Update-175(Media Sucks)
Maine Mangal ko call karke boldiya ki mere sath challe dopehar mein lunch k baad maine dawaai Lee or Sam ne Maalish ki mere knee ki badle mein mere shoes lega woh 1 week ki Maalish 40000 ki padd jaaegi.. But kaafi aaram horaha tha usase.. Khair Mangal Or Abeer dono 4 baje takk free hue or fir ghar aae uske baad Main Abeer Or Mangal Jail k liye nikale RR mein.. Jail Pohanchey toh Superintendent Gate par he milgaya..
Super-Aaiye bhai sahaab aaiye..
Humlog uske office mein aaye toh dekha currently saaf safaai hui thi jail mein shayad humaare aane se pehle..
Main-lol Superintendent sahaab jail kaa incpection karne nahi aaye humlog jo aaj he kaam karwaaya hai..
Super-Ji woh dhyaan toh rakhna padta hai..
Main-cool cool..
Humlog uske cabin mein aaye wahaan Sofa or chair thi toh hum teeno sofas par baithey..
Main-Bulaalo dono ko..
Super-ji..
2 minute baad gate khulla or Vithal or Harman andar aaye.. Bc kya haalat hogayi thi unki.. Kya se kya hogaye.. Motey tagdey se bc half hogaye they vithal kaniya toh or jyaada kaana hogaya tha.. Humein wahaan dekhtey he dono solid chownkey...
Main-Hathkaddi kholdo inki kahin naa jaaenge..
Guard ne hathkaddi kholi unki or sab bahaar nikal gaye..
Main-Baitho beta..
Harman-Ab kya rehgaya.. Or kuch bhi karna baaki tha kya..
Main-naa socha jabse tumhe jail bheja hai mulaqat nahi hui hai Surendra ko bhi tapkaa diya tum sabka wajood bhi mitta diya or aakhiri bache ho tum 2 iss Nassal k milna jaruri tha..
Vithal- main pehle he bataadun humne kuch bhi nahi kiya hai naa he karwaaya hai..
Main-Pata hai mujhe.. Lekin Tumhaare Jaananey waalon mein se kissi ne jarur kuch kiya hai..
Vithal-kya matlab..
Main - Jo iska bhai haina chota Parveen woh bhaisahaab yahaan bahaar meri feilding lagaa rahe hain chupp chupke.. Or mere pass time nahi hai ki main usse dhundata firrun.. Marrna toh usse hai he lekin agar tu meri help kardega toh tera bhi faayda kar jaaega woh marrtey-2..
Harman - Main kya help karunga teri..
Main-Mujhe tumhaare addon ki list caahiye jiska kissi ko nahi maalum.. Or baaki Parveen k baare mein jo bhi jaanta hai tu..
Harman-Or Mera kya faayda isme...
Main-OK ginn lena.. Number 1). Teri gand nahi futtegi.. 2).Jinda bach jaaega tu.. 3).Teri jail kam Karwaadunga main.. 4). Jail k andar bhi thodi dhang ki utilities milti rahengi tujhe.
Harman-Jail mein kaise maarega mujhe tu..
Main-bhosdk jo banda tujhe jail k andar se apne samne bulaake jail superintendent k office mein ussi ki kursi par baithkar meeting kar shakta Hai woh kya kuch nahi karwaa shakta... Lawde sabse aashaan toh jail mein he marwaana hai.. Food poisoning kaa naam suna he hoga.. Bus fir..
Harman-Lekin kyun..? Humein marwaake millega kya..
Main-kuch nahi bus mann halka hojaaega.. Itani fatt rahi hai Toh tu aisa mouka he naa de chup chaap bataadey.. Waise bhi tere kya kaam kaa woh.. Last time bhi toh tune chhod he diya tha usse marrne ko..badle mein bc jail mein vip cell dilwaadunga tumhe araam se rehna.. TV fan dhangkaa Khaana peena..
Vithal-Bataa he dey bhenchod kya kaam aaega Parveen humaare.. Saala dalla toh hai he woh...
Harman-Theek hai.. Bataata hun..
Main-Shabbas..
Harman-Lekin badle mein tumhe bhi meri ek madad karni padegi..
Main-Done.. Bol kya..
Harman - Woh baadmein bataaUnga kabhi..
Main-Kuch Chutiyaapa nahi hona caahiye..
Harman-nahi hoga..
Main-Done then.. Bol ab..
Harman-kuch 3-4 haftey pehle aakhiri baar Milla tha mujhse woh.. Terese badla lene kaa kuch plan banaaya tha ussne.. Kya woh nahi maalum..
Main-Woh mujhe maalum Hai tu address or bataa dey.. Ye le..
Maine Pen or copy dee usko jispar ussne 4-5 addresses likhdiye...
Main-Inke alaawa koi jagah..
Harman-nahi itana paisa nahi hai uske pass ki or jagah khareedey befaltu ki.. inhi mein se ek jagah par millega..
Main-Shabbas.. Superintendent..
Awaaj sunke woh superintendent andar aaya..
Main-Inn dono ko vip cell mein rakho.. Or ek baar keval ek baar mere pass phone karne kaa mouka dena..
Superi-Ji..
Main-OK Harman Vithal nice seeing you thanks for the cooperation..
Ye bolke humlog bahaar aaye..or bahaar aatey he maine inn addresses ki photo kinch k Anjali k pass bhejdi.. Then usko call kiya..
Main-Ek photo bheji hai 4 address hain.. Rajat, Deepak, Ajay or Jiya ko 4on par najar rakhne ko bolo Parveen inhi mein se ek mein Hai for sure..
Anjali-Great..
Main-Lekin keval najar rakhni hai koi harkat merese puche bina nahi karni.. Caahe wahaan kuch bhi horaha ho... Parveen se matlab nahi hai mujhe.. Mereko uske through Kaali Takk pohanchna hai..
Anjali-You got it boss..
Call disconnected..
Hum teeno gaadi mein aaye or ghar ki taraf nikale..
Abeer-Mujhe nahi lagta Parveen ne kaali ko apne sath rakha hoga..
Main-Haan.. Kyunki usko bhi pata hai woh already wanted hai toh usske pakkade Jaane k chances high hain or Kaali ko dusari taraf koi jaanta nahi toh Parveen apne sath sath usko nahi rakhega...
Mangal-Jitana lamba plan usne kiya hai jitana Jorr lagaaya hai ussne uss hissab se I am sure ki woh pakkadey Jaane k baad apna munh bhi nahi kholega.
Main-Yep.. Lekin ek baar woh miljaae toh koi naa koi clue mill he jaaega.. Uske munh kholne ki jarurat nahi hai..
Mangal-Ye bhi hai..
Main-Tujhe kya lagta hai woh fir mere saamne aaega..
Mangal-Absolutely aaega abtak toh woh dekh chuka hai tu kitana darrta hai usase toh jaise he tu akela millega woh fir aaega..
Abeer-Or bc Agar tu usko face karle toh saara kissa he khatam hojaaega...
Mangal-Haan bc niptaa he dena gun rakh apne pass 24×7...
Main-Oh hell no bhenchod.. Trigger naa dabbne waala mujhse...
Mangal - Scared little bitch you are..
Main-Shut the fuck up...
Humlog shyaam 7.30 takk haweli pohanchey andar aaye kapdey change kiye.. Maine maalish karwaai knee ki Sam se.. Thodi derr gappe maare tabtak dinner time hogaya.. Dinner k baad main apne room mein aaya.. Late nigh Anjali, Ami, Abeer, Sam and Ravi Unn 4 addresses par chale jaaenge taaki Jiya and baaki log ki jagah le shakein raat mein.. Main room mein aaya ab movies he bachi thi dekhne ko toh "The Irishman" puri chuss gaya main 3.5 ghantey k aas pass thi bc cigarettes khatam hogayi thi.. Movie k baad dawaai wagairaah Lee or fir nind aagayi jo ki achi baat thi... Beshak aai 3 he ghantey lekin aagayi woh kaafi achi baat hai.. Subah main time se he uthgaya.. Pair mein theek thaak farak tha 50% kaam hogaya tha.. Ab Sam or baaki najar rakhe hue hain puri raat se toh woh aaenge toh soenge he aatey he toh maine socha college ghum aata hun.. Issliye Main fresh hua then nahaa dhoke apni 2-3 books leke niche aaya Babhi or Meenu dono he niche milli mujhe...
Babhi-Kahan college jaaraha??
Main-Yep.. Baaki Sab aaj busy he rehney waale hain toh socha college he chala jaaun..
Babhi-Dard nahi hai ab..?
Main - Naa kaafi sahi hai...
Babhi-Baith naasta karle..
Maine naasta kiya then garage aaya toh Maserati ekdum chakka chakk khaddi thi aaj he dhoi gayi thi.. Issliye ussi ko leke nikala main college... College pohancha toh cigarette Ki bhayaanak talab lagi thi toh seedha canteen aaya classes kaa time hua nahi tha abhi toh canteen mein kaafi cehal pehal thi..as usual puri Abhi gang wahaan baithi thi.. Anaa bhi wahin thi..
Main-Morning guys..
Sab-Morning AP..
Abhi-aa baith...
Main-5 minutes mein aaya..
Abhi-ok..
Main seedha andar aaya guffa mein toh bhenchod andar bhi cigarette khatam hogayi thi..
Main-Oye Laxman..
Laxman-Ji bhai.
Main - Andar cigarette naa Hai be..
Laxman-Yelo..
Main-Thanks..Coffee banaadey ek..
Lax-Ji bhai..
Maine andar aake cigarette jalaai bc Pehli ghunt mein chain aaya sareer ko.. Talab lagi thi bhayanak.. Cigarette finish karke mouthfreshner leke main bahaar aaya.. Or Abhi gang k sath baitha..
Ashish - Or kaise bhai.. Pair mein kya hua..
Main-Chot lag gayi thi thodi..
Ashish - Sam Rohit Ravi kidhar gaye..
Main-I don't know actually maybe koi kaam mein he lage honge...
Laxman coffee Le aaya.. Tabhi mere piche se Shubham mere pass aaya hath mein newspaper leke..
Shubham-Ye dekho bhai kya chaapela hai...
Main-kya..
Shubham ne mujhe newspaper diya toh local news ki first post padhke he meri gand fatt gayi... Kyunki headline thi "AP ki Jaan ko kisase hai khatra???" or niche kya likha tha uska deatil version suno..
"Jaisa ki aap jaantey hain jabse AP waapis aaye hain media mein sabse uppar chaaye hue hain ek baar fir aisa hua hai lekin kaaran thoda darraavna hai abki baar ji Haan" AP ki Jaan Hai khatre mein " afwaaein toh pehle he chal rahi thi lekin Kal ki ghatnaaon ne in afwaaon ko sach saabit kardiya Hai Ji Haan Kal Shyaam AP Khud central jail gaya tha or wahaan bandh Mashoor gangster Vithal Or uske Right hand Harman se Milla ye baat yaad dilwaadun Indono ko AP ne he jail bheja tha... Or jail mein mojuud humaare Sutron K mutaabik jo AP ki Jaan k piche padda hai woh koi or nahi balki Harman kaa bhai or Mashoor Criminal Parveen Verma hai.. Ji Haan iss baat kaa kaaran spasht nahi ho paaya hai lekin kahaa jaa shakta Hai ki Parveen AP se badla lena caahta hai uske bhai kaa.. Aapko bataadein ki Parveen Verma kaafi khatarnaak gunda hai issliye ye dekhna dilchasp hoga ki AP or Deva ji isspar kaise react kartey Hain.. Lekin jo bhi ho humein lagta hai ki AP ne isse seriously liya hai issiliye woh khud Jail jaake Harman se Milla....
Nice dude nice... Bhenchod criminal khud kuch kar paaein yaa naa paaein media waale unki help jarur kardenge bhenchod... Maine uski photo lee or Anjali Sam Abeer k pass bhejdi..and Anjali ko call kiya... Tabtak Abhi gang newspaper padhney lagi..
Anjali - Yo..
Main-.. Maine pic bheji hai woh dekh or baaki ko bhi inform kardey...
Anjali-ok..
Call disconnected..
Continued..