh kya.. tumhe kya laga sirf tum hee baato ko gol-gol ghuma sakte ho...? mujhe bhi aata hai baate banana…”beanie apne sar me daalte hue Riya boli... uske beanie nikalte hee meri nazar uske laal hote hue nose aur chicks par gayi... aur mera mann kiya ki main jabran use pakad kar jabardasti kiss kar loon... is it right to do that even if she is not ready ...? or not..? am I losing my mind...? Where is Ved..? I need you, man...

“tumhare gharwale mere bare me jaante hai..? tumhare papa goli toh nahi maarne wale na mujhe…”
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update-56


“tumhare gharwale mere bare me jaante hai..? tumhare papa goli toh nahi maarne wale na mujhe…”apne sabhi mansik paristhitiyo ko door karke finally maine Riya Rose par concentrate kiya aur ek normal sa sawal puchha. kyunki andar se kitna bhi chuda hua hoon , baahar se toh cool dikhana hee tha.

“kyun aisa kya hai..? jo papa goli marenge tumhe…”

“indian tradition hai ye… upar se Police Inspector hai tumhare papa.. toh gun-van jugad karne ka bhi lafda nahi hai... aise ek pal me bandook nikalenge aur hachak se 6 ki 6 goli mere andar”

Ye kahte hue Riya Rose ke papa kis tarah se mujhe goli maarenge , main wo karke use dikhane laga aur goli khane ke baad main bahaduri se kaise neeche girkar mar jaunga, maine wo bhi karke dikhaya. Matlab Oscar winning performance tha wo.

“achchha… yadi ye tradition hai tab toh apne culture ko follow karna hee padega…”bolte-bolte Riya achanak hans padi..

“kya hua...”

“wo saamne aadmi dekh rahe ho… ? wo humare Jabalpur wale school ke sports teacher ki tarah ekdum dikhte hai”

“uski yaad kaise aa gayi is waqt....?”

“ tumhe pata hai, mere na… jabalpur wale school ke sports teacher alag hee English bolte the… humlog apne school ke principal ko father bolte the… ek baar jab wo round me the toh sports wale teacher ne kaha tha ki … Father had just passed away in the corridor…”

“cool…”

“ek baar examanitation hall me sports wale teacher ki duty lagi toh bole… give me a red pen of any colour…”bolkar Riya khilkhila kar hasne lagi aur haste hue ek mukka mere seene pe maar aur diya…

“hahaha….. very funny”chhati sahlate hue maine kaha “humare wale ne kaha tha ki…. I want to meet your father, mother and parents…”

“sachhi…?”fir se ek mukka seene me pelte hue Riya has padi…aur fir apni hasi rok kar boli “ek baar humare sports teacher ne sabko ground me bola ki… stand in a straight circle…. Lol…”

“hahaha… ayiiiii…”ek aur mukka jab mere seene me pada toh sahlate hue main bola “ye toh wahi baat ho gayi… umar akmal, mother from another brother…”

Abki baar Riya aisi hasi ki jiski koyi had nahi, wo bench pakad-pakad ke hase jaa rahi thi aur mujhe pakka yakin hai ki us din yadi wo bench nahi pakadti toh haste-haste jaroor neeche gir jaati aur idhar main khud ko taiyar kar raha tha , uske agle mukke ke liye... jitna jor-jor se wo hasti utne jor se hee mukka maarti. Isliye mujhe abki dar bhi lag raha tha ki.. is baar kahi pura taqat laga ke naa maar de.. waise, isko dikhta nahi kya... ki.... mujhe dard ho raha hai iske mukke se...? Sanjana hoti toh shayad samajh jaati... abhi mera dimag khiska aur ekat mukka maar diya seene me iske exotic atoms par toh ashleel bol degi mujhe... Khair, Riya ne agla mukka mara par abki baar maine apne dono hatho se ise rok liya… Mazak hai kya... pyaar apni jagah, dard apni jagah.

Riya Rose, ek toh waise hee thandi me uska naak laal ho jata tha upar se aise non-stop hasne ke karan abki uska pura chehra hee laal ho gaya tha. Riya aise hee bench ke kinare ko pakad kar hasti rahi aur waha thodi doore me mauzood logo ki najar jab hum par padne lagi toh maine Riya ko shant karane ka socha aur uska gaal pakad kar kheench diya.

“dekh ke… mar mat jaana”

Maine Riya ka gaal kheencha aur fir gaal kheenchkar uske gaal ko sahlaane bhi laga :D main uske jis gaal ko sahla raha tha Riya ne us taraf apna sar kandhe ki taraf jhukaya aur mere hath ko apne gaal aur kandhe ke beech daba diya…

“tum pahle kyun nahi aayi Sanskar Valley me…?”use aisa karte dekh maine puchha

“yadi pahle aayi hoti toh tum school ki baki ladkiyo ki tarah mujhe bhi friendzone kar dete na, isliye…”

“ye kisne kaha…”

“sabhi ladkiya kahti hai… kuch toh tumhe gay bhi kahti hai”

“wait.. what... gay... ? toh ye sochti hai school ki ladkiya mere baare me….”

tabhi Riya ka mobile ekdum se baja... mujhe toh uske mobile ka ringtone bhi aaj tak yaad hai. mobile bajte hee wo boli....

“papa ka phone hai….ek minute, chup rahna…”Riya ne call receive kiya, usne kya baat kiya , kis topic par baat kiyaa .. mujhe naahi pata.. wo bas huu.. haan karti rahi aur fir thodi der ke baad call disconnect karke meri oor palti...

“sorry, Atharva… papa ka call hai. mujhe jaana hoga… ”

“ok… waise bhi papa ka call kabhi miss nahi karna chahiye..”aankh maar kar maine kaha aur mujhe aisa karte dekh Riya chauk gayi… par kyunki wo jaldi me thi isliye wo mujhe kuch bol nahi payi…. Par wo mere aankh maarne se chaunki kyun...? us din raat me jab use ghar tak maine use chhoda tha tab bhi toh aankh maara tha maine...? raat ke kaaran dikha nahi hoga sahayd us din.....

Riya ke jaane ke baad main kuch der aur us park me baitha raha. Idhar-udhar dekhta raha… idhar-udhar ki baate sochta raha. Main bahut khush tha un dino… Riya aur mera rishta us level tak nahi pahucha tha , lekin uski shuruat ho chuki thi, par ek chiz jo main nahi jaanta tha wo ye ki… mere aur Riya ke beech relation shuru nahi ho raha tha balki khatm ho raha tha. Jo ab jab bhi main ateet me jhakta hoon toh mujhe samajh aata hai.

Uske agle din school me wo hua Jiska main sadiyo se intezaar kar raha tha aur aaj finally ye ho raha tha. Par ab mujhe iski jyada parwaah nahi thi. Na hee mujhpar iska kuch khas asar ho raha tha. Pata nahi kyun, par yahi toh main chahta tha. Aur un dino mere har sawalo aur uljhano ki tarah is uljhan ka bhi sirf ek hee jawab tha aur wo jawab tha.... Riya Rose. Aur ye Ranjan, ye lawda kaha rah gaya… lunch ho gaya aur aaya nahi abhi tak…. Saxsena bhi neeche intejaar kar raha hoga , iska.

“it’s done…. It’s over…”Ranjan lunch me botony ki book liye jaise hee humare class me ghusa toh gate ke paas se hee wo khushi se cheekha… uski khushi ka thikana nahi tha.

Use aise khush dekh-kar maine aur Ved ne …infact waha class me mauzood sabhi ladke-ladkiyo ne yahi socha ki shayad Ranjana ko finally green signal mil gaya hai principal ki taraf se quiz team me shaamil hone ke liye. Pahle-pahal toh maine bhi yahi socha aur fir apne ghadi me time dekhkar maine jab timing match ki toh paaya ki itni jaldi toh ye possible hee nahi hai kyunki abhi just 5-10 minute pahle lunch hua hai aur itni jaldi Ranjan principal office me jakar, questions ke answer dekar, wapas mere class me wapas aa jaye, ye toh karib –karib namumkin hai. kyunki 5 minute toh normally aane-jaane me hee lag jate hai…..

“it’s done…. It’s over…”Ranjan humare paas aakar ek aur baar bola bola aur khushi –khushi me Ved ki taraf botony ki book fek diya “catch kar be ….”

“kya done… kya over…”

“it’s done, man…. It’s over…”aankh band karke apne lambe-lambe baalo ko dono hath se peechhe karte hue Ranjan bola…

“wahi toh puchh rahe hai… kya hua done aur kya hua over…”

“yeee hua done … aur yeeee hua over… 2-2 points tum dono par, bahut point chahdate ho pure school par…”

“wo toh thik hai.. Ranjan. Par hua kya..?”

“Jafar aur Sanjana ka break-up ho gaya…”

“kyaaa…..”Ved ne botony ka jo book catch kiya tha, ye sunte hee book uske hath se neeche gir gayi… jise uthakar wapas desk par rakhte hue Ved ne fir se puchha “kyaaaa….”

“yaaaaa…..”
nice update
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,101
16,060
219
Update - 31

Absolute legendary bhai... Kahani ab ek alag hi level par aa chuki hai... GYANI BHAI at its best... sach mein bhai.. Yahan se jo apne kahani ke twist aur turn planing dalni chalu ki hai na... isne kahani ko, pichle sare update padna safal ho raha hai kyun ki nayi jaan si daal di .... kahani mein reality ke sath maze dogune ho chuke hai ab. Bahut hi sahi ... matlab umda... ved bhale hi hans raha ho lekin sahi udai ladki ne... aur apna kaam karke nikal gayi.... maza aa gaya bhai :adore: :adore: Guptaji ke liye jo pilan banaya hai ved ne akhir dosti ki chaap chhod raha hai...

Donation ke naam par to log lakhon luta dete hain... ye trick sabse satik aurpurana hai.... naam nahi le sakta warna politcal abuse ka bomb fod denge humpar.. aap samajh hi jao.. khair bhai apratim.. mazedar... bemisaal... dhaamalll... mazaaaa aa gaya.... :bow: :bow:
 
Top