• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    317

Sushil@10

Active Member
720
693
93
UPDATE 18 ~
(LET'S DO IT)

Vanshika ke saath shoot hone ke baad Aarav ke kuch aur Solo Shoot huwe aur akhir kuch ghanto ke andar ye silsila bhi khatam ho gya.

Vanshika jaane ke liye tayar thi, Aarav bhi nikalne wala tha jab Lydia ne usse side per ane ka kaha, Vanshika baahir Car ke paas khari Sammy se baat ker rahi thi jahan Veronica bhi paas khari huwi thi.

Aarav ek taraf Lydia ke saath chala gaya, Lydia yahan Aarav ko le to ayi thi lekin uss ki nervousness dur se nazar aa sakti thi, Aarav ne bhi zor nahi dia aur Lydia ko uss ka waqt lene dia.

Andaza to tha Aarav ko ke kon sa topic hai jis ke liye Lydia Aarav ko yahan layi hai, Lydia ne apne ek haath ke upar dusra haath rakh halka sa bow karte huwe apna sar jhukaya to Aarav heraan ho gya.

Lydia: I'm sorry! Main ne tumhe pehchana nahi, Main bohat waqt se Maafi maangna chahti thi, Uss raat main nashe me thi aur mujhe kuch samajh nahi aa rahi thi main kia aur kis ke saath ker rahi hu.

Lydia ke manners se Aarav ko andaza ho raha tha ke Lydia bhi kisi choote ghar se nahi hai, Uss raat jo bhi huwa Lydia uss ki maafi maang rahi thi warna koi aur hoti to shayad wo iss baare me sochti bhi na.

Aarav: Arrey! App ko aise jhukne ki zaroorat nahi hai, Mujhe pata chal gaya tha uss raat ap nashe me thi, Main awkward nahi karna chahta tha iss liye ap se kaha nahi lekin Uss raat jo bhi huwa main samajhta hu uss me kisi ki galti nahi hai.

Aarav ka Response sun ker Lydia seedhi khari ho gayi, Uss ke chehre per meethi muskurahat thi, Wo dar rahi thi ke Aarav uss raat ko le ker Lydia ko pareshaan kare ga lekin Aarav ki baat sun uss ko khushi ho rahi thi.

Lydia: Thank You! Mujhe laga tha tum gussa ho jao gye, Lekin tum Photo shoot ke waqt jaise lag rahe the uss se bilkul Alag ho, Waise aj sach me tum ne hume bacha lia hai, Agar main kuch bhi madad aa saku tumhare to hichkichana mat aur keh dena.

Aarav: Zaroor!

Aarav aur Lydia aage baat ker sakte ke uss se pehle he wahan Sammy aa gaya jis ke saath Jenny bhi haath me kuch shopping bag pakre khari ho gayi.

Sammy: Aj to kamal ker dia tum ne! Koi keh he nahi sakta ke ye tumhara first time hai, Abhi bhi kuch polishing ki zaroorat hai lekin uss ki itni problem nahi hai, Well done.

Aarav: Thank You!

Sammy ne Jenny ko ishara kia to Jenny ne apne haath me pakre Shopping bags Aarav ko pakra diye.

Sammy: Professional Model na hone ki wajha se main tumhe Pay to nahi ker sakta! Lekin ye kapre aur kuch paise hamari taraf se hai, Kisi model ko jitne milte uss se to bohat kam hai lekin main umeed karta hu agli baar hume dobara kaam karne ka moka mile ga aur tab tum ek professional model ban ker hamare saath kaam karo gye.

Sammy ne ek Envelope Aarav ko pakra dia, Aarav ne socha bhi nahi tha ke usse kuch mile ga, Lekin wo ye bhi nahi jhutla sakta tha ke usse jo mila uss ki usse bohat zada Khushi ho rahi hai.

Envelope me 1000$ Dollar the, Itne paiso ke liye Aarav ko pure Maheene mehnat karni parti thi, Jo kapre usse mile the wo uss ne Photoshoot ke waqt pehne the, Aur wo bare brand's ke kapre the jo Celebrities pehnte the.

Sammy: Tum log baate karo! Mujhe kuch kaam hai to jaldi nikalna ho ga.

Sammy aur Jenny wahan se chale gye, Lydia wanha khari Aarav ke chehre per ayi khushi ko daikh muskura rahi thi, Aarav kisi bache ki tarha lag raha tha jise pehli baar uss ka pasandeeda khilona mil gaya ho.

Jahan dono apne moments me magan the wanhi 2 ankhe unhe ghoor rahi thi, Wo ankhe kisi aur ki nahi Vanshika ki thi jo itne samay se dono ko gutar-gu karte daikh rahi thi, Uss ki ankho se lag raha tha ke wo abhi jaye gi aur Aarav ko kheench laye gi.

Veronica (Teasing): Oh! is my darling feeling jealous?

Veronica ki awaz sun Vanshika hosh me ayi aur usse ehsaas huwa ke wo kia ker rahi hai, Usse khud heraani ho rahi thi ke wo aise kiu daikh rahi thi dono ko.

Vanshika: Aisa kuch nahi hai! Mujhe bus jaane ki jaldi hai, Main sirf wait ker rahi hu kab un ki baate khatam ho aur hum chale.

Veronica: Vanshu! Main tumhe bachpan se jaanti hu, Yaad hai Tumhe school me kia kehte the, “ice princess” kiu ke tum kisi ki bhi parwah nahi karti sirf apni duniya me doobi rehti, Lekin jab se main ne tumhe iss larke ke saath daikha hai tum badal gayi ho, You're started to look like a normal girl.

Veronica ki baate Vanshika ko aur bhi heraan ker rahi thi, Kia sach me badal gayi thi wo? Lekin kiu? Kia khaas hai uss larke me?

Veronica apni kalayi ko daikhne lagi jis ko pakar ker Aarav usse Neel ke paas se bacha ker bhaaga tha, Shayad Aarav Pehla larka tha jis ko Vanshika ne khud ko chune dia tha, Lekin kiu? Kiu ek larke jis ko wo jaanti bhi nahi thi uss ke liye wo aisa feel ker rahi thi?

“Chale?”

Vanshika apne khayalo ki duniya me gum thi jab Aarav ki awaz uss ke kaano me gayi, Aarav Lydia se baate puri ker ke aa chuka tha, Veronica paas khari sirf muskura rahi thi Vanshika ki halat daikh ker uss ne aur tang karna sahi nahi samjha aur dono ko jaane dia.

Vanshika aur Aarav Car me baithe aur ghar ke liye nikal gye, Car me khamooshi thi dono chup apne khayalo me doobe huwe the, Jahan Vanshika abhi Veronica se huwi baato ke baare me soch rahi thi wanhi Aarav aj ke experience ko yaad ker khush ho raha tha.

Aise he dono ghar pohanch gye, Vanshika ne abhi ke liye sab kuch apne dimagh se nikala aur Kal apne concert ke liye jaane ke baare me sochne lagi, Aarav bhi Car se baahir nikla to usse baahir Tsubame khari dikh gayi.

Vanshika to bina kuch kahe wahan se chali gayi, Aarav ne zada dhayan na dete huwe Tsubame ke paas chala gaya, Lekin wo jaise he Tsubame ke kareeb pohancha to Tsubame ke chehre per zakhmo ke nishaan daikh heraan ho gya.

Aarav: Ye kia huwa?

Tsubame: Abhi Ye zaroori nahi hai! Mere kamre me chalo main aa rahi hu.

Aarav puchna to bohat kuch chahta tha, Lekin Tsubame ki baat maan ker wo uss ke kamre me chala gaya, Kuch pal ke baad he Tsubame bhi andar aa gayi.

Dono ek dusre ke saamne neeche baith gye, Tsubame ke zakhm itne gehre nahi the lekin wo Sadharan bhi nahi the, Akhir kon Tsubame jaisi mazboot larki ko zakhmi ker sakta hai? Aise he sawal Aarav ke mann me aa rahe the.

Tsubame: Mujhe lag he raha tha ke aisi Technique ek baahir ke insaan ko sikhaane ke permission milni Easy nahi ho gi! Pareshaan mat ho ye zakhm mujhe khud ko sabit karte huwe mile hai.

Aarav: Kiu?

Tsubame: Mujhe apni kabiliyat dikhani per gayi book lene ke liye! Lekin ant me main safal ho gayi.

Tsubame ki baat sun Aarav ko glaani hone lagi, Uss me he Tsubame se wo technique seekhne ka kaha tha, Uss ki wajha se uss ke master ko itna kuch jhelna per gaya tha.

Tsubame: Book mil to gayi! Lekin abhi hume uss ka koi faida nahi hai, Ye technique seekhne ke liye tumhe kam se kam Master Level hona chahiye, Agar uss se pehle tum ne Flash Steps ko Master level se pehle Use karni chahi to tumhari jaan ko bhi khatra ho sakta hai.

Aarav ke liye ye ek bara shock tha, 10 din ke baad abhi tak wo Initiate Level ko bhi puri tarha control nahi ker saka tha, Master level to abhi bohat dur tha.

Tsubame: Initiate Level ko puri tarha Conquer karne ke liye tumhe Inner ki apni body ke ek hisse me Focus karna zaroori hota hai! Lekin Flash Step ko Use karte waqt tumhe Inner ki ko apni puri body me control karna hota hai, Agar tum control ke bina Inner Ki ko apni body me travel karne do gye to tumhari body isse jhel nahi sake gi aur phat jaye gi, Iss liye hum abhi ke liye Flash Steps ko nahi seekh sakte.

Tsubame ki baat sun Aarav ko nirasha ho rahi thi, Lekin wo samajh sakta tha ke Tsubame uss ke liye he ye sab kuch keh rahi hai, Abhi ke liye Aarav ne Body ko train karte huwe Initiate Level per focus karne ki sochi aur Flash Steps ko aage ke liye choor dia.

Aarav: Main samajh gaya! Abhi ke liye hum baki sab point oer focus karte hai.

Tsubame: Aj ke liye Araam karo! Kal subha se hum dobara tumhari Combat training per focus kare gye.

****

Secret Underground Medical Facility
Japan ~ 3:14 PM ~ 10 Days Later

*Agggghhhhhh*

Aj sab ka tower wapis jaane ka din tha, Lekin kal se Isabelle ki halat aur bhi zada kharab hone lagi thi, Sab log puri koshis ker rahe the lekin Isabelle Dard se chilaye ja rahi thi.

Uss ki ye Halat daikh Daisuke ko bhi ab fikar hone lagi thi, 1 Ghante me wo wapis ja rahe the lekin kia Isabelle ek aur Journey ko bardasht ker sakti thi kia? Agar Aarav ko Isabelle ki halat ka pata chale ga to kia reaction ho ga uss ka?

Bohat se sawal Daisuke ko pareshaan ker rahe the, Daisuke ne ek gehra saans bhara aur Isabelle ke paas kamre me chala gaya.

Daisuke: Isabelle!

Isabelle (Crying): Please, Daisuke! Mujhe iss Dard se azaad ker do, Main aur nahi seh sakti iss dard ko, Please!

Daisuke: Isabelle, Tumhe bardasht karna ho ga! Sirf 1 ghanta aur reh gaya hai hume jaane ke liye, Sab ke baare me socho tumhare bina hamare Surviving Chances kitne kam ho jaye gye, Aarav ke baare me socho wo pehle he kitni pareshani me hai agar tumhe kuch huwa to wo kaise lar sake ga wahan.

Isabelle chah ker bhi dard bardasht nahi ker paa rahi thi, Lekin Daisuke ki baat sun ker uss ne marne ke khayal ko apne dimagh se nikal dia.

Daisuke ne Yoo-Jung se bhi Contact ker lia tha, Aarav ka naam laye bina uss ne kuch tip usse de di thi, Aarav ko bhi safety Tips de di thi, Unhe nahi pata tha ke unhe iss baar kis ka saamna karna pare ga.

Daisuke wanhi Isabelle ke paas baith gaya, Wahan sab log un ke liye zaroori cheeze laa rahe the jis ki unhe zaroorat per sakti thi, Kento Daisuke ke paas aa gaya.

Daisuke: Ap ko kia lagta hai? Wahan ja ker Isabelle ki halat me sudhar aye ga kia?

Kento: Kuch bhi nahi kaha ja sakta! Yahan hum ne sab kuch ker lia, Agar yahan kuch nahi ho sakta to hum sirf ye umeed laga sakte hai ke wahan ja ker kuch sudhar aa jaye.

Daisuke: Huh! Sab kuch tayar ho gya hai kia?

Kento: Haan! Jin sab ki wahan zaroorat per sakti hai wo sab yahan le aya gya hai, Circle me tumhare saath sirf None Living things he ja sakti hai, Lekin Electronic koi bhi cheez beech me he tabah ho sakti hai, Baki hum tumhare uss secret member se he umeed laga sakte hai ke wo apne uss Bag me kuch le ja sake.

****

Training Ground
New York ~ 3:03 AM

Jahan Japan me din ka waqt tha wanhi New York me raat ke 3 baje Aarav aur Vansh jaane ke liye tayar khare the, Ye wo he jagha thi jahan Aarav roz training karta tha.

[12 Minutes Remaining]

Sirf 12 Minute reh gye the, Adarsh aur Archana apne bete ke paas khare the jahan Adarsh usse mazboot rehne ke liye keh raha tha wanhi Archana ki ankho me ansoo the, Archana ne ek dhaga Vansh ki kalayi per baandh dia jo uss ne kisi gayani Baba se raksha ke liye liya tha.

Aarav khara un ke pyaar ko dur se daikhta raha, Usse jalan nahi ho rahi thi ye kehna galat ho ga, Andar he andar wo chah raha tha ke uss ke Maa Aur Papa bhi yahan hote lekin ye sirf ek khawaish thi jo kabhi sach nahi ho sakti thi.

Urvi ko abhi nahi pata tha ke Aarav ja raha hai, Aur shayad Aarav usse abhi batana chahta bhi nahi tha, Urvi ka treatment shuru ho chuka tha aur Aarav usse pareshaan nahi karna chahta tha.

“Haath idhar karo apna!”

Archana ki awaz ne Aarav ko uss ke khayalo se kheench ke baahir le aya, Aarav ne nazre utha ker daikha to Archana uss ke saamne khari huwi thi haath me dhaga liye huwe, Aarav ka haath pakar Archana ne aage kia aur dhaga bandhne lagi.

Archana: Mujhe pata hai mere Husband ne tumhe Vansh ki raksha karne ke liye kaha hai! Lekin tumhe sirf uss ki nahi khud ki bhi rakhsa karni hai, Mujhe mere dono bete sahi salamat waapis chahiye.

Archana ne Aarav ke haath me dhaga baandh dia, Aarav apni kalayi me bandha wo dhaga daikhne laga, Ye dhaga Aarav ki raksha karta ya na karta ye zaroori nahi tha, Lekin jis pyaar se Archana ne ye dhaga bandha tha wo Aarav ko andar se hila raha tha.

Aarav ka pura shareer kaanp raha tha aur kab uss ki ankho me ansoo aa gye usse khud na pata chala, Apni Kalayi per bandhe dhaage ko apne paas ker Aarav ne chum lia.

Uss ki ye harkat daikh Archana ne aage barh uss ka maatha chum lia, Archana ki ankhe bhi bheegi huwi thi Aarav ke baalo ko sehla wo nazar bhar ker usse daikhne lagi.

Lekin wo aur bardasht na ker saki aur peeche chali gayi aur apne ansoo chupane ki koshis karne lagi, Aarav itne waqt ke baad dobara ek Maa ke pyaar ko mehsoos ker raha tha.

Akash: Sab kuch tayar hai na?

Akash apne saath Barbie ko liye Aarav ke paas aa gaya, Aarti ko iss baare me kuch bhi nahi pata tha to wo ghar per thi aur Vanshika apne Concert ke liye pehle he ja chuki thi, Tsubame bhi Aarav ke paas aa gayi.

Aarav: Lagta to hai sab kuch rakh lia hai! Ye bag bohat kaam aa raha hai.

Tsubame: Bag ke baare me hume sirf kuch baate pata chali hai! Ye ek infinite Storage bag hai lekin zada bhaari aur bari cheeze nahi rakh sakte iss me, Mostly iss me se sab weapon pehle he baant chuke ho, Tumhari Sword abhi bhi wanhi hai to tumhe pehle usse dhoondna ho ga.

Aarav: Hmm! Weapon ke sivaye iss me 3 Health Potion hai aur kuch khali Bottle aur Jar wagaira aur kuch Black Smithing ke liye cheeze hai, Hum ne kuch aur cheeze rakh di hai iss me jaise khane ke liye samaan aur kuch Survival Kit aur kuch cheeze jo wahan kaam aa sake.

Akash: Good! Yaad rakhna tumhe zinda waapis ana hai, Agar tum wahan se zinda wapis na aye narak se waapis kheench ke lao ga aur dobara maar du ga tumhe.

Akash ne Aarav ka mood acha karne ke liye kaha, Aarav bhi samajh gaya aur muskura dia pichle 10 din me uss ne training ke sivaye kisi aur cheez per dhayan nahi dia tha.

[1 Minute Remaining]

Vansh aur Aarav ek dusre ke paas aa gye, Dono ne ek dusre ke haath pakar liye, Sab log kuch Distance per khare ho gye aur intezaar karne lage, Sab andar se dar rahe the.

Aur akhir wo shuru ho gya, Ek circle dono ke gird ban gaya aur Aag ki lapte unhe lapaitne lagi lekin iss baar dono he nahi ghabraye aur seedhe khare rahe.

Tes havaye chalne lagi aur Zameen kaanpne lagi, Lapte aur bhayankar ho gayi aur dono ko apne andar samait gayab ho gayi, Wanha dono me se koi nahi tha.

****

?????

Andhere ne ek baar dobara Aarav ko gher lia, Wo abhi bhi apne haatho me Vansh ke haath mehsoos ker paa raha tha lekin kuch bhi nazar nahi aa raha tha, Uss ke saamne Window khul gayi.

[Welcome, Player]
22b1b04537e70c67e35c091a53c8d410.jpg

[You must survive in this tower while trying to go back to your world]
2556967ff27b7f8fcd4e26c6bcdd3045.jpg

Un ki Quest unhe mil chuki thi, Dobara Circle ne unhe lapaita aur aag ki lapte unhe apne andar samaitne lagi.

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]

****
The Darkvale Forest ~
Tutorial Tower

Aarav ne apni ankhe kholi to uss ke saamne Vansh khara huwa tha, Aarav ne V Vansh ka haath choora aur chaaro taraf dhayan se daikhne laga, Wo ek jungle me the lekin ye Jungle bohat alag tha.

Ped kisi pahar jitne bare jo baahir ki roshni andar nahi ane de rahe the, Wanhi Tree Roots Zameen ko saaf dikhne bhi nahi de rahi thi

Aarav aur Vansh ke sivaye wahan koi nahi tha, Aarav ne Sense karne ki koshis ki lekin koi bhi unhe kareeb mehsoos nahi ho raha tha, Sabhi alag alag jagha per Teleport huwe the.

Aarav: Koi bhi hamare kareeb nahi hai! Sabhi alag alag Jagha bheje gye hai, Hum dono ek saath hai matlab Daisuke aur Isabelle bhi saath ho gi, Lekin Yoo-Jung Akeli hai.

Vansh: Ab hum kia kare?

Aarav: Main khud heraan hu! Lekin Yoo-Jung ne ye hone ka andaza laga lia tha, Iss liye hum seedhe Yoo-Jung ki taraf rukh ker ke khare the, Agar hamara Guess sahi huwa to hum seedhe chale to hum Yoo-Jung tak pohanch jaye gye.

Vansh: Lekin tum itne yaqeen se kaise keh sakte ho?

Aarav: Hum kisi cheez ka bharosa nahi ker sakte yahan! Lekin bina soche samjhe bhatakne se acha hai hum iss taraf chale, Quest ke hisaab se hum Forest se baahir nahi jaa sakte aur main Demon Wolves ko bhi sense nahi ker paa raha hu, To hamare liye sab se acha iss taraf jaana he ho ga.

Aarav ki baat sahi thi, Agar wo bina soche samjhe chalte to wo kanhi bhi nahi pohanchne wale the, Lekin agar wo Yoo-Jung ki baat maante to ek umeed thi ke wo dobara mil sakte hai.

Aarav ne wanha ek ped ke upar nishaan laga dia, Kuch Tips jo Daisuke se uss ko mili thi wo kaam ane wali thi, Konse raaz chupe huwe the iss forest me wo sab khulna baki tha.

*Ssshhhh*

Ek halki awaz Aarav ke kaano me gayi jis me uss ke rongte khare ker diye, Aarav tezi se ek taraf kuda jahan wo pehle khara tha wahan ek ek ajeeb se liquid aa ker gira, Aarav ne dusri taraf daikha to uss ke saamne ek Green Slime tarha ki cheez thi.

714a84cef358f659f3f6218065cb7821.jpg

*Ssssshhhhh*

Aarav ne jahan wo liquid gira uss taraf daikha to wo pura Ped jaise pighal raha tha, Aarav ne Vansh ki taraf daikh jis ne haan me sar hilate huwe Slime ki taraf daikhne laga.

[Ability (Material Detection) Activated]

*Ding*

[Material: Acid Slime]
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, 3.7K words ka hai ye update, iss Update ke saath he hamari journey dobara shuru hoti hai, Agar iss update per 30 like huwe to Next Update Friday night ko aye ga, Umeed larta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice update
 
voltmeter

Member
137
45
28
Bhai jab Avinash ne Beatrice ko maar diya to mujhe bilkul galat nahi laga ..
..
..
Sablog jaldi se update kar do login karke barna update late dega
 
Ng21G

Niku21G
274
266
63
Z
UPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)

Varsha's Office
France ~ 1989 November 17

*Click*

Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.

Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?

Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.

Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.

Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.

Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.

Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.

Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......

Varsha: But?

Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.

Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.

Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?

Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.

*Knock-Knock*

Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.

Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.

Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.

Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?

Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.

Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.

Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.

Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.

Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!

Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.

Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?

Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.

Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!

Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?

Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.

Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?

Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.

Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.

Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?

Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.

Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.

Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?

Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?

Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.

Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.

Varsha: D-Dad kanha hai?

Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.

Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?

*Thud*

Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.

6a0f66426cc468077ac87b78536480f4.jpg

Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.

Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.

Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.

*Swish*

Varsha(Stunned): Huh?

Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.

Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or
you can die by my hands.

aa82dc41a5ae520977071d317e19751e.jpg

****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18

“Madarchod”

Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.

Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?

Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.

Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?

Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.

Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-

Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.

Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.

Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?

Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.

Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.

Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?

Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.

Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.

Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.

Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.

Ankush(Whisper): Varsha?

Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.

Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?

Varsha(Crying): I'm sorry!

Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.

Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!

Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.

Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.

Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.

Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.

Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?

Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.

Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.

Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.

Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.

Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.

Varsha(Nod): Thank You!

****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6

Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.

Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.

Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,

Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.

*Knock-Knock*

Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.

“Varsha! Main hu”

Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.

Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.

Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?

Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.

Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.

Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.

Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.

Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?

Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.

Varsha: Aunty, Ye kyu?

Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.

Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.

Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.

Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.

“Maa?”

Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.

Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.

Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.

Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?

Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.

Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.

Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.

Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.

Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.

Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.

Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?

Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.

Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.

Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?

Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.

Varsha: Locker?

Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.

Varsha: Leki-

Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.

Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.

****

Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.

Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.

Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.

“Varsh-”

Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.

Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.

“Avinash?”

Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.

Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?

Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.

Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.

Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.

Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.

Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.

Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.

Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.

Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.

****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16

“Avinash”

Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.

e4a1250fe588688b5b89ddfb7fb49a2f.jpg

Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.

Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.

Avinash: Aj kaise ana huwa?

Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.

Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.

Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.

Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.

Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.

Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.

Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.

Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?

Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.

Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?

Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?

Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.

Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?

Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?

Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.

Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.

Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.

Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.

Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.

Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.

Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.

Varsha(Smile): Thank You!

Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.

Varsha: Fu....ck?

Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.

Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?

Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.

Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.

Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.

Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.

Avinash(Stunned): Huh?

Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.

Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?

Avinash(Whisper): Pregnant!

Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.

Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.

Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?

Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.

Avinash: Varsha!

Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.

Avinash: Thank You!

****

Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.

Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.

Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.

Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.

Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.

Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.

Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.

Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.

Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?

Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.

Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.

*Click*

Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.

Avinash: Maa? Kya huwa?

Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.

Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!

Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.

*Sob*

Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.

Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?

Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Zabardast 💯 🔥 💯 🔥
 
Ng21G

Niku21G
274
266
63
Zabardast 💯 😁 💯 😁
UPDATE 86 ~
(History Unfolds) (3)

****
Avinash's House
Pune ~ 1991 November 3

*Click*

Avinash kamre ke darwaze ko kholte huwe andar aa gaya, Uske saamne crib ke andar dono bacchon ko litaya huwa tha, Usne ek nazar ladke ki taraf daikha to uski saanse aur dhadkane sach me band thi.

*Thud*

Avinash ne saath darwaze ka sahara lete huwe khud ko girne se roka, Uski aankhon se kab aansu nikalne lage usko khud ko he ehsaas nahi huwa.

“Avi”

Avinash ke saath khadi huwi Lakshmi ne usko bulate huwe Varsha ki taraf ishara ker diya, Varsha bhi bed per baithi crib me bachhon ko daikh rahi thi.

Avinash(Whisper): Varsha!

Avinash ne aage badh ker Varsha ka haath pakad liya, Lekin Varsha ne ek baar uski taraf daikha bhi nahi aur sirf crib ki taraf he daikhti rahi.

Lakshmi: Avinash! Bachi ke saath bhi kuch ajeeb ho raha hai.

Lakshmi ki dari huwi awaaz ne Avinash ko bhi dara diya, Avinash aur Varsha dono he Crib ki taraf bhaag gye, Lakshmi aur Bharat bachi ko daikh rahi thi.

Bachi ki belly phool rahi thi aur usko saans lene me bhi dikkat ho rahi thi, Laskhmi bhi pareshan ho rahi thi, Kyu ke ab tak usko bachi bilkul theek lag rahi thi, Yun achanak uski halat bigadte daikh usko kuch samajh nahi aa rahi thi.

Lakshmi ko hatate huwe Avinash aage aa gaya, Avinash ne bachi ki belly per ungali rakh di aur Qi ko uski belly ke andar bhejne laga.

*Cough*

Avinash chaunkate huwe bachi se dur ho gaya, Uski aankhe hairat ke mare fail gayi thi, Usko daikh ker Lakshmi aur Varsha ko bhi dar lag raha tha, Bharat unko sambhal raha tha.

Varsha: Avinash, K-Kya huwa hai? Meri beti theek to hai na?

Avinash (Sweating): Huh?......Bachi ki spirit energy bohat high hai, Iska heart.....a-aur core dono he crush ho rahe hai.

Lakshmi: Spirit energy? Lekin ye kaise? Ye kaise ho sakta hai? Kya tum stable nahi ker sakte?

Lakshmi hairan ho gayi thi, Kyu ke Avinash aur Varsha dono Qi user the, Unke saath ye hona hairani ki baat thi.

Bharat: Haan, Agar hum kuch energy ko extract ker sake to?

Avinash(Nod): Huh! Koshish karta hu.

*Soul Binding*

Avinash ne Soul Binding se bachi ki spirit ko bind ker liya aur usko stable karne ki koshish karne laga, Sab uski taraf he daikh rahe the, Varsha ne usko Beatrice ke liye ye karte daikha tha, Lekin tab Avinash ko aise mushkil nahi ho rahi thi.

*Thud*

Avinash achanak se unbalanced ho ker gir gaya, Bharat ne usko pakadte huwe utha diya.

Bharat: Kya huwa?

Avinash: Spirit Energy bohat high hai! Usko bachi ki body ke andar stable ker he nahi sakte, Aisa lag he nahi raha ke ye ek bach-

Avinash kehte huwe ruk gaya, Ek khayal ne usko andar se hila ker rakh diya, Lakshmi aur Bharat usko aise daikh ker hairan ho gye.

Avinash(Whisper): Spirit Transfer?

Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha, Varsha ke chehre per aye dar ke bhavon ko daikh Avinash ke chehre per gussa aa gaya.

Lakshmi(Frightened): Avi.....Kya ho gaya hai?

Avinash: Maa...Bachi ke andar sirf ek spirit nahi hai!

Bharat(Shocked): Ek Spirit nahi hai? Phir aur kitni hai?

Avinash(Sigh): Bachi ke andar uske bhai ki bhi spirit hai! Ladka mara nahi hai, Uski spirit uski body se transfer ho gayi ha-

*Crack*

Avinash abhi baat ker he raha tha ke crib ke tootne ki awaaz ne sab ko chaunka ker rakh diya, Bachi ke andar se energy khud he baahir aa rahi thi, Aisa kuch na to kabhi Avinash ne daikha tha aur na he suna tha.

Varsha: Meri bach- Unghh?

Varsha abhi crib ki taraf badh he rahi thi ke Avinash ne uski kalai ko pakad ker khinch liya aur uski aankhon me aankhen daal ker daikhne laga.

Avinash(Furious): Abhi aur kuch karne ke baare me socha bhi nahi! Ab chup ker ke kanhi baith jao.

Avinash ne Varsha ko bed ko taraf phenk diya aur khud crib ke paas chala gaya, Crib ke upar Energy float ker rahi thi, Lekin usko Ladke ki body me parvesh karte daikh ker Avinash bhi hairan ho gaya.

Bharat: Avinash?

Avinash: Huh? Energy khud bache ki taraf khinch rahi hai, Aisa lag raha ke jaise wo khud apni spirit ko waapis le raha hai.

Avinash: Spirit Barrier!

Avinash ne crib ke aas-paas he ek spirit barrier bana diya, Ye barrier spirit energy ko baahir nikalne se rokta tha, Avinash ke ye karte he energy aur bhi tezi se Ladke ki body me parvesh karne lagi.

Avinash uske beech me he Bachi ki spirit energy ko stable karne laga, Ladke ne uski spirit ko extract ker liya tha, Ab Avinash ke liye Ladki ki energy ko stable karna bilkul bhi mushkil nahi tha.

Lakshmi aur Bharat khade ho ker nazare ko daikh he sakte the, Unko hairani to ho rahi thi, Lekin dono bacchon ke bachne ki ab unhe ek umeed dikhayi de rahi thi.

*Thud*

*Gasping*

Avinash neeche gir gaya aur lambi lambi saanse lene laga, Usne ek lambe samay ke baad itni Qi ka Use kiya tha, Uska pura ka pura shareer pasine se bheeg gaya tha.

*Waaaa*

*Aaiyyyyyyyy*

*Waaaa*

Ek saath dono bachon ki rone ki awaaz ko sun ker Avinash neeche he lait gaya, Uske chehre per khushi se bhari muskurahat saj gayi thi,

Ek pal pehle he uske andar dono bacho ko kho dene ka gam tha, Lekin ab uske dono bachon ki awazen usko sunayi de rahi thi.

Lakshmi dono bachon ke paas chali gayi aur Bharat ne Avinash ko utha ker gale se laga liya, Un dono ki he aankhe bheeg gayi thi.

Laskhmi: Avi.....Yahan aa!

Lakshmi ki baat sun ker Avinash bhi uske paas chala gaya, Lakshmi ne dono bachon ko utha ker usko pakada diya, Avinash ek pal ke liye to chaunk gaya.

Lekin agle he pal unke ehsaas ne usko rok diya, Avinash ke haatho me ate he dono he chup ker gye, Unko daikhte huwe Avinash ke chehre per muskurahat hat he nahi rahi thi.

Avinash(Grin): Aarav! Ab se iska naam Aarav hai.

Bharat: Aarav? Ye to?

Avinash: Haan, Ye clan ke sab powerful user ka naam tha! Lekin aj isne bhi kuch kam khaas nahi dikhaya, Dara ker rakh diya tha.

Avinash aansu chhalak pade, Lekin ab bhi uske chehre per muskan bani huwi thi, Lekin ye muskan zyada samay bani nahi rahi.

Varsha uske paas hs khadi usko lalchai nazron se daikh rahi thi, Uska mann bhi bachon ko uthane ka ker raha tha, Avinash ne dono bache Lakshmi ko pakda diye.

Avinash: Maa...Baba, Bachon ko le ker baahir jaye! Hum kuch der me ate hai.

Bharat: Lek-

Avinash: Baba....Request ker raha hu! Hum aa rahe hai, Ap bacchon ke baaki checkup wagaira ker lo.

Avinash ne pehli baar Bharat ke saath aise kathor shabdon ka prayog kiya tha, Bharat bhi chaunk gaya, Lekin Lakshmi usko khinch ker Bachon ke saath baahir le gayi.

Varsha: A-Avi...nash?

*Grasped*

*Thud*

*Thud*

*Thud*

*Boom!*

Varsha ne abhi kuch kehna chaha he tha ke Avinash ne usko gale se pakadte huwe peeche deewar se laga diya, Varsha khud ko churane ki koshish karne lagi, Lekin ab Avinash usko hilne bhi nahi de raha tha.

Varsha(Choked): Av- Gugh, Avina...sh! Ye k-kya k......

*Thud*

Varsha ke kehte huwe he Avinash dobara usko aage karte huwe deewar per maar diya, Varsha dard se karahane lagi, Lekin Avinash ki aankhon me to khoon utar aya tha.

Avinash: Aakhir kyu?.....Kyu apne he bache ko maarne ki koshish ki?

Avinash ki aankhon me ab gusse se zyada mayusi thi, Uske haath kanpana shuru ho gye the.

Varsha: Soul Purifier! Ap ko Soul Purifier ke baare me pata tha na?

Avinash(Furious): Tum ne locker khola?

Varsha ki baat sun ker Avinash ko baaki sab samajhne me samay nahi laga, Locker ke andar secret techniques ka rakha huwa tha, Usme he Soul Purifier ke baare me bhi likha huwa tha.

Ek Soul Purifier janam ke samay naturally banta tha, Lekin usko khud banane ka bhi ek raasta tha, Damage core ek baar puri tarha se develope ho jaye to usko kaatna possible nahi tha.

Lekin ek undeveloped core ke andar chhed banana possible tha, Lekin uske liye bache ke andar unstable energy honi chahiye thi aur ye energy Varsha ne soul transfer se Aarav ke andar se Urvi ko di thi.

Varsha: Ap ko pata tha ke Soul Purifier sab ko bacha sakta tha? Ek Soul Purifier kisi ki bhi Soul energy ko badha sakta hai, Ap ne ye kyu nahi bataya?

Avinash: Kya phir uske liye khud ke bache ko he tyag do gi? Varsha..... Kya tum khud ke bache se he uski zindgi cheen lo gi kya?

Varsha(Tearful): A-Aisa main kuch bhi nahi chahati thi! Main sirf uski kuch Spirit ko he Use karna chahati thi.

Avinash(Sigh): Huh, Kabhi bhi soul ka sirf ek part transfer nahi ho sakta! Ye to mere se zyada tumhe pata ho ga na? Aakhir tum bhi to kab se uska raasta he dhoond rahi thi na? Kya tum sach me khud ke jhoot per vishwas ker rahi thi?

Varsha ke paas Avinash ke saval ka javab nahi tha, Unke beech khamoshi chhai huwi thi, Avinash khada sirf Varsha ko daikh ker aur mayus ho raha tha.

Avinash: Seriously!? Huh, Ab ek baat suno gi kya? Aj tum sirf ek nahi dono bacchon ko maar rahi thi.

Varsha: Huh? Kya matlab?

Avinash: Ye sach hai ke aise tum ek soul purifier bana sakti ho! Lekin tum kisi ko bhi soul purifier nahi bana sakti, Qi ke body me behne per body infect hoti hai aur User ke bachne ke chances shunya hote hai, Kayi sadiyon pehle ek soul purifier banane ke liye he 8798 bacchon ko sacrifice ker diya gaya tha, Lekin tab bhi ek bhi soul purifier nahi ban saka, Agar aj Aarav ne samay per uski spirit ko dobara extract na kiya hota to tum hamare dono bacchon ko maarne wali thi.

Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Usne ab tak ye socha he nahi tha, Soul Purifier ke baare me padh ker wo itni utavali ho gayi thi ke usne baaki sab kuch andekha ker diya tha.

Varsha(Shivering): A-Avin-ash, Av-

Avinash: Sach kahu to dil to chah raha ke abhi tumhari jaan le lu!......Lekin abhi mere bacho ko ek Maa chahiye hai, Unke liye ek Maa bano...Ab se tumhari study me entry band hai aur tum sirf bacho ka khayal bhi din me sab ke saamne rakho gi, Raat ko bache mere saath ho gye aur tum unke saath kabhi bhi akeli nahi raho gi.

Varsha: Avi-

Varsha ne kuch kehna chaha lekin Avinash bina kuch bhi sune baahir nikal gaya, Uske jaane ke baad Varsha uska sar pakad ker baith gayi, Usko ab ehsaas ho raha tha ke wo kya paap karne ja rahi thi.

Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo khud me simat ker baith gayi, Uske dil me ek tees uthne lagi thi, Lekin ab wo sirf bacho ke bachne per shukar mana sakti thi.

****
Avinash's House
Pune ~ 1997 October 23

Uske baad se Varsha aur Avinash ke rishte me ek darar aa gayi, Unke beech janam le raha naya pyaar ab nafrat ka roop le chuka tha, Avinash to Varsha ka chehara bhi nahi daikhna chahta tha.

Ek dusre ko daikh ker dono raasta badalne lage the, Agar ek dusre ke saamne ho bhi to dono he ek dusre ko nazarandaz he ker rahe hote the.

Lakshmi aur Bharat se puch ker unhone dono bacho ka naam Urvi aur Aarav rakh diya tha, Avinash ne Varsha se unke naam ke liye pucha bhi nahi tha.

Unke beech ayi huwi ye duriyan Lakshmi aur Bharat ko bhi mehsoos ho rahi to aur unhe kuch andaza bhi tha ke ye duriyan kyu ayi hai, Kyu ke Avinash ka bacho ko Varsha se dur rakhna unhe bhi dikhayi de raha tha.

Lekin dono ne he unhe kuch bhi nahi kaha aur waqt ko uska kaam karne diya, Kyu ke unke beech me ane se baate sirf bigadne he wali thi aur waqt ne bhi uska kaam dikha diya.

Unke rishte me ayi darar har guzarte huwe din ke saath bhadne lagi thi, Bacho ke liye aur sab ke liye Avinash ne bhi Varsha ko ab maaf karna shuru ker diya tha.

Unke beech ka rishta abhi bhi pehle jaisa to nahi tha, Lekin ab unke beech se nafrat khatam ho rahi thi aur sab kuch dobara se sudhar raha tha.

Avinash uske kaam per dhayan dene laga tha aur bohat se bachon ko ab unka naya ghar mil gaya tha, Lekin Bharat ki halat ab har guzarte din ke saath bigad rahi thi.

Uska damage core ab uske heart ko crush karne laga tha aur usko heart attack bhi aa gye the, Avinash ne usko kayi doctors ko dikha diya tha lekin kisi ko bhi kuch uska kaaran samajh nahi aa raha tha.

Aakhir Avinash ne Bharat ko jabardasti ek clan ke purane vaid ke paas le gaya, Vaid Qi user to nahi tha, Lekin Vaid ka parivar sadiyon se unke baare me jaanta tha aur kayi Qi user's ko unhone cure bhi kiya tha.

Varsha bhi unki shishya he thi, Usne bohat kuch unse he seekha tha.

*Riiing... Riiing...*

Varsha: Hello?

“Hello, Avinash baat ker raha hu! Batane ke liye phone kiya hai ke hum pohanch gye hai”

Landline ke receiver ko uthate he Varsha ko dusri taraf se Avinash ki awaaz sunayi di, Avinash aur Bharat ke saath Lakshmi bhi gayi thi, Kyu ke usko he vaid ka pata tha.

Varsha: Vaid Ji se mile kya? Kya kaha unhone?

Avinash: Haan, Mil gye hai! Papa ko andar le gye hai, Yahan hamay kuch din rukna ho ga, Yahan sab kuch sahi hote he main aa jaunga, Lekin tab tak bacho ka aur apna bhi khayal rakhna.

Varsha(Nod): Ap bhi Uncle aunty ke saath apna bhi dhayan rakhna! Ye na ho ke vaid ji ko 2 logo ka ilaj karna per jaye.

Avinash: Huh, Theek hai! Yahan abhi kuch kaam hai, Baad me baat kare gye, Bye!

Varsha: Bye!

Varsha ne receiver rakh diya aur udhar he khadi ho gayi, Usne zor se muthi bheench li aur ghar ko ache se daikhne lagi.

Varsha: I'm sorry, Avinash! Lekin ye karna ho ga.

Varsha ne paas he rakha huwa bag uthaya aur baahir ki taraf badh gayi, Usne ghar se baahir aa ker darwaza lock kiya aur uske saamne khadi huwi car ki taraf daikhne lagi.

Driving seat per Ankush baitha huwa tha aur peeche ki seats per Urvi aur Aarav baithe huwe the, Varsha bhi Ankush ke saath baith gayi.

Varsha(Exhale): Fuuu ~ Hamare paas kuch din he hai! Avinash ke ane se pehle hamay sab kuch pura karna ho ga.

Ankush(Nod): Alright!

“Ye wala mera hai”

“Nahi mera hai”

“Ughhh, Rakh le phir ye wala spider-man main rakhu ga”

Ankush car chalane laga, Aarav aur Urvi peeche baithe khel rahe the, Varsha ab tak khud ko calm nahi ker saki thi.

Ankush: Varsha......Khud ko itna blame na karo! Hamare paas aur koi bhi raasta nahi tha, Beatrice ke paas zyada samay nahi hai...Hum abhi bhi sirf kisi ke dar se baithe nahi reh sakte the.

Varsha(Nod): Thank You!

Ankush car ko Pune ke baahir le gaya aur ek factory ke baahir rok di, Varsha ne Urvi ko gaud me utha liya aur Aarav ko bhi car se baahir nikala aur sabhi factory ke andar chale gye.

Varsha: Ye kya hai?

Ankush: Yahan per laboratory banana easy nahi tha! Uske liye bohat permission aur bhi bohat kuch chahiye tha, Lekin factory Singh family ki hai, Unhone yahan neeche secret Laboratory banane me madad ker di hai.

Varsha aur Ankush aise he sab baate karte huwe Underground Laboratory me chale gye, Ankush ke saath France se uska sab staff bhi aya tha, Unko le ker Ankush ek white room ke andar chala gaya.

“Doctor”

Unke andar jaate he ek taraf se bhaagte huwi Suhani unke paas aa gayi aur seedhe Varsha ko gale laga liya, Varsha bhi usko daikh ker muskurane lagi, Unhe kayi saal ho gye the ek dusre ko daikhe huwe.

Suhani bhi ab kaafi badi ho gayi thi, Lekin uski halat bhi ab Beatrice ki tarha ki ho rahi thi, Usko chhute he Varsha ko ehsaas ho gaya tha.

Suhani: Doctor, Ap ab to nahi jaye gi?

Varsha(Smile): Ab hum yahan saath he rahe gye! Aur ye daikho tumhari nayi dost bhi saath ayi hai.

Varsha ne kehte huwe Urvi ko neeche utar diya, Lekin Suhani abhi bhi usko chhune se katra rahi thi, Kyu ke uski spirit energy abhi bohat high thi, Lekin usne dur se he Urvi se baat karni shuru ker di.

Ankush: Varsha!

Ankush ne Varsha ko bulate huwe ek taraf ishara ker diya, Varsha ne daikha to andar 2 aur bhi bache the, Lekin dono he kamre ke alag-alag corners me baithe huwe the.

Ankush: Ye Aakash Sayani aur Veer Singh hai! Unki condition bhi Beatrice aur Suhani ki tarha ki hai, Lekin dono ko kisi se bhi baat karne me bhi dar lagta hai, Unhone ab tak kisi ko chhua tak nahi hai aur na he kisi se baat ki ha-

“Yo”

Ankush abhi Varsha ko bata he raha tha ke unhe ehsaas he nahi huwa ke kab Aarav unke paas se Aakash ke paas chala gaya tha, Aarav Aakash ke saamne baitha huwa tha aur Aakash usko daikh ker ghabraya huwa tha.

Ankush: Ru-

*Stopped*

Ankush unki taraf badhne he laga tha ke Varsha ne usko rok diya, Ankush ne ek baar usko daikha aur chup ker ke khada ho gaya.

Aakash(Trembling): Huh!? Y-Yahan kyu aye ho?

Aarav: Huh?! Yahan main mummy ke saath aya hu, Ek secret batau kya?

Aakash: *Sweating*

Aarav(Whisper): Main secretly spiderman hu! *Nod* Lekin kisi ko bhi batana nahi.

Aakash: Huh?

Aakash uski baat sun ker bilkul hairan ho gaya, Aakash Aarav se bada tha, Lekin phir bhi Aarav usko dara raha tha.

Aarav: Lekin main akele sab ko bacha nahi sakta! Hmm......Kya tum mere superman bano gye? Hum ek dusre ke saath duniya ko bachaye gye, Lekin 2 log bhi kaafi nahi ho gye.....Oye, tum Batman bano gye kya?

Aarav ne room ke dusri taraf baithe huwe Veer ko daikhte huwe kaha, Lekin usko sun ker bhi Veer usko ansuna ker raha tha.

Aakash(Stunned): Huh!?

Aarav ne Aakash ka haath pakad liya aur usko uthate huwe saath le ker Veer ki taraf bhaagne laga, Aakash aur baaki sabhi ye daikh ker chaunk gye ke Aakash ko chhune ke baad bhi sab kuch sahi tha.

Aarav: Sunayi nahi deta kya? Ye superman hai aur main spiderman hu aur ab se tum Batman ho.

Aarav ne Veer ka bhi haath pakadte huwe usko utha diya, Aarav ne Suhani ki taraf daikha to Suhani Varsha ke peeche chup gayi, Aarav ne bhi usko ignore kiya aur dono ko saath le ker khelne laga.

Lekin Veer aur Aakash aise hairan ho ker khel rahe the jaise kisi bhoot ke saath khel rahe ho, Lekin Aarav hanste huwe unko saath khinchate huwe unko khela raha tha.

Varsha(Smile): Ankush....Beatrice kanha hai?

Varsha ke saval ko sun ker Ankush usko udhar he saath bane kamre ke andar le gaya, Kamre ke andar Beatrice machines ke beech me laiti huwi thi, Uski halat bohat bigadi huwi thi.

Usko aisi halat me daikh ker Varsha bhi kaanp gayi, Beatrice ab kuch bhi sun aur bol bhi nahi sakti thi, Uske heart ko bhi ab life support se stable rakha huwa tha.

Varsha se usko aur aisa daikha nahi gaya aur wo baahir aa gayi, Uski aankhe bheeg gayi thi, Lekin usne aansuon ko paunchh liya aur Ankush ke saath uske liye banaye gye kamre me chali gayi.

*Thud*

*Sigh*

Varsha sar pakad ker baith gayi, Usko kam samay me bohat kuch karna tha, Lekin ab usko dar bhi lagne laga tha ke kanhi wo Beatrice ko kho na de, Beatrice ne uski 21 saal ka jeevan white room ke andar he bita diya tha.

Usne kabhi dusron bacho ki tarha kuch bhi nahi kiya tha aur na he usne kabhi baahir ki duniya ko daikha tha, Uske liye white room ke andar ane wale kuch log he uska sab kuch the.

Varsha(Sigh): Huh.....Ankush! Aakash aur Veer ki details ek baar dobara batana.

Ankush(Nod): Aakash, Adarsh Sayani aur Aashna Sayani ka beta hai! Aashna kisi bhi clan se nahi thi, Uske andar Qi core khud he ban gaya tha, Lekin usko uske baare me kuch khabar nahi thi...Aashna, Aakash aur uske bhai ko janam dete huwe bach nahi saki aur uska dusra bacha bhi bach nahi saka...Adarsh ne ab Aashna ki behan Archana se shadi ki hai, Yahan Aakash ko laane wali bhi Archana he thi.

Aashna ki tarha ki kisi ke baare me Varsha ne ye pehli baar nahi suna tha, Kayi baar aise he random humans ke andar bhi core develope hota tha, Unhe the chosen one kehte the, Unko Qi core kisi inheritance me nahi milta tha.

Ankush: Uske baad Veer Singh hai! Veer, Vikram Singh aur Meera Singh ka beta hai, Meera Mist clan se hai aur Vikram ek sadharan businessman tha, Unko pyaar huwa aur Meera clan se nikal ayi, Lekin ye pyaar usko bhaari per gaya, Uska ek beta bach nahi saka aur dusra ab aisa hai.

Ankush ki baat sun ker Varsha baithi kuch sochne lagi, Varsha ko khud per hansi bhi aa rahi thi aur gussa bhi aa raha tha.

Ankush: Varsa! Kya huwa?

Varsha: Soch rahi thi ke hum kaise kuch itna obvious miss ker sakte hai? Kya tumhe kuch ajeeb nahi laga?

Ankush: Kya?

Varsha: Twins! Aakash aur Veer dono ke twins the aur Beatrice ne bataya tha ke uska bhi ek twin brother birth ke time per bach nahi saka tha, Suhani ka hamay kuch pata nahi hai, Lekin uska twin hona bhi possible hai.

Ankush ab uske baare me soch raha tha to ye sach me ajeeb to tha, Lekin usko abhi bhi ye samajh nahi ayi ke uska kya connection tha.

Ankush: Kehna kya chah rahi ho?

Varsha: Kehna ye chah rahi hu ke un sab ke twins mare nahi hai! Unke twins ki soul un sab ke andar hai, Ye he kaaran tha ke unki Spirit energy aise badh rahi thi, Kyu ke wo ek nahi 2 bacho ki spirit energy thi.

Ankush: What the fuck!? Lekin ye kaise ho sakta hai? Ab tak na aisa kuch suna hai aur na kuch bhi daikha hai.

Varsha(Nod): Possible hai! Ye intrauterine cannibalism ki tarha ka hai, Lekin ye kuch alag hai, Usme strong fetus weak fetus ko consume karta hai, Lekin yahan ek bacha dusre bache ko apni soul transfer ker deta hai, Kyu ke uska core develope karne ke liye usko energy chahiye hoti hai.

Varsha ki theory sun ker Ankush hairan to huwa, Lekin uski theory bilkul ignore karne layak nahi thi, Ankush ab soch raha tha to ye possible ho bhi sakta tha.

Ankush: Aur tum ye itne confidence ke saath kaise keh sakti ho?

Varsha: Kyu ke ye main ne khud daikha tha! Aarav ki spirit energy Urvi ko transfer karne ke baad Urvi ki halat bhi Beatrice ki tarha ki ho gayi thi aur Aarav ek bina soul ke corpse ban ker reh gaya tha.

Varsha ne kehte huwe uske bag ke andar se ek file nikal ker Ankush ke saamne rakh di, Ankush ne file ka title he padha tha ke uske raungte khade ho gye.

“Corpse, the Kid Who Was Supposed to Die!!”

Varsha: Ek bhi twin unki soul ke transfer hone ke baad bach nahi saka! Lekin Aarav ek khaas case tha, Usne khud ki soul ko Urvi ke andar se extract ker liya tha, Usne ye kaise kiya kisi ko bhi nahi pata, Shayad usko zinda rehna tha, Uski will to live shayad baakiyo se zyada strong thi.

Ankush(Exhale): Fuuu ~ Ab pata lag gaya hai to kya karna hai? Urvi to Soul Purifier bani nahi to cure banana bhi possible nahi ho ga?

Varsha(Nod): Haan, Urvi soul purifier nahi ban saki! Lekin Aarav ek Soul Purifier hai.

Ankush(Shocked): What?

Varsha(Nod): Haan, Aarav bhi ek born soul purifier hai! Aarav ka core shuru se leak ho raha tha, Avinash ne Urvi ke core ko to seal ker diya hai, Lekin Aarav ka core seal nahi ker saka.

Ankush: Ye to acha huwa na? Ab hum cure bana sakte hai?

Ankush ne Varsha ki taraf daikhte huwe kaha, Lekin usko Varsha khush lag nahi rahi thi.

Varsha: Agar ye baat tum ne pehle puchi hoti to main haan keh deti! *Tearful* Lekin ab Aarav ke baare me sochti hu to khushi nahi hoti...Ek Soul Purifier 25 varsh tak he zinda reh sakta hai...Ankush main Aarav ko khona nahi chahati hu *Sniff* Usko ab khone ka khayal bhi dara deta hai.

Varsha ko khud per gussa aa raha tha ke usne apne bache ko aisa shrap dene ka soch bhi kaise liya tha, Usko laga nahi tha ke usko bacho se itna lagav ho jaye ga.

Varsha: Yahan main Aarav ke liye bhi cure dhudhne ayi hu! Avinash ab vishwas nahi kare ga, Lekin main sach me Aarav ko bachana chahati hu.

Varsha ke paas sach me samay kam tha aur karne ko bohat kuch tha, Ankush ne uska haath thaam liya, Ek dost ke paas hone se Varsha ko bhi kuch himmat mil gayi.

Varsha: Fuuu ~ Ab kaam shuru karte hai? Hamare paas zyada samay nahi hai, Aarav bhi ye kuch din white room me he rahe ga, Uske paas hone se baaki bache khush lag rahe hai, Uske hamay kuch test bhi karne ho gye, Staff ko bula lo unko details batani ho gi.

Ankush(Nod): Yes, Captain! *Smile*

Ankush baahir chala gaya aur Varsha sab ki files ko dobara padhne lagi, Usne pura dhayan kaam per laga diya tha.

****
“Hello!?.....Ye to kuch bol he nahi rahi”

Ankush ne Varsha ki taraf daikhte huwe kaha, Varsha usko daikh ker muh banaye huwe thi.

Varsha: Seriously!?

Varsha ka mood daikh ker Ankush side per ho gaya, Varsha ne saamne daikha to ek corner me ek bachi dubak ker baithi huwi thi, Varsha uske paas gayi to wo dar gayi.

Varsha: Beatrice!

Ankush aur Varsha ne abhi Beatrice ko rescue kiya tha, Uske baap ko police le gayi thi aur authority se baat ker ke usko ab Varsha care me lene wali thi.

Varsha: I’m really sorry! I can't speak Russian and the translator is running late, so we’re kind of stuck *Smile* But if you can understand me at all, just know this... You’re safe now.

Varsha ne Beatrice ko kaha, Lekin Beatrice abhi bhi chup ker ke baithi huwi thi, Varsha ne koshish ker li thi, Lekin usko shayad ab translator ka ane wait karna tha.

Varsha uth ker khadi ho gayi aur abhi wo baahir jaane he wali thi ke Beatrice ne uska haath pakad liya, Varsha ne uski taraf daikha to Beatrice ne uska haath zor se pakada huwa tha.

Beatrice(Crying): D-Dont Leave!

****
Avinash's House
Pune ~ 1997 October 30

“Happy Diwali”

“Huh?”

Varsha neend se uth gayi, Raat ko kaam karte huwe wo kab soo gayi usko pata he nahi laga, Usne sar utha ker daikha to uske saamne Ankush khada huwa tha.

Varsha(Yawn): Kya ho gaya?

Ankush(Sigh): Aj diwali hai na? Kitni baar kahu ke itna kaam na karo, Aise khud ko bhi nuksan pohancha rahi ho.

Varsha(Nod): Acha, Acha! Ek test ki report ani thi, Uska kya bana?

Ankush: Ughhh, Yahan desk per rakhi huwi hai! Subha he aa gayi thi.

Ankush ne report ko utha ker uske saamne rakh diya, Varsha usko daikhne lagi aur Ankush udhar he baith gaya.

Varsha: Aarav ka blood liya kya?

Ankush(Nod): Haan, Blood ko freeze bhi ker diya hai! Aarav abh-

*Click*

*Boom*

Kamre ka darwaza zor se khula aur ek nurse andar aa gayi, Uske chehre ke rang ude huwe the.

Varsha: Hey, Relax! Kya huwa hai?

Nurse(Gasping): A-Aarav...Aarav bacho ko kuch ker raha hai!

Varsha: Ankush!

Ankush: *Nod*

Varsha aur Ankush dono gewhite room ki taraf bhaagne lage, Nurse bhi unke saath bhaagne lagi, Unko raaste me staff ke cheharon per dar dikhayi de raha tha.

Varsha unke beech se hote huwe aage badh rahi thi aur seedhe white room ke andar chali gayi.

“Maa”

Varsha ke pohanchte he Urvi usko daikh ker bhaag ker uske paas aa gayi, Varsha ne usko pakad liya, Unhone andar daikha to unke saamne hava me energy float ker rahi thi.

Varsha ne saamne daikha to Aarav haath uthaye khada huwa tha, Uske aage Aakash aur Veer ke saath suhani baithi huwi thi, Ye energy unke andar se nikal rahi thi.

Varsha: Urvi, Ye kya ho raha hai?

Urvi(Sobbing): Bhayia keh rahe the ke unko baahir ana hai! Wo sab sad hai.

Varsha: Kisko baahir ana hai?

Urvi: *Sob*

Nurse: Sorry, Doctor! Aarav keh raha tha ke usko sab ke andar se awaaze sunayi de rahi hai, Sab usko madad karne ke liye keh rahe hai...Un teeno ke andar koi sad hai kyu ke unke kaaran se sab hurt ho rahe hai.

Varsha ko ab samajh aa rahi thi, Aarav ko sab ke andar unke twins ki souls ki awaaz sunayi de rahi thi, Unki soul ke kaaran unke twins hurt ho rahe the to wo unse alag hona chahate the.

Ankush: Varsha, Kya ho raha hai?

Varsha: Aarav unke twins ki soul ko unse alag ker raha hai! Lekin ye Aarav ker kaise raha hai? Aisa lag raha hai ke wo unki soul ko devour ker raha hai....Ankush, Urvi ko sambhalna.

Varsha ne Urvi Ankush ko pakada di aur khud khadi ho gayi, Usne ye pehle bhi ek baar daikha tha, Aarav ne khud ke soul ko lene ke liye bhi ye he kiya tha.

Varsha(Exhale): Fuuu ~ Spirit Barrier!

Varsha ne bhi Avinash ki tarha he Spirit barrier bana diya, Energy ab stable hote huwe Aarav ke shareer me parvesh karne lagi.

Varsha ko dar to lag raha tha aur Aarav ki chinta bhi ho rahi thi, Lekin usko ye bhi dar tha ke Aarav ko ab rokne se kuch galat na ho jaye.

Bacho ki aankhe band thi aur Aarav ki bhi aankhe band thi, Barrier ke andar energy kam hone lagi aur bache neeche gir gye.

Ankush: Varsha?

Varsha: *Nod*

Varsha ne teeno bacho ko barrier se nikal liya aur unko daikhne lagi, Ab unki spirit energy stable ho gayi thi, Aarav ne unke andar se sirf twins ki soul nikali thi.

Varsha ko ab bhi samajh nahi aa rahi thi ke ye usne kaise kiya hai, Varsha itne saalo ki research ke baad bhi ye nahi ker saki thi, Usko samajh nahi aa rahi thi khush ho ya hairan ho.

Unki Spirit ko abhi kuch stable karne ki zaroorat thi, Varsha unko khud stable karne lagi.

Urvi(Shout): Maa! Bhayia!!

Varsha ne Aarav ki tarav daikha to Aarav usko neeche chhati per haath rakh ker baitha huwa dikhayi diya, Barrier ke andar ki energy khatam ho gayi thi, Aarav ne puri devour ker li thi.

*Groan*

Aarav baithe huwe karah raha tha, Lekin Varsha ne uski aankhon me daikha to usko sirf bhook dikhayi di, Aarav ki nazar aage ke kamre ki taraf thi.

Varsha: Beatrice?

Aarav ki nazar Beatrice ke kamre ki taraf thi, Aarav uth ker khada ho gaya aur baahir aa gaya, Usko daikh ker Varsha bhi dar gayi.

Varsha: Aarav! Kya ker rahe ho?

Aarav ne uski baat suni bhi nahi aur kamre ki taraf badhne laga, Usko aise daikh ker Ankush uski taraf bhaagne laga, Lekin uske kareeb ate he usko andar se kuch khinchate huwe mehsoos hone laga.

Varsha: Ankush! Uske paas na jana, Aarav abhi tumhari soul ko khinch sakta hai, Wo hosh me nahi hai.

Varsha ki baat sunte he Ankush peeche ho gaya, Aarav ne Beatrice ke kamre ka darwaza khol diya, Varsha uthate huwe uski taraf bhaagne lagi.

Varsha: Aarav! Ek baar meri baa-

Varsha ki ek bhi baat sune bina Aarav ne uska haath utha liya, Beatrice ke andar se bhi energy nikalne lagi, Varsha ne dobara se barrier bana diya.

Varsha ko ab aur bhi zyada dar lagne laga tha, Usne ek baar to daikh liya tha, Ye kuch aisa tha jo usne kabhi daikha ya socha bhi nahi tha, Aisi unknown ability ke saath usko dar lag raha tha.

Varsha(Stunned): Aaravvvvvvv! Beatrice ke twin ki soul nikal gayi hai, Ab tum ruk sakte ho.

Varsha ne Aarav se kaha, Lekin Aarav ruk he nahi raha tha, Beatrice ki khud ki Spirit energy ko bhi usne khinchna shuru ker diya tha.

Varsha: Aaravvvvvvv! Ye kya ker rahe ho? Beatrice mar jaye gi.

Varsha usko bulati rahi, Lekin Aarav bilkul bhi react nahi ker raha tha, Ankush bhi uske paas aa gaya.

Ankush: Hamay usko rokna ho ga! Aise t-

Varsha: Nahi, Hum ye connection break nahi ker sakte! Ye agar ek baar toot gaya to Beatrice ki Soul hum usko waapis nahi de sake gye.

Ankush: Kyu?

Varsha: Ye to nahi pata! Lekin Aarav ke andar se mujhe baaki twins mehsoos bhi nahi ho rahe, Aisa lag raha hai ke Aarav ne unko puri tarha se consume ker liya hai.

Varsha ki aankhe bheeg gayi thi, Usko ab kuch bhi samajh nahi aa rahi thi ke kya kare, Ek taraf Beatrice khatre me thi aur dusri taraf Aarav ke saath kya ho ga usko ye samajh nahi aa rahi thi.

“Papa, Papa! *Sniff* Bhayia ko kuch ho gaya hai”

Urvi ki peeche se ayi huwi awaaz ko sun ker Varsha ke raungte khade ho gye, Usne darte huwe peeche daikha to uske saamne Avinash khada huwa tha, Uski Aankhon me khoon utar aya tha.

Varsha(Shivering): Av...A-Avin-ash! Ek baar meri baat sun lo.... Avinash kuch bhi meri baat sune bina na kar-

Avinash aage badhne laga, Usko aise aage badhate huwe daikh ker Varsha aur bhi dar gayi, Avinash kuch bhi keh to nahi raha tha, Lekin uske chehre ka gussa saaf dikhayi de raha tha.

*Clack-Clack*

Ankush ne gun nikalte huwe Avinash per taan di, Ye daikh ker Varsha bhi chaunk gayi.

Ankush: Avinash, Ab yahan se aage tum nahi badh sakte! Agar koshish bhi ki to main ruku ga nahi, Yahan baat Beatrice ki hai aur uske liye main kuch bhi ker sakta hu.

Varsha: Anku-

*Crack*

Ankush(Scream): Anghhhhh!

Avinash ne ek pal me Ankush ki kalai ko pakad ker tod diya aur usko utha ker ek taraf phenk diya, Varsha sirf Avinash ko daikhti reh gayi, Avinash uske paas aa gaya aur kamre ke andar daikhne laga.

Varsha(Tearful): Avinash, Sorry...! Jo bhi mere saath karna chaho ker lena, Lekin Beatrice ki kuch galti nahi hai... Please!

“Beatrice”

Unke peeche se Suhani bhi uth gayi, Usko abhi bhi puri tarha se hosh nahi aya tha.

*Woooosh*

Avinash un dono ko he nazarandaz karte huwe andar chala gaya, Varsha ne andar daikha to Avinash Aarav ke saamne khada huwa tha, Varsha ye daikh ker dar gayi aur uski taraf bhaagne lagi.

Varsha(Crying): Avinaaasshhh!

Avinash: Soul Binding!

Avinash ne Aarav ki chhati per haath rakhte huwe khud ko uske saath bind ker diya, Beatrice ki soul Varsha ki aankhon ke saamne nasht ho gayi.

*Beeeeep*

Monitor per heartbeat line seedhi hoti gayi aur uski awaaz pure kamre me fail gayi, Varsha udhar khadi sirf Beatrice ko daikh he sakti thi.

Varsha(Whisper): Bea.....trice?

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update almost 7K words ka tha, Ye likhna kaafi mushkil tha aur ye update saath me kaafi raazo se parda bhi hata raha hai, Umeed karta hu ke ap ko update pasand aye ga, Target hamara wohi hai 120 likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]

Zabardast 💯 🔥 🔥 🔥 🔥
 
Jitu0786

Bhai RJ13 WALA
271
345

Bahut hi behtarin update bro
 
dododo

Active Member
662
1,594
123

Great update. Shayad yeh story ka sabse important update tha.

1. Aarav ek Soul Purifier hai aur uske under Will To Live bachpan se thi jisne uski soul ko Urvi ke ander se vapis kheench liya.

2. Akash aur Veer usko apna bhai kyon maante the.

3. Abhi usko apni Soul Purifier per control nahi hai, Beatrice ke dead twin ki soul consume karne ke baad weh nahi ruka aur Beatrice ki soul ko bhi kheench liya.

4. Weh itna khatarnak ho gaya tha ki agar Avinash theek samay par nahi pahunchta, to weh tabahi kar sakta tha. Shayad sabki soul consume kar deta.

5. Versha apni research aur soul purifier dhundne ke liye itni pagal ho gayi thi ki usne apne bacchon ki jaan ko bhi daanv pe laga diya. Shayad usko iska andaaz nahi tha.

6. Usne locker ko khol kar pehle bahut badi galti ki aur phir Ankur se contact kar ke aur badi galti kar di. Avinash ko hamesha ke liye kho diya.

7. Kya Ankur ka Beatice ke saath koi sambandh tha, jiske liye Ankur aur Mohan ne itna paisa kharch kiya ya weh keval business ke liye Soul Purifier banana chahte hain. Yeh bhi ho sakta hai ki Versha aur Ankur shadi karna chahte the aur apne hone wale bacchon healthy chate the.

8. Abhi tak to Versha hi galat lag rahi hai, weh kaise Avinash ko doshi thehra sakti hai aur Akash bhi shayad Versha ka saath de raha hai.
 
Last edited:

zamam

Member
109
75
43
UPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)

Varsha's Office
France ~ 1989 November 17

*Click*

Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.

Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?

Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.

Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.

Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.

Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.

Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.

Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......

Varsha: But?

Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.

Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.

Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?

Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.

*Knock-Knock*

Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.

Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.

Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.

Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?

Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.

Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.

Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.

Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.

Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!

Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.

Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?

Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.

Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!

Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?

Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.

Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?

Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.

Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.

Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?

Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.

Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.

Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?

Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?

Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.

Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.

Varsha: D-Dad kanha hai?

Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.

Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?

*Thud*

Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.

6a0f66426cc468077ac87b78536480f4.jpg

Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.

Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.

Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.

*Swish*

Varsha(Stunned): Huh?

Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.

Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or
you can die by my hands.

aa82dc41a5ae520977071d317e19751e.jpg

****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18

“Madarchod”

Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.

Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?

Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.

Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?

Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.

Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-

Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.

Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.

Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?

Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.

Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.

Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?

Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.

Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.

Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.

Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.

Ankush(Whisper): Varsha?

Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.

Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?

Varsha(Crying): I'm sorry!

Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.

Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!

Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.

Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.

Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.

Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.

Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?

Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.

Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.

Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.

Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.

Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.

Varsha(Nod): Thank You!

****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6

Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.

Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.

Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,

Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.

*Knock-Knock*

Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.

“Varsha! Main hu”

Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.

Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.

Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?

Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.

Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.

Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.

Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.

Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?

Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.

Varsha: Aunty, Ye kyu?

Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.

Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.

Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.

Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.

“Maa?”

Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.

Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.

Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.

Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?

Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.

Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.

Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.

Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.

Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.

Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.

Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?

Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.

Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.

Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?

Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.

Varsha: Locker?

Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.

Varsha: Leki-

Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.

Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.

****

Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.

Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.

Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.

“Varsh-”

Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.

Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.

“Avinash?”

Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.

Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?

Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.

Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.

Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.

Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.

Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.

Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.

Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.

Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.

****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16

“Avinash”

Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.

e4a1250fe588688b5b89ddfb7fb49a2f.jpg

Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.

Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.

Avinash: Aj kaise ana huwa?

Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.

Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.

Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.

Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.

Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.

Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.

Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.

Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?

Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.

Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?

Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?

Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.

Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?

Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?

Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.

Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.

Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.

Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.

Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.

Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.

Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.

Varsha(Smile): Thank You!

Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.

Varsha: Fu....ck?

Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.

Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?

Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.

Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.

Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.

Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.

Avinash(Stunned): Huh?

Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.

Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?

Avinash(Whisper): Pregnant!

Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.

Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.

Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?

Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.

Avinash: Varsha!

Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.

Avinash: Thank You!

****

Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.

Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.

Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.

Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.

Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.

Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.

Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.

Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.

Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?

Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.

Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.

*Click*

Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.

Avinash: Maa? Kya huwa?

Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.

Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!

Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.

*Sob*

Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.

Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?

Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Mujhe pst updt utne psnd nhi ate lekn ap bht ache se likh rhe ho lekn abhi yun jung aur baki sb ko dekhne ka dil chah rha hai aur ye ankash gusa dila rha he 💔
 
Top