• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 99










Bilkul subah ka waqt tha… Jivisha muskurati hui Alfas grih se bahar nikli.. Kund me nahane ke karan uska chehra aur bhi jyada khila hua lag raha tha… Jivisha ne wahan ke dwarpaal ko bolkar sabhi ko turant hi sabha bahwan me bulwa li…


Ek ore NilBhut samuday ki pratinidhi Shwetna apne logon ke sath baithi hui thi, to dusri ore Jatin aur Baby Takshat samuday ka pratinidhitwa kar rahi thi… aur dono hi samuday ke logon ne jhuk'kar apni nayi shashika ka swagat kiya…


Jivisha:- Tum sab ki yah haalat ka karan, kewal aur kewal ye sar jhukana hi hai… Aaj se main yahan ka rajtantra khatm krati hun aur yahan par prajatantra ko bahal karti hun..


Dono hi pakshon ke logon ne badi utsukta se prajatantra ka matlab puchhne lage… kayi sare video Play huye jisme prajatantra ke working culture, ek saman adhikar, ek saman kanoon, satta aur takat kisi ek ke hath me na hokar balki sabko saman adhikaron ki vyawastha ko dikhaya jane laga…


Chunki Jatin prithvi par kafi lambe arse se raha tha aur usse yah kanoon vaywastha kafi pasand thi, isliye wah iss baat ke liye raji ho gaya… Jatin aur Shwetna ki aguwai me ek team ka gathan hua, jo iss pure Zoren ko 30 zone me vibhajit karke ek kusal prajatantra ko bahal karti…


Jivisha apni baat puri karke sabha ko Jatin aur Shwetna ke hawale kar'ke apne liye bus wo Alfas grih rakh li jo Shwetna ki dekh-rekh me Jivisha aur Nischal ki amanat rahti…


Subha ka waqt tha, Jivisha Zoren grah par shanti aur shashan vaywastha bahal kar'ke wapas chali aayi thi. Muskura to rahi thi lekin uski muskurahaton me bhi ek khamoshi si thi…


Jivisha apne anterman me jhanknti apni udasi ko bhanp gayi, isliye wo Nischal ke pass na ja'kar Chirag aur Aarsi ke pass pahunch gaye… dono daur kar Jivisha ke pass pahunche… Chirag subkate huye puchne laga… "Didi aap ke sine se khun nikal raha tha, dard bhi ho raha hai kya aap ko"..


Jivisha, uske sar ke baal ko bikherti hui, apne gaal se uske gaal ko ragarti hui, usse pyar se chumti kahne lagi… "Kya betu tu to bada ho gaya hai.. aur jarra mujhe apni bahu ko dekhne de… Aarsi tum bhi badi ho gayi haan"..


Aarsi:- Didi, didi jab hum dono bade ho gaye hain, to fir humari shadi karwa do na…


Chirag:- Abhi shadi ki baat nahi karni chahiye Aarsi..


Aarsi:- Lekin kyon baby..


Chirag:- Duffer, film me nahi dekhti, ghar me jab kisi ko chot lag jaye ya ghayal ho jaye to shadi ki baat nahi karte, sab kuch normal hone ke baad karte hain..


Aarsi:- Ohhh ! Mujhe nahi pata tha ye baat… koi nahi hum 2,4 din me thode aur bade ho jayenge fir shadi karenge..


Jivisha:- Oh ho.. aur shadi ke baad ghar kaise chalaoge..


Chirag:- Wo Kasak 2.0 bua hai na.. wo na ek bade se research centre ki master hai aur hum dono unke assistant. Hum dono ki to job bhi lag gayi hai…


Jivisha:- Baat to ye bhi sahi hai.. job to hai tunhare pass. Lekin kya Aarsi ke commissioner papa aur Chirag ki hitlar mammi manegi....


Aarsi, Jivisha ke mathe par apni chhoti si hatheli se dhakke deti hui kahne lagi… "Aap bhi na didi, sathiya gayi ho. Hum 2 sal pahle bhage the, wo log to ab tak apne nati-pote ke intzar me honge"..


Jivisha kya kahe aur kya na kahe, uske muh par to tala he lag gaya tha. Haalanki Aarsi kah to bilkul sahi rahi thi, lekin yadi ye case kisi aur ke sath hota to… lekin ab inhe kya jawab de…


"Band kar diya in chilgojon ne tera muh"… Nandni unke pass aa kar baith'ti hui kahne lagi… iss se pahle ki dono kuch bolte, Nandni dono se kahne lagi.... "Tum dono yahan kya kar rahe ho, tumhe to Serin ne bulaya hai"..


Dono Serin ka naam sun'kar hi wahan se uth'kar bhage.. unhe Serin ke liye aise bhagte dekh Nandni kahne lagi... "Tere dono bachon ka kafi karib se khyal rakhi hai usne"..


Jivisha:- Bahut dard jhele hain usne Nandu, shayad Nischal ke hisse ka dard bhi wo jhel gayi. Kal raat mili thi, khud to vyakul thi aur mujhe himmat rakhne ke liye kah rahi thi..


Nandni:- Ek kaam karenge, usse hum apne pagal gange me samil kar lenge..


Jivisha:- Wo to sahi hai Nandu, Lekin ye to lagbhag Kasak ki tarah dikhti hai…


Nandni:- Ye to aur bhi fayde wala rahega..


Jivisha:- Kaise..


Nandni:- Mujhe kya pata bus flow me nikal gaya…


Jivisha:- Haan ye flow me nikalna, jab normal the kitne khush the na… wo flow me kuch bhi kisi ko kah dena, fir har koi lag gaye uss betuke flow ko sabit karne me…


Nandni:- Haan yaad hai… Main tum dono ko miss karungi.. Behad..


Jivisha:- Dono ko miss karungi se kya matlab hai tumhara..


Nandni:- Main aur Aakash soch rahe the ki, kal hum dono Chirag aur Aarsi ko lekar Prithvi nikal jaye. Hum yahan dusron ke ghar ki samsya ka samdhan me to jute hain, lekin apne hi ghar ke log kin haalaton me honge, unki koi khabar nahi… Nandita bhabhi ne bure waqt me kitni madad ki thi aur 2 sal se apne bache ko dekhi nahi, wahi haal Aarsi ke papa ka bhi hoga. Uss bechare ki to badi beti ko bhi in logon ne maar dala tha…


Jivisha:- Thanks yaar … tere jane se kam se kam aage ke liye mera sar dard to kam ho jayega…


Nandni:- Haan so to hai, sabhi logon ke drame mujhe hi jhelne honge .. koi na raste me 2 din ka waqt hoga.. bahana soch lenge…


Jivisha:- Acha sun wo Nischal ne tere aur Ansh ke liye kuch apne hath se banaya tha, socha tha jab wahan Aizem par sab ko kuch na kuch deta, ussi waqt tum dono ko bhi wo deta, lekin ab to tum ja rahi ho, to wo bhi leti chali jao..


Nandni:- Tu kyon de rahi hai mujhe, main to uss kadus se hi le lungi. Waise bhi kal wo lashon ke dher ko hatwane me itni thak gayi ki uss se mil hi nahi payi.. abhi kaisa hai wo..


Jivisha:- Acha hai..


Nandni:- Baat kya hai Jisa… tu kya chhipa rahi hai..


Jivisha:- Uske sar me thodi si chot aayi hai.. aur..


Nandni, hairani se Jivisha ke ore dab-dabatyi najron se dekhti…. "Wo fir se coma me chala gaya kya? Ye iske sath hi aisa kyun hota hai? Main na grih shanti yagya karwaungi, ye baar-baar Nischal ke sath ghtna hona grahon ka koi dosh lagta hai.."


Jivisha:- Nahi wo coma me nahi hai. Balki brain cell damage hone se uske hath aur paun ke kaam karna band kar diya hai… ..


Nandni:- Arreee yaar ye kya ho gaya… Hey bhagwan kyon ache logon ko padesan karte ho.. kab usne kisi ka bura chaha hai…


Jivisha, Nandni ke aanshu pochhti…. "Yaar tu royegi to uska aur mera, hum dono ka husla toot jayega.. bura waqt hai ye bhi tal jayega"…


Nandni:- Kahan hai wo, mujhe abhi milna hai.. tu mujhe pahle nahi bata sakti thi, jab main yahan se jane ki baat kar rahi thi. Usne kabhi taklif me saath nahi chhoda, main usse kaise chhod'kar jane ki soch sakti hun…


Jivisha:- Ullu rona band karegi.. shant ho ja bahna… main kah rahi hun na bura waqt hai tal jayega… yahan par to sab hain lekin apne pariwar ke pass humari koi khabar tak nahi. Tumne bilkul sahi socha hai.. tu aaram se wahan nikal ja.. waise bhi 10-15 din baad hum pahunch he rahe hain wahan..


Nandni:- Shut up.. main usse chhod kar kahin nahi ja rahi..


"Bhabhi sahi bol rahi hai Nandni, rahi baat Nischal ki to main wada karti hun agle 10 se 15 din me hum sab tunhare pass honge. Ek wada maine bhabhi se kiya tha puchh lo usse nibhayi ki nahi"… Serin unke pass aati hui kahne lagi..


Nandni:- Hmmm ! Yaar ikchha to nahi thi jane ki.. dil nahi maan raha hai..


Serin:- Jab maine usse khud se alag kiya tha tab mera bhi dil nahi maan raha tha.. nahi mana tha mera dil ki wo bhola akele kaise iss duniya ko sambhalega… kaise survive karega.. lekin mujhe bhi dil majboot karna para tha. Dekho ussi ka natija hai ki aaj uske wajah se mujhe bhi pariwar aur doston ke bich ka sukh mila hai… warna aise pariwar ki kamna to kahin dur-dur tak sapne me bhi nahi thi...


Jivisha:- Tu aaram se hans kar mil Nischal se, fir kuch dino ki to baat hai.. aur haan kamini humare bagair shadi nahi kar lena…


Nandni:- Main to raji bhi ho jaun lekin ab to Ansh hi raji nahi hoga.. doston ke naam par to uske pass Nischal ke siwa koi hai bhi nahi.. aur humare yahan ladka apne baap ke bina ek baar shadi kar sakta hai, lekin dost ke bina to usse lagega shadi nahi maiyyat samaroh ka aayojan hua tha..chal chalkar mil leti hun uss khadus se..


Jivisha:- Serin, Nischal ko hosh aa gaya kya ?


Serin:- Haan kuch der pahle hi aaya tha.. ek baar batane aayi thi tab aap log nahi the..


Nandni:- Kaisa react kiya usne..


Serin:- Imandari bataun to wo thoda sa padesan hua, lekin bilkul normal tha.. kah raha tha bade-bade events me aise hadse hote rahte hain… mere hath paun sab to tum sab ho..


Nandni:- Haan sahi hi to kaha hai usne.. waise bhi bahut bhagta tha.. ab ek jagah kam se kam baitha to rahega..


Uski baat sun'kar sabhi hans diye aur hanste hanste achanak hi rone lage.. Kuch pal gum mitane ke baad teeno hi pahunchi medical section me… pura medical section ko khali dekh'kar Jivisha aaschrya se puchhne lagi… "Yahan ke ghayal log sab kahan gaye"..


Serin:- Jo gambhir roop se chotil the, unhe NilBhut ke hospital me rakha gaya hai… aur baki sab ko chhuti de di gayi hai.. iss ladai me in logon ne 2 carore log khoye hain.. lekin apne logon ko kisi ne ro kar vida nahi kiya, balki pure jashn ke sath unki aakhri vidai di gayi…


Nandni:- Batao ek ye log hain, aur ek tum sab ho… Nischal ke liye bus ro rahe ho..


Jivisha:- Haan pagal khali hum log hi roye the na.. chal ab..


Jaise hi teeno ander pahunche… "Kya hai khadus, suni tere hath paun chale gaye"… Nandni uske bistar ke kinare baith'kar puchhne lagi …


Nischal:- Matlab ye baat akhbar me bhi aa gayi kya?


Nandni:- Sir aap itne mahan hasti hain ki aap ke chhink ki charcha to pure universe me hoti hai, fir to ye aapke hath aur paun hain..


Nischal:- Haan durbhagyavash ye sahi khabar hai..


Nandni:- Bahut bhagta tha na… ab thik hua.. hamesa najron ke samne rahega.. waise iske muh par tape laga'kar iska rape kar dun to kisi ko pata tak nahi chalega…


Jivisha uske sar par pichhe se hath marti… "Jhalli kahin ki, ja tu apne doctor ko pakad.. mere maal par najar dali to dekh lena. Oye jiju apni biwi ko sambhalo yaar.. ye kuch jyada hi maze le rahi hai"…


Ansh:- Ab kya hi bataun pahle sirf suna tha ab dekh raha hun, ladkiyan shadi ke baad besharm ho jati hain..


Nischal:- Doctor sahab Shadi to Jivisha ki bhi ho gayi hai.. aap ke kahne ka kya matlab hai wo bhi besharm hai..


Jivisha apni aakhen dikhati… "Bade matlab nikale ja rahe hain haan"..


"Aaj ki subah aise khili si aaogi to main to pagal ho jaunga"… Aur Jivisha ke honton par Nischal ke honton ka sparsh …


"Had hai baby ye kya kar rahe ho… besharm to tum ho gaye"… Sab log Jivisha ke ore dekhte huye… "Kya hua aisa kya kar diya Nischal ne"..
nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 100









Jivisha ko jaise hosh aaya ho aur wo hansti hui khud se hi kahne lagi… "Aaj love lagta hai meri jaan nikal kar rahenge".. Jivisha sabse kuch nahi kahti hui wahin baith'kar sabse baat karne lagi… tabhi Jivisha ki aakhen badi ho gayi aur wo Nischal ko ghurne lagi…


Nischal kahin aur dekh'kar baten kar raha tha.. Jivisha thodi hairan hoti hui fir se khud se kahne lagi.… "Aaj ye ho kya raha hai"…


Lekin sabhi ke sath baith'kar jab teesri baar aisa hua ki usse laga Nischal uske stan par hath fer raha hai.. Jivisha samjh chuki thi ye sari shararat Nischal ki hi hai.. bus Jivisha kewal yah soch'kar shant ho gayi ki jo bhi raaj hai pata chal hi jayega….


Jitna bahar gum gin mahol tha, ander aa kar khushiyon me badal gaya. Kisi ke dil me bhi Nischal ke liye afsos nahi tha balki bus sab yahi kamna kar rahe the ki ye waqt kisi tarah tal jaye aur Nischal kisi tarah apne pairon par khada ho jaye.


Nandni jo kal nikalne wali thi, Nischal aur Jivisha ke jid ke karan usse ek din pahle hi nikalna para...Jate waqt Nischal sabhi janewalon ke liye unka ek bag diya jise ghar pahunch'kar kholne ke liye kaha gaya..


Nandni, Ansh, Chirag aur Aarsi ke sath prithvi ke liye urr chali. Serin ne auto pilot system ke sath auto location bhi on kar di, taki landing ki koi samasya na ho. In logon ke jate hi Serin NilBhut ke hospital chali gayi aur wahan ke ghaylon ko dekhne lagi..


Idhar pure viman me Nischal aur Jivisha dono akele the.. Jivisha Nischal ke bistar par chadh gayi. Uske kamar par baith'kar, uska colloar pakadti hui… "Sab ke samne mere hoton par pappi, mere stano par hath dalna, mere kano me aa kar gungunana… Mr Nischal ab ugalna shuru karo"..


Nischal:- Had hai baba, main to bina hath paun ke yahan para hun, aur tum ho ki mujh garib par ilzam laga rahi ho.. ab jarra ek kiss to de do... Dekho mere honth sukh rahe hain"..


Jivisha:- Jhuthe ab tum batana shuru karoge..


Nischal:- Kya tum iske bare me kah rahi thi…


Fir se wahi hua, Nischal leta tha aur Jivisha ko pura feel hua ki Nischal uske honth ko chum'kar piche hata. Yahan tak ki uski shwans ko apne chehre par takrati hui mehsus bhi ki..


Jivihsa:- Bilkul issi ki baat kar rahi thi…


Nischal:- Ye mera chanchal man hai jo ab kahin bhi ja sakta hai bina kisi ke najar me aaye..


Jivisha badi si aakhen kiye… "Like mister India"


Nischal:- Haan kuch kuch waisa he..


Jivisha:- Hadd hai.. pahle to samne se rok bhi sakti thi, ab to tum har waqt mujhe hi padesan karoge..


Nischal:- Kya pata kahin tumhe hi mann ho tang hone ka aur tunhari bhawna ko bhanp kar main tang karun..


Jivisha:- Ohk .. kar lena mujhe tang, lekin iss adrishya power ki aad me kahin idhar udhar muh mare to dekh lena..


Nischal:- Chhi chhi .. ye kaisi baat kar rahi ho..


Jivisha:- Baat jaisi bhi ho lekin kaan khol kar samjh lo aur wada karo kabhi kahin idhar udhar najar nahi daloge..


Nischal:- Sakki kahin ki… aur galti se aisa hota hai to…


Jivisha:- Huhhh ! Galti se kaise hoga jarra bataoge..


Nischal:- Maan lo tum apne bathroom me naha rahi ho aisa mujhe lage aur tunhari jagah koi aur ho to..


Jivisha:- Haan to aisi galti na ho uske liye abhi wada karo ki tum aise chori se bathroom nahi jaoge.. jana hoga to mere sath jaoge..


Nischal:- Haan thik hai wada karta hun..


Jivisha:- Aise murjha kar nahi.. hans'kar kaho..


Nischal:- Pagal kahin ki, meri sari ikchhayen kewal tumse hai.. mera love, lust, pagalpan.. sab kuch..


Jivisha, muskurati hui… "Wo to mujhe pata hai baby… ye baat tumhe explain karne ki jaroorat nahi"..



Dono ki baaten kafi lambi hoti rahi. Kuch der baad Serin bhi wapas aa gayi.. dono ko hanste dekh'kar wo bhi kafi khush ho gayi… Taano baith'kar baten kar hi rahe the ki pichhe se HuYu pahuncha jo pichhle 3-4 din se yudh samapt hone ki raah dekh raha tha… darwaje se hi knock karte… "Kya aap sab ki mehfil ko thoda distrub kar sakta hun"..


Serin:- HuYu tum ab tak apna kachra batorne nahi gaye..


HuYu:- Kuch ho batorne layak to na batorun... Jo mile wo faltu ke gun the uss se to yahan tak aane ka kharcha bhi nahi niklega… Khair main deal ka pakka hun isliye tumhe force nahi kar sakta..


Jivisha:- Ladka pahli baar kuch sach bol raha hai.. Kyon HuYu humare yahan se kuch churaya to nahi..


HuYu:- Nahi yahan se kuch nahi liya… haan lekin aapka main fan jaroor ho gaya hun… jis tarah se aapne yahan ke logon me unki satta ka batwara kiya aur sari power praja ke hath me de dee.. kafi sarahniya tha..


Serin:- HuYu tumhe bolne ka mauka kya de do tum to lamba chauda bhashan de dete ho… Khair aaj tum bhi bol lo. Bhale tumhare yahan aane ke piche tumhara swarth chhipa tha, lekin tumhare imandar swarth ne mujhe bahut prabhawit kiya hai… Iss yudh ke natije ke piche tumhare dhan ka bahut bada yogdan hai, isliye maine faisla kiya hai ki tumhe bache huye sone ke sikke aur kuch uss se bhi kimti dhatu di jaye.


HuYu:- Shayad aaj main imandar tha isliye mehnat ka fal mil gaya… thik hai main yahan se apne saman samet leta hun… aur apne viman ko wapas jane ke liye taiyar karta hun..


Serin:- Thik hai HuYu.. ek baar fir tumhara shukriya.. aur haan ye lete jao… kabhi tumhe humari bahut jaroorat ho to hume yaad kar lena… haan lekin ye sikka kewal ek baar istmal kar sakte ho..


HuYu:- Jab itna hi dhanywad kah rahe to meri bhi ek arji maan lo…


Jivisha:- Haan bolo na HuYu..


HuYu:- Jab aap prithvi lauto to ek din ka hault Decca me jaroor lena, bus ek chhoti si request hai..


Nischal:- Tum nahi bhi kahte to bhi viman Decca me hault karti he.. haan bus ek din jo nahi rukne wale the wo ruk lenge.. khush na..


HuYu:- Bahut khush.. ji ab izazat chahunga..


HuYu wahan se nikal gaya. Serin khud usse chhodne aayi. Sone ke sikke ke sath jab usse platinum jaisi dhatu mili, usse dekh'kar wo pagal sa ho gaya. Aisa laga jaise uski mehnat ki kimat kayi guna jyada mil gayi hai…


Idhar Serin, Nischal aur Jivisha ke pass pahunch'kar usse kal hi wahan se Aizem rawana hone ki khabar deti hai… ab chunki viman Nischal ke bina chalana tha, isliye raat bhar Serin aur Nischal baith'kar viman ko uss patthar ki energy ko viman se jodne ke liye engine me kaam karna shuru kar chuke the..


Lagbhag 12 ghante ki mehnat ke baad engine ko single button se access kiya ja sakta tha.. Serin aur Nischal ka chehra dekhne layak tha.. dono aise khush the mano koi naya kirtiman hasil kiya ho… yahin se Nischal ne Serin ko un 2 patthar aur Surpmarich ki kahani bhi batane laga…


Surpmarich ke bare me sun'kar Serin ka itna hi kahna tha ki… "To ye hai sabhi kahani ka rachayta.. bhai uss se to jald mulakat ki ikchha badh gayi hai"..


Nischal:- Har chij ka waqt hota hai Serin, pahle apne ghar ko thoda sambhal le..


Serin:- Kyon nahi Nischal, lekin ek baat jo tay hai.. main tumhare sath aaungi..


Jivisha:- 12 ghante ke boring science ke baad ye ek achhi baat hui hai jo mujhe khushi de rahi hai..


Serin Jivisha se lipati hui… "Mujhe laga tha aap mujhe sath nahi rakhna chahogi"..


Jivisha:- Pagal ho tum Serin.. tum to pariwar ho.. wo bhi Nischal ke sabse jyada karibi.. mujhe to yah doubt tha ki kis muh se kahti humare sath hi chalo..


Serin:- Kyon bhabhi 2 muh hain kya aap ke..


Jivisha:- Hihihihihi.. nana ek hi muh hai.. waise tumne koi ladka pasand kar rakha hai ya wo kaam abhi baki hai..


Nischal:- Humne bahar ki duniya dekhi hi kab thi jo kisi aur ke liye fursat ke pal nikal pate.. upar se Serin to shuru se hi ulajh kar rah gayi thi..


Jivisha:- Bus re baba bus.. happy hour me unhappy baten yaad nahi karte.. aur waise bhi vartman me jine wale tum logon ko atit ki baat karte sunti hun to thoda ajib lagta hai..


Serin:- Bilkul sahi bhabhi.. waise bhi koi ladka pahle pasand nahi aaya to kya hua.. aap ka koi bhai to hoga na ussi par chance marungi.. .


Jivisha:- Sambhaw na hai Serin, tumhari shakl humari bahan se milti hai to kahin aur dekhna padega tere liye ladka..


Serin:- Rahne do fir, kahin na kahin koi na koi mere liye bhi bana hoga.. kabhi na kabhi takra hi jayega…


Baton me waqt kaise bit jata hai kisi ko pata bhi nahi chalta… teeno ek sath pahli baar safar par the.. Serin bhi dhire-dhire Jivisha se kuch ladkiyon wali adayen aur nautanki sikh rahi thi, badle me Serin Jivisha ko apni aur Nischal ke bachpan ke kayi sare kisse bataya karti thi.


Diye huye thik saatwe din Nischal ka viman Aizem ke madhya rajya, yani ke Sabaiyya ke rajya ki hawai seema par thi aur niche utarne ki anumati maang rahi thi… Jaal Mahal se Lobhu ne viman ko utarne ka izazat diya aur Serin viman ko rajdhani we takriban 1200 km ki duri par, Nischal ke sahar me utari.


Serin viman ko bhumigat utari aur kadi suraksha uske aas-pass karti, wahan se teeno chhote se viman me sidha Nischal ke mahal pahunche… Serin Nischal ko aankh marti hui kahne lagi… "Bhabhi pahle subh kadam aapke niche parne chahiye.. utro aap"..


Jivisha chhote se viman se bahar aati.. "Aare main to bahar chali aayi, ab tum dono kya muhrat dekh rahe"..


Jivisha apni baat kah hi rahi thi ki itne me Adhmya aa pahuncha, jo apne panje se Jivisha ko uss viman se dur fenkte, viman par apne sar aur panje chalane laga… "Serin ye Adhmya itne gusse me kyon hai"..


Serin:- Pahle viman ko kone me laga dun warna.. ye pagal sher pure viman ko tod dalega..


Nischal:- Haan haan kyon nahi..


Viman udd chali aur Jivisha apni lalat sikodti, aankhen chhoti kar unhe bhagte dekh rahi thi… "Bhag jao dono mujhe fasa'kar, kamino aana dono yahan fir khabar leti hun"..



Jivisha jabtak chilla rahi thi Adhmya uske karib pahunch'kar apna bada sa muh khola aur itni tej dahar lagaya ki Jivisha ki chhati upar niche hone lagi. Daityakar ka ek bada sa sher lagbhag 20 fit uncha aur 15 fit lamba. Jitna bada wo muh fara tha, utne bade muh me to 10 Jivisha ek sath sama jaye bina kisi samsya ke..


Jivisha dhire-dhire pichhe khiskti… "Dekho sher bhai, main janti hun aap harmful nahi hoge, tabhi in dono ne mujhe yahan chhoda hoga… lekin wo kya hai na ki aap ko dekh'kar meri fat rahi hai. Aap samjh rahe hai na.. "


Jivisha jaise hi bolna band ki sher aaram se uske pass baith kar dhire se dahara.… "Saabash, lagta hai ye samajh gaya. Thankyou sher bhai".


Jivisha khadi ho'kar mahal ke ore teji se apne kadam badha di. Idhar Adhmya kudkar thik uske aage pahunch gaya aur dobara panja mar'kar usse bich maidan me pahuncha diya".


Jivisha gusse me uske karib gayi aur hathon ke ishare se … "Jaldi jhuk ja niche badtamij.. tujhe abhi batati hu"..
beautiful update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 101








Adhmya bada sa muh faarkar apna sar jaise hi niche jhukaya, Jivisha usse ek thappad marti hui kahne lagi… "Tu janta hai dar ke aage jeet hai. Fati padi hai to kya hua, thappad to maar hi sakti hun"..


Jivisha jaise hi apni baat puri ki, Adhmya ne apna bara sa muh khola aur Jivisha ko apne muh ke ander dal'kar muh band kar liya… "Yakkk, eyuwww, ye kya mujhe khane wala hai. Baby ye tumhara paltu hai ya Jungli janwar tumhare mahal ke aas pass ghumte hai"..


Tabhi jor ki aawaz gunji wahan…. "Adhmya, tumhari himmat kaise hui Jisa ko darane ki, abhi ke abhi mafi mango"..


Adhmya apna sar dayen bayen karke charo ore dekha aur usne Jivisha ko bade pyar se mahal ke minar par chhod'kar teji ke sath Nischal par daura aur usse kursi se girakar apne panje se bahut tej mara. Uska marna itna tej tha ki Nischal 400 meter dur jakar boundry se bahut tej takraya.


Jivisha ye najara dekh'kar gusse se pagal ho gayi, lekin Serin usse rokti hui bus sab kuch chupchap hote dekhne ke liye kahne lagi. Idhar Adhmya teji se daud'kar Nischal ke pass pahuncha aur Nischal ko marne ke liye apna pura panja utha liya…


Adhmya apna pura panja utha'kar kuch der tak Nischal ko gaur se dekhta raha, fir apna panja niche karte Nischal ke hath ko tatola, uske paun ko tatola. Kabhi sar laga'kar Nischal ke hath aur paun ko totolta to kabhi panje se.. tabhi wo itne tej chinkhna ki uss pure sahar ne Adhmya ki dahar suni.


Adhmya Serin me pass aakar uske paun ko chat'te huye khinchne laga… "Bhabhi chalo aao mere sath".. Jivisha bhi Serin ke sath chal di.. Adhmya Serin ko khinch'kar Nischal ke pass laya aur uske hath ko panje se idhar udhar karte Serin ko dekhne laga.. Adhmya ke aakhon se aashu gir rahe the aur wo lagatar Serin se uske hath aur paun dikha raha tha..


Serin niche baith'kar Nischal ke hath ko upar utha'kar chhod di aur kahne lagi… "Adhmya iska kuch nahi kar sakte"..


Adhmya bada sa muh faad kar Serin ke upar pure jor se garja aur paglon ki tarah idhar udhar daurta raha boundry se takrane laga…. "Ye sab kya hai Serin, wo Nischal ko itna chahta hai"..


Serin:- Jab ye paida hua tha tab iski mata pita ka shikar ho gaya tha. Nischal ne isse pahle din se pala hai..


Jivisha:- Baby usse shant karwao, bahut dard me lag raha hai.. computer ji mere love ka chair laya jaye..


Jivisha apne hath ke command se Nischal ki automatic chair wahin bulwa lee. Jivisha ke aakhon ke ishare se hi Nischal hawa me upar hua aur jakar kursi se baith gaya. Nischal Adhmya ke ore muskurate huye dekhne laga..


Adhmya jo baukhlahat me idhar udhar daur raha tha wo achanak hi Nischal ke ore mud gaya. Nischal ki ore mud kar mano kafi shant ho gaya ho. Khushi se wo Nischal ke pass pahuncha aur uske gode me apna bada sa sar rakh diya, lekin koi bhi asprash na pakar wo ajib hi dahar marne laga.


Kuch der tak Adhmya ke sath hi raha. Adhmya ko Jivisha ke bare me jaise hi pata chala, wo jabtak Jivisha ke sath kuch der khel nahi liya, usse jane nahi diya. Kuch der baad teeno mahal ke darwaje par the… "Bhabhi ander ka haal dekh'kar yadi kisi ko gali dene ka man ho to dil khol'kar aap gali de sakti hai"…


Apni baat kah'kar Serin ne jaise hi darwaja khola.. itna ganda aur badbudar najara dekh'kar Jivisha ki himmat nahi hui ander ghusne ki…. "Serin ye kya haalat hai yahan ki. Bahar se kitna tip top building dikh rahi thi, ander to gatar jaisa mahol hai"..


Serin:- Nischal jawab doge bhabhi ki baat ka..


Nischal:- Ab becharon ko ander ka security code nahi mila hoga isliye saaf safai karke nahi gaye honge..


Serin:- Achha, isliye mahal se kimti saman gayab hai.. acha mazak tha ye Nischal.. ye kyon nahi kahte kewal chaplus pal rakha tha tumne…


Nischal:- Nana, koi chaplus nahi the.. wo koi chor yahan ka saman le gaya hoga…


Jivisha:- Aaj main khush hun isliye yahan ki dhul aur gandgi hata deti hun.. baki saman ko vaywathit karne ke liye log aayenge ya wo bhi mujhe hi karna hoga…


Nischal:- Haan aa jayenge.. Adhmya sabhi nikamme logon ko bula lao kaam karne.. usse bhej diya Jivisha, tum shuru ho jao.. ..


Jivisha:- Computer ji yahan pure mahal me jarra tej hawa ka jhonka to faila dijiye jo dhul aur uske sath ye badbu wale bacteria ko bhi gayab kar de..


Jivisha ne jaise hi apni ikchha shakti ko command di.. wahan tej hawa ka jhonka ander ke kewal dhul aur gandgi ko apne sath udati hui bahar lekar chali aayi.…


"Suno na love wo aage 2-3 kursiyan laga do na, log aane wale hain to ek chhoti si sabha ho jaye. Aaj sab tumse mil bhi lenge aur humari news yahan viral bhi ho jayegi"…


Jivisha:- Main koi jadugarni nahi hun ki hath ghumaya aur sare kaam ho gaye. Command dena parta hai specific kaam ke liye aur balance banana parta hai. Ek kaam kya kar do tumhari to ummiden hi badh gayi. Computer ji jakar aage teen char kursiyon ko vaywathit kar dijiye"..


Itne me Adhmya bhi wapas chala aaya aur panje ke ishare se batane laga ki log ko bahar khada karke aaya hai. Nischal apna sar jhuka kar uska abhivadan kiya aur teeno jakar sabhapati wali kursi par baith gaye aur niche ka bada hall khali chhod diya.


Nischal ne Adhmya ko aakhon ki bhasha se samjhaya aur Adhmya sab ko ander ka security pass dete, panja aur dahar lagane laga. Log Adhmya se kat'kar ander sabha bhawan me jane lage..


Sabha bhawa me kam se kam 1000 logon ka hujum lag gaya. Pure Aizem me Nischal aur uske Jodi ki kahani aag ki tarah faili hui thi, sath me maha sena aur uske shasahk Mahamahim ko yudh me harane ki ghatna bhi kafi charcha me thi…


Puri bhir najar gada kar kewal Jivisha ko hi dekh rahi thi aur khusur fusar kar rahi thi… "Tum log aise aapas me kya baat kar rahe ho"… Serin pure gusse me puchhi..


Bhid se ek awaz… "Sahjade ki jodi kamal ki hai.. kahin se pakad kar le aaye hain kya"


Dusri awaz:- Sahjade ko aisi jodi kahan se mil gayi, jaroor khanjar ke dum par jodi bani hai.. ye sundri to shashika banne ke layak hai..


Jivisha, apni jagah se khadi hoti hui kahne lagi… "Mujhe nahi pata ki aap log ye sab baten kyon kah rahe. Yadi baat mere Nischal ke laparwah hone ki hai, to wo matr ek dharna hai, jise aap logon ne apne jahan me bitha liya hai.. na to Nischal aur na hi Serin kabhi laparwah rahi hai. Uska saboot hai Jaal mahal.


Aur yadi aap logon ko inke kirtiman nahi dikhe aur Nischal me ek laparwah aur bewakoof insan dikh raha hai, to maaf kijiyega yahan maujood aap sab se bada bewakoof koi nahi. Yadi baat Nischal ke yahan Aizem se jane ki hai, jiske baad aap sab ne inhe bhagoda ghoshit kar diye the to ye bhi ek pakshiya faisla tha, jabtak sabha ka faisla na aa jaye tabtak wo matr ilzam hai..


Ab sabse jaroori kaam ki baat. Aap sab mere aangan aaye hain, isliye aadar ke patr hain. Lekin mere Nischal ki kisi ne bhi bejjati karne ki kosis ki to main dobara baat nahi karungi… Adhmya abhi iss waqt sabha me aao… jispar main ishara karun usse pura nigal'kar apna bhojan bana lena..



Jivisha ne jaise he Adhmya ko pukari wo daud'kar wahan chala aaya.. aur un sab ke pichhe ja'kar baith gaya. Sabha me aaye jitne bhi log the wo Jivisha aur Nischal ko badhai de rahe the aur koi faltu ki charcha nahi kar raha tha…


Jivisha ko sun'ne ke thodi der baad hi uss sabha se log gayab hone lage.. logon ke bich se wo log bhi gayab hote ja rahe the jispar iss mahal ke safai ka bhar tha.. Nischal un sabhi ko rokte huye bakiyon ko jane diya..


Jab baat samne aayi to pata chala ab Nischal kabhi laut'kar wapas nahi aayega isliye un logon ne ander ki saaf-safai par kabhi dhyan nahi diya. Jabki wahin mahal ke bahar ki safai ka kaam jin logon ko diya gaya tha un logon ne apna kaam puri imandari se kiya tha..


Serin ne laparwah logon ko khub khari khoti sunayi, wahin jin logon ne apna kaam kiya tha, unke kaam ko Serin ne saraha. Mahal ke ander aur bahar ka kaam unhi logon ko shaunp diya. Uss sabha bhawan se lagbhag sabhi log ja chuke the, Jivisha gahri shwans leti hui kahne lagi… "Tum dono ne sari umr jin logon ke bhalai ke liye char deewari me gujar di, unhe hi tumhari kadar nahi hai"..


Nischal:- Uss badi si 4 deewari ke ander 1200 scientist aur takriban chhote bade 50000 karamchari kaam karte hain Jisa, kise pata hoga ki wahan ander kaun kya kar raha hai..


Serin:- Kya baat hai Nischal chha gaye.. Ye sahi hai bhabhi, Jaal mahal ke ander ki khabar kabhi bahar nahi aati.


Teeno abhi sabha samapt kar aage ke bare me kuch baat karna hi chah rahe the, ki ussi waqt ek darbaan ander aaya aur Uttari shasak Mahavinashi ke sath Sabaiyya unke darwaje tak unse milne ki ikchha se aaye hain, yah baat batane laga..


Nischal ne un sab ko ander bulaya. Sabaiyya aur Mahavinashi ke sath unka pura hujoom aaya hua tha. Dekhte hi dekhte wo sabha bhawan lagbhag bhar gaya..


Sabaiyya:- Sahjada ne kisi aur grah par jodi banayi aur yahan aane par hume bulaya tak nahi..


Nischal:- Sabaiyya socha ki pahle tumhari sabha se nipat lun.. abhi tak to main aur Serin yahan ke bhagode hi hai na. Jab se aaya hun logon ki pratikriya hi dekh raha hun..


Sabaiyya:- Nyayik sabha to apna kaam karegi, lekin pariwar hone ke nate apna kaam to hote rahna tha na..


Serin:- Ha ha ha ha… Pariwar Sabaiyya, tumhare muh se sunkar achha nahi lag raha…


Nischal:- Khair half blood aur sunao kaisa chal raha hai yahan ka kaam kaaj. Kya Ruki, kya Suko… tum par to najar hi nahi gayi. Kaisa raha Prithvi ka tour…
good update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:-102







Serin:- Bhai tumhe pata hai Suko ne to jodi banane ka prastaw bhi diya tha mujhe.. .


Nischal:- Kya re Suko, meri bahan ka hath mang raha hai, apni quality to batao..


Serin:- Iske aur iske dost ki khas baat hai dimag chalana aur jo inse jyada buddhiman hai unka sar ya to katwa dete hain, ya fir unhe bhagoda ghosit karwa dete hai. Sabaiyya yahan ka shasak thode na hai.. yahan to Ruki aur Suko shasak hai..


Nischal:- Oh isliye tumhare sath jodi banane ka prastaw rakha tha..


Mahavinashi:- Tum log aapas ki bair baad me nikalna, pahle batao mera beta kahan hai..


Jivisha:- Ye waqt humne pariwar ko diya tha, yadi pata hota ki yahan ye sab baat honi hai, to main kabhi milne ke liye raji nahi hoti. Aap sab yahan tak aaye uska dhanywad. 3 din baad Nischal sabha ke liye aayenge, aap apne sare sawal wahin puch lijiyega…


Suko:- Kamal hai jo ladki yahan ke tahjib aur taur tarikon se wakiff nahi hai, wo hume aakhen dikha rahi..


Jivisha:- Viswas maniye Suko tum mera aankh dikhana bardast nahi kar paoge. Waise Serin kya wakai me maine kisi ko aakhen dikhayi thi, ya fir yahan ke taur tarike ke virudh jakar apni baat rakhi thi..


Serin:- Bilkul nahi bhabhi.. aap ne sach kaha tha. Hum itni dur se aaye hain, apne aaram karne ke samay se apne pariwar ko samay nikal kar diya tha..


Jivisha:- Main chahti hun iss badtamij insan Suko ko galat aarop lagane aur mujhe jaan bujh kar yahan ke logon ke bich badnam karne ke liye giraftaar kar lo. 3 din baad jab hum sabha bhawan me honge tab iski sajison ka pata karenge ki aakhir mujhe badnam karne ke piche iski kya mansa thi..


Suko:- Mere kahne ka galat arth aap nikal rahi hain..


Jivisha:- Main bilkul sahi arth nikal rahi hun… Aise hi jhut ka bhrm faila kar Nischal ko ek laparwah Sahjada ghoshit kar diya gaya..


Nischal ke laparwah hone ki baat jaise hi samne aayi sabhi hasne lage aur ek sath kahne lage… "Jo jaisa rahta hai pata chal hi jata hai".. ..


Jivisha:- Serin iss point ko note kiye rahna… kyonki 60 sal se upar kaam karne wala ek Vaigyanik jisne Jaal mahal ko apni mehnat se khada kar diya, usse ye log laparwah kah rahe hai… Iska matlab hai ki yah ek sochi samjhi rajniti thi Nischal ko badnaam karne ki taki Nischal ko nicha dikha kar aage se kayi log apne maksad saadh sake..


Ruki:- Kya aap sab sabha ki baat ko lekar abhi se charcha karne lage… Main aap teeno se Suko ke prayog kiye shabdon ke liye mafi chahta hun… Haan usne jo bola wo galti se nikla tha, lekin irade galat nahi the, isliye ek baar aap apne faisle par punah vichar karen..


Jivisha, khadi hoti… "Baat badhane se baat badhegi.. aur shayad humari pahli mulakat itni khas rahi nahi... Khair ek baat jo main abhi se kah dena chahungi… aap sab kahe gaye apne har shabd ke liye khud jimmedar honge, isliye pahle kya hota tha wo bhul jaeye, jab mere pass rahenge to apne irade aur shabd bahut hi saaf-saaf rakhen.. bade bhaiyya ka swagat hai, wo humare sath waqt bita sakte hain baki ke log ja sakte hain"…


Kitni jyada khushi Nischal aur Serin ko ho rahi thi, wo koi unke dil se puche. Aizem grah par pahli baar aisa hua tha ki kisi ne usnki ore se aisa bola tha ki sun'ne walon ki bolti band ho gayi.


Sabko bahar bhej'kar Sabaiyya un logon ke pass milne aaya. Yun to uske man me chhal tha, lekin Jivisha ke hansi mazak ke bich aisa fasa ki wo na chahte huye bhi ek ghante ka samay wahan bita chuka tha.


Baton ke dauran Sabaiyya ko yah bhi pata chal chuka tha ki yudh me huye hadse ke dauran Nischal apne hath aur paun ki shaktiyan kho chuka hai. Ander se wo kutil muskan deta raha lekin bahar se afsos jahir kar raha tha.


Jate-jate Sabaiyya kahta chala wo apni jodi ke sath aayega aur Raj pariwar ke sahjade ki jodi ko ussi samman ke sath rajdhani tak le kar jayenge…


Lagbhag 2 ghante ki Sabaiyya ke sath ki baithak aur ek ghante yahan ke logon ke sath ki baithak ki video ko Serin ne raj pariwar ke portal par upload kar diya. Serin, Jivisha ke bewaak aur nirbhik sambodhan ke niche likh chuki thi… "Purv shasak ke teesre uttaradhikar ki jodi"…


Aizem ke madhya rajya ki janta pahli baar Nischal aur Serin ka paksh sun rahe the. Unke paksh sunne ke baad puri janta ko aisa mehsus hone laga ki kuch to bhramit ki gayi baten raaj mahal se, sahjade ke liye nikli thi jo galat thi..


Jivisha ke diye tathyon par yuva varg kafi utsahit najar aa rahe the aur pahli baar aisa hua tha ki Nischal ko pure janta ka samarthan mila tha… Har kisi ka itna hi kahna tha hum Sahjade aur uske vichar ko aur karib se janna chahte hain..


Nischal, Serin ke iss kadam par kafi achambhit hote huye kahne laga… "Is tarah ke video upload ka idea kafi mast tha"..


Serin:- Ye idea mujhe Nandu ne diya tha.. ussi ne kaha tha ki yadi humare vichar achhe hain, to logon ke bich pahunchne chahiye, taki uska labh sabko mil sake..


Nischal:- Nandu kab se itni smart ho gayi…


Jivisha:- Wo shuru se hi smart thi Nischal. Bus wo gambhir isliye nahi hoti kyonki apno ke bich kya gambhir hona. Yadi uske samjhdari ka udharahan chahiye to iss faisle se dekha ja sakta hai, ki usse tumhare sath rahne me koi khot nahi lagi, jabki dusri ore uska hone wala pati ko tumhara rahna pasand nahi tha. Uski jagah koi aur ladki hoti to shyad Ansh ko samjha hi nahi pati ki tum dono ke bich ka rista kya hai.. Isliye Nandu ki samjhdari par koi sawal nahi…


Nischal aur Serin dono apna sar jhukate… "Ji Malkia hum dono ko ye baat pata hai"..


Jivisha:- Huhhh ! Tum dono bhai bahan milkar mujhe chidha rahe..


Serin:- Haan to bhabhi ko chidhane aur un par julm dhane ka licence to hume mila hi rahta hai. Aisa aapne hi bataya tha.


Jivisha:- To kya yahan mujh akeli garib ko tum dono milkar sataoge..


Serin:- Satayenge baad me pahle ghumayenge… Nischal main bhabhi ko desh bhraman par le ja rahi hun.. Lobhu aata hi hoga tum uske sath Jaal mahal chale jana…


Jivihsa:- Aur suno yahan ki ladkiyan thode vichlit karne wale kapde pahanti hain, isliye apni najren nichi kar'ke jana..


Serin:- Hahahaha… Najar uthi hi kab thi iski bhabhi… aap ko iski kahani pata hi nahi fir…


Jivihsa:- Haan to raste bhar issi ki kahani sunate jana…


Serin:- Haan kyon nahi, waise ek baat jo abhi ke liye hai.. Lobhu hum dono ka sagirdh hai. Uski jodi hai Nayla. Lobhu ke shadi ke purv Nayla kayi baar Nischal ke upar try mari thi aur jab Nischal usse nahi mila, to sirf Nischal ko wo dekhti rahe iss khyal se usne Lobhu ke sath jodi bana li..


Jivisha:- Suno love uss Lobhu ki biwi se tum dur hi rahna..


Dono ladkiyan Nischal ki ragging le hi rahi thi ki utne me Lobhu bhi chala aaya. Lobhu ke aate hi Nischal Lobhu ke sath Jaal mahal nikal gaya aur Jivisha, Serin ke sath desh bhraman ke liye chali gayi…


Lobhu, Nischal ko dekh'kar thoda bhawuk hote huye kahne laga… "Aap ek Viggo hain, main ek Dakshat hun.. aur hum dono ke samuday ka itihaas jo bhi raha ho, lekin vartman ko dekh'kar to yahi lagta hai ki itihaas me pahli bhul Dakshat samuday se he hui hogi… tabhi to jo log kashmta vihin hai wo aap ko jaan se marne ki lagbhag safal kosis ke bawjood bhi aap ke samne jivit hai, jabki aap ki kshmta aur yudh kusalta ko abhi-abhi sab logon ne apni aankh se dekha hai"..



Nischal:- Lobhu mere bhai, meri maa khud ko Dakshat manti thi. Meri bahan Serin ek Dakshat hai.. tum bhi ek Dakshat hi ho. Chhodo in charcha ko.. abhi shant mann se main apna Jaal mahal dekhna chahta hun..


Lobhu ke sath Nischal pura Jaal mahal ghuma. Nischal aviation section me tha aur wahan ke vimano ki jankari le hi raha tha tabhi wahan ka naya niyukt hua incharge Yukte pahunch gaya…. "Hello, tumhe Jaal mahal ka kanoon nahi padha kya, yahan kewal research team aur Jaal mahal ka master hi aa sakta hai"..


Lobhu:- Tumhari himmat kaise hui inse aise baat karne ki..


Nischal:- Lobhu wo sahi kah raha hai… chalo medical section wahan Parchhe hoga, uss se kuch ilaj bhi karwa lunga…


Lobhu:- Aap ko pata nahi kya, Serin ke jane ke baad Parchhe ne yahan ke medical team ke head se istifa de diya..


Nischal:- Usko khabar bhejo ki main ussi se ilaj karana chahta hun.. wo turant hajir ho..


Yukte:- Purv master ji, aap aise kisi bahar ke doctor ko nahi bula sakte.. ..


Nischal:- Chal bhai Lobhu, medical section chalte hain... Yukte sir thode garam dikh rahe hain..


Lobhu:- Par nikal aaye hain inke master, chaliye yahan se chalte hain…


Nischal Lobhu ke sath medical section me aaya… wahan takriban 4 ghanta raha.. jo log admit the unse wahan ki vaywastha ke bare me puchhne lage, jiska jawab sun'kar Nischal ko gahra dhakka laga tha..


Darsal 8000 admit log me se koi ek aisa nahi tha jo aam nagrik kahlate ho. Kewal aur kewal shaskiya vibhag ke log aur unke pariwar hi admit the…


Nischal ka dil ab wahan rukne ka nahi hua.. bahar aakar wo Lobhu se puchhne laga…. "Yahan aam nagrik ko admit karna band kar diye kya?"


Lobhu:- Haan, issi wajah se to Doctor Parchhe ne Jaal mahal ko chhod diya…


Nischal:- Hmmmm ! Unke pass sare equipment to nahi honge..


Lobhu:- Jaal mahal ko ab commercially developed kiya ja chuka hai… Jis kisi ko bhi koi bhi equipment chahiye ya anay saman, wo Jaal mahal se kharid sakte hain.. Horiyant planet ke kayi ammunition dealers ki 2 din pahle meeting bhi hui thi, jisme kayi sare karar bhi kiye gaye… 4 din baad kayi sare technology ke blue print aur hathiyar unhe beche jayenge.


Mahamahim ki sena me bheje gaye har bhadi hathiyar ke badle unse achhi kimat wasool ki gayi thi, iske alawa 1 lakh parsikshit logon ke liye alag se payment kiya tha..


Nischal:- Waqt bahut teji se badal raha hai Lobhu..


Lobhu:- Haan master sahi kaha aapne. Waise aap dono ko yahan wapas nahi aana chahiye tha.. sabha me aap jara dhyan se baithna… unki taiyari puri hai....
very nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 103





Nischal:- Itni chinta kyon karta hai.. 2 din baad sab tay ho hi jana hai... Chal wapas chalte hain.. Parchhe se fir kabhi aur mil lenge..


Lobhu:- Aap ko yahan se rajdhani nikalna hai Master… aap ki jodi aur Master Serin bhi wahin hain..


Nischal:- Pata nahi dono ke dimag me kya chalta hai… chal wahin chalte hain…


Dono Jaal mahal se sidha rajdhani ke raj mahal ke ore nikal gaye. Raat ke andhere me wo mahal kya lag raha tha… Rajmahal ko kafi bhawya tarike se sajaya gaya tha. Nischal jaise hi Rajmahal me prawes kiya, 2 guard apna sar jhukate huye kahne lage… "Sahjade aap ko manoranjan bhawan me bulaya gaya hai"..


Nischal, Lobhu ka chehra dekhte huye…. "Ye log mere aane ke khushi me itne pagla gaye hain kya? Lobhu tumhe kuch samjh me aa raha hai kya?"


Lobhu:- Sabaiyya apne pariwar ke lautne ki khushi me jashn mana rahe hain.. isme samjhne jaisa kya hai…


Nischal uski baat sun'kar hasne laga aur hathon ke ishare se chalne ke liye kahne laga. Dono manoranjan bhawan ke dwar par khade ho'kar charo ore ka najara dekhne lage… Lobhu wahan ka najara dekh'kar dhime se kahne laga… "Oh to ye mamala hai"…. "Tu samjh gaya na, to bilkul shant rah aur aaj ke sham ka luft utha"..


Dono dwar par khade khusur fusur kar rahe the, itne me hi Sabaiyya ki Jodi Nova ka dhyan Nischal par gaya…. "Kyon Sahjade, apni jodi milne ke baad to mujhpar dhyan hi nahi de rahe"..


Nischal:- Nova tumhare rijhane ki adda kabhi nahi jayegi.. milkar acha laga, kaisi ho..


Nova:- Achi hun, aur junior ka plan kar rahi hun..


Nischal:- Achhe khyal hai, waise itne sare anay grah ke mehmaan yahan kya kar rahe hain Nova..


Nova:- Bhawishya niti tay ho rahi hai… Horiyant, Decca, aur Aretela grah ke kayi rajya, hum se gatbandhan kar rahe hain… ek naye yug ki shuruwat hone ja rahi hai Nischal, afsos sirf itna hai ki tum aur Serin dono ne Sabaiyya ko apna dushman maan rakha hai…


Nischal:- Nova, Ruki tumhe kitna bhi prashikshit kar de, lekin chhal chehre se pata chal hi jata hai… Jara asli rang to chadhne do party ka, fir aayega maza… have fun bhabhi…


Nova se apni baat chit khatm kar'ke Nischal ka bechain man sidha Jivisha ke pass pahunch gaya jo iss waqt Serin ke sath sath, kuch anya logon ke bich ghiri hui thi. Achanak hi wo chaunk gayi aur apni badi si aakhen kiye samne wale ko dekhne lagi…. "Bhabhi kya hua".. Serin ne puchha.


"Kuch nahi Serin, tunhare bhaiya ki .. eeeee.. eee yaad aa gayi"…. Jivisha jab apni baat kah rahi thi tabhi fir se usse ehsas hua ki uske nange pet se hath upar ja raha hai…


Serin:- Bhabhi aap thik to hai na..


Jivisha, muskurati hui…. "Haan thik hun....Nischal kahin dikh raha hai kya"..


Serin:- Dua karo wo yahan na hi aaye to achha hai.


Jivisha:- Wo kyon bhala..


Serin:- Tumhe pata hai bhabhi duniya me wo sabse jyada kise chahta hai…


Jivisha:- Wo duniya me sabse jyada tumhe, mujhe aur Nandu ko..


Serin:- Uske jindgi ki pahli chahat Jaal mahal hai… usme Nischal ke pran baste hain…


"Aahhhh"… Jivisha ke honth se dabi si awaj nikli…


Serin:- Aap ki tabiyat to thik hai na bhabhi..


Jivisha:- Ek minute do mujhe Serin..


Jivisha apni aakhen mund'kar dhyan lagayi… aur Nischal bilkul karib khada tha…. "Love, please tang na karo na… plzz plzz plzzz baby"..


Nischal:- Main darwaje par khada hun.. ek kiss do fir main tang nahi karunga…


Jivisha:- Mujhe koi apatti nahi hai, ruko main aa rahi hun..


Jivisha muskurati hui apni aakhen kholi aur Serin ka hath tham'kar kahne lagi… "Nischal darwaje par hai main 2 minute me aayi"..


Jivisha, Serin se apni baat kah'kar mukhya dwar ke pass jane hi wali thi, uss se pahle hi Sabaiyya ne sabka dhyan apni ore khincha…


"Dur daraj se aaye aap sabhi tamam sathiyon ka swagat hai. Bahut dino ke baad mera half blood aur complete blood laut aaye hain. Issi ke sath mere half blood iss baar akele nahi aaya hai, balki behad hi khubsurat aur khatarnak jodi ke sath lauta hai. Serin, Nischal aur sahjadi.. teeno iss manch par aa jao, aur aap sab log taliyon se swagat kare teeno ka"..


Ek ore se Serin aur Jivisha manch ke ore chalne lagi. Wahin dusri ore se Lobhu, Nischal ko manch tak lane laga. Nischal manch ke ore jate huye Nova se kahne laga… "Party ka asli rang ab jamega"…


Nova, Nischal ki baat par hansti hui Ruki se kahne lagi…. "Iss gadhe ko lagta hai itni badi party iske aane ki khushi me rakhi gayi hai. Sala apahij"..


Ruki:- Hahahaha… Kya hai na ye log pariwarik log hain, inhe thoda pyar se upar kya utha do, inhe lagta hai yahi sabse jyada special hai.


Idhar jabtak Nischal, Serin aur Jivisha teeno manch par pahunch chuke the. Nischal ko yun chair par aate dekh kayi log hanste huye khusar fusar kar rahe the. Wahi kayi logon ki najar to Jivisha par hi tiki hui thi… tabhi bhid se koi bola..


"Ye Sahjada to kisi kaam ka na raha.. iski Jodi anaitik sambandh banaye, usse acha hai ki sahjade ko chhod'kar mujhse jodi bana le"…


Jivisha uski baat sun'kar muskurai aur apne dono hath jaise hi hawa me ki, wo aadmi bhi hawa me aa gaya… "Main aaj subah hi kisi se kahi thi.. log apne kahe shabdon ke liye khud jimmedar honge… fir bhi mere love ka mazak udda rahe. Khair ek baar aur main dohra dun apni baat, yahan har koi apne khae shabdon ke liye khud jimmedar hai, isliye jo bhi bole soch samjh kar bole"..


Jivisha jise hawa me tang rakhi thi wo Aretela ke Shashak ke maha mantri ka beta tha. Sabaiyya bich bachaw me aate huye kahne laga…. "Sahjadi, pahli bhul samjh kar isse maaf kar do. Hum sab ek pariwar hain aur ye log humare mehman. Kisi ko ghar bulakar aisa nahi karte"..


Serin:- Ghar bula kar hum aisa nahi kar sakte aur wo bhadi mehfil me mere bhai aur bhabhi ko bejjat kare.. bhabhi iski juban khinch lijiye, taki yahan maujood log yah samjh sake ki kis prakar ki bhasha ka prayog kiya jaye..


Jivisha:- Computer ji iss badtamij ladke ka juban khinch lijiye taki aaj ke baad ye apni juban se kisi ko bejjat na kar sake…


Jivisha ne jaise hi apni ikchha ko command dee, hawa me hi uss ladke ko juban bahar aa gayi aur aur wo dhamn se niche gir gaya. Usse turant hi utha'kar ilaz ke liye Jaal mahal le jaya gaya…


Sabaiyya:- Ye tum logon ne thik nahi kiya…. Ek main hun jo tum dono (Nischal aur Serin) ke apradhik mamle ko bhula kar, 2 din baad hone wale sabha ko rad karwa'kar tum logon par koi mukadma nahi chalne dunga aisa soch raha tha. Aur tum log ho ki yahan meri hi mehfil me mere he hukum ki nafarmani kar rahe ho…


Nischal, daharte huye…


"Sabaiyya maine tumse nahi kaha ki sabha ko bhang kar diya jaye.. isliye janta ke bich me khud ke ektarfe faisle ko mujh par na hi thopo to achha hoga. Aur rahi baat hukum ki nafarmani ki, to meri bahan aur meri jodi ne uski jindgi baksh dee, uss se kaho khushiyan manaye, kahin main saja tay karta to uski maut nischit thi."


"Ye tunhare desh-videsh ke mehman yahan kyon aaye hain wo main janta hun, isliye mujhe ye jatane ki kosis bilkul bhi nahi karna ki mere aane ki khushi me tumne ye party rakhi hai"..


"Ab aata hun mai ek aham mudde par. Jaal mahal kisi ke baap ki jagir nahi hai... Fir wo Sabaiyya ya humara baap hi kyon na ho. Serin ke Jaal mahal chhodne ke baad, jis tarah se wahan ke technology ko gali dete huye, humari mehnat ko sajha kiya gaya, uss se main aur Serin katai khush nahi hain."


"Jis hisab se wahan ke technology ke blue print ki boli lagi hai, iss baat se bhi hum dono khush nahi hai. Jaal mahal ke medical section me kewal sarkari log bharti hai, aam janta ko kyon nahi admit kiya gaya, uss se main khush nahi hun. Jo Jaal mahal ka chaprasi ban'ne ke kabil nahi tha, usse pure jaal mahal ka master bana diya, iss baat se main khush nahi hun.."


"Aur jab main hi khush nahi, to fir tum sab kaise khush ho sakte ho. Main Nischal, Aizem ke madhya rajya ka Sahjada aur Jaal mahal ke sampurn vikas ke 2 scientists me se ek scientist hone ke naate, main abhi se Jaal mahal ko sabha ki suwai tak band karta hun…"


"Agle 10 minute me Jaal mahal ko khali kar de sab, warna sampurn lock down ke baad yadi koi ander apni jagah par jam jata hai, to uski jimmedari meri nahi hogi. Ek aur baat jaal mahal ki kisi bhi sampatti ko bahar le jane ki kosis na karen, warna aap bahar nahi ja payenge aur ussi jagah atak kar jam jayenge."


"Har scientist swatantr hai apne aawiskar kiye huye taknik aur device apne pass rakhne ke liye, kewal ati vidhwansak hathiyar ko chhod'kar. Isliye har inventor apni ek arji mujhe mail kar dijiye, kal sham tak aap ka saman aapke ghar pahunch jayega. Wahan ke ghar me rahte huye jitni bhi chij aap logon ne sanjoye hain, bhale hi wo Jaal mahal ki sampatti he kyon na ho wo, bhi aapke ghar me pahunch jayega."


"Jin logon ne meri ya Serin ki taknik ka blue print apne pass rakhe huye the, wo ab tak nasht ho chuke honge. Jitne bhi Jaal mahal ke aadhunik hathiyar yahan se logon ne kharida hai, usse bhi maine niskriya kar diya hai, jo bhul se bhi sakriya nahi hoga, isliye yadi koi kharch hua hai kisi ka to apni wasooli kar le.. "


"Sabse aakhri me jaal mahal ko lekar ab se 2 din tak koi baat nahi karunga, sidha sabha bhawan me baat hogi... Chale Jivisha, chale Serin.. "


Nischal ki baat samapt hote hi Jivisha siti bajati hui… "Haan nikalte hain yahan se love. Waise bhi in bade logon ke bich humara kya kaam.. Tumhari kya rai hai Serin"..


Serin:- Bhabhi mujhe bhi ye siti bajana sikha dena. Rahi baat Rai ki to jaisi aap ki feeling hai thik wahi feeling meri bhi hai…


Teeno he uss mehfil me aag lagate huye nikal gaye aur log tamasha dekhte rah gaye… aag itni tej lagi thi ki Sabaiyya aur uske pure kheme ke sine jal rahe the. Padosi desh Uttari rajya aag me ghee ka kaam karte huye, un sabko tatkal maar dene ki yojna par sochne ke liye kahne lage..


Mahamahim ke maha sena ka kya haal kiya tha uss baat ko dhyan me rakh'kar Ruki aur Suko ka ek hi baat kahna tha…


"Nischal kitna bhi apahij kyon na ho, lekin uski jodi Jivisha, Serin aur uska wo janwar Adhmya, teeno mil'kar Madhya aur Uttari rajya ke sabhi sainikon ka safaya kar denge. Serin aur Nischal kewal aawam ke hathon majboor honge. Agar ugr bhid inpar humla kar de to Serin aur Nischal kabhi unhe palatwar nahi karenge…"


Nova:- Aur uski jodi ka kya, jiske aage wo Mahamahim bhi nahi tika tha…


Suko:- Main to kahta hun itna jhanjhat hi nahi palte hain.. mere vichar se to sabha ke aayojan wale din teeno ko jahar dekar maar diya jaye…


Ruki:- Sabse behtar sujhao hai… yahan sabha ke liye aayenge to kuch na kuch piyenge hi… hum bina koi risk liye uss badjaat Nischal aur uski katili jodi ko jahar pila denge. Kewal Serin ko jahar nahi denge, sabha bulayi hai to janta ke samne unke kaam ki chij bhi pesh karenge na warna unhe lagega ki sab pahle se tay tha, to fir ye sabha kyon bulayi gayi..


Sabaiyya:- Thik hai fir unke pine ke padarth me 4 bund jatil ras jahar mila dena..


Nova aaschrya se…. "Jiski ek bund ke duswe hisse se 1000 logon ki jaan chali jaye, uske 4 bund… ander se sab kuch gal kar bhumi me wahin mil jana hai"


Sabaiyya:- Tabhi to mere dil ko sukoon milega… lekin yadi kisi karan se jahar nahi pite hain tab…


Suko:- Universe ke hunter se baat ho gayi hai.. unki tukdi kal Aizem pahunch jayegi. Paristiti kaisi bhi ho lekin unhe har paristiti se nipatna aata hai. Unki jit sunischit karne ke liye unke hathiyar ko hum jahar me dubo denge, taki galti se bhi Nischal aur Jivisha ko uske hathiyar ne bhed diya, to unke bachne ki koi ummid na rahe…


Sabaiyya:- Behtarin upay hai… isme kisi ko aur kuch kahna hai kya…


Nova:- Doctor Parchhe ko yadi main taiyar kar leti hun, to un hunters ki jaroorat shayad na ho. Nischal ke hath paun nahi hai hai. Wo apahij ilaz ke liye Jaal mahal gaya hua tha lekin Parchhe ke na hone ke wajah se wo apna ilaz nahi karwa paya. Yadi Parchhe ko main taiyar kar leti hun, fir Nischal aur Jivisha dono uske hath ki bani dawa ko jaroor pi lenge.


Sabaiyya:- Achha sujhao hai.. Nova ye tunhari jimmedari hui...



2 din baad…



Party me hui high voltage drame ki video pure Aizem garh ke har desh me viral ho chuki thi. Madhya Rajya pure Aizem ke alawa anya grahon ke kayi sare desh me apna prabhutwa kewal Jaal mahal ke dum par banaye huye the. Pahli baar logon ko pata chal raha tha ki uss 600 kilometer me faile research center ko kin 2 logon ne khada kiya tha.


Kayi sare grah ke log Nischal aur Serin ke bhagya ke faisle ko live dekh rahe the. Wahin jab se madhya rajya ke aawam ko Jaal mahal ki sachai pata chali thi, puri aawam 2 rahon par khadi thi ki purv shashak ka katil pure madhya rajya ka rakhwala hai.


Puri aawam ko ab ye lagne laga tha ki purv shashak ki mirtu ke pichhe jaroor koi sajis hui hogi. Bahut sare youth sabha bhawan ke aage sirf isliye baith chuke the ki yadi sabha ne faisla Nichal aur Serin ke haq me nahi diya to wo sab shashan ke khilaf protest karenge.


Takriban 20000 log uss sabha ko dekhne ke liye aamantrit the, jo aaram se apni kursi pakde the. 40 sabha ke counceller aur ek mukhiya Sabaiyya, jinhe mil'kar faisla lena tha. Oval aakaar ka ek bada sa maidan, jiske niche 100 special trained sainik aur 1 medical team ke 20 log baithe the. Takriban 20 gawah aur shashan ke ore se paksh rakhne ke liye 2 log Ruki aur Suko wahan apni jagah par kabij the.


Sabha bhawan ke charo ore bade-bade screen lage the, jispar puri sunwai live aane wali thi. Pal-pal ki khabar dikhane ke liye live video link share kiya ja chuka tha. Takriban 9.30 baje logon ke bhir me kautuhal sa machne laga. Nischal aur Serin ke naam se log itni tej awaj lagane lage ki wo gunj sabha bhawan ke ander tak kafi tej sunai de rahi thi… aur apne prashansakon ke bich se Nischal, Serin aur Jivisha ki gadi sabha bhawan ke pass ruki.


Teeno jab attitude se ander pahunche to wahan par chal rahi khusur fusur aur aapas ki baat chit bilkul shant ho gayi aur sabki najar teeno par hi thi…


Ruki:- Sunwai ke bich iss bahar ki ladki Jivisha ko sath lana, kya sahjade bhul chuke hain ki yahan ka kya kanoon hai.


Jivisha:- Nischal ki jodi hun main aur un dono ke ore se main paksh rakhungi… kisi ko yadi aapatti ho to wo yah jagah chhod'kar ja sakta hai…


Suko:- Ji koi aapatti nahi sahjadi, humara focus kewal itna tha ki aap shayad yahan ke kanoon se ru baru na ho..


Jivisha:- Yahan yahi sab faltu ki baat karne aaye hain ya fir yah sabha jis udeshya se bulayi gayi hai usse shuru karen..


Sabaiyya khada ho'kar hath upar kiya aur issi ke sath sab khade hokar apne hath upar kiye aur Sabaiyya ke sath apni jagah par baith'kar sabha ki shurwat ki gayi…
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 104





Suko:- Sahjada Nischal aur Rajkumari Serin par iss sadi ke sabse mahan shashak jinhone madhya rajya ki bhumi par apne shashan ke dauran na kewal apni seemaon ko badhya, balki apne padosi rajyon ke sath Maitri ke sambandh bhi badhaye, Shashak Behavan ka katl bade hi satirana dhang se kar diya.


Katl karne ke baad sahjade apne saja se bachne ke liye Aizem chhod'kar bhag gaya aur uski sathi Serin yahin ruk'kar apni sazis rachti rahi. Pure Jaal mahal ko madhya rajya ke khilaf istamal kiya. Pure rajya ko hathiyane ki mansa aur Jaal mahal me baith'kar katl ke sabooton ko gayab karne ki kosis karti rahi. Main sabha ke sabhi counceller se appeal karta hun ki in dono ko mirtu dand diya jaye.


Bench 1 counceller:- Bachaw paksh ko kuch kahna hai..


Jivisha:- "Mujhe Suko ki kahani thodi boaring si lagi. Aisi kahani to maine 60 se 70 video me dekh chuki hun, jahan ache logon ko fasa diya jata hai. Apni kahani ko sach batane ke liye kya koi saboot hai ya yahan kisi par bhi ilzam laga'kar kuch bhi bol do, to log maan lete hain."


"Mujhe to yahan ke apang council par hi shak ho raha hai. Koi ek layak counceller to hota jo pahle ye puchh sake ki jitne bhi ilzam lage hain uska aadhar kya hai? Unse saboot na maang'kar sidha bachaw paksh ko sun'na ye saaf jahir karta hai ki counceller sab faisla lene yogya nahi hai… maaf kijiye in counceller ke bich mujhe koi bhi paksh nahi rakhna… 40 counceller ko pahle khud ko proof karna hoga…"


Sabaiyya:- Ye sabha ko apman karna hua ladki, iska dand bhugatna hoga…


Jivisha:- Kyon apna paksh rakhna aur galat ko galat kahne par sidha saja, ye kaisi nyay vyavastha hai. Logon ke poll bhi aa gaye hain… 22 caror janta ke poll ke sath meri baat ko 80% logon ne samarthan diya hai shasak Sabaiyya.


Sabaiyya:- Yahan ke council govern ka apna tarika hai aur wo apne ho niyam se chalegi, aap ke kahne se nahi. Sabha ka standerd procedure yahi hai aur issi hisab se sabha chalegi…


Jivisha:- Ji hum to niyam se chalne wale log hain, bhale hi wo niyam kewal satta paksh ko labh aur aam janta ke sath anyay kar jaye. Lekin koi nahi, jab aaj shasahn humre hath me hoga tab ye sare gande niyam hawa ho jayenge... Main lage huye ilzam ke pichhe ke aadhar ko dekhna chahungi..


8th bench Counceller:- Saboot aap ko dikhane honge kyonki shashak Behavan Jaal mahal me mare gaye the aur wahan ki ghatnao ke liye kewal Nischal aur Serin jimmedar the..


Jivisha:- Thik hai maan liya ye baat ki Jaal mahal ke ander ki hone wali har ghatna ke pichhe Nischal aur Serin ka hath hoga… lekin O bhai sahab iss baat ka to saboot do ki purv shashak Behavan, Jaal mahal me hi maare gaye the? Kam se kam unhe Jaal mahal ke ander ghusne ka video hi dikha do, tab to pata chale ki haan purv shashak apne mirtu ke waqt Jaal mahal me the…


Ruki:- Yah kya bakwas hai, yahan to pura case ko hi divert karne ki kosis hai. Purv shashak Behavan ke Jaal mahal ke ander jane ka saboot den, jabki sabko pata hai ki Shashak uss waqt Jaal mahal me the…


Jivisha:- Haan to jab sabko pata hai ki Shashak Behavan Jaal mahal me gaye the to 2-4 ko pakad lao unhi ki gawahi karwa do…


Suko ne 8-10 logon ko pakad laya aur unse sawal hua … "Kya unhone purv shashak ko Jaal mahal ke ander jate dekha tha?"… Aur har kisi ne haan kah diya.. haan kah'kar wo log ja he rahe the ki Jivisha unhe rokti…. "O bhai, andher nagri aur chaupat raja, sawal puchh kar logon ko bhaga kahan rahe ho, mujhe bhi to cross sawal puchhne do"..


Suko:- Haan kyon nahi..


Jivisha, un logon me se ek ko bulayi…. "Haan to tumne Purv shashak ko Jaal mahal me jate dekhe."


Aadmi:- Haan bilkul..


Jivisha:- Lobhu pichhle 10 sal ki entry check karke batao ki kya shashak Behavan ne Jaal mahal me kadam rakhe the..


Lobhu:- Ji nahi, entry book me shashak Behavan ki koi entry nahi…


Ruki:- Ha ha ha ha ha… Ek shashak apni hi jagah par jane ke liye entry kyon karne laga… tumhare faltu bakwas se in dono ko koi nahi bacha sakta..


Jivisha:- Mr Jasoos, dimag thoda thanda rakho. Lobhu naye Shashk Sabaiyya ki entry chehk kar ke bato..


Lobhu:- Ji pichhle 5 saal me inki 600 baar entry hai…


Jivisha:- Mr Ruki Mr Suko aap dono ne iss sabha ko gumraah kiya hai aur apne pad ka durupyog kiya hai. Main aap dono par abhi mahabhiyog chalati hun… ye dono ab apna paksh nahi rakh sakte kyonki bhid se apne 10 logon ko bula kar inhone wo sab kahlwaya jo inke baton ko support kare. Apni jhuthi baat ko proof karne ke liye kewal logic he de rahe, na to inke pass koi thos saboot hai aur na hi koi thos gawah.. ye case yahin par kharij hota hai aur sare ilzam bebuniyad hai.. kisi ko kuch kahna hai..


Sabaiyya, pure taish me aate huye…. "Faisla suna'na mera kaam hai. Abhi puri council ki report nahi aayi hai"..


Jivisha:- Kaisa council aur kaisa report jisme kewal ek paksh ki kahani ko suna ja raha hai aur aankh mund kar sach maan rahe hain… kewal kah dene se maan liya jata hai to main bhi ilzam lagana chahungi ki Shashak Sabaiyya ne Jaal mahal ko hathiyane aur apne shashak ban'ne ki raah ko aasan karne ke liye bache huye uttradhikari ko fasaya hai.. aa jao ab tum saboot do ki aisa nahi hai…


Sabaiyya:- Iss badtamij ladki ko abhi maut ki saja di jati hai…


Serin khadi ho'kar samne aati… "Kisi ko yahan lagta hai ki bal ke dum par wo apni manmani kar sakta hai to aa jao, kyonki jab hum katna shuru karenge to yahan kewal lash bichhi hogi. Council niyam ke hisab se Sabaiyya ke har ilzam se hum bahar hain, kyonki jab koi jaal mahal me aaya hi nahi to uske Jaal mahal me marne ka koi sawal hi paida nahi leta."


"Sare ilzam bebuniyad nikle. Sabha me jhuth bolne ke liye in logon ko abhi maut ki saza meri ore se di jati hai… Yahi saja un counceller ke liye bhi tay hogi jo nyay vayvstha ki dhajjiyan uddane par tule hain aur jhut ko jabardasti kabool karwane par lage hain. Behtar hoga ab Sabaiyya ko apni behunahi ka saboot dene ke liye yahan bulaya jaye.."


Serin apni baat samapt kar apni blade nikali aur bina koi raham dikhaye un jhute gawahon ka sar kat'kar niche gira chuki thi aur Jivisha un Kate sar ko alag-alag jagah ke unchi deewar par taang di.


Ab tak jo man'mani karte aa rahe the aur jinhe lagta tha ki apne logon ke bhid ke bich sabha ka aayojan karke Nischal aur Serin ko doshi karar de denge, unke paun tale se jamin khisk chuki thi.


Nayay prakriya ko puri aawam bhi dekh rahi thi aur itni sari baten hone ke baad to ab logon ne khul kar bolna shuru kar diya tha ki puri council aur puri sabha hi biki hui hai, jo lagatar apne jhut ko faila rahi hai aur nirdoshon ko saja dene ke liye sabha ka aayojan kiya gaya hai.


Mamla haath se jate dekh Nova bich maidan me aa gayi aur ek alp viram le kar dono hi pakshon ko shant hokar sabha ko aaram se chalane ki appeal karne lagi. Nova ki appeal ko maan liya gaya, aur 1 ghantey ka ek alp viram liya gaya.


Iss alp viram ke anth hote-hote Nova bhi apne mansubon me kamyab ho chuki thi. Doctor Parchhe Jivisha aur Nischal ko jahar pila chuka tha. Jaise hi dono ne jahar piya Nova ke chehre par kutil muskan chha gayi.


Jivisha wo drink pite hi dhamn se niche bhumi par gir gayi aur Nischal apni chair par aakhen mund chuka tha. Aur issi ke sath sabha wapas se shuru ho gayi. Sabha bhawan ke upar ke sabse aakhri raw me hathiyar'band sainik tainat ho chuke the, jiska nishana Serin thi. Niche ke 100 sainik bhi apne hathiyar nikal'kar Serin ko nishana banaye the…


Sabha jab dobara shurwat hui tab doctor Parchhe zahar ke uss drink se itna sunischit ho chuke the, ki bus upar se hi dekh'kar dono ko mrit ghoshit kar chuke the. 40 counceller aapas me kuch der discuss karne ke baad apne vichar likhit roop se Sabaiyya ko shaunp diye..


Sabaiyya, aage badhne se pahle…. "Serin tumhe kuch kahna hai"..


Serin hatash thi aur baith'kar Jivisha ke sar ko apne gode me rakhi ro rahi thi. Sabaiyya ne 3 baar Serin se puchha lekin koi jawab na mil pane ki stithi me kahne laga… "Yah saboot pahle aawam ke naam"..


Itna kah'kar Sabaiyya ne wah saboot pura chala diya jiske dum par Serin ko bhi doshi karar diya gaya tha.. ek video jisme Nischal Jaal mahal me ander apne kamre me hai. Tabhi darwaje se purv shashak Behavan ander aaya aur uske pichhe Serin bhi aa gayi. Serin ne pichhe se Behavan ko pakad li aur Nischal ne usse chaku se chir diya…


Baad me uss lash ko Jaal mahal se takriban 20 kilometre dur wale uss maidan me fikwa diya, jahan Behavan ki lash mili thi. Iss karname ko kayi logon ne dekh liya tha isliye unhe bhi uss video me mar'kar wahin uss ground me litate huye dikha diya…
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:-105










Video pura complete hone ke baad Sabaiyya ne bolna shuru kiya….


"Aisa nahi ki shashan jo bolti hai wo matr ek kahani hoti hai. Jab tak humare pass pukhta saboot nahi hote tab tak hum kisi ko katghare me lekar nahi aate. Main ek shashak hun lekin uss se pahle ye dono mere pariwar ke log hain. Main apne pita se jyada in dono ko chahta tha, isliye inko apne gunaah kabool karne ka ek mauka diya tha, lekin inke satta ki lalach aur bukh itni thi ki mujh'par hi ilzam laga chuke the."


"Ek badjaat Viggo ko maine apna pariwar mana. Usne prithvi par jakar ek giri hui ladki ko apni jodi banaya, uski badtamiji sahi. Aap sab ne ab tak dekha kaise katl karne ke baad bhi sabhapatiyon ko unhone apmanit kiya. Humare nyay ke tarikon par sawal uthya. Serin meri complete blood hui to kya hua, isse bhi wahi saja milegi jo in dono badjaat ko mili hai. Sabha ka faisla aa chuka hai.. Serin ko abhi mirtu ki saja di jati hai.."


"Achha drink pilaya tha Parchhe, pi kar maza aa gaya. Jin-jin logon ne Serin ko marne ke liye hathiyar thaam rakhe hain, wo abhi apne hathiyar niche kar le. Sabha samapt nahi hui aur na hi iss Parchhe ke diye zahar se main mara hun"… Nischal apni aakhen kholte huye kahne laga.. itne me Jivisha bhi uth'kar khadi ho gayi…


Lekin tab'tak Suko ne humla ka ishara de diya… sabhi log humla karne ke liye taiyar hi the ki Nischal apni purani gati se bhi 2 guni jyada gati se daur laga chuka tha… aur wahan jo najar aa raha tha wo kewal uddte log aur unka kata hua badan tha, jo ek sath hawa me gaya aur jabtak wo niche aaya tab'tak Nischal apni jagah par aa kar baith chuka tha..


Serin usse ek thappad lagati… "Kaminey tere hath paun kaam kar rahe the, hume bataya nahi"..


Jivihsa, apni aankhen dikhati…. "Computer ji iss nalayak ko tang do upar"..


Jivisha ne jaise hi command diya Nischal hawa me, lekin akle hi pal wo Gulati khakar niche tha… "Main jab Jaal mahal me tha tab medical section me maine wo Mittoso ke device se jo patthar nikala tha usse process karke maine kisi ke brain cell ko apne brain cell se replace kar liya."


Serin aur Jivisha badi si aakhen kiye…. Kise apahij bana'kar khud chalne lag gaye…


Nischal:- Taza taza koi mara tha, ussi ke jinda brain cell use kiya. Ab tum dono thehar jao jarra… abhi to dimag me kuch aur hi chal raha hai. Aaram se baitho jarra.


Un dono ko aaram se bitha'kar Nischal tej aawaz me kahne laga...... "Jise apni jaan pyari na ho wo yahan se jane ki kosis kar sakta hai.. Sabha abhi samapt nahi hui hai."


Nischal ki baton ne aisa khauff ka mahol paida kiya ki har koi tharra chuka tha. Apni baat kah'kar wo teji ke sath daud laga diya aur bhid se 20 hunter ko samet'kar late huye… "Bahut bada hunter hai na tu… ab batayega ki tum log iss sabha me kya kar rahe ho"..


Nischal ke aakhon ko dekh'kar hi sabke shwans atak gaye. Hunter ke mukhiya ghigyayi si awaj me kahne laga…. "Hume zahar badha hathiyar diya gaya tha tum logon ko marne ke liye"..


Nischal:- Kisne diya..


Mukhiya, Sabaiyya ke ore ishara karke…. "Yahan ke shashak ne diya tha"...


Nischal:- Apni baat ko sabit kar warna main kya kar sakta hun uska namuna to dekha hi hoga…


Mukhiya hadbada kar apne contract paper dikhate…. "Humara koi dosh nahi hai. Hum bhagodon ko pakadne ka contract lete hain, jo jurm karke bhagte hain. Doshiyon ko pakdna ya unhe marna koi apradh nahi aur mujhe tum sab ke khilaf saboot dikhaye gaye the, isliye humne anubandh kiya tha. Humare kaam karne ke tarike ko pura universe janta hai, tum bhi jante ho sahjade"..


Nischal:- Sabaiyya tumhe kuch kahna hai..


Sabaiyya:- Kahna kya hai, tum doshi ho aur sath me yahan sabse jyada khatarnak, isliye maine unhe contract de diya..


Nischal:- Chal tu wo video Play kar aur Lobhu jara wo Bihavan ke maut ke waqt ki orignal video nikalo, jisme uske body ka video ho…


Aadhe screen par Nischal aur Serin ke katl ki video chal rahi thi aur aadhi screen par purv shashak ke marne ke baad ki tasveere. Nischal video pause karte huye kahne laga…


"Purv shashak ke marne ke baad, jin-jin logon ne tasveer lee thi, wo tasveer apne samne nikal kar rakho, aur mujhe batao jab maine chir kar fikwa diya tha purv shashak ko, to uske maut ke baad badan se chire jane ke nishan kahan gayab hain. Doctor Parchhe ki report anusar purv shashak ne kuch aisa khaya ya piya hoga, jis se unke andruni organ gal gaye the… kyon doctor Parchhe aisa hi tha na"..


Parchhe:- Haan sahjade aap sahi kah rahe ho..


Nischal:- Sabaiyya iss fake video ko janta ke samne dikhane ka kya matlab hai… ispar kuch kahna hai kya..


Sabaiyya:- Main yahan ka shashak hun.. tum mujh se sawal nahi kar sakte.. sainikon.. pakad lo in sab ko..


Nischal:- Mujhe tune badjaat kaha tha.. meri jodi ko gali diye.. Sabaiyya tumne seema langhi hai… tumne satta par kabja pane ke liye purv shashak ki maut ko hum se joda. Pahle mujhe yahan se jane par majboor kiya, fir jhuthe video evidence se Serin ko fasaya. Council nispaksh honi chahiye thi, sabha me aam log hone chahiye the. Tumne shashan aur nyay vayvstha ki dhajjiyan udda di.


"Purv shashak ke 2 uttradhikari tumhe ab madhya rajya ke shashan se abhi tumhe hata'ti hai. Yahan maujood har counceller aur Sabaiyya ke sabhi logon ko jail me dalne ka aadesh diya jata hai, inki baat dusri sabha me suni jayegi."


"Sabaiyya jis satta ke lalach me apne hi pariwar se daga kar gaya, uss ki saja yahi hogi ki wo ek aam nagrik ka jivan jiyega. Yahan maujood purv shashak ke 2 uttradhikari main aur Serin, ye faisla lete hain ki Jaal mahal ko pura dhwast kiya jayega. Jaal mahal jitna labhdayak hai, galat hathon me utna hi vidhwansak bhi. Yadi Jaal mahal ki takat ko koi samjh jata to wo kewal purn Aizem hi nahi, apitu dusre grah me bhi apna prabhutwa kabij karta. Jaal mahal manawata ki hani hai aur isliye usse dhwast kiya jayega."


"Jaal mahal se sabhi taknik ko bacha liya jayega, kewal vidwansak hathiyar aur manwata ko hani pahunchane wale bade-bade sodh ko chhod kar. Isliye Jan kalyan ke sabhi taknik ko bahar nikalne ke baad, Jaal mahal puri tarah se dhwast ho jayega.."


"Jaal mahal ke sath ek lambe yug ka bhi anth hota hai, jahan kewal ek pariwar hi shashan karega aur baki rajya ke log unki sewa aur manmani ko jhelenge. Aaj se karya-karni shashak Lobhu hoga aur main ek yuva team ka gathan karke prajatantr ko bahal karunga.. jiske ander praja apni sweksha se apna shashak chunegi aur unka kaam pasand nahi aaya to unhe satta se hata bhi sakti hai."


"Niyam aise honge jo har kisi par lagu honge aur kanoon sabke liye barabar hoga, jo yahan ke jivan ko sucharu roop se chalne me madad karegi… Aaj ki sabha yahin samapt hoti hai. Sab jashn manaeye aur mere faisle par apne vichar jaroor dijiye, kyonki ek rajya uske khushhaal janta se banta hai."


Koi kushal rajnitigya jaise apni baat rakh raha ho. Nischal ko uski samast janta sun rahi thi. Jis hisab se sabha ke samne Nischal ne apna bachaw paksh rakha tha har kisi ko yahi laga ki Nischal ya Serin me se koi agla shashak hoga..


Lekin usne puri niti me badlaw karke har kisi ko samjha diya tha ki Aizem ke madya rajya ka sahshan aane wale samay me kaisa hone wala hai. Zoren ke tarj par hi yahan ki bhi shasan vaywastha ki jani thi.


Dekhte hi dekhte pahle to uss sabha se sabhi gaddaron ko naap diya gaya, jisme khud ko sabse jyada buddhiman samjhne wale Ruki aur Suko the. Wahan jo kewal jail nahi gaya wo Sabaiyya aur Nova the. Sabha bhawan suraksha guard dwara khali karwaya ja chuka tha aur wahan kewal 5 log bache the..


Sabaiyya sar jhukaye Nischal ke pass pahuncha…. "Mujhe laga tha tum dono ko satta ka lalach hoga. Maine apne ghrina me bahut badi galti kar di. Tumhare pass mauka hai, mujhe maar kyon nahi dete Nischal…


Serin:- Marna hota na tumhe Sabaiyya to kab ka maar chuke hote. Dukh iss baat ka nahi tha ki tumhe satta aur shashan ka lalach aa gaya tha… dukh to iss baat ka tha ki tum gairon me uljahkar apno ko hi jaan se maar dena chahte the… galat kiya hai Sabaiyya tumne..


Nischal:- Aur iss galti ki ek hi prayschit hai.. jab hum agli baar aayen to tum yahan ke shashan me apni jagah bana chuke ho, wo bhi kewal apni chhawi aur achhe kamon ke dum par. Tumne aur bhabhi ne satta ke mad me bahut anaitik kaam kar chuke, ab dono milkar kuch acha karo… hum dono ke liye to sada tum bhai hi rahe aur aage bhi rahoge… chalta hun main..


Nischal Sabaiyya se apni baat samapt kar wahan se nikal gaya. Wahan se nikal kar teeno sidha Jaal mahal aa pahunche… Nischal aur Serin apne gum bhaw se wahan ki har chij ko bade dhyan se dekh rahe the..


Dono ki aakhen dab dabayi si thi. Aisa lag raha tha apne hath se aaj apne hi sabse pyare bache ko marne ja rahe the. Rah rah kar sine me dard sa uth raha tha… Jivisha dono ko dekhti hui kahne lagi… "Yahan ke research aur machines ko kewal khatm nahi kar sakte kya"..


Serin:- Sab shrenikram me hai.. manual ek-ek kar ke bhi hatayenge to bhi yah jagah dhwast hi hogi.. chalo Nischal kaam pura kiya jaye..


Nischal, gahri shwans lete… "Haan karte hain"…


Nischal aur Serin ne 15 minute ka command diya aur wahan se bahar nikal aaye. Niyati ne bhi kya khel racha tha, jiske har kone ko apne hathon se banaya, usse aaj apne hi hathon se dhwast karna par raha tha.


Teeno kuch duri par khade ho gaye. Jaise hi samay pura hua dekhte hi dekhte pahle wahan ke jitne bhi aawshkar aur jaroori dastavej the wo khatm hona shuru ho gaye. Unme chingariyan si utne lagi… fir dekhte hi dekhte wo jagah dhire dhire tootkar malwe me tabdil ho gayi…
super se bhi uper update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:-106






Jaise-jaise wo jagah toot rahi thi, Serin aur Nischal ki himmat bhi toot rahi thi, aur dono ke toot'te himmat ko Jivisha sahara de rahi thi. Nischal aur Serin ke liye ye bahut hi marmik kshn the. Jaal mahal ke dhwast hone ke baad bhi na jane kitni der tak rote huye uske malwe ko dekhte rahe. Dono ke hriday purn viyog me the.


Jivisha kisi tarah dono ko hausla deti hui Rajdhani ke raj mahal me wapas le aayi, jahan Lobhu apni patni aur bache ke sath pahle se pahuncha hua tha. Jivisha ko laga ki kuch waqt dono ko akela chhod dena chahiye, isliye dono ko wo mahal ke dusre hisse me chhod'kar wapas chali aayi.


Sabha mahal me kewal kuch log the usme se bhi Lobhu ko shashan vaywastha ke bare me koi gyan nahi tha. Uski patni ka bhi wahi haal tha. Kuch Jaal mahal ke purane staff the aur naya niyukt kiya hua sena-nayak Ajur baitha hua tha.


Jivisha jab unki baithak me pahunchi to pata chala ki sab muk darshak bane huye hain aur Ajur sabko gyan ki ghutti pila raha hai. Jivisha lagbhag aadhe ghantey tak usse sunti rahi…


Jivisha:- Ajur tum ek kaam karo, sena ke sabhi commanding officer aur aala adhikariyon ko suchna bhejo ki unhe rajdhani bulaya gaya hai… aadhe ghante me report kare. Jab tak wo log aate hai tum bahar ja'kar intzar karo..


Ajur:- Lekin sahjadi, main to yahan ke shasan vaywastha ke bare me sabko samjha raha tha..


Jivisha:- Uss par hum baad me charcha karenge, abhi jitna kaha gaya hai utna karo..


Ajur ke wahan se jate hi, Jivisha Lobhu par barsati hui kahne lagi…. "Wo yudh niti aur janta se jyada kar wasooli ki mang kar raha tha aur tum log chup chap sun rahe the"..


Lobhu:- To main kya karoon mujhe shasan vaywastha dekhne ka koi anubhaw nahi hai.


Jivisha:- Jaal mahal ka prabandhan kaun dekhta tha..


Lobhu:- Wo mere aur Nayla ke jimme tha..


Jivisha:- "Bus fir kya pura prabandhan Jaal mahal ki tarah kar do… Pahle to har shahar ka ek up-prabandhak banao jo apne shahar ki dekh rekh kar sake. Fir un sabhi up-prabandhak ke upar tum maha-prabandhak ban jao."


"Iske baad abhi up-prabandhak se pahle likhit me lo ki usse prabandhan ka kaam diya gaya to wo apne sahar ke kin samasyaon ka samadhan karege… Jo apne wade par kayam rahe wo thik, jo wada nibha na sake unki samsya suno aur unko hal karne ka kosis karo… yadi uske baad bhi kisi ke area me kaam nahi hota hai to naye ko lao.. simple.."


Lobhu:- Kya baat hai shashika aap ne to humari itni badi muskil ko yun aasan kar diya…


Jivisha:- Haan lekin mujhe kuch anubhawi aur kuch pratibhashali yuva chahiye jo aane wale kuch salon me yahan ke prajatantra ki roop rekha taiyar kar de…


Lobhu:- Aise list to humare pass pahle se hain.. kis catogray ke log dhundh rahi hai wo bata dijiye…


Jivihsa:- Ache prabandhak aur samaj sewi log..


Lobhu:- Lo maine bhej diya sab ko ek sath sandesh, kal tak sab rajdhani pahunch jayenge…


Jivisha:- Itni harbadi kyon hai Lobhu.. sab ko cancel karo aur kaho main khud kal se har sahar ka bhraman karungi… Sahar ka map do main shedule bhej deti hun. Har sahar ke jo bhi ikchhuk log hain wo aa jaye.. main apne swatantr mat se unka chunaw kar lungi…


Lobhu aur Jivisha jabtak sahar ke bare me charcha kar rahi thi, tab tak Ajur bhi pahunch gaya. Jivisha ne sab commanding officer aur aala adhikariyon ko sabha bhawan me he bulwa liya… takriban 60 logon ko Jivisha ne short list kiya, jisme Ajur bhi tha. Jivisha ne sab ke hath me kuch sawalon ke paper thama diye aur 1 ghantey ki pariksha lene lagi.


60 logon ke paper dekhne ke baad Jivisha ne un me se 20 ko 10-10 ke group me select kiya aur bakiyon ko bahar bhej diya. Pahle 10 me se Jivisha ne apne purvanuman ke jariye, 1 ko pure sena ki kaman shaunp di. Fir puri sena ko 6 zone me tabdil karti hui, 6 logon ko uske zone ka malik bana di. Ek jo ammunation, hathiyar aur viman ka jyada jankar lagta tha usse sena ke liye latest hathiyar aur technology ki jimmedari de dee. Wo apne sath ek team ka gathan kare aur in sare mamlon ko dekhe. Wahin 2 logon ke liye desh ko 2 zone me vibhajit karte huye, unhe apne zone se naye logon ke bahal aur prashikshan ki jimmedari de di… aur ye sabhi 9 log sena-nayak ko jawab dete. Aur wo sena-nayak mukhya prabandhak ko apni puri report deta.


Aisa hi kuch Jivisha ne un bache huye 10 logon ke sath kiya bus fark sirf itna tha ki unko civil mamle ko dekhne ke liye police ke department ki baat samjha diya gaya. Jivisha apne purvanuman ka purn upyog kar rahi thi aur isme uske filmon ka anubhaw kafi kaam aa raha tha.


Kisi bhi jagah ke mukhiya me kewal achha hona hi ekmatr quality nahi hona chahiye ye Jivisha ko achhe se pata tha. Agle 6 din tak Jivisha, Nayla aur uske sath kuch logon ki team banakar, lagbhag har sahar ghum chuki thi. Alag-alag kamon ke liye log short list ho rahe the..


6 din ke baad jab Jivisha har ore se sunischit ho gayi fir sara kraya bhar upyukt logon ke jimme chhod'kar 2 mayus parindon ke pass pahunchi.


Nischal aur Serin, Jaal mahal ke jane ke dard se ab tak ubar nahi pa rahe the. 6 din bit chuke the, lekin dono kewal gumsum aur mayus hi the… Jivisha dono ke pass pahunch'kar… "Chalo yahan ka kaam khatm ho gaya hai"..


Nischal:- Hmmm !


Nischal to kuch bola bhi, lekin Serin kewal ek baar Jivisha ke ore dekhi aur wapas se khyalon me gum ho gayi. Tabhi wahan kayi sare nanhe gang ka attack ho gaya.. wo sabhi charo ore nachte huye apna role play karne lage… Yah role play ek bhai-bahan ki kahani thi, jisne sath mil'kar kisi jagah me kayi sapne sanjoye the aur uss jagah se kaiyon ke sapne sakar bhi kar chuke the..


Yahan baat unke Jaal mahal ki nahi thi, balki pura role play unki himmat aur logon ke prati samwednao ko dikhaya gaya. Fir yah bhi dikhaya gaya ki yadi kisi mod par wo hatash hokar ruk gaye, to aane wala waqt kaisa hoga.


Iss role play se bahut jyada to nahi lekin kuch sochne ki chetna jaroor jagi thi. Dono ki haalat ko dekhte huye Jivisha kahne lagi… "Tum dono aa rahe ho ya main akele apne ghar chali jaun"…


Serin:- 1,2 din aur ruk kar chalte hai na..


Iss baar Nischal kuch nahi bola.. Jivisha dono ko 1 baar dekhti hui "fine" kahi aur wahan se nikal gayi. Takriban aadhe ghante baad Lobhu un dono ke pass pahuncha…. "Ye kya hai, sahjadi aap ka viman lekar kahan udd gayi"..


Nischal aur Serin ek dusre ko hairani se dekhte huye, sidha dur sanchar pranali ke pass pahunche… "Jivisha wapas aao ye kya bachpana hai"… "Haan bhabhi wapas aao"..


Jivisha:- Ek viman wahan maine chhod diya hai… tum dono ka man ho to aa jana warna main to shedule ke hisab se chalungi…


Nischal:- Thik hai hum aa rahe hain… speed ko aadhi kar lo hum thodi der me pahunch rahe hain…


Nischal Serin ko lekar Lobhu ke samne se gayab ho gaya. Dono turant hi chhote yan me baith'kar teji se apne bade viman me pahunche. Lagbhag 16 ghantey lag gaye uss bade viman tak pahunchne me… Nischal kafi gusse me..... "Pagal tumhare dimag me chal kya raha tha, akeli aa gayi. Hume bata nahi sakti thi....


Serin:- Bhabhi ne hume bataya tha..


Nischal:- Haan to humne dhyan nahi diya to dobara nahi bata sakti thi..


Serin:- Bhabhi ne kayi baar bataya tha…


Jivisha:- Ab dono sok me dube the. Mujhe laga dono ko nakara kar diya hai sok ne, isliye main akeli chali aayi. Laga abhi dono ko gum se ubarne me samay lagega…


Nischal:- Mera dimag abhi kharab hua para hai Jisa… abhi kuch der mujhe akela chhod do..


Jivisha:- 6 din to akele hi chhodi thi Nischal. Suno baby jo faisla tum dono ne liya, manti hun kathin tha, lekin thik hai ab wo faisla le liya na… Ek aashiyana fir se banayenge.. Ek khushiyon ka jahan fir se taiyar karenge, abhi happy hone ka aur iss khajur Surpmarich se kaise nipatna hai uspar dhyan do chalo..


Bahas ka lamba daur chala… Nischal aaj se pahle kabhi itna kafa najar nahi aaya tha. Usse bus yahi lag raha tha ki Lobhu ne nahi bataya hota to Jivisha akele hi pahunch jati. Khair safar aage badhne laga aur teeno he uss Surpmarich par charcha karne lage… uske liye anth me Nischal ne ek hi baat samjhaya….


"Surpmarich ek haiwan hai.. yun samjh lo jaise hum technology ki madad se artificial shaktiyan develope karte hain, usne natural experiment karke apni natural shaktiyan develope ki hai. Usse kisi bhi technology se nahi maat di ja sakti, usse hum kewal aur kewal apne ander ki shaktiyon se hi hara sakte hain"…


Charcha karte huye teeno Decca pahunch gaye. HuYu khud unke swagat ke liye khada tha. Jivisha ne sabko ek hi baat suggest ki, yahan 1 din ke liye hum sab baton ko bhula kar relax karenge aur pura free mind se aage badhenge"…


Teeno ke swagat sabha pahle se hi aayojit tha. Apne comedy ke naam se chahrchit iss jagah par aakar teeno hanste-hanste lotpot the.. kya act tha aur kya hasane ki adbhut kala thi in logon ke pass…


Raat ko atithi bhawan me utna hi bhawya swagat hua. Yahan ke shashak ne khud aa kar teeno se mulakat kiya. HuYu ne swagat me koi kami nahi chhodi thi. Charcha ke dauran pata chala ki unke diye huye dhatu platinum ki itni maang thi bajar me, ki wo muh mangi kimat par wahan biki. Ek hi raat me HuYu Horyent grah ka sabse amir vyapari ban gaya.


Labhag aadhi raat ka waqt tha.. HuYu kisi tarah himmat juta kar Serin ka darwaja khat-khatya. Serin kafi gahri nind me thi. 2 baar knock karne ke baad jab HuYu ko koi jawab nahi mila, fir wo chupke se kamre me dakhil ho gaya aur Serin ke ore badhne laga. Jaise hi wo Serin ke najdik pahuncha, Serin uska hanth khinch'kar bistar par litayi aur uske upar chadh kar khanjar uske gale par lagati…. "Tumne chori se mere pass aane ki himmat bhi kaise kar liye"..


HuYu:- Maar hi do kyonki pata nahi kyon tunhare bina jine ki ikchha nahi ho rahi…


Serin, chaku ka dawab gale par badhati hui…. "Bade Sauk se tumhari ye ikchha puri karungi."


HuYu ke gale se halka khun nikalne laga, lekin wo fir bhi muskurate huye…. "Mere sath jina pasand karogi. Manta hun tumhare mukable mere ander kuch bhi khas nahi, siway iske ki tum mere liye sabse jyada khas ho"..


Serin apni chaku hata'ti… "chale jao iss se pahle ki main tumhe maut se bhi badtar saja de dun"..


HuYu:- Jo bhi dena hai de do.. bus khud se dur nahi karo....


Serin:- Achha ! Aur tumhari wo shikar ki aadat. Wo kya dialogue tha tumhate…. Maine dekha nahi ki ladkiyan gir gayi bistar me…


HuYu:- Haan to tum kaun sa pichhe thi… Apni dialogue na batao.. "Main wo hun jo shikariyon ko apne aage pichhe ghumati hun". Tumse milne ke purv ki baten thi wo, jab se tumse pyar hua hai, sab chhut gaya hai…


Serin:- Jhansa achha hai HuYu, lekin uss din bhi tum apne chember me bhog aasan hi liye huye the, jab main Horiyant aayi thi.


HuYu:- Ussi din to ehsas hua ki tumse chahat hai. Uss se pahle kabhi kisi ke sath sex karte aisa nahi laga ki chori kar raha hun. Dono ki marji thi aur maze karne ke liye sabhi swatantr hai, jab tak ki rishte me na bandhe ho. Lekin na jane kyon tumhe dekh'kar wo ehsas hone laga ki shayad main chori kar raha hun…


Serin:- Achha matlab ab wo tumhare shikari wale gun hawa ho gaye hain.. Shikar karna bhul gaye kyon?


HuYu:- Haan, chahat bhi ajib hoti hai, bina kisi bandhan ke sahi galat ka ehsas karwa jati hai. Waise ab kewal ek hi shikar karunga Serin ka, aur kisi ka bhi nahi..


Serin:- Tumhari baten bhramit karti hain, mujhe tum par yakin nahi. Aur pata nahi kyon, main tumhari bakwas sun kyon rahi hun… chale jao..


HuYu:- Hati hun main.. ya to mujhe kabool kar lo, ya wada kar do ki Decca chhodte waqt mujhe marti hui chali jaogi..
awesome super update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Update:- 107








Serin uske gala pakad kar thoda upar ki aur uske honth ko chumti hui kahne lagi… "Tum pahli najar se achhe lagte ho, lekin tumhari harkton se utni hi nafrat hai. Kal sharp 8 baje taiyar rahna, hum safar par chal rahe hain.. jao ab so jao aur apni dukan kisi bhadosemand ko dete jana, kyonki ab tumhara lautna kabhi-kabhi hoga..


HuYu, Serin ko teji se palat kar niche karte uske honth par honth rakh'kar chuma aur kahne laga… "Subah 8 baje….". Aur apni baat kahne ke baad fir se ek baar chum'kar wahan se chala gaya.. Usse jate dekh Serin muskura rahi thi aur HuYu ke iss kadak andaj ke bare me hi soch rahi thi. Aaj se pahle kisi ne uske samne itni himmat nahi dikhayi thi…


Subah 7.30 baje hi Nischal aur Jivisha viman me pahunch chuke the. Thodi der baad HuYu aur Serin bhi hanste huye viman ke ore chale aa rahe the…. "Baby, tumhe tumhare jija shayad mil gaye"..


Nischal HuYu ko gaur se dekhte… "Kaun ye.. iski to band main abhi bajata hun"..


Jivisha:- Aisa kya.. waise kaise bhai ko bahan ki khushi dekhi nahi jati kya.. main to dono ko jab pahli baar dekhi thi, tabhi purvanuman ho gaya tha…


Nischal:- Pahle kyon nahi batayi…


Jivihsa:- Tum hi to kahte ho purvanuman ek feeling hai jo vastavik ho bhi sakti hai aur nahi bhi..


Nischal:- Kitni badi jhuthi ho… main aisa kyon kahne laga. Mujhe to pata hai ki purvanuman ek feeling hai, jo tumhe kuch achha ya bura hone ka sanket deta hai.. apni kahani mujh par mat lado..


Jivisha:- Huhhh ! Tumne hi kaha tha, tabhi to mujhe sab yaad hai…


Nischal:- Jhuthi kahin ki.. tum 2 minute shant raho.. dono aa gaye hain…


Nischal, HuYu ko aakhen dikhate… "Tum kyon aaye ho yahan HuYu"..


Serin:- Mere sath aaya hai.. ye mujhe chahta hai.. aur yahan mera viswas jitne aaya hai..


Jivisha:- Dekh'kar to lagta nahi ki dono ke bich viswas jitne ya haarne jaisi koi kahani hai… tum to isse bahut pahle se chahti ho..


Nischal:- Mujhe HuYu pasand nahi..


Serin:- Tumne pahle se ek ko pasand kar rakha hai Nischal aur jise pasand kiya hai wo bilkul mast hai… tumhe pasand nahi karna hai.. mujhe pasand karna hai. Apna dhyan bhabhi par lagao…


Nischal, Jivisha ke ore dekhte huye…. "Sab samjh raha hun Serin ye nautanki aur hajir jawabi kiske sangati ka natija hai. Lekin isse sath safar par kyon le kar aa gayi.. bekar me iski jaan ko khatre me dalna…


Serin:- Chinta mat karo, jaan bachane ki kala me ye bahut mahir hai.. aakhir shatir chor jo thehra..


HuYu:- Chor kah'kar kyon bejjati kar rahi ho. Mujhe kalakar kahte hain… Maine logon ke kadi suraksha ke bich unke anmol chijen churaya jaroor hun, lekin unke malik ko badle me kimat de deta hun, ya nahi mane to main saman wapas kar deta hun… 2 sal aur 3 mahine se Serin ka wo pendent tha mere pass, kisi ko becha kya maine..


Nischal:- Gadhe fir chori karne ki kya jaroorat hai..


HuYu:- Apne apne shauk hain. I love challenges. Jab koi apni chij kadi suraksha ke bich rakh'kar sukoon se sota hai, tab uski nind haram karne ka maza hi kuch aur hai. Waise main Serin ke pendent me koi intrest nahi rakhta tha… Main to Huwayu jane ka plan kar raha tha uss waqt..


Serin:- Huwayu kyon ….. apne naam ka matlab dhundne Huwayu jate kya?


Jivisha:- Main ja rahi hun mujhe kuch bhi samjh me nahi aa raha, kaun kahan ja raha hai..


Serin:- Bhabhi Huwayu suraj ke gole ka sabse najdiki grah hai, jahan jana hi maut hai…


Jivisha:- Kya baat kar rahi ho, maine ek movie me dekhi hai wo grah.. lagta nahi tha ki koi aisi bhi jagah hogi. Film me sab kalpnik hi laga tha, abhi pata chal raha hai aisi bhi koi jagah hai.. Suno ji main bhi chalungi wahan… mujhe bhi jwalamukhi wala grah dekhna hai..


Nischal:- Ek pagal apne sath kam thi Serin, jo tum isse bhi le aayi..

Jivisha:- Huhhhh ! Main pagal hun… juban kuch jyada lambi nahi ho rahi hai..


Serin:- Had hai, dono kitna aapas me bahas karte ho.. iski baat to sun lo kyon ja raha tha…


HuYu:- Dekho ye sahi hai mere bapu ne mera naam ussi grah ke naam par rakha tha. Mere bapu ne mera naam Huwayu ke prem me rakha tha, jiska karan tha wahan paya jane wala ek nayab dhatu, jisko pane ki chahat ab bhi unke man me hai. Huwayu par lagbhag 40 lakh varsh purv ke kuch nayab dhatu rakhe hain..


Serin:- Kis tarah ke dhatu hai..


HuYu:- "Puri detail to mere bapu ko bhi pata nahi, lekin uss dhatu ka ek 1/2 mm ka tukda mila tha unhe… wo prithvi par paye jane wale chandi ke dhatu jaisa tha bilkul.. bus fark itna tha ki wo chandi ke mukable kafi halka hota hai. Ek tarah ka friendly dhatu kah lo, jiske gun kafi rochak hain."


"Chunki Huwayu atyant garam jagah hai, lekin agar sarir par wo dhatu ho to, wo dhatu body need ke hisab se heat ko bahar reflect kar'ke, ander normal temprature banaye rakhta hai.. uske alawa wo dhatu jis surface par rakha ho, raushni uss surface ke aar paar ho jayegi...."


Serin:- Matlab uss ke istamal se koi bhi adrishya ho sakta hai..


Jivisha:- Mister India ki tarah..


Nischal:- Nahi gaya na wo Huwayu, fir band karo discussion..


Jivisha:- Ye fir se wapas akdu hua ja rahe hai… HuYu tumhe jana chahiye tha wahan… kyon nahi gaye..


HuYu:- Ussk waqt market me dhindhora pit gaya tha. Har jagah kewal Serin ke pendent ki charcha hone lagi.. aur mera pura focus divert ho gaya… Sath me ek aur sach ye bhi hai ki, mujhme itni capacity nahi ki ek aisa viman bana sakun jo suraj ke najdik ka temprature jhel sake… isliye wahan ka khyal dil se nikal'kar Serin ke pendent churane par focus karne laga…


Nischal:- Iska matlab yah hua ki tum Serin ko kisi tarah raji karne aaye ho, ki wo tumhare liye aisi technology developed kare, jo tumhare Huwayu tak ke safar ko aasan bana de. Aur apne swarth par chahat ki chasni laga kar Serin ke samne pesh kar diye…


Serin:- Oh uparwale… HuYu itna bada game mere sath..


Jivisha:- Kamal ka conclusion hai baby.. muh khologe to gandh hi failaoge, tumhe HuYu nahi pasand isliye koi bhi conclusion mat nikalo..


Serin:- Nana bhabhi .. Nischal ka aakalan sahi hai...


HuYu:- Chor hun bewakoof nahi jo chahat ki chasni me apna swarth pados dun… Main challenge apne dum par accept karta hun aur single hand pura kaam hota hai. Pahle chahat jagao, fir ek marmik kahani banao aur kuch salon ki fielding ke baad apni mansa me kamyab ho… itna lamba intzar mujh se nahi hoga…


Serin:- HuYu tum please itne lambe-lambe bhasan na diya karo, main bore ho jati hun… chhodo in sab baton ko Surpmarich par concentrate karen..


HuYu, hairani se sabko dekhte huye… "Tum log kiske pichhe ja rahe ho"..


Nischal:- Tum itne hairan kyon ho HuYu.. kya jante ho tum Surpmarich ke bare me…

HuYu:- Ek mangadhant kahani hai ye Surpmarich, jiska koi astitwa nahi hai… khud ko sabse taktwar aur prakriti ke barabar man'ne wala ek prani…


Nischal:- Bus sath chalte raho, yah bhi tay ho jayega ki kahani mangadhant hai, ya hum sab sach ke pichhe hain.


HuYu:- Mere sath chalo aur kuch mere pasand ki dhatu do..… aur ek bhatti. Mujhe ek khanjar banana hai.


"Chatakkk".. ek jordar thappad…. "Kya lana hai wo batao, yahan kahin koi chij hum jakar nahi late"… Jivisha HuYu ko ek thappad lagati hui kahne lagi…


HuYu:- Mujhe to bus ek khanjar banana hai… aur mera apna bag chahiye…


Jivisha:- Computer ji iska bag aur humare pass jitne bhi dhatu hai uske kuch samples le aaeye…


Computer:- Arre yaar khud bhi chal fir liya karo.. kitna achha to wo sath chalne ki baat kar raha tha..


Jivisha:- Be serious abhi kaam ka waqt hai..


Computer:- Lo ab ye bhi serious ho rahi hai…


Nischal:- Bus bhi karo computer ko counter karna Jisa.. abhi kaam dekhte hai na...


Jivisha:- Computer ji iska muh band kar do.. aaj iski khabar main akele me leti hun... Jab dekho tab ye mujhe tok rahe hai..


Serin:- Chup karo dono… kyon pagal bana rahe ho… ek dum chup…


Jabtak Serin dono par gussa ho rahi thi, HuYu ka bag aur tarah-tarah ke dhatu bhi wahan pahunch gaye…


HuYu:- Nah mujhe maza nahi aaya… computer ji yahan ke dhatu section me mujhe le chaliye aur ye saman bhi wahin shift kar dijiye…


Nischal:- Mujhe ek baat sanjh me nahi aa rahi.. ye achanak se mere dhatu bhandar me kyon jana chahta hai..


Serin:- Acess control do usse aur jo kar raha hai usse karne do na.. har baat me swal karna jaroori hai.. usse kar lene do apna, hum apne kaam par focus karen..


Nischal Serin ki baat maan'kar usse control de diya aur uske wahan se jate hi…. "Serin sab thik to hai na"..


Serin:- Kya hua aise kyon puchh rahe ho..


Nischal:- Nahi HuYu ka behaviour ajib hai aur main kuch samjhta uss se pahle hi tumne usse bhej diya. Jabki computer ka acess control usse hum de sakte hai ya nahi uss par main soch raha tha..


Serin:- Kuch bhabhi se bhi sikh lo… bhabhi bhi chahti thi ki wo apne kaam me lag jaye, taki hum apni ran'niti tay kar le.. dhatu le'kar khanjar hi banana chahta hai… bana lene do.. kaun sa wo kahin bhag raha hai… jab hum se alag hoga to sara saman wasool lenge.. ..


Jivisha:- Jo ki hone se raha, wo alag hone ke irade se to nahi hi aaya hai.... kabhi-kabhi Nischal over karne lagte hain Serin…


Nischal:- Hmmm ! Sorry, main utni gahrai se nahi soch paya. Waise Tum kya sach me HuYu ko pasand karti ho.


Serin:- Achha lagta hai wo mujhe… pure himmat ke sath mujh se ek mauka manga aur main mana nahi kar payi…


Nischal:- Chalo thik hai, koi baat nahi. Waise mujhe bhi achha lagta hai wo. Kam se kam usse pata to hai ki wo kya aur kyon kar raha hai.


Ek bade yudh ke ore agrsar ho rahe the teeno. Pahle se kuch bhi tay kar pana muskil tha, isliye apni ran'niti tay karke teeno ek achhi nind le chuke the. Subah jab aankh khuli prithvi ke orbit ke bilkul najdik the…


Jivisha mithi angrai leti hui jagi aur fresh ho'kar control room ke pass wale hall me pahunchi. Nischal pahle se wahan taiyar hokar kitchen me tha. Subah ki surwat ek mithi chumban se hui, fir dono hi nasta banane me lag gaye..


Nischal:- Aakhri ladai… kya tum taiyar ho..


Jivisha:- Jahan tum wahan main, har khatre ke liye taiyar hun main..


Ek aakhri mukam, ek aakhri kadi.. Jahan se in sab ki shurwat hui thi. Jiske pass wo shaya Nischal ko pahunchana chahti thi, jab wo Sapna ke mirt dimag me ghusa tha..


Apne path par chale the dono aur kadiyon ko jodte-jodte yahan tak pahunche the.. jiski sabse aham kari thi Vish Nilayani ki wo pustak, jise Nischal aur Jivisha ne Alfas grih me padha tha aur tab gyaan hua tha ki aage ka safar tay kar'ke, majil kahan aakhri hai.…
amazing update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,932
218
Final update :- 1






Lagbhag 2 ghantey baad viman madhya Antartica ke hisse me tha. Viman jaise hi wahan land hone wali thi, ek chhota sa sandesh unke pass pahuncha… "Mujhe dhundhne me itna samay kyon nasht karna, aa jao yahan"… sandesh ke sath location bhi share kiya hua tha…


Nischal uss location par viman ko utara. Charo ore bhumi barf ki chadar odhe thi. Nischal aur Jivisha ke liye to yah anukul mahol tha, kintu Serin aur HuYu ke liye ye bilkul bhi anukul mahol nahi tha. Halanki HuYu ab tak apne khanjar banane me hi laga hua tha, isliye uss tak garam kapdey pahuncha'kar teeno viman se niche utre....


Viman ke bahar unka swagat karne ke liye ek divya purush khada tha, jo apne badan par halke vastr dharan kiye huye aur uska pura sharir bilkul chamak raha tha.. apni dono baahen khol'kar unka swagat karte huye kahne laga… "Aao mitr"


Ek darinda jiski kahani bilkul gupt thi. Aaynek aur Masoori grah kewal iske vajah se barbaad ho gaye. Ek shatir apradhi jo khud ko prakriti ke barabar samjhta tha. Nischal ko to laga tha ki isse dhundhne me na jane kitne varsh lag jayenge. Lekin pahle Mahamahim ke dimag me ye raaj khol diya ki wo kahan milega. Uss ke baad jab wo log Antartica pahunche to khud hi apna location sajha bhi kar raha tha. Aur ye hairani ki hi baat thi ki wo khud samne khada hokar unka swagat bhi kar raha tha.



Surpmarich ko samne dekh'kar teeno hairan bhi the aur thode padesan bhi.…. "Kya hua, teeno kuch jyada hi hairan dikh rahe ho.".. Surpmarich ne puchha…


Nischal:- Dushman ke dwar khade hain aur dushman khud samne se itna meharban ho, wahi hume hairan kar raha hai..


Surpmarich:- Wo kya hai na dost main bhi Jivisha ki tarah filmon ka deewana hun. Haan lekin usme villan ka attitude mujhe pasand nahi aata. Yaar kyon itna bhag daur karta hai villan. Baith kar hero se baat karo, sare sawal jawab aapas me hi kar lo, aur fir final ladai lar lo… kam se kam jo jinda bachega uska samay to bach jayega..


Jivisha:- Kamal ka concept hai… isliye tumne Mittoso ke dimag me apna pata chhod aaye the…


Surpmarich:- Haan bilkul.. mujhe laga tum sab mere pichhe aa rahe ho aur mujhe bhi tum logon me dilchaspi thi, to socha kyon samay vyarth karna. Baith'kar ek baar aaram se baat kar lete hain, nahi to anth me ladai to hai hi.. Ab chalo bhi ladai se pahle ek chhota si mehman nawaji ho jaye..


Serin:- Bade hi shauk se..


Surpmarich:- Tumhara ek dost jo iss waqt viman me hai, wo bahar nahi aayega kya ?…


Serin:- Wo humare ladai ka hissa nahi hai…


Surpmarich ne teeno ko uske piche khade rahne kaha aur hathon ke ishare se command dete huye kahne laga…. "Computer ji ye puri jagah mere dushmano ke liye khol dijiye"…


Jaise hi Surpmarich ke muh se yah command nikla teeno ek dusre ka chehra dekh rahe the. Teeno ki najar aapas me ek dusre se mano kah rahi ho…. "Ye mamla kya hai.. ye Surpmarich aisa kyon kar raha hai".. Serin aur Jivisha to gusse me aage badhne lagi, lekin Nischal ne ishare me dono ko shant rahne ke liye kaha…


Teeno sidhiyon se niche utar kar, bade se mand me pahunch chuke tha jo Surpmarich ka gadh tha. Charo ore bahut sari pustak aur tarah-tarah ke nayab patthar jare huye the. Niche kayi tarah ke kund aur bahut kuch tha uss jagah me. Yahan kuch bhi aisa nahi tha jo banawti ho… har chij prakritik aur bilkul nayab tarike se khada kiya gaya tha ..


Surpmarich niche bhumi par ek sher ke chhal ke upar baith gaya aur teeno ko bhi baithne ke liye aagrah karne laga…. "Mitr main prakriti ke sath jina pasand karta hun aur apne ander pura prakriti samahit rakhta hun. Tum teeno ke man me kayi sawal hain, kuch sawal mere man me bhi hai. Aaj ya to main jinda bachunga ya tum teeno, fir jo jinda bache wo raaj se parda uthane ke liye mehnat kyon kare… chalo shuru karte hain, pahle apne-apne confusion ko dur kiya jaye"..


Nischal:- Tum lakhon varsh se aise hi dikhte ho kya?


Surpmarich:- Chhi Chhi.. nahi bhai sharir ki apni hi self life hoti hai. Jyada lambe samay tak ek hi sharir me rahunga to ye sharir hi galna shuru ho jayega, isliye jaroorat ke hisab se main apna sharir badlate rahta hun…


Jivisha:- Kaise, khud ki aatma kisi aur ke ander dal dete ho kya?


Surpmarich:- Nahi Jivisha aisa sirf filmon me hota hai. Naya sharir badlne ki puri prakriya hoti hai. Yun samjho Jivisha ki jaise tumhe Rani Vish Nilayani ki puri shakti mili hai, thik waise hi ye bhi hota hai. Bus fark itna hai ki tumhara dimag purn roop se tumhara hai, jisme pichhli jindgi ki koi yaad nahi. Lekin mere naye sharir me dimag bhi mera hota hai aur meri lambi zindgi jari rahti hai…


Jivisha:- Bore nahi huye ab tak iss sansar se..


Surpmarich:- Haan jab koi kaam nahi hota to bore ho jata hun, lekin kya karen ye achhe log mujhe bore nahi hone dete na. Koi na koi mere bilkul karib pahunch jata hai aur lagbhag maar hi chuka hota hai. Kintu main to prakriti hun aur bhala mujhe koi maar sakta hai kya?


Serin:- Tumhari ladai to tumhare dushmano ke sath thi fir tumne 2 grah ko aapas me kyon ladwaya tha…


Surpmarich:- "Acha sawal hai.. iske jawab ki taiyari main to kayi 100 sal pahle kar rakha tha. Socha tha itna bada kand kiya hun, koi to jimmedar mujh tak pahunchega aur mujh se ye sawal karega, lekin sale sabhi nikamme…"

"Viggo sochta raha ki uske tirtiya Viggo Sigma ne sab kiya hai aur Dakshat jo dimag me kafi kusal the, wo Viggo ko hi dushman maan'kar unhe khatm karne me lag gaye. Mere baap ka kya jata hai, maine bhi apna 1,2 anuyayi pakad liya aur bahar se baith'kar unki ladai ka maza lene laga…"


Serin:- Tumne itna bada faisla kewal isliye kiya tha na kyonki tumhe Viggo prajati Zoren grah par chahiye tha. Chunki Viggo ek shresth samuday tha aur tum apni anaitik baat manwane aur unhe Zoren grah tak nahi le ja sake, isliye pura grah hi tabah kar diya aur unhe Zoren aane par majboor kar diye the.


Surpmarich:- Tum dono (Serin aur Nischal) ka dimag ek kushal Dakshat samuday ka hai. Khair pahla hissa sahi hai, mujhe Viggo Zoren par chahiye the, lekin ye galat hai ki Viggo sabhi achhe hote hai.. ya fir sabhi Dakshat achhe the. Dekho har jagah achhe aur bure log hote hain.. maine kayi Viggo aur Dakshat ko corrupt kiya tha.. haan lekin mujhe jo Viggo Zoren par chahiye the wo corrupt nahi hua, isliye usse Zoren tak lane ke liye itni masakkat karni pari..


Nischal:- Aur fir Zoren par tumne Mittoso ko chuna, jisne ek marmik kahani bana kar uss Viggo ko apne jhase me le liya..


Surpmarich:- "Mahan Viggo kaho usko… kash uska dimag mujhe mil jata… Uska naam Jirth tha. Shurwati kahani kuch aisi thi ki, main aur Rani Vish Kritima dono me bahut kuch samanya tha. Rachna aur utapatti ke surwati kaal me, hume banaya gaya tha. Aisa nahi tha ki hume tatha astu bol'kar sabhi shaktiyan dee gayi thi.."


"Ye sharir Brahma hai aur iss sharir me pura universe nihit rahta hai… bus uss gyan tak pahunchne ka marg humare guru Ursh ne hume Himalya me bataya tha. Purn gyan prapti ke baad unhone hume iss Brahmand ke any hisson me jindgi ko sucharu roop se basane ka karya saunpa tha…"


"Maine aur Vish Kritima ne, sath me hi rishi Ursh se siksha-diksha lee thi. Hum uss samay kul 4 shishya the. Humare jo 2 anay sathi the, wo purn siksha me vifal ho gaye aur guruji ne unhe prithvi par jan kalyan ke liye rakh liya tha…"


"Fir humari kahani aage badhti rahi. Hum universe ke lagbhag sabhi grahon par pahunche. Jahan-jahan jivan bas sakta tha wahan-wahan jivan basaye. Hume yatra ke dauran hi bahut si baton ka gyan hua, jaise ki har grah par jivan chakr alag-alag varshon ka hota hai. Har grah par paye jane wale insano ki alag-alag quality hoti hai…


"Finally apna kaam khatm karke main wapas prithvi aa gaya aur Vish Kritima Zoren par rah gayi. Yahan aane ka mujhe sabse bada fayda yah ho gaya ki main apne guru ka uttradhikari ban gaya aur dekho aaj tak unki legacy kayam hai."


Jivisha, apne aakhon me dahakte angare liye…. "Vish Kritima ke vansaj to bade hi shanti se rahte the, fir unhe chhala kyon"


Surpmarich:- Arre aaram se Jivisha, itna aawesh kyon. Dekho duniya me log apne nikat'tam pratidwandi se kyon chidhe rahta hai aur unpar kyon najar banaye rakhte hain, iska jawab to sabko pata hai. Bus wo bhi meri sabse nikatam pratidwandi thi. Khaskar Vish Kritima ki vansaj Vish Nilayani. Yah kahna galat nahi hoga ki usne apne tapo bal aur kamal ki sadhna se, apne sharir ke ander samast brahmand ka srijan ki thi.


Wo pahli aisi ladki thi jisko mere irade ka pata laga tha aur usne mujhe bandh diya. Matlab yun samjh lo ki jaise Nischal ke liye Mittoso ke sena ka koi ek sipahi tha, Nilayani ke liye main tha...


Yaar dil me dard to hoga na. Main kewal sharir badalta tha lekin uske ander ka purn gyan aur purn shaktiyan to lagatar jari rahti … lekin ek ladki jise virasat me kewal shaktiyan mili ho, haridity sahktiyan kah lo. Usse wo ek hi jivan kaal ke kuch salon me itna aage le gayi ki main to uske samne kuch bhi nahi tha…


Nilayani ke pass main shadi ka prastaw bhi lekar gaya tha lekin mujhe pahle se pata tha wo nahi manegi, aur wahi hua. Maine uss se kaha bhi tha "dekho Nilayani main apne manoranjan ke liye logon ko aapas me ladwa deta hun, apne kuch anuyayi chun leta hun, tum mujhe galat na samjhna aur mere pichhe mat aana"…


Lekin ye achhe log kahan mante hain. Mujh se bidh gayi kahi ya to Jan kalyan karo ya fir mirtu ke liye taiyar raho. Ab main samne ki ladai se to Nilayani se jit nahi sakta tha, isliye mujhe ek lamba khel rachna para. Mujhe bus Nilayani ki shaktiyon par kabu pana tha, uske liye mere pass ek patthar ka pura jakhira bhi tha, lekin wo patthar Nilayani ke sharir me kaise process karega, uska idea na tha… isliye mujhe Aaynek grah ka wo mahan scientist chahiye tha, jiska naam Jirth tha. Tumlog uss Jirth ki khani sun'na pasand karoge, jo apni sathi Dakshat ke prem me para hua tha… Bada hi pyara love story hai.


Jivisha:- Mujhe ab koi kahani nahi sun'ni hai… tum mujhe ye batao Rani Vish Nilayani jab tumse itni jyada shaktishali thi fir wo tumhare irade ko kyon nahi bhanp payi…


Surpmarich:- Thik hai jaisi tumhari marji. Baad me ye mat kahna ki maine itihas pura nahi bataya… kyonki koi bhi likhit praman nahi milega ..


Nischal:- Mujhe janna hai. Shurwat ki kahani to mujhe samjh me aa gayi. Tum Jirth ki love story se hi Rani Vish Nilayani ki kahani ko pura jod kar bata do…


Surpmarich:- Thnks bhai… tum kitne achhe ho… yaar anth me to hume ladna aur marna hai hi, fir kyon na itihas pura jaan lo… waise Serin ke koi sawal nahi hai kya?


Serin:- Main puri kahani sangrathit kar rahi hun… tum batate chalo…


Surpmarich:- Haan to baat aisi thi ki logon me ye bhrm paida kiya gaya ki 2 sabse shaktisali grah aapas me lad rahe hain… Aaiynek aur Massori grah. Halaki ye ladai meri hi karwayi hui thi, kyonki dono grah ke kamine log, jinke jivan ko maine basaya tha, wo prithvi par sodh ke liye aa rahe the… Khair unki ladai jab shuri hui to main sukoon se baith paya.. Ye pahla awsar tha jab main Zoren ki tatkalik rani Vish Mani ke najar me aaya tha…



Lekin Vish mani ko jhanse me lena aasan tha. Usse aasani se samjha'kar nikal liya, ki in dono grah ke log corrupt hain main to bus unhe bachana chahta hun… mera kaam chal raha tha. Unki ladai karwa'kar main apna pura dhyan prithvi par laga chuka tha, kyonki prithwi par alag hi sajis chal rahi thi aur kuch yogi mujh se loha le rahe the…


Khair jab Nilayani satta me aayi, tab unhi yogi me se kisi ek ne Nilayani se sampark kiya tha. Unhi yogi ke samuday me se ek Nischal se bhi mil chuka hai.. kamina marne se pahle usse bahut se gyan de gaya tha Nischal ko, lekin ye bechara utna gyan smet hi nahi paya…


Khair uss Yogi ne to mere L laga diye. Nilayani bahut hi kushal thi, aur uske ander sikhne ki kala adbhut thi. Waise kafi khubsurat bhi thi. Aaj bhi jab wo yaad aati hai to badan me aag lag jati hai.


Jivisha apne hath upar ki aur wo Surpmarich hawa me…. "Kaminey tujhe main abhi batati hun"..


Surpmarich, apna hath niche karte wapas jamin par aaya…. "Arre sorry doston, main to bus apni feeling bata raha tha kyon itne bhadak rahi ho. Aaram se baith jao"..


Nischal:- Shant ho jao Jivisha, aakhri ladai to waise bhi honi hai… kafi rochak baten chal rahi hai.. sun lete hain …
amazing update
 
Top