• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-41



Nandni ke flat me iss waqt….



Idhar jab tak Nandni, Jivisha se baat kar ke usse flat par bula rahi thi, ussi bich Sawalker, Nischal se baat kar yahan aa raha tha aur in sab mamle me Nischal ki tooti pasliyan rah he gayi.


Nandni jaise he Jivisha se baat kar ke hall me aayi.... "Tu kya pagal hai Nandu, main yahan dard me hun aur tu phone par gappe lada rahi hai".


Nandni..... Oh sorry main to teri haddi bhul he gayi. Arre Jivisha ka call tha, to maine usse kisi tarah bahane se yahin bula liya.


Nischal..... Duffer kahin ki, usse abhi bulane se pahle puch to leti, bede bhaiya bhi abhi yahan aa raha hai.


Nandni.... What???? Wo kyon aa raha hai....


Nischal..... Chhod ab to aa he rahe hain na, dono. Tu ilaz shuru kar, mujhe bahut dard ho raha hai.


Nandni..... Wait, wait... Nischal main koi Dr thode na hun jo tera ilaz karungi. Tu kya pagal ho gaya hai?
.…. Arre kuch nahi hoga bas kuch pattiyan lagani hai.


Nandni.... Had hai, pattiyan lagani thi to batana tha na, raste se he le leti.


Nischal..... Nah uss ki jaroorat na hai, mere bed ke niche ek bag rakha hoga, ussi me hai wo pattiyan, aur pttiyon ke pass hi ek tharmas rakhi hai, usse bhi nakal lana.. chhod pura bag hi le aa..


Jab tak Nandni wo bag nikal kar lati, tab tak Nischal apni shirt utar kar sofe se tik kar baith gaya. Jaise he Nandni hall me aayi..... "Woooooo Nischal, macho man. Body to tune ek dum mast banayi hai. Uffff teri body dekh kar to niyat gandi ho gayi".


"Hat besharam, kahin ki".... Nischal thoda uncomfortable feel karte, apne sine ke upar t-shirt dal liya. Nischal ki iss harkat par Nandni lotpot hoti kahne lagi.... "Cool look Nischal, aisa lag raha hai jaisa suhagrat ke scene me kisi heroine ko dekh rahi hun"


Nischal..... Tu pakke wali besharm hai. Sala filmon me jitni sarif ladkiyon ko dikhate hain, actual life me wo utni hoti nahi. Ab dant dikhana band kar aur kaam kar le kuch.


Nandni..... Kyon chhed-chhad kewal ladke he kar sakte hain kya, hum ladkiyan nahi. Hume bhi chhed-chhad me bahut maza aata hai, bus talash aise ladke ki thi jis'se safely chhed chhad kar sakun.


Nischal:- Aur iss pure jahan iklauta bakra main he mila tujhe..


Nandni:- yessss, Khair ab baat band kar main nahi chahti ki teri sexy body koi bahar wala dekhe, isliye jaldi bata patti kahan lagani hai


Nischal.... Pahle bag se pattiyan to nikal le... Lekin usse pahle wo tharmas dede.


Nandni bag se wah tharmas nikal kar nischal ko badha di. Nischal ek jug pani me tharmas ke ander ka dawa usme thoda milaya aur dhire-dhire pine jaga. Jaise jaise wo pani gale ke niche utar raha tha, Nandni ki aankh fati ja rahi thi.


Nichal ke ander ka food pipe line chamakne laga, jahan se wah dawa mila pani gujar raha tha. Niche dhire-dhire karke ander ke pure parts dikhne lage the. Achambhit karne wale kashn the. Aisa lag raha tha mano ander ki puri banawat chamak rahi thi.


Nischal pani pikar jaise he fursat hua…. "Ye kya piya tune… ander ki sari chij bahar dikh rahi hai."


Nischal:- Dawa ke bare mein bataya to tha tujhe. Us janwar ke chirne par jitna damage mere body ne feel nahi kiya tha, usse kahin jyada damage Jivisha ke dhakke ne diya hai mujhe…


Tabhi ek tej raushni pasliyon ke hisse mein bhi hui, jahan Nandni saaf dekh sakti thi ki Nischal ki pasli crack hokar alag ho chuki thi. Nischal ne jab ye baat batayi thi, tab mahaj ek majak matr he laga tha, lekin abhi dekhne par usse pura yakin ho chala tha ki Nichal ko kitna damage hua hai.


Nischal:- Bus re show khatm ho gaya, dawa apna kaam shuru kar chuki hai. Ab chamak bhi chali gayi hai. Tu pattiyan laga warna pasliyan upar niche jud jayegi.


"Oh haan" kah kar jaise he Nandni ne bag se pattiyan nikali usse dekh kar..... "Ye kaisi pattiyan hain. Iss se ilaz hoga ya torture".


Darasal bilkul tight rubber ke upar steel ke dhardar nukile blade dono he siron par lage the. Jise dekh Jivisha ascharya kar rahi thi.


Nischal.... Chawkne ki jaroorat nahi hai, pasliyon ki haddi ka ilaz humare yahan aise he hota hai.


Nandni..... Duffer teri pasliyan to ab judna shuru ho gaya na dawa ke karan. Fir normal pattiyon se wo haddi set kar na.


Nischal..... Ab Nandu please, aise shocking expression dena band kar ke yahan aao. Pichhe ek sire ko pith ki ribs line ke thoda sa left me ghusao aur right se ghuma kar dusra sira mujhe do.


Nandni ke hath kanp gaye, jab wo steel Nischal ke pith me ghusa rahi thi. Uss ke sarir ke ander se khun nikalne laga. Khun ko bhi dekh kar usse ascharya hua, kyoki wo aam insano jaisa laal nahi thi.


Chuki Nandni, Nischal ke bare me janti thi, isliye khun ko dekh kar jyada react na karte huye usne patti ka ek sire ko kisi tarah uss ke pith me adjust kar ke dusra sira Nischal ke hath me de di.


Nischal, kisi tarah dard ko bardasht karte, Nandni se kahne laga.... "Uss sire ko dono hath se tight pakde rakho, main dusra sira aage adjust karke piche badha raha hun".


Nandni kisi tarah himmat kar ke, pith me guse sire ko dono hathon se daba kar pakdi rahi, aur Nischal ne uska dusra sira pasliyon ke upar ache se chadha kar piche Nandu ke ore badha diya. Nandu ek hath se pith me ghuse sire par pura dabaw bana kar dusra sure ko ribs ke line ke pass ghusa diya.


"Kewal ek patti se kaam nahi chalegi, dusri patti bhi lagana hoga"…. Itna kahte huye Nischal ne usse dusra patti thik ussi ke upar se lagane ka ishara kar diya.


Pattiyan lag gayi thi. Nandni garam pani se uss ke khun ko saaf karne lagi tabhi wahan Kasak aur Jivisha bhi pahunch gayi.


Samne ka najara aisa tha ki, Nischal apne dono paun latka kar sofe par baitha tha aur Nandni uss ke dono paun ke bich sofe par ghutne ke bal baithi, kabhi dayen jhuk kar pichhe ka khun saf kar rahi thi, to kabhi bayen.

Samne se dekhne par Nischal ki pattiyan dikh nahi rahi thi aur aisa lag raha tha jaise Nandni, Nischal ke khule badan se lipat kar dono romance karne me busy ho.


Aisa najara dekh kar Jivisha aur Kadak ke paun ruk gaye. Jivisha ko pata nahi kya ho raha tha. Wo ander se bahut he bura feel kar rahi thi, kuch aisa jo wo bardasht nahi kar pa rahi ho. Khade-Khade usne apne sath laye ful ko maror kar jamin par bikher di. Tabhi Nandni ko wahan kisi ke hone ka ehsaas hua, aur wo khun saaf karke badi he chaturai se aise hati ki dono ko khun na dikhe.


Nandni..... Kasak, Jivi dono kab aayi. Sorry main jarra zakham saaf kar rahi thi. Aao baitho na, bas ye upar se pattiyan lagani baki hai.


Nandni jab Nischal ke upar se hati, to samne ka najara dekh kar Jivisha ke man ko ashim shanti mili. Uske kadam apne aap Nischal ki ore badh gaye.


Jivisha bade gaur se un pattiyon ko dekhti rahi. Dhire se apna hath badha kar un pattiyon ko chhuti hui puchne lagi..... "Dard ho raha hai kya"


Jivisha ke hathon ka asparsh matr he itna priya tha ki Nischal gahri shwans lete huye puri tarah sukoon mehsus karne laga. Nischal, Jivisha ke sparsh se he khota chala gaya. Khumari si awaz me usne kaha "Thoda-thoda". Aur sofe se tik kar apni aakhen mund liya.


Nandni.... Jivi, bura na mane to ek kaam kahun...


Jivisha... Haan bol na...


Nandni.... Ghar me ek guest aane wale hain, yadi tujhe bura na lage to kya tu ye pattiya Nischal ke badan par lapet degi......

Rubber ki tight patti par Sawalker koi sawal jawab na khade kar de isliye Nandni normal si patti Jivisha ke ore badhati hui kahne lagi….


Jivisha.... Haan-haan koi baat nahi hai, waise bhi in sab ke pichhe to jimmedar main he hun.


Nandni..... Oh thanks Jivi, tu yahan khade-khade kya kregi Kasak, chal mere sath kitchen me.


Kasak...... Mera wahan aana jaroori hai kya?


Nandni.... Haan bahut jaroori hai, aur haan sun wo jo tere hath me pappi hai usse tu yahin hall me chhod dena, kitchen me nahi le kar chali aana.


Kasak apne sath layi pappi ko hall me he chhod kar Nandni ke sath kitchen me chali gayi. Idhar Jivisha, Nischal ke chot par pattiyan dekhti afsos karti hui kahne lagi...... “Sooo sorry meri wajah se tumhe ye padesani uthani padi”.


Nischal.... Its ok Jivisha, tum ne jaan bujh kar thode na kiya tha.


Jivisha apne hath me pattiyan utha kar.... “Nischal thoda sidha baithna, main jarra pattiyan lapet dun”... Nischal sidha hua aur pith se le kar pet tak wo pattiyan roll karne lagi.... “Nischal, maine to sirf tumhe halka dhakka diya tha, fir itni jor se kaise lagi”.


Nischal... Darasal mere paun ke niche kele ka chhilka aa gaya tha aur ussi wajah se main fisal gaya. Tumhe afsos karne ki koi jaroorat nahi hai”


Jivisha... Aisa lag raha jaise tumhara dard main mehsus kar rahi hun. Baat jo bhi ho, par mera hath lagna hi tumhare unbalance ka karan hai.


Khumari bhari awaz me dono dhire-dhire baat kar rahe the, pattiyan lapet’te-lapet’te Jivisha aur Nischal ka chehra bikul karib aa gaya.... dono ke chehre par ek dusre ki sasen takrayi, aur Jivisha ka hath ruk gaya.


Khamoshiyon ke alfaj jaise ab aakhen kah rahi ho. Kabhi dono ki najren milti to kabhi njaren jhuka kar idhar-udhar dekhne ka bahana kar lete. Pyara pal tha dono ke liye aur ek dusre ko ko dekhna achha lag raha tha.



“Palken kaun pahle jhapkata hai, kya wahi game khel rahe ho dono”... Sawalkar gate par he khada ho kar dono ko tok diya. Usse distrub karte dekh, Kasak aur Nandni dono ke muh se yahi nikla.... “Sala kabab me haddi”....


Sawalker ki awaz sun kar Jivisha chaunk kar Nischal se thoda dur hat gayi aur Sawalker, Nischal ke pass aa kar baith gaya. Itne me Nandni aur Kasak bhi chay naste ke sath wahan pahunch gayi. Sawalker sukriya kahte huye chay liya aur kahne laga.....


Sawalker:- Ye chot kahan se lagi tumhe, Jivisha patti ko clip karke to hat'ti.


Nischal:- Kuch nahi bade bhaiya, wo mera paun fisla aur dayen bhag se girne ke karan pasliyon me chot aayi hai.


Jivisha:- Nahi sir, maine dhakka diya tha aur iss wajah se Nischal unbalance ho gaya aur ise buri tarah se chot aa gayi.


Sawalker:- Fir to police case banta hai. Lagta hai Jivisha ke papa se fir puchna hoga ki yahan kaun sa dhara lagana hai…


"Meri bachi par charge lagaoge, tunhari wardi na utarwa dun main… kiya kya hai meri bachi ne..".. Charge lagane ki baat jab shuru hi ho rahi thi tabhi Jivisha ka pura khandan Nandni ke darwaje aa dhamka.


Wardi utarne ki baat se to Sawalker pure taish me aa gaya…. "Nischal dekh aisi baat sunkar mera bheja sanak jata hai. Tera sasur sathiya gaya hai. Main to kahta hun in paglon ke khandan se rishta he tod de. Tere liye main Jyoti ki sabse chhoti bahan se baat chala dunga"..


"Bade bhaiya lagta hai badi jaldi wo incounter spot wali ghatna bhul gaye. Dobara agar aisi baat khyalon me bhi laye na to dukhi pati ki pira aur badh jayegi"….


"Nalayak, sasural ke liye bhai ko dhamki deta hai"… idhar Sawalker aur Nischal ki dhime baten shuru thi aur udhar kuch logon ke bich kamal ke isharon ka khel shuru tha…


Nandni jab Jivisha ke pure khandan ko darwaje par dekhi, Nandni juban se bina koi shabd nikale bus aankh aur chehre ke bhaw se Kasak aur Jivisha se puchne ki kosis karne lagi… "Kya tum dono ne yahan koi drama plan kiya hai"..


Dono hi ussi bhaw me bina koi shabd nikale fati aakhon se jawab dene lagi… "hume bhi pata nahi ye log yahan kyon aa dhamke"…


Jivisha ka bada bhai Ravi thode kade lahje me puchhne laga… "Tum dono yahan kya kar rahi ho"..


Nandita apne pati ko aakhen dikhati hui kahne lagi…. "Wahi jo shadi se pahle aap pipe chadh kar mere room me aakar kiya karte the. Choton se kaise pesh aate hain lagta hai aap bhul gaye"..


Sharafat ki misla kayam kar chuke Ravi ke karname sunkar…. "Kya… kya… kya"… karke sabhi gharwalon ka expression aur Ravi bechara bhid me sabse piche khada ho gaya. Jivisha ek bar fir kuch jyada he mayus hokar sochne lagi, "na wo Nischal ko dhakka deti aur na hi ye situation paida hoti"… Jivisha apne kadam aage badha kar bich mein khadi hoti hui kahne lagi…


"Dekhiye aap log jo bhi smiksha kar rahe hain, uski kewal jimmedar main hun, isliye jo bhi kahna ho mujhe kahiye, Nischal aur Nandni ko kuch bhi kahne ki jaroorat nahi hai. Rahi baat mahaj ek shadi ke karan itna bada bakhera hai na to jis kisi se bhi aap logon ko meri shadi karwani ho final kar dijiyega main taiyar hun"…
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-42




"Dekhiye aap log jo bhi smiksha kar rahe hain, uski kewal jimmedar main hun, isliye jo bhi kahna ho mujhe kahiye, Nischal aur Nandni ko kuch bhi kahne ki jaroorat nahi hai. Rahi baat mahaj ek shadi ke karan itna bada bakhera hai na to jis kisi se bhi aap logon ko meri shadi karwani ho final kar dijiyega main taiyar hun"…


Filmi kide ki dukan Kasak bhi pure josh ke sath 2 kadam aage badhati, Jivisha ke aage aakar khadi ho gayi aur Jivisha ko apne piche leti hui kahne lagi….. "Meri bahan ya mere doston ke liye koi ulte shabd nikale to dekh lena main kya karungi. Fir main bade chhote ka lihaj bhi bhool jaungi."..


Chatak se ek thappad ki jordar awaz aayi… "Chalo dono jahan khadi thi wahan khadi ho jao. Abhi tumhare badon ne tunhe itna bhi adhikar nahi diya ki lihaj bhul jao. Hume bhi khub aata hai sare lihaj yad dilane"… Jivisha ki maa Priya ne ek thappad khinch kar jaise hi diya bechari Kasak roni si soorat me Jivisha aur Nandni ke ore dekhti hui apne chehre ke bhaw se batane lagi…. "Yaar badi jor ka chipka gayi. Chhote se dialogue ka bada sa reaction mila mujhe"..


Himanshu:- Jivisha ab koi shadi tabtak nahi hogi jabtak tumhe koi pasand nahi aa jata. Tum puri tarah se swatantr ho. Rahi baat humare yahan aane ki to hum abhi yahan Nischal aur Nandni se mafi magne aaye hain. Hum apni bewakoofi aur bachkani harkaton ka thikra, tum par phodte aa rahe the aur ussi ka bhadas humne kahin na kahin galat tarike se Nandni aur Nischal se nikal rahe the. Tum dono please hume manf kar do..


Sawalker:- In dono ne aap ko manf kar diya ab jara aap sab shanti se baith jayenge kyonki sahar bade khatre me hai aur Nischal shayad humari ek badi ummid hai..


Sawalker ki baat sunkar sabhi log kona pakad liye aur Nischal, Sawalker se puchne laga… "Kya ho gaya bade bhaiya, aur main kaise madad kar sakta hun"…


Sawalker…..


“Bahut dardnak maut thi uss ladki ki, tumne to mauke par usse dekha hi tha na, sayad aap sab logon ne news me suna ho. Suno Nischal aisa nahi hai ki main ek policewala hun aur mujhe ye case mila hai to main bas case ke sil-silsile me tum se madad magne aaya hun”.

“Khule jo ghum rahe hain wo ek kurur narbhakshi hain, aur ye unka aakhri shikar naih tha. Jis tarah se tum uss lash ko dekh kar react kar rahe the, mujhe tum se kai ummiden ban gayi hain. Nischal kya iss case me tum meri madad karoge”.


Jivisha..... Hum yadi iss sansaar me hain to dusron ki madad hume karni chahiye. Maine dekhi thi news me wo wardat, aisa lag raha tha jaise unka agla shikar main he hun. Nischal yadi tum police ki iss case me madad karte ho to tum mere aadar ke patr banoge......


Nischal iss se pahle ki in mamlon me koi jawab deta gate se tarammm Chirag aur uss ki gf ki entry. Dono bhagte huye ander aaye aur bina hall me najar dauraye ki kaun kahan baitha hai, jor-jor se chillane lage....


“Fufa ji bachao mujhe, Aarsi ke papa ke gundey mere pichhe pade hain, hume mar dalenge.... Bachao, bachao”.....


Sawalker chaunkte huye..... “Abe ab iss liliputiyan aur iss ki gf ke pichhe kis ke gundey pad gaye”


Chirag awaz ki ore dekhne laga, aur jaise he uss ore najar gayi, samne Jivisha aur pura pariwar khade hokar dono ko ghur rahi the. Sab ko samne dekh chirag ki sasen upar he atak gayi. Aur Chirag ki gf uss ka jor se hath pakdti..... “Baby yahan se pahle bhago, yahan to jyada badi gundi samne hai. Lagta hai humare pyar ko kisi ki najar lag gayi”


Jaise he dono bhagne ke liye palte pichhe se 4/5 aadmi daurte huye ander ghus aaye. Samne Jivisha aur pichhe wo log jo in dono ka pichha kar rahe the aur bich
me Chirag aur uss ki gf Aarsi.


Sawalker ko samne dekh wo 4/5 log ruk gaye aur unhe salute karne lage. Sawalker un me se ek se puchte...... "Kyon patil kay re, tu bachon ke piche kay pada"


Patil.... Ho Siwalker saheb, ye ladki hai na Aarsi apne commissioner sir ki chhoti beti hai. Jab se un ke ghar kand hua hai.....


Sawalker..... Bas-bas samjh gaya. Chal tu ja main inhe le kar commissioner sahab ke ghar pahunchta hun.


Jaise he Aarsi Sawalker ki baat suni, wo Chirag ka hath jor se thamti..... "Chirag ye wapas mujhe kaid me le jana chah rahe hain".


Chirag.... Shanti se in badon ka tamasha dekho Aarsi. Aaj chahe mujhe khun ki nadiyan kyon na bahani pade lekin main tumhe nahi le Jane dunga.


Patil.... Dekho na saheb, piddi bhar ka ye chhokda aur ye chhokdi, kaise baten karte hain. Dono ne pura sahar daurya hai. Subah se aise he bade-bade dialogue maar rahe hai. Aur school khatam hone ke baad jab main Aarsi ko ghar wapas le jane laga to pahle inhe 1 ghante ki privacy chahiye thi sath me ghumne ke liye aur jab hum nahi mane to humare naak ke niche se khisak liye.


Sawalker haste huye.... "Tu kuch dialogue marne ki baat kar raha tha patil. Jarra bata to iss chhote nawab ne kya sab dialogue mare"


Patil... Subah jab main Aarsi ko chodne uss ke class tak gaya to hume dekh kar ye bitte bhar ka ladka apne doston se kahta hai.... "To commissioner ne hum par najar rakhne ke liye apne chamchon ko bheja hai"


Tabhi ek aur Police wala bolne laga..... "Patil bhau wo dialogue bhi to batao jo ye tiffin me bol raha tha"


Patil.... Haan wo bhi Sawalker bhau... Tiffin me mujh se kahta hai... "Hume bhale he jail ki char diwaron ke bich band kar do. Pahna do hume sir se paun tak bediyan par hum panchhi har quid ko tod kar furr ho jayenge".....


Sawalker..... Rahne de ab aaj ke liye itni comedy kafi hai.


Patil.... Kaise hans rahe ho saheb, humari naukri khatre me hai inki wajah se.


Sawalker... Thik hai tu ja commissioner saheb ko bolna, unki bachi mere pass safe hai, thodi der se hum wahan aate hain.


Jaise he sabhi wahan se gaye Jivisha gurti hui Chirag ke ore badhne lagi. Apni bua ka garam para dekh kar Chirag, Aarsi ke pichhe chhipte huye kahne laga.... "Di dekho iss waqt main apne gf ke sath hun aur iske samne mujhe pitogi to meri izzat chali jayegi".


Jivisha.... Teri izzat jayegi nalayak, tu ghar chal tujhe batati hun.


Tabhi Aarsi, Jivisha ke paun pakadti.... "Bua sasu, please inhe kuch mat karna, warna main subside kar lungi".


Wahan maujood sabhi log kabhi dono ki hight dekh rahe to kabhi unke dialogue.... "inhe, aur suside" ke bare me soch kar shocked huye ja rahe the....


Sawalker..... Thik hai main Aarsi ko le kar commissioner sahab ke ghar ja raha hun. Tum log sambhalo iss chhote nawab ko.


Nischal..... Bade bhai, mujhe bhi sath le lo, main bhi ek baar commissioner sahab se mil lun.


Jivisha, Nischal ke ore muskura kar dekhti hui.... "Mujhe khushi hui tumhari sahmati par, aur bhi jyada khushi tab hogi, jab tum un kamino ko pakdwa kar uss ke kiye ki saza dilwaoge".


Nischal.... Mujh se jo ban padega wo main karunga.


Nischal Aur Sawalker dono wahan se nikal gaye, idhar Jivisha, Kasak aur pura pariwar Chirag ko le kar wahan se nikal gaye.


Raste me Sawalker aur Nischal....


Sawalker...... Nischal iss case ke bare me tumhari kya rai hai.


Nischal..... Bachi hai abhi sath me, wahin sari baten karte hain na.


Aarsi..... Main itni bhi bachi nahi hun, maine dekha aap me aur bua saas me kuch na kuch to gutur-gutur chal raha tha.


Nischal.... Kya gutur-gutur, bade bhai ye aaj kal ki maa kya kha kar bachon ko paida karti hai jo aise namune nikalte hain.


Raste bhar dono Aarsi ki baton ko jhelte rahe. Har baat par uss ke aise points Aur logic, counter reply me aate ki Sawalker aur Nischal ka muh khula rah jata.


Commissioner ke ghar dono jaise he pahunche, commissioner apni choti beti par chillane laga. Badi beti ka sadma abhi thik se gaya nahi tha, upar se Aarsi ki harkatein usse aur bhi jyada padesan kar rahi thi. Khair Aarsi ke jane ke baad in teeno ki meeting shuru hui..


Sawalker.... Sir ye wahi ladka hai jis ke bare me maine bataya tha.


Commissioner..... Kaun hai wo log, kya tum unhe jante ho. Ek baar mujhe unka pata bata do, jab tak main unko jamin me jinda gad na dun main chain se nahi baithunga.


Nischal.... Yadi wo aap ki beti nahi hoti, to kya tab bhi aap ke aise he emotions hote.


Commissioner, Nischal ki baton ka jawab nahi de paya aur wo khamosh ho gaya. Nischal ki baton par Sawalker react karte.... "Nischal ye tum kaisi baten kar rahe ho".


Commissioner..... Bolne do usse, ladka hum se kuch kahna chah raha hai. Haan tum ladke jarra khul kar kaho, kya kahna chah rahe ho...


Nischal.... "Sir, yadi aap ek senanayak hai to aap ko ek senanayak jaisa vaywahar rakhna chahiye. Beti ki hatya aap ko kamjor banayega, lekin bataur senanayak aap ko ye sochna hai ki, aapke bhadose par jo janta khud ko surakhit mehsus karti hai, unko kisi se bhanayak khatra hai aur aap ko kaise bhi karke jald se jald iss se niptana chahiye".

"Ek pita ka jamir usse chilla kar kah raha hai ki badla le. Lekin wo pita badla le bhi to kis se le. Wahin ek senanayak ka kartavya hai ki wo sab se pahle aane wale khatre se apne logon ko aagah kare, taki vhawisya me aisi koi wardat na ho. Aur dusri taraf un kamino ki khoj jari rakhe".


Commissioner...... "Hmmm !!!!!! Tumhara ehsaan raha, sayad main badle ki bhawna me itna andha ho gaya tha ki main ye bhul gaya ki iss waqt mujhe kya karna chahiye".


"Sach hai yadi badla lene gaya to main nischit harunga, lekin yadi ek mukhiya ki tarah isse ek mahaj case samjh kar kaam karunga to safalta jaroor hasil hogi. Sawalker case ki detail do mujhe abhi".


Sawalker..... Sir main to yun he aaya tha, case ki file to laya he nahi sath me.


Commissioner.... Gadhe ho tum, aalsi kahin ke. Tumhe case ki seriousness ka pata nahi hai. File bhul aaye to investigation kis base par karoge.


Nischal.... "Panic na hoeye sir, main detail aap ko bata deta hun. Victim ko ek kiraye ki jagah par trap kiya gaya, pahle uss ke sath rape hua aur rape ke dauran he uss par dhardar panjon aur nukile daton se humla hua".


"Jinda rahte hi uske badan ko badi he berahmi se chida-fada gaya aur uss ke ander ke organ ko khaya gaya. Iss kaam ko 4-5 logon ne anjaam diya hai, jin me se 4 nar aur ek mada thi" .


Jaise-jaise Nischal case history bata raha tha, commissioner ke aakhon se aashu chhalakte ja rahe the. Nischal ne satwana bhara apna hath commissioner ke kandhe par rakha aur usse Iss waqt shant ho kar, isse mahaj ek serious case ke roop me lene ka suggestion diya.


Commissioner khud ko sambhalte.... "Sawalker tumhara case report iss ke case report se match kar raha hai kya" ?


Sawalker..... Nahi sir, humare investigation me itna kuch nahi likha. Usme murder ki wajah unknown hai. Saboot ke naam par bas ek kati-fati victim ki lash aur iss se jyada kuch nahi. Lagbhag 24 ghante hone ko aaye hain, lekin ab tak forensic walo ne bhi koi surag hasil nahi kiya.


Commissioner..... Hmmm !!!!! Iss ladkey ne kya koi alag se investigation ka tarika nikala hai jo isse itna kuch pata chal gaya. Ek kaam karo tum wo case file mere handover karo, main ye case kisi aur ko deta hun. Tum logon ke karan main ab tak ghar me kisi ko bata nahi paya. 24 ghante se upar ho gaye aur meri beti ki lash ab tak lab me pari hai... Aise karte hain kya investigation. Tum se nahi hota to tum resine kyon nahi kar dete.


Nischal.... Sir bade bhaiya ko kuch na kahiye. Aap Ka koi bhi officer iss se jyada pata nahi laga sakta. Kya main lab ja kar ek baar lash ko dekh sakta hun.


Commissioner.... Nahi tum authorised nahi ho, lekin kya tum mujhe ye viswas dila sakte ho ki wahan se tum kuch surag hasil kar paoge.


Nischal.... Haan bilkul sir, mera wada hai aap se jab tak un logon ko benaqaab na kar dun tab tak main chain se nahi baithunga.


Commissioner..... Sawalker tum apni ek team banao aur tumhari puri team ko officially aur unofficially jaise bhi investigation karna hai karo lekin mujhe 2 dino ke ander result chahiye. Ek baat aur iss case me koi bhi mujrim arrest nahi hona chahiye, baki sab kuch main manage kar lunga. Jate huye mere office se special permission ka letter late jana fir tunhare sath har aadmi jise tum chaho wo authorised hoga jane ke liye…


Sawalker aur Nischal dono meeting khatm karke commissioner aawas se nikle aur sidha commissioner office letter lene pahunch gaye. Sawalker ne crime branch ke kuch officer ke sath ek chhoti si team ka gathan kiya aur sabhi soorat-e-haal ko bayan karne ke baad sabko kaam par laga diya.
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-43




Sawalker aur Nischal dono meeting khatm karke commissioner aawas se nikle aur sidha commissioner office letter lene pahunch gaye. Sawalker ne crime branch ke kuch officer ke sath ek chhoti si team ka gathan kiya aur sabhi soorat-e-haal ko bayan karne ke baad sabko kaam par laga diya.


Pure mamle me Nischal bhi Sawalker ke sath raha jo dhyan se bus kewal sun raha tha aur khamoshi se baar baar biti raat ki ghatna par hi focus kiye huye tha…


Police station me kuch waqt bitane ke baad Nischal wapas flat laut aaya aur akar sidha apne kamre me let gaya. Wajah yah nahi thi ki pasliyon ke chot ke wajah se wo padesan tha. Jab se Nischal ne iss case ke liye haan kiya tha tabse wah Sapna ke bare me hi soch raha tha.


Biti raat jab usne khud ko Sapna ke sath jodne ki kosis ki thi tab se uske dimag ke ander hi bhayawah pira mehsus ho raha tha, jo ek insan ko jinda hosh me rahkar usse chirne ki hoti hai. Rah-rah kar uska dimag Sapna se jud kar uske aakhri pal ke dard ko uske dimag se gayab karna chah raha tha.


Nischal khud par kabu to karna chah raha tha, lekin na chahte huye bhi uska anterman dur rahkar bhi Sapna se judne ki kosis kar raha tha… ye kyon ho raha tha wo to Nischal ko bhi nahi pata, lekin flat par laut kar jaise hi Nischal bistar par gaya, wo anyerdhyan ho gaya.


Nischal ki chetna uss lab tak pahunch chuki thi jahan dhundhli si parchhayi me wo Sapna ko dekh raha tha, lekin wahan ka vision uske kosison ke bawjoood bhi saaf nahi ho rahi thi...


Nischal abhi lab me tha lekin uska sharir jo iss waqt Nandni ke flat me tha, wo kya pratikriya kar raha tha, gyan tak nahi. Nandni ke flat me para uska badan chhatpata raha tha. Naak se khun ki dhar bah rahi thi aur uska sharir garam hota ja raha tha..


Nischal ke body ka temperature bhi kisi aam insan jitna nahi badh raha tha balki jahan 103 ke paimane par high fever mana jata hai, Nischal ka badan 300 cross kar chuka tha…


Idhar Nandni sab logon ke jane ke baad wo bhi Ansh ko surprise dene aur usse kaam ke bich me thoda padesan karne hospital chali gayi thi. Jab se Nischal ki dastak Nandni ke jeevan me hui thi, tab se uski bhid me tanhai ki zindgi bhi khatm si ho chali thi. Isi ki ek kadi Ansh bhi tha, jo uske dil ke umang ko pahle ki bhanti hi jaga raha tha.. aur Nandni wo khushiyan wapas se mehsus kar rahi thi jo kisi ek ke jane se dur ho gayi thi.


Nandni appolo pahunch kar sidha uske chember mein ghus gayi, jahan Ansh kuch sathi doctors se baat kar raha tha. Jaise hi Nandni ander pahunchi... "Ye kya hai Ansh.. ye log mujhe tumhare pass aane se rok kaise rahe hain."…


Nandni, 2-3 security guard ke ore ishara karti bol rahi thi, jo Nandni ke piche usse rokte huye aa rahe the…


Ansh:- Tum iss waqt yahan kya kar rahi ho Nandni..


Nandni, Ansh ke karib jati, uske chair ke hand rest par baithkar samne baithe doctor ko sunati hui kahne lagi… "Aap hi log bataeye bhai sahab, patni itni dur chalkar pati ke liye khana lekar aayi hai aur ye hain ki mujhse ulta puch rahe hain, main yahan kya kar rahi hun"…


Samne uske sathi doctor aur Nandni lagbhag uske gode me baithi, bechara thoda sankoch mehsus karte … "thik hai sir hum baad me charcha kar lete hain"..


Nandni:- Haan sir jaeye-jaeye abhi to main inhe apne hathon se khilaungi.


Dono doctor muskurate huye…. "Kash hume bhi aisi biwi ka sukh mila hota ansh babu.. chaliye ab kal hi iss vishay par charcha hogi, waise bhi 4.30 baj gaye hain"..


Un dono ke jate he Nandni, Ansh ke gal par hath ferti uske gal ko chum lee… Ansh thandi aahen bharte…. "Nandu please ruk jao, yahan charo ore cctv hai."


Nandni:- Haan to main tumhare sath romance kar rahi hun kisi aur ke sath nahi… tumhe nahi pasand yahan mera aana to kah do, wapas kabhi nahi aaungi tumse milne hospital…


Ansh:- Nahi baba aisi koi baat nahi hai… tum bekar me kuch bhi nahi socho…..


Nandni, muskurai, aur Ansh ko dekhti hui kahne lagi... "Jab aisi koi baat nahi to fir mujhe gale lagakar chumo"..


Ansh, thoda chaunkte… "yahan"..


Nandni kursi se utar kar khadi hoti…. "Ja kar yahan ki nurse ko chumte raho.. main ja rahi hun…"


Ansh:- Acha ruko.. ruko aise muh fula kar mat jao warna mujhe guilty feel hoga.. waise tum pakka sure ho na yahin kiss karna hai…


Nandni:- off o baba .... Kitna ghabrate ho.. tumse na ho payega, main Nischal ko hi bol deti hun kiss ke liye…


Ansh char kadam aage badhkar Nandni ko kamar se khinchte uske hoton se honth lagakar chumne laga.. Nandni bhi apni aakhen band karke uske gale me hath dalkar kiss me dubti chali gayi…


Dono gahre kiss ke nashe me the tabhi Nandni, Ansh se alag hote huye kahne lagi… "Ansh mujhe thodi ghabrahat ho rahi hai, chalo ghar chalte hain"..


Ansh:- Badmash kahin ki.. I am too excited baby, but mujhe ek case ke liye lab bulaya gaya hai.. janwaron ka fir se ek brutal mamla samne aaya hai...


Nandni:- Hmmmm ! Koi baat nahi hai Ansh, but ye main kisi excitment ki wajah se nahi kah rahi thi.. wakai kuch acha nahi lag raha iss waqt.. thik hai tum kaam karo, main baad me call karti hun…


Nandni wahan se kafi khamosh bahar nikli, Usse jate dekh Ansh ko bhi acha nahi laga… piche se wo bhi daura.. Nandni ki khamoshi usse itni khal gayi ki wo bhul gaya ki yah hospital hai aur Ansh yahan ka ek doctor. Nandni Nandni karta wo hospital me hi awaz lagakar daurne laga.


Ansh ki Awaz sunkar Nandni pichhe palti aur Ansh ka aana uske chehre par muskan le aaya. Dono sath me hi flat pahunche aur mukhya dwar aise hi khula hua… "Ansh, ye Nischal bhi na ek dum pagal ho gaya hai. Darwaja aise hi khula chhod gaya hai"…


Nandni gusse me ander gayi aur jaise hi wo Nischal ke kamre me ghusi… "Anshhhhh… Anshhhhhh…. Anshhhh".. wo paglon ki tarah Ansh ko pukarne lagi.. aakhon se Nandni ke aanshu bahne lage aur wo bhagkar bistar par baithkar Nischal ko sidha ki aur uske sir ko apne gode me rakhkar usse jagane lagi..


Nandni ki awaz par Ansh jo apne kamre me change karne gaya tha wo bhi bhagkar wahan aaya… samne ka najara dekha… Bistar khun se laal ho chuki thi... Naak se ab bhi bleeding ho rahi thi aur Nandni ka ro rokar bura haal ho gaya tha...


Ansh aage badhkar Nischal ka matha chhu liya aur teji ke sath hath pichhe khinchte aschrya me pad gaya… wo chadar par lage khoon ko apni ungliyon me liya aur usse bariki se dekhne laga... Ansh ko ab shanke ne gher liya tha…


Nandni ke aashu barshat ki tarah Nischal ke chehre par gir raha tha. Wo apne dupatta se lagatar uske naak se bah rahe khun ko saaf karne ki kosis kar rahi thi, lekin khun band hone ka naam nahi le raha tha…. "Tum putle ki tarah wahan khade kyon ho… please kuch karo na Ansh… pleaseeeeeee"..


"Ukhunnn .. Ukhunnnn… Unkhunnn… Fir doctor par chilla rahi ho Nandni"… Nischal hanste huye apni nind se jaga… Uski aakhen khuli dekh Nandni usse lipat gai… "Pagal hai kya tu… jaan hi nikal di thi meri"..


Ansh… Ab uski jaan me jaan aa gayi hai na Nandni… calm down baby…


Ansh Nandni ko sambhalte usse dilase dete kahne laga.. Ansh ki baat par Nischal bhi niche kahne laga… "Main thik hun… likin aise hi mere chehre se lipti rahogi to pakka main dum ghutne se gaya kaam se"..


Nandni apni aashu saf karti hui uske upar se hati aur gusse me usse 2-3 thappad marti hui puchne lagi…. "Ye sab kya hai"..


Nischal baat ko ghumate huye kahne laga.... "Main marne ka illusion try kar raha tha aur issi chakkar me paitra ulta par gaya… hato main jara fresh hokar aaya".


Nichal, Nandni ki gode se uthakar jaise hi khada hua, thoda ladkhada gaya… "thik hum main… kuch nahi hua"… aur kahta hua bathroom me ghus gaya…Nandni bhi kitchen me gayi wahin pani bhi pi aur apne chehre par pani ki chhinte bhi marne lagi…


Ansh:- Main ambulance bulawn kya .. kafi blood loss hai..


Nandni:- nahi shayad ab wo thik hai. Fir bhi main usse dekhti hun, yadi jaroorat lagi to main tumhe call kar dungi.


Ansh:- Jaisa tum thik samjho Nandni. Acha tum Nischal ka khyal rakho, maine bataya tha na mujhe lab jana hai, isliye main ja raha hun… tumhare pass paise hain kya..


Nandni:- haan mere pass paise hai ..


Ansh:- Fir bhi ye mera card rakho aur ye hospital pass bhi. Yadi main call ka respond na karun to emergency me ye tunhare kam aayenge..


Nandni, Ansh ke gale lagti…. "Thankyou so much Ansh"..


Ansh:- Ab tum aise pyar se gale lagaye rakhogi to main kahin bhi ja nahi paunga.....


Ansh bhi thoda sa mazak karte wahan se nikla. Uske poket ki chhoti sisi me Nischal ka blood sample tha aur environment ka temperature jis'se lete hain, uspar Nischal ke body ka temperature tha jo ki lagbhag 300⁰ celcius tha. Fahrenheit me yadi reading liya jaye to lagbhag 572⁰ ki reading thi. Ansh kuch bhi niskarsh nahi nikal pa raha tha isliye wo sidha lab chala gaya.


Idhar Nischal fresh hokar wapas hall me aaya. Thode hi der me wo pura recover ho chuka tha. Nandni jabtak khun se lage chadar ko dustbin me dalkar wo bhi fresh hone chali gayi thi. Thodi he der me wo bhi fresh hokar hall me aayi aur khamosh hokar uske pass baith gayi.


Nischal 6 jug pani ke sath dawa pi chuka tha... Wo gahri shwans lete Nandni ke ore dekha aur muskurate huye kahne laga…. "Tumne wapas bula liya warna main Sapna ke dimag ke mayajal me ulajh gaya tha"..


Nandni:- Nischal jab guru ji kitab se tumhe koi madad nahi milne wali, wo hum dono jante hai, fir kyon itna jokham bhada kaam kar gaye… jante ho kuch der pahli meri kya haalat thi.. aisa laga jaise tum mar rahe ho…


Nischal:- Jo tumne mehsus kiya wo mera dard nahi balki Sapna ka tha, jise kal raat berahmi se mara gaya hai. Uske mirt sarir se maine apna dimag jod diya hai.. ab jabtak uske dimag se wo dard nahi jata tabtak main uske sath juda hua he rahunga… Maine apne aukkad se bahar ki chijon ko aajma lia hai…


Nandni:- Padeshani mat batao… mujhe batao iska hal hai ya nahi, warna main hi khushi se mar jaungi aur tum apna dimag mujh se jod lena… tumhe hero banne kisne kaha tha Nischal.. bina uske dimag me ghuse bhi to tumhe pata hi hain na ki shayad Jivisha ke vesh me koi alian hai, jisne ye sab kiya…


Nischal:- nahi Jivisha bilkul tumhari tarah insan hi hai.. uspar baad me baat karenge … wo narbhakshi alian hi hain aur wo log wahi Josefer ke group ke log hain.. jise aaj raat hi unke kiye ki saja milegi…


Nandni:- aur wo mirt dimag se jo tumhara dimag juda hai uska kya…


Nischal:- "Main thoda andhera hote hi forensic lab jaunga akele… aur wahan main purn awlokan karunga… tab jakar kahin main Sapna ke dimag se alag ho paunga, aur fir uske baad dard mitane ke liye doshiyon ko saza dunga aaj ki hi raat… Wo ladki bahut hi himmatwali thi. Jab uska jibh khinch kar nikala ja raha tha, uss dard mein bhi usse yakin tha ki koi aakar uski zindgi wapas kar dega... Isliye uska majboot dimag mujhe aakarshit kar raha ha"i...

Ek baar awlokan ho gaya uske baad uske katilon ko saza dunga… uske baad finally main ek baar aur uske dimag me jakar apni yaad usme dalunga, jis se uska dard chala jayega… Tum sari chinta chhod do aur mujh par bhadosa rakho.. aur haan tum, aaj meri wajah se kafi dipress hui ho.. isliye jabtak tum ek achi nind lo tabtak main Sapna ke dimag ke mayajal se khud ko bahar nikal kar aaya aur tumhe ye khushkhabri diya…
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Hahaha .. wo to ek tarfa na ... Maza to 2 tarfa hota hai.. reaction after my reply ...

Mujhe sabse jyada dhit reader .. PGK par mile the :D.. uske baad kismat me hi dhit reader likha gaye .. :D

Aaj kal to log traif bhi nahi karte :(.. pahle kahan meri tarif me log panne bhar dete the :D
ek chhoti si example.... ek romantic kahani ki thread joh abhi abhi suru huyi hai... Aap ne jaake wahan revo diya aur thoda bahot chit chat bhi kiya...baat yeh hai ki ab dekhiye kitne readers aa gaye us thread pe revo dene..
Yeh hai aapki power.. bas naam hi kaafi hai.. aur wahan toh aapne revo de aaye... readers ishi jigyasha vash wahan aayenge ki story line superb hi hogi..
Baaki aur kya kahu...
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Sabhi aalsi log, jo xp me jahan tak padhe the .. jald hi kahani uske aage shuru hone wali hai.. almost iss aane wale Somwar ya mangalwar se .. isliye .. laut aaeye .. aur ek baar jhalkiyan mar lijiye..
-:AARAV143:- aur rgcrazyboy ko bol dijiye :D
kab se yahin soch rahe hoge ki kab new update aaye :D
 

Ssking

Active Member
1,302
1,576
144
Update:-1



"Chay le lo chay, chay garam, chay garam" .... "Ek rupya de do sahab, mere bache bhuke hain.. aap ko dua lagegi".... "Vanita, mayapuri, oulook, sarita... magazine le lo magazine".... "Yatrigan kripya dhyan den, train no 12406, Mumbai-howrah mail apne nirdharit samay se ek ghanta der se chal rahi hai... aap ke hui aswidha ke liye hume khed hai"

"Ufff kitni bhid hai yahan... ye main kaun si grah par aa pahuncha, ye to chidiyakhana jaisa lag raha hai".....

Nischal, Kalyan junction ke platform no. 4 par khada wahan ki bhir ko dekh ascharya me par gaya. Ajib tarah ke mahol, ajib tarah ke log aur bhasha to bikul samjh se pare.

Tabhi koi train uss platform par aa kar ruki aur logon ki bhir utri.... ek aurat upar se niche bag lade, chillati hui kahne lagi.... "Ae khambe ki tarah raste me kyon khada hai, side hat na. Dikhta nahi bhari saman uthaye hun"

Nischal uss aurat ke ajib si baat ko samjh to nahi paya bas usse laga ki wo kuch kah rahi hai. Nischal hathon ke ishare me puchha "Kya hai"

Aurat.... Pagal hai kya hatne kah rahi hun to tujhe samjh me nahi aa raha hai kya....

Uski bhasha Nischal ke samjh se pare thi. Aur khada bas isharon me puchhne ki kosis kar raha tha ki wo kahna kya chahti hai.... anth me haar kar wo aurat he uske bagal se nikal gayi.

Wo aurat karib char kadam aage gayi hogi, Nischal ne samne dekha to uss aurat ka ek jhola sayad wahin chhut gaya tha... Nischal ne jhola liya aur teji se mura jhola usse wapas dene ke liye....


"Hey bhagwan ye mukhiya ji ke aadmi mujhe dhundhte yahan na aa jaye. Please bhagwan un kamino ki najar nahi pare mujh par, bacha lo prabhu... bacha lo"

Jabardasti shadi ho rahi thi, aur Jivisha shadi ke din he bhag aayi. Jab se train me baithi thi, usse ek he dar sata raha tha kahin mukhiya ji ke aadmi na dekh le, aur pakar kar uski jabardasti shadi na karwa de...

Dulhan ke libas me, upar se niche tak sazi Jivisha.... "Bhagwan-bhagwan" karti chali ja rahi thi.... tabhi... "Ticket... ticket"... karte huye T.T bhi pahunch gaya...

T.t ko dekh dekh kar Jivisha jor-jor se rone lagi. Halanki uski aankhon me aanshu to nahi the par awaz me rone wali siskiyan jaroor thi.

Kuch he der me bhir jama ho gayi..... "Kya hua bitiya, tum ro kyon rahi ho, tumhare sath wale log kahan gaye"

Bhir me se ek dayalu lady, Jivisha ko satwana deti puchhne lagi..... Jivisha apne naak aur aankh ponchhti kahne lagi..... "Mere sath koi bhi nahi. Pata nahi mere pati kahan chale gaye. Subah jab nind khuli to mere pass nahi the. Kab se unhe dhund rahu hun mil he nahi rahe. Ticket, paisa sab unhi ke pass hai... subah se bhukhi bhi hun, kuch khayi tak nahi".

T.t, wahan ke mahol ko dekh kar he nikal gaya. Usse samjh me aa gaya tha ki aage kuch kaha to public puri lapat paregi.

Train ke achhe bhale log, sab uss bechari akeli asahay ladki ko wahan se utha kar apne stah wali berth par le aaye. Pahle to khub khilaya pilaya, fir Jivisha ke pati ko 100 galiyan dete huye usse kosne lage.....

Train apni puri raftar se apne har paraw par rukti hui chal rahi thi. Jivisha ka safar achha katne laga, lekin tabhi lobby me najar gayi aur dar se Jivisha ka kaleja dhak-dhak karne laga. Mukhiya ji ke aadmi Jivisha ko dhundhte uss compartment me pahunch chuke the.

"Ab kya karun... Bhagwan kaha tha na thodi madad karo... nahi suni na aap ne"... Jivisha chupke se wahan se uthi aur ja kar bathroom me ghus gayi... idhar mukhiya ji ke aadmi usse pure compartment me dhundhte aage badh rahe the.... Tabhi Kalyan junction par train ruki aur Jivisha chhipte-chhipate bahar nikal gayi.....

Jisvisha mud-mud kar aage pichhe dekh rahi thi aur bari teji se aage badh rahi thi. Nischal uss aurat ka bag utha kar usse dene ke liye mura he tha... aur ussi waqt Jivisha mur kar train ko dekh rahi thi aur apne kadam aage badha rahi thi.....


"Dharam"....... Jivisha aur Nischal ki takkar ho gayi... Jivisha larkhara kar girne lagi. Tabhi Nischal ne uske kamar ko apne hathon me tham liya aur usse girne se bachaya....

Nischal ne aakhen munda... sara ghatnakarm usse slow motion me dikh raha tha.... uska murna... aur Jivisha ka kandha uske sine se takraya..

Uski gardan piche ki ore mure aur kadan aage tha.... uffff jhatke ke sath gardan ghumate aage muri... khubsurat se chehre par pura baal bikher gaye. Uske aage ka paun larkharaya, aur wo girne lagi...

Nischal ne apni aakhen khol diya... Jivisha ko ab bhi wo apne hathon me thame tha... aur Jivisha ka chehra pura balon se dhaka tha.... Jivisha apne chehre par aaye bikhre baal ko hatayi... "Uffff kya masoom, khubsurat si jhalak thi, aur ye dulhan ka libas iss roop me par aur char chand laga raha tha"

Nischal ke liye ye pal jaise tham sa gaya ho, aur najren bas Jivisha par he tiki rah gayi. Idhar Jivhsa khud ko balance nahi kar payi aur wo larkhara kar girne lagi. Bikhre baal sidhi karti wo jab uthne ki kosis kar rahi thi, tabhi samne Nischal ka wo khubsurat sa chehra tha....

Ek pal ke liye aisa laga ki ye chehra dil me utar raha hai. Par agle he pal jab wapas najren train ki ore gayi to pata chala ki mukhiya ji ke aadmi issi taraf aa rahe hain....

Jivisha, Nischal ke kalai ka sahara le kar sidhi khari hui. Apne aeriyon ko unchi karti thodi upar hui aur Nischal ke gale me hath dal kar hont se hont laga diya. Jisvisha apna chehra chhipane ke liye Nischal ke hont se hont laga, usse chumna shuru kar di.... Nischal ki aankhen fati ki fati rah gayi... usse samjh me he nahi aaya ki ek he pal me ye kya ho gaya....

Jivisha hont se hont lagaye rakhi, aur najren utha kar dekh bhi rahi thi ki wo log unhe cross kiye kiye ya nahi. Aankhen khuli to pata chala ki mukhiya ji ke log bhi wahan khadey ho kar free ka show enjoy kar rahe hain.....

"Fas gayi Jivisha iss filmy trick ke chakkar me. Bhagwan ab aur kitne twist haan, kuch to raham karo. Kab tak main iss anjaan ke sath kiss karti rahun".

Jivisha aakhen kholti aur fir kiss continue karne lagti. Chhota kiss to samajh me bhi aata hai, logon ka dhyan nahi jaye. Lekin ye kiss to lamba, aur lamba he hota chala ja raha tha, aur logon ki puri bhir jama ho kar bas yahi najara dekh rahi thi.... tabhi Jivisha ke kano tak aawaz pahunchi....

"Chalo re inhe romamce kar lene do, lagta hai honeymoon bhi yahin mana kar jayenge. Chalo Jivisha ko ander train me he dhundhte hain"

Train ne horn dena shuru kiya aur mukhiya ji ke log nikal liye. Train jab badh chali to Jivisha, Nischal ke hont chhorti, yakkk-yakk karti apne hont ko rumal se pochh ne lagi....

Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....
Bahuttttttt hi shandarrrr bhaii every line I feel and imagine it ❣️❣️❣️❣️❣️
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
ek chhoti si example.... ek romantic kahani ki thread joh abhi abhi suru huyi hai... Aap ne jaake wahan revo diya aur thoda bahot chit chat bhi kiya...baat yeh hai ki ab dekhiye kitne readers aa gaye us thread pe revo dene..
Yeh hai aapki power.. bas naam hi kaafi hai.. aur wahan toh aapne revo de aaye... readers ishi jigyasha vash wahan aayenge ki story line superb hi hogi..
Baaki aur kya kahu...

Ahhhh ise kahte hain tarifff .. dil khush ho gaya..

actully .. is waqt evening pura book rahta hai... Isliye raat ko forum b nahi aa pata.. bache time me main update hi likh raha isliye kisi b shuru kahani par nahi pahunch pa raha...

Jald hi evening time work khatm hoga fir wapas lautenge kahani par aur haan .. mujhe b pata hai wahan main kaise pahuncha .. aur uss thread ke liye aise lubhawne comment ka shukriya .. par main free hokar soch sakta hun aur char line ki mithi baten mujhe majboor nahi kar sakti ki wahan ya fir yahan iss thread ke liye kisne mehnat ki hai.. aur kaun logon ko convenience karne me lagi hai.

Ab agar counter reply aaya to main ek thanks thread lounge me dal hi dunga .. :D .. ju decided
 

Ssking

Active Member
1,302
1,576
144
Update :-2


Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....


Jivisha.... Aise kya dekh rahe ho, jo bhi hua usse bhul jao aur bhago yahan se.

"O' Khudaya, kuch to aisa karo ki inki baat mujhe samjh me aa jaye. Khair baat samjh me aaye ki na aaye, inka andaz pasand aaya, issi ke sath chalta hun, kafi friendly nature hai iska".

Jisvisha.... Abhi tak yahin khare ho aur aise tukur-tukur kya dekh rahe ho. Ek baar kahi to samjh me nahi aa raha kya. Ab main kyon isse samjha rahi hun. Tum maro yahin main chali.


Jivisha, Nischal ko chhor kar platform se bahar jane lagi, aur Nischal bhi uske pichhe-pichhe chal diya. Jivisha pani bottol kharidne ek stall par ruki, tabhi Nischal bhi uske pass aa kar khada ho gaya...... Jivisha ki najar jaise he uss par gayi..... "Jivisha, pagal, jhalli, ullu... kis chipku ko kiss kar di duffer, pichha he nahi chhor raha".... bari si aankhen kiye bebas bhari najron se Jivisha, Nischal ko dekhte, hath jor kar kahne lagi.....

"Unnnnnhhhh huuuunnn hunnnn.... sorry baba wo jaan bachani thi isliye kiss kiya, mera pichha chhor do please. Dekho tum mera pichha chhor do to badle me main tumhe bahut sara rupya dungi"... Itna kah kar Jivisha ne kuch 500-1000 ke note aage badha diye...


"Bechari ladki, kitni musibat me hai, lekin ye bekar si chij mujhe kyon de rahi hai... Lagta hai issi wajah se paresan hai".... Nischal ne khud me jo samiksha karna tha kiya aur Jivisha ke hath se note le kar tukra-tukra kar diya....


Jivisha gusse me usse dekhti.... "Tum ye paise far kar kya dikhana chahte ho, bahut bare raish ho... huhhh. Dekho ab tak pyar se kah rahi thi lekin ab yadi pichha nahi chhora to police se pakrwa dungi"....


Nischal ko ab kya samjh me aaya ki wo kya kah rahi thi, wo bas haan me apna sir hila diya. Haan me usne jaise he sir hilaya, Jivisha halki muskurayi .... "chalo picha chhuta"... Jivisha ko muskurata dekh Nischal bhi muskuraya..... "Lagta hai ye bechari uss kachre ke wajah se paresan thi, ab khush lag rahi hai"


Jivisha muskurati bye ka ishara karte usse chhor kar jane lagi.... Nischal bhi hath hilata uske sath-sath chalne laga.... Jivisha mukurate huye usse fir dekhi aur kahne lagi...... "Darling abhi to kahe the ki tum mera pichha nahi karoge, fir mere sath kyon chal rahe ho... tum apne raste jao main apne raste"


Ek baar fir Nischal ne haan me sir hilaya... Jivisha ko fir laga ki ab ye apne raste jayega aur main apne raste.... wo apne kadam aage badhayi... aur fir se uske sath Nischal bhi chal diya....

Jivisha sir pit'ti wahin jamin par baith gayi aur nakiyate jor se chillayi..... "Mammiiiiiiiii"..... Agle he pal Jivisha khud ko kosne lagi... "wo kaun si manhush ghari jo main bhagi aur ye chipku mil gaya, na main bhagti aur na he ye chipku milta".....

Jivisha in flash back... kuch din pahle....



Buglow ke bahar ki jhalak... Main gate par Swarn Villa likha hua... ander uski pyari mom Priya Rajput apne pati Himanshu Rajput ke sath sofe par baithi hai... uske gode me pariwar ka sab se chhota sadasya yani ki unka pota Chirag Rajpur, apni dadi ke gode me baitha tha aur uski dadi pyar se usse seb khila rahi thi.

Samne se uski bahu Nandita Rajput apne hathon me chay ka tray liye aa rahi. Pahle apne saas sasur ko serve ki fir apne pati Ravi Rajput ki ore chay badha di. Pass me he uska ladla dever Avinash Rajput bhi baitha tha, usse bhi chay deti wo sab ke sath baith gayi....

Chay ki pahli chuski ke sath Papa Himanshu bole.... "Ab tak soyi he hui hai, ye bitte bhar ka bacha jaag gaya aur wo ladki ab tak so rahi hai"

Priya.... Jane do na ji, sone do. Kal der raat tak usne padhai ki hai....

Abhi..... Isliye kahta hun mom thoda bahut khud bhi padh liya karo. Aap ki ladli beti jasusi novel padh rahi thi... koi apne course ki kitab nahi padh rahi thi.

Priya.... Kuch bhi padh to rahi thi na. Wo nahi padhegi, nahi padhegi... shadi kar ke apne sasural jayegi, teri tarah to nahi hai... pura din apne awara doston ke sath ghumta hai aur bhar din mobile me laga rahta hai....

Nadita, hasti hui kahne lagi.... "Maa ji, dever ji ke mobile par to ladkiyon ke bhi phone aate hain"

Priya.... Kya ??? Dekha ji aapne... main shuru se kahti thi ye ladka kuch na krega gawn bhej do isse, wahin apna khet dekhega. Par iss ghar me meri koi sune tab na... dekhna kisi din kisi ladki ko bhaga le aayega to fir mujhe kuch mat kahna....

Abhi apni bhabhi ko ghurte huye dekhne laga.... tabhi bhai Ravi topic ko divert karte kahne lage.... "Bas bhi karo sab, yahan Jivisha ki baat ho rahi thi, aur tum sab Abhi ke pichhe he par gaye"....

Himanshu.... Ek minute tum sab jarra shant ho jao. Mujhe kuch jaruri baat kahni hai...

Sara pariwahe dhyan se Himanshu ki ore dekhne laga...... "Mere dost hai na Punya pratap singh, uska beta abhi-abhi foreign se lauta hai. Dikhne me smart hai, videsh se padh kar lauta hai, aur kuch din baad apne company ko chalayega.... Mujhe to Jivisha ke liye iss se achha rista kahin nahi milega... kya kahte ho tum sab".....

Pura pariwar "Haan-haan" kart charcha karne lage... tabhi chhotu ustad Chirag apni dadi ki gode se utar kar, chupke se apne bua ke kamre me chala aaya...

Jivisha, makhmal ke bistar par, takiye ko apne sine se lagaye muskurati so rahi thi. Chirag ne idhar-udhar dekha aur mej par rakha pani ka jug utha kar Jivisha ke upar pani pura urrel diya....

Jivisha harbara kar uthi aur uth kar baith gayi. Dhime se ek aankh kholi aur samne Chirag.... "Chhotku, tujhe to main aaj batati hun"

Jivisha jhapat kar dauri, wo pure kamre me idhar udhar bhagta raha aur Jivisha uske pichhe-pichhe bhag rahi thi... tabhi Jivisha ne usse pakra aur pakar kar bistar par patak di... "Saitan kahin ka aise jagate hain"

Jivisha usse pakar kar gudgudi karne lagi.... "Bol fir karega aisa... bata"

Chirag.... Heee heee heee ... bua chhoro bhi... bua...

Jivisha.... Bua bol kar chidha raha ruk tujhe abhi batati hun ....

Jivisha uske naak par dant katne lagi.....

Chirag.... Di bolo to maa marti hai, bua kaho to aap gussa karti ho... bhagwan main karun to kya karun....

Jivisha.... Nalayak tum mera beta hai ki apni maa ka. Jo main bolungi wahi karna kisi ki mat saun'na....

Chirag... Thik hai di, ab mujhe chhoro warna aap he fasogi....

Jivisha.... Ohhh ! Ye emergency wake up tha kya...

Chirag apna sir hilate.... Haan di, ye emergency wake up tha.... mukhiya ji aap ki shadi tay kar rahe hain....

Jivisha.... Mukhiya ji ki itni himmat... chal tu mere sath... aaj inki family meeting ki to fis-fis...

Jivisha, bahar hall me aayi... tab tak inki family meeting chal rahi thi aur sab log khusiyan mana rahe the... kyonki un sab ki ore se ye rista pakka ho gaya tha.....

Jivisha ko aate dekh, Priya..... "Bare achhe samay par aayi hai, sun beta har ladki ko ek na ek din"...

"Ek na ek din" par abhi baat chal he rahi thi ki Jivisha apni ek hath aage dikhati..... "Bas... to yahan mukhiya ji ke dekh rekh me puri panchyat bithayi gayi hai meri shadi ke liye. Lekin ek baat aap sab bhi sun lo, aur mukhiya ji khas kar aap... main abhi shadi nahi karungi"

Himanshu... Par kyon beta, itna achha rista hai.. hum sab ko pasand hai, fir tu kyon inkaar kar rahi hai.. dekh hum sab tera bhala he chahte hain....

Abhi.... Ye na karne wali hai shadi kyonki ye to pahle se he apna bf pasand kar chuki hai... main shuru se kahta tha ki iska aur Videh ka koi chakkar chal raha tab kaun tha jo mujhe naroow minded kahta tha....

Jivisha apni bhawen sikori... muh chamkayi..... "Bhaiya main aap ka khun kar dungi. Papa dekha na kaise awara ladkon ke sath rah-rah kar inki soch bhi gandi ho gayi hai. Chhi, aisi baten... aaj ke baad iss gandi soch wale se mera rista khatam. Main tumhe ab rakhi bhi nahi bandhungi"...

Abhi... Kaun sa free me bandhti hai. Last time scooty li thi bhul gayi. Main he tha jo sab se lar kar tujhe scooty diya tha. Abhi tu mujhe he suna rahi hai. Papa aap ne jaisa socha hai waisa he hoga...

Jivisha.... Nahi, main abhi shadi nahi karungi... yadi jabardasti kiye to main aap sab par police case kar dungi....

Himanshu.... Sab chup... beta yadi Abhi jhoot kah raha hai, aur tu ne kisi ko pahle se pasand nahi kiya to baat kya hai inkaar ki....

Jivisha ke chehre par faili muskaan .... wo tahalti hui apni baat kahne lagi....

"Nahi mera koi bf nahi aur koi hoga bhi nahi... mera to prince charm aayega... Jab wo aayega to hawa me ek ajib si khusbu hogi, mahol surmayi tarange bikherenge.... uska roop itna lubhawna hoga ki dil me utar jaye. Aur jab uss ko mujhe se pyar hoga to nile asman me wo I Love You likh dega... Dekhna wo pure himmat ke sath, aap sab ki aankhon me aankhen dal kar, mujhe aap sab se magne aayega... Bas ussi ke intzar me hun, aur main ussi se shadi karungi".....

Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......
Waooooooo so lovely ma papa ke Arman par pani for gaya?? osmm broo
 
Top