- 48,508
- 162,061
- 304
Master plan...Update-45
Ye dekh mera dimag ek baar fir se ghoom gaya , matlab haal filhal jitna ghuma hua tha, ussse bhi jyada ghoom gaya... waise ye thi toh bahut aasan si ghatna.. lekin mere dimag ne ise kafi jatil bana diya tha... jo abhi bhi Ranjan ko finally , Sanjana aur mere bare me kya jawab dena hai uska perfect answer khojne me laaga hua tha... iske aalawa baaki sabko ek side bhi kar du, jo ki mere andar abhi chal raha tha... matlab ye jo ek sath itni saari samsyaye mere saamne khadi ho gayi thi ki.... mujhe kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye... Jafar ko jawab du ..? Ranjan ko jawab du...? fir school ke launde bhi dekh rahe the toh waha bhi apni reputation barkarar rakhni thi... Sanjana se Mitra dharm bhi nibhana tha.... kyunki मित्रता परमो धर्मः ka pratipadak bhi main hee toh tha. ab jab main khud hee ise follow nahi karunga toh dusare kaise karenge.
Bahut hee bhayankar dharm sankat aan pada tha mujhpar us waqt.Kyunki... Riya Rose bhi idhar hee ghoor rahi thi... Sanjana ke mamle me hero banne ka matlab Riya Rose ki nazar me zero banna tha. isko main bahut achi taarah jhel chuka tha already ek baar... isliye thoda bahut idea tha ki... yadi abhi maine Mitra dharm nibhaya toh Prem dharm par sankat aa sakta hai.... par in sabko bhi , mera matlab in saari samasyayo ko bhi yadi main quantum mechanism laga kar Neeche Principal office se baahar nikalte hue Gupta ji ke takle par fek ke maaru... tab bhi ek aur samsya thi.. jo mujhe andar hee andar khaaye jaa rahi thi. Udhar mera dimag ab bhi wo perfect answer nahi dhoondh paaya tha. isliye finally maine quantum physics apply karne ka nirnay liya aur aankh band karke mantro ka uchharan karne laga.... taaki mera dimag ek sath kayi sari samsyayo ka samadhan kar sake. Aur usne kar bhi diya....
Waise ek raaz ki baat batau....? well, yahi toh main chahta tha... matlab jo –jo is samay abhi ho raha tha... isiliye maine Ranjan.. I mean Jafar ko seedhiyo ke neeche... I mean.. neeche seedhiyo ke paas ... I mean ... seedhiyo ke paas neeche... ye correct word hai... seedhiyo ke paas neeche. Toh isiliye seedhiyo ke paas neeche use maine uksaya tha ki wo Sanjana se bulwa de ki wo mujhse baat nahi karegi... aur us chutiye kiya bhi wahi... Lull, TOLD YA , I’M THE DECEPTION KING.
Waise bhi first girl of my life ko mujhse chheen lene ka badla bhi toh lena tha. dekha... thi naa simple si baat, par apun kitna complicate bana diya tha ise... aur depth me jaaun kya ? baal nochna pad jayega. anyway....
“kya hai be… bahut gussa aa riya hai tere ko…”Jafar ka kandha pakad kar dabate hue Ranjan bola. Jafar aur Sanjana dono mere saamne hee khade the.
“Jafar… hua kya hai….”Jafar ne jab Sanjana ka hath chhoda, jise itne der se wo jakde hue tha toh Sanjana apna hath sahlate hue puchhi...
tab meri nazar Sanjana ke hath par padi... wo jagah laal ho chuki thi. Aur main jhooth nahi bolunga..
uske hatho ki laali dekh kar mera para pata nahi kyun achanak ekdum se khada ho gaya. Jabki is vyuh ka rachnakar swayam main hee tha. Sanjana ke sawal ke Jawab me Jafar ne pahle Ranjan ka hath jhatak kar apne kandhe se hataya aur fir Sanjana ki taraf dekh kar bola…
“tum is saale, Bhatti ko bolo ki ye tumse aaj ke baad baat nahi karega…”
“iske liye itna bada natak… ? aur main sochne lagi thi ki aisa kya ho gaya… hua kya hai tum dono ko... ? bachche ho kya tum dono… jo katti-mitti ka game khel rahe ho.. problem kya hai...?”
“mere ko bachcha mat bol… Silkyyy….” Jafar ko jalane ke liye jaan-buchkar Silky word lamba kheechte hue main bola “ Silky, ye hi chutiyo ke mafiq tamasha khada kar raha hai… baaki raat- raat bhar main tere kamre me rahta hoon toh jab tere gharwale ko aitraaz nahi hota toh fir ise kyun ho raha hai”
Ye raat-raat bhar Sanjana ke ghar me rahne ki baat bhi maine jaan-buchkar kahi thi aur shayad Sanjana ko thodi bahut bhanak lag gayi ki mere iraade kya hai... wo mujhe gusse se ghoorne lagi.. ab wo gusse se isliye ghooi kyunki maine raat-raat bhar uske kamre me rahne ki baat Jafar ke saamne kah di thi ya fir isliye kyunki shayad use bhanak lag gayi thi mere irado ki... ye aaj tak suspence hai.
“tu bhi jyada mature banne ki koshish mat kar Atharva… samjha… teri limit maloom hai mujhe , isliye jyada hoshiyar banne ki koshish tu toh mat hee kar. Kyunki yadi main ye mind game pe aa gayi naa... toh teri khatiya khadi ho jayegi...”
“try me... bitch... Atharva Dev se mukabala karoge ab tum... jo khud Physics Dev ka ansh hai...”main andar hee andar badbadaya
“ aur tu Jafar.. kya problem hai yar teri… sab dekh rahe hai, akele me baat karte hai.. school ke baad... ok...?”
“maa chudaye sab… mujhe kisi se koyi matlab nahi aur tu is Bhatti se pelwana band kar..... rakhail”
“sun be, jhatahe… jyada hero mat ban… apni hoshiyari apne class me dikhana, yaha nahi… ye math ki class hai… yaha koyi gunda apna gand nahi hilayega… siway math walo ke… warna gand me danda daal kar us dande par kaskar laat marunga... aur gaali deke kyun baat kar raha tu Silky se....? bsdk, aukaat kya hai teri... hain toh tu gaand dhone ka saabun hee bechne waala naa... ab chup-chap nikal nahi toh yahi pe chud jayega… Silky, tu nikal ab...”Jafar ko dhakka dete hue main bola... kyunki jaise hee usne Silky ko rakhail bola mera para ekdum high ho gaya...
Para Jafar ka bhi high hua, jab maine use sabke saamne dhakka diya toh.... mere dhakka dene ke kaaran Jafar us din ki tarah aaj neeche farsh par toh nahi gira par kuch kadam peechhe khiska jaroor aur mujhe aashcharya tab hua , jab mere dimag ne mujhe aabhas karaya ki ye bhi mere chakravyuh ka hee hissa hai...
“madarchod mere ko dhakka diya… sale Garib”Jafar khunnas me meri taraf daant piste hue kooda par Ranjan ne turant mujhe ek oor khinch kar ek kohni seedhe Jafar ke thobde me jad diya… Jafar wahi ulta gira aur is tarah se uski reputation bhi... jiski aawaz bhi aayi aur badi madhur aawaz thi.
“ye kya hai , Atharva… ye thik nahi hai… tum sab milkar Jafar ko maar rahe ho…”Sanjana ko ab shayad sab kuch samajh aa raha tha.. par wo mujhe itna kaise samajh jaati hai.. ? matlab mere har motive ko ...? ye bhi aaj tak mere liye suspence hai... matlab ekdum ek-ek point pakad leti hai wo mera.... dil bhi pakad leti aise toh kitna acha rahta . ye Sanjana koyi time traveller toh nahi...?
“I’m sorry Sanjana… par shuruat isne ki hai… isne socha ki padhne-likhne wale ladke hai.. daraunga toh dar jayenge… gaali dunga toh chup-chap sun lenge... marunga toh chup-chap maar bhi kha lenge… tum jao yaha se…”
“Jafar… kyun lad rahe ho… ye tumhare bas kaa nahi hai, tumhe samajh bhi aa raha hai ki.. kya ho raha haio tumhare sath...?” neeche baithe apna jabda daba- daba kar Ranjan ke hamle ka dard kam karne ki koshish me lage Jafar ke paas neeche Sanjana jhuki aur use uthane ki koshish karne lagi.
“Sanjana, aaj tu din bhar ka time le le aur achchhe se soch le… ya toh tu aaj ke baad is Bhatti se relation khatm karegi ya fir mere se… mujhe ab aur chutiya nahi banna, sare dost haste hai mujhpe… Mazak bana diya hai tum dono ne mera pure school me... pahle bhi aur aaj jo thodi bahut ijjat bachi hui thi uski bhi aisi taisi kar di, sabke saamne. aaj tu final decide kar hee le... Jafar ko ladkiyo ki kami nahi hai... naa toh tu pahli hai aur naa hee tu aakhiri hogi... ”
“bhatti, bhag bhosdike... wo dekh... Gupta”Ranjan waha se apni class ki oor teji se jaate hue bola
“Bhatti... bhaag lawde.... pel-pel ke peeth laal kar dega Gupta, yadi usne seedhiyo se upar aakar kisi ko class ke baahar bhi dekh liya toh...…”Ved bhi class ke andar kooda
Gupta ka naam sunte hee baahar jitne log ye tamasha dekh rahe the , sab apni –apni class ki oor bhagne lage.. Ranjan bhi apne thobde par ek hath rakhe turant khada hua aur Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha…. Maine bhi same Jafar ki harkat ko copy karke Sanjana ko waha se jaane ke liye kaha... taaki use lage ki mujhe bhi uski utni hee fikar hai, jitni Jafar ko... Ranjan bhi waha se apni class ki taraf bhag chuka tha aur Ved...? Sexy Saahityakar toh lawda sabse pahle waha se kalti hua tha….. lekin Jafar wahi khada raha… is kaaran mujhe bhi wahi khada rahna pad gaya... jaise ki maine pahle hee kaha hai ki aham, mujh jaise aadmiyo ka sabse vulnerable point hota hai. sawal ab Sanjana ko chhod kar ye tha ki kaun Gupta se dar kar waha se pahle bhagta hai.
“tujhe toh main pelunga hee, chahe uske liye mujhe kisi bhi had tak jaana pade… chahe paise dekar baahar se gunde kyun naa bulwane pade… Ranjan bhi pelayega, madarchod... mujhe maara hai usne aaj… wo bhi lambe se pelayega tere sath… tu ab bas dekhta ja, Atharva….”
“Atharva nahi.. Atharva Dev bol... mere sar ke peechhe ka chakra nahi dikh raha tujhe...? kaise dikhega.. divya drishti nahi hai tere paas...”
apna thobda sahlate hue Jafar bhi waha se jaane laga. Jafar ko uska jabda dabate dekh mere mann me khayal aaya ki Ranjan wakayi me itna powerful hai kya...? ki ye kab se apna thobda sahlaaye hee jaa raha hai..? sahi bola tha Ranjan ne us din mujhe ki mujh jaise 4-5 ko wo akele pel sakta hai. saala hai bhi toh ekdum daanav type.
Gupta ji aa toh humari hee class ki taraf rahe the… par bahar khade sabhi log andar nahi jaa paaye the aur jo log Gupta ji ko class ke baahar corridor me dikhe, unko waha dekh unki puri sulag gayi aur wo gariyate hue, baal pakad kar unke sar me mukke pe mukka maarte hue un sabko andar karne lage... Jafar dar ke kaaran Commerce me ghus gaya. is beech unhone ek ladki ko bhi pakda aur jo baal kheencha uska... kikiya di wo on the spot....lekin Gupta ji ke liye kya, male aur kya female... wo toh in sabse barso pahle hee upar uth chuke the..
unhone us ladki ki dono chotiyo ko ek karke ghuma diya us ladki ko chaaro oor fir do tamacha kaskar uske gaal par maara, wo alag.... jiski gunj unse itni door khade mujh tak bhi aayi iske baad unhone next eligible candidate ko pakda.. jo unhe class ke baahar dikh gaya tha...
Khair, Main apne class me jaane ke liye peechhe muda... warna mera bhi wahi haal hota jo us do choti wali ladki kaa hua tha... lekin tabhi mujhe mere thik saamne Mira khadi hui dikh gayi , jo muskurate hue mujhe hee ghoore jaa rahi thi. Wo mere paas aayi aur ahiste se mere chehre ke saamne apna chehra laakar boli…
“Well done, Atharva…”
“you satisfied with the revenge… ?”
“yeah... you just freed my soul… now I can move on from this shitty Jafar… Thank you…”
“thank you ka kya karunga… 1000 us din diya tha.. 1000 baki hai…”
“kal mil jayega… ab Jafar ke chutiye friends ko apne agal-bagal ghumane ka time gaya…”
“waise mere dimag me ek sawal aa raha hai ki.. un chaar me se tumhara current time me boyfriend kaun hai… ? jiska tum dil todne wali ho…”
“chutiye hai charo… charo sochte hai ki wo mere boyfriend hai…”
“that’s bit harsh, don’t you think…? paap lagega tumhe…”
“well, they forgot the first law of friendynamic…”
“friendynamic…? Ye kya hai…?”
“humse pahle ek senior tha yaha, naam suna hoga beech-beech me tune uska… usne forever friendship ke liye kuch rule banaye the.. jise ladke friendynamic rule kahte hai… and according to the first law of friendynamic , your friend’s girlfriend is equal to Your sister….”
“good one… what was the second law ....?”
“no one knows…. and please call me, whenever you feel alone…”aankh marte hue Mira boli aur class ke andar chali gayi aur uske peechhe-peechhe uske pichhwade ko dekh main bhi class me ghusa.
.
.
“I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Interceptor ki kamaan sambhale hue Ved achanak hee jor-jor se chillane laga, sala itni jor se chillaya ki kaanp utha main.
“chutiya hai kya be…. Achchhi khasi neend aa rahi thi … poon ..poon karke dara diya”
“haan toh thik kiya na… bike me soyega toh girega pond ke bal…
I got my bowl full of froot loops…
I’m just lookin’ for a clean spoon….”Ved fir se chillane laga….
“Maihar aate hee mata chadh gayi kya be… mana ki Maihar me Mata ka bahut bada mandir hai lekin aisa bhi kya hai ki tujhe mata hee chadh gayi…”
“chup be… gaana ga raha hu main…. Sexy Saahityakar ko disturb mat kar, warna ek sexy doha fek ke marunga... ”itna bol kar Ved fir se chillane laga
“toh ladki ke sath-sath gaane me bhi teri choice kharab hai…”jab wo chup nahi hua au raise hee mera kaan fadte raha toh maine kaha
“ye tu apna kaam kar na… disturb mat kar….”
“waise tujhe yaad hai Mira ne mujhe ek baar hazar rupaye diya thaa….”
“haan… math padhane ke liye… lekin tune use padhaya nahi…. Mere ko paisa deti toh physics aur chemistry bhi padhata… infact main paisa bhi nahi leta… sirf chodne ko de deti bas… usi se kaam ho jata….”
“wo paisa maine use math padhane ke liye nahi liya tha… wo toh Jafar ki beizzati karne ke liye liya tha… yaad hai, jis din Jafar , Sanjana ko pakad kar mere paas laya tha… aur pure 11th and 12th ke students ke saamne uski beizzati hui thi…?”
“ari bahinchod…. Toh wo preplanned tha…?”ye sunkar Ved ki gand hee fat gayi aur wo ektak peechhe mudkar dekhne laga
“saamne dekh bhai.. pelwayega kya....”
“gaand maraye… mere ko kya… Maihar aa gaya hai… sham tak rewa me honge … The Land of White Tigers. apni Winter Evening aaj Ranjan ke dhabe me celebrate karenge, bachpaan ki yaade taza ho jayengi… fir ghar jayenge...”
“Winter Evening...” Ved ke ye word bolte hee meri yaadon ke samundar me wo drishya mujhe saaf dikhne laga... jisme....
fir bhi Atharva fail ho gaya kaise...
khair jaisa dikh raha hai waisa hai nahi haina gyaani bhau...
Last edited:


