• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-11



Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bari hoti ja rahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.


Durga devi ke jate he Jivisha apna chhota sa muh banati.... "Oye ye teri mother India kya bol kar chali gayi"


Nandni.... Yahi ki aap ek nayi dulhan ki tarah aaj apne ghar ko apne hathon se saaf karengi. Rasoi me ja kar pahla vidhi purn karengi aur wo hai sab ko apne hathon ka bana mitha khilana.


Jivisha.... Iss se achha hota thodi zahar mujhe de deti, kha kar chain se so jati. Main aur itna sab karun.... aur ye khir kaise banti hai....


Nandni.... Online kisi bhi site se khir banane ki vidhi dekh aur lag ja apne kaam par. Bhag-bhag tere pass waqt bhi kam hai....


Jivisha paun hath patkati chal di safai karne..... "Hey bhagwan ye main kahan fas gayi. Nandu ki maa to riti-riwaj ke naam par meri bali he le legi. Hay ye meri kamar".....


Jivisha apne kaam me lagi, mathe ka pasina apne hathon se pochhti ro-ro kar gane ga rahi thi.... "Duniya me aaye hain to jina he parega"..... aur farsh par pochha laga rahi thi. Tabhi Nandni uske samne khadi ho kar..... "Kitni mehnat kar rahi hai, meri ful se komal Jisa"

Jivisha, apna sir utha kar madad ki pukar wali najron se dekhti... "Thanks, Nandu... tu he to meri pyari bahna hai. Kuch dur tu safai kar de... please"


Nandni.... O' meri pyari banno, wo kya hai na mamma ne kaha hai pados se dhol le kar aane ke liye. Isliye sorry, main abhi teri madad nahi kar sakti. Haan wo tune na, pichhe thik se saaf nahi kiya isliye maine sochi bata dun jarra... jab kar he rahi hai to thik se kar na.


Jivisha gusse me ghurti.... Chal bhag kamini, ja kar meri tamasa ka dhol pit. Bhag yahan se. Sala iss desh me riwaj ke naam par mujh jaisi abla ko tabla samjh kar bajate hain, aur kaminey ladkon ke liye koi riwaj he nahi bante, bas unhe bitha kar khilate raho aur unki charbi badhate raho......


Bechari kisi tarah mehnat kar ke pure ghar ki saaf-safai ki. Khana banane ki site par ja kar khir banana sikha, aur 50 logon ka khir bhi banai. Idhar 9 bajte he sari ladies pahunch chuki thi aur pit kar lok-geet gana shuru ho gaya tha.


Jivisha to ander se jal bhun kar pak rahi thi. Dhol par najchne ki thirak aur ladies ke kilkari ki awaz jab bhi uske kano me parti uska khun ubal mar deta..... "Besharmon naukar se bhi badtar kaam karwa rahe ho aur khud bahar naach ga rahe. Bhagwan, maine tuhara kya bigara tha jo aise din dikha rahe...."


10.30 am baj chuka tha, Durga devi kitchen me aa kar Jivisha se kahne lagi.... "Jaldi kar sari ladies ko jana bhi hai. Aur tu hai ki ab tak khir bhi nahi bana payi. Tu kab khir banayegi kab taiyar hogi aur kab sab ko paros kar apne hathon se khilayegi"....


Jivisha, khud me budbudate..... "Aao mujhe he kha jao. Itna karwa ke man nahi bhara jo ab parosne bhi kah rahi".....


Durga devi.... Kuch kahi kya...


Jivisha.... Haan kah rahi thi main, bas aadhe ghante aur intzar aunty fir main aap ko ab tak ki sab se best khir apne hathon se khilaungi. Bas chini dal kar main bhi ja rahi hun taiyar hone...


Jivisha ne dhund kar chini ka dabba nikala. Bechari lekin chini aur khane wale sode me fark nahi kar payi. Aur site par likhe instruction ke anusar..... Chini andaz se dalte huye usne do bare dabbe sode ke ulat diye khir me.


Nahate waqt bhi Jivisha ke tane kam na huye..... "Hay Ram, in jalimon ne to lut liya riwaj ke naam par. Pata nahi ab aur kitna jhelna hoga"


Saree pahan kar Jivisha fatafat nikli aur fir se lag gayi kaam par... Sab ko thali me khir paros kar dene lagi... Abhi 15 ladies ko khir di he hogi... tabhi ek lady "thuuuuuuuuuu" karti chillane lagi.... "Ye khir hai ya chuha mar kar dal diya hai khir me"...


Pura mahol shocking..... Jivisha ki to aankhen bari ho gayi..... "Itni mehnat ke baad ye kamini aisa kah rahi"... usne ek ungli se khir ko taste ki..... jaise he khir muh me gaya... wahin hall me Jivisha apne hath paun patakti.... "mammi-mammi" ... kar ke rone lagi.....



Kahin dur Himalya ki wadiyon me Uttrakhand, Nanital, Jim Corbett National Park.....


Apne group ke sath ghumne aayi Sweksha, Jim Corbett National Park (JCN park) me ghumte-ghumte apne group se kahin dur bhatak gayi thi. Jungle ke ander wo wild life photography me itni masgul ho gayi ki usse pata bhi nahi chala, kab wo apne group se dur nikal aayi.


Bhatakti hui wo JCN park ke ristricted area me pahunch gayi thi, jahan saaf akshron me likha tha… "Jungli janwaron ke atyadhik humle ke karan, pratibandhit kshtr"… Sweksha apne photography me itni mast thi ki wo notice board ko na dekhkar, sheron ke ek jhund ko dekh kafi excited ho rahi thi ...... "wowwww, it's look really awesome"


Sweksha sheron ke jhund se kafi duriyan banaye thi, jis wajah se usse photography mein clear view nahi mil pa raha tha. Uske aage jane ki himmat nahi thi, isliye wo ped par chadh kar, upar se unki tasveeren lene lagi. Har click par wo khud se kahti "nice click" aur agli tasveer lene lagti.


Yun hi jab wo tasveer le rahi thi, tabhi achanak uske kamre ke aage latakta sanp dikhne laga, Sweksha jab camera aakhon ke aage se hatayi, wo sanp bus aadhe fit ki duri par jhul raha tha. Apne dar ko kabu karti wo niche utri aur aas pass apne group ko dhundhne lagi. Kintu wo kafi dur nikal aayi thi isliye na to usse koi dikha aur na hi kisi ne uski awaz suni.


Isi kram me wo apne group ko dhundhte hui, us pratibandhit kshetr ke aur ander ghus gayi. Dhundhte dhundte wo achanak hi ek sher ke samne khadi ho gayi. Dono ke bich lagbhag 100 meter ki duri hogi aur sher apne samne shikar ko dekh kar jor ki dahar lagaya.


Khauffnak manjar tha wo. Uski dahar itni bhaybhit karne wali thi ki Sweksha ke hath paun kapne lage. Wo jan bachane ke liye piche palti aur uska paun mud gaya. Paun mein uske jabardast monch aur ladkhada kar wo jamin par gidi thi. Samne se sher dahar lagate huye uski ore teji se badha.… Dar se puri kanp-kanpi chhuti aayi. Hath paun fulne lage.. upar ki sans upar aur niche ki sans niche rah gayi…


"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" ek tej chinkh aur Sweksha ke hosh udd chuke the.... Uski jab aakhen khuli to bikul andhera tha aur ek lambi chinkh ke baad jaise halak me juban atak gayi ho Sweksha ki... wo kuch bol he nahi pa rahi thi.... kafi kosis kar rahi thi par muh se awaz nahi nikal rahi thi....


Tabhi uss jagah me raushni hui, koi tha jo wahan ke khidki ko khol kar ujala kar raha tha..... Sweksha ne jab usse dekha to uski aakhen bari hoti chali gayi..... "Tum kaun ho"... kahti hui wo bistar se uth kar khadi hone ki kosis ki, aur dard bhari chinkh ke sath..... ladkhara gayi....


Uss ladkey ne usse tham liya..... "leti raho, tumhare paun me moch ke sath kafi sujan bhi hai"....


Sweksha.... Main yahan kaise pahunchi, aur tum kaun ho....


Ladka.... Mera naam Uday hai, main iss jungle ka ranger hun. Tum par sher humla karne wale the aur tum dar se behosh ho gayi thi. Main tumhari chinkh sun kar wahan pahuncha aur firing kar ke un sheron ko bhagaya...


Sweksha.... Ohhh ! Thanks.... Aap please mujhe mere group ke pass chhor do, mere apne doston ke sath yahan aayi hun.


Uday..... Sorry miss, bare afsos ke sath ye kahna par raha hai ki, aap ko ek do din yahan rukna parega...


Sweksha, aashrya se.... "Kyon, kyon bhala mujhe rukna hoga"....


Uday.... Kyonki iss waqt meri jeep kharab hai, aur jungle ke iss hisse me koi aata nahi. Isliye jab tak machanic aa kar jeep thik nahi karta, yahin rahna hoga, aur koi upay nahi hai.


Sweksha.... Ab main kya karun...


Uday.... Humari mehman nawaji ka maza lijiye, aur yahan rah kar dekhiye ki kitni taklif hum jhelte hain. Oh by the way aap ka camra, jo uss jagah se mili thi. Sambhal kar agli baar se photography kijiyega. Warna kismat har baar sath nahi deti...


Sweksha.... Hmmm ! samjh gayi main....


Tabhi Sweksha ko apne niche kuch gila-gila ehsaas hua, aur wo hath laga kar dekhne lagi...


Uday.... Hota hai kabhi-kabhi dar ke mare...


Swekha.... Yakkk ! Please iss par baat mat karo. Aur mat yaad dilao wo manjar, mere pran mano gale me atak gaye the. Waise kuch pahn'ne ko milega....


Uday...... Mere pass kuch kapdey hain, yadi aap chaho to usse pahan sakti ho....


Sweksha.... Hmmm ! Dijiye....


Uday ne chhoti si almari se kuch kapdey nikal kar diye aur ek parda khinch diya. Sweksha un kapdon me se lungi ko nikalti usse apne kamar me achhe se lapet li....


Uday fir wahan se nikal gaya, aur jate-jate kahta gaya..... "Main aap ke yahan se nikalne ki vaywastha karwata hun. Mej par kuch fruites aur pani ki bottol rakhi hai. Jaroorat lage to kha-pi lena. Aur yahan se bahar nikalne ki kosis bhi mat karna warna apne sath hone wali ghatnao ke liye tum khud jimmedar ho"....
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-5



Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"


Jivisha ko dekhte he wo lady..... "Tum kya pagal ho, akal-wakal hai ki nahi. Khud to bhag jati ho, aur kal se kah rahi ho mere pati kahin chale gaye hain. Tum kya isse chhor kar bhagna chahti ho, mamla kya hai batao. Do apne ghar walon ka number, main unse baat kar ke tumhari harkaten batati hun. Pata nahi aaj kal ki ladkiyon ke dimag me kya chalte rahta hai".


Non stop wo lday bolti he rahi. Mamla sambhalte huye Nandni bol pari..... "Mom, stop it. Jo muh me aaye wo bake ja rahi ho. Ye station par gum ho gayi thi, ro rahi thi isliye main isse yahan par le aayi. Aap to janti he ho, akeli ladki aur bara sahar".


Nandita ki Maa Durga devi..... "Tu jyada wakalat na kar, mujhe abhi iske ghar walon ka number chahiye, warna main police me report karti hun. Mujhe kuch thik nahi lag raha, jaroor koi baat hai. Crime petrol nahi dekhti kya. Ghatnayen aise he hoti hain"....


"Ye mother india to kafi chalu india lagti hai, jhanse me nahi aane wali. Hey bahgwan bacha lo, kal se kewal fasa he rahe ho".


Nandni, apni maa par chillati...... "Mom tumhara dimag kharab ho gaya hai. Ye crime scenes dekh-dekh ke aap har kisi ko criminal he samjhne lagti ho. Main isse bahut pahle se janti hun... ruko 2 min...


Nandni apne college ka album nikalti, apni maa ko dikhane lagi, jisme uski aur Jivisha ki tasveer thi. Uski maa har tasveer ko gaur se dekhne ke baad..... "Ye to samjh gayi ki ye teri dost hai, lekin tumhare har tasveer me ye ladka kaun hai"


Nandni, ghurti najron se Jivisha ko dekhi..... telepathy ke jariye jaise apna sandesh de rahi ho.... "Kamini tumhe bachane ke chakkar mein, main he na fas jaun, bhag yahan se"


Jivisha, minnat bhari najron se usse dekhti apne dono hath jor li... Durga devi ab bhi Nandni ko sawaliya najron se ghure ja rahi thi. Itne me Nandni ka bhai bolne laga.... "Mom, college hai… class me sath padhte honge. Inka apna group hoga.... chalo re sabha khatam karo. Sab safar se thak kar aaye hain jao sab fresh ho, khana khao... aaram se evening me baten karte hain".


Nandita ka bhai Ashis ne mamle ko rafa-dafa karte huye sab ko bhej diya. Nischal, wo to jaise wahan tha he nahi. Ashis usse apne sath apne kamre me le gaya, wahin fresh hone ke liye. Nischal bathroom me gaya he hoga ki uska device bajne laga..... Serin ka msg tha...


Wo samjh gaya yahan ki bhasha decode ho gayi hai. Language aur iss jagah ki sari information uplaod ho rahi thi.... Takriban aadhe ghantey me puri jankari uploaded thi..... Nischal jaldi se fresh hokar bahar nikla...


Idhar Jivisha, Nandni ke sath uske kamre me aa gayi...... "Kamini, to tu tab se meri he family ko pagal kah rahi thi. Tu bhag yahan se warna tere chakkar me main to pakka fasungi".


Jivisha..... Nandu, tu apni ekaluti dost ko bhaga rahi hai. Bhul gayi kitni madad ki thi tumhari maine. Meri sachi dosti ka aisa sila diya, mujhe he bhaga rahi hai....


Nandni.... Jisa jarra bataogi kis tarah ki madad ki thi mujh par. Main to aaj tak uss manhus ghadi ko kos rahi hun jab tu mujhe mili thi. Nahi chahiye tere jaise dost. Tujh se dosti nibhane se achha hai, main kisi kuyen me kud kar jaan de dun...


Jivisha..... Achhi baat hai Nandu, aaj mere bure waqt me tu bhi sath chhor de. Sach he kahte hain log, bure waqt me saya bhi sath chhor deta hai...


Nandni.... O madam ji, tujh par bura waqt nahi aata, balki tera sath jo deta hai uss par rahu, ketu aur sani teeno mandrane lagte hain. Bhul gayi ho to main yaad dila dun tumhe....


Jivisha.... Ye to sarasar ilzam hai my lord. Main to aap ki sachi sathi hun. Tu kya yaad dilayegi main batati hun... Bhul gayi jab wo ladkey aaye the tujhe chherne tab mere bhai ne tujhe bachaya tha. Wo professor wala case. Kitni jaldi bhul gayi tujhe uss Saroj ke chakkar se maine he nikala tha. Tere liya itna pain liya maine aur tu hai ki.... huhhhh !!!


Nandni.... Kya, kya, kya..... Sharm kar Jisa. Kaun se ladkey ke case me tere bhai ne mujhe bachaya tha. Ulta tera bhai mujh par line mar raha tha, aur college ke doston ne dekh liya tha to tere bhai ne ulta unhe pita. Huhhh ! Jab usse pata chala main teri dost hun to usne puri kahani he badal di. Professor ko challenge tune kiya, aur to aur mera, Saroj se break-up bhi karwa diya... Teri to, ek to sare kand tune mere he sath kee, uspar se mujhe ehsaan jata rahi hai. Ruk tere ghar abhi phone karti hun.....


Jivisha.... Bas baba samjh gayi, ab chhoro bhi purani baton ko Nandu. Bhul gayi we are friends till the end of life.


Nandni.... Tere sath deti rahi to waise bhi meri life ka jald hi the end ho jana hai. Chal bata tera ye drama ab aur kitne dino tak chalega...


Jivisha... What do you mean by drama Nandu...


Nandni.... Rahne de nautanki, teri ye bholi shurat aur jhoota expression kisi aur ko dikhana. 3 sal tujhe jhela hai, tere rag rag se wakif hun. Ab batayegi, tu yahan kitne din rahne wali hai taki main khud ko mentally prepare kar lun.


Jivisha.... Rahne de, lagta hai maine tujhe kuch jyada he pareshan kiya hai. Sorry Nandu, manf kar dena. Lekin haan jo bhi kee na wo jaan bujh kar nahi kee thi. Pune mein tujhe pahle hi bahut padeshan kiya hai, yahan bhi meri wajah se tum kyon paresan hogi.... main aaj he chali jaungi...


Nandni.... Tu seriously aaj he ja rahi hai....


Jivisha.... Haan Nandu... chal ab tu happy ho ja...


Nandni ko laga Jivisha fir se emotional hone ka natak kar rahi hai, par Jivisha ab usse sach me pareshan nahi karna chahti thi...


Iss baar Jivisha ne Nandni ko jarra bhi feel nahi hone diya ki wo uske ghar se ja rahi hai. Din ke waqt jab sab apne-apne kamron me the, Jivisha chupchap uss ghar se nikal gayi...


Thik ussi waqt Nischal, Ashis ke sath uske kamre me tha. Ashis apni gf se baat kar raha tha, aur Nischal khidki se bahar dekhte huye uski baat karne ka tarika samjh raha tha. Tabhi uski najar Jivisha par gayi, jo bari teji me gate se bahar ki ore ja rahi thi.


Nischal bhi uske pichhe-pichhe gaya. Jisvisha ghar se 10 kadam aage he gayi hogi ki uske samne Nischal khada tha...... "Ye bahar ghum raha tha.. pata nahi kaun se janam ka karj khayi hun, jo ye pichha he nahi chhorta. Iss se to kuch kahna he bekar hai"


Jivisha achanak se he bol pari..... "Chalo meri kismat, ab tumse to kah bhi nahi sakti ki please mera pichha chhod do.”


Nischal.... Tum har waqt mujh se aise kyon baat karti ho...


Jivisha shocked..... "Tum bol bhi sakte ho"


Nischal.... Haan, main to bol bhi sakta hun, aur tumhe samjh bhi sakta hun...


Jivisha, apne kadan ghar se dur badhati hui.... “To fir mera pichha kyon kar rahe ho. Tum se kaha na wo kiss maine tumse majboori me kiya tha. Tum kahin ke prince nahi jo main ek he jhalak dekh kar tum par mar mitun aur kiss kar dun...


Nischal.... Tu chilla kyon rahi hai. Ja kar apne ghar me chillana. Mujh par chillane walon ka main awaz band kar deta hun...


Jivisha... Badtamij, baat karne ka tarika nahi pata kya ? Kaise tu tarake se baat kar rahe ho. Mera chillana itna he bura lag raha hai tou bhago yahan se, kisne kaha meri awaz sun'ne ke liye. Jaan na pahchan main tera mehmaan. Kaminey tharki, shuru se sab kuch samajh rahe the, fir bhi situation ka maza liye ja rahe ho.


Nischal, Jivisha ka gala dabate..... "Jyada unchi awaz me baat ki tou fir kabhi baat karne ke layak nahi rahengi. Tum ho kaun jo main tumhe sunu.... tu bhag yahan se aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana."


Cold war jaise dono me chhir gaya ho. Dono sadak par he jungli ki tarah larne lage. Fir kya tha wahin se dono ke raste alag aur dono chal diye alag-alag disha me. Kahani kismat ki bhi ajib hoti hai.... kismat ne milaya tha, apne jid aur pagalpan se alag huye.... Hay re kismat.....





Idhar ek din pahle jab Jivisha bhagi thi.....


Mate shree Priya ka ro-ro kar bura haal tha, aur wo Jivisha par puri tarah se gussayi hui thi. Ravi aur Avinash dono he Jivisha ke pichha karte Pune se Kalyan tak bhi aaye the, par Kalyan ke baad to jaise wo lapata ho gayi.


Ravi aur Avisnash apni family ka utra hua chehra dekh rahe the aur sage sambandhi dilasa dene ke sath-sath unke ghar me aag bhi laga raha the. Agle din saam ke waqt jab sare ristedar ja chuke the tab Himanshu apne pariwar ke sath apne dost Punya ke yahan pahuncha....


Apne dost se manfi mangte huye Himanshu kahne laga..... "Hume jarra bhi pata nahi tha ki Jivisha aisa kiuch karegi, warna main ye shadi kabhi fix nahi karta"


Shresh.... Uncle kya Jivisha kisi aur ladke ko pasand karti thi?...


Himanshu..... Nahi beta aisi baat nahi hai. Wo bas abhi shadi nahi karna chahti thi....


Punya.... Had hai jab wo shadi nahi karna chah rahi thi, fir bhi uss bachi ke sath tum sab ne jabardasti kiya. Yaar jab nahi karna chahti to nahi karte, kyon itni jaldi thi tumhe shadi ki....

Priya, achanak he bol pari.... "Kisne kaha wo shadi nahi karna chahti. Shadi to karna chahti hai, par ajib sa bhoot sawar hai uske sar par, wo apne sapney ke rajkumar ka intzar kar rahi hai, jo ghode par sawar hokar aaye aur hum sabke samne uaka hanth mang kar, usse byah kar le jaye.”


Shresh.... Ha ha ha, samjh gaya main. Ek baat bolun, aap log please uss par naraj mat hona. Ab to uski shadi uske rajkumar se he hogi, aur main banuga uske sapney ka rajkumar....


Himanshu.... Aaj mujhe mere faisle par garv ho raha hai. Thanks beta.... main to himmat he nahi juta pa raha tha yahan aane kee.


Shresh.... Koi baat nahi uncle, ab bas itna bata dijiye ki wo aap sab se chhip kar ja kahan sakti hai.


Himanshu.... Wo Mumbai ke taraf to gayi thi, lekin usse Mumbai bilkul pasand nahi, isliye wo wahan rukegi nahi. Pata nahi kahan gayi hogi. Uske jitne dost the sab se pata kar liya par kisi ko uske bare me kuch pata nahi....

Shresh..... Koi baat nahi uncle, yadi wo apna mobile chhor kar gayi hai to mujhe de do. Jivisha kahan ja sakti hai, main yun pata kar lunga...


Shresh ki iss baat par Chirag tapak se bol para..... "Meri bua ka mobile le kar jasusi karoge. Abhi to aap kah rahe the ki main banuga unka rajkumar... to jao apni rajkumari ko apne dum par dhundho. Bua ka mobile nahi milega.


Nandita, Chirag ko aakhen dikhati kahne lagi..... "Mobile deta hai ya lagaun ek chapet... chal mobile de abhi"


Chirag.... Chhota hun na sab hukum jhar lo. Abhi Di nahi to sab sher ban rahe ho. Aane do unko fir hum dono mil kar aap sab ko batate hain....


Nandita.... Jyada natak nahi, chal de mobile abhi....


Chirag, apne hathon se mobile aage badhate..... "Lo, le lo mobile... aaj jit jao aap sab kal mera bhi waqt aayega".....


Shresh ke hathon me mobile thi.... Shresh mobile pura check karne ke baad..... "Iss phone me to koi deta he nahi, phone reset kiya gaya hai"


Nandita aankhen dikhati Chirag se kahne lagi..... "Ye jaroor teri he kartut hogi, chal ghar tujhe aaj main babati hun"


Chirag.... Mamma… papa aap ke pass mein baithe hain. Ye papa wala dialogue mujhe kyon chipka rahi ho. Ab mobile me kuch nahi to uska bhi ilzam mujh par he laga do. Jarra bhi akal-wakal hai ki nahi, wo jaymala ke baad bhagi thi, to khud he reset karke gayi hongi na. Warna unke phone ka to lock he nahi khulta...


Chirag ki baten sun kar Ravi aur Nandita, aur wahan maujood sabhi log tahake laga kar hasne lage...


Himanshu.... Chalo chhoro bhi. Shresh, beta tum paresan na ho, hum dhund lenge, aur yadi Jivisha kee koi khabar mili to tumhe turant inform kar denge. Ek baar fir se dhanywaad aap sab ka aur Jivisha abhi bachi hai, uske galti ke liye ek baar fir main manfi mangta hun.


Do char line ki aur dialoguebaji chalti rahi, fir sab log wahan se chalte bane. Jate-jate sab ko Shresh ne kaha... "Aap sab Jivisha ke bagne ko jyada seriously na le, hum sab milkar dhundhege usse"....
nandini ki mom galat nahi hai... bina prove ke kaise bharosa kar le...
aur itna toh tay hai ki jivu se shayad yeh first time mil rahi hai.. to shaq karna zayej hai...
hmmm... finally baaton ka silsila suru par baatein kam jhagda zyada... kya hoga in dono ka..
is mein do rai nahin hai ki shresh hi villain hain...
Khair
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-6



After cold war :- Nischal aur Jivisha....

Dono alag-alag disha me nikal chuke the. Nischal jab Jivisha ko chhor kar aage badha to usse pata nahi kyon kuch achha nahi lag raha tha. Usse aisa laga jaise usne koi galti ki ho. Uske liye sayad zindgi me ye pahla ehsaas tha jab khud me wo kuch bura mehsus kar raha tha..... "Aakhir ye ladki hai kaun, iske liye mujhe kyon bura lag raha hai?"


Khair Nischal bhi aage chal diya. Idhar Jivisha bhi alag rasta pakar li. Wo bas chalti hui yahi soch rahi thi ki uske wajah se Nandni ka break-up ho gaya. Nandni ko kayi sari padesaniya uthani pari jab wo sath college me the.



Jivisha ko rah-rah kar ye feel hota raha. Tannnn.... jaise dimag ki batti jali ho. Turant cyber cafe me gayi aur fb account se Saroj ka number nikaal layi.... Jivisha, Saroj ko call lagati hui....


Saroj.... Hello kaun..

Jivisha..... Main hun Jivisha...

Saroj.... Jivishaaa !!! Tumhari himmat kaise hui mujhe call karne ki. Rakh phone...

Jivisha.... Wait, wait, wait... call disconnect mat karna. Ek jaroori information deni hai...

Saroj.... Jaldi bolo... mere pass time nahi...

"Kamina, samne se call kari to kitna bhaw kha raha hai".......... Jivisha.... "Nandu ab bhi tumhe chahti hai, aur tumhare liye usne aaj mujh se jhagra bhi kiya. Sorry meri bachkana harkaton se tum dono alag ho gaye.

Saroj.... Hmmm ! Iss baat ka ehsaas tumhe tab hua hota. Kash uss waqt tumhari buddhi itni bharsht na hoti, to aaj humari ek pyari si duniya hoti.

Jivisha.... Bas ussi pyari si duniya ke khatir call ki hun. Nandu ki shadi kal tay hone wali hai. Tum fatafat Indore aa jao aur bacha lo apne pyar ko. Tumhare bina to wo mar jayegi....

Saroj.... Nahi…. main aisa bilkul bhi nahi hone dunga. Tum fatafat adress likhwa do, main abhi Indore ke liye flight le raha hun.


Fir kya tha Jivisha ne Nandni ka adress likhwa diya, aur Saroj bhi Pune se Indore ke liye turant rawana ho gaya..... "Hmmm !! Chalo jo bigara tha, wo to sudhar diya, ab jarra main apne ghar ki bhi soch lun. Pata nahi wahan ka mamla kab tak sudhrega"...


Idhar Saam ko jab ghar me Nandni ne Jivisha ko dhundha to wo gayab thi. Nandni bahut jyada shocked thi, usse yakin nahi ho pa raha tha Jivisha ne bhi baton ko seriously lena sikh gayi hai. Usse rona aa gaya apni harkat par....


Wo apne kamre me baith kar ro rahi thi, tabhi uska bhai Ashis wahan aa pahuncha. Ashis ne Nandni ko rote dekh uss se puchh diya... Nandni ne bhi Jivisha ki tragic story roti hui suna di, kaise wo ghar se bhagi, fir Kalyan station ka har wakya.....


Ashish, usse dilasa dete huye kahne laga.... "Koi baat nahi abhi jyada waqt nahi hua hai, chal, chal kar dhundhte hain sayad Jivisha ab bhi Indore me he ho."....


Dono nikal gaye dhudhne un dono ko. Idhar Jivisha aur Nischal dono he bhatkte-bhatkte pahunch chuke the bus stand par. Bus stand k eek gate se Nischal to dusre gate se Jivisha nader ghus rahi thi. Dono lagbhag ek hi samay par alag-alag raste se bus stand mein kadam rakh rahe the, aur dono apne he dhun me chal rahe the...


Jisvisha ki wahi purani aadat, chal kahin aur rahi thi, dekh kahin aur... wahi haal Nischal ka bhi tha, wo chalet huye aas-pass ke logon ke baat karne ka tarika samjhte huye chala aa raha tha.... aur chalte huye fir se dono takra gaye...... Ek baar fir Jivisha, Nischal ke bahon me jhul rahi thi, aur Nischal uske kamar me hath dale usse thame hua tha.....


Jivisha.... Ab aise he pakre rahoge, ya main khadi ho jaun...

Nischal.... Pichhli baar aise situation me tumne mujhe kiss kiya tha, socha iss baar bhi kahin koi jugad lag jaye.

Jivisha..... Tum kyon mujhe itna paresan kar rahe ho. Kuch der pahle to kahe the ki tum meri shakal tak nahi dekhoge, aur mera pichha karte-karte yahan tak bhi pahunch gaye….

Nischal.... Tum ladkiyon ki problem kya hai, haan.... yahi baat main kahun to kaisa lagega... ki tum mera pichha kar rahi thi, main to apne raste tha...

Jivisha..... Tum itna akad kar mujh se kyon baat karte ho. Tumhe main pasand nahi aur mujhe tum, to baat he khatam karte hai na, baat badhane se kya fayda.

Nischal..... Mujhe aise he baat karni aati hai. Tumhe yadi problem hai to mujhe sikha do.

Jivisha..... Jab kah rahi hun ki baat badhane se koi fayada nahi, fir bhi jabardasti ka topic utha kar jabardasti lage pare ho. Main kyon tumhe kuch sikhaungi jungli. Wapas jao jis jungle se aaye ho. Chipku kahin ke, tum se to chillakar he baat karo to achha hai. Tabhi tum bhagoge.


Nischal.... Chilla kar to dekh, muh na tod dun tera...

Jivisha.... Sadak chhap kahin ke, bolne bhi nahi aata. Tamij he nahi ki khoobsurat ladkiyon se kaise baat karte hain.

Nischal.... Tujhe bahut tamij hai, isliye ladkon ki tarah chillati rahti hai. Tu ladki bhi hai kya ?

Jivisha.... Ab ek aur sabd bola to main tumhara khun pi jaungi....

Nischal.... Lagti he hai dayan ki tarah, tabhi to khun pine ki baat kar rahi ho... chudail kahin ki.


"Bas bahut hua band karo kutte-billi ki tarah ladna. Aise koi sadak par jhagra karta hai kya”. Nandni ko achanak hi bus-stand par dekh Jivisha soch me pad gayi…. “Ye achanak yahan kaise pahunch gayi, koi pir baba ka chamtkar hua tha kya".


Jivisha.... Bahut bara nautnaki hai ye Nandu. Ye bol bhi sakta hai aur sun bhi sakta hai, fir bhi situation ka maza utha raha tha. Mujhe to ye koi bahut bara fraud lagta hai.

Nischal.... Teri to, ye kya bakwas kiye ja rahi hai....

Itna kah kar Nischal ne to iss baar Jivisha ka collor he pakar liya. Sab shocked ho gaye... Public place upar se aisa tamasa, ek ladki ke kamij ka collar pakadna .... Ab to bhid ke sath-sath police bhi pahunchi wahan.


In dono ke jhagre me kai bus ruki pari thi. Sab ke nikalne ka time ho raha tha, par dono to uss jagah se hilne ka naam he nahi le rahe the. Upar se masaallah public, wo to chatkara maar kar iss jhagre ka luft utha rahe the.


Police bhid ko bhagati, dono ko apne sath le jane lagi. Ab to teeno ki he fat gayi.... Jivisha ne socha kahin police ne puchh-tachh aur I'D mangi to ghar par pata chal jayega... Jivisha turant he Nischal ke gale lagti, roni awaz me jor se chillane lagi....


"Hay daiyya, main lut gayi barbaad ho gayi... ek to mera pati mujhe chhor kar ja raha hai, upar se ye police wale, ye nahi ho raha ki mere pati ko samjhaye ki wo apni iss eklauti biwi ko chhor kar na jaye... to ulte hume he hawalat le jana chahte hain"


Bas fir kya tha, ladki ka rona dekh kar kai ladies ab Jivisha ke bachaw mein aa gayi. Haan fark itna tha ki police se sari ladies sirf itna kah rahi tui ki... "aise patiyon ki hawalat me le ja kar dande mar kar samjhana chahiye".


Kaun uljhe ladies se. Police bhi dono ko bhid se bahar la kar harkane lagi.... "Ghar ke jhagre ghar me kyon nahi suljhate. Chalo, tum dono ki baat main police station me he sunuga"....


Ashis..... Arre sir, kahan aap inhe hawalat me le jaoge. Ab aap ki bhi to shadi hui he hogi, to aap samjh he sakte ho, in patniyon ke jid. Bas issi baat par dono ki bahas hui, aur mera dost ruth kar bhagne laga.


Police.... Kamal ka banda hai ye to. Sach me daring wala hai. Biwi se ruth kar ja raha tha aur biwi yahan tak aayi manane ke liye. Wow yaar, iski ek photo lene do, main subah saam iss daringbaaz pati ki tasveer dekhunga. Lekin fir bhi, public place me humgama kiya hai to thane to le jana he hoga...


Ashish, 500 ka ek note badhate kahne laga .... "Sir ab to public place par humgame ka matter solve ho jayega na"...


Police..... Nah, manhgai badh gayi hai, itne se kya hoga. Par iss ladkey ki daring ke karan main itne paise me matter close karta hun. Jao sab ke sab ab bhago yahan se.


Sabhi bina ruke nikle wahan se. Charon ghar pahunche.... Nandni pure raste Jivisha ko bhrikuti (eyebrow) tane use ghurti hui aa rahi thi, mano kah rahi ho tug har chal tujhe main batati hun..... Lekin Nandni ke iss gusse par hall mein hi viram lag gaya jab uske mom-dad ne charon ko ek sath aate dekh liya…… "Tum sabhi kahan gaye the"


Iss sawal ke jawab me Nandni kuch bolti, uss se pahle he uske darwaja par knock hui.... Samne Saroj khara tha. Saroj ko dekh kar Nandni ki mano sasen he ruk gayi ho. Nandni shocked, ab ye yahan kaise tapak para. Nandni ki maa gate par khadey Saroj ko gaur se dekhti kahne lagi..... "Ye to wahi tasveer wala ladka hai"




Shock par shock.... Pune wale sare rahu-ketu ek sath ab Nandni ke ghar par the. Nandni bhrikuti tane, dono aakhen bari ki hui.... Jivisha ki taraf aise ghuri jaise wo abhi usse kha jayegi....


Idhar Nandni ki maa Durga devi Saroj ko gaur se dekhtey huye uske pass pahunch gayi.... Saroj ko ghurti hui kahne lagi.... "Tum Nandni ke sath padhte the na"


Nandni, Jivisha se fusfusate..... "Ye teri he harkat hai na duffer"


Jivisha, chhota sa muh banaye, haan me jor-jor se apna sir hila di. Mamala garbar hote dekh ek baar fir Jivisha ne dimag laga diya..... Teji se wo gate ke ore gayi aur Saroj ko dekh kar kahne lagi..... "Aunty ye mera bhai hai, aaj saam me jab baat hui to maine he isse bula liya"


Jivisha ki baat par Nandni ki maa kahne lagi...... "Tune saam ko bula liya aur ye urr kar yahan chala aaya. Tumhari koi gangue to nahi, jo ek-ek kar ke mere ghar pahunchoge aur loot kar nikal loge".

Jivisha.... Aap bhi na, achha mazak kar leti hain aunty ji.

Durga Devi.... Nahi main bilkul mazak nahi kar rahi. Tu gori chitti hai, aur ye sawla. Dono kahin se bhi dekhne me bhai bahan nahi lagte. Kal jab main tasveeren dekh rahi thi, tab to tumne nahi kaha ki ye tera bhai hai. Kuch to mujh se chhipaya ja raha hai. Ashis... Ashis....


Ashis..... Kya hua, chilla kyon rahi ho...


Durga devi.... Ashis jarra in dono ko dekh kar bata to, kya sakal se dono bhai-bahan lagte hain...


Ashis.... Ab isme bhai bahan nahi lagne jaisa kya hai. Sirf rang he nahi milta na, baki nain-naksh sab milte to hain. Chhote mamu to kitne kale lagte hain, to kya wo aap ke bhai nahi.... Aur Jivisha ko maine he kaha tha isse bula lene, bechari bahut miss kar rahi thi apne bhai ko.


Durga devi.... Mujhe sab garbar kyon lag raha hai. In dono ki shadi hui, aur pati-patni alag-alag the. Train me bhi iss ladki ko kai log dhundh rahe the, mujhe laga iski love marriage hui hai. Jab love marriage hui to ye apne bhai ko kaise bula sakti hai. Aur jab arrange marrige hui hai to ye dono bhag kyon rahe the.... Nah mujhe bilkul yakin nahi. Tum sab mile huye ho aur koi na koi khichdi pak jaroor rahi hai....


Ashis.... Haan khichdi pak rahi hai to aap usse pet bhar kar kha lo. Maa tum na budhape me sathiya gayi ho....


Durga devi.... Ab main he pagal ho gayi. Main he budhi ho gayi. Mujh par he chillayega....


Ashis.... Mom... mom... please mujhe 2 min do aur shanti se pahle baat sun lo... ye lo line par Jivisha ke papa hain...


Ashis ki baat sun kar sab shocked..... Idhar Nandni ki mom ne call pick kee .... udhar se...


"Sorry bahan ji mere wajah se aap sab ko taklif hui. Darasal meri beti ki jo shadi hui hai usse humare backward samaj walon ne kabool nahi kiya, aur wo un dono ko mar dena chahte hain. Isliye majboori me mujhe un dono ko bhagana para. Maine suna ki aap mujh se kuch baat karna chah rahi thi".....


Durga devi.... Haan, main baat karna chah rahi thi. Main bhi ek beti ki maa hun. Bache jab ghar se bhag jaye, upar se intne sandeh jab paida kar rahe ho to guardian se baat karna hi sab jyada sahi vikalp hai. Aap ko sunne ke baad mujhe bahut santusti mili, aur sare sandeh bhi dur ho gaye. Aap ke faisle par mujhe garv mehsus ho raha hai. Ek gunge-bahre ko aap ne apna jamai banaya, iss se bari insaniyan kya ho sakti hai.


Call disconnect aur Durga devi, Jivisha se hath jor kar manfi mangti hui kahne lagi....."Mujhe manf kar do beta, tum pahle se itni paresan thi aur maine tum par shaq kiya.... aao beta ander aao tum ab tak bahar kyon khare ho.... Jivisha beta tumhari shadi kal he hui hai na….. Jivisha "Haan" me sir hilane lagi....


Durga devi..... Haan to thik hai tumhare shadi ke baad ki rashmen hum yahan puri karenge. Yun samjho ki tum bhi meri he beti jaisi ho. Nandni, Ashis... Hum bahar ja rahe hain shadi ke baad ki rashmen jo hoti hai usse pura karne ke liye pandit ji ko bulane... dhyan rahe tab tak ye dono sath na rahe....


Durga devi apne pati ke sath ussi waqt market chali jati hai... idhar ghar me...


Ashis.... Koi batayega ye tum logon ka kya naya natak chal raha hai.. Nandni enough, main kab tak tumhe save karta rahunga..... hamesa tumhari he problem tumhari he tragedy... tumhare karan mujhe ghar me 100 jhoot bolne parte hain.


Nandni.... My sweet bhaiya, ab ek he to bahan hai tumhari to kya mujhe nahi bachaoge to apni gf ko bachaoge. Aur meri ek he to dost hai, haan thodi pagal hai par uske liye 7 khoon manf.


Ashis.... Aur in dono ladkon ka kya....


Saroj.... Mujhe to yahan Jivisha ne bulaya, kahi Nandni ki shadi tay ho rahi hai aur wo mere bina mar jayegi....


Ashis.... For your kind information Mr Saroj, Nandani ki shadi pahle se tay ho chuki hai, wo bhi ussi ke pasand ke ladkey se. Aur uske liye isne mujh se 100 tarah ke jhoot aur 200 tarah ke kukarm karwaye hain isne. Dusri baat ye ki tum ek bhai ke samne khade ho kar ye jata rahe ho ki tum uski bahan ko pasand karte ho. Tum ek reason batao ki main tumhara muh kyon na tod dun.


Jivisha, Ashish ki baten sunte he chupke se kadam badha kar wahan se khisakne lagi, tabhi wahan Ashis ki awaz gunji.... "Pichhe se aap kahan nikal rahi hain mohtarma"


Jivisha.... Maine socha aap ke aur Nandu ke bich baat chal rahi hai, bhala yahan mera kya kaam.


Nandni... Bhaiya, aap apna jarra sawal jabaw baad me karoge. Mujhe abhi thoda hisab kitab karna hai...


Ashis... Thik hai kar lo...


Nandni.... Jisa tu ghar se kyon gayi....


Jivisha.... Bas mujhe realise hua ki maine aaj tak tumhare liye kuch kiya nahi, ulte padesani khari karti aayi hun. Bas yahi soch kar chali gayi....


Nandni.... Jyada over smart ho gayi hai na... kuch bol diya mazak me to tere dil me chhed lag gaya.


Jivisha.... Bas baba sorry... ab to khush.. chal hans bhi de. Mujh se tu muh fula kar rahe ye mujhe achha nahi lagta....


Nandni.... Mera ego satisfy nahi hua, chal murgi ban fir mera ego satisfy hoga.


Jivisha charo ore najar ghumayi.... Ashis, Saroj, Nischal.. sab hall me he khadey the..... "Nandu, yahan sab ke samne"


Nandni.... Haan yahan, abhi... sab ke samne....


Jivisha.... Tu sach me serious hai....


Nandni.... Haan sach me serious hun, aur jis tarah se tune mera dil dukhaya hai, yadi murgi na bani to teri kasam main tere se baat nahi karungi.


Jivisha..... Huhh ! Aisa bhi kya ego... sab ke bich murgi ban'ne kah di... tumhe yahi achha lagega to yahi sahi...


Jivisha bhi tau me aati apne dono kaan pakar kar position me aane he wali thi ki tabhi Nandni ne usse roka..... "Bas baba, aur sorry jo tumhe uss waqt ulta bola aur abhi tumhe aisi saza di"


Jivisha.... Ab formality band bhi kar... aur mujhe ye bata ki teri shadi ho rahi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....


Saroj, jo ab tak chup tha..... "Tum aise kaise kar sakti ho shadi, main tumhare liye he itni dur se aaya hun"


Ashish.... Tum dono ka bharat milap ho gaya ho to dono me se koi ye batayega ki ye ladka yahan kya kar raha hai....


Nandni, Jivisha ko aakhen dikhati.... "Ab tera ye kaun sa naya drama tha tu jarra samjhayegi. Subah tu aayi aur saam ko ye aa dhamka"


Jivisha.... Ab tune mujhe itna taunt kiya to mujhe laga mere wajah se tera pyar dur ho gaya, isliye maine Saroj ko call laga di. Kitna bhaw khaya ye jab maine isse call ki to. Lekin tere wajah se maine wo bhi sah liya....


Nandni apne hath jorti..... Sun meri maa aage se na tu meri yadi bhalai karna chahe to ek baar mujhe bata diya kar, ki main tere liye kuch achha karne ja rahi hun, taki main mentally prepare ho jaun ki mujh par koi bijli girne wali hai. Bhaiya iss namune ko kah do yahan se jaye.


Saroj.... Aisa to na kaho Nandni, tumhare liye main kitni dur se aaya hun.


Nandni.... Tumhe yahan aane ki jaroorat nahi thi Saroj, chup-chap wapas laut jao....


Saroj... Nandni ek baar meri baat to suno...


Ashis..... Suna na Nandni ne kya kaha, ab chup-chap bahar nikal jao....


Saroj.... Ye tum achha nahi kar rahi ho Nandni. Bilkul he galat ho raha hai ye....


Ashis usse ek thappad lagata...... Galat hai to galat he sahi, abhi tu nikal warna ab jute bhi parenge...


Saroj ko dhakke maar kar Ashis ne bahar kar diya. Nandni ke chehre par mayusi saaf najar aa rahi thi aur wo khud ke thake hone ka natak karti sidha sone chali gayi. Nischal bhi Ashis ke sath bahar nikal gaya, akeli bachi Jivisha...


Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.
jhagda wo bhi is hadd tak ki maar pit pe Utar aaye dono... par kya yeh baat inko malum hain ki nainu ji ki yeh ek chaal hain in dono ko ek karne ki..
Khair..
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-7



Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.



"Hey bhagwan ye Pune me ho kya raha hai, chirag ko phone kar ke samjha dun ki bahar bikul na nikle".


Jivisha, apne number par call lagayi, par kai baar call connect karne ke baad bhi call waiting he show hua..... "Ye chal kya raha hai, mera phone busy kyon aa raha"


Jivisha soch he rahi thi ki tabhi wapas udhar se call back hua.... Jivisha call pick kar ke bas shant rahi aur udhar ki awaz sun'ne ki kosis karne lagi. Tabhi udhar se Chirag ne "Hello" kaha...


Jivisha.... Oyeee, itne der se mera phone busy kyon aa raha tha...

Chirag... Chhoro na di biti baton ko Di, abhi to maine call lagaya na. Aap thik to hai ki nahi. Khana pina thik se mil raha hai na. Paison ki jaroorat ho to batana, main bhijwa dunga. Thik hai bye Di, aap se baat karke achha laga…


Jivisha....Oyeeee, hoshyari haan. Beta mera hi sikhaya aaj tu mujhe ko padhane laga haan. Chal ab bakna suru kar, kis se baat kar raha tha?


Chirag.... Aap bhi na jabardasti puchhti rahti ho. Phone busy hai to samjhna chahiye na main apni gf se baat kar raha tha. Aap to mera breakup karwa kar manogi.


Jivisha.... Haynnn ! Tu apni gf se baat kar raha tha. Uske pass bhi phone hai kya ?


Chirag.... Nahi di, uske pass phone nahi hai, par maine usse class me he bol diya tha ki main raat ko baat karunga, to wo apne papa ka phone maar kar le aayi.


Jivisha.... Dekh rahi hun, tu bahut bara ho gaya hai...


Chirag.... Di aap bhi kahan mere pyar ki dushman bani ho. Aakhir meri uss se shadi hogi to wo sewa aap ki he karegi na...


Jivisha.... Bas bahut hua. Sun dhyan se meri baat, Pune me koi janwar ka humla ho raha hai, isliye aaj se bilkul tera bahar nikalna band. Jab tak wo pakra nahi jata tu bahar nahi khelne jayega.


Chirag.... Ye kya baat hui, janawar bahar khule me ghumega aur main ghar me band...


Jivisha.... Mera pyara betu hai na, mera kaha nahi manega...


Chirag... Ok Di maan liya aap ka kahna. Waise aap jaroori baat to suno.


Jivisha... Haan, puchhne he wali thi, udhar ki khabar bata. Sab kaise hain. Mamma papa, bhaiya bhabhi aur chote bhaiya, sab kaise hain. Jyada paresan to nahi. Mere vajah se unhe kitni paresaniyan uthani pari hongi. Unka samna main kaise kar paungi.


Chirag..... Nahi to di, itni to baten yahan hui he nahi. Haan, dadi ka bata nahi sakta, sayad wo aap ko dekhe to aap ke baal pakar kar sut de, wo alag baat hai. Idhar baki ke sare logon ko bas aap ki he fikr hai.


Jivisha.... Nahi re pagla, in mother india ko samjhna aasan nahi. Paresan wo bhi hongi. Khair tu wo sab jane de, aur jo boli hun wo karna. Apna aur sab ka khyal rakhna.


Chirag.... Di suno 2 min.


Jivisha.... Haan bol na...


Chirag.... Di wo hai na jin se aap ki shadi hone wali thi, wo aap ke sapno ke prince charm banege aise puri family ko kaha aur tab wo aap se shadi karenge...


Jivisha.... Chhor jane de usse. Usse jo ban'na hai bane, mere sapno ka prince charm jab mujhe milna hoga tab mil jayega.


Chirag.... Thik hai di. Aap aaram se kuch din wahin raho aur baat karte rahna, aap ki bahut yaad aati hai...


Jivisha.... Mujhe bhi tum sab ki bahut yaad aati hai. Rakhti hun phone, baad me baat karungi....



Ashis & Nischal... At walk....


Nischal ko lekar Ashis ghumne chala aaya tha. Ghumne kya aaya tha, usse to bas pata karna tha ki aakhir ye hai kaun. Usse bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki koi anjaan ladka uske ghar me rahe. Rah-rah kar bas itna he khyal aa raha tha.... Kaun hai, kahan se aaya hai aur pata nahi ye humare ghar me rah kar kya gul khilayega.....


Ashis, Nischal ko le kar apne doston ke group me pahunch gaya. Jahan Sudeep, Ajit, Manjit aur Ankit tha. Ashis, Nischal ko sab se milwaya. Sab apna naam ke sath apna short bio-deta bhi bata rahe the.... Wo kahan rahte hain aur kya karte hain.


Sab log apni-apni kah kar Nischal se puchhne lage..... "Apne bare me bhi kuch batao dost".


Nischal..... Meri sirf itni kahani hai ki main ek anath hun. Mujhe waqt ne pala aur haalat ne bara kiya hai.


Ajit.... Fir bhi koi to pahchan hogi...


Nischal.... Pahchan kya kah sakte ho. Dekha jaye to kuch bhi nahi...


Manjit.... Paglon jab wo anath hai to pahchan kahan se layega. Jane do Nischal, tum ye batao kaun si jagah se aaye ho aur Indore kaise pahunch gaye.


Nischal.... Jise jahan pahuchna hota hai, phunch he jate hain. Mujhe yahan ke jaghon ke naam pata nahi. Bas yun samjh lo bhatakte-bhatakte pahunch gaya.


Asis, Nischal ko apni jagah par rukne ka bol kar sare dost thodi dur khadey ho gaye... Ashis sare doston ke samne sawal rakha..... "To doston ye batao ki iss ka kya kiya jaye. Ye to pura doubtful hai".


Ankit.... Arre ye to humari baat sun raha hai...


Sab chaunk kar Ankit ki ore dekhe.... Phir Nischal jahan khada tha wahan dekhne lage..... "Oye pagal, wo to wahin khada hai apni jagah, ab kya urr kar aa gaya yahan"


Ankit.... Nahi yaar wo abhi yahin khada tha...


Ashish... Khair jane do usse, bharam ho gaya hoga... to tum sab batao ab iss ka kya kiya jaye.


Sudeep... Karna kya hai, bhagao isse... ghar par bol dena ki ladka kahin bhag gaya.


Manjeet... Nahi to kah dena kahin gum ho gaya. Kuch bhi bahane bana dena situation ke hisab se par main kah raha hun ki ye khatrnak hai... isse bhagao.


"Oho, to anjaan aadmi ka bhay sata raha hai inhe. Koi nahi kosis kar lo main bhagne wala nahi. Filhaal to nahi, jab tak main iss jagah ko samjh na jaun. Jab tak ki mujhe meri khoyi chijen wapas nahi mil jata. Fir tum kaun aur main kaun"


Idhar sare log meeting kar ke sidha pahunche Nischal ke pass..... "Dekho Mr. Ab tak jo bhi hua wo mahaj ek ittifaq tha, lekin ab tumhe apne raste jana hoga".


Nischal.... Kyon, meri galti kya hai... sirf itna na ki meri koi pahchan nahi, aur tum sab mujhe nahi jante.


Ashis.... Dekho dost tum kuch bhi kah lo sau baat ka ek jabaw, tumhe jana hoga...


Nischal.... Aur yadi maine naa kaha to...


Ashis..... Na kaha to... fir jute maar kar bhaga denge...


Nischal.... Sochna bhi mat, tum char logon se to nahi he ho payega. Ek kaam karo tumhare jitne dost hain sab ko bulao aur ek kosis kar ke dekh lo. Yadi tum jute marne me kamyab ho gaye to main chala jaunga. Warna main Jivisha ke sath he rahne wala hun, wo mujhe bahut pasand hai aur usse main nahi chhor sakta.


Sudeep.... Bahut bolta hai, maro sale ko. Ye sale sadak chhap bina jute khaye baat nahi man'ne wala.


Sudeep ka itna kahna tha ki Manjeet aur Ankit badhe aage.... bechare kitna aage badhte... daurte rahe dono par Nischal hath nahi aaya. Kya speed me bhag raha tha. Nahi hath aaya Nischal anth me dono thak kar sab ke pass pahunch gaye.


Ankit.... Sala pakka ye chor hai, kitna tej bhagta hai. Olympic me bhage to jaroor gold madel jit layega.


Nischal.... Juban sambhal kar, main koi chor nahi. Ye tum sab ke liye achha hoga ki mera ego hurt na karo, warna main wo tandav karunga ki fir tum sab usse sah nahi paoge.


Ashis.... Stadium khula hai isliye na, abhi kisi gali me hote, fir batate.


Nischal.... Kitni bari gali mile to mujhe pakar kar dikhaoge batao.... 2 fit chauri 8 fit lambi gali banao yahin. Yadi line se bahar gaya ya tum charo me se kisi ne mujhe pakar liya to main chala jaunga...


Ashis.... Rahne de bhai, main samjh gaya tu pakka veer hai. Par ye bata tu anjaan ladka hai, main tumhe apne ghar par kaise rahne dun.


Nischal..... Suno dost tumne bhai bola na, to bhai par viswas rakho. Tumhe kisi bhi waqt yadi aisa laga ki mere wajah se tumhe paresani hui to bata dena main ussi waqt chup-chap chala jaunga...


Manjeet, hafte huye.... Maan le iski baat, banda jab itna kah raha to ek baar bahrosa kar lete hain...



Idhar kamre me Nandni...


Saroj ko samne dekhte he uske purane dard samne aa gaye. Pariwar ke samne apni nam aankhen dikha to nahi sakti thi, par jab se kamre me ghusi uske aankhon ke aanshu tham he nahi rahe the.... Roti aankhon ke samne bhi kewal Saroj ka he chehra ghum raha tha.
Yeh phone karke galati kar di jivu ne... ab iske chalte jivu kahan hai, pata laga lega shresh....
Achha hua bas Mazak mein liya baat ko nischal ne.. nahin to ashis logis ko pachtane ka mauka bhi nahin milta..
Ab nandu kho gayi fir se purani yaadon mein..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update 8-9
nandu ne ek hi galati ki life mein joh saroj se pyar kar baithi.....
agar un dono ka breakup bhi nahin hota phir bhi baad mein khush nahi rahte ek duje ki sath.. waise is chapter ko bhul jana hi behtar hain nandu ke liye....
btw jivu sachhi dosti nibhayi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-10



Nandni, roti hui bas unhi pal ko yaad kar rahi thi, tabhi pichhe se Nandni ke kandhe par Jivisha ne apna hath rakha aur ek hath aage badhati uss ke aanshu pochhne lagi......


Jivisha, Nandni ke aanshu pochh'ti... uss ke sir par hath ferti hui kahne lagi...... "Nandu, hum ne kya decide kiya tha, itni jaldi bhul gayi"


Nandni.... Kya karun Jisa, utne dino se to bardast he ki hui thi. Lekin aaj jab wo mere aakhon ke samne aaya, to sari yaden taza ho gayi....


Jivisha, apni kaan pakrte..... "Sorry, mujhe laga main ek kosis aur kar leti hun, sayad isliye wo tumhare darwaje par khada tha"


Nandni.... Nah jane de uss baat ko. Main itna janti hun tum kabhi mere liye galat nahi soch sakti. But please aaj rok mat, ji bhar ke ro lene de. Please....


Jivisha.... Na bilkul nahi, ab to jhagra ho jaye to ho jaye, par main tujhe rone dun aisa tune soch bhi kaise liya.


Puri raat Jivisha ki bak-bak chalti rahi. Halanki, Jivisha bhi samjh rahi thi ki jo dard se Nandni gujar rahi hai, koi bhi baten uss ke zakhmon par marham nahi laga sakta. Wo iss baat se bhi bhali -bhatin parichit thi ki abhi kuch bolna matlab Nandni ko chidhana hoga.


Par Jivisha ko na to Nandni ke tikhi baton ki parwah thi aur na he uss ke halaat ki, wo to bas itna janti thi ki uski dost paresan hai aur wo usse akele nahi chhor sakti. Waqt bit'ta gaya. Baton se ghaw to nahi bharte par uss khayalat se bahar nikalne me jaroor madad karta hai.


Nandni jab apne gum se bahar aayi to Jivisha ko dekh kar khud se itna he kahi ..... "Thanks god Jivisha ko mere zindgi me bhejne ke liye. Ek sache dost ki kitni jaroorat hoti hai wo Jivisha ne samjhaya hai"


Raat gumgin biti, par subah uss se bhi jyada bhari hota ja raha tha. Pata nahi kab se Nandni ki maa bahar hall se chilla rahi thi, par jab Jivisha ne time dekha to subah ke 5.30am baj rahe the. Darasal Dulhan ke bhai se rashmen shuru honi thi, isliye Durga devi subah-subah uthkar Saroj ko dhundh rahi thi. Ab Saroj ghar mein ho, tab to wo jawab de, aur jab Saroj nahi mila tab Durga devi, Nandni aur Jivisha ko chilla-chilla kar uthane lagi.


Hall se fir tej chillane ki awaz aayi Durga devi ki.... "Koi sun bhi raha hai, wo ladka kahan hai. Kahan chala gaya wo".


Subah ke 5:30am baje aur durga devi ji ki awaz hall se hote huye sare kamron me ja rahi thi. Jivisha aunghte uthi.... Nandni ke kandhe ko jor se hilati..... "Yaar itni khunkhar mother india ko kaise jhelti hai. Ja kar bol na so jaye.... Nandni... Uth na baba... Dekh to meri maa ki tarah teri maa ko bhi subah-subah daura par gaya".


Nandni, nind se bhari awaz me .... "So ja Jisa, boltey-boltey khud he chali jayegi"


Jivisha.... Yaar tu mother india ko raat ko nind ki goli kyon nahi de deti. Itni subah bhi koi jagta hai kya. Ye sari mother india ek jaisi kyon hoti hai ?


Nandni.... Dekh tujhe subah-subah itni bakwas karni hai to ja hall me, meri maa ke sath karti rah. Par mujhe abhi sona hai, kachar-kachar band kar.


Jivisha.... Kamini meri nind toot gayi hai aur tu bistar par pare-pare bhasan de rahi hai.


Jivisha pichhe se ek laat khinch kar mari aur Nandni ludhakti hui dhamn se, bistar se niche. Chot laga usse, gusse me Nandni chid'ti hui uth kar baith gayi. Gusse me pagal hokar idhar-udhar dekhne lagi .....


Jivisha.... Bhut ki tarah jamin par baith kar, look kya de rahi hai. Ja bahar aur dekh teri mother india subah-subah pura ghar, sir par kyun utha li hai.


Nandni, chidhi si awaz me... "Kamini sab tere action ka reaction chal raha hoga, jaroor tera he koi kand hoga. Kar tu aur nind meri kharab ho. Ruk abhi tujhe batati hun ....


Jivisha.... Tu gusse me aayegi aur main tumhe apna pyar dikhaungi, aa ja...


Nandni.... Ruk tujhe abhi batati hu...


Nandni, Jivisha ko marne dauri. Nandni gusse me badhi aur Jivisha mazak ke mood se Nandni ko daboch kar bistar par lita di. Jivisha, Nandni ke upar aakar uske paun me paun fasa di, aur dono hath ko apne hathon se daba kar, gol muh karti Nandni ke hont ke ore apne hont badhane lagi.... “Oye pagal, kya kar rahi hai .. chhod na re ullu”… Nandni niche padi Jivisha ko hatne ke liye bolne lagi….


Tabhi dharam se gate khula aur sath me chillane ki tej awaz bhi .... "Kab se main paglon ki tarah chillayeeeeeeee".....


Gate dharam se khula aur samne ka najara dekh kar Durga devi ki awaz uss ke muh me he rah gayi ...... Kuch der tak to Durga devi ko samjh me he nahi aaya ki dono ko kya kahe. Fir achanak he chillati hui kahne lagi ..... "Ye tum dono kya kar rahi thi"


Itna kah kar Durga devi ultey paun bhag gayi.....


Nandni.... Kamini ab mom ko kya bolenge….


Jivisha.... Bol dena, ab tumhe ladkon me intrest nahi raha….


Nandni..... Kuch to sharm kar besharm...


Jivisha.... Haye nandu, ab apni umr nahi rahi sharm karne ki…


Tabhi fir se bahar se Durga devi ki chhillqne ki awaz.... "Dono ander kya kar rahi ho"...


"Chal high court ka bulawa aa raha hai, jaldi kar warna aaj kahin mother india suli par na chadha de".... jaldi se dono bahar hall me aayi.....


Durga devi, aakhen dikhati.... "Ye tum dono kya kar rahi thi".....


Jivisha, dhime se .... "Wahi jo aap ne dekha aunty ji.... Chumma le rahi thi, jabardasti”….


Durga devi Jivisha ki baat nahi sun payi, lekin Nandni ne sab sun liya. Wo Jivisha ke paun par paun marti... "Bhagwan ke liye apna muh band kar"


Durga devi.... Tum dono ye khusur-fusur kya kar rahi ho, kuch puchha maine ...


Jivisha do kadam aage badh gayi, usse aage jate dekh Nandni ne apne sir par hath rakh liya ... "Sab syapaa"


Jivisha pure mood aur pure emotions ke sath.... "Kya bataun aunty. Aap to khud bhi ek aurat hain, to shadi ke baad ka mera dard aap nahi samjhengi to aur kaun samjhega. Bas ussi chakkar me maine Nandu ko Nishchal samjh liya"


Nandni, budbudati.... "Besharm kahin ki tu baad me mil, tera dard main mita'ti hun.


Durga devi... Bas-bas samjh gayi. Ye batao aadhe ghantey se main chila rahi thi, tum dono kya kaan me ruyi dale soye hui thi. Batao to, ye koi waqt hota hai uthne ka. Dono ki aadaten bigri hui hain. Der tak sona to jaise faishion sa ho gaya ho. Upar se dekho kaise besharmon ki tarah khadi hain.


Nandni.... Had hai mamma, 5:30 baje bhi koi uth'ta hai kya. Aap ko nind nahi aati to kam se kam hume to so lene do.


Durga devi.... Sab tere papa ki chhut ka natija hai. Ruk unhi ko sunati hun. Unhi ke lad pyar ka natija hai ye sab. Ye ladki to pure bigar gayi hai.


Jivisha..... Aunty ji aap koi jaroori baat ke liye hume jaga rahi thi na….


Durga devi..... Haan wo tera bhai kahan gaya, subah se dhund rahi hun mil nahi raha.


Jivisha.... Wo to chala bhi gaya....


Durga devi.... Kya mazak hai ye. Saam ko aata hai aur raat ko chala jata hai... ye kaisa bhai hai. Aaya tha to rukna chahiye tha na.


Jivisha ek baar fir full emotions me aati..... "Aunty, sab waqt ki majboori hai. Ab wo bhi bechara kya karega, mujhe dekhe bina rah nahi paya, tou karj lekar flight se aaya tha. Mujhe dekha aur dekh kar usse santusti mil gayi. Aap to janti he hain wahan ke haalaat, ghar par bhi to ek jimmedar mard ki jaroorat hai. Bechara mere karan usse kitna paresan hona para....


Durga devi.... Haan beta, wo to chehre se he bechara paresan dikh raha tha. Hmmm ! Koi baat nahi. Bhai ki rasham main Ashis se bol kar pura karwa dungi. Chal ab tu jaldi se sab kaam kar ke fatafat taiyar ho ja. 9am baje se ladies aana shuru ho jayengi....


Jivisha.... Kaisa kaam aur ladies kyon aa rahi hai...


Durga devi, Jivisha ke chehre ko apne sine se lagati, uske gal ko thap-thapate huye kahne lagi.....


"Tu abhi bachi hai beta. Shadi ke baad jodon me pyar sada ke liye bana rahe, uske liye hum kayi sare rashmen nibhate hain. Tu apni sasural me hoti to ye sab tumhari saas karti. Par tu chinta na kar, main hun na"....

"Sun pure ghar ki saaf-safai karke, 50 logon ke liye tumhe khir banana hai. Tabhi to subah se utha rahi thi... ab ja jaldi se, pure ghar ka jhadu-pochha karne ke baad kitchen me khir bana dena. Aur kitchen ka kaam jab khatam ho jaye tou kitchen ko ache se saaf karke, sare bartan bhi saaf kar dena. Sabhi kaam jaldi se khatam karke achhi tarah Dulhan ke jode me taiyar hokar 9am baje tak hall mein aa jana.


Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bahar aate jar ahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.
Aur ishe kahte hai khud ki pair kulhadi pe maar lena.... poor jivu...
Ab sabhi ishe abla samjh ke tabla bajayenge....
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 
Top