If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Un paanch stupid qadiyon ki waja se aaj ham teeno ki zindagiyan maut ki dahleez par aa hi chuuki thi..na wo hamare peeche bhaagte aur hi kisi ko hamare bhagne foran hi pata chalta .
abb is cinfirm maut se bachna hamare liye mumkin nahi tha.abb to bass oopar wale ki hi madad se hum bach sakte the.agar ladai hathon se hoti to main itni marne wala nahi tha...
Lekin yahan to machine guns ki goliyon ki barish hi shuru ho gai thi. Aur yahan se hamara bach nikalna mumkin nahi tha . Bass kudrat ne agar hamari zindagi likhi hai. To hi hum bach sakte the.
Warna hamare paas hamari hi zindagi bachane ke liye koi raasta nahi tha.
Haan sanjay ke paas ek machine gunn zaroor thi.. lekin wo usay chala nahi sakta tha.
haan parr wo koshish to zaroor karega. hum aise hi to nahi khud ko maut ke hawale karr sakte the..
Hum teeno ke peeche bass ek hi qaidi bach kar aane me kaamiyaab ho paaya tha.
Goliyon ki baarish se bachte huye hum ek chattan ki aad me pohnchne me kaamiyaab ho gaye the.. bhagwan ne ek baar humen bacha liya tha lekin ..
Lekin yahan se jungle takk ka faasla 400 meter ka tha.. aur is fasle ko khatam karna abb hamare liye mumkin nahi raha tha . Guards kisi bhi lamhe hum tak pohnch sakte the.
pehle Hum teen the lekin abb chaar ho gaye the.
Hum phanse to the lekin khud ki nahi dosore bewaquf qaidiyon ki wana se phanse the.. 4 marr gaye the wahin bhaagte huye .. ek bach gaya tha .. galti to uski bhi thi .. humen us parr ghussa hona chahiye tha .. lekin
jaan bachane ka haq sirf hum teeno ko hi to nahi tha.agar hamare saath ek aur qaidi agar mil bhi gaya tha to hum bura kaise maan sakte the.
Akhir wo bhi to hamari hi tarha yahan par jabran qaid kiya gaya ek insaan hi tha.
chattan ki aad me aate humne kuch lamhe zaya kiye apni tez chal rahi saanson ko kaabu karne me.. Lekin hamare pass zayada samay nahi tha to
Raja:- Sanjay tum machine gun chalo lo ge naa abb hamare paas is machine gun ke siva koi aur option nahi hai....
Sanjay:-(tez saasn lete huye) Raja gun ka experience to mujhe hai lekin ye machine gun bohat hi heavy hoti hai to is ka jhatka bardasht karna sabb se mushkil kaam hai..
Raja:- Sanjay abb hamare paas time nahi hai zaaya karne ke liye..Guards kuch hi pall me yahan pohnchte hi honge. to koshish karo. Aise hum koshish kiye bagair to nahi bach paayenge. warna yahi maare jayenge....
Aur tum to jaante hi ho . Abb agar hum pakde gaye .to hamari kaisi bhayankar hogi.. Isliye kutte ki maut marrne se behter hai k koshosh kar li jaye.
Fir maine zaheer se kaha.
Raja:- Zaheer saans baad me bahaal kar lenege.. abhi tum chattan se jhank kar dekhte raho. Jaise guard paas ayen to mujhe batana.kahi aisa na ho k hum apas me mashwara hi karte reh jayen. Aur wo guards sarr parr pohnch jayen...
Zaheer.:- haan theek hai.. me dekhta hu.
Ye bol kar zaheer chattan se jhankne laga .
Naya ladka khud hi chattan ke doosri taraf se jhankne laga..
Sanjay ne machine ki belt ko apne gale se guzarte huye machine gun ko firing style me pakad liya. hath me machine gun liye sunjay ek dumm daaku hi lagg raha tha.
Sarr aur daadhi ke lambay baalon ki waja se hum teenu to waise hi daaku hi dikhne lage the. parr machine gun ki waja se sanjay sach me hi ek daaku hi lag raha tha. Sanjay ke chehre parr ghabrahat thi.pehli baar itni khaatr-naak machine gun jo hath me pakdi hui thi. aur fir koi experience bhi nahi tha.. aur oopar se lagne wale jahtke ne sanjay ko bohat hi nervous kiya hua tha.. aisi situation me sanjay ki halat kharab to fir honi hi thi..
Hamare peeche 20 ke kareeb guards aa rahe the. Aur sabhi ke paas bhi machine guns hi theen.aur wo sabb ke sabb expert bhi the lekin hamare paas ek machine gun thi aur humen chalani bhi nahi aati thi.
Abb oopar wala hi humen bacha sakta hai.warna aisi condition me itna dumm kahan tha humme.hum koi peshawar gangster nahi the... Hum to sirf ek mazdoor ya phir qaidi the.
Raja:- Sanjay ek chhota sa round chala kar dekh.isse do kaam ho jaayenge.
Ek to guards ka aage badhna ruk jayenga.. aur doosra
tum khud ko test bhi kar loge..
Sanjay confuse to tha hi lekin usay meri baat bhi sahi lagi.aur yahan sochne ka time nahi tha..
Sanjay:-Theek hai main koshish karta hoon tum bass mujhe peeche matt girne dena . Bohat zor ka jhatka lagega mujhe.kahi aisa na ho k balance bigad jaaye aur hum apni hi goliyon se maare jaayen.
Raja:- zaheer wo guards kiss taraf aur kitni door hain..
Zaheer:-mera khayal hai k wo bhi choti choti chatton ke peeche chupte huye aa rahe hain . Waise wo seedhe hamari taraf aate to abb takk hum tak pohnch chuke hote. zaroor unhe hamare pass mojood machine gun nazar aa gai hogi.
Raja :-phir to badi gadbad ho jayegi..humen to pata bhi nahi chalega aur Wo hamare paas pohnch jaayege..
Main aas paas dekhne laga kahin hamare liye koi aur safe jaga hai ya nahi..
mujhe kuch faasle parr ek aur chattan nazar aai . Agar hum kisi tarha us chattan tak pohnch jayen.. to wahan se jungle tak hum jaldi aur safe pohnch jaayenge...
lekin us chattan takk pohnchna hi jaan hatheli parr rakhne ke barabar tha. guards ke samne se bhaagna tha humen.. aur is ke ilawa koi option nahi tha... agar guards ne goliyaan chalaai to lamhon me hi hum seedha oopar pohnch jayenge..
Lekin abb is ke ilawa koi option bhi nahi tha.. aur chance liye bagair hum bachne wale nahi the....... yahan bethe bhi maut thi to bhaagne me bhi maut thi.. lekin zindagi ko bachane ke liye kuch to karna hi tha...
Raja:-Sanjay tum ek chota round fire karo .unhe bhi pata chale k hum takk pohnch paana unke liye assan nahi hai ..
Sanjay himmat karke chattan ki ik side aaya aur jis taraf se kych guards dikh rahe the us taraf ek round fir karne ke liye ready ho gaya..main sanjay ke peeche usay support dene ke liye khada ho gaya.
Maine sanjay k peeth parr apne dono hathon ka dabao badha diya tha aur sanjay ne bhagwan ka naam le kar guards ki taraf machine gun karke trigger daba diya..
door 2 guards ki cheekhon ke saath hi sanjay ki bhi cheekh nikal gai ...
Sanjay:-(cheekhte huye)mera kandhaaaaaaa.....
Jitna maine socha tha machine gun ka jhatka us se bhi badh karr jhatke-daar tha. ek baar to main bhi hill gaya.. mere saamne sanjay tha to uski kya halat hui hogi... maine sanjay ko suport de kar neeche bithaya ayr fir jaise hi meri nazar sanjay ke Kandhe parr padi to mujhe shock laga k sanjay ka kandhaa apni jaga se hi hill gaya tha...
Raja:- Sanjay tumne nishana to sahi lagaya hai. Kakin lagta hai hai k jhatke ki waja se tumhara kandha utar gaya hai. Lekin abhi humen machine gun ki zaroorat hai aur isay abb kaun chalayega .
Sanjay karahte huye:- Raja mujhse jitna ho saka maine ka diya abb tumhi batao main kya kar sakta hoon ab to main bhi zakhmi ho gaya hoon aur abb mujhse ye machine gun nahi chalegi.
....
Zaheer aur doosra ladka bhi hamare paas hi aa gaye the..
raja:-tum dono yahan matt ruko abhi khatra tala nahi hai.aur wo kisi bhi waqt yahan aa sakte hain.
Dono hi apni jaga par wapis pohnch gaye. Aur fir dono ne hi bataya k guards ki movement ruk gai hai.
Raja:- Sanjay mera jims machine gun ka jhatka seh sakta hai.. kya main ise chala sakta hoon.dekho sanjay abb humen time waste karna chahiye. Wo saamne jo badi chattan nazar aa rahi hai agar hum wahan us chattan ke peeche pohnch gaye to bach sakte hain. Bass ek aur chhota sa round fire karte hi hum sabb us chattan ki taraf bhaag padenge.agar zindagi hui to bach jaayenge. Warna yahan to yakeeni maut hai.
aut agar hum us chattan ke peeche pohnch gaye to hamare liye khatra khatam ho jayega.... kya kehte ho...
sanjay:- raja humme sabb se zayada dumm tumme me hai aur tumne jo bhi kaha hai wo bhi thek hai.. sach me hi harame paas na to koi aur raasta hai aur hi time....
tum machine gun ki belt ko apne gale me daalo. jaan bachane ke liye himmat to karni hi pardegi..
sanjay dard ke maare tadap rha tha.. ek baar phir se machine gun ka trigger dabana uske liye mushkil tha.. kandha jo hill gaya tha.. lekin is bar wo jhatke se bach jayega.. kyunki
maine machine gun ki belt ko sanjay ke jaise apne gale me daal liya abb sanjay ki tarha main bhi daaku lagne laga tha.
Raja:-Sanjay tum bass mujhe kuch guide karo zaroori nahi hai k nishana theek hi lage.tumse jitna ho sake utna meri help kar dena..humen to sirf Guards ko chakma de kar bhaagna hai..
Fir maine zaheer aur dosre ladke ko bhi bula kar sabb samjha diya.
meri baat sun karr Dono ke hi paseene chhotne lage lekin iske siva koi aur chaara bhi to nahi tha.
Sanjay meri help ke liye khada ho gaya tha lekin sanjay ka chehra dard ke bhav ki waja se laal hone lagg gaya tha. Kuch zayada hi chot lag gai thi sanjay ko.
Fir maine sanjay ki madad se kuch faasle par dikh rahe 4 guards parr ek round fire kar diya.
Sanjay apne dard kar rahe kandhe ko nazar andaz karte huye trigger dabane laga..
is baar sanjay ke saath meri bhi cheekh nikal gai thi.
Is baar firse do guards nishana bann gaye the.mere fire karte hi zaheer aur doosra ladka us badi chaatan ki tataf bhaag khade huye the.
Sanjay aur main bhi apne dard ko nazar andaaz karte huye usi chattan ki taraf bhhagne lage.
Hamare fire karte hi aur firse do guards ke marne se baaki ke guards chattan ke peeche chup gaye. Is beech humne moke ka fayda utha kar apni manzil ki taraf bhaagna shuru kar diya tha.
Zaheer aur chotha ladka bohat tez bhaag rahe the. Hum bhi dono ke peeche peeche bhaagne lage...
Hum charon hi jaan tod koshish se bhagte huye badi chattan ke paas pohnch gaye the lekin abhi bhi hum safe nahi the.
Itna time kaafi tha guards ka khud ko sambhalne ke liye.. aur fir jaise hi unki nazar hum par padi to firse hum parr goliyon ki barish barsaane lage.
4th ladka badi chattan ki add me pohnch gaya tha.. hum teeno hi peeche reh gaye.
main sabb se peeche tha.. aur mere gale me machine gun waise hi latak rahi thi.. maine usay chhoda nahi tha.... meri nazar saamne hi thi.. aur fir jaise hi maine zaheer ko dekha to
Pata nahi kyun lekin zaheer ki speed kuch kam ho gai thi.warna wo bhi us 4th ladke ke sath hi pohnch jaata. zaheer ko sust padte dekh kar main ruk gaya aur fir machine gun ka rukh guards ki taraf kar diya..
Mujhe koi experience nahi tha machine gun chlaane ka ..
lekin khud ki jaan bachane ke liye kuch to karna tha. Aur yahan ye bhi zaroori nahi yha k guards ko nishana hi banaaya jaaye. Unko uljhaane ke liye maine himmat karke ek bada round chala diya.
machine gun ke garajte hi meri halat kharab hone lagi.. abhi last jhatke ka dard bhi tha..... lekin wo sabb bhool kar maine machine gun ka trigger tab tkk vabaye rakhha . jabb tak sabhi guards ek baar phir se chup nahi gaye..
guards ki guns ke khamosh hote hi umen chattan ke peeche jaane moka mil gaya..
Chattan ke paas jaate hi maine machine gun ko apne gale se nikala aur apna kandhaa pakad liya.
Mera badan teeno se zayada strong tha. machine gun ka jhatka mujhse bhi bardasht nahi hua tha .lekin shukar hai k mera kandhaa salamat tha.warna main to samajh raha tha k mera kandha bhi sanjay ke jaise hi utar na gaya ho...
Raja. Yahan baithne ka samay nahi hai humen jald hi jungle me jaana hoga warna maare jaayenge. mujh samet Sabb ki hi zubaan kutte ke jaise bahar ko nikli hui thi aur abhi hamari saaans bahaal nahi hui thi lekin fir bhi bhaagna tha..
to hum himmat karke firse bhaag liye.is bar humen badi chattan ki aad mil chuki thi.. aur guards ke aane se pehle hi hum jungle me pohnch jaana chahte the..
jitna bada round maine fire kiya tha.. uski waja se guards kuch zayada hi dar gaye the...
is baar humen jungle me pohnchne me koi pareshani nahi hui. Jungle me kuch door jaate hi sabb dhadam se grass par gir pade....
hamara poora badan paseene ki waja se geela ho chuka tha. jaise hum bhaage na honn. balke kisi nadi me dubki laga kar aaye hoon...
hamari saans itni tez chal rahi thi k hamara seena saans ki waja jhatke pe jhatke khaa raha tha. hamari tez chal rahi saanson ki waja se jungle ki khamoshi toot gai thi..... hamare harr ik saans ke saans hi hamare andar se ek seeti jaisi awaz bhi nikal rahi thi...........
hum sabb ki halat bohat hi naazuk ho chuki thi.. aur dil ki dhadkan itni fast chal rahi thi. k saans aur dil ki dhadkan ki awazen apas me mil kar ik naya hi sound create kar rahi theen..
khud ki zindagi ko bachane ke liye abhi humne ek hi padao paar kiya tha aur hamari ye halat ho gai thi...... abhi aur na-jaane kitne aise hi padao hamari raah me aane wale the.. ya ye kehna sahi rahega... k jo padao humne paar kiya tha.. wo sabb se aasaan tha.. abhi aage har aane wala padaao hamare liye nayi nayi museebtein khadi karta rahega...
guards ke paas se bach kar kar nikal jaane ka matlab ye nahi tha k hum abb har taraf se safe ho gaye the....
is jungle se bach nikalna hi sabbse badi baat thi.. koi bhi sahi se nahi jaanta tha.. k in jungle me maut ke kitne jaal bichhe huye hain .. aur kis ke naseeb me kitni khoof-naak aur bhayankar maut likhi hui hai..
agar jungle ko kisi tarha se paar kar bhi liya jaye to .. jungle ko paar karte hi firse basti ke guards humen pakad lenge...... abhi hamare liye an-nigat maut ke jaal the aur humen sabb se bach kar nikalna tha......
abb pata nahi waqt ne hamare liye kuch likha hua tha... hum chaaron hi beech jungle me maare jayenge.. ya sabb hi bach jayenge.. ya humme se koi ek kamm ho jayega...
nahi..nahi..humme se koi kamm nahi hona chahiye.. kitni chahat hoti hai har kisi ko khud ki jaan bachane ki.. harr kisi ke dil me armaan hote hain zinda rehne ke liye bhi aur apne ghar walon ke liye ik khushiyon bhare lamhaat laane ke liye bhi..
sanjay aur zaheer ke ghar waloon ka pata nahi kya hua hoga.. dono yahan zindagi aur maut ki kash-makash me phanse huye the.. aur udhar unke ghar waloon ke saath na-jaaane kya kuch ho chuka hoga.. apne jigar ke tukdon ko poore desh me dhoond rahe hoonge......
aur main .......... mera kaun tha .. jo mujhe dhoondta.. aur agar kisi ne mujhe dhoonda bhi hoga....... to abb takk thak haar kar baith gaya hoga....
main abhi takk laa-waaris hi tha.. (fir kuch soch kar mere andar hi ek dard bhari muskan aa gai)
main ye soch raha tha k kahin main isi jungle me laa-waaris hi na marr jaaon..
Abb hum ek khatre se bahar aa gaye the. Aur is waqt hum aage aane wale khatre ke baare ke sochna nahi chahte the.Is waqt hamare liye khud ko bahal karna zayada zaroori tha. Aur pehli stage ke paar ho jaane ki khushi manani thi ..
aage agar hamare liye maut ke an-gint jaal bhi bichhe huye the to humen filhaal uska gham karne ki zaroorat nahi thi.
Ye waqt to tha celebration ka..
lakin sanjat ke zakhmi kandhe ki waja se hum apni khushi celebrates bhi nahi kar sakte the.
Aadha ghanta let kar hum khud ko relax karte rahe.Abb yahan jungle me guards to nahi aane wale the .. kyunki kamm hi koi is jungle se zinda bach paaya tha.
To fir guards kyun khud ki jaan ko khatre me daalen.
Unke paas helicopter the. aur wo helicopter
Ke saath humen jungle me dhoondne ki koshish zaroor karenge. Lekin wo bhi sirf ek baar. Kyunki qaidi bach kar jayenge kahan. Jungle ke paar basti hai. Wahin jungle se bach kar nikalne wale dharr liye jaate the.
Maine sabb ki taraf dekha to sabb hi ankhen band kiye huye the. Lekin sabb ki hi saans abb normal ho gai thi.Bass waise hi lete huye the.
Main sanjay ke paas gaya aur
..........
Raja:-Sanjay abb kaisa feel kar rahe ho..
Sanjay mujhe dekh kar dard me hone ke bawajood bhi muskurane laga.
Sanjay:- Raja ye sabb tumhari hi waja se hua hai. Warna aaj to hum maare hi gaye the. Tumne jo last round chalaya tha bass usi ne humen bacha liya warna humari aatma to kabb ka hamare sharir ka saath chhod chuki hoti.thanks raja sach me ye sabb tumhare hi dumm se hua hai.warna himmat hone ke bawajood bhi zaheer aur main ye risk nahi le sakte the.
Sanjay ne mujhe ek hath se thaam liya. zaheer bhi hamare paas hi aa gaya .
Aur baithe baithe hi mujhe gale se laga liya aur khushi ke aansu rone laga.
Zaheer:-Hum kai mahino se bhaagne ka soch rahe the..lekin kabhi aisa kar nahi paaye..raja ye sabb tumhari waja se hua hai. ""Thanks raja""
Maine bhi zaheer ko achhe se gale lagaya.
Hum sabb hi khushi mana rahe the.
Mujhe kandhe me bohat dard ho raha tha. Lekin filhaal ye sochne ke liye bohat time tha.
4th ladka hume aise milte huye dekh khush tha. Lekin wo hamare paas nahi aaya.
Main ladke ko ghorse dekhne laga. Mujhe wo ladka kamm umar ka laga.
Us chehre par ek bhi baal nahi tha. Fir maine us ladke ko dekhna Chhod kar sanjay aur zaheer ke sath apni khushi ko celebrate karne laga...
Raja:- Sanjay abb tumhare kandhe ka kya haal hai.
Jinti khushi humne manani thi wo mana li thi.. abb jaise hi maine sanjay se uske kandhe ke baare me Poochha to sanjay ka dhayan apne kandhe ki taraf gaya..
to sanjay ko apne kandhe par achanak se dard ka ehsaas hone laga.
Aur fir sanjay ki cheekhen nikalne lageen...
Pehle jabb hum sabb bhaag rahe the to jism garam tha .. isliye sanjay ko dard ka ehsaas kamm hua tha lekin abb sanjay ka jism sust padte hi sanjay ko beinteha dard hone laga ..
Maine jaldi se zaheer ki madad se sanjay ki shirt utari to sanjay ka kandha dekh kar hum sabb hi preshan ho gaye.. sanjay ka kandha apni jaga se kuch hatt gaya tha.
Aur sanjay ke Kandhe par swelling honi shuru ho gai thi.. ye sanjay ke saath bohat hi galat hua tha. Abb is jungle me hum sanjay ke liye kya kar sakte the.hum sabb sanjay ke liye kuch nahi kar sakte the.
Sanjay ka apni jaga chhod chuka kandha sanjay ke liye aur hamare liye ek badi mushkil khadi kar chuka tha. humen jungle se bach kar nikalna tha aur saath milkar nikalna tha..
hum the hi kitne sirf 4.. aur ek ke bhi kam ho jane se hamari taqat kam ho jaati..
isliye ham sabb ka sahi salamat rehna behad zaroori tha..
Raja. Sanjay tumhare saath to bohat galat ho gaya hai.. abb hum tumhare liye kya kar sakte hain.. (fir main zaheer se bola)zaheer tum batao hum sanjay ke liye kya karen.
Zaheer:- main kya kar sakta hoon. Yahan is jungle me hume kya mil sakta hai..aur humen to kisi cheez ka experience bhi nahi hai..
zaheer bhi pareshan tha sanjay ki halat ko le ke .. wo bhi meri hi tarha se sohchne laga k sanjay ke liye kya kiya ja sakta hai..
Main Sochne laga. Sanjay ke liye kya kar sakta hoon. . Abb aisi halat me sanjay ka safar karna theek nahi rahega.. kuch to sanjay ke liye karna padega.
Raja:-(main 4th ladke se poocha) tumhara naam kya hai.
ladka:- (dheemi awaz me bola) mera naam rana hai. uski awaz badi mushkil se hume sunaai di..
pata nai kyun lekin uski awaz kuch ajeeb si thi.. abhi in sabb baton par ghor karne ka time nahi tha.. to main firse sanajy ko le ke sochne laga aur sanajy ke liye jo kuch kiya ja sakta tha.. us baare me ghor kar raha tha..
koi desi totka hi kaam aa sakta tha.. mujhe yaad aaya k basti me ek admi tha jo haddi ko set kiya karta tha.. lekin main sanjay ke kandhe ko to theek nahi kar sakta tha.. parr haan kuch lakdee ka jugad laga kar sanjay ke liye kuch dard kamm kiya ja sakta hai.. sanjay ka baazo agar hilna band ho jaye to shayad sanjay ko kuch rahat mile.. abb sanjay ka kandha to theek hone se raha.. ye to koi doctor hi kar sakta tha.... aur humme koi bhi doctor nahi tha....
main sochon me gumm tha k mujhe zaheer ki awaz sunaai di..
Zaheer:-rana tum bol bhi sakte ho.maine to suna tha k tum goonge ho. aur fir maine bhi kabhi tumhen bolte huye nahi suna tha.
Rana:-(dheeme awaz me hi)Bass abb me kya bataon. Yahan to sabb qaidi hi the to mushaqat ke ilawa kuch tha hi nahi karne ko.. aur wahan rehte huye kisi se baat karne ki ijazat bhi nahi thi...
rana jab takk bolta raha main usko hi dekhta raha.. mujhe kuch ajeeb sa to lagg raha tha parr main kuch bhi samajh nahi paa raha tha..
raja:- zaheer andhera hone se pehle humen kuch aise lakdee chahiye jo sanajay ke kandhe aur baazo ko bandhne ke kaam aaye.. shayad isse sanjay ke liye koi jugaad bann sake..
sanjay:- raja jo bhi karna hai jaldi karo abb mujhse bardasht nahi ho raha ahi.. aisa lagg raha hai kisi ne mera hath hi mere sharir se alag kar diya ho...
sanajy ke bolte hi zaheeer aur ladke uth khade huye to maine wo saaman dekhna shuru kar diya jo hum laaye the..
ek machine gun thi.. ek chuku gaurd ke paas se mila tha. to ek churi thi.. ek rassi thi.. 1 meter ki lenth hogi uski .. kuch paise bhi the. abhi maine usay count nahi kiya..lunch me se hum kuch nahi laa sake the.. jaisi condition bann gai thi wahan ko lunch bachaane ki bajaye humen khud ki jaan bachane ki zayada zaroorat thi.. abb raat bhar hume bhooke aur piyase rehna tha..
lekin jungle me aag jalane ke liye hamare paas cigeratte lighter nahi tha..
guard ke samaan me wo milna chahiye tha.. is be bagair to humen badi pareshani ho jayegi.....
raja:- sanjay jiss guard ko humne maara tha.. kya uske paas se cigeratte lighter nahi mila...
sanjay:- mila tha. kyun kya samaan me nhi hai kyaa..??
raja:- yahan to nahi hai.. kahin raaste me bhaagte huye na gir gaya ho..
sanjay bhi kuch pareshan ho gaya.. lighter ki zaroorat bhi hamari sabse badi zarorton me se ek thi.. is ke bagair to hum kuch bhi dhang ka nahi kha sakte the.
aur jungle me khud ko safe rakhne ke liye aag ki badi zaroorat hoti hai..
warna ..iske aage sochne ka mana nahi ho raha tha.... junglee jaanwaron ka sochte hi dil hulk me aane lagta tha...
kuch der baad zaheer aur rana kuch lakdee le aaye..
zaheer:- raja filhal paas me yahi mili hain.. door hum gaye nahi.. abhi is jungle ko hum sahi se nahi jaante naa isliye.
raja:- nahi tum dono ne sahi kiya aur abhi humen bass kaam hi chalana hai..
bass raat guzar jaaye.. to suba dekhte hain..
fir main lakdee dekhne laga.. kuch mujhe sahi lagi to maine wo utha kar uski mazbooti check ki .. mujhe laga k kaam bann jayega is lakdee se lekin is ko kaatne ka kaam muhskil tha.. fir meri nazar chaku par padi .. maine socha k chaku se lakdee ko kaat'ta hoon.. lekinn fir yaad aaya k agar chaku bhi kharab ho gaya to
hum kuch aur bhi nuqsan me chalen jayenge..
isliye maine chaku ko chhod kar churi se lakdee ko kaatne ka socha.. lekin pehle maine zaheer se lighter ke baare poochne ka socha.
raja:- zaheer wo lighter jo guard ke paas se mila tha. wo hai ya raaste me gir gaya tha..
zaheer ne khud ko totolna shuru kiya to
zaheer:- nahi mere paas nahi hai shayad.......
zaheer ke bolne se pehle hi rana ne mujhe wo guard ke paas se milne wala lighter de diya..
rana:- (dheemi awaz me) wo mujhe zaheer ke paas se girte huye dikha to maine utha liya..
main rana ki is baat se khush ho gaya...
raja:- rana tumne bohat hi badhiya kaam kiya hai..(zaheer se) zaheer tum in lakdiyon ko jalane ke liye koi choti lakdee ya khushk ghaas dekho..
mri baat sun kar rana aur zaheer dono hi uth gaye..
kuch der baad dono hi kuch ghaas aur chhoti chhoti khushk ladkee le aaye.. maine der na karte huye aag jalai.. aur matloba lakdee ko pieces ko jitna aag me jalana tha.. utna aag me daal diya.. kuch mint ke baad maine wo lakdee ke tukde aag se nikal kar apne paaon ke neeche de kar tod diye...... ab wo ladkee ke tukde sanjay ke liye kaar-amad ho gaye the.. maine rana aur zaheer ki madad se sanjay ke kandhe aur baazo par wo lakdee ke tukde baandh diye.. rassi to thi hi hamare paas.. kuch mint lage humen sanjay ko treat karne me.. lekin humne sanjay ke liye kuch hadd takk asaani bana di thi..
is beech sanjay ki cheekhon ne poore jungle ko hi hilaya hua tha.. sanjay ka dard hum teeno hi khud me mehsoos kar rahe the.. lekin yahan haal dekhne wala kaun tha.. hum sabb hi yahan musibat me phanse huye the....
abhi to sirf sanjay ki ye halat hui thi.. aane wala waqt hum'me se kiss ki maut pehle laata hai.. ye bhi hum sabb soch rahe the...... aur ye hona na-mumkin nahi tha..
sanjay ka dard abb bohat kamm ho gaya tha.....
khaane ke liye kuch tha nahi.. aur peene ke liye jungle ke andar paani dhoondne ki abhi hum'me himmat nahi thi.. kal suba hi sabb dekha ja sakta tha............
jahan hum mojood the wo jungle ke andar ka hi ek hissa tha.. aur yahan shaam hone se pehle hi ghane darakhton ki waja se andhera hone laga tha.. lekin humm majboor the.. aur jungle ke bahar hum ja nahi sakte the....
hum kisi darakht par chadte huye bhi darr rahe the.. pata nahi kis ped ke oopar jaate hi koi nayi musibat na humen mil jaaye aur neeche reh kar so bhi nahi sakte the.. sote huye koi junglee janwar humen apne pet me utaar leta .. thakan se aane wali neend me to pata bhi nahi chalna tha .. .. hamare liye neeche bhi maut thi to oopar darkhto par bhi maut thi.................
parr drakht par chadne ka chance liya ja sakta tha..
isse pehle ke andhera aur bhi badh jaye.. humne apne liye apne hisaab se ek drakht ka chunaao kiya aur bhagwan ko yaad karte huye oopar chad gaye.. us drakht ki shakhen kaafi moti theen.. aur hum uske oopar let kar so bhi sakte the..
haan wo alag baat hai k neend ki halat me kahi humme se koi neeche na fir jaye.
darkht par chadne ka hamara faisla jald hi sahi sabat ho gaya..
kyunki kuch hi der me junglee janwaron ki awazen aana shuru ho gai theen.. shayad wo poore jungle se apna pet bhar kar abb ghar ko laut rahe the.. aur hum dua kar rahe the.. k koi darinda na hamari taraf aa jaye..
humen apne neeche se kabhi kabhi kisi jaanwar ke guzarne ki awaz sunaai deti thi..
humen dar tha k kahin aas pas hi kisi darinde ka ghar na ho. aur na hi koi hamare wale drakht ke paas ruke..
hamare liye aaj ki raat bohat hi bhaari thi.....
*******************************************************
Abb hum ek khatre se bahar aa gaye the. Aur is waqt hum aage aane wale khatre ke baare ke sochna nahi chahte the.Is waqt hamare liye khud ko bahal karna zayada zaroori tha. Aur pehli stage ke paar ho jaane ki khushi manani thi ..
aage agar hamare liye maut ke an-gint jaal bhi bichhe huye the to humen filhaal uska gham karne ki zaroorat nahi thi.
Ye waqt to tha celebration ka..
lakin sanjat ke zakhmi kandhe ki waja se hum apni khushi celebrates bhi nahi kar sakte the.
Aadha ghanta let kar hum khud ko relax karte rahe.Abb yahan jungle me guards to nahi aane wale the .. kyunki kamm hi koi is jungle se zinda bach paaya tha.
To fir guards kyun khud ki jaan ko khatre me daalen.
Unke paas helicopter the. aur wo helicopter Ke saath humen jungle me dhoondne ki koshish zaroor karenge. Lekin wo bhi sirf ek baar. Kyunki qaidi bach kar jayenge kahan. Jungle ke paar basti hai. Wahin jungle se bach kar nikalne wale dharr liye jaate the.