• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Laa-Waaris .... Adult + Action +Thrill (Completed)

How many numbers do you give to this story?

  • 100

  • 90

  • 80

  • 70

  • 60

  • 50

  • under 50


Results are only viewable after voting.

@Rock@@

Member
496
1,444
138
Update :3
**********



Un paanch stupid qadiyon ki waja se aaj ham teeno ki zindagiyan maut ki dahleez par aa hi chuuki thi..na wo hamare peeche bhaagte aur hi kisi ko hamare bhagne foran hi pata chalta .

abb is cinfirm maut se bachna hamare liye mumkin nahi tha.abb to bass oopar wale ki hi madad se hum bach sakte the.agar ladai hathon se hoti to main itni marne wala nahi tha...
Lekin yahan to machine guns ki goliyon ki barish hi shuru ho gai thi. Aur yahan se hamara bach nikalna mumkin nahi tha . Bass kudrat ne agar hamari zindagi likhi hai. To hi hum bach sakte the.

Warna hamare paas hamari hi zindagi bachane ke liye koi raasta nahi tha.
Haan sanjay ke paas ek machine gunn zaroor thi.. lekin wo usay chala nahi sakta tha.


haan parr wo koshish to zaroor karega. hum aise hi to nahi khud ko maut ke hawale karr sakte the..

Hum teeno ke peeche bass ek hi qaidi bach kar aane me kaamiyaab ho paaya tha.
Goliyon ki baarish se bachte huye hum ek chattan ki aad me pohnchne me kaamiyaab ho gaye the.. bhagwan ne ek baar humen bacha liya tha lekin ..



Lekin yahan se jungle takk ka faasla 400 meter ka tha.. aur is fasle ko khatam karna abb hamare liye mumkin nahi raha tha . Guards kisi bhi lamhe hum tak pohnch sakte the.
pehle Hum teen the lekin abb chaar ho gaye the.


Hum phanse to the lekin khud ki nahi dosore bewaquf qaidiyon ki wana se phanse the.. 4 marr gaye the wahin bhaagte huye .. ek bach gaya tha .. galti to uski bhi thi .. humen us parr ghussa hona chahiye tha .. lekin

jaan bachane ka haq sirf hum teeno ko hi to nahi tha.agar hamare saath ek aur qaidi agar mil bhi gaya tha to hum bura kaise maan sakte the.
Akhir wo bhi to hamari hi tarha yahan par jabran qaid kiya gaya ek insaan hi tha.

chattan ki aad me aate humne kuch lamhe zaya kiye apni tez chal rahi saanson ko kaabu karne me.. Lekin hamare pass zayada samay nahi tha to


Raja:- Sanjay tum machine gun chalo lo ge naa abb hamare paas is machine gun ke siva koi aur option nahi hai....


images
Sanjay:-(tez saasn lete huye) Raja gun ka experience to mujhe hai lekin ye machine gun bohat hi heavy hoti hai to is ka jhatka bardasht karna sabb se mushkil kaam hai..


Raja:- Sanjay abb hamare paas time nahi hai zaaya karne ke liye..Guards kuch hi pall me yahan pohnchte hi honge. to koshish karo. Aise hum koshish kiye bagair to nahi bach paayenge. warna yahi maare jayenge....
Aur tum to jaante hi ho . Abb agar hum pakde gaye .to hamari kaisi bhayankar hogi.. Isliye kutte ki maut marrne se behter hai k koshosh kar li jaye.

Fir maine zaheer se kaha.


Raja:- Zaheer saans baad me bahaal kar lenege.. abhi tum chattan se jhank kar dekhte raho. Jaise guard paas ayen to mujhe batana.kahi aisa na ho k hum apas me mashwara hi karte reh jayen. Aur wo guards sarr parr pohnch jayen...

Zaheer.:- haan theek hai.. me dekhta hu.


Ye bol kar zaheer chattan se jhankne laga .
Naya ladka khud hi chattan ke doosri taraf se jhankne laga..


download-1

Sanjay ne machine ki belt ko apne gale se guzarte huye machine gun ko firing style me pakad liya. hath me machine gun liye sunjay ek dumm daaku hi lagg raha tha.
Sarr aur daadhi ke lambay baalon ki waja se hum teenu to waise hi daaku hi dikhne lage the. parr machine gun ki waja se sanjay sach me hi ek daaku hi lag raha tha. Sanjay ke chehre parr ghabrahat thi.pehli baar itni khaatr-naak machine gun jo hath me pakdi hui thi. aur fir koi experience bhi nahi tha.. aur oopar se lagne wale jahtke ne sanjay ko bohat hi nervous kiya hua tha.. aisi situation me sanjay ki halat kharab to fir honi hi thi..

Hamare peeche 20 ke kareeb guards aa rahe the. Aur sabhi ke paas bhi machine guns hi theen.aur wo sabb ke sabb expert bhi the lekin hamare paas ek machine gun thi aur humen chalani bhi nahi aati thi.


Abb oopar wala hi humen bacha sakta hai.warna aisi condition me itna dumm kahan tha humme.hum koi peshawar gangster nahi the... Hum to sirf ek mazdoor ya phir qaidi the.


Raja:- Sanjay ek chhota sa round chala kar dekh.isse do kaam ho jaayenge.

Ek to guards ka aage badhna ruk jayenga.. aur doosra
tum khud ko test bhi kar loge..

Sanjay confuse to tha hi lekin usay meri baat bhi sahi lagi.aur yahan sochne ka time nahi tha..


Sanjay:-Theek hai main koshish karta hoon tum bass mujhe peeche matt girne dena . Bohat zor ka jhatka lagega mujhe.kahi aisa na ho k balance bigad jaaye aur hum apni hi goliyon se maare jaayen.


Raja:- zaheer wo guards kiss taraf aur kitni door hain..


Zaheer:-mera khayal hai k wo bhi choti choti chatton ke peeche chupte huye aa rahe hain . Waise wo seedhe hamari taraf aate to abb takk hum tak pohnch chuke hote. zaroor unhe hamare pass mojood machine gun nazar aa gai hogi.


Raja :-phir to badi gadbad ho jayegi..humen to pata bhi nahi chalega aur Wo hamare paas pohnch jaayege..

Main aas paas dekhne laga kahin hamare liye koi aur safe jaga hai ya nahi..
mujhe kuch faasle parr ek aur chattan nazar aai . Agar hum kisi tarha us chattan tak pohnch jayen.. to wahan se jungle tak hum jaldi aur safe pohnch jaayenge...
lekin us chattan takk pohnchna hi jaan hatheli parr rakhne ke barabar tha. guards ke samne se bhaagna tha humen.. aur is ke ilawa koi option nahi tha... agar guards ne goliyaan chalaai to lamhon me hi hum seedha oopar pohnch jayenge..

Lekin abb is ke ilawa koi option bhi nahi tha.. aur chance liye bagair hum bachne wale nahi the....... yahan bethe bhi maut thi to bhaagne me bhi maut thi.. lekin zindagi ko bachane ke liye kuch to karna hi tha...


Raja:-Sanjay tum ek chota round fire karo .unhe bhi pata chale k hum takk pohnch paana unke liye assan nahi hai ..


Sanjay himmat karke chattan ki ik side aaya aur jis taraf se kych guards dikh rahe the us taraf ek round fir karne ke liye ready ho gaya..main sanjay ke peeche usay support dene ke liye khada ho gaya.
Maine sanjay k peeth parr apne dono hathon ka dabao badha diya tha aur sanjay ne bhagwan ka naam le kar guards ki taraf machine gun karke trigger daba diya..


Dhad...Dhad...dhad...dahd..dhad.dhad .........ki awaz goonji aur


maxresdefault

door 2 guards ki cheekhon ke saath hi sanjay ki bhi cheekh nikal gai ...

Sanjay:-(cheekhte huye)mera kandhaaaaaaa.....


Jitna maine socha tha machine gun ka jhatka us se bhi badh karr jhatke-daar tha. ek baar to main bhi hill gaya.. mere saamne sanjay tha to uski kya halat hui hogi... maine sanjay ko suport de kar neeche bithaya ayr fir jaise hi meri nazar sanjay ke Kandhe parr padi to mujhe shock laga k sanjay ka kandhaa apni jaga se hi hill gaya tha...


Raja:- Sanjay tumne nishana to sahi lagaya hai. Kakin lagta hai hai k jhatke ki waja se tumhara kandha utar gaya hai. Lekin abhi humen machine gun ki zaroorat hai aur isay abb kaun chalayega .


Sanjay karahte huye:- Raja mujhse jitna ho saka maine ka diya abb tumhi batao main kya kar sakta hoon ab to main bhi zakhmi ho gaya hoon aur abb mujhse ye machine gun nahi chalegi.
....

Zaheer aur doosra ladka bhi hamare paas hi aa gaye the..


raja:-tum dono yahan matt ruko abhi khatra tala nahi hai.aur wo kisi bhi waqt yahan aa sakte hain.
Dono hi apni jaga par wapis pohnch gaye. Aur fir dono ne hi bataya k guards ki movement ruk gai hai.


Raja:- Sanjay mera jims machine gun ka jhatka seh sakta hai.. kya main ise chala sakta hoon.dekho sanjay abb humen time waste karna chahiye. Wo saamne jo badi chattan nazar aa rahi hai agar hum wahan us chattan ke peeche pohnch gaye to bach sakte hain. Bass ek aur chhota sa round fire karte hi hum sabb us chattan ki taraf bhaag padenge.agar zindagi hui to bach jaayenge. Warna yahan to yakeeni maut hai.
aut agar hum us chattan ke peeche pohnch gaye to hamare liye khatra khatam ho jayega.... kya kehte ho...

sanjay:- raja humme sabb se zayada dumm tumme me hai aur tumne jo bhi kaha hai wo bhi thek hai.. sach me hi harame paas na to koi aur raasta hai aur hi time....
tum machine gun ki belt ko apne gale me daalo. jaan bachane ke liye himmat to karni hi pardegi..

sanjay dard ke maare tadap rha tha.. ek baar phir se machine gun ka trigger dabana uske liye mushkil tha.. kandha jo hill gaya tha.. lekin is bar wo jhatke se bach jayega.. kyunki

maine machine gun ki belt ko sanjay ke jaise apne gale me daal liya abb sanjay ki tarha main bhi daaku lagne laga tha.


Raja:-Sanjay tum bass mujhe kuch guide karo zaroori nahi hai k nishana theek hi lage.tumse jitna ho sake utna meri help kar dena..humen to sirf Guards ko chakma de kar bhaagna hai..


Fir maine zaheer aur dosre ladke ko bhi bula kar sabb samjha diya.


meri baat sun karr Dono ke hi paseene chhotne lage lekin iske siva koi aur chaara bhi to nahi tha.


Sanjay meri help ke liye khada ho gaya tha lekin sanjay ka chehra dard ke bhav ki waja se laal hone lagg gaya tha. Kuch zayada hi chot lag gai thi sanjay ko.


Fir maine sanjay ki madad se kuch faasle par dikh rahe 4 guards parr ek round fire kar diya.

Sanjay apne dard kar rahe kandhe ko nazar andaz karte huye trigger dabane laga..

is baar sanjay ke saath meri bhi cheekh nikal gai thi.

Is baar firse do guards nishana bann gaye the.mere fire karte hi zaheer aur doosra ladka us badi chaatan ki tataf bhaag khade huye the.
Sanjay aur main bhi apne dard ko nazar andaaz karte huye usi chattan ki taraf bhhagne lage.
Hamare fire karte hi aur firse do guards ke marne se baaki ke guards chattan ke peeche chup gaye. Is beech humne moke ka fayda utha kar apni manzil ki taraf bhaagna shuru kar diya tha.


Zaheer aur chotha ladka bohat tez bhaag rahe the. Hum bhi dono ke peeche peeche bhaagne lage...
Hum charon hi jaan tod koshish se bhagte huye badi chattan ke paas pohnch gaye the lekin abhi bhi hum safe nahi the.


download

Itna time kaafi tha guards ka khud ko sambhalne ke liye.. aur fir jaise hi unki nazar hum par padi to firse hum parr goliyon ki barish barsaane lage.

4th ladka badi chattan ki add me pohnch gaya tha.. hum teeno hi peeche reh gaye.
main sabb se peeche tha.. aur mere gale me machine gun waise hi latak rahi thi.. maine usay chhoda nahi tha.... meri nazar saamne hi thi.. aur fir jaise hi maine zaheer ko dekha to

Pata nahi kyun lekin zaheer ki speed kuch kam ho gai thi.warna wo bhi us 4th ladke ke sath hi pohnch jaata. zaheer ko sust padte dekh kar main ruk gaya aur fir machine gun ka rukh guards ki taraf kar diya..


Mujhe koi experience nahi tha machine gun chlaane ka ..

lekin khud ki jaan bachane ke liye kuch to karna tha. Aur yahan ye bhi zaroori nahi yha k guards ko nishana hi banaaya jaaye. Unko uljhaane ke liye maine himmat karke ek bada round chala diya.


Screenshot-57

machine gun ke garajte hi meri halat kharab hone lagi.. abhi last jhatke ka dard bhi tha..... lekin wo sabb bhool kar maine machine gun ka trigger tab tkk vabaye rakhha . jabb tak sabhi guards ek baar phir se chup nahi gaye..

guards ki guns ke khamosh hote hi umen chattan ke peeche jaane moka mil gaya..
Chattan ke paas jaate hi maine machine gun ko apne gale se nikala aur apna kandhaa pakad liya.

Mera badan teeno se zayada strong tha. machine gun ka jhatka mujhse bhi bardasht nahi hua tha .lekin shukar hai k mera kandhaa salamat tha.warna main to samajh raha tha k mera kandha bhi sanjay ke jaise hi utar na gaya ho...


Raja. Yahan baithne ka samay nahi hai humen jald hi jungle me jaana hoga warna maare jaayenge. mujh samet Sabb ki hi zubaan kutte ke jaise bahar ko nikli hui thi aur abhi hamari saaans bahaal nahi hui thi lekin fir bhi bhaagna tha..
to hum himmat karke firse bhaag liye.is bar humen badi chattan ki aad mil chuki thi.. aur guards ke aane se pehle hi hum jungle me pohnch jaana chahte the..

jitna bada round maine fire kiya tha.. uski waja se guards kuch zayada hi dar gaye the...

is baar humen jungle me pohnchne me koi pareshani nahi hui. Jungle me kuch door jaate hi sabb dhadam se grass par gir pade....

hamara poora badan paseene ki waja se geela ho chuka tha. jaise hum bhaage na honn. balke kisi nadi me dubki laga kar aaye hoon...

hamari saans itni tez chal rahi thi k hamara seena saans ki waja jhatke pe jhatke khaa raha tha. hamari tez chal rahi saanson ki waja se jungle ki khamoshi toot gai thi..... hamare harr ik saans ke saans hi hamare andar se ek seeti jaisi awaz bhi nikal rahi thi...........

hum sabb ki halat bohat hi naazuk ho chuki thi.. aur dil ki dhadkan itni fast chal rahi thi. k saans aur dil ki dhadkan ki awazen apas me mil kar ik naya hi sound create kar rahi theen..


khud ki zindagi ko bachane ke liye abhi humne ek hi padao paar kiya tha aur hamari ye halat ho gai thi...... abhi aur na-jaane kitne aise hi padao hamari raah me aane wale the.. ya ye kehna sahi rahega... k jo padao humne paar kiya tha.. wo sabb se aasaan tha.. abhi aage har aane wala padaao hamare liye nayi nayi museebtein khadi karta rahega...

guards ke paas se bach kar kar nikal jaane ka matlab ye nahi tha k hum abb har taraf se safe ho gaye the....

is jungle se bach nikalna hi sabbse badi baat thi.. koi bhi sahi se nahi jaanta tha.. k in jungle me maut ke kitne jaal bichhe huye hain .. aur kis ke naseeb me kitni khoof-naak aur bhayankar maut likhi hui hai..

agar jungle ko kisi tarha se paar kar bhi liya jaye to .. jungle ko paar karte hi firse basti ke guards humen pakad lenge...... abhi hamare liye an-nigat maut ke jaal the aur humen sabb se bach kar nikalna tha......

abb pata nahi waqt ne hamare liye kuch likha hua tha... hum chaaron hi beech jungle me maare jayenge.. ya sabb hi bach jayenge.. ya humme se koi ek kamm ho jayega...

nahi..nahi..humme se koi kamm nahi hona chahiye.. kitni chahat hoti hai har kisi ko khud ki jaan bachane ki.. harr kisi ke dil me armaan hote hain zinda rehne ke liye bhi aur apne ghar walon ke liye ik khushiyon bhare lamhaat laane ke liye bhi..

sanjay aur zaheer ke ghar waloon ka pata nahi kya hua hoga.. dono yahan zindagi aur maut ki kash-makash me phanse huye the.. aur udhar unke ghar waloon ke saath na-jaaane kya kuch ho chuka hoga.. apne jigar ke tukdon ko poore desh me dhoond rahe hoonge......

aur main .......... mera kaun tha .. jo mujhe dhoondta.. aur agar kisi ne mujhe dhoonda bhi hoga....... to abb takk thak haar kar baith gaya hoga....

main abhi takk laa-waaris hi tha.. (fir kuch soch kar mere andar hi ek dard bhari muskan aa gai)

main ye soch raha tha k kahin main isi jungle me laa-waaris hi na marr jaaon..


*******************************************************************************
Nice update
 

tpk

Well-Known Member
12,757
17,371
228
Update :::::::::::::1
*****************



Maa mere saamne apni zindagi ki aakhri saansen le rahi thi... maa ka acident hua tha . kuch dard-mandon ne maa ki help karte huye ambulance ke liye call kardi thi. maa ko kuch hosh aaya to maa ne baya diya .. k wo kahan rehti hai aur kiss se milna chahti hai ...

isliye main theke-daar aur apne kabile ke kuch logon ke saath maa se milne hospital pohnch gaya tha ...

maa apni ukhdi hui saansen liye mujhse baat karne ke liye bolne lagi.. to

doctor:- is aurat ke paas time kamm hai .. isliye ye is ladke se baar karna chahti hai to aap sabb please bahar chale jayen...

theke-daar aur baaki sabb ko majbooran bahar jaana pada...

maa:- raja beta (ruk kar apni atakti saans par kaabu paane ki koshish karte huye)
raja beta tu mm mera beta nahi hai .... itna bolte hi maa ki saans phool gai. aur main ye sun kar bada heran hua k maa aise kyun bol rahi hai ...

raja :- maa tum apse kyun bol rahi hoo..??

maa:- raja beta mere paas samay nahi hai. tu kuch matt bol.bas meri baat sun...

itna bol kar maa firse ruk gai aur ukhdi ukhdi huye saansen lene lagi ..

maa:- raja koi tumko mujhe de ggg gaggggg

bass maa ka bolna band ho gaya tha .. lekin fir bhi maa kuch ishara de rahi thi. wo apne hath ko uthaane ki koshish karne lagi .. lekin unke hath bhi kaam nahi kar rahe the.
maa dukh se mujhe dekh rahi thi .. unhe apni baat poori karne ka moka nahi mill raha tha .. maa mujhe bata dena chahti thi. k main unka beta nahi hoon .. main kaun hoon aur meri pehchan kya hai...

chand hi paloon me maa ke chehre par maut ki zardi .. aur mujhe mere baare me sabb na bata paane ka dard aur ik aass bhi thi unke marte huye chehre parr .. k shayad main unke ishare ko samajh loon .... pata nahi maa kiss taraf ishara kar rahi thi. mujhe kuch smajh nahi aa rahi thi..

maa bass apne seene ko bed se uthaaye apne aakhri atke huye saans se saath mujhe an-ginat bhav ke saath dekh rahi thi....

main maa ka beta nahi tha .. lekin unho ne mere liye itna kuch kiya tha k mujhe kabhi laga hi nahi k ye aurat meri maa nahi hai ... main unse bohat pyaar karta tha... aur maa bhi mere liye kuch bhi kar jaati thi ..

maa bhikaari thi aur meri real maa bhi nahi thi.. fir bhi mujhse itna pyaar ..

maa atke huye saans ke saath ankhen namm liye mujhe dard....pyaar..aass..dukh...mujhse judaai ka gham....apni maut ka dard.. seene me atke akhri saans ki pain....

kya baaton maa ki kyaa halat thi...

maa achanak ek jhatke se bed par giri.... maa ka akhri atka hua saans bhi unki aatma ke saath hi nikal gaya ............ aur maa mujhe chhod kar chali gai ..
main pehle bhikaari maa ka beta tha .. abb jabb maa ne mujhe bataya k wo meri maa nahi hain .. to maa mujhe laa-waris chhod kar is dunya se chali gai theen.

abb mujhe kaun batayega k main kaun hoon .........

*************************************************************

maa ka akhri waqt aur wo jo mujhe batana chahti theen. mujhe harr raat hi yaad aata rehta tha.. meri ankh hi nahi lagg rahi thi...
khud ko talash karna bhi zaroori tha mere liye ...
lekin pehle main dunya se apne jeene ka haq to chhen loon ...
jo mujhe jeene hi nahi de rahe the ... ek daldal se niklaa to doosri daldal me ja kar phans gaya tha ...........

****************************************************************

Mera Naam Raja Hai Aur Meri Age Is Waqt 19 saal hai:::!!!!!!!


Jahan is waqt main mojood tha ... Wo Ik Island Tha ........


aur is island par phanse huye mujhe 7 saal ho gaye the ... main ..... saal ka tha jabb mujhe yahaan kidnap karke laaya gaya tha ..

main to ye bhi nahi jaanta tha. k ye island kaunsa hai aur kahaan par hai ... india me hai yaa india ke baahar .....

main yahan akele nahi tha ... meri hi tarha aur bhi 1000 ke kareeb bachhon aur jawaanon ko aghwa karke laaya gaya tha ..... sabhi se yahaan par jabri mushaqqat karwaai jaati thi ... aur jo jabri mushaqqat ke liye nahi maanta tha.. hunter se maar maar kar uska sharir udhed diya jaata ... kisi ke liye aur koi option hi nai tha ...

yahan se bach kar nikal paana mumkin hi nahi tha ...
nice start
 

tpk

Well-Known Member
12,757
17,371
228
update :::: 2
************



meri ankhon ke saamne hi 100+ qaidi maare jaa chuke the.. aur unki maut itni bhayan-kar hoti thi k marrne wale ki maut ka manzar dekh rahe saare hi qaidi aisi maut ki kalpana se apne andar ka sabb kuch ulat kar bahar nikaal dete the ...

yahan kuch aisa tha jo illegal tarike se kiya ja arha tha .. Minerals ki kuch khaas qualities yahan par paai gai theen. kuch bade bade logon ne is island par apna qabza jamaya hua tha ..jabran bachon aur jawaano ko utha kar yahan laaya jaata aur fir unse mushaqqat karwaai jaati thi ...


1000+ qaidiyon me ek main bhi tha ... main .... age me hi apni basti se bhaag nikla tha .... wahan ki life bhi mere liye kisi daldal se kamm nahi thi ... isliye main wahan se bhaag nikla tha .. lekin bhaag kar in haramzaadon ke chungal me phans gaya ...


ye island bhi mere liye daldal se kamm nahi tha ... pichhle 7 saalon se main soch raha tha k yahan se kaise bhaagon ... parr bhaagne ka koi bhi raasta nahi mil paa raha tha ......

aksar jabb koi sea ship aata to uspar minerals laod karne ke liye sahil dekhne ko mil jaata tha ... lekin us ke ilawa kabhi bhi hum samandar ke paas tak nahi pohnch sakte the ..... humen hamare ilaqe se nikalne ki ijazat nahi thi .. aur risk bhi kaun le .. ek galti aur aamta phurrrrr se sharir se alag ho jaayegi ....

jabb kabhi bhi sahil parr jaana hota .. to door door tak samandar ke paani ke siva kuch nahi dikhta tha ...

bass bohat door ek aur island nazar aata tha .. main aksar socha karta k yahan se kisi tarha bhaag nikloon ... aur us island par jaa pohnchoon .. shayad mujhe meri manzil kahi mil hi jaaye ...

in saath saalon me main kabhi bhi is island ki life ka aadi nahi hua tha .. aur na hi kabhi main hunter ki maar khana chahta tha ... main bass shaant reh karr harr waqt yahan se bhaag nikalne ke baare me hi sochta rehta tha ...

ye island 10 kilometer chauda aur 20 kilometer lamba tha ... yahan island ke doosre kinaare par ek basti thi .. is poore island ka malik ek tha yaa kai log .. main nahi jaanta tha .

haan parr yahan ke poore island par inki hi hakumat thi ..

saamne samandar tha ... basti ki taraf agar jaayen .. to ek bhayan-kar jungle se guzarna padta tha .... jungle me se bhaag nikalna aasaan nahi tha .. kai qaidiyon ne us jungle se ho kar bhaagne ki koshish ki thi .. lekin wo bach na sake .. ek to jungle kai kilometer takk phaila hua tha .. jahan kai taha ke jaanwar aur doosre khatre bhi the ....

daldal aur zahreele kaante bhi the us jungle me .. aksar qaidi us daldal aur zahreele kaanton se bach bhi jaate the .. lekin fir maare bhook aur piyaas ke wahi jungle me marrne lagte the .... kuch aisi bhi the jo jungle se bach kar nikal bhi jaate the .. lekin jaise hi jungle se bahar nikalte ... to guards unka sawagat karne ke liye wahi mojood hote the..

jungle se bach nikalne wale to jungle me reh kar hi marne wale ho chuke hote the . lekin fir bhi guards unko khoon-khaar kutton ke aage daal diya karte the ..

matlab aaj tak yahan se koi bhi bhaag nikalne me kaamiyaab nahi ho paaya tha ...

aur main sabb jaante huye bhi k yahan se bhaagna matlab apni maut ko waqt se pehle bulaana hai ... fir bhi koshish me laga hua tha ....
**********************************************************

jabb se main jawaan hua tha. khul kar naha bhi nahi paaya tha ... aur poore jism par jahan jahan baal the.... wo bhayankar had takk lambe ho gaye the ...

saara din hath me hathoda hota aur oopar suraj ki aag barsaati dhoop .. hathon ko to adat pad chuki thi ... hathoda chala chala kar lekin dhoop me kaam karna aur phir kabhi nahane ko na milna .. sarr ke lambe baalon ki waja se dhoop se bachat to ho jaati thi.. lekin chehre par ugg aane wali be-dhangi daadhi ki waja se bohat uljhan hoti thi .. paseene ki waja se chip-chapa sa lagne ki waja se damag to kharab hona hi tha .. aur sabb ke zayada jiss baat se pareshani hoti thi ..

wo thi armpit aur lund ke lambe baal.. saale abb to moot'te huye bhi lund ko baalon me se nikal kar mootna padta tha. itne bade baal ho gaye mere lund ke.

jitna waqt beet chuka tha ..aise hi halaton ka aadi to hona hi tha .. lekin paseene ki waja se jo chip-chapahat hoti .. uski waja se saara din hi bechaini me guzarta tha.. lekin hum kuch kar bhi to nahi sakte the ..

kai baar complain bhi ki k kamm se kamm humen kisi hadd takk to insaan rehne do .. lekin hunter ki maar hi milti khaane ko ..

shuru shuru me sabb se k saath hi kisi hadd takk kuch behtar bartao kar liya jaata tah .. lekin maine bataya naa k aksar qaidi yahan nahi rehna chahte .. to bhaagne ke chakkar me doosron ke liye bhi milne wali sahulat khatam karwa baithte the...

bhaagne wale qaidi kabhi samandar ke sahil par nahane ke bahane bhaag jaate ..to kabhi apne kaam me laane ke liye ustra chhupa lete the .. jis waja se aksar yahan
jhadpen bhi ho jaati theen ..

guards ne tang aa kar sabb qaidiyon ke saath sakhti karni shuru kardi .. aur humen insaan samajhna bhi chhod diya .....

yahan kisi se baat karne ki ijazat nahi thi .. kyunki guards kisi ko bhi koi planning karna ka chance nahi dena chahte the .. na qaidi plan bana kar bhaagen aur na hi marte jayen.
aise hi to nahi wo harr baar qaidiyon ko maarna shuru kar den .. badi mehnat se qaidiyon ko yahan laaya jaata tha ...


lekin maine fir bhi maine do ladkon ko apne saath mila liya hua tha .. unko bhi apne saath hi main bhaga kar le jaana cahhta tha .. akela bhaagna riski tha.

aur wo bhi mere saath ek baar bhaagne ka chance zaroor lena chahte the .. yahan reh kar zindagi bhi to kisi kaam ki nahi thi ..

koshish karne me harj hi kya tha .. zaroori to nahi jo bhaagne ke chakkar me pehle sabb maare gaye the .. to hum teeno bhi maare jaayen .. sabb ki kismat apne apne saath hoti hai ..

ek ka naam sanjay tha. aur doosre ka naam zaheer tha. sanajy ko yahan aye 4 saal ho gaye the.to zaheer ko 3 saal ho gaye the.. aur wo dono hi buzdil nahi the ..
wo bhi meri hi tarha kisi ko dhoond rahe the apne saath milane ke liye .. aur fir dono ko mujhse behtar koi kaise mil sakta tha ..

is'se pehle bhi bhaagne walon ne mujhe apne saath milaane ki koshish ki thi .. lekin maine kisi ka saath nahi diya tha .. kyunki mujhe un sabb me wo nahi dikha jo mujhe sanjay aur zaheer me dekhne ko mila ..

zaheer ek middle class family se belong karta tha. to sanajy ek raees baap ka beta tha .. bass ek raat ghar late ho jane ki waja se dhar liya gaya ... sansaan raod par sanjay ki gaadi kharab ho gai thi .. aur fir usay wahi log mil gaye .. jin logon se mujhe kidnap kiya tha ..

dono hi jeedaar the. marne se darrne wale nahi the..dono hi achhi sehat ke maalik the .. aur yahan reh kar saari zindagi nahi guzarna chahte the ..
agar kuch guards ko maarna bhi pade to peeche hatne wale nahi the ...

ek din maine in dono ki planning sun li thi .. to

sanjay :- raja tumne sabb sun hi liya hoga .. k uhm yahan sebhaagna chahte hain. raja tum hi humen ek aise insaan lagte ho. jis ke saath mil ka hum yahan se bhaag sakte hain ..

zaheer:- haan raja hum jaante hain k tum yahan ke baare me humse zayada jaante ho . tum bhi yahan se bhaagna chahte ho aur tumne zaroor koi achhi planning bhi soch rakhi hogi ..


main haste huye ..

raja:- tum dono ne sahi andaza lagaya hai . main bhi yahan se bhagna chahta hoon lekin stupid qaidiyon ke jaise nahi .. k bhaagne ke chakkar me maara jaaon .. kuch din yaa mahino aur sahi lekin soch samajh kar hi bhaagonga ....

sanjay:- raja humen matt bhool jana humen bhi apne saath le jaana. yaar pata nahi mere ghar walon ka ka hua hoga .. mere judaai ko kaise sehn kar pa rahe hoonge ..

zaheer ne achanak se sanjay ka mohn band kar diya. kyunki guards aa rahe the.
to hum teeno jaldi se alag ho gaye ..

is baat ko bhi aaj 2 mahine ho chuke the . aur waqt milte hi hum teeno aage ki planning karne lag jaate the ....

main sabb halaat par nazar rakh raha tha. jungle ke raaste jaana hai ya fir samandar ke raaste doosre island parr.... island ke doosri taraf basti ke ilawa aur bhi koi island hai ya nahi ye main nahi janta tha.. basti ka bhi bass pata isliye chal gaya tha. k jo qaidi jungle se guzar kar us basti ki taraf pohnchte the. to baatein phel jaaya karti theen.

risk dono taraf se hi tha.. abb main tair kar to doosre island par ja nahi sakta tha. to abb jungle ke ilawa koi chance nahi tha.

maine kai baar koshish ki thi k kisi tarha se kisi ship ya boat me chup jaaon. lekin har kuch der baad ki counting ki waja se main ye chance nahi le paaya tha.
warna main to kabb ka yahan se bhaag chuka hota ..... maine kaha k main stupid bann kar yahan se nahi bhaag sakta tha. jaan ko khatra ho bhi to liya ja sakta hai. lekin jaan boojh kar phans jana mujhe gawara nahi tha. jungle ke baare suna tha. k bohat hi khatar naak hai kein chance to liya hi ja sakta tha. abb yahan se bhaagna hai to fir sochna kamm aur karna zayada tha.

7 saalon se main soch hi to raha tha. abb karne ka time aaya tha to peeche hattna sahi nahi tha. abb nahi to fir kabhi bhi nahi. yahi soch kar maine sanjay aur zaheer ko green signal de diya.

mere signal milte hi dono ke dil ki dhadkan badh gai. aur unke chehre josh se bhar gaye. unho ne guards se chhupa kar mujhe thumbs up kiya. aur apne kaam me lagg gaye......

maine kuch tayari ki hui thi . to kuch zaheer aur sanjay ne bhi ki thi. humen jungle ke raaste ke liye torch aur chaku rassi zaroor chahiye the. jungle me is ki badi zaroorat pad sakti thi. khaane ke liye to kuch le kar ja nahi sakte the. kyunke pehle 0.5 kilometer bhaag kar jaana padta tha. aur pahadi ilawa tha. khaane ko sambhalte ya fir khud ko .. khane peene ke liye jungle me hi kuch dekha jayega... akhir aur bhi to kahi qaidi jungle se bach nikle the. matlab kuch to tha wahan unke pet bharne ke liye aur unki piyaas bujhane ke liye ..

********************************************************************************

aaj hum teeno hi yahan se bhaagne wale the.

jahan hum kaam kar rahe the. wahan hum 200 ke kareeb qaidi kaam kar rahe the. aur un 200 ke oopar 20 guards gun le kar nigrani me lage huye the.

zayada tar qaidi underground surag me kaam kar rahe the. aaj hamari duty oopar lagi thi.
lunch time takk hum kaam me lage rahe. fir humen khaane ke liye diya gaya.

guards bhi lunch kiya karte the. lekin is beech 3 guards pehre par rehte the. wo baad me lunch kiya karte the . ek guard hamari wali side hota to baaki do doosri taraf ... sabhi guards ke hath me machine gun hoti theen.

sanjay raees baap ka beta tha. to us ne gun chalani seekhi hui thi. lekin machine gun kabhi nahi chalaai thi. lekin sanjay confident tha. k agar usay machine gun chalani pad gai.. to wo koshish zaroor karega.

abb yahan harr ek cheez me risk tha. to fir zayada sochne ki zaroorat nahi thi.

hum apna khana le ke ik chattan ke peeche chale gaye. wo jaga guards se zayada door nahi thi.abb hum khule me to koi chance le nahi sakte the. agar guard kisi tarha se chattan ke paas aa jaye. to hum usay kaabu me karke maar sakte the. aur yahan se guard ke cheekhne ki awaz bhi doosre guards tak nahi pohnch paayegi. is liye maine zaheer aur sanjay ko sabb samjha diya tha.

jabb hum chattan ke paas lunch ke liye baithe. to lunch humne jungle ke liye bacha liya. abb yahan se bhaagna tha to. hum khali pet hi sahi se bhaag sakte the. bhare huye pet se bhagna matlab pakde jaane ka khatra.

aur fir humen jungle me khaana mile na mile.. wahan kaam a sakta tha.

hamare baithne ke 3 mint baad hi zaheer aur sanjay aaps me ulajh pade. hamare ulajhne ki awaz se guard bhaagta hua hamare paas aaya.

guard:- (machine gun ko hamari taraf seedha karte huye) chhodo ek doosre ko warna main tumko yahi bhoon kar rakh dunga. haramzaade lunch ke time bhi ladne lag jaate hain.

guard ka fasla mujhse 5 feet tha. aur main yahan se us par hamla nahi kar sakta tha. sanjay ne ek tirchi nazar se guard ko dekha aur fir kuch feet aur zaheer ko ghaseet'te huye le gaya. guard ko ghussa aa gaya.

guard:- kutte ke bachho ruk jaao. nahi to yahi maare jaaoge. aur yahan tum jaison ko maarne ke liye mujhe sochne ki zaroorat bhi nahi hai.

ye bolte hi guard thoda sa aage aaya to maine der ne karte huye uske gun wale hath ko pakad kar oopar kar diya. bass fir sanjay aur zaheer ne palak jhapakte hi mere sath mil kar guard ko kaabu kar liya.

guard trigger dabane hi wala tha. k maine uski gardan hi tod di...

sanjay aur zaheer ne jab guard ko kaabu kiya to maine der na karte huye. gaurd ki gardan ko kaabu me kar liya tha. abb saara din hathoda chala chala kar badan bhi lohe jaisa ho gaya tha. aur hath hathoda jaise. to guard ki gardan ke tootne me der nahi lagi.

humne jaldi se guard ki talashi li aur jo kuch bhi uske paas se mila. le kar pahadi ki doosri taraf ko bhaag liye. sanjay ne machine gun aur uski goliyon wali belt bhi saath le li thi.

jabb guard sanjay aur zaher ki jhadap se hamari taraf aaya tha. to kuch fasle par 5 aur bhi qaidi baithe the. wo humen hi dekh rahe the. haamre bhaagte hi wo bhi uth kar hamare peechhe bhaagne lage.

saalon ke bhaagne ki waja se doosre door khade do guards ka dhayan bhi hamari taraf ho gaya. aur fir un dono ne wahin se machine gun ka rukh hamari taraf kar trigger daba diya...

dhad..dhad..dhad..dhad..dhad..dhad..dhad..dhad..dhad..dhad.. ki awaz se saare hi guards lunch chhod kar apni guns uthaye hamari taraf aane lage.

hamare peechhe bhaagne wale stupid qaidi wahi maare gaye. aur humen lagne wali goliyan un qaidiyon ko lag gaeen. bass un me se ek bacha saka . wo bhi bhaagta hua hamare peechhe ho liya. pahadi se utarna aasan nahi tha. lekin jaan bachana bhi zaroori tha.

agar 5 qaidi na bhaagte to 20 mint tak kisi ko hamare baare pata hi nahi chalna tha. kameno ne humen marwaa diya tha. abb bass kismat se hi bach sakte the.
********************************************************************************
zabardast
 

tpk

Well-Known Member
12,757
17,371
228
Update :3
**********



Un paanch stupid qadiyon ki waja se aaj ham teeno ki zindagiyan maut ki dahleez par aa hi chuuki thi..na wo hamare peeche bhaagte aur hi kisi ko hamare bhagne foran hi pata chalta .

abb is cinfirm maut se bachna hamare liye mumkin nahi tha.abb to bass oopar wale ki hi madad se hum bach sakte the.agar ladai hathon se hoti to main itni marne wala nahi tha...
Lekin yahan to machine guns ki goliyon ki barish hi shuru ho gai thi. Aur yahan se hamara bach nikalna mumkin nahi tha . Bass kudrat ne agar hamari zindagi likhi hai. To hi hum bach sakte the.

Warna hamare paas hamari hi zindagi bachane ke liye koi raasta nahi tha.
Haan sanjay ke paas ek machine gunn zaroor thi.. lekin wo usay chala nahi sakta tha.


haan parr wo koshish to zaroor karega. hum aise hi to nahi khud ko maut ke hawale karr sakte the..

Hum teeno ke peeche bass ek hi qaidi bach kar aane me kaamiyaab ho paaya tha.
Goliyon ki baarish se bachte huye hum ek chattan ki aad me pohnchne me kaamiyaab ho gaye the.. bhagwan ne ek baar humen bacha liya tha lekin ..



Lekin yahan se jungle takk ka faasla 400 meter ka tha.. aur is fasle ko khatam karna abb hamare liye mumkin nahi raha tha . Guards kisi bhi lamhe hum tak pohnch sakte the.
pehle Hum teen the lekin abb chaar ho gaye the.


Hum phanse to the lekin khud ki nahi dosore bewaquf qaidiyon ki wana se phanse the.. 4 marr gaye the wahin bhaagte huye .. ek bach gaya tha .. galti to uski bhi thi .. humen us parr ghussa hona chahiye tha .. lekin

jaan bachane ka haq sirf hum teeno ko hi to nahi tha.agar hamare saath ek aur qaidi agar mil bhi gaya tha to hum bura kaise maan sakte the.
Akhir wo bhi to hamari hi tarha yahan par jabran qaid kiya gaya ek insaan hi tha.

chattan ki aad me aate humne kuch lamhe zaya kiye apni tez chal rahi saanson ko kaabu karne me.. Lekin hamare pass zayada samay nahi tha to


Raja:- Sanjay tum machine gun chalo lo ge naa abb hamare paas is machine gun ke siva koi aur option nahi hai....


images
Sanjay:-(tez saasn lete huye) Raja gun ka experience to mujhe hai lekin ye machine gun bohat hi heavy hoti hai to is ka jhatka bardasht karna sabb se mushkil kaam hai..


Raja:- Sanjay abb hamare paas time nahi hai zaaya karne ke liye..Guards kuch hi pall me yahan pohnchte hi honge. to koshish karo. Aise hum koshish kiye bagair to nahi bach paayenge. warna yahi maare jayenge....
Aur tum to jaante hi ho . Abb agar hum pakde gaye .to hamari kaisi bhayankar hogi.. Isliye kutte ki maut marrne se behter hai k koshosh kar li jaye.

Fir maine zaheer se kaha.


Raja:- Zaheer saans baad me bahaal kar lenege.. abhi tum chattan se jhank kar dekhte raho. Jaise guard paas ayen to mujhe batana.kahi aisa na ho k hum apas me mashwara hi karte reh jayen. Aur wo guards sarr parr pohnch jayen...

Zaheer.:- haan theek hai.. me dekhta hu.


Ye bol kar zaheer chattan se jhankne laga .
Naya ladka khud hi chattan ke doosri taraf se jhankne laga..


download-1

Sanjay ne machine ki belt ko apne gale se guzarte huye machine gun ko firing style me pakad liya. hath me machine gun liye sunjay ek dumm daaku hi lagg raha tha.
Sarr aur daadhi ke lambay baalon ki waja se hum teenu to waise hi daaku hi dikhne lage the. parr machine gun ki waja se sanjay sach me hi ek daaku hi lag raha tha. Sanjay ke chehre parr ghabrahat thi.pehli baar itni khaatr-naak machine gun jo hath me pakdi hui thi. aur fir koi experience bhi nahi tha.. aur oopar se lagne wale jahtke ne sanjay ko bohat hi nervous kiya hua tha.. aisi situation me sanjay ki halat kharab to fir honi hi thi..

Hamare peeche 20 ke kareeb guards aa rahe the. Aur sabhi ke paas bhi machine guns hi theen.aur wo sabb ke sabb expert bhi the lekin hamare paas ek machine gun thi aur humen chalani bhi nahi aati thi.


Abb oopar wala hi humen bacha sakta hai.warna aisi condition me itna dumm kahan tha humme.hum koi peshawar gangster nahi the... Hum to sirf ek mazdoor ya phir qaidi the.


Raja:- Sanjay ek chhota sa round chala kar dekh.isse do kaam ho jaayenge.

Ek to guards ka aage badhna ruk jayenga.. aur doosra
tum khud ko test bhi kar loge..

Sanjay confuse to tha hi lekin usay meri baat bhi sahi lagi.aur yahan sochne ka time nahi tha..


Sanjay:-Theek hai main koshish karta hoon tum bass mujhe peeche matt girne dena . Bohat zor ka jhatka lagega mujhe.kahi aisa na ho k balance bigad jaaye aur hum apni hi goliyon se maare jaayen.


Raja:- zaheer wo guards kiss taraf aur kitni door hain..


Zaheer:-mera khayal hai k wo bhi choti choti chatton ke peeche chupte huye aa rahe hain . Waise wo seedhe hamari taraf aate to abb takk hum tak pohnch chuke hote. zaroor unhe hamare pass mojood machine gun nazar aa gai hogi.


Raja :-phir to badi gadbad ho jayegi..humen to pata bhi nahi chalega aur Wo hamare paas pohnch jaayege..

Main aas paas dekhne laga kahin hamare liye koi aur safe jaga hai ya nahi..
mujhe kuch faasle parr ek aur chattan nazar aai . Agar hum kisi tarha us chattan tak pohnch jayen.. to wahan se jungle tak hum jaldi aur safe pohnch jaayenge...
lekin us chattan takk pohnchna hi jaan hatheli parr rakhne ke barabar tha. guards ke samne se bhaagna tha humen.. aur is ke ilawa koi option nahi tha... agar guards ne goliyaan chalaai to lamhon me hi hum seedha oopar pohnch jayenge..

Lekin abb is ke ilawa koi option bhi nahi tha.. aur chance liye bagair hum bachne wale nahi the....... yahan bethe bhi maut thi to bhaagne me bhi maut thi.. lekin zindagi ko bachane ke liye kuch to karna hi tha...


Raja:-Sanjay tum ek chota round fire karo .unhe bhi pata chale k hum takk pohnch paana unke liye assan nahi hai ..


Sanjay himmat karke chattan ki ik side aaya aur jis taraf se kych guards dikh rahe the us taraf ek round fir karne ke liye ready ho gaya..main sanjay ke peeche usay support dene ke liye khada ho gaya.
Maine sanjay k peeth parr apne dono hathon ka dabao badha diya tha aur sanjay ne bhagwan ka naam le kar guards ki taraf machine gun karke trigger daba diya..


Dhad...Dhad...dhad...dahd..dhad.dhad .........ki awaz goonji aur


maxresdefault

door 2 guards ki cheekhon ke saath hi sanjay ki bhi cheekh nikal gai ...

Sanjay:-(cheekhte huye)mera kandhaaaaaaa.....


Jitna maine socha tha machine gun ka jhatka us se bhi badh karr jhatke-daar tha. ek baar to main bhi hill gaya.. mere saamne sanjay tha to uski kya halat hui hogi... maine sanjay ko suport de kar neeche bithaya ayr fir jaise hi meri nazar sanjay ke Kandhe parr padi to mujhe shock laga k sanjay ka kandhaa apni jaga se hi hill gaya tha...


Raja:- Sanjay tumne nishana to sahi lagaya hai. Kakin lagta hai hai k jhatke ki waja se tumhara kandha utar gaya hai. Lekin abhi humen machine gun ki zaroorat hai aur isay abb kaun chalayega .


Sanjay karahte huye:- Raja mujhse jitna ho saka maine ka diya abb tumhi batao main kya kar sakta hoon ab to main bhi zakhmi ho gaya hoon aur abb mujhse ye machine gun nahi chalegi.
....

Zaheer aur doosra ladka bhi hamare paas hi aa gaye the..


raja:-tum dono yahan matt ruko abhi khatra tala nahi hai.aur wo kisi bhi waqt yahan aa sakte hain.
Dono hi apni jaga par wapis pohnch gaye. Aur fir dono ne hi bataya k guards ki movement ruk gai hai.


Raja:- Sanjay mera jims machine gun ka jhatka seh sakta hai.. kya main ise chala sakta hoon.dekho sanjay abb humen time waste karna chahiye. Wo saamne jo badi chattan nazar aa rahi hai agar hum wahan us chattan ke peeche pohnch gaye to bach sakte hain. Bass ek aur chhota sa round fire karte hi hum sabb us chattan ki taraf bhaag padenge.agar zindagi hui to bach jaayenge. Warna yahan to yakeeni maut hai.
aut agar hum us chattan ke peeche pohnch gaye to hamare liye khatra khatam ho jayega.... kya kehte ho...

sanjay:- raja humme sabb se zayada dumm tumme me hai aur tumne jo bhi kaha hai wo bhi thek hai.. sach me hi harame paas na to koi aur raasta hai aur hi time....
tum machine gun ki belt ko apne gale me daalo. jaan bachane ke liye himmat to karni hi pardegi..

sanjay dard ke maare tadap rha tha.. ek baar phir se machine gun ka trigger dabana uske liye mushkil tha.. kandha jo hill gaya tha.. lekin is bar wo jhatke se bach jayega.. kyunki

maine machine gun ki belt ko sanjay ke jaise apne gale me daal liya abb sanjay ki tarha main bhi daaku lagne laga tha.


Raja:-Sanjay tum bass mujhe kuch guide karo zaroori nahi hai k nishana theek hi lage.tumse jitna ho sake utna meri help kar dena..humen to sirf Guards ko chakma de kar bhaagna hai..


Fir maine zaheer aur dosre ladke ko bhi bula kar sabb samjha diya.


meri baat sun karr Dono ke hi paseene chhotne lage lekin iske siva koi aur chaara bhi to nahi tha.


Sanjay meri help ke liye khada ho gaya tha lekin sanjay ka chehra dard ke bhav ki waja se laal hone lagg gaya tha. Kuch zayada hi chot lag gai thi sanjay ko.


Fir maine sanjay ki madad se kuch faasle par dikh rahe 4 guards parr ek round fire kar diya.

Sanjay apne dard kar rahe kandhe ko nazar andaz karte huye trigger dabane laga..

is baar sanjay ke saath meri bhi cheekh nikal gai thi.

Is baar firse do guards nishana bann gaye the.mere fire karte hi zaheer aur doosra ladka us badi chaatan ki tataf bhaag khade huye the.
Sanjay aur main bhi apne dard ko nazar andaaz karte huye usi chattan ki taraf bhhagne lage.
Hamare fire karte hi aur firse do guards ke marne se baaki ke guards chattan ke peeche chup gaye. Is beech humne moke ka fayda utha kar apni manzil ki taraf bhaagna shuru kar diya tha.


Zaheer aur chotha ladka bohat tez bhaag rahe the. Hum bhi dono ke peeche peeche bhaagne lage...
Hum charon hi jaan tod koshish se bhagte huye badi chattan ke paas pohnch gaye the lekin abhi bhi hum safe nahi the.


download

Itna time kaafi tha guards ka khud ko sambhalne ke liye.. aur fir jaise hi unki nazar hum par padi to firse hum parr goliyon ki barish barsaane lage.

4th ladka badi chattan ki add me pohnch gaya tha.. hum teeno hi peeche reh gaye.
main sabb se peeche tha.. aur mere gale me machine gun waise hi latak rahi thi.. maine usay chhoda nahi tha.... meri nazar saamne hi thi.. aur fir jaise hi maine zaheer ko dekha to

Pata nahi kyun lekin zaheer ki speed kuch kam ho gai thi.warna wo bhi us 4th ladke ke sath hi pohnch jaata. zaheer ko sust padte dekh kar main ruk gaya aur fir machine gun ka rukh guards ki taraf kar diya..


Mujhe koi experience nahi tha machine gun chlaane ka ..

lekin khud ki jaan bachane ke liye kuch to karna tha. Aur yahan ye bhi zaroori nahi yha k guards ko nishana hi banaaya jaaye. Unko uljhaane ke liye maine himmat karke ek bada round chala diya.


Screenshot-57

machine gun ke garajte hi meri halat kharab hone lagi.. abhi last jhatke ka dard bhi tha..... lekin wo sabb bhool kar maine machine gun ka trigger tab tkk vabaye rakhha . jabb tak sabhi guards ek baar phir se chup nahi gaye..

guards ki guns ke khamosh hote hi umen chattan ke peeche jaane moka mil gaya..
Chattan ke paas jaate hi maine machine gun ko apne gale se nikala aur apna kandhaa pakad liya.

Mera badan teeno se zayada strong tha. machine gun ka jhatka mujhse bhi bardasht nahi hua tha .lekin shukar hai k mera kandhaa salamat tha.warna main to samajh raha tha k mera kandha bhi sanjay ke jaise hi utar na gaya ho...


Raja. Yahan baithne ka samay nahi hai humen jald hi jungle me jaana hoga warna maare jaayenge. mujh samet Sabb ki hi zubaan kutte ke jaise bahar ko nikli hui thi aur abhi hamari saaans bahaal nahi hui thi lekin fir bhi bhaagna tha..
to hum himmat karke firse bhaag liye.is bar humen badi chattan ki aad mil chuki thi.. aur guards ke aane se pehle hi hum jungle me pohnch jaana chahte the..

jitna bada round maine fire kiya tha.. uski waja se guards kuch zayada hi dar gaye the...

is baar humen jungle me pohnchne me koi pareshani nahi hui. Jungle me kuch door jaate hi sabb dhadam se grass par gir pade....

hamara poora badan paseene ki waja se geela ho chuka tha. jaise hum bhaage na honn. balke kisi nadi me dubki laga kar aaye hoon...

hamari saans itni tez chal rahi thi k hamara seena saans ki waja jhatke pe jhatke khaa raha tha. hamari tez chal rahi saanson ki waja se jungle ki khamoshi toot gai thi..... hamare harr ik saans ke saans hi hamare andar se ek seeti jaisi awaz bhi nikal rahi thi...........

hum sabb ki halat bohat hi naazuk ho chuki thi.. aur dil ki dhadkan itni fast chal rahi thi. k saans aur dil ki dhadkan ki awazen apas me mil kar ik naya hi sound create kar rahi theen..


khud ki zindagi ko bachane ke liye abhi humne ek hi padao paar kiya tha aur hamari ye halat ho gai thi...... abhi aur na-jaane kitne aise hi padao hamari raah me aane wale the.. ya ye kehna sahi rahega... k jo padao humne paar kiya tha.. wo sabb se aasaan tha.. abhi aage har aane wala padaao hamare liye nayi nayi museebtein khadi karta rahega...

guards ke paas se bach kar kar nikal jaane ka matlab ye nahi tha k hum abb har taraf se safe ho gaye the....

is jungle se bach nikalna hi sabbse badi baat thi.. koi bhi sahi se nahi jaanta tha.. k in jungle me maut ke kitne jaal bichhe huye hain .. aur kis ke naseeb me kitni khoof-naak aur bhayankar maut likhi hui hai..

agar jungle ko kisi tarha se paar kar bhi liya jaye to .. jungle ko paar karte hi firse basti ke guards humen pakad lenge...... abhi hamare liye an-nigat maut ke jaal the aur humen sabb se bach kar nikalna tha......

abb pata nahi waqt ne hamare liye kuch likha hua tha... hum chaaron hi beech jungle me maare jayenge.. ya sabb hi bach jayenge.. ya humme se koi ek kamm ho jayega...

nahi..nahi..humme se koi kamm nahi hona chahiye.. kitni chahat hoti hai har kisi ko khud ki jaan bachane ki.. harr kisi ke dil me armaan hote hain zinda rehne ke liye bhi aur apne ghar walon ke liye ik khushiyon bhare lamhaat laane ke liye bhi..

sanjay aur zaheer ke ghar waloon ka pata nahi kya hua hoga.. dono yahan zindagi aur maut ki kash-makash me phanse huye the.. aur udhar unke ghar waloon ke saath na-jaaane kya kuch ho chuka hoga.. apne jigar ke tukdon ko poore desh me dhoond rahe hoonge......

aur main .......... mera kaun tha .. jo mujhe dhoondta.. aur agar kisi ne mujhe dhoonda bhi hoga....... to abb takk thak haar kar baith gaya hoga....

main abhi takk laa-waaris hi tha.. (fir kuch soch kar mere andar hi ek dard bhari muskan aa gai)

main ye soch raha tha k kahin main isi jungle me laa-waaris hi na marr jaaon..


*******************************************************************************
super update
 
Top