UPDATE -6
Yeh aakhir mujhe kaya hi ho raha thaa samajh nahi aa raha aur yeh kidaki kyu pareshan kar rahi hai
Mera shir bhi dard ho raha tha jaise koi pathar ghuma raha ho mere shir mai aur woh andar har jagah takara raha hai
Maine haath paani sai nikala aur jakar dekhaa ghar maj bhaut dhul aa rahi thi maine jaise taise kidakiya band ki aur jakar apna haath saaf karnai laga par haath saaf karte karate yeh mera towel kaise jal gaya aakhir ho kaya raha mere saath
Maine socha kaafi kaya karu kaya karu phir jaise taise phone kiyaa
Saumya need mai jambhayi leti hui - awww haa halo kaya hua
Mai thoda ghabrayi hui awaaz mai - yaar saumya
Saumya awaaz sun ke uth ke beth ke - kaya hua aisi awaaz koi preshani hai kaya
Mai - yaar haa please aa jaao sayad yeh mera aakhir din hai mujhe lagata hai
Saumya jaldi sai purse uthati hai aur gate khole ke sidhiyo sai utarti hui bhar ke gate ko khol ke bahar nikal jaati hai
Mai - hello saumya kaha gayi hello
Saumya - bus aa rahi hu mai hello hello raj tumhari awwaz nahi aa rahi hello
Udhar sai phone kat chuka thaa
Abb saumya ke view sai
Mai jaise taise taxi lekar nikali waha sai mera man bhaut ghabra raha thaa akhir kaya ho gaya hai raj aise dard mai awwaz kyu aa rahi thi please please god help him please
Jaise jaise time jaa raha thaa mujhe bhaut anxiety si ho rahi
Mai - bhaiya thoda jaldi chalao naa
Taxi driver - haa haa madam tez hi chala raha kahi aur tez kiya toh chalan naa kat jaaye
Mai - jitana tezz chalana hai chalaoo jitna bill hoga mai de dungi abb chalo
Ussnai jaise meri pareshani samajah li aur ab hum doguni speed sai raj ke ghar ki taraf nikal rahe the
Aur jaise taise haath masalate hue mai raj ke ghar ke bahar thi maine jaldi sai paise diye aur andar ki taraf bhaagi dekha toh gate khula hua thaa
Mai aur andar jaane lagi toh mere pair sai kuch takraya aur aage ki taraf gaya sab taraf bikhara bikhara saa lag raha thaa
Maine awaaz lagayi - raj raj raj kaha ho raj kaha ho
Mujhe upper ki taraf sai kuch awwaz aayi mai dheere dheere upper pahuchi mai jab aayi thi etna pagal ki ghuss jaau aur raj ko kaya hua dekhi par abb andar aate mujhe dar saa lagane laga
Maine jaise hi upper pahuch ke apna face dusari taraf kiya mera khoon maano jam saa gaya ho do log raj ko aise uthaye hue the jaise koi khilona ho
Mai chillana chaah rahi thi par meri awaaz jaise nikal nahi thi
Woh dono aise kudh ke waha sai bhaag gayi jaise koi medhak ho mai chakkar kaah ke girnae waali thi ki mai hawa mai ruk gayi jaise hawa mai kisi nai roak liya mujhe
Mai sambhal ke boli kon hai mera dar ke maare pasina chhut raha thaa mujhe waise bhi enn bhut wagera mai kuch jada hi vishwass tha
Uss din unn logo ko bhi na jaane kaise maar diya maine etnai tezz nahi mara thaa ki unnke shir fat jaaye aur abb yeh aakhir raj kis mushibat mai fas gaye ho tum
Tabhi awaaz aayi samani sai aur ek pathar udhata hua mere samane aa gaya
Awaaz - kaha kho gayi saumya
Mai jaise taise haklate hue boli - kkk........k.... Kkk....kk Konn hai waha par
Awaaz - ghabrao mat mai tumhe nuksaan nahi pahucahungi
Mai kaya bolu mujhe samajh nahi aa raha koi soch bhi kaise skata hai ki hawa uss sai baat kar sakati hai
Maine apna pair kaa angutha sidhiyo par mara aur mujhe vishwass ho gaya mai need mai nahi
Awaaz phir sai aayi - haa tum need mai nahi ho mai hawa nahi mai hawa meri shaktiya hai
Mai - god please me mai marana nahi cahati suno agar tumhe mujhe marana hai toh maar do par raj ko chod do woh bhaut aacha hai
Mujhe saamanai sai woh pathar dheere dheere ek ladaki mai badalati dikhi
Udhar
Woh dono raj ko uthaye bhaage jaa rahe the
Pehla - hum raat hone sai phele jana hoga yaha sai
Dusra uske shir par maar ke - raat toh ho rahi hai bee
Pehla - haa haa din hone sai phele
Dusra - uss ladaki nai dekh liya hume hume usko maar dena cahiye thaa
Pehla - chup kar yaha agar humnai kisi ke khoon ko haath bhi laga diyaa toh hum insaan ban jaayenge samajha
Dusra - par sahi bataao enn insaano ka khoon bada hi mehakta hai
Pehla - woh hai aisa lagata jaise duniya ki sabsai mithi khir hai yeh
Dusra - Masahari Nishachar hoakar bhi hum log kuch kar nahi sakate
Phela - hume yaha ess ladake ke liye bheja gaya hai yeh mat bhool yeh uss taale ki chabhi hai jis sai hum kuch bhi kar sakenge
Dusara - par bola toh yeh gaya thaa ess sai juda koi hai yeh thodi hai woh kaya pata woh ladaki ho
Phela uski yeh baat sunate hi ruk gaya
Aur picche mud ke dekhane laga
Edhar
Saumya - kaya aisa kaya hai raj mai joh uske kisi sai saath hone sai kuch kar lega koi bhi
Woh awaaz abb ek ladaki ban chuki thi aur abb dono baate kar rahe the pata nahi saumya kaa dar kaise nikala gaya
Ladaki - woh
Saumya - ek minute aap apana naam toh bataiye
Ladaki - Matriswa
Saumya - bada azeb naam hai tumhara Matriswa
Matriswa - mere naam kaa matalab hai hawa
Saumya - aacha toh woh kidakiyo sai ched khanai tum karati thi haa
Matriswa - haa mai andaer aani ki kosis karati thi
Saumya - tum toh hawa ho kahi bhi aa jaa sakati ho phir
Matriswa - wahi toh mai kahi bhi jaa sakati thi par mai yaha nahi aa paa rahi thi naa jaane aisa kaya hai uss raj ke andar
Saumya muh khol ke - kaya bola tumnai raj ke andar kuch hai
Matriswa - haa bataya naa uss sai juda koi shask hai joh sab kuch palat sakata hai kahi woh tum toh nahi hoo hamesha tum hi uske saath hoti ho