- 16,285
- 109,990
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Bahut hi shandar jabardast update amezing yaaarUpdate - 202 ~ From the shadows (2)
Ab tak...
Veer apne hosh me aaya. Usne dekha. Aadesh ka lahu luhaan latakta hua bejaan sa shareer. Woh zinda tha. Lekin, adhmara sa ho chuka tha.
Aur, bina kuchh bole hi Veer ne hockey stick ko zorr se feka aur waha se mud ke jaane laga.
Koi shabd nahi. Koi harqat nahi.
Kyunki, uski agli destination tay thi.
Aur, woh akela nahi tha.
*Vroooooom*
Trisha ki jeep bhi raaste par bhaagte hue usi destination ki orr badh rahi thi.
Dhananjay!!!
Ab aage...
Vasai ke ghane ilaake me raat pehle hi gehri ho chuki thi. Sheher me ghapp sannaata pasra hua tha par Trisha ka kaafila dhundhli raushni waali sadko par ek khamosh bhaale ki tarah tezi se aage badh raha tha.
Police ki teen gaadiyaan ek ke peechhe ek raaste par daud rahi thi. Yeh raasta Thane se Vasai ko jodta tha.
Trisha sabse aage chal rahi pehli Scorpio me aage ki seat par baithi hui thi, jo MH-01 number plate waali ek sarkari gaadi thi. Upar jal rahi neeli batti ko bhi usne ekdum mand kar rakha tha.
Peechhe ki seat par ek sub inspector baitha hua tha — Anil Salaskar. Aur, uske saath do constable jo apni chhaati se rifles sataaye baithe the.
Trisha (driver se) : Aur, kitni der??
Driver : Bas madam! Kuchh aur der.
Usne sadak par apni nazrein gadaaye hue bataaya. Trisha ne haami bhari. Aaj raat woh saade kapdo me thi, apni wardi me nahi. Navy blue shirt, black jeans aur uski pistol ko dhakne ke liye ek half camouflage jacket.
Uska badge aur ID uske jeb me thi. Woh zaroorat padne tak apni authority nahi dikhaana chaahti thi. Aaj raat baat satta aur taaqat ki nahi thi. Aaj raat baat jawaabo ko dhundhne ki thi.
Uske peechhe do aur gaadiyaan chal rahi thi — ek innova jinme saade kapdo me adhikari the aur ek bina number waali safed bolero jisme rapid action unit ke log the. Kul milakar 10 adhikari. Sabhi chune hue.
Koi press nahi. DGP tak koi leak nahi. Formal log me bhi koi entry nahi. Sab kuchh — vyaktigat. Trisha ke under. Kyunki, aaj raat uske paas ek naam tha.
Dhananjay.
Woh aadmi jiske aadmiyon ne Hotel Prestige par shootout ko anjaam diya tha. Teen security guards ko maar daala, Mumbai ki jaani-maani hotel ko tehes-nehes kar diya. Ek aisa aadmi jiska koi ata-pata hi nahi tha achanak se itne bade humle ko anjaam de gaya.
Jab Kalyan East me uske ek aadmi ko mobile triangulation ke zariye pakda gaya aur uski achhe tareeke se khatirdari kari gayi toh usne ek naam bataaya. Ek jagah. Aur, ek samay.
Ek slaughterhouse. Veeraan. Vasai ke industrial estate me.
"Dhananjay... Dhananjay Vasai me milega. Vasai ke kasaayi-khaane me. P-Par, subah hote hi woh... woh apna adda badal lega."
Uss aadmi ke bol the. Aur, Trisha usi orr badh rahi thi. Lekin, uske dil me sirf yahi baat nahi khatak rahi thi.
Veer.
Uska naam tab se uske dimag me chadha hua tha jab se usne mirror gallery ki tasveeron me use dekha tha. Woh har jagah upasthit mehsoos hota tha, har panne ke peechhe kisi watermark ki tarah. Dhundhla par... maujood.
Lekin-
Usi ne. Usi Veer ne uss raat uski beti ko bachaaya tha. Uski Pihu.
Use aaj bhi wo kaanpti baahein yaad hai jinme Veer ne uski bacchi ko goad me utha rakha tha, uski beti uske khoon se saney shareer se chipki hui thi. Kaise usne bina kisi bhi maang ke uski beti ko uske haatho me saunp diya tha.
Usne baad me Pihu se sab kuchh jaanane ke liye uss se bhi sawal jawab kiye the. Aur, uski nanhi bacchi ne yahi bataaya tha ki-
"Mummy! Woh Juhi ke maamu ne humko bachaya tha. Woh bahut strong hai, mummy."
Magar, chhoti si bacchi akhir kitna hi bata paati. Veer aur Disembowler ki ladaayi thi hi itni tez ki aam insaan bhi agar khada hoke dekhta, toh sab kuchh nahi dekh paata. Fir, Pihu aur Juhi toh bacchiyaan thi.
Yaha tak ki usne apni beti, Pihu ko Rohan ko bhi kuchh bhi bataane se mana kiya hua tha aur nanhi Pihu ne ye kaam bakhoobi nibhaaya tha.
Lekin, yeh jhooth ka bojh ab badhta jaa raha tha. Use Rohan ko batana chahiye tha. Apne pati ko. Ek DGP ko. Usne Veer ke baare me uss se poochha bhi tha-
"Kaun hai woh, Trisha? Kaun hai woh jo humari bacchi ko bacha ke laaya? Mujhe batao Trisha, I swear mein use kuchh nahi karunga."
Aur, Trisha ne kya kiya?
"Maine nahi dekha uska chehra, Rohan. Woh bas aaya, Pihu ko meri goad me thamaya aur waha se gaayab ho gaya."
Usne jhooth bola.
"Tum jhooth bol rahi ho. Kya mein tumhe bewakoof dikhta hu?? Tumhari poori unit tumhare saath maujood thi aur tumhara kehna hai ki kisi ne bhi use nahi dekha?"
"Hmm!"
"Theek hai. Kab tak chhipaogi? Kahi ye jhooth kisi din mehnga na pad jaaye, Trisha. Yaad rakhna meri baat."
"R-Rohan, mein-"
Usne apne pati se jhooth bola. Kyu?
'Tum uss par nazar rakh sakti thi Trisha, pata laga sakti thi ki woh kya chhipa raha hai.'
Usne apne aap se mann me socha. Lekin, uske dil me ek aur awaaz fusfusayi.
'Woh tumhari bacchi ko tumhare paas leke aaya. Akele. Tab, jab tumne ummeed lagbhag chhor di thi.'
Usne apne nichle honth ko daato se zorr se bheencha.
Driver : Bas madam kuchh hi der. Thane se Vasai, minimum ek ghanta toh lag hi jaata hai. Bas 10-15 minute ka raasta aur.
Trisha (nods) : Hmm!
Aur, ve sab Vasai me sthit slaughterhouse ki orr badhte chale gaye.
***
Slaughterhouse, Vasai Industrial
Estate, Morning - 2:35 AM ~
Vasai ka yeh kasaayi-khaana kaafi mahino se veeraan pada hua tha. Jagah-jagah zung, sookh chuke khoon aur tel ki baasi gandh hawa me feli hui thi.
Neeche ka farsh toota hua, ubad-khabad, aur puraane grease se lathpath tha. Upar zung lagi lohe ki patriyo par abhi bhi hooks latak rahe the. Kabhi-kabhar upar ek timtimata hua bulb bhinbhinata jis se deewaron par lambi parchhayiyaan padti.
Yeh slaughterhouse woh jagah thi jaha janvaro ko maar kar insaano ke upbhog ke liye maans ke roop me unhe process kiya jaata tha. Idhar alag-alag prakar ke janvaro ka rakh-rakhaav kiya jaata tha.
Janvaro ko behosh karna, unka khoon nikaalna, unki safaayi karna, aur meat production ke liye unki dressing karna. Ye sab ek slaughterhouse me kiya jaata tha. Aur, yeh kasaayi-khaana Dhananjay ke hi dada ji — Harikiran Singh ka tha.
Adhik paisa kamaane ka ek aur zariya. Magar, ab yeh band ho chuka tha.
Kaaran? Slaughterhouse me unhygienic tareeke se maans ko preserve karna, animal cruelty, food safety, jaise kayi rules ka violation karte hue FSSAI ki taraf se unhe ek legal notice praapt ho chuka tha jiske chalte yeh kasaayi-khaana band ho gaya.
Kintu, jo bhi ho... Chhipne ke liye iss se behtar jagah aur koi nahi ho sakti thi.
Dhananjay beecho-beech khada hua tha, uske baaye haath me beer ki ek bottle thi, fatey hontho ke beech ek cigarette fasi hui thi. Uski shirt saamne se poori tarah se khuli hui thi jiske chalte uski andar ki baniyan saaf nazar aa rahi thi.
Dhananjay : Maayi ke kasam, badla layeeb. *huff* Samay aa gawa hai!
Woh idhar se udhar tehel raha tha. Jaise shikaar se pehle maano ek baagh tehel raha ho.
Qadmo ki aahat sunayi di. Uska ek aadmi, Satbeer, taar jaisa sikuda lekin, tez nazron waala, thoda haafta hua, uski taraf daudata hua aaya.
Satbeer : Sarkar! Sab jaal bichha diye hai. Jaisa aap bole the.
Dhananjay ruka. Uske chehre par ek muskurahat fel gayi, jis se uski ghani moochhe upar ki orr mud gayi.
Dhananjay : Theek ba!
Usne dhue ka ek gubaar chhora.
Dhananjay (grins) : Ab asli khela shuru hui!!
Dusre aadmi Pintu ne Satbeer ko asmanjas me dekha. Fir, Dhananjay ko. Fir, akhirkar usne poochh hi liya.
Pintu : Sarkar! P-Par ek baat samajh nahi aayi. Hum ye jaal bichha kyu rahe hai? Yaha par toh humein konu khatra nahi hai.
Dhananjay ke qadam ruke. Woh ghooma. Uski aankhon me chamak thi. Fir, cigarette ko fekne se pehle ek gehra kash kheencha aur bola.
Dhananjay : Kaahe ki tum log kuchh nahi jaanela...! Bas goli chalaave ke kaam ba bhosad chode... Dimag lagaave ke na!!!
Woh dheere-dheere Pintu ke qareeb aaya, aur uske kandho par apne haath rakha. Uske hontho par ek ajeeb si haivano waali muskaan thi.
Dhananjay : Hum hi apne dui aadmi chhora tha hua! *grins* Taaki uu dono pakde jaa sake.
"K-Kya???"
Satbeer aur Pintu dono ne chaunkte hue ek dusre ki orr dekha.
Satbeer : L-Lekin, kaahe sarkar? Apne hi aadmi?
Dhananjay ki muskurahat gurrahat me badal gayi.
Dhananjay : Kaahe ki uu Veer... Saala maayi ka choda... Uu saala samjhat ba ki humaar pata usko mil gayeel hahahahaha! Ab uu akele aa riya hoga badhiya robin hood bann ke hahaha! Sochat hui ki hum hiya sehma hua, daba hua baitha hai. Lekin-
Woh qareeb jhuka, uski aankhein chaudi ho gayi.
Dhananjay : Asli shikaar toh uu khud ba!!!
Ek khamoshi chhaa gayi.
Dhananjay : Ee kasaayi-khaana uu ka hai. Uu ka kehte hai? Haan! Humre dada ji ka hahaha! Aisan jagah jaha aadmi ko gaado toh konu suraag na mile.
Usne maans ko latkaane waale hooks ki orr dekha. Fir, zor se do baar taali bajaayi.
*Clap* *Clap*
Uska ek aadmi slaughterhouse ka naksha lekar aaya. Yeh haath se banaaya gaya tha. Ekdum taaza. Usme sab kuchh maujood tha. Alag-alag raaste, chhipne ke sthaan, platform, levers, control room, machines, sab kuchh.
Dhananjay ne ye naksha inn beetein dinon kaafi hadd tak ratt liya tha. Usne ek baar aur uss nakshe ko dekh sab kuchh apne dimaag me baithaane ki koshish ki.
Dhananjay : Uu Veer abki baar hiya se zinda nahi jaayega.
Usne apne galey par kaatne ka ishaara kiya.
Dhananjay : Uu ki gardan hum uu ke dhad se alag kar denge! Chhatpata ke mari, saamne humara! Aur, uu ke baad- saara paisa humra hahaha!
Ek kshan beeta. Tabhi, usne apna phone nikaala. Aur, ek number dial kiya. Ghanti baji, aur kuchh ghanti baad udhar se awaaz aayi.
"H-Haan-! M-Mein gaadi me hu!"
Dhananjay : Hahaha! Aai ja maayi! Aai ja! Tohre liye badhiya tohfa taiyaar kar ke rakhunga. Tu aa!
Phone ke uss orr Vandna thi.
Vandna : Y-Ye sab! Ye sab jokhim bhara hai!
Sunte hi Dhananjay ka chehra kaala pad gaya.
Dhananjay : Iski behan ki choot! Muh band rakh! Bahut baat sunn leni tohre se. Ab aur naa! Jitna bola gaya hai utna karne ka! Samjhi na?
Vandna : H-Haan!
Dhananjay ne bina kuchh aage kahe call kaat di aur phone apni jeb me rakh liya. Usne ek gehri saans li, fir chillaaya.
Dhananjay : Taiyaar ho jao sab ke sab. Apni-apni jagah lelo! Uu sasuri Veer kisi bhi samay aata hi hoga.
Aadmi : Ji sarkar!
Uske nirdesh par sabhi aadmi alag-alag jagaho me jaa kar chhip gaye. Kuchh lockers ke peechhe, kuchh baahar ki naali ke paas, kuchh upar ke corridors me, toh kuchh neeche kasaayi-khaane ke andar dubak ke baith gaye.
*Click*
Bandooke load ho gayi. Aadmiyon ka pehra shuru ho gaya, mobile phones silent me kar liye gaye. Conference call se sab jud gaye.
Yahi thi Dhananjay ki rann-neeti. Jaan boojh ke usne apne do aadmi peechhe chhore the taaki Veer ke dwara ve pakad me aa sake.
Ab choonki unke phone nahi lag rahe the, matlab saaf tha ki dono pakde jaa chuke the. Aur, unhone uske kahe anusaar uski jagah bhi bata hi di thi.
Woh dono aadmi gaddaar nahi the. Unhe jaan-boojh ke sikha ke bheja gaya tha ki kab aur kitna virodh karne ke baad jankari muh se ugalni hai. Dhananjay Veer ko apni territory me bula raha tha. Use maarne ke liye. Veer ko ye vishvas dilaate hue ki Veer do qadam aage hai.
Lekin, Dhananjay ek baat se anjaan tha. Woh yeh ki-
Uska ek aadmi toh beshaq Veer ke qabze me aa chuka tha. Magar, dusra-
Dusra vyakti police ke qabze me tha. Aur, police ab yahi aa rahi thi. Jiske baare me use koi khabar nahi thi.
***
2:58 ho raha tha aur Mumbai police ki teen gaadiyaan ek kataar me junglee ghaas ke paas ek service lane me khadi ho gayi. Rukte hi headlights bujh gayi.
*Thud*
Darwaaze khol sabhi officers, hawaldar, aur rapid action ke log unme se baahar aaye. Koi aadesh nahi. Koi awaaz nahi. Ve sab kasaayi-khaane se 400m ki doori par khade ho gaye.
Trisha : Lights band. Sab radio silence me.
Usne apne logo ko nirdesh diya. Uske kaale boots bajri chatkaate hue raaste par aage badh rahe the. Jaan boojh ke ve sab thoda pehle utre the taaki Dhananjay ko koi shaq na ho.
Inspector Anil Salaskar, jo umr me toh Trisha se bade the, lekin raid me anubhavi the. Unke sujhaav ke anusaar sabhi log ghaas ki aadh me raaste par aage badhne lage. Aur, jaise hi ve sab slaughterhouse ke ekdum nazdeek pahuche toh unki aankhein waha ka drishya dekh chaudi ho gayi.
Anil : Wo raha kasaayi-khaana madam. Lekin, kuchh toh ajeeb hai.
Usne apni aankhein sikodte hue door dekhte hue kaha. Slaughterhouse ke theek baahar sewage ke paas 3 se 4 log pehra de rahe the.
Anil : Security?
Trisha ne bhi apni aankhein sikodte hue uss orr dekha. Sewage ke paas timtimaate street lamp ki halki peeli raushni me, chaar aadmi saade kapdo me, haatho me mobile aur handgun liye ghoom rahe the. Lekin, unki chaal, unka andaaz koi aam vyakti jaisa nahi tha.
Trisha (frowns) : Ye security guards nahi hai! Y-Ye... Unke haatho me gun hai. Armed hai. Y-Ye... Shooters hai!
Anil : Kya lagta hai? Kya humaare yaha aane ki khabar unn tak leak ho gayi? Unhe kaise pata chala ki koi aane waala hai?
Trisha ne turant jawab nahi diya. Kuchh der baad woh boli.
Trisha : Aisa bhi toh ho sakta hai ki wo kisi aur ka intezar kar rahe ho?
Anil : Hmm? Aur, kiska madam?
Woh chup rahi. Uska mann kisi aur jagah ghoom gaya. Veer!!!
Kya Dhananjay waqai me unka intezar kar raha tha? Ya-
Woh Veer ka intezar kar raha tha? Ya fir-
Veer ka iss se koi lena dena hi nahi tha aur Dhananjay kisi teesre vyakti ka intezar kar raha tha?
Tamaam sawaal uske mann me paida hue. Bheetar hi bheetar dwand bhadak utha. Lekin, iss pal me aap jhijhak nahi sakte the.
Trisha ne apne comms. par click kiya aur usme se boli.
Trisha : Sunil! Road ke pichhle hisse me dono gaadiyaan le jaake ek barricade taiyaar karo. Apne saath ek jann aur rakh lo. Yaha se koi bhi bhaagna nahi chahiye.
Sunil : Ji madam!
Trisha : Rapid action unit. Aap sab baayi orr se flank karenge. Choonki aap slaughterhouse ke side se flank kar rahe ho, aapko peechhe se bhaagne waale log aur aage ke log clearly dikh paayenge. Mujhe har ek jankari chahiye.
Rapid Action Unit : Ji madam! Clear!
Trisha : Mein aur Anil ji baaki dono hawaldaro ke saath saamne se enter karenge. Agar, unhe bina maare neutralize kar sakte ho toh badhiya hai. Anil ji! Aap lead kariye.
Anil (smiles) : Aap bas peechhe cover leke mere saath aate jaaiye, madam. Baaki, mein sambhal lunga.
Trisha (nods) : Hmm!
Usne kasaayi-khaane ki orr dekha. Waqai me ye kaafi bade ilaaqe me fela hua tha. Uski deewarein bhi samay ke saath kaali pad chuki thi. Unhe bahut hi satarkta baratne ki zaroorat thi.
Ek chook, aur Dhananjay haath se fisal sakta tha.
---
Toh wahi kasaayi-khaane ke andar, Dhananjay idhar se udhar tehel raha tha.
Raat ki halki thand ke bawajood uski gardan paseene se tar thi. Usne apni cigarette ka akhiri hissa boot ke neeche dabaaya aur apne ek aadmi ko dekh poochha-
Dhananjay : Sab aadmi pojition le liye ki naahi?
Aadmi : J-Ji sarkar! Sab taiyar hai!
Dhananjay : Hmm!
Abhi unka sanvaad aur ho paata ki tabhi itne me-
Baahar pehra de rahe ek aadmi ne do police waalo ko sadak paar karte dekh liya. Uski aankhein bhay ke maare fel gayi, wo fauran hi phone par chillaaya.
Dhananjay : Kya hua bey?
Aadmi : S-Sarkar! Sarkar maine abhi-abhi... Maine abhi-abhi do police waalo ko sadak paar karte hue dekha.
Aur, beshaq ye sunte hi Dhananjay ka khud ka badan sihar gaya. Police? Yaha? Kahi na kahi use andaza tha iska, lekin-
Dhananjay (frowns) : Madarchod ee Veer sasuri police leke aa gaya?
Aadmi : Kya karna hai sarkar?
Dhananjay : Chaahe police ho ya koi bhi, daag do sabko. Konu bach ke jaane na paaye. Ee Veer ko toh hum dekhela!!!
Uske aadesh ke baad aadmi log bhi police se bhidne ke liye taiyaar ho gaye kyunki, ve jaante the ki iss ladaayi ke baad unn sabko ye thikana badalna hi hai. Fir chaahe do aadmi maar ke jao ya chaar, kya farq padta hai?
Par, abhi sab taiyar hue hi the ki-
*Buzz*
Achanak batti gul ho gayi.
Dhananjay : Madarchod! Ee sasuri lightwa kaun band kar diya??
Woh chillaaya.
Wahi, baahar maujood Trisha aur baaki sab bhi achanak light chale jaane se dang reh gaye. Ab andar ghusna unke liye aur bhi mushqil ho chuka tha.
Tabhi, ek aadmi andar aaya aur usne haklaate hue ghabra kar bataaya.
Aadmi : S-Sarkar-! Khambe ke paas bijli ki taarein latak rahi hai. Pata nahi kaise-
Dhananjay : Tohri maayi ke chode, tuhaar gaand me goli daal dees. Tohre se taar ki baat poochhle rahi hum?
Aadmi : N-Ni-!
Dhananjay : Bijli kaise gayi???
Aadmi : P-Pata nahi sarkar! T-Taar khambe se jhool rahi hai.
Dhananjay: Toh bhosad chod jaa ke generator chaalu karo! Lightwa jalao! Bhaago hiya se!
Woh aadmi dar ke maare generator shed ki orr turant bhaaga. Baahar idhar Trisha aur Anil ki team andhere ke kaaran ab kahi na kahi andar toh asaani se pravesh kar sakti thi, magar ye andhera unke liye bhi ek kathinaayi ka kaaran tha.
Anil : Yahi mauka hai, madam! Andhere me dhaawa bolna hoga.
Trisha (frowns) : Kya bina shooting ke kaam nahi ho sakta?
Anil : Nahi madam! Wo pehra de rahe hai. Kisi ka intezar kar rahe hai. Aur, upar se sabke haatho me hathiyar hai shayad. Hum risk nahi le sakte. Injury deke hi aage badhna hoga.
Trisha : Theek hai!
Trisha batti gul hone ke kaaran ke peechhe zyada pareshan thi. Iss waqt achanak se batti gul hone ka kya kaaran ho sakta tha? Overload? Short circuit? Ya mehez ittefaq?
Parantu, ye sochne ka samay nahi tha.
Anil : Mein aage badh raha hu, mere peechhe-peechhe aate rahiye aap sab, madam!
Trisha (nods) : Hmm!
Woh dono do hawaldaro ke saath aage badhe aur cover lete hue Anil ne turant hi chillaaya-
Anil : Apne hathiyar neeche fek do! Tum sabhi ko chaaro orr se police ne gher liya hai. Surrender kar do!
Magar, Dhananjay ke aadmiyon ko pehle hi nirdesh mil chuka tha ki kya karna hai. Bhala wo kaha apne hathiyar itni asaani se fekne waale the?
*Bang*
Bandook se nikli pehli bullet seedhe Anil ke paas waali deewar se aa kar bhidi. Trisha chaunk gayi. Ye jaante hue bhi ki police dwara ve sab chaaro orr se ghir chuke hai, uske bawajood ye aadmi itni himmat kar unn par shoot kaise kar sakte the? Ye uski samajh se parey tha. Kahi na kahi wo niraash thi aur krodhit bhi ki pehle khoon-kharabe ko taala jaa sakta tha. Magar, shayad ab nahi.
Anil : Dekha madam! Maine kaha tha na? Aisa lagta hai jaise inn saalo ko pata tha ki hum yaha aane waale hai.
Jab bullet ki awaaz waha goonji, toh sab satark ho gaye. Ye ek ishaara tha ki bina ladaayi ke kuchh bhi haasil nahi hone waala tha. Wahi, andar Dhananjay ko bhi pata lag gaya tha ki ladaayi shuru ho chuki hai. Lekin, kareeban theek 30 second ke baad-
"AAAAAAAAHHHHHH!"
Kasaayi-khaane me ek cheenkh goonj uthi. Chubhne waali. Tadapti hui. Dardnaak. Cheenkh sannaate ko aise cheeri jaise koi khanjar resham ko cheerta hai. Dhananjay thitak gaya. Baaki gundo ne awaaz ki taraf apna muh ghumaaya. Cheenkh generator shed se aayi thi. Sab ne hathiyaar taan liye. Dehshat badhti jaa rahi thi.
Dhananjay (yells) : Ka bhail???
Uske chillaane par ek aur aadmi generator shed ki orr bhaaga. Mand raushni waale shed ke andar, usne dekha ki pichhla aadmi jo generator chaalu karne ke liye aaya tha, woh zameen par pada tha. Uska shareer aitha sa tha. Woh bhaag kar uss aadmi ke paas pahucha aur jaise hi usne uska aaklan liya, uski aankhein bhay ke maare fel gayi. Kyunki, neeche pada hua aadmi... marr chuka tha.
Kaaran? Kahi na kahi woh aadmi bhaanp gaya. Current!!! Usne ghabraate hue generator ke aas-paas dekha, aur savdhani se generator on kiya. Generator me koi kharabi nahi thi. Fir, ye current? Akhir, ye aadmi mara kaise? Current laga kis se? Woh vyakti ghabraate hue wapas se andar kasaayi-khaane ki orr bhaaga aur ghuste hi-
Aadmi : S-Sarkar-! W-Woh toh mar gaya... Jhatka laga gaya... Poora current ghus gaya... Generator me konu jhol nahi hai, p-par pata nahi kaise-
Batti toh aa chuki thi, magar Dhananjay ki dhadkane dehshat ke maare ab tez hoti jaa rahi thi.
Dhananjay (growls) : Saala sab kuchh plan ke mutabik jaat rahela... ab ka... ka gadbad hui rahi hai baar-baar?
Police ka aana. Bijli ka jaana. Uske ek aadmi ka achanak se marna.
Tabhi, use ek abhaas hua. Aur, uss baare me sochte hi uski aankhon ki putliyaan baahar ko aa gayi. Ek thandi sihran uske poore badan me daud gayi.
Woh apne aap me fusfusaya.
"Kauno... Kauno aa chuka ba!!! Kauno hiya hai!! KAUNO HIYA ANDAR GHUSA HAI MADARCHODO!!!"
Woh ghabrahat me zorr se chillaaya aur uske aadmi dar ke maare chappa-chappa chhaanane me lag gaye.
Generator toh chalne laga tha. Lights bhi aa chuki thi. Magar, upar waale loft office me Dhananjay hila hua tha.
Ujaale se use thodi raahat pahuchni chaahiye thi, lekin aisa nahi hua.
Ulta...
Uski ghabrahat aur bhi badh chuki thi.
---
*Crack*
Sub inspector Anil Salaskar ke kandhe se kuchh inch upar chaardeewari se eento ka choora uchhla. Woh neecha jhuka aur cement ki deewar ke peechhe ludhak gaya.
Anil (yells) : Firing! Firing! Upar se ho rahi hai.
Usne apne radio par chillaaya. Kasaayi-khaane ki height ka advantage lete hue Dhananjay ke aadmi upar ke corridor se khuli hui khidkiyo se vaar kar rahe the taaki police unn tak pahuch na sake.
Trisha concrete ke bane chaare ke gaddhe ke peechhe chhipi hui thi, daant bhinche hue. Andar ghusna mushqil hota jaa raha tha. Upar se lights wapas se aa chuki thi.
Usne apne galey ke mic par button dabaaya aur boli.
Trisha : Sabhi teams! Cover lo! Aur, cover se hi counterattack karo.
*Bang* *Bang* *Bang*
Goliyon ki bauchhaar shuru ho gayi. Slaughterhouse ki teen oonchi khidkiyon se firing ho rahi thi. Koi rifle nahi, sirf handgun aur pistol ki gadgadahat, aim me laparwahi. Oonchaayi ka fayda toh unke paas tha, lekin ve sab trained policemen ke saamne nauseekhiyo ke samaan the.
Jaise hi ek khidki se ek aadmi ne fire kiya, uski bandook ke muzzle se nikla flash dekh Trisha fauran uthi. Ek andaaza aur-
*Bang* *Bang*
Do round ka controlled burst. Aur, agle hi pal-
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaa-!!!!"
Khidki par khada aadmi dono goliyaan apne seene me lagne se khidki se ladkhada ke neeche gira. Uska shareer hawa me gulaati khaate hue neeche aaya aur-
Neeche lagi lohe ki taaro ki nukeeli boundary se jaa bhida.
Trisha (yells) : SHIT!!
*Squish*
Khoon ke chheete hawa me uchhal gaye, uska gala unn lohe ki taaro ke nukeele hisso me jaa ke dhans gaya aur baaki ka shareer-
Yuhi hawa me jhulta reh gaya.
Trisha ne apne daant zor se meese. Ek dardnak maut. Woh sirf uss aadmi ko neutralize karna chaahti thi. Iss tarah se maarna nahi. Lekin, uss aadmi ki kismat hi aisi thi ki woh iss qadar apni jaan gawa baitha.
Trisha ke baayi orr Rapid Action Unit (RAU) ke log ekdum taiyaar the. Tactical gear aur ballistic helmets, ve sab ek V akaar banaate hue fel gaye, unke haatho me ballistic shields thi. Bullets shield se ricochet hui, operators chillaaye lekin datey rahe. Ve sab baakiyon ke liye raasta banaane ke liye zimmedar the.
Tabhi, radio se awaaz aayi-
"Sunil reporting- peechhe ki lane block kar di gayi hai. Dono jeep se barricade bana diya gaya hai. Escape route seal kar diya hai. Repeat, escape route seal kar diya hai."
Trisha (nods) : Good Sunil!
Usne ek gehri saans li. Achha hua pichhla maarg block kar diya gaya tha. Ab bhaagne ke liye Dhananjay ke paas sirf ek hi raasta tha. Aur, woh tha-
Saamne ka raasta.
---
"Sab pojition par ho ki naahi?"
Dhananjay ne ek aadmi se jhatke se phone chheente hue kaha.
Magar-
Koi jawab nahi.
Dhananjay : Satbeer!!? Generator shed me ka hua??
Koi jawaab nahi.
Dhananjay (shouts) : SUAR KE BACCHON! SAB KE SAB APNI MAAYI KI GAAND ME GHUS GAYE HO KYA???
Usne firse apne phone se awaaz lagaayi. Ve sab ke sab conference call se ek dusre se connected the.
Dhananjay : Ae Raju!!!?
Akhirkar, ek awaaz phone par sunaayi di.
Raju : H-Haan sarkar! H-Hum-
*CLANG*
Raju : Glrghhh!!!
Aur, Raju conference call se achanak se alag ho gaya.
'!!?'
Dhananjay ke muh se cigarette gir gayi. Woh paas ke do aadmiyon ke paas gaya.
Dhananjay : Dusre gate pe niklo!! Dekh ke aao! Dekh ke aao kya chalat ba-!
Ve dono aadmi jhijhke.
Dhananjay (screams) : KA DEKHAT BA!? DEKH KE AAO JHAATUO!!
Dono dar ke maare jaalidaar seedhiyon se neeche stun corridor ke liye bhaage. Jise stunner floor bhi kaha jaata tha. Stunner kisi bhi kasaayi-khaane me janvaro ko maans me tabdeel karne ke liye pehli prakriya hoti thi. Unke sarr par stunner se unhe stun kiya jaata tha jaha ve behosh ho jaate the aur uske baad behoshi me baaki saari prakriyaon ko anjaam diya jaata tha.
---
Idhar RAU ke log baayi orr mude, ek puraane feed silo ko cover ki tarah istemal karte hue, ek operator ne side hatch me ek flash diversionary lagaayi aur ungliyon se ulti ginti shuru kar di.
3...2...1...
*BLAM*
Hatch par maujood do gunde flashbang ke chalte andhe ho chale. Aur, tabhi-
"Jaldi! Jaldi! Jaldi!"
RAU ke logon ne unn dono ko pakad ke ghera, unhe baandha aur apne boots unki gardan par tikaaye unhe neutralize kar diya.
Anil ne deewar ke upar se jhaanka-
Anil : Teesri khidki! Daayi waali!
Trisha (nods) : Supress!!!
Aur, uske aadesh par do constable ne apni rifles ki goliyon se deewar ko cheer diya. Plaster ukhad gaya. Ek pistol baahar ki orr giri, uske baad ek haath latak gaya. Andar pada shav nazron se ojhal ho gaya.
Tabhi, comms. me se firse awaaz aayi-
"Madam! Front se aage badhiye. Left side se poora area secure kar diya hai. Do aadmiyon ko custody me bhi le liya hai."
RAU ke pramukh ne uss se kaha.
Trisha : Ruko! Wahi rukna!!!
Woh Anil ko dekhi aur uss se boli.
Trisha : Aap yaha se andar pahuchiye. Mein RAU ke saath andar milti hu.
Anil (nods) : Ji madam! Sambhal ke!
Trisha cover ka sahara lete hue RAU ke paas jab pahuchi toh usne dekha Dhananjay ke dono aadmi haath-perr aur muh bandhe neeche daley hue the. Usne fauran hi apni bandook nikaali aur seedhe unme se ek ke thobde par taan di.
Trisha : Iske pehle ki mein trigger dabau, seedhe-seedhe batao ki tum sab yaha kya kar rahe ho aur kiska intezar kar rahe the?
Trisha ke sawaal se aadmi chaunk gaya. Iska matlab kya police jaanti thi ki ve sab yaha kisi ka intezar kar rahe the? Magar, woh bhi shaatir tha. Woh jaanta tha ki police itni asaani se use nahi maaregi isliye woh khamosh raha.
Lekin, Trisha DSP thi. Koi aam police officer nahi. Uss aadmi ke mann ki baat bhi jaise woh samajh gayi.
Trisha : Hmph! Hoshiyar banane ki zaroorat nahi. Tum sab logon ka warrant maine jaari kar diya hai. Koi bhi aadmi Dhananjay ke saath associate rahe, unhe dekhte hi neutralize karne ka aadesh de chuki hu mein.
Aur, yaha neutralize ka matlab tha — maut.
Kehte hi usne dobaara uss aadmi ko dekha, iss baar uss aadmi ki aankhon me bhay tha. Kyunki, warrant jaari tha. Zinda ya murda. Farq nahi padta. Agar, vyakti Dhananjay ke saath mila hua hai, toh poori police force ko khulli chhooth thi unhe on the spot maarne ki. Aur, do teen logon ko wo pehle hi nipta chuke the.
Warrant ke issue hone se maamla ab badal chuka tha. Dhananjay ek bahut bade terrorist attack ka prime suspect tha. Uss se associate logon ke liye bhi warrant utna hi sakht hona chaahiye tha jo Trisha ne tabhi de diya tha jab Dhananjay ke aadmiyon ne firing shuru ki thi.
*Chataaak*
Ek thappad uss aadmi ke gaal par zor se pada.
Trisha : Jaldi!! Mein intezar nahi karungi.
*Click*
Usne handgun ka hammer anguthe se kheencha.
Trisha : Mein teen tak hi ginungi. 3...2...
Iss se pehle ki woh ek tak ginti woh aadmi zor se bol pada.
Aadmi : B-Bataata hu!!! B-Bataata hu! M-Mujhe mat maarna! M-Mein bataata hu-!!
Trisha (growls) : BOL! JALDI BOL! BOL YAHA KYA KAR RAHE THE TUM SAB? KISKA INTEZAR KAR RAHE THE? KYU NEECHE PEHRA DE RAHE THE?
Aur, uss aadmi ne aage jo bola, use sunn Trisha ki aankhein dar ke maare fel gayi.
Aadmi : V-Veer!!!
Trisha : ...!!!
Aadmi : H-Humare sarkaar... H-Humare sarkaar ek V-Veer naam ke ladke se badla lena chaahte hai-! I-Isliye-! U-Uska intezar kar rahe the!
Trisha ko jo jaanana tha wo woh jaan chuki thi. Uska poora badan thanda pad chuka tha. Veer...!!! Woh sahi thi. Dhananjay Veer ke peechhe hi tha.
Woh hazaro sawaalon ke jawaab abhi iss aadmi ke muh se nikalwana chaahti thi, kintu iska samay abhi uske paas nahi tha.
Woh seedhe aage ki orr bhaagi.
RAU ka ek aadmi wahi unn dono aadmiyon ke paas theher gaya aur unn se jankaari nikalwaane me lag gaya.
Lekin, Trisha ki dhadkane ab dheemi nahi pad sakti thi.
*Badump* *Badump*
Kya Veer yahi tha? Agar, haan toh kya woh sahi salamat tha? Dhananjay aur Veer ke beech kya dushmani thi? Kya Veer waqai underworld se related tha? Kahi usne police waalo ko Dhananjay ke aadmi samajh ke unn par humla kar diya toh? Kahi Dhananjay ke aadmiyon ne uss par humla kar diya toh? Ya kahi police waalo ne uss par Dhananjay ka aadmi samajh ke vaar kar diya toh?
Tamaam sawaal use andar se gher rahe the. Aur, har guzarte pal Trisha ki haalat kharab hoti jaa rahi thi.
Woh punaah apne comms. me chilla kar boli.
Trisha : MUJHE DHANANJAY ZINDA CHAHIYE!!! ZINDA!
---
Idhar andar Dhananjay ke bheje do aadmi daudate hue central corridor me pahuche.
Unhone dekha ki ek bhaari steel ka crowd gate jo janvaro ko rokne ke liye istemal kiya jaata tha, deewar se upar tika hua tha. Ek zanzeer aur ek chhote se hook se bandha hua.
Jab janvaro ko bade raaste se chhote sakre raaste me bhejna hota tha toh uske liye ye bade crowd control gates istemal hote the. Ye beech me janvaro ko rokte the, aur fir wapas se khul ke janvaro ko pravesh karne dete the. Theek waise hi jaise aksar railway crossing me poles neeche aake gaadiyon ko roka karte hai taaki ve aage na badhe. Farq bas itna tha ki ye steel ke gates wazan me bahut bhaari aur bade the.
Ek aadmi ne zanzeer dheere se tatoli. Woh dheeli thi. Gate apni jagah se ek inch khisak gaya.
Aadmi : Are ye zanzeer kaun dheeli chhor gaya? Sarkar abhi gaali sunayenge!
Woh badbadaya. Uske maathe par paseena chamak raha tha. Dusre aadmi ne bauhe chadhayi aur apni shirt par haath pochhe.
Aadmi 2 : Power gaya tha na... Shayad pressure chhor diya hinge ne. Tight kar de. Jaldi.
Haami bhar pehla aadmi jhuka, zanzeer pakdi aur use deewar ke cleat par aur kass diya. Hook charmaraya. Loha lohe se ghis raha tha. Ek pal ke liye, use kuchh gadbad laga. Bolt mushqil se tik raha tha. Usne ek aur zor se jhatka diya taaki zanzeer ko woh tight kar sake.
Par tabhi-
*CLANG*
Ek tez awaaz ke saath cleat deewar se alag ho gaya.
'Huh?'
Saikdo kilo wazni poora darwaza kisi bediyon se azaad jaanvar ki tarah uchhal kar azaad ho gaya.
Aadmi upar dekha. Magar, bahut der ho chuki thi.
Darwaza haddiyaan todne waale zor se jhoola, zanzeer abhi bhi uss aadmi ki giraft me thi. Aur, agle hi pal-
*BAAAAMMMMMM*
Woh steel ka bhaari-bharkam darwaza poora ka poora uski upar aa gira. Uske shareer ke chithde udd gaye, khoon ke chheete titar-bitar fel gaye.
Dusra aadmi aisa jamm ke reh gaya jaise use saanp soongh gaya ho. Uski aankhein chaudi ho gayi, saansein galey me atak gayi.
Woh apne saathi ke mude hue shareer ko ghoorta raha. Dar haawi ho gaya.
*RUMBLE*
"Ahhhh-!!! K-Kaun!??"
Achanak aayi ajeeb si awaaz ne uska dhyaan kheencha. Usne apne aas-paas dekha.
Ek lamba khula steel ka tank jisme janvaro ki laasho ko ubalte khaulte paani me duboya jaata tha taaki unke maans ko narm kiya jaa sake, unke shareer par maujood baalo ko narm kiya jaa sake taaki skinning ke liye asaani ho sake. Aaj raat veh tank khaali tha. Bas ek andhere se bhare gaddhe ke samaan prateet ho raha tha jiske agal-bagal neeche farsh par tiles lage hue the.
Tabhi-
*RATTLE* *RATTLE*
Uske peechhe kuchh pipes ki orr se awaaz aayi. Kahi parchhaayi me ek dheeli chain khadkhadayi.
Woh dar ke maare ghoom gaya.
"K-Kaun hai??? *huff* *huff* S-Saamne aao!!!"
Uski awaaz bolte hue fatne lagi. Use apne kaano me apni hi dhadkano ki awaaz sunaayi de rahi thi.
Woh railing ke kinaare par jhuk kar apne aap ko sthir rakhne ki koshish karne laga. Tabhi, usne dekha-
Upar pipes se halki si bhaanp uth rahi thi. Hot water system chaalu tha. Woh tank. Khaali nahi tha. Lekin... unme se kisi ne bhi use nahi chhiya tha.
'Y-Ye k-kaise...? Ye chaalu kaise hua?'
Woh mann hi mann budbudaya.
Aur, ek baar fir-
*RATTLE* *RATTLE*
Uske peechhe se ek zordar khatkhat ki awaaz punah aayi. Lekin, iss baar woh ghooma nahi, balki bhaaga. Tezi se. Jab achanak ek mod pe-
*Slip*
'!!!?'
Uska perr neeche lagi grease ke chalte fisal gaya. Woh aage ki orr gir pada. Uski chhaati steel ke kinaare se takraayi. Uski pasliyon me zor ka dard utha. Iske pehle ki woh uth paata, chhat ke hook se latki ek moti zanzeer achanak neeche aake uske takhne se kass gayi. Dar ke maare usne zor se jhatka maara.
“AAAAHHH! Kaun hai?! CHHORO!!”
Uske nakhoon tiles par gadey, magar chikne tiles par uski koi bhi pakad na bann saki. Aur, uss fislan bhare farsh par uska shareer ghasitata hua jaane laga.
Usne laat maari, cheenkha chillaaya, lekin uske takhne me fasa hook badi hi berehmi se use ghaseet kar le jaa raha tha. Uska shareer hawa me uthne laga.
Use tapmaan me bhayanak garmi mehsoos hone lagi. Bhaanp.
"Aaaaaarrrghhhhhh!!!!!!"
Woh cheenkha!!! Aur, agle hi kshan-
Ek akhiri jhatka.
"Aaaaaaahhhhhh!!!!"
Aur, woh sarr ke bal ubalte khaulte paani ke uss tank me gir pada.
Chhap-chhap ki awaaz dheere-dheere shaant ho gayi. Ubalte paani ne kuchh hi seconds me uski cheenkhein nigal li. Bulbule footne lage. Bhaanp fufkaarne lagi. Aur, jis zanzeer ne use utha ke giraaya tha, woh dheeli hokar tank ke upar pendulum ki tarah jhoolne lagi.
Aur, fir-
Sannaata chhaa gaya.
---
Dhananjay ne apne chehra ka paseena pochha aur phone par kaha.
Dhananjay : Kya status ba??? Hello? Hello!? Madarchodo!! Kaha reh gaye sab ke sab???
Usne Satbeer ko dekha jo abhi-abhi andar aaya tha.
Satbeer : S-Sarkar! Police waale andar ghus rahe hai!!
Dhananjay (frowns) : Hiya tak aane me unhe abhi waqt lagega! Uu sasuri Veer!!! KAHA HAI WOH!? SIRF POLICE HI HAI KYA?
Satbeer : J-Ji sarkar! Woh... Woh Veer toh kahi nahi dikha. Police waale hai bas. Kuchh aadmi mar gaye hai sarkar! Ab kya karna hai Sarkar!?
Dhananjay : Dui number waale gate par maine bheja tha laundo ko! Unka kya???
Satbeer : P-Pata nahi sarkar! Unka koi jawab nahi aaya.
Dhananjay : Tch!!!
Satbeer : S-Sarkar! H-Hum bhaag chale kya?
Dhananjay (yells) : Madarchod!!! Upar ka vault dekh ke aa!! Jaa! Mujhe yakeen ba ki konu andar ghusa hai! Aur... Aur, uu zaroor Veer hai! *frowns* Itni saari dikkatein aisan hi nahi paida ho sakti. Konu andar ghusa hai!! VEEEEEERRR!!! Apne saath aur aadmi lete jaa!
Satbeer ne darte hue sirr hilaaya aur apni torch aur gun liye upar ke floor ki orr nikal gaya.
Par, Dhananjay ye nahi jaanta tha ki jaise hi Satbeer kuchh aadmiyon ke saath upar ke freezer vault me gaya, wo unn sab ka akhiri pal tha.
Upar ke vault me ek khamosh sannata bikhar gaya.
---
*Bam*
Police andar aa chuki thi. Bas, unhe ek-ek kamre se hote hue beech waale kamre me pahuchna tha jaha Dhananjay thehra hua tha.
Lekin, Dhananjay ke aadmi har kamre me fele hue the. Unse bhidne ke baad hi, dusre kamre me pravesh kiya jaa sakta tha.
Goliyon ki awaazein poore kasaayi-khaane me goonj uthi. Trisha aur baaki sab baari-baari ek-ek kamre ko clear kar aage badhte jaa rahe the.
Woh waqt door nahi tha jab ve sab Dhananjay ko jald hi gherne waale the.
---
Aur, akhirkar ab-
Dhananjay poori tarah se ghabraya. Ab dar uske chehre par saaf jhalak raha tha.
Dekhte hi dekhte ek-ek karke saare aadmi conference call se cut ho chuke the. Woh akela hi tha jo iss kamre me maujood tha.
*Bang* *Bang* *Bang*
"Inspector Trisha bol rahi hu! Dhananjay! Tumhe chaaro orr se gher liya gaya hai. Abhi bhi waqt hai, baahar aa jao! Apne aadmiyon se kaho ki wo surrender kar de-!!!"
Dhananjay ko awaaz sunaayi di. Aur, ye awaaz-
Theek bagal ke kamre se hi aayi thi. Iska matlab-!? Police uske bagal waale kamre tak pahuch chuki thi.
Nahi! Woh yaha iss tarah se kaise surrender kar sakta tha? Abhi toh Veer se uski bhidant hui hi nahi thi. Bina Veer ko maare uska plan akhir kaise kamyab ho sakta tha?
Aenn waqt pe usne wahi nirnay liya jo aksar har aadmi yaha par leta.
Bhaagne ka.
Woh police se bachne ke liye ulti disha me bhaaga par tabhi-
*Click*
'Huh!!?'
Uske kamre ki batti gul ho gayi. Dhananjay ki dhadkane tez ho gayi. Bagal waale kamre me maujood Trisha ne bhi dekha ki aage ke kamre ki batti gul ho chuki thi.
Nahi! Kuchh sahi nahi tha. Kuchh gadbad thi. Uske maathe par paseene ki boondein sajne lagi. Ye garmi ki wajah se nahi thi. Ye dar ki wajah se thi.
Ek hila dene waala vichaar Trisha ke mann me aaya. Veer....!!!!
Kahi Veer Dhananjay ko...!? Kya woh yahi tha? Aur, uska ye vichaar aur bhi mazboot ho gaya jab usne Dhananjay ki awaazein suni.
"Kaun hai??? Madarchod kaun hai!!? Saamne aaaa!!! MAAYI KE CHODE!!! VEEEEEER!!! MEIN JAANAT HU HIYA TU HI HAI!!! SAAMNE AA!!!"
Jaise hi Trisha ne ye suna woh samajh gayi. Batti ka gul hona koi ittefaq nahi tha.
'N-No! No! No! No! No!'
Woh ghabrayi.
Magar, aage nahi badh sakti thi asaani se. Dhananjay ke aadmi cover leke iss kamre me abhi bhi firing kar rahe the. Aur, andar jaane ka raasta ek hi tha.
*Bang* *Bang*
'Shit! Shit! Shit!!!'
Trisha (yells) : Push!! Push karo! Humaare paas time nahi hai!!
Woh chillaayi. Par, tarqeeb turant hi fail ho gayi. Dhananjay ke aadmi datey hue the. Unke paas achha cover tha.
Trisha (curses) : DAMN IT! ANIL-!!!
Anil (frowns) : Madam-!!!
Trisha : M-Mujhe andar jaana hoga! Distract kariye!! Mein mauka dekh ke-
Anil : Madam, ye bahut jokhim bhara hai. Agar, galti se kisi ne aapko neeche darwaaze se nikalte dekh liya toh-
Trisha (shouts) : WAQT NAHI HAI MERE PAAS! A-AGAR, AUR DERI KI TOH HUM DHANANJAY KO ZINDA NAHI PAKAD PAAYENGE!
Anil : Huh!!?
Anil avaak reh gaya. Dhananjay zinda nahi bachega?
Trisha poori tarah se sehmi hui thi. Dhananjay ko zinda pakadna bahut zaroori tha. Agar, Dhananjay ki jaan gayi toh woh humesha-humesha ke liye ek pukhta saboot kho sakti thi. Aur, woh jaanti thi-
Jaanti thi ki-
Veer wahi andar tha!!!
Iss baar woh apni gut instincts ki sunn rahi thi.
---
Toh wahi, idhar baahar achanak ek gaadi kasaayi-khaane se kuchh door aa kar ruki. Driver ne gaadi rokte hi headlights band kar di kyunki-
*Bang* *Bang*
Goliyon ki awaazein kasaayi-khaane se goonj rahi thi. Uske badan me raungte khade ho gaye.
Usne apne bagal se baithi ek aurat ko dekha aur darwaza khol ke zor se use baahar dhakela-!
"Ahhh!"
Aurat ladkhadaate hue neeche gir gayi.
Driver : Maa ki aankh, sasuri police-!!!
Usne door lagi police ki jeeps dekhi toh uski haalat aur kharaab ho gayi. Jis aurat ko usne dhakela tha woh koi aur nahi, Vandna hi thi. Woh peechhe ke raaste se aaya tha jaha usne dono jeep ko barricade lage hue dekh liya tha.
Driver : Behanchod, bhaago yaha se!!
Usne apne gamchhe se apna chehra pochha. Aur, bina kuchh kahe woh fataak se waha nikalne ke liye gaadi reverse karne laga. Pehle apni jaan bachaana zaroori tha. Vandna ko yaha tak chhorne ka aadha kharcha toh use mil hi gaya tha. Baaki, aadhe kharche se zyada use apni jaan pyaari thi.
Woh waha se nikla aur Vandna jo kasaayi-khaane se aa rahi goliyon ki awaaz thi, use sunn uss orr badh gayi.
---
Dhananjay ladkhadata hua hang hall ke beecho beech aaya. Chaaro taraf andhera tha. Usne apne phone ki torch jalaayi.
Dhananjay : VEER KE BACCHE!! MEIN JAANTA HU TU HIYA HAI! BAAHAR AA! LADD HUMRA SE!!
Usne mobile ki torch light kono me ghumaayi. Magar, kuchh nahi. Tabhi, uske upar se koi metal ki cheez tik-tik karti hui nikli. Usne ghabra kar teen goliyaan upar ceiling ki orr daag di. Chingaariyaan baras uthi.
Woh gaali bakta raha. Woh yaha se baahar bhi nahi nikal sakta tha kyunki, raasta sirf ek hi tha. Agar, baahar nikla-
Toh, Trisha aur baaki police waale use gher lenge. Ulti taraf ek chhota sa darwaza emergency ke liye tha. Lekin, batti gul hone se use kuchh dikhaayi nahi de raha tha. Woh ek hi kaam kar sakta tha-
Aur, woh tha light ke switchboard ko dhundhna. Par-
---
Mauka milte hi Trisha darwaze ke andar sarak gayi. Uski aankhon ne andhere me adjust hone ke liye kuchh seconds liye.
Trisha : Dhananjay!!?
Par, koi jawab nahi.
Pichhle kamre se aa rahi sirf ek chauthayi kamra hi raushni se jagmaga raha tha. Baaki, teen chauthayi andhere me dooba hua tha.
Aur, tabhi-
"Haaaaaaawwwwww"
"Haaaawwwwww"
*Blurgh*
Trisha sunte hi thitak gayi. Ek ajeeb si awaaz use sunaayi di. Aur, fir-
*CLANG* *CLANG*
Khad-khadahat. Khad-khadahat.
Usne upar dekha. Maans latkaane waale hooks jo ek conveyor se jude hue the, wo conveyor belt achanak hi chaalu ho gaya.
Aur, abhi bhi-
"Haaaawwwwww"
Wahi ajeeb se awaaz. Trisha ne apna radio band kiya. Awaaz dhyaan se sunn uske badan ke roye khade ho gaye.
Usne apni handgun se aim lagaaya. Woh awaaz paas aa rahi thi. Nazdeek. Uske qareeb. Uski orr.
*Badump* *Badump*
Trisha ka dil zoro se dhadak raha tha.
Trisha (shivers) : Dh-Dhananjay!? H-Hands up!!!
Magar, abhi bhi-
"Haaaaaaawww!!"
"Huuuuuuuuuu!!!"
*Blurgh* *Squish*
Wo ajeeb si awaazein aur nazdeek aati jaa rahi thi. Trisha ne apni gun leke saamne ki orr aim lagaaya. Uss andhere bhare hisse ki orr.
Conveyor belt me lage ek ek hook uske saamne se aake mudte hue wapas rotation me ghoom rahe the.
Par, tabhi-
*Twitch* *Twitch*
Aisa laga jaise-
Jaise ek hook se kuchh phansa hua tha.
Trisha ke haath kaanpte hue gun par aur mazboot ho gaye. Uski ek aankh se aasu ki boond dar ke maare apne aap nikal gayi.
Trisha (shivers) : F-Freeze!!! Ruk jao wahi!
Par, conveyor belt chaalu tha.
Aur, jaise hi wo hook se latki cheez Trisha ke saamne raushni me aayi-
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhh!!"
Woh zor se cheenkh uthi, aur-
*BANG* *BANG*
Do goliyaan uski bandook se nikal ke seedhe uss hook se latak rahi aakriti par lagi.
Aur, tabhi-
*CLICK*
*FLASH*
Achanak ek raushni jhalki. Ek flash. Aisa laga jaise maano camera se photo kheechne ki awaaz aayi ho. Awaaz toh khair conveyor belt ke shor se thodi dab gayi magar, woh flash-
Woh koi bhram nahi tha.
Trisha (turns abruptly) : K-Kaun hai-!!!
Usne apni bandook flash ki orr daagi. Parantu-
'Huh!!?'
Kuchh nahi tha. Conveyor belt achanak ruk gaya. Aur, uske saamne jo hook se latak rahi aakriti thi, use punah dekhte hi-
Trisha ki dhadkane jaise wahi tham gayi. Ek lohe ke hook se ek insaan latak raha tha.
Par, baat sirf yahi nahi thi-
Hook... Hook uss aadmi ke upar ke jabde ko cheerte hue uski naak se baahar nikla hua tha. Apne muh ke sahaare woh hook se latka hua tha. Dher saara khoon uske poore shareer me fela hua tha aur neeche girta jaa raha tha.
Trisha ko ab samajh aaya ki woh ajeeb si awaazein darasal iss vyakti ki thi, jo hawa me latke hue tadap raha tha.
Usne darr ke maare uss aadmi par fire kiya tha. Lekin, jab usne uss aadmi ko gaur se dekha. Toh, uska badan kaanp gaya.
Woh aadmi...
Dhananjay hi tha.
Iske pehle ki Trisha apne hosh sambhaal paati-
Achanak use apne peechhe kuchh mehsoos hua. Kuchh jaanleva. Kuchh khatarnak. Kisi ki anubhooti. Kisi jeevit cheez ki...!
Uske badan me roye khade ho gaye. Woh himmat kar akasmat palti ki-
'Huhh!?'
Udhar koi bhi nahi tha.
Woh apne perro par gir padi. Anil aur baaki sabhi bhaagte hue sabhi ko neutralize kar andar aaye, par andar ka nazar dekhte hi ve sab dang reh gaye.
Khaas kar, Dhananjay ke shav ko dekh. Kisi bhi insaan ko itni buri maut nahi marna chahiye tha.
Saboot mit chuka tha. Unke rehte koi andar aaya aur Dhananjay ko maar ke chala gaya. Trisha apni mutthi bheenche apne ghutno par gir padi. Uske aansu beh rahe the. Dhananjay zinda tha...! Par, uski do bullets ne-
Bahut kuchh mita diya tha.
***
Jis shaks ne Dhananjay ko maut ke ghaat utaara, woh achanak kasaayi-khaane se pichhle gate se baahar nikla. Par, baahar aate hi uske qadam saamne khadi ek parchhaayi ko dekh wahi tham gaye.
Dhananjay ki maa — Vandna, uske saamne khadi hui thi. Paseena uske chehre par jhalak raha tha, baal bikhre the, aur woh zoro se haanf rahi thi. Woh peechhe pehra de rahi police ki nazron se bach ke andar ghusi thi.
Lekin-
Saamne khade shaks ke badan aur haatho par jab usne khoon ke dhabbe dekhe aur andar goliyon ki awaaz jo ab band ho chuki thi, uss par dhyaan diya, toh achanak hi uske honthon ke kone ajeeb dhang se upar uth gaye.
Aur, jaha use rona chahiye tha, apni chhaati peet-peet kar bilakhna chaahiye tha ki uska beta marr gaya, woh achanak hi ajeeb dhang se hasi.
“Hahahahaha! Hahahahaha!”
Uske saamne khada vyakti aankhein faade use dekhne laga. Use vishvas nahi ho raha tha ki woh kya dekh raha hai. Vandna paaglon ki tarah hasey jaa rahi thi.
“Hahahahaha! M-Marr gaya! Marr gaya woh! Hai na??”
Woh dekh paa rahi thi ki kaise uske saamne waala vyakti ekdum bhauchakka hoke use ghoor raha tha. Usne jaari rakha-
“Hahaha! M-Marr gaya!! Marr gaya kutta! Hahahaha!”
Aur, iske pehle ki woh aur zor se awaaz oonchi kar police ka dhyaan kheenchti-
*Whoosh*
Uske saamne se woh aadmi palak jhapakte hi apni jagah se gaayab ho gaya. Vandna ek pal ke liye chaunki. Uski aankhein bhay ke maare feli-
Lekin, iske pehle ki woh kuchh samajh paati, koi pratikriya kar paati-
*Thud*
“Ahh!”
Akasmat hi ek vaar uski gardan ke paas aa kar laga. Uski aankhon ke saamne andhera chhaa gaya aur uska shareer neeche girne laga. Uss aadmi ne uske badan ko apne kandhe par uthaaya aur-
*Swoosh*
Woh waha se use lekar gaayab ho gaya.
***
*Vroom*
[Master-!!!]
Pari ki awaaz zor se Veer ke mann me goonji. Veer ki gaadi raat ke andhere me saaye-saaye sadak par bhaag rahi thi. Woh jaanti thi ki uske master ke mann me kya chal raha tha. Uske master iss ghatna se kitne hile hue the. Sahi maayno me woh khud bhi iss sthiti ko lekar koi sense nahi bana paa rahi thi. Kyu?
Kyunki-
Dhananjay jis waqt Veer ki nazron ke saamne sabse pehle nazar aaya tha, uss waqt, Veer ne use check kiya tha. Magar, tabhi use pehla jhatka laga tha. Kyunki, jo usne dekha, uski ummeed usne apne sapne me bhi nahi ki thi.
[Name : Ranjeet Mandal
Alias Name : Dhananjay Singh.
Age : 29
Bio : Ranjeet, Bihar ki local gangs me se ek gang ka leader. Drugs smuggling, firauti, vasooli, jaise kaamo ke liye jaane waali ek gang, Ranjeet Bihar me chalaata hai. Kayi logo ko maar chuka hai. Asli kaam Bihar me maujood apne guru ji ke liye karta hai. Wahi se adhiktar paisa uski jebo me aata hai. Paisa kamaana uska junoon hai. Krodh me aksar apna aapa kho deta hai, lekin tarqeebo me shaatir hai.
Favorability : -20
Relationship : Stranger/ Enemy.]
Yahi wo status tha jise dekh ke Veer asmanjas ki sthiti me dooba hua tha.
Yeh koi Dhananjay nahi tha. Ye toh koi Ranjeet naam ka aadmi tha jo Bihar se tha. Veer ko ab samajh aa chuka tha ki kyu yeh nakli Dhananjay use lalkaarte waqt bhojpuri me gaaliyaan de raha tha.
Kyunki, asli Dhananjay ko toh Rajasthan ke gaanv se hona chahiye tha. Magar, yeh aadmi Dhananjay bann ke uss par humla kyu karna chaah raha tha? Isme koi shaq nahi tha ki isi aadmi ne uske hotel par humla karwaya tha. Akhir, Trisha yuhi uss tak nahi pahuchi thi. Uski investigation bhi sahi saabit hui thi. Yeh Ranjeet shat-pratishat humlavar tha.
Upar se ye-
Favorability sirf minus 20? Aur, stranger/enemy ka relationship? Jab wo uski jaan ke peechhe iss qadar pada hua tha toh Veer ko laga tha ki uski favorability kam se kam minus 50 ke upar nikal chuki hogi.
Magar, yaha toh kuchh aur hi dekhne ko mil raha tha.
Kintu, Veer ke pareshan hone ka kaaran sirf yahi nahi tha. Dusra jhatka use tab laga tha jab usne-
‘Check!’
*Ding*
[Name : Vandna Singh.
Age : 41
Bio : Vandna, Bhanu Pratap Singh ki patni hai. Shuru se hi apne kartavyo ki orr nishthavaan rahi hai. Ek beta tha jiska naam tha — Dhananjay. Gharelu mahila hai, parivar me bahut baar aana-kaani ke chalte logon ka gussa apne upar leti aayi hai. Bahut aagyakari hai. Asaani se sehem jaati hai aur mard jaat se aurat ko humesha kamtar hi maanti hai. Ek ajeeb sa dar uske andar baitha hua hai.
Favorability : 50
Relationship : Distant Aunt.]
Ye tha uske hairat me hone ka doosra kaaran. Veer ke nazrein kuchh shabdo par mandra rahi thi.
Ek beta tha jiska naam tha — Dhananjay.
Tha!?
Matlab, ab nahi raha?
System me status ko dekh ke yahi prateet ho raha tha ki Dhananjay shayad ab iss duniya me nahi tha? Ya, aisa bhi ho sakta tha ki Vandna use apna beta ab nahi maanti thi aur keval uske liye woh marr chuka tha.
Parantu-
Ye sab akhir hua kab? Pichhli baar jab Veer gaanv me apni maa ka badla le kar aaya tha, uss waqt usne Vandna ko waha check kiya tha. Aur, tab uske status me-
Dhananjay zinda tha.
Lekin, ab nahi.
Iska matlab iss beech asli Dhananjay ke saath kuchh hua tha. Par, kya?
Akhir, chal kya raha tha? Veer jitna iss baare me soch raha tha utna hi woh iss gutthi me ulajhta jaa raha tha. Lekin, uska dimag haar maanane se inkaar kar raha tha. Wo lagatar daud raha tha.
Aur, upar se-
Favorability 50? Ye kaise ho sakta tha? Uske saamne hi usne uske pati, uske sasur ko maut ke ghaat utaara tha. Iss sab ke bawajood Vandna ki favorability itni high kaise ho sakti thi bhala?
Veer ki bauhe bhram aur krodh me kasi hui thi. Tabhi, uske mann me ek ghanti ki awaaz goonj gayi.
*Ding*
[Successfully eradicated the nuisance even before the mission.]
*Ding*
[You have been rewarded 10,000 points.]
*Ding*
[A random perk will be rewarded. Choose ‘yes’ if you want to open the reward.]
Veer hairan tha. Bina mission assign hue hi system ne use uska reward de diya tha? Usne bina koi deri kiye mann me hi kaha.
‘Yes!!!’
*Ding*
[Random perk reward has been generated.]
[You have been rewarded the perk — ‘Mystic Stroke.’]
[Perk : Mystic Stroke.
Tier : Rare (upgradeable)
Description : Infuses the user's hand with supernatural precision, fluidity, and intuition, allowing them to paint, sketch, and illustrate with breathtaking mastery. Enhances visual aesthetics, but it also progressively deepens the host’s understanding of painting, anatomy, perspective, color theory, and symbolic storytelling.
Duration : Permanent.]
Veer ne ek nazar perk par daali. Use andaza lag gaya tha ki perk painting, drawing, illustrating se sambandhit tha. Aam taur par perks tabhi select kiye jaa sakte the jab wo kisi mission ko complete karta.
Lekin, system ne use ek random perk Dhananjay ko maarne par inaam ke roop me de diya tha. Woh dekh paa raha tha ki iss perk ki bhi tier thi.
Pari use iske baare me samjhaana chaahti thi, magar jab uske Master ne notification par ek nazar daal use system window se hata diya toh woh samajh gayi ki ye sahi waqt nahi tha.
{Master…!!!}
Woh bas mann me uske liye chinti hi ho sakti thi.
***
Subah ke 4:30 baj rahe the jab achanak hi Parijaat ghar ki doorbell lagatar bajne lagi. Waise toh yeh Rajat ka ghar hua karta tha par Veer ne jab se Rajat se sab kuchh chheena tha uske baad se ye ghar Parijaat ki aurton ke rehne ka sthaan bann chuka tha.
Ek naya — Parijaat ghar.
Subah 5 baje jaldi uthne waali Varsha aaj aadhe ghante pehle hi neend se jaag uthi.
*Ding Dong*
Ghanti lagatar bajti jaa rahi thi. Aur, Varsha chidhte hue apni neend se jaag kar bistar se uthi.
“Aa rahi hu!! Itni subah-subah kaun aa gaya?”
Woh thoda satark hote hue hall ki orr badhi. Fir, usne dheere se darwaza khola. Aur, saamne khade vyakti ko dekhte hi uski poori neend gaayab ho gayi.
Varsha : Maalik-!!?
Usne fatafat jaali waala darwaaza khola. Woh dang thi. Veer ke kandhe par ek aurat ladi hui thi. Usne koi sawaal nahi poochha, bas apne maalik ko andar aane diya.
Veer ne andar aate hi Vandna ko bistar par litaaya. Varsha ne dekha ki uske kapdo par kahi-kahi khoon ke daag the. Woh ghabraayi.
Varsha : M-Maalik? Kya hua? Aap theek toh hai na?
Woh daud ke Veer ke liye paani ka glass leke aayi, magar Veer ne paani nahi piya. Usne bas itna hi kaha ki-
Veer (frowns) : Sab ko jaga ke baahar lao, Varsha!
Varsha : J-Ji maalik!
Aur, woh andar baakiyo ko jagaane ke liye fauran bhaag uthi. Veer sofe par baithe Vandna ko ghoorta raha. Kuchh hi der me poora doodh ka doodh aur paani ka paani hone waala tha.
***
Patna, Bihar,
Morning - 7:10 AM ~
Ghaato par halka kohra abhi bhi nadiyon ke aas-paas jama hua tha. Subah-subah mandiro ki ghantiya samooh me ek saath baj rahi thi.
Cycle ki ghantiya, gaadiyon ke horn, auto-rickshaw ki fufkaarti awaaz, chai waalo ki tapriyon par chai-naashta kar rahi logo ki bheed ka shor, aur nadi ke kinaare kuchh snaan kar rahe log. Yahi tha Patna ka dainik drishya.
Aur, yahi kahi-
Ek puraane peepal ke ped ke paas, jiski jado ne ek puraane eent ke chabootre ko jakad kar cheer diya tha, ek khatiya neeche gaddi ki tarah bichhi hui thi.
Uss par ek aadmi virajman tha jise yaha ke log kaafi samay se baba ji keh kar bulaane lage the. Asal me toh 50-55 ki umr ke the par dekhne se 60-65 ke qareeb lagte the. Safed daadhi, moochhe aur lambe baal iska kaaran the.
Uske chaaro orr sunane waale log aadha gola bana kar neeche zameen par baithe hue the.
Ek sadharan si chataayi par kuchh samaan rakha hua tha. Amrood, laddu, mithaiyaan, kela, seb, aur na jaane kaun-kaun se fal. Kuchh rupaye ke note, toh kuchh sikke bhi ek thaal me alag se rakhe hue the.
Unka gyaan aaj bhi chaalu tha.
Baba ji : Humari bhaasha me ek shabd hai — Dhara. Matlab? Dhaaran karna. Dharti hume dhaaran karti hai, fir bhi hum uss par thappa lagaate hai. Saans hume dhaaran karti hai, fir bhi hum uska gala ghontate hai. Mann hume dhaaran karta hai, fir bhi hum use baahar ke shor se bhar dete hai.
"Ji baba ji!"
"Ji!"
Baba ji : Jo vyakti bina vivek ke chal padta hai, use chalna nahi kehte. Use behna kehte hai. Jo bina bhedbhav ke chalta hai, wo chal nahi raha hai, mere bacche. Use ddhoya jaa raha hai. Aur, jo keval tairna jaanta hai. Ek din prakriti use daba deti hai. Prakriti ka niyam hai.
Log uski baat sunn chakit the. Ve sab aagyakari shrota bane hue the.
Baba ji : Baadh ke paani me kabhi patte ko dekho. Teevra gati, fir bhi disha nahi. Wahi dusri orr, naavik ko dekho. Dheemi gati, lekin aankhein satark. Dus minute me? Patta gaayab. Naavik? Naavik ghaat chunta hai, jaha use utarna hai. Jeevan ki chaturayi yahi hai. Jeevan me kushalta teevra gati nahi hai, jaagrat mann ke saath jeena hai. Jo buddhi se kaam nahi leta, woh peechhe reh jaata hai.
Prashansa se log haami bharne lage. Kuchh ne haath jod naman kiya. Kuchh unn baaton ka matlab samajhne ki koshish kar rahe the.
Ki tabhi-
Khatiya ke paas ek dubla patla baba ji ka hi shishya paas aaya, apna sarr iss tarah se jhukaaya ki honth baba ji ke kaan ke nazdeek ho gaye aur fir ekdum dheemi awaaz me unse bola.
Shishya : Guru ji...! Ranjeet marr gaya.
Sunte hi baba ji ki aankhein hairat me fel gayi. Magar, ve sthir mudra me rahe. Aur, apne bhaav chhipaate hue bole.
Baba ji : Mrityu... Ahem! Mrityu. Mrityu se har aam insaan darta hai. Mrityu ko agar mein aap sab ke aaj ki yug ki bhaasha me kahu toh wo woh hai- kya kehte hai usko? Arey jo aapse kann vasoolte hai?
Aadmi : Tax collector?
Baba ji (laughs) : Haan! Hahahaha! Tax collector. Wahi hai. Ni hai kya? Haha! Jo hisaab khud nahi banaata uska hisaab banaaya jaata hai. Aur, jo hisab-kitaab bhool jaata hai, uska hisaab-kitaab kat jaata hai.
Usne apne shishya ko dekh fir uske kaan me dheere se poochha!
Baba ji : Paise?
Shishya : Beech me hi kaam khatam ho gaya.
Baba ji ke shaant bhaav ke neeche ek gussa utar aaya. Muskuraate hue unhone dheere se kaha.
Baba ji : Suraag na rahe!!!
Shishya ne haami bhari aur fir ped ke peechhe jaake apni jeb se phone nikaala aur kisi ko call karne laga.
Toh, wahi pehli baar idhar aaya ek yuvak kaafi prabhavit ho chuka tha baba ji se. Lekin, uski jigyasa akhirkar baahar aa hi gayi.
Yuvak : Baba ji kshama kijiyega. *smiles* mein pehli baar aaya hu aapke baare me kaafi sunn ke. Sab baba ji baba ji kehte hai aapko. Par, aapka asli naam kya hai baba ji?
Mandli shaant ho gayi. Baba ji ne dheere se apna sarr ghumaaya. Woh muskuraate hue thahaake lagaaye. Fir, ahista se bole.
Baba ji : Naam? Hahahaha! Mere bacche...! Iss shareer ko log yaha mohanlal keh ke pukaarte hai. *smiles*
Logon ne santushti me sarr hilaaya. Parantu, jis tarah se baba ji ne uttar diya tha. Iss shareer ko...
Use sunn log aur bhi prabhavit ho gaye. Naam milte hi uss yuvak ko aisa laga jaise koi apnapann mil gaya ho. Usne unhe pranaam kiya aur peechhe baith gaya.
Baba ji muskuraate hue logo ko dekhte rahe. Kintu, ye sirf wahi jaante the ki-
Unka asli naam Mohanlal nahi tha.
Unka asli naam tha —
Raman.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 10.1k words. Veer ka scene, Parijaat ghar ka scene aur Bihar ka scene hi tha jo kal likhna baaki tha. Now, I hope ab tum log samajh paa rahe hoge ki kyu mein use yaha include karna chaah raha tha. Baaki, target apna wahi hai. 250. Like thokne ka aur reviews rakhne ka. Also, do AI generated images se bhi maine inn dinon experiment kiya aur uske results neeche post me dikh jaayenge. Let me know inhe include karna sahi rahega future updates ke liye ya nahi. Also, update itna samay isliye liya kyunki, ye premise se mein familiar nahi tha. Slaughterhouse. Na hi mein kabhi gaya hu aur na hi dekha hai kahi. Isliye, kaafi kuchh research karni padi. Uske baad ye taiyaar kiya gaya hai. Let me know about your views on the premise. Ek unique premise tha ye ab tak ka. Milte hai agle bhaag me.
Dhanyavad.
Kaira ke bachpan wala hi hai "Raman" .Super update Werewolf Bhai
From the shadows bolke pura suspensive update de diye . But bhot faad update hai sach me or mere khyal se jaha tak lagta hai jo last me sadhu baba dikhaya hai "Raman" name se
Wo kahi wahi "Raman" to nahi jo "kaira" ke bachpan me us dhongi baba ka chela tha ye meri thinking hai ho sakta hai sach bhi ho baki Werewolf Bhai ki Mahima wo hi Jane
And Thank You Werewolf Bhai Is shandaar Update Ke l
Pata chalega next update me.Werewolf ju main ye janna chahta hu ki system ne randomly hi mission de diya kyu??
Phele koi info nhi diya ye mission karna hai aisa kyu hua kya system ki koi glitch toh nhi thi?![]()
SUPAR BRO SILENT READER THA PEHLE STORY STORY K UPDATE NHI AA RAHE THE TO CHOAR D READ KARNA AB DOBARA MALUM HUYA K STORY CHALU HAI DOBARA AAYA STORY PE NICE UPDATE BRO JAHA TAK READ KI HUYI WAHA SE AAGE REVIEW DUNGA ABHI JUST LIKE SE KAAM CHLANQ DOBARA READ KAR RAHA HUMega Update
Update - 14 ~ Confrontation
Ab tak...
Abhi wo kuch kadam hi chalke baahar aaya tha ki tabhi uske kaano me ek aur jaani pehchaani sii awaaz padi,
"Kyu be chuze!!!! Tu fir aa gaya!???"
Aur agle hi pal uske kadam wahi tham gaye. Mutthi kass gayi aur ek zordaar gusse ka jwalamukhi jo andar hi andar kab se panap raha tha wo phatt utha...
Ab aage...
Apni nazre upar kar jab Veer ne saamne dekha toh usse ek aur jaana pehchaana chehra dikhaayi diya.
Ajay!
Wahi ladka jisne usse buri tarah pitwaaya tha. Veer ko ek hi pal me wo saari beeti vaardaatein yaad aane lagi. Wo college ke peeche ki sunsaan sadak par uski pitaayi, Ajay ka uske muh me lollipop thusna, apne joote se uske sar par dabaav banaana, wo baarish ki boonde jo uske ghaavo par thapede maarte hue usse aur dard de rahi thi.
Wo sab kuch Veer ko ek hi jhatke me yaad aa gaya. Apni mutthi ko zorr se usne kassa aur sthir aankho se uss Ajay ko ghura jo haatho me football liye hue tha.
Ajay aur uske pantar poore raub ke saath Veer ke qareeb aaye aur ye chahal pahal dekh sabhi ki nazre unpar jaane lagi.
Campus me sabhi apna apna kaam chorr ab bas Veer aur Ajay ko ghur rahe the jese wo kisi film ko dekhne aaye ho aur bas climax ka wait kar rahe ho.
Apne haatho me football liye Ajay Veer ke gol gol ghumne laga aur Veer keval apni aankho se usse hi ghoorta raha.
Tabhi uske mann me awaaz gunji...
*Ding*
[Mission - Take revenge from Ajay.
Rewards - ?? Points
Time limit - 3 days]
'Issi ka toh intezaar tha mujhe...'
[Dhyaan rahe master! Revenge jitne acche se loge points bhi ussi hisaab se milenge.]
'I see! Pari...'
[Yes master!]
'Kya mein Ajay ke stats dekh sakta hu? Uski kitni strength hai, kitni agility hai...!?'
[Sorry master! Ye abhi possible nahi hai. Aapko mujhe level 3 pe karna hoga uske liye.]
'Damn!!!'
[But mein bata sakti hu ki Ajay ke stats aap se zyaada hi honge master. Kyuki abhi aapne apne stats me points zyaada daale hi nahi hai master. Aapke stats kuch iss prakaar hai ~]
[ Stats :
Strength - 15/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]
'Ye kam hai Ajay se nipatne ke liye?'
[Haa master! 15 strength me kuch bhi nahi hone wala.]
'Tumhe kya lagta hai Ajay ki strength kitni hogi?'
[I think above 20... Above 30 bhi ho sakti hai master.]
'Shit! Kya kisi ki strength 100 tak hoti hai?'
[Yes master! 100 tak pohuchna possible hai aapke iss world me. Insaan 100 ki strength tak pohuch sakta hai. Par koi bhi pohucha nahi hai abhi master. Bruce Lee jese kuch martial artists the aur hai jinki strength 90 above hogi. Baaki maybe kaho koi pohuch gaya ho but hume pata na ho unke baare me.]
'I see...'
[Jab hum unhe aankho se dekhenge tab hi confirm kar paenge.]
Abhi Veer Pari se aur jaankaari leta iss se pehle hi uske kaano me firse awaaz padi,
"Kyu be chuze! Mene kuch pucha tere se. Muh me dahi jamm gaya hai kya? Bol! Tu fir aa gaya yaha? Teri himmat kese hui?"
Ajay ke zorr se chillaane se waha maujood sabhi log shaant pad gaye. Ajay ne jese sabka dhyaan apni orr kheench liya tha.
Tabhi waha dusri building se ek shaks nikla apne dosto ke saath, aur saamne ka nazaara dekh ke uski aankho me achaanak hi chamak aa gayi.
"Pranjal bhai! Saamne lafda ho gaya lagta."
Ye koi aur nahi Pranjal hi tha jo apne dosto ke saath bagal ki building se baahar aaya tha.
Pranjal : Chalo chutiyo! Abhi maza aane waala hai boht.
Aur Pranjal apne dosto ko samet ke wahi canteen me le gaya jaha se poora nazaara dekha jaa sakta tha.
Kavya bechaari apne aasu pochte hue jab baahar aayi toh usne dekha ki Veer aur koi ladka aapas me behas kar rahe the. Uske aas paas itni bheed thi ki bechaari wo uchak uchak ke dekhne ki koshish kar rahi thi par laundo ki height itni thi ki wo sahi se dekh nahi paa rahi thi.
Aur canteen me hi do aankhein aisi bhi thi jo Veer se bachpan se parichit thi. Ye aankhein bhi saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.
Arohi!
Canteen me baithe wo bauhe sikode saamne scene ko dekh rahi thi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
Ajay ko ghurte hue Veer ne apni mutthi dheeli chorr dii.
Veer : College aana ya na aana ye meri choice hai. Isme tum kon hote ho ye decide karne waale?
Veer ke jawaab se Ajay aur uske pantar hairaan reh gaye. Wo ye soch me pad gaye ki ye chuze me akhir itni himmat kese aa gayi. Kal tak pitne waala Veer aaj achanak kese uchalne laga?
"Kya bola be!?" Ajay ne usse aankh dikhaate hue pucha par Veer ko jese iss baar koi faraq hi nahi padne waala tha.
Veer : Shayad tumne suna nahi. Mene kaha kii mera college aana ya na aana tumhaare kehne par depend nahi karta.
Ajay (gusse me) : Lagta hai uss din ki maar tu bhul gaya hai saale. Tujhe ek aur dose dena hi padega. Tabhi tere ko aqal aaegi.
Udhar pranjal ki khushi ka jese koi thikaana nahi tha. Wo toh jese chaah hi raha tha ki kab Veer laato aur ghuso ka shikaar hoye aur kab uski beizzati sabke saamne khule aam hoye.
Poore campus me yadi koi sabse excited tha toh woh Pranjal hi tha.
Ajay gusse me aage badhte hue Veer ki collor pakadne hi waala tha aur idhar Veer aane waale hamle ke liye taiyaar hi tha ki tabhi,
"Nahiiiiiiiiiii...."
Ek pyaari si ladki Veer ke saamne aake dono haath failaaye uske liye jese deewaar bann ke khadi ho gayi.
"Kav... Kavya???"
Veer ne hairaan hote hue halki awaaz me budbudaaya.
Uske saamne uski choti behan Ajay se usse bachaane ke liye shield ki tarah seena taane khadi hui thi.
Zaahir sii baat thi Veer hairaan tha, aur sirf Veer hi nahi Arohi se leke Pranjal tak, yaha tak ki Ajay khud hairaan tha.
Ajay toh Pranjal ka hi aadmi tha toh woh Kavya aur Arohi ko jaanta tha aur isliye wo hairaan tha. Yadi Pranjal ne Veer ko maarne kaha tha toh fir Pranjal ki choti behan yaha Veer ka bachaav kyu kar rahi hai? Uske mann me ye sawaal aa raha tha.
Ab wo duwidha me phass chuka tha.
'Shit! Ye Kavya waha kya kar rahi hai?'
Pranjal apni jagah se forun hi khada hua aur aage badhne laga.
Bhale hi Veer se wo nafrat karta tha par Kavya uski choti behan thi aur usse bachaane me wo peeche nahi hattne waala tha.
Yahi kaam Arohi ne kiya. Kavya uski sirf pyaari choti behan nahi thi balki uski best friend bhi thi aur bhale hi Arohi kam bolti thi par Kavya ke saath jab jab wo akeli rehti thi toh sabse zyaada baat wahi karti thi.
Aur college me super senior hone ke naate aur toh aur apni behan ko waha dekh Arohi ne ek second bhi waste na kiya aur wo chal dii jaha Veer aur Kavya maujood the.
Saari bheed ikhatta hoke bas Ajay, Veer aur Kavya ko ghur rahi thi.
Par Veer ki nazre keval ek hi shaks par tiki hui thi. Aur wo shaks tha ~ Kavya!
'Check!'
Usne agle hi pal mann me kaha aur tabhi,
*Ding*
Kavya ke sarr ke upar uski Status screen prakat ho gayi ko sirf aur sirf Veer hi dekh sakta tha.
[ Name - Kavya
Age - 18
Status - Guilty Young girl.
Bio - Kavya ek boht hi savendansheel aur chanchal ladki hai. Uska sapna hai ek boht hi acchi aur badi company me job karna. Ek khwaaish hai jiski wo hamesha bhagwaan se praarthna karti hai. Wo hai ki uske parivaar ke sabhi sadasya ek saath milke rahe. Glaani ke bhaav itne hai ki kabhi kabhi raat me wo roti bhi hai. Usse ek sahaare ki zaroorat hai.
Favourability - 58
Relationship - Cousin.]
Kavya ka status dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye. Sabse pehla jhatka jo usse laga tha wo tha favourability dekh ke.
58 ki favourability!!!!
'She... She...'
[Yes master! Wo aapko ek bade bhai ke roop me hi dekhti hai. Aur aapko apna bhai hi maanti hai. Aapke baaki family ki tarah nahi hai wo...]
Veer itna toh jaanta tha ki Kavya ne kabhi uska bura nahi chaaha. Par usse ye baat bilkul bhi na pata thi ki uskji ye choti behan uske liye itni feelings rakhti hai. Aur ye tab thi, jab dono me boht hi kam baatein hoti thi.
Kyuki, ghar pe toh kabhi bhi Kavya gharwaalo ke saamne baat na karti thi uss se.
Par jab bhi wo dono akele ek dusre ke raaste cross karte the toh dono me baatein zaroor hoti thi. Aur pehal Kavya hi karti thi.
Aaj shayad Veer ne usse kuch zyaada hi zorr se dhutkaar diya tha, jis kaaran wo royi bhi aur ab uske saamne usse bachaane ke liye khadi thi.
"Mere bhaiya ko touch karne ki himmat bhi mat karna..."
Kavya ne zorr se kaha. Uski chanchalta jese kahi kho chuki thi aur saamne tha toh bas dridhta.
Dridhta apne bade bhai ko bachaane ki.
Ab Veer ko glaani mehsoos ho rahi thi.
'Kuch zyaada hi zorr se daant diya kya mene usse?'
[No master! Don't worry! Wo zaroori tha. But ab bhul jaaiye usse. Aur ek naya relationship shuru kijiye...]
Veer ne agle hi pal Kavya ka kandha thaama aur uske haanth sparsh hote hi Kavya ko ek halka jhatka laga. Wo palti aur apne bade bhai ko dekhi...
"It's okay Kavya! Aur tum kabse mujhe bachaane lagi? Ye kaam toh bhai ka hota hai haha~"
Kehte hue Veer ne Kavya ko apne peeche kar liya.
Kavya ki aankho me ek chamak sii aa gayi thi. Ek aisi chamak jo na jaane kitne arso baad usme dikhaayi dii thi.
Ek aasha se bhari thi wo chamak...
Apne bade bhai ke peeche khade wo Veer ki peeth ko ghure jaa rahi thi.
'Kabhi mene aapki madad na kii Veer bhaiya... Kabhi nahi... Mein karna chaahti thi... Par darrti thi... Ghar me jo mauhaul tha... Wo mujhe aapke paas jaane se rok deta tha. Jab mene aapko message bheja tha mujhe umeed thi aap wo padhoge kyuki aapki aur meri baatein hua karti thi. Par aapne wo na padha... Mein itna royi thi uss din... Aaj aapko dekh kitna khush thi mein... Par aapne... Aapne mujhe iss tarah kyu dhutkaara bhaiya? Kyu??? Meri koi kasoor nahi hai... Jis tarah abhi aapne mera kandha thaama tha ussi tarah mujhse rehna Bhaiya...'
Kavya apne hi mann me na jaane kya kya bole jaa rahi thi.
"Dekho! Mein tumhaari dhamki se..."
Abhi Veer bol hi raha tha ki tabhi peeche se Kavya ne apne dono haath uski kamar par baandhte hue usse jakad liya.
Veer : Kavya...!???
Kavya : I'm sorry bhaiya! I'm sorry...
Wo kehte hue subakne lagi...
Aur waha khada Ajay aur duwidha me pad gaya.
Yaha toh paasa ulta hi padta jaa raha tha. Ab aise me wo bhala Veer ki kutaayi kese kar sakta tha?
Wo ab poora confused ho chuka tha ki tabhi uska confusion jese yu gaayab ho gaya jab usne bagal se aate hue Pranjal ko dekha.
"Kavya!???"
Pranjal ne aate hue apni behan ko dekha aur fir Veer ko jo usse ghur ke dekh raha tha.
Aur fir wahi apni bhediyo waali muskuraahat dete hue wo Veer ki taraf badha,
"Mere chote bhai!! Kya ho gaya? Kisi se jhagda ho gaya kya?"
Tabhi Kavya ne apna chehra jo Veer ki peeth me dhassa hua tha aur aasuo se bhara hua tha usse baahar nikaalte hue Pranjal ko dekha aur boli,
"Dekho na Pranjal bhaiya! Ye bhaiya Veer bhaiya ko dhamka rahe the aur ladaayi karne waale the..."
Apni choti behan ki roti soorat dekh Pranjal muskuraaya aur Ajay ko dekhte hue bola,
"Mujhe toh jaante hi hoge!?? Ye mera chota bhai hai! Jo bhi baat karni hai mujhse karo..."
Pranjal ne ekdum safed jhooth bolte hue Ajay ko dekha jisne haa me mundi hilaayi.
Veer keval khade Pranjal ki harr ek harqat ko dekh raha tha. Wo jaanta tha ki yahi hai jisne Ajay se usse pitwaaya tha aur yahi wo insaan hai jisne kaho Ajay ko bheja ho.
Aas paas ke log Pranjal ki baat sunn uski taareefo ke pull baandhne lage. Ki dekho, kese ek bada bhai apne dono chote bhai aur behno ko bachaane aaya.
Upar se Pranjal tha bhi mashoor. Par ye baat koi na jaanta tha ki Ajay ussi ka saathi tha, siwae uske aur uske kuch khaas saathiyo ke.
Pranjal abhi bhi issi dhoke me tha ki Veer ko kuch nahi pata chala hoga. Par Veer jaanta tha...
Jaanta tha ki sab kuch issi ki kiya dhara hai...
Abhi unme se koi kuch kehta ki tabhi waha Arohi bhi aa gayi,
"Kavya??"
Arohi ne dekha ki kese uski pyaari choti behan Veer ki kamar me apne haath kasse usse jakde hue thi. Aur sabse zyaada hairaani usse iss baat se hui ki uske aa jaane ke bawajood bhi Kavya uske paas na aayi. Wo abhi bhi Veer se hi chipki hui thi...
Aur ye dekh...
Uski bauhe ek ajeeb hi chinta ke maare sikud gayi.
Na chaahte hue bhi Pranjal ko Ajay ko pakadte hue le jaana pada.
Aur bheed dekh idhar guard bhi seeti maarte hue sabko hataane laga.
Ab keval Veer, Kavya aur Arohi hi waha khade hue the.
Baaki sabhi log apne apne kaamo me lag gaye par ek na ek nazar unn par zaroor maar rahe the.
Arohi : Kavya?
Kavya : Haa dii??
Arohi : Chalo!
Usne chintit bhaav se dekhte hue bola aur fir Veer pe nazre daali. Dono ki nazre ek dusre se takraayi par dono ke hi muh se koi alfaaz na nikle.
Kavya : Aap chaliye! Mein chali jaungi apni class me.
Uski baat sunn Arohi ne aage badh Veer ki kamar se uska haath pakad hataana chaaha par tabhi Veer ne uska haath thaam liya.
Ek dusre ke haatho ka sparsh paate hi ek baar fir dono ki nazre aapas me mil gayi.
Jaha Veer Arohi ke komal haatho ko feel kar sakta tha toh wahi Arohi apne haath par Veer ke unn rough manly haatho ko feel kar rahi thi.
Veer : Kavya bacchi nahi hai. Wo khud chlai jaegi apni class me. Mein jaunga usse chorrne...
Veer ki baat sunn Arohi ne forun hi virodh karna chaaha par honth khulte hi ek shabd bhi baahar na aaya. Nichle honth ko zorr se daant se dabaate hue wo Veer ko dekhi, fir Kavya ko aur fir na chaahte hue bhi wo palat gayi,
'Check!!'
[ Name - Arohi
Age - 22
Bio - Arohi ek behad hi shaant pravatti ki ladki hai. Kam bolna shuru se hi uske vyavhaar me raha hai. Uska sapna hai ek aise pad pe pohuchna jaha uske paas power ho. Apni choti behan se sabse zyaada pyaar karti hai. Kuch glaani ke bhaav hai mann me toh kuch shankaaye bhi. Aur beete dino se kuch tension me chal rahi hai. Usse ek aisa vyakti chaahiye jo usse sahi raasta dikhaaye aur uske equal power ka ho.
Favourability - 20
Relationship - Cousin.]
Arohi ko yu jaata dekh Veer ne uska status toh dekh liya tha par favourability ke ank dekh wo khud chinta me tha aur thoda udaas bhi.
'Iss se zyada toh Nidhi Ma'am ki favourability hai mere liye jinse jaan pehchaan hue mujhe kuch hi waqt beeta hai.'
Apna sarr naraazgi me hilaate hue usne Kavya ke haatho ko pakad usse apne saamne kiya, dono anguthe se uske aasuo ko pocha aur bola,
"Rona nahi hai! Chalo! Teri class tak tujhe chorr du."
"Hmm!!"
Wo muskuraate hue boli. Wo khud bhi akeli jaa sakti thi par jese apne Veer bhaiya ke saath jaane ke liye ye uska bahaana tha.
Usse pata lag chuka tha ki ab uske aur uske Veer bhaiya ka rishta pehle se kayi guna behtar ho chuka tha. Wo jaanti thi ki ye rishta aage aage aur bhi behtar hoega. Aur wo ye mauka nahi khone dena chaahti thi. Aaj wo khud pe proud mehsoos kar rahi thi. Usse khud ke kiye par hi khushi ho rahi thi ki aaj usne kitna accha kiya jo Veer ki madad karne ke liye aage badhi. Usse uske bhaiya bhi mil gaye. Ab wo khud ko kos rahi thi ki yahi kaam usne parivaar waalo ke saamne hi kyu na kiya?
Kam se kam unn glaani ke bhaavo se toh bach jaati woh jo abhi bhi kahi na kahi uske andar mandra rahe the.
Kavya ko class me chorrne ke liye Veer uske saath aa gaya.
Class ke baahar hi wo khadi Veer ko nihaar rahi thi. Uska mann apne waapas se mile bhaiya ko bye kehne ka kar hi nahi raha tha.
"Jao andar!"
Veer ne ishaara karte hue kaha.
Kavya : Wo... Hum firse baat toh...
Veer : Don't worry! Paagal! Hum baatein bhi karenge aur jo bhi ankahi baatein hai, unhe sort out bhi karenge...
Aur bas..
Uske itna kehte hi Kavya khushi se jhumti hui ek baar fir usse baaho me bhar lii...
Kavya : Thank you Bhaiya!!!
Veer ne pyaar se uska sar thap thapaaya aur muskuraate hue kaha,
"Chal chal! Jaa ab! Sab tujhe hi dekh rahe hai. Wo sochenge ki tune boyfriend bana liya."
"Hehe~ toh sochne do..."
Kavya bhi hasste hue boli par uski ye baat Veer ko thodi ajeeb sii lagi.
Aur yu usse apni class me chorr Veer apni class ki orr nikal gaya.
*Ding*
[5 points have been rewarded.]
'Good! Haha~ Add them to my strength.'
[Are you sure master?]
'Yes!'
*Ding*
[5 points has been added to Strength.]
[Inka effect aapko...]
'I know... Kal subah dekhne ko milega.'
Wo class me jaa hi raha tha ki uski nazar seedhiyo pe khade Ajay par gayi jo badi hi tension me lag raha tha.
Veer ne dekha ki wo kisi ladki se baat kar raha tha aur aage badh usne dekha ki ye wahi ladki thi jiske kaaran uski pitaayi ki gayi thi.
Chupke se kaan lagaate hue usne dono ki baate sunn'ne ka prayaas kiya...
Pragya : Ye sab kya tha? Mujhe laga tum sensible bande ho yaar... And you did this?
Ajay : Pragya meri baat suno...
Pragya : Kya sunu yaar? Mene khud apni aankho se dekha hai. Mera toh mann kar raha tha wahi beech me kood padu aur tumko ghaseet ke le jau waha se...
Ajay : Aisi baat nahi hai Pragya... Listen...
Pragya : Yaar wo banda chup chaap khada tha aur tumhe uss se problem hi kya thi? Mein tumhe hi dekh rahi thi. Wo banda aaya aur achaanak hi tum uske paas pohuch gaye... Uski collor pakadne waale the ki uski behan aa gayi beech me.
Ajay : Haa! Wo mein maanta hu ki mein uski collor pakadne waala tha but...
Pragya : But kya yaar? Wo toh accha hua uski behan ke aane ke baad tumne koi galat kadam nahi uthaaya warna meri nazro me toh tum poori tarah se gir jaate.
Ajay : I'm sorry na yaar! Ho gayi galti... Itna bura maanogi toh mera kya hoga?
Pragya : Hmph! Iss baar maaf kar rahi hu. Aage se nahi karungi...
Ajay : Bilkul!!!
Aur dono fir waapas se hassi mazaak karte hue upar ki floor pe chale gaye.
Par neeche...
Unhe nahi pata tha ki unki baatein koi teesra bhi sunn raha tha.
Veer ke chehre par ek ajeeb sii muskuraahat thi.
Ek aisi muskuraahat jo kisi devil ki muskaan se kam nahi thi.
'Pari!!!'
[Yes master!]
'Ajay se badla lene ke liye ready ho na?'
[Mein toh hamesha aapki sewa me ready rehti hu master.]
'Great!!!'
Aur wahi muskuraahat apne hontho par sajaaye wo waha se apni class me chala gaya.
Na jaane kya plan kar rakha tha usne.
***
Mumbai ke hi sheher me ek badi si hotel ke ek luxury kamre me saari luxury cheeze rakhi hui thi.
Hotel hi 5 star thi.
Andar bathroom me ek bada sa jacuzzi tha jisme paani me ek aadmi baitha hua tha aur uske agal bagal do nangi ladkiya uski khidmat karne me lagi hui thi.
Bathroom me hi ek ladka bhi tha jo sar jhukaaye khada hua tha.
"Kuch pata chala? Koi fault mila?"
Uss aadmi ne kaha.
Toh wo sar jhukaaya ladka naa me sar hilaaya aur bola,
"Bhau! Security boht tight hai! Chaah ke bhi hum ghus na paaye."
Aadmi : Uss din saali haraam zaadi bach gayi... Poore plan ka kabaada ho gaya tha.
Gusse me aate hue usne wahi rakhi apni hockey stick uthaayi aur ladki ke gardan me lapet ke usse apne lund ki orr kheecha,
"Acche se choos... Ye darr darr ke kari na toh yahi bheja uda dunga samjhi?"
Bechaari ladki sehamte hue kaapte hue haa me sar hilaayi aur uss aadmi ka lund choosne lagi jo paani se bas thodi upar tha.
Wahi dusri ladki uss aadmi ke seene par halki halki kisses kare jaa rahi thi. Darr usse bhi boht lag raha tha.
Aadmi : Ranga!!!!
Uss aadmi ne uss ladke ka naam lete hue pukaara,
Ranga : Jii Bhau!!!!
Aadmi : Tum fault dhundna jaari rakho. Aur mein dusri takneek toh laga hi raha hu.
Ranga : Jii Bhau! Mene aadmiyo ko bol ke rakha hai.
Aadmi : Hmm!
Ranga : Bhau? Kya ye kaam boht zaroori hai?
Usne thoda sehamte hue pucha. Usse darr tha ki kahi uske iss sawaal pe uski hi gardan na katt jaaye.
Aadmi : Ye sawaal dubaara mat puchna kabhi. SLOGAN Dada ne kaha hai, matlab karna hai. Aur wese bhi... Unhone itne saalo baad mujhe koi kaam saupa hai.
Ranga : Kya... Kya... Kya mein puch sakta hu ki ye SLOGAN Dada kaun hai Bhau?
Ek baar fir Ranga ne kaanpte hue pucha. Uski nazre ekdum neeche hi thi. Aur uske dil ki dhadkan ekdum tezz. Ek darr tha ki kahi achaanak se ek bullet aake uska bheja hi na uda de.
Aadmi : Mere aadmi ho isliye unka naam sunn paa rahe ho. Unke baare me jaan'na abhi tumhari aukaat se baahar hai. Samjhe?
Ranga : J... Jii Bhau!
Aur kuch pal ke liye shaanti sii chhaa gayi. Bas awaaz aa rahi thi toh keval unn ladkiyo ke hontho ki jo uss aadmi ke lund par chale rahe the aur paani ki chhap chhap ki...
Uss aadmi ne agle hi pal apna veerya uss ladki ke muh me chorra aur ek lambi saas lete hue dono ko apne bagal se lagaate hue wo sarr tika ke baith gaya.
Aadmi : Kuch toh karna hoga.
Ranga : Bhau...!?
Aadmi : Hmm??
Ranga : Mujhe abhi yaad aaya... Wo jo aapne tarqeeb lagaayi thi na... Dusri ladki ke zariye jo aapne iss ladki tak pohcuhne ka idea lagaaya tha na... Mujhe pata chala hai ki wo dusri ladki kuch dino se kaafi deals kar rahi hai.
Aadmi : Hmm? Toh tumhara matlab kya hai?
Ranga : Yadi... Hum... Unhi kisi company ke zariye uss dusri ladki ke paas jaaye aur fir uss dusri ladki ke zariye uss pehli ladki ke paas... Toh??
Aur uske itna kehte hi uss aadmi ki aankho me ek chamak aa gayi... Aur fir wo zorr zorr se hassne laga.
Aadmi : Ranga! Tune aaj proof kar diya ki tu mera hi aadmi hai. Hahahahaha~
Ranga khush hote hue abhi bhi sarr jhukaaye khada raha.
Kon thi akhir ye pehli aur dusri ladkiya? Ye toh wahi dono jaante the.
Aadmi : Bilkul! Iske liye bhi upaay hai mere paas... Aur security ke chalte hum yahi upaay apnaenge.
Ranga : Jii... Jii Bhau!
Aadmi : Companies ke baare me ek list taiyaar karo. Jo jo companies uss ladki ke paas aayi hai deal ke liye. Chaahe deal hui ho ya nahi uss se farq nahi padta. Jitni bhi aayi hai, unke baare me do din ke andar mujhe ek list chahiye! Samjhe?
Ranga : Jii Bhau!
Aadmi : Baaki kya karna hai... Wo mein dekh lunga.
Aur wo muskuraate hue apni aankhein band kar wahi sarr tikaaye lait gaya.
***
Agla din...
Raat ka waqt tha. Aur chaand ki chamakti hui roshni ek bangle ki khidkiyo se takraa ke vartit hote hue bed par laiti ek khubsoorat ladki ke chehre par pad rahi thi.
Wo iss waqt kisi Pari se kam nahi lag rahi thi.
White colour ki night dress me wo kisi swarg lok se aayi apsara jaisi apne bed par laite kuch aur hi khwaabo me khoyi hui thi.
Apne phone ki contact list me wo ek naam ko dekh ko dekh uss insaan ke baare me sochne lagi.
'If only life would have been just like before.'
Wo mann me na jaane kis ke baare me soch rahi thi. Par itna toh zaroor tha ki wo iss waqt maayus zaroor thi.
Usne wo naam hataate hue ek aur naam pe apna focus daala...
Ye contact naya bhi tha aur naam hote hue bhi unknown tha...
'Should I call?? No... What am I even thinking?'
Wo sarr na me hilaate hue apni neend me chali gayi.
Par usse nahi pata tha...
Ki aane waala samay...
Uske liye kya kya laane waala tha.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Word count ~ 4296
Kyuki mere haath dukhne lage the type karte karte.Itna hi lo abhi ke liye.
Dhanyavaad!!
Update - 202 ~ From the shadows (2)
Trisha , anil aur team wala jyada better laga mujheDo images hai jo maine inn dino iss update ke liye AI se generate ki thi. Let me know ki ye kaisi hai. Although mein AI images ka koi itna bada fan nahi hu. But, agar novel approach ke hisaab se chale toh sketch based images hi achhi lagti hai.
Lekin, choonki hum shuru se hi real life based images ka chayan karte aaye hai, toh mujhe yahi jaanana hai ki kaun sa better lagta hai ju logo ko. Uss hisaab se mein changes karunga fir. Lemme know about this.
Trisha , Anil aur team infiltrate karte hue.
Trisha kisi ki presence ko apne peechhe feel karte hue (which was Veer basically.)
![]()