• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aakash.

ɪ'ᴍ ᴜꜱᴇᴅ ᴛᴏ ʙᴇ ꜱᴡᴇᴇᴛ ᴀꜱ ꜰᴜᴄᴋ, ɴᴏᴡ ɪᴛ'ꜱ ꜰᴜᴄᴋ & ꜰᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
48,592
162,084
304
hawasi ladkiya hoti hai, ladke toh chodre hote hai aur aisi baat nahi hai.. main toh ye isliye bol raha kyunki jab wo bathroom jaane ke liye baar-baar class me techers se permission mangegi to ladke galat najar se dekhenge use.. baaki tu toh jaanta hee hai ki main bhagwan se bhi jyada sharif hoon...
:lol: :lol: :lol:


You are completely right that school life is a moment in everyone's life in which he enjoys openly and later this moment does not come back. Well I have said this many times and to be honest I have nothing to say, just reading the updates and enjoy. The view of the garden was very funny I wish I was there too and watching Atharva live would have doubled my fun, :lotpot: By the way, our hero does not know to be romantic so he always jokes.🙄 Everything seems right, maybe this time something something...:D
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...
🖤🖤🖤
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,867
32,739
259
majedar update ..achcha hua ranjan ne baate nahi suni ..

aur ye park ka scene ekdam zabardast tha 🤣🤣.
riya ko darana aur phir manane ka tarika apne emotional bramhastra se ..

aur jab riya ne daraya atharva ko tab uska hansna aur wo scene aisa laga jaise dono premi hai 😍😍.
aur last me pant gili karnewali baat jab riya pant ki taraf dekhti hai maja aaya 😁😁..
 

sorbobhuk

Well-Known Member
2,464
5,882
158
Update-48


yahi sochte hue maine Ranjan ki taraf apna rookh kiya....

“areyy teri....”saamne ka nazara dekh mere muh se sirf yahi nikla...

“kya hua...”

“Ranjan kaha teleport ho gayaa...?”

“wo toh gaya Principal office... bhool gaya , use har din Saxsena ji ko report dena hai...? ek din bhi miss hua toh uski jagah Mini aa jayegi. Isliye wo toh Sanjana aur Riya ke peechhe-peechhe hee nikal liya tha... jab tu gad-fati me Sanjana se dar kar dusari taraf gardan kiya hua thaa... kyun kya hua...? Ranjan ko kyun puchh raha...?”

“kuch nahi...” 1.5 breaths/ Second ki rate se jaldi –jaldi lambi saans lete hue maine kaha... “ek bala to tali..”

Ranjan waha se principal office ke liye ravana ho chuka tha, Saxsena ji ko apni preparation ki report dene... isliye Sanjana ke bare maine aur Ved ne jo bhi abhi baat ki thi , wo sirf hum dono ke beech hee thi aur ab shayad hum dono ke hee beech hee rahne wali thi. Yadi Ved chah le toh... dusari taraf...

“ Sanjana pat jati…? Yahi bol-bol ke chodu banao lawda.... yahi bol-bol ke maje lete hai sab… ki... ye karta toh pat jati… wo karta toh pat jaati… thik usi tarah jaise dhoni runout nahi hota toh india semi final nahi haarti... ye sab toh sirf kahne- sunne ki baatein hai. there is no what if in cricket as well as in life , anyway... chal paani pee ke aate hai... Riya Rosie udhar hee gayi hogi. Khushi-khushi me wo aaj ekat litre paani jyada pi legi... use rokte hai.. warna Lunch ke baad chalti hui class me baar-baar bathroom jaana padega use :D

“hawasi saale....”

“hawasi ladkiya hoti hai, ladke toh chodre hote hai aur aisi baat nahi hai.. main toh ye isliye bol raha kyunki jab wo bathroom jaane ke liye baar-baar class me techers se permission mangegi to ladke galat najar se dekhenge use.. baaki tu toh jaanta hee hai ki main bhagwan se bhi jyada sharif hoon...”

.

Riya ki maa hospital se discharge ho chuki thi, isliye ab Riya pahle se jyada khush rahne lagi thi… ab Riya khush toh main bhi khush… ab main khush toh Jafar khush... ab Jafar khush to Sanjana khush. Matlab Riya aur Sanjana ki happiness ek-dusare se connected thi. Jiska un dono ko pata tak nahi tha. pahle toh dhyan nahi diya maine ispar, par ab jab bhi sochta hoon toh samajh aata hai ki wo samay ekdum perfect tha meri life kaa… na toh ghar me koyi tension, na school me padhayi ki koyi tension.. 12th ka aadhe se adhik syllabus toh main aur Ved garmi ki chhuttiyo me hee complete kar chuke the. school me mere badhiya dost bhi the aur fir Riya Rose bhi thi. Dusare shabdo me kahu toh meri life ekdum mast chal rahi thi aur yadi teesare shabdo me kahu toh main nahi chahta tha ki ye kabhi khatm ho… infact main toh kabhi kabhi ye sochne lagta ki kash 12th class baad 13th aur 14th class bhi hona chahiye… kya rakha hai college me. Chutiyo ki tarah subah jaago aur chutiyo ki tarah wapas raat me so jao… baahar raho toh khaane –peene ka alag tension. lekin yaha school me bahut kuch tha karne ke liye aur Riya Rose bhi toh yahi thi… wo kaha 12th ke baad mujhe college me mujhe milne wali thi… ?

main jhooth nahi bolunga par yadi Riya 11th se humare school me hoti toh main apna subject math se badalkar bio kar leta… Mommy Swear. Gand maraye Ved. Waise main bio leta toh fir Ved bhi bio hee leta... shayad. Baaki yadi ghar wale nahi maante tab bhi additional ke taur par main bio le hee leta… lekin leta jaroor aur isi len den ko aage badhane ke liye main sham ko Riya se milne South Rewa Park ja raha tha… Sardiyo ka mausam aa chuka tha aur Rewa me wo kadake ki thand padti ki Surya Dev se true love tha us samay sabhi Rewa vasiyo ko. Riya park me ek bench par red colour ka sweater pahne hue mujhe door se hee dikhayi de di… Red uska favourite colour tha shayad. Kyunki aksar main use red colour ke hee top, dress me hee dekha karta tha aur ab sweater bhi red. mera toh favourite colour black & Navy Blue hai... humari pasand toh match hee nahi kar rahi... Anyway.... main ahiste-ahiste dabe paanv uski oor badha aur bina usko is baat ki bhanak lage jab main uske thik peechhe pahuch gaya toh… ekdum jor se chillaya…

“boooooyeaaahhh….!”

“huuuuuuuueyeee……”Riya kaanpte hue dar ke maare jaha baithi thi kaanpte hue wahi ekdum se khadi ho gayi aur gusse se lambi-lambi saans lete hue mujhe ghoorne lagi… is dauran yaani gusse se mujhe ghoorne ke dauran wo ek baar aur kaanp gayi...

“yar , ye itni cute hai ki ise dekh ke toh wo sab karne ka bhi man nahi karta...”maine man me kaha

“tumhe naa… main... ”gusse se bhar-pur wo apni mutthi baandh kar sirf itna boli

“I was just expressing my elation… anyway, what’s cracking ! hot thing…”

“ye pakdo…”wo painting jo mere liye Riya ne bahut pahle banayi thi, wo mujhe pakdate hue boli aur gusse me waha se baahar jaane lagi…

“ye ladkiyo ko sense of horror bilkul bhi nahi hota kya……? abey yaar..”main bhi Riya ke peechhe bhaga…

“heyy... berry boo… kidhar ja reli hai..”daudkar Riya ke saamne khade hokar main bola “ chalti kya, apun ke sath Starbeans me …? hot chocolate khilayega apun tere ko”

Jiska Riya ne koyi jawab nahi diya aur mujhe dhakka dekar fir se park ke gate ki taraf aur teji se badhi..

“abey ye ladki hai ya chhui-mui ka paudha…? Jara sa chhuo nahi ki murjha jaati hai… Arey Rosie, meri baat toh sun… nice sweater… nice hair… nice boobs… I mean books… I mean mujhe books chahiye, bio ki… par main toh mathematics se hu..? ”jab Riya bina kuch bole aage badh gayi toh main fir uske peechhe dauda…

Kyunki Riya Rosie ke peechhe daudne ke aalawa ab koyi dusara raasta bacha bhi nahi tha . iske chakkar me Sanjana tak se panga mol le liya tha maine us din. Par Rosie jab fir bhi nahi ruki tab maine apne astra-bhandar se barso ki tapasya se arjit kiye hue sahaanubhuti astra ko prakat kiya aur Riya Rose par peechhe se de maara…

“aunty ji ki tabiyat kaisi hai ab aur next time kab hospital jaana hai..? main bhi chalunga sath me…”

“kyun..? husband ho tum mere…”

“toh ban jaunga.. usme kya hai.. fir roj subah-sham bistar par mast kuchi-kuchi karenge hum dono.... maza aa jayega... yessss”maine kaha... par mann hee mann. Kah toh real me bhi deta par fir wo aur bhi jyada naraz ho jaati.

“tumne mom ke bare me jaanbuchkar puchha na… ? taaki main reply dene ke liye mazboor ho jaun…”

“aisa nahi hai Rosie…”main chup ho gaya... ye bhi dimag lagane lagi..? aise me kaise chalega.

“jaldi bolo…”

“yep.. wo kya hai ki... Jab tak tujhse meri baat nahi hoti, tab tak meri koyi baat nahi banti... ye toh dialogue ho gaya ki... Jab tak tujhse meri baat nahi hoti, tab tak meri koyi baat nahi banti.....? Epic Star ki upadhi de du kya main khud ko, isi waqt...?” itna bolkar main idhar wahi khada ho gaya aur udhar Rosie-Cozy gusse se apne pair patak-patak kar park se baahar jaa rahi thi... lekin main use rokne ki bajay khud ki prashansa karte hue fula nahi sama raha tha...

“matlab manna padega yaar Atharva... hain naa Rose...? Rose...? Rosie....? ye kaha gayi... Ooo .. ye toh jaa rahi hai...? maine kuch galat kah diya kya...? sirf tareef hee toh ki apni thodi si... ”

Park se baahar nikal rahi Riya ke peechhe mai ek baar fir dabde paanv ahiste-ahiste daudte hue pahucha aur fir jitna khaya piya tha, pura dum lagakar ek baar fir se chillaya

“booooooooooyeaaaaaaahhh…”

Aur iske baad Riya ki jo durgati hui , usne mujhe pet ke sath-sath kidney , dil , seena sab kuch daba ke hasne ke liye majboor kar diya... kyunki abki baar Riya mere chillane se itni dari ki... dar ke maare thoda aage kood gayi aur girne se bhi bal-bal bachi… kuch der toh apne seene par hath rakh kar wo mast lambi-lambi saans bharti rahi par fir jab normal hui toh jwalamukhi ke mafiq dahakti aankho se usne mujhe dekha....

“aise kya dekh rahi hai… maaregi kya …”

“1 % ka 1 % bhi...akal hai tujhme...? ya wo bhi nahi hai. Jab main pahle hee tujhe bata chuki hoon ki peechhe se Meko mat chillaya kar.. toh samajh nahi aata ...?…”

“ 1 % ka 1 % yaani 0.0001X. wo sab toh thik hai Riya par ye ~meko ...? ye Meko kya hai :laugh:...?”

Abki baar Riya puri jal-bhun gayi... matlab itni jyada jal-bhun gayi ki raakh tak nahi bachi. Kaha toh usne gusse me nahi tha, par uska tone aisa tha ki… main pura andar tak tan tana gaya upar se Riya, tu karke bhi baat ki thi mujhse… jabki usne aaj se pahle kabhi aisa nahi kiya tha. shayad wo kuch jyada hee gussa gayi thi abki baar. Isliye is-se bhi main pura andar tak tan tana gaya. Par main toh use bas hasana chahta tha, wo toh naraz ho gayi aur wo ab kuch bol bhi nahi rahi… isliye ... fuck me... mujhe ab chupke se nikal lena chahiye. Warna gusse-gusse me meri maa-behan ko gaali naa de de ye...

“Jab tak tujhse meri baat nahi hoti, tab tak meri koyi baat nahi banti” maine dheere se kaha.. matlab dheere se kahne ki acting kiya… baki maine kaha normally hee tej aawaz me tha, taki use sunayi de jaye… ye meri ek aur Deception technique hai.. jisme saamne waale ko lagta hai ki maine dheere se khud se kaha hai.. lekin kaha maine usi se hota hai...

Main painting ko roll karke apna sar jhuka kar waha se jaane laga aur decide kiya ki aaj ke baad Riya se baat nahi karunga. Faltu me main karne kuch jata hu, ho kuch aur jaata hai… mujhme hee kami hai shayad koyi... isiliye Sanjana nahi pati .

“Atharva…”main chalte – chalte park se thodi door aa gaya tha ki kisi moti aawaz wale shaks ne mera naam pukara

“kaun hai lawwwwoooveee.... love”main peechhe muda par jaise hee main peechhe muda…. Saamne Riya Rose khadi thi aur mujhe lawde shabd ko love me convert karna pada.

“Boooooyeaaaahhhhh…….”mere peechhe mudte hee Riya meri chehre par chillayi... dar ke maare mere kaan toh nahi fate par aankh jaroor apne aap band ho gayi...

“kaise…? maza aaya…?.”khilkhilate hue Riya boli… mujhe aise aankh band kiya dekh uski hasi nahi ruk rahi thi… wo apne dono hatho se apne gaalo ko dabate hue dil kholkar hasne lagi… uski is harqat se usne jo dastane hath me pahne the wo uski ungaliyo se thoda upar khisak kar baahar jhulne lage the… jise maine apni ungaliyo se daba diya... maine aisa kyun kiya, uski ungalliyo se upar aa chuke dastane ko kyun dabaya...? mujhe nahi pata... main khud aaj tak suspence me hoon.

Riya apne aap me is samay itna madhosh thi ki use koyi fikar hee nahi thi kisi ki, waha mauzood har koyi use aise dil khol ke khilkhilate hue hasta dekh raha tha… bache se lekar jawan tak aur jawan se lekar budhe tak…. Ladke se lekar ladki tak, aadmi se lekar aurat tak aur budhe se lekar budhiya tak… waha aas-paas mauzood sabki nazar Riya par thi… use aise hasta dekh main bhi muskurane laga… main kya , agal-bagal kayi log muskurane lagi…. Agal-bagal jo ladke the unhone mujhe ishara bhi kiya ki… bhai, mast maal pataya hai… jinhe maine ignore kiya, kyunki yadi main un ladko ki taraf dekhta rahta toh fir Riya ki nazar bhi eventually udhar hee jati. Aur fir wo bhi unke ishare dekh leti.

Riya ke gaal, naak , kaan sab laal ho gaye the.. laal toh wo kadake ki thandi ke kaaran pahle se hee thi. par ab aise non-stop hasne ke kaaran uska chehra pura laal ho gaya tha aur wo moment tha jab mujhe laga ki… mere janm lene ka maqsad aaj pura ho gaya hai…

uska dil rakhne ke liye Riya ke boooyeaah bolne ke itni der baad maine darne ki acting ki... maine apna baanya hath apne seene par rakha aur bola..

“dara diya tune toh.... ekdum pant geeli ho gayi meri...”

“sach me....”itna sunte hee Riya ki nazar turant mere pant par pahuchi aur jaise hee uski nazar mere pant par pahuchi maine turant apne shoorveer ko dono hatho dhak liya...

Maine naa toh bolte hue ye socha tha aur naa Riya ne udhar nazar maarte hue... maine aise hee kah diya aur uski nazar aise hee apne aap udhar chali gayi.. ye check karne ke liye ki kahi dar ke maare maine sach me toh pant geeli nahi kar di.... kuch der tak hum dono isi pose me rahe... matlab wo mere shoorveer ki taraf aankhe gadayi rahi aur main apne hath se apne shoorveer ko chhipata raha ... kyunki wo mere pant me is kadake ki thandd me bhi tanav maare khada tha aur main nahi chahta tha ki Riya ko iska jara sa bhi aabhas ho.

Fir jab hum dono ko ahsaas hua ki ye hum kya kar raahe hai , tab humari najre ek-dusare se mili...

.
Maja aageya hai dono ka comedy cheen dekh kar.....shayed riya bhi bhatti ko pasand karti thi......kuch to kiya hoga atharva ne jo sanjana or riya dono usse dur ho geyi.....mere hisab se uske bhavnao ko seriously nhi liya isiliye chhod ke chali geyi dono........main apse request karta hu ki isbaar matlab ye story par aap happy ending karna matlab ki hero or heroin ko ek kar dena taki meko sukoon mile baki ka pata nhi mujhe
Waiting for next update
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
ye atharva directly propose hi kyun nahi kar deta riya ko wo bhi sanjana, ranjan, aur Gupta ji ke samne :dazed:
waise bhi riya ki mom ko bhi pasand hai atharva... aur riya bhi to ushe chahti hai...
ab bas atharva riya ko apne ghar le jaake apni mom se parichay karwa de ki dekhiye yahi hai aapki hone wali bahu :D
Baaki atharva ki mom pe is baat ko chhod dete hai hum ki wo kya karti hai.. kya decision leti hai... :approve:
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills gyani sir :applause: :applause:
 
Top