• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

NightHunter

Member
199
405
63
Ko To Rok Lo {Update - 225}
____________________________

Raj ka kamra aate hi nikki hume raj ka kamra dikhne andar bulane lagi. Mujhe kuch samajh nahi aaya ki nikki achanak hume raj ka kamra kyo dikhane lagi. Magar maine kuch nahi kaha aur chup chap sabke sath raj ke kamre me aa gaya.

Raj ke kamre me pahuchte hi, hum sab ki najar uske kamre me saje medal aur trophy par padi. Itne saare medal aur trophy dekhte hi, ami ne chaukte huye nikki se puchha.

Ami boli “didi ye itni saari trophy aur medal kya raj bhaiya ne jeete hai.”

Ami ki baat par nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “nahi, ye sab medal aur trophy priya ne jeete hai. Priya swimming champion hai. Lekin apni bimari ki vajah se ab wo kisi tournament me hissa nahi leti hai.”

Nikki ki baat sunkar, ami bade gaur se priya ke jeete huye medal aur trophy ko dekhne lagi. Ab mujhe samajh me aa raha tha ki, nikki hum sab logon ko raj ke kamre me kyo lekar aayi thi.

Asal me ami nimi dono ko swimming bahut pasand thi. Shayad isi vajah se nikki ne unhe priya ke jeete huye medal aur trophy dikhaye the. Jis se ami nimi ko priya ke karib laya ja sake. Thodi der sab raj ke kamre me priya ke medal aur trophy dekhte rahe. Fir priya ko dekhne uske kamre ki taraf chal pade.

Jab hum priya ke kamre me pahuche to, priya bed par leti Tv dekh rahi thi. Usne hume aate dekha to, fauran Tv band kar di aur uth kar baith gayi. Hum sabko ek sath aaya dekh kar, uske chehre par muskurahat aa gayi.

Priya ki tabiyat ab pahle se behtar thi. Bas wo thodi kamjor najar aa rahi thi. Us samay mujhe us par bahut pyar aa raha tha. Isliye maine uske pas jakar baithte huye kaha.

Mai bola “tum yaha aaram se baith kar Tv dekh rahi ho aur hum log kab se niche baithe tumhare niche aane ka intejar kar the.”

Meri is baat par priya ne apne tevar badalte huye kaha.

Priya boli “oye jyada jhuth mat bolo. Mai abhi thodi der pahle hi niche se upar aayi hu. Sidhe se kyu nahi kahte ki, tum logon ko mumbai ghumne se ab fursat mili hai.”

Priya ki is baat me sachchai thi. Lekin wo ye baat majak me kah rahi thi. Isliye maine bhi usi ke lahje me us se kaha.

Mai bola “mai jhuth nahi bol raha hu. Tum chaho nikki se puchh lo. Hum log kitni der se niche baithe hai.”

Priya boli “mujhe kisi se kuch nahi puchhna hai. Tum ami nimi ko mumbai ghuma rahe the. Isliye mai tumse koi jhagda nahi karugi.”

Priya ki is baat par maine hanste huye kaha.

Mai bola “chalo kisi bhi bahane sahi, tumhari sikayat to door huyi. Ab ye batao ki nidhi didi ne tumhe kitne din ghar par aaram karne ko kaha hai.”

Meri baat sunkar priya ne thoda udas hote huye kaha.

Priya boli “nidhi didi ne to mujhe pure ek hafte aaram karne ko kaha hai. Lekin tum log to yaha sirf 2 din ke liye ho. Tum logon ko kab wapas jana hai.”

Mai priya ki haalat ko samajh raha tha. Wo mere jaane ki baat ko lekar udas thi. Isliye mahol ko kuch halka karne ki niyat se maine muskurate huye kaha.

Mai bola “hum logon ko kal wapas jana hai. Lekin humhare jane ki baat se tum udas mat ho. Tum jab chahogi, mai tumse milne chala aauga.”

Meri is baat se priya ke chehre par thodi si muskan aa gayi. Usne abhi tak mere alawa kisi se baat nahi ki thi. Lekin jaise hi uski najar ami nimi par padi to, usne muskurate huye ami nimi se kaha.

Priya boli “tum logon ne mumbai ache se ghooma ya nahi.”

Priya ki is baat par ami to kuch nahi boli. Lekin nimi ne uski baat ka jabab dete huye kaha.

Nimi boli “didi humne puri mumbai ghoom li hai aur mumbai ghoom kar hume bahut maja aaya.”

Nimi ki is baat ke jabab me priya ne kaha.

Priya boli “meri tabiyat kharab nahi hoti to, mai khud hi tum logon ko mumbai ghumane lekar chalti. Lekin chinta mat karo, agli baar jab tum log aaogi, tab mai khud tumhe mumbai ghumaugi. Tab dekhna tumhe aur bhi jyada maja aayega.”

Priya ki ye baat sunkar nimi use, humne kaha kaha ghooma batane lagi. Kuch der tak priya aur nimi ki ye hi baten chalti rahi. Fir bad me keerti aur barkha didi ki us se thodi bahut baten huyi.

Humne samay dekha to, ab 7:30 baj raha tha. Hum subah ke nikle huye the aur ghumne firne ki vajah se ab hume thakan bhi mehsus hone lagi thi. Isliye humne priya se jaane ki ijajat li aur hum priya ke sath niche aa gaye.

Niche aakar humne padmini aunty aur dada ji se jaane ki ijajat maangi. Magar padmini aunty khana kha kar jaane ki jid karne lagi. Hum subah ke nikle the aur humne dopahar ka khana bhi bahar khaya tha.

Dopahar ka khana bahar khane ka to humne shikha didi ko bata diya tha. Lekin sham ka khana un ne sath khane ka jataya tha. Isliye hum waha khana khana nahi chahte the.

Magar padmini aunty ne bhi khana kha kar hi jaane ki jid bandh li thi. Jis vajah se humne shikha didi ko call karke priya ke ghar khana khane ki baat batayi. Shikha didi ne is baat ka koi virodh nahi kiya aur subah ka khana sath khane ki baat kah kar hume waha khana khane ki ijajat de di.

Humare khane ki baat tay hote hi, padmini aunty kitchen me chali gayi. Unke jaane ke bad, humari dada ji aur mohini aunty se baat hone lagi. Mohini aunty pahle se bahut jyada badal chuki thi.

Fir bhi unki pahle ki priya ko kahi kuch baten mujhe abhi bhi chubh rahi thi. Jis vajah se meri unse jyada baten nahi ho saki. Kuch der bad raj aur uncle bhi aa gaye. Unse bhi humari thodi bahut baten huyi.

Fir padmini aunty ne khana laga diya to hum sab sath me khana khane lage. Khana khane ke bad fir se hum logon ki baton ka silsila chalta raha. Fir 10 baje hum log dada ji aur baki logon se ijajat lekar ajay ke bungalow jaane ke liye nikal pade.

Sab thake huye the, isliye ghar aate hi sab sone ke liye apne apne kamre me chale gaye. Maine apne kamre me aakar kapde badle aur keerti ke aane ka intejar karne laga.

Raat ko 11 baje keerti aayi. Us se meri roj ki tarah hi baten huyi aur fir 1 baje wo apne kamre me chali gayi. Keerti ke jaane ke bad, mai kal ghar wapas jaane ke baare me sochne laga.

Mai kuch din priya ke sath rahna chahta tha. Lekin ami nimi ke sath hone ki vajah se abhi mera yaha rukna sahi nahi tha. Yahi sab baten sochte sochte pata nahi kab meri nind lag gayi.

Subah meri nind 8:30 baje nimi ke jagane par khuli. Maine us se baki sab ka puchha to, usne bataya ki sab uth kar taoyar ho chuke hai. Bas mai hi uthne ke liye baki tha aur usne mujhe bhi jaga diya hai.

Iske bad mai uth kar fresh hone chala gaya. Nahane ke bad mai taiyar hone laga, tabhi keerti chay lekar aa gayi. Maine chay peete huye keerti se kaha.

Mai bola “humari flight sham ko 5 baje ki hai. Tum apna aur ami nimi ka saman pack kar lo. Kyoki din bhar sabse milne julne me hume packing ka samay nahi mil payega.”

Keerti boli “tum iski fikar mat karo, dopahar ko shikha didi ke pas khane par jaane se pahle mai apni aur ami nimi ki saari packing kar lugi.”

Abhi meri keerti se baat chal hi rahi thi ki, tabhi barkha didi aur ami nimi bhi mere kamre me aa gayi. Barkha didi ne mujhse ghumne chalne ke baare me puchha to maine kahi bhi jaane se mana kar diya.

Lekin ami nimi ka mumbai ghumne se man nahi bhara tha. Wo dono kahi chalne ki jid karne lagi. Maine unhe samjhaya ki, aaj hume ghar wapas jana hai aur ghumne ke chakkar me hum yaha kisi se mil nahi sakege.

Meri is baat ke jabab me barkha didi ne ami nimi se kaha ki, wo unke sath ghumne chale aur mujhe yaha sabse milne ke liye chhod dete hai. Ami nimi ko unki ye baat sahi lagi.

Lekin wo keerti se bhi sath chalne ki jid karne lagi. Keerti ka man ghumne jaane ka nahi tha. Lekin ami nimi ki jid ke aage use jhukna hi pada. Kuch hi der me ami nimi, keerti aur barkha didi ghumne chali gayi aur mai hetal didi se milne hospital chala gaya.

Maine hetal didi ko aaj apne jaane ki baat batayi to, wo mujhe kuch din rukne ki baat kahne lagi. Lekin maine unhe kisi tarah se samjha diya. Mai dopahar ko 12 baje tak hetal didi ke pas raha. Fir shikha didi ka khane ke liye call aaya to, mai wahi se aman ke ghar ke liye nikal gaya.

Mere waha pahuchne se pahle hi ami nimi, keerti aur barkha didi waha pahuch chuki thi. Hum sabne ek sath khana khaya aur iske bad humari yaha waha ki baten hoti rahi. Fir 2 baje mai waha se priya ke ghar aa gaya.

Priya mujhe niche hi mil gayi. Shayad use kisi se pata chal gaya tha ki, mai waha aa raha hu. Mai jab waha pahucha to, waha padmini aunty, mohini aunty, nitika, riya, nikki aur priya baithi Tv dekh rahi thi.

Maine un logon se dada ji aur raj ka puchha to, un ne bataya ki wo dono apne kamre me hai. Isliye pahle mai dada ji se jakar mila. Un ne mujhe aate rahne ko kaha aur priya ki taraf se befikar rahne ko kaha. Unse milne ke bad, mai raj ke kamre me gaya. Raj ne bhi mujhse wahi baat boli, jo dada ji ne boli thi.

Iske bad meri raj se yaha wahan ki baten hoti rahi. Baton baton me maine raj se hitu (hitesh) ke baare me puchha to, usne bataya ki hitu abhi apne mama ke ghar gaya hua hai. Use priya ki tabiyat ke baare me kuch pata nahi hai.

Raj se thodi bahut baat karne ke bad, mai uske sath niche aa gaya. Mai niche aaya to, priya bhi mere sath chalne ki jid karne lagi. Maine use sath chalne se mana kiya to, wo muh fula kar baith gayi.

Uska foola hua muh dekh kar padmini aunty ne use sath le jane ko kaha. Iske bad mai thodi der wha ruka aur fir 3:30 baje waha se ajay ke bungalow ke liye nikal liya. Mere sath raj, riya, nitika, nikki aur priya bhi the.

Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Waha keerti aur ami nimi pahle hi aa chuke the. Humne apna saman liya aur fir airport ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum airport pahuch gaye.

Waha par ajay aur shikha didi pahle se hi the. Abhi 4:15 baja tha aur humari flight chhutne me abhi 45 min ka samay baki tha. Mai ek ek karke sabse mil raha tha. Shikha didi ne ami nimi ko dher saare gift diye the aur mujhe apna khayal rakhne ke liye samjha rahi thi.

Ajay aur shikha didi se milne ke bad, mai raj logon se mila. Raj ne mujhe aate rahne ka jataya aur fir gale lag kar vidayi di. Raj ke bad, riya nikki ne bhi hath mila kar mujhe vidayi di.

Nisha bhabhi aur seeru didi logon se mai ghar par hi mil chuka tha aur maine hi unhe airport aane se mana kiya tha. Isliye wo log nahi aayi thi. Barkha didi ne mujhe gale laga kar, vidayi di.

Fir sabse aakhiri me mai priya se mila. Us se maine apni tabiyat ka khayal rakhne ko kaha aur tabiyat thik hote hi humare ghar aane ka jataya. Priya ne mujhe pichhli baat yaad dilate huye kaha.

Priya boli “tumhe yaad hai. Pichhli baar jab tum ja rahe the to, tumko lag raha tha ki, tum kuch bhool gaye ho. Lekin maine jab ghar jakar dekha to, mujhe waha kuch nahi mila tha. Kya tumhe yaad aaya ki, pichhli baar tum kya bhool gaye the.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “haan, mujhe yaad aa gaya tha ki, mai kya bhool gaya tha.”

Priya boli “kya.”

Mai bola “mai tum jaisi pyari dost ko yahi chhod kar ja raha tha. Isliye mujhe lag raha tha ki, mai kuch bhool gaya hu.”

Meri baat sunkar priya ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur usne pichhli baar ki tarah is baar bhi mujhe muskurate huye vidayi di. Kuch hi der me humari flight ki ghoshna ho gayi.

Mai ajay se gale mila aur ek baar sabki taraf dekh kar haath hilaya. Fir mai keerti aur ami nimi ke sath me flight ki taraf bad gaya. Is baar mumbai se jaate samay meri aankhon me nami nahi thi.

Lekin fir bhi mujhe aisa lag raha tha ki, mai bahut kuch apna yaha chhod kar ja raha hu. Yahi sab sochte huye mai apni flight par pahuch gaya. Ami nimi ghar wapsi se khush nazar aa rahi thi.

Magar mai kuch udas sa tha aur ye udasi priya ko yaha chhod kar jaane ki thi. Mai apni isi udasi ke sath flight par chadh gaya aur kuch hi der bad humari flight ne udan bharna suru kar diya.

______________________________
Gorgeous update ❤️ 💕
 

NightHunter

Member
199
405
63
Ko To Rok Lo {Update - 226}
____________________________

Priya boli “tumhe yaad hai. Pichhli baar jab tum ja rahe the to, tumko lag raha tha ki, tum kuch bhool gaye ho. Lekin maine jab ghar jakar dekha to, mujhe waha kuch nahi mila tha. Kya tumhe yaad aaya ki, pichhli baar tum kya bhool gaye the.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “haan, mujhe yaad aa gaya tha ki, mai kya bhool gaya tha.”

Priya boli “kya.”

Mai bola “mai tum jaisi pyari dost ko yahi chhod kar ja raha tha. Isliye mujhe lag raha tha ki, mai kuch bhool gaya hu.”

Meri baat sunkar priya ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur usne pichhli baar ki tarah is baar bhi mujhe muskurate huye vidayi di. Kuch hi der me humari flight ki ghoshna ho gayi.

Mai ajay se gale mila aur ek baar sabki taraf dekh kar hath hilaya. Fir mai keerti aur ami nimi ke sath me flight ki taraf bad gaya. Is baar mumbai se jate samay meri aankhon me nami nahi thi.

Lekin fir bhi mujhe aisa lag raha tha ki, mai bahut kuch apna yaha chhod kar ja raha hu. Yahi sab sochte huye mai apni flight par pahuch gaya. Ami nimi ghar wapsi se khush nazar aa rahi thi.

Magar mai kuch udas sa tha aur ye udasi priya ko yaha chhod kar jaane ki thi. Mai apni isi udasi ke sath flight par chadh gaya aur kuch hi der bad humari flight ne udan bharna suru kar diya.

Lekin meri udasi kam hone ka naam hi nahi le rahi thi. Pichhli baar jab mai yaha se apne ghar wapas ja raha tha. Tab mujhe priya ko akela chhod jaane ka dukh sata raha tha aur mai behatasha ro raha tha.

Magar is baar mai apni ek bahan ko akela chhod kar jaane aur dusri bahan ki uske liye beshumar nafrat ko lekar dukhi tha. Mai chah kar bhi is sab se nikalne ka koi rasta nahi nikal paya tha.

Mai apni is bebasi par aansu to nahi baha pa raha tha. Lekin udas jarur ho gaya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aage aane wale samay me priya ke sath kya hone wala hai.

Bahut jaldi hi neha ki apne ghar wapsi hona thi. Uske bad neha ka priya ke sath kaisa bartav rahta hai. Is baat ne bhi mujhe soch me daal diya tha. Dusri taraf ami thi ki, priya ke baare me kuch sunna hi pasand nahi kar rahi thi.

Pichhle 12 din me ami ne priya ko lekar apna jo roop dikhaya tha. Usne bhi mujhe dara kar rakh diya tha. Mai to ami se ye tak kahne ki himmat nahi juta pa raha tha ki, priya humari bahan hai.

Aise me mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ami ke man me priya ke liye jo nafrat hai, use kaise bahar nikalu. Use kaise samjhau ki, priya uski badi bahan hai aur priya ko kabhi na kabhi humare pas aana hai.

Chhoti maa ne hum teeno bhai bahan ke bich kabhi sage sautele ki diwar ko nahi aane diya tha. Lekin ami thi ki, priya ko lekar apne man me na jaane kaun sa vaham paali huyi thi, use jara bhi pasand nahi kar rahi thi.

Ami ki is harkat ki vajah se chhoti maa bhi pareshan thi aur ab to unhe richa aunty se bhi ami ke Mumbai jaane ke pahle ki harkat ka pata chal gaya hoga. Is baat ne bhi mujhe pareshan kar diya tha.

Mai nahi chahta tha ki, koi bhi ami ke sath kisi tarah ki jabardasti kare. Bhale hi priya meri judwa bahan thi. Lekin is baat se inkar nahi kiya ja sakta tha ki, ami nimi me meri jaan basti hai.

Mai ami nimi ko kisi bhi tarah se dukhi hote nahi dekh sakta tha. Mujhe jald se jald ami ke man se priya ke liye nafrat ko nikalna tha. Lekin kaise ye baat mujhe samajh me nahi aa rahi thi.

Mai apne man me aise hi hajaron sawalon me uljha hua tha aur 8 baje humare flight ne udan bharna band kar diya aur humara shahar aa gaya. Mai ami nimi aur keerti ke sath flight se utar kar bahar aa gaya.

Mujhe laga tha ki, hume airport par lene ke liye chhoti maa ya vaani didi me koi aaya hoga. Lekin hume lene ke liye mehul aaya tha. Usne mujhe dekhte hi apne gale se lagate huye kaha.

Mehul bola “kaisa hai tu, priya kaisi hai.”

Mai bola “mai acha hu aur priya ki tabiyat bhi ab thik hai. Lekin chhoti maa kaha hai. Wo hume lene kyo nahi aayi.”

Mehul bola “aunty ghar par hai. Unhe achanak kuch jaruri kaam aa gaya tha. Isliye un ne mujhse kaha ki, mai jakar tum logon ko le aau. Ab der mat kar, jaldi ghar chal. Sab tera intejar kar rahe hai.”

Mehul ki baat sunkar, mai keerti aura mi nimi ke sath bahar aa gaya. Bahar aakar humne apna saman gaadi me rakha aur ghar ke liye nikal pade. Raste me mai mehul se uncle ke baare me puchhta raha.

Kuch hi der me hum ghar pahuch gaye. Ghar me chhoti maa akeli thi. Un ne mujhe dekhte hi gale se laga liya aur fir puchha.

Chhoti maa boli “priya kaisi hai. Use koi pareshani to nahi hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, priya ab bilkul thik hai. Use kisi baat ki koi pareshani nahi hai.”

Chhoti maa boli “chal thik hai. Tu jakar muh hath dho le.”

Lekin mujhe chanda mausi ka khayal aaya aur maine chhoti maa se puchha.

Mai bola “chhoti maa, kya chanda mausi abhi bhi anu mausi ke hi ghar me hai.”

Chhoti maa boli “haan chanda mausi abhi anu didi ke par hi hai.”

Mai bola “chhoti maa, mai jakar chanda mausi se mil kar aata hu. Fir aakar muh hath dho luga.”

Lekin chhoti maa ne mujhe tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi, pahle tu muh hath dho le. Fir hum sab wahi chalte hai. Hume raat ka khana didi ke ghar par hi khana hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mai upar apne kamre me aa gaya. Keerti aur ami nimi bhi taiyar hone ke liye apne apne kamre me chali gayi. Kamre me aakar mai fresh hone chala gaya.

Fresh hone ke bad mai taiyar hone laga. Abhi mai taiyar ho hi raha tha ki, tabhi keerti aa gayi. Wo taiyar ho chuki thi. Use itni jaldi taiyar dekh kar, maine use tokte huye kaha.

Mai bola “tu to badi jaldi taiyar ho gayi.”

Keerti boli “mai hi nahi, ami nimi bhi kab ki taiyar ho chuki hai. Tumhe hi taiyar hone me itna jyada samay lagta hai.”

Mai bola “aisi baat nahi hai. Din bhar ki thakan thi. Isliye thakan door karne kiye nahane laga tha. Warna mai bhi abhi tak taiyar ho chuka hota.”

Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab jaldi karo, niche sab tumhare aane ka intejar kar rahe hai.”

Keerti ki baat sunkar, mai jaldi jaldi taiyar hua aur fir uske sath niche aa gaya. Niche vaani didi baithi thi. Mujhe dekhte hi, wo uth kar khadi ho gayi. Mai unse milne unke pas gaya to, un ne mujhe gale se lagate huye kaha.

Vaani didi boli “tum logon ko aane me koi takleef to nahi huyi.”

Mai bola “nahi didi, waha ajay aur raj logon ke hote huye kisi baat ki koi pareshani nahi hoti hai.”

Vaani didi boli “chalo acha hai. Ab priya ki tabiyat kaisi hai.”

Mai bola “didi, ab priya bhi pahle se bahut achi hai. Lekin nidhi didi ne abhi use ek hafte aaram karne ko kaha hai.”

Vaani didi abhi mujhse iske bad kuch aur pati ki, tabhi chhoti maa ne hume tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, apni baten tu anu didi ke ghar par kar lena. Waha sab humara intejar kar rahe hai. Ab hume chalna chahiye.”

Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne bhi apni sahmati di aur fir hum sab anu mausi ke ghar jaane ke liye nikal pade. Hum jyada log the isliye vaani didi ne tata safari nikali aur hum sab usi me anu mausi ke ghar aa gaye.

Anu mausi ke ghar pahuchne ke bad, humne doorbell bajayi to, anu mausi ne aakar darwaja khola. Mujhe apne samne dekhte hi, un ne bhi mujhe apne gale se laga liya aur sawalon ki bauchhar karte huye kaha.

Anu mausi boli “kaha tha tu, aane me itni der kyo laga di. Hum kab se tera intejar kar rahe hai. Priya kaisi hai. Wo thik to hai na.”

Anu mausi ke itne saare sawal sunkar, maine sabse pahle unke aakhiri sawal ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “mausi, priya ab bilkul thik hai.”

Mai abhi itna hi bol paya tha ki, chhoti maa ne anu mausi ko tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “didi, aap ye sab haal chaal bad me le lena. Pahle in logon ko chanda mausi se mil lene dijiye.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, hum sab ghar ke andar aa gaye. Fir anu mausi hume us kamre me le aayi. Jis kamre me aksar chhoti maa ruka karti thi. Waha chanda mausi bed par baithi huyi thi.

Dushyant mausa ji aur neha bhi unke agal bagal khade huye the. Lekin chanda mausi kuch pareshan si lag rahi thi. Hum unke pas pahuche to, mai unke pas jakar baith gaya aur unki tabiyat puchhne laga.

Lekin chanda mausi ne mujhe apne pas dekhte hi, mujhe apne gale se laga liya aur rona suru kar diya. Is samay unki tabiyat sahi nahi thi aur rone se unki sehat par bura asar bhi pad sakta tha.

Isliye unke rone se mujhe unki tabiyat kharab hone ki chinta satane lagi. Mai unke gale se alag hua aur maine unke aanus ponchhte huye kaha.

Mai bola “mausi, ab to sab thik ho gaya. Ab aap kyo ro rahi hai.”

Lekin chanda mausi ne meri baat ko ansuna kar diya aur mujhse lipat kar fir se foot foot kar rona suru kar diya. Ab mujhe unki aur bhi jyada chinta hone lagi thi. Isliye maine unhe samjhate huye kaha.

Mai bola “mausi, abhi aapki tabiyat sahi nahi hai. Aapke is tarah rone se aapko tabiyat aur bhi jyada kharab ho jayegi. Plz aap rona band kijiye.”

Magar chanda mausi par meri is baat ka koi asar nahi pada. Wo abhi bhi pahle ki tarah hi roye ja rahi thi. Un par apni is baat ka koi asar padte na dekh kar, maine ami nimi ko apne pas aane ka ishara kiya aur chanda mausi se kaha.

Mai bola “mausi, aap roye ja rahi hai aur yaha ami nimi kab se aapse milne ke liye khadi hai.”

Meri baat sunkar, chanda mausi kin ajar ami nimi par padi. Maine ami nimi ko unke pas khada kiya to, un ne ami nimi se lipat kar rona suru kar diya. Mujhe unke is tarah se rone ka matlab samajh me nahi aa raha tha.

Abhi tak mujhe lag raha tha ki, mujhe itne din bad dekh kar wo ro rahi hai. Lekin ab mujhe aisa lag raha tha ki, jaise koi baat unhe pareshan kar rahi hai aur wo isi vajah se roye ja rahi hai.

Magar abhi wo baat janne se jyada jaruri mausi ko chup karana tha. Isliye maine ami nimi ko unse door kiya aur unke aanus ponchhte huye kaha.

Mai bola “mausi, aapko meri kasam hai. Ab aap bilkul bhi nahi royegi. Aise rone se sach me aapki taiyat kharab ho jayegi.”

Meri baat sunkar, chanda mausi ek baar fir mujhse lipat gayi. Lekin is baar unka rona kam ho gaya tha. Unka rona kam hote dekh kar, mai unhe samjhane laga aur dhire dhire unka rona band hoga.

Unka rona band hote dekh kar, maine unke rone ki vajah janne ke liye anu mausi ki taraf dekha. Lekin mujhse najar milte hi, anu mausi ne sabse kaha.

Anu mausi boli “jab tak tum log chanda se milo. Tab tak mai sabke liye khana lagati hu.”

Itna kah kar anu mausi bina kisi ka jabab sune hi kitchen ki taraf chali gayi. Mera man unke pas jakar is baat ko janne ka tha. Lekin chanda mausi ko aisi haalat me chhodna bhi mujhe acha nahi lag raha tha.

Isliye mai unke pas hi baitha raha. Tab tak shayad keerti ko bhi waha ke haalat samajh me aa chuke the. Isliye wo bhi chanda mausi ke pas aa gayi aur unhe muambai me ami nimi ki shararaton ke baare me batane lagi.

Ami nimi bhi uske pas hi khadi thi. Apni baat hote dekh kar, wo dono bhi chanda mausi ke pas jakar baith gayi aur unhe is baat me apni safayi dene lagi. Chanda mausi bade dhyan se un logon ki baton ko sun rahi thi.

Kuch der bad ami nimi aur keerti ki is nok jhok ko dekh kar chanda mausi ke chehre par muskurahat aa gayi aur wo ami nimi ko laad karne lagi. Is baat ko lekar keerti chanda mausi se hi ladne lagi.

Chanda mausi keerti ko naraj hote dekh kar, use pyar se samjhane lagi aur mahaul puri tarah se shant ho gaya. Keerti ne apni nok jhok se thodi hi der me waha ka mahaul badal kar rakh diya tha.

Mai khamoshi se khada keerti aur ami nimi ki in harkaton ka maja le raha tha. Kuch der tak keerti aura mi nimi kin ok jhok ka daur aise hi chalta raha. Fir anu mausi aa gayi aur un ne aate hi sab se kaha.

Anu mausi boli “chalo, khana lag gaya hai. Sab chal kar khana kha lo aur ab chanda ko aaram karne do.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, maine unhe tokte huye kaha.

Mai bola “mausi, pahle chanda mausi ko bhi khana kha lene dijiye. Fir wo dawa khakar aaram kar legi.”

Meri ye baat sunte hi, anu mausi ne mujhe taana marte huye kaha.

Anu mausi boli “ye lo, chanda ki fikar karne wala aa gaya. Hume to jaise chanda ki koi fikar hi nahi hai. Chanda ki fikar karne ka saara theka jaise isi ne le rakha ho.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, maine unhe is baat me apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “mausi, meri baat ka ye matlab nahi tha. Mai to sirf itna kahna chahta tha ki, chanda mausi pahle khana aur dawa kha leti. Fir aaram se so jati. Warna fir se unhe khana aur dawa ke liye jagana pad jata.”

Lekin meri is baat par bhi anu mausi ke tevar nahi badle aur un ne fir se mujhe taana marte huye kaha.

Anu mausi boli “haan, haan, hume to kuch aata hi nahi hai. Sab kuch tumhe hi aata hai. Itne din se tum hi to chanda ka khayal rakh rahe the. Humne to kuch kiya hi nahi hai.”

Anu mausi ki is baat ko sunkar, mera chehra chhota sa ho gaya. Mujhse anu mausi se kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Chanda mausi ne mujhe is tarah pareshan dekha to, humari baat ke bich me bolte huye kaha.

Chanda mausi boli “punnu baba, aap pareshan mat hoiye. Anu didi mujhe pahle hi khana aur dawa de chuki hai. Wo abhi sirf aap se majak kar rahi hai aur aapko pareshan kar rahi hai.”

Chanda mausi ki baat sunkar, mai anu mausi ko dekhne laga. Ye anu mausi ki suru se aadat thi ki, wo mujhe pareshan karne ka koi bhi mauka apne hath se nahi jaane deti thi.

Shayad unki yahi aadat keerti ne bhi virasat me payi thi aur wo bhi mujhe pareshan karne me kabhi pichhe nahi rahti thi. Anu mausi ne jab chanda mausi ki ye baat suni to, un ne chanda mausi se shikayat karte huye kaha.

Anu mausi boli “chanda ye kya hai. Tum se thodi der bhi chup nahi raha gaya. Jara iska chehra to dekhna tha. Kaisa ho gaya tha.”

Ye kah kar anu mausi hasne lagi. Lekin chanda mausi ne meri tarafdari lete huye kaha.

Chanda mausi boli “nahi didi, mujhse baba ka utra hua chehra nahi dekha jata hai. Baba aise hi haste muskurate ache lagte hai.”

Iske bad chhoti maa ne chanda mausi se kuch jaruri baat karne ki baat kah kar hum sab ko bahar bhej diya. Vaani didi bhi unhi ke pas ruk gayi aur hum sab waha se dining room me aa gaye.

Hum dining room me pahuche to, waha mausa ji ke sath papa bhi the. Papa ko dekh kar, mera man waha se wapas aane ko hua. Lekin tab tak mausa ji kin ajar mujh par pad chuki thi.

Mausa ji mujhse mera haal chaal puchhne lage. Mai unse priya ke baare me baat karne se bachna chahta tha. Kyoki mujhe nahi malum tha ki, chhoti maa ne unhe is baare me kya bataya hai.

Abhi chhoti maa aur vaani didi bhi waha nahi thi. Isliye mai apne baare me hi unse bada chada kar unse baat karne laga aur unhe apni inhi baton me uljhane ki koshish karne laga.

Abhi meri mausa ji se ye hi baten chal rahi thi ki, tabhi chhoti maa aur vaani didi aa gayi. Vaani didi ne abhi bhi mujhe waha par khade hi dekha to, mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “kya hua, kya tumhe khana nahi khana hai, jo abhi tak yahi khade ho.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, maine unhe mausa ji ko apna haal chaal dene ki safayi di. Iske bad mai jaise hi khana khane baithne ko hua, waise hi barkha didi ka call aane laga.

Mai barkha didi ka call utha kar, unse baat karne laga. Mujhe barkha didi se baat karte dekh kar, keerti fauran uth kar apne kamre me chali gayi. Thodi der bad wo apne kamre se wapas aayi to, usne mujhe ek hands free pakda di.

Shayad wo barkha didi ka call dekh kar, samajh gayi thi ki, ab meri baat lambi chalne wali hai. Isliye wo mere liye apni hands free le aayi thi. Maine hands free lagayi aur barkha didi se baat karte karte mai bhi khana khane baith gaya.

Ab dining table ka najara kuch aisa tha. Dining table ki bich wali seat par papa baithe huye the. Unke left wali seat par mausa ji, mausi ji, kamal, dushyant mausa ji, neha aur mehul baithe huye the.

Papa ki right wali seat me, chhoti maa, vaani didi ki mummy, vaani didi, nimi, ami, keerti aur fir mai baitha hua tha. Mujhe dushyant mausa ji ko papa ke sath khana khane baitha dekh kar, bahut tajjub ho raha tha.

Keerti ne mujhe bataya tha ki, dushyant mausa ji ne papa se dushmani ki vajah se hi meri jaan lene ki koshish kit hi aur unki is galti ke liye chanda mausi ne unhe sirf meri vajah se maaf kiya tha.

Lekin mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi thi ki, papa aur dushyant mausa ji ke bich sulah kisne karwayi hai. Isi baat ko sochte sochte achanak meri najar papa par padi to, wo bade gaur se mujhe hi dekh rahe the.

Shayad unhe khana khate samay meri kisi se baat karne ki harkat kuch ajib lag rahi thi. Lekin maine papa ki is baat ko andekha kiya aur fir se barkha didi se baat karne laga.

Yadi riya ke ghar me humare khana khane ki baat ko chhod diya jaye to, do saal me ye pahla mauka tha, jab hum bap bête ek sath pure parivar ke sath baith kar khana kha rahe the.

Lekin mere man me mere bap ke liye itni nafrat thi ki, mujhe is baat se jara bhi khushi nahi thi. Mai barkha didi se baat karte huye khana suru karne wala tha ki, tabhi meri najar keerti ke khane par padi.

Uske khane me abhi uble aalu, palak ka soup, methi ki sabzi aur chapati thi. Maine bhi uske samne rakhi aalu aur chapati uthayi aur apni plate me rakh kar unhe khane laga.

Mai Mumbai me bhi jab uske sath khana khata tha to, usi ke liye bana hua khana khaya karta tha. Jiski vajah se keerti ne bhi wo khana khushi khushi khana suru kar diya tha.

Abhi bhi jab usne mujhe ye khana lete dekha to, wo muskurane lagi. Lekin usne kuch kaha nahi aur khamoshi se wo bhi khana khane lagi. Abhi mai aur keerti ye khana kha hi rahe the ki, tabhi ami ne keerti ko tokte huye kaha.

Ami boli “didi, mujhe bhi aalu aur chapati khana hai.”

Ami ki ye baat sunkar, keerti ne use samjhate huye kaha.

Keerti boli “ami, is khane me jara bhi mirch masala nahi hai. Ye tumhe bilkul acha nahi lagega. Tum ise mat khao.”

Keerti ki is baat par ami ne ne us se ulta sawal karte huye kaha.

Ami boli “yadi ye khana acha nahi hai to, fir bhaiya is khane ko kyo kha rahe hai.”

Keerti boli “ami, wo kya hai ki, mujhe ye khana jara bhi acha nahi lagta hai aur mai is khane ko khane me bahut na nukur karti hu. Isliye punnu mere sath dene ke liye ye khana kha raha hai. Taki mai khushi khushi ye khana kha saku.”

Keerti ki is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “thik hai didi, fir mai bhi aapka sath dene ke liye ye khana khana chahti hu. Mujhe bhi ye khana do na.”

Keerti ami ko samjhane ki bahut koshish karti rahi. Lekin jab ami nahi maani to, keerti ne ami ko bhi aalu aur chapati khane ke liye de diye. Lekin ab keerti khana khate huye nimi ko dekh rahi thi.

Kuch der bad, nimi ki najar mere aur ami ke khane par pad gayi. Wo thodi der tak mere aur ami ke khane ko gaur se dekhti rahi. Fir achanak hi uski aankhon me aansu jhilmilane lage aur usne rona suru kar diya.

______________________________
Brilliant update 👏 👍 👌
 

ayush01111

Well-Known Member
4,895
7,264
144
Ko To Rok Lo {Update - 202}
____________________________

Vaani didi boli “Mr. pritam, aap thik to hai na. Aapke chehre ke 12 kyo baje huye hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne apne aas pas ke sabhi logon par najar daali aur fir apne ghabrahat ki vajah batate huye kaha.

Pritam bola “madam, abhi kuch der pahle gauranga ke do aadmiyon ne police commissioner sahab par hamla kar diya hai. Jis vajah se commissioner office me arfa tarfi ka mahol bana hua hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “are to isme itna ghabrane ki jarurat kya hai. Bade bade cases me hath dalne par, aisi chhoti moti vaardat to hoti hi rahti hai. Aap is sab ki fikar mat kijiye aur aaram se baith kar khana khaiye.”

“Aapka khana khatam hone ke pahle hi, meri team ke ladke, un dono ko pakad kar, police commissioner ke hawale kar dege. Lekin suna hai ki, laashen kabhi kuch bola nahi karti hai.”

Ye kah kar, hanste huye, vaani didi ne khana suru kar diya. Unhe khana khate dekh, hum sabne bhi khana khana suru kar diya. Magar sabhi kisi na kisi gahri soch me khoye huye se lag rahe the.

Wahi dusri taraf vaani didi ki is baat ko sunkar, mere man me bhi ek sawal goonjne laga tha ki, kahi police commissioner ke upar is hamle ke pichhe vaani didi ka hath hi to nahi hai.

Mai abhi apni isi udhed bun me laga hua tha ki, tabhi nisha bhabhi ne mujhe kohni marte huye, dhire se kaha.

Nisha bhabhi boli “kahi police commissioner par hamla vaani ne hi to nahi karwaya.”

Nisha bhabhi ki is baat ne mujhe chauka diya. Kyoki mai to khud abhi yahi baat soch raha tha. Maine bhi dhire se nisha bhabhi ki is baat ke jabab me un se kaha.

Mai bola “bhabhi, mere man me bhi abhi ye hi sawal aa raha tha. Didi ki baat se to, aisa hi lag raha hai ki, jaise kya hua hai aur kya hone wala hai. Unhe sab kuch pahle se hi pata hai. Fir bhi yadi un dono hamla karne walon ki laash police ko milti hai to, fir hume ye hi manna padega ki, iske pichhe inhi ka hath tha.”

Hum dono aapas me baat karne me lage the. Tabhi koyal ki aawaj sunkar, humara dhyan uski taraf chala gaya. Koyal ne mehul ko khana khate nahi dekha to, usne mehul se kaha.

Koyal boli “bhaiya, aap kyo chup chap baithe hai. Aap bhi khana khaiye na.”

Koyal ki baat sunte hi, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wahi mehul ne bura sa muh banate huye kaha.

Mehul bola “nahi bhabhi, aaj subah se mera pet sahi nahi hai. Isliye aaj mai kuch nahi kahuga.”

Lekin koyal us se kuch na kuch kha lene ki jid karti rahi thi aur mehul unhe mana karta raha. Magar wo baar baar vaani didi ki taraf is ummid se jarur dekh raha tha ki, shayad koyal ki baat sunkar hi, unka dil pighal jaye aur wo use khana khane ke liye kah de.

Lekin vaani didi ne aisa kuch bhi nahi kiya to, mehul ki bhi kuch khane ki himmat nahi huyi. Wo sirf sabko khana khate dekhne ke siwa kuch na kar saka. Abhi humara khana chal hi raha tha ki, tabhi pritam ka call aa gaya.

Wo phone par baat karne laga aur baat kahatm hote hi, usne hume bataya ki, jin do logon ne police commissioner par hamla kiya tha. Unhe CID ne maar giraya hai aur unki laash police commissioner ko saunp di gayi hai.

Lekin pritam ki is baat ko sunne ke bad bhi, vaani didi aise khana khati rahi. Jaise ki kuch hua hi na ho. Ab mera shaq puri tarah se yakin me badal gaya tha ki, ye sab vaani didi ka hi kiya hua hai.

Magar meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, vaani didi ne ye sab kyo kiya hai. Ye hi sab baten sochte sochte, sabke sath sath mera bhi khana khana ho gaya. Khana khane ke bad, hum sab koyal aur payal se wapas jaane ki ijajat lene lage.

Koyal aur payal dono hume ghar ke bahar tak chhodne aayi. Hum bahar aaye to, waha CID officer aniruddha khada tha. Vaani didi ne use akele me kuch baat ki aur fir humare pas aakar, chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “mausi, mujhe ek jaruri kaam se jana hai. Aap log aniruddha aur pritam ke sath hospital jaiye, tab tak mai bhi apna kaam nipta kar aati hu.”

Vaani didi ko akele jate dekh kar, chhoti maa ko unki chinta hone lagi. Lekin wo ye baat vaani didi se sidhe sidhe nahi kah pa rahi thi. Isliye un ne apni baat ko ghumate huye, vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “beta, tu humari fikar mat kar aur inko apne sath hi le ja. Hum log pritam ke sath hospital chale jayege.”

Lekin vaani didi chhoti maa ki is baat ka matlab samajh gayi thi. Isliye un ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi aap meri jara bhi fikar mat kijiye. Jab tak aapka aashirwad mere sath hai. Tab tak mujhe kuch nahi ho sakta. Haan aapki car ko jarur thodi bahut kharonch aa sakti hai.”

Ye kah kar, vaani didi hanste huye, chhoti maa ki car me humari najron se ojhal ho gayi. Unki baton se chhoti maa ke chehre par muskurahat jarur aa gayi thi. Lekin unke chehre par chinta ki lakiren bhi saaf dekhi ja sakti thi.

Vaani didi ke jate hi, ami, nimi keerti aur chhoti maa pritam ke sath aur mai, barkha didi, nisha bhabhi aur mehul aniruddha ke sath gaadi me baith kar, hospital ke liye nikal pade.

Raste me nisha bhabhi ko shararat sujhi aur wo barkha didi se koyal ke banaye khane ki tarif karne lagi. Mehul nisha bhabhi ki is shararat ko samajh gaya tha. Usne palat kar unhe dekhte huye kaha.

Mahul bola “bhabhi, yaha meri bhookh ke maare jaan nikli ja rahi hai aur aapko majak sujh raha hai. Mai to vaani didi ke gusse se bachne ke liye kal mama ke ghar bhag raha tha. Lekin iski aur keerti ki baat sunkar, yaha ruk gaya aur ab yaha rukne ka natija bhi bhog raha hu.”

Mehul ki ye baat sunkar, mai use kuch bakne hi wala tha ki, tabhi barkha didi ne meri tarafdari karte huye kaha.

Barkha didi boli “are, tum is sab ka dosh ise kyo de rahe ho. Ye sab to tumhari khud ki galti se hua hai. Tumne unse jhuth kyo kaha tha.”

Mehul bola “are mujhe laga tha ki, ami nimi mere is jhuth me mera sath degi. Isliye maine bina kisi dar ke vaani didi se jhuth bol diya.”

Mehul ki is baat par barkha didi ko kuch hairani huyi aur un ne mehul se puchha.

Barkha didi boli “lekin tumko ye galatfahmi kyo ho gayi thi ki, wo dono is jhuth me tumhara sath degi.”

Mehul bola “didi, mujhe koi galatfahmi nahi huyi thi. Un dono ne hi parso mujhse kaha tha ki, vaani didi ne unko bahut pareshan kiya hai. Ab hum sab mil kar vaani didi ko sabak sikhayege. Ab mujhe kya pata tha ki, wo dono churki murki itni jaldi paala badal legi.”

Mehul ki is baat ko sunkar, nisha bhabhi aur barkha didi hansne lagi. Lekin maine nimi ka bachav karte huye, barkha didi se kaha.

Mai bola “didi, nimi ke iska sath na dene me bhi iski hi galti hai. Aapko yaad hoga ki, isne nimi ko moti kaha tha aur usne rona suru kar diya tha. Nimi moti kahne par chidti hai. Iske bad bhi isne use moti kah kar naraj kar diya tha. Jiska badla nimi ne iske jhuth me sath na dekar aur ise motu kah kar nikal liya.”

Meri baat sunkar, ek baar fir barkha didi aur nisha bhabhi ki hansi goonj uthi. Nisha bhabhi ne mehul ko fir se chhedte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tum kuch bhi kaho. Lekin nimi ke tumhare sath na dene se tumhara bhala hi hua hai. Ab to vaani tumhari shadi pakki karwa kar hi dam legi.”

Nisha bhabhi ki is baat par mehul ne chidchidate huye kaha.

Mehul bola “kya bhabhi, kya vaani didi meri khichai karne ke liye kam thi, jo aap bhi suru ho gayi. Shilpa ne to vaani didi ki aawaj sunkar, aise mobile band kiya hai ki, abhi tak uska mobile band hai.”

“Vaani didi ko abhi aap ache se janti nahi hai. Yadi wo dhokhe se bhi shilpa ke ghar chali gayi to, shadi pakki hona to door ki baat hai. Shilpa ke sar se mere pyar ka bhoot bhi utar jayega.”

“Upar se ye saara lafda mummy ke samne hua hai. Ab wo alag ghar jakar meri khichai karegi aur mujhse ye janne ki koshish karegi ki, mujhe call karne wali wo ladki kaun thi. Vaani didi ki vajah se to, ab mera jeena hi haram hone wala hai.”

Mehul ki baat sunkar, nisha bhabhi ne use dilasa dene ki garaj se kaha.

Nisha bhabhi boli “tumhari ye baat to bilkul sahi hai. Mujhe to un mujrimo se kahi jyada is vaani se dar lag raha hai. Ye to gajar mooli ki tarah logon ko kaat deti hai aur apne aage kisi ko kuch samajhti hi nahi hai.”

“Ye har pal aise jhatke de rahi hai ki, yadi humari jagah koi kamjor dil wala iske sath hota to, use pata nahi, ab tak kitni baar dil ka daura pad gaya hota. Iske sath surakshit rahne se acha to, mujrimo ke changul me fase rahna hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, hum sabki hansi chhut gayi. Aise hi hansi majak karte karte hum hospital pahuch gaye. Hospital me anuradha mausi, richa aunty aur mohini aunty teeno baithi baten kar rahe thi.

Hum sab bhi unhi ke pas jakar baith gaye. Nisha bhabhi logon ko yaha aaye, bahut der ho chuki thi aur wo jab se aayi thi, tab se hi humare sath hi lagi huyi thi. Isliye chhoti maa unse ghar chal kar, aaram karne ki baat kahne lagi.

Nisha bhabhi ko bhi chhoti maa ki ye baat sahi lagi. Un ne ek baar chanda mausi ko dekh lene ki baat kah kar, ghar chalne ki sahmati de di. Iske bad, wo chanda mausi ko dekhne chali gayi.

Nisha bhabhi ke chanda mausi ke pas jaane ke bad, chhoti maa barkha didi se baat karne lagi. Mai keerti ko yaha waha dekhne laga. Wo mujhe sabse alag thalag baithi, akhbaar padti najar aa gayi.

Mai jakar uske pas baith gaya. Uske hath me aaj ka akhbaar dekh kar, mujhe yaad aaya ki, aaj budhvar (Wednesday) hai. Ye baat yaad aate hi, maine us se akhbaar le liya aur us me Tripti ki rachna talashne laga.

Keerti meri is harkat ko hairani se dekhne lagi. Tabhi mujhe Tripti ki rachna dikhayi de gayi. Uski aaj ki rachna ka shirshak “Zaruru To Nahi” tha. Mai uski ye rachna padne laga.

“Zaruri To Nahi”​



“Unko Bhi Mujhse Mohabbat Ho Zaruri To Nahi.​
Ek Si Dono Ki Hi Haalat Ho Zaruri To Nahi.​
Dil Ki Chahat To Kai Khwaab Jaga Deti Hai,​
Haan Magar Sath Me Kismat Ho Zaruri To Nahi.​
Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,​
Unko Bhi Meri Zarurat Ho Zaruri To Nahi.​
Wo Vada Karke Bhool Jaya Karte Hai.​
Bhulna Meri Bhi Fitrat Ho Zaruri To Nahi.​
Muskurane Se Bhi Ho Jate Hai Bayan Dil Ke Gum,​
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zaruri To Nahi.​
Unke Pahlu Me Hi Dam Tode “Tripti.”​
Puri Meri Ye Hasrat Ho Zaruri To Nahi.”​


Tripti ki is rachna ko pad kar, ek baar fir meri aankhon ke samne priya ka bhola bhala chehra ghumne laga. Is rachna ki har pankti mujhe priya ke dil ka haal kahti, najar aa rahi thi.

Mere sath sath keerti bhi is rachna ko pad rahi thi. Is rachna ko padne ke bad, usne mujhse mera mobile maanga aur fir usme se priya ka ek Sms khol kar mere samne rakh diya. Mai priya ka Sms dekhne laga.

Priya ka Sms “Vada Karke Nibhana Unki Aadat Ho Zaruri To Nahi.​
Bhool Jana Meri Fitrat Ho Zaruri To Nahi.​
Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,​
Unko Bhi Meri Zarurat Ho Zaruri To Nahi.”​


Priya ka wo Sms Tripti ki rachna se kaafi milta julta dikh raha tha. Lekin mai keerti ki is baat ka matlab samajh nahi paya aur hairani se uski taraf dekhne laga. Mujhe is tarah hairan dekh kar, keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “kya tumhe is rachna aur priya ke Sms me kuch khas dikhayi diya.”

Mai bola “haan, priya ke Sms ki line is rachna se bahut kuch milti julti hai. Lekin tu kahna kya chahti hai.”

Keerti boli “mujhe lagta hai ki, kahi priya hi to Tripti nahi hai.”

Mai bola “tu pagal ho gayi hai kya. Akhbaar me chhapi rachna ko, koi bhi bhej sakta hai.”

Keerti boli “tumhara kahna sahi hai. Lekin sochne wali baat ye hai ki, kisi rachna ke chhapne ke pahle hi, koi kaise uski line bhej sakta hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tu sach me pagal ho gayi hai. Tujhe aaj kal har baat ke pichhe priya hi najar aati hai. Are ye bhi to ho sakta hai ki, ye rachna iske pahle kisi dusre akhbaar me chhapi ho aur priya ne usi me se padkar isko bheja ho.”

Meri ye baat sunkar, keerti kuch sochne lagi aur mai muskurate huye, use dekhne laga. Mai keerti ke chehre ko dekhne me khoya hua tha ki, tabhi chillane ki aawaj sunkar, hum dono chauk gaye aur chhoti maa ki taraf dekhne lage.

Chhoti maa ke pas papa aur mausa ji khade the. Papa kisi baat ko lekar chhoti maa par gussa kar rahe the. Mujhe ye samajhte der na lagi ki, wo yaha huye hadse ki khabar na dene ke upar se chhoti maa par gussa kar rahe hai.

Ye baat samajh me aate hi, mai uth kar unke pas jaane ko hua. Lekin keerti ne mera hath pakad kar, mujhe wapas baithate huye kaha.

Keerti boli “abhi waha par nisha bhabhi aur barkha didi bhi hai. Tum waha jakar gusse me koi naya hangama khada mat kar dena. Tum fikar mat karo, mausa ji ke sath papa bhi hai. Papa sab sambhal lege.”

Keerti ki baat sunkar, mai chhoti maa ke pas jaane se ruk gaya. Udhar mausa ji papa ko samjhane ki koshish kar rahe the. Lekin papa fir bhi chhoti maa par gusse kiye hi ja rahe the.

Nisha bhabhi aur barkha didi ke samne, papa ke chhoti maa par chillane se mujhe bahut gussa aa raha tha. Mai jyada der tak ye sab na dekh saka aur chhoti maa ke pas jaane ke liye uth kar khada ho gaya.

Lekin tabhi waha vaani didi pahuch gayi. Un ne papa ko chhoti maa par gussa hote dekha to, wo papa ka hath pakad kar, unhe pas bane kamre me le gayi. Ab un dono ko koi nahi dekh pa raha tha.

Lekin mai aur keerti us kamre ke samne hi baithe the. Isliye wo dono hume saaf saaf najar aa rahe the. Us kamre me jaane ke bad, papa ki vaani didi se bhi kuch jyada hi bahas hone lagi.

Pahle to vaani didi papa se barabari se bahas karti najar aa rahi thi. Lekin fir achanak hi, un ne gusse me apni revolver nikal kar, papa ke muh me thoos di aur unhe kuch dhamki dene lagi.

Jise sunne ke bad, papa ke pasine chhut gaye. Kuch der tak vaani didi bolti rahi aur papa sunte rahe. Fir un ne papa ke muh se apni revolver nikal li aur papa se kuch kaha. Jiske bad, papa apni jeb se rumal nikal kar, pasina pochhne lage.

Papa ke pasina ponchh lene ke bad, vaani didi aur papa bahar aa gaye. Bahar aane ke bad, vaani didi to muskura rahi thi. Lekin papa ke chehre ki muskurahat gayab thi aur wo sabke pas aakar, mausa ji ke sath wapas laut gaye.

Unke jate hi, mai aur keerti bhi sabke pas aa gaye. Jab hum sabke pas pahuche to, vaani didi sabko papa ke baare me bata rahi thi.

Vaani didi boli “bade mausa ji (keerti ke papa) ne mausa ji (papa) ko call karke yaha ke hadse ke baare me bataya tha. Jis vajah se unhe yaha ki chinta hone lagi thi aur wo apni jaruri meeting chhod kar yaha bhagte huye aa gaye the.”

“Isi vajah se wo sab par itne gusse me the. Lekin maine unhe yaha sab kuch thik hone ka viswas dila diya hai aur ab wo kisi baat par, kisi se gussa nahi hai. Wo yaha se befikar hokar, apni meeting puri karne wapas chale gaye hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, sabne rahat ki saans li. Lekin vaani didi ke sabse kahe gaye, aadhe sach aur aadhe jhuth ko mai aur keerti achi tarah se jante the. Isliye hum dono ke chehre par rahat ke koi bhav nahi the.

Vaani didi abhi papa se huyi jhuthi sachi bata rahi thi ki, tabhi nisha bhabhi ka mobile bajne laga. Wo sabko baat karta chhod kar, mobile par baat karne hum se door chali gayi.

Lekin jab wo humare pas wapas aayi to, wo bahut jyada ghabrayi huyi si lag rahi thi. Unhe ghabraya hua dekh kar, hum sabka man bhi kisi ashanka se bhar gaya. Nisha bhabhi ne humare pas aate hi, chhoti maa se kaha.

Nisha bhabhi boli “sorry aunty, mujhe aur barkha ko abhi hi mumbai wapas lautna hoga. Waha achanak hi priya ki tabiyat kharab ho gayi hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne ghabrate huye kaha.

Mohini aunty boli “meri priya ko kya hua. Mai to use acha bhala chhod kar aayi thi.”

Mohini aunty ki is baat ke jabab me nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “aunty, abhi mujhe khud bhi sahi se kuch nahi malum hai. Abhi abhi mere pas aman ka call aaya tha. Usne hi bataya ki, priya achanak coma me chali gayi hai.”

“Use lekar, is samay waha sabhi pareshan hai. Isliye aman ne mujhe waha fauran laut aane ko kaha hai. Ab priya ko kya hua hai. Ye baat to hume waha pahuchne par hi pata chal sakegi.”

Nisha bhabhi ki is baat ne, mere sath sath waha khade, sabhi logon ke pairon ke niche ki jamin khiska di thi. Priya ke coma me chale jaane ki baat ne, ek hi pal me hum sabke dil aur dimag ko hila kar rakh diya tha.

______________________________
Pritam bhai ap ko story me thoda change karna hoga jaha tak apne likha ki panu ki bua ki beti vani hai to us hisab se vani ke mama hue panu ke papa to please thoda dhyan de vo unhe mousaji keh rahe hi hai jab ki vo mama hue
 
  • Like
Reactions: Pritam.bs

Kuresa Begam

Member
243
711
108
Ko To Rok Lo {Update - 0257}
____________________________
Vaani didi boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe malum hai na ki, tumhara mission juhi ki shadi tudwana aur juhi ki car wapas lana hai. Bas tum apna mission yaad rakho. Mai waha nahi hu, isliye ab ye mission tumhe khud pura karna hai. Mujhe ummid hai ki, tum ye sab bade aaram se pura kar loge.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “didi, aapki ye baat to thik hai. Lekin mai ye karuga kaise.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “tum saxena uncle ko jante ho na.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi, wo humare pados me rahte hai. Lekin mai unse kabhi mila nahi hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “to ab unse jakar milo. Unhe apna parichay do aur apna kaam batao. Wo tumhari is kaam me puri madad karege.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “kya tum juhi ki sasural walo ke baare me kuch jante ho.”
Mai bola “nahi, didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne puchha.
Vaani didi boli “unke baare me koi to janta hoga. Tumhe unki puri jankari hona chahiye. Tabhi to tum is baare me kuch kar sakoge.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, maine ami se is baare me puchha to, usne bataya ki anu mausi unke baare me janti hai. Ami ki baat sunkar, maine vaani didi se kaha.
Mai bola “didi, juhi didi ke sasural walon ke baare me anu mausi janti hai.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “good, pahle tum jakar anu mami se juhi ke sasural walon ke baare me puri jankari le lo. Fir jakar saxena uncle se mil kar unhe apna maksad batao. Tumhara kaam ban jayega.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “mai aniruddha, niranjan aur manik ko tum logon ke sath bhej deti hu. Ye teeno tum logon ke sath shadi me chale jayege. Shayad tumhe waha inki jarurat pad jaye. Isliye bina kisi sankoch ke inse kaam lena.”
“Mehul ke pas aniruddha, niranjan aur manik ke mobile number mil jayege. Wo bhi mehul se le lena. Tumhe inki jarurat pad sakti hai. Tumhe jaha meri jarurat pade mujhe call karna. Mai tumhare sath hu.”
Iske bad vaani didi ne kuch jaruri baten mujhe samjhai aur fir iske bad call rakh diya. Vaani didi ke call rakhne ke bad, maine ami nimi se kaha.
Mai bola “mujhe juhi didi ke sasural walon ki jaankari ke liye abhi anu mausi ke pas jana padega. Tabhi mai saxena uncle ke pas baat karne ja sakuga.”
Meri baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “ji bhaiya, aap jaldi se anu mausi ke pas jaiye. Taki saxena uncle se bhi aapki baat ho sake.”
Mai bola “thik hai, chalo niche chalte hai. Tum log niche sambhalna. Tab tak mai anu mausi se mil kar aa jauga.”
Meri baat sunkar ami nimi ne kaha thik hai aur fir wo mere sath niche aane ke liye uth kar khadi ho gayi. Hum teeno niche pahuche to, chhoti maa ne mujhse kaha.
Chhoti maa boli “tumhari juhi ki shadi me jaane ki taiyari puri ho gayi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji chhoti maa.”
Abhi mert aur chhoti maa ki ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi keerti aa gayi. Keerti ko dekh kar chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “tune ghar aane me bahut samay laga diya. Itni der shilpa ke ghar me kya karti rahi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo shilpa ki chay piye bina aane nahi de rahi thi. Isliye waha chay peene aur shilpa ki maa se baat karne me thoda samay lag gaya.”
Iske bad keerti ki thodi bahut isi baare me chhoti maa se baat hoti rahi. Fir usne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, mai apna bag lene ghar ja rahi hu.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “thik hai, lekin jaldi wapas aana. Yaha bhi nikalne ki taiyari karna hai. Richa didi bhi aati hi hogi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “aap fikar na kare. Mai jaldi se wapas aa jaugi.”
Keerti ko ghar jaate dekh kar, neha ne chhoti maa se kaha.
Neha boli “aunty, keerti apna bag lene ghar ja rahi hai. Kya mai bhi iske sath ja sakti hu.”
Neha ki baat sunkar chhoti maa ne hanste huye kaha.
Chhoti maa boli “haan, tum bhi iske sath ja sakti ho. Magar waha jyada samay mat lagana, hume yaha se jaldi nikalna hai.”
Chhoti maa ki baat sunkar, neha ne kaha.
Neha boli “aunty, hume jyada samay nahi lagega. Hum jaldi wapas aa jayege.”
Ye kahte huye neha bhi keerti ke sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Mujhe bhi keerti ke hi ghar jaana tha. Isliye keerti aur neha ko waha jate dekh kar, mujhe bhi unse kahna pad gaya. Maine keerti aur neha ko tokte huye kaha.
Mai bola “mai bhi tum logon ke sath chalta hu. Mausi se bhi mil luga aur tum logon ke sath hi wapas aa jauga.”
Meri baat sunkar, keerti khush ho gayi. Usne khushi khushi kaha.
Keerti boli “haan, ye to bahut achi baat hai. Tum bhi humare sath chalo.”
Lekin mujhe keerti logon ke sath jate dekh kar, chhoti maa ne mujhe tokte huye kaha.
Chhoti maa boli “tu keerti logon ke sath waha jakar kya karega. Anu didi, richa didi khud yahi aane wali hai. Tu yahi par ami nimi ke sath rah.”
Chhoti maa ki baat sunkar, neha hasne lagi. Wahi maine chhoti maa ke pas aakar, unka hath pakad kar unh emanate huye kaha.
Mai bola “mujhe jaane do na chhoti maa. Mai thodi hi der me anu mausi se mil kar aa jauga.”
Meri is baat me keerti ne bhi mera sath dete huye kaha.
Keerti boli “mausi, punnu sahi kah raha hai. Hume wapas aane me jyada samay nahi lagega. Aap ise mere sath jaane dijiye. Hum jaldi hi wapas aa jayege.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne mujhe gaur se dekha aur fir hanste huye kaha.
Chhoti maa boli “aaj kal tu ami nimi se bhi chhota banne laga. Thik hai tu, keerti logon ke sath ja sakta hai, lekin jaldi wapas aana.”
Chhoti maa ki baat sunkar, ami nimi ke sath sath mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine khush hote huye kaha.
Mai bola “thik hai, chhoti maa.”
Ye kahte huye mai keerti aur neha ke sath bahar aa gaya. Keerti ne chhoti maa ki scooty utha li aur maine apni bike utha li. Neha keerti ke sath baith gayi aur fir hum keerti ke ghar ke liye nikal pade.
Kuch hi der me hum keerti ke ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty khadi ki aur fir neha ke sath ghar ke andar jaane ke liye mera intjar karne lagi. Mai bhi apni bike khadi karke keerti aur neha ke sath ghar ke andar aa gaya.
Hum ghar ke andar pahuche to, ghar me is samay bua ji (vaani didi ki maa), dinesh mausa ji, anu mausi aur kamal baitha hua tha. Sab baithe aapas me baten kar rahe the. Hume aate dekh kar, bua ji ne kaha.
Bua ji boli “are tum log yaha kyo aa gaye. Thodi der me hi to, hum log waha pahuchne wale the.”
Bua ji ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “bua ji, mujhe apne shadi me jaane ki taiyari puri karna thi aur apna saman yaha se lena tha. Isliye hum log yaha aaye hai.”
Keerti ki baat sunkar, bua ji muskurate huye kaha.
Bua ji boli “chal thik hai, tu apni taiyari puri kar le. Hum sab ki to saari taiayri puri ho chuki hai.”
Bua ji ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me jane ko huyi ki tabhi anu mausi ne keerti ko tokte huye kaha.
Anu mausi boli “tu punnu ko apne sath lekar aayi hai to, kam se kam pahle uske khan eke liye kuch bana to de, fir apni taiyari puri kar lena.”
Anu mausi ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “mummy aapki baat sahi hai. Lekin mausi ne hume jaldi wapas aane ko kaha hai. Yadi mai punnu ke liye kuch banana me lag gayi to, mujhe wapas jaane me der ho jayegi. Isliye punnu ke liye jo bhi banana hai, aap hi bana lijiye.”
Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne kaha.
Anu mausi boli “chal thik hai. Mai hi iske liye garma garam aalu ke parathe bana deti hu. Tu apni taiyari puri kar le.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti waha se jaane ko huyi thi ki, tabhi maine anu mausi ko tokte huye kaha.
Mai bola “mausi aapko kisi baat ke liye pareshan hone ki jarurat nahi hai. Keerti ne aapko bataya nahi hai ki, abhi abhi hum sab log khana kha kar aa rahe hai. Aaj richa aunty ne mehul ke hath se mere liye tiffin bheja tha.”
“Un ne mehul ke tiffin me aalu ke parathe bhi bheje the. Mai wahi sab khakar aaya hu. Isliye aap is baat ko lekar jara bhi pareshan mat hoiye. Mujhe sach me kuch nahi khana hai.”
Meri baat sunkar, anu mausi ne khade hote huye kaha.
Anu mausi boli “tu chup kar, tujhe hamesha mere hath se bana kuch khane me problem hoti hai. Mai teri ek baat nahi sunne wali hu. Mai abhi tere liye garma garam pahode bana kar lati hu.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “mummy aapko ise jo bhi khilana hai, jaldi se bana kar khila dijiye. Ise humare sath jaldi wapas jana hai.”
Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne muskurate huye kaha.
Anu mausi boli “tu iski fikar mat kar, tu apni taiyari kar, tere taiyari hone ke pahle hi mere pakode ban kar taiyar ho jayege.”
Anu mausi ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me chali gayi. Uske jaane ke bad, anu mausi bhi kitchen me chali gayi. Anu mausi ke jaane ke bad, mausa ji ne mujhe baithne ko kaha to, mai bhi un logon ke sath baith gaya.
Bua ji ne mera haal chal puchha. Mai unhe apna haal chaal bata hi raha tha ki, tabhi mausa ji ne mujhe bich me tokte huye kaha.
Mausa ji bole “tumhari padai likhai ka kya chal raha hai. Suna hai ab tumne padai likhai me bilkul bhi dhyan dena band kar diya hai.”
Mausa ji ki baat sunkar, maine chaukte huye kaha.
Mai bola “meri padai likhai achi chal rahi hai. Mai kuch sabject me pichhad jarur gaya hu. Magar apne dost ke sath pad kar use milane ki koshish bhi kar raha hu.”
Meri baat sunkar, mausa ji ne mujhe dantte huye kaha.
Mausa ji bole “mujhse jhuth bolne ki koshish mat karo. Mujhe tumhare baare me sab pata hai, tumhe Mumbai aane jaane se fursat mile tab to tum apni padai par dhyan doge. Tumhara saara dhyan sirf Mumbai aane jaane par laga hua hai.”
Mausa ji ki ye baat sunkar, mujhe jhatka sa laga. Kyoki mausi jib hale mujhe do char khari khoti baat suna le. Magar mausa ji kabhi mujhe koi galat baat nahi kahte the. Lekin aaj wo sidhe mujh par Mumbai aane jaane ka iljam diye ja rahe the.
Unki ye baat jara bhi galat nahi thi ki, pichhle ek mahine se mujhe apni padai chhod kar baar baar Mumbai aana jana pad raha tha. Abhi ek baar fir mai Mumbai jaane wala tha.
Lekin iska matlab ye nahi tha ki, mai bekar me Mumbai aa ja raha hu. Mumbai me mujhe kaam hi aisa pad ja raha tha ki, mera Mumbai jana jaruri ho gaya tha. Is baat ko mausa jib hi ache se jante the.
Wo is baat ko bhi ache se jante the ki, is baar mai kisliye Mumbai ja raha hu. Unhe ye bhi achi tarah se pata tha ki, is baar vaani didi ne mujhe hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane ki ijajat di hai.
Iske bad bhi mausa ji ka mujhe ye iljam dena mujhe acha nahi laga tha. Isliye unka ye iljam sunkar, maine unhe apni safayi dete huye kaha.
Mai bola “mausa ji, aap mere baare me galat nahi kah rahe hai. Mujhe baar baar Mumbai me kaam pad raha hai. Isliye mujhe sach me apni padai chhod kar baar baar Mumbai jaana pad raha hai.”
“Abhi bhi mai hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane wala hu. Iske liye mujhe khud vaani didi ne ijajat di hai. Wo sab bahut ache log hai, isliye vaani didi chahti hai, hetal didi ki surgery ke samay par mai unke pas rahu.”`
Lekin meri is baat ko sunkar, bhi mausa ji ke upar meri di gayi safayi ka koi asar nahi hua. Un ne mere upar dusra iljam dete huye kaha.
Mausa ji bole “ye sab kuch mai nahi janta hu. Mai to bas itna janta hu ki, tum Mumbai ja jakar apni padai ka nuksan to kar hi rahe ho, sath hi apne sath ami nimi ko bhi Mumbai le jakar unki bhi padai ka nuksan karne me lage ho.”
Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhe jhatka sa laga. Un ne ami nimi ke Mumbai jaane ka iljam bhi mujh par hi de diya. Jise chah kar bhi mai nakar nahi sakta tha. Kyoki ami nimi to meri vajah se hi Mumbai ja rahi thi.
Yadi mai Mumbai nahi ja raha hota to, unhe bhi Mumbai jaane ka koi shauk nahi laga hota. Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhse kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai mausa ji ki in baton ka kya jabab du.
Bua ji, bade gaur se meri aur mausa ji ki baat sun rahi thi. Kamal bhi wahi baitha humari baten sunne me laga hua tha. Usne dekha ki, mausa ji mere upar iljam par iljam diye ja rahe hai to, usne mausa ji ki sabhi baton ka jabab dete huye kaha.
Kamal bola “papa, punnu bhaiya sabhi baten sahi kah rahe hai. Punnu bhaiya ke Mumbai jaane ki baat yahi par humare samne tay huyi thi. Vaani didi ne hi inhe Mumbai jaane ke liye kaha tha.”
“Sath hi ami nimi ko bhi vaani didi ne humare samne hi Mumbai jaane ki ijajat di thi. Sath hi punnu bhaiya ye bhi jhuth nahi kah rahe hai ki, wo abhi tak huyi apni padai ka nuksan apne dost ke sath pad kar pura kar rahe hai.”
Kamal ki baat sunkar, mausa ji use dekhne lage. Lekin uski aakhri ki baat sunkar, mai bhi chuke bina na rah saka. Wahi kamal ne apni baat puri karte huye mausa ji se kaha.
Kamal bola “punnu bhaiya ki apne dost ke sath padai karne wali baat mujhe khud inke dost ne batayi thi.”
Kamal ki ye baat sunkar mausa ji chaukte huye kaha.
Mausa ji bole “punnu ka dost ye sab baten tujhe kyo batane laga.”
Mausa ji ki baat sunkar, kamal ne unhe samjhate huye kaha.
Kamal bola “baat aisi hai ki, ek din mai apne teacher ke kaam se school ke samay par school se bahar ghoom raha tha. Usi samay punnu bhaiya ke dost aslam bhaiya bhi kisi kaam se school ke bahar aaye.”
“Unne mujhe apne doston ke sath school ke bahar ghumte dekha to, mujh par gussa karte huye kaha ki, aaj sham ko jab punnu mere pas padne aayega, tab mai use teri shikayat batauga ki, tu school ke samay par apne doston ke sath school ke bahar ghum raha tha.”
“Unki baat sunkar, maine unhe bata diya ki, mai aur mere dost teacher ke kaam se school ke bahar aaye hai. Tab jakar unhe meri baat par viswas hua. Lekin unki baat se mujhe itna pata chal gaya ki, punnu bhaiya sham ko unke pas padne jate hai.”
Kamal ki ye baten sunkar, bua ji ne bhi mausa ji ko samjhte huye kaha.
Bua ji boli “mujhe lagta hai ki, kamal sahi kah raha hai. Kam se kam is samay tumhe punnu ke Mumbai jaane ka bura nahi manna chahiye. Kyoki ise vaani ne Mumbai jaane ka kaha hai.”
“Tumhe kam se kam ek baar ise dekh lena chahiye ki, ye fir dobara koi bahana karke Mumbai jaane ki koshish to nahi kar raha hai. Tab tum ise khul kar bhala bura kah sakte ho.”
Bua ji ki baat sunkar, mai unhe gaur se dekhne laga. Un ne meri tarafdari me saari baten kah di thi, lekin ek baat bhi mausa ji ke khilaf nahi kahi thi. Unki baat sunkar, mausa ji ne kaha.
Mausa ji bole “chalo thik hai. Mai is baar is baat ka bura nahi manta hu.”
Ye kahte huye mausa ji uth kar khade ho gaye aur fir bua ji ko jata kar apne kamre me chale gaye. Unke jaane ke bad bua ji, bhi keerti ke kamre me jaane ka bol kar, humare pas se uth kar chali gayi. Bua ji ke jaate hi, maine kamal se kaha.
Mai bola “tu thoda yahi baith, mai anu mausi se ek jaruri baat karke aata hu.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “thik hai, mai yahi tumhara intejar karta hu.”
Kamal ki baat sunkar, mai kitchen me anu mausi ke pas aa gaya. Anu mausi garma garam pakode nikalne me lagi huyi thi. Un ne mujhe kitchen ke andar aate dekha to, hanste huye kaha.
Anu mausi boli “are tu yaha kyo aa gaya. Tu aaram se wahi baith na. Mera pakode banana bas ho hi gaya.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “mausi, mai aapke pas ek bahut hi jaruri kaam se aaya hu. Mai janta hu ki, mera wo kaam bas aap hi pura kar sakti hai.”
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya.
______________________________
Nice update 👍
 

Kuresa Begam

Member
243
711
108
Ko To Rok Lo {Update - 0258}
____________________________
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya. Ye dkh kar anu mausi ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “ab tu bahar jakar baith, mera pakode talna ho chuka hai. Mai abhi pakode lekar aati hu.”
Anu mausi ki baat sunkar, mai bahar kamre me kamal ke pas aa gaya. Mujhe aaya dekh kar kamal ne mujhse puchha.
Kamal bola “tum papa se naraj to nahi ho.”
Kamal ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “nahi, mai mausa ji se jara bhi naraj nahi hu. Magar meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, wo bekar me mujhe ye sab iljam kyo diye ja rahe hai.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “wo tumhe bekar me koi iljam nahi de rahe hai. Tumhe yaad hoga ki, parson mausa ji yahi par ruke the. Tum logon ke jaane ke bad, mai yahi par apni padai karne me laga tha.”
“Kuch der bad papa aur mausa ji apne kamre me jaane ke liye yaha aa gaye. Papa unhe jata kar apne kamre me jaane hi wale the ki, mausa ji ne papa se kaha ki, unhe papa se kuch jaruri baat karna hai.”
“Ye sunkar papa ruk gaye. Fir mausa ji ne hi papa se tumhari ye sab shikayaten ki hai. Mausa ji ne papa se tumhari Mumbai aane jaane ko lekar bahut saari shikayten ki hai.”
“Unko hi tumhare baar baar Mumbai jaane se aur apni padai par dhyan na dese se problem thi. Jis vajah se aaj papa ke samne tum aaye to, papa ne ye sab baten tumhare samne rakh di.”
Kamal ki ye baten sunkar, mai gaur se use dekhne laga. Is se pahle ki, kamal mujhse kuch aur kah pata, anu mausi pakode lekar aa gayi. Anu mausi ne abhi mere samne pakode rakhe hi the ki, tabhi keerti, neha aur bua ji bhi aa gayi.
Bua ji aakar humare pas baith gayi. Wahi keerti ne mere samne pakode rakhe to, fauran mere pas baithte huye, ek pakoda hath me utha kar kaha.
Keerti boli “aaha, garma garam pakode, ab to inhe khane ka bahut maja aayega.”
Ye kah kar keerti jaise hi pakoda khane ko huyi, anu mausi ne uske hath se pakoda chhinte huye kaha.
Anu mausi boli “ye sab maine tere khane ke liye nahi banaye hai. Ye punnu ke khan eke liye hai.”
Ye kahte huye anu mausi keerti ke hath se chhina hua pakoda wapas plate me rakh diya. Ye dekh kar neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne kunmunate huye kaha.
Keerti boli “are mummy, mujhe bhi khane do. Na jaane kitne din bad mujhe pakode khane ko mil rahe hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine bhi uska sath dete huye kaha.
Mai bola “mausi, keerti ko bhi pakode khane dijiye na. Usne sach me apni tabiyat ki vajah se bahut din ye sab chijen nahi khayi hai.”
Meri baat sunkar, mausi muskura kar rah gayi. Ye dekh kar keerti ne fauran do pakode uthaye aur ek pakoda neha ki taraf badate huye kaha.
Keerti boli “lo, tum bhi humare sath baith kar garma garam pakode khao, fir hum wapas chalte hai.”
Keerti ki baat sunkar, neha ne keerti se pakoda le liya aur uske pas aakar baith gayi. Fir hum sab mil kar pakode khane lage. Kuch hi der me hum sab ka pakode khana ho gaya.
Iske bad maine, keerti aur neha ne ko jataya ki, ab hum log ghar wapas ja rahe hai. Humari baat sunne ke bad, mausi ne kaha ki, wo bhi kuch der me bua ji, kamal aur mausa ji ke sath ghar pahuch rahi.
Mausi ki ye baat sunne ke bad, humne unse ijajat li aur fir hum teeno keerti ke bag ke sath ghar ke bahar aa gaye. Keerti ne scooty uthauyi aur neha ko baithaya. Neha ne keerti ka bag pakda aur fir keerti ne scooty aage bada di.
Maine bhi apni bike uthayi aur fir keerti logon ke sath ghar ke liye nikal pada. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty se neha ko utara aur scooty khadi karne lagi.
Uske scooty khadi karne ke bad, maine bhi apni bike khadi ki aur fir hum teeno ghar ke andar aa gaye. Hume ghar ke andar aate dekh ami nimi mujhe dhyan se dekhne lagi.
Unhe is tarah se apni taraf dekhta pakar mai unki baat ka matlab samajh gaya aur maine unhe dekh kar muskura diya. Wo bhi mere muskurane ka matlab samajh gayi ki, mausi ke pas mera kaam ban gaya hai.
Jise dekh kar wo bhi khush ho gayi. Hum sab chhoti maa aur ami nimi ke pas aakar baith gaye. Abhi hume ghar se niaklne me bahut samay baki tha aur abhi mujhe saxena uncle ke pas milne jana tha.
Isliye ab mai is baare me sochne laga. Kuch der sabke sath baithe rahne ke bad, maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, vaani didi humare yaha nikalne ke pahle mujhse saxena uncle se mil kar jaane ko kaha hai. Kya mai unse milne unke ghar chala jau.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “vaani ne tujhse kaha tha to, tujhe unse pahle hi mil lena chahiye tha. Ab humare yaha se nikalne ka samay ho raha hai. Isliye tu jaldi se jakar unse mil aa. Malum nahi, vaani ne kis jaruri vajah se tujhe unse milne ke liye kaha tha.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji chhoti maa, mai abhi saxena uncle se mil kar aata hu.”
Ye kah kar mai uth kar khada ho gaya. Mujhe saxena uncle ke ghar akela jaate dekh kar, keerti ne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, ye saxena uncle ke ghar me kisi ko janta nahi hai. Aisa karti hu ki, mai bhi iske sath chali jaati hu. Ise unse milne me problem nahi hogi.”
Keerti ki ye baat chhoti maa ko bhi sahi lagi. Isliye un ne keerti se kaha.
Chhoti maa boli “tu thik kah rahi hai. Tu iske sath chali ja au rise unse mila dena.”
Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi.”
Ye kah kar keerti mere sath saxena uncle ke ghar jaane ke liye taiyar khadi ho gayi. Ye dekh kar ami nimi thoda pareshan ho gayi. Unhe pareshan dekh kar maine ami nimi se kaha.
Mai bola “ami nimi, tumhara bhi to saxena uncle ke ghar aana jaana chalta rahta hai. Tum bhi mere sath chalo.”
Meri baat sunkar, ami nimi ne mere sath jaane ke liye khade hote huye kaha.
Ami boli “ji bhaiya.”
Nimi boli “hum log waha sabko jante hai. Hum aapke sath chalet hai. Taki aapko saxena uncle se milne me koi pareshani na ho.”
Ye kahte huye ami nimi bhi mere sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Fir mai ami nimi aur keerti ke sath saxena uncle ke ghar ke liye nikal gaya. Hum log saxena uncle ke ghar pahuche to, gate par ek security guard khada tha.
Keerti aur ami nimi ko dekh kar, usne fauran gate khol diya aur hum log andar aa gaye. Keerti ne gate ke andar kadam rakhte huye kaha.
Keerti boli “itne samay to saxena uncle ghar par rahte nahi hai. Tum unse miloge kaise.”
Mai bola “ye to, unke ghar ke andar pahuch kar hi pata chal sakega ki, unse kaise mila ja sakta hai.”
Meri baat sunkar, keerti mujhe unke ghar ke andar le jane lagi. Kuch hi der me hum saxena uncle ke ghar ke drawing room me the. Us room me is samay mujhe dipti aur tripti najar aa rahi thi.
Dipti to, mujhe ghar me dekh chuki thi. Isliye mujhe pehchanti thi. Lekin tripti ke samne mai aaj pahli baar aa raha tha. Lekin mai jarur tripti ko do baar dekh chuka tha. Ek baar maine use hospital me dekha tha.
Us samay wo wheelchair me hospital me kisi ko milne ja rahi thi. Us samay wo bahut hi masoom aur pyari dikh rahi thi. Use wheelchair me dekh kar mujhe uske sath hamdardi hone lagi thi.
Fir bad dusri baar maine use uske ghar ki chhat par dekha. Tab mujhe keerti se pata chala ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Keerti se hi mujhe pata chala ki, wo hospital me chanda mausi ko dekhne gayi thi.
Is tarah tripti ko to mai achi tarah se pehchanta tha ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Lekin tripti se mera samna kabhi nahi hua tha aur na hi usne kabhi mujhe dekha tha.
Is samay bhi tripti wheelchair me hi baithi koi book padne me lagi huyi thi. Uske pas hi dipti baithi painting banane me lagi huyi thi. Humne drawing room me kadam rakha to, hume apne ghar aaya dekh kar, dipti ne khush hote huye kaha.
Dipti boli “keerti didi, aap yaha. Ami nimi tum itne samay yaha kaise. Aao na baitho.”
Ye kah kar wo hum sab se baithne ki kahne lagi. Dipti ki baat sunkar, hum sab uske sath hi wahi baith gaye. Wahi tripti bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Wo shayad mujhe pehchanne ki koshish kar rahi thi ki, mai kaun hu. Idhar humare baithte hi, dipti ne keerti se puchha.
Dipti boli “kya hua didi. Kya aap log kisi jaruri kaam se humare ghar aayi hai.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne uski baat ka jabab dete huye kaha.
Keerti boli “haan dipti, is samay hum tumhare ghar bahut hi jaruri kaam se aaye hai. Vaani didi ne hum logon ke juhi didi ki shadi me jaane se pahle punit ko saxena uncle se jaruri milne ko kaha hai.”
Keerti ki baat sunkar, dipti ne kuch sochte huye kaha.
Dipti boli “lekin didi, papa to office gaye hai aur ab wo sham ko hi wapas aayege.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo baat to mujhe bhi malum hai. Lekin ab iske liye kiya kya ja sakta hai.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne pahli baar apni khamoshi todte huye apna muh khola. Wo dekhne me jitni masoom aur pyari dikhti thi. Uski aawaz bhi utni hi mithi thi. Uske apne muh se kuch bolte hi, mere kaano me shahad sa ghulne laga tha. Usne keerti ki baat sunne ke bad, apni pyari si aawaz me keerti se kaha.
Tripti boli “keerti, vaani didi ne inhe yadi papa se jaruri milne ko kaha hai to, tum inhe papa ke office kyo nahi bhej deti ho. Waha par ye papa se bahut aaram se mil sakege aur tumhe bhi inke sath pareshan nahi hona padega.”
Tripti ki baat sunkar, dipti chauk kar tripti ko dekhne lagi. Fir usne tripti ka hath hilate huye kaha.
Dipti boli “didi, ye aap kya kahe ja rahi hai. Kya aap inhe janti nahi hai. Ye ami, nimi, keerti didi aur vaani didi ke bhai punit hai. Maine aur ami, nimi ne aapko punnu bhaiya ke baare me kitna kuch to, bataya hai.”
Dipti ki baat sunkar, tripti mujhe gaur se dekhne lagi. Fir usne sharminda hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “sorry keerti, maine punit ko pehchana nahi tha. Lekin tumhe to batana chahiye tha ki, tum kise papa se milane ke liye layi ho.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne tunakte huye kaha.
Keerti boli “ye lo, mai kab se to tum logon ko bata rahi hu ki, vaani didi ne punit ko saxena uncle se milne ko kaha hai. Kya tum punit ka naam tak nahi janti ho. Maine iska naam tumhe bataya to tha.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne jhijhakte huye kaha.
Tripti boli “nahi, aisi baat nahi hai. Tumne aur vaani didi ne mujhe punit naam bataya tha. Lekin mere dhyan se punit naam nikal gaya. Ami, nimi aur dipti inhe punnu bhaiya kahti rahti hai, isliye mere dimag me bas yahi naam rah gaya tha.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab to tumhe sab malum pad gaya. Ab to tum batao ki, is baare me kya karna chahiye.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne kaha.
Tripti boli “tum chinta mat karo, mai abhi papa ko call laga kar is baare me baat karti hu.”
Ye kahte huye, tripti ne dipti se apna mobile utha kar dene ko kaha to, dipti ne tripti ka mobile utha kar use de diya. Tripti ka mobile uske hath me aate hi, usne saxena uncle ko call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, tripti ne kaha.
Tripti boli “hello papa, maine ek bahut hi jaruri kaam se aapko call lagaya hai.”
Dusri taraf se job hi kaha gaya. Uske bad tripti, saxena uncle ko hum sabke aane ki baat batane lagi. Usne unhe humare aane ki saari baat batayi aur fir unki baat sunne lagi. Fir kisi baat ke liye usne acha thik hai kah kar call kaat diya. Saxena uncle ka call rakhne ke bad tripti ne khush hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “papa thodi der me ghar aa rahe hai. Fir aakar wo punit se baat karte hai.”
Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.
Abhi tak tripti ko wheelchair me dekh kar aur uske kharab pair dekh kar mujhe uske sath hamdardi hoti thi. Lekin mere man me abhi tak ye khayal nahi aaya tha ki, tripti ke ye pair kharab kaise ho gaye.
Lekin aaj uske masoom se chehre ko muskurate huye dekh kar mere man me is baat ko janne ki utsukta aa gayi ki, aakhir tripti ke pair kharab kaise huye hai. Mai inhi sab baton ko soch raha tha ki, tabhi tripti ne dipti ko tokte huye dhire se uske kaan me kuch kaha.
Jiske bad dipti hum sab ke pas se uth kar andar chali gayi. Uske jaane ke bad tripti wapas keerti aur ami nimi se baten karne lagi. Kuch der bad dipti andar se haste huye aayi aur aakar wapas humare pas baith gayi.
Abhi un logon ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi saxena uncle aa gaye, wo aakar humare pas baithe to, keerti ne mera parichay unse karwaya. Mera parichay pakar saxena uncle ne khush hote huye kaha.
Saxena uncle bole “sorry, iske pahle mai tumse kabhi mil nahi paya. Lekin vaani apne bhai punit roy ki bahut tarif karti hai. Wo tumhari tarif karti huyi thakti nahi hai. Uska ye abhimaan kabhi tutne mat dena.”
Saxena uncle ke muh se ye sab baten sunkar mai khud samajh nahi pa raha tha ki, mai unse kya kahu. Mai nahi janta tha ki, vaani didi ne saxena uncle se mere baare kya kaha hai.
Magar itna to samajh gaya tha ki, vaani didi ne saxena uncle se meri dil khol kar tarif ki hai. Mai vaani didi ki in tarifo ke layak tha bhi ya nahi tha, ye mai nahi janta tha.
Lekin itna jarur janta tha ki, mai vaani didi ko bahut jyada pyar karta tha. Isliye kabhi unke dil ko thes pahuchana pasand nahi karta tha aur na hi aisa kisi ko unke sath karne deta tha.
Mai abhi apni inhi sab uljhanon me uljha hua tha ki, tabhi saxena uncle ne mujhe tokte huye kaha.
Saxena uncle bole “haan to batao, vaani ne tumhe mujhse kyo milne ko kaha hai.”
Saxena uncle ki baat sunkar, mai apni unse milne ki vajah batane laga. Meri ye baten sunkar, ami nimi ko is se koi jhatka nahi laga. Lekin keerti jarur mujhe ghoor kar dekhne lagi.
Mai apni probem saxena uncle ko bata raha tha aur wo bade gaur se meri baten sun rahe the. Maine apni saari baat saxena uncle ke samne rakhne ke bad unhe juhi didi ke sasural walon ki aur unke mama ki jaankari dete huye kaha.
Mai bola “uncle ye juhi didi ki sasural walon aur unke mama ki saari jaankari hai.”
Meri di huyi wo jaankari dekh kar saxena uncle ne kaha.
Saxena uncle bole “ye tumne bahut sahi kaam kiya. Ab tumhara saara kaam aasani se ho jayega. Tum chinta mat karo. Hum juhi ke sasural walon ko aisa dabochege ki, ye shadi khud-ba-khud toot jayegi.”
“Juhi ke mama ki bhi hum achi khabar lege. Unhe juhi ke sath kiye gaye bure saluk ka pura maja chakhayege aur juhi ki car bhi unse wapas lekar aayege. Tum kisi baat ki chinta mat karna.”
“Sab kaam apne samay par ho jayega. Mai abhi apne officer is kaam ke liye laga deta hu. Tumhare Durgapur pahuchte hi, tumhe achi khabar milna suru ho jayegi. Tum befikar hokar Durgapur jao.”
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.
______________________________
Nice update 👍
 

Kuresa Begam

Member
243
711
108
Ko To Rok Lo {Update - 0259}
____________________________
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi. Ami nimi bhi keerti ke gusse ko samajh gayi thi. Isliye ami ne dhire se mujhse kaha.
Ami boli “bhaiya, lagta hai keerti didi, juhi didi ki shadi tudwane wali baat ko dekh kar naraj ho gayi hai. Aap hi unhe kuch samjhaiye.”
Mujhe bhi ami ki ye baat sahi lagi. Lekin ab hum ghar ke bahar tak pahuch chuke the. Isliye is se pahle ki keerti ghar ke andar jati, maine aage bad kar uske pas aakar use rokte huye kaha.
Mai bola “tu jara yahi ruk, mujhe tujhse kuch jaruri baat karna hai.”
Meri baat sunkar, keerti ghar ke bahar hi ruk gayi. Is samay hum log ghar ke porch me khade huye the. Keerti gusse me meri taraf dekh nahi rahi thi. Isliye maine uske samne aate huye kaha.
Mai bola “kya tu mujhse juhi didi ki shadi tudwane wali baat ko lekar naraj hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne gusse me mere upar bhadakte huye kaha.
Keerti boli “tumhe ye sab karne ki kya jarurat thi. Tum jante nahi ho, jab ye baat mausa ji aur mausi ko pata chalegi to, wo tum par kitne jyada naraj hoge.”
Mai bola “dekh, in sab baton ke pahle tujhe juhi didi ke baare me bhi sochna chahiye. Tum sab mil kar unke sath kitna galat kar rahe the. Yadi samay par vaani didi ne mera sath nahi diya hota to, tum sabne milkar juhi didi ki jindgi hi barbad kar di thi.”
Meri baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “jaisa tum soch rahe ho aisa kuch bhi nahi hai. Ye geeta aunty ke ghar ka mamla hai aur wo is mamle me kisi baat sunne ko taiyar nahi thi. Hum sab bhala unke ghar ke mamle me kaise dakhal de sakte the.”
Keerti ki ye baat sunkar maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “dekh, mujhe is sab se koi matlab nahi hai. Magar mai tujhe kisi baat se naraj nahi rakh sakta hu. Meri khatir tu is mamle me juhi didi ke khilaf rahna chhod de aur is sab me mera sath de.”
Meri baat sunkar, keerti ka gussa aansuon me badal gaya aur uski aankhon me aansu jhilmilane lage. Wo aage bad kar mere gale se lag gayi aur uski aankhon se aansu bahne lage. Maine use chup karwate huye kaha.
Mai bola “dekh, tujhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Mai sab sahi kar luga. Tu bas mere sath rah.”
Meri baat sunkar bhi keerti ke aansu rukne ka naam nahi le rahe the. Ye dekh kar ami ne aage bad kar keerti se kaha.
Ami boli “didi, aap bekar me ro rahi hai. Juhi didi ke sath kuch galat nahi hoga. Bhaiya sahi kah rahe hai. Wo sab sahi kah rahe hai.”
Ami ki baat sunkar, keerti ne ek najar ami ko dekha aur fir na jaane kya soch kar mere gale se alag huyi aur ami ke gale se lipat kar rone lagi. Nimi ne ye dekha to, usne fauran keerti ke samne aakar kaha.
Nimi boli “didi, aap bilkul bhi chinta mat karo. Juhi didi ki shadi toot jayegi.”
Nimi ki ye baat sunkar, keerti ne ek najar nimi ko dekha aur fir ami ko chhod kar nimi se lipat gayi. Nimi se lipat kar usne foot foot kar rona suru kar diya. Keerti ka ye rona nimi ki samajh me nahi aaya.
Wo to ami ki tarah keerti ko chup karane uske samne aayi thi. Lekin usne keerti ko aur bhi jyada rula kar rakh diya tha. Ye dekh kar nimi meri aur ami ki taraf dekhne lagi. Keerti ko is tarah se rote dekh kar, maine us se kaha.
Mai bola “dekh, tera rona hum se kisi ko bhi acha nahi lag raha hai. Maine kaha na ki, tujhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Sab thik hoga. Bas tu mera sath deti rah. Fir tu kisi baat ka pachhtawa kyo kar rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne apne aansu ponch kar khade hote huye kaha.
Keerti boli “kya, mere tumhara sath dene se ye baat khatam ho jayegi ki, maine juhi didi ke sath bahut bura saluki kiya hai. Unki najar me to, ye baat waisi ki waisi hi rahegi. Wo to hamesha mujhe galat manti rahegi.”
Keerti ki baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “nahi, aisa kuch nahi hoga. Mai sab sambhal luga aur tere upar koi baat nahi aane duga. Meri yadi tujhse is baare me baat huyi hoti to, tune khud mujhe ye sab baten bata di hoti. Bas isi baat ko sach maan aur mera sath de. Baki ki baten apne dimag se nikal de.”
Meri baat sunkar, keerti mera chehra gaur se dekhne lagi. Shayad wo meri is baat par yakin karna chahti thi. Keerti ko is tarah se dekh kar ami ne fir us se kaha.
Ami boli “didi, aap ye sab baten mat sochiye aur sirf bhaiya ka sath dijiye. Dekhiye fir kaise sab thik nahi ho jata hai.”
Ami ki baat sunkar, keerti ne apna chehra saaf karte huye kaha.
Keerti boli “thik hai, mai tum logon ke sath hu. Ab batao aage mujhe kya karna hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “hume abhi ye baat kisi ko pata nahi chalne dena hai. Abhi aniruddha, niranjan aur manik bhi humare sath jaane ke liye aane wale hai. Vaani didi ka kahna hai ki, hume waha unki jarurat pad sakti hai.”
“Isliye wo teeno humare sath hi jayege. Unke mobile number mehul ke pas hai. Mujhe mehul se unke mobile number lena hai. Lekin use bhi abhi is sab ke baare me kuch pata nahi chalna chahiye. Taki ye baat aage chal kar uske upar na aaye.”
Meri baat sunkar, keerti ne is baat ki haami bharte huye kaha.
Keerti boli “thik hai, aisa hi hoga. Ab hume ghar ke andar chalna chahiye. Ghar me sab humare wapas aane ka intejar kar rahe hoge.”
Keerti ki is baat ki sahmati hum sabne di aur fir hum sab keerti ke sath ghar ke andar aa gaye. Hum ghar pahuche to, ghar me is samay anu mausi, mausa ji, kamal, bua ji, richa aunty, uncle, aur mehul sabhi log aa chuke the.
Lekin inke alawa hume waha nitika aur mohini aunty bhi najar aa rahi thi. Wo neha ke sath baten kar rahi thi. Hum logon ko wapas aaya dekh kar, chhoti maa ne mujhse kaha.
Chhoti maa boli “kya hua. Tum logon ka saxena ji se milna ho gaya.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi, punnu ka saxena uncle se milna ho gaya hai. Ab aap bataiye hume yaha se kab nikalna hai.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “abhi hume yaha se nikalne me bahut samay hai. Pahle tum log mohini aunty se mil lo, wo kab se tum logon ka saxena ji ke yaha se wapas aane ka rasta dekh rahi thi.”
Chhoti maa ki baat sunkar hum sab mohini aunty se milne lage. Hum sab logon ka haal chaal puchhne ke bad mohini aunty chhoti maa se baat karne lagi aur neha nitika se baat karne me lagi thi. Ye dekh kar maine keerti se puchha.
Mai bola “kya humare sath juhi didi ki shadi me nitika aur mohini aunty bhi ja rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “haan, mausi ne priya ki vajah se mohini aunty aur nitika ko bhi apne sath le jana sahi samjha tha. Isliye mohini aunty aur nitika bhi humare sath juhi didi ki shadi me ja rahi hai.”
Abhi keerti apni baat bol kar chup huyi thi ki, tabhi ami ne keerti ki adhuri baat ko pura karte huye kaha.
Ami boli “wo Mumbai me priya ne mummy se kaha tha ki, nitika didi uski chacheri bahan hai aur wo aapke shahar me hi rahti hai. Kya aap use bhi meri tarah hi apna pyar degi.”
“Tab mummy ne priya se kaha tha ki, wo yaha nitika ka pura khayal rakhegi. Isliye jab sab juhi didi ki shadi me jaane lage to, mummy ne nitika didi aur mohini aunty ko bhi apne sath le jana thik samjha.”
Maine ami ki baat suni to, mujhe kuch acha sa nahi laga. Wo abhi bhi priya ko naam se hi bula rahi thi. Usne nitika to, didi kaha tha. Lekin priya ko didi kahna jaruri nahi samjha tha.
Lekin is samay us se is baare me kuch kahne ka koi matlab nahi tha. Magar priya ka naam samne aane ki vajah se mera man us se baat karne ka karne laga tha. Aaj Mumbai me hadsa ho jaane ke bad bhi maine waha kisi ko call nahi kiya tha.
Isliye yaha se nikalne se pahle mera Mumbai me sabse baat kar lena bahut jaruri tha. Yahi soch kar maine keerti aur ami nimi se kaha.
Mai bola “aaj Mumbai me itna bada hadsa ho jane ke bad bhi, abhi tak maine waha kisi ko call laga kar baat nahi ki hai. Mujhe abhi tak Mumbai me kisi ko call lagane ka mauka hi nahi mila hai.”
“Abhi yaha sab baten karne me lage huye hai. Acha yahi hoga ki, mai apne kamre me jakar Mumbai me sabse thoda bahut baat kar lu. Fir yaha se humare nikalne par mera un sabse baat karna itni aasani se nahi ho payega.”
Meri ye baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “thik hai, lekin pahle mehul se wo sab mobile number to le lo.”
Mai bola “wo, mai wapas aakar le luga. Abhi mera Mumbai me sabse baat karna bahut jaruri hai.”
Meri baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo thik hai, jaldi wapas aana.”
Mai bola “tum fikar mat karo, mujhe jyada samay nahi lagega.”
Ye kah kar mai upar apne kamre me jaane ko hua ki, tabhi ami ne mujhe tokte huye kaha.
Ami boli “bhaiya kya mai bhi aapke sath chalu. Mujhe bhi Mumbai me shikha didi aur barkha didi se baat karna hai.”
Ami ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “betu, ye bhi koi puchhne ki baat thi. Tujhe shikha didi aur barkha didi se baat karna thi to, mujhe pahle bata deti. Mai teri baat unse pahle hi kara chuka hota. Chal koi baat nahi, hum chal kar pahle shikha didi aur barkha didi se hi baat kar lete hai.”
Meri baat sunkar, nimi ne kaha.
Nimi boli “bhaiya, mujhe bhi Mumbai me shikha didi aur barkha didi se jaruri baat karna hai.”
Mai nimi ki aadat ache se janta tha, isliye uski baat sunkar maine us se puchha.
Mai bola “tujhe Mumbai me shikha didi aur barkha didi se kya jaruri baat karni hai.”
Meri baat sunkar, nimi ne bade hi bholepan se kaha.
Nimi boli “bhaiya, wo mai Mumbai ja rahi hu to, shikha didi aur barkha didi ko batana tha ki, mai is baar bhi Mumbai ghumugi.”
Nimi ki ye baat sunkar, maine nimi ko goor kar dekhte huye kaha.
Mai bola “chhoti, ye kya hai. Pichhli baar humne tujhe puri Mumbai to ghuma di. Tu is baar fir Mumbai ghumne ki baat karne lagi.”
Meri baat sunkar, nimi ne bade bholepan se kaha.
Nimi boli “wo mujhe lagta hai ki, abhi maine puri Mumbai ache se nahi ghumi hai. Isliye is baar puri Mumbai ache se ghoom lugi.”
Nimi ki baat sunkar, ami ne us par gussa jatate huye mujhse kaha.
Ami boli “bhaiya, ye har baar yahi sab karti rahti hai. Hum Mumbai hetal didi ki surgery ke liye ja rahe hai aur ye yahi se barkha didi ko Mumbai ghumane ke liye pareshan karne ki taiyari kar rahi hai. Aap ise mana kyo nahi karte hai.”
Is se pahle ki mai ami ki is baat ka koi jabab de pata. Keerti ne ami ko samjhate huye kaha.
Keerti boli “tum log nimi ke chakkar me kyo pad rahe ho. Wo Mumbai walon ko Mumbai pahuchne ke bad hi pareshan kar sakegi. Lekin yaha par apni baton se usne tum logon ko Mumbai baat karne se rok diya hai.”
“Isliye meri baat mano to, tum log nimi ki baat me ulajhne ki jagah, Mumbai baat kar lo. Yadi yaha nimi ko apni baat samjhate rahe to, wo pure samay apni baat hi tumhe samjhati rahegi.”
“Lekin tumhari baat ka hal yahi niklega ki, nimi to tumhari baat samajh jayegi. Lekin tumhare pas khud apni baat samajhne ke liye kuch nahi bachega. Tum Mumbai baat nahi kar paoge.”
Keerti ki ye baat mujhe sahi lagi aur fir mai bina kisi vivid me pade ami nimi ke sath apne kamre me aa gaya. Apne kamre me aate hi maine barkha didi ko call laga diya. Mera call jate hi barkha didi ne fauran mera call uthate huye kaha.
Barkha didi boli “kya hua, tum to aaj shadi me jaane wale the.”
Mai bola “ji didi, bas wahi jaane ki taiyari chal rahi hai. Lekin aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se aapse baat karna jaruri laga. Aap sab log thik to hai na.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “tum chinta mat karo, yaha sab bilkul thik hai. Mumbai me chal rahi firing ki vajah se aaj saari Mumbai band hai aur sab apne apne gharo me chhutti mana rahe hai.”
“Yaha bhi aaj sab ghar par hi hai. Tum batao, tumhari shadi me jaane ka kya hua. Shadi me jaane ke liye kab nikal rahe ho. Ami nimi kaisi hai. Wo to shadi me jaane ke naam se bahut khush hogi.”
Barkha didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “didi, hum logon ki shadi me jaane ki saari taiyati puri ho chuki hai aur hum log 2-3 ghante me shadi me jaane ke liye nikal jayege. Ami nimi bhi shadi me jaane ki baat ko lekar bahut khush hai.”
“Magar waha jaane se pahle wo aapse aur shikha didi se baat karna chahti hai. Is samay wo dono mere sath hi hai.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne mujh par gussa karte huye kaha.
Barkha didi boli “ye baat tumne mujhe pahle kyo nahi batayi. Pahle ami nimi ko call do, mai pahle unse baat karugi.”
Barkha didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji didi, mai abhi ami nimi ko call deta hu. Ye lijiye aap ami nimi se baat kijiye.”
Ye kahte huye maine ami ki taraf mobile bada diya. Ami nemujhse mobile liya aur fir barkha didi se baat karte huye kaha.
Ami boli “hello didi, aap kaisi hai.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “mai achi hu. Ye batao tum kaisi ho. Nimi kaisi hai.”
Ami boli “didi, mai bhi achi hu aur nimi bhi achi hai. Bas aaj Mumbai ki baat suni to, aapse baat karne ka man kar raha tha.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “tumne call karke bahut acha kiya. Mujhe bhi aaj tum logon ki bahut yaad aa rahi thi.”
Barkha didi ki baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “didi, kya shikha didi bhi aapke pas hai. Mujhe unse bhi baat karna hai.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “nahi, shikha didi mere pas nahi hai. Wo abhi bahar drawing room me sabke sath baithi hai. Mai abhi apne kamre me hu. Lekin tum fikar mat karo, mai abhi unse tumhari baat karwati hu.”
Ye kahte huye barkha didi, ami ki baat shikha didi se karwane ke liye drawing room chali gayi. Waha aakar un ne shikha didi se ami ki baat karwayi. Ami ne shikha didi ka haal chal puchha.
Shikha didi se thodi bahut baat karne ke bad, nisha bhabhi, seeru didi, selu aur aru se bhi ami ki baat huyi. Ami ke bad nimi ki bhi shikha didi, barkha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru se baat huyi.
Ami nimi ke bad meri bhi thodi bahut shikha didi, nisha bhabhi, barkha didi, seeru didi, selu didi aur aru se baten huyi. Barkha didi se baat puri hone ke bad, maine call rakh diya. Barkha didi ka call rakhne ke bad, maine ami nimi se kaha.
Mai bola “tum dono ka Mumbai baat karna ho gaya hai ya abhi tum logon ko priya se bhi baat karke waha ka bhi haal chaal lena hai.”
Meri baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “nahi bhaiya, humara Mumbai baat karna ho gaya hai. Hum log niche ja rahe hai. Aap jaldi niche aana.”
Ye kah kar ami niche jaane ke liye uth kar khadi ho gayi. Use niche jaane ke liye khada hote dekh kar nimi bhi uth kar khadi ho gayi. Fir dono mujhe jata kar niche chali gayi.
Mai ami ki aaj ki harkat ka matlab samajh gaya tha. Use aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se waha shikha didi, barkha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru in sab ki chinta thi. Isliye usne inhe call karke inka haal chaal puchha.
Lekin priya ke liye uske dil me jara bhi jagah nahi thi. Isliye usne priya se baat karke uska haal chaal lene ki koi jarurat nahi samjhi. Yaha tak ki priya ki vajah se usne nikki se bhi baat karna jaruri nahi samjha tha.
Abhi ami nimi ek baar fir Mumbai jaane wali thi aur ami ka samna ek baar fir priya se hone wala tha. Priya ki tabiyat is baar bilkul sahi thi aur wo ami nimi ke sath samay bitane ki koshish kar sakti thi.
Lekin wo ye nahi janti thi ki, ami nimi uski bahan hai. Jisme se ami priya ko jara bhi pasand nahi karti hai. Ami nimi dono shikha didi aur barkha didi ke itne karib hai ki, unhe Mumbai me kisi bhi baat ke liye priya ki jarurat hi nahi padni hai.
Kabhi yadi ye baat priya ke samne khulti hai ki, ami nimi uski bahan hai to, us samay use ami ke bartav se thes pahuchna bhi lagbhag tay chal raha hai. Ami is baat ke liye puri tarah se taiyar chal rahi hai.
______________________________
Nice update 👍
 

NightHunter

Member
199
405
63
Ko To Rok Lo {Update - 227}
____________________________

Ami boli “didi, mujhe bhi aalu aur chapati khana hai.”

Ami ki ye baat sunkar, keerti ne use samjhate huye kaha.

Keerti boli “ami, is khane me jara bhi mirch masala nahi hai. Ye tumhe bilkul acha nahi lagega. Tum ise mat khao.”

Keerti ki is baat par ami ne ne us se ulta sawal karte huye kaha.

Ami boli “yadi ye khana acha nahi hai to, fir bhaiya is khane ko kyo kha rahe hai.”

Keerti boli “ami, wo kya hai ki, mujhe ye khana jara bhi acha nahi lagta hai aur mai is khane ko khane me bahut na nukur karti hu. Isliye punnu mere sath dene ke liye ye khana kha raha hai. Taki mai khushi khushi ye khana kha saku.”

Keerti ki is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “thik hai didi, fir mai bhi aapka sath dene ke liye ye khana khana chahti hu. Mujhe bhi ye khana do na.”

Keerti ami ko samjhane ki bahut koshish karti rahi. Lekin jab ami nahi maani to, keerti ne ami ko bhi aalu aur chapati khane ke liye de diye. Lekin ab keerti khana khate huye nimi ko dekh rahi thi.

Kuch der bad, nimi ki najar mere aur ami ke khane par pad gayi. Wo thodi der tak mere aur ami ke khane ko gaur se dekhti rahi. Fir achanak hi uski aankhon me aansu jhilmilane lage aur usne rona suru kar diya.

Nimi ko achanak se rote dekh kar, sabka dhyan uski taraf chala gaya aur sab hairani se nimi ko dekhne lage. Wo vaani didi ke bagal me baithi thi. Isliye vaani didi us se rone ki vajah puchhne lagi.

Nimi ka rona sunkar, mera dhyan bhi barkha didi ki baton se hat gaya. Mai fauran khana chhod kar nimi ke pas aaya aur us se uske rone ki vajah puchhne laga. Lekin wo kuch bol nahi rahi thi aur bas sisakti hi ja rahi thi.

Nimi ki is harkat ne sabko pareshani me daal diya tha. Keerti to nimi ki harkat pahle se hi dekh rahi thi. Usne jab sabko nimi ki vajah se pareshan hote dekha to, usne sabki is pareshani ko door karte huye kaha.

Keerti boli “nimi ko kuch nahi hua hai. Use bas is baat ka bura laga hai ki, punnu aur ami ek sa khana kha rahe hai. Lekin use alag sa khana diya gaya hai.”

Keerti ki baat sunkar, pahli baar mera dhyan ami ke khane ki taraf gaya. Ami ke khane me aalu aur chapati dekh kar, mere sath sath baki sabko bhi saara majra samajh me aa gaya. Maine nimi par thoda gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, ye kya hai. Yadi tujhe bhi aalu chapati khana thi to, ami didi ya keerti didi se maang li hoti. Iske liye rone ki kya jarurat thi. Kya hum tujhe ye khane se mana karte.”

Lekin nimi ne meri ye baat sunte hi, mere upar hi gusse me bhadakte huye kaha.

Nimi boli “jao, aap gande ho. Aap ami didi ko bas pyar karte ho, mujhe pyar nahi karte. Mujhe aap se koi baat nahi karni.”

Nimi ki ye baat sunkar, mujhe hansi aa gayi. Maine pyar se use manate huye kaha.

Mai bola “chhoti, tu puri pagal hai. Are maine ami ko ye khana nahi diya hai. Usne khud hi ye khana liya hai. Mujhe to iske baare me kuch pata hi nahi. Lekin tujhe bhi ye khana khana hai to, mai apni pyari nimmo ko khud apne hath se khana duga.”

Ye kahte huye maine aalu aur chapati utha kar nimi ki plate me rakh di. Ye dekhte hi nimi khush hokar muskurane lagi aur usne khana suru kar diya. Uski is harkat par sab hasne lage.

Bachpan se aisi hi thi meri nimmo. Gussa uski naak par, aansu uski aankhon me aur muskan uske hothon par pal bhar me hi aa jaya karti thi. Wo chahe kitni bhi naraj rahe. Lekin mere manate hi faruan maan jaya karti thi.

Aisa hi kuch abhi bhi hua tha. Mere manate hi, wo fauran maan gayi thi. Uski jagah yadi ami kisi baat par mujhse naraj huyi hoti to, fir use manana jara bhi aasan nahi tha.

Ami bachpan se meri chaheti thi aur use apni koi bhi baat manwane ke liye mujhse kabhi dusri baar nahi bolna padta tha. Mai pahli baar me hi uski har baat maan leta tha.

Iski vajah ye thi ki, ami bahut shant swabhav ki hone ke sath sath kabhi koi galat maang nahi karti thi. Uske umar ke bachchon ke muakable me uski har baat me samajhdari jhalakti thi.

Jis vajah se mai khud hi uski baat maan leta tha. Isliye use apni baat manwane ke liye kabhi jid karne jarurat hi nahi padi thi ya yun kah lo ki maine use jid karne ka mauka hi nahi diya tha.

Lekin yadi ami ke muh se kabhi kisi baat ke liye na nikal jaye to, fir uske muh se us baat ke liye haan kahlwana namumkin hi hota tha. Lekin uski sabse badi khasiyat ye thi ki, wo mujhse kabhi naraj nahi hoti thi.

Meri dono bahno me meri jaan basti thi aur mai hamesha unhe khush rakhne ki koshish karta tha. Yahi vajah thi ki, mai chah kar bhi priya ke mamle me ami ko kuch samjhane ki himmat nahi kar pa raha tha.

Yaha nimi ke khana khana suru karte hi baki sab bhi baat karte huye khana khane lage. Mai bhi wapas apni jagah par aakar baith gaya aur khana khate huye barkha didi se baat karne laga.

Barkha didi ne puchha ki, waha kya hua to, mai unhe nimi ki harkat ke baare me batane laga. Barkha didi bhi waha sabke sath khana kha rahi thi. Un ne nimi ki harkat ke baare me suna to, wo waha sabko nimi ki harkat batane lagi.

Jise sunkar waha par bhi sab hasne lage. Aise hi baat karte karte yaha aur waha dono jagah sabka khana khana ho gaya. Humara khana khana pura hote hi papa aur mausa ji uth kar drawing room me chale gaye.

Lekin meri abhi bhi barkha baat chal rahi thi. Fir barkha diid ne shikha didi ko call de diya to mai shikha didi se baat karne laga. Maine unko yaha ke sab logon ka haal chal diya aur fir unse puchha.

Mai bola “didi, priya ki vajah se aapko surat yaha wapas aana pad gaya tha. Lekin ab to priya ki bhi chhutti ho chuki hai aur hetal didi ki bhi surgery ho chuki hai. Ab aap surat kab ja rahi hai.”

Shikha didi boli “bhaiya, abhi jab tak hetal didi hospital me hai. Tab tak mera surat jana mushkil hai. Lekin aaj dhiru uncle ka phone aaya tha. Wo kah rahe the ki, kal ek jaruri meeting hai.”

“Isliye ye jarur kal surat ja rahe hai. Ab ye hetal didi ki dusri surgery ke samay par hi yaha aayege. Waise hetal didi aapko bhi us samay bulane ki baat kar rahi thi. Kya aap bhi unki surgery ke samay par aaoge.”

Mai bola “didi, hetal didi ne bhi mujhse ye baat boli thi aur maine unse aane ka haan bhi kah diya tha. Lekin meri padai ka bahut nuksan ho chuka hai. Isliye ab pata nahi ki, chhoti maa mujhe waha aane ki ijajat deti hai ya nahi deti.”

Shikha didi boli “haan, ye baat to hai. Aapka pura mahina hospital-hospital me hi nikal gaya hai. Fir bhi ho sake to, ek do din ke liye aa jana. Hetal didi ko acha lagega. Aap kahoge to, mai aunty se baat kar lugi.”

Mai shikha didi se ye sab baat karne me is tarah khoya hua tha ki, mujhe yaad hi nahi raha ki, abhi mai sabke sath baitha hua hu. Abhi meri shikha didi se ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “kya hua.? Kis baat ke liye kah rahe ho ki, mausi tumhe ijajat deti bhi hai ya nahi deti.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ek pal ke liye mai sakpaka gaya. Lekin fir maine shikha didi ko thoda rukne ko kaha aur vaani didi ko hetal didi ki surgery wali baat batane laga. Jise sunne ke bad vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “thik hai, tum shikha se bol do ki, hetal ki surgery ke samay tum do din ke liye waha aaoge.”

Vaani didi ke muh se is baat ke liye haan sunkar, mujhe ek jhatka sa laga. Kyoki vaani didi in sab mamlo me bahut sakht thi aur mere itne dino ke school ke nuksan ko dekhte huye unke muh se haan nikalna itna aasan nahi tha.

Mujhe abhi bhi is baat par yakin nahi aa raha tha aur mai hairani se vaani didi ko dekh raha tha. Tabhi chhoti maa ne bhi apna sar hila kar, vaani didi is baat ke liye apni sahmati de di.

Chhoti maa ki bhi sahmati pakar meri khushi ka koi thikana nahi raha aur mai khushi khushi ye baat shikha didi ko batane ko hua. Tabhi ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, hum bhi aapke sath mumbai chalege.”

Ami ki ye baat sunkar, mujhe ek aur jhatka laga. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ami sach me mere sath Mumbai jana chahti hai ya fir wo sirf priya ki vajah se mere sath Mumbai ja rahi hai.

Is se pahle ki mai ami ki is baat me haan ya na kah pata. Vaani didi ne ami ki baat ko sunkar, us se puchha.

Vaani didi boli “tum kyo Mumbai jana chahti ho.”

Ami boli “didi, wo hetal didi ne apni surgery ke samay par hum se bhi Mumbai aane ko kaha tha.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “thik hai, tum log bhi Mumbai chali jana.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ek baar fir mujhe jhatka sa laga. Mujhe to is baat ka dar sata raha tha ki, kahi ami ki baat sunkar, vaani didi us par gussa na karne lage. Lekin yaha to ulta hi ho gaya.

Un ne badi aasani se ami ko bhi Mumbai jaane ke liye haan kar diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, vaani didi ye kya kar rahi hai. Un ne itni aasani se mujhe aura mi ko Mumbai jaane ke liye haan kaise kah diya.

Us se bhi badi tajjub ki baat ye thi ki, chhoti maa ne bhi vaani didi ki is baat par apni sahmati de di thi. Un ne ek baar bhi kisi se koi sawal jabab karne ki jarurat nahi samjhi thi.

Mujhe ami ke apne sath jaane se koi pareshani nahi thi. Isliye maine bhi kisi se koi sawal jabab nahi kiya aur shikha didi se bata diya ki, mai aur ami nimi hetal didi ki surgery ke samay par do din ke liye Mumbai aa rahe hai.

Iske bad maine shikha didi se thodi bahut baat karke call rakh diya. Call rakhe ke bad, mai keerti ko uski hands free wapas karne laga. Tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “maine tumhe baat karne ke liye bluetooth headphones diya tha na. Fir tum use laga kar baat kyo nahi karte ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai keerti ko ghoor kar dekhne laga. Lekin wo is baat se anjan bankar yaha waha dekhne lagi. Ab mai vaani didi ko kaise batata ki, unka diya hua headphones keerti hajam kar gayi hai. Isliye maine vaani didi se bahana banate huye kaha.

Mai bola “didi, mai barkha didi se sirf raat ko hi khane ke samay par baat karta hu aur unke siwa meri kisi se itni der baat nahi hoti hai. Isliye wo headphones ghar par hi hai. Mai raat ko unse wo headphones laga kar hi baat karta hu.”

Meri ye baat sunkar, vaani didi ne kuch nahi kaha. Shayad unhe meri baat sahi lagi thi. Lekin na jaane keerti ko kya sujhi ki usne meri baat sunte hi, fauran bich me kudte huye kaha.

Keerti boli “didi, mai to aapse pahle hi ise headphones dene se mana kar rahi thi. Lekin aapne meri baat suni hi nahi. Ab aapne khud hi apni aankhon se apni di huyi chij ki ijjat dekh li na.”

“Lekin iske liye to aapki di huyi chij ki koi ijjat hi nahi hai. Mujhse aapki chij ki itni beijjti dekhi nahi jati hai. Mujhe dekhiye, mai aapka diya hua bracelet kitne pyar se istemal karti hu.”

Ye kahte huye keerti apna bracelet vaani didi ko dikhane lagi. Ye bracelet Mumbai me mere dene ke bad se hi uske hath me tha. Mujhe keerti ki is harkat par bahut gussa aa raha tha.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, maine to iski harkat ko vaani didi se chhupaya hai. Fir ye kyo mujhe vaani didi ke samne fasa rahi hai. Keerti ki is harkat ke bad mujhse vaani didi se apni safayi me kuch kahte nahi bana.

Lekin keerti ki baat sunne ke bad, vaani didi ke kuch na kahne ki ummid karna bekar tha. Aisa hua bhi, keerti ki baat sunne ke bad, vaani didi kuch sochne lagi aur fir un ne mujhe chetavni dete huye kaha.

Vaani didi boli “keerti thik kah rahi hai. Yadi koi tumhe pyar se koi gift de to, tumhe bhi use pyar se istemal karna chahiye. Aainda is baare me mujhe tumhari koi shikayat na mile. Ab iske bad bhi yadi mujhe tumhari aisi koi shikayat mili to, fir tumhare pas baat karne ke liye ye mobile phone nahi rahega.”

Itna bol kar vaani didi chhoti maa, anu mausi aur dushyant mausa ji ke sath chanda mausi ke kamre me chali gayi. Ab yaha par mai keerti, ami, nimi, mehul aur neha bas the.

Keerti ki is harkat ki vajah se ami nimi use gusse me ghoor rahi thi. Lekin unse bhi jyada gussa mujhe keerti ki is harkat par aaya tha. Isliye vaani didi ke jate hi, maine us se kaha.

Mai bola “ye sab kya natakbaji thi. Tune khud hi wo headphones apne pas rakh liya hai aur ab khud hi vaani didi se meri shikayat bhi kar rahi hai. Aakhir tu chahti kya hai.”

Lekin keerti ne meri is baat ko ansuna kar diya aur ami nimi se baat karte huye kaha.

Keerti boli “ami nimi ye apna itna acha bluetooth headphones chhod kar meri is raddi si hands free ko laga kar baat kar raha tha. Mai is se bol bol kar thak gayi ki, ise bluetooth headphones laga kar baat karna chahiye. Lekin ye meri koi baat sunne ko hi taiyar nahi tha.”

“Ab tum hi batao, aise me maine vaani didi se iski shikayat karke kya bura kiya hai. Kya tum dono ko iska itna acha bluetooth headphones ko chhod kar is raddi si hands free ko laga kar baat karna acha lagta hai. Mujhe to bilkul bhi acha nahi lagta hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, ami nimi bhi uske jhanse me aa gayi. Ami ne keerti ki tarafdari karte huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, keerti didi thik hi kah rahi hai. Aapko bluetooth headphones laga kar hi baat karna chahiye. Ye hands free bilkul bhi acha nahi lagta.”

Ab jab ami ne kuch kaha tha to, fir nimi kaise pichhe rahti. Usne ami se bhi do kadam aage jate huye kaha.

Nimi boli “haan bhaiya, aap headphones laga kar baat kiya karo. Usme aap bilkul hero lagte ho.”

Ami nimi ki baat sunkar, mai hairani se unko dekhne laga. Kaha to thodi der pahle vaani didi ki baat sunne ke bad wo keerti ko kha jaane wali najro se dekh rahi thi aur kaha ab us baat ko bhool kar keerti ki haan me haan mila rahi thi.

Keerti ne ek teer se do shikar kiye the. Ek taraf to usne vaani didi se meri shikayat bhi kar di thi aur dusri taraf usne khud ko bhi ami nimi ki narajgi se saaf saaf bacha liya tha.

Mai keerti ka safed jhuth dekh kar aur apni dono bahno ki nadani dekh kar muskurane ke siwa kuch na kar saka. Abhi mai keerti aur ami nimi ki baton me uljha hua tha ki, tabhi mehul ka mobile bajne laga.

Usne mobile dekha to, richa aunty ka call aa raha tha. Wo us se khan eke liye puchh rahi thi. Mehul ne unhe bataya ki wo yaha khana kha chukka hai aur wo raat ko der se ghar aayega. Itni baat karne ke bad mehul ne call rakh diya.

Mehul ke call rakhte hi, vaani didi log bhi chanda mausi ke kamre se bahar aa gayi thi. Vaani didi ne hum logon se drawing room me aane ko kaha to, unke pichhe pichhe hum sab bhi drawing room me aa gaye.

Drawing room me papa aur mausa ji pahle se hi baithe huye the. Dushyant mausa ji aur anu mausi jakar mausa ji ke pas baith gaye. Wahi chhoti maa aur vaani didi papa ke pas jakar baith gayi.

Vaani didi ne hum logon se bhi baithne ko kaha to, hum sab bhi unke samne ke sofe par baith gaye. Vaani didi ka hum logon ko is tarah sabke sath baithane se ek baat samajh me aa rahi thi ki, unhe humse koi jaruri baat karna hai.

Lekin hum logon ke baith jaane ke bad bhi sab khamosh hi bathe rahe. Koi bhi kisi se kuch nahi bol raha tha. Tab chhoti maa ne is khamoshi ko todte huye vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tu hi is baat ko kar, mujhe lagta hai ki, tu inhe is baat ko ache se samjha sakti hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “ji mausi.”

Iske bad vaani didi thodi der kuch sochti rahi. Fir un ne apni baat suru karte huye kaha.

Vaani didi boli “aaj humari nisha se baat huyi thi. Nisha ne chanda mausi ke doctor se salah karne ke bad hume bataya hai ki, chanda mausi ab bilkul thik hai aur ab wo kahi bhi aa ja sakti hai.”

Vaani didi ki is baat par maine khush hote huye kaha.

Mai bola “didi, ye to bahut khushi ki baat hai. Hum kal hi chanda mausi ko apne ghar lekar chalte hai.”

Lekin vaani didi ne meri is baat ke jabab me inkar karte huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, tum chanda mausi ko kal ghar nahi le ja sakte.”

Mai bola “lekin kyo didi. Abhi to aapne kaha tha ki, wo bilkul thik hai aur kahi bhi aa ja sakti hai.”

Vaani didi boli “haan, maine aisa kaha hai. Lekin fir bhi tum unhe kal ghar nahi le ja sakte ho.”

Vaani didi ki is baat se maine pareshan hote huye kaha.

Mai bola “didi, mai wahi to puchh raha hu ki, aisa kyo.? Jab chanda mausi bilkul thik hai to, hum unhe apne ghar kyo nahi le ja sakte.”

Meri is baat ke jabab me vaani didi ne ek sapat sa jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “tum chanda mausi ko isliye apne ghar nahi le ja sakte. Kyoki wo chanda mausi ka ghar nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, mere dil ko ek dhakka sa laga. Aisa hota bhi kyo na. Bhale hi duniya ki najar me chanda mausi meri koi nahi thi. Lekin mere liye wo meri mausi hi thi.

Maine apna hosh unki god me sambhala tha aur un ne mujhe beshumar pyar diya tha. Fir bhala mai is baat ko kaise sah sakta tha ki, mera ghar chanda mausi ka ghar nahi hai. Is baat ko sunkar mujhe dhakka to lagna hi tha. Mai dard se tilmila gaya aur maine bechain hote huye vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, aap ye kya kah rahi hai. Aap aisa soch bhi kaise sakti hai.”

Vaani didi boli “isme sochna kya hai. Jo sach hai, mai wahi kah rahi hu.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, mai apni jagah par uth kar khada ho gaya aur maine unhe unki is baat ki safayi dete huye kaha.

Mai bola “nahi didi, ye sach nahi hai. Sach ye hai ki chanda mausi humari ghar ki ek sadasya hai. Mai hi nahi, ami, nimi aur chhoti maa bhi unhe apne ghar ka ek sadasya hi manti hai.”

Lekin vaani didi ne meri is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tumhare manne se kya hota hai. Sach ye hai ki, ye unka ghar nahi hai. Unka ghar, unka sasural hai aur unka sasural Mumbai me hai.”

Vaani didi ki is baat ke bad mere pas kahne ke liye kuch nahi bacha tha. Mujhe samajh me aa gaya tha ki, wo kya kahna chahti hai. Isliye mai nidhal sa hokar apni jagah par baith gaya aur maine unse puchha.

Mai bola “didi, mausi kab Mumbai ja rahi hai.”

Vaani didi boli “wo Mumbai nahi ja rahi hai. Wo Mumbai jaane ke liye taiyar hi nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ek baar fir mere chehre par ek chamak aa gayi. Shayad vaani didi mere chehre ki is chamak ko pahchan chuki thi. Isliye un ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “isme itna khush hone ki baat nahi hai. Maine sirf ye kaha hai ki, wo jaane ke liye taiyar nahi hai. Maine ye nahi kaha ki, wo Mumbai nahi jayegi.”

Vaani didi ki is baat se maine thoda bechain hote huye kaha.

Mai bola “to kya aap unhe jabardasti Mumbai bhejegi.”

Meri is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mai nahi, tum unhe Mumbai jaane ke liye taiyar karoge.”

Waise to vaani didi ki kisi baat me palat kar jabab dene ki meri himmat nahi thi. Lekin sawal yaha mausi ke rukne ya jaane ka tha. Isliye maine vaani didi ki is baat se apna palla jhadte huye kaha.

Mai bola “mai kyo unhe is kaam ke liye taiyar karu. Unhe jabardasti Mumbai bhejne ka faisla aapka hai. Aap hi unhe iske liye taiyar kijiye.”

Meri is baat ko sunkar, vaani didi ne gusse me bifarte huye kaha.

Vaani didi boli “ye baar baar chanda mausi ke Mumbai jaane ka iljam mere upar dalna band karo. Ye faisla mera akela nahi, balki hum sabka hai.”

Lekin vaani didi ki is baat se bhi mere upar koi asar nahi pada. Maine fir apni pahle ki baat ko dohrate huye kaha.

Mai bola “thik hai, to aap sab mil kar unhe jabardasti Mumbai bhej dijiye. Lekin mai unhe jabardasti Mumbai bhejne me aapke sath nahi hu.”

Mujhe apni baat samajhte na dekh kar, vaani didi ne thoda naram pad kar, apni baat samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “tum samajhte kyo nahi ho. Jitna dukh tumhe chanda mausi ke yaha se jaane se hoga. Utna hi dukh hume bhi unke jaane se hoga. Lekin ek ladki ka sasural hi uska asli ghar hota hai.”

“Aise hi chanda mausi ka asli ghar Mumbai me hai. Unka wo ghar barso se chanda mausi ke aane ka intejar kar raha hai. Hum chanda mausi ko samjha samjha kar thak gaye hai.”

“Lekin wo humari koi baat samajhne ko taiyar hi nahi hai. Wo tumhe aur ami nimi ko chhod kar yaha se jaane ke liye taiyar hi nahi hai. Aise me hume sirf tum se ummid hai.”

“Tum chaho to, chanda mausi ke sasural ke barso ke is intejar ko khatam kar sakte ho. Yadi tum koshish karoge to wo khushi khushi apne sasural chali jayegi aur barso se unki suni padi jindagi me fir se bahar aa jayegi.”

“Waise to ek ladki ko uske sasural bhejne ka kaam uske bap ya bhai ka hota hai. Lekin chanda mausi ka is duniya me humare siwa koi nahi hai. Fir ye kaam hum nahi karege to aur kaun karega.”

“Wo tumhe apna beta hi manti hai. Kya aise me tumhara farz nahi banta ki, apni maa saman mausi ko khushi khushi unke sasural ke liye vida karo. Maine apni taraf se tumhe samjha diya hai.”

“Ab aage tumko faisla karna hai ki, tum unko jindagi bhar apne ghar me hi rakhna chahte ho ya fir unhe unka apna aisa ghar saupna chahte ho. Jis ghar me wo rani ki tarah raj kare.”

Vaani didi ki is baat ne sach me mujhe soch me daal diya tha. Mai apni khushi ke liye chanda mausi ki bhalai ki baat bhool raha tha. Lekin ab mujhe vaani didi ki baat samajh me aa chuki thi. Isliye maine vaani didi se kaha.

Mai bola “thik hai didi, mai chanda mausi ko Mumbai jaane ke liye jarur taiyar karuga. Lekin iske pahle meri chhoti maa se ek request hai.”

Meri aadhi baat sunte hi, sabke chehre khushi se khil gaye the. Lekin meri baat puri hote hi sab gaur se mujhe dekhne lage. Meri request wali baat ne sabko kisi soch me daal diya tha.

______________________________
Fabulous 👌 update 👌
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,668
159
Pritam bhai ap ko story me thoda change karna hoga jaha tak apne likha ki panu ki bua ki beti vani hai to us hisab se vani ke mama hue panu ke papa to please thoda dhyan de vo unhe mousaji keh rahe hi hai jab ki vo mama hue
Vaani, keerti ki bua ki beti hai. Keerti ke papa, vaani ke mama hai aur keerti ki mummy, vaani ki mami hai. Is rishte se keerti ki mausi (Chhoti maa), vaani ki mausi hi lagi hai. Inke baare me update 256 me bhi saaf dikhayi de raha hai aur update 257 me bhi keerti ke papa wale update me vaani ki mummy najar aa rahi hai. Mujhe nahi lagta hai ki isme koi sudharne wali baat hai. Fir bhi story ke index ban jaane dijiye, fir dekh lete hai ki, kaha kya gadbad hai. Jo bhi gadbad hogi, sudhar li jayegi. :blush1:

Ko To Rok Lo {Update - 0256}
____________________________

Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “kya tum juhi ki sasural walo ke baare me kuch jante ho.”

Mai bola “nahi, didi.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne puchha.

Vaani didi boli “unke baare me koi to janta hoga. Tumhe unki puri jankari hona chahiye. Tabhi to tum is baare me kuch kar sakoge.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, maine ami se is baare me puchha to, usne bataya ki anu mausi unke baare me janti hai. Ami ki baat sunkar, maine vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, juhi didi ke sasural walon ke baare me anu mausi janti hai.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “good, pahle tum jakar anu mami se juhi ke sasural walon ke baare me puri jankari le lo. Fir jakar saxena uncle se mil kar unhe apna maksad batao. Tumhara kaam ban jayega.”


______________________________


Ko To Rok Lo {Update - 0257}
____________________________
Kuch hi der me hum keerti ke ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty khadi ki aur fir neha ke sath ghar ke andar jaane ke liye mera intjar karne lagi. Mai bhi apni bike khadi karke keerti aur neha ke sath ghar ke andar aa gaya.
Hum ghar ke andar pahuche to, ghar me is samay bua ji (vaani didi ki maa), dinesh mausa ji, anu mausi aur kamal baitha hua tha. Sab baithe aapas me baten kar rahe the. Hume aate dekh kar, bua ji ne kaha.
Bua ji boli “are tum log yaha kyo aa gaye. Thodi der me hi to, hum log waha pahuchne wale the.”
Bua ji ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “bua ji, mujhe apne shadi me jaane ki taiyari puri karna thi aur apna saman yaha se lena tha. Isliye hum log yaha aaye hai.”
Keerti ki baat sunkar, bua ji muskurate huye kaha.
Bua ji boli “chal thik hai, tu apni taiyari puri kar le. Hum sab ki to saari taiayri puri ho chuki hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me chali gayi. Uske jaane ke bad, anu mausi bhi kitchen me chali gayi. Anu mausi ke jaane ke bad, mausa ji ne mujhe baithne ko kaha to, mai bhi un logon ke sath baith gaya.
Bua ji ne mera haal chal puchha. Mai unhe apna haal chaal bata hi raha tha ki, tabhi mausa ji ne mujhe bich me tokte huye kaha.
Mausa ji bole “tumhari padai likhai ka kya chal raha hai. Suna hai ab tumne padai likhai me bilkul bhi dhyan dena band kar diya hai.”
Bua ji, bade gaur se meri aur mausa ji ki baat sun rahi thi. Kamal bhi wahi baitha humari baten sunne me laga hua tha. Usne dekha ki, mausa ji mere upar iljam par iljam diye ja rahe hai to, usne mausa ji ki sabhi baton ka jabab dete huye kaha.
Kamal bola “papa, punnu bhaiya sabhi baten sahi kah rahe hai. Punnu bhaiya ke Mumbai jaane ki baat yahi par humare samne tay huyi thi. Vaani didi ne hi inhe Mumbai jaane ke liye kaha tha.”
Kamal ki ye baten sunkar, bua ji ne bhi mausa ji ko samjhte huye kaha.
Bua ji boli “mujhe lagta hai ki, kamal sahi kah raha hai. Kam se kam is samay tumhe punnu ke Mumbai jaane ka bura nahi manna chahiye. Kyoki ise vaani ne Mumbai jaane ka kaha hai.”
“Tumhe kam se kam ek baar ise dekh lena chahiye ki, ye fir dobara koi bahana karke Mumbai jaane ki koshish to nahi kar raha hai. Tab tum ise khul kar bhala bura kah sakte ho.”
Bua ji ki baat sunkar, mai unhe gaur se dekhne laga. Un ne meri tarafdari me saari baten kah di thi, lekin ek baat bhi mausa ji ke khilaf nahi kahi thi. Unki baat sunkar, mausa ji ne kaha.
Mausa ji bole “chalo thik hai. Mai is baar is baat ka bura nahi manta hu.”
______________________________
 
Last edited:
Top