• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest The Hidden King 👑 (fantasy + magic )

Xabhi123

Active Member
852
1,810
124
Update 30


( Important Note : guys abhi bohut se aise log Hain Jo is story ko padte Hain aur support Karke Hain Lekin Kahi na Kahi uske Dil main yeh sawal zaror hota Hain ke yeh story bech main chod kar Chala na jaye toh main Bata du ke story har hall main puri Hogi and is waqt main ek aisi chutiya country main ho jaha per yeh kaha jaa Raha Hain 26th October se internet puri county main Band 🚫 kar diya Jayega aur wapis kabhi bi internet ko open Nahin karege pehle to main Bata do ke agar aisa hua tab bi main Apni puri Koshish karoga Kuch na Kuch Karke update dene ki agar phir bi Kuch Nahin hua to main Kisi dusri county Chala jaoga aur agar 26th October ke bad se main update nahi de paya toh Samaj Lena ke internet bend 🚫 ho Chuka Hain to ho Sakha Hain kuch time tak update na de Pao Lekin fikar mat karna story har hall main puri hokar Rahi gi ok )


Wahi kall Dhwaj ki taraf :-

Kall Dhwaj ka mehal jaise sadiyon se Kall Dhwajgarh kaha jaata Hain hamesha ki tarah bayankar aur sard (chilling) tha. Zindagi aur roshni se melon door, yeh jagha gehre, kale patharon se bani thi, jaha suraj ki ek bi kiran kabhi nahi aati thi. Darasal yeh pora mehal hi ek bishal qabar jaisa tha jis main hazar atmaon ki chekhain (screams) ek kali dund (black mist) main gunjti thi Hawa main sulagti hui lashon aur purani nafrat ki ek bhari barkam tez boo thi, jo har aane wale ko kampne par majbor kar deti thi

Us mehal ke sabse uperi silsile par Kall Dhwaj ka private Darbar (private court) tha jis se Darbar-e-Khauf kaha jaata Hain Badi badi dewaron par jale hue insano aur mare gaye devtaon ki tasverain bani thi jo halki kali aag ki roshni main aur bi ziyada khufnak lag Rahi Thi In tasveron ke mans aur khoon ke sokhe hue dhabbe (stains) sadiyon ki zulm ki kahani suna rahe the

Center main ek vishal singhasan (throne) tha Yeh takht kisi aam lakdi ya dhaat (metal) se nahi balke ek vishal kala dragon ki hadiyon se bana tha aur yeh singhasan is lok ke sabse pehle Maharaj ka tha yani is lok is burai ki dunya ko jisne banai Thi yeh singhasan uska Hain jisko us Maharaj ne apne hazarvein yudd main jab Jeet hasil ki Thi tab yeh singhasan banaya tha

( Note : is scane ko yad rakna abhi Jis asur ke bare main Maine likha Hain uska aghe role Hoga toh yad rakna okay )

tab us ne Hadiyon ki nok (edges) itni tez thi ki mano abhi bi khoon tapak raha ho.
Usi takht par Kall Dhwaj baitha tha
Unka sharir koyle (coal) aur bijli ke sholon se bana hua lagta tha. Lekin is waqt unki shakal shant thi Magar is shanti main samundar ki gehrai jitna krodh chupa hua tha Andar hi andar, woh jawaalamukhi ki tarah dehak (smouldering) rahe the. Unka rang gehra laal tha, jaise pighla hua loha ( iron ) Unke baal aag ki tarha bikhre hue the, aur unki aankhoo ki putliyan (irises) sona aur khoon ke rang ki thi jo kali aag ( black fire ) ki roshni main chamak rahi thi. Unke aas paas ki hawa khud unki taqat se dhami (heavy) ho chuki thi aur rakshas bi is bhar (weight) ko mehsos kar rahe the

Unke samne, darbar main pachas se ziyada asur aur rakshas sir jukaya khade the. Un sabke jism par kale lohe ke kavach the, jin par khauf aur shakti ke prateek (symbols) khude hue the. Har ek ki sans dheere chal rahi thi, unhe pata tha ki unke Maharaj ka mood thek nahi hai. Pichle kuch dino se, jab se woh mamuli insan Surya unki kaid main aya tha, Kall Dhwaj ki bechaini badh gayi thi.
Kall Dhwaj apne dahine haath ki ungliyon se, jinki nakhun lohe jitne tez the takht ki muthi (armrest) par ahista se tap tapa (tapping) rahe the. Yeh demi, lekin tez awaz Darbar ki gehri kamoshi main ek saaz ki tarah gunj rahi thi


Tabhi, darwaza par ek tez dastak hui Aawaz itni tez thi ki us sard kamoshi main ek damaka lag rahi thi, jaise kisi ne shanti ke kanch ko tod diya ho

Ek chota, patla sa asur, jiska naam Nitya tha, andar aya. Nitya ka rang halka peela tha, uski choti choti aankhoo main dar saaf dek raha tha Woh apne Maharaj ke samne aane se dar raha tha, aur ab toh uske pass khabar bi buri thi tabahi ki khabar

Nitya ka har ek kadam uske dil ki dhadkan jitna tez tha Uske pair buri tarha se kanp rahe the. Woh Kall Dhwaj ke singhasan se lagbag 20 foot door hi ruk gaya. Uski himmat nahi ho rahi thi ki woh Maharaj ki taraf dekhe. Uska sir itna juka hua tha ki woh mano zameen ko choo raha ho

Nitya (Halki kanpti hui awaz main) : Maharaj... Maharaj Kall Dhwaj...

Kall Dhwaj ne apni sone khooni aankhon se uski taraf dekha. Unki aankhoo ki chamak Nitya ke kamzor jism ko jalane lagi. Unki awaz, jab woh bola, toh aisi thi jaise do bade bade pathar apas main takraye hon darti ko hilate hue

Kaal Dhwaj (gusse main ) Bolo Nitya Tumhari kampti hui zuban kya kehna chahti hai Agar tumhari khabar bekar hui toh tumhari atma ko main agle 100 saal tak is mehal ki dewaron main kaid kar dunga

Nitya ka gala (throat) sokh gaya usne himmat ki aur zor se bolna shuru kiya sab kuch ek sans main bola

Nitya : M-Maharaj Woh insan... woh insan... woh mamuli ladka Surya... woh bach kar nikal gaya hain

Kall Dhwaj ke darbar main ek gehri kamoshi cha gayi. Yeh kamoshi maut se bi ziyada bhayankar thi. Sabhi asur aur rakshas ne apni sansain rok li. Unki aankhoo main hairani aur makanpan (stupidity) thi Bach gaya? Kaise? Kall Dhwajgarh ki suraksha se koi mamuli insan bach kar nikal jaye, yeh unki taqat par sabse bada dhikar (insult) tha

Kall Dhwaj ki shakal ek pal ke liye pathar ki tarah ho gayi. Koi bhav nahi tha. Lekin uski aankhoo ki kali aag aur tez ho gayi, mano Roshni ko kha rahi ho

Kaal Dhwaj ( gusse aur khatarnaak tarike se) Kya kaha tumne? Bach gaya? Ek mamuli chota sa insan jiske pass Shakti Chakra ke alawa kuch nahi tha... meri Kall Dhwajgarh ki kaid se bach gaya? Kya tum pagal ho gaye ho, Nitya?

Nitya : N-Nahi Maharaj! Karkash... Karkash aur Senapati ne bi use nahi roka Jab woh sedhiyon se aa rahe the, toh us chote insan ne... us ne jadu se Karkash ke pairon par chota sa jatka mara, aur Karkash... woh gir gaya. Ab woh dard se tadap raha hai. Aur phir... woh sedha Gupt Gufa ki taraf gaya...


Kall Dhwaj ke singhasan se ek tez aur bayankar awaz nikli. Unka gussa raw nahi tha, balke zehr ki tarha khatarnak tha

Unka krodh ab pheelne laga tha. Unhone apne dayain haath main rakha Kaal Danda (his sceptre), jo kali aag se bana tha, use zor se zameen par de mara

"DHOOM!!!"

Pura mehal kamp utha Jaise darti doobne lagi ho. Dewaron ke kale pathar totne lage. Zameen par gehre dararain (cracks) aa gayi. Us dhamake ki taqat se Nitya Piche gir gaya aur dard se rone laga, lekin uski awaz kisi ko nahi sunai di. Darbar ke asur bi dar ke mare teen kadam piche hat gaye

Kall Dhwaj apni kursi se ek jatke main khada ho gaya aur us ne apni aankheen band ki aur koi mantra padne Laga aur Kuch der main Jane apni aankheen kol li Unka pura jism aag main tha Unke laal chehre ki nasain bahar nikal aayi thi. Unka krodh itna tez tha ki aas pass khade asur bi pighalne lage. Unke jism ki garmi se hawa ek garam bhap (steam) ki tarah ban gayi


Kaal Dhwaj (Chilate hue uski awaz main nafrat Thi ) : Nahin yeh Nahin ho sakta Nitya Us mamuli insan ne rakshas ko maar kar pehli shakti hasil kar li? Aag ka Samundar paar kar liya? Agni Naag ko hara diya?

Uska Krodh itna vishal tha ki Kall Dhwaj ka dimag sirf us 'Haar' ko hazam karne ki koshish kar raha tha

Kall Dhwaj (Man main) : Yeh namumkin hain Woh shaktiyan sirf mere liye thi! Meri Barso ki tapasya ke baad maine woh pariksha tayar ki thi Woh Blue Stone... woh prem aur shanti ki Shakti! Woh sadiyon se mere lok main chupi thi. Ek chota kamzor insan us se hasil kaise kar sakta hain

Nitya jo zameen par pada tha, himmat karke bola, uske honton se khoon nikal raha tha

Nitya : M-Maharaj... woh Jinn Jagira... woh bi chala gaya Us ladki ke kehne par... us ne Surya ko akela chod diya. Lekin jaane se pehle, us ne Surya ko pehli shakti hasil karne main madad ki... uske baad... woh Jinn Lok chala gaya. Hamle ka bahana karke...


Kall Dhwaj ki aankhoo main nafrat aur dhoke ki aag thi. Unhone Jinn Jagira ko sadiyon se qatal karne ki koshish ki thi, aur woh akhri waqt main bi unke kaam main rukawat daal kar chala gaya tha

Kaal Dhwaj : JINN JAGIRA!!! Tumhara dhoka main kabhi nahi bhulunga! Aur woh ladki... SATYALOK ki woh mamuli shakti... uski himmat kaise hui ki mere kaam main rukawat dalne ki


Kall Dhwaj ne apni aankheen band ki aur deep focus main chale gaye. Unka gussa raw nahi tha, balke ab zehr ki tarah khatarnak ho chuka tha


Unka krodh ab strategy ban chuka tha.
Kall Dhwaj Dheere dheere, jaise har shabd dimag main mein likha jaa raha ho

Kall Dhwaj : Suno! Us insan ki talash (search) ab sarvapratham (first priority) hai. Woh ab sirf insan nahi, woh dusman hai. Aur dusman ko uski takat milne se pehle khatam karna hi buddhimani hain


Kall Dhwaj ne apne haath aage kiye aur unki hatheliyon se kali chamakti hui dhund (black, shining mist) nikalne lagi. Yeh dhund asuron ki aatma (soul) tak sama (absorb) rahi thi

Kaal Dhwaj (gusse main Chilate hue ) : SENAPATI VIRAKSHA! KAHAN HAI WOH! USKO ABHI MERE SAMNE LAAO


Pura darbar kamp gaya. Sabhi asuron ko pata tha ki agar Kall Dhwaj ne Viraksha ka naam gusse main liya hai, toh khoon kharaba zaror hoga

Ek lamba, chaukor (square-built) asur, jiska rang gehra nela (dark blue) aur kala tha, shanti se aage badha Uske jism par kale lohe ka vishal kavach (armour) tha. Uske chehre par kisi tarha ka dar nahi tha, lekin uski aankhoo main apne Maharaj ki izzat aur taqat ka ehsas zaror tha. Yeh tha Viraksha, Kaal Dhwaj ki sena ka sabse khatarnak aur vafadar senapati

Viraksha Uski awaz bi Kaal Dhwaj ki tarah gehri aur mazbot thi

Viraksha : Main hazir hoon, Maharaj! Aapka gusse main aana sahaj (natural) hai. Ek mamuli insan ne humari izzat par daag lagaya hain Hukum dijiye

Kall Dhwaj ne nafrat se bari Nazar se uski taraf dekha Unki garmi itni tez thi ki Viraksha ke kavach par bi halka sa dhuwan nikalne laga

Kaal Dhwaj (Gusse se) : Viraksha! Woh sirf mamuli insan nahi raha! Uske pass ab Shakti Chakra hain aur us ne woh sakti hasil kar li hain Woh Sankalp Shuddhi Tumhe pata hai woh shakti kitni bhayankar hai, Viraksha! Woh prem aur shanti ke naam par paap ko khatam kar sakti hai! Agar us ne apne gusse par kabu pa liya, toh woh dunya ko badal dega

Kall Dhwaj ne zor se hassi di. Uski hassi main paagalpan aur gussa tha


Kaal Dhwaj : Lekin woh pagal hain Usko dusra Rasta chunna hoga Samanvay ka! Jis se woh krodh ko jazb karke do guna taqat hasil kar sakta hai! Yeh shaap hi uski tabahi banega Agar woh krodh main aya, toh woh sara paap apne andar ikatha kar lega, aur woh krodh usko bramhand ka ant karne par majbor kar dega


Kall Dhwaj ne Viraksha ki taraf ishara kiya.

Kaal Dhwaj Apne gusse ko thoda kabu main late hue kaha

Kall Dhwaj : Viraksha! Tumhe teen kaam karne honge

1 Pehla Kaam ( Surya ki Talash ) :
Kaal Dhwaj : Tumhe turant hi Kall Dhwajgarh ki sari sena ko Jaipur aur Hindustan ke har kone main bhejna hoga! Har jagha uski talash karo! Mujhe woh chahiye! Zinda! Uske pass Sankalp Shuddhi hai, woh meri shakti hai! Jab woh mere pass aayega, toh main uski atma ko jazb kar lunga aur woh shakti meri ho jayegi

2. Dusra Kaam ( Jinn Jagira ) :

Kaal Dhwaj : Jinn Lok par hamla jhoot tha! Woh Jinn Jagira SATYALOK ki us ladki ke kehne par gaya hai! Tum turant hi Jinn Lok ki suraksha ko tod do! Agar Jinn Jagira wahan kisi aur shakti ki madad kar raha hai, toh use turant rok do! Use dunya se hamesha ke liye khatam kar do! Uska wapis aana mere liye sahi nahi hain

3. Teesra Kaam ( Raghuvanshi aur uske Dost ) :
Kaal Dhwaj : Surya buddhiman hai! Woh zaror apne parivar ke pass gaya hoga! Tumhari sena ka ek hissa uske parivar ko dund kar us par nazar rakhega Aur uske doston per bi uski kamzori Kya Hain pata karo Unpar bi nazar rakho! Agar hum Surya ko nahi pakad paye, toh hum unki kamzoriyon ka istemal karenge

Kall Dhwaj ka krodh ab shant ho chuka tha, lekin uski aankhoo main katilana chamak thi

Kaal Dhwaj : Aur Viraksha... agar tumne kisi mamuli asur ki tarah galti ki... toh tumhari saza **** se hazar guna ziyada hogi! Mujhe Surya ki khabar chahiye, aur uske Sankalp Shuddhi ki shakti! Jao


Viraksha ne apna sir jukaya. Uska nela chehre gusse main tana hua tha

Viraksha : Maharaj Aapka hukum sir aankhoo par Hum Surya ko dund nikalenge Woh mamuli insan aag se khel raha hai, aur ab aag hi uski kismat banegi! Main abhi sena taiyar karta hoon


Viraksha ne tezi se palt kar darwaza ki taraf kadam badhaye Uski awaz aur kadam mehal main gunj rahe the. Uske jaane ke baad, mehal main phir se kamoshi cha gayi, lekin woh kamoshi ab pehli se ziyada bhayankar thi


Kall Dhwaj wapis apne singhasan par baith gaya. Us ne neli aag ki roshni main apne haath ko dekha

Kall Dhwaj (Man main) : Surya Tumne shuruat ki hai, aur main ant karunga Tum Sankalp Shuddhi ko ache ke liye istemal karna chahte ho, lekin main us shakti ko puri dunya ko zulm ki zanjeer main bandhne ke liye istemal karunga

Unka dhyan (focus) aane wale shaktiyo ke shikar par tha, jab unhone ek chota sa vyavdhan mehsos kiya

Kall Dhwaj (Man main) : Woh Mamuli insan abhi bi pehli shakti ki jagha par hain

Kaal Dhwaj (Man main) : Tumhe pata nahi hai, chote insan, tumne sirf ek shakti hasil ki hain lekin woh shakti hi tumhari maut ki waja banegi! Kyunke shanti aur krodh ek hi dil main nahi reh sakte! Aur jab tumhara krodh totega, tum mere liye mere maqsad tak ka raasta khul doge

Us ne zor se hassi di. Uski hassi ki gunj mehal ki kali dewaron main takrati rahi

Kall Dhwaj : Yeh toh bas khel ki shuruat hain aghe aghe Dekho hota Hain Bache

Wahi surya ki taraf :-

Surya us khoobsurat pahad par akela khada tha, jahan usne abhi abhi Sankalp Shuddhi (Blue Stone 🔵) shakti hasil ki thi. Uska jism ab us dard ko seh chuka tha jo Agni Naag se ladte waqt use mila tha, lekin uske man main abhi bi chinta thi Kall Dhwaj ke kale mehal ke jungle ka bayankar asar uske zehen (mind) par abhi bi tha. Uske dil main Vidya ki chinta aur Don Raiden ke khatre ka dar ek tez dhar (sharp edge) ki tarha chub raha tha.
Uske haath main Blue Stone ki Sankalp Shuddhi ki taqat thi, jo ab uske jism main sama chuki thi. Uske andar prem, shanti aur sankalp ki ek ajeeb si taqat thi. Lekin uske krodh ko kabu main rakhne ki Ladki ki warning abhi bi uske kanon main goonj rahi thi

Ladki : " Agar tumne Samanvay ka rasta chuna, toh tumhara krodh pure Bramhand ka ant banega "


Usko pata tha ki agar us ne tez tareka nahi chuna, toh woh Jaipur der se pahunchega

Surya (Man hi Man) : Shakti Chakra, abhi waqt nahi hai. Koi tez rasta batao. Main Vidya ko khatre main nahi chod sakta

Shakti Chakra ki shant awaz uske dil main gunji. Uski awaz main gehra gyan aur vishwas tha

Shakti Chakra : Tumhari pehli shakti sirf andhere ko saaf nahi karti, Surya, woh space aur vichar (thought) ki raftar se bi jud sakti hain Tumhari new shakti, Sankalp Shuddhi woh sirf Shuddhikaran aur Samanvay ke liye nahi hai Uska mool arth (Core Meaning) hai Mool Sankalp (Core Intent) ki shakti. Apne sankalp (intent) ko Jaipur par lagao. Apni Sankalp Shuddhi ki shakti ko saaf (pure) karo, aur use Jaipur ki tasver par ekagrata (focus) se phenko

Surya hairan ho gaya. Yeh ek naya gyan tha, ek asan rasta. Usne gehri sans li. Kall Dhwaj ke gusse se bhare andere se bach kar nikal na uske liye ab zarori tha. Us ne apni Sankalp Shuddhi ki shakti ko apne jism ke charon taraf ikatha kiya. Uski aankheen neli roshni se chamakne lagi

Us ne man main sirf shanti aur Vidya ki hifazat ka vichar rakha, taki Samanvay ka rasta na chuna jaye. Usne apni aankheen band ki. Us ne apne dimag se Kall Dhwaj ka gussa, Jinn Jagira ka bichadna, aur Agni Naag ka dar sab kuch nikal diya. Uske man main ab sirf do Chezein thi Prem (Vidya ko bachane ka prem) aur Nirnay ( Determination ) Us ne Jaipur ki tasver apne man main khinchi, Vidya ka chehre ko yaad kiya

Surya ( Man main, sache aur shant sankalp ke saath ) : Mujhe Jaipur jaana hai... abhi... Vidya ko bachana hain

Jaise hi us ne yeh sankalp kiya, uske seene se ek gehri neli roshni nikli, jo uske charon taraf ek gol chakar bana gayi. Yeh roshni itni tez thi ki us pahad ka andere khatam ho gaya. Woh roshni dheere dheere phailne lagi, aur uske samne hawa main ek gol nela portal (dwaar) khul gaya. Is portal ke andar se Jaipur ki sunehri roshni aur garm hawa aane lagi

Surya hairan tha Uska Sankalp itna mazbot tha ki us ne jagha aur samay ke beech ka fasla tod diya tha

Shakti Chakra : Jao, Surya! Yeh Shuddhi Ka Portal hai. Yeh tumhe sedha wahan le jayega jahan tumhara sankalp hai. Samay nahi hai. Yaad rakna, Sankalp hi sab kuch hain

Surya ne bina der kiye us tez safed roshni ke portal main chalang (jump) laga di Uska jism hawa main ghoomne laga. Uske charon taraf sirf tez roshni thi, aur samay ek pal ke liye ruk gaya tha. Us ne mehsos kiya ki samay khud murad (bent) gaya hai. Uska safar ek pal se bi kam main pura ho gaya


Surya ki aankheen jab dubra khuli, toh woh Jaipur main SSR Group of Company ke us office ke pass tha jahan woh Vidya se milne gaya tha. Us ne SSR Group of Company ki office ki taraf dekha aur kaha
Surya (Man main) : Main sahi samay par ponch gaya. Ab mujhe jaldi se Vidya ke pass jaana hoga

Abhi usko Jaipur ki sadak par ponche hue kuch hi pal hue the ki uske thek samne, hawa main dheere dheere ek kala saya (shadow) banna shuru ho gaya. Yeh saya tez raftar se insan ki shakal lene laga.

Yeh koi aur nahi balke P. Surya tha woh roop jis se us Anjan ladki ne Surya ke Kall Dhwajgarh ki kaid main hone ke dauran banaya tha taki dunya ko Surya ki kami mehsos na ho, tab banaya tha. P. Surya ka chehra shant aur thoda thaka hua tha. Uske chehre par udasi aur shanti ka mishran (mixture) tha P. Surya ka jism safed roshni se chamakta tha.
Surya, jisne abhi abhi vishal rakshas aur agni naag se jang jeeti thi, woh hairan reh gaya. Us ne is shakti ko pehchana nahi tha

Surya (Hairani se) : Tum... tum kaun ho Tum bilkul mere jaise kyun dek rahe ho

P. Surya ke chehre par halki si muskan aayi, jismain dard aur khushi dono thi

P. Surya : Main tum hi hoon, Surya. Tumhara Pratibimb (Shadow) Ab mera kaam khatam ho gaya. Tumne pehli shakti hasil kar li hai, ab tum apne sare kaam khud kar sakte ho

Surya kuch samaj nahi paya. Uske dimag main sawal hi sawal the

Surya : Yeh kaisa mazak hai Tum kya keh rahe ho

Lekin P. Surya ne samay zaya nahi kiya. Shakti Chakra ki awaz ne use antim ishara diya

Shakti Chakra : Surya Tumhara wapis judne ka samay aa gaya hai. Iski yadain aur atma tumhari asli taqat hain

P. Surya ne koi awaz nahi ki Woh bas Surya (naya) ki aankhoo main dekhta raha, aur dheere se woh roshni ka putla (statue) Surya ke jism main sama gaya

"DHOOM!"

Koi damaka nahi hua, koi shor nahi hua. Bas ek tez neli roshni chamki aur phir gayab ho gayi. Surya ka jism hil gaya, aur uske dimag main tez bijli daud gayi

"DHOOM!"

Yeh damaka bahar nahi balke Surya ke dimag main hua aur surya ko sab Kuch abhi tak P.surya se Saath Jo Kuch bi hua tha sab Kuch pata chal gaya Achanak Surya ki aankhoo main sare pichle kuch dino ka drishya (flashback) chalne laga. Uske dimag main yadon ka sailaab (flood of memories) aa gaya. Abhi tak Surya ko thoda thoda hi yaad tha lekin ab sab kuch ek pal main samne aa gaya

Surya ke dimag main tez bijli daudi. Uske sir main dard itna bhayankar tha ki uske shareer ka har hissa dard se bharmar uth raha tha. Uske aankhoo ke saamne sari yadein, sare emotions aur P. Surya ke kaam ek-ek karke aane lage. Usko Kolkata ki fight se lekar Divya aur Kiran ko propose karne tak har ek baat yaad aa gayi.

Surya ka jism kamp raha tha. Woh sadme (shock) main tha. Woh P. Surya jo bekhabar tha, ab chala gaya tha. Uski jagha, ek aisa Surya khada tha jis se sab kuch yaad tha dar dard, prem, aur bramhand ki sabse badi zimmedari.
Surya zameen par ghutne tek kar baith gaya. Uske chehre par dard aur afsos tha. Uske ankhoo se ansu ka sailaab (flood) nikal pada. Uski aankhoo main ab woh dar tha jo us ne Kall Dhwaj ke samne bhi mehsos nahi kiya tha. Yeh ansu us dard ke the jo us se apni Maa se door reh kar hua tha.

Surya (Rote hue, aansuon ke saath) : Maa... meri Maa... maine Itne salon ka dard... main ne tumhe kitna tadapaya hoga...

Us ne apne ap ko ziyada kosna shuru kar diya.
Surya (Man main) : Aur Divya... Kiran... Usne Mere Pratibimb ko main Samaj kar Pyar kiya Main unke saath dhoka nahi kar sakta. Un dono ko main kaise bataunga ki woh main Nahin tha balke koi aur tha Aur yeh dono... ek saath... main dono main se kisi ek ko nahi chod sakta. Sankalp Shuddhi... meri pehli shakti hi mujhe sabse bada dard de gayi.


Abhi Surya apne ap ko sambal hi raha tha ki Shakti Chakra ki awaz phir se aayi


Shakti Chakra : Surya Rona band karo. P.Surya tum hi ho. Tumhara dard aur tumhara pyar dono P.Surya ki atma main samaya hue the. Jo pyar usne Divya aur Kiran ko diya tha, woh tumhara hi pyar tha. Tum dono ko dhoka nahi de rahe ho. Tum dono ki raksha karna tumhara Sankalp hain aur aghe bi aisa bohut logo me Saath tumhara rishta judega

Surya ke man main ek hi vichar tez hua

Surya : Vidya! Uske kanon main Ladki ki warning gunji : "Vidya ki jaan ko bada khatra hai."
Shakti Chakra : Ab waqt hai ansu ponchne ka. Vidya khatre main hai. Amit Singhaniya ke gunde us se kisi bi waqt nuksan pahuncha sakta hai. Utho Aur apni shakti ka istemal karo

Surya ne gehri sans li. Usne apne ansu ponche. Uski aankhoo main dard tha, lekin ab us dard ko Sankalp ne badal diya tha

Surya ke jism main aag lagi thi. Uski aankhoo ke ansu tez, garm aur bhari the. Usko Maa ki woh batein yaad aa rahi thin jab woh usko bachpan main prem aur shanti ka gyan diya karti thi. Usko yaad aya ki kaise apne gusse ki waja se usne Maa ko khoya tha Uska gussa wahi krodh jiske liye ladki ne warning di thi

Surya (Man hi Man dard se bhar gaya) : Maa Ap kahan ho Main wapis aa gaya hoon, pura aa gaya hoon Lekin mujhe apse ziyada aapke gusse ki shakti mili hai! Mujhe Sankalp Shuddhi mili hai, lekin iski shart hai ki main shant rahun Aur main sabse ziyada krodhit hoon! Main woh krodh kaise control karunga jiske karan maine apko khoya tha!
Har ansu uske jism se nikal kar uske krodh aur prem ke beech ki jang ko dikhata tha. Uski atma do hisson main batt chuki thi—ek prem aur Shanti chahta tha, aur dusra badla aur Kall Dhwaj ka khatma


Uske hathon main Blue Stone ki shakti gardish kar rahi Thi ab surya phir sochne Laga Don Raiden ke admi Kahi bi chupe ho sakte hain

Usne zor se aankhoo ko band kiya Rona band. Ansu sofe main sama gaye.
Surya ab wapis aa chuka tha asli Surya, dard aur taqat se bhara hua. Usko pata tha ki uske pass rone ka waqt nahi hai. Usko Vidya ko bachana hai, aur apne krodh par kabo paana hai, taki woh Sankalp Shuddhi ka sahi istemal kar sake

Surya utha. Uske chehre par ab wohi purana nirdhar (determination) tha jo usne Agni Naag ko marte waqt dikhaya tha

Surya (Mazbot awaz main) : Thek hai, Shakti Chakra. Ab main koi galti nahi karunga. Mera Sankalp mazbot hain Main apne parivar ko aur apne pyar ko bachaunga

Bina ek pal ki der kiye, aur bina kisi ko dekhe, Surya wahan se andhere main tezi se gayab ho gaya. Usne apni nayi shakti aur raftar ka istemal kiya aur sedhe Vidya ke flat main aa pahuncha.
Flat shant tha, lekin Surya ke andar ka tofan ruk nahi raha tha. Usne turant Vidya ko call kiya. Uska haath kamp raha tha
Surya (Awaz main tez ghabrahat thi) : Hello, Vidya! Tum kahan ho Kya kar rahi ho Tum... tum jaldi aao!

Vidya : Surya Main raste main hoon bas office se laut rahi hoon. Kya hua Tum itne ghabra (nervous) kyun Rahe ho Bas das minutes wait karo main aa rahi hoon.

Surya ne kuch aur bolne se pehle hi call cut kar di. Uske pass ab waqt nahi tha Samajne ka, sirf bachane ka samay tha.
Surya (Man main) : Das minutes Matlab attack ya to Raat ko Hoga ya phir subhe ke time jab woh office jaa Rahi Hogi

Uski aankheen khuli. Ab unmain ansu nahi, balke nayi determination aur purana dard tha. Ladai ab shuru hone wali thi. Uska Sankalp Shuddhi ka pehla imtehaan ab uske samne tha.

Jaipur ke posh area main, Vidya ke Alisha flat main, is waqt gehra sukon tha

Vidya jo din bhar SSR Group of Company ke kaam se thak chuki thi apne bade se bed par gehri neend main thi Uska karma halke gulabi rang ka tha, jismain bade-bade sheeshe lage the


Dusre kamre main, Surya bi bed par leta hua tha. Uska dimag abhi bi P.Surya ki yadon ke tofan ko shant karne ki koshish kar raha tha. Maa ka dard Divya aur Kiran ka pyaar, aur Vidya par aane wala khatra yeh sab uske Sankalp Shuddhi ke Blue Stone ko tez kar raha tha. Abhi abhi woh Amit Singhaniya ke khatre ke bare main soch kar soya hi tha.





Raat ke thek 1:00 baj rahe the.

Achanak pure flat ki power cut ho gayi. Har taraf gupt andera cha gaya. Yeh koi aam power cut nahi tha, balke Gagan ki taiyari ka hissa tha taki koi CCTV ya lights unhe rok na sake.

Vidya ki aankh turant khul gayi. Uske dil ki dhadkan tez ho gayi. Usne bed se halke se utha aur Aahista Aahista apne kamre se bahar nikli.

Ghar ke andar itna gehra andera tha ki Vidya ko apne haath bi thek se dikhai nahi de rahe the.

Vidya (Man main) : Abhi power cut kaise ho sakta hai? Yeh toh generator backup wala area hai. Kuch garbad lag rahi hai.

Woh dheere se kitchen ki taraf badhi Kitchen main halki si chanda (moonlight) ki roshni kidki se aa rahi thi. Woh tez kadmon se fridge ke pass gayi, uska darwaza khola aur ek glass main thanda pani piya. Pani se uske gale ki khushki khatam hui, lekin uske man ki bechaim badh gayi.

Usne pani ki botel wapis fridge main rakha aur jaise hi piche mudhi ki achanak us gupt andere aur kamoshi main ek ajeeb aur bhayanak awaz aayi.

"Thuk..."

"Thuk..."

"Thuk..."

"Thuk..."

Yeh awaz teen se chaar mazbot admiyon ke jhoton ke dheere dheere chalne ki thi, jo living area se kitchen ki taraf aa rahe the. Yeh awaz sidhe Vidya ke dil main dar ban kar utri.

Vidya ka pura jism kanp gaya Usne himmat jutayi, us andhere ki taraf dekha jahan se awazein aa rahi thi.

Vidya ( Thodi ghabrahat lekin mazboti se ) : K-Kon hain wahan?

Lekin koi jawab nahi aya Sirf woh jhoton ki dheemi awaz kareeb aane lagi.

Vidya : (Ab gusse se) Maine pocha kon hain wahan! Bolo, warna main police ko call kar rahi hoon!

Jaise hi Vidya ki baat khatam hui, jawab main koi awaz nahi, balke ek tez, bhayankar Aawaz aayi.

"CHAAATAKK!"

Ek mazbot haath tez raftar se andhere se nikla aur Vidya ke sir par zor se takraya. Vidya beqabu ho gayi aur uska sir fridge se zor se takra gaya. Uske munh se ek dardnak aah nikli aur woh zamin par girne lagi


Gagan aur uske teen saathi ab kitchen ke darwaze par khade the. Unke chehre andhere main the, lekin unki aankhoo main Amit Singhaniya ke hukm ki haiwaniyat saaf dikhi Rahi thi

Gagan (Halki, gandi hansi ke saath) : Police ko call? Ab tum Amit Singhaniya ke hukm ka jawab dogi, MD Vidya!





Yeh choti si takrahat aur Vidya ki dardnak aawaz Surya ke kamre tak ponch chuki thi

Surya, jo abhi abhi P.Surya ki yadon ko jazb kar chuka tha, uski neend turant toot gayi. Uska jism turant Alert ho gaya.

Surya (Man main) : Woh aa gaya! Aur Vidya...

Usne bina der kiye apni Sankalp Shuddhi shakti ka istemal kiya. Usne tez sans li aur apne krodh ko dabaya us ladki ki warning uske kanon main gunj rahi thi: "Shanti!"

Surya ke jism par halki neli roshni ki parath chadh gayi. Yeh roshni bilkul awaz nahi kar rahi thi. Usne apne pairo se zameen par kadam rakha, aur uske kadam aawaz nahi kiye! Uska pura jism light-weight aur silent ho gaya tha.

Woh Shakti Chakra ki madad se bilkul kamoshi se apne room se bahar nikla.

Kitchen ke darwaze par, Vidya ghayal ho kar zameen par adhi giri hui thi. Gagan aur uske teen saathi uski taraf badh rahe the, unke chehre par buri hansi thi.

Gagan (Dusre gunde se) : Jaldi karo! Boss ka hukm yaad hai na!

Jaise hi Gagan aage badha, andhere se ek tez saya aya

Surya ne pehla hamla Gagan ke saathi par kiya jo darwaze ke kareeb tha.



Surya ki raftar itni tez thi ki us gunde ko kuch pata nahi chala. Surya ne apne dayain haath se Sankalp Shuddhi ki shakti ka istemal kiya aur tez saath gunde ke gardan ke peche halka sa vaarm kiya. Woh gunda chillaye bina behosh ho kar zameen par gir pada.


"DHHUM!"

ki halki awaz hui jab uski body zameen se takrayi.

Gagan aur baki do gunde hairan ho kar peche mude


Gagan (Hairani se) : K-Kon hai wahan?



Surya andhere ka sahara lekar turant dusre gunde ki taraf badha. Dusra gunda ghabrat main apne haath main rakha hua hathiyar Jo chhota chaku tha Surya ki taraf phenka. Surya halka sa side hua aur chaku dewar main dhans gaya. Surya ne us gunde ko apne pair se zor se pet par maar Gunde ke munh se awaz nikalne se pehla hi, Surya ne apni neli roshni se uski awaz ko daba diya. Woh gunda dard se tadapta hua kamoshi main gir gaya.

Teesra gunda dar se peche bhagna chaha, lekin Surya uska pecha kiya. Woh gunda hall main poncha aur bhagne ki koshish ki. Surya ne apni tez raftar ka istemal kiya aur us gunde ko gardan se zor se pakad liya. Surya ne us se uper uthaya aur dewar se zor se de mara. Gunde ki gardan main dard hua aur woh turant behosh ho gaya



Ab sirf Gagan baki tha. Gagan hairan ho kar Vidya ke pass khada tha. Usne dekha ki teen gunde sirf do minute main kamoshi se hawa main gayab ho gaye the. Uska dar gusse main badal gaya.

Gagan (Chilate hue) : Kaun ho tum! Bahar niklo! Tum mere saathiyo ko nahi maar sakte!





Surya aahista aahista andhere se bahar nikla. Uske chehre par ab wohi shanti thi jo usne Agni Naag ko harate waqt rakhi thi. Lekin uski aankhoo main Gagan ke bure irade ke liye gehri nafrat thi.

Surya (Shant, lekin mazbot awaz main) : Tumhe marna nahi hai Tumhe tumhare andar ki burai ko marna hai.

Gagan ne apne haath main ek bada chaku uthaya aur Surya ki taraf phenka.

Surya khada raha. Chaku uski taraf tez raftar se aya. Surya ne apne haath main Sankalp Shuddhi ki shakti ka istemal kiya. Uske haath se ek tez neli roshni nikli aur chaku ko hawa main hi rok diya. Chaku ko chote hi woh chaku ret ban kar zameen par gir gaya.

Surya (Shant, lekin gehra) : Tumhari yeh burai tumhara ant nahi hogi. Tumhari burai ka Shuddhikaran hoga.

Surya aage badha. Gagan dar se peche hatne laga. Surya ne apne dayain haath ko Gagan ke seene par rakha.

"FSSSHHHHHHHHHHHH..."

Ek tez neli roshni Surya ke haath se nikli aur sedha Gagan ke seene main sama gayi Yeh roshni Gagan ke jism main uske Mool Sankalp (nafrat, lalach, qatl) se takrayi.

Gagan dard se chilaane laga. Uska pura jism kamp gaya. Yeh dard koi physical dard nahi tha, balke uski atma ka dard tha. Uske andar ki sari burai ek tez dhuen ki tarah uske munh se bahar nikal gayi.

Jab woh neli roshni wapis Surya ke haath main samayi, toh Gagan zameen par gir pada. Woh zinda tha, lekin uska chehra ab bilkul saaf tha. Uske andar ki burai hamesha ke liye khatam ho gayi thi. Uska sankalp ab shant aur Sacha tha.

Vidya, jo yeh sab dek rahi thi, uski aankhoo main dar aur hairani thi. Woh samaj nahi payi ki Surya ne kya kiya.

Surya dheere se Gagan ke pass baitha.

Surya (Shant awaz main) : Tum ab sache ho. Mujhe batao, tumhe yeh sab karne ke liye kisne bheja tha?

Gagan (Udas, lekin Sachi awaz main) : Amit Singhaniya... Usne mujhe bheja tha. Usne bola tha ki pehle uska rape karo phir us se (Vidya ko) dard do aur phir us se maar do Yeh sab us se badla lene ke liye tha kyunke Vidya ne us se 1000 crore ka tender chen liya tha.

Surya ki aankhoo main gussa aaya, lekin usne use turant daba diya.

Surya (Gagan se) : Tumne bohut galat kaam kiye hain. Kitne hi beguna logon ko mara hoga tumne. Ab tumhe apne papon ka prayaschit (atonement) karna hoga. Tum khud ko police ke hawale kar do.

Gagan ( Sir jhuka kar, Sachi main se) : Thek hai, Bhai! Jaisa ap kahenge. Mujhe maaf kar dijiye


Surya : (Faisla karte hue) Ek baat sun lo, Tum police ko Amit Singhaniya ke bare main kuch mat batana! Yeh kaam main khud dekhunga. Yeh us se badla nahi, balke us se saza dene ki zarorat hain Tumhe sirf yeh keh na hai ki tumne yeh chori aur lutne ke irade se kiya tha.

Gagan : (Sankalp se) Main kisi ka naam nahi bataunga. Main sirf wahi karunga jo aap kahenge.

Surya ne ghu tne se uth kar apna phone nikala. Usne pehle Vidya ki taraf dekha.

Vidya (Kamzor awaz main) : Surya... yeh sab kya tha? Aur tumne us se kya kiya?

Surya (Use halke se uthate hue) : Tum thek ho vidya Mujhe maaf kar do. Yeh sab ho gaya. Baki sab main tumhe Kal bataunga. Abhi hum police ko bulate hain.


Surya ne Police ko call kiya.

Lagbag 30 minute baad, ghar ki power wapis aayi, aur police ki gadi ki aawaz aayi. Surya ne apni neli roshni ko chupa liya aur woh kitchen se nikla.

Police andar aayi. Unhe teen gunde behosh mile, aur Gagan jo shanti se khada tha. Vidya ghayal thi.

Surya ( Police officer se, shaant dikhte hue ) : Sir hum par hamla hua tha. Inhoene chori aur lutne ke irade se flat main ghusne ki koshish ki thi. Maine aur vidya ne kuch der ke liye bachav kiya.

Police Officer (Gagan ko dekhte hue) : Yeh admi toh bilkul shant hai. Tumhe yeh sab karne ki himmat kaise hui!

Gagan ( Police se, saaf awaz main ) : Humne chori ke irade se yeh sab kiya tha. Meri galti hai. Main saza ke liye taiyyar hoon.

Police ne Gagan aur uske saathiyo ko arrest kar liya aur lekar chale gaye.

Surya ne lambi sans li. Uska pehla bada imtihan safalta se pura hua tha. Lekin woh janta tha ki Amit Singhaniya ab aur ziyada katarnak ho Jayega.

Surya (Vidya se, pyaar se) : Chal
o Vidya. Ab hum yahan nahi ruk sakte. Main ne tumhare liye ek aur jagha sochi hai. Ab tum wahi rahogi.


~~~aj ke Liye itna hi ~~~~

Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna


 
Top