• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Ashique_786

Bihari_baabu
13
23
3
आपकी कहानी का प्लोट अच्छा है.
बस सेक्स सीन थोड़े कम डाले

जिस के साथ एक बार सेक्स हो चूका हो उस के साथ दुबारा सेक्स सीन की डिटेल ना डाले.

जिस से कहानी के पेज लम्बे नहीं होंगे
और पड़ने मे भी मजेदार हो...
Arjun bhai. Sex scene story ka hissa hai. Bech - bich me sex scene nahi dalega to story boring lagne lagega aur short - cut achha nahi lagega
And writer par jayada pressure mat dalo.
Writer apne dil se likhta hai story na ki beman se yadi yahi story beman se auro writer jaisa likhta to story boring type lagta padne ka man nahi karta isliye writer ko
Samay do na ki pressure.
 
Last edited:

Vega Star

Active Member
996
12,475
124
Update 257

Jaisa hume bataya gaya tha waise hum us aur chalne lagee jaha jyada achchhi vyavstha hone ki sambhavna thi, waha floting bridge banaye gaye the, ye temporary bridge the, par waha bahot bhid thi, to chalne me bhi paresani ho rahi thi, log ek dusare se sat kar chal rahe the. Shivnas ko Yogendra ne uthaya hua tha, hum sab jaise taise us jagah pahuch gaye, aur jagah ke mukabale us ghat par kam bhid thi, waha sirf VIP pass walo ko hi entry thi, to hum sab ne waha achchhe se snan kiya, sab khus the, par sab thak chuke the, hume fir wahi rasto se wapas bhi jana tha, Yogendra chandrika ko bhi sambhal raha tha to mene Shivans ko utha liya, hum sab chalte hue wapas us bridge par aaye par waha pehle se jyada bhid thi, jaise taise hum us bridge par chadhgaye, par itni bhid hone ke karan hamare security guard bhi yaha waha ho gaye the, jaise taise hum sab chal rahe the, bhid ki wajah se hum sab alag ho gaye the, sab ke bich duri ho gayi thi, me Shivans ko utha kar sambhal kar chal raha tha, kyu ki itni bhid me wo bhi paresan ho gaya tha aur rone laga tha, aur apani mummy ko pukar raha tha, par wo thodi duri par thi, aur rukna hamare liye sambhav nahi tha, log itne dhakke mar rahe the ki hume chalna hi nahi pad raha tha, apane aap hi hum aage badh rahe the, itni jyada bhid hone ki wajah se bridge bhi hilne dulne laga tha, log dar ke mare chilla bhi rahe the, kon kaha hai kisi ko pata nahi tha, aise me kuchh hua aur log chillane lage, kisi ko kuchh samaj nahi aa raha tha, waha afratafari ka mahol tha, mene Shivansh ko kas kar pakad liya, par waha itni jyada afratafari ho rahi thi ki log apana balance gava kar nadi me girne lage the, log joro se chilla rahe the, tabhi mere pass ke log bhi apana balance gava bethe aur girne lage, aise me ek girte aadmi ne girne se bachne ke liye Shivans ka kapada pakad liya, mera bhi santulan bigad gaya, mene us aadmi ka hath chhudane ki koshis ki par aise me usne mera hath bhi pakad liya aur mere hath se Shivans chhut gaya aur wo pani me gir gaya, usi samay dusare aadmio ka santulan bhi bigda aur me niche gir gaya aur kuchh log mere upar gir gaye, me chilla raha tha “Shivans” “Shivans” tabhi Yogendra waha aaya, mene usko pani ki aur issara kar ke bataya wo turant pani me kud gaya, mere pair me chot aayi thi, jaise taise me khada hua, Chandrika aur duare log bhi waha aa gaye the, mene unhe bataya ki Shivans gir gaya hai aur Yogendra pani me kud gaya hai, sab chillane lage. Patanahi kyu par is baat ka iljam Chandrika ne muj par laga diya, wo muje hi is baat ka doshi bata rahi thi aur keh rahi thi ki mene janbuj kar Shivans ko gira diya, wo muje badduae dene lagi, muje shrap dene lagi jab ki mene kuchh nahi kiya tha, tabhi waha suraksha karmi bhi aa gaye the aur sab ko bridge khali karwa rahe the, ek aur se logo ke liye bridge band kardiya gaya tha to bridge jaldi khali ho gaya, hum kuchh nahi kar pa rahe the, nadi me bahot sare log girgaye the aur beh kar dur chale gaye the, waha rescue ki teem pani me utar chuki thi, hame bhi bridge se jane ko kaha gaya, rescue teem sab ko pani se nikal kar la rahi thi, mere pair me chot aayi thi par fir bhi me waha gaya aur Shivans aur Yogendra ko dhundne me lag gaya, par unka kahi pata nahi chala, kafi logo ko lashe waha rakhe ja rahe the, Chandrika behosh ho gayi thi to uska bhi ilaj chal raha tha, Me aur Chandrabhan har jagah dono ko dhundh rahe the, kafi ghante baad Yogendra ghayal avastha me mila wo behosh tha, par Shivans ka kahi pata nahi chala.

Sukhdev ne bhi is baat me hami bhari ki mene hi Shivans ko janbuj kar fenk diya hai. Mere pas meri begunahi sabit karne ke liye koi rasta nahi tha, me bas bata raha tha ki mene nahi kiya hai par koi meri baat par visvas nahi kar raha tha. Yogendra aur Chandrika ko helicopter se najdiki saher me le jaya gaya, mere bhi pair me chot lagi thi to muje bhi aspatal me bharti karwadiya gaya, fir muje pata chala ki Sukhdev ne mere khilaf police complain kar di hai, muje bahot dukh hua ki wo aisa soch rahe hai, tum hi batao ki isme meri kya galti hai, par fir samaj aaya ki ye sab Sukhdev janbuj kar kar raha hai, uski najar Yogendra ke bussiness par thi, wo sab hathiya lena chahta hai, police ne chhanbin ki, court me case bhi chala, par kuchh sabit nahi hua, par mere mathe par kalank lag gaya, aaj bhi log muje shak ki nigaho se dekhte hai. (Wo bolte bolte chup ho gaye, me unko dekh raha tha, unke chehre par dukh dikh raha tha, me samaj ne ki koshis kar raha tha ki ye sach me dukhi hai ya natak kar rahe hai, unhone pani piya aur meri aur dekhne lage)

Udesinh : Batao muje, kya meri koi galti hai?

Shiv : Jaisa aap bata rahe ho, muje nahi lagta ki aapki galti hai. (Mene janbuj kar unke favour me hi bola, aur vaise bhi jo unhone bataya tha us hisab se to unki galti nahi thi)

Udesinh : Tum hi socho, me kyu apane hi bhai ke bete ko marunga, Yogenda muj par kitna viswas karta tha, usne factory aur yaha ki jamino ko sambhalne ke liye mere nam power of attorney kar di thi, jo bhai muj par itna viswas karta tha bhala me kyu uske sath aisa karunga, balki mene hi pitaji se keh kar usko itni madad karwayi thi. Par muje jaha tak lag raha hai Sukhdev hi in paristhitio ka fayeda utha raha hai, usne na sirf dusari factroryo balki kafi jamino par kabja kar rakha hai, yaha tak ki Yogendra aur Chandrika ko bhi hamse dur kardiya hai, par sab muje hi galat samajte hai. (Me sab sun raha tha waise bhi mere pass bolne ko kuchh tha nahi aur tha bhi to abhi me bolna chahta nahi tha) Ab mudde ki baat, tum soch rahe honge ki me ye sab tumhe kyu bata raha hu (Mene haa me issara kiya) tumhe meri madad karni hai, us Sukhdev se wo jamine aur factory lene me aur sabse badi baat ki Yogendra aur Chandrika ko wapas lane me.

Shiv : Par me kaise aapki madad kar sakta hu?

Udesinh : Tum kar sakte ho, tabhi to tumhe aane ko kaha mene.

Shiv : Muje samaj nahi aa raha ki me aapki madad kaise kar sakta hu, aap itne bade aadmi hai to yakinan Sukhdevji bhi bade aadmi hi honge, me kaise unse ye sab le sakta hu?

Udesinh : Wo sab me tumhe samja dunga, par baat ye hai ki tum isme meri madad karoge ki nahi?

Shiv : Me koi gair kanuni kaam nahi kar sakta, aur meri abhi bhi samaj me nahi aa raha ki me aapki madad kaise kar paunga.

Udesinh : Aaj tak Shivans mila nahi hai, wo jinda bhi hai ki mar gaya ye kisi ko pata nahi hai, tum anathalay me rahe ho, tumhare bhi maa baap ka koi ata pata nahi hai, me tumhe Shivans ki jagah bitha dunga.

Shiv : Apko kyu lagta hai ki agar aap muje uski jagah bithadenge to wo maan janyenge?

Udesinh : Wo sochna tumhara kaam nahi hai, wo sab me dekh lunga, (Udesinh janbuj kar usko ye nahi bata raha tha ki uski sakal unse milti hai)(Shiv bhi ye samaj raha tha ki wo kyu ye kar rahe hai, aur kyu usko hi Shivans ki jagah bithana chahte hai, par usne kuchh nahi puchha, kyu ki wo khud uska rasta clear kar rahe the)

Shiv : Ek bar maan lijiye ki aapne muje uski jagah bitha diya, par ye kaam aap kisi aur se bhi karwa sakte hai, muje hi kyu aap uski jagah bithana chahte hai.

Uesinh : Tumhe ye sab sochne ki jarurat nahi hai, tum sirf apana fayeda dekho, socho, is chhote se kaam ke badale me tumhe kitne paise milenge, muje pata hai tum paiso ke pichhe nahi ho par fir bhi ye paise tumhare anathalay ke bachcho ke kaam aa sakte hai, aur sath me tum ek athlet ban na chahte ho, me puri tarha se tumhari madad karunga.

Shiv : (Kuchh sochne laga)

Udesinh : Tumhe nahi lagta ki mere bhai ki sampati par uske bhaio ka haq hai, na ki uske bussiness partner ka. Aur darne ki koi jarurat nahi hai, agar kuchh hua to me sambhal lunga, tumhara koi nuksan nahi hoga, aur maan lo ki kuchh gadbad bhi hui to bhi tumhe fayeda hi hoga me fir bhi tumhe paise dunga bas. (Udesinh usko kaise bhi lalach de kar manane ki koshis kar raha tha)(Mene bhi jaisa socha tha waise hi wo baat kar rahe the, me to ghar se hi maan bana kar aaya tha, bas thoda natak hi kar raha tha)

Shiv : Thik hai sir, agar aap keh rahe hai to aapke kehne par me ye aapke liye karunga, par agar kuchh ho to aapko hi sambhalna padega. (Udesinh ko to jaise lautary lag gayi, wo khusi se khada ho gaya)(Unko khada hote dekh me bhi khada ho gaya, wo mere pass aaye aur muje gale laga liya)

Udesinh : Tum bilkul fikar maat karo, me sab dekh lunga, bas tumhe wohi karna hai jo me kahu. (Me kuchh nahi bola) Chalo ghar chalte hai, me aaj se hi tumhe Shivans ki jagah bithane ki suruat kar deta hu. (Wo itne khus dikh rahe the ki me bata nahi sakta, hum dono waha se nikal kar unke ghar pahuch gaye, unhone apani patni ko bulwaya)

Kamnadevi : Aapne muje bulwaya?

Udesinh : Ha Kamna, tumhe ek khuskhabari deni hai.

Kamnadevi : (Khus hote hue)Achchha, kya khus khabari hai?

Udesinh : Tumhe lagta hai na ki ye hamare Yogendra ka beta hai? (Kamnadevi apane pati ko gaur se dekhne lagi, uski ankho me thoda dar bhi tha, wo samaj nahi pa rahi thi ki aaj wo khul kar is baat ko maan rahe hai) Is se baate kar ke muje bhi ab yakin ho gaya hai ki ye hamare Yogendra ka hi beta hai. (Kamnadevi abhi bhi asamanjas me unhe dekh rahi thi)Aise kya dekh rahi ho, tumhe khusi nahi ho rahi hai, bhagvan ne meri prarthna sun li, muje yakin tha ki wo mara nahi hai,yahi hamara Shivans hai. (Kamnadevi abhi bhi murti ki tarha khadi thi, usko apane kano par yakin nahi ho raha tha, kis uska pati ye sab keh raha hai)Are aise kya khadi ho, bhul gayi tum, kaise tumhari god me khelta tha ye, itne salo baad aaya hai, gale bhi nahi lagaogi. (Me sab dekh raha tha, mene dekha ki aunty ki ankho me aasu chhalak aaye, wo mere najdik aayi aur mera chehra sehlane lagi, unki ankho seansu beh kar niche girne lage, unhone muje apane gale lagaliya)

Kamnadevi : Shivuuuuu. (Me thaga sa waise hi khada raha, wo muje niche jhuka kar apane gale laga ke ro rahi thi)Shivuuuuu. (Mene uncle ki aur dekha, unke chehre par arthpurna muskan thi, unhone ha me issara kiya jaise keh rahe ho ki tum bhi ab natak karo, mene bhi aunty ko baho me liya to wo kas kar mujse lipat gayi)Shivuuuuu, kaha chala gaya tha, mera beta, (Wo joro se ro rahi thi, unke pyar me muje jara bhi kapat nahi dikhayi diya, muje ascharya ho raha tha ki unhone itna jaldi yakin kaise kar liya, wo kabhi mere chehre ko dekh rahi thi to kabhi muje chum rahi thi.) (Ye sab aawaje sun kar Padma bhi waha aa gayi)

Padma : (Apani saas ko aise dekh kar wo hairan thi)Kya hua pitaji, maaji kyu ro rahi hai?

Udesinh : Tum nahi janti bahu, shayad tumhe pata ho, mera chhota bhai Yogendra, ye uska beta hai, Shivans. (Padma ko thoda thoda pata tha, par usko koi khas fark nahi pada, wo bas aise hi khadi un dono ko dekh rahi thi)

Udesinh : Ab aise hi roti rahogi kya, isko kuchh khilao pilao, hume bhi bhukh lagi hai.

Padma : Me lagvati hu khana. (Keh kar wo kitchen me chali gayi aur sab ko hidayat de di, usne apana mobile nikala aur Pruthvi ko phone lagaya)Hello.

Pruthvi : (Chidte hue)Kya hai?

Padma : Apko ek baat batani hai.

Pruthvi : Jaldi bol, time nahi hai.

Padma : (Uski bato se usko gussa aaya, wo janti thi ki wo kya kaam kar raha hoga, usne apane aap ko sambhala aur boli)wo ladka hai na.

Pruthvi : Kon ladka? (Chidte hue)

Padma : Are wo hi jo hamare ghar me reh raha hai.

Pruthvi : (Usko pata chal gaya ki kiski baat kar rahi hai)Ha to?

Padma : Pitaji keh rahe hai ki wo unke bhai ka ladka hai.

Pruthvi : (Chaunkte hue)Kya? Tumse aisa kaha?

Padma : Ha, aur maji se bhi kaha.

Pruthvi : (Chidte hue)Wo koi unke bhai ka ladka nahi hai, tum in sab se dur raho, pitaji bhi pata nahi kya kya karte rehte hai, phone rakkho. (Kehte hue usne phone kat diya, Padma apane phone ko dekhte hue sochme pad gayi, apane pati ki bato se usko itna to pata chal gaya ki wo ye baat pehle se jante the ki pitaji kya karnewale hai, usko ye sab samaj me nahi aa raha tha, wo jab table par pahuchi to uski saas us ladke ko apane hatho se khila rahi thi aur sath me roye ja rahi thi, uske sasur the to wo bethi nahi, bas waha khadi thi)

Udesinh : Me chandrabhan aur uski family ko bhi bula leta hau, unhe bhi ye baat batani hai.

Shiv : (wo muje khila rahi thi, thodi der mene khaya fir kaha)Aap rehnedijiye aunty, me kha lunga.

Kamnadevi : Aise kaise rehne du, bhale hi tu muje na pehchanta ho par me to tuje pehchanti hu, tere liye me ajnabi ho sakti hu par mera to beta hai tu. (Wo jab niwala bana rahi thi to mene sir ki aur dekha to wo muskuraye aur bas ha me issara kiya)(Padma ye sab dekh rahi thi, usko daal me kuchh kala lag raha tha, par wo kuchh nahi boli) (Khana khane ke baad Udesinh ne Chandrabhan ko phone lagaya)

Chandrabhan : Namaste bhaisahab.

Udesinh : Kaha ho tum?

Chandrabhan : Me xxx wali factory par hu, koi kaam hai kya?

Udesinh : Ha kaam hai, ek kaam karo, sham ko sab ke sath hamare ghar par aao.

Chandrabhan : Sabke sath matlab?

Udesinh : Tumhare pariwar ke sath, aur kiske sath?

Chandrabhan : Ha thik hai, aa jate hai. (Thoda ruk kar)Koi vishesh baat hai?

Udesinh : Tum aao, fir batata hu.

Chandrabhan : Achchha thik hai bhaiya. (Chandrabhan ne phone rakh diya, aur soch me pad gaya, par bhai ne bulaya tha to jana to tha hi, usne apane ghar phone lagaya, phone Beena ne uthaya)

Beena : Hello.

Chandrabhan : (wo aawaj ko pehchan gaya)Bahu, Nirmala kaha hai?

Beena : Abhi bulati hu pitaji. (Beena ne apani saas ko bulaya, wo aayi)Pitaji ka phone hai.

Nirmaladevi : Hello.

Chandrabhan : Sham ko hame badebhaiya ke ghar jana hai.

Nirmaladevi : Kyu? Kya hua?

Chandrabhan : Wo bhaiya ka phone aaya tha, unhone sako bulaya hai.

Nirmaladevi : Sabko matlab, Jignesh aur Beena bhi?

Chandrabhan : Ha.

Nirmaladevi : Sab ko kyu bulaya hai, koi khas baat?

Chandrabhan : Wo nahi bataya unhone, chalo me rakhta hu, tum sab taiyar rehna.

Nirmaladevi : Thik hai. (Beena wahi thi to usne apana naam bhi suna tha)

Beena : Kya hua maaji?

Nirmaladevi : Wo sham ko hame Udesinhbhaisahab ke ghar jana hai.

Beena : (Ye sun kar wo khus ho gayi, wo kab se yahi soch rahi thi ki Shiv ke pass kaise jaye, par usko samaj nahi aaya ki tauji ne sabko kyu bulaya hai)Kyu?

Nirmaladevi : Wo pata nahi hai, tum bas taiyar rehna.

Beena : Ji maaji. (Wo chali gayi, Beena soch me pad gayi ki kyu bulwaya hai waha, uski Shiv se raat ko baat hui thi par usne bhi aisa kuchh nahi kaha tha, usne turant Shiv ko phone lagaya par sari ring khatam ho gayi par Shiv ne phone nahi uthaya.) (Shiv ka phone silent par tha to usko pata nahi chala)

Udesinh apane kaam ke liye bahar chala gaya, Kamnadevi Shiv ke sath hi bethi hui thi. Us se tarha tarha ke sawal puchh rahi thi, Padma bhi apana kaam khatam kar ke waha aa gayi.

Kamnadevi : Tumhe kuchh bhi yaad nahi hai, tum kitna mere sath rehte the, apani mammi se jyada to tum mere sath rehte the, kayi baar mere sath hi so jate the. (Me asahay sa muh bana kar unhe dekh raha tha)

Shiv : Sorry aunty, par muje kuchh bhi yaad nahi hai.

Padma : (Maan me)Kaise yaad hoga, jab aisa kuchh hua ho tabhi to yaad hoga na, maji bhi pata nahi kitni bholi hai, kisi ki bhi baato me aa jati hai, jo wo samaj rahi hai ye wo hai hi nahi fir bhi kaise us se lagav laga liya hai.

Kamnadevi : Ye aunty aunty kya laga rakkha hai, me tayi hu teri, tu muje badi maa bulaya karta tha, ab se tu muje badi maa hi bulaya kar.

Shiv : Ji.

Kamnadevi : Hey bhagwan, ye kaisa din dikhaya hai tumne, mera bachcha muje hi nahi pehchan raha hai. Tere tauji ne kya baate ki tujse, kaise unhe pata chala?

Shiv : Muje nahi pata, wo sab mere bare me puchh rahe the, kaise me anathalay me aaya wagairah wagairah.

Kamnadevi : Sach kahu Shivu to jis din mene pehli baar tuje dekha tha tabhi mere dilne keh diya tha ki tu hi mera bachcha hai, par me dar gayi thi.

Shiv : Kyu?

Kamnadevi : Wo ... (wo bolte bolte ruk gayi) Chhod na un bato ko, mere liye yahi bahot hai ki tu wapas aa gaya, bechari chandrika wo to is halat me bhi nahi hai ki tuje pehchan sake.

Shiv : Kon chandrika?

Kamnadevi : Pagal, aise koi apani maa ke liye bolta hai, wo teri maa hai, tuje janam denewali maa. (Ye sun kar pata nahi mere ander kuchh ajeeb sa hone laga, ye sun kar hi muje bahot sukun mil raha tha)

Shiv : Maaa?

Kamnadevi : Ha maa, bechari, tere gaam me wo apana hosh hi gawa chuki hai. (Kehte kehte unki ankhe chhalak aayi)

Shiv : (Me bhi thoda dukhi ho gaya tha)Kaha hai wo?

Kamnadevi : Tu fikar maat kar, jald hi me tuje milwane le chalungi, tere papa bhi coma me hai beta, tere jane se jaise sari khushiya hi chali gayi thi.

Shiv : Unhe kya hua hai?

Kamndadevi : Tuje bachane nadi me kud gaye the, jab wo mile to bahot ghayal the, tera kahi ata pata nahi tha, wo tab se coma me hi hai. Par tu fikar maat kar, agar bhagvan ne tuje wapas bheja hai to unhe bhi jaldi hi thik kar dega, tu aa gaya hai to unhe bhi thik hona hi hoga, uparwala itna bhi bedardi nahi ho sakta. (Wo mere maa baap hai ye to pata nahi par itna to pata chal raha tha ki wo apane bete ke gaam me kin halato me ji rahe hai, ab to mera dil bhi thoda thoda maan ne laga tha ki wahi mere maa baap hai, shayad ye sach ho bhi sakta hai aur nahi bhi, par itne baras me apane maa baap se dur raha tha, shayad isiliye muje ye sun kar bahot achchha lag raha tha, agar wo sach me mere maa baap ho to achchha hai, par abhi tak ye yakini taur par nahi kaha ja sakta, par itna to samaj raha tha ki itne logo ko lag raha hai ki me wahi hu to shayad ho bhi sakta hu, me apane maa baap se milne ke liye bechain hone laga)

Shiv : (Meri jaban bhi kanp rahi thi)Pa..pa ka... nam kya hai?

Kamnadevi : Yogendrasinh. (Me fir jaise kahi kho sa gaya, wo mujse baate kiye ja rahi thi, Shivans ke bachpan ke kisse sunaye ja rahi thi, par muje to kuchh bhi yaad nahi aa raha tha, na kisi ki sakal bhi yaad aa rahi thi, muje khud yakin nahi ho raha tha ki wo jiski baat kar rahi hai wo me hi hu, mera dimag aur ulajta ja raha tha, tabhi kisi ka phone aaya to Padmaji ne phone uthaya)

Padma : Hello.

Udesinh : Kamna kaha hai?

Padma : Abhi deti hu. (apani saas ko dekhte hue)Maaji, pitaji ka phone hai. (wo uthi aur phone liya)

Kamnadevi : Hello.

Udesinh : Kya kar rahi ho?

Kamnadevi : Apane bete se baat kar rahi hu. (Wo bahot khusi se boli)

Udesinh : Pruthvi waha hai?

Kamnadevi : Me Shivu se baat kar rahi thi.

Uesinh : Ohh, wo abhi wahi hai?

Kamnadevi : to kaha jayega? (Usne narajgi se puchha)

Udesinh : Mera matlab hai, aaram bhi karne degi ki nahi usko. Aur sun abhi ye baat ghar tak hi rakhna, sabko batati maat firna.

Kamnadevi : Aisa kyu keh rahe ho aap? (Usne sanka jatate hue puchha)

Uesinh : Tu samaj nahi rahi hai, abhi sirf hame aisa lagta hai ki ye Yogendra ka beta hai, confirm nahi hua hai, to tu utsah me aake koi bakheda maat karna. Kaha hai wo, baat karwa meri.

Kamnadevi : Ha karwati hu, par muje to pura yakin hai ki ye wohi hai, kya me nahi pehchanungi?

Udesinh : (Chidte hue)Achchha baba thik hai, ab de usko.

Kamnadevi : (Narajgi se)Deti hu. (Shiv ki aur dekh kar)Le beta, tujse baat karna chahte hai. (Me utha aur phone liya)

Shiv : Hello.

Udesinh : Sab thik hai na? Koi gadbad to nahi hai na.

Shiv : Hmmmm.

Udesinh : Dekho, tum thoda satark rehna, koi aisiwaise baate maat batana, me nahi chahta ki kisi ko bhi shak ho ki tum wo nahi ho, samaj rahe ho na meri baat?

Shiv : Ji.

Udesinh : Tum kisi ko kisi baat ka jyada jawab maat dena, sham ko me sab se baat kar lunga.

Shiv : Ji.

Unhone phone rakh diya, wo yahi jatane ki koshis kar rahe the ki me wo nahi hu, bas unke kaam ke liye hu, aur ye sahi bhi tha, abhi to muje bhi yahi pata hai, to me wapas aunty ke pass pahuch gaya.

Kamdadevi : Tumhe aaram karna hai? (Me kuchh nahi bola) Chal mere kamare me hi chal, waha aaram kar lena. (Me kya bolta, wo muje apane kamare me hi le gayi)(Padma ajeeb najaro se apani saas ko dekh rahi thi)

Hum dono kamare me aa gaye, unhone muje bistar par leta diya, aur khud mere pass let gayi, aur mera shir sehlane lagi, me unhe dekhne laga.

Kamnadevi : Aise kya dekh raha hai? (Mene bas naa me shir hilaya)Me janti hu ki tere liye me anjan hu, itne saal bit gaye to tuje kuchh yaad rehna mumkin nahi hai, par meri mamta to tuje pehchanti hai hai, tu nahi samaj payega, aaj muje kitna sukun mil raha hai. Tu ankhe band kar le warna me to aise hi baat karti rahungi, itne saalo baad jo tu mila hai. (Wo mera shir sehla rahi thi, muje din me sone ki aadat nahi thi, par pata nahi dil ko itna sukun mil raha tha ki me kab so gaya pata hi nahi chala, AC chalu tha to thandak thi, me kitni der soya muje pata nahi, par jab aankh khuli to aunty meri bagal me hi so rahi thi, unka hath abhi bhi meri chhati par tha, muje nahi pata ki me kon hu, aur jaha tak mene samja hai aur suna hai Udesinh apana matlab nikal rahe hai, par aunty alag hai, wo sivans se bahot pyar karti hai, me waise hi thodi der leta raha, par fir muje khad hona tha to me dhire se unka hath apani chhati se hatane laga ki wo turant jaag gayi)

Kamnadevi : Jaag gaye tum?

Shiv : Sorry, mene aapki neend kharab kar di.

Kamnadevi : Pagal, maa ki bhi neend kabhi kharab hoti hai. (Wo beth gayi, me bhi beth gaya) Chal mu hath dho le, me nasta lagati hu.

Me apane kamare me gaya aur waha fresh ho kar wapas aaya, to aunty mera hi intejar kar rahi thi. Mene dekha ki unhone bahot sara nasta rakkha hua tha. Me ascharya se usko dekhne laga.

Kamnadevi : Aise kya dekh raha hai, aa beth.

Shiv : Nahi aunty, me is waqt itna nasta nahi karta, ye meri practice ka waqt hai to me sirf dudh hi pita hu.

Kamnadevi : Yaha tere liye kuchh bhi nahi hai, ja tuje jo karna hai kar. (Me shock ho gaya, achanak unka mood kyu kharab ho gaya, me unhe dekhne laga)(Shiv ke cherhe par aayi paresani dekh kar wo muskurane lagi)Me aunty hu teri?

Shiv : Oh! Sorry badi maa. (wo fir muskurane lagi)

Kamnadevi : Khabardar jo muje fir aunty kaha to. (Keh kar wo muskurane lagi) Tuje dudh pina hai na, kaisa dudh piyega?

Shiv : Simple bhi chalega. (Unhone ek naukrani ko aawaj di aur usko dudh bhar ke lane ko kaha)

Kamnadevi : Tuje jo pasand ho, tu jo khata ho wo sab muje bata dena, me tere hisab se hi tuje sab de diya karungi. Aur kiski practice karni hoti hai tuje.

Shiv : Wo me daud ki practice karta hu. (Hum dono aise hi baat karte rahe wo muje meri daud ke bare me puchhti rahi, mene dudh piya aur unhe bata kar fir se bahar nikal gaya, jis raste subah gaya tha wo rasta muje achchha laga tha to me us aur hi chal diya, gaav se gujarte waqt me chal kar hi ja raha tha, par bahar nikal kar mene raste par daud laga di, shehar ke mukable gaavo me raste jyad sumsam the, kuchh hi log muje najar aa rahe the, me unke pass se gujarta to wo muje ascharya se dekhte the, par me apani daud par dhyan kendrit karte hue apane kaam me laga raha. Raste me muje kuchh aurte dikhi jo apane shir par ghas ki gathariya liye hue thi, muje dekh kar ascharya ho raha tha ki wo itna boz utha kar chal rahi hai, mene dekha ki wo log bhi muje dekh rahi thi, me aage daud gaya, daudte daudte me fir se nadi ke pass pahuch gaya, subah jo hua tha us lihaj se me satark tha, me aas pass dekhte hue nadi ke paas ja raha tha, par is waqt muje waha koi nahi dikha, me nadi ke pass gaya, pani beh raha tha, pani dekh kar mera maan kiya to me nadjik gaya aur ander hath dala, pani saaf aur halka thanda tha, mene pani se muh dho liya muje tajgi ka ehsas hua, me kuchh der wahi beth gaya, suraj thodi der me dhalne wala tha, waha se najara kafi khubsurat tha to me beth kar wo najara dekhne laga.

Dipawali ki chhuttiya thi to Prakruti bhi apane ghar aayi hui thi, uske papa bhi aaj jaldi ghar aa gaye the to wo unke sath hall me beth gayi.

Sukhdev : Kaisa chal raha hai tera?

Prakruti : Achchha chal raha hai papa.

Sukhdev : Mene kaha tha uska dhyan rakh rahi hai na?

Prakruti : Ha papa, me akele kahi nahi jati, waise bhi pehle bhi nahi jati thi.

Sukhdev : Meri achchhi gudiya.

Prakruti : Aapne meri baat sochi fir. (Prakruti jo pichhale kayi dino se apane papa ko keh rahi thi wohi baat fir usne chhed di)

Sukhdev : Mene tumhe kayi baar kaha hai beta, mere pass waisa time nahi hai, tu samajti kyu nahi.

Prakruti : (Ruthte hue)Aapko nahi lagta ki aapko us se ek baar milna chahiye.

Sukhdev : To me kaha mana kar raha hu, tum usko yahi kyu nahi bula leti, me yahi mil lunga.

Prakruti : Agar aapke pass time nahi hai to aap kya sochte hai, wo free betha hai. Usne to mana hi kiya tha, kaha tha ki koi jarurat nahi hai, par mene hi kaha tha ki me papa ko tumse milwane laungi. (Prakruti kafi dukhi thi)

Sukhdev : Mene tumhe bahot samjane ki koshis ki par tum samajne ko hi taiyar nahi ho, kya jarurat hai tumhe milwane ki, mana ki usne achchha kaaam kiya hai, to usko inam vinam de deti, tumhari jo marji ho tum inam me de do bas, aur kya keh sakta hu me.

Prakruti : Wo waisa nahi hai, usko paiso ka koi lalach nahi hai.

Sukhdev : Tum bahot bholi ho beti, aksar jo hame jaisa dikhta hai waisa hota nahi hai, agar tumhe meri baat ka yakin nahi to tum khud usko kehna ki mene kaha hai ki tumhe jo inam chahiye wo kahe, fir dekhna wo kya kehta hai, tumne hi kaha tha na ki wo anathalay me rahta hai, aise logo ko paisa nahi chahiye to aur kya chahiye hoga bolo.

Prakruti : Aap bahot gande ho, muje aapse baat nahi karni. (Kehte hue wo ruth kar apane kamare ki aur nikal gayi)

Sukhdev : Are kaha ja rahi ho, suno to, Prakruti suno beta..(Par wo nahi ruki aur chali gayi, wahi uski bivi yani Aiswarya bethi hui thi.)Kya ho gaya hai is ladki ko?

Aiswarya : Wo itne dino se keh rahi hai to mil aate, kham kha usko naraj kar diya.

Sukhdev : Kya jarurat hai usko milne ki.

Aiswarya : Usne Prakruti ko bachaya wo kya kaam hai?

Sukhdev : Tumhe kya lagta hai, wo log Prakruti ko le bhi jate to kya karte, unhe bhi paise hi chahiye honge, aaj kal ye aam baat ho gayi hai, logo ko kaam kuchh karna nahi hai, dusaro ke paiso par najar lagaye bethe hai, jo paise wale hai unke karibi ko agava kar ke unse paise ainthte hai, me manta hu ki us ladke ne achchha kaam kiya jo Prakruti ko unse bachaya, par uske liye me pura din bigad kar waha milne to nahi ja sakta na, aur ye aise jid le kar bethi hai kuchh samaj nahi aata.

Aiswarya : Muje pata hai aap kyu mana kar rahe ho, aur aap kis baat se chid rahe ho?

Sukhdev : Achchha, kya pata hai tumhe? (Usne jaise taunt me kaha)

Aiswarya : Apko lagta hai ki wo uski aur akarshit ho rahi hai.

Sukhdev : Kya bakwas hai ye, me aisa kuchh nahi soch raha. (usne jhunjhlate hue kaha)

Aiswarya : (Muskan ke sath)Apki jhunjlahat hi bata rahi hai ki me sahi keh rahi hu.

Sukhdev : Bakwas maat karo, aisa kuchh bhi nahi hai.

Aiswarya : Aap chahe jo bhi kaho, par me saaf saaf dekh sakti hu ki mene jo kaha wo sahi hai.

Sukhdev : Aisa kuchh bhi nahi hai, tum bas jo man me aa raha hai wo bole ja rahi ho, aur tum aisa keh rahi ho iska ye matlab bhi hota hai ki tum is tarha se soch rahi ho.

Aiswarya : Ha, shayad.

Sukhdev : Tumhara dimag ghas charne gaya hai, tum aisa soch bhi kaise sakti ho.

Aiswarya : Aap baap ho na, apko apani beti ka sukh dikhayi nahi de raha hai, mene usko ghut ghut kar rehte dekha hai, uske age ki kisi ladki ko aise ghut ke rehte dekha hai kabhi, jis din se usko pata chala hai, bechari khamos si ho gayi hai, mene mana kiya tha ki usko un sab bato ko maat batao par aap nahi mane aur usko waha le kar gaye aur sab bataya, pehle kitna hasti thi, pura ghar apani masti se bhar deti thi, par ab dekho kaisi ho gayi hai wo, agar wo chahti hai to aap kyu rok rahe ho usko.

Sukhdev : Prakruti ne aisa kaha tumse?

Aiswarya : usne aisa kuchh bhi nahi kaha, par me maa hu uski, uske dil ki baat us se pehle samaj sakti hu.

Sukhdev : Tum janti ho ki ye mumkin nahi hai, agar aisa ho sakta to me khusi khusi usko apana leta, par ye sambhav nahi hai aur tum bhi ye achchhi tarha se janti ho.

Aiswarya : Muje bas apani bachchi ki khusi chahiye aur kuchh nahi.

Sukhdev : Agar maan lo ki hum me ek baar maan bhi gaya aur agar wo sach ho gaya to kya tum seh paogi, kya Prakruti seh payegi? (Aiswarya khamosh ho gayi, uski ankho me dard chhalak aaya) Tum janti ho ki muje bhi uski khusi kitni pyari hai, par ye mumkin nahi hai, agar wo us raste chal bhi padi hai to usko roko warna anarth ho jayega. (Kehte hue wo utha aur apane kamare ki aur nikal gaya, Aiswarya bethe bethe jaise kahi gum si ho gayi)

Prakruti apane kamare me ja kar bed par ulti let gayi, usko apane papa par bahot gussa aa raha tha, usko aisa tha ki wo apane papa ko kahegi aur wo Shiv se milne ko taiyar ho jayenge, par aisa kuchh nahi hua, pata nahi uske dil me kya ho raha tha, wo kuchh samaj nahi pa rahi thi, wo baar baar Shiv ke bareme hi soch rahi thi, par pyar jaisa kuchh bhi wo nahi soch rahi thi, na hi usko ye sab pata tha, par wo Shiv ke bare me hi sochti thi ye to comfirm tha, wo aaye din us se baat bhi kar leti thi, par khair khabar se aage koi baat nahi hui thi, jab uska gussa shant hua to usne socha ki kyu na usko hi yaha bulwa le, to usne Shiv ko phone lagaya.

Prakruti : Hello.

Shiv : (Wo abhi nadi kinare hi betha tha)Hello.

Prakruti : Kaise ho?

Shiv : Achchha hu, tum kaisi ho?

Prakruti : Me bhi achhi hu, achchha suno, ek baat puchhni thi.

Shiv : Ha bolo na.

Prakruti : Tum yaha aa sakte ho?

Shiv : Yaha matlab?

Prakruti : Yaha matlab mere ghar, aur kaha?

Shiv : (Muskurate hue)Muje thodi na pata hai ki tum ghar ho ya hostel, is liye puchh raha tha.

Prakruti : Dipawali aa rahi hai to ghar aayi hu, papa bhi aa gaye hai, tum aa sakte ho?

Shiv : Kyu?

Prakruti : Papa keh rahe the ki tumhe inam denge. (Prakruti ne aakhir darte darte keh diya, wo dekhna chahti thi ki uske papa sahi keh rahe the ki nahi)

Shiv : (Wo bhi majak me bola)Achchha, kya inam dena chahte hai?

Prakruti : Tum jo kaho.

Shiv : Fir bhi pata to chale ki wo kya inam dena chahte hai.

Prakruti : Wo keh rahe the ki tumhe jitne paise chahiye wo denge.

Shiv : Achchha, kitne denge wo?

Prakruti : (Shiv ki baat sun kar uska bhi dil bethne laga, usko bhi thoda gussa aane laga)Tumhe kitne chahiye?

Shiv : Pehle pata to chale ki wo kitne dene ko taiyar hai, fir pata chale ki mene khud ke pairo par hi kulhadi maar li, wo dena jyada chahte ho aur mene kaam maang liye to.

Prakruti : (Chidte hue)Tumhe jitne chahiye untne denge, tum bolo to.
 

supersonic12345

Love is hard to find, hard to keep, hard to 4Got
815
1,156
138
keep updating... mast jaa rahi hai story ... amazing story n writing skills.... u r great writer
 
Top