• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    317

Looteraaa

Member
290
550
94
Abhi tak avinash 1% bhi galat nazar nahi aaya agr aage kuchh misunderstanding ki wajah se ho bhi jaaye to koi fark nahi padta ........lekin ye dhakkan ankush kuchh jyda hi bol gya isko nhi pata ki samne kon h!!
 

dododo

Active Member
663
1,596
123
UPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)




Varsha's Office
France ~ 1989 November 17


*Click*


Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.


Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?


Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.


Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.


Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.


Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.


Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.


Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......


Varsha: But?


Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.


Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.


Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?


Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.


*Knock-Knock*


Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.


Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.


Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?


Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.


Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.


Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.


Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!


Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.


Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?


Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.


Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!


Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?


Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.


Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?


Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.


Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.


Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?


Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.


Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.


Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?


Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?


Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.


Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.


Varsha: D-Dad kanha hai?


Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.


Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?


*Thud*


Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.


6a0f66426cc468077ac87b78536480f4.jpg

Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.


Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.


Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.



*Swish*


Varsha(Stunned): Huh?


Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.


Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or
you can die by my hands.

aa82dc41a5ae520977071d317e19751e.jpg


****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18



“Madarchod”


Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.


Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?



Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.


Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?


Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.


Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-


Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.


Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.


Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?


Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.



Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.


Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?



Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.


Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.


Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.


Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.


Ankush(Whisper): Varsha?


Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.



Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?


Varsha(Crying): I'm sorry!


Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.


Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!


Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.


Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.


Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.


Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.


Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?


Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.


Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.


Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.


Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.


Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.


Varsha(Nod): Thank You!




****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6



Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.


Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.


Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,


Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.


*Knock-Knock*


Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.


“Varsha! Main hu”


Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.


Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.


Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?


Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.


Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.


Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.


Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.


Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?


Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.


Varsha: Aunty, Ye kyu?


Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.


Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.


Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.


Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.


“Maa?”


Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.


Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.


Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.


Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?


Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.


Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.


Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.


Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.


Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.


Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.


Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?


Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.


Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.


Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?


Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.


Varsha: Locker?


Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.


Varsha: Leki-


Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.


Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.




****


Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.


Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.


Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.


“Varsh-”


Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.


Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.


“Avinash?”


Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.


Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?


Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.


Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.


Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.


Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.


Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.


Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.



Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.


Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.




****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16



“Avinash”


Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.

e4a1250fe588688b5b89ddfb7fb49a2f.jpg


Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.


Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.


Avinash: Aj kaise ana huwa?


Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.


Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.


Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.


Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.


Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.


Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.


Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.


Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?


Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.


Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?


Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?


Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.


Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?


Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?


Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.


Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.


Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.


Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.


Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.


Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.


Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.


Varsha(Smile): Thank You!


Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.


Varsha: Fu....ck?


Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.


Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?


Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.


Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.


Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.


Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.


Avinash(Stunned): Huh?


Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.


Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?


Avinash(Whisper): Pregnant!


Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.


Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.


Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?


Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.


Avinash: Varsha!


Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.


Avinash: Thank You!




****


Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.


Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.


Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.


Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.


Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.


Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.


Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.


Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.


Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?


Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.


Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.


*Click*


Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.


Avinash: Maa? Kya huwa?


Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.


Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!


Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.


*Sob*


Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.


Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?


Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Great update. The suspense is slowly unfolding.

Kayi baate clear huyi.

1. Versha Soul Clan ke Elder 2 ki beti hai aur apni clan ke liye puri tarah se dedicated hai. Weh research kar rahi thi ki Qi holder aur normal insaan se paida huye bacche bach jaye jisase jo tabahi Soul Clan wale apni sankhya badhane ke liye kar rahe thy, weh ruk jaaye.

2. Clan ki bhalayi ke liye usne na chahte huye bhi apne hi pita ke murderer Avinash se shadi kar li.

3. Ab aata hai asli bomb. Varsha ke twins huye aur ladka mara hua tha. 'The Corpse', 'The boy who was supposed to die', ab lagta hai ki yeh sab raaz khulne wale hain.

4. Urvi ke uper koi dot nahi hai, yeh samajh nahi aaya. Kya yeh wahi Urvi hai ya koi aur... lekin system ne to clearly bataya tha ki yeh Aarav ki twin sister hai... Suspense...
 
Last edited:

dev61901

" Never let an old flame burn you twice "
1,539
3,161
143
Suspense se bhara update

1. Idhar ye clear hua ki varsha spirit clan se hi ha or use bhi pata ha ki avinash or dusron ne milkar jinme khud varsha ke dad bhi shamil the un sab ne milkar sare clan ko khatm kar diya ha varsha ko dukh to hua but wo bhi janti thi ausa hoga wo uska ilaj dhund rahi thi but ab tak fail rahi

2. Kher idhar varsha or ankush ek dusre ko pyar karte the but avinash ke sath varsha ki ek tarah se contract marriage hui ha beatrix ir suhani bhi alag alag clan ke bachhe han jinse varsha ko bahut lagav ha or unka survise karna bhi kathin ha but present me suhani ek dam thik thak ha magar beatrix ka kuchh pata nahi ha kya wo survive kar bhi payi ya nahi but ek bat ha ankush is shadi se naraj tha khaskar avinash se to uski avinash ke prati nafrat dekhte han kya gul khilati ha mujhe lagta ha ankush to nirmal insan hi ha wo kya hi kar lega avinash ka but who dont know

3. Kher idhar ek bat ha jo avinash ke dad ha bharat unhone ek ladki ko god me uthaya hua ha or wo spirit clan se ha to mujhe lagta ha ki wo akash ki bivi sanvi hogi kyonki wo bhi spirit clan se hi thi

4. Ek bat avinash ne varsha ko clan ke records access karne ki permission de di thi but ek locker ki bat kahi thi ki use sirf arya hi access kar sakta ha uske maa bap bhi access nahi kar sakte lagta ha us locker me bahut se raj chhipe han but mujhe lagta ha use abhi tak khola nahi gaya ha use lagta ha apna arav arya hi kholega


5. Idhar last me varsha ne twins ko janm diya ek ladka or ek ladki jo ki sab jante hi ha kon ha urvi or arav but urvi to bach gayi but idhar ladka mara hua paida hua ha ab dekhte han ki ladka bachata kaise ha mujhe to lagta ha beatrix ki soul se soul binding ke dwara ladke yani arav ko bacha kiya gaya ha kyonki beatrix to waise bhi mar jati isliye arav me itni asadharan power ha
 

Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
737
1,026
139
Guys ju logo ko update nahi chahiye kya...?
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,291
144
I'm again giving you guys a heads-up! If update 85 doesn't reach 120 likes by tomorrow at 5:30 PM, update 86 will be delayed by 24 hours.

And yes, Yamraaj , feel free to consider this an excuse if you want!
 
  • Like
Reactions: Awara and Shanu

zamam

Member
109
75
43
Hello bro thank you for this master peace as always just extraordinary superb mind-blowing.
Ap ek behtareen writer ho koi shak nahi apka hark work hard update me dikhta he no doubt about it.
But ek or apka bahot important point he ap juban ke bahot kacche ho bro ek bar nahi start se abtk ap Kai baar prove kar chuke ho that you never stick to your words bura lage to bhi koi bat nahi lagna bhi cahiye suru se dekhlo Bhai ap Jo bolte ho wo karte nahi ho or jo karte ho usko karne ke apko Kai bar apni hi jabaan badalni parti he aaj ye hogya Aaj wo hogya sorry guys kal pakka ye sab 15 sep apne bola tha uspe target diya tha 5 sep ka readers ne Kiya apne khud accept Kiya. Kiya ya nahi apki expacted date se pehle apka target pura hogya tha kyu or ab sorry guys aaj nahi de paunga kal deta hun ab ek baat me apko bolta hun or han ab bro ya Bhai nahi bolunga sir kahunga apko yahan se kyuki ap wohi expect kar rahe ho bat schedule or time ki nahi he ap Jo marzi bol dena sir apne time liya tha to ek ek ta 4k ka update jo ap 2 din me likh dete ho itne din me nahi likh paye kuch ajeeb sa nahi he kya har update ke liye itna time lgta he na eske Age ki story jo ap humko kal ya parso dikhaoge wo apne last update se bahot pehle soch ki hogi kyu galat to nahi bola na apke liye likhan main issue nahi he magar main problem kya he pta he ghamand attitude nahi bolunga kyuki uske liye apko pehle 10 same esi story's likhni hongi but reader's se itni tareef as a writer who is just writing for fun apko sayad kuch jada hi upper le gyi ap Jo marzi bolna sir but main sure hun ap Jan bujhke late update dete ho kyuki attention jada milti he ese kyu na ho readers 5 sep ka wait kar rahe the unhone aake dekha update late he unhone Kai or reader's ko bhi recommend Kiya hoga Aaj nahi aaya to wo frustrated hain sath me new reader's jinhone just suru kiya sab wait kar rahe hain earnestly but agar update Diya to apko kiya milega bas thodi si attention or usse apko satisfaction nahi milta ab kyu sir sidha boldo na to be frank ap jese writer's se to mujhe enigma sir bahot acche lagte hain unhone bol Diya tha ke pese cahiye paid version padhlo kismat khrab he unki paid site nahi mili mujhe Jo unhone Kiya bura lga but unki honesty acchi lagi unhone pehle hi bol diya tha not like you just making excuses or han sirji hum nalayak nakara or bilkul berozgar log hain apke pass job he sayad business bhi hoga bahot busy hoge aap Dil se selute he free me humko entertain karne ke liye magar sir hum unemployed hain chutiya nahi so please sir agar apki esi koi money problem he to btado kisi or ka pta nahi magar me ye story subscription leke bhi read karunga agar apka esa mood he to bta dijiye ese chutiya mat banaiye hum nalayak hain writer nahi he kitna or kya effort lgta he nHi pta ap bahot jada mehnat karte ho bas itna pta he agar apko kahi or paid version regularly Dena he bas please site link de dena or koi bat buri lgi ho to khud me improvement kro sir hum to chutiya hain ap moka mat do bas bolne ka kisi chutiya ko.
Jaldi update do ya paid site ka link dedo
To khud lekh le na yahan kya kr rha he? Tere ko agr dusre wreter psnd he to un ki story he prh na yahan hmara mood kyu khrb kr rha he? 😡Wo bnda lekh rha he ye kafi nhi he kya? 🤬
 

zamam

Member
109
75
43
UPDATE 84 ~
(History Unfolds) (1)




Presbyterian Hospital
New York ~ 2:54 AM



*Yawn*


Urvi uske kamre me baithi ek kitaab padh rahi thi, Medicine lene ke baad bhi usko neend nahi aa rahi thi.


*Knock-Knock*


Urvi abhi kitab padh he rahi thi ke darwaze per knock huwa, Urvi awaaz ko sunte he lait gayi aur book ko blanket ke andar chupa liya.


*Click*


Darwaza khula aur koi kamre ke andar aa gaya, Lekin Urvi uski aankhe band ker ke laiti rahi, Usko kadmon ki awaaz uske kareeb ati sunayi de rahi thi.


“Urvi, Natak band ker sakti hai! Mujhe pata hai tu soo nahi rahi”


Urvi: Bhayiaaaa?


Urvi ne ek lamhe me he awaaz ko pehchan liya, Usne aankhen kholi to uske saamne Aarav khada huwa tha, Aarav muskurate huwe usko daikh raha tha.



Urvi(Exhale): Fuuuuu ~ Ap ne to dara he diya tha! Mujhe laga ke Ashley waapis aa gayi hai.....Lekin ap bhi usko batana nahi ke me ab tak uthi huwi hu.


Aarav: Ashley ka dar hai? Aur mera? Main gussa nahi karu ga kya?


Urvi: Ap gussa kyu karo gye? Agar main ab tak soyi nahi hu to ap bhi kanha soo rahe ho? Mister Aarav Arya......Ap ko shayad yaad nahi ho ga, Lekin ap bhi abhi patient hai......Hum dono he galti per hai to......Kya he ker sakte hai.


Aarav(Smile): Shaitan bhi abhi competition ki soch ker dar raha ho ga! Kon keh sakta hai ke aise bhole chehre ke peeche aisi chalu ladki hai.


Urvi(Smirk): Ab ap ko jaisa sochna hai ap soch sakte hai! Lekin apna yanha kya ker rahe hai......Ahm.......Ap ki girlfriend akeli ho gi na?


*Cough-Cough*


Urvi ki baat ko sun ker Aarav bilkul chaunk gaya, Veronica ke baare me ab tak usne kisi ko bhi nahi bataya tha, Usko aise daikh ker Urvi hansne lagi.


bf9f8ed9039a20ef0395fbc32f7e4e7c.jpg

Aarav: Kaise pata laga?


Urvi: Yahan mere bhi kuch informer ban gye hai!.....Ab itni nazar to rakhni ho gi na? Warna aj kal ke bache to haath se nikal jaate hai.


Aarav: Sahi line per hai behan! Aise he chalta raha to doctor to pata nahi, ek din lady James bond zaroor bane gi.


Urvi: Ab baate na banaye! Yahan kaise ana huwa? Kanhi laat maar ker baahir to nahi nikal diye gye? Agar aisa hai to main to bhabhi ki side per hu.



Aarav: Bhabhi? Lek- *Sigh* Aisa kuch bhi nahi hai! Hum aise he baat ker rahe the to beech me.....beech me-


Urvi: Beech me kya?



Aarav: *Gulp* Beech me hum b-bacho ke naam.....naam sochne lage!


*Laugh*


Aarav ki baat sun ker Urvi ke zor se hansne lagi, Aarav aya to confidence ke saath tha, Lekin ye baate karna awkward tha.


Aarav: Ab bas kare gi kya?......Ek baar he puchu ga, Agar future me meri beti huwi to uske liye kuch naam socha hai kya?



Aarav ne seedhe hote huwe ek saans me bol diya, Uski halat daikh ker Urvi ko aur bhi hansi ane lagi, Aarav usko muh bana ker daikhne laga.


Urvi(Giggling): I'm sorry!......Hahahaha, I'm sorry, Huh........Ladki huwi to usko hum Aarohi naam de gye, Kaisa hai? Ap ke naam se similar bhi hai, Ye perfect naam ho ga na?


Aarav: Hmm.....Acha naam hai! Huh, Ab main chalta hu.


Aarav keh ker uth gaya, Lekin Urvi ne uska haath pakad liya, Aarav uski taraf daikhne laga.


Urvi: Aj hum baate karte hai na? Aj akele acha nahi lag raha.


Aarav: Abhi tujhe rest karne ki zaroorat hai! Hum kal baate kare gye.


Aarav uth ker baahir ki taraf chal diya, Urvi usko daikhti rahi, Aarav ne darwaze per ruk ker uski taraf daikha aur wave ker diya.


Aarav: Good Night!




****
Sayani Mansion
France ~ 10:27 PM



“Urvi”


Aarav Urvi ko bahon me liye khada huwa tha, Uski aankhe kab aansuon se bhar gayi usko khud ehsaas nahi huwa, Urvi ko khud ke saamne daikhte he wo khud ko rok nahi saka.


Usko abhi kisi baat se matlab nahi tha wo sirf usko pakad ker khara huwa, Jaise wo usko chhoden ga to wo kanhi chali jaye gi.


Urvi: Ummm......Mister? Ye ap kya ker rahe hai?


Urvi ne Aarav ko dhakelte huwe khud se alag ker diya, Aarav ne Urvi ki taraf daikha to Urvi bilkul hairan khadi huwi thi, Uske chehre per halka gussa bhi tha.


c176824b0e04af71614dab5855605b17.jpg

Urvi: Ye kya harkat thi? Kya kisi ko bhi aise he pakad lo gye? Aakhir ho kon ap?


Aarav sirf udhar khada Urvi ko daikhta he reh gaya, Urvi khud ko Aarav se dur ker rahi thi, Usko aise daikh ker Aarav bhi hairan tha.



[Check]


[Name: Urvi Arya

Level: The Initiate Level Qi User

Relationship: Twin Sibling]



Aarav: [Dot?]


Aakash: Sorry Doc! Ye Aarav hai......Hum ne Aarav ko thoda surprise diya hai, Lekin Aarav thoda bhavuk ho gaya.....Wo sirf ap ko thanks kehna chah raha tha, Ap ko bura laga ho to main apologize karta hu.


Urvi: Ap ko sorry kehne ki bilkul zaroorat nahi hai! I can understand ke bhai ko aise itne samay ke baad hosh me daikh ker ye kitne khush ho gye, Lekin thanks ki hakdar main nahi hu, Ye ap ki khud ki will power thi hum to sirf ap ki care he ker sakte the.


Urvi baat ker rahi thi, Lekin Aarav sirf usko daikh raha tha, Uska dhayan Varsha per se bhi hat gaya tha, Urvi uske bilkul saamne ho ker bhi uske paas nahi thi.


Urvi: Let me introduce myself again! Hey, I'm Urvi Arora, Aakash's doctor, You might have heard of me already?


a150818d58bff264b45dcb37bb7503ea.jpg

Urvi ne Aarav ki taraf haath badhate huwe kaha, Aarav sirf khada uska haath daikhta reh gaya, Usko aise daikh ker Tinkerbell ko usko hosh me lana per gaya.


Tinkerbell: [Master!]


Aarav: Huh? A-Aarav Singh! Nice to meet you.


Urvi: Singh? Wait, aren’t you a Sayani like Aakash?


Aakash: It's a long story! I'll fill you in later, Abhi dinner ka time ho raha hai, Kya kehti hai?



Urvi: I'm really sorry! Lekin abhi kuch kaam hai, Parth bhi wait ker rahe ho gye, Actually intern's ne ap ke liye kuch gifts diye the, I really don't know ke wo khud dene kyu nahi aye.


Urvi ne gifts Barbie ko pakdate huwe kaha.


Urvi: Hospital ke baad Maa aur Suhani Di ke saath gifts ko drop karne wali thi! Lekin ye dono kab bina bataye nikal ayi pata he nahi laga, Like, Seriously?


Urvi ne Varsha ko ghoorte huwe kaha to Varsha ne silently apologize ker liya, Urvi ne bhi usko kuch zyada nahi kaha.


Aakash: Thank You! Lekin kal tevar ka din hai, Kal yaad se ana ho ga.


Urvi(Smile): Sure! Lekin abhi ayi hu to ek test bhi karna hai, Uske baad main nikal rahi hu.


Aakash: Thank You! Aarav, Ap sab dinner table per wait ker sakte hai, Urvi ko see off karne ke baad main ap sab ko join karta hu.


Aakash ki baat sun ker Barbie aage badha aur sab ko ler ker dining room ki taraf chal diya, Aarav bina kuch uske saath chal diya.




****
Unique Hospital
Surat ~ 4:19 AM



“Aayush?.......Aayush? Kanha ho?”


Nandini pure hospital me bhaagte huwe Aayush ko dhoond rahi thi, Subha ka samay tha, Raat ko dono he Ishika ke paas he the, Nandini soo ker uthi to uske paas se Aayush gayab tha.


Nandini(Gasping): Ab kanha chala gaya hai ye ladka? Ab kya naya kaand kare ga?



Nandini ab pareshan hone lagi thi, Lekin ab tak usko Aayush kanhi bhi nahi dikh raha tha, Ab uski saanse bhi phulne lagi thi.


“Woahhhhh”


Nandini(Frowns): Don't tell me! Aayush.


Nandini ke saamne NICU(neonatal intensive care unit) tha, Usko andar se Aayush ki awaaz sunayi de rahi thi, Bina samay barbad kiye Nandini andar chali gayi.


Uska dar sach me badalte samay bilkul bhi nahi laga, Usko saamne he window ke paas Aayush khada dikh gaya, Usko daikh ker Nandini ko gussa bhi aa raha tha aur dar bhi lag raha tha.


Subha ka time tha to kisi ne unko andar ate daikha nahi tha, Lekin agar koi daikh leta to unke liye bura ho sakta tha.


Nandini(Furious): Aayus-


Aayush: Huh? Nandini? Sahi samay per ayi ho, Mujhe tum se kuch puchna tha.


Nandini gussa to aa raha tha, Lekin abhi wo khud ke liye pareshaniyon ko badhana nahi chahti thi to wo chup ker ke uske paas chali gayi.


Aayush: Nandini, what are all these tiny little creatures?


Aayush ka saval sun ker Nandini uski taraf daikhti reh gayi, Nandini ko ab Aayush ke saval per yakeen nahi ho raha tha ke usne sach me ye pucha hai.


Aayush uski taraf daikh bhi nahi raha tha aur bina palakein jhapkaye NICU ke andar new born babies ko daikh raha tha.


Nandini: Seriously? Those are babies! We're right outside the NICU, Aayush kya tum kisi kaid se riha ho ker aye ho? Koi itna anjaan kaise ho sakta hai?


Aayush(Nod): Haan!


Nandini: What?


Aayush(Nod): Haan, Kaid se riha ho ker he aya hu! Bachpan me he mujhe kaid ker liya gaya tha, Bohat se monster's ke beech me kaid tha, Maste......Ughhhh, Usne kisi lo bhi batane se mana kiya tha.


Aayush bacho me aisa khoya ke usko kuch bhi ehsaas nahi huwa ke wo kya keh raha hai, Aarav ne usko kisi ko kuch bhi batane se mana kiya huwa tha.


Lekin udhar Nandini usko daikhti he reh gayi, Aayush ko daikhne ka uska nazariya bilkul badal gaya tha, Aayush ne uska haath pakad liya.


Aayush: Nandini, Kisi ko bhi batana nahi ke main ne kuch kaha hai! Wo mujhe waapis kaid ker le ga, Please.


Nandini(Nod): Huh, Okay! Kisi ko bhi kuch nahi bataungi.......I'm sorry, Main bina kuch bhi jaane kuch bhi keh rahi thi *Sniff* I'm sorry.


Aayush: Huh? What?




****
Sayani Mansion
France ~ 11:12 PM



*Tap-Tap*


Aarav dinning table ke ek side per baitha huwa tha, Uske saamne he Varsha aur Suhani baithi huwi thi, Aarav ne dhayan diya to Suhani usko he gusse se ghoor rahi thi.


Suhani dikhne me Aakash ki umar ki he lag rahi thi, Lekin uska chehra abhi bhi kisi masoom ladki ki tarha ka tha, Lekin uski aankhe Aarav ko kaccha chaba lene wali nazron se daikh rahi thi.


Lekin sirf wo he Aarav ko nahi daikh rahi thi, Uske saath baithi Varsha ki nazare bhi Aarav per thami huwi thi, Lekin Aarav usko nazarandaz karne ki koshish ker raha tha.


*Vroooooooom*


Aarav ko baahir se car ke nikalne ki awaaz sunayi di, Usko pata lag gaya ke Urvi chali gayi hai, Lekin usne kisi ko kuch bhi nahi kaha.


Aarav: [Tinkerbell! Ye thi to Urvi he, Lekin usko kuch bhi yaad nahi tha, Lekin phir bhi uske upar kisi tarha ki bhi dot kyu nahi tha?]


Tinkerbell: [I don't know! Aisa hona to nahi chahiye tha, Ap ne uski heartbeat bhi suni hai, Urvi ko sach me ap yaad nahi ho]


Aarav(Nod): [Hah! Lekin aisa kyu hai? Kuch system error?]


Tinkerbell: [Error ho bhi sakta hai! Lekin abhi main check nahi ker sakti, System bazaar quest ka reward kabhi bhi ap ko mil sakta hai, Main kuch taiyari ker rahi hu]


Aarav: [Huh, Thank You! Lekin reward ke baad Error ko check karna]



“Suhani, Knife rakh sakti ho kya?”


Aakash ne dinning room me ate he suhani ki taraf daikhte huwe kaha, Suhani table se ek butter knife pakad ker baithi huwi thi.


Suhani(Glaring): Lekin kyu? Aakash tum ne daikha nahi ke isne yahan ate he kya kiya tha? Doctor ko haath lagane ki himmat bhi kaise ki isne? Ab agar kareeb bhi aya t-


Aakash: Usne agar kareeb ana chaha bhi to tum kuch nahi ker sakti! Aarav tum se bohat zyada strong hai.


Suhani: Leki-


Aakash: Even Yoo-Jung can’t win against him! So if he even tries something, you won’t be able to stop him.


Varsha: Suhani, Just drop the knife! Hum yahan ladne ke liye nahi aye.


*Clang*


Suhani ne gusse se Aarav ko daikhte huwe Knife neeche table per rakh di, Aakash bhi unke saath baith gaya, Aakash ke baithate he ek darwaza khula aur kuch servants unke liye khana le aye.


Unko khana serve karne ke baad sabhi ke sabhi servants baahir chale gye, Sab kuch unke saamne tha, Lekin koi bhi khaana shuru nahi ker raha tha.


Varsha aage padh ker Aarav ko khana parosane lagi, Lekin Aarav ne beech me he uska haath pakad ker rok diya, Suhani ko gussa ane laga, Lekin wo chup baithi rahi.


Aarav(Glare): Ye kya ker rahi ho?


Varsha: Kya ker rahi hu? Apne bete ko khana paros rahi hu.


Aarav(Scoffs): Huh, Beta?......Aur ap ye kyu laga ke main ap ka beta hu?


Varsha: Lagna kyu hai? Tum mere bete he to ho........Aarav, Past me reh ker hamay kuch bh-


Aarav: Ateet me main nahi ab tak ap reh rahi hai! Miss Varsha, Meri Maa mar chuki hai, Ye mera sach hai, Ap kitni bhi koshish ker le mere liye kabhi dobara zinda nahi ho sakti.


Suhani(Shout): Aarav! Zuban ko lagam lag-


Aarav: Shut the fuck up! Main yahan tum sab se rishte banane nahi aya.....Varsha Ji, Kya ap ko kuch kehna hai ya sirf yahan Maa hone dikhawa karne ayi hai?


Aarav ab tak khud ko shaant rakhe huwa tha, Lekin ab wo aur chup nahi reh sakta tha, Aarav ke kathor shabdon ko sun ker Varsha sirf usko daikhti reh gayi.


Varsha: Aarav, Kuch baate tum se chupayi gayi hai! Avinash ne tumhe jo dikhaya hai sab kuch waisa nahi hai, Sachayi Avinash ki tumhe batayi sachayi se bohat ala-



[Player is overflowing with hatred! Player's emotions are now unstable]


[Warning]


[Player is losing his emotions! Player is letting his negative personality take over him]



Aarav(Furious): Papa ke baare me main kuch bhi nahi sunu ga! Unka naam bhi ap ke muh se nahi sunana chahata.


Aarav ne mutthi ko zor se bheenchte huwe kaha, Uski baat sun ker Varsha bhi usko daikhti he reh gayi, Suhani usko ghoorne lagi.


Lekin Aakash sirf khamosh baith ker sab kuch daikh raha tha, Barbie bhi bina kuch kahe unke paas chup ker ke khada huwa tha.



Varsha(Sigh): Huh.........Laga nahi tha ke tumhare andar mere liye itni nafrat bhari ho gi! Aakhir kiya kya hai main ne? Sach sunana chahate ho to batati hu.


Aarav: Mujhe ap ki kahi kisi baat per ratti bhar bharosa bhi nahi ho ga! Ap kitni badi jhooti aur makkar hai uska andaza mujhe bohat bachpan me he ho gaya tha.


Aarav ki baat sun ker Varsha seedhe ho ker baith gayi aur usne haath baandh liye.


Varsha: Kya chahate ho? Kaise sach bataun ke tumhe vishwas bhi ho?


Aarav: Ap ko kuch bhi batane ki zaroorat nahi hai! Sach main khud daikh sakta hu.


*Claws*


Aarav ne uthate huwe claws nikal liye, Ye daikh ker Suhani chaukanni ho gayi, Lekin ek pal me Aarav table ke dusri taraf unke paas tha, Varsha bhi react nahi ker saki aur agle he lamhe Aarav ke claws Varsha ke sar per the.


Varsha: Ughhhh!



[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]


[Player has established a direct connection to the target's brain]


[Player can now access multiple memories of the target]


Suhani(Furious): Aaravvvvvvv!


Suhani ne dobara knife utha li aur Aarav ki taraf badhne lagi.


Aakash(Sigh): Huh, Barbie! Stop her.


*Clang*


Suhani ke haath me knife 2 tukro me bant chuki thi, Uske saamne Barbie bhi haath me ek butter knife pakade he khada huwa tha, Suhani ko kuch samajh bhi nahi aya ke kab kya huwa hai.


Aakash: Suhani, Kyu dar rahi ho? Aarav kuch bhi kyu na keh le, Lekin wo apni Maa ko kabhi bhi kisi tarha ka nuksan nahi pohanchna chahe ga, Ye tumhe bhi pata hai na? Aarav sirf Varsha Ji ki yaadon ko daikh raha hai, Hamay uska intezar karna chahiye.


Suhani abhi Aarav ka muh todna chahati thi, Lekin Aakash ki presence me wo Aarav ko haath bhi nahi laga sakti thi, Karva ghont bhar ker Suhani chup ker ke baith gayi.




****
Sainte-Croix Hospital
France ~ 1989



*Hiss*


Varsha Operating room ke scrub sink per khadi haatho ko dho rahi thi, Uske paas he khadi uski operating team khamoshi se usko daikh rahi thi, Unko kuch kehna tha, Lekin sab he kehne se dar rahe the.


Varsha bina kisi per bhi dhayan diye haath dhoti rahi, Uske paas he uske kapdon per khoon ke nishan the, Uske haath saaf hone ke baad bhi wo unko lagatar dho rahi thi.


*Click*


Scrub area ka darwaza khula aur ek Vyakti andar aa gaya, Usko daikhte he puri team seedhe khadi ho gayi.


“Ankush Sir yahan kya ker rahe hai?”


“Shhh, Unki taraf daikh nahi rahi kya? Unki nazre doctor ki taraf hai”


“Kya sach me chief aur doctor date ker rahe hai?”



Ankush ke andar ate he sab unke baare me he baat karne lage, Lekin Ankush kisi ki bhi baat per dhayan nahi de raha tha, Uski nazar Varsha per tiki huwi thi.


Ankush aage badhate huwe uske kareeb chala gaya, Varsha ne ek baar sar utha ker usko daikha aur dobara haath dhone lagi.


Ankush: Varsha, Theek ho na?


Varsha: Mujhe kya ho ga? Yanhi tumhare saamne to khadi hu, Theek nahi lag rahi kya?


Ankush: Theek lagne aur theek hone me antar hota hai! Varsha, Kya tum sach me theek ho?


Varsha: I'm fine, Kya ho gaya hai? Main kyu bura feel karu gi? Aisa to nahi hai na ke patient mere kaaran bach nahi saka aur na he main ne kuch aisa try nahi kiya jo main ker sakti thi......Hum sirf koshish he to ker sakte hai na? Mu.....Mujhe kya *Sigh* Huh!


Varsha kehte huwe chup ho gayi aur zor se haatho ko ragadkar dhone lagi, Ankush ne peeche sab ko ghoor ker daikha to sab he baahir bhaagne lage.


Ankush: Varsha!


Ankush ne Varsha ko pakadte huwe khinch liya, Varsha seedhe uski chhati se aa ker lag gayi, Varsha ne upar daikha to Ankush usko he daikh raha tha.


Varsha(Flustered): Y-Ye tum kya ker rahe ho?...... Ankush, Uncle wait ker rahe ho gye, H-Hamay unko report bh-


Ankush: Shhhh!


Ankush ne Varsha ke sar per haath rakhte huwe uska chehra chupa diya, Varsha uski harkat daikh ker chaunk gayi aur usko push karne lagi.


Ankush: Varsha......! Mujhe theek nahi lag raha, Kya hum kuch pal aise reh sakte hai?


Ankush ki baat sun ker Varsha ke haath khud he ruk gye, Usne haatho se uski shirt ko bheench liya, Kab uski aankhe bheegne lagi usko khud he ehsaas nahi huwa.


Varsha: Aur kitni baar ye ho ga? Kitni baar main aise he logo ko bhavanaon ke saath khelungi? Ab thak gayi hu main.......Kitni umeed ke saath wo mere paas aye the ke main unke liye kuch ker du gi, Lekin har baar sab ki khushiyon ko chur chur ker ke rakh deti hu.......Aakhir kyu?


Varsha ke sabar ka bandh ab toot chuka tha, Ankush bina kuch kahe usko pakad ker thapthapata raha aur usko shaant hone ka samay dene laga.


Ankush: Varsha, Ye tumhari galti bilkul bhi nahi thi! Kam se kam tum koshish to ker rahi ho.......Haan koshish me kabhi kabhi logo ko ek hope dikhti hai, Lekin tum usko sach banane ki koshish karti ho, Hum usko ab jhooti umeed to nahi keh sakte na.


Varsha khud ko shaant karne lagi, Ankush se alag ho ker Varsha chehara saaf karne lagi aur fresh ho gayi aur Ankush ke paas khadi ho gayi.


Varsha: Thank You!......Uncle wait ker rahe ho gye.


Ankush: *Nod*


Ankush Varsha ko saath le ker baahir ki taraf chal diya, Varsha ek pal ke liye ruk gayi aur usne operation theater ke andar daikha, Andar ek chinese aadmi baitha huwa tha.


Aadmi ke haath me uska mara huwa baby aur uske saamne uski wife ki dead body thi, Uski aankhon me ek bhi aansu nahi tha, Uski aankhon me sirf pachtawa dikh raha tha.


Ankush: Varsha! Late ho rahe hai.


Ankush ki awaaz sun ker Varsha ne nazre hata li aur uske saath OT se baahir nikal ayi, Varsha ki team abhi bhi baahir he khadi huwi thi, Unko baahir ate daikh sabhi bhaag gye.


Ankush aur Varsha bina kisi per dhayan diye aage badh gye, Hospital ke staff me sab he unko daikh rahe the, Ankush aise kisi se bhi baat nahi karta tha, Lekin uski aur Varsha ki college se dosti thi to unke liye ye badi baat nahi thi.


Ankush ek meeting room ke baahir ruk gaya, Yahan tak aa to gaya tha, Lekin uska andar jaane ka mann bilkul bhi nahi ker raha tha, Varsha ne uske kandhe per haath rakh ker usko aage badhne ke liye kaha.


Ankush: *Nod*


*Click*


Ankush darwaza kholte huwe andar chala gaya, Uske saath he Varsha bhi andar chali gayi, Andar kuch log pehle se baithe huwe the, Unke beech ek badi umar ka Aadmi baitha huwa tha.


*Mohan Arora*

Uske aage he table per ek nameplate rakhi huwi thi, Ankush bhi Mohan ke paas rakhi huwi kursi per baith gaya, Lekin usne ek baar Mohan ki taraf daikha bhi nahi.


Ankush: Varsha! Ab ap shuru ker sakti hai.


Ankush ne bina Mohan se kuch bhi puche keh diya, Lekin Mohan ne usko kuch bhi kahe bina chup baitha raha, Varsha sab ke beech me aa ker khadi ho gayi.


Varsha: Hello Everyone! Yahan baithe har insaan ko ab tak pata he ho ga ke Qi clans kya hai? Qi clans ko special humans ne banaya tha.....Ye special humans ek tarha ki Qi possess karte hai, Ye unko baakiyo se alag banati hai.....Aur main bhi unke beech se he ayi hu.



Varsha ne Qi energy se blade banate huwe sab ko dikhaya, Unke beech se kayi logo ne ye daikh rakha tha, Lekin kuch ke liye ye pehli baar tha.


Varsha: Hum khaas hai! Lekin hum sab se alag nahi hona chahate....Hum bhi baakiyo ki tarha rehna chahate hai, Lekin aisa ho nahi sakta......Hum kisi sadharan vyakti se pyaar to ker sakte hai, Lekin kabhi bhi unke parivar ko aage nahi badha sakte, Unko hum khush nahi rakh sakte.


Kehte huwe Varsha ki nazar khud he sab ke beech Ankush ki taraf chali gayi.



Varsha: Ye he kaaran hai ke Qi users kam se kam ho rahe hai! Aisa he chalta raha to ek din aye ga ke ye gift insanon ke beech se hamesha ke liye khatam ho jaye ga, Ye he soch ker hum ne ye nayi research shuru ki hai.


Doctor Suraj: Lekin ek Qi user kisi non Qi user ke saath bacha kyu nahi ker sakta?


Varsha: Kyu ke Qi user ke bache ke andar birth se Qi core hota hai! Lekin agar ek bhi parent non Qi user ho to core ko uski puri energy nahi milti aur wo baby ki spiritual energy ko kheenchne lagta hai, That’s why they don’t survive.


Doctor Suraj: Lekin kya hum baby ki birth ke baad uske core ko energy nahi de sakte kya? is there any chance it can ever increase its energy? Can it stabilize?


Varsha: It’s highly doubtful! The energy flow of Qi users is strong, but if the baby’s core is weak from the start, it may never be able to harness that energy.


Doctor Chen: Is there any way we can find solutions for this situation? Can we balance the energy levels somehow?


Varsha: Ye research uske liye he hai! Hum pregnancy ke time per he baby ke core ko develope karne ki koshish ker rahe hai per ab tak hum ek baar bhi kamayab nahi ho sake.


Doctor Jay: Kya ye possible bhi hai?


Varsha: Agar ap ye pehle puchte to shayad main bata nahi sakti thi! Lekin hamay kuch saal pehle he 2 ladkiyan mili hai, Un dono ke parents me se ek Qi user tha aur ek nahi tha, Lekin dono survive ker gayi hai.


Doctor Suraj: Really? But how?



Varsha: We still don't know! The surprising part is that their spiritual energy was so high that it started to crush their own Qi cores, Unhe unke clans se ek curse keh ker nikal diya gaya hai, Unki spiritual energy ke high hone se wo kisi ko chhu bhi nahi sakti hai aur unki energy abhi bhi lagatar badh rahi hai, At this rate, we’re not sure how long they’ll survive.


Varsha ki baat sun ker kamre ke andar khamoshi chha gayi, Varsha bhi khud ko bebas mehsoos ker rahi thi ke wo chah ker bhi un bacchiyon ke liye kuch nahi ker sakti thi.


Mohan(Sigh): Phir kya huwa? Ab tak agar ladkiyon ne survive kiya hai to kuch to khaas baat ho gi na? Pata karo, Phir chahe tumhe unhe kaatna he kyu na per jaye.


Varsha: Sorry, What?


Mohan: I’m funding your research because I want a strong heir for my son! I don’t care if you’re the mother of that child, I just want results, and I want them soon.


Ankush(Furious): Papa! Y-


Mohan: Shhh, Yahan main tumhara pyaar daikhne nahi aya! Already bohat samay barbad ho gaya hai......Doctor, Meri baat ko yaad rakhna.


Mohan ne kaha aur uth gaya, Uske saath he baaki sab bhi uth gye, Bina Ankush ki taraf daikha Mohan baahir nikal gaya.


*Thud*


Ankush ne table per haath maar diya, Abhi bhi wo Mohan ke saamne kuch bolne layak nahi huwa tha, Ankush Varsha ke paas aa gaya.


Ankush: I'm sorry Varsha! *Scoff* Sab ke saamne wo tumhe bol ker chale gye aur main kuc-


Varsha ne beech me Ankush ke muh per haath rakh diya, Ankush usko daikhta reh gaya.


Varsha: Khud ko blame karne ki zaroorat nahi hai! Unhe jo bolna ho wo bol sakte hai, Lekin tum mere saath ho ye kaafi hai.

Varsha ne chehre per muskan sajaye kaha to Ankush bhi muskura diya, Uske haath khud he Varsha ke sar per chala gaya.


*Riiing... Riiing...*


Abhi kuch aur hota ke unke paas he rakha huwa landline ring karne laga, Ankush ka muh ban gaya aur ye daikh ker Varsha ko hansi ane lagi, Ankush ne muh banate huwe receiver utha liya.


Ankush: Hello........Kya?


Ankush ke chehre ke expression ek pal me badal gye the, Ankush ne receiver neeche rakha aur Varsha ka haath pakad ker chal diya.


Varsha: Kya huwa hai?


Ankush: Laboratory se call ayi thi! Beatrice uth nahi rahi hai.


Ankush ki baat ko sun ker Varsha bhi pareshan ho gayi, Dono hospital se nikalne ke liye bhaagne lage.


“Dr.Varsha! Ap ke se milne ke liye koi aya hai”


Reception se ek nurse ne Varsha ko bulaya lekin Varsha bina kuch bhi kahe Ankush ke saath baahir nikal gayi, Lab hospital se walking distance per he thi to dono aise he Lab ki taraf bhaagne lage.


“Doctor *Sniff* Doctor”


Lab ke baahir he unko ek bachi khadi huwi dikh gayi, Uske saath he ek nurse bhi khadi huwi thi, Varsha unke paas chali gayi.


Varsha: Suhani? Yahan kya ker rahi ho?


Nurse: Doctor, Ye kab se yanhi khadi ap ka wait ker rahi hai! Main ne koshish ki lekin ye andar ja he nahi rahi.


Suhani: D-Doctor! Be-Beatrice ko kuch ho gaya hai.....Main n-ne kuch b-bhi nahi kiya.


Varsha: Haan, Tum ne kuch bhi nahi kiya! Main aa gayi hu na? Hum abhi Beatrice ko theek ker de gye, Ap Didi ki baat maan ker unke saath jao.


Varsha ne Suhani ko Nurse ke paas chhod diya aur khud andar chali gayi, Uske saath he Ankush bhi andar aa gaya, Research Laboratory ke neeche ek bunker banaya gaya tha.


Nurse Suhani ko bunker ke andar ek taraf le gayi aur Varsha Ankush ke saath dusri taraf chali gayi, Dono hallway se hote huwe dono ek kamre me chale gye.


“Doctor?”


Kamre ke andar kuch log khade huwe the aur kamre ke beech me Beatrice giri huwi thi, Varsha uske paas chali gayi aur usko daikhne lagi.


*Groaning*


Varsha: Damn it! Beatrice ki spirit energy aur bhi badh gayi hai aur bilkul unstable ho gayi hai, Beatrice ki body bhi limit per hai.


Ankush: Ab kya kare?


Varsha: I don't know! Ab hum kya ker sakte hai?


*Cough*


Beatrice khanste huwe khoon bhari ultiyan karne lagi aur dard se karahane lagi, Lekin ab Varsha ko bilkul bhi samajh nahi aa rahi thi ke wo kya kare, Usko khud ke bebasi ke upar gussa aa raha tha.


*Tuck*


*Tuck*


*Tuck*


“Soul Binding”



Kadmon ki awaaz ke saath kuch shabd unko sunayi diye aur ek thread Beatrice ki shareer se bind ho gaya, Varsha ki aankhon ke saamne Beatrice ki energy stable hone lagi thi.



Varsha ne sar uthate huwe upar daikha to hairan ho gayi, Usko uski aankhon per vishwas nahi ho raha tha.



“Avinash?”
25e6215931e600b70b42e366a56f4a10.jpg
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.3K words ka tha aur issi ke saath Forged bonds Arc ko shuruaat hoti hai, Ye Arc last update ke comparison me thoda light rahe ga, Lekin ye Arc apne saath bohat savalon ka javab laya hai, Hope ke ap ko maza aye ga, Like target ab 120 Likes hai, Umeed karta hu ap ko update pasand aya ho ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Bht kml ka update tha 🫡ab lgta he raz khulne wle he 😶‍🌫️ ap aese he lekhte rho aur pgl logo ki bato pr dhyan nhi dena 😊
 

dododo

Active Member
663
1,596
123
Abhi tak to Avinash ke behaviour se aisa kuch nahi laga, jaise Versha usko villain ki tarah bata rahi thi. Usne jo bhi kiya, Clan ke liye kiya aur Elders ke decision ka palan kiya.

Uska Versha ke prati dedication, aur Qi holder bacchon ki madad karna bhi use abhi tak ek accha vyakti dikha raha hai.

Bass ek baat hai ki usne Versh ko apni Qi badhane ke liye mana kyon kiya.

Uss ek locker me kya hai jise Avinash ne Versha ko kholne se mana kiya tha.

Beatrice shayad Fire Clan se hai aur Suhani Light Clan se. To Versha keval Soul Clan ke liye hi nahi balki sab Qi user aur normal logon ke bacchon ko bachane ki koshish kar rahi hai. To keval Soul Clan ke logon ko hi yeh problem kyon aayi ki unki sankhya ghat rahi thi, aur clans ko kyon nai aayi.
 
  • Like
Reactions: Malik-18

Sushil@10

Active Member
722
695
93
UPDATE 14 ~
(CALM CHAOS)




“Kaisi ho Vanshika beti?”



Neel ki Pita ji ne chehre per muskurahat sajaye kaha, Lekin Uss muskurahat me sachayi kanhi se bhi nazar nahi aa rahi thi, Vanshika bhi iss ko samajhti thi aur wo ye bhi jaanti thi ke dono Baap bete yahan kou aye hai, Lekin Vanshika itna waqt Social Media ki duniya me rahi thi ke logo se deal karna usse bhalee Bhaati ata tha.



Vanshika (Grin): Main achi hu! Ap kaise hai Prakash Uncle?



Prakash: Main bhi acha! Aj yahan se guzar rahe the to socha yanha se bhi hote jaye, Apni beti se bhi mil le gye iss bahane.



Prakash apni baat puri karne ke baad halka sa kehkaha laga ker hansa, Lekin kisi aur ko uss ki baat per khushi nahi ho rahi thi, Lekin phir bhi sab halka muskura diye.



Neel: Vanshu!


*Glare*

Neel ne mahool ko khushi bhara daikh Vanshika se sab kuch sahi karne ke liye baat karni chahi, Lekin wo Vanshika ke kareeb aa pata uss se pehle Aarav apni jagha se ek kadam aage ho gya.



Uss ki nazro se mehsoos hota wo tanav Prakash aur Neel ke pure badan me sursuri macha raha tha, Aarav kuch bhi nahi ker raha tha lekin uss ke sirf wahan hone se wahan sab pressure me the.



Wanhi Aarav pehle to ye sun ker pareshaan tha ke kal raat jis ko uss ne maara wo Vanshika ka Fiance tha, Lekin ab jab dobara uss ke saamne Neel khara tha to uss ki wo pareshani kanhi gayab ho chuki thi, Usse yaad the to Neel ke raat ko kahe gye Shabd.



“Behan ki laudi! Tujhe kia lagta hai apne baap ke naam ki wajha se kuch bhi kare gi aur kou tujhe kuch nahi kahe ga, Aj tujhe batata hu teri Aukat kia hai inhi randiyo ke saath tujhe chodu ga”



Aarav ko khud samajh nahi aa raha tha ke wo aisa behave kiu ker raha hai, Lekin Prakash bhi ek businessman tha aise pressure pehle bhi sahe the uss ne, Lekin Aarav jaise sadharan larke se uss ko ye Umeed nahi thi.



Wanhi Vanshika bhi Aarav ko gusse me daikh ghabra rahi thi, Uss ne raat me he Aarav ko wahan party me larko ko kutto ki tarha maarte daikha tha, Lekin wo Aarav ko mushkil me nahi daalna chahti thi.



Aarav ke haath ko apne haath me pakar jaise he Vanshika ne dabaya Aarav ka gussa shaant hone laga, Ab Aarav ko ehsaas ho raha tha ke wo kuch zada he Over React ker gaya hai.


Prakash:. Vanshika beti! Mujhe aj subha he is Nalayak ne bataya ke iss ne kal raat ko kia kia hai, Main ne ache se daant lagayi hai iss ko aur saza bhi di hai, Lekin meri bachi ko to takleef huwi hai na iss liye main khud apni bachi ko manane aya hu.


Prakash ne Aarav ko shaant daikhte he kaha, Wanhi Neel apne saamne Vanshika ko Aarav ka haath pakre daikh ghoor raha tha.



Neel: Kal raat tum he the na Vanshika ke saath?



Neel ne Aarav se sawal ker to lia per jaise he uss ne nazre utha Aarav ki ankho me daikha usse wo pehle wali nazre yaad aa gayi aur uss ki himmat toot gayi,




Aarav (Nod): Yes!



“Ap sab ko Adarsh Sir andar bula rahe hai!!!”


Ek awaz ne sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Un ke paas he ek Larki khari huwi thi larki dikhne me sundar thi Blonde baal ankho per chashma aur badan per pehna wo tight suit kisi bhi mard ke Armaan jagane ke liye kaafi the.



Larki: Adarsh Sir ap ka intezar ker rahe hai!



Larki ne ek taraf haath se ishara kia to Mansion ki balcony me he Adarsh khara huwa dikh gaya sab ko, Adarsh ne apna haath hila ker Prakash ko greet kia to Prakash ne bhi usse haath hila dia.


“Bus ye he nahi chahta tha main!!!”



Prakash ne apni taraf se to halki Awaz me kaha tha, Lekin Aarav uss ko apni tez Hearing ki wajha se ache se sun sakta tha.



Prakash (Grin): hum aa rahe hai!



Prakash ne kaha aur Neel ke kandhe per haath rakh ker uss ke saath andar ki taraf chala gaya, Vanshika ne Aarav ka haath choora aur Andar ki taraf chali gayi.



Larki: Ap ko bhi saath bulaya hai Adarsh Sir ne Mr.Aarav!


Larki ne Aarav se kaha to Aarav ne Adarsh ki taraf daikha jo usse he daikh raha tha, Aarav ko apni taraf daikhta daikha uss ne haan me sar hila dia, Larki ne Aarav ko apne saath ane ka ishaara kia aur aage chalne lagi.



Aarav bhi uss ke peeche chalne laga, Aarav kal se yahan tha lekin wo pehli baar Mansion ke andar ja raha tha uss ke Mann me excitement aur nervousness dono thi, Wo larki Aarav ko andar le gayi.



Baahir se Alishaan dikhne wala ye Mansion Andar se aur bhi zada adbhut tha, Har jagha Mehnge se mahnge Arts piece lage huwe the jo wahan ki khubsoorti aur bhi barha rahe the.



Wo larki Aarav ko wahan se ek kamre me le gayi, Ye ek Mini Office ki tarha ka kamra tha, Wanha ek Book Case me kuch files rakhi huwi thi aur saamne he ek Desk tha jis ke peeche Adarsh baitha huwa tha.



Wo larki ja ker Adarsh ke paas khari ho gayi, Wo Adarsh ki P.A thi, Ellis, Adarsh sirf apne kuch logo per he Trust karta tha aur Ellis un me se ek thi.

d123722255e886b4039b08b82544c67c.jpg

Wanha rakhe ek sofe per Archana Baithi huwi thi, Uss ke saath baithi thi un ki bari beti Arti, Arti ki Umar 26 saal thi Shaadi huwi thi lekin Husband ke saath ban'nne ki wajha se apne parents ke paas wapis aa gayi, Ab ye apne Papa ke saath un ke business me haath batati hai.
eb31e7e1300dc9abe9e0f5e4359aa231.jpg


Arti ke saath baithi huwi Sayani gharane ki Bahu Akash ki patni, Saanvi, Saanvi ki Umar 21 saal thi sirf 19 ki Umar me he uss ki shaadi Akash se ho gayi thi, Wo wanha khamooshi se baithi ek bare ghar ki bahu ki tarha behave ker rahi thi, Lekin Aarav ko uss me se ek Uncomfortable Vibe aa rahi thi.
a3835b436f9c2f1160b0db29b1224d07.jpg


Vanshika ne Jaise he Aarav ko andar ate daikha wo tez kadmo ke saath uss ke paas aa gayi aur Normal behave karte huwe Dheemi awaz me boli.



Vanshika (Whisper): Tum andar kiu aye ho? Main ne kaha tha ke main sab kuch handle ker lu gi!



Aarav: Mujhe uss Larki ne bulaya hai! Adarsh Sir ke kehne ki wajha se Mujhe bhi Ana per gaya, Aur believe me mujhe iss waqt yahan aa ker khushi nahi ho rahi.



Vanshika: *Sigh*



Agar Adarsh ne Aarav ko andar ane ka kaha tha to Vanshika kuch nahi keh sakti thi usse, Prakash aur Neel ek sofe per ja ker baith gye kamre ka Atmosphere kanhi se bhi acha nahi lag raha tha kisi ko.



Adarsh: Mujhe khabar mili hai ke kal raat kia huwa hai! Lekin phir bhi main ek baar apni beti ke muh se Sun'nna chahu ga ke kal raat ko kia huwa hai?


Adarsh ne Vanshika se kaha to Vanshika ke saath Aarav bhi heraan ho gya, Adarsh ko sab pehle se pata tha raat ko kia huwa hai, Lekin kaise?



Vanshika ka ab kuch bhi chupana banta he nahi tha, Uss ne raat ko jo kuch huwa tha wo sab batana shuru ker dia lekin wo Aarav ko jitna kam Mention ker sake utna kam ker rahi thi, Wanhi Prakash ke mathe per paseena aa chuka tha.



Vanshika sab kuch batane ke baad chup ker gayi, Adarsh ne Neel ki taraf daikha jaise wo puch raha ho ke Vanshika ki batayi sab baato se wo sehmat hai kia?


Neel ki khamooshi daikh ker Adarsh ko jawab mil gaya, Adarsh ne Arti ki taraf daikha to Arti ne haan ne sar hila dia.


Arti: Daikhiye Prakash Uncle! Ap ke saath hamara Relation ye rishta hone se pehle se hai, Ap ke liye hamare dil me bohat Izaat hai, Lekin jo kal Raat ap ke bete ne kia wo bhi hum Nazar andaz nahi ker sakte.




Prakash: Tum sahi keh rahi ho beti! Neel ne jo kia wo sab galat tha, Ab tum jo saza dena chaho de sakte ho iss ko.



Arti ne situation ko bohat ache se bigarne se bacha lia tha, Aur ye karne ka ishara Adarsh ne he uss ko kia tha, Prakash ka business Sayani family ke kareeb bhi nahi ata tha lekin uss ke connection kuch bari jaghao per the jis ki wajha se Adarsh uss se bigarna nahi chahta tha.


Lekin agar wo situation ko handle karta to usse ek baap ki tarha faisla karna per jata, Iss liye uss ne Arti ko baat karne ke liye aage kia kiu ke uss waqt wo he bina kisi rudeness ke baat ker sakti thi.



Arti: Yahan agar kisi ko Neel ne sab se zada takleef di hai to wo Vanshu ko di hai! Agar wo Vanshu se maafi maang le aur Vanshu uss ko maaf ker de to hume bhi koi problem nahi hai iss se, Lekin agli baar agar aisa kuch huwa to faisla sirf Vanshu ka nahi ho ga.



Arti ne faisla sunate huwe kaha, Prakash ne Neel ko aage barhne ka kaha to Neel khara ho gya, Uss waqt uss ki embarrassment sab ko mehsoos ho rahi thi, Wo kadam aage nahi barha paa raha tha to Prakash uss ke paas ho gya.



Prakash(Whisper): Halaat ko aur mat bigaar! Abhi Akash yahan nahi hai iss ka he ehsaan maan upar wale ka, Uss ke ane se pehle sab kuch nipta de, Maafi he to maangni hai ek karwa ghoont bhar ker maang le maafi.



Neel ne apni muthi bheenchi aur chair per baithi Vanshika ke paas chala gaya, Vanshika ne apni nazre pher li Neel neeche apne ghutno ke bal baith gaya.



Neel: Kal jo kuch bhi huwa wo meri sab se bari galti thi! Uss ke liye mujhe maaf ker do, Aur main Kasam khata hu aage se aisa kuch bhi nahi ho ga, Vanshu.



Vanshika maaf karna chahti to nahi thi lekin jab Arti ne apna faisla sunaya tha to wo Vanshika ke liye signal bhi tha ke usse maaf karna he ho ga, Neel se abhi bhi uss ko ghin aa rahi thi.


Wo apna life partner aisa kab chahti thi, Lekin ab uss ki family ne decide ker lia tha wo kuch bhi nahi ker sakti thi-



Vanshika: Main tumhe maaf karti hi! Lekin agli baar se aisa kuch bhi huwa to bhool jana ke tumhari koi fiance bhi thi.


Vanshika haar maan ker maaf ker dia uss ki nazre khud wahan khare ek shaks oer chali gayi, Aarav jo sab kuch khamooshi se daikh raha tha wo Vanshika ki ankho me dard daikh sakta tha.



Raat ko ye he larki kidi sherni ki Tarha party me neel se lar rahi thi, Lekin ab apni family ke saamne wo kuch bhi nahi ker sakti thi.


*Click*


Kamre ke darwaze ka handle ghooma aur darwaza khul gaya, Saamne he Vansh khara huwa tha jo kamre ke andar aa raha tha wo jaise he andar aya uss ki nazar sab se pehle Aarav per gayi aur uss ki ankhe herat se phelne lagi.


Vansh (Shock): Tum yahan kia ker rahe ho?



Adarsh (Shout): Vansh! Uss ke baare me baad me puch lena, Abhi chup ker ke baith jao.


Adarsh ne unchi awaz karte huwe Vansh se kaha to wo bhi chup ker gaya, Agar Adarsh Vansh ko chup na karwata to Un ke Player hone ki bhanak lag sakti thi Kisi ko bhi, Vansh wanhi chup ker ke baith gaya.



Neel: Uncle main ne kal jo kia wo gakat tha! Lekin kal raat ko iss larke ne mujhe sab ke saamne Punch maara hai jis ka Nishaan abhi tak mere chehre se nahi gaya.




Neel ne gusse se Aarav ko ghoorte huwe kaha, Adarsh dobara mushkil Paristhiti me phans chuka tha.



Arti: Dil me gussa rakhne se kuch nahi ho ga! Tum (Aarav) yahan aoo.



Arti ne Ungli ke ishare se Aarav ko paas bulaya, Wo Aarav ki sachayi nahi jaanti thi lekin Adarsh ko Aarav ke baare me pata tha wo iss tarha Arti ke uss ko treat karne se kuch kehna chah raha tha, Lekin wo apni beti ko agar beech me rokta to Na sirf Aarav per sab ko kuch shaq hota saath me Arti ko bhi bura lag jata.


Aarav ne Arti ko apni taraf ishara karte daikha to wo aage barh uss ke paas chala gaya, Vansh abhi bhi herani se Aarav ko daikh raha tha ke Orc King se larne wala ye Vyakti uss ki behan ke aadesh kiu maan raha hai.


Arti: Kal raat jo bhi huwa kon galat tha kon nahi in sab se mujhe farak nahi parta! Tum bhi jaise Neel ne maafi maangi hai waise he uss se maafi maang lo.



Arti ka faisla sun pehli baar Adarsh aur Vansh ki hawa Tight huwi thi, Aarav koi sadharan vyakti nahi tha jis ko aise maaafi maangne ka keh dia jaye-



Wanhi Aarav ke liye pehli baar nahi tha ke uss ko kisi se maafi maangni per rahi thi, Uss ne pehle bhi bohat se logo ke saamne haath jor ker apne pita ke karz ke liye maholat maangi thi paise na hone per unhi logo se paiso ki bheek bhi maangi thi.



Lekin aj Aarav samajh nahi paa raha tha ke wo chah ker bhi jhuk kiu nahi paa raha? Wo maafi maangne ke liye tayar tha lekin ek tofan jo uss ke andar uth raha tha wo usse rok raha tha, Saamne khare Neel ke chehre per wo Muskurahat usse gussa dila rahi thi.



Aisa Aarav ke saath pehle kabhi nahi huwa tha, Kiu ke ye Pride uss ki nahi Alpha ki thi jo Neel jaise Vyakti ke saamne usse jhukne se rok rahi thi, Aarav ki ankho me wo angare saamne khare Neel ki muskurahat ko dar me badalne shuru ho gye the.



Arti: Ghoor kia rahe ho? Meri baat suni nahi tum ne kia? Neel se maafi maango-



“Arti!!!”



Ek garajti awaz ne kamre me sab ko dehla ker rakh dia, Sab ki nazre khud he kamre ke darwaze per chali gayi jahan sab ke saamne Akash khara huwa tha, Uss ki ankho me Aarav se zada gussa tha.


Lekin jaise he uss ne Aarav ko apni taraf daikhte daikha Akash ne ek gehra saans bhara aur khud ko shaant ker lia, Lekin uss ki uss awaz ne sab ko andar se sehma ker rakh dia tha.



Akash chalte huwe Aarav ke paas aa ker uss ke saath khara ho gya aur haath jor sab ko namaste keh dia, Jahan sab heran the wanhi Prakash ke mathe per paseena paani ki tarha behne laga.



Akash: Kia ho raha hai yahan? Kis baat ki maafi maange ga Aarav?



Neel ki awaz bhi nahi nikal rahi thi Akash ke saamne, Yahan tak ke Adarsh bhi ankhe phaare Akash ko daikh raha tha, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke sab aisa kiu behave ker rahe hai?


Arti(Frightened): W-Wo bhayia! K-Kal raat ko iss larke ne Neel per haath uthaya tha iss liye.



Arti jo ab tak pure kamre me kisi commander ki tarha order suna rahi thi wo bhi haklane lagi thi, Akash ne sab ki taraf daikha aur apne ap ko thora aage jhuka lia.



Akash(Bow): Kal raat jo kuch bhi huwa wo sab galat tha! Lekin Aarav ne jo kia uss ki maafi main maangta hu.


Akash ke jhukte he sab ke andar ka dar Herat me badal gaya, Akash jaisa insaan kisi aur ki galti ke liye maafi maang raha tha wo bhi sar jhuka ker.



Prakash: Akash beta ye kia ker rahe ho? Tumhe Maafi maangne ki kia zaroorat hai?



Akash: Prakash Uncle! Kal raat jo kuch bhi huwa wo mujhe pehle he inform ker dia gaya hai, Aur mujhe nahi lagta ke Aarav ki wahan kuch bhi galti hai agar aage bhi kabhi aisi koi situation huwi to meri taraf se Aarav ko permission hai iss tarha dobara react karne ki, Agar iss faisle se ap ko bura laga hai to uss ki zimedari mujh per hai na ke Akash per.



Prakash: Aisi kuch nahi hai beta! Hum galat the, Neel to sirf apne kuch dosto ki wajha se iss larke se maafi mangwana chahta tha, Kiu ke kal raat iss ne un per bhi haath uthaya tha, Wo gussa the to sirf iss liye iss baat ko khatam karne ke liye hum iss larke se maafi mangwana chahte the.



Akash ne Aarav ki taraf daikha jo usse he daikh raha tha, Aj tak Aarav ek bare bhai ki tarha sab mushkilo se lara tha lekin pehli baar usse aisa ehsaas ho raha tha jaise wo relax ker sakta hai Akash ki nazro me tha ke wo Aarav ko bacha le ga har mushkil se.



Ye ehsaas Aarav ke liye bhi naya tha uss me kabhi ye pehle mehsoos nahi kia tha, Uss ke chehre per kab muskurahat aa gayi wo khud na mehsoos ker saka, Uss ko muskurate daikh Akash bhi muskura dia.



Akash: Neel! Agar tum apne dosto ko samjhane ki koshis karo gye to wo samajh jaye gye.



Neel: L-Lekin Bhayia! Wo sab thore gusse me the.



Akash: Mujh per Vishwas karo! Tum unhe samjha sakte ho, Agar wo na samjhe to main khud aa jao ga tumhare saath.



Ab iss se aage na to Neel kuch keh sakta tha na he Prakash, Kamre me ek khamooshi cha chuki thi-



Prakash ne uss waqt wahan se jana he sahi samjha, Dono Baap beta Adarsh se ijazat lete huwe baahir nikalne lage-


Akash: Aur ap log yaad rakhna!


Prakash: !!!


Neel: !!!



Akash: Aarav mere liye mere chote bhai ke jaise hai! Agar wo kuch bhi galti kare to uss ki zimedari meri hai, to agli baar se jab bhi ap Aarav se kuch kaho to ye yaad rakhna ke wo sab ap mujh se keh rahe ho.



Ek pal pehle shaant baithe Akash ki awaz me ek kroorta aa chuki thi, Wo samjha nahi raha tha warning de raha tha ke agar unho ne Aarav ko kuch bhi kaha to wo khud uss ka badla le ga.



Prakash ka pura badan kaanpne laga uss ne Neel ka haath pakra aur tezi se baahir nikal gaya-


Aarav: *Sigh*


Agar aj Akash waqt per nahi ata to Aarav ke liye ek bari mushkil khari hone wali thi, Aarav ne aage barh Akash ko dhanyavaad kehna chaha, lekin sirf ek kadam uthate he Aarav ke kadam larkharaye aur wo girne wala tha ke Akash ne usse pakar lia.



Akash (Panicked): Kia huwa Aarav?



Aarav ne kal se kuch bhi nahi khaya tha upar se kal se lagatar hone wali fight aur healing se uss ki body drain ho gayi thi, Wanhi abhi Alpha ki wajha se uss per aur bhi pressure aa gaya tha.



Aarav(Weary): I'm feeling a bit weak, but it's nothing serious! I think it's just because i didn't eat today, I'll be fine after i grab something to eat.


Akash: Maa! Aarav ke liye khana lagaye.



Akash ne jaldi se apni Maa ko khana lagane ko kaha, Aarav ki halat daikh wo kitna ghabra gaya tha ye uss ki awaz me jhalak raha tha.


Aarav: Nahi! Urvi mera intezar ker rahi ho gi, Mujhe jana ho ga.



Akash: lekin-



Archana (Smile): Tum fikar mat karo Akash! Main khud Aarav ke saath jao gi aur isse ache se khila ker wapis aao gi.



Akash: Theek hai! Lekin ap please ki halat jab tak theek nahi hoti iss ko baahir mat ane dena.


Archana: Theek hai Baba!


Akash: Main bhi kuch Araam ker lu! Saanvi, main ek quick nap lu ga mujhe 2 ghante me waapis jana hai.



Saanvi ne haan me sar hila dia, Akash ne Aarav ko Archana ke hawale ker dia aur baahir nikal gaya, Uss ke jate he kamre ka wo pressure kam ho gya aur sab ne sakoon ka saans lia, Jahan Arti ye soch rahi thi ke Aarav kon hai jis ke liye uss ka bhai itna aage barh gaya, Wanhi Vansh gusse bhari nazro se Aarav ko ghoor raha tha.



Saanvi bhi Akash ke peeche khari huwi aur uss ke paas jaane lagi, Uss ne pehli baar nazre utha ker Aarav ko daikha jo usse jaate huwe daikh raha tha, Saanvi ne choti smile se Greet kia aur baahir chali gayi.



Adarsh: Archana tum Aarav ke saath chali jao! Vanshika tum bhi ab ja sakti ho, Arti aur Vansh Tum dono abhi ruko mujhe kuch baat karni hai.



Archana Aarav ke saath Quarter ki taraf chal di aur Vanshika apne kamre ki taraf-



****



*Slam*


Neel Prakash ke saath Car ki pichli seat per baith gaya aur zor se darwaza band ker dia, Uss ke chehre per gussa tha.



Prakash: Driver Ghar le chalo! Hum abhi Neel sahib ko ghar choore gye phir Office chale gye.



Prakash ki baat sun Driver ne Car ghar ki taraf ghooma di-



Neel(Aggressive): Akhir ap uss Akash se kuch kehte kiu nahi ho? Jab daikho wo hume Order deta hai jaise hum uss ke phenke tukro per jee rahe hai, Aur aj to uss ne sab ke saamne hume dhamki di hai aur wo bhi uss 2 kaori ke Bodyguard ke liye.



Prakash(Sigh): Huh! Tujhe abhi bhi bohat kuch seekhna hai Zindagi me, Kia pucha tu ne? Uss Akash se kuch kabhi kaha kiu nahi main ne, Akash ek tofan ki tarha hai jis ko daikh ker dusri taraf bhaagna chahiye jo bhi uss tofan ki taraf jane ki koshis karta hai wo kisi Pagal se kam nahi hai.



Neel: !!!



Prakash: Main 28 Saal se iss business ki duniya me hu! Bohat se logo ka garoor aur ahankar tor ker yahan tak aya hu main, Lekin sirf wo ek larka aisa mila mujhe jise jitna main ne torna chaha utna main khud maar khata raha, Akash jaise tofan ko khatam nahi ker sakte sirf bach sakte hai.



Prakash ke har shabd me uss ki haar jhalak rahi thi, Apne bete ko batate huwe bhi usse jhijhak mehsoos nahi ho rahi thi ke wo kaise ek kal ke aye larke ke saamne ghutne taik chuka hai.



Prakash: Sirf main nahi koi bhi uss ke khilaf nahi jata! Jahan sab paiso ke liye ek dusre ke khoon ki nadiya baha sakte hai wahan Akash kisi Raja ki tarha rehta hai, Na to tum usse gussa dila sakte ho na khush ker sakte ho, Agar wo tunhare saamne tumhe maar bhi raha ho ga to wo iss liye nahi ho ga ke wo tum per gussa hai ya tum se usse koi khatra hai, wo sirf tumhe maare ga kiu ke ye uss ke liye ek task hai jo usse complete karna hai, iss liye sab ne usse ek naam dia hai, Calm Chaos.



Neel: Gulp! Kia wo sach me itna khatarnak hai, to phir wo uss Aarav ke liye kiu andar gussa huwa?



Prakash: Mujhe nahi pata! Lekin agar wo larka uss ke liye zaroori hai to hume puri koshis karni ho gi ke uss larke ko kuch na ho warna hamari galti ho ya na ho, Desai Family ka naam puri duniya se khatam ho jaye ga.



*Ring* *Ring*


Neel ke mobile per Call ayi to wo uss khoof ki duniya se baahir aya, Call uss ke dost ki thi jo kal raat uss ke saath tha.


Neel: Lagta hai Uss Aarav ke baare me puchne ke liye Call ker raha hai!



Prakash: Usse samjha do! Warna hum sab ke liye khatra khara ho jaye ga.


*Huh* *Huh*


Neel ne Call pick ki aur jaise he uss ne mobile apne kaan per lagaya duari taraf se uss ke dost ki tez saanso ne Neel ko heran ker dia.



Neel(Frightened): Karl! Kia huwa hai Karl?



Karl(Groan): N-Neel bacha le mujhe Neel, yahan koi hamare secret hideout me ghus g-gaya hai *Cry* Hamare sab dosto ko maar dia hai uss ne, Neel W-wo wapis aa raha hai Neel *Ahhhhh*



Saamne se apne dost ki dardnak cheekho ne Neel ko buri tarha hila ker rakh dia tha, Neel Karl ko pukarta raha lekin saamne se sirf uss ke chilane ki awaz ati rahi phir kuch pal khamooshi chaa gayi jis ke baad Neel ko dusri taraf se dobara awaz ayi.


Other Side: Tere sab dosto ko khatam ker dia hai! Sirf tu bacha hai to apna sar jhuka ker chalna tu agar sar uthaya to seedhe maathe ke beech me ched karu ga.



Dusri taraf se Neel ko dhamki mil rahi thi, Aur dhamki dene wale ki awaz me ek karoolta thi jaise agar baat Sach me karne per ayi to Neel ka bacha Na-Mumkin tha.



Neel (Shiver): K-kon?



Neel ne mushkil se ye pucha lekin uss ke andar ki puri himmat toot chuki thi, Dusri taraf se ek zor ka kehkaha laga aur saamne se hansne ki awaz ayi jaise wo Neel ke sawal ki bewakoofi per hans raha ho.


“Barbie!!!”

6e027be04328d5797716c474e4ac32c7.gif

*****


“Please let me go!!!”


Abhi Archana aur Aarav Quarter ke paas pohanche he the ke andar se unhe awaze ane lagi, Aarav ne tezi se aage barh ker darwaza khola aur andar chala gaya, Saamne he Urvi khari thi uss ki kalayi Julia ne pakri huwi thi.



Aarav ko saamne daikhte he Urvi haath churwa ker bhaagte huwe aa ker Aarav se lipat gayi, Aarav ne bhi usse bahon me bhar lia aur comfort karne laga usse.

370c65902e320828c454afbd421e084e.jpg


Urvi(Shivering): Kahan chale gye the ap? Pata hai kitni dar gayi thi main!!!


Aarav ko ab situation ka andaza ho raha tha, Kal to Urvi pure Hosh me bhi nahi thi aur jaldi soo bhi gayi thi aur jab wo hosh me ayi to Anjaani jagha per jahan wo kisi ko jaanti bhi nahi thi aur upar se uss ka bhai bhi gayab tha.


Aarav: Kuch nahi huwa! Dar mat Urvi, Main yanhi hu sirf kuch kaam se baahir gaya tha, Ab wapis aa gaya hu main.


Aarav ne Urvi ko kuch samay yun he Bahon me bheenche rakha aur jab wo kuch relax huwi to usse choor dia, Urvi wanhi Aarav ka haath pakar ker khari ho gayi.


Urvi: Mujhe phir waisa he sapna aya tha! Jab uthi to ye Larki mere paas thi aur pata nahi kia bol rahi thi.



Aarav ne Julia ki taraf daikha to uss ne ishara ker dia ke uss ki koi galti nahi hai.


Archana: Julia ki mother Russian hai! Julia bhi bachpan se Russia me rahi hai to wo mostly Russian he bolti hai abhi English seekh rahi hai Julia.


Aarav apni Skill ki wajha se Julia ki language samajh sakta tha aur bol sakta tha, Lekin Urvi ke liye Julia ki baato ko samajhna possible nahi tha.



Archana: Ab sawal jawab baad me karna! Tum dono abhi bhooke ho, Apni apni jagha per baitho main khana lagati hu.



Archana ghar se khana banwa ker saath layi thi, Jis ko wo wanhi table per lagane lagi, Aarav aur Urvi bhi ja ker baith gye, Ye ek chota round table tha jahan 4 Chairs rakhi huwi thi.



Urvi(Whisper): Bhayia ye kon hai?



Aarav: Ye Adarsh sir ki wife hai! Kal inho ne he tumhara khayak rakha tha aur Julia ko tumhare paas rehne ka kaha tha.



Urvi chup ker ke Archana ko daikhne lagi, Archana Adarsh jaise bare Insaan ki patni thi, Lekin abhi wo unhe khana Serve karte huwe muskura rahi thi jaise usse khushi ho rahi thi ye karne se.



Archana: Indian Khana banaya hai tum dono ke liye! Abhi tumhe ghar ke khaane ki adat ho gi to main ne kuch alag na Bana ker ghar wala taste dene ki koshis ki hai.



Archana ne dono ko khana paros ker wanhi baith gayi, Aarav ne pehal karte huwe ek nivaala muh me daala Aarav ki ankhe kab bhar gayi Usse khud na pata chala.



Archana: Kia huwa mirch zada ho gayi kia?



Aarav(Tears): Nahi! Bohat maze ka hai khana, Iss ka svaad bilkul meri Maa ke banaye khaane jaisa hai, Zada samay to nahi khaya un ke haath ka khana lekin wo Svaad kabhi bhoola nahi.



Aarav ki baat sun Archana ka chehra khil gaya wanhi Urvi apne bhai ki baate sun ker bhavuk ho rahi thi-



Archana: Ap kiu nahi kha rahi beta! Haan abhi tumhe weakness feel ho rahi ho gi, Koi baat nahi main khila deti hu.



Archana ne Urvi ke aage se plate apni taraf ker li aur khud nivaala bana ker Urvi ki taraf barha dia, Urvi kabhi Archana ke haath ko daikhti to kabhi apne bhai ko wo jhijhak rahi thi.


Uss ko jhijhakti daikh Archana ne khud aage barh usse khila dia, Jaise koi Maa apne bache ke naa khane per usse khilati hai, Urvi apni haatho ki muthi banaye aone ansoo rok rahi thi.


Bin Maa ke bacho ko jab aise Maa ka pyaar milta hai to unhe uss pyaar ki bhook bhi hoti hai aur dar bhi hota hai ke unhe dobara adat na ho jaye iss pyaar ki, Kiu ke wo Pyaar dobara unhe choorta hai to wo dobara uss pyaar ko mehsoos nahi ker paate hai.


Aisa he kuch Urvi ke saath ho raha tha, Archana me uss ko apni Maa ka roop dikh raha tha lekin wo khul nahi paa rahi thi aur Naa he Archana ko khilane se rokne ki himmat ker paa rahi thi.



Aarav sirf Archana ko Urvi ko khilate daikh ker khush ho raha tha, Ye pal zada der naa bhi ho lekin wo in palo ka maza lena chahta tha iss waqt-



Dono ne khana kha lia to Urvi jaldi se Washroom chale gayi apne ansoo chupate huwe, Julia aage barh ker sab bartan uthane lagi.


Aarav: Thanks!


Archana: Aur ab ye kis liye hai?


Aarav: Kal se ap ne jo Urvi ke liye kia uss ki main bohat Izaat karta hu! Lekin ap bhi jaanti hai ke ye sab kuch samay ke liye he hai, Mera kaam yahan khatam hone ke baad ye sab bhi khatam ho jaye ga.



Archana sirf chehre per ek muskurahat sajaye Aarav ko daikhti rahi, Aarav apni asli feelings ko apne andar dabate huwe bol raha tha wo iss sab ko khatam nahi hone dena chahta tha, Lekin wo Sachayi se nazre bhi nahi ghooma sakta tha.


Archana: Meri Maa ki hum 3 betiye thi! Mujhe bachpan me hamesha lagta tha ke agar 1 beti kanhi chali bhi jaye to Maa hum 2 ke saath he khush reh sakti hai, *Sigh* Lekin jab mere apne bache huwe to Mujhe ehsaas huwa ke Maa ke kitne bhi bache kiu na ho, Uss ke liye uss ke sab bacho ka pyaar 1 jaisa he rehta hai.



Aarav: !!!



Archana: Arti meri sab se bari beti thi aur hamesha se apne Papa ki laadli! Wanhi Vansh aur Vanshika hamesha ek dusre se larte jhagarte rehte lekin un me pyaar bhi tha jo wo dikhate nahi the, Lekin mujhe sab se zada kabhi kisi ke liye bura laga hai to wo tha Akash.



Aarav: Akash! Lekin kiu?



Archana: Akash Autistic hai!



Archana ke kahe shabd Aarav ke sar per kisi bomb ki tarha phoote the, Aarav ne kuch Autistic logo ko daikha tha lekin Akash kanhi se Autistic na lagta tha.



Archana: Jab hume iss ka pata chala to hum toot gye the puri tarha! Baki bacho ki tarha Akash na khelta tha na kisi ko chu sakta tha, Hamesha darte huwe mere paas rehna uss ki takleef mere liye daikhni mushkil ho rahi thi, Tab hume ek mushkil faisla lena per gaya, Adarsh ke dost Autism ler research ker rahe the hum ne Akash ke treatment ke liye Akash un ke paas bhej dia.



Archana ki awaz sirf uss waqt ko yaad ker bhaari ho gayi thi, Wo khila huwa chehra murjha gaya tha-



Archana: 8 Saal tak Akash ko duniya se alag ek White Room me rakha gaya, 8 Saal unho ne Akash ko hum se alag rakha aur jab wo waapis aya to uss ka Autism to behtar ho gya, Lekin uss ke badle uss ke andar se sab Emotions khatam ho gye the, Na he usse kisi cheez ki chahat thi naa he kisi baat ka dukh, Mera beta kisi Machine ke jaisa bana ker wapis bhej dia tha unho ne akhir kaise ek Maa ye bardasht kare.



Archana ki ankho se ansoo behne lage Aarav apni jagha se uth uss ke saath ja ker baith gaya aur Archana ke kandhe per haath rakh usse himmat dene laga.


Archana: Lekin 4 saal baad pehli baar mujhe kal mere bete ke chehre per muskurahat dikhayi di hai, Aur us ki wajha tum the, Mujhe iss baat se Matlab nahi hai ye kaise huwa mujhe sirf iss baat ki khushi hai ke main apne bete ko khush daikh payi hu.



Aarav ko ab samajh aa rahi thi wahan kamre me sab Akash ke gusse heraan kiu ho rahe the, Ek emotionless Vyakti jab ap ke saamne Emotion dikhaye to heraani to ho gi.



Archana: Tum yahan sirf mere chote bete ko bachane aye the! Lekin tum ne uss ke saath raat ko meri bachi ko bachaya aur mera beta mujhe wapis lauta dia hai, Tum mujhe svarthee keh sakte ho lekin main tumhe kanhi bhi nahi jaane du gi, Aj se tum bhi mere bete aur Urvi meri apni bachi hai
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, 6K words ka update hai jo pehle aa jana tha lekin kuch Reasons ki wajha se time zada lag gaya, Aur abhi tak ek baar bhi target complete nahi huwa main update to waixe bhu tuesday tak post ker du ga lekin phir bhi target wo he hai 30 Likes, Umeed karta hu ap ko update acha lage ga milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Awesome update and nice story
 
Top