• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance SHAURYA:EK VEER YOADHA

Status
Not open for further replies.

supriya dave

New Member
82
165
33
UPDATE 2

Ab AAGE…


Ek ladki bhagwan ke samne prathna kar rahi hai mere pyare madhav please mere pyare bhai ko pass kara do jo bolenge woah karungi aj uska result hai please use top kara do please.

Wahi Ek Ladka computer ke pass apna ungli chabhate hue apne result ka wait kar raha hai aj 12th boards ka result ane wala tha usi ka wait kar raha hai.

Ladka:Please madhav mujhe pass kara do waise mere paper ache gye hai phir bhi darr lag raha hai please pass kara do madhav ji please.Meri didi ka kahi naak na kat jaye unhone mere liye bahut mehnat ki hai please please aise bolte hue who screen mai dekh raha hai.

Jaise hi portal khula ladke ne apna roll no dala result samne aa gaya jaise result aya ladka jor se chila diya jaise usne jor se chilaya niche uski behen jo pooja kar rahi thi darr gyi.

Ladki Ghabrate hue bhagkar apne chote bhai ke kamre mai gyi

ladki hafte hue:Kya hua shaurya itna jor se kyu chillaya kya hua.

Shaurya APNI DIDI ko ghumate hue mai pass ho gaya maine pure university mai top kiya hai mai bahut bahut khush hun.

Ladki koi nahi pallavi thi aur ladka uska chota bhai shaurya tha.

Pallavi: hafte hue Ruk Ruk ghumana band kar yeah toh ache se bhi bol sakta tha itni jor se chillane ki kya zarurat thi tu aisi harkat karta hai ek din dekhna mai mar jaungi.dekh nhi raha kaisi saass phul rahi hai.

Shaurya:Jor se chillate hue diiii phir aisi baat ki na toh dekhna mai bhi mar jaunga ap ke sath ap ke siva mera kaun hai is duniya mai aap aisi batein karti rehti ho aur mujhe rulati ho.

aisa bolkar shaurya bed pe gusse se beth jata hai aur ankh se anshu bahata hai.

Pallavi ko apni galti ka ehsaas hota hai aur apne bhai ko manane mai lag jati hai.

Pallavi:Apne bhai ke pass jate hue solly shauru maaf kar do apne didi ko maaf nhi karoge apni di ko shaurya dusri taraf muh karta hai pallavie phir se solly na dekho tumne top kiya hai chalo party kalte hai aj main apni sare deals cancel karungi tumhale liye please shauru.Dekho nahi manoge didi lo degi,rone ka natak karte hue.

Shaurya yeah dekh kar hasne lag jata hai aur bolta hai

Shaurya: didi aap humesha aisi harkat kar ke mana leti ho aap se naraz nhi ho pata agli baar se aisa mat karna samjhi na aap agli baar mai nahi manaunga.

Pallavi:acha baba ab se aesi nahi karungi khush jaldi taiyaar ho ja madhav ke samne hath jodkar tumhe pass karne ke liye prathna karte hai phir bahar ghumne chalte hai.

Shaurya:abhi shaam ko jate hai na didi,bahar kitni dhoop hai mai aur aap kala ho jayenge.

Pallavi:nahi honge who main dekh lungi abhi hum bahar jayenge pura din ghumenge aur bahar khana khayenge aur shopping karenge tu taiyaar ho raha hai ki nahi lekar jaun tujhe andar jaise bachpan mai lekar jati thi.

Shaurya: Didi bada ho chuka hun kuch toh sharam karo aap jao mai ata hun.

Pallavi:muskurate hue toh jaldi aa pata hai na mai kya karungi.

Shaurya:Haan aap jao aa raha hun.

Thodi der baad Shaurya and Pallavi mandir ke pass prathna karne lag jate hai

Pallavi:aisi mere bhai ko unchai mai pahuchate rehna madhav ji aur mujhe kuch nahi chahiye.

Shaurya:Meri did ko aisi hi khush rakhna madhav ji aur mujhe kuch nahi chahiye aur jo baat mujhe batana hai use batane ki bhi himmat dena madhav ji.

Dono bhagwan ko prathna karke bahar ghumne jate hai Jab pura din ghum kar ate hai tabhi naukrani rupa ek chitthi lekar pallavi ke pass ati hai.

Rupa:memsaab sahab ke naam se ek chitthi ayi hai jab aap nhi thi koi dekar gya tha.

Chitthi ko dekhar shaurya ke pasine chut jate hai aur use darr lagta hai ab aage kya hoga didi ke chupke se yeah kaam kiya tha ab sach unke samne ane wala tha.
Nice update
 

supriya dave

New Member
82
165
33
UPDATE 5

AB AAGE

Agle din subah jab shaurya utha toh dekh raha tha ki uski didi bag pack kar rahi thi shaurya ne asmanjas mai apni didi se puch liya….

Shaurya:Aap mera bag pack kyu kar rahi hai hum kahi ja rahe hai kya?

Pallavi:Nahi mai kahi nahi ja rahi hun sirf tum ja rahe ho.

Shaurya:Kidhar didi mujhe kidhar bhej rahe ho mai apko chorkar kahi nahi jaunga,idhar hi rahunga apke pass,jidhar bhi jaunga apke sath jaunga.

Pallavi muskurakar:Jidhar mai tumhe bhej rahi hun,udhar mai nahi ja sakti,udhar sirf tum hi ja sakte ho,maine thori na entrance clear kiya hai,entrance tumne clear kiya hai toh jana bhi tumhe hi parega na.

Pallavi aisa bolkar jane lagti hai aur piche mudkar bolti hai,

Pallavi:Jyada socho mat jaldi taiyaar hokar niche aa jao aj hum log ko ghumne jana hai,aj hum log khub ghumenge masti karenge,ek pyara moment banayenge samjhe mere pyare buddhu bhai.

Pallavi aise apne bhai ko bolkar ek letter bag ke upar rakh kar bahar jati hai,aur phir bolti hai

Pallavi:Intezar kar rahi hun tumhar jyada time mat lagana.

Pallavi aisa bolkar bahar jati hai,Shaurya asmanjas mai tha aur woah apne man mai bol raha tha

Shaurya:Achanak didi ko kya ho gya,aisi behki behki batein kyu kar rahi,bol rahi hai,mai udhar nahi ja sakti,tumne entrance clear kiya hai wagera wagera,

Shaurya aisa bolkar fresh hone jata hai tabhi uski nazar bag ke upar letter par jati hai jab who use kholkar dekhta hai toh woah khush ho jata hai,khushi se uchalne lagta hai

Shaurya:Yeah Nda ka form hai didi ne use bhar diya,iska matlab didi maan gayi hai,arey waah mai officer ban sakta hun,ab samaj aya didi aisa kyun keh rahi thi,thank you,thank you didi,Mai aj bahut bahut khush hun.

Shaurya aisa bolkar uchal raha tha,use yeah nahi malum tha piche se koi use dekh raha tha uski harkat dekh kar muskura bhi raha tha woah aur koi nahi pallavi thi.

Pallavi darvaje ko knock kar ke bolti hai

Pallavi:Agar tumhara nachna ho gaya hoga toh fresh hone jao aur jaldi aao,intezar kar rahi hun niche tumhara

Shaurya pallavi ki awaz sunkar hadbada jata hai aur ji didi bolkar fresh hone chale jata hai,

Pallavi uski harkat dekh kar muskurane lagti hai phir bad mai uske ankh mai anshu ane lagta hai aur bolti hai,

Pallavi apne man mai:tum kal chale jaoge tumhari yahi hasi mujhe bahut yaad ayegi,aisa bolkar woah chali jati hai.

Thodi der baad dono bhai behen madhav ji ke mandir ke pass khade rehte hai aur prathna karte hai

Pallavi:Madhav ji apne man mai pathar rakh kar maine yeah decision liya hai kyuki main apne shauru ko aise ghutha hua nahi dekh sakti thi,meri shauru ki jimmedari apke upar hai,uska ache se khyal rakhna,aur use ek badiya officer banne mai madat karna aur mujhe kuch nahi chahiye madhav ji.

Shaurya:Madhav ji,mujhe malum hai meri didi bahut muskil se yeah faisla liya hoga,Mujhe shakti dena ki mai unke faisle par khada utaru,ek badiya officer banu jisse meri didi mujh par garv kare,Meri didi ki raksha karna madhav ji aur mujhe kuch nahi chahiye.

Shaurya aur pallavi dono madhav ji ke samne prathna karke chale jate hai ghumne.

Pallavi car chlate hue ek pahad par jati hai woah bahut sundar pahad hai,pani ke jharne,sunder sunder butterflies,yaha ane se man prasan ho jata hai aisa lagta hai swarg mai hai,pallavi ko malum hai shaurya ko yeah jagah bahut pasand hai use yahan se baithkar jharna dekhna bahut pasand hai,bachpan mai jab unke mata pita jinda the unhe yahan lekar aya karte the,khub yadein judi hai is jagah se.

Pallavi hath mai bhelpuri liye aa rahi thi aur woah dekh rahi thi shaurya wahi jharne ke pass beth kar jharna dekh raha hai,wahi jakar baith jati hai,pallavi shaurya ko ek bhelpuri dete hue kehti hai

Pallavi:Bahut sunder nazara hai na,yahan ane se man prasan ho jata hai,aisa lagta hai swarg mai hai.

Shaurya:thank you didi mujhe yahan lane ke liye,aj ka din mai kabhi nahi bhulunga,apko pata hai na yeah jagah se hamari kitni yadein judi hai.

Pallavi:Isliye toh layi hun tumhe,tumhare jane se pahile ek best memory create karna chahti thi,tum jab jaoge yehi sab pal yaad karungi,aur…

aisa bolkar pallavi ruk jati hai aur unki ankhein nam ho jati hai

Shaurya: Didi,aap aise raoge toh best memory kaise create hogi aap kya aise vida karoge mujhe.

Pallavi muskurakar apni ankhein pochte hue:Chor yeah sab mujhe tumse ek baat puchni thi?

Shaurya:Haan mai janta hun aap kya puchna chati hai,yahi na ki mai army kyu join karna chahta hun?

Pallavi:Haan,par tumhe kaise pata?

Shaurya muskurakar:Apka bhai hun didi sab pata hai mujhe.Pallavi bhi muskura deti hai shaurya ki baat sunkar

Shaurya jharna ko dekhte hue bolta hai

Shaurya:Bachpan mai jab papa mummy hume soldier ki kahani sunate the mujhe bahut acha lagta tha,jab khabre ati thi Humare desh ke soldier ne humare liye kya kiya,mujhe garv hota tha unko dekh kar,Apko malum hai school mai ek Soldier aye the unka naam Major Arvind Subramaniyam tha

Pallavi:Haan malum hai,kitne handsome the,kisi bhi ladki ka dil aa jaye un par haaye kitne cute the,bachi thi warna shaadi kar leti unse.

Shaurya gusse mai: Diii mai kya keh raha hun aap kya bol rahi hai

Pallavi:Haan sorry sorry bolo

Shaurya aap bhi na phir bolne lagta hai:Unke medals unke achievement dekhkar,mai bhi unki tarah banna chahta tha,jab maine unse baat ki tab unhone mujhe baat bola jisse sunkar maine faisla kar liya mai bhi army officer banunga.

Shaurya:Sir mujhe apse kuch baat karni hai kya mai baat sakta hun.

A.shubramniyam:Haan bolo

Shaurya:Mujhe bhi apki tarah medals chahiye mujhe bhi apki tarah offcier bankar medals pana hai mujhe kya karna padega.

A.shubramaniyam:Beta,medals pane ke liye officer banna chahte ho,ya desh ki seva karne ke liye offcier banna hai

Shaurya:Matlab samjha nahi

A.shubraniyam:Beta,Ek baad yaad rakhna,yeah medal kuch nahi hai,Desh ki seva hi tumhara lakshya hona chahiye,tumhara lakshya yeah hona chahiye jo humare desh ke dushman hai unhe marne mai hona chahiye,medal mile ya na mile kaam aisa karo puri desh mai tumhara naam gunje pura desh tum par proud kare samjhe.

Shaurya:Samjha sir

A.shubraniyam jate jate jate ek word bolte hai

A.shubraniyam:Agar kisi par mar mitne par ishq kehte hai toh ek soldier se bada ashique koi nahi janab.

Shaurya unki batein sunkar usi din hi faisla kar liya woah ek soldier banega aur desh ki seva karega

Shaurya jab yeah baat pallavi ko batata hai pallavi ko garv hota hai apne bhai par.

Pallavi:Mujhe tum par bahut garv ho raha hai shauru,mujhe yakin hai tum unki tarah ek daring officer banoge.

Shaurya:Thank you didi,mai wada karta hun apko naraz nahi karunga


Train ki horn bajne lagti hai,waha se utarta hai humara capt Shaurya Sooryavanshi…………..
Nice update keep writing
 
Status
Not open for further replies.
Top