• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Surya The Protector. (WAR Between Two Immortal.) (Completed)

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,820
159
Toh bhaiyon khana banwa hi liya sabse bas dhyan rahe kahin yeh inki permanent job na ho jaaye :DD:
Aur yaar bhai 'a'adil bhai ka bhi kuch karo yaar yeh sab toh set ho gaye apni apni life mein ab 'a'adil bhai ka bhi kuch khayaal karo bechaare:roflol:
Rahi baat senoy ki toh lagta toh yahi hai ki woh zinda hai aur us kaal se mil chuka hai..... Kyonki kaal itne waqt tak yon hi toh nahin ruka rehta woh kuch na kuch toh karta hi....
Aur senoy bhai jo prayog kar rahe the vansh ke khatme ke ba'ad uska kya bana??

Bhai dekhte hai ki bakai me ye unki permanent job na ban Jaye. Baki lagta nahi ki aisa hoga. And rahi baat aadil Bhai ki to jaldi hi unke liye bhi kuch achha hone Wala hai. And Jo baat aapne kaal or senoy ke KE liye kahi. Vo to bakai me Sach hi Nikli. And is update me clear bhi ho jayegi. And rahi baat uske experiment ki to vo me abhi nahi Bata sakta vo to aage hi pata chalega ...



Keep supporting............
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,820
159
Boht hi khoob Surat andaz se update likhi h ap ne sir

Thanks Bhai.......


Tariff ke liye sukriya.sir. bas apna sath banaye rakhna me kosis karunga ki aapko isse bhi behatreen updates deta rahu......



Keep supporting..........
 

Akil

Well-Known Member
3,237
8,828
158
UPDATE 58










next day ham sab uthe apna routine follow Kiya and nikal gye apne office apne kaamo per. Kyuki bhi filhal hamare kaal Saab ki koi khabar nahi aayi thi to socha jab Tak apne Baki ke kamo per dhyan de diya Jaye. Udaypur KE office me bahut hi Kam baar aata hu me.kyuki yaha per Baki sabhi rehte hai and me Baki ke offices sambhalta hu akele. Mumbai London USA.


KHair me aaj isi office me aagya.and Meri secratry Rena ne mujhe wish Kiya.




Main- good morning Reena Kya haal hai.




Rena- all good sir. Baise bade Dino baad aaye.kaha gye the aap.




Main- Mera Kya hai. Yaha baha ghumta rehta hu me.to. Mera koi thikana nahi hai.




Rena- ye baat to hai.




Main- khair ye sab chhodo or ye batao ki koi kaam hai ki nahi.




Rena- baise to koi bhi khas kaam nahi hai aapne layak. Kuch files hai. Aap unko dekh leejiye. And uske baad aaj sham ko ek meeting hai. To use aatend Kar Lena agar free ho to. Baki koi bhi kaam nahi hai.





Main- badiya. To fir le aao files ko.




Rena- ok sir.




Uske baad Rena chali gyi and mere liye 3-4 files le aayi. And me unme apna sir khapane laga. Or Bhai log apne kaamo me lag gye. Sham Tak ham bahi ye kaam karte rahe and faltu time pass hota raha. Sham ko me bhi meeting me Chala gya. Kuch growth releted meeting thi. Jisme Bata rahe the ki hamari company ne kitni growth ki hai kitna profit kamaya hai.



Or ye sab jaankar bakai me lag raha tha ki achha khasa profit ye company de rahi hai.




Main- ye aakede to bahut hi sukoon dene wale hai.




Bhai- bakai me. Ek kaam karo sabko bonus dedo. Jisse vo log bhi khus ho Jaye.




Main- great idea Bhai. Sabhi ko Dena. Ek bhi aadmi chhutna nahi chahiye.




Rena- ok sir ho jayega. Lekin Dena kitna hai.




Main- ye to hamare accountant SE puchho bahi batayenge. Ki kitna ham de sakte hai.




Acc.- sir. Sabhi ko ham 10000 to de hi sakte hai. Isse sabhi ko barabar ka bonus bhi mil jayega.




Main- ok done Kar do. Sabhi ko 10k dedo. Or jinki selery iss amount se Kam hai unko bhi increment de do. Unki selery bada do.




Acc.- ok sir. Baise to 2-3 log hi hai jinki sellery iss amount se Kam hai. Baki to sabki isse uper hi hai.




Main- Theek hai sabki Kar Dena.



Uske baad meeting over ho gyi and ham sab Ghar ke liye nikal gye. Achha khasa andhera ho gya tha.




Main- Harry koi khabar hai Kya.




Harry- aapko kaise pata.




Main- pata nahi Mera six sence koi ishara Kar raha hai.




Harry- sir kuch gadbad to hone hi Bali hai. Vo bhi yahi udaypur me hi.




Main- yaha Kon aagya.




Harry- sir kuch unidentified log aaye hai. Jinki kahi koi pehchan nahi ho rahi hai.





Main- kitne log hai.




Harry- sir 2 log hai.mujhe lagta hai pehla kaal hai or dusra sayad senoy.





Main- lekin kaal senoy ko jinda Kyu chhodega. Use bhi to marega hi vo.





Harry- sayad unhone koi deal ki ho. Kuch keh nahi sakte. Ya fir ye senoy na ho koi or hi ho.





Main- kaha hai.




Harry- filhal to kisi hotel ki taraf ja rahe hai.




Main- usko mark Karo. Dekhte hai baha Jake.




Harry- ok sir.




Maine fir bhaiyo ko call Kiya or unhe bhi ye jaankari di to vo jaha bhi the. Bahi SE bapis ho liye. And me bhi baha SE bapis hoke hamare hi ek flat ki taraf ho gya.




Baha pahucha to Bhai log bhi baha aagye thodi hi der me.




Bhai- kaha hai vo log.




Main- kisi hotel me gye hai.




Aadil- hotel me kya Karne gye hai.



. main- pata nahi or filhal to dono ki hi pehchan nahi ho payi hai. Isliye abhi kuch keh nahi sakte ki akhir me hai Kon ye log.



. rony- sayad usne fir kisi ka chehra le liya ho.




Main- ho sakta hai. Harry kuch kehna chahoge iske bare me.





Harry- sir sayad aisa ho sakta hai.




Main- Harry kaha hai vo abhi.




Harry- sir vo filhal road no. 7 per hai. Ek texi me.




Main- Theek hai. Sabhi ek hi gadi me baitho.




Maine apni gadi ki driving sambhali and Baki sab bhi usi me baith gye. And Maine gadi ko road no. 7 ki taraf bada Diya.maine gadi ko achhi khasi speed se chalaya or karib 10 min. Me hi ham us road per aagye. Ye road airport or city ko link karta hai. Ham airport ki taraf bad rahe the and unki gadi airport SE city taraf aarahi thi.




Main- Harry Jara batana unki konsi gadi hai.




Harry- ok sir. Abhi aage chalte rahiye. Unki ek Alto hai. Ola ki.




Main- ok dhyan rakhna. Karib 5 min. Me hi Harry bola.




Harry- sir ye samne se hi aarahi hai. Yahi hai unki car.




Main- Theek hai.



Jaise hi vo gadi hamare bagal SE nikli Maine apni gadi ko u turn dila Diya. And ho gya unke peeche.ab ye gadi Meri najro se ojhal nahi ho sakti thi. Chahe kitni hi gadiya Kyu na aajye.me ek barabar distance per apni gadi ko Chala raha tha.





Main- Ek kaam karo.me baju se gadi ko nikalta hu. Bhai aap usme ek transmitter fek Dena jisse hame andar ki aawaj aati rahegi.




Bhai- agar seeds band hua to.




Main- aage ka khula hua hai. Usi me se fekna. Lekin. Thodi speed se fekna kisi ko bhi dikhe nahi ki kya hai.





Bhai- vo sab mujhper chhod de. Bada gadi ko aage.




Maine gadi ki speed ko badaya and uske just baju me Kar liya and hamne apna Sara dhyan road per hi rakha. Taki agar vo hame dekh bhi le to bhi unko ye na lage ki ham unka peecha Kar rahe hai. Or isi mouke ka fayeda utha Kar Bhai ne speed se apne hath ko Chala diya. And unke hath me Jo transmitter tha vo seedha uski gadi me gira. Or kisi ko kuch pata bhi nahi Chala. Ye achhi baat ho gyi.uske baad Maine gadi ko unse aage le liye and unki gadi hamare peeche peeche chalne lagi.




Ab hamne unki aawaj ko sunne ke liye Mike pehan liye.




Lekin baha per koi bhi aawaj nahi aaraha thi.bbas gadiyo ke horn ki aawaj hi aarahi thi.tabhi thodi der baad ek aawaj aayi.






Kaal- hii Surya kaise ho.





Ye aawaj sunte hi me samaj gya ki ye kaal hi hai. Or isne mujhe or us transmitter dono ko hi dekh liya hai. Or bhaiyo ko bhi samajne me jyada der nahi lagi.




Main- tu bapis nahi gya. Maine kaha tha na.




Kaal- ab to jab Tak tujhe nahi maarta tab Tak me kahi nahi Jane wala. Isi liye to Tere hi sehar me aaya hu.






Main- or ye sath me kise uthalaye ho.




Kaal- Tera hi koi purana dushman hai. Pehchan kon hai.





Main- or Kon senoy hi hoga. Kyu be.




Senoy- gajab hai yaar tu bhi.




Main- Jara ek baat Bata ki tu baha se jinda kaise Bach gya.




Senoy- me bachta to tab jb me baha hota




Main- Matlab baha Tera koi duplicate tha.




Senoy- ha Mera hi clone tha vo. Jise tune Mara tha.





Main- tu ab to asli hai ya abhi bhi apne hi clone ko bheja hai yaha Marne KE liye.




Senoy- nahi abki baar me khud aaya hu. Lekin isbaar me nhi Marne bala.balki Teri mout hogi. Or ye pakki baat hai.





Main- jiske dum per ye sab bol rahe ho Jara usse bhi puchhlo. Ki uski Kya halat ki thi Maine. Or akhir me baha se bhagna hi pada tha.agar thodi der or rukjata to pakka ye gya tha hamesha KE liye.






Kaal- me bhaga nahi tha. Balki ye mujhe baha se Le gya tha. Verna me bhagne walo me se nahi hu. Fir chahe Meri haar ho rahi ho ya Jeet.





Main- dekhte hai isbaar. Ye Sach hai to bhi tu marega. And nahi bhi hai. To bhi me tujhe or is senoy ko to bhagne nahi dunga.






Senoy- dekhte hai Surya.




Main-Baise ja kaha rahe go tum log. Jara side me roko yahi faisla Kar lete hai.




Senoy- ye mouka bhi tujhe jaldi hi milega. Surya. Bye…..




Ye kehke hamari line Kat gyi. And maine side me gadi ko roka. And turant hi neeche utar Kar us Alto ki taraf gya.and use hath Diya rukne ko. Pehle to vo sayad nahi rokta lekin baad me usne gadi ko rok Diya kyuki use apni gadi Jo Khali mili.




Main us gadi ke pass gya and andar jhak Kar dekha to gadi Khali thi. Sayad bhag gye the.




Main- Kyu Bhai tumhari sawari kaha gyi.




Driver- pata nahi Saab abhi to yahi baithe the. Chalti gadi SE gayab ho gye dono ke dono.




Main- aise kaise gayab ho gye. Koi bhoot the Kya. Sach Sach batao kaha utara hai unko. Verna bahut pachhtaoge.



Driver- Sach kehraha hu Saab mujhe nahi pata kaha gye vo log.




Main- Theek hai niklo yaha se.



Me uski gadi as door ho gya. And vo jaldi hi gadi ko baha se bhaga le gya.





Tabhi Bhai mere pass aaye.




Bhai- kaha gye vo.




Main- usi gadi me hi the. Chalti gadi me hi unhone apni jagah change Karli.




Bhai- kaise.




Main- kaal ne us driver ko maar Diya. And uska chehra le liya. And vo senoy dikki me chhip gya hoga.




Bhai- tujhe kaise pata.





Main- aapne sayad dhyan nahi Diya. Jo driver abhi baitha hua tha usne bahi kapde pehne hue the. Jo kaal ne pehne hue the. Sayad vo kapde change karna bhool gya. And senoy mere lences SE nahi Bach paya dikki me aasani se dikh gya tha mujhe.



Bhai- or vo driver kaha gya. Matlab uski body.





Main- usi gadi me hi thi. Dikki me. Senoy ke sath.




Rony- lekin ye bhage Kyu.



. main- sayad unki khopdi me koi khurafat chal rahi hai. Or ye uske pehle hamse ulajhna nahi chahte.





Bhai- to ab aage Kya karna hai.




Main- karna Kya hai. Ghar Jana band. And Maine uski gadi me dusra transmitter chhipa Diya hai. And Harry to laga hi unke peeche.






Aadil- to Chalo unke peeche hi chalte hai. Kuch Ulta Kare uske pehle hi inki band bajate hai.






Main- ha chalenge. Thoda aage to nikaljane do.





Uske baad me apni gadi me pass aaya and Maine pori gadi ko scan Kiya to mujhe bhi kuch milgye. Ek chhota sa transmitter tha. Jo gadi KE peeche side neeche ki taraf chipka hua tha. Maine use nikala and usko ek texi Jo baha SE nikli usi me fek Kar chipka Diya.





And uske baad Maine ek baar or check Kiya. Or jab mujhe kuch nahi Mila to main Jake gadi me baith gya. And mere peeche sabhi baithe or Maine apni gadi ko aage bada Diya




Bhai- vo Kya tha.



. main- bhi same chal usne bhi chali thi. Taki hamara peecha Kar sake.





Rony- ye senoy to bakai me master hai. Lekin hmare liye ab khatra thoda bad gya hai.




Main- sahi kaha kyuki ab bo hamare Ghar Tak bhi pahuch sakta hai. Jo hame kisi bhi keemat per nahi hone Dena hai. Isliye abhi KE abhi Ghar per koi contact nahi karega. Or na hi baha jayega. Jo bhi karna hai Harry KE threw Karo. Vo sab line ko safe kardega.a





Bhai- ok.





Ham sab usi location ki taraf aage bad gye and Maine raste me hi Harry ko bolke ek dusri gadi ko bula liya tha. Jo hame aage khadi Mili. Iska rang alag tha. Ham sabne is gadi ko bahi chhoda and us dusri gadi me baith Kar aage bad gye. Maine gadi KE kanch per hi map ko on Kiya and ham usi me location ko dekhte hue aage bad gye. Unki gadi lagatar chal rahi thi. And east ki Taraf hi ja rahe the.





Main- Harry dono usi me hai ya kahi or nikal gye.





Harry- nahi sir. Usi me hai. Meri najro SE kahi nahi bhag sakte.





Main-ye log kaha ja rahe hai.




. Harry- sir aage industrial area hai. Or baha per bahut si factory band padi hai. To inko chhipne ki isse achhi jagah kaha milegi.





Main- badiya. Hai dekhte rehna kis factory me ghuste hai ye log.






Ham log bhi unke hi peeche bane hue the. Karib 15 min. Ki chase ke baad ham bhi usi area me pahuch gye.





Main- Harry konsi factory me ghuse hai vo log.





Harry- sir yahi aage ki taraf hai ek factory usi me gye hai. And unhone gadi ko dusri jagah per khada Kiya Taki gumrah Kiya ja sake.





Main- ye to me janta hi tha. KHair ek kaam karo. Us pori factory ko achhe se scan karo. Agar undono ke alawa baha koi bhi na ho to uda do us factory ko. Lekin ye bhi dekh Lena. Ki kahi koi gas kand na ho Jaye.





Harry- ok sir.





Fir harry ne us pori factory ko achhe se scan Kiya. And use un dono KE aalwa koi bhi nahi dikha. Or na hi isko udane se use koi khatra najar aaya to usne settelite se ek missile ko activate Kiya or Target ko lock karke missile ko chhod Diya





Main- Bhai lagta hai is pori factory ko hi kharidna padega





Bhai- badiya hai achhi jameen hai kharidlena.




Ham door se hi baha dekh rahe the. Tabhi 10 min. KE andar hi ek Badi si missile aayi or us pori factory ko fod KE rakh Diya usne.itna bada dhamaka tha ki Kya batao. Pori ki pori factory bahi KE bahi jameen me sama gyi. Or mujhe ummid thi ki isme se sayad hi dono jinda Bache ho. Baki jaise hi aag thodi Kam Hui. Harry ne pori jagah ko scan Kiya to use baha koi bhi nahi dikha. Ab ya to vo baha se bhag hue ya fir bahi jal Kar rakh ho gye………









To be countinue….…………….




Toh dono ne ek hi chaal chali ek dusre par lekin unhone yeh transmeter lagaya kab? Aur yeh kab aur kaise pata laga ke surya udaipur mein hai?
Mujhe ek doubt hai bro kya kaal ko is baat ka pata nahin hoga ki surya use uske kapadon se pehchan sakta hai and senoy ko bhi dekh sakta hai chhupte hue aise mein unhone yeh bewaqoofi ki yeh kuch jama nahin bro
Secondly kaal aur senoy kab aur kyon aur kaise ek hue?
Us missile hamle mein woh dono mar gaye honge aisa lagta toh nahin....
Thirdly unhein kahin surya ke ghar parivaar aur harry ke baare mein toh nahin pata lag gaya na?
Ab toh heroes ke saath saath heroins par bhi khatra mandraa raha hai aur saath mein bachchon and buzurghon par bhi....
 
Last edited:

janu2016

Well-Known Member
2,792
4,347
159
Update 58
Bhot khub...
Per yaar surya neyeh kaam galat kiya...
Jab use pata tha ki kaal koi bhi radiation shok leta h to wo to marne se raha ulta wo aur takatwar ho jayega... :hinthint:

Baki dekhtein h aage kya hota h ......
:10:
 
Top