• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    317

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,839
17,950
189
UPDATE 11 ~
(ARRIVAL)


*Ughh*


Badan me uthti ek tez lehar ne Urvi ko ankhe kholne per majboor ker dia, Chaaro taraf andhera chaya huwa tha roshni naam ki koi cheez bhi nahi-


*Thump* *Thump*


Har taraf se zordar kadmo ki awaze aa rahi thi, Urvi ko kuch samajh nahi aa rahi thi ke ye kia ho raha hai akeli andhere me doobi wo larki dar se kaanpne lagi thi-



“Urvi mere paas he rehna! Main tujhe kuch nahi hone du ga”


Us andhere me ek Apni awaz sun Urvi ko kuch sakoon huwa, Urvi ne sar utha ker saamne daikha to usse uss ka bhai dikhne laga, Lekin jaise he uss ki nazar uss ke khoon se latpat kapro per gayi Urvi ka dil dehal gaya.


Aarav Zanjeero se bandha ek Talwar haath me pakre khara tha, Shareer per jagha jagha Ghaav chehre per bhi jagha maas phata huwa Ankhe khoon se bhari huwi, Aarav khara mushkil se saans le paa raha tha.



Urvi: (Groan) Bhayiaaa!


Urvi ki dard se bhari halki si awaz nikli aur jaise uss ke paas se andhera hatne laga, Jaise he andhera hat ker saamne ka drishya Urvi ke saamne aya uss ki bachi huwi himmat bhi jawab dene lagi.


Un ke saamne hazaro rakshas the jo dono behan bhai ko lalchai nazro se daikh rahe the, Jahan Dard se latpat Urvi zameen per giri huwi thi wanhi Aarav un rakshaso ke saamne talwar liye khara huwa tha.


Lekin un rakshaso se larna Na-Mumkin tha ye Aarav ko bhi pata tha, Uss ke chehre per wo guilt uss ka pura dard bayan ker raha tha.


Aarav (shivering): Mujhe Maaf karna Urvi! Tera bhai kabhi ek acha bhai na ban saka.


Aarav ki awaz me dard tha jis ko sun Urvi ka mann baith raha tha, Wo bolna chah rahi thi lekin dard se uss ki awaz bhi nahi nikal rahi thi wo hilna chah rahi thi lekin uss ka badan uss ka saath chorr chuka tha. Aur tabhi-


*Groowwwrrrr*


Ek Rakshas ne daharte huwe apne haath se Aarav ko chehre se pakra aur Uss ke shareer ko beeche se cheerte huwe 2 tukro me bant dia, Apne saamne apne bhai ko aise daikh Urvi ki zindagi he khatam ho gayi-



Kuch pal khamooshi se wo samajhne ki koshis karti rahi ke abhi huwa kia hai? Kuch Palo baad jab usse ehsaas huwa to uss ke pure shareer me ek sard sihran phirne lagi, Uss ki ankhe khulne lagi aur wo puri awaz se cheekhte huwe apne bhai ko pukarne lagi.


Urvi (Scream): Bhayia!!! Bhayia!!! Bhayia!!!


****


“Urvi! Uth Urvi”


Urvi ko apne bhai ki awaz ayi to wo darte huwe Achanak uth ker baith gayi, Uss ke saamne uss ka bhai chinta bhari nigaho se uss ko daikh raha tha, Apne bhai ko Apne saamne sahi salamt daikhte he Urvi uss se lipat gayi.


Aarav (Frightened): Arrey! Kia ho gya hai tujhe? Neend me chila rahi thi tu.


Aarav ne Urvi ke sar per haath pherate huwe kaha, Urvi ko jab apna bhai sahi halat me hone ka yaqeen ho gya to usse ehsaas huwa ke wo iss waqt kahan hai?


Dono iss waqt America ki flight me the, Baki passengers bhi dono ko heraani se daikh rahe the, Aarav ne to Urvi ki health ke liye usse araam karne ko kaha tha lekin Urvi ki halat aur bhi kharab ho gayi thi.



Urvi: Dobara ek bura khawab daikha!



Urvi ko roz raat ko aise khawab ane lage the, Shuru me to Aarav ne kuch khaas dhayan nahi dia lekin ab usse bhi chinta hone lagi thi.


Aarav: Hum aj Araam karne ke baad kal seedhe Doctor ke paas jane wale hai! Aur iss baar main koi bahane nahi sun'nne wala.


Aarav ne sakhti se kaha to Urvi ne hami bhar li, Sab passengers abhi bhi unhe he daikh rahe the to Urvi ne scene na banane ke liye dobara laitna he sahi samjha, Adarsh ne unn ke liye First Class ticket karwai thi jis se unhe separate cabin jaisi seat mili thi.

6d5c37584a333c42e14fa1715e500442.jpg

Aarav ko abhi bhi apni behan ke liye chinta ho rahi thi, Lekin uss ka wanha khara rehna bhi sahi nahi tha iss liye Aarav wapis apni seat per aa ker baith gaya, Lekin abhi bhi wo Urvi ke baare me soch raha tha.



Tabhi Aarav ko apne paas rakhi ek magazine dikhi to Aarav ne usse parhne ke liye utha lia, Magazine me likhi zada cheezo ke baare me Aarav ko pata nahi tha lekin wo phir bhi sab kuch dhayan se parh raha tha-


Aise he page palatate palatate ek page ne Aarav ko rukne per majboor ker dia-



“New young businessperson on the rise”


“Akash Sayani”

3617705c8d8da397ccb5bd07c541fae7.jpg

Akash Adarsh ka pehla beta matlab Vansh ka bara bhai tha, Aarav ke andar aur bhi jan'nne ki curiosity jagne lagi to uss ne apna mobile nikal lia aur Wifi se connect ker lia, First Class me Aarav ko Onboard Wifi bhi mil raha tha.


First Class jitni mehngi thi utne he uss ke privilege bhi the, Accelerated check-in and security service, First class walo ko sab se pehle board kia jata jis ki wajha se Urvi zada pareshaan nahi huwi, Kisi bhi normal insaan ke liye ye sab kuch bohat extraordinary experience tha.


Aarav ko bhi acha lag raha tha lekin wo ye nahi bhool raha tha ke ye privilege uss ke apne kamaye nahi hai, Dil me ek khawaish ke kisi din apni mehnat se iss experience ko enjoy kare ga.


Mobile se Aarav ne internet per Akash ke baare me search kia to jaise jaise wo uss ke baare me janta ja raha tha waise waise uss ke andar Akash se milne ki chahat barhti ja rahi thi, Sirf 20 ki Age me he Akash ne business ki duniya me kadam jama liye the aur ab wo apne pita ki tarha he ek successful insaan tha.



Akash ki wajha se Adarsh ko bhi bhi bohat faida huwa tha, Jahan Akash saphalata ki unchayio ko chu raha tha wanhi ek aur Naam bhi uth raha tha.


“Rivalry Between Akash Sayani VS Veer Singh”


Veer ek Hindustani larka tha jo Akash ka rival kaha ja raha tha, Veer ki family bhi achi khaasi thi aur kaha ja raha tha ke agar veer aise he chalta raha tha wo Big 4 family me le ja sakta tha apni family ko.


Big 4 Family sirf paise ki wajha se Big family nahi thi, Big 4 family ke paas power thi jo kisi bhi desh ko puri tarha hila sakti thi, Pichle 25 saal se Big 4 Family change nahi huwi thi lekin Veer ke ane ke baad kaya palatati huwi dikhayi de rahi thi.



Kuch der aur aise he browse karne ke baad Aarav ne mobile wapis rakh dia aur aage kia karna hai uss baare me sochne laga, Aarav ne saamne daikha to uss ke saamne window khul gayi jis per Time chal raha tha.



[21 Days Hours 55 Minutes]


Ye Agli baar jaane ka waqt bacha tha, Urvi ki tabiyat ki wajha se Aarav ko Nigeria me zada waqt rehna per gaya tha, Aarav ko jald he khud ko tayar karna tha agli larayi ke liye Daisuke ke kehne ke mutabik Aarav ko ek naya Trainer milne wala tha jis se Aarav Takatwar ho sakta hai.


Aarav ki zindagi me bohat kam waqt me bohat se badlav aa rahe the, Lekin un sab me Aarav ko sirf ek baat ki Khushi thi ke wo apni behan ka treatment karwa sakta hai aur usse khush rakh sakta hai.


****

JFK International Airport, New York
USA ~ 4:34 PM




“Dhayan se Urvi!”


Aarav ne aage barh Urvi ka haath pakar ker usse Sahara dia jis se wo gire na, Dobara Flight me Urvi ki tabiyat kharab ho rahi thi pichli baar ki tarha zada kharab nahi thi lekin sar dard se wo khud ko sambhal nahi paa rahi thi.



Aarav uss ka haath pakar ker usse liye baahir aa gaya, Idhar udhar nazre ghooma ker Aarav saamne khare logo me apne Naam ka board dhoondne laga-



Lekin jab Aarav ki nazar saamne khare shaks per gayi to usse board daikhna he nahi para, Kuch waqt pehle jis Insaan ke baare me Aarav Article parh raha tha wo khud Aarav ke saamne tha-


“Akash!!!”


Aarav ne Naam pukara to Akash bhi Aarav ki taraf daikhne laga, Aarav ki daikhte he uss ne haath hila ker usse Greet kia.



Akash (Smile): Mujhe nahi laga tha ke tum mujhe pehchan pao gye! Tumhe kaise pata main he tumhe lene aya hu? Mere paas to koi board bhi nahi hai.



Aarav (Awkward): Flight me Magazine me parh raha tha ap ke baare me!



Akash Aarav ki baat sun ker hansne laga, Akash wahan kuch special nahi ker raha tha lekin uss ki har harkat me ek Elegance thi, Urvi ne bhi haath jor ker Namaste kaha to Akash ne uss ka jawab de dia.


Akash: Sorry Dad thore busy the to wo khud nahi aa sake! I hope you don't mind.


Aarav: it's okay! Yahan tak ke ap itne vyast hone ke baad bhi hamare liye yahan aye ye he bohat hai hamare liye.


Akash ne Urvi ki halat daikhi to uss ne wahan khara rehna sahi nahi samjha, Uss ne apna haath utha ker ishara kia to uss ke saath 2 guards ne aage barh Aarav aur Urvi se un ka samaan le lia.


Wo jaise he aage barhe Akash ke guards me un ke liye Raasta banana shuru ker dia, Sabhi log unhe he daikh rahe the to wanhi kuch Dur se Akash ki picture le rahe the, Akhir itne guards ke saath koi Sadharan Insaan to ho nahi sakta tha.


Wanhi Aarav khud ko aur Urvi ko sab ki nazro se bachana chah raha tha, Daisuke ne usse Low profile rakhne ko kaha tha lekin Akash ke saath Low Profile rakhna mushkil tha.



Airport se baahir ate he Aarav ko saamne Gariyo ki line lagi dikhayi di, Akash ne aage barh Aarav ke liye ek Car ka darwaza khol dia, Aarav ko chinta ho rahi thi ke Urvi ko shak na ho ke Akhir ek Bodyguard ki job ke liye aye insaan ko itni izaat kiu mil rahi hai.


Lekin Akash iss baat se Anjan tha ke Urvi ko yahan ane ki asli wajha nahi pata, Aarav Urvi ko le ker Car me baith gaya Akash bhi Ussi Car me aage baith gaya, Aur Car chalne lagi New York ki sarko per-


Shaam ka waqt ho raha tha to bohat si Buildings ki roshni uss drishya ko khubsoorat bana raha tha, Aarav barfeele Area me chote gharo wale shehar me rehne wala larka tha, Iss tarha bari bari buildings wo bhi pehli baar daikh raha tha.

25366665867819d2cb18354873f4493d.jpg

Bhale he uss ne jo kuch bhi experience kia tha lekin shehar ki khubsoorti uss ko apni taraf Akarshak ker rahi thi, Urvi dobara neend ki halat me thi to wo kuch bhi nahi daikh rahi thi, 45 Minute ke lambe safar ke baad wo pohanch gye apni manzal per-


“Sayani Mansion”

4deba467f5989bf8ac389ea9114fb055.jpg

White Color ka wo Mansion lights me jagmagata kisi ko bhi apni khubsoorti me dooba sakta tha, Wahan rakhi har cheez me ek khubsoorti jhalak rahi thi uss ko maintain karne ke liye kitne log lagte ho gye ye sochna bhi mushkil tha.


Car ruki to Sab baahir aa gy, Sabhi Gariya wahan se jaane lagi Akash muskurate huwe Aarav ko daikh raha tha Jo Mansion ki khubsoorti ko apni ankho me kaid karna chah raha tha.


Akash: Sorry Aarav! Main to tumhe Main House me rakhna chahta tha, Lekin Daisuke ke orders hai ke tumhe baki servants ki tarha he alag rakha jaye.



Aarav ko samajh aa raha tha ke Daisuke ne uss ki bhalayi ke liye he ye kaha tha, Waise bhi Aarav un ke saath rehta to comfortable nahi rehne wala, Akash unhe le ker Servant Quarter ki taraf le gaya.

0dd475907b889374f44ae7f3350f136f.jpg

Servant Quarter Mansion ki tarha bare to nahi the, Lekin Aarav ke liye wo he bohat luxury House ki tarha ke the, Aarav aur Urvi ko separate Quarter dia gaya tha.



“Ye bachi ko kia huwa?”



Peeche se Chinta bhari ek awaz ne sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Aarav ne peeche ghoom ker daikha to ek Aurat Saari pehne chalte huwe un ki taraf aa rahi thi, Wo Aurat seedhe Urvi ke paas aa gayi jo Aarav ke sahare khari huwi thi.


Aurat (Softly): Kia huwa hai bachi ko? Akash tumhe Aqal hai kia? Iss halat me bachi ko khara kia huwa hai!!!


Uss Aurat ne Urvi ke mathe ko haath laga ker Fever check kia, Wo gusse se Akash ko bole ja rahi thi wanhi Akash bhi chote bache ki tarha khara daant kha raha tha.


Koi bhi iss waqt ye nahi keh sakta tha ke iss Larke se bare bare businessman darte hai, Lekin Uss Aurat ko daikh Aarav apne mann me uth rahe tofan ko shaant ker raha tha.



“Maa!”


Aarav ke mann me ek he shabd goonj raha tha, Maa! Ek pal ke liye Aarav ko uss aurat me apni Maa dikhi jo Urvi ke bimaar hone per aise he dar jati thi, Lekin ye uss ki Maa nahi thi lekin uss Aurat se mehsoos hori wo mamta Aarav ko bikher rahi thi.



Akash: Main andar he le ker jaa raha tha! Ab ap aa gayi ho to khud he sambhalo.



Akash ne muskurate huwe uss Aurat se kaha Aurat ne side se ghoorte huwe Akash ko daikha, Phir ek female servant ko apne paas bula lia.


Aurat: Julia, Bachi ke Araam karne ke liye tayari karo! Jet Lag huwa hai mere khayal se to Aj raat tum iss ka khayal rakhna, Aur Doctor ko bula lo wo bhi ek baar check ker le, Tab tak main kuch halka sa khaane ke liye bana ker laati hu.



Aurat ne Julia ko instruction diye, Abhi tak uss ne Aarav aur Urvi se naam tak nahi poocha tha, Usse sirf Urvi ki fikar ho rahi thi uss ki iss harkat se he uss ka saaf dil ka ehsaas ho raha tha sab ko-



Akash: Mom! Ap ko nahi lagta ke ap ko pehle khud ko introduce karwana chahiye?


Aurat: Main to bhool he gayi! Maaf karna beta, Main Archana Sayani, Adarsh Sayani ki patni aur iss jhalle ki Maa, Mujhe bata dia tha mere husband ne ke tum dono aa rahe ho lekin tumhari behan ki halat daikh ker main khud ko control nahi ker saki, Main tumhe dhanyavaad kehna chahti hu ke tum mere bete ke liye yahan tak aye.


Archana ne halka sa sar jhukate huwe pyaar bhare andaz se kaha, Uss ki ankho me nazar aa raha tha ke wo apne bacho se kitna pyaar karti hai, Jo dusre bacho ki halat daikh ker itna dar rahi thi wo apne bete ke gayab hone se kitna dar gayi ho gi ye lafzo me nahi bayan ho sakta tha.



Aarav: Dhanyavaad ki kaisi baat! Ulta shukriya to mujhe kehna chahiye jo ap logo ne mere liye itna kuch kia, Main ne kuch selfish wishes bhi ki thi lekin ap ne wo bhi puri ki uss ki mujhe bohat khushi hai.


Archana ne aage barh Aarav ko sar per haath pher usse saraha aur dobara Servant ko instruction dene shuru ker diye dono ke liye, Aarav ko Urvi ki chinta nahi karni per rahi thi Archana ne usse sab zimedari apne upar chorrne ka keh dia.



Julia ne Aarav se Urvi ko le lia aur usse andar le gayi, Urvi abhi bhi hosh me nahi thi puri tarha un ke jaane ke Baad Archana bhi wahan se chali gayi-



Akash (Sigh): Huh! Maa hamesha se he aisi hai, Un se kisi ko takleef me nahi daikha jata un ki kisi baat ka bura mat Man'nna.



Aarav: Bura kiu Man'nna? Mujhe to Khushi ho rahi hai ke yahan mere sivaye bhi meri behan ki fikar hai kisi ko!



Akash: Waise Aarav! Agar tum zada thake nahi ho to mere saath aoo gye kuch der ke liye?



Aarav flight se thora thak to gaya tha leki. Wo Akash ko mana nahi karna chahta tha iss liye haan keh dia, Akash usse apne saath dusri taraf le gaya wahan ek bara kamra tha, Akash ke ishare se uss ko khol dia gaya.



Akash andar chala gaya Aarav bhi uss ke saath andar aa gaya, Baki sab log baahir ruk gye sirf 1 un ke saath andar aya aur Darwaza band ker dia, Ye kamra ek gym ki tarha ka tha jahan sabhi Gym equipment the.



Wanhi dewar ke upar kuch katana aur different weapons bhi lage huwe the, Beech me he fight ke liye ke Mat bhi bicha huwa tha-


Akash: Aarav galat mat samajhna! Lekin main ek baar tumhe Test karna chahta hu, Agar koi aur hota to main ye na karta lekin baat mere chote bhai ki hai, Can you spar with Barbie for me?


Akash ne apne saath khare Admi ki taraf ishara kia, Naam Barbie tha lekin built-up uss ka hulk ki tarha ka tha, Aarav samajh sakta tha Akash ye kiu chahta hai.



Aarav (Nod): Theek hai!



Aarav ke Hami bharte he Akash ne Barbie ko ishara ker dia, Dono Mat ki taraf chale gye Aarav apne shoes utarne laga-


Aarav: Kia ye Barbie trust Worthy hai? Daisuke ne mujhe kisi ke saamne bhi apni power Use karne se sambhalne ko kaha hai!



Akash: Tum fikar mat karo! Barbie mere sab se Loyal servant me se ek hai.



Aarav tayar ho ker Mat ke beech me chala gaya, Barbie ne Wooden Training Sword utha li aur ek Aarav ki taraf barha di, Aarav ne Sword ko pakar lia aur khara ho gya.



Barbie: I’ll try to go easy on you!


Barbie ne Sword pakar ker apne Stance me khara ho gya, Aarav bhi ane wale Attack ke liye tayar ho gya.


Akash: Pehle Attack ko tum sirf block karo gye!


Akash ne Aarav se kaha to Aarav ne haan ne sar hila ker hami bhar di.



Akash: Hajime!



Akash ke signal dete he Barbie ne apni sword se perfect defense banate huwe attack kia, Wanhi Aarav Orc King aur Alpha jaise beast se lar ke aya tha uss ke liye Barbie ka Attack bohat Easy tha, Bina zada struggle kiye Aarav ne apni sword se Barbie ki Sword per Slash Use ker dia.


Aarav ki speed Aur power dono he inhumam thi, Barbie Aarav ko underestimate nahi ker raha tha lekin usse bhi aise strong block ki umeed nahi thi, Barbie ki sword uss ke haath se nikalte huwe peeche ja giri.


Jahan Barbie heran tha wanhi Akash chehre per muskurahat sajaye Aarav ko daikh raha tha, Aarav block ke baad ab Attack karne ke liye tayar ho raha tha.



Akash: Itna bohat hai! Main jo daikhna chahta tha main ne daikh lia hai!


Aarav: Per main ne to Attack kia he nahi!!!


Akash: Us ki zaroorat nahi hai! Tum Vansh ko protect ker sakte ho, Mujhe kuch bhi aur daikhne ki zaroorat nahi hai.


*Knock* *Knock*


Abhi wo baat aage barha paate uss se pehle hw darwaze per dastak huwi, Barbie ne ja ker darwaza khola to ek guard ne usse kuch kaha to Barbie ne Akash ko ishara ker dia.


Akash: Tum soch rahe ho gye Aarav ke tumhara Trainer kahan hai?


Akash sahi keh raha tha, Daisuke ne Aarv se kaha tha ke uss se pehle he uss ka trainer wahan ho ga lekin abhi tak Aarav ko wo kanhi nahi dikh raha tha-



*Screech*


Barbie ne darwaza khola to ek larki andar aa gayi, Itni sardi me bhi uss ka badan paseene se bhara huwa tha jaise bohat zada bhaag ker ayi ho, Kaano se earplugs nikalte huwe wo Aarav ke paas aa gayi.

56bcb7f4e9f4034ac5476192023d19d1.jpg


Akash: Ye hai Tsubame! Tumhari Trainer!!!


Aarav herangi se Akash ko daikhne laga, Abhi uss ke saamne he Aarav ne Barbie jaise pehelwan ko haraya tha, Wanhi uss ke saamne ab larki khari thi jo Aarav ki trainer thi.


Tsubame wanha khari kuch der kamre ko daikhti rahi, Uss ki nazar neeche rakhi Wooden swords per gayi to uss ne unhe utha lia aur ek Aarav ki taraf uchaal di.



Tsubame: Akash! Get Out.



Tsubame Japanese thi lekin uss ne ye English me kaha to Akash ko samajh aa gayi, Wanhi Aarav samajhne ki koshis ker raha tha ke wahan ho kia raha hai?


Akash: Theek hai! Waise bhi mujhe ek important Dinner Attend karna hai, Excuse me.


Akash Barbie ke saath baahir chala gaya peeche se Aarav usse jata huwa daikhta raha, Ab kamre me Aarav aur Tsubame akele the Aarav aj tak aisi situation me nahi aya tha iss liye wo Awkward feel ker raha tha.



Tsubame: Tumhari Skill 2 fold hai na?



Tsubame sword ko halka hawa me lehrate huwe boli, Aarav ko yaad aa gaya ke Daisuke ne Aarav ko uss ka status sirf khud ko ya Tsubame ko batane ka kaha tha, Iss liye he uss ne Akash ko baahir bhej dia tha.



Aarav: Ji Haan! Pehli simple Slash aur dusri Deathly Slash.



Tsubame: Hmm! Deathly Slash se mujh per hit lene ki koshis karo.



Tsubame apni jagha per khare hote huwe boli, Aarav ka muh khul gaya jis Slash se uss ne Orc King aur Alpha ko maar giraya tha uss se wo ek larki ko kaise hit ker sakta tha?



Tsubame: Main ne kuch kaha hai! Deathly Slash?



Aarav (Confused): Lekin Deathly Slash khatarnak hai! Main usse Use nahi ker sakta.



Tsubame (Sigh): Huh! Aarav, Tumhe kia lahta hai? Daisuke ne mujhe yahan kiu bheja hai? Main yahan tumhe train karne ayi hu, To apne ye chonchle band karo aur jo kaha hai wo karo.



Aarav (Frightened): Lekin Deathly Slash bohat zada risky hai!!!



Tsubame: Uss ki Responsibility main khud leti hu! Yahan agar mujhe kuch huwa bhi to tumhe koi doshi nahi maane ga, Ab aur koi baat nahi seedhe se apni skill Use karo.



Aarav abhi bhi hichkicha raha tha lekin Daisuke ne kisi psycho ko to nahi bheja ho ga, Tsubame ko Aarav ki skill ka pata tha matlab usse skill ke khatre ka bhi andaza tha.



Aarav ne akhir Deathly Slash Use karne ke faisla ker lia, Lekin wo Tsubame ke kandhe ko Target karne wala tha, Aarav ne apni Sword Stance le lia.



[Skill (Deathly Slash) Activated]



*Crack*



Aarav ne apni Sword se attack kia lekin jaise he Sword Tsubame ke shoulder se connect hone ko huwi to Tsubame ne apne ussi kandhe ke haath se Aarav ki sword ko beech me he halka sa slide kia jis se Aarav ko sword ka pura Angle change ho gaya, Aarav ki sword seedhe zameen me ghus gayi.



*Thud*



Aarav khud ko sambhal pata uss se pehle he Tsubame ne apni Sword se Aarav ke chehre per zordar vaar ker dia, Aarav ke muh se khoon behne laga Tsubame ke attack me power thi jis ne Aarav ko buri tarha jhunjla dia tha.



Aarav (Groaning): Per kaise? Deathly slash ka angle sirf khali haath se kaise change ker dia ap ne.



Tsubame: Simple! Tumhare attack me sirf monstrous strength thi koi bhi technique nahi, Mujhe sirf halka si movement dene ki zaroorat thi aur jaise he main ne di tumhara attack tumhare liye he khatra ban gaya.


Tsubame apni technique chupa nahi rahi thi Aarav ke puchte he uss ne sab kuch saaf saaf bata dia-


Tsubame: Dobara tayar ho jao! Deathly Slash to nahi Use ker sakte lekin Normal slash se Hit lene ki koshis karo.



Tsubame ne apni sword rakh di, Lekin Aarav ab Usse halke me nahi le raha tha, Uss ki sixth sense cheekh cheekh ker usse bata rahi thi ke “She's Strong”



Aarav ne sword se stance lia aur kuch kadam peeche ho gya, Dono bina hile ek dusre ko daikh rahe the Aarav ne khud ko Ready kia aur Achanak dobara attack karna chaha-


*Grip*


Iss baar Tsubame ne sword ki jagha Aarav ke baazo ko kisi saanp ki tarha jakar lia tha, Dusre haath ko Aarav ke kandhe per rakhte huwe Aarav ko gulati dete huwe zameen per patak dia.



Tsubame: Jaldi utho! Puri raat nahi hai hamare paas.



Tsubame apne shabdo ko sugarcoat nahi ker rahi thi, Jo baat thi seedhi muh per ker rahi thi Aarav ne bohat si jalli kati suni thi jis se uss ko farak bhi nahi parta tha, Lekin abhi usse har cheez frustrate ker rahi thi.



Aarav dobara khara ho gya aur apni Sword utha li, Aarav kuch kadam peeche huwa aur dobara tezi se aage barhte huwe Slash Use karna chaha per Tsubame ne sirf apni index finger ko sword per maarte huwe sword ki disha badal di.



*Thud*


Jaise he Sword side per huwi Tsubame ne apne ghutne ko Seedhe Aarav ke pait per Maar dia wanhi na rukte huwe apne paon se ek kick seedhe Aarav ki gardan per de maari, Aarav ke hosh urr chuke the.


Kahan wo Beast ko maar ker aya tha kanha ek larki usse kutte ki tarha dho rahi thi-


Tsubame: Dobara!



Tsubame ne ek aur baar Aarav ko bulaya, Lekin phir Aarav muh ki kha ker neeche gir gaya-


“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”



Aise he wo na jaane kitni der tak lage rahe lekin Aarav 1 bhi hit nahi le saka, Wanhi Tsubame ne Aarav ki maar maar ker halat patli ker di thi, Aarav ka pura badan dard ker raha tha Endurance se wo seh to paa raha tha lekin dard tha to abhi bhi wanhi-


Aarav thak ker zameen per gir ker saans lene laga, Tsubame bhi uss ke paas khari ho gayi.



Aarav (Moaning): Kaise? Kaise baar baar tum ye ker paa rahi ho? Kia tum bhi ek Player ho?



Tsubame (Sigh): Huh, Player! Main Player nahi hu, Lekin ek player na hone ka ye matlab nahi ke main kamzoor hu.



Aarav ko ek umeed dikhi thi ke Tsubame ke player hone ki wajha se wo haara hai, Lekin aj uss ki kismat bhi uss per hanste huwe keh rahi thi ke wo ek sadharan larki se haar gaya hai.



Aarav: Phir kaise? Main kiu 1 hit bhi nahi le saka?



Tsubame: Kiu ke tumhe apni power ki keemat ka nahi pata!!!



Aarav: Keemat???



Tsubame: Haan Keemat! Tumhare paas jo power hai wo tumhe bina kisi mehnat ke mili hai, Ye nahi ke tum Deserve nahi karte lekin tumhe ye bohat easily mil gayi hai, Aur jo cheez itni Asani se mil jaye insaan ko kabhi uss ki qadar nahi hoti, Waise he tum apni power ki real Potential nahi daikh paa rahe.



Aarav: To main kaise daikh sakta hu Real Potential?



Tsubame: Hmm! Sab se pehle tum apni power ko samajhna seekho, Sirf ye mat socho ke tum ye ker sakte ho, Ulta ye socho ke tum ye kaise ker paa rahe ho?




Tsubame ki baat Aarav samajh pa raha tha, Lekin wo ye nahi samajh paa raha tha ke wo ye kaise kare, Tsubame ne wanhi se ek black shirt utha ker Aarav ke paas rakh di, Kiu ke Aarav ki shirt per khoon laga huwa tha.



Tsubame: Daisuke ne mujhe bataya ke tumhari Ankhe Neeli roshni me chamak rahi hai! Bohat Koshis ke baad bhi tum apni ankho ko badal nahi paa rahe, Lekin iss ko alag nazariye se daikho usse band karne se pehle ye samjho ke wo ankhe chamak kiu rahi hai? Apni power samajhne se pehle khud ko samjho!


Tsubame khari ho gayi aur wahan se jaane lagi, Aarav kuch waqt pehle he iss larki se mila tha lekin ache se dhulayi hone ke baad Aarav uss larki ko samajh paa raha tha, Bhale he wo lightly baat ker rahi thi lekin uss ki in sab technique ke peeche bohat zada mehnat thi, Jo Aarav abhi samajh nahi sakta tha.


Tsubame shuru me ek souless larki lagi thi, Lekin wo souless nahi sirf passionate thi jis ki Aarav Respect ker raha tha, Tsubame darwaze ke paas gayi aur wahan ruk ker dobara Aarav ki taraf daikhne lagi.



Tsubame: Subha 5 baje ready rehna tumhari training kal se shuru ho gi, Aur haan mujhe Sensie keh ker bulana next time.


Tsubame baahir nikal gayi, Wanhi Aarav peeche zameen per laita Tsubame ke akhri baato ko sun heran tha “Sensie?”


Aarav ko khud per hansi ane lagi, Aarav ne wanhi lagi ghari ki taraf daikha to 10 bak rahe the, Larte huwe kab waqt guzar gaya Aarav ko uss ka ehsaas he nahi huwa, Aarav khara huwa uss ke wounds fast healing ki wajha de heal ho chuke the bus halke nishaan he rehte the.



Aarav ne apni shirt utaar ker wahan rakh di aur Tsubame ki di shirt ko pehan lia, Aarav kamre se baahir aya to wahan koi bhi nahi tha, Aarav baahir aa gaya Temperature gir raha tha aur thand ho rahi thi lekin itni thand to Aarav easily seh sakta tha, Aarav Servants Quarter ki taraf chalne laga.




“Mom Mera jaana zaroori hai! Ap samajh kiu nahi rahi?”



Aarav abhi raaste me he tha ke ek larki ki meethi Awaz ne uss ka dhayan apni taraf kheench lia, Wo awaz Garage se ayi thi wanha andhere me 2 saye dikh rahe the 1 ko to Aarav pehchan gaya Archana lekin dusri ko wo theek se daikh nahi paa raha tha.



Archana: Vanshika! Sabhi Driver tumhare bhai aur papa ke saath gye huwe hai, Tum akele kaise jao gi?



Aarav ko andaza tha ke ye kon hai, Vansh aur Akash ki behan Vanshika Sayani, Vanshika ke baare me internet per kuch khaas nahi mila tha, Vanshika sirf ek Insta model ke naam se jaani jati thi.



Vanshika (Frustrate): Mom Please! Mujhe jaana ho ga, Meri Zindagi ka sawal hai!



Archana: Lekin akele kaise beta?



Vanshika: Agar koi mere saath chala to theek hai na phir! Let's see unhhhh, Hey Black Shirt!!!
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Thore ADS ka issue ho gya tha jis se update late ho gya, Ye update 5.5K Words ka tha Next Update aye ga Saturday night Ya Sunday Evening me, Agar update acha laga ho to like karne ka aur pyaare pyaare reviews dene ka, Main chala sone milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!!]
Nice update
 

Ss mujrim

Active Member
631
469
63
Bhai Agr ya update kal Aey gai to is Weak ka 2 update kaab ayan gaay is tara to 2 weak ma 3 he update do gaay ap dny to 4 chy thy
4 ka bajy 5 daty to zada Acha tha But ap to os ma Sa 1 kaam kaa rhy ho
 
Last edited:

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,839
17,950
189
UPDATE 16 ~
(NO MORE DECEPTION)




INNER KI


Inner Ki ek tarha ki Life Force hai, Inner Ki bilkul Urja ke jaise hai jis ko dhayan lagane aur practice karne se koi bhi Inhuman power Achieve ker sakta hai.



Inner ki ko aj tak logo ne Dragon Ball jaise Anime me he daikha tha, Goku ki Kamehameha bhi Inner Ki Energy se bana ek Ki Blast tha, Logo ko aj tak ye sirf Kahaniya he lagi thi.



Lekin Dharti per Sach me kuch Clan hai jo Genrations se apne bacho ko Inner Ki sikhate aa rahe hai, Inner Ki ko duniya se chupaya gaya hai kiu ke agar ye baahir ati to puri Duniya khatre me aa sakti thi.



Inner Ki Achieve ho jane ke baad wo puri body me Blood ki tarha Flow karti hao, Jis se Superhuman Strength aur Fast Healing jaisi Abilities mil jati hai User ko, Lekin agar User Inner ki ko Control na ker sake to wo uss ki body ke liye he khatra ban sakti hai.



Inner Ki ke iss duniya me Total 9 Realm hai jin ko Attributes bhi kaha ja sakta hai-


1. Earth Realm
2. Water Realm
3. Fire Realm
4. Wind Realm
5. Light Realm
6. Darkness Realm
7. Nature Realm
8. Metal Realm
9. Spirit Realm



Aur iss ke baad ata hai Master Realm, Kaha jata hai ke Master Realm in sab Realm se zada takatwar hota hai, Sirf ek Master Realm User kisi bhi Desh ko tabah karne ki takat rakhta hai.



9 Realm ko 9 Clans ke beech banta gaya har Clan kisi ek Realm ko master karta aur aage apne bacho ko seekhata, Tsubame Wind Clan se ayi thi, Clan me ek ki power ko uss ki Inner Ki ke level se position milti thi.



Inner ki ke 7 Level the jis se har User ko Inner ki aur Position ko decide kia jata tha.


1. The Initiate Level
2. The Apprentice Level
3. The Journeyman Level
4. The Master Level
5. The Sage Level
6. The Ascendant Level
7. The Enlightened Level



Inner Ki 2 tarha se Achieve hoti thi, 1 Direct Blood line me janam le ker, Jo seedhe Clan me janam lete hai wo janam se he Initiate Level Inner ki ke saath bare hote the, Kiu ki unho ne bachpan se saans lene ki tarha he Ki use ki hoti hai iss liye un ka control Ki per sab se zada mazboot hota hai.



Dusra raasta, Agar Clan se baahir koi Inner Ki Achieve karna chahta hai to usse ek Sage level Inner ki master ki madad chahiye hoti hai, Sage Level User ko 6 Maheene har Din uss ke saath Cultivate karna parta phir ek user 6 Maheene me Initiate level inner ki achieve ker sakta tha.



Lekin iss ki probability sirf 50% thi, Agar saamne wale ke paas koi bhi Inner ki talent nahi hai to koi bhi uss ke andar Inner Ki nahi awake ker sakta tha, Lekin kabhi kabhi Saalo mehnat karne se bina talent ke bhi Inner Ki Achieve ho sakti thi.



Lekin ye sab Rules kisi ne tor diye the, Direct Blood line me janam na lene ke baad bhi Sage Level Master ki madad se sirf 1 raat me Initiate level inner ki achieve karne wala pehla Vyakti, Aarav.



Tsubame khud heraan thi ke ye kaise ho gya, Tsubame ke kehne ke mutabik Pehle bhi ek system dhaarik insaan ko Inner ki practice karwai gayi thi, Lekin usse 2 Maheene lage Inner ki Achieve karne ke liye, Tsubame 10 Din me Aarav ko seekhana chahti thi lekin Aarav ne sirf 1 raat me usse Achieve ker lia.



Aarav ke liye wo sirf 30 minute ke liye dhayan me tha, Lekin wo 8 Ghante tak Inner Ki ko cultivate ker raha tha, Unique Ability Will to live aur Limitless Growth ke bohat se raaz the jo abhi tak Aarav samajh nahi saka tha.


*Clang*



8 Din guzar chuke the Aarav ko New York me aye huwe, Uss Raat ke baad Aarav ki Asli training shuru ho chuki thi-



*Wooosh*



Aarav dobara Tsubame ke saath Jungle ke beech wanhi fight ker raha tha, Lekin ab Tsubame pehle se zada power se attack ker rahi thi, Lekin ab Aarav zada attack block ker paa raha tha.



Tsubame abhi bhi Holdback ker rahi thi apni power ko, Lekin Initiate Level ke liye ye bhi uss ki pohanch se bohat door takat thi, Aarav aur Tsubame iss baar Swords Use ker rahe the.



Aarav ki healing speed pehle he tez thi, Lekin Inner Ki ki madad se Aarav ki healing speed ko boost lag gaya tha, Tsubame iss liye Aarav ko Zakhm dene se peeche nahi hat rahi thi.



Aarav Tsubame ke attack ko daikh paa raha tha, Lekin beech me ek pal aisa ata tha jab Aarav ki nazro ke saamne se Tsubame gayab ho jati thi.



*Stab*



Aarav: Ahhhh!



Aarav ke kandhe per Sword ghusi to Aarav ko ehsaas huwa ke Tsubame uss ke peeche hai, Tsubame ek pal ke liye bhi nahi jhijhak rahi thi Aarav ko kaatne se pehle, Tsubame krulta ke saath Aarav ko kaate ja rahi thi.



Tsubame: Abhi ke liye itna kafi hai! Khud ko heal ker lo aue nikalne ke liye tayar ho jao, Aj tumhe Urvi ko hospital le ker jana hai wo intezar ker rahi ho gi.


Tsubame apni sword ko wapis rakh ker nikalne ki tayari karne lagi, 8 din se Aarav Urvi se jhoot bol ker training karta tha, Lekin Na usse jhoot bolna acha lag raha tha na he wo 11 ghante se zada waqt nikal paa raha tha training ke liye.



Adarsh se baat ker ke Urvi ko hospital admit karwane ka faisla ker ke chemotherapy start karne ka decide kia gaya, Aise Urvi ko acha treatment bhi mil jata aur Aarav ko Urvi se jhoot bole bina training ke liye waqt bhi mil jata.



Aarav Inner ki Achieve karne ke baad pehle se zada powerful ho gya tha, Uss ke Stats bhi bohat zada improve huwe the, Lekin abhi bhi Technique aur Block me wo kamzoor tha.

805683d26ebc6017162211420357f8e6.jpg


Aarav: Tsubame Sensei! Shuru me to mujhe pata nahi laga, Lekin pichle kuch dino se ap ke attack ko block ker ke mujhe feel huwa hai ke ap har waqt Fast nahi hoti sirf kuch lamho ke liye Tez speed se move karti ho, Wo kia hai?



Tsubame: Great! Tum abhi se difference daikh paa rahe ho, Actually normally main sirf fast Move ker sakti hu, Lekin for a moment main Inner Ki ko use ker ke Light ki speed se move ker sakti hu.



Ye ek bohat zada Useful Ability thi, Agar Aarav ek second ke liye bhi aise move ker sake to wo apne opponent per Deathly Slash Use ker ke hara sakta tha.



Aarav (Eager): Sensei, that move was sick! Can you teach me how to do it?



Tsubame: Hmm! Ye kabhi main ne kisi ko seekhaya nahi hai, Lekin main Wind Fighting books ki madad se seekha sakti hu, Main aj he yahan reh rahe Clan members se wo book le ker ati hu, Mujhe time lage ga to tumhe kal subha tak ki training akele karni ho gi.


Tsubame apni jacket utaar ker badalne lagi, Aarav ki nazar Jacket utarte he wapis un 2 Tarbooz per chali gayi aur uss ke saamne uss raat ke scene waapis aa gye.


Aise Perfect Boobs Aarav ne sirf Porn movie me daikhe the jo uss ke dosto ke usse dikhayi thi, Aarav jahan nashe me doob raha tha wanhi Tsubame ko koi dikkat nahi thi apna shareer dikhane me.


Uss ke liye ye sirf uss ke kaam ka ek hissa tha, Aarav apni nazro ko rok na saka aur neeche uss ki Chut per ankhe khud chali gayi jis ko bilkul saaf ker ke rakha tha Tsubame ne, Aarav pehli baar apne saamne kisi larki ko bina kapro ke daikh raha tha.



Tsubame: Aarav!


Tsubame ne Aarav ke saamne chutki bajate huwe usse hosh me laya, Tsubame jacket pehan chuki thi wo Aarav ko apne uroojo ko ghoorte huwe bhi mehsoos ker chuki thi lekin kuch boli nahi thi.



Aarav: Sorry Sorry! Main kuch sochne laga tha, Ap fikar mat kare ap ja ker book le aoo main practice karta rahu ga.



Tsubame(Nods): Theek hai! tumhe ghar choor ker main nikalti hu phir.



Aarav ne bhi apne kapre badal liye, Dono waapis Jungle se baahir aa gye jahan un intezar pehle se driver ker raha tha, Aarav ko ghar choor Tsubame wahan se nikal gayi.



Aarav bhi Ghar ke andar jaane laga to ek larka bhaagte huwe uss ke paas aa gaya.



Larka: Akash sir ne ap ke ate he ap ko bulane ka kaha hai! Wo ap ka andar intezar ker rahe hai.


Aarav ne Larke ko raasta dikhane ko kaha to wo aage chalne laga, Aarav bhi uss ke saath peeche chalne laga, Aarav dusri baar ghar ke andar ja raha tha.


Archana beech beech me Urvi aur Aarav ke liye khud khaana bana ker le ati thi, Akash bhi beech beech me Aarav ki training daikhne ata rehta tha uss ke siwaye aur koi bhi Aarav aur Urvi se nahi mila tha.



Aarav ko wo larka balcony me le gaya jahan Saamne Akash baitha huwa tha, Balcony me chaye wagaira peene ke liye intezam kia gaya tha.



Aarav: Akash Sir!


Aarav ki awaz sunte he Akash khara ho gya, Uss ke chehre per khushi se muskurahat aa gayi.



Akash: Abhi bhi Sir bula rahe ho! Tum sirf Akash keh sakte ho mujhe.



Akash ne Aarav ke liye apne saamne wali Chair bahir ki aur Aarav ko baithne ka ishara ker dia, Aarav bhi Akash ke saamne ja ker baith gaya.


Aarav: Abhi thora samay lage ga! Lekin abhi zaroorat nahi hai, Agar bakiyo ke Sir kehte huwe main sirf Naam se pukaru ga to Rude lage ga.



Akash: Ye bhi sahi kaha! Theek hai abhi ke liye Sir keh sakte ho Tum, Lekin jab yahan shift ho jao gye to sirf mere Naam se pukaro gye mujhe.



Aarav ne hami bhar di to Akash bhi khush ho gya, Ek Servant ne Aarav ke liye Chai daal di cup me aur Permission le ker wahan se nikal gayi dono ko private me baat karne ke liye akela choor ker, Wahan sirf Akash aur Aarav ke saath Barbie he tha.



Akash: 3 Din se tum busy the! Main ne socha Tum to yaad karo gye nahi to main he bula lu tumhe, Training ki kia Update hai?


Aarav: Abhi apni Inner Ki ko strong karne per dhayan de raha hu! Tsubame mujhe fighting style aur strategies ke liye bhi tayar ker rahi hai, Gym se aur Inner ki Se Stat bohat tezi se barh rahe hai....


Aarav sab kuch batata raha aur Akash dhayan se ek ek baat sun raha tha Aarav ki, Jaise Aarav ki har baat Akash ke intrest ki ho, Wo chup baitha sirf Aarav ko bolne de raha tha.



Aarav: .... Tsubame mujhe drop ker ke Apne clan se book lene chale gayi hai! Aj aur kal ke liye mujhe khud training karni ho gi.



Akash: Aj to tumhe apni behan ko Hospital bhi le ker jana hai na! Main ne driver ko inform ker dia hai, Aur ye rakho.


Akash ne ek Card table per rakh dia, Pehli nazar me he Aarav ko pata lag gaya ke ye ek Credit Card hai.


Aarav: Ye kis liye? Ap pehle he Hospital ke sab Bills daikh rahe ho! Main ye accept nahi ker sakta.




Akash (Sigh): Huh! Aarav tum bhool rahe ho uss din main ne tumhe kia kaha tha! Tum mere liye mere chote bhai ke jaise ho, Aur mujhe nahi pasand ke mera chota bhai itni choti baato ki fikar kare, Ab muh band karo aur ye apne paas rakho, Aur agar tumhe aj samay mila hai to thors rest bhi ker lena, Khud per itna pressure daalna acha nahi hai.


Aarav: Lekin hamare paas sirf 11 din hai! Rest karne ka time nahi hai, Abhi mujhe khud ko aur bhi strong banana hai, Hume nahi pata ke iss baar hume kaise danav se larna ho ga.


Akash: Lekin-



“Bhayiaaaa!!!”


Akash baat aage barhata uss se pehle Vanshika ki awaz ne uss ma dhayan apni taraf kheench lia, Vanshika muh phulaye wahan aa gayi.



Aarav Vanshika ko Uss din ke baad ab daikh raha tha, Vanshika ko daikhte he uss ke dil ki dharkane barhne lagi, Wo khud ko control karna chah raha tha lekin wo apni nazre hata he nahi paa raha tha Vanshika ke upar se-



Wanhi Vanshika ayi to andar gusse se thi, Lekin apne saamne Aarav ko baitha daikh wo shaant ho gayi, Aarav ko apni taraf yun daikhta daikh wo apna dhayan Akash ki taraf ker leti hai.



Vanshika: Bhayia! Ye drivers ke saath kia problem hai? Main jaise he kisi driver ko bulati hu wo sab mujh se bhaagne lag jate hai.


Akash: Wo to bhaage gye he! Tumhe yaad hai na kitna gussa karti ho tum un ke upar? Sara frustration un per nikalo gi to wo bhi to tum se bhaage gye.



Aarav: *Chuckle*



Vanshika: *Glare*



Aarav: (. ❛ ᴗ ❛.)



Vanshika: Meri Shoot thi Aj! Lekin un ki wajha se late ho gayi hu, Ab kal jao gi lekin ap kisi Driver ko Arrange karo.



Vanshika muh banate huwe boli, Wo sach me frustrate thi wo puri tarha tayar thi, Uss ki sundarta Aarav ko bhi pighla rahi thi-



Akash: Hmm! Aarav tum kal free ho na, Tum Vanshika ko le jana sirf 2 se 3 ghante ka he kaam ho ga iss ko, Kia kehte ho?



Aarav: *Surprise*



Aarav ke haath se chaye ka cup nikalte huwe bacha, Aarav ne Vanshika ki taraf daikha to wo bhi usse he daikh rahi thi, Jaise keh rahi ho ke haan keh do warna kacha chaba jao gi.



Aarav: Theek hai!



Akash: Phir decide ho gya! Lekin Vanshu yaad rakhna, Aarav tumhare saath Driver ban ker nahi jaa raha, Wo ek family ke member ki tarha wahan tumhare saath ho ga, Tumhe koi problem to nahi hai iss se?



Vanshika (Sigh): Theek hai! Lekin iss se keh do ke mujh se koi sawal na karw, Last time bhi sawal puch puch ker Headache karwa dia tha.


Vanshika kehte huwe wahan se nikal gayi, Aarav bhi daikhne laga ke ye abhi huwa kia hai, Vanshika aandhi ki tarha ayi aur Nikal gayi.



Akash: Thanks! Abhi tumhe bhi jaldi jo gi Hospital ke liye, Tum ja sakte ho, Aur haan Urvi ki fikar mat karna Mom uss ke saath rahe gi.



Aarav ko pehle se Archana ne bata dia tha, Iss liye Aarav ne koi Objection nahi di, Aarav bhi wahan se nikal gaya, Akash uss ko peeche se jaate huwe daikhta raha uss ke chehre per ek santushti thi.


Akash(Smile): Abhi tak nahi badla ye! Bachpan se aisa he hai, Khud se kisi se baat nahi karta aur jab koi iss se baat kare to pura khul jata hai.



****

India
Mumbai ~ 5:27 PM




“Veer! Veer! Veer!”



Ek Admi Veer ka Naam pukarte huwe pure ghar me ghoom raha tha, Akhir ek Kamre me usse Veer dikh gaya jahan wo apni choti behan ke saath khel raha tha, Saamne Admi ki halat daikh Veer ko pata lag gaya ke kuch serious baat hai.


Veer(Grin): Tanu, Abhi bhayia ke kaam karne ka waqt ho raha hai! Ap ja ker Didi ke saath khelo main baad me khelu ga ap ke saath.


Tanu(Smile): OK!



*Umah*



Tanu Veer ke gaal per pyaari si Kiss de ker apne teddy ko haath me pakre baahir ki taraf bhaag gayi, Veer bhi khara ho gya aur Uss Admi ko apne paas baithne ka ishara ker ke ek kursi per baith gaya.

98015835750b11f394b2cdc52d01b57e.jpg

Veer: Kia baat hai, Kunal? Aise kamre me aoo gye to bache dar jate hote hai! Agli baar se thora dhayan rakhna.



Kunal: Sorry! Lekin baat he kuch aisi hai, Mujhe aj he khabar mili hai ke Karunesh Chacha ko New York ki sarko per raaste me kisi Gang ne Goliyo se maar dia hai.



Veer ka chehra serious ho gya, Ye uss ke liye bhi dukh ki baat thi lekin abhi usse soch samajh ker aage ke baare me sochna tha.



Veer: Ghar me kisi ko pata hai kia?



Kunal: Dada Ji ko bata dia hai! Baki jab Ishita Di wapis aye gi College se to sab ko bata dia jaye ga.



Veer wanhi apni jagha peeche sar tika ker baith gaya, Wo gehri soch me tha wanhi Kunal kisi jawab ke intezar me tha.



Veer(Smirk): Akash se mujhe aisi Umeed nahi thi! Akhir kis ko wo pagal bana raha hai aisi kamzoor kahani bana ker, tch tch, Usse pata hai ke main vishwas nahi karu ga wo mujhe bata raha hai ke uss ka agla shikaar main hu.




Kunal(Shock): What!!!! Ye sab Akash ne kia hai, Lekin kiu?



Veer: Ab iss kiu ka jawab to Akash khud de ga! Chacha ji ki body ko yahan laane ki tayaari karo, Baki sab un ke antim sanskar ke baad daikha jaye ga.



Kunal: Lekin! agar wo Akash tumhare liye aa raha hai to hume kuch karna ho ga.



Veer: Wo mere kuch karne ka intezar ker raha hai! Wo tab tak kuch bhi nahi kare ga, Intezar karo main khud uss ke paas jao ga ye daikhne ke liye ke akhir kitna bara shikaari hai wo?


****

Presbyterian Hospital
New York ~ 3:31 PM



Driver ne Car ko Hospital ke bahir rok dia, Aarav aur Urvi Car se baahir aa gye, Archana bhi Driver ko wait karne ka keh ker bahir aa gayi.


Hospital ke baahir he Hospital ka Chief Physician baahir he intezar ker raha tha, Archana ko daikhte he uss ne pehchaan lia aur jaldi se uss ke paas aa gaya.



Chief: Welcome!



Archana: Thank You Chief! Adarsh ne ap ko bata dia ho ga hamare ane ka, Lekin ap ko khud ane ki zaroorat nahi thi.



Chief: Aisa kuch nahi hai! Ap hamare liye Special hai ap ke liye to hum khud he aye gye na, Ap in baato ki fikar mat kare aur andar aye.



Chief ne unhe saath chalne ka kaha aur andar ki taraf chal diye, Itna bara Hospital Dono behan bhai pehli baar daikh rahe the, Aur upar se uss ke saamne River ka View wahan ka mahool aur bhi zada khubsoorat bana raha tha.

432aaf614096b67bd15b0b284ab5bf57.jpg

Lekin sirf baahir se nahi Andar se bhi hospital bohat zada bara tha, Wanhi itne bare Hospital ka Chief Physician khud unhe lene aya tha, Ye daikh sab ko pata chal gaya tha ke ye koi VIP aye hai.



Chief: Adarsh Sir ne hume Puri information de di hai! Hamari Team ne pure treatment ko setup ker dia hai, Sirf kuch Test ke baad ap ko bhi sab kuch bata dia jaye ga.


Archana(Smile): Adarsh ne ap ke hospital ko choose kia hai! Mujhe ap se bohat Umeed hai ke ap apna best do gye.



Chief: Believe me! Our hospital is the best Hospital in the whole city, We have the Best doctor's, the best Facilities and best Treatment.



Archana Doctor ko ache se ehsaas dilwa rahi thi ke ye Patient un ke hospital ke liye kitna Important hai, Akhir uss ne itna waqt Apne husband ke saath guzara tha jahan Adarsh ke saath usse bhi aise logo ko handle karna per jata tha.



Ghar me ek House Wife baahir ek alag Elegance liye chal rahi thi, Chief bhi apne shabd soch samajh ker chun raha tha, Wanhi Urvi apne bhai ke haath ko thame apni anxiety ko control ker rahi thi.

b3adc71e75c1a8557832e352b69ae5af.jpg

Chief unhe Urvi ke liye ready kiye gye Room me le gye, Ye ek VIP Room tha jahan na sirf laitne ke liye bed tha saath me study table aur Sofa bhi rakhe huwe the, Tabhi ek doctor's ki team andar aa gayi.


Chief: Ye Dr. James Cooper hai! Aj se ye he Miss Urvi ka Case handle kare gye.



James: Hello Everyone!


James ne sab ko greet kia aur apne saath aye Residents ko Basic test karne ke liye keh dia, Aarav ye daikh khush tha ke akhir uss ki behan ka treatment shuru ho chuka hai.


Agar Aarav khud se mehnat ker ke Treatment karwana chahta to bhi wo aisa treatment nahi karwa sakta tha, Agar System Curse tha phir bhi Aarav uss Curse ko accept karne ke liye tayar tha agar wo apni behan ke liye aise kuch ker sake.


Basic test karne ke baad James apne residents se Urvi ko bare Test ke liye ready karne ka keh ker baahir chala gaya, Archana bhi James ke saath baahir chali gayi Treatment ke related information lene ke liye.


Resident's tayari karne lage, Wo bilkul Professionaly apna kaam ker rahe the, Residents me 2 larkiye aur 1 larka tha, Urvi ko change karne ka keh ker wo baahir chale gye.


Aarav: Tu ne daikha! Wo kaise sab test ker rahe the, Ek din meri behan bhi aise Doctor ka Uniform pehan ker Hospital me Patients ka ilaaj kare gi.



Urvi(Nods): Hmm!




Aarav: Huh! Maa ka sapna tha ke tu un ki tarha ki Doctor bane, tu sahi ho ja jaldi se, Phir tujhe ek ache se medical College me parhne bheju ga, Lekin agar tujhe kuch aur karna hai to wo bhi theek hai, Ab mujhe lagta hai ke hum sab sapne pure ker sakte hai.



Aarav apni taraf se puri koshis ker raha tha Urvi ko Cheer Up karne ki, Urvi pehli baar apne bhai se alag rehne wali thi itne din ke liye, Lekin Aarav ko nahi pata tha ke iss baar wo Urvi ke paas wapis aa sake ga ya nahi.


Urvi(Whisper): Bhayia!!!


Aarav(Smile): Haan?


Urvi ne apni nazre utha ker Aarav ki ankho me daikha to Aarav ki dil ki dharkane thamne ko ho gayi, Urvi ka wo nam ankho se Aarav ki ankho me daikhna Aarav ko andar se chalni ker raha tha.



Ye Ankhe Aarav pehle bhi daikh chuka tha, Ye dard pehle bhi mehsoos kia tha Uss ne, Aarav wanhi Sofe per baith gaya Usse khud per hansi aa rahi thi.



Aarav: Mujhe koshis bhi nahi karni chahiye thi! Ye jaante huwe bhi ke main jhoot bolne me kitna bura hu phir bhi main ne koshis ki, Ugh, Akhir kise Pagal bana raha tha main, *Sigh*........Kab se pata hai tujhe?



Urvi(Sobbing): Manohar Uncle se baate karte huwe sun lia tha main ne ap ko! Lekin mujhe Vishwas nahi huwa per jo kuch hota aa raha hai uss ke baad sab kuch clear ho gya mere liye.



Urvi nazre jhukaye huwe thi, Aarav ne apni zindagi me dusri Baar Urvi se jhoot bola tha aur ye soch ker uss ko khud per hansi aa rahi thi ke dono baar he wo pakra gaya jhoot bolte huwe.



Urvi: Kitne din reh chuke hai?


........


Aarav: 11 Din!!!



Urvi: Hmm! Ap jaane tak Please yahan mat ana warna main khud ko rok nahi saku gi ab ki baar.


Aarav apni jagha se khara huwa aur chalte huwe Urvi ke paas aa ker Usse apni bahon me bhar lia, Urvi ke ruke huwe ansoo behne lage.



Aarav: Tu Pareshaan mat ho! Main bilkul sahi salamat wapis aao ga, Akhir teri wo kasam bhi to nibhani hai mujhe.



“Aarav Arya! Agara tum apni Mann mani karne chahte to aisa he sahi! Per yaad rakhna mujhe mera bhai bilkul sahi halat me wapis chahiye, Tumhe jo karna hai karo per ant me hamesha mera bhai mujhe mere paas chahiye”
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, 4.5K words ka update hai umeed karta hu ke ap logo ko update pasand aye ga, Target wo he hai agar iss update per 30 likes huwe to next Update Tuesday ko aye ga, Update ka maza le milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!!]
Nice
 
Top