Update-49
Bahut hee awkward moment tha wo, hum dono ke liye... sirf ek pal ke liye humari najre mili aur uske baad hum dono ek dusare se nazar tak nahi mila paaa rahe the... teesari baat ye ki.. mujhe waha hath rakhna hee nahi chahiye tha , bhale hee uski nazar waha chali gayi ho... dusari baat ye ki Riya ko neeche dekhna hee nahi chahiye tha, bhale hee maine pant geeli karne wali baat kahi ho aur pahli baat, mujhe ye kahna hee nahi chahiye tha. Naa main ye kahta aur naa hee ye ghatnaye ghatit hoti. Par koyi na koyi harqat toh karna hee tha hume... kyunki bematlab bahut der tak toh waha aise khade bhi nahi rah sakte the... isliye , hum dono ne mann hee mann ek sath decide kiya ki ek dusare ke bagal me bina koyi baat kiye aise hee chalte rahenge.... uska toh nahi pata , par maine yahi socha tha aur jab wo bhi aisa karne lagi tab samajh aaya ki uska bhi same plan hai, is awkward situation se nikalne kaa... yaa fir.........................
aisa maine jaan buchkar kaha tha...

taaki Riya bina koyi deri kiye, bina kuch soche samjhe turant udhar dekhe aur jaan-buchkar humare beech aisi situation create ho.... Afterall , I’m the Deception King. Anyway... ab Naa toh Riya Rosie chup-chap chalne ke aalawa koyi harkat kar rahi thi aur naa hee main....
“booooyeeeahhhh...”main achanak se uske kaan ke paas chillaya aur mere aisa karte hee abki wo dari nahi, balki khilkhila kar hasne lagi... jor-jor se hanste hue usne mere kandhe par apna daaya hath rakha .. daya nahi ... actually.... apna baanya hath rakha... kyunki uske left side me main tha toh fir wo daaya hath kaise rakh sakti hai....? bahut din bhi ho gaya hai toh , yaad bhi nahi ki wo mere left me thi ya main uske left me.
“bas kar… mar jayegi nahi toh haste-haste… fir jail jaana padega mujhe tere khoon ke ilzaam me.. tab mujhe aisi ghatiya-ghatiya painting bana kar kaun dikhayega…”Painting wahi neeche gira kar maine Riya ke kandhe ko dono hath se pakda aur aise hilane laga ... jaise sikke nikalne ke liye gullak ko hilaate hai. tab jaake usne hasna ,khilkhilana band kiya....
“Atharva thandi, thandi.... kitni badh gayi hai kuch dino se…”apne hatheliyo ko dastane ke upar se hee ragadte hue Riya boli…
“mam, aapne dastana pahan rakha hai… isliye hatheli ragadne se kuch nahi hoga… mana ki bio se ho lekin aisa bhi kya hai… ”
“mujhe pata hai… ok... wo toh bas aadat hai…”
“ hatheli ragad kar garmi chahiye toh bina dastane ke hath hone chahiye… ye dekho , meri tarah…”apne hatheliyo ko ragadte hue maine kaha.... mann me “sach me gaand fad thandi hai, yar... saala role-role me sirf jacket taang ke aa gaya... abhi ahsaas ho raha hai ki Mommy ki baat maan leni chahiye thi... kuch der aur aise raha toh aankh , naak, kaan sab bahne lagega... Riya ko jaldi se saltana padega”
“tumne gloves kyun nahi pahne… tumhe thandi nahi lagti kya…”
“thandi mann ka vaham hai sirf... aur kuch nahi… jaise bhoot mann ka vaham hota hai na.. waisich…”
“yadi aisa toh mujhe vaham me hee rahna hai…” apne jacket ki chain khol kar Beanie yani winter cap nikal kar Riya boli aur apne baalo ko thoda idhar-udhar adjust karke beanie ko apne sar par taang liya… jise dekhkar main hasne laga….
“kya hua…”
“yeeeee hua…. 3 points… kuch nahi, aise hee hasne laga…”
“ye point kya hai… last time tumne 2 points kaha tha aur ab 3. Mujhe bhi batao na…”
“point se yaad aaya… competition me ab tum kya submit karogi...? apni painting toh tumne mujhe de di… ya fir participate hee nahi karogi…?”turant topic change karte hue maine kaha... is baat se anjaan ki uski painting maine kuch der pahle hee gira di thi...
“nahi… wo Sanjana actually , sahi kah rahi thi us din… bahut kami thi us painting me.. isliye maine nayi painting banane ka socha hai….”
“naya… kis topic pe…? matlab kis theme pe…”
“wo maine bahut socha ki kis theme pe banau… aisa kya new hoga.. jo kisi ne dekha nahi hoga… pahle toh mujhe kuch nahi sujha, par fir ek din main jab Vindhya Hospital me mom ke saamne baithi thi naa toh mujhe ek idea aaya…. Atharva…? Atharva….? Ab kaha chala gaya…”
“haan bolo na, sun raha hu main…”Riya ko agal-bagal mujhe dhoondhate hue dekh main peechhe popcorn wale ke paas se hee aawaz diya aur fir agle hee pal popcorns ke packets lekar wapas Riya ke bagal me aa khada hua…
“kya bol rahi thi ki… Vindhya hospital me tumne naachte hue dinosaurs ko dekha….”popcorn ka packet faadkar ek side dabate hue maine Riya se puchha…
“wo maine bahut socha ki kis theme pe painting banau… aisa kya new hoga… jo kisi ne dekha nahi hoga… pahle toh…”
“arey ye sab toh bol chuki ho… wo Vindhya hospital se aage wali line batao…” popcorn ka ek tukda apne muh me fekte hue main bola…
“haan toh Vindhya hospital me jab main mom ke saamne baithi thi toh maine socha ki kyun na isi situation pe painting banau… jaha ek lady hospital me leti hogi aur naa... uski beti wahi uske paas baithi hogi… wo dono ek-dusare ki aankho me dekh rahi hongi aur aankho hee aankho me wo dono ek-dusare se wo kah rahi thi… jo wo kabhi shabdo me ek dusare se naa kah paayi ho… matlab aksar aisa hota hai naa .... ki hum apne parents se kah hee nahi paate ki unki kya ahmiyat hai humare life me... fir ek din wo hume chhod ke chale jaate hai, tab ahsaas hota hai , dukh hota hai... bas usi theme par...”
“ wah Riya ji wah……”abki baar do-teen popcorn ek sath nikal kar apne muh me nishana lagate hue maine feka aur...... goal…..
“yeah.. eyes say what heart feels… waise tum subah kitne baje uth jate ho….”
“depend karta hai ki kitne baje soya hu aur agli subah koyi special day toh nahi hai… par aajkal toh har din special hai”
“subah daudne nahi jate kya…?”
“main sapne me daudta hu naa roj… wo bhi bahut tej tej… 20-30 gold medal jeet chuka hu sapne me main…”abki baar side me dabaye popcorn ke packet me hee maine apna hath dal diya aur jitna pakad sakta tha, jitno ko pakad sakta tha… un sabko humach ke dhar dabocha aur ek jhatke me karar-karar ki aawaz karte hue chaba gaya… salo ko… bahut uchhal rahe the sale, thodi der pahle…
“Atharva , ye dekho mere news feed me ek post hai…”apna mobile dikhate hue Riya boli “ek Naari, ek Stree, ek Aurat aur ek Ladki me kya difference hota hai…”
“aaj kal kuch bhi daal dete hai log… sab same hee toh hai…”popcorn ka dusara packet daant se fadkar packet ko fir se ek side me dabate hue maine kaha aur abki baar shuruat se saalo ko mutthi bhar-bhar ke chabane laga…. Mere saamne uchkenge , lawde….
“acha ye dekho, Madhua ka comment bhi aaya hai ek… aur… aur tum... tumm... TUM AKELE-AKELE KYUN POPCORN KHA RAHE HO… KAB SE WAIT KAR RAHI HU KI AB PASS KAROGE.. AB PASS KAROGE … LEKIN.. ”
“achcha tumhe bhi chahiye… sorry, mujhe dhyaan hee nahi aaya… wo kya hai aksar Ved ke sath popcorn khata hoon main aur hum dono ki aadat hai, ek dana tak ek-dusare ko nahi dete apne-apne packet ka.... toh wahiiii....”Riya ki taraf packet badhate hue main bola… aur tab maine dekha.. I mean tabhi mujhe realize hua ki……….. ki……
Riya ka ek hath me dastna toh hai hee nahi aur uska wo hath maine apne ek hath me pakad rakha hai... iske aalawa beech-beech me uski hatheli ko apni ungali se sahla bhi raha tha…
Ved ki kasam ………. meri toh gand hee fat gayi jab mujhe ye realize hua toh… baato he baato me maine kab Riya ka hath pakad liya tha mujhe pata hee nahi chala… main toh naya-naya hu is field me , BC aisa bhi hota hai kya ..? isiliye popcorn ke packet ko main apne side me daba kar kha raha tha, itni der se aur isiliye popcorn khate waqt apni nervousness ko bhagane ke liye masoom popcorns ko gaaliya de raha tha… waise ye Chal toh bahut pahle se raha tha, par realize mujhe abhi hua tha. Main shocked tha.... par apni harqat pe nahi, balki meri is harqat par Riya ki pratikriya se… kyunki wo kuch nahi bol rahi thi… I mean… uski ungaliyo ke beech fansi hui meri ungaliya... kya mast garam-garam hath tha uska. Jise main sahlate hue ahiste-ahiste daba bhi raha tha. uska hath pakadte hee mera pura sharir garma gaya tha.
maine popcorn ka packet Riya ki taraf badhaya… usne bhi popcorn khane ke liye apna hath aage badhaya… lekin gloves pahne rahne ke karan wo badi mushqil se ek ko pakad payi aur jab muh me popcorn ko dali toh uska gloves bhi uske muh se touch ho gaya… jise usne bahar fek diya
“tum aa karo, main fekta hu…”maine kaha.. lekin uska hath nahi chhoda
Popcorn ke packet ko side me dabaye hue, Riya ka hath ahiste-ahiste dabate hue, apni ungaliya se uske hatheli me gudgudi karte hue main Riya ke muh me popcorn fekne laga aur wo badhiya mast catch kar- kar ke khane bhi lagi… jab-jab popcorn uske muh me jata, use chabane ke baad wo meri taraf dekhti aur fir thodi der muskurati aur fir aa karne lagti....
Riya ko aise apne sath dekh, kasam se mera kaleja muh ko aane ko tha… dil fata jaa raha tha, excitement se... muskan thi ki apne aap chehre par chha ja rahi thi, saanse beech-beech me itni tej chalne lagti jaise abhi-abhi daud kar ruka hoon ... matlab koyi had nahi, us level ka response mera sharir de raha tha... chalte hue pair beech-beech me dagmagane bhi lagte the.... ye shayad wahi moment tha jab main Riya ke liye sanely insane ho gaya tha….
Jaise jaise wo sham , raat ki oor badh rahi thi. waise-waise thandi bhi badhte jaa rahi thi aur Riya ko thandi kuch jyada hee lagti thi, us samay… abhi ka nahi pata. ye mujhe us din pata chala… jab usne ek aur beanie apne jacket ke dusare taraf se chain khol kar nikala. Usne achanak apna hath mujhse chhudaya aur dusare waale beanie ko bhi sar ke upar fasane lagi…
“itni bhi thandi nahi hai…”khunnas me main bola kyunki Riya ne mera hath chhod diya tha….
“ help…”
“nahi jayega.. already toh pahan rakha hai ek….”main fir rukhe swar me uske sar ko dekhte hue bola
“arey wo toh sar pe pahna hai na… isko gale me pahnungi… mujhse naa, thandi bardaasht nahi hoti bilkul bhi… aur ab hawa chal rahi hai toh gale ke paas jacket se thodi thodi hawa andar jaa rahi hai…”
“isiliye sharir me baal hone chahiye taaki thandi naa lage...”
“tumhare chest me hai kya...”
“pata nahi.. kabhi gaur nahi kiya.. dekh ke batata hoon....”kahte hue maine pahle satt se jacket ka chain khola, fir shirt ke upar ke do-teen button khol kar andar jhanka.....
“aise matlab hai bhi... aur nahi bhi...”
“good....”Riya muskurayi... waise toh main sab samajh jaata hoon.. par Riya us din, us pal kyun muskurayi main aaj tak suspence me hoon... kahi wo mujhe nude toh imagine nahi karne lagi thi...?? aur ye ekdum achanak se thandi kyun lagni lagi... maano koyi koyi baraf chhua raha ho.
“thik hai... abbbbb...”jab main use dekhte hue apni soch me dooba raha toh wo boli aur mujhe ishara kiya ki main apne shirt ka button band kar loon....
“mere chest pe toh nahi hai... tumhare me hai kya...?”
“shut up..”
“kyun... maine toh turant dekh ke bata diya... tum bhi andar jhank kar batao...”
“ye kya harqat hai...??”
“kyun....? tumne bhi toh puchha... maine puchha toh galat...? ye hai aapki equality...”
“girls can never have hairs on.....”apne seene ke exotic atoms ki taraf ishara karte hue Rosie boli...
“aisa kya.... fir proof karo...”