MadMax_Writer
New Member
- 17
- 13
- 3
Mast update hai bhaiUpdate 94 part 2
Abdul ab kuch nhi bolta hai aur chup chap wahan se jaane lgta hai aur karim abhi Aryan ki taraf gusse se dekhta hai par aryan uski taraf dekh kar chuckle karta hai .
Aryan- sir mein sana ko khush rakhunga aap ek baar mujhe chance toh do
Abdul yeh baat sunte hi aryan ke paas aata hai aur is baar woh bahut serious tha .
Abdul - tumhe pta bhi hai ladke meri family sirf teri wajah se aur meri bachi bhi teri wajah se kitna kuch jhel rahi hai dil toh kar raha hai ki tujhe yahan par hi goli maar du par mein shareef admi hun tere jaise gundo se muh nhi lgta mujhe laga meri beti ko jab yeh pta laga ki tu is shehar ke gangster ke liye kaam karta tha toh woh tujhe khud hi chorr degi par lgta hai uska dimag khrab ho gy hai par koi baat nhi mein tum logo ko zyada de sath mein rehne nhi dene wala .
Aryan yeh baat sunkar chup kar jaata hai aur uski bolti bnd ho jaati hai
Abdul bhi ab wahan se jaane lgta hai aur aryan embarass feel karne lgta hai .aryan ko ab beijjati mehsoos hoti hai kyunki sab log uski taraf dekh rahe the par vicky aryan ko sambhalta hai
Vicky - chal aryan nikalte hai yahan se teri biwi bhi wait kar rahi hogi
Aryan- aise kaise Vicky Bhai apni beijjati ka badla toh mein lekar hi rahunga
Vicky - are kya badla laga yaar tujhe pta bhi hai bhai uske driver ki thankwa tere jaise 5 guna jyada hogi
Aryan- aur tujhe pta hai Vicky uski beti meri hai ab aur mujhse pyar karti hai
Vicky - dekh aryan kuch ulta sidha mat karna
Aryan- kuch nhi karta chal tujhe apne purane dost se milata hun
Vicky - kon dost ?
Aryan- Dheeraj ka naam suna hai
Vicky yeh baat sunta hai toh dar jaata hai aur thoda kampne bhi lgta hai
Vicky - d..d..Dheeraj bhai tere dost hain
Aryan- dheeraj bhai toh aise bol rahe ho jaise tumko usko apni behan deni ho rishte mein .are aao milata hai tumko us kamine se aur koi darne ki baat nhi ek dum akad ke baat karenge
Vicky ab aryan se dur jaane lgta hai par aryan usko pakad leta hai
Aryan- are kahan jaa rahe ho bhaiya
Vicky - dekh launde agar tujhe Marne ka itna shonk hai toh jaa mar jaakar mujhe nhi Milne jaana us gunde se tujhe pta bhi hai ki pura shehar darta hai usse
Aryan- are aao mein hoon kuch nhi hota tumko
Vicky - nhi bhai mujhe nhi jaana.....
Aryan par vicky ki ek nhi sunta aur usko zabardasti khinchkar le jaata hai
Vicky - chorr mujhe
Aryan - are chalo na
Vicky - are woh pagal hai
Aryan-pta hai
Aryan ab Dheeraj ko dhundata hai aur usko dheeraj mil bhi jaata hai jo akela baitha hua tha
Aryan ab Dheeraj ke pass aa jata hai Vicky ko lekar
Dheeraj ab aryan ko dekhta hai par kuch nhi bolta hai
Dheeraj man mein - BC ab toh maine kuch nhi kiya toh yeh sala yahan karne kya aaya hai
Aryan - hlo bhai kaisa hai
Dheeraj ab aryan ki taraf hairani se dekhta hai kyunki woh usko bahut pyar se bulata hai
Dheeraj - mujhe bula raha hai tu
Aryan - tera alawa hai idhar koi
Dheeraj - hai toh nhi hai waise par tu mere se aise pyar se baat kyun kar raha hai tune toh kaha tha tujhe meri shakal bhi pasand nhi hai
Aryan- are dosti mein toh aise hi insan kabhi kabhi zyada bol deta hai .
Dheeraj - dosti ? Kaisi dosti tune koi Nasha washa toh nhi kiya na tu thik hai na
Aryan ab Vicky ke shoulder par hath rakhta hai jo bahut nervous lag raha tha
Aryan- dekha vicky bhai maine kaha tha na ki Dheeraj mera dost hai dekha meri kaise fikkar karta hai
Dheeraj - 2 min mein teri koi care vare nhi karta hun aur yeh joker kon hai
Vicky - ji dheeraj bhai mera naam Vicky yeh aryan toh pagal hai maine toh isko kaha tha ki kyun apko distrub karna hai
Dheeraj- ek min tu chup kar
Vicky - ji
Dheeraj ab aryan ki taraf apna dhyan karta hai aur peg bnakar pine lgta hai
Dheeraj - kaam ki baat bol jyada natak mat kar chutiye
Aryan - i need a favour
Dheeraj - hmm sun raha hun par bta mujhe kya milega
Vicky - chal bhai Aryan yahan se chalte hain kyun tu unko distrub kar raha hai
Dheeraj - aey bhonsdike tu chup kar hum baat kar rahe hain toh bich mein mat bol nhi toh tere bich mein goli mar dunga
Vicky - j..ji
Aryan- aey tamiz baat kar mere bade bhai jaise hai woh
Vicky - bc kitne rishtedar hai tere
Aryan - tujhe kya matlab be aur sun sorry bol varna mein tere ko goli maar dunga
Vicky - aryan tu kya bol raha hai bhai ( darte hue )
Dheeraj - sorry ( vicky dheeraj ke muh se sorry sunkar hairan ho jaata hai aur aryan ki taraf dekhta hai)
Vicky - tu hai kon
Dheeraj - yeh chutiya hai
Aryan- aur yeh gandu hai
Dheeraj - nikal idhar se charlie koi favour nhi milna wala tujhe mere se
Aryan pehle se hi off mood hi gya tha abdul ki wajah se aur ab woh dheeraj se bhi tang aa gya tha
Aryan ab thoda frustrate hokar Dheeraj ke pass baith jaata hai aur peg bnakar pine lgta hai
Aryan ab Dheeraj ka collor paise leta hai
Aryan- sun sale saste don mujhe teri help chahiye meri help tujhe hi karni hogi
Dheeraj - par kyun mein teri madad kyun karu
Aryan- toh ab yeh hi dosti hai
Dheeraj yeh baat sunkar aryan ke thapad maar deta hai par surprisingly aryan kuch nhi karta
Dheeraj- sale tab teri dosti kahan gyi thi jab tune mujhe maara tha
Aryan ab chup kar jaata hai usko pta tha ki shayad Dheeraj thik bol raha hai
Dheeraj - bol ab kutte bol kyun nhi raha .tu mujhe akela chorrkar chala gya maine tujhe apna bhai mana tha mujhe laga tha mera koi apna hai .hamara kitna naam ho gya tha agar aaj hum ek sath hote toh pura shehar hamara hota aryan
Aryan- tu phir randi rona chalu kar raha hai sale
Dheeraj - nikal idhar se mujhe teri koi madad nhi karni
Aryan- chala jata hun sala socha tha ki tu meri help karega sirf hamari dosti ke khatir par koi na mein khud kar lunga kuch na kuch aur tu hai ek no ka matlabi jhantu mein nhi hun
Dheeraj- mein matlabi hun kutte mein matlabi hota toh tere liye goli nhi khata samjha
Aryan ab phir ek peg bnakar pine lgta hai
Aryan- toh tu ehsan hina raha hai toh sun phir maine teri jaan bachayi hai woh bhi 5 baar ab bol bol na bhonsdike.
Dheeraj- han bachayi isi baat ka toh dukh hai mar jaane deta mujhe waise bhi yahan roj marta hun .saala koi hai hi nhi jindagi mein apna aur tu bhi chala gya . Sab BC Paisa aur power dekh kar aate hain par sala koi dil se rishta bhi nhi rakhna chahta hai
Aryan- mein tera emotional natak nhi dekhne aaya tu meri help karega ke nhi
Dheeraj ab thoda sochta hai phir uske dimag mein ek plan aata hai jis se woh aur aryan phir se shayad dost ban sakte the
Dheeraj- thik hai kar dunga par meri ek sharat hai
Vicky - kya mein ab jaa sakta hun mein late ho raha hun
Aryan - han aap jayo vicky bhaiya bhabhi intejar kar rahi hogi
Vicky ab wahan se uthkar jaane lgta hai par Dheeraj usko ignore hi karta hai aur woh aryan se gale lag kar ghar chala jaata hai
Aryan- han bol kaisi sharat hai
Dheeraj- tujhe mere sath kaam hone ke baad kahin jaana padega aur sun mein tujhe abhi bhi apna dost Manta hun kyunki tune Mera sath tab diya jab kisi ne nhi mujhe pucha tha .tere bade ehsan hai bhai jo mein nhi bhul sakta
Aryan- han ab jyada emotional na ho tu daru pikar emotional ho jaata hai
Dheeraj - abe sale sari daru toh meri tu pi gya hai maine toh sirf ek drink li hai
Aryan- tujhe nasha jalti ho jaata hai
Dheeraj- thik hai yeh sab chorr bta chahiye
Aryan- ek Banda hai usko na thoda humble karna hai
Dheeraj- kon
Aryan- party par hi aaya hua hai han but mere samne nhi karna hai
Dheeraj- par hai kon woh
Aryan- Abdul Qureshi
Dheeraj- tu pagal hai kya tujhe pta hai na woh kon hai aur sath mein woh toh tera sasur hai
Aryan- yeh hi toh dukh hai ki meri sahiba uski beti hai .BC hamari shadi ko accept hi nhi kar raha hai upar se .mein bahut pareshan ho jaata hun jab apni sana ko rote hue dekhta hun .yeh ghatiya admi humko jine nhi deta
Dheeraj- dekh bhai mein isko dhamki toh nhi de sakta ki yeh teri life mein koi problem na kare yeh bhi bahut bada admi hai
Aryan- dekh mujhe nhi pta tu kuch toh kar .yaar tu bhai hai Mera mere liye kuch toh kar hi sakta hoga iske regarding
Dheeraj ab apne chin par hath rakhta hai thoda sochta hai
Dheeraj- dekh Jo tu bol raha hai woh toh impossible hai but mein isko yeh bol sakta hun ki chahe jhuth hi sahi par sana bhabhi ko bol de ki woh tere aur uske rishte ko accept kar liya but mein tujhe 100 percent guarantee deta hun ki woh tere khilaf kuch na kuch toh karega woh tujhse sach mein bahut nafrat karta hai
Aryan- par tujhe kaisa pta
Dheeraj ab aryan ke kandhe par hath rakh kar tap karta hai
Dheeraj- mujhe bahut kuch pta hai dost bahut kuch .....
Dheeraj ab karim ko phone lgata hai aur kehta hai ki apne boss abdul ko bole ki Dheeraj bula raha hai
Aryan- kis ko phone kiya hai tune
Dheeraj - chup karega 2 min
Aryan ab dekhta hai ki Abdul Karim ke sath uski taraf aa raha hai aur woh nervous ho jaata hai
Aryan- abe yeh toh yahi par aa raha hai
Dheeraj- maine phone Kiya hai toh aayega hi
Aryan- tu pagal hai mein jaa raha hun
Aryan sb wahan se uth jaata hai tabhi Dheeraj usko jabardasti niche bitha deta hai
Aryan- abe sale bin baat ka lafda ho jayega
Dheeraj - kuch nhi hoga baitha reh aur han puri akad rakhna agar yeh bakwas kare toh baki mein sambhal lunga
Update 94 part 3
Aryan ab shant hokar baith jaata hai aur Abdul Dheeraj ke paas aata hai par aryan ki taraf dekhta bhi nhi hai
Abdul- bolo Dheeraj kya kaam hai
Dheeraj - bta denge uncle kaam bhi pehle baitho toh sahi
Abdul- nhi mujhe jaana hai kahin jaldi boli kya kaam hai
Dheeraj- achha thik hai pehle mere dost se miliye iska naam aryan hai
Abdul - iska naam mein kaise bhul sakta hun yeh hi toh baitha hai meri zindagi mein dimak bankar
Aryan- oye sir tamiz se bol
Dheeraj aryan ke kaan mein bolta hai
Dheeraj- maine tujhe akad dikhane ko bola tha tu usko sir kyun bol raha hai aur agar sir bolna hi hai toh phir pyar se baat kar na uske sath
Aryan- kya karu is par gussa toh bahut aa raha par yeh sana ka baap hai isliye sir ke alawa kuch bolne ka dil nhi kar raha
Karim ab unki khusar pusar ke bich bol deta hai
Karim - Dheeraj jo bhi discussion karni hai jaldi karo sir ko kisi important business meeting par jaana hai
Dheeraj ab Abdul ki taraf dhyan deta hai aur usko baithne ko bolta hai par Abdul mana kar deta
Dheeraj- toh aap nhi baithoge
Abdul ab Dheeraj ke sath nazre milata
Abdul- nhi
Dheeraj- toh thik hai mein apka kaam nhi kar sakta aap jakar yeh baat arun ko bol dijiye
Abdul yeh baat sunkar gusse mein aa jata hai
Abdul- maine tumko yeh kaam ke liye 2 crore rs diye the
Dheeraj- kal apke ghar 2 crore pahunch jayenge
Abdul- yeh kya bakwas kar rahe ho mein tumhari complaint dilawar ji se karunga
Dheeraj- apko kya lgta hai uncle ki dilawar bhai ko fark bhi padta hai ki aap kya shikayat karenge aap jaise 20 log unse roj milne aate hain
Abdul frustrated hokar zor se sans leta hai aur Dheeraj ke pass baith jata hai
Abdul- dheeraj mujhe arun ne bola tha ki tum mera kaam karoge
Dheeraj- han han mein jab mana kar raha hun par apki bhi thoda compromise bhi toh karna padega
Abdul ab dheeraj ki baat se annoy hokar ek pal ke liye apni ankhon ko bnd kar deta hai
Abdul - kya karna hai btao
Dheeraj- mere dost se miliye aryan
Aryan ab Abdul ke aage hath badata hai aur Abdul ki na chahte hue bhi aryan se hath milana padta hai aur usko aise lgta hai ki jaise usne kisi insan ko nhi kisi naali ke kide ko hath lgaya ho
Abdul- ab btao kya kaam hai
Dheeraj- meri ek sharat hai
Abdul- kaisi sharat
Dheeraj- dekho hum sab ko pta hai ki yeh mera dost apka damad hai
Abdul- wahin par ruk jao iske aage mat bolna kuch yeh ladka mera damad nhi hai isne tumko jhuth bola hai
Dheeraj- achha toh phir apki beti iske sath kyun reh rahi hai
Abdul- isne usko jabardasti apne pass rakha hua hai .yeh sab us kamine Suleman aur iske baap ka kiya dhara hai .
Dheeraj- par sana bhabhi toh iske sath bahut khush maine us din bhi dekha tha ki dono has kar hi baatein kar rahe the
Abdul- dekho dheeraj tumko lgta hai ki woh tumhare is nikamme dost ke sath khush reh payegi kabhi woh bas nasamjh hai . Meri beti iske sath khush hone ka natak kar rahi hai kyunki woh janti hai ki yeh ek gunda hai aur agar woh isko chorr kar jayegi toh yeh usko maar dega
Aryan yeh baat sunkar gusse mein aa jata hai
Aryan- Hello sir dekhiye bahut ho gya mein yahan befaltu ke iljam nhi sunane aaya hun . Mujhe bhi nhi pta ki apki ladki mere sath kyun khush hai maine kuch bhi aisa nhi kiya uske liye ki woh meri ijjat kare par pta nhi woh meri ijjat bhi karti hai aur pyar bhi . Sir apki ladki kuch alag hi hai woh bahut achi insan hai
Abdul- tum sun rahe ho Dheeraj yeh kya bol raha hai .agar aisi hi baat hai toh woh pakka zabardasti iske sath reh rahi hai
Aryan- nhi aap meri baat ko dusri tarike se le rahe ho sir mein usse bahut pyar karta hun mein koi zabardasti nhi kar raha hun uske sath .maine usko pehle hi bol diya tha ki agar woh mere sath nhi rehna chahti toh jaa sakti hai par usne aap ko reject kar diya
Abdul ab aryan ko gale se pakad leta hai par aryan koi react nhi karta
Dheeraj- dekhiye uncle kyon apni haddiyan turwana chahte ho is age mein
Karim- dheeraj tamiz se bol nhi toh mein teri haddiya tod dunga
Abdul jab karim ke muh se yeh baat sunta hai toh usko dantne lag jaata hai par karim ki baat sunkar jyada gussa nhi aata kyunki woh aaj chill mode par tha upar se uski aryan dosti chahe shayad shuru na huyi ho par unke bich baat chit normal hi gyi thi
Dheeraj- dekho aaj mera mood nhi hai ladai karne ka uncle toh apne kutee ko bolo bhonkna bnd kare
Abdul ab karim ko shant karta hai aur aryan bhi ab gusse mein hi tha par Abdul uske 2 se 4 thapad bhi laga deta toh aryan waise bhi kuch bolne nhi wala tha
Dheeraj- dekho uncle mere dost ka gala chorro mein nhi chahta ki yahan koi drama ho .
Abdul ab aryan ke gale ki chorr deta hai
Abdul- suno Dheeraj tum is baat ko samjh kyun nhi rahe ho yeh ek makkar ladka isne meri bachi ko zabardasti rakha hua hai
Dheeraj- aisi baat hai toh apki beti se hi puch lete hain .aryan mila apni bandi ko phone abhi dekhte hain jabardasti kar kon Raha hai
Aryan- woh ...woh mere phone ki battery khatam ho gyi hai
Dheeraj yeh sunkar aryan ko baatien sunata hai aur phir woh khud apne phone se sana ko phone karta hai
Aryan- tere paas uska number kahan se aaya
Dheeraj- mere paas uska kya uski behan ka bhi num hai
Aryan kuch bolta nhi hai aur phone hath mein lekar sana ke phone uthane ka intezar karne lgta hai
Sana bhi tabhi phone utha leti hai
aur aryan turant phone ko speaker par rakh deta hai
Sana man mein - bas ab yeh kuch ulta sidha na bol de
Sana- Hnji kon ji
Abdul ki bhi sana ki awaz sunkar achha lgta hai par jo bhi wahan par ho raha tha woh usse na khush hi tha
Aryan - mein bol raha hun
Sana- baby kahan reh gye aap aaye nhi abhi Ghar par jldi aao na apke bina nind nhi aati mujhe
Abdul yeh sunkar gusse mein apni aankhein ghuma leta hai jaise usko gin aa gyi ho aur wahan se uthne lgta hai tabhi Dheeraj usko bitha deta hai
Aryan- yaar abhi thoda late ho jayega
Sana- late ho jayega matlab tumko ijjat raas nhi aate ladke .koi akal ki baat kiya karo mein koi pagal hun jo jaag rahi hun tumhare liye
Aryan- sorry sana tumko pta hai na woh aditi ....
Sana- han aditi bas ek kaam Karo uske piche hi ghumte raho . Dekho aryan mere sabar ka imtehan na lo nhi toh mein....toh mein tumse baat nhi karungi
Aryan- are gussa mat kar na aa jaunga mein ghar par tum so jayo please.mein aaj thoda late ho sakta hun woh kya hai ki thode purane dost mil gye idhar toh unke sath baat kar raha hun
Sana - han purane dost are meri taraf dekh liya karo ladke mein tere se kitna pyar karti hun aur tu ..tu mere pyar ka hamesha galt fayda uthata hai .sun ghar aa ja nhi toh mein tera muh tod dungi
Aryan ko ab lgta hai ki sana ab kuch zyada bol rahi hai
Aryan- are gussa kyon karti ho mein bas adhe ghante mein aa gya pakka
Sana- pakka aadhe ghante mein aa jayoge
Aryan- hmm
Sana- thik hai ab aa jana baby boy ghar par bye i luv u but han baby jldi aur jldi ka matlab jldi
Aryan- han bas aadhe ghante mein aa gya
Aryan ab sana ka phone kaat deta hai aur Abdul ki taraf dekhta hai jo bahut zyada gusse mein tha aur embarass feel kar raha tha
Dheeraj- hmm zabardasti lol