Update-47
“jyada khush mat ho tu, samjhi..... Atharva , meri painting bhi le rahaa tha… lekin garden me maine hee mana kar diya... kyunki main naraz thi us-se us din”Sanjana ki taraf dekh Riya boli
“dikhao toh… kaisi painting banayi hai tumne.... hahaha… yeeee… ye.... painting hai koyi. Atharva , tu khud dekh... tu isme gadhaa dikh raha hai…”Riya ke hath se painting lekar Sanjana boli…
“haan to tumhari painting bhi maine dekhi hai… usme toh Atharva aur uske dost kutte ki tarah lag rahe hai… kutte ki tarah jeebh laplapate hue… aur Ved ko background me itna chhota kar diya hai ki wo toh pilla lag raha hai…”
“abey .. ye dono ek dusare ki beizzati kar rahi hai…? ya hum dono ki…? Kabhi gadha, kabhi kutta….? Jyada hoga toh khade-khade jhuka ke pel dunga dono ko main . pahle bata de raha hoon... fir kuch bolna mat mujhe”Ved dheere se gurraya…
“meri painting me kutte isliye lag rahe hai ye dono… kyunki... ye dono hai hee kutte aur meri painting me kam se kam ye dono kutte... kutte ki taraah lag toh rahe hai… gadhe toh nahi dikh rahe aur ye beech me black lining kaisi di hai.. aankh moond kar line kheench raahi thi ya haath toot gaya tha… gadhe toh ye dikh hee rahe the… upar se oot ki tarah kubad aur aa gaya inme… “
“kya tum log bachcho ki tarah lad rahe ho…” do bench door baitha Ranjan bola “dono ki painting awesome hai…”
“tu chup rah… tu bhi iski painting me hai, tu toh sabse bada gadha dikh raha hai…”Ranjan ko fatkaar lagate hue Sanjana boli....
Jiske bad hum teeno wahi serial se ek –ek bench me baithe aur deewar ka tek lekar in dono ke aane ke pahle jo books padh rahe the, usi book se se apna chehra dhak liya…. Maine Physics se, Ved ne chemistry se aur Ranjana ne bio ki books se apna chehra chhipaya
“Atharva… bata best painting kaun si hai… kutte wali ya gadhe wali… jisme tu kutta dikh raha hai… wo maine banayi hai aur jisme tu gadhe ke sath-sath oot dikh raha hai wo is … nausikhiya ne banayi hai…”Sanjana mujh par dabav banate hue boli
“mere ko nahi maloom…”book ke peechhe apna chehra chhipaye-chhipaaye main bola…
“is baar competition me dekh lenge na… har school se do stuents participate karte hai, lekin winner sirf ek hee hota hai.. dekhte hai hum dono me se kaun jeet-ta hai… waise tum qualify bhi kar paogi...? ispar bhi mujhe shaq hai… kyun, Atharva… sach kaha na maine…”Sanjana ek baar aur mujhse haan kahaalwa kar apne paksh me karne ki koshish ki... lekin main itna bewkoof nahi hoon ki uske is feke hue jaal me fans jaun... itni aasani se toh bilkul bhi nahi...
Sanjana ke is sawal par maine chup rahna hee uchit samjha… I mean, kaun lawda… udta hua missile apni gand me le… jab main chup raha toh Sanjana ne apna rookh Ved ki taraf kiya aur uska naam lekar same sawal repeat ki...
“main toh tujhse baat nahi kar raha itne dino se… bhool gayi kya..? mere se mat puchh…”book ke peeche apna chehra chhipaye Ved do tuk bola… jiske baad baari aayi Ranjan ki…
“Ranjan tu bata… aur sach batana..”
“kya batau… Sanjana ji…”book desk pe rakh kar gadfati wali jabardasti ki muskan apne chehre par laate hue Ranjan ne jawab diya
“yehi ki kiski painting better hai…”
“yea painting ka hot hai.. hum nahi jaani… humayi maaf kai de…”aur Ranjan ke is jawab ke sath hee wo dono jaan gayi ki Ranjan bhi is maamle me gadfatt hai
Jiske baad un dono ne fir se meri taraf apna rookh kiya...
“Atharva… itna ghabra kyun rahe ho… tumhe jo painting jyada pasand aayi ho… wo bata do.. yadi tumhe meri painting pasand na aayi ho toh bhi koyi baat nahi… kuch bhi nahi badlega… main iski tarah nahi hu… jo apne boyfriend ka sabke saamne mazak udwaun…”Riya ne bhadkau bayan diya
wait.. what..? Riya ne flow-flow me mujhe indirectly apna boyfriend kaha kya...? iski maa ki, Sanjana ka toh khoon hee khaul uthega ab... wo Madhu, Mini ki tarah dumb bhi nahi ki Riya ki is line ka matlab naa samajh paaye.... BC heart attack aa jayega aaj mujhe...
“hai koyi is sansar me jo is waqt mujhe bacha sake...”mann hee mann maine pure vishwa ko apni madad karne ka aavahan de diya....
“dekh Riya.. tu mere aur Jafar ke bare me kuch nahi jaanti aur Mere aur Atharva ke bare me toh idea bhi nahi hai tujhe kuch… isliye apna muh tu band hee rakh ki main apne dost aur boyfriend ko ladwati hoon... jab dimag hai nahi toh dimag laga bhi mat... badi aayi...”
“tere aur Atharva ke bare me kya janna hai… timepass hai tu sirf uske liye aur uske ghar ke paas rahti hai… bas…”Riya ka ek aur bhadkaun bayan... jise sunne ke baad main apne sar ke baal kheechne ke liye majboor ho gaya ur r ke bll kheencha bhi... lekin apna nahi, balki Ved kaaa... ddum lagakar kheencha...
“bsdk... kuch karega..”Ved ke sar ka baal kheenchkar main Ved se bola
“aur uda mere 21ve pyaar ka mazak.... footi kaudi help nahi karunga main aaj... bahut Atharva Dev bana firta hai naa... ab ban...”
“Riyaaaaaaaa…..”idhar Sanjana mere liye time pass hai, ye sunte hee Sanjana ne bhadak uthi aur cheekh maari… aisa nahi kahna chahiye tha, Riya ko....
“bhai … kisi ek ko better bol de… please… main tere aage hath jodta hu…”Bio ki book ke peechhe apna chehre chhipaye Ranjan mujhse gidgidaya... “madarchod , bahut joro se dil dhadak raha hai mera is waqt.... ki next line inke muh se kya niklegi.... ye dono kahi gusse –gusse me hamare pyaar bhare chutiya messeges naa pure class ke saamne reveal kar de...”
Ranjan ka kahna sahi tha, yadi Riya Rose ya fir Sanjana ne mere messeges class me sabke saamne bata diye toh meri reputation hee khatm ho jayegi ekdum se , kyunki ladki ke sath chutiyapa toh hum sabhi karte hai aur ek se badhkar ek chutiyapa karte hai.... jis tarah se ye dono ek dusare par attack kar rahi hai, us hisaab se kya bharosha... isliye finally maine beech me kudne ka nirnay liya aur bola
“ok…. Ok... relax... main batata hoon kiski painting better hai.... Riya, apni painting mujhe do toh..”
Maine Riya se painting li, use apne desk me rakha aur fir Ved ko nyota diya ki wo mujhe ye decide karne me ki... kiski painting better hai… help kare… lekin usne jawab me saamne ke sirf do daant dikha kar apna palla saaf jhaad liya
“actually…”ek dum gaur se painting ko dekh kar main bola “ actually, painting wo sahi hai jisme pure 7 color ho… jaise apna indra-dhanush… toh jis bhi painting me saato ko saath marunga, ek sath marunga… kutte ka sahara lenaa chhod de katiya……”
“kya bol raha hai… bhatti… result bata… main excitement me maraa jaa raha hu…”Ranjan door se bola…
“achcha toh jis bhi painting me pure indradhanush ke color ho… wo painting best hoti hai.. Riya ki is painting me … teen… do... ek... panch.. char… seven… six… saato color hai… yani ki ye painting apne aap me sampurn hai aur ye best hai… aur Sanjana ki painting jo mere ghar me hai… usme bhi saato color hai… toh wo bhi best hai…”
“toh dono me se kiski painting better hai…”Sanjana puchhi
“abhi bataya toh…”
“kya bataya…”
“yahi ki kiski painting best hai…”
“kaha bataya…”
“tu bhool gaya hogi, Sanjana... maine just abhi-abhi bataya ki… tum dono me kiski painting best hai... tu lagta hai bhool gayi hai... hai na Ved… bataya naa maine...?”
“jhooth kyun bol rahaa hai , bhai… kaha bataya tune… tune toh sirf indradhnush aur saat color jaisa kuch bataya… dono me se best kiski painting hai.. ye toh tune bataya hee nahi… bataya kya, jikra tak nahi kiya iska”
“toh tu bata de… kutte”
“main bata deta.. lekin main Sanjana se naraz hu… isliye nahi bataunga + tune mere 21ve pyaar ka Mazak udaya hai… isliye tu hee bata…”
“Atharva please time waste mat karo… aur seedhe –seedhe jawab do…”Riya nervous hote hue boli
“uske liye mujhe fir se analyse karna padega… main nahi chahta ki kisi bhi kalakar ke sath anyay ho... wo kya hai ki Concept clear rahna chahiye, isliye mujhe ek mahine ka time do.. main next month yahi, isi waqt batata hu…”
“tu batayega ya nahi… yaa fir main teri baat batana chalu karu pure class me”Sanjana boli…
“ok fine… Riya ki painting better hai…”maine ye kaha aur apna chehra dusare taraf ghuma liya…. Taaki Sanjana ke chehre ka reaction na dekh saku…
Main Sanjana ki taraf dekh nahi raha tha lekin main wo achchi tarah feel kar sakta tha.. jo Sanjana is samay feel kar rahi thi… kyunki aisa hee same mujhe feel hua tha jab Sanjana ek din school se khushi-khushi aayi aur boli ki Jafar uska boyfriend hai… mujhe is samay Sanjana ke dukhi hone par thoda sukoon bhi mil raha tha… afterall , mera dil todne ka badla bhi toh lena tha naa.. jo maine aaj finally le liya tha. waise bhi main Sanjana ko aise kaise chhod deta, bina use ye feel karaye ki us din maine kya feel kiya tha, jis din usne Jafar ki girlfriend banna swikar kiya tha. kyunki paap ka phal toh bhugatna hee padta hai, fir chahe wo paap anjaane me hee kyun naa kiya gaya ho. par itna kuch Sanjana ke sath karne ke baad meri itni himmat nahi ho rahi thi ki main Sanjana ki taraf dekh saku… main apne is chhote se badle ke kaaran beshak apni nazar me bahut uth gaya tha lekin Sanjana ki najro me awashya hee gir gaya tha... iska mujhe aabhas hone ke sath-sath ahsaas bhi tha.
“chali gayi dono… chehra idhar kar le…”thodi der ke baad meri gardan seedhi karte hue Ved bola…
“acha chali gayi… kya reaction tha dono ka…”
“Sanjana udas, Riya khush…”
“aur sale tujhe mera sath dena chahiye tha par tu beech raaste me mera sath chhod diya tha, sath chhoda toh chhoda ... khilaf aur ho gaya … tujhe kya jaroorat thi ye bolne ki .. ki..maine toh kuch bataya hee nahi , kiski painting better hai.... saale isiliye tere upar waali kisi aur se choda rahi hai ab...”gardan seedhi karte hee main Ved par baras pada
“chodne de... jis-se marji us-se chudaye lawdi... imagination me thook laga ke teen baar gaand maar chuka hoon main uski, kal se... matlab aisa choda hoon, aisa gaand maara hoon naa uski ki... orgasm choot ki bajay gaand se hua hai.... par ye kaaran nahi hai tera sath naa dene ka. Ved Sir , aisi chhote-chhote hansi Mazak ko mind nahi karte aur tu udas mat ho... wo kya hai ki zindagi waise hee chutiyo aur chutiyape se full bhari padi hai, isliye yadi kuch kam ho jaye toh khush hona chahiye… naa ki udas”
“kya chut chut kar raha hai…”
“Sanjana aur Riya me se tujhe kaun chahiye … tu ye decide kar le… isliye maine tera sath nahi diya… warna kabhi Sanjana ke sath khelta toh kabhi Riya ke sath aur haar toh dono me jata… ab kya ha kii… ab jab tune Riya ko choose kar hee liya hai toh, tujhe maloom hai ki kise approach karna hai… I mean, Concept clear rahna chahiye , fir wo chahe dil ki baat ho ya fir Divergence theorem ki baat ho.. ”
“maine toh Riya ki painting isliye chuni kyunki uski painting better thi… bas”
“kise chutiya bana raha hai…? mujhe ya khud ko…? kyunki Main toh chutiya banne nahi wala aur rahi baat teri .... toh wo toh tu already hai bachpan se… warna Sanjana ke itna hint dene ke baad bhi wo tujhse nahi balki Jafar se kyun set hoti...”
“usne mujhe kab hint diya...?”
“jaisa ki maine kaha.... chutiya toh tu bachpan se hai”
aur Ved ke itna kahne ke baad mujhe khayal aaya ki Ranjan....? wo bhi toh udhar hee baitha hua hai aur idhar flow-flow me hum dono itna jyada bol gaye Sanjana ke bare me .... ek toh waise bhi usko clear answer abhi tak nahi de paaya hoon ki main kyun Riya ke sath-sath Sanjana pe bhi dore daal raha tha... ye jaante hue bhi ki wo Sanjana ko pasand karta hai.... aur ab itni saari baate... ab yaa toh wo khade hokar mujhe pel dega yaa fir chup-chap yaha se chala jayega aur zindagi me kabhi bhi baat nahi karega.... yadi in dono me se kuch bhi hua, jo ki hona tay hai toh fir Jafar se mujhe kaun bachayega...? saale ko dhamka aur diya hoon ki.. bula le , jisko bulana hai. aur ye Ved.... yee itna chutiya kaise ho sakta hai... main toh maan lo hu hee, par ye... ye toh khud ko hoshiyar batata hai... fir lawda.... sala, mujhe aaj school hee nahi aana chahiye tha. dimag ka rape karke rakh diya in sabne milkar. ye sab mere sath hee kyun hota hai... shayad , main hee................ anyway, let's face it. main toh black hole se bhi baahar nikalne ka tarika jaanta hoon , fir is problem se baahar nikalna kaun si badi baat hai.