Nice update.....UPDATE 55
Agle din Priya training ke baad Aarush ko call karti hai……
Priya – Aarush tum kahaan ho……
Aarush – main abhi pahunch jaunga 5 mins mein sir ke yahaan par……
Priya – wahaan mat jaana……main do gali agay road par khadi hoon bus stand par……tum wahin aa jao……
Aarush – achha theek hai…….
Yeh kehkar Aarush call cut kar deta hai aur wahan pahunch jaata hai jahaan par Priya ne use bulaya tha…………Priya ek suitcase lekar khadi thi…….Aarush auto se niche utarta hai aur Priya ko usmein baithne ko kehta hai……
Aarush – aap baithiye……..
Priya uski baat sunkar bina kuch kahe auto mein baith jaati hai…..phir Aarush suitcase uthaakar auto mein rakhta hai aur khud bhi baith jaata hai…….phir woh auto wale ko ek society ka naam batata hai………kuch der baad dono us society ke gate par pahunch jaate hain…….phir Aarush Priya ko lekar flat par aa jaata hai jo usne Priya ko rent par dilaya tha…….Priya jaise hi flat ko dekhti hai to hairaan reh jaati hai…….flat bahut hi khubsurat tha aur ander bed se lekar kitchen tak ka sab samaan usme available tha…….Priya yeh dekhkar khush ho jaati hai aur Aarush ki taraf dekhne lagti hai…….
Aarush – mujhe pata tha aapko sab samaan kharidna padega……isliye maine fully furnished flat dhoondha aapke liye taaki aapko sab kharidna na pade…….
Priya – lekin yeh to bahut mehenga hoga…….main yeh afford nahi kar paongi……
Aarush – mehenga nahi hai…..sach keh raha hoon……
Priya – tum sach keh rahe ho na……waise yeh itna khubsurat flat hai kiska…….
Aarush – meri ek friend ka hai…….woh abhi study ke liye abroad rehti hai……. isliye yeh khaali pada tha jo ke mujhe pata tha…….maine usse phone par baat kar li…….
Priya – tum sach keh rahe ho…….aisa to nahi hai na ke adha rent tum bhar rahe ho……kyunki jitna sunder yeh flat hai iska rent itna kum to nahi ho sakta………
Priya ki baat sunkar Aarush apna phone nikalta hai aur ek no. dial par call karte hue usse kehta hai……..
Aarush – aap usse khud hi pooch lijiye……bas itna dhyan rakhiyega ke maine use yeh nahi bataya hai ke aap meri maam hain……yeh kaha hai ke aap family friend hain…………
Priya – nahi rehne do…..main nahi baat karungi usse….. main maan gayi ke tum sahi keh rahe ho……
Isse pehle ke Aarush call cut karta tab tak saamne se call receive kiya jaa chuka tha…….Aarush yeh dekhkar kehta hai…….
Aarush – hi Maansi…….sorry to disturb you right now……can we talk for 2 mins…..its important…….
Phone ka speaker on tha to Priya ko sab sunayi de raha tha……..
Maansi – hey sweetheart……..come on yaar…. you can call me anytime……tell me whats the problem………and talk in hindi please…….
Maansi jaise hi sweetheart bolti hai Aarush ekdum se Priya ki taraf dekhne lagta hai muskuraate hue……… woh uska reaction dekhna chaahta tha…… woh dekhta hai ke Priya use ghoor kar dekh rahi hai……. tabhi saamne se awaaz aati hai……
Maansi – hello….kahaan kho gaye…..meri aawaaz to aa rahi hai tumhe……
Aarush jaise hi Maansi ki aawaaz sunta hai woh kehta hai……
Aarush – haan aa rahi hai…….
Maansi – kya hua…..tumhari friend ko ghar pasand nahi aaya kya……..
Aarush – nahi actually unhe ghar bahut pasand aaya…..woh tumse kuch puchhna chaahti hain…….
Maansi – mujhse kya puchhna hai aur kis baare mein……..
Aarush – rent ke baare mein……inhe yakin nahi ho raha hai ke itna kum rent hai iska…..
Maansi – achha……unhe phone do……unka naam kya hai…….
Aarush – khud hi puchh lo…….
Aarush muskuraata hua phone Priya ki taraf bada deta hai……. kyunki yeh ek video call thi to Priya ek ajnabi ladki se baat karne mein hichkicha rahi thi……..lekin baat to karni hi thi to woh phone leti hai aur Maansi ki taraf dekhti to paati hai ke woh ek college going girl lag rahi hai……. woh dekhkar kehti hai……
Priya – Hello…..
Maansi – Hi! Mera naam Maansi hai……aap kaisi hain aur tumhara naam kya hai……
Priya – main theek hoon…….mera naam Priyambada Sharma hai……….
Maansi – ok…..jitni tum khubsurat ho utna hi khubsurat tumhara naam hai Priyambada……..nice name……Aarush keh raha hai ke tumhe rent ko lekar koi problem hai…..kya hua…..
Priya uske munh se apni tareef sunkar Aarush ki taraf dekhne lagti hai……jaise hi woh Aarush ko dekhti hai Aarush use aankh maar deta……jo dekhkar Priya sharma jaati hai…..par khud ko sambhaalte hue Maansi se kehti hai………
Priya – thanks for the compliment……..nahi aisi baat nahi hai…….main bas isse yeh puchh rahi thi ke itna achha ghar hai fully furnished hai aur rent itna kum…….woh thoda vishwas nahi ho raha mujhe……I hope aap bura nahi maanengi meri baat ka……..
Maansi uski baat sunkar jor jor se hansne lagti hai…….phir kehti hai…..
Maansi – isme bura maanane wali kya baat hai……..yeh ghar waise bhi rent ke liye nahi hai…….lekin Aarush ne bola to main tumhe rehne ke liye de rahi hoon…..
Priya – rent ke liye nahi hai……phir aap mujhe kyun de rahi hain rehne ko……
Maansi – cos Aarush said yesterday that you are an important part of his family……so I can’t say no to him…….
Priya yeh sunkar hairaan thi ke Aarush ne Maansi ko yeh kaha hai ke main uski family ka hissa hoon……..lekin woh ab yeh jaan gayi thi ke Maansi yeh ghar kisiko rehne ke liye nahi deti……..isliye woh kehti hai…….
Priya – lekin agar aap nahi dena chaahti to koi baat nahi…… main kahin aur dekh lungi ghar…….
Maansi – maine yeh kab kaha ke main tumhe nahi dena chaahti……….
Priya – abhi to aapne kaha ke aap yeh ghar kisiko rehne ke liye nahi deti hain……..
Maansi –auron mein aur tum mein fark hai…….. tum mere best friend ki family ka hissa ho to kahin aur kyun rahogi……..waise bhi for me uski family meri family its just simple as that………uske liye to jaan haazir hai yeh ghar kya cheez hai………aur ab mujhe aur kuch nahi sunana is baare mein……… tum isi ghar mein rahogi its final………ab ispar koi behas nahi hogi……..
Priya – aapko itna vishwas hai Aarush par…… (Aarush ki taraf dekhkar)
Maansi – haan hai…..kyun tumhe nahi hai uspar vishwas……….
Priya – apni jaan se jyada vishwas hai……..(Priya ke munh se achanak nikal jaata hai)
Maansi – main bhi to wohi keh rahi hoon jo tum keh rahi ho……..uske jaisa dost kismat walon ko milta hai…….
Priya – yeh to sahi kaha aapne…….lekin sirf dost….. mujhe to laga tha ke aap uski girlfriend hain……isliye aap maan gayi hain……..
Maansi – meri aisi kismat kahaan ke main uski girlfriend banoo……. (aah bharte hue dhire se kehti hai)
Priya – kuch kaha aapne……..
Maansi – nahi kuch nahi……main bas yeh keh rahi thi ke woh mera best friend hai…… (baat badlate hue kehti hai)
Priya ne uski baat sun li thi jo usne dhire se kahi thi……. Maansi is baat ko agay nahi badana chaahti thi isliye kehti hai…….
Maansi – to phir theek hai tum yahin raho……apna ghar samjhkar……..aur mujhe aap nahi tum kaho jaise main keh rahi hoon tumhe…….tabhi to dosti hogi tumhari aur meri…….. ek baat aur main chaahti hoon ke tum rent mat do..…..i don’t want that…….tum Aarush ki dost ho to ab meri bhi hui na……
Priya – main tum dono ki dosti ki kadr karti hoon lekin main yahaan isi shart par rahungi ke tum mujhse rent logi……..nahi to main koi aur ghar dekhti hoon…..
Maansi – theek hai Priyambada……mujhe manjur hai……Aarush ne mujhe pehle hi kaha tha ke tum bina rent ke yahaan nahi rahogi isliye majburan mujhe thoda rent bolna pada……..mere mana karne par bhi tum nahi maan rahi ho to theek hai rent de dena Aarush ko hi…..main usse le lungi……. waise tum bhi bilkul Aarush ki tarah hi ziddi ho ……….
Priya – nahi aisi to koi baat nahi hai…….Aarush ziddi to nahi hai…….. (Aarush ki taraf dekhkar bolti hai)
Maansi – achha…….. lagta hai tum use bahut achhe se jaanti ho…….
Priya – thoda bahut jaanti hoon…..kabhi zid karte hue nahi dekha maine……
Maansi – achha…….ab main phone rakhti hoon……..jaruri kaam se mujhe kahin jaana hai…….Aarush se mera phone number le lena aur ghar ko lekar kabhi koi problem ho to call kar dena bejhijhak……..apni dost hi samjho mujhe bhi…….
Priya – theek hai……..main dhyan rakhungi……thanks Maansi…….thank you very much…….tumhe nahi pata tumne meri kitni badi help ki hai……
Maansi – dosti mein no thanks no sorry……..ek aur baat ho sakta hai ke main beech beech mein tumhe pareshaan karoon phone karke…….
Priya – its ok Maansi……ab to hum dost hai na…….phir pareshaani kaisi…….
Maansi – haan yeh bhi hai……
Priya – lo ab tum Aarush se baat karo…….
Maansi – abhi nahi kar paungi……mujhe kuch jaruri kaam hai……baad mein kar lungi usse baat…..
Priya – achh theek hai…..phir main phone rakhti hoon…….tum apna kaam karo…..
Maansi – ok bye…..take care…….
Yeh kehkar Maansi call cut kar deti hai……….Priya ab muskuraakar Aarush ki taraf dekhne lagti hai……
Aarush – aise muskuraakar kya dekh rahe ho aap…….
Priya – kuch nahi dekh rahi hoon ke tumhare sab dost kitne achhe hain…….tumhare ek baar kehne par Maansi ne apna ghar mujhe rehne ke liye de diya…….jab ki woh kisiko yeh ghar rehne ke liye nahi deti……..tum bahut lucky ho jo tumhe itne achhe dost milein hain jo tumhara hamesha saath dete hain……
Aarush – ab woh sab aapke bhi dost hain…….isliye aap bhi lucky ho abse…….jitna vishwas aap mujhpar karti hain utna mere un sab doston par bhi kar sakti hain jinse main aapko milaunga…….
Priya – hhhmmmm……achha…..lekin vishwas to main sirf tum par karti hoon Mere Aarush……..aur kisipar nahi……. (agay badkar uske gale se lagte hue kehti hai)
Phir dono milkar Priya ke suitcase se kapde nikaalkar wardrobe mein rakhte hain aur uske baad baithkar baatein karne lagte hain……….phir kuch der baad Priya kehti hai……
Priya – Aarush……tumhe yaad hai na kal tumhara result hai…..
Aarush – Ji Jaan…..yaad hai….
Priya – aur apna promise bhi yaad hai…..na agar achhe numberon se paas nahi hue to……masti band ho jaayegi…… (tease karte hue)
Aarush – mujhe yaad hai jaan…….lekin agar main achhe numberon se paas hua to mujhe kya gift milega……
Priya – gift bataya nahi jaata…….pehle achhe numberon se paas ho jao…..phir sochungi kya gift dena hai samjhe……
Aarush – Ok Meri Sexyyyyyyyyy…..and Hottttttttttttt……..Maam……..
Priya – phir maam…….tum sudhroge nahi na…….naughty boy…….achha tumhe bura to nahi lag raha ke main tumhe padne ko aur achhe number laane ko bol rahi hoon to……..
Aarush (muskuraakar) - mujhe pata hai meri jaan……aap mere achhe future ke liye mujhe achhe se padne ko bolti hain…….aap mere future ko lekar chinta mat kijiye…… main achhe numberon se paas ho jaunga jaan……aap bas mujhe gift kya dengi yeh soch ke rakhiye……….
Priya uski baat sunkar usko apni baahon mein bharte hue kehti hai……
Priya – main bas yeh nahi chaahti ke hamaare rishte ki wajah se tum padai ko neglect karo ya apni life barbaad karo………. aur rahi gift ki baat to maine abhi kuch socha nahi hai……jab result aa jaayega uske baad sochungi…….
Aarush – aap chinta mat kijiye……aisa kuch nahi hoga…….hamara rishta ek dusre ki kamjori nahi taqaat hai…..hai na…….. (uski aankhon mein dekhte hue)
Priya (muskuraakar) – hhhhmmmmmm…….mujhe hamaare pyar ko lekar yehi bharosa hai……….I Love You Mere Aarush………(yeh kehte hue uske honth chum leti hai)
Phir kuch der tak dono idhar udhar ki baatien karte rehte hain aur uske baad Aarush apne ghar chala jaata hai…………