vijay19884verma
Member
- 155
- 82
- 29
Update 96
Aryan ab neha ke room mein jaata hai aur notice karta hai ki sana bade aram se so Rahi hai jisko dekh kar aryan muskra deta hai
Aryan- haye yeh sote hue kitni pyari lagti hai meri sahiba . Kitni khubsurat hai yaar yeh agar aryan tu isko nhi khush rakhega toh kis ko rakhega abhi bhi sambhal ja bhai nhi toh yeh kahin mujhse naraj na ho jaye
Aryan ab sana ko uthane lgta hai par sana apna muh dusri taraf kar leti hai
Aryan- aey sana uth chal bahut time jo gya hai
Sana- nhi mujhe Sona hai
Aryan- are uth ja ab meri sahiba
Sana- jaa idhar se gande mujhe sone de
Aryan- are tum sun kyon nhi Rahi ho
Sana ab halke se apni ankhon ko kholti hai tabhi uski pehli nazar aryan par padti hai aur aryan ko dekhte hi usko uska mara hua tana yaad aa jata hai aur woh gusse mein aa jati hai
Sana- tum ...tum badtamiz tumhari himmat kaise hui yahan aane ki . Tumko sharam nhi aati kya ( gusse mein )
Aryan ab sana ka reaction dekh kar ghabra jaata hai
Aryan- chill baby chill
Sana- chup karo aur niklo yahan se get out from here
Aryan- aey tamiz se baat kar
Sana ab ghur ke aryan ko dekhti hai aur pass mein rakha hua pillow uthakar usko Marne lagti hai
Sana- tamiz se baat karu kamine kahin ke mein tere piche kal raat se soyi nhi aur tu ..tu aa gya mujhe phir se pareshan karne chal hat ab jaa yahan se
Aryan - bahut ho gya Tera
Aryan ab sana ke hath se pillow lekar fenk deta hai
Sana ab yeh dekhti hai aur paas mein rakha hua plastic ka flower pot aryan ko Marne lagti hai par aryan usko rok kar zabardasti uske hath pakad ke uske upar let jaata hai
Sana- chorro mujhe ladke i don't like u . Tum bahut bure ho aur insensitive bhi ho
Aryan- listen mujhse galti ho gyi i m sorry please ab naraj mat ho please
Aryan ab sana ki gaal par kiss karta hai par sana gusse mein dusri taraf muh kar leti hai
Aryan- hey dukhi mat ho
Sana- kyun tumko kya farak padta hai
Aryan - dekho sana itna nakhra thik nhi hai samjhi
Sana- han han tumko Mera pyar karna toh nakhra aur natak hi lgta hai chalo hatto aur mujhe sone do
Aryan- i m sorry na chal na sahiba aur yeh sab gussa chorr end mein toh tu manane hi wali hai toh kyun ladai ko aage badana chahti hai
Sana- ek din mein tumko chorr ke chali jaungi na phir tumko apni galti ka ehsas hoga
Aryan- achha kahan jaogi
Sana ab gusse mein apni side palat leti hai
Sana- apne abbu ke ghar aur wahan tumko koi andar entry bhi nhi Milne wali
Aryan ab sana ko gaal par kiss karti hai
Sana man mein - agar yeh aise hi pyar karta raha toh mein zyada gussa nhi kar paungi oho yeh mere upar kitna effect daal deta hai
Sana- ab pyar karne ka kya fayda jab karna hota hai tab tumhe sanp sungh jaata hai aur upar se mein tumko dramebaaz lagti hun toh phir kyon aate ho mere pass
Aryan man mein - dramebaaz kahin ki
Aryan- suno I am sorry baby girl
Sana- ek kaam karo mr immature ek baar mein hi aane wali galtiyo ki sorry bol do kyunki tum kaha sudharne wale ho maine toh soch liya hai ki ab mein karungi kalesh pure ghar mein
Aryan- nhi please Shant ho jaa meri pyari sahiba
Sana ab aryan ki taraf gusse se dekhti par aryan ki ankhon ko dekh kar pigal jaati hai
Sana- achha thik hai but mujhse dur hatto chalo niklo yahan se aur mujhe sone do bandar kahin ke . Jab dekhu aakar upar hi Chad jaate ho hatto mere upar se sand kahin ke
Aryan- nhi hatunga
Sana- ahh ganda ladka
Aryan- jyada cute mat bano
Sana- mein cute hun ban nhi Rahi hun samjhe
Aryan- hmm time dekh rahi ho 11 baj gye hain ab tumko dant padegi maa se
Sana- nhi ji sab is ghar mein tumhari tarah nhi hai thik hai maa ki keh dungi ki mujhe abhi sona hai
Aryan- asli mauj toh tum ke rahi koi zyada kaam toh karti nhi ho aur nakhra dikhati rehti ho
Sana- achha han sara kaam aakar tumhara bhoot kar jaata hai aur tumne mujhe kya naukrani samjh rakha hai kya suno agar ek din tumhari behan thoda kaam kar degi toh kuch ho nhi jayega
Aryan- kitna bolti ho tum
Sana- toh ab tum kya mere muh par tala laga dena chahte ho
Aryan - tumhara baap tumko aise handle karta tha yaar pakka tum chotte hote bahut Ziddi rahi hogi tabhi mein sochu woh itna chid chida kyun hai
Sana- oye respect se bolo aur mein ek achhi bachi thi unlike u ungrateful ladke
Aryan- achha sun chal na gussa chorr de
Sana- nhi
Aryan- mujhe lagta hai tu na suhagrat wale aryan ko miss kar rahi hai
Sana- toh ab tum mere upar hath uthaoge kya
Aryan- nhi but I will spank u so hard ki tum rone lagogi aur jab tak tum nhi manogi yeh spanking nhi rukegi
Sana man mein- kya sach mein ab mein kya karu mujhe iski baatein sunkar itna thrill ko mehsoos kyon ho raha hai soch kya rahi hai sana isko provoke kar thoda sa aur jab yeh teri halat tight karega toh kitna maza aayega upar se excitement
Sana- ohh really suno meri baat mr husband if u ll spank me then I will also spank u so hard that u will scream my name aur mujhse maafi mangoge
Aryan ab sana ko apni bahon mein leta hai
Sana man mein - ohh yeh kya karta hai aur mein kyon itna excited ho rahi hun
Aryan- mere hath dekha hai aur apne pyare se hath dekh tu bhi na kitni badi pagal hai
Sana aryan ki hasi ko sunkar muh fula leti hai
Sana- achha toh phir tumko belt se marungi
Aryan- tu kya ladki hai yaar kabhi toh thodi submissive ho Jaya kar
Sana- tum kaise mard ho jo apni biwi ki ek nhi sunta
Aryan- har baat ka jawab taiyar hota hai na tere paas yeh mat bhul ki mein tera pati hu.
Sana- pati ho toh kya tumko kya lgta hai ki tumne mujhe khareed liya hai kya
Aryan - nhi baby tum toh meri jaan ho mein tumhare baare mein aisa kaise soch sakta hun
Sana ab kuch nhi bolti
Aryan - ok i promise ki aage se kabhi nhi piyunga pakka
Sana- tumne last time bhi yeh hi bola tha.
Aryan - sorry na
Sana-tumko sach mein lgta hai yeh itna asan hai tum meri feelings ke sath roj khelte ho aur mujhe nhi chahiye tumhari sorry yaar
Aryan ab kuch nhi bolta aur sana uski bahon se nikal jaati hai
Aryan- kahan jaa rahi ho
Sana- tumko kya
Aryan- chup chap idhar baith jao yeh Mera hukum hai
Sana- ohh mein toh dar gyi ji chalo hatto yahan se
Sana ab aryan ko side par deti hai aur wahan se bhagne lagti hai tabhi aryan uska picha karte hue niche gir jaata hai
Sana tabhi aryan ke paas aati hai aur usko shakal dekh kar has deti hai
Sana- kya hua ji abhi bhi nashe mein ho kal ka Nasha utra nhi kya oho itni kyon pite ho aap ki thik se chala bhi nhi jaata
Aryan- kitna bolti ho tum badtamiz ladki Sana Man mein - badtamiz abhi btati hun
Sana ab aryan ke hath par hath marti hai jis woh phir se gir jaata ha