Update:-48
Bus kuch pal khuli hawa me gahri sans lene ke baad Nischal ne dhyan lagaya aur achanak hi aisa laga jaise wahan ke vatavaran me faile kayi lakh chamakti tarange, ek jagah simat kar uske dimag me ghus rahi hai. Issi ke sath viman ke pass achet awastha me pare uske sharir me thodi hulchal hui aur Nischal apni aakhen kholte uthkar baith gaya….
Isbar jab Nischal ki aakhen khuli, uska sharir bilkul bhi kamjor nahi lag raha tha. Haan aas-pass kuch khun ke daag the jise dekhkar Nischal kuch der tak socha, fir usse samajh me aaya ki ye khun uss waqt ke honge jab wo raushni ke pass pahunchne ke liye urja ka tej jstamal kar raha tha…
Idhar Nandini jab Nischal ka sandesh padhi, tab wo sochne lag gayi "Nischal gaya kahan hoga, kuch isharon me hi bata deta". Nandini ke mann me ek swabhawik si chinta paida ho gayi, jo ghar ke kisi sadsya ke kahin bahar jane par ho jati hai, aamuman jab karan ka pata na ho ki kyon raat bhar bahar rahega…
Sham ko teeno hi ladkiyan shoping se lautne ke kram me, Kasak bahana maar kar, shopping se kahin aur nikal gayi thi… Shayad Jivisha bhi aisa hi kuch chah rahi thi kyonki usse bhi Nischal ko dekhne ka bada mann kar raha tha aur wo Nandini ke sath uske flat jana chahti thi..
Kasak apne raste Nikal gayi aur Jivisha, Nandini ke sath uske flat ke liye sath chali…. "Ye Kasak achanak hume chhod kar kyon gayi"..
Jivisha:- Uske chehre ki raunak nahi dekhi kya.. kisi khas se milne gayi hai…
Nandni:- Waise raunak to tere chehre ki bhi dekhte banti hai Jivisha… kitna bhi chhipa le, kitna bhi banwati gussa dikha le, tera chehra ab bayan kar he jata hai…
Jivisha, muskurati hui…. "To maine chhipya hi kab tha apna ye facial expression. Bus apni hi musibaton me aisi ulajhti chali gayi ki mere chehre se Nischal ke liye pyar ko padhna kathin aur mari bebasi padhna aasan ho gaya tha.
Nandni:- O teri… Badmas… matlab ye wahi wala chakkar tha… pahli najar ka pyar... Kamini ek masoom ko itne dino se tarpa rahi hai.. tujhe uspar jarra bhi raham nahi aayi..
Jivisha:- "To kya usse dukhi dekhkar main khushi se nach rahi thi.. Nischal se chidh kar baat karne ke baad, usne kabhi aashu bahaye ki nahi wo to mujhe nahi pata, lekin usse bura laga hoga yah soch kar mere aanshu jaroor nikal aate the…'
"Bawajood iske, maine jo kiya wo bhi jaroori tha… Kisi ke pyar me andhi hokar, main apne gharwalon ke liye aisa damad nahi la sakti thi jiske wajah se unko hamesa afsos hote rahe… you know main tum sab me se kisi ko nahi chhod sakti isliye Nischal se duriyan jayaj thi… Pahle wo mere ghar ke logon ko pasand aa jaye bus iss baat ke liye ruki thi…
Nandni:- Boaring story .. ye koi old hindi film ke parent ki kahani lagti hai… jahan ek chhoti si bhanak….. ki ladki kisi se pyar karti hai aur pure khandan se lekar pure samaj me hungama…
Jivisha:- Aur baki ke modern parent ki to koi feeling hi nahi hoti… chhut mili hai to pyar ke naam par le aao unke pass kisi kachra karne wale ko aur ghar ka hissa bana lo.. fir uss eklaute ke karan pahle pariwar chhut jayega aur baad me zindgi se khushiyan… haan Nischal mujh se normal hokar milta tab itni paresani nahi hoti .. fir main sidha milwati aur ghar ke logon ko hi janch partal ke kaam me laga deti…
Nandni:- aur Nischal ke case me kya abnormalities thi..
Jivisha:- Ek ho to bataun na… pahli baat uska huliya.. jab wo pahli baar mujhe dikha tha…. dusri baat wo shuru se sab kuch sun aur bol sakta tha, lekin wo khamosh raha .. teesra jab usne baat karne ke liye muh khola… my god uski juban… ab tu hi bata aisi stithi me kaise main uspar yakin kar leti…. bhale hi jab se main usse dekhi, mera dil kewal uske liye hi dhadak raha tha aur hamesa vyakul bani rahna ki kab wo mujhe samet kar apni bahon me lele…
Nandni:- Baat jo bhi ho aur kitna bhi tu sahi kyon na ho lekin tumhari janch-partal ke karan Nischal ko bahut tarpayi… mujhe bahut bura laga tumhara ye vyavhar…. Kuch baten jo uska chehra kabhi bayan nahi kar pata, shayad tum un baton ko kabhi samjh na pao Jivisha…
Jivisha:- Haan tumhari baat main samjh gayi.. aur iske liye main sirf tumse mafi mang sakti hun... Kyonki hum dono ke bich kewal dher sara pyar aur uss se bhi jyada humari shaitaniya hogi.. woohooooo, woohooooo, woohooooo… Haan lekin sun usse tu kuch bhi nahi batayegi... Tujhe meri kasam…
Nandni, Jivisha ka utawlapan dekh kar hansti hui kahne lagi…. "Matlab pahle Jivisha ko jhelna parta tha ab Jivisha aur Nischal dono ko jhelna padega… double impact haan..
Jivisha:- Yesssssssssssss… aur shayad double bhi nahi, balki uske kayi guna multiple pagalpan ko jhelne honge.. wo bhi aise hi hanskar… bahut tarpayi hun usse .. ab uspar dil khol ke pyar lutana chahti hun…
Nandni, Jivisha ko aakh marti…. "Dil khol kar haan… fir to uske maze hi maze hai…
Jivisha:- hihihihihi… khali wahi maza karega kya, main bhi to barabar ki bhagidar rahungi.... waise ek baat bata…
Nandni:- kya ??
Jivisha:- Apne pass rakhkar kahin tune mere mal ko second hand to nahi bana diya…
Nandni, thodi chidhti hui gadi me break laga di… "Tere mann me koi doubt to nahi hum dono ko lekar… kyonki hum dono jis rishte me hain kayi baar logon ko yakin dilana muskil ho jata hai ki humare bich kuch nahi"..
Jivisha khinch kar usse ek thappad lagati…. "Main logon me nahi aati samjhi… aur dobara justification mujhe mat dena ki tum dono ke bich chal kya raha hai… mere itne badhiya mazak ka maa bahan ek kar di….. chal ab gadi chala..
Jivisha ki baaten sun'ne ke baad Nandni ka chehra uski khushi ko bayan kar rahi thi.. wo car drive karti hui kahne lagi…. "Janti hai Nischal mere jindgi ka ek hissa jaisa ho gaya hai.. jiske kabhi-kabhi na hone par, kisi ke na hone ka ehsas hota hai… lekin ye kisi premi ke na hone ke ehsas jaisa nahi hota isliye jab wo mere pass nahi hota to bhi hasate hi rahti hun"…
Jivisha:- ye tu mujhe kyon bata rahi hai… jab main usse pahli baar chum rahi thi tabhi maine wish kiya tha… "bhagwan yadi ye mera hai to isse hamesa Nandu ke karib rakhna … uske bilkul kisi close dost ki tarah jo ek dusre ke sath har sukh dukh bant sake…..
Nandni:- Matlab usse mere kundli me dalne wali tu hi hai.. aur Jan sakti hun aisa kyon…
Jivisha:- Dono hi mere jigar ke tukde jo ho. Maine socha kahin kisi din bewakoofi me tu mujhse jhagra karke ruth jayegi to Nischal humare bich sulah karwa dega…
Nandni:- feku kahin ki.. sab random answer hai. Tu bus flow maintain kar rahi hai…
Jivisha:- Hat pagal, tum dono ke mamle me main bahut clear hun aur meri feeling bhi… acha tu emotional nahi hogi to ek baat puchun …
Nandni:- Haan puch..
Jivisha:- Tujhe Ansh se pyar kaise ho gaya, jabki pahle se ek past history thi… batayegi…
Nandni:- hahaha.. us khajoor ke liye ab na hoti emotional. Bhid me tanhaeyon ke din gaye janeman. Aur jahan tak baat hai Ansh ka to pata nahi, bus sath rahte-rahte uske liye bhawna jaag gayi…
Jivisha:- fir bhi thodi si detail…
Nandni:- kah nahi sakti… tu kuch soch rahi hai to wahi bata de…
Jivisha:- Shayad Ansh bhi Nischal ki tarah hi hai, kuch basic gun ko alag kar do to. Main Nischal ke bare me batati hun tu Ansh se compare kar lena.. thik..
Nandni:- Haan thik.. chal ab bata…
Jivisha:- Nischal mujhse ghabrata hai… bahut rude hai wo aur self-respect ke liye wo kisi ko kuch bhi suna sakta hai… basically usse agar galat tarike se chhed do to wo pura arrogant ban jata hai... In sab baton ke bawajood bhale hi mai uss se nafrat jatati rahi.. na jane kitni hi baar apne tikhe vyavahar se usse mayus hi kyon na kiya ho, lekin mere kiye ka gussa wo kisi aur par kabhi nahi nikla… wo tujh se, mere ghar ke logon se.. har kisi se muskura kar hi milta raha…
Nandni:- Kamal hai Jivi.. tujhe agar Nischal ki tarifen karni hai to tu Ansh ko kyon bich me la rahi… waise bhi ladki patani hai to itna har ladka karega… Nischal aur Ansh koi special case nahi hai…
Jivisha:- Duffer kahin ki, main jo samjhana chah rahi hun wo samajh kyon nahi rahi… acha sun wo Shresh jo hai wo tujhe ya Kasak ko kitna janta hai…
Nandni:- Lekin wo hume janne me kyon intrest le..
Jivisha:- Aur Ansh humare bare me kitna janta hai… ummid hai baat samjh me aa gayi hogi… jinki chahat me swarth hota hai unke lakshan bhi swarthi wali bhi hoti hai… unhe bus ladki patane ke liye dusron ki izzat karni padti hai.. baki koi ladka kisi dusre ko dil se jan'ne ki ikchha kabhi nahi rakhta…
Nandni:- isse main Jivisha 2.0 kahungi… sensible aur responsible… chal achha hai tu jimmedar hote ja rahi hai.. lekin tu ye jo baat ghumane ke liye apne aur mere lover ki tarif ke kaside padh rahi hai.. uss se ye baat kahan sabit hoti hai ki tune wish mangi thi..
Jivisha:- Huhhhh ! Maine wish mangi thi.. teri kasam.. ab main baat to apne observation se hi shuru ki thi aur Sochi kisi tarah logic laga bhida kar sabit kar dungi… Lekin wo observation aur logic sabit nahi kar payi ki maine dil se wish ki thi, to meri kya galti hai… bus ab teri kasam kha lee hai aur iske baad koi discussion nahi… Samjhi..
Nandni:- Thik hai baba samjh gayi… aur jab tune pahli baar kaha tha tabhi yakin ho gaya tha... Aur haan thankyou so much.. tumhari wish mere liye priceless hai…
Jivisha:- Lekin darling…
Nandni:- Ab kya…
Jivisha:- Dil to bacha hai ji … aur khabardar jo Nischal ko kuch batayi to warna mujh se bura koi na hoga...
Nandni:- Mere liye to waise bhi tujh se bura koi nahi..
Jivisha chhota sa muh banati… "tu mere bare me aisa sochti hai… yahi teri dosti yahi tera pyar"..
Nandni:- kamini, kahani aise uljha di ki tujh se badla bhi nahi le payi… aur ek baar fir tune mujhe kitabon me uljha diya. Maze ki baat apni karni to kar di.. upar se badla lene ka koi mauka bhi na di…
Jivisha:- tujhe kya lagta hai main bhagi thi aur khud ko save karna tha isliye tujhe yahan khincha hai maine…. na re ullu na… In sab ki jimmedar wo Kasak hai… usse shadi nahi karni thi isliye PG me admission ka plan uska tha… ab tu samajh sakti hai wo agar PG me hogi to main kahan rahungi.. aur main agar PG me rahi to tu kahan rahegi . Ye sab ghatna nahi bhi hoti to bhi tumhe khincha hi jata.. so just chillofy baby..
Nandni:- Kutte ki dum ho dono bahne… kitna bhi lage ki ab sidhi ho gayi lekin mazal hai ki aisa sambhaw hai..
Jivisha:- lekin hum kutte kaise ho sakte hain re ullu.. we are bitches..
Nandni:- hat pagal tu shant hi achhi thi.. Aaj pahle din se hi tere lakshan mujhe thik nahi lag rahe .. shant chalne wali life ab aisa lag raha hai jaise dobara ashant hone wali hai..
Jivisha:- Chhi chhi.. ab tum logon ke sath kaun badmashiyan karega… wo hai na jise ab tak khud se dur rakha hai.. ab se sara pyar aur sari badmashiyan uske liye... Chal jara pahle uske didar to karwa de… kahi thi kal milti hun college me fir bhi wo gadha nahi aaya.. I am very upset now..
Dono baat karte karte flat pahunch chuke the... Jaise hi Jivisha ander ghusi taak jhaank shuru kar di.. Nandni uski haalat par hansti hui…. "Kya hua.. tu kuch jyada vyakul dikh rahi hai?"..
Jivisha:- very funny.. jaldi se bata mere maal ko kidhar chhipa rakhi hai.. thoda paresan kar lun usse, fir ghar jaun..
Nandni:- mujhe aisa kyon lag raha hai ki tu paresan hone wali hai…
Jivisha:- kya hua hospital me admit to nahi..
Nandni uski chinta ko viram lagati hui kahne lagi… "Tune hi to kaam par lagaya tha.. bhul gayi… "Agar un katilon ko pakadte ho to mere aadar ke patr banoge"..
Jivisha:- Hey bhagwan main bhi kitni badi bewakoof hun.. apne gharwalon ke samne uski image banane ke liye ye maine usse kis musibat me dal diya hai… Nandu wo to teri sunta hai na… please usse mana kar de.. wo log bahut khatarnak hain… pure darinde aur mera Nischal to bilkul masoom hai…
Nandni:- Tu bekar me chinta kar rahi hai… hum log filmi hain wo nahi… wo pure dimag se kaam kar raha hai aur Sawalker sir ke sath milkar kaam kar raha hai..
Jivisha:- Fir bhi Nandu, wo log bahut khatrnak hain yaar..
Nandni:- Hmmm ! Thik hai main Nischal se baat kar lungi .. aur haan tujhe wapas aise dekh kar bahut acha laga…
Jivisha:- Oye Nandu, ye aise ro kar welcome karegi… chal hans aur aa gale lagkar swagat kari…
Kasak… In dono ko jab chhod kar nikli…
Kasak kafi khush najar aa rahi thi.... Un dono ke najron se ojhal hokar jaise hi wo kuch dur aage badhi ek bike piche se horn dene lagi… Kasak bina uss horn par dhyan diye apne raste chali ja rahi thi...
Horn ke sound par jab Kasak ruki nahi, tab usne bike ko aage le jakar uska rasta rokte khada kar diya… Kasak ne jab uss biker ki aisi harkat dekhi tab wo badbdati hui wahan se raasta badal kar aage badh gayi…
Ek baar fir wo biker Kasak ke aage gadi lagakar rasta roke khada ho gaya... Ek baar fir Kasak apna rasta badalne lagi.. lekin iss baar wo biker uska hath pakad kar apni ore khinch liya…
Kasak uski iss harkat par koi pratikriya de usse pahle hi uss biker ne apna helmet utar kar Kasak ko aankh marte kahne laga…. "Yah biker thoda hyper hai baby… wanna a ride with me"..
kasak uski baton par hansti hui kahne lagi…. “Acha ji sirf 2 din ki mulakat me hyper ho gaye, ye kuch jyada nahi ho raha Jatin”…
Jatin:- Ab aa bhi jaeye miss, warna ab bekarari me aap ko kahin yahin gale na laga lun.. Fir aap ki ghurti najar mujhe khane ko bekarar ho jayegi…
Kasak uski baat par hansti hui bike par baith gayi aur dono kahin dur nikal gaye… Jhil ke kinare Kasak ek ghane viriksh ke niche baithi thi aur Jatin uske gode me sar dale Kasak ka chehra dekh raha tha… dono najron ki bhasha padhkar ek dusre me khoye huye the…
“chalo jatin ab chalte hain, ghar ke liye der ho rahi hai”….. Kasak, Jatin ke balon me hath ferti kahne lagi…
“Bus kuch der aur Kasak, tumhe nahi pata kitna sukoon milta hai tumahre pass”… Jatin apna hath upar badhakar Kasak ke galon ko pyar se sahlate huye kahne laga…
Kasak :- Baby abhi jayenge fir na kal mulakat hogi… waise bhi apne pyar me itni swarthi bhi to nahi ho sakti ki apne gharwalon ko padesan kar dun.. isliye chalo ab…
“I love you Kasak”… Jatin Kasak ki aakhon me dekhte huye kahne laga…
Kasak bhi Jatin ki aakhon me dekhti uske chehre par apni hath ferti kahne lagi… “I love you too Jatin… lekin baby ab hume chalna chahiye”.. Kasak apni baat kahkar Jatin ko uthne ka ishara ki, aur uske khade hote hi wo bhi uthkar khadi ho gayi. Kasak jaise hi kahdi hui… Jatin use bahon me bharkar is kadar bhinch liya mano Kasak uss se itni dur ja rahi hai ki dobara wapas nahi aayegi… “Hey Jatin, why u r so worried, love”… Kasak jatin ke anjaane dar ko bhanpti hui uske pith par santwana bhada hath ferti kahne lagi…
Jatin, Kasak se alag hokar, uski aakhon me dekhkar muskuraya aur dhime ke “Kuch nahi” kahte huye Kasak ko bike par baithne ka ishara kiya aur dono fir wahan se nikal gaye… Jatin Kasak ko uske ghar se kuch pichhe chhodte huye wahan se nikal gaya…
Idhar Jivisha ko bhi Nandni lagbhag issi samay par chhodne aayi aur dono ne chupke se sab kuch dekh liya… Dono hi Kasak ke liye khush bhi thi aur usse kis biker ne chhoda, uss se milne ke liye utsuk bhi…
Jivisha, Nandni ko aankh marti hui kahne lagi… "Tu dekhti ja, Kasak ne jo apne boyfriend ki baat humse raaj rakhi hai aur kamini ne milwaya tak nahi… uska badla main kaise leti hun. Kal wo apne boyfriend se hume milwayegi bhi, upar se disco aur daru ka kharcha degi so alag"… Dono hansti hui hi-fi ki aur Nandni apne flat aur Jivisha apne ghar laut aayi…