• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    317

Awara

Awarapan
164
156
59
UPDATE 9 ~
(Decision)



*Kabooooom*


Shadow ki shoot ki huwi urja se Orc King wanhi ek ped se ja takraya, Wanhi Aarav herani se shadow ko daikh raha tha aur Shadow gusse se Orc King ko ghoor raha tha, Orc King ke shareer me abhi bhi harkat ho rahi thi.


Lekin Shadow ne pehli baar urja ko iss tarha shoot kia tha jis ki wajha se uss ki halat bhi kharab ho chuki thi, Wanhi Aarav bhi ghutno ke bal baitha lambe lambe saans bhar raha tha jaise hazaro kilometer bhaag ker aya ho, aise Yun Achanak apne stats ko boost se itne barhane ki wajha se Aarav ki body wo pressure bardasht nahi ker paa rahi thi.



Aarav andar se jaise cut raha tha uss ke paas khare hone ki bhi himmat nahi thi wanha Orc King ko final attack karna to na mumkin tha uss ke liye, Daisuke abhi bhi Isabelle ko pakre khara tha jo aise boost dene ki wajha se Unconscious ho chuki thi.



[Remaining Time: 4 Second]


*Swisshhh*



Aarav abhi apni nazre ghooma he raha tha ke Yoo-Jung ne ek Arrow shoot kia jo seedhe Orc King ke kate huwe gale me ghus gaya, Orc King ka shareer mazboot tha Yoo-Jung ka arrow use cheer ker andar nahi ja sakta tha.


Lekin Orc King ki gardan ki puri chamri Aarav ne apne claws se ukhar li thi, Iss liye Yoo-Jung ne Arrow wanha shoot kia jis se Orc King neeche gir gaya.



[Quest Completed]

[You have successfully killed the Orc King]



Sab ke saamne Notification aya to sab ki saanso me saans ayi, Akhir unho ne apni Quest puri ker he li jahan apne saathi ko khoone ka dukh tha wanhi khud ke zinda hone ki kanhi na kanhi rahat bhi thi.



*Aaaahhhhh*



Peeche se kisi ke chilane ki awaz ayi, Sab ne uss taraf daikha to saamne se Vansh bhaagte huwe aa raha tha ankho me khoof chehra aise safed jaise koi bhoot daikh lia ho, Lekin sab ko kuch sochna nahi para kiu ke agle he pal unhe uss ke bhaagne ki wajha dikh gayi.



Vansh ke peeche Orc's ki puri Army aa rahi thi, Bakiyo ki ankho me bhi wo khoof ate waqt nahi laga jahan wo abhi khush huwe he the un ke saamne ek nayi problem aa chuki thi.




*Grrooowwwrrrr*



Jungle ke ped ke beech me se sabhi Demon Wolves bhaagte huwe Aarav ko gher ker khare ho gye, Un sab ka ek he maqsad tha apne Alpha ko bachana lekin itne Orc's ke saamne un ka tik pana bhi Na-Mumkin tha.




[Everyone will now receive their reward]


[20 stat Points Added]


[You can now return home]


[
Yes~No]


Sab ko un ke Rewards ke notification ane lage aur ab wo wapis ja sakte the, Sab ne bina waqt lagaye Yes per click ker dia aur sabhi ke neeche dobara wo circle ban'na shuru ho gya.


“Bhaago!!!”



Aarav ne dheeme se kaha uss ki ankho ke aage andhera ho raha tha, Wo zada waqt hosh me nahi rehne wala tha lekin wo aise Demon Wolves ko khatre me bhi nahi chorr sakta tha iss liye uss ne unhe bhaagne ka keh dia.


Vansh ke peeche ate Orc's ne uss per Attack karna chaha per wo circle ke andar nahi ja paa rahe the, Ye daikh Wolves ko apne Alpha ki safety ka confirm ho gya.



*Owwoooo*



Sabhi Wolves ne ek saath Howl kia jaise Aarav ko Alvida keh rahe ho, Howl karne ke baad sab wahan se bhaagne lage jin ko Aarav peeche se daikhta raha.


*Crack* *Crack*


Abhi Demon Wolves wahan se nikle he the ke Aarav ko apne kareeb hadiya tootne ki awaz ayi jis ne uss ke kaano se le ker pairo tak rongte khare ker diye, Aarav ke mann me ek he baat thi ke jo wo soch raha hai wo sach na ho!!!


Aarav ne dheeme se apni gardan ghooma ker Awaz jidhar se aa rahi thi uss taraf daikha, Saamne ho rahe scene ko daikh Aarav ki ankhe num ho gayi pura jisam kaanpne laga, Jo takat uss me bachi thi wo bhi khatam hone lagi.



Uss ke saamne iss waqt Orc's ek jagha jhund banaye baithe the, Wanhi Orc's ke saamne Andrew ki laash thi jis ka ek haath aur dono paon Andrew ke badan se alag Orc's ke haatho me the jin ko wahan baithe chaba rahe the.



Daisuke bhi peeche khara apni haath ki muthi banaye apne gusse ko bardasht karne ki koshis ker raha tha, Orc's Andrew ki body ko kaat ker khate ja rahe the un ke muh se ati wo awaz sab na chahte huwe bhi saaf sun paa rahe the.



Aarav ki ankho se ansoo behne lage, Andrew ek soldier tha lekin ek soldier bhi aisi moat deserve nahi karta tha, Aarav ka dil zor se dharakne laga badan pura paseene se bheeg gaya saanse tez chalne lagi aur wo apni band hoti ankho se apne rakhsak ko danavo ka khaana bante daikh raha tha.



“I'm Sorry!!!”



Aarav ne rote huwe kaha aur agle he pal Circle me se aag ki lapte bharki aur Aarav ko apne andar lapaitne lagi, Aarav ne nazre utha dobara ek baar apne saamne tukro me bante huwe Andrew ko daikha aur agle he pal uss ki ankho ke aage andhera chaa gaya.






*****
Manali ~ 7:37 AM


*Beep* *Beep* *Beep*


Aarav ne dheeme dheeme apni ankhe kholni Shuru ki, Ankhe khulte he use apne saamne Ceiling per laga chalta pankha dikha, Aarav ke kaano me kisi Machine ki awaz aa rahi thi uss ne uss taraf daikha to ek monitor per Uss ki Heart rate dikh rahi thi.



“Kia main wapis aa gya hu?”


Aarav ne khud se sawal kia 7 Din ek alag duniya me survive karne me kia wo kamyaab ho gya hai? Pichle 7 Dino me uss ne jo kuch daikha tha wo sab daikhne ke baad usse yaqeen nahi ho raha tha ke wo wapis aa chuka hai apni duniya me.



Aarav ko ye pata lag gya tha ke wo iss waqt kisi hospital me hai, Lekin abhi bhi wo apni body ko hila nahi paa raha tha boost ke pressure se uss ki body abhi bhi pressure me thi, Aarav ne apni saamne devar per lagi ghari ko daikha to 7:36 ho rahe the.



Aarav ne thori himmat ker ke baithna chaha to usse apne baazo per Wazan mehsoos huwa, Aarav ne apne Baazo ki taraf daikha to Usse uss insaan ka chehra dikh gaya jo daikhne ke liye wo pichle 7 din se har takleefo se lar ke wapis aya tha.



“Urvi!!!”


20f9a145847eb15ec919255331254cb4.jpg


Apni behan ko daikha Aarav ke chehre per muskurahat aa gayi, Urvi kisi bache ki tarha Aarav ke haath ko pakre bed ke saath rakhi chair per baithi huwi soo rahi thi, Aarav apne dusre haath ko Urvi ke chehre ke paas le ker gaya aur uss ke chehre per ate baalo ko side per ker ke uss ke chehre ko daikhne laga.


Wanhi apne chehre per kuch mehsoos ker ke Urvi ki bhi neend khul gayi, Ankhe kholte he usse sab se pehle jo chehra dikha wo uss ke bhai ka tha jo chehre per muskurahat liye usse daikh raha tha, Urvi ke chehre per muskurahat aur ansoo ek saath aa gye.


ee3d41bc8b9867971bcf0d0b230aea0c.jpg

Urvi aage barh seedhe apne bhai ke seene lag gayi, Dono me se koi kuch nahi bol raha tha sirf ek dusre ko bahoon me bhare ek dusre ko mehsoos ker rahe the, Jaise unhe kuch kehne ki zaroorat he Nahi thi.


Aarav: Kaisi hai tu?


Aarav ne Urvi ke baalo me haath pherate huwe kaha, Urvi peeche seedhe ho ker baith gayi aur apne haatho se ankho me aye ansoo ko saaf ker ke Aarav per nazre jamaye baith gayi.



Urvi: (Smile) Kaisi lag rahi hu ap ko?



Urvi apne haath khole khud ko Aarav ko dikhate huwe boli uss ki ye harkat daikh Aarav hans dia, Aarav ko sab samajh aa rahi thi Urvi iss waqt sirf Aarav ke saamne Normal behave karne ki koshis ker rahi thi.



Akhir bina Makeup ke khubsoorat dikhne wali larki aj kiu apne chehre per make up ker ke baithe gi? Urvi apni ankho per aye dark circles aur kamzoori ko uss make-up ke peeche chupana chahti thi.


Aarav: (Sigh) Huh!!! Tujhe sach me lagta hai tu halka sa makeup ker ke mujh se jhoot bol sakti hai?



Aarav ne Urvi se kaha to wo nazre jhuka ker baith gayi jaise uss ki chorri pakri gayi ho, Aarav Bed per sarak ker thora aage huwa aur Urvi ko pakar ker dobara apne seene se laga lia.



Aarav: Tujhe mere saamne Strong bann'ne ki zaroorat nahi hai!!! Tu toot sakti hai mere saamne main har baar tujhe sametne ke liye tere paas rahu ga.


Apne bhai ki baat sun Urvi ki ankho me ruke huwe ansoo dobara behne lage, Uss ne dobara Aarav ko jakar lia aur Rona shuru ker dia uss ki pakar mazboot thi uss ke andar dabe huwe sab emotions ab baahir aa rahe the.


af8fd55109e21574cd07445862dd97c0.jpg


Urvi: (Crying) Main dar gayi thi!!! Bohat zada dar lag raha tha mujhe, Aisa dard jo main kabhi bhi dobara nahi mehsoos karna chahti.


Urvi apne ap ko Aarav ki bahoon me aur bhi ghuste huwe bolna shuru ker dia, Uss ka bura badan kaano raha tha wo Aarav ko ek pal ke liye bhi nahi chorr rahi thi jaise agar uss ne chorra to Aarav dobara kanhi chala jaye ga.


Aarav: sorry!!! Main bhi tujhe yun akela nahi chorrna chahta tha, Lekin pata nahi kismat ko mujh se kia dushmani hai jo mujhe tujh se dur ek alag dunia me bhej-



Urvi: Shhhhh! Mujhe sab pata hai wo sab yaad ker ke khud ko aur takleef mat do ap khud ko.


Urvi ne Apna chehra upar ker Aarav ko daikhte huwe kaha to Aarav herani se usse daikhne laga, Aarav ko yun Confuse daikh Urvi ne side table per rakhe Letter ki taraf ishara ker dia.


Aarav ko puri baat samajh aa gayi, Jo letter uss ne Urvi ke liye apne akhri lafzo ke roop me likhe the, Un se Urvi sab kuch jaan chuki thi wo sirf letter nahi un 7 dino ki puri kahani thi.


Lekin agle he pal jab un letter ke beech rakhe ek letter per Aarav ki nazar gayi to uss ki ankho ke saamne dobara wo khofnak manzar aa gye, Wo letter tha Andrew ka jo uss ne apne akhri lamho me Aarav ko de dia tha.



Urvi: Bhayia!!!


Urvi ne Aarav ko pukara to Aarav dobara hosh me aya, Uss ke gaalo per kuch geela geela tha chune ke baad uss ko ehsaas huwa ke wo roo raha hai.


Aarav: Bohat dardnak waqt tha wo!!! Bhulana bhi chahu to shayad kabhi un zakhmo ko bhula nahi saku ga.



*Click*


Kamre ka darwaza khula aur Manohar andar aa gaya, Uss ne jab Aarav ko hosh me daikha to muskurate huwe wo un ke paas aa gaya.


Manohar: Ab kaise ho larke???


Manohar ke ane se wahan ka mahool thora light ho gya, Aarav aur Urvi bhi seedhe ho ker baith gye-


Aarav: Namaste Uncle!!! Main theek hu, Ap kaise ho?



Manohar: Main bhi Acha hu!!! Dukan me sab larke bhi tere Liye prarthana ker rahe the.



Aarav aur Manohar aise he kuch der ek dusre se baate karte rahe, Manohar khud ko rok raha tha aisa koi bhi sawal karne se jis se Aarav ko takleef ho Aarav bhi ye samajh paa raha tha.



Manohar: Ye tumhari behan bhi bohat dar rahi thi tere liye! Na-Jane kitni baar isse theek se khane ko kaha lekin ye bina kisi cheez ki parwah kiye pura din tujhe dhoondne ke liye sehar me ghoomti rehti thi, Ab tu aa gaya hai to khud sambhal iss ko.


Urvi: (Shout) Uncle!!!


Manohar ki baat sun Urvi ne chilate huwe kaha aur muh phula ker baith gayi, Jis ko daikh Manohar aur Aarav dono ki hansi nikal gayi.


Urvi Ko Manohar apni bari beti samajhta tha kiu ke uss ki khud ki bhi ek beti thi to jo bhi wo uss ke liye lata Urvi ke liye bhi 1 saath me lata, Iss liye Urvi bhi Manohar ki ladli ban ker uss se larti thi jis ke Manohar bhi pure maze leta tha.



Aarav: Ap fikar mat kare! Ab main aa gaya hu na mil ker iss ki Class le gye.


Aarav ne bhi muskurate huwe kaha to Urvi muh khole uss ko daikhne lagi, Aur muje bana ker uss ke kandhe per maarne lagi.


Urvi: Gande bhai, Gande bhai, Ahhhhh!!!


Achanak Urvi ke muh se dard se halki si cheekh nikli to Aarav uss ke haath pakar ker usse dhayan se daikhne laga, Achanak uss ko khoon ki buu ayi jo wo soongh paa raha tha.


Aarav: Teri kamar per kia huwa hai? Khoon kiu beh raha hai wahan se?


Aarav se apni injury ka sun Urvu herani se uss ko daikhne lagi, Bina daikhe Aarav ko pata tha ke Urvi ke kahan Chot lagi hai.


Urvi: Wo kal raat jab khana kha ker waapis aa rahi thi to raaste me gir gayi thi.


Aarav: (Frowns) Waapis aa rahi thi? Main kitne din se Unconscious tha?



Manohar: 3 Din se!!!


Manohar ka jawab sun Aarav heraan ho gya, Wo pichle 3 se behosh hospital me tha Aarav ko ehsaas tha ke Boost se wo buri halat me tha lekin itni buri halat me tha iss ka usse nahi pata tha.



Aarav: Hmm!!! Wo sab chor Urvi tu ne Doctor ko check karwaya hai kia?



Aarav ne dobara Urvi per dhayan dete huwe kaha to Urvi ne nazre jhukaye huwe Naa me sar hila dia, Aarav ke chehre per gussa ane laga tha agar ek cheez usse sab se zada Na-pasand thi to wo thi Urvi ki la parwahi.


Urvi kabhi bhi apni health ko serious nahi leti thi jis per wo bohat baar Aarav se baate sun chuki thi-


Aarav: Chal mere saath Doctor ke paas!


Manohar: Ruko larke! Abhi tumhe bhi check karna hai Doctor ne, Urvi ko main le jata hu tu doctor se check up karwa le pehle.


Aarav ne Manohar ki baat maan li kiu ke agar Manohar ne zimedari le li thi to wo Urvi ka complete check-up he karwaye ga iss ka yaqeen tha Aarav ko.


Urvi: Ohh Haan! Bhayia Kal se kuch log baahir baithe huwe hai wo ap ke hosh me ane ka wait ker rahe the, Uncle ne pata karwa lia hai wo koi Businessman hai.



Urvi ki baat sun Aarav sochne laga ke wo kon ho sakta hai, Lekin uss ko koi bhi yaad nahi aa raha tha jo businessman ho aur Aarav se milne ke liye kal se intezar kare.


Aarav: Mujhe nahi pata wo kon hai? Lekin agar Uncle ap ne pata ker lia hai to unhe andar bhej do unn se mil ker he pata chale ga!


Manohar: Theek hai! Doctor ke Check-up ke baad wo aa jaye gye, Main Urvi ko bhi doctor ko dikha lata hu tab tak.


Aarav ne hami bhar di to Manohar Urvi ko pakar ker baahir le gaya, Kuch waqt ke baad he doctor bhi aa gye Aarav se uss ki halat ke related kuch sawal ker ke kuch necessary test ker ke wo wahan bhi wahan se nikal gye.



Un ke jaane ke foran baad 2 log kamre me aa gye, Un me se ek 40 ke kareeb ka Admi tha jo Suit pehne huwe chehre per ek tej sajaye khara tha, Uss ke khare hone ke andaz me he ek Confidence jhalak raha tha, Wo dikhne me Indian lag to raha tha lekin uss me se wo feeling nahi aa rahi thi.

8c77200410dab0f6a4f64c06624b4487.jpg

Wanhi dusra Admi ek Middle age Mazboot insaan lag raha tha kapro se wo dusre Admi ka bodyguard maloom ho raha tha Shakal se wo bhi Chinese ya Japanese dikh raha tha-

8bf93a0b8a5216227ed3ae548260a55f.jpg

Aarav: Namaste!



Un ke andar ate he Aarav ne unhe greet kia to uss suit wale Admi ne bhi haath jor ker uss ke jawab me namaste keh dia aur wanhi Aarav ke paas rakhi chair per aa ker baith gaya bodyguard uss ke peeche khara ho gya.



Aarav: Meri behan bata rahi thi ke ap kal se mere hosh me ana ka intezar ker rahe the! Uss ki wajha jaan sakta hu kia main?



Aarav ne seedhe point per ate huwe kaha, In 7 dino me Aarav bohat badal chuka tha, Agar pehle wala Aarav hota to wo abhi dar raha hota lekin itna kuch daikhne ke baad Aarav thora nidar ho gya tha.


e31408be8869e46ecd5537252651c347.jpg

Admi: Mera Naam Adarsh Sayani hai! Main kal he America se india aya hu tum se milne.


Adarsh ka pura Naam sunte he Aarav ko thora andaza ho gya situation ka, Sayani naam Vansh ka bhi surname tha matlab ye insaan Vansh se related he koi tha, aur jaise Adarsh bhi Aarav ke expression ko samajh gaya tha.



Adarsh: (Smirk) Sahi soch rahe ho, Main Vansh ka Father hu! Aur mujhe sab kuch pata hai dusre world ke baare me.


Adarsh ne thori Ahista awaz me kaha jis se uss ki awaz baahir na jaye, Aarav ne bhi apna guard up ker lia agar koi America se usse yun milne aya tha to sirf uss ki haal puchne to nahi aya ho ga.


Adarsh: Main tumhe apne bete ki protection ke liye Hire karne aya hu.


Adarsh ki baat Aarav samajh paa raha tha, Wo apne bete ko khud dusre world me protect nahi ker sakta tha, Aur jaisa daisuke ne kaha tha 1 Maheene baad wo sab dobara wahan teleport hone wale hai, iss liye wo Aarav ko apne bete ko dusre world me protect karne ka kaam dene aya tha.


Aarav: Aur ap ko kiu lagta hai ke main he best person hu iss kaam ke liye?



Adarsh: Actually!!! Yahan main sirf apne bete ko protect nahi ker raha Tumhe hire karne se main tumhe bhi yahan intelligence ke pinjre se bachao ga, Yahan ane se pehle main ne tumhari puri information nikalwayi hai. Information se pata lagaya ja sakta hai ke tumhare liye sab se important kon hai.



Adarsh kanhi se bhi ye nahi show karwa raha tha ke yahan wo zaroorat per hai, Ulta wo ye ehsaas dilwa raha tha ke wo Aarav per Ehsaan ker raha hai usse ye job de ker.


Aarav: Kia matlab ap mujhe Government se bacha rahe ho?


Adarsh: Main ne tum se pehle Daisuke se contact kia tha puri information ke liye! Aur uss ne he mujhe tumhara naam recommend kia hai, Jahan tak mujhe pata laga hai jaise he Government ko tunhare Player hone ki khabar huwi to wo tumhe apne under le le gi ye pata karne ke liye ke tum khatra ho ya phir saathi, Aur yaqeen karo agar unhe tum khatra lage to wo tumhe khatam karne ke liye kisi bhi had ko paar ker jaye gye.




Adarsh ki baat Galat nahi thi, Aarav ke paas abhi bhi uss ki Player wali Power thi jis se agar wo chahta to bohat bara khatra ban sakta tha, Aur aise khatre ko koi bhi ignore nahi karne wala tha.



Adarsh Aarav ko soch me dooba daikh muskura utha jaise us ka teer seedhe nishane per laga ho.



Adarsh: Aur agar tum khatra nahi bhi huwe to wo tumhe apne saath le jaye gye, Tumhari behan bimaar hai socho tunhare jaane ke baad uss ki kia halat ho gi?



Adarsh apne lafzo se Aarav ko pura pressure me daal raha tha, Adarsh ki har baat me wazan tha Aarav chah ker bhi argue nahi ker sakta tha, Lekin wo puri tarha Adarsh per trust bhi nahi ker sakta tha.


Adarsh bohat purana businessman tha usse saamne wale ko apni baato me lena ata tha, Aarav per apni baato ka asar hota daikh uss ne garam lohe per akhri hathora maar dia.



Adarsh: Yang daisuke ko call karo, Daisuke se baat ker ke iss larke ka shak bhi dur ho jaye ga


Aarav: Wait! What???


Aarav apne saamne Adarsh ko seedhe apna plan batata daikh herani se uss ko daikhne laga, Wanhi Adarsh bhi heraani se usse daikhne laga aur agle he pal wo hans dia.


Adarsh: Shit!!! Main bhool gaya ke tum log sab language ko samajh sakte ho, Aur main yahan Chinese me order de ker soch raha tha tumhe samajh nahi aye gi.



Adarsh ne Yang ko Chinese me kaha tha lekin Ability ki wajha se Aarav sab Language ko hindi me sun sakta tha, Sirf kuch specific cheezo ko chorr ker Adarsh ki baat sun Aarav bhi hansne laga.


Adarsh: Per iss se koi farak nahi parta! Meri daisuke se baat ho gayi hai tum bhi uss se baat ker ke sure ho jao.



Yang ne apne phone se Video Call ker ke Mobile Aarav ko pakra dia aur dono baahir chale gye, Aarav ne saamne daikha to video Call me daisuke dikh raha tha usse.



Daisuke: (Smile) Hey!!! Wapis ane ke baad kaise halat hai ab


Aarav: Hmm! Sab kuch unreal lag raha hai lekin abhi Araam karne ka time nahi hai.



Daisuke: Yahan bhi sab aise he hai! Chalo ab kaam ki baat per ate hai, Adarsh se to mil liye ho gye tum.


Aaarav me haan me sar hila dia-


Daisuke: Yahan ane ke baad meri pehli koshis thi ke main tumhe apne paas bula saku lekin abhi ke liye ye mumkin nahi hai, Lekin main tumhe wahan akela bhi nahi chorr sakta wahan agar kisi ko bhi tumhare player hone ki khabar huwi to tumhare liye bara khatra ban sakti hai ye baat.



Aarav: Aur ap ko kia lagta hai Adarsh sahi insaan hai kia?



Daisuke: Main sure to nahi hu, Lekin agar iss waqt koi kisi bhi desh ki government se kisi player ko koi bacha sakta hai to Adarsh un me se ek hai, Main phone per sab details nahi de sakta bus itna kahu ga trust me hamare paas koi aur choice nahi hai.


Aarav kuch der khamooshi se puri situation ko dobara samajhne ki koshis karne laga, Daisuke ne bhi usse waqt de dia Aarav ke paas koi aur choice nahi thi to akhir me usse haan kehna he para.


****

Manohar Shop ~ 3:29 PM



“Aur yahan per akhri signature!!!”


Iss waqt Manohar apni dukan per apni kursi per baitha huwa tha, Uss ke saamne Adarsh baitha huwa tha aur hospital se discharge ho ker Aarav bhi wanhi tha.



Manohar ko bhi sab kuch bata dia gaya tha jis per Manohar ne Aarav ko jaane ke liye kaha, Aarav heraan tha ke Manohar ne usse rokne ki koshis kiu nahi ki ulta wo he tha jis ne Urvi ko bhi manaya tha.



Lekin Manohar har tarha ki confirmation chahta tha jis ke liye uss ne ek contract banwaya jis ke mutabik Adarsh Aarav ko as a Bodyguard hire ker raha tha.


Manohar: Hmm!!! Theek hai to iss Contract ke mutabik Aarav ki salary decide ho chuki hai, Saath me Aarav ke traveling expenses bhi ap ke upaar he ho gye.



Adarsh: Bilkul Aarav ke sab kharche hamari company uthaye gi.



Manohar: Urvi bhi Aarav ke saatb jaye gi aur saath me Urvi ke Treatment bhi ap wahan ke hospital se karwaye gye.


Aarav ke liye ye sab se bari opportunity thi apni behan ka ilaaj karwane ke liye, Agar Urvi ke ilaaj ke liye usse aise hazaro khatre bhi jhelne pare to wo uss ke liye tayar tha aur Adarsh ne uss se wada kia tha ke wo wahan ke best hospital se Urvi ka treatment karwaye ga.


Adarsh: Yes!!! Ap befikar ho jaye Mr. Manohar Aarav ko wahan kisi cheez ki fikar nahi ho gi.



Manohar ne bhi Witness ke roop me me sign ker diye jis ke baad Adarsh wahan se nikal gaya Aarav aur Urvi ko apne saath le jaane ke liye sab kuch ready karwane ke liye.



Manohar ne bhi wanhi dukan ke ek larke ko bhej dia contract ki photo copy karwane ke liye, Manohar aur Aarav dono dukan ke baahir nikal gye aur chalne lage, Manohar ne ek cigarette nikali aur uss ko jala lia.


Aarav: (Frowns) Uncle!!!



Manohar ne Ungli ke ishaare se Aarav ko chup rehne ka ishara ker dia, Aarav bhi chup ho gya aj tak Manohar ne uss ke saamne cigarette nahi pee thi jis se Aarav ko cigarette ki buri adat na lage.



Aj pehli baar Manohar Aarav ke saamne cigarette pee raha tha, Manohar wanhi ek park me chala gaya aur bench per baith gaya uss ke chehre per ajeeb se udaasi thi.



Manohar: Tu ye he soch raha hai na ke main ne tujhe jaane ki permission kiu de di.



Manohar ne ek gehra kash lagate huwe kaha-


Aarav: (Nods) Haan ji!



Manohar: (Smile) Tujhe yaad hai Aarav jab tu uss aag ke ghere ke beech me phansa huwa tha, to tu kis tarha mujhe madad ke liye pukar raha tha.



Manohar ne dobara ek kash bhar ke kaha, Lekin ab uss ki ankho me wo lamhe yaad ker ke ansoo ane lage the aur uss ki awaz bhaari hone lagi thi.



Manohar: Uss waqt main ne khud ko kitna bebas mehsoos kia tha wo lafzoo me nahi bata sakta, Main puri koshis ker raha tha ke tujhe bacha saku lekin nahi main kuch nahi ker saka, Tere jaane ke baad har rooz uss jagha per jaata aur yaad karta ke yanhi main ne tujhe khoya tha.



Manohar ki baat sun Aarav ko bhi ehsaas hone laga ke subha se Manohar bhi sirf uss ke saamne he Normal rehne ki koshis ker raha tha, Andar se Manohar bhi puri tarha se toot chuka tha.


Manohar: Mere paas wi takat nahi hai jis se main tujhe bacha saku! Lekin Adarsh ke paas wo takat hai main itna selfish nahi hu ke sirf apne ego ki wajha se tujhe yahan roku, Mere liye sab se important teri safety hai, Mere bete ki safety.



Manohar hamesha se Aarav ko apna beta samajhta tha lekin aj pehli baar uss ne Apne muh se beta bulaya tha, Aarav ki ankho me bhi ansoo aa gye Manohar ne ek haath uss ke kandho per rakhte huwe usse apne gale laga lia.



Manohar: Mujhe nahi pata tu mujh se kitna dur hai! Lekin tu hamesha khud ko aur Urvi ko safe rakhna mere liye jitni Akanksha pyaari hai utne he tum dono mere liye pyaare ho.


****


National Intelligence Service Main Building
South Korea ~ 11:24 PM




*Thump* *Thump*


Tez kadam uthate huwe building ke hall me ek admi bhaag raha tha, Uss ke chehre per pareshani ke expression the jaise wo abhi jahan ja raha tha wahan jana nahi chahta tha.


Hall se hote huwe wo main entrance se baahir nikal gaya, Baahir nikalte he use apne saamne ek Black Mercedes khari dikh gayi wo seedha uss ke paas chala gaya, Car ke andar peeche wali seat per ek larka baitha huwa tha jo Car ke andar se use daikh raha tha.




“Mr. jinhoo ap ka aise front gate se ane ki zaroorat nahi thi!!! Agar kisi ne daikh lia to fazool me Rumors phel jaye gye”



Bahir khare Admi ne car ke andar baithe Jinhoo se kaha, Uss ki nazre abhi bhi chaaro taraf ghoom rahi thi ke kanhi koi unhe daikh to nahi raha.



*Slaammm*



Jinhoo Car se bahir aya aur apne Suit ko set karne laga, Wanhi uss ko iss tarha relax daikh Admi herani se use daikhte ja raha tha.


7ce168c83c2fe33133c170b4821f5631.jpg

Jinhoo: (Smirk) Yoon Kijoong tumhe meri fikar karne ki zaroorat nahi hai!!!



Yoon Kijoong Umar me Jinhoo se bara to tha he saath me wo Senior Intelligence Officer bhi tha, Lekin Jinhoo ki tone me Kijoong ke liye thori bhi respect nahi thi.


Kijoong ko gussa to aya lekin wo khud bhi ache se jaanta tha ke wo Jinhoo ka kuch nahi bigar sakta iss liye wo uss gusse ko bardasht karne laga.





Jinhoo: (Sigh) Huh!!! Main ne pehle he yahan ke pure Area ko scan ker lia hai Raat ke iss waqt yahan per koi bhi civilian nahi hai, Ab mera Waqt barbad mat karo aur seedhi tarha batao ke iss waqt mujhe yahan kiu bulaya hai? Tumhare paas sirf 30 minute hai uss ke baad chahe jo bhi ho jaye main yahan se nikal jao ga, Morning me Shoot hai meri.


Jinhoo ne apni Wrist watch me time daikhte huwe kaha, Kijoong ne saamne se hat ker Jinhoo ko raasta dia to wo andar ki taraf chal dia uss ke saath he Kijoong bhi andar jate huwe usse situation samjhane laga.


Kijoong: Aj hamare paas ek larki ayi hai jo claim ker rahi hai ke wo ek Player hai!!!



Kijoong ka itna kehna tha ke Jinhoo ke kadam kuch pal ke liye ruke wo Kijoong ki taraf daikhne laga jaise puch raha ho ke wo sach keh raha hai kia?


Kijoong: Hume abhi confirm nahi hai!!! Iss liye tumhe yahan bulaya hai.



Jinhoo: Mujhe kiu??? Soo-hyun kahan hai???



Kijoong: Hum ne Soo-hyun se contact kia tha, Lekin wo iss waqt Out of country ek business trip per hai, Situation serious thi iss liye hamare paas Tumhe bulane ke siwaye koi option nahi tha!!!



Jinhoo: (Shout) Are you fucking serious!!! Koi bhi tum logo se aa ker kahe ga ke wo Player hai to tum log mujhe bula lo gye kia? Tumhe pata hai kitni der ki drive hai shooting location se yahan ki?


Jinhoo ne gusse se chilate huwe kaha to paas khare sab staff wale herani se apne Senior ko baate sunte huwe daikhne lage, Unhe samajh nahi aa rahi thi ke ye kon hai jo iss tarha Department me khare ho ker chila raha hai.



Kijoong: Calm Down Jinhoo!!! Hum ne aise he nahi bulaya hume uss larki ki baato me kuch sachayi dikhi hai to tumhe bulaya hai, aur tum ye mat bhoolo ke tumhara Acting Career hum ne sirf tumhe araam dene ke liye nahi set karwaya, Tumhe uss ke liye kaam bhi karna ho ga!!!


Kijoong jo tab se beizati bardasht ker raha tha ab apne staff ke saamne dobara beizati ko bardasht na ker saka aur Jinhoo ko uss ki aukat dikhane laga, Kijoong ki baat sun Jinhoo gusse se uss ki taraf daikhne laga.


Lekin wahan logo ko daikh wo khamooshi se dobara chalne laga, Kijoong ne staff ki taraf daikha aur unhe un ka kaam karne ka bol ker Jinhoo ke saath chalne laga.


*Click*


Kamre ka darwaza khola aur dono andar aa gye, Ye ek meeting room tha un ke saamne he ek chair per ek larki haath me ek paper pakre baithi huwi thi, Unhe andar ata daikh uss ne apna chehra utha ker unhe daikha aur greet ker ke wapis paper ko table per rakh ker uss per kuch likhne lagi.



Jinhoo: (Sigh) Huh!!! To tum ho jo khud ko Player keh rahi ho???


Jinhoo ka sawal sun larki ne dobara nazre utha ker haan me sar hila dia, Uss ke chehre per mask tha to uss ki sirf ankhe dikh rahi thi, Jinhoo aur Kijoong bhi wahan chair per baith gye.



Kuch Seconds ke baad he darwaza khula aur ek larka un ke liye coffee le ker andar aa gya aur sab ko coffee de ker baahir chala gaya, Jinhoo ne apna cup uthaya aur nazre uss larki per garate huwe Coffee ka ghoont bharne laga.


c826fbe0d16046b761479bcf0dcdeef6.gif
[Ability (Intimidating Presence) Activated]


Jinhoo ke saamne Notification aya uss ne apni Ability on ker li thi, Jinhoo bhi ek Player tha jo Earth ke sab se pehle players me se ek tha-


*Crack*


Jinhoo ke ability on karte he Kijoong ke haath se coffee ka cup zameen per gur gaya, Kijoong apne haatho se Chair ko pakre khud ko Jinhoo ki taraf daikhne se rok raha tha, Kijoong ka badan AC chalne ke bawajood paseene se bheeg chuka tha.


Jinhoo chehre per shetaani muskurahat sajaye usse daikh raha tha, Uss ki nazro me saaf likha tha ke wo Kijoong se puch raha hai ke ab bol jo baahir bol raha tha.


“Agar tum ne apni Ability se khel lia ho to kaam ki baat per aye kia???”


Jinhoo ko apne saamne se awaz ayi, Uss ne saamne daikha to wo larki uss ki ankho me ankhe daale daikh rahi thi uss ki ankho me wo nidarta daikh Jinhoo heran tha, Aj tak koi insaan bhi uss ki ability ke saamne khara nahi reh saka tha.



Lekin aj ek larki uss ki Nazro me Nazre garaye usse ghoor rahi thi, Jinhoo apni Ability se uss larki ko darana chahta tha lekin wo larki Jinhoo ke pure badan me rongte khare ker rahi thi.


e663c7950d6d6ab809a2f3d1ca757cbf.gif



[Ability (Intimidating Presence) Deactivated]


*Slide*


Larki ne apne haath me pakra paper Kijoong ke Normal hote he uss ki taraf khiska dia, Wanhi Jinhoo ke haatho me Coffee ka cup kaanpne laga.



Larki: iss me meri sab demands likhi huwi hai!!! Agar ap meri sharte maano gye to main ap ke saath pura cooperate karu gi.


Kijoong ne Jinhoo ku taraf daikha Jinhoo se nazre milte he iss baar Kijoong ne apne chehre per muskurahat le ayi, Iss muskurahat ne Aag me ghee ka kaam kia Jinhoo apni beizati ko bardasht karne ki koshis karte huwe dono ko gusse se goorne laga.



Kijoong: Mujhe ap ke player hone ka confirm ho gya hai!!! Intelligence ke head ke saath sab kuch discuss karne ke baad main ap ko jawab de du ga, tab tak ke liye ap Dorm me rest ker sakti hai.



Kijoong ne dobara Jinhoo ki taraf daikhte huwe sab lafzoo ko noch noch ker kaha, Larki bhi Kijoong ki baat maan ker jinhoo ko ignore karte huwe khari ho gayi Kijoong usse le ker baahir ki taraf nikal gaya.


0027b2a197e1fd181c653166d40c5864.gif

Jinhoo unhe jaate huwe ghurta raha, Un ke jaate he Jinhoo ne table per Punch maar dia jis se table me Crack aa gaya, Tabhi Jinhoo ki nazar uss paper per gayi to uss ne uss ko utha lia aur upar likhe naam ko ghoorne laga.



Jinho: (Furious) Sirf intezar karo tum, Aj huwi meri beizati ka badla to tum se le ker he rahu ga main, Kim Yoo-Jung!!!
.
.
.
.
.
.
[Ye update bhi 6.5k Words ka tha aur built up ke liye bohat important update tha ye wala agle update aur bhi maze ke hone wale hai to saath bane rahiye ga, Main target deta to nahi hu lekin agar 30 likes ho gye to next Update wednesday Night ko post ker du ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
Ye kya kr deya yu jang ne 😱😱😱😱
 

Sushil@10

Active Member
736
704
93
UPDATE 8 ~
[QUEST]



*Huh*


Aarav ke muh se awaz nikli aur uss ne apni ankhe dheeme dheeme kholi, Uss ka sar dard se phatne ko ho raha tha abhi bhi use sab dhundla Nazar aa raha tha.



Ankhe khol uss ne daikha ke wo apne Wolf ke upar laita huwa hai aur Wolf chal raha hai, Aarav ne khud ko sambhalte huwe theek se baithaya aur idhar udhar daikhne laga.



“Kaise ho???”



Aarav ko apne peeche se awaz ayi to uss ne sar ghooma ker peeche daikha to uss ke Peeche Yoo-Jung baithi huwi thi, Chehre per abhi bhi uss ke mask tha lekin uss ki Ankho se Aarav use pehchaan sakta tha.



Aarav: Sar phatne ko ho raha hai!!!! Kia huwa tha mujhe?


Aarav ne apne sar pakre kaha, Use kuch samajh nahi aa rahi thi ke use kia huwa hai, Use yahan tak pata tha ke wo Apne Wolf ka Naam rakh raha tha phir kia huwa use kuch nahi pata tha.



“Aarav!!!!”


Aarav ko apne side se Isabelle ki Awaz ayi to Aarav ne uss taraf daikha, Uss se kuch dur he baki sab bhi Apne wolves ke upar baithe huwe the, Isabelle num ankho se Aarav ko daikh rahi thi jaise wo abhi roo de gi.



Daisuke: Aa gaya tumhe hosh? Pure hafte ki neend puri kar li hai tum ne ek baar me!



Daisuke ne hanste huwe Aarav se kaha, Aarav ko abhi bhi kuch samajh nahi aa rahi thi, Asmaan ki roshni se lag raha tha shaam hone wali thi, Aarav ne jab apne hosh khoye the tab subha ka he waqt tha matlab Aarav 7 se 8 ghante soo ker utha tha.


Aarav: Sorry!!! Pata nahi kaise main behosh ho gya, Shayad Goblins ka koi trap tha?


Daisuke: Goblins ka attack nahi tha wo!!! Paka to nahi keh sakta lekin mujhe jahan tak lagta hai Demon Wolf ko naam dene ki wajha se tumhari ye halat huwi thi!!!


Aarav Daisuke ko herani se daikhne laga, Naam dene se kis tarha Aarav ki ye halat ho sakti thi? Daisuke bhi Aarav ki halat samajh gaya aur khud he use explain karne laga.



Daisuke: Ye sirf ek theory hai, lekin jahan tak mujhe lagta hai jab tum ne apne Demon Wolf ko naam dia to kiu ke wo tumhare pack ka hissa tha iss liye wo Naam ek rank ke roop me use ho gya, Jis ki wajha se tumhara Demon Wolf evolve hone laga kiu ke tumhari wajha se wo Evolve ho raha tha iss liye tumhare andar se bohat zada MP ek saath use hone lagi, Tumhari MP kam hone ki wajha se tum unconscious ho gye.



Ab Aarav ko sab kuch samajh ane laga tha, Aarav ne jaise he apne Demon Wolf ko naam dia to wo Demon Wolf bakiyo se High rank per Chala gaya matlab agar Aarav Captain tha to wo Demon wolf Aarav ka general ban gaya tha.


Jis tarha Aarav ko devour Ability use karne ke liye bohat zada Mana chahiye thi waise he apne kisi Demon Wolf ko evolve karne ke liye bhi uss ko bohat zada Mana chahiye tha, kiu ke Aarav ka Mana kam tha iss liye Aarav uss ko bardasht na ker saka aur behosh ho gya.



Aarav: Matlab Kam MP hone ki Wajha se main Shadow ko Evolve nahi ker saka?



Aarav ne Daisuke se dobara sawal kia to Daisuke ne Muskurate huwe Use Shadow ko daikhne ko kaha, Aarav ne aage ho ker Shadow ko daikha to uss ki ankhe Herat se phelti chale gayi.


Shadow Size me aur bhi bara ho chuka tha aur saath he uss ki Ankho ka rang bhi badal ker laal hone laga tha, Lekin Wo Evolve kis tarha ho gya jab ke Aarav ke paas itna Mana tha he nahi? Iss ka jawab Aarav ko puchna nahi para use khud andaza ho gya aur uss ki ankhe Isabelle ki taraf chali gayi.



Isabelle Aarav ko apni taraf daikhta daikh haan me ishara ker deti hai, Jis se Aarav ko pata chal gaya ke ek baar dobara Isabelle ne apni Ability se use Mana transfer kia hai, Ye sochte he Aarav ka haatha apne honto per chala gaya!!!



Isabelle: (instantly) Kiss nahi ki main ne iss baar!!!



Isabelle Aarav ko apne hont chuta daikh jaldi se boli jis ko daikh baki sab hansne lage, Wanhi Aarav apni harkat per sharminda hone laga.



Daisuke: (Laughing) Iss baar kiss ki zaroorat nahi thi! Isabelle ko apni Ability use karne ke liye pure mann se saamne wale ko Mana dene ka sochna parta hai, kiu ke iss baar wo sach ne tumhe bachana chahti thi iss liye sirf tumhe chune ki wajha se kaam ho gya.



Daisuke ki baat sense bana rahi thi jahan pichli baar Demon Wolves ki wajha se Isabelle dar rahi thi jis ke chalte use Aarav ko kiss karna para, Wanhi ab use kisi ka dar nahi tha aur wo sirf Aarav ko bachana chahti thi.


Isabelle aur Andrew dono ke chehre abhi bhi utre huwe the kiu ke un ke kehne ki wajha se Aarav ne Shadow ko Naam dia tha, Un ko aisa daikh Aarav ko bura laga kiu ke wo Aarav ka bura nahi chahte the wanhi Isabelle ne to dusri baar Aarav ko bachaya tha.



Aarav: Chalo ant bhala to sab bhala, Waise kitni MP transfer ki thi Isabelle ne mujhe?


Aarav ne sab ke mood ko badalne ke liye muskurate huwe kaha, Jis ko baki bhi samajh gye aur seedhe ho gye-


Isabelle: Main ne dhayan to nahi dia, Lekin 1000 se upar MP transfer to kari hai main ne hamare collect kiye half Mana Stone Se MP transfer ki hai!!!



Isabelle ki baat sun ek aur bomb Aarav ke sar per phoot gaya, Kahan wo soch raha tha 200 ya 300 MP lagi ho gi, Lekin yahan to 1000 se zada MP lag gayi thi pichle 5 din se unho ne jo Mana Stone collect kiye the uss ka half sirf Shadow ko Evolve karne me lag gaya tha, Aarav kisi aur ko Evolve karne ka sochne bhi nahi wala tha.


Andrew: Isabelle bohat pareshaan thi Tumhe uss halat me daikh ker, 2 din se wo Sab Mana stone se MP transfer ker rahi thi jis se wo khud bhi bohat thak gayi hai!



Aarav: Wait!!! Main 2 din se Unconscious tha???


Ab tak ke lage sab shock se bara shock to ab Aarav ko laga tha, Agar Aarav 2 din se Unconscious tha to iss ka Matlab aj un ki Quest puri karne ka akhri din hai, Aarav ne apne saamne dobara Quest ki Window kholi to uss per time parh ker uss ke hosh urr gye.




[Remaining Time: 6 Hours 14 Minutes]




Sirf 6 ghante bache the Quest puri karne ke liye aur abhi tak wo kahan pohanche the Aarav ye tak nahi jaanta tha, Aur jaise System ne dobara uss ke Mann ki baat sun li ho aur uss ke saamne dobara Window khul gayi.



[You are now entering the Quest Zone]



****



“Ye kha lo!!!”



Isabelle ne ek Apple Aarav ko pakrate huwe kaha, Sab ek Pathar ke paas baithe huwe the aur Ane wali larayi ke loye khud ko tayar ker rahe the, Wanhi Aarav ne 2 din se kuch nahi khaya tha iss liye wo wo Fruits kha raha tha.



Itne dino se wo log ye Fruits he kha rahe the, Isabelle apni Ability se in Fruits ko pehle he check ker leti thi jo khane ke kabil hote un ko wo rakh lete, Wahan khaane ke liye Janwar bhi the jin ko khaya ja sakta tha lekin un ke paas pakane ka waqt nahi hota tha iss liye sab sirf Fruit khate the.



Sab ke chehro per iss waqt Khoof ka saya chaya huwa tha, Un sab ne yahan ane ke baad sirf iss Quest ko pura karne ke liye itni mehnat ker ke khud ko strong banaya tha, Lekin ab jab wo wahan aa chuke the to un ke andar Dar janam lene laga tha.



Dar jo unhe ye sochne ke liye majboor ker raha tha ke agar aj wo ye Quest puri na ker sake to ye din un ka akhri din hone wala tha, Un me Mann me khud se sawal uthne lage the!!!


Kia wo Quest puri ker sake gye? Kia wo Orc king ko harane ke liye Strong ho chuke hai? Agar wo Orc King ko na maar sake to kia wo bach sake gye ya nahi?



In sawalo ne sab ke andar bhukamp utha rakha tha, Koi kuch nahi bol raha tha bus andar he andar jeetne ke liye Praarthana ker rahe the-



*Grrrrr*


Unhe saamne se Shadow wapis ata dikha jis ke Upar Yoo-Jung savar thi, Yoo-Jung wanhi ek pahar ke upar se apne Ability Eagle Eye ki madad se Field ko janchane gayi thi.



Daisuke: Kuch Pata chala kia???



Yoo-Jung ke waapis ate he Daisuke ne uss se pucha, Jis per Yoo-Jung ne haan me sar hilate huwe information deni shuru ker di.



Yoo-Jung: Orc King ki location confirm ho gayi hai! Yahan se 2 Km per Orc King hai, Lekin in 2 Km ke beech Orc King ke chaaro taraf kuch Orc's ne usse ghera huwa hai, Main jitna daikh saki hu uss ke hisaab se ye sketch banaye hai.



Yoo-Jung ne Orc King aur uss ke saatho Orc's ke banaye Sketch Daisuke ko pakra diye jis ko daikhne ke liye sab uss ke paas aa gye



Daikhne se he pata chal sakta tha King kon hai, Orc King beech me tha Matlab uss ke paas jaane ke liye unhe baki Orc's ke beech me se ho ker jaana tha, Lekin Yoo-Jung ki batayi Orc's Formation ke hisaab se wo bina Orc's ke pata lage wahan se nahi ja sakte the.



Andrew: Hamare paas Orc's se larne ka Samay nahi hai!!! Hum me se kisi Ek ko sab Orc's ko apni taraf kheenchna ho ga?



Andrew ne wo keh he dia jo Daisuke kehne se bachna chah raha tha, Daisuke ko bhi samajh aa chuki thi ke iss ke sivaye un ke paas aur koi raasta nahi hai, Un me se koi ek baki sab Orc's ko apni taraf kheenche ga to baki sab Seedhe Orc King ke paas ja sakte the.



Daisuke ko ye bhi pata tha ke ye kaam wahan sirf ek insaan he ker sakta hai “Aarav” Lekin wo use kaise sab Orc ke beech khatre me jaane ko keh sakta tha.


Aarav: Ye mujh per chorr do ap!!!



Aarav ne situation ko samajhte huwe foran keh dia, Koi keh nahi raha tha lekin Aarav he tha jo Demon Wolves ko Command de ker sab Orc's ka saamna ker sakta tha, Koi bhi aur Orc's ka saamna nahi ker sakta tha.



Yoo-Jung: Main bhi tumhare saath ruku gi!!! Arrows ki madad se main distance se Orc's ko apni taraf bula sakti hu.



Yoo-Jung ne Aarav ko volunteer karta daikh kaha, Aarav wahan sab se takatwar zaroor tha lekin itne Orc's ka akele saamna karna Asaan nahi hone wala tha, Kisi ne uss ke sujhav per Virodh nahi kia.



Daisuke: Theek hai!!! Aarav aur Yoo-Jung Orc's ko sambhale gye, Un ke saath 6 Demon Wolves rahe gye aur 2 se hum Orc king tak jaye gye, Aarav aur Yoo-Jung tumhe Orc's ko haraane ki zaroorat nahi hai sirf un ko hamare paas mat ane dena.



Aarav: Nahi!!! Agar hum Orc's ka saamna kare gye to hum unhe hara ker ap ko support karne ke liye wahan ane ki koshis kare gye.


Aarav ne Daisuke ko beech me rokte huwe kaha, Usse andaza tha ke Orc king kitna khatarnak ho sakta hai shayad uss ke wahan hone se bhi un ke jeetne ke chances bohat kam the.


Daisuke ne muskurate huwe haami bhar di, Uss ki tarha Aarav bhi kisi ko khatre me akela nahi chorna chahta tha issi wajha se uss ke mann me Aarav ke liye ek respect ban chuki thi.


Daisuke: Vansh tum Isabelle ko protect karo gye, Main aur Andrew Orc King se lare gye lekin agar hum use na maar sake to tumhe bhi hamare saath ana ho ga, Yaad rahe iss battle per hamari Zindagi depend karti hai.


Daisuke ne Vansh ko samjhate huwe kaha Vansh ko Daisuke ka uss per hukam chalana acha to nahi lagta tha lekin aj iss sab ki gambheerta ko wo samajh paa raha tha, Uss ne Daisuke ke order per haan me sar hila ker okay keh dia.



Isabelle: Guys hum jeete gye na?


Isabelle ki ghabrayi huwi awaz ne sab ka dhayan uss ki taraf kheench lia, Uss ke chehre per abhi bhi dar tha uss ne abhi to apni zindagi jeeni shuru ki thi itni mehnat ke baad uss ne apna doctor banne ka khawab pura kia tha lekin agar aj wo haarte to sab kuch khatam ho jaane wala tha.


Aarav ne apna haath aage barha ker Isabelle ke haath ko apne haath me le lia.


Aarav: Hum zaroor jeete gye!!!


Aarav ne apne chehre per muskurahat sajaye kaha to Isabelle bhi halke se muskurayi lekin abhi bhi wo dar rahi thi.



Daisuke: Let's do it guys!!!



Daisuke ne apna haath beech me laate huwe kaha, Sab uss ke haath per haath rakhne lage aur 3 ki ginti per sab ne apne haath utha liye.



“We Will Win”


Sab ne unchi awaz se kaha aur khare ho gye apni life ka sab se important battle larne ke liye.



****



[Remaining Time: 1 Hour 17 Minute]



*Rooaaarrrr*


Ek tez dahar ke saath Demon Wolves 2 Orc's per jhapat pare, Orc ko pakar ker unho ne neeche gira dia 3 Demon Wolves ke neeche hone ke bawajood Wo Orc unhe mushkil me daal raha tha.



*Slashhh*


Aarav ne apni Sword se uss ki gardan ko kaatna chaha per uss ki Sword Orc ki gardan ke beech me he ruk gayi, Orc ki Hadi bohat zada mazboot thi sword use kaat nahi paa rahi thi.




[Unique Ability (Will to live) Activated]


*Slash*


Will to live Active ker ke Aarav ne dobara uss ki gardan per waar kia to uss ka sar dhar se alag ho gya, Sirf ek ko kaatne ke liye he Aarav ko apni puri strength use karni per chuki thi.



*Grrooowwwrrrr*


Dusre Orc ne apne upar ke sab Demon Wolves ko apne upar se dur phenkte huwe khara ho gya.



*Thud*



Orc abhi khara he huwa tha ke Shadow ne uss ko ek zordar takar maari jis se wo hawa me urta huwa peeche ja gira.



*Swisshhh*
*Swisshhh*
*Swisshhh*


Shadow ke upar baithi Yoo-Jung ne ek ke baad ek Arrow shoot ker diye, Sab Arrow mushkil se Orc ke thora he andar ghus sake, Iss se pehle wo uth pata Sadow ne apne Claw se use wanhi khatam ker dia.



Aarav: Sirf sadharan Orc itne khatarnak hai to Orc King kia cheez ho ga?


Aarav un mare huwe Orc's ko daikhte huwe bola jin ko maarne ke liye unhe itni mushkil huwi thi-



*Groowwwrrrr*



Wanha larayi ki awaze sun ker baki Orc's bhi wanha aa gye, Un ko ata daikh Aarav aur Yoo-Jung bhi dobara larne ke liye tayar ho gye lekin saamne se ate 50 ke kareeb Orc se larna Moat ko dawat dene se kam nahi tha.


*****



[Remaining Time: 57 Minutes]




Aarav aur Yoo-Jung ko gye huwe 20 Minute ho chuke the, Wanhi baki sab bhi moka milte he peeche se Orc King ki taraf nikal gye the, Wanha abhi bhi kuch Orc's the lekin itne nahi jin se bach ker nikla na ja sake.



Daisuke aur Isabelle ek Wolf ke upar savar aage the Andrew aur Vansh dusre Wolf per savar un se thora peeche chal rahe the, Isabelle ko bachana iss waqt un ke liye sab se zaroori tha.


*Smash*


Un ke saamne Achanak ek ped hawa me urte huwe wahan lage ped torte huwe un ki taraf aya, Demon Wolves ne upar uchalte huwe uss ko dodge ker lia lekin uss ped se sab ki halat buri ho gayi thi.



Unho ne jis taraf se ped aya tha uss taraf daikha to un ke saamne Orc King khara tha, Yoo-Jung ne unhe Sketch dikhaya tha lekin ab Jab Orc King un ke saamne khara tha to sab dar se kaampne lag chuke the.



Vishaal shareer aur uss ke haath me ek Axe pakri huwi thi jo laal rang ki thi, Axe aisi dikh rahi thi jaise kisi janwar ki skin se bani ho lekin uss ko daikh sab ke andar khoof ane laga.



Ab tak unho ne sirf Goblins ka saamna kia tha lekin Orc King kisi Goblin jaisa kamzoor nahi lag raha tha, Daisuke ne Andrew ko ishara kia aur dono ne apne peeche baithe Vansh aur Isabelle ko wanhi utaar dia.



*Groowwwrrrr*


Demon Wolves dono ko apne upar bithaye Orc King ki taraf bhaage lekin Orc King ne koi react nahi kia aur wanhi khara unhe daikhta raha, Demon Wolves ne jaise he Orc King ke upar jhapatna chaha Orc King ne Axe se un per vaar ker dia.



*Slash*


Demon Wolves ko cheerte huwe Axe aage barh gayi, Demon Wolves ke upar baithe Andrew aur Daisuke peeche ja gire aur Demon Wolves wanhi neeche gir gye.


Ek pal pehle relax khara Orc King Achanak kab hila kisi ko pata nahi chala, Demon Wolves neeche gir chuke the wo attack nahi ker sakte the, Wanhi Andrew aur Daisuke ki abhi huwe attack se halat kharab ho chuki thi.



Andrew: Hume iss danav se larna ho ga? Demon Wolves ko ek attack me hara dia hai uss ne!!! Hum kaise saamna kare gye iss ka?



Andrew abhi tak itna kisi se nahi dara tha jitna dar use Orc King se lag raha tha, Use khud se zada bakiyo ki chinta ho rahi thi agar wo Orc King ko na maar sake to sab aj marne wale the.



Daisuke: Mujhe nahi pata!!! Lekin hume ye karna he ho ga.


Daisuke ne dobara khare hote huwe kaha Andrew bhi dobara khara ho gya aur apni shield nikal li, Iss baar Orc King khud aage huwa aur apni Axe se vaar kia to Andrew ne apni shield se uss ko block karna chaha lekin uss vaar me itni force thi ke Andrew Shield ke saath peeche ja gira.


Daisuke ne hawa me Uchalte huwe ghoom ker sword se attack ker dia.



Lekin Daisuke ki sword Orc King ko kaatne ke liye andar he nahi ghus saki, Orc King dobara ghoom ker apni axe se Daisuke per vaar ker dia.



*Clank*



Andrew apni shield liye Daisuke ke aage aa gaya, Axe Shield ko cheerte huwe aage barhi aur Andrew ko dobara hawa me uchalte huwe peeche gira dia, Andrew bach to gaya lekin uss ki shield beech se cut chuki thi.


“Material Detection”


Peeche se unhe Vansh ki awaz ayi jo apni ankh ke aage unglio se circle bana ker Axe per focus ker raha tha, Vansh ki taraf se ye bohat Samajhdari ka faisla tha wo Axe ke baare me jaanna chah raha tha.



Vansh: Uss ki kulhari se bachna, Wo ek khaas kulhari hai jo 10,000 Orcs ke sacrifice ke baad bani hai, Agar Orc ne kulhari se kisi ko kaata to Orc ki takar barh jaye gi.



Vansh ne unhe ek bohat zaroori khabar de di thi, Matlab wo kulhari se khud ko katne nahi de sakte the jis ke liye unhe ek attack me he Orc King ko khatam karna pare ga.



Daisuke: Vansh tumhe yahan ana ho ga!!!



Daisuke ne Vansh ko larayi ke beech me bulaya to Vansh khoof bhari nazro se use daikhne laga, Uss ne abhi kuch der pehle he Orc King ki takat ko daikha tha wo kaise iss danav se lar sakta tha.



Daisuke: Daro mat!!! Agar tum yahan na aye to phir bhi hum me se koi nahi bachne wala hamare paas sirf 36 Minute bache hai.



Daisuke ne dobara use eshaas dilwaya ke kitna kam waqt reh gaya hai un ke paas, Vansh darte huwe uss ke paas aa gaya Daisuke ne dobara Orc King per nazre jama li.



Daisuke: Orc King ki unchai ki wajha se hamara use maarna mushkil hai hume ek attack me he use khatam karna ho ga, to plan ye hai ke Andrew Orc King ke attack ko block kare ga jis se hume chance mil jaye, aur uss waqt tumhara kaam hai Vansh.




Daisuke ne Andrew ko uss ki position batayi aur Vansh ko aage ka plan batane ke liye uss ki taraf daikha jo abhi bhi dar se kaanp raha tha, Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakha aur usse dobara ehsaas dilwaya ke wo kis situation me hai.


Daisuke: Cut his legs from his blind spot and make him kneel!!!



Daisuke ki baat sun Vansh use herani se daikhne laga, Jis ko Daisuke nahi kaat saka tha uss ko wo Vansh se katwa raha tha aisa kaise ho sakta tha.


Daisuke: Fikar mat karo!!! Tumhe Isabelle Boost de de gi, Aur jaise he Orc King neeche gire ga Isabelle mujhe boost de gi jis se main Uss ki gardan kaat saku.



Daisuke ne Isabelle ki taraf daikha to uss ne hami bharte huwe haan me sar hila dia, Daisuke ka Plan perfect tha agar wo kaam ker gaya to wo agle Attack se jeet sakte the.


Andrew ne tooti huwi shield uthayi aur dobara Orc King ki taraf bhaag gaya, Wanhi Daisuke dusri taraf se Orc King ki taraf barhne laga aur Vansh Orc king ke peeche ki taraf bhaag gaya.


*Clang*



[Strength Focusing]

Dobara Andrew ki shield ne Axe ko roka lekin iss baar Andrew ne apne haatho aur pairo me apni Strength ko focus karna shuru ker dia tha, Vansh seedhe Orc King ke peeche gaya aur apna Spear utha Orc King ke Pair ko kaatne ke liye tayar ho gya.



[Boost]



Isabelle ne Vansh ko boost de dia jis se uss ke sabhi stats double ho gye, Spear Orc King ki tang me ghus gaya lekin uss se aage na barh saka-


Orc King ko Vansh ke attack se kuch farak nahi para uss ke side se ata Daisuke uss ke kareeb aa gaya, Orc King ne Axe ko Andrew se hatate huwe Daisuke ke aage Zameen per de maari.

e6bc194db41fa6765d699081e570e717.gif

Daisuke ke neeche se zameen khulne lagi aur ek bari khayi ban gayi, Orc King ke iss Attack se sab andar se pura hil ker reh gye sirf ek Baar me Orc King ne ek puri khayi bana di thi.



Orc King ne Vansh ki taraf daikha jo dar ke wahan se bhaag raha tha, Orc King ki nazre Isabelle per chali gayi jaise use oata lag gaya ho ke Isabelle ki wajha se he Vansh use zakhmi karne me safal ho saka hai.


Orc King thora neeche huwa aur chalaang maar ker seedhe Isabelle ke saamne chala gaya, Orc King ko apne itna kareeb daikh Isabelle ke shareer ne uss ka saath he chorr dia aur wo seedhe zameen per gir gayi.



Isabelle ko apne saamne apni moat dikh rahi thi, Orc King ne apna haath upar uthaya aur Isabelle ko pakar ker masalna chaha.



*Groowwwrrrr*

*Thud*



Ek tez dahar ke saath Shadow ne Orc King ko takar maarte huwe peeche dhakel dia, Isabelle ne apni nazre utha ker upar daikha to uss ke saamne Aarav haath me sword pakre khara huwa tha.

ed7ad173b2a1dc0c9eb44d0652520550.jpg


Andrew: Tum yahan kia ker rahe ho??? Yoo-Jung kahan hai???



Andrew Aarav ko wahan daikh khush to tha lekin use situation ko samajhna bhi tha jaldi se, Aarav ne Andrew ki taraf daikha aur use relax rehne ka ishara kia aur use Daisuke ki taraf dhayan dene ko kaha.



Aarav: (Sigh) Huh!!! Yoo-Jung baki Wolves ke saath bache huwe Orc's ko sambhale huwe hai, Abhi Daisuke ko bachao wo buri tarha ghayal hai!!!



Aarav ki baat sahi thi Orc King ke attack ko Daisuke ne dodge to ker lia tha lekin wo wanhi ek ped ke neeche phans chuka tha, Isabelle bhaagte huwe Daisuke ki taraf chale gayi.


Wanhi Andrew wahan se seedha Aarav me paas aa gaya aur uss ke saath khara ho gya.



Andrew: Hamare pass sirf 19 Minute aur hai, Sab ki khatir hume usse khatam karna ho ga!!!


Andrew ki baat sun Aarav ne hami bhari aur Shadow ko wapis bula lia, Orc King Shadow se larne ki wajha se thora thak chuka tha un ke paas ye he moka tha.



Andrew: Chalo!!!


Andrew ki baat sunte he wo Orc King ki taraf bhaage, Aarav ne apni sword uthayi aur Orc King ki taraf barha di, Orc king ne axe se attack karna chaha per Andrew ne beech me he block ker dia.


*Slash*


Aarav ki Sword ko ata daikh Orc King ne apna haath aage ker dia jis se uss ka haath ghayal ho gaya, Lekin Sword aage na barh saki tabhi Shadow ne apne claws se uss ko khatam karna chaha per Orc King peeche ki taraf kudte huwe bach gaya.


Orc King ke reflexes bohat tez the jis wajha se Shadow bhi uss per Attack na ker saka, Aarav dobara Aage ki taraf barh gaya.



Andrew: Aarav bina soche aage mat barho!!!



Andrew peeche se chilaya per Aarav nahi ruka, Orc King ke paas jate he Aarav ne dobara attack karna chaha per Orc King ab tak apna Stamina wapis hasil ker chuka tha.


Orc King ne dobara apni axe ghoomayi lekin Aarav ke reflexes bhi tez the, Axe ko apni taraf ata daikh Aarav ne Axe ki sharp side ko dodge kia aur Axe ki plane side per paon rakhte huwe khud hawa me uchalte huwe Orc King ki gardan kaatni chahi.



Lekin Orc King ki Neck aur bhi zada mazboot thi Aarav ki Sword use kaat nahi saki, Aarav wapis neeche aa raha tha jab uss ki ankhe dar se phelne lagi.




Aarav ke neeche Ice Spikes ki tarha he Spike ban rahe the lekin in ka rang laal tha jo Blood se bane the, Aarav ko ehsaas ho gya ke wo kia bewakoofi ker baitha hai.



Uss ki ankho ke saamne wo pal aa gye jab Alpha spikes ke beech aa ker mar gaya tha, Alpha ke paas choice thi lekin Aarav iss ko dodge nahi ker sakta tha Spikes upar ate ja rahe the.



*Thud*


Aarav se kuch aa ker takraya aur Aarav side per hote huwe zameen per ja gira, Aarav bach gaya tha wo khushi se dobara khara huwa ke wo bach gaya hai per wo khushi agle pal he khatam ho gayi.



*Urgh*


Aarav ke saamne Spikes Andrew ke shareer ke andar ghuse huwe the, Shadow ne Orc King per dobara attack kia to wo dobara peeche chala gaya aur spikes khatam ho gye.



Andrew wanhi neeche gir gaya Aarav bhaag ker uss ke paas chala gaya, Andrew ke shareer me jagha jagha ched ho chuke the jin se khoon beh raha tha.


Aarav: Andrew!!! Andrew ap ne aisa kiu kia? Meri khatir khud ki jaan khatre me daal di, Akhir kiu?



Andrew ne kuch bola chaha per uss ke gale me bhi spike ghus gaya tha jis se wo kuch bhi bol nahi saka, Aarav ki Ankho me ansoo aa gye uss ne peeche daikha to Daisuke aur Isabelle bhaagte huwe un ki taraf aa rahe the.



*Ugh*


Andrew ki karahne ki awaz ayi to Aarav ne dobara uss ki taraf daikha, Andrew apna haath ki muthi banayi uss ki taraf barha raha tha, Aarav ne haath aage barha ker uss ka haath pakar lia.


Andrew ne haath khol ker kuch Aarav ke haath me rakh dia, Wo thamane ke baad Andrew ka haath phisalte huwe neeche zameen per gir gaya aur Aarav ke saamne Notification aa gaya.




[Party member Andrew is Dead]



Aarav ke saamne Notification aya aur Andrew ki ankhe band ho gayi, Aarav mehsoos ker paa raha tha ke uss ke haath me pakre shareer me ab jaan nahi thi.



Isabelle aur Daisuke bhi wahan aa gye unhe bhi notification aa chuka tha, Andrew ko daikh Isabelle ki ankho me bhi ansoo aa gye Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakh use khare rehne ke liye sahara de dia.



Aarav ne apna haath khola to uss ke haath me letter tha jo Andrew ne apne ghar ke liye likha tha, Uss letter ko daikh Aarav subakne laga Andrew ye letter apne ghar bhejna nahi chahta tha lekin aj Aarav ki bewakoofi ki wajha se ye letter use Aarav ko dena para.



Aarav ki bewakoofi ki wajha se kisi ki zindagi chale gayi thi jis ko wo kabhi bhi wapis nahi la sakta tha-




[Remaining Time: 3 Minute]


Dobara Time ka notification sab ke saamne aa gaya, Aarav ne Andrew ko neeche laita dia aur apni jagha se khara ho gya.


[Unique Ability (Will to live) Activated]


Aarav ne apni Unique Ability dobara activate ker li aur apni sword utha li, Aarav ne ansoo se bharo ankho se Isabelle ki taraf daikha, Aarav ki ankho me ansoo zaroor the lekin saath me ek gussa bhi tha jo use khud per tha.



Aarav: Boost!!!




Aarav ne sirf itna kaha jis per Isabelle ne Aarav ko boost de dia, Will to live ki wajha se pehle he Aarav ke stats barhe huwe the boost se uss ke stats double ho kee 100 se upar chale gye the.



Aarav iss attack se sab khatam karne wala tha use khud ki fikar nahi thi, Stat aise Achanak barhne ki wajha se uss ki puri body per bohat zada pressure tha lekin wo uss per focus he nahi ker raha tha.



*Thump* *Thump*


Aarav ne kadam aage barhaye uss ke har kadam ke saath uss ke paas ki zameen hil rahi thi, Aarav Orc King ku taraf bhaaga jo Shadow se lar raha tha.


Orc King ne Shadow ko pakarte huwe dur phenk dia jahan Shadow Ek bare boulder se ja takraya, Orc King khud ko sambhalta uss se pehle he Aarav wahan aa gaya.



Orc King ne apni Axe se Aarav per attack kia jis ko Aarav ne apni sword se block ker lia, Aur phir shuru huwa Aarav aur Orc ke beech ghamasan yudh.


Dono he ek dusre ko kaatne ki koshis ker rahe the lekin na to Aarav haar maan raha tha na he Orc King-



[Remaining Time: 57 Seconds]


Aarav ke saamne Notification aya jis per Aarav ne koi dhayan nahi dia, Aarav ne apni Sword se Attack karna chaha lekin Orc King ne use block ker lia-




*Clang*


Sword jaise he Axe se takrayi to Axe me se blood nikla jis ne sword ko jakar lia, Aarav ko apni sword chorni per gayi, Aarav peeche ho gya.



[Remaining Time: 38 Seconds]



Aarav bina sword ke Orc King ki taraf bhaagne laga, Uss ke paas koi aur choice bhi nahi thi adha minute reh gaya tha Orc King ko uss adhe minute me harana tha.



[Player has successfully Unlocked 15% of the Alpha Demon Wolf Power]


[The player can now transform a part of his body]



Aarav ke saamne Notification aye aur uss ko apni Ungliyo per chubhan mehsoos huwi, Aarav ne Ungliyo ko daikha to un me se claws baahir aa rahe the.

a0ad5378e653707769f675b432c44272.jpg

Aarav ab aur bhi tez bhaag paa raha tha, Aarav Orc King ke saamne jate he hawa me uchal gaya, Orc king ne apni Axe se khud ko block karna chaha-



*Stab*


Achanak Yoo-Jung kanhi se wahan aa gayi uss ki Stealth skill ki wajha se Orc King use wahan mehsoos bhi nahi ker saka, Yoo-Jung ke haath me Andrew ki Flail thi jis se uss ne Orc King ke haath per Attack kia jis ki wajha se Orc King khud ko defend na ker saka.



[Deathly Slash]
eaf6b931ebffe50adcf9153d562b5f12.gif

Aarav ke saamne Notification aya aur uss ne Apne claws se Orc King ke gale ko phaar dia, Orc King ke gake se khoon ka fawara chalne laga Aarav seedha peeche zameen per ja gira, Boost ka effect khatam ho gya tha pehli baar Isabelle ne itna lamba waqt boost ko active rakha tha jis ki wajha se uss ki bhi halat kharab ho gayi.



*Grrooowwwrrrr*


Orc King zor se dahara wo samajh chuka tha ke ye uss ke akhri pal hai per wo akela nahi marna chahta tha, Wo Aarav ki taraf bhaaga aur uss ke upar kudna chaha-


*Kabooooom*




Ek neeli beam ne Orc King ko hit kia aur dur phenk dia, Aarav ne uss taraf daikha to Shadow apne muh me Alpha ki tarha he urja ikathe kiye khara huwa tha.




[Quest Completed]


*****



*Click*


Ashwin ne apne ghar ke darwaze ko khola aur baahir aa gaya, Baahir ate he thandi hawaye uss se aa takrayi aj bohat zada thand ho rahi thi jahan sab log apne gharo me Aram ker rahe the wanhi iss waqt Ashwin ki nazro ke saamne Manohar khara huwa tha.



Ashwin ne baahir nazre ghoomayi to har taraf andhera tha sirf street light aur ghar ke baahir lagw bulb se halka ujala tha, Ashwin aage barh ker Manohar ke paas ja ker khara ho gya.



Ashwin: Aur kitne din aise he chala ga Manohar bhayia!!!



Ashwin ne halki awaz me kaha lekin Manohar waise he khamoosh khara neeche zameen per nazre garaye khara raha, Ye wo he jagha thi jahan se Aarav gayab huwa tha.



6 din ho chuke the Aarav ko Gayab huwe, Kisi ko kuch samajh nahi ayi thi ke wahan kia huwa hai? Na to unho ne pehle aisa kuch daikha tha Na he kuch aisa suna tha.



Police me report ki jis per unho ne yahan aa ker jagha bhi daikhi thi, Lekin unhe bhi kuch samajh nahi aa rahi thi akhir aise kaise koi insaan din ke ujale me aise gayab ho sakta tha?



Wahan jitne logo ne Aarav ko akhri baar daikha to un per se kisi ki baat per bhi police ko yaqeen nahi huwa tha, Lekin Manohar ke hone ki wajha se phir bhi unho ne Report likh li.



4 din aise he chakar lagane ke baad Police ne bhi Case ko lagbhag chorr he dia, Un ka kehna tha ke Earthquake ki wajha se sab ko daikhne me galti huwi hai aur Aarav khud kanhi bhaag gaya hai.



Jab Aarav ko dhoondne ki akhri umeed bhi Manohar ko khatam hoti dikhi to wo Nirash roz yahan aa ker khara ho jata aur bina kuch bole ghanto bhar aise he khara zameen ko ghoorta rehta.



Ashwin: Main ne Parth ko Call ker di hai!!! Wo ata he ho ga ap uss ke saath ghar jaye, Aise to ap apni sehat kharab karwa baitho gye.



Ashwin ne dobara Manohar ko bulate huwe kaha baahir Bohat zada thand thi, Wanhi Manohar bina kisi intizaam ke aise thand me khara tha uss ke bimaar hone ke chances bohat zada the.



Manohar: (Shiver) Kia karu ga ghar ja ker? Ghar per uss bachi ka wo utra huwa chehra kis tarha daikhu? Har roz jab main wapis jata hu to wo bachi mujhe umeed bhari nazro se daikhti hai ke shayad main uss ke bhai ko saath laya hu, Lekin mujhe akele daikh uss ke chehre pee wo nirasha kaise bardasht karu main?



Har shabd ke saath Manohar ki awaz bhaari hoti ja rahi thi, Wo apne haatho ki muthi bheenche apnd ansoo rokne ki nakam koshis ker raha tha.



Aarav ke Gayab ho jaane ke baad jab Urvi ko iss cheez ki khabar huwi to wo har taraf apne bhai ko dhoondne lagi, Uss ki to jaise duniya he lut chuki thi har taraf dhoondne ke baad jab use apna bhai nahi mila to uss ki halat aur kharab hone lagi.



Manohar aise uss ko akela nahi chorr sakta tha iss liye wo Urvi ko apne ghar le aya jahan wo apni beti aur biwi ke saath rehta tha, Urvi har din baahir jati apni bhai ko dhoondne lekin wo apne bhai ke baare me koi khabar nahi jaan paa rahi thi.



Lekin wo himmat nahi chorr rahi thi, Wanhi logo ka kehna tha ke shayad Aarav ko uss jagha Aag lag gayi thi jis me wo bhasam ho ker marr gaya hai, Logo ki baate sun ker Urvi bohat mushkil se khud ko sambhale huwe thi.



Uss ko aise tarapta daikh Manohar ka kaleja katne laga, Abhi kuch waqt pehle he to Urvi ne apne pita ko khoya tha phir Cancer ki khabar aur shayad Zindagi uss se itna lene ke baad bhi khush nahi thi ke uss se uss ki jeene ki akhir wajha uss ka bhai bhi waapis le lia.



Manohar: Tumhe pata hai Ashwin Un ke pita ke dihaant ke baad main ne un se wada kia tha ke main un ke saath rahu ga unhe kuch hone nahi du ga!!! Lekin daikho akhir kia he ker saka main? Mere saamne Aarav uss ko bachane ke liye mujhe pukarta raha, Lekin main use baacha nahi paya, abhi bhi uss ki wo awaz mere kaano me goonj rahi hai.



Ashwin: Main samajhta hu Manohar bhayia!!! Lekin aise yahan khare hone se kia acha ho ga? Maanta hu uss bachi ka saamna karna mushkil ho ga, Lekin iss waqt Ap ke siwaye aur kon uss ko himmat de sakta hai?



Ashwin ka kehna bhi sahi tha yahan khare hone se kisi ko kuch nahi milne wala tha, Urvi iss waqt akeli thi wo apni bhai ke jaane ke gum me kuch galat na ker baithe ye bhi ek dar tha jo unhe sata raha tha.



*Vrooom*



Unhe baahir bike ki awaz ayi jo kareeb aa ker ruk gayi, Bike per Parth baitha huwa tha Ashwin ne use intezar karne ka ishara ker dia.



Ashwin: Parth bhi aa gaya hai, Ap abhi ghar ja ker Araam karo hum kal baith ker soche gye ke kia karna hai!!!



Ashwin ne Manohar ko dobara ghar jaane ke liye kaha, Manohar bhi khamooshi se chal dia use andaza tha ke uss ke wahan hone ki wajha se parosi Ashwin se complain karte hai ke un ke ghar ke baahir aise kisi ko khare na hone de.


Ashwin ko farak nahi parta tha un ki baato se lekin aj nahi to kal un me se koi Manohar se badtameezi ker sakta tha, Iss liye Ashwin ne pehle he Manohar ko ghar jaane ka keh dia.


Manohar seedha Parth ke paas ja ker uss ke peeche bike per baith gaya, Parth ne bhi kuch nahi bola uss ne bike ko kick maari aur bike chala di.




“Bhai Sahib”



Abhi wo thora dur he gye the ke unhe peeche se Ashwin ki chilate huwe Awaz ayi, Parth ne jaldi se bike ko ghoona Dia peeche baitha Manohar bhi pareshan ho gya ke Ashwin unhe aise kiu Bula raha hai?




Wapis wahan ate he dono bike se utar ker andar ki taraf bhaage, Lekin un ki nazar jaise he saamne gayi to un ke kadam dheeme hote gye, Manohar jo ansoo roke baitha to wo uss ki ankho se behne lage uss ke muh se ek shabd he nikla.



Manohar: (Crying) Aarav!!!



Un ke saamne iss waqt Aarav zameen per baitha huwa tha uss ka pura shareer khoon se bhara huwa tha, Wanhi uss ki Ungliyo se khoon tapak raha tha wo bus ankhe khole saamne daikhte ja raha tha




Jahan Parth aur Ashwin Aarav ki halat daikh ker heran the, Wannhi Manohar sirf Aarav ko apne saamne daikh ker he khush tha, Uss ne kisi aur cheez per dhayan nahi dia aur seedhe ja ker Aarav ko apne seene se laga lia.



Manohar: Kahan chala gaya tha mere bache? Pata hai kitna dar gaya tha main? Teri behan bhi kitni pareshaan thi? Theek to hai na tu?


Manohar use apne seene se lagaye sawal per sawal karta raha use khud samajh nahi aa rahi thi wo kia kia puche ja raha hai?




Lekin Aarav ki taraf se koi jawab nahi aya, Parth ne dusri taraf ja ker daikha to Aarav ki ankhe band thi.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he iss update ke saath he hum puri ker chuke hai apni pehli quest, Ye bhi ek mega update tha 7.5K+ Words ka, Iss ke baad Updates me action kam ho jaye ga aur saath me update ka size bhi, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga, Main chala sone Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
Brilliant update
 

S M H R

Active Member
965
2,101
138
Alright, folks, that's the end of the Vendetta Arc! It was a wild ride for me, too! We just took down one of the main villain in the story, and it's been a crazy journey so far :approve:


When I first started, I thought the whole story would be about 80 updates and 300-400 pages! But here we are, with over 550 pages, almost a million views, and 11,000 reactions! You can see why my schedule estimates are always off :shy:


So, the Vendetta Arc is done, and you got a little peek at what's coming in the Forged Bond Arc! It won't be as action-packed as this one, but I have a good feeling it's going to be awesome :pray:


Now, guess what time it is? It's vacation time! Like I said, I'm going to take a break after each arc to keep from going bonkers. So, I'll be chilling until September 15th :hippi:


Of course, I gotta throw in a little bait, right? :laugh: If update 83 gets 150 reactions, I'll cut my vacation short and be back on September 5th instead of the 15th :shhhh:


Take care, my friends, and I'll see you when I get back! :flybye:


*New Poster*

20240820-043159-0000.png
150+ done
Can we expect 5th September a update
 

The Bull

New Member
62
108
18
Hey everyone! I promised to post update 84 on September 5th if update 83 got 150 likes, and you all really did it :catfacepalm:


Let’s pretend we didn’t notice that _ABHAY might have a few alias accounts in the mix :catshrug:


Since we hit that target, I’ll be posting update 84 on September 5th at 11:30 PM :yo:



Alright, I have a question for you all! How would you like future updates to come?


Here are three options:


1) Target-Based:- Let’s say we go with the target! For this arc, the like target will be 120 likes :declare: Once we hit that target within 48 hours, I’ll post the update.

But keep in mind, if we reach the target late, the update will be late too :approve:


2) Scheduled:- We’ve been using a schedule system, so you know how that works :dazed:


Just a heads-up: having a scheduled date doesn’t guarantee the update will be posted on that day :monkahmm:


I set the date based on when I plan to post, but things can come up! So please don’t blame me if there’s a delay :dazed:


3) Mood-Based:- This option is all about my mood! I might post updates every day, or it could be weeks between posts.



Just a warning: I can be pretty lazy :catsleep: so I’m not always in the mood!


So, which system do you think would work best for updates?
20240820-043159-0000.png
Option 1
 

SKY WORRIOR

Member
209
433
64
2nd option is best coz it's works
Yeah some times update well be delayed but it's very best option coz these secdule gives you time and also readers can be wait

Baki apky Marzi hai bhai
 

sakuna

Member
273
417
63
Hey everyone! I promised to post update 84 on September 5th if update 83 got 150 likes, and you all really did it :catfacepalm:


Let’s pretend we didn’t notice that _ABHAY might have a few alias accounts in the mix :catshrug:


Since we hit that target, I’ll be posting update 84 on September 5th at 11:30 PM :yo:



Alright, I have a question for you all! How would you like future updates to come?


Here are three options:


1) Target-Based:- Let’s say we go with the target! For this arc, the like target will be 120 likes :declare: Once we hit that target within 48 hours, I’ll post the update.

But keep in mind, if we reach the target late, the update will be late too :approve:


2) Scheduled:- We’ve been using a schedule system, so you know how that works :dazed:


Just a heads-up: having a scheduled date doesn’t guarantee the update will be posted on that day :monkahmm:


I set the date based on when I plan to post, but things can come up! So please don’t blame me if there’s a delay :dazed:


3) Mood-Based:- This option is all about my mood! I might post updates every day, or it could be weeks between posts.



Just a warning: I can be pretty lazy :catsleep: so I’m not always in the mood!


So, which system do you think would work best for updates?
20240820-043159-0000.png
I guess second option cause have a date to wait and you have also a date to prepare update or agr apke pas ek date fix hota hai na ki han 5 ko ayega hin to person wait kr leta hai but jab kuch fix nhi rahta hai to wait Krna uncomfortable ho jata hai
1 option is also quite good but sometimes some readers are not available in forum then update will also get also get late if the target is not hit
In my opinion second option schedule system is good
 
  • Like
Reactions: RAAZ
Top