"well we'll guys it's dancing time"anju chillate hue bole
Kuch zyada hi chadh gayi thi use
"Ab yahan koun dance kar...."shyam apni baat poori hi nahi kar paya tha ki anju ne uska haath kheencha aur dance floor Par le gayi
"Arr Mujhe dance nahi aata"shyam dar kar bola.lekin anju ko ghanta fark pada masti me jhoolkar dance karne lagi wo saath me shyam se bhi dance karwane lagi
"Dekho ye sab sahi nahi hai "shlok bola
"Arr kya sahi kya galat chalo tum log bhi jaoooooooooooo"disha ne bhi chadha li thi
Aur ragini aur shlok ko dance karne bhej diya
"A ab kya??"aakash ne poochha
"Abhi hum dono dance karenge "disha ne hairan aakash ka haath pakda aur kheencha kar le gayi dance floor par
---------
"Sir night club band honewala hai, please "staff me aakash se bola
Anju aur shyam pehle hi nikal chuke the,ragini ko shlok chorne chala gaya
Bas aakash ke baahon me jhool rahi disha bachi thi
"Hum aur ruk jaaye aakash"disha ki awaz sahi me piyakkad jaisi jo gayi thi
"Nahi hum jayenge"bol aakash ne disha ka haath a pakda aur gaadi par baitha kar drive karne laga
"You are very sweet and cute aakash pata hai.....he he he"bol disha ne apne honto se kiss karne ke liye aage badh gayi
"D disha tum hosh me nahi ho"aakash bola
"Hosh me nahi aana mujhe "disha boli aur fir aage badhne lagi
Aakash ne fir door kar diya use
Disha hosh me nahi hai,sochkar aakash muskuraya
"I love you aakash"disha dheere se boli
Aakash ka dil dhakk se reh gaya,yahi to sunna chahta tha
Lekin is tarah nahi.poore hosh me sabke saamne wahi propose karega disha ko
Wahi uski jeet hogi
"Mere mama meri shaadi kisi aur se karnewale hai aakash,rok lo mujhe"disha ne bharrai aankhon se bola
Aakash ka dil kaamp utha,disha ki aankhon me aansu the
Aur kandhe par kuch zakhmo ke nishan
Aakash ka chehra sakht ho utha aur gaadi ki speed badhakar le gaya
-------------------------------------------------------------------------------
"Aapko pata hai pavitra kya karne aayi hai??'guruji ne phone me shikayat karni shuru kar di thi
"Pata hai"doosri aur se Awaz aayi
"Agar pata hai to kyun nahi kehte dekh kar hamla karne ke liye aakash par??"guruji bole
"Apni aukat na bhool,tu jo hai meri wajah se hai.agar mera haath tere sar par se hat jaye to tu kuch bhi nahi"doosri aur se sakht awaz me koi bola
"M maaf kijiye"guruji jhat se apna rang badalte hue bole
"Hmm bohut ache,ab dhyan se sun us aakash se tera koi matlab nahi hai, pavitra jaisa kar Rahi hai karne de,maine kuch aur pyade bheje hai.aur bhi bhejunga.us ladke ki mout mere haatho likhi hai "awaz me gussa tha
"Ji mere liye kuch hukum??"guruji bole
"Bas nazar rakhna uspar aur Kuch bhi ho to pavitra ko bata dena"phone cut chuka tha
-------------------------------------------------------------------------------
Varun night club ke bahar khada tha abhi bhi
Tabhi do parchai saamne aaye
"Ninku ko kyun bulaya"kala kapda odhe naqab pehne peeth par talwar liye khada hua
"aur shouji ko???"safed baalon wala ek ladka bhi khada hua
Jiske sharir par taash ka ikka bana hua tha
"Ha ha ha,isliye bulaya kyunki ek khaas maksad ko anjam dena hai,aur use bemout maarna hai"varun bola aur iske saath hi kuch parchai aur bhi saath judne lage