raviverma01
New Member
- 12
- 6
- 3
Click anywhere to continue browsing...
Lo fir shuru ho gaya dono ka .Update 84
Aryan sana ki taraf dekh raha tha par sana bilkul chup thi aur ansu tapka rahi thi par uske face par gussa bhi saaf nazar aa raha tha
Aryan- hey baby sorry
Sana- baby nhi hun mein tumhari mein tumko muh bhi nhi lagana chahti samjhe utar jayo yahan se
Aryan aur sana ki baaton par auto Wale ka pura dhyan tha .
Auto- kya madam apko yeh pareshan kar raha hai kya
Aryan- are bhai tu apna kaam kar na
Aryan ab sana ka hath pakadne ki koshish karta hai par sana thodi agressive ho jati hai aur uske hath ko dusri taraf hata deti hai .
Sana- agar tumne ab mujhe hath lagaya na toh thapad mar dungi aryan
Aryan- sana i am sorry yaar mein bas tumko batane hi wala tha
Sana- kya Btane wale tum ki tum phir se usi naali mein chale gaye jahan se tumko tumhari family, karn bhaiya in sab ne itni mehnat se nikala tha .aryan seriously tum kisi se pyar nhi kar sakte
Aryan- yeh tum kya bakwas kar rahi ho mein kisi ke liye koi kaam nhi kar raha sana tumko galat fehmi ho gyi hai mujhe toh bas invitation Mila tha
Aryan ab sana ke face ko pakadta hai aur sana uske hath ko phir se side par kar deti hai
Sana- bahane mat bnao. Tum ek no ke jhuthe aur makkar ho shayad abbu sahi the tumhare baare mein aur mere ko ab galti se bhi touch mat karna
Aryan - aisa mat kaho jaan
Sana- aryan bas karo ab bnd karo ab yeh apni chikni chubari baatien .mein ab tumhara koi jhuth nhi sunane wali
Aryan- hey sana ( aryan ab sana ki thighs par hath rakhta hai )
Sana- aryan apna hath hata lo nhi mein nhi chahti hun ki koi criminal mere ko hath bhi lagaye
Sana aur aryan ki baat chit mein auto wala phir bolta hai aur woh unki baaton ko dhyan se sun raha tha
Auto- dekho bahut ho gya tumhara ladke kyun tum madam ji ko tang kar rahe ho
Aryan- apna kaam kar na
Auto- tamiz se bol nhi toh muh tod dunga
Sana tabhi dekhti hai ki in dono mein jhagda ho sakta hai tabhi sana bich mein hi auto Wale ko tok deti hai
Sana- hello bhaiye yeh mera husband hai yeh hamara personal matter hai please aap bich mein mat boliye aur jaldi chakayiye mein ek criminal ke sath nhi baith sakti
Aryan ab phir se sana ki taraf dekhta hai
Aryan - criminal are u serious yaar mein tumko criminal nazar aata hun .sana maine kabhi bhi bin baat ke kisi jhagda nhi kiya
Sana- han toh btao kya kahu tumhe btao mujhe . Aryan tum dilawar ke liye kaam karte ho jis ne pta nhi kitne masoom logo ko jaan se maara hai aur mein tum jaise insan ke sath apni zindagi nhi kaat sakti
.
Aryan- suno sana mein nhi karta hun uske liye kaam mujhe sirf party par bhulaya tha usne aur yeh kya tum sab ke samne kuch bhi bol rahi ho
Sana- mein clear kar du ek baat mein tumhari ek baar nhi mabane wali ladke . Mujhe laga tha tum change ho gye ho mere liye kyunki tum mujhse pyar karte ho par mein galt thi shayad jis admi ko apne maa baap ki kadar nhi apne bhai ki kadar nhi woh mere se kya pyar karega are tumse achha toh woh sule.....
Aryan- nhi bol do ab ruk kyu gyi mein sach bol raha hun sana mein tumse pyar karta hun mere se aise mat behave Karo ki jaise mein koi ghair hun hamari shadi hui hai
Sana- dekho bahut ho gya tumhara aur bas ho gya mera ab mujhse yeh shadi ka natak bhi nhi hoga tumhare sath mein thak gyi hun tumhare jhuth baar baar sunkar
Aryan- mein jhuth nhi bol raha hun darling
Sana- please chup kar jao mein tumse koi baat nhi karna chahti samjhe . I don't love u anymore
Aryan- sach mein.
Sana ab kuch nhi bolti aur apna muh niche kar leti hai aur rone lgti hai tabhi unka ghar aa jata hai aur sana sidha koi time gawaye ghar mein enter karti hai aur aryan bhi uske piche piche aata hai
Mast update hai bhaiUpdate 84
Aryan sana ka hath piche se pakad leta hai aur woh dono is waqt virhande mein the
Sana ab aryan ki taraf gusse se dekhti hai
Sana- chorro mujhe aryan nhi toh mein chup nhi rahungi aur waise bhi tum mujhe hath lagane ka haq kho chuke ho
Aryan - tum gusse mein ho is waqt isliye yeh bakwas kar rahi ho kya tum mujhse sach mein mujhe ab pyar nhi karti
Sana ab chehra dusri taraf kar leti hai aur ab uski aankho mein ansu the
Sana H..han nhi karti
Aryan- yeh hi baat meri ankhon mein ankhein daal kar bol do mein tumhe abhi tumhare abbu ke pass chorr aunga koi zid nhi karunga
Sana - tum sabit kya karna chahte ho ki tum ek bahut achhe insan ho aur yeh kya bakwas kar rahe ho mein ab yeh ghar nhi chorr sakti ab yeh sab log bhi meri family hai bas mein tumko muh nhi lagaungi
Sana ab aryan se apna hath chura leti hai aur usko ungli dikhati hai
Sana- tumko sach sunana hai na toh suno han mein karti hun tumse pyar isliye mera dimag toh bol raha hai ki tumko chorr kar chali jau par mera dil nhi manta . Mein tumse pyar karti hun yeh hi meri hi sabse badi galti hai
Sana aisa bolkar badi teji se andar chali jaati hai aur dekhti hai ki suman wahan par khadi hai aur usko dekhte hi samajh jaati hai ki sana gusse mein hain
Suman - are bahu kya baat Hui tu aise gusse mein kyun lag rahi hai
Sana- kuch nhi aur kya baat hai maa ji yeh baat aap apne bete se puchiyega ek baat kahu apka beta ek no ka fraud hai ( gusse mein )
Neha aur hina ji sofe par baith kar baatien kar rahi thi sana ki baat sunkar ekdum chonk jaati hai kyunki yeh pehli baar hoga ki sana ne suman se aise gusse mein baat ki hogi aur sana ko bhi instantly realise ho jaata hai ki usse galti ho gyi ab aryan ko maar toh padegi woh alag aur ghar mein kalesh bhi bahut hoga
Suman - ruk toh sahi aise kahan jaa rahi hai idhar toh aa
Suman ab sana ko rok leti hai aur sana bhi ruk jaati hai kyunki woh suman ki baat ko talna bhi nhi chahti thi .
Sana- sorry maa ji aise gusse mein bolne ke liye par mein kya karu apka ladka mujhe bahut pareshan kar chuka hai .
Sana ab suman ke chehre ko dekh kar samajh jati hai ki woh thodi tension mein aa gyi hai par suman sana ke gaal ko sehlati hai aur bade pyar se bolti hai
Suman - ab kya kisne mujhe bta mein abhi iski class lagati tu jyada tension na le abhi isko sidha kar deti hun
Sana- nhi maa ji aap ispar hath mat uthana ab yeh bada ho gya hai ab aur mujhe bhi achha nhi lagta koi ispar jab hath utatha hai aur koi bhi baat mat boliyega hamara aapas ki baat hai hum khud suljha lenge
Suman bhi notice karti hai ki sana ab aryan ka zikar karte hue usko kisi pati ki tarah nhi balki aise baat kar rahi thi ki jaise woh uski koi teacher hoti hai .
Sana- sorry maa ji agar apko meri baat ko koi bura laga ho par please usko kuch mat kehna hamare jhagde toh hote hi rehte hain mein Zara upar jaa rahi hun aur bas jaldi hi nahakar niche aakar aap sab ko kaam mein help Kara dungi
Suman - par beta
Sana- please maa ji mujhe Jane dijiye
Sana aisa bolkar badi speed se upar chali jaati hai aur suman uski taraf dekhti rehti hai aur usko samajh nhi aa raha tha ki aakhir dono mein jhagda kis baat ko lekar hua hai tabhi aryan andar aata hai aur suman ki taraf dekhta hai
Suman - ab tune kya kiya uske sath woh bahut gusse mein thi dekh aryan sudhar Jaa nhi toh yeh teri shadi zyada din tak nhi chalegi samjha aur is baar mein bilkul tera koi sath nhi dene wali
Suman aisa bolkar apne room mein chali jaati hai tabhi neha gusse mein aryan ke paas aati hai
Neha- kya hua
Sana- woh ek galti ho gyi mujhse
Neha- kaisi galti dekh bhabhi bahut serious lag rahi thi tune unke sath koi galat harqat toh nhi ki na
Sana- nhi nhi kuch bhi nhi
Hina bhi ab aryan ke pass aa jati hai aur hina ab aryan ko ghur ke dekh rahi thi
Hina- agar meri saheli ke sath tumne kuch bhi galat kiya hoga toh mein tumko nhi chorrungi aryan aur mujhe pta hai jis hisab se usne aunty se baat ki hai toh matter bahut serious hai aur tumne phir koi blunder kar diya hai
Aryan se ab raha nhi jaata aur woh Tut jaata hai ansu bahane lagta hai .
Aryan - sana sahi bolti hai mein hoon loser aur mujhe abhi koi baat nhi karni aap log please mujhe akela chorr do
Hina ko aryan ko dekh sympathy feel hoti hai aur woh uske face par hath rakhti hai
Hina- achha chal koi baat nhi tu aise ro mat idhar aa
Neha- hina ji 2 min
Neha bahut gusse mein thi aur aryan ne kya kar diya hai woh yeh soch rahi thi isliye woh aryan ko gale se pakad leti hai .
Neha- sun meri baat pehle toh magarmach ke ansu bahana bnd kar aur mere aage na jyada rona dona mat kiya kar . Mein tujhe pehle hi bta du agar tune bhabhi par hath uthaya toh maa ka toh pta nhi mein toh tujhe aise khali nhi jaane dungi samjha .
Neha ab aryan ko chorr deti hai aur upar sana ke paas chale jati hai upar uske room mein dusri taraf hina aryan ko console karti hai
Hina- ruk aise dukhi mat ho woh kahi tujhe chorrkar nhi jaane wali
Aryan - mujhe pta hai
Hina- toh phir aise ro kyun raha hai tu bhi usko tarah rotlu hai kya
Aryan- nhi bas mujhe ek baat samajh nhi aati jab mein chahta hun ki sab sahi ho jaye aur mein pure efforts lagata hun ki sab thik ho jaye par meri hi wajah se koi n koi gharbad ho jaati hai
Hina - kya bol raha hai bta toh sahi ki aakhir hua kya
Aryan ab hina ko saari baat btata hai aur hina hairan ho jaati hai par woh aryan ke point of view ko samajh jati hai
Hina- dekh beta tujhe usko sab sach bta dena chahiye tha mein manti hun ki tu thoda Abhi na samajh par woh bahut pehle hi seh chuki ab kyun tu usse tu yeh important baatien chupa deta hai aur tu yeh kaise maan leta hai ki tu akele sab sambhal lega tu akele sab sambhal nhi sakta aryan samjha kar
Aryan ab sharam aur guiltbke maare apna sar niche jhuka leta hai .
Aryan- mein usko sabse zyada khush dekhna chahta hun hina ji par mujhe lagta nhi ki mein abhi usko woh Khushi de paya hun jo woh deserve karti hai par mein usko bahut pyar karta hun sach mein
Hina - mujhe pta hai tu usko pyar karta hai ek kaam kar aa mere sath hum isse baat karte hain upar jaakar
Aryan - nhi woh abhi bahut gusse mein hai
Hina- kuch nhi hota abhi iska gussa nikalti hun mein
Dusri taraf neha sana ke paas aati hai.
Neha- bhabhi kya baat hai ab kya kiya isne
Sana- kuch nhi tu jaa yahan se
Neha- mein toh chali jaungi pehle yeh rona bnd karo
Neha ab sana ke ansu pahuchne lgti hai par sana usko rok deti hai
Sana- don't touch me
Neha- par
Sana - kaha na tere ko samjh nhi aata hai ek baar mein jaa niche Jaa mera dimag mat kha
Neha - are gussa kyon kar rahi ho yaar mein tumhare liye usse jhagda kar ke upar aayi hun
Sana- maine kaha tha aane ko tujhe
Neha- are yeh kya baat Hui uska gussa mere upar kyun nikal rahi ho
Sana- kyunki tum uski behan ho na isliye aur tum jao mera dimag mat khao mein abhi gusse mein hoon mere muh se kuch ulta sidha nikal jayega
Neha ab sana ke pass aati hai
Neha- tumko Jo bolna hai na bhabhi bol do mein toh tere sath hi hun samjhi tum mere bhai ki bndi ho isliye mein toh tumhari hi side lungi
Sana- baarr mein jaye tumhara kamina bhai bc ek no ka makkar hai woh kitna jhuth bolta hai jab dekho jhuth aur sirf jhuth
Neha- toh btao na kya kar diya isne
Sana- tumhe pta hai yeh abhi bhi us gangster dilawar ke liye kaam karta hai
Neha- nhi nhi tumko koi galatfehmi hui hai yeh Aisa kuch nhi kar sakta hai dekho bhabhi woh mera bhai hai mein achhe se janti hun usko manti hun ki woh thoda kamina type hai par koi bura insan nhi hai
Sana- mujhe pta tha ki tu uska sath hi degi tumhara khoon ka jo rishta hai par mujhe farak nhi padta jaa yaar yahan se mein tum logo se koi baat bhi nhi karna chahti
Neha- dekho bhabhi aisi koi baat nhi hai par tumko koi pakka galat fehmi ho gyi hai aur mera bhai tumhare hote hue toh aisi harqate nhi karega kabhi bhi woh toh bahut excited hai tumhare sath pura future bitane ko
Sana - ho ga yeh excited par mein toh iske sath koi bacha nhi karne wali agar mein pregnant ho gyi na toh mein abortion karwa lungi samjhi kyunki mein aone bacho koi khoon khrabe wala mahol nhi dena chahti par tere bhai ko toh sabse jhagda karne ka shonk sar par chada hua hai usko samajh hi nhi aata pta nhi kyun karta hai woh aise
Neha - bas karo bhabhi tum gusse mein ho isliye kuch bhi bakwas kar rahi ho aryan nhi kar sakta aise tumko koi misunderstanding ho gyi hai please aise mat kaho naa sana please ki tum abortion karwa logi
Sana is waqt gusse mein thi isliye woh kuch bhi bol rahi thi aur aryan par toh uska gussa kam hi nhi ho raha tha
Neha tabhi notice karti hai ki aryan upar room mein hina ke sana ke sath aata hai
Neha- jaa aryan yahan se nikal teri wajah se dekh kya ho gya hai niche Jaa please
Sana aryan ko dekh kar dusri taraf face kar leti hai
Sana-neha isko bol ki mein iska muh bhi nhi dekhna chahti isko bol yahan se chala jaye
Hina- dekh sana jyada gussa mat kar ek baar uski baat toh sun
Sana - mujhe nhi sunani is kamine ki ek bhi baat hina yeh sirf jhuth bolta hai bas iska kuch nhi hone wala hai
Hina- toh phir isko talaq de de abhi ruk mein tere abbu ko abhi phone karti hun tu iski shakal nhi dekhna nhi chahti na toh phir chal mein tere abbu ko phone karti hun ki woh yahan aaye tujhe lekar jaye indore aur iska kya hai yeh dusri shadi kar lega abhi iski age ho kitni hai kya bolti hai .