• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aakash.

ɪ'ᴍ ᴜꜱᴇᴅ ᴛᴏ ʙᴇ ꜱᴡᴇᴇᴛ ᴀꜱ ꜰᴜᴄᴋ, ɴᴏᴡ ɪᴛ'ꜱ ꜰᴜᴄᴋ & ꜰᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
48,554
162,069
304
Update-45



Ye dekh mera dimag ek baar fir se ghoom gaya , matlab haal filhal jitna ghuma hua tha, ussse bhi jyada ghoom gaya... waise ye thi toh bahut aasan si ghatna.. lekin mere dimag ne ise kafi jatil bana diya tha... jo abhi bhi Ranjan ko finally , Sanjana aur mere bare me kya jawab dena hai uska perfect answer khojne me laaga hua tha... iske aalawa baaki sabko ek side bhi kar du, jo ki mere andar abhi chal raha tha... matlab ye jo ek sath itni saari samsyaye mere saamne khadi ho gayi thi ki.... mujhe kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye... Jafar ko jawab du ..? Ranjan ko jawab du...? fir school ke launde bhi dekh rahe the toh waha bhi apni reputation barkarar rakhni thi... Sanjana se Mitra dharm bhi nibhana tha.... kyunki मित्रता परमो धर्मः ka pratipadak bhi main hee toh tha. ab jab main khud hee ise follow nahi karunga toh dusare kaise karenge.

Bahut hee bhayankar dharm sankat aan pada tha mujhpar us waqt.Kyunki... Riya Rose bhi idhar hee ghoor rahi thi... Sanjana ke mamle me hero banne ka matlab Riya Rose ki nazar me zero banna tha. isko main bahut achi taarah jhel chuka tha already ek baar... isliye thoda bahut idea tha ki... yadi abhi maine Mitra dharm nibhaya toh Prem dharm par sankat aa sakta hai.... par in sabko bhi , mera matlab in saari samasyayo ko bhi yadi main quantum mechanism laga kar Neeche Principal office se baahar nikalte hue Gupta ji ke takle par fek ke maaru... tab bhi ek aur samsya thi.. jo mujhe andar hee andar khaaye jaa rahi thi. Udhar mera dimag ab bhi wo perfect answer nahi dhoondh paaya tha. isliye finally maine quantum physics apply karne ka nirnay liya aur aankh band karke mantro ka uchharan karne laga.... taaki mera dimag ek sath kayi sari samsyayo ka samadhan kar sake. Aur usne kar bhi diya....
Waise ek raaz ki baat batau....? well, yahi toh main chahta tha... matlab jo –jo is samay abhi ho raha tha... isiliye maine Ranjan.. I mean Jafar ko seedhiyo ke neeche... I mean.. neeche seedhiyo ke paas ... I mean ... seedhiyo ke paas neeche... ye correct word hai... seedhiyo ke paas neeche. Toh isiliye seedhiyo ke paas neeche use maine uksaya tha ki wo Sanjana se bulwa de ki wo mujhse baat nahi karegi... aur us chutiye kiya bhi wahi... Lull, TOLD YA , I’M THE DECEPTION KING.

Waise bhi first girl of my life ko mujhse chheen lene ka badla bhi toh lena tha. dekha... thi naa simple si baat, par apun kitna complicate bana diya tha ise... aur depth me jaaun kya ? baal nochna pad jayega :D . anyway....


“kya hai be… bahut gussa aa riya hai tere ko…”Jafar ka kandha pakad kar dabate hue Ranjan bola. Jafar aur Sanjana dono mere saamne hee khade the.

“Jafar… hua kya hai….”Jafar ne jab Sanjana ka hath chhoda, jise itne der se wo jakde hue tha toh Sanjana apna hath sahlate hue puchhi...
tab meri nazar Sanjana ke hath par padi... wo jagah laal ho chuki thi. Aur main jhooth nahi bolunga..

uske hatho ki laali dekh kar mera para pata nahi kyun achanak ekdum se khada ho gaya. Jabki is vyuh ka rachnakar swayam main hee tha. Sanjana ke sawal ke Jawab me Jafar ne pahle Ranjan ka hath jhatak kar apne kandhe se hataya aur fir Sanjana ki taraf dekh kar bola…

“tum is saale, Bhatti ko bolo ki ye tumse aaj ke baad baat nahi karega…”

“iske liye itna bada natak… ? aur main sochne lagi thi ki aisa kya ho gaya… hua kya hai tum dono ko... ? bachche ho kya tum dono… jo katti-mitti ka game khel rahe ho.. problem kya hai...?”

“mere ko bachcha mat bol… Silkyyy….” Jafar ko jalane ke liye jaan-buchkar Silky word lamba kheechte hue main bola “ Silky, ye hi chutiyo ke mafiq tamasha khada kar raha hai… baaki raat- raat bhar main tere kamre me rahta hoon toh jab tere gharwale ko aitraaz nahi hota toh fir ise kyun ho raha hai”


Ye raat-raat bhar Sanjana ke ghar me rahne ki baat bhi maine jaan-buchkar kahi thi aur shayad Sanjana ko thodi bahut bhanak lag gayi ki mere iraade kya hai... wo mujhe gusse se ghoorne lagi.. ab wo gusse se isliye ghooi kyunki maine raat-raat bhar uske kamre me rahne ki baat Jafar ke saamne kah di thi ya fir isliye kyunki shayad use bhanak lag gayi thi mere irado ki... ye aaj tak suspence hai.


“tu bhi jyada mature banne ki koshish mat kar Atharva… samjha… teri limit maloom hai mujhe , isliye jyada hoshiyar banne ki koshish tu toh mat hee kar. Kyunki yadi main ye mind game pe aa gayi naa... toh teri khatiya khadi ho jayegi...”

“try me... bitch... Atharva Dev se mukabala karoge ab tum... jo khud Physics Dev ka ansh hai...”main andar hee andar badbadaya

“ aur tu Jafar.. kya problem hai yar teri… sab dekh rahe hai, akele me baat karte hai.. school ke baad... ok...?”

“maa chudaye sab… mujhe kisi se koyi matlab nahi aur tu is Bhatti se pelwana band kar..... rakhail”

“sun be, jhatahe… jyada hero mat ban… apni hoshiyari apne class me dikhana, yaha nahi… ye math ki class hai… yaha koyi gunda apna gand nahi hilayega… siway math walo ke… warna gand me danda daal kar us dande par kaskar laat marunga... aur gaali deke kyun baat kar raha tu Silky se....? bsdk, aukaat kya hai teri... hain toh tu gaand dhone ka saabun hee bechne waala naa... ab chup-chap nikal nahi toh yahi pe chud jayega… Silky, tu nikal ab...”Jafar ko dhakka dete hue main bola... kyunki jaise hee usne Silky ko rakhail bola mera para ekdum high ho gaya...


Para Jafar ka bhi high hua, jab maine use sabke saamne dhakka diya toh.... mere dhakka dene ke kaaran Jafar us din ki tarah aaj neeche farsh par toh nahi gira par kuch kadam peechhe khiska jaroor aur mujhe aashcharya tab hua , jab mere dimag ne mujhe aabhas karaya ki ye bhi mere chakravyuh ka hee hissa hai...


“madarchod mere ko dhakka diya… sale Garib”Jafar khunnas me meri taraf daant piste hue kooda par Ranjan ne turant mujhe ek oor khinch kar ek kohni seedhe Jafar ke thobde me jad diya… Jafar wahi ulta gira aur is tarah se uski reputation bhi... jiski aawaz bhi aayi aur badi madhur aawaz thi.

“ye kya hai , Atharva… ye thik nahi hai… tum sab milkar Jafar ko maar rahe ho…”Sanjana ko ab shayad sab kuch samajh aa raha tha.. par wo mujhe itna kaise samajh jaati hai.. ? matlab mere har motive ko ...? ye bhi aaj tak mere liye suspence hai... matlab ekdum ek-ek point pakad leti hai wo mera.... dil bhi pakad leti aise toh kitna acha rahta . ye Sanjana koyi time traveller toh nahi...?


“I’m sorry Sanjana… par shuruat isne ki hai… isne socha ki padhne-likhne wale ladke hai.. daraunga toh dar jayenge… gaali dunga toh chup-chap sun lenge... marunga toh chup-chap maar bhi kha lenge… tum jao yaha se…”

“Jafar… kyun lad rahe ho… ye tumhare bas kaa nahi hai, tumhe samajh bhi aa raha hai ki.. kya ho raha haio tumhare sath...?” neeche baithe apna jabda daba- daba kar Ranjan ke hamle ka dard kam karne ki koshish me lage Jafar ke paas neeche Sanjana jhuki aur use uthane ki koshish karne lagi.

“Sanjana, aaj tu din bhar ka time le le aur achchhe se soch le… ya toh tu aaj ke baad is Bhatti se relation khatm karegi ya fir mere se… mujhe ab aur chutiya nahi banna, sare dost haste hai mujhpe… Mazak bana diya hai tum dono ne mera pure school me... pahle bhi aur aaj jo thodi bahut ijjat bachi hui thi uski bhi aisi taisi kar di, sabke saamne. aaj tu final decide kar hee le... Jafar ko ladkiyo ki kami nahi hai... naa toh tu pahli hai aur naa hee tu aakhiri hogi... ”


“bhatti, bhag bhosdike... wo dekh... Gupta”Ranjan waha se apni class ki oor teji se jaate hue bola

“Bhatti... bhaag lawde.... pel-pel ke peeth laal kar dega Gupta, yadi usne seedhiyo se upar aakar kisi ko class ke baahar bhi dekh liya toh...…”Ved bhi class ke andar kooda


Gupta ka naam sunte hee baahar jitne log ye tamasha dekh rahe the , sab apni –apni class ki oor bhagne lage.. Ranjan bhi apne thobde par ek hath rakhe turant khada hua aur Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha…. Maine bhi same Jafar ki harkat ko copy karke Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha... taaki use lage ki mujhe bhi uski utni hee fikar hai, jitni Jafar ko... Ranjan bhi waha se apni class ki taraf bhag chuka tha aur Ved...? Sexy Saahityakar toh lawda sabse pahle waha se kalti hua tha….. lekin Jafar wahi khada raha… is kaaran mujhe bhi wahi khada rahna pad gaya... jaise ki maine pahle hee kaha hai ki aham, mujh jaise aadmiyo ka sabse vulnerable point hota hai. sawal ab Sanjana ko chhod kar ye tha ki kaun Gupta se dar kar waha se pahle bhagta hai.


“tujhe toh main pelunga hee, chahe uske liye mujhe kisi bhi had tak jaana pade… chahe paise dekar baahar se gunde kyun naa bulwane pade… Ranjan bhi pelayega, madarchod... mujhe maara hai usne aaj… wo bhi lambe se pelayega tere sath… tu ab bas dekhta ja, Atharva….”

“Atharva nahi.. Atharva Dev bol... mere sar ke peechhe ka chakra nahi dikh raha tujhe...? kaise dikhega.. divya drishti nahi hai tere paas...”

apna thobda sahlate hue Jafar bhi waha se jaane laga. Jafar ko uska jabda dabate dekh mere mann me khayal aaya ki Ranjan wakayi me itna powerful hai kya...? ki ye kab se apna thobda sahlaaye hee jaa raha hai..? sahi bola tha Ranjan ne us din mujhe ki mujh jaise 4-5 ko wo akele pel sakta hai. saala hai bhi toh ekdum daanav type.


Gupta ji aa toh humari hee class ki taraf rahe the… par bahar khade sabhi log andar nahi jaa paaye the aur jo log Gupta ji ko class ke baahar corridor me dikhe, unko waha dekh unki puri sulag gayi aur wo gariyate hue, baal pakad kar unke sar me mukke pe mukka maarte hue un sabko andar karne lage... Jafar dar ke kaaran Commerce me ghus gaya. is beech unhone ek ladki ko bhi pakda aur jo baal kheencha uska... kikiya di wo on the spot....lekin Gupta ji ke liye kya, male aur kya female... wo toh in sabse barso pahle hee upar uth chuke the..

unhone us ladki ki dono chotiyo ko ek karke ghuma diya us ladki ko chaaro oor fir do tamacha kaskar uske gaal par maara, wo alag.... jiski gunj unse itni door khade mujh tak bhi aayi iske baad unhone next eligible candidate ko pakda.. jo unhe class ke baahar dikh gaya tha...

Khair, Main apne class me jaane ke liye peechhe muda... warna mera bhi wahi haal hota jo us do choti wali ladki kaa hua tha... lekin tabhi mujhe mere thik saamne Mira khadi hui dikh gayi , jo muskurate hue mujhe hee ghoore jaa rahi thi. Wo mere paas aayi aur ahiste se mere chehre ke saamne apna chehra laakar boli…

“Well done, Atharva…”

“you satisfied with the revenge… ?”

“yeah... you just freed my soul… now I can move on from this shitty Jafar… Thank you…”
“thank you ka kya karunga… 1000 us din diya tha.. 1000 baki hai…”

“kal mil jayega… ab Jafar ke chutiye friends ko apne agal-bagal ghumane ka time gaya…”

“waise mere dimag me ek sawal aa raha hai ki.. un chaar me se tumhara current time me boyfriend kaun hai… ? jiska tum dil todne wali ho…”

“chutiye hai charo… charo sochte hai ki wo mere boyfriend hai…”

“that’s bit harsh, don’t you think…? paap lagega tumhe…”

“well, they forgot the first law of friendynamic…”

“friendynamic…? Ye kya hai…?”

“humse pahle ek senior tha yaha, naam suna hoga beech-beech me tune uska… usne forever friendship ke liye kuch rule banaye the.. jise ladke friendynamic rule kahte hai… and according to the first law of friendynamic , your friend’s girlfriend is equal to Your sister….”

“good one… what was the second law ....?”

“no one knows…. and please call me, whenever you feel alone…”aankh marte hue Mira boli aur class ke andar chali gayi aur uske peechhe-peechhe uske pichhwade ko dekh main bhi class me ghusa.
.
.

“I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Interceptor ki kamaan sambhale hue Ved achanak hee jor-jor se chillane laga, sala itni jor se chillaya ki kaanp utha main.

“chutiya hai kya be…. Achchhi khasi neend aa rahi thi … poon ..poon karke dara diya”

“haan toh thik kiya na… bike me soyega toh girega pond ke bal…
I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Ved fir se chillane laga….

“Maihar aate hee mata chadh gayi kya be… mana ki Maihar me Mata ka bahut bada mandir hai lekin aisa bhi kya hai ki tujhe mata hee chadh gayi…”

“chup be… gaana ga raha hu main…. Sexy Saahityakar ko disturb mat kar, warna ek sexy doha fek ke marunga... ”itna bol kar Ved fir se chillane laga

“toh ladki ke sath-sath gaane me bhi teri choice kharab hai…”jab wo chup nahi hua au raise hee mera kaan fadte raha toh maine kaha

“ye tu apna kaam kar na… disturb mat kar….”

“waise tujhe yaad hai Mira ne mujhe ek baar hazar rupaye diya thaa….”

“haan… math padhane ke liye… lekin tune use padhaya nahi…. Mere ko paisa deti toh physics aur chemistry bhi padhata… infact main paisa bhi nahi leta… sirf chodne ko de deti bas… usi se kaam ho jata….”

“wo paisa maine use math padhane ke liye nahi liya tha… wo toh Jafar ki beizzati karne ke liye liya tha… yaad hai, jis din Jafar , Sanjana ko pakad kar mere paas laya tha… aur pure 11th and 12th ke students ke saamne uski beizzati hui thi…?”

“ari bahinchod…. Toh wo preplanned tha…?”ye sunkar Ved ki gand hee fat gayi aur wo ektak peechhe mudkar dekhne laga

“saamne dekh bhai.. pelwayega kya....”

“gaand maraye… mere ko kya… Maihar aa gaya hai… sham tak rewa me honge … The Land of White Tigers. apni Winter Evening aaj Ranjan ke dhabe me celebrate karenge, bachpaan ki yaade taza ho jayengi… fir ghar jayenge...”

“Winter Evening...” Ved ke ye word bolte hee meri yaadon ke samundar me wo drishya mujhe saaf dikhne laga... jisme....
Master plan...:shocked: fir bhi Atharva fail ho gaya kaise...🤔 yaha lagbhag sabhi readers ke comments me Sanjana ka jikra hua hai ab ladkiyo ko kabhi koi samjh paaya hai kya...:lol: khair jaisa dikh raha hai waisa hai nahi haina gyaani bhau...:D
 
Last edited:

A.D Rock

New Member
52
135
33
Kya baat hai gazab ka plan....in sab me sanjana ka reaction ajeeb tha....aur plan k baare me jante hi ved ka reaction fadu tha...aur bhai writing skill to acchi hai par bakchodi ki skill usse bhi solid 4 line ke update ko kheech taan k itna bada bana diya.:adore:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update-43



“sir, aap Mini se baat kyun kar rahe hai….”bio wali mam ke jaane ke baad maine Saxsena ji se kaha. Ranjan ko fuck word use karne ke liye Saxsena ji ne waha se bhaga diya tha aur Bio wali khud bhag khadi hui thi.

“kyunki beta , use team me lena hai… par tum dono befikar raho… tum dono team me rahoge… main Mini ko convince kar lunga tum dono ke sath participate karne ke liye….”

“sir… aap principal hai itne bade school ke… bade-bade S.I. , T.I. aapko pranaam karte hai…”Ved ne machis ki tili swaroop Saxsena ji ko chingari di

“toh kya hua…”

“toh hua ye ki sir… ye hume achcha nahi lagega ki aap kisi student se request kare aur uspar bhi wo aapke saamne shart rakhe… aapne yadi hume bola hota toh hum turant maan jaate…. ”Ved dwara lagayi gayi chingari ko aur badhate hue main bola

“sir, main aur Atharva yaha se jaa rahe hai… hum ye nahi dekh sakte… ki swayam aap kisi se request kare…”

“sir, hum log jaye yadi aapki aagya ho toh… sir aap mere aur Ved ke role model ho , isliye aapko aise down hoteeee….. hume aagya dijiye , sir…”

“par yadi wo meri baat maan gayi toh…”

“thik hai, lekin sir kis shart par… ab ye din aa gaya ki ek student ke karan aapko jhukna pade…. Wo bhi tab jab Atharva-Ved aapke sath ho…. Aur bio ka kya hai sir, kul milakar 6 selected chapter hee toh hai, quiz me… jab Ranjan bina kisi preparation ke 4 me se 2 answer de sakta hai toh 6 chapter ki wo taiyari kar lega… hum karwa denge taiyari… main deal toh quiz me Physics aur chemistry hai…”jab aag lag gayi toh ghee dalkar use badhate hue Ved bola aur Saxsena sir , andar hee andar jal uthe… shayad.



Par wo kuch clearly kah nahi rahe the, isliye finally maine bazooka missile daagne ka socha... kaun step to step apna time khoti kare, seedhe bazooka maarkar ek baar me hee Nagdi gang ka kaam tamam karta hoon. Kal ke aaye launde ab Atharva Dev se panga lenge, meri depth ka andaza nahi hai inhe. Waise bhi ye school meri territory hai, yadi yaha bhi laad chaat liya toh fir laanat hai mujhpe. Khair, Maine mantra padhkar imaginary bazooka ko aavahan diya par main apni imaginary bazooka se imaginary missile Saxsena ji par fire karta.... Mini ekdum waha achanak se prakat ho gayi, ye jaroor bio wali nagdi ki harkat hogi, jo ki mere bazooka ke prabhav ko counter karne ke liye use bheja tha... Par

“may I come in sir….”apne chut ke aage apna dahina hath karke Mini ne andar aane ki permission maangi.

“no… you can go….”Saxsena sir ne Mini se kaha aur fir hum dono ko dekh kar bole “thank you… Atharva and Ved”

“isme thank you ki kya baat sir, role model ho aap humare…. Aapki tarah banna humara sapna hai… paisa toh kaise bhi karke kama lenge , lekin jo rutba aapka hai na… wo koyi nahi paa sakta, kyun Ved...?”

“aur nahi toh kya... Sir aap befikar rahiye”

“Atharva... Ranjan ko bolna ki wo daily mujhse lunch me milega… main har din bio ke kuch selected question puchhunga… uski progress check karne ke liye … aur yadi wo isme fail hua toh fir Mini ko team me lena padega, fir chahe mujhe uske liye Mini ke father se hee kyun na baat karni padi…”

“Thank you sir…. Ranjan aa jayega roj”

.

Main aur Ved waha se khusi-khushi nikle…. humari khushi ka thikana hee nahi tha koyi... Par

“kya hua… khush dikh raha hai… Saxsena , tere favour me faisla diya kya..”hum dono ko dekh Jafar bola... jo seedhiyo ke paas neeche khada tha apne chamcho ke sath...

“tujhe kyun bataye…. Chal hatt”Ved , Jafar ke thik saamne khada hokar bola

“arey… main toh dar gaya, Ved…. Dekh tere dar se main kaanp bhi raha hu…”

“tension mat le, kaanpne wala bhi waqt aayega, tere se toh bahut pahle se khunnas khaaye baitha hoon… bas tu ek baar mujhse ladayi kar le aur ye kya athaah chutiya ho be… tum bio wale… Atharva se teri dhakka-mukki kya hui… sab sale aise bartaav karne lage jaise Atharva tum sabka jaani dushman ho… 12th me padhte ho, nursery ke bachche nahi ho jo baat –baat pe katti-mitti karte rahte ho… students toh fir bhi thik hai par us nayi-naveli bio wali mam ko bhi lapete me le liya... chuuuuuutiiiiyyyoooo….”

“bas… bhok liya jitna bhokna tha… ab jaa.. mujhe Atharva se baat karni hai…”

“lekin mujhe toh nahi karni naa tujhse baat… akele paa ke pel diya toh…”

“pelna hota toh yaha , Saxsena ke office ke itna paas rokta tujhe… mana ki dimag ka D nahi tere paas lekin fir bhi use kar liya kar kabhi-kabhi… aur kitna bolte ho be tum dono… saalo”

Jafar sahi bol raha tha waise ki yadi use ladayi karni hoti toh yaha Principal’s office ke paas mujhe nahi pakadta... wo kya baat karne waala hai, iski utsukta mujhe khaaye jaa rahi thi. Par fir pela jaane ka dar bhi tha ki... kahi, Ved ke jaane ke baad saalo ne daboch liya toh....?

“Ved tu ja… main aata hu aur Ranjan ko pakad ke yahi seedhi ke upar rahna… in logo ne jyada shaanpatti ki toh aawaz dunga main tujhe….tab upar se seedhe WWE ke wrestlers ke mafiq inke upar kood jana… ya fir upar se hee mutth mar dena inke upar...”

Jab Ved seedhiyo se upar jaane laga toh Jafar use upar jaate hue dekh mujhse bola...

“Sanjana se last time kab baat kiya tha be tu…”

“aise akad ke kya puchh raha hai aur kyun bataun main tujhe ki kal raat 11 baje main Sanjana ke sath uske kamre me tha aur subah 4 baje uski khidki se koodkar apna ghar aaya hoon...”

“raat bhar toh wo hospital me thi… dekh , Atharva… mujhe pata hai ki tu Sanjana ki lena chahta hai… lekin jab tak wo mere sath hai… thoda distance maintain karke rakh… kya hai ki apni school me reputation aur yadi kisi ko maloom chalega ki meri item, mere peeth peechhe tere sath muh kaala karti hai toh ye meri image ke liye thik nahi rahega… log hasenge mujhpe... okkkk……”

“kitni doori bana kar rakhu aur kaise bana kar rakhu… aur kyun bana kar rakhu…”

“kitni aur kaise ka jawab main tujhe deta hu… simple si chiz karni hai tujhe, tu sirf us-se baat karna band kar de…. Pak gaya hu, tere chutiya kisse sunte-sunte… sala, usne aaj tak meri koyi painting nahi banayi… par teri usne bana di… puchhne par boli ki us painting me wo bhi toh hai… tu na Atharva… sirf us-se baat band kar de… aur kuch nahi… aur ye jo donation ka natak pela hai tune… wo mujhe bilkul pasand nahi aaya… isliye aaj ke baad Sanjana ki fikra mujhpe chhod de… ok. Ye raha tere kitni aur kaise ka jawab…. Aur baat rahi Kyuunnn …. Toh tu jaanta hai, last year… Jab Mira meri maal thi toh kaise Government school ka ek ladka tha , Joshi naam tha uska.”

Joshi...? Jafar ne jaise hee ye naam liya mera had se jyada tej dimag mujhe turant Ranjan ke dhaabe me le gaya... jab first time main aur Ved... Riya se South Rewa park me milne ki khushi me gaye the.. jaha first time meri mulakat Ranjan ke baap se hui thi , jiske baad taav-taav me maine Ranjan ko apne ghar Video game khelne ke liye bula liya tha.



“dekh be Bhatti, tu isi school ka hai , isliye samjha raha hoon…. Warna tu jaanta hee hai ki... last year… Jab Mira meri maal thi toh kaise Government school ka ek ladka ...Joshi naam tha uska , wo aksar Mira ko chhedta tha… fir maine apne team mates ke sath pure bus stand ke saamne uski bajayi thi, ab tu is school ka sabse purana student hai, aaj ki date me… aur reputation teri bhi hai tohhh… samajh gaya na… toh main haan samjhu… arey dekho, isne haan me sar hila diya… good kid… bye…”

“abey maine haan me sar nahi hilaya… balki tune jo-jo kaha… uski processing kar raha tha.. dimag me…”Jafar waha se jaane ke liye muda hee tha ki main bola…“atleast mera jawab toh suntan jaa…”

“kya hai tera jawab..”

“yeeeee hai…. 1 point…”dono hatho se apne lawde ki taraf ishara karte hue main hansa... fir hansa aur teesari baar aur jor se hansa.…
matlab principal ko chane ke jhad chadha diya aur mini ko compilation se bahar kar diya... wah.. aain mauke par chaal chhali ki dusman chaaro khane chit :D
ye Jafar nahi sudharne wala... wo janta hai ki is kahani ka hero atharva hai... chaahe kuch der ke liye buri kismat ke chalte kuch gadbar ho bhi jaaye lekin ant mein jeet hero ki honi hai... phir bhi bhidne chala aata hai uske sath... waise jo ho raha hai, maybe piche ki reason kuch aur hi hai.. jo shayad ek raaz hai.. jo sirf atharva hi jaanta hai 🧐
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills gyani sir :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update-44



”dekh Jafar , tujhe pahle bhi bata aur dikha chuka hu ki apna rutba apne dosto ya apne class tak hee rakha kar. Main bolne ke sath-sath chodta bhi hoon isliye apna muh aur gand bacha ke rakh aur rahi baat kuch karne ki toh tujhe jo karna hai wo tu kar.. mujhe jo karna hai wo main karunga… jab main tujhe nahi bolta ki tu Sanjana se baat kar ya na kar… toh fir tu mujhe kyun bol raha hai.? ye toh Sanjana ke upar hai naa aur rahi baat Sanjana ki lene ki toh… wo main nahi chahta... meri life me ab Riya aa gayi hai… Riya… Riya Rose… jaanta hee hoga usko… usne tum sabko bhaiya banake mujhse setting kar li hai… toh is lihaj se main tum sabka jija hua… isliye mujhe mat bata ki mujhe kya karna chahiye aur kya nahi aur jis government school ke ladke ka example de raha hai na… yadi tujhme itna hee guda tha toh fir agle 10 din kaha gayab ho gaya tha…? jab wo Joshi tujhe paagal kutte ki tarah dhoondh raha tha… fir kyun compromise kiya uske sath…? Ki bhai galti ho gayi..? aur ek andar ki baat batau, compromise karke Joshi khush nahi hai, tujhe pelne ke firaq me wo aaj bhi hai… bas use mauka nahi mil raha… jo main use de sakta hu... So just move, bitch… tum Nagdo ki tarah free time nahi hai mere paas… padhne likhne wala ladka hu. Quiz ki taiyari bhi karni hai...”Jafar ke chamcho ko kinare karte hue main bola "aur peechhe se hamla mat karna, Ranjan upar hee khada hai..."


“tohhh tu aise nahi maanega… no problem… bas taiyar rahna , fir ye mat bolna ki dhokhe se maara hu tujhe main…”main seedhiya chadh hee raha tha ki Jafar ne fir se apna muh khola…

“ Do not... Do not go that way, Jafar.... I am the Deception King, if Deception is an art, then i am the fucking Artist. Waise bhi differentitation ka ek formula fek ke marunga naa toh tera puri Bio prajati differentiate ho jayegi, aise chhote-chhote tukdo me ki chil, kauvve bhi nahi dhoondh payenge… samajh gaya na… toh main haan samjhu… arey dekho, isne haan me sar hila diya… good kid… bye…”

"Toh tu Sanjana se baat karna band nahi karega..."

"Ek baat batau.. Mujhse bolne ki bajay yadi tu yahi baat Sanjana se bole toh wo jyada better rahega... Yadi tu us se bulwa de ki wo mujhse baat nahi karna chahti toh humari kabhi baat hee nahi hogi... Sexy Saahityakar ki ek kahawat hai... naa rahega gand, naa hoga bawasir... Matlab naa rahega baans, na bajegi basuri.."
.

“tune sach me use aise dhamkaya…”class ke bahar khade Ved ne mujhse puchha…

“arey kuch nahi… sirf muhchodi kar raha tha Jafar… toh maine bhi jawab de diya aur sale tu kaha gayab ho gaya tha… tujhe bola tha na ki Ranjan ko leke wahi seedhiyo ke paas khade rahna… yadi wo sab achanak pelne lagte mujhe toh...?”

“wo main waise hee karta… par jaise hee upar pahucha… mujhe Commerce se nikalti hui Mira dikh gayi aur mere taraf dekh ke muskura di… fir kya tha… main ho liya uske peechhe-peeche… bhool hich gaya ki udhar tu Jafar ke sath hai”

“idhar tu Mira ke gand ke peeche ho liya, udhar main ye soch ke uchak raha tha ki , backup me tum dono khade ho… Jafar bhi yahi soch ki chup-chap sunta gaya… lekin yadi use pata hota ki main waha akele hoon toh… wahich pel deta mujhe…. Vishwas layak aadmi nahi hai tu… aur ab arts wale class ki taraf kya dekh raha hai… meri taraf dekh… abey peechhe nahi meri taraf dekh….”

“chup be… udhar dekh…”mera chehra peechhe ghumate hue Ved bola…

Peechhe Jafar tha… wo gusse me Arts walo ki class me ghusa aur jiske turant baad Sanjana ka hath pakad kar baahar nikla….

“ye pagal ho gaya hai kya be… Bhatti, school ko kya bana liya hai… yadi kisi ne Saxsena ko complaint kar diya toh… khade-khade dayi chod dega, Saxsena iski…”

“wo toh hai… par kuch bhi bol… launda daring hai….”maine kaha..

“bas isiliye toh Sanjana tujhse nahi pati…”Ved ne kaha…

“kyaaa bola…? Bhatti , tu.. Sanjana ko pata raha hai…? maine toh socha ki Riya Rose ke peechhe hai tu…”chaukte hue Ranjan ne meri taraf dekha aur chaukte hue main uski taraf.... Aur fir Ved ki taraf….. ye kab , kaha se aa gaya..?


Ranjan abhi-abhi achanak meri hee class se nikla tha, par wo meri class me kya kar raha tha..? Chhip ke humari baate kyun sun raha tha...? aur bsdk Ved hans kyun raha hai...?

“sorry… slip of tongue…”Mujhe dekh aankh maarte hue Ved bola “ Main Mira ke peechhe-peechhe tujhe chhod kar class me nahi aaya tha, balki Ranjan ke sath wahi khada tha. Sexy Saahityakar daruha ho sakta hai lekin dhokebaz nahi aur Maine Ranjan ko sab bata diya, tere aur Sanjana ke bare me... waise bhi ye suspence apne se rakha nahi jaa raha tha… jo baat hai, wo baat hai…. sab kuch clear rahna chahiye… mutth ki tarah.. isliye... ”

“arey nahi Ranjan… aisa nahi hai...” Ved ne toh sab bak diya tha par ab main kya jawab doon Ranjan ko...? isi soch me thodi der main wahi khada chup-chap neeche ground ki taraf jhakta raha ....

“Arey nahi Ranjan... aisa nahi hai. wo jab Sanjana nayi-nayi aayi thi tab maine try kiya tha… par fir wo Jafar se set ho gayi toh… fir Riya Rose aa gayi aur main uske peechhe pad gaya fir tu aaya aur tu Sanjana ke peechhe pad gaya… baki jyada kuch nahi hai…”

Sanjana ko pakad kar Jafar class ke bahar corridor me laya aur gusse se idhar-udhar dekhne laga… ek pal toh mujhe aisa laga ki sala kahi gusse me Sanjana ko neeche na fek de… achchha hua Ranjan abhi sath me hai… Ranjan, Jafar ko handle karega aur main mast hero ke mafiq jump maarkar Sanjana ko girne se bacha lunga... Fir Sanjana ki middle finger ka naam pakka Atharva hoga aur de bhaka-bhak andar baahar...

“Ranjan , bade bhai... dekhe rahna… achanak hamla karega wo... aisa bola hai usne mujhe thodi der pahle...”

Jafar Sanjana ka hath pakde kuch der wahi Corridor me idhar-udhar jhakta raha , wo corridor me apne aas-paas se gujarne waale students ko gusse me ghoorta toh badle me wo sab bhi use ghoorte aur aise ghoorte ki ghoorte hue wahi khade ho jaate ya fir Jafar ko gusse me dekh uske dar ke kaaran…? Main aaj tak suspence me hoon. Jafar ke is activity ne us samay waha sari activity rok di thi… matlab, sabhi launde-laundiya jo-jo wo kar rahe the… jaha aa-ja rahe the… wo ekdum se ruk kar Jafar ko dekhne laga aur Sanajan ka hath kaskar pakde hue Jafar bhi unhe dekhne laga….

“Madharchod, karna kya chahta hai… Sanjana ka hath kaise pakad rakha hai… main beech me jaun kya…”Ranjan ne mujhse puchha aur main kuch jawab deta... uske pahle hee...

Jafar ki nazar uspar padi… sale ne sun liya kya…? Ranjan ne toh bahut dheere bola tha… sala gusse se idhar hee aa raha hai… sun liya lagta hai.. aaja beta, aaj ho hee jaye… ghar wale pelenge toh pelenge…. Bhaad me gaya best student ka award.. Yaha izzat gawa kar us izzat ka kya karunga.

Jafar , kaskar Sanjana ka hath pakad kar Ranjan ki taraf badha... shayad use maloom chal gaya tha ki Sanjana aur Ranjan ki fb me baat hoti hai… par aisi kya baat kar li in dono ne ki....? Jafar ka khoon khaul utha…? aur Ranjan toh kuch bataya bhi nahi mujhe…? Jafar ko kisne batayi ye baat..? Main Jafar ko kya bolu ki main kyun Riya aur Sanajana ke peechhe ek sath pada hoon..? BC ho kya raha hai....? Ek hee time me itna sab kuch... Mind fucked.

Jafar , Sanjana ka hath pakde Ranjan ke karib aata gaya, aata gaya…. Is dauran maine ek jagah Ranjan ko Jafar ya fir Jafar ko Ranjan likh diya aur kisi ko pata tak nahi chala :D


Khair, is dauran Sanjana , Jafar se apna hath chhudane ki koshish karti rahi… mujhe Sanjana ki help karni chahiye thi… par ye sabhi ghatnaye itni jaldi-jaldi ghatit ho rahi thi ki mera dimag hee gull ho gaya tha. Wo toh ab bhi Ranjan ko sahi se kya jawab dena hai, wo dhoondh raha tha. kaun kiski lena chahta hai, kisliye lena chahta hai... main samajh hee nahi paa raha tha aur jab –jab aisa hota hai.. mera dimag shunya ho jaata hai.. meri sochne-samajhne ki chetna maano kho si jaati hai us waqt , yaha tak ki kuch sunne-bolne tak ki. main ek pal Ranjan & Sanjana ke bare me sochta, toh dusare pal Jafar & Sanjana ke bare me aur fir teesare pal apne & Sanjana ke bare me… rahi-sahi kasar… Riya Rose ne apne class se bahar nikal kar puri kar di thi… ab uski nazar bhi humari taraf thi aur mujhe yaad hai ki last time daru peekar jab maine Sanjana ka naam liya tha toh wo kaise bhadak gayi thi… ab main kya karu, kya naa karu... kuch bhi bheje me nahi ghus raha tha. Mann ki gati bhi ain mauke par dhoka de gayi thi ki, jisse main mann ki gati ko tej karke samay ko sirf apne liye kuch dheema kar saku aur chizo ko samajh saku....


“is baar, main ye risk nahi le sakta….”Jafar ko Ranjan ki taraf aate dekh main mann hee mann chillaya… “Badi mushqil se Riya Rosie ko manaya hai...”

Par , main kaisa bhi hoon... Situation abhi kaisi bhi ho ya fir is ghatna ke baad kaisi bhi hone wali ho… mera dharm is samay yahi tha ki mujhe sab kuch bhoolkar, sabke bare me bhoolkar Sanjana ki madad karni chahiye… Jafar kaise ghaseet raha hai , use... waise bhi waha ek main hee aisa tha jo Sanjana ki madad karta… toh koyi kuch nahi bolta.. koyi Sanjana ke character pe ungali nahi uthata… kyunki mujhe sab jaante the aur sab ye bhi jaante the ki Sanjan aur main friends the… wo bhi without benefits wale… mujhe Sanjana ki madad karni chahiye thi aur main karta bhi… par…

“Sanjana aaj tum ise bol hee do…”Sanjana ko pakad kar mere saamne karte hue Jafar chillaya aur tab mujhe aabhas hua ki Jafar, Ranjan ki taraf nahi… balki meri taraf badh raha tha….?

Update-45



Ye dekh mera dimag ek baar fir se ghoom gaya , matlab haal filhal jitna ghuma hua tha, ussse bhi jyada ghoom gaya... waise ye thi toh bahut aasan si ghatna.. lekin mere dimag ne ise kafi jatil bana diya tha... jo abhi bhi Ranjan ko finally , Sanjana aur mere bare me kya jawab dena hai uska perfect answer khojne me laaga hua tha... iske aalawa baaki sabko ek side bhi kar du, jo ki mere andar abhi chal raha tha... matlab ye jo ek sath itni saari samsyaye mere saamne khadi ho gayi thi ki.... mujhe kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye... Jafar ko jawab du ..? Ranjan ko jawab du...? fir school ke launde bhi dekh rahe the toh waha bhi apni reputation barkarar rakhni thi... Sanjana se Mitra dharm bhi nibhana tha.... kyunki मित्रता परमो धर्मः ka pratipadak bhi main hee toh tha. ab jab main khud hee ise follow nahi karunga toh dusare kaise karenge.

Bahut hee bhayankar dharm sankat aan pada tha mujhpar us waqt.Kyunki... Riya Rose bhi idhar hee ghoor rahi thi... Sanjana ke mamle me hero banne ka matlab Riya Rose ki nazar me zero banna tha. isko main bahut achi taarah jhel chuka tha already ek baar... isliye thoda bahut idea tha ki... yadi abhi maine Mitra dharm nibhaya toh Prem dharm par sankat aa sakta hai.... par in sabko bhi , mera matlab in saari samasyayo ko bhi yadi main quantum mechanism laga kar Neeche Principal office se baahar nikalte hue Gupta ji ke takle par fek ke maaru... tab bhi ek aur samsya thi.. jo mujhe andar hee andar khaaye jaa rahi thi. Udhar mera dimag ab bhi wo perfect answer nahi dhoondh paaya tha. isliye finally maine quantum physics apply karne ka nirnay liya aur aankh band karke mantro ka uchharan karne laga.... taaki mera dimag ek sath kayi sari samsyayo ka samadhan kar sake. Aur usne kar bhi diya....
Waise ek raaz ki baat batau....? well, yahi toh main chahta tha... matlab jo –jo is samay abhi ho raha tha... isiliye maine Ranjan.. I mean Jafar ko seedhiyo ke neeche... I mean.. neeche seedhiyo ke paas ... I mean ... seedhiyo ke paas neeche... ye correct word hai... seedhiyo ke paas neeche. Toh isiliye seedhiyo ke paas neeche use maine uksaya tha ki wo Sanjana se bulwa de ki wo mujhse baat nahi karegi... aur us chutiye kiya bhi wahi... Lull, TOLD YA , I’M THE DECEPTION KING.

Waise bhi first girl of my life ko mujhse chheen lene ka badla bhi toh lena tha. dekha... thi naa simple si baat, par apun kitna complicate bana diya tha ise... aur depth me jaaun kya ? baal nochna pad jayega :D . anyway....


“kya hai be… bahut gussa aa riya hai tere ko…”Jafar ka kandha pakad kar dabate hue Ranjan bola. Jafar aur Sanjana dono mere saamne hee khade the.

“Jafar… hua kya hai….”Jafar ne jab Sanjana ka hath chhoda, jise itne der se wo jakde hue tha toh Sanjana apna hath sahlate hue puchhi...
tab meri nazar Sanjana ke hath par padi... wo jagah laal ho chuki thi. Aur main jhooth nahi bolunga..

uske hatho ki laali dekh kar mera para pata nahi kyun achanak ekdum se khada ho gaya. Jabki is vyuh ka rachnakar swayam main hee tha. Sanjana ke sawal ke Jawab me Jafar ne pahle Ranjan ka hath jhatak kar apne kandhe se hataya aur fir Sanjana ki taraf dekh kar bola…

“tum is saale, Bhatti ko bolo ki ye tumse aaj ke baad baat nahi karega…”

“iske liye itna bada natak… ? aur main sochne lagi thi ki aisa kya ho gaya… hua kya hai tum dono ko... ? bachche ho kya tum dono… jo katti-mitti ka game khel rahe ho.. problem kya hai...?”

“mere ko bachcha mat bol… Silkyyy….” Jafar ko jalane ke liye jaan-buchkar Silky word lamba kheechte hue main bola “ Silky, ye hi chutiyo ke mafiq tamasha khada kar raha hai… baaki raat- raat bhar main tere kamre me rahta hoon toh jab tere gharwale ko aitraaz nahi hota toh fir ise kyun ho raha hai”


Ye raat-raat bhar Sanjana ke ghar me rahne ki baat bhi maine jaan-buchkar kahi thi aur shayad Sanjana ko thodi bahut bhanak lag gayi ki mere iraade kya hai... wo mujhe gusse se ghoorne lagi.. ab wo gusse se isliye ghooi kyunki maine raat-raat bhar uske kamre me rahne ki baat Jafar ke saamne kah di thi ya fir isliye kyunki shayad use bhanak lag gayi thi mere irado ki... ye aaj tak suspence hai.


“tu bhi jyada mature banne ki koshish mat kar Atharva… samjha… teri limit maloom hai mujhe , isliye jyada hoshiyar banne ki koshish tu toh mat hee kar. Kyunki yadi main ye mind game pe aa gayi naa... toh teri khatiya khadi ho jayegi...”

“try me... bitch... Atharva Dev se mukabala karoge ab tum... jo khud Physics Dev ka ansh hai...”main andar hee andar badbadaya

“ aur tu Jafar.. kya problem hai yar teri… sab dekh rahe hai, akele me baat karte hai.. school ke baad... ok...?”

“maa chudaye sab… mujhe kisi se koyi matlab nahi aur tu is Bhatti se pelwana band kar..... rakhail”

“sun be, jhatahe… jyada hero mat ban… apni hoshiyari apne class me dikhana, yaha nahi… ye math ki class hai… yaha koyi gunda apna gand nahi hilayega… siway math walo ke… warna gand me danda daal kar us dande par kaskar laat marunga... aur gaali deke kyun baat kar raha tu Silky se....? bsdk, aukaat kya hai teri... hain toh tu gaand dhone ka saabun hee bechne waala naa... ab chup-chap nikal nahi toh yahi pe chud jayega… Silky, tu nikal ab...”Jafar ko dhakka dete hue main bola... kyunki jaise hee usne Silky ko rakhail bola mera para ekdum high ho gaya...


Para Jafar ka bhi high hua, jab maine use sabke saamne dhakka diya toh.... mere dhakka dene ke kaaran Jafar us din ki tarah aaj neeche farsh par toh nahi gira par kuch kadam peechhe khiska jaroor aur mujhe aashcharya tab hua , jab mere dimag ne mujhe aabhas karaya ki ye bhi mere chakravyuh ka hee hissa hai...


“madarchod mere ko dhakka diya… sale Garib”Jafar khunnas me meri taraf daant piste hue kooda par Ranjan ne turant mujhe ek oor khinch kar ek kohni seedhe Jafar ke thobde me jad diya… Jafar wahi ulta gira aur is tarah se uski reputation bhi... jiski aawaz bhi aayi aur badi madhur aawaz thi.

“ye kya hai , Atharva… ye thik nahi hai… tum sab milkar Jafar ko maar rahe ho…”Sanjana ko ab shayad sab kuch samajh aa raha tha.. par wo mujhe itna kaise samajh jaati hai.. ? matlab mere har motive ko ...? ye bhi aaj tak mere liye suspence hai... matlab ekdum ek-ek point pakad leti hai wo mera.... dil bhi pakad leti aise toh kitna acha rahta . ye Sanjana koyi time traveller toh nahi...?


“I’m sorry Sanjana… par shuruat isne ki hai… isne socha ki padhne-likhne wale ladke hai.. daraunga toh dar jayenge… gaali dunga toh chup-chap sun lenge... marunga toh chup-chap maar bhi kha lenge… tum jao yaha se…”

“Jafar… kyun lad rahe ho… ye tumhare bas kaa nahi hai, tumhe samajh bhi aa raha hai ki.. kya ho raha haio tumhare sath...?” neeche baithe apna jabda daba- daba kar Ranjan ke hamle ka dard kam karne ki koshish me lage Jafar ke paas neeche Sanjana jhuki aur use uthane ki koshish karne lagi.

“Sanjana, aaj tu din bhar ka time le le aur achchhe se soch le… ya toh tu aaj ke baad is Bhatti se relation khatm karegi ya fir mere se… mujhe ab aur chutiya nahi banna, sare dost haste hai mujhpe… Mazak bana diya hai tum dono ne mera pure school me... pahle bhi aur aaj jo thodi bahut ijjat bachi hui thi uski bhi aisi taisi kar di, sabke saamne. aaj tu final decide kar hee le... Jafar ko ladkiyo ki kami nahi hai... naa toh tu pahli hai aur naa hee tu aakhiri hogi... ”


“bhatti, bhag bhosdike... wo dekh... Gupta”Ranjan waha se apni class ki oor teji se jaate hue bola

“Bhatti... bhaag lawde.... pel-pel ke peeth laal kar dega Gupta, yadi usne seedhiyo se upar aakar kisi ko class ke baahar bhi dekh liya toh...…”Ved bhi class ke andar kooda


Gupta ka naam sunte hee baahar jitne log ye tamasha dekh rahe the , sab apni –apni class ki oor bhagne lage.. Ranjan bhi apne thobde par ek hath rakhe turant khada hua aur Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha…. Maine bhi same Jafar ki harkat ko copy karke Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha... taaki use lage ki mujhe bhi uski utni hee fikar hai, jitni Jafar ko... Ranjan bhi waha se apni class ki taraf bhag chuka tha aur Ved...? Sexy Saahityakar toh lawda sabse pahle waha se kalti hua tha….. lekin Jafar wahi khada raha… is kaaran mujhe bhi wahi khada rahna pad gaya... jaise ki maine pahle hee kaha hai ki aham, mujh jaise aadmiyo ka sabse vulnerable point hota hai. sawal ab Sanjana ko chhod kar ye tha ki kaun Gupta se dar kar waha se pahle bhagta hai.


“tujhe toh main pelunga hee, chahe uske liye mujhe kisi bhi had tak jaana pade… chahe paise dekar baahar se gunde kyun naa bulwane pade… Ranjan bhi pelayega, madarchod... mujhe maara hai usne aaj… wo bhi lambe se pelayega tere sath… tu ab bas dekhta ja, Atharva….”

“Atharva nahi.. Atharva Dev bol... mere sar ke peechhe ka chakra nahi dikh raha tujhe...? kaise dikhega.. divya drishti nahi hai tere paas...”

apna thobda sahlate hue Jafar bhi waha se jaane laga. Jafar ko uska jabda dabate dekh mere mann me khayal aaya ki Ranjan wakayi me itna powerful hai kya...? ki ye kab se apna thobda sahlaaye hee jaa raha hai..? sahi bola tha Ranjan ne us din mujhe ki mujh jaise 4-5 ko wo akele pel sakta hai. saala hai bhi toh ekdum daanav type.


Gupta ji aa toh humari hee class ki taraf rahe the… par bahar khade sabhi log andar nahi jaa paaye the aur jo log Gupta ji ko class ke baahar corridor me dikhe, unko waha dekh unki puri sulag gayi aur wo gariyate hue, baal pakad kar unke sar me mukke pe mukka maarte hue un sabko andar karne lage... Jafar dar ke kaaran Commerce me ghus gaya. is beech unhone ek ladki ko bhi pakda aur jo baal kheencha uska... kikiya di wo on the spot....lekin Gupta ji ke liye kya, male aur kya female... wo toh in sabse barso pahle hee upar uth chuke the..

unhone us ladki ki dono chotiyo ko ek karke ghuma diya us ladki ko chaaro oor fir do tamacha kaskar uske gaal par maara, wo alag.... jiski gunj unse itni door khade mujh tak bhi aayi iske baad unhone next eligible candidate ko pakda.. jo unhe class ke baahar dikh gaya tha...

Khair, Main apne class me jaane ke liye peechhe muda... warna mera bhi wahi haal hota jo us do choti wali ladki kaa hua tha... lekin tabhi mujhe mere thik saamne Mira khadi hui dikh gayi , jo muskurate hue mujhe hee ghoore jaa rahi thi. Wo mere paas aayi aur ahiste se mere chehre ke saamne apna chehra laakar boli…

“Well done, Atharva…”

“you satisfied with the revenge… ?”

“yeah... you just freed my soul… now I can move on from this shitty Jafar… Thank you…”
“thank you ka kya karunga… 1000 us din diya tha.. 1000 baki hai…”

“kal mil jayega… ab Jafar ke chutiye friends ko apne agal-bagal ghumane ka time gaya…”

“waise mere dimag me ek sawal aa raha hai ki.. un chaar me se tumhara current time me boyfriend kaun hai… ? jiska tum dil todne wali ho…”

“chutiye hai charo… charo sochte hai ki wo mere boyfriend hai…”

“that’s bit harsh, don’t you think…? paap lagega tumhe…”

“well, they forgot the first law of friendynamic…”

“friendynamic…? Ye kya hai…?”

“humse pahle ek senior tha yaha, naam suna hoga beech-beech me tune uska… usne forever friendship ke liye kuch rule banaye the.. jise ladke friendynamic rule kahte hai… and according to the first law of friendynamic , your friend’s girlfriend is equal to Your sister….”

“good one… what was the second law ....?”

“no one knows…. and please call me, whenever you feel alone…”aankh marte hue Mira boli aur class ke andar chali gayi aur uske peechhe-peechhe uske pichhwade ko dekh main bhi class me ghusa.
.
.

“I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Interceptor ki kamaan sambhale hue Ved achanak hee jor-jor se chillane laga, sala itni jor se chillaya ki kaanp utha main.

“chutiya hai kya be…. Achchhi khasi neend aa rahi thi … poon ..poon karke dara diya”

“haan toh thik kiya na… bike me soyega toh girega pond ke bal…
I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Ved fir se chillane laga….

“Maihar aate hee mata chadh gayi kya be… mana ki Maihar me Mata ka bahut bada mandir hai lekin aisa bhi kya hai ki tujhe mata hee chadh gayi…”

“chup be… gaana ga raha hu main…. Sexy Saahityakar ko disturb mat kar, warna ek sexy doha fek ke marunga... ”itna bol kar Ved fir se chillane laga

“toh ladki ke sath-sath gaane me bhi teri choice kharab hai…”jab wo chup nahi hua au raise hee mera kaan fadte raha toh maine kaha

“ye tu apna kaam kar na… disturb mat kar….”

“waise tujhe yaad hai Mira ne mujhe ek baar hazar rupaye diya thaa….”

“haan… math padhane ke liye… lekin tune use padhaya nahi…. Mere ko paisa deti toh physics aur chemistry bhi padhata… infact main paisa bhi nahi leta… sirf chodne ko de deti bas… usi se kaam ho jata….”

“wo paisa maine use math padhane ke liye nahi liya tha… wo toh Jafar ki beizzati karne ke liye liya tha… yaad hai, jis din Jafar , Sanjana ko pakad kar mere paas laya tha… aur pure 11th and 12th ke students ke saamne uski beizzati hui thi…?”

“ari bahinchod…. Toh wo preplanned tha…?”ye sunkar Ved ki gand hee fat gayi aur wo ektak peechhe mudkar dekhne laga

“saamne dekh bhai.. pelwayega kya....”

“gaand maraye… mere ko kya… Maihar aa gaya hai… sham tak rewa me honge … The Land of White Tigers. apni Winter Evening aaj Ranjan ke dhabe me celebrate karenge, bachpaan ki yaade taza ho jayengi… fir ghar jayenge...”

“Winter Evening...” Ved ke ye word bolte hee meri yaadon ke samundar me wo drishya mujhe saaf dikhne laga... jisme....
Oh God :roflol: :lol: :lol1:
...
matlab yeh atharva ne to planning ye jaal bahot pehle se bun rakha tha aur Jafar kisi shikar ki tarah us jaal mein jaa fansha :lol:
ahankar ke chalte kuch dekh bhi nahi paya..
wah ishe kehte hai badla.. kisiko kano kan khabar bhi nahi hone diya aur sahi waqt par aisa waar kiya ki dusman chaaro khane chit.. aur ijjat gayi so alag..

waise sanjana atharva ke bina bataye uski soch ko, uske mann ki baaton ko jaa leti hai.. kuch toh hai aaj un dono ke darmiyan... nafrat to hargiz nahi shayad pyar hi sahi..
Well jo bhi ho, jaise bhi ho.. dosti ka maan rakha atharva ne bhi... ab jaake meera ko sukun mili hai..
yahan pe ek aham baat agar riya rose kuch alag samajh leti hai saari baaton ko aur atharva se naraz Ho jaati to atharva ke Pyaar ke kabil nahi coz yahan baat dosti ki thi..ek taraf jaha sanjana ko save bhi kar tha Jafar se aur dusri taraf meera ko nyaay bhi dilwa raha tha, itni to samajh honi chahiye usme... Agar phir bhi confusion ho to naraz na hoke atharva se sidhe jaake puch leni chahiye ki akhir mazra kiya hai...
Khair.. sabse superb part jab great Gupta ji ne entry maare.. aate hi dhulayi suru :lol:
Btw abhi tak unhone atharva ko nahi dekha kya.. :hmm2:
Ab ye winter evening ka kya kissa hai jo atharva phir se purani yaadon mein kho gaya..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills gyani sir :applause: :applause:
 
10,458
48,868
258
Update-45



Ye dekh mera dimag ek baar fir se ghoom gaya , matlab haal filhal jitna ghuma hua tha, ussse bhi jyada ghoom gaya... waise ye thi toh bahut aasan si ghatna.. lekin mere dimag ne ise kafi jatil bana diya tha... jo abhi bhi Ranjan ko finally , Sanjana aur mere bare me kya jawab dena hai uska perfect answer khojne me laaga hua tha... iske aalawa baaki sabko ek side bhi kar du, jo ki mere andar abhi chal raha tha... matlab ye jo ek sath itni saari samsyaye mere saamne khadi ho gayi thi ki.... mujhe kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye... Jafar ko jawab du ..? Ranjan ko jawab du...? fir school ke launde bhi dekh rahe the toh waha bhi apni reputation barkarar rakhni thi... Sanjana se Mitra dharm bhi nibhana tha.... kyunki मित्रता परमो धर्मः ka pratipadak bhi main hee toh tha. ab jab main khud hee ise follow nahi karunga toh dusare kaise karenge.

Bahut hee bhayankar dharm sankat aan pada tha mujhpar us waqt.Kyunki... Riya Rose bhi idhar hee ghoor rahi thi... Sanjana ke mamle me hero banne ka matlab Riya Rose ki nazar me zero banna tha. isko main bahut achi taarah jhel chuka tha already ek baar... isliye thoda bahut idea tha ki... yadi abhi maine Mitra dharm nibhaya toh Prem dharm par sankat aa sakta hai.... par in sabko bhi , mera matlab in saari samasyayo ko bhi yadi main quantum mechanism laga kar Neeche Principal office se baahar nikalte hue Gupta ji ke takle par fek ke maaru... tab bhi ek aur samsya thi.. jo mujhe andar hee andar khaaye jaa rahi thi. Udhar mera dimag ab bhi wo perfect answer nahi dhoondh paaya tha. isliye finally maine quantum physics apply karne ka nirnay liya aur aankh band karke mantro ka uchharan karne laga.... taaki mera dimag ek sath kayi sari samsyayo ka samadhan kar sake. Aur usne kar bhi diya....
Waise ek raaz ki baat batau....? well, yahi toh main chahta tha... matlab jo –jo is samay abhi ho raha tha... isiliye maine Ranjan.. I mean Jafar ko seedhiyo ke neeche... I mean.. neeche seedhiyo ke paas ... I mean ... seedhiyo ke paas neeche... ye correct word hai... seedhiyo ke paas neeche. Toh isiliye seedhiyo ke paas neeche use maine uksaya tha ki wo Sanjana se bulwa de ki wo mujhse baat nahi karegi... aur us chutiye kiya bhi wahi... Lull, TOLD YA , I’M THE DECEPTION KING.

Waise bhi first girl of my life ko mujhse chheen lene ka badla bhi toh lena tha. dekha... thi naa simple si baat, par apun kitna complicate bana diya tha ise... aur depth me jaaun kya ? baal nochna pad jayega :D . anyway....


“kya hai be… bahut gussa aa riya hai tere ko…”Jafar ka kandha pakad kar dabate hue Ranjan bola. Jafar aur Sanjana dono mere saamne hee khade the.

“Jafar… hua kya hai….”Jafar ne jab Sanjana ka hath chhoda, jise itne der se wo jakde hue tha toh Sanjana apna hath sahlate hue puchhi...
tab meri nazar Sanjana ke hath par padi... wo jagah laal ho chuki thi. Aur main jhooth nahi bolunga..

uske hatho ki laali dekh kar mera para pata nahi kyun achanak ekdum se khada ho gaya. Jabki is vyuh ka rachnakar swayam main hee tha. Sanjana ke sawal ke Jawab me Jafar ne pahle Ranjan ka hath jhatak kar apne kandhe se hataya aur fir Sanjana ki taraf dekh kar bola…

“tum is saale, Bhatti ko bolo ki ye tumse aaj ke baad baat nahi karega…”

“iske liye itna bada natak… ? aur main sochne lagi thi ki aisa kya ho gaya… hua kya hai tum dono ko... ? bachche ho kya tum dono… jo katti-mitti ka game khel rahe ho.. problem kya hai...?”

“mere ko bachcha mat bol… Silkyyy….” Jafar ko jalane ke liye jaan-buchkar Silky word lamba kheechte hue main bola “ Silky, ye hi chutiyo ke mafiq tamasha khada kar raha hai… baaki raat- raat bhar main tere kamre me rahta hoon toh jab tere gharwale ko aitraaz nahi hota toh fir ise kyun ho raha hai”


Ye raat-raat bhar Sanjana ke ghar me rahne ki baat bhi maine jaan-buchkar kahi thi aur shayad Sanjana ko thodi bahut bhanak lag gayi ki mere iraade kya hai... wo mujhe gusse se ghoorne lagi.. ab wo gusse se isliye ghooi kyunki maine raat-raat bhar uske kamre me rahne ki baat Jafar ke saamne kah di thi ya fir isliye kyunki shayad use bhanak lag gayi thi mere irado ki... ye aaj tak suspence hai.


“tu bhi jyada mature banne ki koshish mat kar Atharva… samjha… teri limit maloom hai mujhe , isliye jyada hoshiyar banne ki koshish tu toh mat hee kar. Kyunki yadi main ye mind game pe aa gayi naa... toh teri khatiya khadi ho jayegi...”

“try me... bitch... Atharva Dev se mukabala karoge ab tum... jo khud Physics Dev ka ansh hai...”main andar hee andar badbadaya

“ aur tu Jafar.. kya problem hai yar teri… sab dekh rahe hai, akele me baat karte hai.. school ke baad... ok...?”

“maa chudaye sab… mujhe kisi se koyi matlab nahi aur tu is Bhatti se pelwana band kar..... rakhail”

“sun be, jhatahe… jyada hero mat ban… apni hoshiyari apne class me dikhana, yaha nahi… ye math ki class hai… yaha koyi gunda apna gand nahi hilayega… siway math walo ke… warna gand me danda daal kar us dande par kaskar laat marunga... aur gaali deke kyun baat kar raha tu Silky se....? bsdk, aukaat kya hai teri... hain toh tu gaand dhone ka saabun hee bechne waala naa... ab chup-chap nikal nahi toh yahi pe chud jayega… Silky, tu nikal ab...”Jafar ko dhakka dete hue main bola... kyunki jaise hee usne Silky ko rakhail bola mera para ekdum high ho gaya...


Para Jafar ka bhi high hua, jab maine use sabke saamne dhakka diya toh.... mere dhakka dene ke kaaran Jafar us din ki tarah aaj neeche farsh par toh nahi gira par kuch kadam peechhe khiska jaroor aur mujhe aashcharya tab hua , jab mere dimag ne mujhe aabhas karaya ki ye bhi mere chakravyuh ka hee hissa hai...


“madarchod mere ko dhakka diya… sale Garib”Jafar khunnas me meri taraf daant piste hue kooda par Ranjan ne turant mujhe ek oor khinch kar ek kohni seedhe Jafar ke thobde me jad diya… Jafar wahi ulta gira aur is tarah se uski reputation bhi... jiski aawaz bhi aayi aur badi madhur aawaz thi.

“ye kya hai , Atharva… ye thik nahi hai… tum sab milkar Jafar ko maar rahe ho…”Sanjana ko ab shayad sab kuch samajh aa raha tha.. par wo mujhe itna kaise samajh jaati hai.. ? matlab mere har motive ko ...? ye bhi aaj tak mere liye suspence hai... matlab ekdum ek-ek point pakad leti hai wo mera.... dil bhi pakad leti aise toh kitna acha rahta . ye Sanjana koyi time traveller toh nahi...?


“I’m sorry Sanjana… par shuruat isne ki hai… isne socha ki padhne-likhne wale ladke hai.. daraunga toh dar jayenge… gaali dunga toh chup-chap sun lenge... marunga toh chup-chap maar bhi kha lenge… tum jao yaha se…”

“Jafar… kyun lad rahe ho… ye tumhare bas kaa nahi hai, tumhe samajh bhi aa raha hai ki.. kya ho raha haio tumhare sath...?” neeche baithe apna jabda daba- daba kar Ranjan ke hamle ka dard kam karne ki koshish me lage Jafar ke paas neeche Sanjana jhuki aur use uthane ki koshish karne lagi.

“Sanjana, aaj tu din bhar ka time le le aur achchhe se soch le… ya toh tu aaj ke baad is Bhatti se relation khatm karegi ya fir mere se… mujhe ab aur chutiya nahi banna, sare dost haste hai mujhpe… Mazak bana diya hai tum dono ne mera pure school me... pahle bhi aur aaj jo thodi bahut ijjat bachi hui thi uski bhi aisi taisi kar di, sabke saamne. aaj tu final decide kar hee le... Jafar ko ladkiyo ki kami nahi hai... naa toh tu pahli hai aur naa hee tu aakhiri hogi... ”


“bhatti, bhag bhosdike... wo dekh... Gupta”Ranjan waha se apni class ki oor teji se jaate hue bola

“Bhatti... bhaag lawde.... pel-pel ke peeth laal kar dega Gupta, yadi usne seedhiyo se upar aakar kisi ko class ke baahar bhi dekh liya toh...…”Ved bhi class ke andar kooda


Gupta ka naam sunte hee baahar jitne log ye tamasha dekh rahe the , sab apni –apni class ki oor bhagne lage.. Ranjan bhi apne thobde par ek hath rakhe turant khada hua aur Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha…. Maine bhi same Jafar ki harkat ko copy karke Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha... taaki use lage ki mujhe bhi uski utni hee fikar hai, jitni Jafar ko... Ranjan bhi waha se apni class ki taraf bhag chuka tha aur Ved...? Sexy Saahityakar toh lawda sabse pahle waha se kalti hua tha….. lekin Jafar wahi khada raha… is kaaran mujhe bhi wahi khada rahna pad gaya... jaise ki maine pahle hee kaha hai ki aham, mujh jaise aadmiyo ka sabse vulnerable point hota hai. sawal ab Sanjana ko chhod kar ye tha ki kaun Gupta se dar kar waha se pahle bhagta hai.


“tujhe toh main pelunga hee, chahe uske liye mujhe kisi bhi had tak jaana pade… chahe paise dekar baahar se gunde kyun naa bulwane pade… Ranjan bhi pelayega, madarchod... mujhe maara hai usne aaj… wo bhi lambe se pelayega tere sath… tu ab bas dekhta ja, Atharva….”

“Atharva nahi.. Atharva Dev bol... mere sar ke peechhe ka chakra nahi dikh raha tujhe...? kaise dikhega.. divya drishti nahi hai tere paas...”

apna thobda sahlate hue Jafar bhi waha se jaane laga. Jafar ko uska jabda dabate dekh mere mann me khayal aaya ki Ranjan wakayi me itna powerful hai kya...? ki ye kab se apna thobda sahlaaye hee jaa raha hai..? sahi bola tha Ranjan ne us din mujhe ki mujh jaise 4-5 ko wo akele pel sakta hai. saala hai bhi toh ekdum daanav type.


Gupta ji aa toh humari hee class ki taraf rahe the… par bahar khade sabhi log andar nahi jaa paaye the aur jo log Gupta ji ko class ke baahar corridor me dikhe, unko waha dekh unki puri sulag gayi aur wo gariyate hue, baal pakad kar unke sar me mukke pe mukka maarte hue un sabko andar karne lage... Jafar dar ke kaaran Commerce me ghus gaya. is beech unhone ek ladki ko bhi pakda aur jo baal kheencha uska... kikiya di wo on the spot....lekin Gupta ji ke liye kya, male aur kya female... wo toh in sabse barso pahle hee upar uth chuke the..

unhone us ladki ki dono chotiyo ko ek karke ghuma diya us ladki ko chaaro oor fir do tamacha kaskar uske gaal par maara, wo alag.... jiski gunj unse itni door khade mujh tak bhi aayi iske baad unhone next eligible candidate ko pakda.. jo unhe class ke baahar dikh gaya tha...

Khair, Main apne class me jaane ke liye peechhe muda... warna mera bhi wahi haal hota jo us do choti wali ladki kaa hua tha... lekin tabhi mujhe mere thik saamne Mira khadi hui dikh gayi , jo muskurate hue mujhe hee ghoore jaa rahi thi. Wo mere paas aayi aur ahiste se mere chehre ke saamne apna chehra laakar boli…

“Well done, Atharva…”

“you satisfied with the revenge… ?”

“yeah... you just freed my soul… now I can move on from this shitty Jafar… Thank you…”
“thank you ka kya karunga… 1000 us din diya tha.. 1000 baki hai…”

“kal mil jayega… ab Jafar ke chutiye friends ko apne agal-bagal ghumane ka time gaya…”

“waise mere dimag me ek sawal aa raha hai ki.. un chaar me se tumhara current time me boyfriend kaun hai… ? jiska tum dil todne wali ho…”

“chutiye hai charo… charo sochte hai ki wo mere boyfriend hai…”

“that’s bit harsh, don’t you think…? paap lagega tumhe…”

“well, they forgot the first law of friendynamic…”

“friendynamic…? Ye kya hai…?”

“humse pahle ek senior tha yaha, naam suna hoga beech-beech me tune uska… usne forever friendship ke liye kuch rule banaye the.. jise ladke friendynamic rule kahte hai… and according to the first law of friendynamic , your friend’s girlfriend is equal to Your sister….”

“good one… what was the second law ....?”

“no one knows…. and please call me, whenever you feel alone…”aankh marte hue Mira boli aur class ke andar chali gayi aur uske peechhe-peechhe uske pichhwade ko dekh main bhi class me ghusa.
.
.

“I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Interceptor ki kamaan sambhale hue Ved achanak hee jor-jor se chillane laga, sala itni jor se chillaya ki kaanp utha main.

“chutiya hai kya be…. Achchhi khasi neend aa rahi thi … poon ..poon karke dara diya”

“haan toh thik kiya na… bike me soyega toh girega pond ke bal…
I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Ved fir se chillane laga….

“Maihar aate hee mata chadh gayi kya be… mana ki Maihar me Mata ka bahut bada mandir hai lekin aisa bhi kya hai ki tujhe mata hee chadh gayi…”

“chup be… gaana ga raha hu main…. Sexy Saahityakar ko disturb mat kar, warna ek sexy doha fek ke marunga... ”itna bol kar Ved fir se chillane laga

“toh ladki ke sath-sath gaane me bhi teri choice kharab hai…”jab wo chup nahi hua au raise hee mera kaan fadte raha toh maine kaha

“ye tu apna kaam kar na… disturb mat kar….”

“waise tujhe yaad hai Mira ne mujhe ek baar hazar rupaye diya thaa….”

“haan… math padhane ke liye… lekin tune use padhaya nahi…. Mere ko paisa deti toh physics aur chemistry bhi padhata… infact main paisa bhi nahi leta… sirf chodne ko de deti bas… usi se kaam ho jata….”

“wo paisa maine use math padhane ke liye nahi liya tha… wo toh Jafar ki beizzati karne ke liye liya tha… yaad hai, jis din Jafar , Sanjana ko pakad kar mere paas laya tha… aur pure 11th and 12th ke students ke saamne uski beizzati hui thi…?”

“ari bahinchod…. Toh wo preplanned tha…?”ye sunkar Ved ki gand hee fat gayi aur wo ektak peechhe mudkar dekhne laga

“saamne dekh bhai.. pelwayega kya....”

“gaand maraye… mere ko kya… Maihar aa gaya hai… sham tak rewa me honge … The Land of White Tigers. apni Winter Evening aaj Ranjan ke dhabe me celebrate karenge, bachpaan ki yaade taza ho jayengi… fir ghar jayenge...”

“Winter Evening...” Ved ke ye word bolte hee meri yaadon ke samundar me wo drishya mujhe saaf dikhne laga... jisme....
अथर्व के साथ बहुत सारी चीज़ें ऐसी हुई थी जिसे वो आज तक समझ नहीं पाया । वो उसके लिए सस्पेंस ही बना रहा । शायद वो उम्र के उस दौर पे था जहां समझना उसके लिए काफी कठीन रहा होगा पर लगता है इस बार रिवा पहुंचते ही उसकी सारी कन्फ्यूज दूर हो जायेगी ।

संजना का जफर से कितना बड़ा याराना है कि वो उसे क्लास के कई लड़कों के सामने रखैल तक बोल दिया और उसके कैरेक्टर पर भी सवाल उठा दिया फिर भी वो चुपचाप सुनती रही । सुनती क्या रही बल्कि एक तरह से जफर का ही साथ ही देती रही ! कहीं कोई ब्लैकमेलिंग का चक्कर तो नहीं है ?

इस अपडेट में संजना का कैरेक्टर समझ में नहीं आया । वो अथर्व के मन की बहुत सारी बातें समझ जाती है लेकिन उसके प्यार को नहीं समझ पाती । या हो सकता है कि वो समझती हो पर उसे अन्य लड़कियों के साथ फ्लर्ट करने के लिए सबक सिखाना चाहती हो !
कुछ भी हो सकता है । लड़कियों की माया लड़की ही जानें !


जफर को भरी महफिल में बेईज्जत करना अथर्व का मीरा के साथ किया गया एक बेट था । मीरा को इससे आंतरिक खुशी महसूस हुई होगी । वैसे दोस्ती के बारे में बहुत अच्छा विचार है मीरा का ।

बेहतरीन अपडेट ज्ञानी भाई ।
 
Top