• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-58





Khinch kar ek uddta hua chappal Josefer ke muh par para aur Nandni pil gayi, pass pari jhadu le kar… Nischal usse pakadte huye…. "Chhod de usse, bacha hai wo, usse pata nahi kahan kaun sa communication karna hai. Basically pahli baar mazak try kar raha hai"..


Nandni:- Chhod de tu mujhe … isse dobara jhatke dene de..


Nischal:- Maaf kar de bechare ko.. fir raaj se bhi to parda uthana hai.. warna ye mar jayega aur tu suspence me rah jayegi…


Nandni, haanfti hui piche hati… "Nischal ne kaha isliye chhod rahi hun.. chalo ab raaj se parda uthao"..


Josefer:- Are yaar... Viggo mujhe Nandni se 2 minute presonal baat karni hai, fir yahan ka mahol friendly ho jayega..


Nandni:- Abe ye "we go" "we go" kya kar raha hai.. "we go" mujhe Nandni se 2 minute ke presonal baat karni hai… Yaar ye kahna kya chah raha hai…Ye kahan se pagal utha laya hai…


Nischal:- Acha chal raha hai yahan ka mahol, kuch to boriyat ghati. Josefer tumhari baat kisi ko nahi samjh me aa rahi hai.. ye Viggo kahna band karo.. aur Nandni madam ka suspense over karo. Aur Nandni 2 minute jarra shanti se baith ja..


Josefer:- Kal raat se hi main Nischal ka bada fan ho gaya hun.. die hard wala. Shayad inhe bhi ye mehsus hua hoga tabhi meri jaan bachayi hai… Khabar ye hai ki wo log kal raat ki batchit ke liye maan gaye hain aur aaj ka apna pura program cancel kar diya hai…


Nischal:- kis soch me dub gaye tum.. Josefer..


Josefer:- Jab main laut raha tha tab Rijo ka maine chehra dekha tha, uske chehre se aisa laga jaise wo jung jit chuka hai… aap samjh rahe hai na… Kuch bhi ho aap wahan akele nahi jaeyega…


Nischal:- Hmmm ! Thik hai samjh gaya… mujh par najar rakhne ke aadesh mile hain tumhe…


Josefer:- Haan..


Nischal:- Thik hai, tum apna kaam karo.. main samjh lunga..


Josefer, jate-jate… Ek Viggo ke liye marna koi bari baat nahi, lekin aap ke marte hi un yodhayon ki khani bhi mar jayegi jiske jinda rahne ki ummid ek afwah me chhipi thi. Jo ki mahaj ek afwah na hokar satya hai…


Nischal:- Kya pata kahin kisi sudur ilake me aur bhi yodhha apne pure samaj ke sath basse ho, aur apni pahchan chhipaye ho.


Josefer:- Sambhawnayen kuch bhi ho sakti hai.. lekin hum sambhawna ko mul aadhar to nahi hi manege.. Chalta hun Nischal, aap jara dhyan rakhiyega..


Nischal:- Suno ek minute Josefer, mujhe haal me huye, Rajeev Gandhi park ki ghatnao ka visuals chahiye.. arrange kar sakte ho sham 5 baje tak..


Josefer:- kaam hote hi main aapko call karta hun…


Josefer ke jate hi Nandni jo darsak bani hui thi… "Wo shabd "we go" nahi tha na.. wo tumhe kisi aur naam se bula raha tha… sab kuch samne se baat karte huye bhi kuch pata nahi chalne diye… Mujhe bura feel hua. Aur wo tumhe kis baat ki chetawni dekar gaya hai Nischal. Usne kyon aisa kaha ki tumhare liye marna koi badi baat nahi.. Nichal mujhe dar lag raha hai.. tum kuch bewakoofi bhada kaam to nahi kar rahe na..


Nischal, apne kandhe se tike Nandni ke sir par hath ferte huye kahne laga... "Main tumhe sari baat batata hun Nandu.. lekin yadi mujh par bharosa ho to please panic mat hona"


Nischal ne haal hi me hui sari ghatnao ko bade aaram se samjhate huye kahta ja raha tha. Pahli baar Nandni ko aisa lag raha tha ki kahan se aaya ek ladka anjaane me hi kitna kuch kar raha hai.


Nischal har ek baat batane ke baad kahne laga… "Yadi dhairya banaye rakhogi to main sab thik kar dunga.. Jivisha ko khabar tak nahi ki uske ander kya hai aur kaun log uske pichhe pare hain. Aur please mere piche aane ki jid mat karna. Kal ka kaam mujhe aaram se karne do.. wada karo mujhse ki tum uss park ke aas-pass nahi bhatkogi…


Nandni:- Tumhe main jitna jaan rahi hun Nischal, tunhare liye utna jyada proud feel hone lagaz1 0160l hai. Main itni bewakoof nahi ki un logon ke bich jakar phans jaun aur tumhara kaam muskil kar dun..


Nischal:- Thanks Nandni… Haan lekin main tumhe ek muskil kaam dunga… tumhare control power ne mujh me ummid jagayi hai.. aur mujhe in Zoren washi par bharosa nahi..


Nischal ke pass waqt bahut kam tha, isliye Nandni ko wo gode me utha'kar, apne uss thikane tak le gaya jahan usne chhote viman rakha tha, aur earth ki technology ke sath apni tecnology ko mila kar kuch prayog kiye the..


Nischal ne Nandni ko 1 hathiyar ka prayog sikhaya.. freeze wall protection. Ye hathiyar atmospheric gas aur air ko freez karke ek pardarshi protective layer banata tha… Iske prayog se jitne radius ka chahe, ek pardarshi protective cover banaya ja sakta tha, jise bhedne ke liye kafi force ki jaroorat parti hai. Ek hathiyar se, kam se kam 1 kilometre ke radius me 200 baar protective layers banaye ja sakte the.. yadi room ke tulna me iski baat ki jaye to bachne ke liye 5 din tak lagatar protective layer ka nirman kiya ja sakta tha... Iske alawa Nandni ke pass bijli ke jhatke to the hi.


Nandni ko sari baten samjhane ke baad wapas gode me utha'kar flat laya. In sab kamon me lagbhag raat ke 1 baj chuke the... Lekin raat ka kaam pura nahi hua tha… Kal ke sari planning yojnabadh tarike se dimag me bithane ke baad, Nischal raat ke takriban 1.30 baje Sawalker ke gahr pahunch gaya...


Itni raat gaye Nischal ko darwaje par dekh, Sawalker thode chinta me par gaya.. lekin jab Nischal ne apne aane ka karan bataya tab Sawalker pahle jakar chay bana laya, fir apne soye dimag ko pura jagate huye Nischal ko sun'ne laga.


Lagbhag hafte din baad ek aham case solve hone ja raha tha.. Sawalker khushi se jhumne laga… Puri kahani samjhate-samjhate subah ke 4 baj gaye the.. sara kaam to ho gaya tha.. lekin jab akele huye to wapas se tanhaeyon ne gher liya.. Aakhon me nind ki jagah halka dard utar aaya tha..


Har raat ki ek subah hoti hai. Har gum ke baad kuch khushiyan haath lagti hai, lekin Nischal ke liye mano raat ki subah jaise hi hone wali hoti hai ki fir ghanghor bhadal chha jate hain. Gam se ubar kar khushiyan aane ki sanket jaise hi hote ki gam ke kuch aur karan pahle se dastak dene shuru ho jate…


Fir se ek subah ho rahi thi.. Nandni college ke liye taiyar ho kar hall me aayi thi aur fir se Nischal ki mayus haalat ko dekh'kar wo uske pass pahunchi..


"Hammm ! Raat me soya nahi na".. Nandni uske pass baith'te huye puchhne lagi..


Nischal:- Aaj raat ko khub pikar chain se sounga..


Nandni:- Aur devdas ban jaunga.. Hey Nischal, tu mayus bilkul acha nahi lagta.. kal fail ho gaya.. kyon..


Nischal:- Haan.. aur Jivisha se maine wada kiya hai, main usse apni shakl bilkul nahi dikhaunga…


Nandni:- Mera duapatta lele aur muh dhak kar chale jana…


Nischal:- Rahne de yaar kosis bekar hai..


Nandni, apne hathon se Nischal ka banaya wo mask utar kar uske hath me rakhti hui kahne lagi… "Aisa bhi koi aawishkar ho sakta hai ye to kalpna se bhi pare hai. Tumne isse sambhaw kiya. Mujhe batao kitne sal lage iss globes se dikhne wale mask ko banane me"..


Nischal:- Lagbhag 11 sal lage mujhe.. wo bhi main ye project band kar chuka tha, lekin yahan ke scientist kamal ke hain. Unki light, current aur anya theory itni kamal ki hai ki bus ek chhota sa change ne isse sambhaw kar diya.


Nandni:- Matlab kayi baar fail huye lekin isse pura karne ki hasrat dil se nahi gayi..


Nischal:- Hammm ! Tum kya kahna chah rahi ho main samjh gaya.. lekin wo Jivisha hai, koi object nahi.. hum dono ke pass seperate emotions hain.. ab wo mujhe nahi like karti to main kya karun..


Nandni:- Sach he kaha hai kisi ne, pyar nakara kar deta hai.. dil ke sath thoda dimag bhi lagao sab samjh jaoge.. main chalti hun.... Ummid hai ek aur prayas ke sath tumse college me mulakat hogi.. aur haan ek baat aur.. aaj thode swarthi hokar aana.. uski feeling hurt hogi iss baat ko kinare rakh kar kewal apne arman kaise pure ho uspar focus karna…



Idha Jivisha…


Baat kuch aisi bigdi thi ki ab to dil tootna tay tha. College na jane ka ghar walon ka dawab aur Nischal ko dekhne ki chahat. Jivisha ghar se nikal to aayi thi lekin dil me ek hi khyal baar baar aa raha tha, na to wo ghar walon ke hokar rah payi aur na hi apne pyar ke….


Inhi sab udherbun me wo college pahunch gayi. Na to raste me Kasak se koi baat hui aur naa hi jab college aayi to Nandni se baat ki, uski najar to bus Nischal ko dhundh rahi thi. Jivisha ka mann do rahe par tha aur khyalon me kewal aur kewal Nischal…


Na jane kitne dino se Jivisha, Nischal ko jaan bujh kar chidha rahi thi, aur jab waqt tha ek lambi si bechaini ko aaram dena to haalaton ne Nischal ko chidha diya aur Jivisha tamasha dekhti rah gayi….


Pahli class bit gayi... Wo nahi aaya… Jivisha ke chehre ki mayusi ab udasi me badal gayi thi. Dusra class bhi khatam, ab bhi Nischal nahi dikha… Udasi se ab rone ka sabab paida ho raha tha. Jivisha apna sar niche jhukaye ro bhi rahi thi aur apne aashu bhi saaf kar rahi thi…


Tabhi achanak se pure class ke hasne ki awaz aayi. Nischal ki awesome entry se pure class me hansi ka mahol tha. Wo sidha jakar Jivisha ke pass baith gaya. Jivisha ab bhi sar jhukaye bus apne aashu hi saf kar rahi thi.


Tabhi class me jaise hi professor pahunche… "Ye humare class me pagal kaun aa gaya hai. Kaun ho tum aur apna huliya aisa kyon bana rakha hai. Bahar jao class se"..


Nischal apni jagah par khada hote… "Sir aap mere poshak ka apman nahi kar sakte. Ye humare community ki pahchan hai"..


Jivisha jaise hi Nischal ka awaj suni, wo sir jhukaye hi rote-rote hasne lagi aur hanste-hanste fir se rone.. Jivisha apna sar niche jhukaye Nischal ko sunna chah rahi thi.. itne me hi..


Professor:- Tum kya pagal ho, jo yahan aise kapde pahan kar aaye ho…


Professor ki baat par Jivisha halka najar tirchhi karke Nichal ke kapde ek baar dekhi… "Upar aur niche kewal black pahne hai.. fir ye professor itna garam kyon ho raha hai. Lagta hai Biwi se jhagra karke aaya hai"..


Nischal:- Sir apne biwi ka gussa mujh par mat nikalo… Yadi mere poshak ke bare me kuch kaha to ye bejjati hai humare community ki…


Jivisha, Nischal ki baat sunkar ander hi hansti hui... "Daring hai mere hero me, isse Naktode ke muh par bol diya.. hihihihihi..


Professor:- Are kaun si community..


Nischal:- wahi saar.. Ninja community.. kisi ne mujh se kaha apna chehra mat dikhao to maine Ninja community join kar liya..


"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-59




"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..


Nischal:- Tumse wada jo kiya tha apna chehra nahi dikhaunga.. so ye Ninja look… aaj ek mauka aur milega kya..


Jivisha:- Aur aaj bhi fail ho gaye to…


Nischal:- Wade me tod nikal'kar, kal fir samne aa jaunga..


Jivisha, ander se khush hoti hui… "Aur kahin gayab hone ke liye kah di to"..


Nischal:- Fir Mike par jor jor se chillaunga… main Laila laila chillaunga kurta far ke…


Jivisha:- Pagal kahin ke.. upar ka mask hatao..


Nischal:- Dekho wade ke mutabik main tumhe apna chehra nahi dikhaunga, lekin yadi tum khud mask utarogi to iska matlab hoga ki main apne kaam se kahin bhi ghum sakta hun bina mask lagaye. Fir chahe tum hi kyon na ho wahan aas-pass.


Jivisha uska mask utar'ti hui… "Nautanki karna mera department hai, tumhara nahi.. ab ye batao ki ander kya pahne ho..


Nischal:- Itne tight kapde ke niche bhi koi kuch pahan sakta hai kya… only three kapde the sharir par... Ek utar diya tumne. Do tumhe dikh rahe honge..


Jivisha:- Pagal, fir main aise kapdon me tumhare sath nahi ghumne wali..


Nischal:- Thik hai fir kal ka program rakhte hain .. chalo class me..


Jivisha:- Oye ruko… Kal kyon .. kal meri engagement hai.. aaj ka hi mauka hai tumhare pass…


Nischal:- Fir tum hi kuch solution batao…


Jivisha:- Ammm ! Ek kaam karte hai, yahan se shopping mall wahan se change aur fir wahan se tumhare adhure samay ko pura mauka dena…


Nischal:- Haan kal raat 10 baje ka bol'kar mujhe sham ke 4 baje tak hi samay mila tha… ye baat dimag me rahti to Ninja look nahi lena parta.. waise tumhe yaad tha fir kyon kahi ab muh mat dikhana…


Jivisha:- Off O ab chalo bhi pakao mat…


Dono shopping mall pahunche, wahan Jivisha ne apne pasand ke kapde kharidi aur Nischal ko trial room bhej'kar change karke aane ke liye boli.. jab wo change kar'ke bahar aaya.. Jivisha usse dekhti rahi gayi… Dil kiya fatak se gale lag kar jhatak se apne arman kah de. Fir muskurati wo apne hi sar par hath marti khud se kahne lagi… "thoda usse hi mauka deti hun"


Jivisha bill counter par aage badh kar bill dene lagi aur piche se Jivisha ka pura khandan pahunch gaya… "Baap yahan hone wale dulhe ke liye shopping karne aaya hai.. aur beti ek nakara ke liye shopping kar rahi hai"..


Bill counter par kuch jyada hi bhid hoti hai.. har koi iss family drame me intrest lene laga… Jivisha jab apne papa ki baat suni to wo sah nahi payi.. juban ladana nahi chahti thi aur Nischal ki bejjati sun'na usse gawara nahi. Ander se usse mehsus ho raha tha ki wo na jane kya kar de abhi, khud usse bhi pata nahi. Isliye wo bina kuch bole wahan se chali gayi.


Idhar Nischal ke liye yah apman jaise jamir par chhap gaya tha. Pahne huye kapdon par sawal uthana.. khud me apmanit mehsus karte Nischal apna gussa pikar rah gaya. Un logon ke tane kewal aur kewal aisa lag raha tha jaise uske nakarepan ki kahani bayan kar rahi ho…


Kisi bhi chij ki hadd hoti hai, lekin kuch log bolne ke kram me har haden paar kar jaate hain. Ghar ke mahol ko pichhle kayi dino se Nandita bhi bhanp rahi thi... Wo bhi bahut kuch soch to rakhi thi, lekin majboori me kadam wahan par thehar jate jahan bus dimag me yahi chalta ki ab tak uski bachi ne kabhi apni khwaish nahi jatayi, ki usse Nischal ye pyar hai ya Nischal se vivaah hi karna hai...


Lekin abhi ka uske saas-sasur aur pati ki harkaten kisi bajaru se kam nahi tha.. aur yahi ladka hai jo apni izzat utarte dekh'kar bhi samne wale ko kuch kah tak nahi raha tha... Apne pariwar ke logon ka vaywahar dekh'kar Nandita ka para apne charam par pahunch gaya….


"Aap jise nakara kah rahe hain, aaj se, infact abhi se wo mera bhai hai.. mere pita ke dusri santan. Jaise wo Shresh apne baap ke paise par ek bahut bada kaam kaji ladka ho gaya waise hi aaj se ye bhi hai. Aur agar ab kisi ne mere bhai ke liye kuch bhi bola to acha nahi hoga".


Nandita apne hath jodti sabse kahne lagi… "Ab chalo sab yahan se, sabne bahut drama kar liye. Wo to bus shopping kar rahi thi, lekin aap sabko jaan bujhkar drama karna tha. Bhid me bejjati kar rahe ho.. ab chaliye aap log yahan se warna beti ko to khote ja rahe hain, kahin aisa na ho ki main bhi chirag ko lekar nikal jaun aur dobara kabhi uss chaukhat par kadam na rakhun"…


Nandita ne jab apne tevar badle tab jakar kahin sabko hosh aaya. Pura pariwar wahan se laut gaya. Idhar Nichal bhi apne dhime kadmon se parking ke ore badhne laga. Usse khud me ander se acha nahi lag raha tha... Nischal khud ki haalat par khud hi hans raha tha… Aaj tak jisne ek ulte shabd nahi sune the, wo baar-baar bejjat huye ja raha tha…


Vida lene se pahle apne aakhri kuch shabd Jivisha se kahne the, isliye uske kadam Jivisha ke piche chal diye… Yun to chand duri ke faslon par Jivisha najar aa rahi thi, lekin ander ke fasle jo paida ho gaye the, uski duriyan ab tay kar pana mushkil tha...


Jivisha, ki najar jaise hi Nischal par gayi, wo bhag kar uske pass pahunchi aur bechaini se uske chehre ko tham kar…… "Mujhe maaf kar do, mujhe tumhe yahan lekar nahi aana chahiye tha… bahut kuch suna gaye na… main maafi mangti hun.. please Nischal, aise udas na ho"..


Nischal, Jivisha ke hath ko hatate huye, uske chehre ko dekhne laga… Jivisha ko dekh'kar Nischal muskuraya…

"Main ek bhatkaw tha aur tum thehraw. Kash tum mili na hoti to mere yahan hone ki wajah nahi hoti. Ye dil bechain hona, kisi se na mil pane ki tarap aur haan, kisi ke baton ki chubhan kya hota hai kabhi pata hi nahi chalta, yadi tum se na mila hota."

"Mere yahan hone ki wajah tum thi. Shyad itna hi tumhe dekhna aur mehsus karna, meri kismat me tha Jivisha. Main ek aise khwaish ke piche para raha, jiski khwahishon kabhi main tha hi nahi."

"Janti ho tumhare papa ne kuch kaha, wo baat utni nahi chubhi, jitna tumhara wahan se chup-chap chale aana chubha. Aur ye chubhan koi pahli baar maine mehsus nahi kar raha tha. Lekin baat fir wahi ho jati hai, ek tarfa chahaten aur ek tarfa pyar. Main nahi janta, kabhi chhoti si feeling bhi tumhare ander thi ya nahi, bus aisa laga jaise tumhe apne manoranjan ke liye ek khilona chahiye tha… jab ji me aaya thode se pyar se baat karne ke baad uske satha ho liye aur uski bewakoofi par bahut enjoy kiya, aur baad me fir dhutkar bhi diye"

"Khair … Maine tumhe chaha hai .. aur chahta rahunga.. ye Sathya hai… thik waise hi, jaise aaj raat ke baad fir yahan rukne ki koi wajah nahi hogi. Alvida"…


Nischal apni baat kah'kar mud chala. Sab kuch luta'kar khud me khoya sa wo chala. Aise chala jaise sab alvida kah chala ho.


Nischal apne khoye se aalam me bahar ke ore ja raha tha aur Jivisha bhagti hui usse na khone ki chahat me announcing room mein pahunch gayi… Shopping mall me lage har speaker se ab Jivisha ke arman nikal rahe the jise sab sun rahe the….


"Oye Jungli, apni chahat bata gaye.. jane se pahle meri chahat to sunte jao.…. Tum khade the kisi deewano ki tarah, charo ore aise dekh rahe the jaise ye jahan tumne pahli baar dekh rahe the… main train se bhag rahi thi anjano ki tarah.. aur meri kismat mujhse takra rahi thi"..

"Wo pahli najar ka hi pyar tha jab tum mujhse takraye the... Koi second thought nahi tha, isliye apne pyar ko main chum rahi thi… be-jhijhak aur be-hichak…"



"Haan galtiyan hui mujhse. Thodi duriyan thi lekin kuch meri majbooriyan thi. Tumse kitni chahte hain, ye dil me dabi thi, najron me chhipa tha. Lekin haal-e-dil kabhi izhar nahi kar payi aur najron se kabhi wo pyar jata nahi payi."

"Main nahi janti ki tum mujhe chhod'kar kahan jaoge, lekin yadi tum dur jaoge to wo tarap main jhel na paungi. Wada hai tumse kabhi tumhara dil na dikhaungi.. Jahan itni baar mujhe maaf kar chuke, kya ek baar aur maafi nahi milegi."

"Rok lo apne kadam, mud jao piche, aaj fir ek baar, jahan tarpe hain ek duje ke bina itne din, sath jine ka bhi maza lete hain. Bus ek tum mil gaye to samjhungi sara jahan mil gaya."

"Ab aa bhi jao Nischal, tumhare liye bahut royi hun, ab aur rone ki himmat nahi bachi hai. Ab aa bhi jao na.. please.. Ya fir wo chand shabd hi sunkar samjhoge jo log izhar me kahte hain"…


"Aur mukhiya ji ka kya, jo mujhe bhadi sabha me nakara kahte hain".. Nischal thik Jivisha ke samne, muskurate huye khada tha…


Wo najron ke samne jaise Jivisha ki puri khushiyan khadi thi… fir to khud ko rok pana bhi muskil ho raha tha… kadam daud chale khushiyon ke ore… yun lipti aaj dub kar Nischal me, ki uski ho kar rah jana hai… tej dhadkane Jivisha ki bechani bata rahi thi wahin paglon ki tarah uske chehre ko chumna uske vyakul mann ki shanti ko jata raha tha…


Fir se wahi sama tha, ek baar fir wahi najara tha.. Jivisha apni vyakulta shant karke, poori tarah toot chuki thi. Nischal apna ek hath uske kamer me dal'kar Jivisha ko thame khada tha aur dusre hath se chehre par aaye bikhre baal ko hata raha tha..


Aakhon ke samne wahi najara pahli mulakat ki thi bus fark itna tha ki aaj dono ek dusre ko dekh'kar itni pyari muskan de rahe the ki in muskano me dub'kar puri umr kati ja sakti thi..


Jivisha apni aeriyon ko unchi karti Nichal ke hothon tak apni honth lekar aayi aur apne hoton se Nischal ke hont ko sparsh karti, apne pyar ke sparsh ka wo pahla ehsas Nichal ko kara gayi.


Hont ko saparsh karke kuch inch dar fasle par dono ke honth alag the. Shwans ek dusre ke chahere se takra rahi thi aur aakhen aaj band hokar iss pyare se ehsaas me dub chuka tha…


Jivisha ke hothon ka pyara asprash ab bhi Nischal ke dil me utar raha tha. Chahten fir se deewani hokar hoton ke sparsh ko mehsus karne ke arman jaga gaye aur dono ke honth ke inch dar fasle khatm hokar, ek dusre ke hoton ko chumte chale gaye… shwans lambi aur gahri hoti rahi.. dhadkane bekabu hokar dhadkane lage aur dono ke pyar ko wahan maujood log mehasus karte taliyan banane lage..


Taliyon ke aawaj ne dono ke bojhil aakhon ko kholne par majboor kar diya.. Jivisha khadi bhid ko jab samne dekhi to sharmakar apne chehre ko Nischal ke sine me chhipa lee.. tabhi bhid ko side karte wahan police pahunch gayi…
 
Last edited:

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Update:-49




Jivisha, Nandni ko aankh marti hui kahne lagi… "Tu dekhti ja, Kasak ne jo apne boyfriend ki baat humse raaj rakhi hai aur kamini ne milwaya tak nahi… uska badla main kaise leti hun. Kal wo apne boyfriend se hume milwayegi bhi, upar se disco aur daru ka kharcha degi so alag"… Dono hansti hui hi-fi ki aur Nandni apne flat aur Jivisha apne ghar laut aayi…


Jivisha ghar lautkar Kasak ko bhanak tak nahi lagne di ki usne aur Nandni ne kuch dekha bhi hai. Wo aate ke sath hi Nischal ke khyalon ne dubkar uski nadaniyan aur alahd rawwaiye ko yaad karke bus muskuraye ja rahi thi… "Umaahhhhh, love you mera sona.. mera cutipie.. good night sabko, jaldi raat kat jaye.. tabhi to subah hum dono milenge"…

Idhar Nandni bhi flat par wapas laut kar Nischal ko sandesh bhej di ki yadi wo raat me laut aata hai to call karke jaga de. Iss sandesh ke baad Nandni kitchen ke kaam mein jut gayi. Thodi der baad Ansh bhi aaya… chori chhipe wo Nandni ke sath romance bhi kar raha tha aur baar baar darwaje ke ore hi dekh raha tha…

Nandni:- Ansh bhago apne hospital.. ye kya laga rakha hai.. 2 minute pakadte ho aur 2 minute darwaje par jakar khade ho jate ho…

Ansh:- Tum nahi samjhti Nandu main uss chandal ko dekh raha hun jo kabhi bhi bich me aakar romance ki aisi ki taishi kar deta hai…

Nandni:- Hihihihihi.. aaj aisa kuch nahi hoga.. tum yahan aa jao… aur mere pass raho…

Nandni khana bana rahi thi aur Ansh piche se Nandni ko pakad kar uske galon ko chumte, apna hath aage badhate uske stano par apne hath dal diya… "oye doctor, aaj kuch jyada hi horney ho rahe baat kya hai"..

Ansh, bina kuch bole Nandni ke kano ke niche chumta raha aur uske stano par lagatar apne hath ferte raha… "Ansh, .. Ansh.. Ansh…"

Ath me Nandni Ansh ko dhakke dekar khud se alag karti… "kyon utawle ho rahe ho... khana to thik se bana lene do.."

Ansh:- Nah mujhe yakin nahi uspar wo bich romance me bhi tapak sakta hai.. isliye sab jaldi me khatam karte hain Nandu..

Nandni:- Pagal… tum bhi na… kuch nasha karke aaye ho jo aise baat kar rahe… "jaldi me khatm".. ye jaldi me khatm kya hota hai haan.. pagal.. don't worry love, wo pakka aaj nahi aayega.. aur aayega bhi to call karke aayega"..

Raat ke lagbhag 1 bah gaye the... aur iss dauran Ansh kam se kam 20 baar Nandni se Nischal ke bare me puch chuka tha. Infact apne chalte romance ke bich jab dono pura maza utha rahe the tab bhi rukkar Ansh Nandni se 1,2 bar ansh ke bare me pucha…

Nandni thak kar chur ho gayi thi aur ek unmodak romance ke baad mithi nind lena chah rahi thi… Nandni apni shwans samanya karke Ansh se lipti hi thi ki… "Baby mujhe kya lagta hai, hume kapde pahan lene chahiye, kya pata Nischal kab aa jaye aur kahin sidha bedroom me aa jaye"..

Nandni pure gusse ke sath khadi hui aur apne upar gawn dalti hui…. "Nischal aa raha hai.. utho kapde pahno. Chalo jaldi karo"..

Ansh:- kya hua Nandu, itni gusse me kyon ho..

Nandni:- maine kaha kapde pahno… abhi..

Uski tej awaz sunkar Ansh ghabrakar khada ho gaya aur jaldi se apne kapde pahan liya… "chalo niklo.. chalo"..

Ansh:- Baby suno to..

Nandni:- Dekho Ansh mera dimag abhi ghuma hua hai.. chalo niklo..

Ansh:- Par kahan..

Nandni:- Aao mere sath…

Ansh chal diya Nandni ke piche-piche. Nandni bahar ka darwaja khilti hui kahne lagi… "Nischal jab bhi aaye, usse apne sath ander lekar aana doctor… agar kahin wo akele aaya aur tum sath me nahi dikhe to tumhare hi hospital me tumhara operation karte der nahi lagegi…

Bechara Ansh, raat ke lagbhag 1 baje se lekar subah ke 5 baje tak gate par hi baith kar apni nind lete Nischal ke aane ka intzar karne laga… subah ke lagbhag 5 baje Nischal jab apartment ke gate par pahuncha tabhi Nandni ko call lagaya.. Nandni aadhi nind me hi Nischal ka call utha kar kahne lagi… "sun'na key doctor ke jeb me maine rakh dee hun.. jakar aaram kar lena.. are yaar... Mai bhi na bhul hi gayi thi"..

Nischal:- Tu aaram kar Nandu main thoda sa kha lunga..

Nandni:- thanks Nischal.. acha doctor darwaje par hoga use bhi apne sath sula lena..

Nischal darwaje par jaise hi pahuncha Ansh wahin niche baithe gahri nind me soya mil gaya. Bina uski nind me khalal diye Nischal ne use apne kandhe par uthaya aur uske jeb se chabhi nikalkar ander le aaya. Use bistar par aaram se litane ke baad Nischal fresh hua aur dono ke liye breakfast banane laga…

Subah ke 7.30 baje Nischal ne Nandni ka darwaja khatkhataya.. 1-2 knock ke baad bhi jab koi response nahi mila to Nischal awaz lagate… "Nandu.. kitna soyegi uth ja.. Nandu… Nandu"..

Nischal fir Ansh ke pass aaya aur usse jagate huye kahne laga… "Doctor sahab 7.30 baj gaye jai Nandu ko bolo taiyar hokar bahar aaye .. breakfast karke college niklenge"..

Ansh jaise hi kamre ke ander gaya kuch samay baad wo wapas laut kar Nischal se kahne laga, "wo jaag rahi hai aur tumhe hi bula rahi hai"..

Nischal dhire se darwaja kholkar ander dakhil hua aur Nandni apni bistar se tik kar usse hi ghur rahi thi… "Tu aaj ye badla badla vayvhar kyon kar raha hai.. batayega"

Nischal:- Tu subah subah chadha lee hai kya… Main kyon badla vyavhar karunga…

Nandni:- acha.. pahle sidha kamre me ghuskar jabardasti aur haq se uthata tha.. aaj ye gairon ki tarah vyavhar kyon..

Nischal:- Oh wo… pagal har chij ka apna maza hota hai.. tu aur Ansh sath hote hai to privacy naam ki bhi koi chij hoti hai ki nahi..

Nandni:- Hammm ! Sun .. jab tak main shadi nahi karti tab tak privacy jaisi koi baat nahi.. jise romance karna hai wo apna dhyan rakhe aur tu mere liye apna vyavhar na change kiya kar feel hota.. samjha ya fir main rone lagun tab samjhega..

Nischal:- Sorry baba.. ab jakar fresh hokar aa.. college chalte hain… waise kaisi hai wo..

Nandni:- kaun..

Nischal:- Jivisha aur kaun ullu..

Nandni… Ab chal to rahe hi hain sab pata chal jayega.. waise maine tere aur Kunal ke bich jhagra laga diya hai to manage kar lena....


Subah-Subah…. Apini house.......


Apini.... Kal main uss Nischal se college me ladne wala hun...


Tanisha..... Par uss se ladna khatarnak hai. Tum uss ke samne tik nahi sakte....


Josefer..... Tanisha dushman ka pata lagana hai to uske karib jakar uska test lena he parega. Achha tum mujhe batao tumhe sab se khatarnak kaun lagta hai....


Tanisha.... Wahi kamina Nischal, aur kaun...


Josefer..... Bilkul nahi... Sab se khatarnak Malkia hai, kyonki malkia ke chhote se humle se uss Nischal ki pasliyan toot gayi....


Tanisha..... Ye kaise hua....


Josefer..... Anjane me he sahi, par Nischal par malkia ne apni ikchha shakti se humla kar diya tha, aur Nischal gambhir roop se ghayal ho gaya....


Apini... Ab tum samjhi hum kyon uska test le rahe hain. Wo koi ajay vijeta nahi jise haraya nahi ja sakta. Nischal ka marna tay hai aur ye kam malkia karegi.


Tanisha..... Sab samjh gayi main. Mujhe intzar rahega uss kamine ke marne ka.....


Subah Subah.. Jivisha ka ghar…


“Sheru, Sheru... arre ye sheru kahan chala gaya”... Kasak apne sath layi pyare se pappi ko pure ghar me dhundh rahi thi. Tabhi JIvisha samne se taiyar ho kar pahunchti, “Tu fir aaj subah-subah taiyar ho kar apne uss deshi kutte ko dhundhne lagi, chal na college “


Kasak.... Khabrdar jo usse kutta kaha to, main tera khun pi jaungi.


Jivisha.... To kya usse ab jijaji kahun.... Jijaji, Jijaji ... O’ humare jijaji, kahan ho aap...


Kasak.... Lagta hai teri charbi jyada chadhi hai Jiviya, tujhe to main dekh lungi... chal chup chap college..


Car se abhi kuch he dur aage badhe honge ki piche se ku-ku karte Kasak ka kutta aage aa gaya. Jivisha usse dekh kar haste huye kahne lagi.... “Lo jijaji bhi tere bina nahi rah sake, tere piche-piche aa gaye”.


Kasak.... Jivi, O’ meri pyari bahna....


Jivisha..... Oh ho, abhi to kuch der pahle main Jiviya, Jiviya thi... aur abhi itne pyar se baat kar rahi hai. Baat kya hai Kasak madam....


Kasak.... Tu meri pyari bahan hai na.. sun to..


Jivisha.... Haan samjh gayi, college me main jijaji wali baat na failaun, taki tumhara popat na ho. Bas yahi na.....


Kasak.... Kitni samjhdar hai meri bahna.... thank you sooooo much... ummaahhh, love you...


Jivisha... Wait, Wait darling... itna pyar dikhane ki jaroorat nahi. Har chij ki ek kimat hoti hai aur tujhe b iss baat ke liye kimat chukani hogi.


Kasak.... Kamini kahin ki, muh ka shutter khol, bata kya karna hai....


Jivisha.... Kal jo shopping mall me ear ring dekhi thi, wo mujhe chahiye...


Kasak.... Jiviya itni chhoti si bat ke liye 40k ka ear ring, chhota sa raaj aur aukkad se bahar ka jurmana, ja tu sab ko bata de....


Jivisha.... Achha thik hai kanjar, apni bahan ko ek ear ring nahi de sakti hai... daru party to degi na aaj raat...


Kasak.... Daru party... Thik hai le le daru party, par Jivi ek bar fir soch le, teri hitlar maa aur mukhiya ji dono hume kacha chaba jayenge.


Jivisha..... Tu uski chinta na kar ghar ke liye apne pass paka pakaya bakra taiyar hai.


Kasak.... Kaun wo tera naya dost Kunal...


Jivisha.... Nahi, mera janeman aur sweetheart dost Nischal......


Dono raste bhar baat karte-karte college parking tak pahunch chuke the. Dono jaise he parking se bahar aaye, Nandni teji se dono ke karib pahunchi, aur harbadate huye..


Nandni..... Abhi jo hone wala hai, usse rok de...


Jivisha.... Dr ne tujhe pagal kar diya hai Nandu, puri baat bata na, hum kya rok den…


Nandni..... Nichal aur Kunal ki fight. Kunal abhi-abhi Nischal ko lekar college ke pichhe gaya hai...


Teeno bhagti hui college ke pichhe pahunchi, jahan pahle se bahut sare student jama ho kar Kunal-Kunal kar rahe the. Kisi street fight jaisa wahan ka mahol lag raha tha. Teeno jab wahan pahunchi to dekhi Kunal, Nichal ko ball bana kar kabhi idhar mar kha kar udhar girta, to kabhi udhar mar kha kar idhar girta.


Dharamm ... ek puch kha kar Nischal sidha Jivisha ke upar gira. Jivisha uski haalat dekh kar usse apne sine se lagayi, aur usse marne daure Kunal par chikhti hui kahne lagi.... “Bhag jao yahan se jo isse ab chhuye bhi to. Main bhul jaungi ki tum mere dost ho”.


Pure taish me aakar Jivisha ne dur hataya Kunal ko aur Nischal ke sir par hath ferne lagi. Jivisha ka pura dhyan Nischal par he tha, idhar uske iss badle tever ko dekh kar wahan se sab gayab he ho gaye. Kasak aur Nandni ne bhi dono ko akele chhodne ka faisla kiya aur wo dono bhi wahan se chali aayi.


Jivisha, Nischal ke sir par hath ferti niche baith gayi, aur Nischal ke sir ko apne gode me le lee.


Nischal….. Achha lag raha hai Jivisha, yun he pyar se hath ferti raho.


Jivisha….. Utho, aur uth kar baitho….


Nischal….. Kya ho gaya, abhi to kitne pyar se pesh aa rahi thi, achanak aise mood change kyon ho gaya.


Jivisha….. Tum maar kha rahe the to mujhe tumhare dard ka ehsaas hua. Dard ka ehsaas hua to uss dard par pyar bhi aaya jiske wajah se main tumhe sympathy de rahi thi.


Nischal….. Matlab dard khatam to pyar bhi khatam. Aao re Kunal mujhe jarra dard de do. Taki mujhe Jivisha ka pyar mile.


Jivisha…. Nischal stop it. Tum mere bahut pyare dost ho, tumhe mar khate dekh, mujh se bardast na hua. Bas itni si baat hai.


Nischal….. I love you….


Jivisha… What ????? Nischal main tum se kya kah rahi hun, aur tum mujh se kya kah rahe ho. Tumahare iss baat ka humare communication se kya lena dena hai....


Nischal…. Cross communication ho gaya hai, aur tum ne sahi suna…. I love you, aur main apne feeling ko le kar bahut clear hun.


Jisvisha…. Lekin Nischal main tumse pyar nahi karti. Tum samajhte kyon nahi.


Nischal…. Mere dard par tumhe dard ka ehsas hona. Mere liye in sab par chillana, ghayal hone par mujh se aise milna jaise chot mujhe nahi tumhe lagi ho. Ye pyar nahi to aur kya hai?


Jivisha….. Mujhe hi filmi dialogue chipka rahe ho.. ye to kamal ho gaya. Suno baat itni si hai ki musibat ke waqt tum ne meri madad ki thi. Tumhari baten bhale he tapori wali rahi ho, par tumhara behave hamesha mere prati respectful thi. Main to bas tumhare madad ka badla chuka rahi hun.


Nischal….. Main nahi manta Jivisha, tum mujh se aur khud se jhut bol rahi hai. Kya wakai mere liye tumhare dil me koi feeling nahi.


Jivisha… Nischal ek he baat par jor de kar puchne se wo badal nahi jayegi. Tum mujhe ache lagte ho lekin pyar jaisi koi bhawna nahi.


Nischal…. Hmmm ! To thik hai chalo mujhe kiss karo.


Jivisha bari si aakhen kiye….. "What, kiss. Nischal tum aise mujh se baat karoge to main fir kabhi tum se baat nahi karungi".
Ye pyar bada bederdi hai, bedardi ne aishi haalat kar di hai. Bahut khub mitr yuhi ish dhara per prem rash ki dhara sang nayi- nayi chitarkari banate raho.Sunder Atisunder.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Update:-50



Nischal…… Jo kiss tum ne platform par kiya tha, uss se mujhe tumhare pyar ka ehsas hua, ek aur kiss kar ke wo pyar mita do. Bas iss kiss ke baad main apne pyar ka dhindhora nahi pitunga.


Jivisha, thoda sochti….. "Pakka na, jaise tum ne kaha waisa he karoge"


Nischal, Jivisha ke bilkul karib aa kar uske aakhon me aakhen dal kar kahne laga…. "Haan bilkul.... main tab tak apne pyar ka zikr nahi karunga jab tak ki tum khud mujh se nahi kahti, ki tumhe bhi mujh se pyar hai.


Nischal, Jivisha ki aakhon me aakhen dal usse pyar se dekhe ja raha tha. Pahle to Jivisha bas iss baat ko soch rahi thi ki ek kiss jab main apni marji se kar sakti hun to iska bhi ye bichhadne se pahle wala kiss feel kar lun. Baki maal to apna hi hai, jayega kahan…


Lekin Nischal ka iss kadar aakhon me aakhen dal kar dekhna, Jivisha ke soch par parda dal diya aur sahmati me bas usne apni aakhen mund li. "Jaise kisi kavi ki kalpana ho tum, itni pyari aur masoom…. Uffffffff". Apne man me aaye khyal se Nischal muskura diya.


Jivisha aakhen munde bas Nischal ke kiss ka intzar kar rahi thi, aur tabhi Nischal, Jivisha ke kamar me hath dal kar dhire se apne ore khinchte, khud me sama liya.


Jivisha, Nischal ki pakad se aise khili, jaise barshat ke baad chhayi hariyali ho. Wo ehsassss, jab saans Jivisha ke chehre se takra rahi thi, halki madhoshi jaise chhayi ho aur uske hont, Nischal ke hoton ki chhuan pane ke liye taras uthe….


Jivisha ki chadhti saans mano iss pal tham si gayi ho, aur tabhi jaise usse ehsas hua ki Nischal ke hathon ki pakad uss ke badan se alag ho gayi hai. Chehre par parti sasen ab band ho gayi hai.


Apni ruki sason ko samanya karti hui Jivisha ne apni aakhen kholi, Nischal uss se kuch duri par khada Jivisha ko he dekh raha tha.


Jivisha, khumari si awaz me puchne lagi…. "Kya hua"?


Nischal….. Pahle to socha kiss kar lun par jab tumhe pyar he nahi to main kiss kyon karun.


Jivisha….. Nahi aisi koi baat nahi.


Nischal….. Oh to fir kaisi baat hai ?


Jivisha, apne khumari ke lay me bol gayi, lekin jab wo apne kahe shabdon par gaur ki to apne danton tale jibh daba kar…. "Woo.. Woo.. To mere muh se nikal gaya. Haan mujhe tum se pyar nahi, bas iss ek kiss ke matter par tum hamesha mujhe jo tane dete ho, uss roj roj ke tane se mujhe mukti pani hai".


Nischal…. Its ok, main ab kiss ki baat fir kabhi nahi karunga, tumhe beman ho kar kiss karne ki koi jaroorat nahi.


Itna kah kar Nischal apni najar Jivisha se hata kar idhar udhar dekhne laga aur Jivisha ne bhi apna dhyan Nischal se hata liya.


Jaise he Jivisha ek kadam aage badhi….. Nischal usse piche se tokte huye…. "Kya wakai me tumhe mujh se pyar nahi".


Jivisha….. Kitni baar kahun Nischal, nahi hai… nahi hai.. nahi hai….


Nischal….. Kya wakai me tumhe mujh se pyar nahi….


Jivisha, chidhti hui….. "Ab itna force karoge to tumhe mana bhi nahi kar sakti ki pyar nahi. Tum itne pyare ho ki tumhara dil nahi dukha sakti lekin baat fir wahi ho jayegi.. maine pyar se tumhare pyar ko kabool kiya aur jabardasti haan kahna para…


Nischal…. Itna karne ki koi jaroorat nahi, sirf tum mujhe ek mauka do, yadi main uss ek mauke me tumhare dil me apne liye pyar na jaga saka to fir kabhi tumhe samne apni shakal nahi dikhaunga.


Jivisha….. Kaisa mauka…..


Nischal….. Mere sath bas ek pura din bitao, kewal ek din. Aur uss ek din me main tumhare dil me, apne liye pyar na jaga saka to fir main apni shakal tumhe kabhi nahi dikhaunga.


Jivisha…. Pakka na, tum apni baat se mukad to nahi jaoge….


Nischal….. Nahhh…. Bilkul nahi mukad sakta...


Jivisha…. To thik hai kal main pura din, subah ke 10 baje se raat ke 10 baje tak tumhare sath rahungi. Jao khush ho jao de diya mauka...


Mare khushi ke Nischal "thanks, thanks" kahte Jivisha ke gale lag gaya, aur Jivisha uss ke iss pratikirya par hans rahi thi, "Ye to pura pagal hai"…


Nischal ke gale lagkar Jivisha ko sukoon sa milne laga. Kuch der uske bahon me khoye rahne ke baad jhatke alag hiti….. "Suno iss tarah se koi mujhe touch kare, mujhe pasand nahi. Isliye kal mere karib aane ki kosis bhi mat karna, mujh'se 2 fit ki duri banaye rakhna. Aur haan aaj raat ek treat hai, raat 8 baje Nandni ko le kar hume pick karne aa jana, ab jao...


Jivisha aur Nischal ko dur se yadi dekha jaye to sirf aisa he pratit ho raha tha jaise do premi aapas me pyar se mil rahe ho. Halanki ander ke haal-e-dil ki vastavikta bhi yahi thi kintu filhaal upar se to bus pyar nahi hai, yahi chal raha tha.. Inke bich hui baten, na pata chalne ke karan kuch log galatfehmi ka shikar ho gaya. Jin me se ek tha Kunal…



College se laut'te waqt Nischal aur Nandni..



Nandni:- I want party .. party … I want party .. party ..


Nischal:- Aaj raat to treat dene bulaya hi hai Jivisha ne, ab kaun si party legi..


Nandni:- Tere love ki gadi chal padi uski party …


Nandni, Nischal ke liye itni khush thi ki car chalate-chalate excitment me staring chhod kar, side se nischal ke gale lag gayi….. nischal teji se staring pakadte huye………… "Pagal gadi thik se chala le, tere chakkar me dusre mar jayenge. Aur haan koi bhi aisi baat nahi hai, kam se kam Jivisha ke ore se to nahi hé hai"… apni baat khate huye Nischal thoda mayus ho gaya..


Nandni:- Tu mayus na hua kar, teri chahat par mujhe pakka yakin hai. Waise ek baat bata..


Nischal:- Haan puch na…


Nandni:- Tum dono love to karoge lekin romance…


Nischal:- Haan romance.. ka kya..


Nandni:- Duffer wahi to romance… matlab tum samjh rahe ho na…


Nischal:- Main kosis kar raha hun ki tu mere hath se mar na kahye par aise betuki baat bolkar puchegi 'samajh rahe ho na' to main ache se tujhe samjha dunga… jo bhi bolna hai aaram se bol aur clear puch kya puchhna chah rahi hai.


Nandni:- Pagal kahin ka.. ek ghuma fira kar pucha gaya sawal samjh me nahi aata.. ohk cool.. Ye batao tum physical relation kaise banaoge…


Nischal:- What ???? Tu pakka aaj subah se nasha kiye baithi hai…


Nandni:- Nahi main serious hun, aur teri kasam koi nasha nahi kiya hai… bata na tu to alian hai na to kya tere pass wo hai…


Nischal, Nandni ke bal pakad kar staring par uska matha de mara… "Jyada bolegi to car se bahar hi fek dunga".. Nandni car me break lagati.. "Dekh abhi tu sorry kah de warna mujh se bura koi nahi hoga"..


Nischal:- Acha thik hai. Waise bhi mujhe jhagra nahi chahiye… sorry..


Nandni muskurati hui… "Thats my boy".. aur kahti hui uske hath ko pakad kar ek solid jhatka wo bhi 10 sec ka dete huye uska hath chhodti hui kahne lagi… "Tune mara, maine jhatka diya, badla pura hua… shant ho ja.. come on tej tej shwans le"..


Nischal:- Thik hun main, tu car chala. Aur sorry mujhe aise over react nahi karna chahiye thi. Tere sar me chot to nahi lagi na..


Nandni:- Pagal tune chot dene ke irade se mara hota to na chot lagti. Waise tumhare gusse aur control ki main fan ho gayi hun…


Nischal:- Ji shukriya.. lekin dekh ye aise paglon wala sawal na pucha kar.. main tumse puchne jata hun, tum aur doctor kya karte ho…


Nandni:- Tujhe kya nahi pata hum kya karte .. acha aaj raat gate khula chhod dungi tu porn show samjhkar enjoy kar lena...


Nischal:- Chhi… tu itni personal chijen kaise aasani se kah deti hai mujhse.. Pagal hai tu pure...


Nandni:- Tu janta hai, mujhe tujhme koi ladka ya ladki nahi dikhta isliye kah deti hun… waise bhi tera ghor ashrya wala chehra dekhne ka maza hi kuch aur hai.. chal wo sab chhod aur ye detail de ki tere pass bhi sab aam ladkon jaisa hai ya kuch biologically change hai…. compare to human…


Nischal:- Mere body ka basic structure human body ke jaisa hi hai, bus internally aur cell structure me change hai samjhi.. ab please ye sab mat puch .. ajib lagta hai…


Nandni:- Gadha hai tu…. Lagta hai meri baat tu samjhna nahi chahta… Main tujhse gender basic hokar apni baat nahi karti. Jaise main Jivisha se sab kahti hun, thik waise hi hai... Na to Jivisha se kuch bhi share karne ya kuch bhi puchne ya kahne me koi problem hoti hai, thik waise hi tu hai.. isliye baten gender basic hokar na socha kar, mujhe bura feel hota hai..


Nischal:- Haan samjh gaya.. lambe lambe bhasan dekar bore mat kar… samjh gaya ki dost matlab dost no gender basic.. now happy…


Nandni:- Very happy... Chhod ye aur chalkar treat ki taiyari karte hain …


Nischal:- Lekin treat ki taiyari, ye kuch jyada nahi ho gaya…


Nandni, nischal ko ghurte huye dekhi aur dono wapas apne flat ke ore nikal gaye…



College se laut'te waqt Kasak aur Jivisha....




Kasak:- Finally na na karte huye tere pyar ki gadi aage badh hi gayi…


Jivisha:- Mere pyar ki gadi aage badhi, ya puncture pari hui hai, ya fir main ek gadi se utar kar dusre gadi me baithne ja rahi hun ye to waqt hi batayega. Lekin abhi to hot story teri kahani hai, chhupi rustam bina humari jankari ke sabkuch kar liya aur hume pata tak nahi.


Kasak:- Nahi bataya tum dono ko, aur jaan-bujh kar nahi bataya, warna mera ghar basne se pahle hi ujar deti. Sochi, pahle ek pagal ki aadat lag jane do, fir 2 paglon se mulwaungi.


Jivisha:- Bhag kamini kahin ki, dekhna aaj tera break-up karwa kar rahungi.


Kasak:- Tujh par ek kya 50 ladke kurban meri jaan… meri life mein to pahle tu hai.. waise bhi jo tujhe acha nahi laga wo mujhe kaise lag sakta hai…


Jivisha:- oh ho ho hooo ! Aisa hai to Nischal ke liye fir kya kahne hai tere…


Kasak:- U can run and hide but never escape from your destiny darling.


Jivisha drama queen thi to Kasak bhi uski gurumata thi. Jivisha apne baton ke dauran kitni bhi kosis karti rahi ki Kasak ko uske BF ke naam se ghera jaye. Lekin har baar yahi hota, baat shuru to hoti Kasak se lekin discussion Nischal aur Jivisha par hone shuru ho jata…


Aise hi khatte nok-jhonk ke bich Jivisha aur Kasak ghar pahunchi. Dono ne jaise hi ghar mein kadam rakha wahan ka mahol hi badla hua tha... Jivisha ki bhabhi Nandita bich hall me Chirag ke kaan pakde uske hoton ko jalane ki kosis kar rahi thi, aur wahan Jivisha ki Maa Priya, Chirag ko chhod dene ki minnat to kar rahi thi, lekin jyada jor nahi dal rahi thi.


Haalanki priya ka dil kar to raha tha ki apni bahu ko 2 thappad khinch kar lagaye aur apne jigar ke tukde, pote ko chhuda le, lekin wo aisa kar nahi sakti thi. Iske pichhe ki wajah thi Nandita ka gussa. Yun to wo kafi milansar thi aur kitna bhi uksa lo gussa nahi aata, kintu ek baar yadi gussa aa gaya fir wo kisi ki suune se rahi.


Aisi hi ek ghatna kuch sal pahle ghati thi jab Jivisha ki sharaton par usse khub sunaya ja raha tha. Waise Jivisha ka dant sunna to inke pariwar ke aam jivan ka hissa tha, lekin Jivisha bhi thehri puri dhit aur moti chamri wali. Kuch bhi kah lo usse koi fark nahi parna...


To baat kuch aisi hui ki Priya bolne ke kram me itna bolti chali gayi ki wo Jivisha ke sath-sath Nandita ko bhi lapet li, yahan tak to thik hi tha. Lekin lapetne ke kram me Priya ne Nandita ke mata pita ko bhi ghasit lee. Thoda gussa to aaya lekin Nandita ne baat ko tul nahi di aur sochi uske mata-pita, uski saas ke samtulya hai, aur unka rista aisa hai ki ye sab to aam baten hain.


Kintu Priya ke kaleje ko yahan bhi kahan thandak mili thi aur isi kram me wo Nandita ke mata pita se badhkar sidha uske khandan par pahunch gayi. Ufffff !! Kya bhoot chadha tha Nandita par fir to. Uska gussa tha ki pure hafte din tak shant nahi hua tha aur Priya apne hi ghar me jyadatar dubki aur dari sahmi si ghumti thi.


Bilkul aaj bhi ussi roop me Nandita dikh rahi thi. Priya kafi atihatan apne pote ko bachane ki kosis kar rahi thi. Jivisha ne apne aakhon ke aage ka mahol dekhi to wo daud kar bhagi aur Chirag ko Nandita se dur karti, apne bahon me samet kar, tej-tej shwans leti usne apni aakhen mundi. Aakhen mund kar usne jhatke se apni aakhen kholi aur badi badi, gusse se laal aakhen usne apni bhabhi par dali… Jab wo gusse me apni aankh dikhyi, har kisi ne hawa me ek kampan mehsus kiya, aisa jo kisi ke bhi ander bhay paida kar de.
Bahut hi manoyog se prem rash se alnkrit akshro ko rachayta ne kalpnashakti ki gati ko vayu ki gati se bhi tej doudate hue laaye hai meethe palo ke ahsash ko smete hue jo sirf mahsus kiya ja sakta hai. Vilakshn lekhan shelly.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Update:-58





Khinch kar ek uddta hua chappal Josefer ke muh par para aur Nandni pil gayi, pass pari jhadu le kar… Nischal usse pakadte huye…. "Chhod de usse, bacha hai wo, usse pata nahi kahan kaun sa communication karna hai. Basically pahli baar mazak try kar raha hai"..


Nandni:- Chhod de tu mujhe … isse dobara jhatke dene de..


Nischal:- Maaf kar de bechare ko.. fir raaj se bhi to parda uthana hai.. warna ye mar jayega aur tu suspence me rah jayegi…


Nandni, haanfti hui piche hati… "Nischal ne kaha isliye chhod rahi hun.. chalo ab raaj se parda uthao"..


Josefer:- Are yaar... Viggo mujhe Nandni se 2 minute presonal baat karni hai, fir yahan ka mahol friendly ho jayega..


Nandni:- Abe ye "we go" "we go" kya kar raha hai.. "we go" mujhe Nandni se 2 minute ke presonal baat karni hai… Yaar ye kahna kya chah raha hai…Ye kahan se pagal utha laya hai…


Nischal:- Acha chal raha hai yahan ka mahol, kuch to boriyat ghati. Josefer tumhari baat kisi ko nahi samjh me aa rahi hai.. ye Viggo kahna band karo.. aur Nandni madam ka suspense over karo. Aur Nandni 2 minute jarra shanti se baith ja..


Josefer:- Kal raat se hi main Nischal ka bada fan ho gaya hun.. die hard wala. Shayad inhe bhi ye mehsus hua hoga tabhi meri jaan bachayi hai… Khabar ye hai ki wo log kal raat ki batchit ke liye maan gaye hain aur aaj ka apna pura program cancel kar diya hai…


Nischal:- kis soch me dub gaye tum.. Josefer..


Josefer:- Jab main laut raha tha tab Rijo ka maine chehra dekha tha, uske chehre se aisa laga jaise wo jung jit chuka hai… aap samjh rahe hai na… Kuch bhi ho aap wahan akele nahi jaeyega…


Nischal:- Hmmm ! Thik hai samjh gaya… mujh par najar rakhne ke aadesh mile hain tumhe…


Josefer:- Haan..


Nischal:- Thik hai, tum apna kaam karo.. main samjh lunga..


Josefer, jate-jate… Ek Viggo ke liye marna koi bari baat nahi, lekin aap ke marte hi un yodhayon ki khani bhi mar jayegi jiske jinda rahne ki ummid ek afwah me chhipi thi. Jo ki mahaj ek afwah na hokar satya hai…


Nischal:- Kya pata kahin kisi sudur ilake me aur bhi yodhha apne pure samaj ke sath basse ho, aur apni pahchan chhipaye ho.


Josefer:- Sambhawnayen kuch bhi ho sakti hai.. lekin hum sambhawna ko mul aadhar to nahi hi manege.. Chalta hun Nischal, aap jara dhyan rakhiyega..


Nischal:- Suno ek minute Josefer, mujhe haal me huye, Rajeev Gandhi park ki ghatnao ka visuals chahiye.. arrange kar sakte ho sham 5 baje tak..


Josefer:- kaam hote hi main aapko call karta hun…


Josefer ke jate hi Nandni jo darsak bani hui thi… "Wo shabd "we go" nahi tha na.. wo tumhe kisi aur naam se bula raha tha… sab kuch samne se baat karte huye bhi kuch pata nahi chalne diye… Mujhe bura feel hua. Aur wo tumhe kis baat ki chetawni dekar gaya hai Nischal. Usne kyon aisa kaha ki tumhare liye marna koi badi baat nahi.. Nichal mujhe dar lag raha hai.. tum kuch bewakoofi bhada kaam to nahi kar rahe na..


Nischal, apne kandhe se tike Nandni ke sir par hath ferte huye kahne laga... "Main tumhe sari baat batata hun Nandu.. lekin yadi mujh par bharosa ho to please panic mat hona"


Nischal ne haal hi me hui sari ghatnao ko bade aaram se samjhate huye kahta ja raha tha. Pahli baar Nandni ko aisa lag raha tha ki kahan se aaya ek ladka anjaane me hi kitna kuch kar raha hai.


Nischal har ek baat batane ke baad kahne laga… "Yadi dhairya banaye rakhogi to main sab thik kar dunga.. Jivisha ko khabar tak nahi ki uske ander kya hai aur kaun log uske pichhe pare hain. Aur please mere piche aane ki jid mat karna. Kal ka kaam mujhe aaram se karne do.. wada karo mujhse ki tum uss park ke aas-pass nahi bhatkogi…


Nandni:- Tumhe main jitna jaan rahi hun Nischal, tunhare liye utna jyada proud feel hone lagaz1 0160l hai. Main itni bewakoof nahi ki un logon ke bich jakar phans jaun aur tumhara kaam muskil kar dun..


Nischal:- Thanks Nandni… Haan lekin main tumhe ek muskil kaam dunga… tumhare control power ne mujh me ummid jagayi hai.. aur mujhe in Zoren washi par bharosa nahi..


Nischal ke pass waqt bahut kam tha, isliye Nandni ko wo gode me utha'kar, apne uss thikane tak le gaya jahan usne chhote viman rakha tha, aur earth ki technology ke sath apni tecnology ko mila kar kuch prayog kiye the..


Nischal ne Nandni ko 1 hathiyar ka prayog sikhaya.. freeze wall protection. Ye hathiyar atmospheric gas aur air ko freez karke ek pardarshi protective layer banata tha… Iske prayog se jitne radius ka chahe, ek pardarshi protective cover banaya ja sakta tha, jise bhedne ke liye kafi force ki jaroorat parti hai. Ek hathiyar se, kam se kam 1 kilometre ke radius me 200 baar protective layers banaye ja sakte the.. yadi room ke tulna me iski baat ki jaye to bachne ke liye 5 din tak lagatar protective layer ka nirman kiya ja sakta tha... Iske alawa Nandni ke pass bijli ke jhatke to the hi.


Nandni ko sari baten samjhane ke baad wapas gode me utha'kar flat laya. In sab kamon me lagbhag raat ke 1 baj chuke the... Lekin raat ka kaam pura nahi hua tha… Kal ke sari planning yojnabadh tarike se dimag me bithane ke baad, Nischal raat ke takriban 1.30 baje Sawalker ke gahr pahunch gaya...


Itni raat gaye Nischal ko darwaje par dekh, Sawalker thode chinta me par gaya.. lekin jab Nischal ne apne aane ka karan bataya tab Sawalker pahle jakar chay bana laya, fir apne soye dimag ko pura jagate huye Nischal ko sun'ne laga.


Lagbhag hafte din baad ek aham case solve hone ja raha tha.. Sawalker khushi se jhumne laga… Puri kahani samjhate-samjhate subah ke 4 baj gaye the.. sara kaam to ho gaya tha.. lekin jab akele huye to wapas se tanhaeyon ne gher liya.. Aakhon me nind ki jagah halka dard utar aaya tha..


Har raat ki ek subah hoti hai. Har gum ke baad kuch khushiyan haath lagti hai, lekin Nischal ke liye mano raat ki subah jaise hi hone wali hoti hai ki fir ghanghor bhadal chha jate hain. Gam se ubar kar khushiyan aane ki sanket jaise hi hote ki gam ke kuch aur karan pahle se dastak dene shuru ho jate…


Fir se ek subah ho rahi thi.. Nandni college ke liye taiyar ho kar hall me aayi thi aur fir se Nischal ki mayus haalat ko dekh'kar wo uske pass pahunchi..


"Hammm ! Raat me soya nahi na".. Nandni uske pass baith'te huye puchhne lagi..


Nischal:- Aaj raat ko khub pikar chain se sounga..


Nandni:- Aur devdas ban jaunga.. Hey Nischal, tu mayus bilkul acha nahi lagta.. kal fail ho gaya.. kyon..


Nischal:- Haan.. aur Jivisha se maine wada kiya hai, main usse apni shakl bilkul nahi dikhaunga…


Nandni:- Mera duapatta lele aur muh dhak kar chale jana…


Nischal:- Rahne de yaar kosis bekar hai..


Nandni, apne hathon se Nischal ka banaya wo mask utar kar uske hath me rakhti hui kahne lagi… "Aisa bhi koi aawishkar ho sakta hai ye to kalpna se bhi pare hai. Tumne isse sambhaw kiya. Mujhe batao kitne sal lage iss globes se dikhne wale mask ko banane me"..


Nischal:- Lagbhag 11 sal lage mujhe.. wo bhi main ye project band kar chuka tha, lekin yahan ke scientist kamal ke hain. Unki light, current aur anya theory itni kamal ki hai ki bus ek chhota sa change ne isse sambhaw kar diya.


Nandni:- Matlab kayi baar fail huye lekin isse pura karne ki hasrat dil se nahi gayi..


Nischal:- Hammm ! Tum kya kahna chah rahi ho main samjh gaya.. lekin wo Jivisha hai, koi object nahi.. hum dono ke pass seperate emotions hain.. ab wo mujhe nahi like karti to main kya karun..


Nandni:- Sach he kaha hai kisi ne, pyar nakara kar deta hai.. dil ke sath thoda dimag bhi lagao sab samjh jaoge.. main chalti hun.... Ummid hai ek aur prayas ke sath tumse college me mulakat hogi.. aur haan ek baat aur.. aaj thode swarthi hokar aana.. uski feeling hurt hogi iss baat ko kinare rakh kar kewal apne arman kaise pure ho uspar focus karna…



Idha Jivisha…


Baat kuch aisi bigdi thi ki ab to dil tootna tay tha. College na jane ka ghar walon ka dawab aur Nischal ko dekhne ki chahat. Jivisha ghar se nikal to aayi thi lekin dil me ek hi khyal baar baar aa raha tha, na to wo ghar walon ke hokar rah payi aur na hi apne pyar ke….


Inhi sab udherbun me wo college pahunch gayi. Na to raste me Kasak se koi baat hui aur naa hi jab college aayi to Nandni se baat ki, uski najar to bus Nischal ko dhundh rahi thi. Jivisha ka mann do rahe par tha aur khyalon me kewal aur kewal Nischal…


Na jane kitne dino se Jivisha, Nischal ko jaan bujh kar chidha rahi thi, aur jab waqt tha ek lambi si bechaini ko aaram dena to haalaton ne Nischal ko chidha diya aur Jivisha tamasha dekhti rah gayi….


Pahli class bit gayi... Wo nahi aaya… Jivisha ke chehre ki mayusi ab udasi me badal gayi thi. Dusra class bhi khatam, ab bhi Nischal nahi dikha… Udasi se ab rone ka sabab paida ho raha tha. Jivisha apna sar niche jhukaye ro bhi rahi thi aur apne aashu bhi saaf kar rahi thi…


Tabhi achanak se pure class ke hasne ki awaz aayi. Nischal ki awesome entry se pure class me hansi ka mahol tha. Wo sidha jakar Jivisha ke pass baith gaya. Jivisha ab bhi sar jhukaye bus apne aashu hi saf kar rahi thi.


Tabhi class me jaise hi professor pahunche… "Ye humare class me pagal kaun aa gaya hai. Kaun ho tum aur apna huliya aisa kyon bana rakha hai. Bahar jao class se"..


Nischal apni jagah par khada hote… "Sir aap mere poshak ka apman nahi kar sakte. Ye humare community ki pahchan hai"..


Jivisha jaise hi Nischal ka awaj suni, wo sir jhukaye hi rote-rote hasne lagi aur hanste-hanste fir se rone.. Jivisha apna sar niche jhukaye Nischal ko sunna chah rahi thi.. itne me hi..


Professor:- Tum kya pagal ho, jo yahan aise kapde pahan kar aaye ho…


Professor ki baat par Jivisha halka najar tirchhi karke Nichal ke kapde ek baar dekhi… "Upar aur niche kewal black pahne hai.. fir ye professor itna garam kyon ho raha hai. Lagta hai Biwi se jhagra karke aaya hai"..


Nischal:- Sir apne biwi ka gussa mujh par mat nikalo… Yadi mere poshak ke bare me kuch kaha to ye bejjati hai humare community ki…


Jivisha, Nischal ki baat sunkar ander hi hansti hui... "Daring hai mere hero me, isse Naktode ke muh par bol diya.. hihihihihi..


Professor:- Are kaun si community..


Nischal:- wahi saar.. Ninja community.. kisi ne mujh se kaha apna chehra mat dikhao to maine Ninja community join kar liya..


"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..
Bahut khub mitr, sama hi bandh dete ho, atiutam update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Update:-59




"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..


Nischal:- Tumse wada jo kiya tha apna chehra nahi dikhaunga.. so ye Ninja look… aaj ek mauka aur milega kya..


Jivisha:- Aur aaj bhi fail ho gaye to…


Nischal:- Wade me tod nikal'kar, kal fir samne aa jaunga..


Jivisha, ander se khush hoti hui… "Aur kahin gayab hone ke liye kah di to"..


Nischal:- Fir Mike par jor jor se chillaunga… main Laila laila chillaunga kurta far ke…


Jivisha:- Pagal kahin ke.. upar ka mask hatao..


Nischal:- Dekho wade ke mutabik main tumhe apna chehra nahi dikhaunga, lekin yadi tum khud mask utarogi to iska matlab hoga ki main apne kaam se kahin bhi ghum sakta hun bina mask lagaye. Fir chahe tum hi kyon na ho wahan aas-pass.


Jivisha uska mask utar'ti hui… "Nautanki karna mera department hai, tumhara nahi.. ab ye batao ki ander kya pahne ho..


Nischal:- Itne tight kapde ke niche bhi koi kuch pahan sakta hai kya… only three kapde the sharir par... Ek utar diya tumne. Do tumhe dikh rahe honge..


Jivisha:- Pagal, fir main aise kapdon me tumhare sath nahi ghumne wali..


Nischal:- Thik hai fir kal ka program rakhte hain .. chalo class me..


Jivisha:- Oye ruko… Kal kyon .. kal meri engagement hai.. aaj ka hi mauka hai tumhare pass…


Nischal:- Fir tum hi kuch solution batao…


Jivisha:- Ammm ! Ek kaam karte hai, yahan se shopping mall wahan se change aur fir wahan se tumhare adhure samay ko pura mauka dena…


Nischal:- Haan kal raat 10 baje ka bol'kar mujhe sham ke 4 baje tak hi samay mila tha… ye baat dimag me rahti to Ninja look nahi lena parta.. waise tumhe yaad tha fir kyon kahi ab muh mat dikhana…


Jivisha:- Off O ab chalo bhi pakao mat…


Dono shopping mall pahunche, wahan Jivisha ne apne pasand ke kapde kharidi aur Nischal ko trial room bhej'kar change karke aane ke liye boli.. jab wo change kar'ke bahar aaya.. Jivisha usse dekhti rahi gayi… Dil kiya fatak se gale lag kar jhatak se apne arman kah de. Fir muskurati wo apne hi sar par hath marti khud se kahne lagi… "thoda usse hi mauka deti hun"


Jivisha bill counter par aage badh kar bill dene lagi aur piche se Jivisha ka pura khandan pahunch gaya… "Baap yahan hone wale dulhe ke liye shopping karne aaya hai.. aur beti ek nakara ke liye shopping kar rahi hai"..


Bill counter par kuch jyada hi bhid hoti hai.. har koi iss family drame me intrest lene laga… Jivisha jab apne papa ki baat suni to wo sah nahi payi.. juban ladana nahi chahti thi aur Nischal ki bejjati sun'na usse gawara nahi. Ander se usse mehsus ho raha tha ki wo na jane kya kar de abhi, khud usse bhi pata nahi. Isliye wo bina kuch bole wahan se chali gayi.


Idhar Nischal ke liye yah apman jaise jamir par chhap gaya tha. Pahne huye kapdon par sawal uthana.. khud me apmanit mehsus karte Nischal apna gussa pikar rah gaya. Un logon ke tane kewal aur kewal aisa lag raha tha jaise uske nakarepan ki kahani bayan kar rahi ho…


Kisi bhi chij ki hadd hoti hai, lekin kuch log bolne ke kram me har haden paar kar jaate hain. Ghar ke mahol ko pichhle kayi dino se Nandita bhi bhanp rahi thi... Wo bhi bahut kuch soch to rakhi thi, lekin majboori me kadam wahan par thehar jate jahan bus dimag me yahi chalta ki ab tak uski bachi ne kabhi apni khwaish nahi jatayi, ki usse Nischal ye pyar hai ya Nischal se vivaah hi karna hai...


Lekin abhi ka uske saas-sasur aur pati ki harkaten kisi bajaru se kam nahi tha.. aur yahi ladka hai jo apni izzat utarte dekh'kar bhi samne wale ko kuch kah tak nahi raha tha... Apne pariwar ke logon ka vaywahar dekh'kar Nandita ka para apne charam par pahunch gaya….


"Aap jise nakara kah rahe hain, aaj se, infact abhi se wo mera bhai hai.. mere pita ke dusri santan. Jaise wo Shresh apne baap ke paise par ek bahut bada kaam kaji ladka ho gaya waise hi aaj se ye bhi hai. Aur agar ab kisi ne mere bhai ke liye kuch bhi bola to acha nahi hoga".


Nandita apne hath jodti sabse kahne lagi… "Ab chalo sab yahan se, sabne bahut drama kar liye. Wo to bus shopping kar rahi thi, lekin aap sabko jaan bujhkar drama karna tha. Bhid me bejjati kar rahe ho.. ab chaliye aap log yahan se warna beti ko to khote ja rahe hain, kahin aisa na ho ki main bhi chirag ko lekar nikal jaun aur dobara kabhi uss chaukhat par kadam na rakhun"…


Nandita ne jab apne tevar badle tab jakar kahin sabko hosh aaya. Pura pariwar wahan se laut gaya. Idhar Nichal bhi apne dhime kadmon se parking ke ore badhne laga. Usse khud me ander se acha nahi lag raha tha... Nischal khud ki haalat par khud hi hans raha tha… Aaj tak jisne ek ulte shabd nahi sune the, wo baar-baar bejjat huye ja raha tha…


Vida lene se pahle apne aakhri kuch shabd Jivisha se kahne the, isliye uske kadam Jivisha ke piche chal diye… Yun to chand duri ke faslon par Jivisha najar aa rahi thi, lekin ander ke fasle jo paida ho gaye the, uski duriyan ab tay kar pana mushkil tha...


Jivisha, ki najar jaise hi Nischal par gayi, wo bhag kar uske pass pahunchi aur bechaini se uske chehre ko tham kar…… "Mujhe maaf kar do, mujhe tumhe yahan lekar nahi aana chahiye tha… bahut kuch suna gaye na… main maafi mangti hun.. please Nischal, aise udas na ho"..


Nischal, Jivisha ke hath ko hatate huye, uske chehre ko dekhne laga… Jivisha ko dekh'kar Nischal muskuraya…

"Main ek bhatkaw tha aur tum thehraw. Kash tum mili na hoti to mere yahan hone ki wajah nahi hoti. Ye dil bechain hona, kisi se na mil pane ki tarap aur haan, kisi ke baton ki chubhan kya hota hai kabhi pata hi nahi chalta, yadi tum se na mila hota."

"Mere yahan hone ki wajah tum thi. Shyad itna hi tumhe dekhna aur mehsus karna, meri kismat me tha Jivisha. Main ek aise khwaish ke piche para raha, jiski khwahishon kabhi main tha hi nahi."

"Janti ho tumhare papa ne kuch kaha, wo baat utni nahi chubhi, jitna tumhara wahan se chup-chap chale aana chubha. Aur ye chubhan koi pahli baar maine mehsus nahi kar raha tha. Lekin baat fir wahi ho jati hai, ek tarfa chahaten aur ek tarfa pyar. Main nahi janta, kabhi chhoti si feeling bhi tumhare ander thi ya nahi, bus aisa laga jaise tumhe apne manoranjan ke liye ek khilona chahiye tha… jab ji me aaya thode se pyar se baat karne ke baad uske satha ho liye aur uski bewakoofi par bahut enjoy kiya, aur baad me fir dhutkar bhi diye"

"Khair … Maine tumhe chaha hai .. aur chahta rahunga.. ye Sathya hai… thik waise hi, jaise aaj raat ke baad fir yahan rukne ki koi wajah nahi hogi. Alvida"…


Nischal apni baat kah'kar mud chala. Sab kuch luta'kar khud me khoya sa wo chala. Aise chala jaise sab alvida kah chala ho.


Nischal apne khoye se aalam me bahar ke ore ja raha tha aur Jivisha bhagti hui usse na khone ki chahat me announcing room mein pahunch gayi… Shopping mall me lage har speaker se ab Jivisha ke arman nikal rahe the jise sab sun rahe the….


"Oye Jungli, apni chahat bata gaye.. jane se pahle meri chahat to sunte jao.…. Tum khade the kisi deewano ki tarah, charo ore aise dekh rahe the jaise ye jahan tumne pahli baar dekh rahe the… main train se bhag rahi thi anjano ki tarah.. aur meri kismat mujhse takra rahi thi"..

"Wo pahli najar ka hi pyar tha jab tum mujhse takraye the... Koi second thought nahi tha, isliye apne pyar ko main chum rahi thi… be-jhijhak aur be-hichak…"



"Haan galtiyan hui mujhse. Thodi duriyan thi lekin kuch meri majbooriyan thi. Tumse kitni chahte hain, ye dil me dabi thi, najron me chhipa tha. Lekin haal-e-dil kabhi izhar nahi kar payi aur najron se kabhi wo pyar jata nahi payi."

"Main nahi janti ki tum mujhe chhod'kar kahan jaoge, lekin yadi tum dur jaoge to wo tarap main jhel na paungi. Wada hai tumse kabhi tumhara dil na dikhaungi.. Jahan itni baar mujhe maaf kar chuke, kya ek baar aur maafi nahi milegi."

"Rok lo apne kadam, mud jao piche, aaj fir ek baar, jahan tarpe hain ek duje ke bina itne din, sath jine ka bhi maza lete hain. Bus ek tum mil gaye to samjhungi sara jahan mil gaya."

"Ab aa bhi jao Nischal, tumhare liye bahut royi hun, ab aur rone ki himmat nahi bachi hai. Ab aa bhi jao na.. please.. Ya fir wo chand shabd hi sunkar samjhoge jo log izhar me kahte hain"…


"Aur mukhiya ji ka kya, jo mujhe bhadi sabha me nakara kahte hain".. Nischal thik Jivisha ke samne, muskurate huye khada tha…


Wo najron ke samne jaise Jivisha ki puri khushiyan khadi thi… fir to khud ko rok pana bhi muskil ho raha tha… kadam daud chale khushiyon ke ore… yun lipti aaj dub kar Nischal me, ki uski ho kar rah jana hai… tej dhadkane Jivisha ki bechani bata rahi thi wahin paglon ki tarah uske chehre ko chumna uske vyakul mann ki shanti ko jata raha tha…


Fir se wahi sama tha, ek baar fir wahi najara tha.. Jivisha apni vyakulta shant karke, poori tarah toot chuki thi. Nischal apna ek hath uske kamer me dal'kar Jivisha ko thame khada tha aur dusre hath se chehre par aaye bikhre baal ko hata raha tha..


Aakhon ke samne wahi najara pahli mulakat ki thi bus fark itna tha ki aaj dono ek dusre ko dekh'kar itni pyari muskan de rahe the ki in muskano me dub'kar puri umr kati ja sakti thi..


Jivisha apni aeriyon ko unchi karti Nichal ke hothon tak apni honth lekar aayi aur apne hoton se Nischal ke hont ko sparsh karti, apne pyar ke sparsh ka wo pahla ehsas Nichal ko kara gayi.


Hont ko saparsh karke kuch inch dar fasle par dono ke honth alag the. Shwans ek dusre ke chahere se takra rahi thi aur aakhen aaj band hokar iss pyare se ehsaas me dub chuka tha…


Jivisha ke hothon ka pyara asprash ab bhi Nischal ke dil me utar raha tha. Chahten fir se deewani hokar hoton ke sparsh ko mehsus karne ke arman jaga gaye aur dono ke honth ke inch dar fasle khatm hokar, ek dusre ke hoton ko chumte chale gaye… shwans lambi aur gahri hoti rahi.. dhadkane bekabu hokar dhadkane lage aur dono ke pyar ko wahan maujood log mehasus karte taliyan banane lage..


Taliyon ke aawaj ne dono ke bojhil aakhon ko kholne par majboor kar diya.. Jivisha khadi bhid ko jab samne dekhi to sharmakar apne chehre ko Nischal ke sine me chhipa lee.. tabhi bhid ko side karte wahan police pahunch gayi…
Milti hai zindgi me mohabbat kabhi-kabhi,
Sharma ke muh na fer najar ke sawal per; Hoti hai dilbharo ki inayat kabhi-kabhi.
Sunderta ki prikashtha ko chhute hue ek divye update hai mitr.
 
Top