Update - 21
Kitchen mein bartan saaf karne ki awaz ke sath sath Sabiha aur Laiba ki behes bhi jaari thi. Laiba apne nakhun saaf karte hue nihayat be-rukhi se boli.
Laiba: Mummy! Kitna sukoon hai na ghar mein? Usey kuch din udhar hi rehne dein, hamari jaan chouti rahegi.

Sabiha: (Sanjidagi se) Aisi baatein nahi karte Laiba, tumhari behen hai wo. Kuch to khayal karo, wo bechari beemar parri hui hai udhar.
Laiba: (Tanziya hansi hanste hue)"Kyun? Kya hua usey? Zaroor drama kar rahi hogi udhar. Usey pata hai ke wahan aap ki tarah koi nakhre uthane wala nahi hai na, is liye beemari ka bahana bana liya hoga.
Sabiha: Ye tumhari bhool hai... sab se zyada jo uske nakhre uthata hai wo udhar hi hai. Sabiha ka ishara Ashar ki taraf tha.
Laiba: Haan! Isi liye to tang aa gaye hain do din mein hi us se... jo aap ko baar baar bula rahe hain ke apni anokhi ladli ko aa kar le jao.
Sabiha: Koi nahi hamain bula raha, hum khud ja rahe hain usey lene. Hamari beti hai wo to khayal bhi hum ne hi rakhna hai, jaise tumhara aur tumhare bhaiyon ka rakhte hain.
Laiba: (Aik dum karvi awaz mein) Haan! Bohot rakhte hain khayal! Aik bhai ko to do saal se ghar se nikala hua hai.
Sabiha ke hath ruk gaye. Unho ne gusse se Laiba ki taraf dekha.
Sabiha: Kuch sharam karo! Kya bol rahi ho? Wo apni marzi se gaya tha study karne ke liye.
Laiba: To kyun jane diya aap ne? Idhar bhi to apni study continue kar sakta tha. Aik wo hi to tha is ghar mein jo mera khayal rakhta tha, mera sath deta tha.
Sabiha: Haan! Itna hi khayal rakhta tha to rok leti usay... ab mera dimaag na khao, jao ja kar apna koi kaam karo!
Sabiha ne rukh pher liya, magar Laiba ki ankhon mein aik ajeeb si nami thi. Usey Salman ki yaad ke sath sath Sana par mazeed gussa aa raha tha.
..........................................................................
Ashar aur Sana park ki thandi hawa mein walk kar rahe thae. Ashar ka dimaag abhi bhi un uljhano ka shikar tha jo usay raat se pareshan kar rahi thin. Wo Sana ke normal behavior se confuse tha.
Jab wo ghar aia tha tu door sana na hi khola tha wo bhut khush ho kar mili usa se jisa uska wait kar rae ho. Woh kaafi khush aur beparwah si nazar aa rahi thi, jaise pehle hoti thi.
Sana ka behavior na usey thoda sukoon dia tha. Woh samajh raha tha ke usey raat ka kuchh yaad nahi. Lekin usko apne aap se bohot sharmindagi, uljhan aur gussa tha.
Dinner ka bad Sofia usey bata chuki thi ke kal bhabi aur bhai usey lene aa rahe hain. Ashar jaldi Sana se baat karna chahta tha ise laia wo usa walk kerne ka bahna bhir la aia.
Sana: kin sochoon mein gum hain? Jab se office se aaye hain theek se baat bhi nahi kar rahe mere saath.
Ashar: Hmm... isi liye tumhein saath laya hoon taake sukoon se baat kar sakoon.
Sana: Boliye… main sun rahi hoon.
(Woh uske saath chalte hue usey ek ada se dekhti hui boli)

Ashar: Sana, sab se pehle to mera us raat wala behavior... I mean, I am sorry.
Sana: (Baat kaat te hue) Wo to aap ne kal hi bol diya tha aur maine accept bhi kar liya tha. Us mein meri bhi utni hi galti thi.
Ashar ke qadam wahin jam gaye. Uska dil dharakna bhool gaya.
Ashar (Socked): WTF! Isay sab yaad hai? Isay pata hai ke raat ko bed par kya hua tha... aur ye phir bhi itni normal hai?
Sana: Kya hua? Aap aise kyun dekh rahe hai?
Ashar: Tum... tum mujhe pagal kar dogi Sana.
Sana: (Masoomiyat se) Ab maine kya kiya? (Usay Ashar ki baat ki samajh nahi aayi)

Ashar: Yeh hi toh masla hai… tum kuchh samajhti nahi ya samajhna chahti nahi ho?
Idar Ashar ko laga ke Sana raat wale incident ki baat kar rahi hai, magar Sana ke dimaag mein wo wali video baat thi.
Sana: aap video ke bare mein baat kar rahe hain. Wo... mujhe nahi pata kaise bani. I am sorry Main bohot sharminda hoon. I promise dobara aisa nahi hoga.
Ashar ne foran palti maari.
Ashar: Tumhare sharminda hone se kya hota hai? Tumhein pata bhi hai agar wo video kisi aur ke haath lag jati to kya hota.
Sana ab thoda phir se sad ho gayi thi. Uski aankhon mein aansu aa gaye thay jin ko dekh kar Ashar soft ho gaya.
Ashar ne Sana ko bataya ke kaise us larke ne trap bichaya tha aur kaise usne watchman ko paise dekar wo video hasil ki aur delete karwayi. Sana yeh sun kar hairaan aur pareshan ho gayi. Usay us ladke par bohot gussa aa gaya.
Ashar uske face ke expression se Sana ki condition samajh gaya.
Mostly ladke aise hi hote hain… particular teen age mein. Lekin ladkiyon ko khayal karna padta hai. Limit cross nahi karne deni hoti. Lekin tum…
Woh itna bol kar chup kar gaya (uska mind mein yeh khayal bhi aa gaya tha ke kal Sana ne usey bhi nahi roka tha).
Sana puzzled ho gayi thi. Usay samajh nahi aa raha tha kya bola.

Ashar: Ab tum badi ho gayi ho. Feelings sab mein hoti hain, male aur female dono mein... magar khud par control rakhna seekho. Ye sab cheezein sirf kisi khaas insaan ke liye hoti hain. Har kisi ko advantage lene ki ijazat nahi di jati.
Sana ko ye sun kar aisi insult feel hui jaise Ashar usay characterless samajh raha ho. Usay laga ke Ashar keh raha hai ke koi bhi larka dekh kar pighal jati hai.
Woh toh soch kar aayi thi ke Ashar ko bolegi baba ko aane se mana kar de… woh kuchh din aur reh le idhar. But ab usne jaana hi munasib samjha.
Ashar: Yeh is topic par hamari pehli aur last conversation hai. Main ab kabhi tumhare affairs mein nahi bolunga… tumhari life hai… tum jo marzi karo.
Sana jo itni khush thi, Ashar ki itni rude baaton se woh sad ho gayi thi. Woh phir se murjha si gayi thi. Wo khamoshi se Ashar ke peeche chalne lagi. Ashar ne to apna bojh halka kar liya, magar usne Sana ke andar ke us jazbe ko qatal kar diya tha jo kal raat jaaga tha.