Bohat khoob update diya hai bhai ek sath 3 ghatnaye chal rahi hai ek taraf Mahendra pure swasth ho gaye aur unki bahi nandini aaj pehli baar apne bacche se mili hai lekin mil ker bhi kuch nahi kar saki coz woh coma me hai. Ab Kaushalya devi ko jaldi hi uska DNA karwa Lena chahiye jitna jaldi ho sakey taki ek beta apni maa se mil sakey ek Parivar apne khoye huay se mil sakey sath sath usay apne baap ka bhi pata chaley.
Udhar murtunjay puri tarah poonam ka shikar ban chuka hai aur bohat aasani se apna sab kuch harne wala hai aur usay pata hi nahi ki woh apne baap ke qatilo ka shikar ban Raha hai. Dekhtay hai uska is story se kia link banta hai. Kaisay woh pratik se milta hai aur in sab me shamil hota hai.
Sabse important is time Shanaya Dilawar ke chungul me buri tarah phas chuki hai lekin Dilawar ne namardo wala kaam kar ke khud ko mard bola hai ab woh Pratik ke kop ka ahaar banne wala hai magar usko dost bhi itna sa sabotage ko samjh nahi paye ki yah ek diversion bhi ho sakta hai.