Subah hone vali thi. Sharita ki atma to kabu me aa gai thi. Ek handi me use bandh diya gaya. Par kam to ab bhi baki tha. Pratap se to deel nahi hui thi. Kampar bhi hoah me aa gaya. Aur last nar ke lie man gaya. Ek bar fir vahi viddhi hui. Kampar ke sharir me Pratap ki atma aa gai. Kampar fir ekdam se zan zana uttha. Thoda gurrate hue. Thoda badle ki bhavna me.
Kampar(Pratap) ; (gurrana) hmmm...hmmm... Ab tum mujse kya chahti ho.
Reeta ; me kya chahti hu. Vo bad me bataungi. Tum mujse kya chahte ho???
Kampar(Pratap) ; kya de sakti ho tum.
Reeta ; kab tak bhatakte rahoge. Me tumhe mukti dilva sakti hu. Agar tum muje jo chahiye vo dilva sako to.
Kampar(pratap) ; me mukti lekar kya karunga. Meri bete ki atma bhi to kai shalo se bhatak rahi he. Agar tum use mukti dilva sako to tum jo chahogi me de sakta hu.
Reeta ; kaha he vo???
Kampar(pratap) ; yaha se dur he. Basra gau he. *** Ke pas. Gau se vahar hi meri kotthi he. Vaha ka bacha bacha janta he. Pratap thakur ki haweli. Mera beta tumhe vahi milega. Agar tum use mukt karne ka vada karti ho to tum chahogi me de dunga.
Reeta ; tum jante ho. Is ghar ke andar ek chudeli bal he.
Pratap janta tha. Par usne bhi vachan de diya tha. Uski atma me na to takuro vala ruab gaya tha. Aur na hi bete ka moh.
Kampar(Pratap) ; use chhupane kam sharita ko hi diya tha. Vo Hakim ki khas thi. Ghar ke mukhya dravaje par hi. Jamin ke 7 fut niche. Ek chandi ki chhoti matki he. Par yaad rahe. Usme kai buri atma bhi kaid he.
Ab Reeta ke lie badi mushkil ho gai. Bal bhi chahiye. Lekin vaha to atmao ka bhandar pada huaa tha. Par reeta bhi pichhe hatne valo me se nahi thi
Reeta ; thik he. Ab tum is handi me aa jao.
Kampar ekdam se behosh ho gaya. Din nikal chuka tha. Ab Reeta ke pas 2 esi handi thi. Jisme atma thi. Reeta un sab ko mukti dilana chahti thi. Kampar is bar thoda jaldi hosh me aaya. Reeta ne use bataya. Ghar ke main door ko khoda. Sirf kampar ne hi nahi. Reeta ne bhi khudai ki. Last me jab niche ek chandi ki matki nikli to Reeta ekdam se sambhal gai.
Reeta ; ruko tum mat chhuna. Tum bahar niklo.
Kampar bahar nikla. Khod khod ke bada gadha ho gaya tha. Uske bad Reeta andar kudi. Usne vo chandi ki chhoti matki ko nikalne ke lie sirf tach kiya. Bahot hi bhayanak aavaje uske kano me gunjne lagi. Jese kai sare log fase hue ho. Aur bachane ke lie kisi ko pukar rahe ho. Ye ek bhutiya ambush tha. Chandi ki matki pishajo ko rokne ke lie.
Thandi tahshir vale pishajoko chandi aag ki tarah lagti thi. Koi inshan vo handi kholta to kai sari atmao ka ghar ban jata. Reeta ne vo handi kholi nahi. Par us chandi ki handi ko bahar nikal kar ek kapde me lapeta. Vo upar aai.
Reeta ; kam khatam nahi huaa. Sayad aur wakt lagega. Hame kahi aur jana he.
Kampar aur Reeta ek nae safar ke lie nikal gae.