• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update :-2


Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....


Jivisha.... Aise kya dekh rahe ho, jo bhi hua usse bhul jao aur bhago yahan se.

"O' Khudaya, kuch to aisa karo ki inki baat mujhe samjh me aa jaye. Khair baat samjh me aaye ki na aaye, inka andaz pasand aaya, issi ke sath chalta hun, kafi friendly nature hai iska".

Jisvisha.... Abhi tak yahin khare ho aur aise tukur-tukur kya dekh rahe ho. Ek baar kahi to samjh me nahi aa raha kya. Ab main kyon isse samjha rahi hun. Tum maro yahin main chali.


Jivisha, Nischal ko chhor kar platform se bahar jane lagi, aur Nischal bhi uske pichhe-pichhe chal diya. Jivisha pani bottol kharidne ek stall par ruki, tabhi Nischal bhi uske pass aa kar khada ho gaya...... Jivisha ki najar jaise he uss par gayi..... "Jivisha, pagal, jhalli, ullu... kis chipku ko kiss kar di duffer, pichha he nahi chhor raha".... bari si aankhen kiye bebas bhari najron se Jivisha, Nischal ko dekhte, hath jor kar kahne lagi.....

"Unnnnnhhhh huuuunnn hunnnn.... sorry baba wo jaan bachani thi isliye kiss kiya, mera pichha chhor do please. Dekho tum mera pichha chhor do to badle me main tumhe bahut sara rupya dungi"... Itna kah kar Jivisha ne kuch 500-1000 ke note aage badha diye...


"Bechari ladki, kitni musibat me hai, lekin ye bekar si chij mujhe kyon de rahi hai... Lagta hai issi wajah se paresan hai".... Nischal ne khud me jo samiksha karna tha kiya aur Jivisha ke hath se note le kar tukra-tukra kar diya....


Jivisha gusse me usse dekhti.... "Tum ye paise far kar kya dikhana chahte ho, bahut bare raish ho... huhhh. Dekho ab tak pyar se kah rahi thi lekin ab yadi pichha nahi chhora to police se pakrwa dungi"....


Nischal ko ab kya samjh me aaya ki wo kya kah rahi thi, wo bas haan me apna sir hila diya. Haan me usne jaise he sir hilaya, Jivisha halki muskurayi .... "chalo picha chhuta"... Jivisha ko muskurata dekh Nischal bhi muskuraya..... "Lagta hai ye bechari uss kachre ke wajah se paresan thi, ab khush lag rahi hai"


Jivisha muskurati bye ka ishara karte usse chhor kar jane lagi.... Nischal bhi hath hilata uske sath-sath chalne laga.... Jivisha mukurate huye usse fir dekhi aur kahne lagi...... "Darling abhi to kahe the ki tum mera pichha nahi karoge, fir mere sath kyon chal rahe ho... tum apne raste jao main apne raste"


Ek baar fir Nischal ne haan me sir hilaya... Jivisha ko fir laga ki ab ye apne raste jayega aur main apne raste.... wo apne kadam aage badhayi... aur fir se uske sath Nischal bhi chal diya....

Jivisha sir pit'ti wahin jamin par baith gayi aur nakiyate jor se chillayi..... "Mammiiiiiiiii"..... Agle he pal Jivisha khud ko kosne lagi... "wo kaun si manhush ghari jo main bhagi aur ye chipku mil gaya, na main bhagti aur na he ye chipku milta".....

Jivisha in flash back... kuch din pahle....



Buglow ke bahar ki jhalak... Main gate par Swarn Villa likha hua... ander uski pyari mom Priya Rajput apne pati Himanshu Rajput ke sath sofe par baithi hai... uske gode me pariwar ka sab se chhota sadasya yani ki unka pota Chirag Rajpur, apni dadi ke gode me baitha tha aur uski dadi pyar se usse seb khila rahi thi.

Samne se uski bahu Nandita Rajput apne hathon me chay ka tray liye aa rahi. Pahle apne saas sasur ko serve ki fir apne pati Ravi Rajput ki ore chay badha di. Pass me he uska ladla dever Avinash Rajput bhi baitha tha, usse bhi chay deti wo sab ke sath baith gayi....

Chay ki pahli chuski ke sath Papa Himanshu bole.... "Ab tak soyi he hui hai, ye bitte bhar ka bacha jaag gaya aur wo ladki ab tak so rahi hai"

Priya.... Jane do na ji, sone do. Kal der raat tak usne padhai ki hai....

Abhi..... Isliye kahta hun mom thoda bahut khud bhi padh liya karo. Aap ki ladli beti jasusi novel padh rahi thi... koi apne course ki kitab nahi padh rahi thi.

Priya.... Kuch bhi padh to rahi thi na. Wo nahi padhegi, nahi padhegi... shadi kar ke apne sasural jayegi, teri tarah to nahi hai... pura din apne awara doston ke sath ghumta hai aur bhar din mobile me laga rahta hai....

Nadita, hasti hui kahne lagi.... "Maa ji, dever ji ke mobile par to ladkiyon ke bhi phone aate hain"

Priya.... Kya ??? Dekha ji aapne... main shuru se kahti thi ye ladka kuch na krega gawn bhej do isse, wahin apna khet dekhega. Par iss ghar me meri koi sune tab na... dekhna kisi din kisi ladki ko bhaga le aayega to fir mujhe kuch mat kahna....

Abhi apni bhabhi ko ghurte huye dekhne laga.... tabhi bhai Ravi topic ko divert karte kahne lage.... "Bas bhi karo sab, yahan Jivisha ki baat ho rahi thi, aur tum sab Abhi ke pichhe he par gaye"....

Himanshu.... Ek minute tum sab jarra shant ho jao. Mujhe kuch jaruri baat kahni hai...

Sara pariwahe dhyan se Himanshu ki ore dekhne laga...... "Mere dost hai na Punya pratap singh, uska beta abhi-abhi foreign se lauta hai. Dikhne me smart hai, videsh se padh kar lauta hai, aur kuch din baad apne company ko chalayega.... Mujhe to Jivisha ke liye iss se achha rista kahin nahi milega... kya kahte ho tum sab".....

Pura pariwar "Haan-haan" kart charcha karne lage... tabhi chhotu ustad Chirag apni dadi ki gode se utar kar, chupke se apne bua ke kamre me chala aaya...

Jivisha, makhmal ke bistar par, takiye ko apne sine se lagaye muskurati so rahi thi. Chirag ne idhar-udhar dekha aur mej par rakha pani ka jug utha kar Jivisha ke upar pani pura urrel diya....

Jivisha harbara kar uthi aur uth kar baith gayi. Dhime se ek aankh kholi aur samne Chirag.... "Chhotku, tujhe to main aaj batati hun"

Jivisha jhapat kar dauri, wo pure kamre me idhar udhar bhagta raha aur Jivisha uske pichhe-pichhe bhag rahi thi... tabhi Jivisha ne usse pakra aur pakar kar bistar par patak di... "Saitan kahin ka aise jagate hain"

Jivisha usse pakar kar gudgudi karne lagi.... "Bol fir karega aisa... bata"

Chirag.... Heee heee heee ... bua chhoro bhi... bua...

Jivisha.... Bua bol kar chidha raha ruk tujhe abhi batati hun ....

Jivisha uske naak par dant katne lagi.....

Chirag.... Di bolo to maa marti hai, bua kaho to aap gussa karti ho... bhagwan main karun to kya karun....

Jivisha.... Nalayak tum mera beta hai ki apni maa ka. Jo main bolungi wahi karna kisi ki mat saun'na....

Chirag... Thik hai di, ab mujhe chhoro warna aap he fasogi....

Jivisha.... Ohhh ! Ye emergency wake up tha kya...

Chirag apna sir hilate.... Haan di, ye emergency wake up tha.... mukhiya ji aap ki shadi tay kar rahe hain....

Jivisha.... Mukhiya ji ki itni himmat... chal tu mere sath... aaj inki family meeting ki to fis-fis...

Jivisha, bahar hall me aayi... tab tak inki family meeting chal rahi thi aur sab log khusiyan mana rahe the... kyonki un sab ki ore se ye rista pakka ho gaya tha.....

Jivisha ko aate dekh, Priya..... "Bare achhe samay par aayi hai, sun beta har ladki ko ek na ek din"...

"Ek na ek din" par abhi baat chal he rahi thi ki Jivisha apni ek hath aage dikhati..... "Bas... to yahan mukhiya ji ke dekh rekh me puri panchyat bithayi gayi hai meri shadi ke liye. Lekin ek baat aap sab bhi sun lo, aur mukhiya ji khas kar aap... main abhi shadi nahi karungi"

Himanshu... Par kyon beta, itna achha rista hai.. hum sab ko pasand hai, fir tu kyon inkaar kar rahi hai.. dekh hum sab tera bhala he chahte hain....

Abhi.... Ye na karne wali hai shadi kyonki ye to pahle se he apna bf pasand kar chuki hai... main shuru se kahta tha ki iska aur Videh ka koi chakkar chal raha tab kaun tha jo mujhe naroow minded kahta tha....

Jivisha apni bhawen sikori... muh chamkayi..... "Bhaiya main aap ka khun kar dungi. Papa dekha na kaise awara ladkon ke sath rah-rah kar inki soch bhi gandi ho gayi hai. Chhi, aisi baten... aaj ke baad iss gandi soch wale se mera rista khatam. Main tumhe ab rakhi bhi nahi bandhungi"...

Abhi... Kaun sa free me bandhti hai. Last time scooty li thi bhul gayi. Main he tha jo sab se lar kar tujhe scooty diya tha. Abhi tu mujhe he suna rahi hai. Papa aap ne jaisa socha hai waisa he hoga...

Jivisha.... Nahi, main abhi shadi nahi karungi... yadi jabardasti kiye to main aap sab par police case kar dungi....

Himanshu.... Sab chup... beta yadi Abhi jhoot kah raha hai, aur tu ne kisi ko pahle se pasand nahi kiya to baat kya hai inkaar ki....

Jivisha ke chehre par faili muskaan .... wo tahalti hui apni baat kahne lagi....

"Nahi mera koi bf nahi aur koi hoga bhi nahi... mera to prince charm aayega... Jab wo aayega to hawa me ek ajib si khusbu hogi, mahol surmayi tarange bikherenge.... uska roop itna lubhawna hoga ki dil me utar jaye. Aur jab uss ko mujhe se pyar hoga to nile asman me wo I Love You likh dega... Dekhna wo pure himmat ke sath, aap sab ki aankhon me aankhen dal kar, mujhe aap sab se magne aayega... Bas ussi ke intzar me hun, aur main ussi se shadi karungi".....

Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......
First k 2 update very awesome dhanso
Nischal or jivu kia khene nice intro
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-4



Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......


Jivisha apne chhote se flashback ko yaad kar ke, niche baithi bas yahi soch rahi thi.... "Iss chipku se to jyada achha main uss chipku se he shadi kar leti, bhagwan sare twist aaj he de dena kal ke liye kuch mat chhorna"


Jivisha itna soch kar jaise he apne khyalon se bahar aayi, thik uske bagal me Nischal baitha tha...... Usse dekhte he Jivisha fir se thunakte huye jor-jor se rone lagi......


"Ab ye ladki ro kyon rahi hai, isse fir kya ho gaya. Mujhe yahan ki bhasha sikhni hogi, tabhi iss ladki se mujhe kuch fayda bhi milega..."


Nischal uske pass se utha aur ek side me chala gaya... high-tect yantr apne jeb se nikal kar uske wire apne sir ke dono side laga diya. Apne aankhen munda aur concentrate karte huye Serin.. Serin bar-barane laga..... Thodi he der me dusre ore se bhi respond hua....


Nischal..... Serin iss location ko trace karo aur yahan ki ajib si bhasha ko decode kar ke upload karo.

Serin.... Lightwave frequency to kafi dur ki lag rahi hai. Nischal tum itni dur pahunche kaise... aur yahan sab tumhe bhagode kyon kah rahe hain ?....


Nischal.... Jise jo kahna hai kahne do, mujhe kya karna hai. Tumhe jo kaha tum bas wahi karo....


Serin... Par Nischal...


Nischa.... Koi bahas nahi. Jitna kaha, utna chup-chap karo....


Jivisha ne jab rona shuru kiya, tabhi Nischal uth kar chala aaya. Usne jab aankhe kholi tab tak Nischal ja chuka tha.


"Thank god, jaan bachi... pahle he rone lagti to itna drama nahi hota. Ab jara main relax ho kar station se bahar niklun fir sochti hun aage kya karna hai"


Jivisha Kalyan junction ke bahar aayi. Raat andheri thi aur junction ke bahar ka mahol bhi kuch achha nahi, upar se ek akeli ladki jo dulhan ke vesh me upar se niche tak saji thi. Jivisha jab bahar nikli tab se he uska pichha hona shuru ho gaya.


Idhar Jivisha wahan se nikalte he sab se pahle kaam apna huliya badlne ka sochi. Wahin najdiki ek mall me ghusi aur apna huliya change kiya, aur bahar aa gayi.... "Huliya to change kar liya ab jarra pet puja ho jaye to kuch sochun aage kya karna hai"


Mast khana khayi, khate-khate usse khyal aaya..... "Mumbai me rahi to fasna pakka hai, kyon na kuch dino ke liye apne dost ke pass Indore chala jaye, aakhir uss par mere itne ehsaan bhi hai"... Fir kya tha Jivisha jaldi se khana khatam ki aur wapas Kalyan junction aa gayi.


Kismat, Kalyan junction par Indore jane wali train ka announcment bhi ho raha tha, Jivisha bhagi-bhagi train pakrne pahunch gayi. Lekin in sab ke bich usse pata bhi na chala ki usko lutne ki puri planning ban chuki hai, aur 5 gundey uske pichhe lage hain.


Idhar Saren se baat kar ke jab tak Nischal lauta, tab tak wo ja chuki thi. Afsos usse bahut hua, abhi-abhi to kisi se pahchan hui thi, wo bhi kahin gum ho gayi. Nischal bhi Kalyan junction par tab se Jivisha ko he dhund raha tha....


Jivisha, Indore jane ke liye bhagi, bhagi train pakrne ja rahi thi, uske pichhe-pichhe wo sare gundey, aur unke pichhe Nischal. Sabhi sleeper class me pahunche.


Jivisa compartment ke ander pahla kadam he dali thi ki usse wahi lady mil gayi jo pichhli train me thi. Jivisha ko dekhte he wo.... "Arre beta tum bhi Indore ja rahi ho kya, aur tumhare husband kahan hai, nahi mila kya ?"


"Bhagwan, yahan log kitne fursat me hote hain, isse to sab yaad hai"...... Jivisha ajib si jabardasti wali hansi, hasti hui kahne lagi..... "Pata nahi aunty kahan chala gaya. Koi aisa bhi karta hai kya, batao ?"


Jivisha apni kahani suna he rahi thi ki samne Nischal aa kar khada ho gaya..... "Hey bhagwan, ab to lagta hai main train se kud he jaun".


Jivisha man me apna rona ro rahi thi, Nischal thik uske samne aa kar khada ho gaya..... Nischal ko samne khada dekh wo lady uss se puchhne lagi..... "Kaun ho tum, yahan aa kar kyon khadey ho gaye. Ye humari reserve berth hai"


"Ye naye log mujh se kuch kah raha hai, sayad mere bare me puchh rahe honge... main isse isharon me batata hun ki main aur ye, hum dono ek dusre ko jante hain"..... Nischal ne apna he solution nikala aur uss lady se "Muaahhh... muahhhh" ka ishara karte batane laga ki Jivisha ne usse kiss kiya... wo usse janta hai"...


Bas fir kya tha, wo lady ko laga yahi hai Jivisha ka pati. Fir kya tha uss lady ka pura khandan toot para uss par...... "Aisa koi karta hai kya... apni biwi ko koi chhor kar jata hai kya ... ye wo, bla-bla"...


Nischal chup-chap sunta raha aur soch chuka tha, ab to kuch bhi ho jaye wo yahan se jayega nahi. Idhar Jivisha..... "Cool haan, to in logon ne ristedari bhi jor diya. Koi na main samjh gayi iss chipku se to ab Indore me he pichha chhutega. Jivisha beta go with flow, ab aur jyada yahan koi drama nahi".


Jivisha ne bhi sahmati dete huye, usse apna pati swikar kar li. Nischal ki harkaton ko bhanpte fir to Jivisha ne lambi chahuri kahani bana di...... "Mera pati bol aur sun nahi sakta. Ye mujhe bahut pyara lagta hai, isliye maine iss se shadi kar li"


Baton ka daur lamba he chalta gaya aur Jivisha bhi puri kahani par kahani banati rahi. Nischal ko to kuch samjh me aane se raha, sab ko dekh wo bas apna sir he hilata raha.


Idhar wo sare chor ussi berth ke dayen-bayen unki baton ko sun rahe the. Pati gunga, patni ke pass lakhon ka maal.... kaam to pahle se aasan tha, ab bas sone ka intzar ho raha tha.


Raat ke takriban 3 baje wo chor active huye aur Jivisha ka sara maal lootne ki kosis karne me lag gaye. Bare he chaturai se usne Jivisha ka bag urraya, aur urra kar chain pulling kar ke train se bahg gaye....


Train se jab wo niche utar kar aapas me apni saflta par khush ho rahe the tabhi samne se unhe Nischal dikha.... Nischal ko dekh kar sabhi chaunk gaye..... "Abe tu to so raha tha, yahan kya urri maar kar aaya"


Dusra aadmi.... "Tu bhi kahan gunge se baat kar raha hai. Ye sale... inka sixth sence kafi tej hota hai. Maar isse aur nikalte hain yahan se...


Sab ne marne par sahmati diya aur Nischal ki ore lapatne daure. Nischal ka dhyan to sirf uske hath me para Jivisha ke saman ke upar tha. Nischal ne kuch jyada mehnat nahi kiya. Wo log samne se aa rahe the, Nischal side se bhagta usse apne pichhe aane par majboor kiya... aur jab wo log Nischal ke pichhe bari teji se daur rahe the, tabhi wo ruk kar ek kadam pichhe hua aur jhappatta marta bag chhin kar fir se daur laga diya.


Nischal daudte huye chalti train me aaram se chadh gaya.... Jivisha aur baki sare log ab bhi so rahe the, Nischal ne bhi apni jagah pakar li. Nischal Jivisha ko dekhte huye sochne laga.... "Kuch alag he khinchaw hai iss ladki me. Aakhir mera itna jhukaw kyon ho raha hai. Jo bhi ho Saren jaldi yahan ki bhasa decode kare fir dekhte hain ye kitne kaam aa sakti hai ye".


Raat ko fir sabhi mast nind lene lage. Agle din train Indore pahunchi... Jivisha rahat ki sans leti sochne lagi.... "Ab to iss family aur iss chipku dono se chhutkara milega"


Bhid puri utarne me lagi thi, Nischal aur wo family jab utarne ke liye aage badhe, Jivisha teji dikhati hui dusre gate se utar gayi..... dusre gate se jaise he utri, uski najar apne dost Nandni par gayi....


"Aahhh bahgwan, kal se le kar aaj tak me yahi ek sahi kaam kiye ho. Thank you"... Jivisha bhag kar Nandita ke pass pahunchi aur uska hath pakar kar khinchti hui usse bahar ki taraf le jane lagi.


Pune ka koi dost, yun achanak se Indore station par, na kuch kaha, na kuch suna... sidha hath khinchte huye bahar le jane lage..... Shocking...


Nandni, Jivisha ka hanth khinch kar roki..... "Duffer, ye sab kya hai"


Jivisha..... Time nahi mere pass raste me puri baat batati hun.


Nandni.... Yaar meri puri family issi train se utar rahi hai.... main unhe receive karne aayi hun. Pata nahi tere baat par kya reaction dun. Ruk main unko receive kar ke tere sath chaliti hun...


Jivisha, uska hanth khinchti..... "Wo kya bache hain jo station par gum ho jayenge... main yahan itni musibat me hun... itna samjh ki yadi usne mujhe dekh liya to main mari jaungi...


Nandni.... Kyaaaa ????


Jivisha, fir se uska hanth khinchti.... "Tu ye shocking expression baad me bhi sakti hai, abhi tu chal na please. Ye mere zindgi aur maut ka sawal hai"


Baat ki gahrai ko samjhte, Nandni bhi uske sath teji se bahar ki ore nikli. Jivisha ko dilasha deti hui kahne lagi.... "Tu dar mat Indore me tujhe kisi baat ki chinta karne ki jaroorat nahi. Koi tere pichhe para hai ye baat tu phone par batati to ab tak uski band yahin baj jati",


Baat karte dono bahar aa gaye aur dono chal diye ghar ki taraf. Raste me jab Jivisha ne apni puri kahani usse bayan ki to Nandita apna sir pit'ti kahne lagi.....


"Jisa teri to. Kamini kahin ki, jahil gawar ullu. Tere melodrama ke chakkar me tu to fasti he hai, dusron ko bhi shock de deti hai. Waise ek baat bata tujhe jaroorat kya thi usse kiss karne ki... itne bare station par kahin bhi kona pakar leti".


Jivisha... Nandu situation he aisi thi, wo log itne pass aa gaye the ki mujhe majbooran kiss karna para. Khair tum nahi samjhegi....


Dono baat karte huye ghar pahunch gaye. Un dono ko pahunche 5 min bhi nahi huye honge ki pichhe se Nadni ka pura pariwar pahunch gaya.... Jivisha ke aankhon ke samne wahi pariwar jo train me mili thi, aur unke sath tha Nischal bhi....


Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"
3,4 update very good lajawab
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-6



After cold war :- Nischal aur Jivisha....

Dono alag-alag disha me nikal chuke the. Nischal jab Jivisha ko chhor kar aage badha to usse pata nahi kyon kuch achha nahi lag raha tha. Usse aisa laga jaise usne koi galti ki ho. Uske liye sayad zindgi me ye pahla ehsaas tha jab khud me wo kuch bura mehsus kar raha tha..... "Aakhir ye ladki hai kaun, iske liye mujhe kyon bura lag raha hai?"


Khair Nischal bhi aage chal diya. Idhar Jivisha bhi alag rasta pakar li. Wo bas chalti hui yahi soch rahi thi ki uske wajah se Nandni ka break-up ho gaya. Nandni ko kayi sari padesaniya uthani pari jab wo sath college me the.



Jivisha ko rah-rah kar ye feel hota raha. Tannnn.... jaise dimag ki batti jali ho. Turant cyber cafe me gayi aur fb account se Saroj ka number nikaal layi.... Jivisha, Saroj ko call lagati hui....


Saroj.... Hello kaun..

Jivisha..... Main hun Jivisha...

Saroj.... Jivishaaa !!! Tumhari himmat kaise hui mujhe call karne ki. Rakh phone...

Jivisha.... Wait, wait, wait... call disconnect mat karna. Ek jaroori information deni hai...

Saroj.... Jaldi bolo... mere pass time nahi...

"Kamina, samne se call kari to kitna bhaw kha raha hai".......... Jivisha.... "Nandu ab bhi tumhe chahti hai, aur tumhare liye usne aaj mujh se jhagra bhi kiya. Sorry meri bachkana harkaton se tum dono alag ho gaye.

Saroj.... Hmmm ! Iss baat ka ehsaas tumhe tab hua hota. Kash uss waqt tumhari buddhi itni bharsht na hoti, to aaj humari ek pyari si duniya hoti.

Jivisha.... Bas ussi pyari si duniya ke khatir call ki hun. Nandu ki shadi kal tay hone wali hai. Tum fatafat Indore aa jao aur bacha lo apne pyar ko. Tumhare bina to wo mar jayegi....

Saroj.... Nahi…. main aisa bilkul bhi nahi hone dunga. Tum fatafat adress likhwa do, main abhi Indore ke liye flight le raha hun.


Fir kya tha Jivisha ne Nandni ka adress likhwa diya, aur Saroj bhi Pune se Indore ke liye turant rawana ho gaya..... "Hmmm !! Chalo jo bigara tha, wo to sudhar diya, ab jarra main apne ghar ki bhi soch lun. Pata nahi wahan ka mamla kab tak sudhrega"...


Idhar Saam ko jab ghar me Nandni ne Jivisha ko dhundha to wo gayab thi. Nandni bahut jyada shocked thi, usse yakin nahi ho pa raha tha Jivisha ne bhi baton ko seriously lena sikh gayi hai. Usse rona aa gaya apni harkat par....


Wo apne kamre me baith kar ro rahi thi, tabhi uska bhai Ashis wahan aa pahuncha. Ashis ne Nandni ko rote dekh uss se puchh diya... Nandni ne bhi Jivisha ki tragic story roti hui suna di, kaise wo ghar se bhagi, fir Kalyan station ka har wakya.....


Ashish, usse dilasa dete huye kahne laga.... "Koi baat nahi abhi jyada waqt nahi hua hai, chal, chal kar dhundhte hain sayad Jivisha ab bhi Indore me he ho."....


Dono nikal gaye dhudhne un dono ko. Idhar Jivisha aur Nischal dono he bhatkte-bhatkte pahunch chuke the bus stand par. Bus stand k eek gate se Nischal to dusre gate se Jivisha nader ghus rahi thi. Dono lagbhag ek hi samay par alag-alag raste se bus stand mein kadam rakh rahe the, aur dono apne he dhun me chal rahe the...


Jisvisha ki wahi purani aadat, chal kahin aur rahi thi, dekh kahin aur... wahi haal Nischal ka bhi tha, wo chalet huye aas-pass ke logon ke baat karne ka tarika samjhte huye chala aa raha tha.... aur chalte huye fir se dono takra gaye...... Ek baar fir Jivisha, Nischal ke bahon me jhul rahi thi, aur Nischal uske kamar me hath dale usse thame hua tha.....


Jivisha.... Ab aise he pakre rahoge, ya main khadi ho jaun...

Nischal.... Pichhli baar aise situation me tumne mujhe kiss kiya tha, socha iss baar bhi kahin koi jugad lag jaye.

Jivisha..... Tum kyon mujhe itna paresan kar rahe ho. Kuch der pahle to kahe the ki tum meri shakal tak nahi dekhoge, aur mera pichha karte-karte yahan tak bhi pahunch gaye….

Nischal.... Tum ladkiyon ki problem kya hai, haan.... yahi baat main kahun to kaisa lagega... ki tum mera pichha kar rahi thi, main to apne raste tha...

Jivisha..... Tum itna akad kar mujh se kyon baat karte ho. Tumhe main pasand nahi aur mujhe tum, to baat he khatam karte hai na, baat badhane se kya fayda.

Nischal..... Mujhe aise he baat karni aati hai. Tumhe yadi problem hai to mujhe sikha do.

Jivisha..... Jab kah rahi hun ki baat badhane se koi fayada nahi, fir bhi jabardasti ka topic utha kar jabardasti lage pare ho. Main kyon tumhe kuch sikhaungi jungli. Wapas jao jis jungle se aaye ho. Chipku kahin ke, tum se to chillakar he baat karo to achha hai. Tabhi tum bhagoge.


Nischal.... Chilla kar to dekh, muh na tod dun tera...

Jivisha.... Sadak chhap kahin ke, bolne bhi nahi aata. Tamij he nahi ki khoobsurat ladkiyon se kaise baat karte hain.

Nischal.... Tujhe bahut tamij hai, isliye ladkon ki tarah chillati rahti hai. Tu ladki bhi hai kya ?

Jivisha.... Ab ek aur sabd bola to main tumhara khun pi jaungi....

Nischal.... Lagti he hai dayan ki tarah, tabhi to khun pine ki baat kar rahi ho... chudail kahin ki.


"Bas bahut hua band karo kutte-billi ki tarah ladna. Aise koi sadak par jhagra karta hai kya”. Nandni ko achanak hi bus-stand par dekh Jivisha soch me pad gayi…. “Ye achanak yahan kaise pahunch gayi, koi pir baba ka chamtkar hua tha kya".


Jivisha.... Bahut bara nautnaki hai ye Nandu. Ye bol bhi sakta hai aur sun bhi sakta hai, fir bhi situation ka maza utha raha tha. Mujhe to ye koi bahut bara fraud lagta hai.

Nischal.... Teri to, ye kya bakwas kiye ja rahi hai....

Itna kah kar Nischal ne to iss baar Jivisha ka collor he pakar liya. Sab shocked ho gaye... Public place upar se aisa tamasa, ek ladki ke kamij ka collar pakadna .... Ab to bhid ke sath-sath police bhi pahunchi wahan.


In dono ke jhagre me kai bus ruki pari thi. Sab ke nikalne ka time ho raha tha, par dono to uss jagah se hilne ka naam he nahi le rahe the. Upar se masaallah public, wo to chatkara maar kar iss jhagre ka luft utha rahe the.


Police bhid ko bhagati, dono ko apne sath le jane lagi. Ab to teeno ki he fat gayi.... Jivisha ne socha kahin police ne puchh-tachh aur I'D mangi to ghar par pata chal jayega... Jivisha turant he Nischal ke gale lagti, roni awaz me jor se chillane lagi....


"Hay daiyya, main lut gayi barbaad ho gayi... ek to mera pati mujhe chhor kar ja raha hai, upar se ye police wale, ye nahi ho raha ki mere pati ko samjhaye ki wo apni iss eklauti biwi ko chhor kar na jaye... to ulte hume he hawalat le jana chahte hain"


Bas fir kya tha, ladki ka rona dekh kar kai ladies ab Jivisha ke bachaw mein aa gayi. Haan fark itna tha ki police se sari ladies sirf itna kah rahi tui ki... "aise patiyon ki hawalat me le ja kar dande mar kar samjhana chahiye".


Kaun uljhe ladies se. Police bhi dono ko bhid se bahar la kar harkane lagi.... "Ghar ke jhagre ghar me kyon nahi suljhate. Chalo, tum dono ki baat main police station me he sunuga"....


Ashis..... Arre sir, kahan aap inhe hawalat me le jaoge. Ab aap ki bhi to shadi hui he hogi, to aap samjh he sakte ho, in patniyon ke jid. Bas issi baat par dono ki bahas hui, aur mera dost ruth kar bhagne laga.


Police.... Kamal ka banda hai ye to. Sach me daring wala hai. Biwi se ruth kar ja raha tha aur biwi yahan tak aayi manane ke liye. Wow yaar, iski ek photo lene do, main subah saam iss daringbaaz pati ki tasveer dekhunga. Lekin fir bhi, public place me humgama kiya hai to thane to le jana he hoga...


Ashish, 500 ka ek note badhate kahne laga .... "Sir ab to public place par humgame ka matter solve ho jayega na"...


Police..... Nah, manhgai badh gayi hai, itne se kya hoga. Par iss ladkey ki daring ke karan main itne paise me matter close karta hun. Jao sab ke sab ab bhago yahan se.


Sabhi bina ruke nikle wahan se. Charon ghar pahunche.... Nandni pure raste Jivisha ko bhrikuti (eyebrow) tane use ghurti hui aa rahi thi, mano kah rahi ho tug har chal tujhe main batati hun..... Lekin Nandni ke iss gusse par hall mein hi viram lag gaya jab uske mom-dad ne charon ko ek sath aate dekh liya…… "Tum sabhi kahan gaye the"


Iss sawal ke jawab me Nandni kuch bolti, uss se pahle he uske darwaja par knock hui.... Samne Saroj khara tha. Saroj ko dekh kar Nandni ki mano sasen he ruk gayi ho. Nandni shocked, ab ye yahan kaise tapak para. Nandni ki maa gate par khadey Saroj ko gaur se dekhti kahne lagi..... "Ye to wahi tasveer wala ladka hai"




Shock par shock.... Pune wale sare rahu-ketu ek sath ab Nandni ke ghar par the. Nandni bhrikuti tane, dono aakhen bari ki hui.... Jivisha ki taraf aise ghuri jaise wo abhi usse kha jayegi....


Idhar Nandni ki maa Durga devi Saroj ko gaur se dekhtey huye uske pass pahunch gayi.... Saroj ko ghurti hui kahne lagi.... "Tum Nandni ke sath padhte the na"


Nandni, Jivisha se fusfusate..... "Ye teri he harkat hai na duffer"


Jivisha, chhota sa muh banaye, haan me jor-jor se apna sir hila di. Mamala garbar hote dekh ek baar fir Jivisha ne dimag laga diya..... Teji se wo gate ke ore gayi aur Saroj ko dekh kar kahne lagi..... "Aunty ye mera bhai hai, aaj saam me jab baat hui to maine he isse bula liya"


Jivisha ki baat par Nandni ki maa kahne lagi...... "Tune saam ko bula liya aur ye urr kar yahan chala aaya. Tumhari koi gangue to nahi, jo ek-ek kar ke mere ghar pahunchoge aur loot kar nikal loge".

Jivisha.... Aap bhi na, achha mazak kar leti hain aunty ji.

Durga Devi.... Nahi main bilkul mazak nahi kar rahi. Tu gori chitti hai, aur ye sawla. Dono kahin se bhi dekhne me bhai bahan nahi lagte. Kal jab main tasveeren dekh rahi thi, tab to tumne nahi kaha ki ye tera bhai hai. Kuch to mujh se chhipaya ja raha hai. Ashis... Ashis....


Ashis..... Kya hua, chilla kyon rahi ho...


Durga devi.... Ashis jarra in dono ko dekh kar bata to, kya sakal se dono bhai-bahan lagte hain...


Ashis.... Ab isme bhai bahan nahi lagne jaisa kya hai. Sirf rang he nahi milta na, baki nain-naksh sab milte to hain. Chhote mamu to kitne kale lagte hain, to kya wo aap ke bhai nahi.... Aur Jivisha ko maine he kaha tha isse bula lene, bechari bahut miss kar rahi thi apne bhai ko.


Durga devi.... Mujhe sab garbar kyon lag raha hai. In dono ki shadi hui, aur pati-patni alag-alag the. Train me bhi iss ladki ko kai log dhundh rahe the, mujhe laga iski love marriage hui hai. Jab love marriage hui to ye apne bhai ko kaise bula sakti hai. Aur jab arrange marrige hui hai to ye dono bhag kyon rahe the.... Nah mujhe bilkul yakin nahi. Tum sab mile huye ho aur koi na koi khichdi pak jaroor rahi hai....


Ashis.... Haan khichdi pak rahi hai to aap usse pet bhar kar kha lo. Maa tum na budhape me sathiya gayi ho....


Durga devi.... Ab main he pagal ho gayi. Main he budhi ho gayi. Mujh par he chillayega....


Ashis.... Mom... mom... please mujhe 2 min do aur shanti se pahle baat sun lo... ye lo line par Jivisha ke papa hain...


Ashis ki baat sun kar sab shocked..... Idhar Nandni ki mom ne call pick kee .... udhar se...


"Sorry bahan ji mere wajah se aap sab ko taklif hui. Darasal meri beti ki jo shadi hui hai usse humare backward samaj walon ne kabool nahi kiya, aur wo un dono ko mar dena chahte hain. Isliye majboori me mujhe un dono ko bhagana para. Maine suna ki aap mujh se kuch baat karna chah rahi thi".....


Durga devi.... Haan, main baat karna chah rahi thi. Main bhi ek beti ki maa hun. Bache jab ghar se bhag jaye, upar se intne sandeh jab paida kar rahe ho to guardian se baat karna hi sab jyada sahi vikalp hai. Aap ko sunne ke baad mujhe bahut santusti mili, aur sare sandeh bhi dur ho gaye. Aap ke faisle par mujhe garv mehsus ho raha hai. Ek gunge-bahre ko aap ne apna jamai banaya, iss se bari insaniyan kya ho sakti hai.


Call disconnect aur Durga devi, Jivisha se hath jor kar manfi mangti hui kahne lagi....."Mujhe manf kar do beta, tum pahle se itni paresan thi aur maine tum par shaq kiya.... aao beta ander aao tum ab tak bahar kyon khare ho.... Jivisha beta tumhari shadi kal he hui hai na….. Jivisha "Haan" me sir hilane lagi....


Durga devi..... Haan to thik hai tumhare shadi ke baad ki rashmen hum yahan puri karenge. Yun samjho ki tum bhi meri he beti jaisi ho. Nandni, Ashis... Hum bahar ja rahe hain shadi ke baad ki rashmen jo hoti hai usse pura karne ke liye pandit ji ko bulane... dhyan rahe tab tak ye dono sath na rahe....


Durga devi apne pati ke sath ussi waqt market chali jati hai... idhar ghar me...


Ashis.... Koi batayega ye tum logon ka kya naya natak chal raha hai.. Nandni enough, main kab tak tumhe save karta rahunga..... hamesa tumhari he problem tumhari he tragedy... tumhare karan mujhe ghar me 100 jhoot bolne parte hain.


Nandni.... My sweet bhaiya, ab ek he to bahan hai tumhari to kya mujhe nahi bachaoge to apni gf ko bachaoge. Aur meri ek he to dost hai, haan thodi pagal hai par uske liye 7 khoon manf.


Ashis.... Aur in dono ladkon ka kya....


Saroj.... Mujhe to yahan Jivisha ne bulaya, kahi Nandni ki shadi tay ho rahi hai aur wo mere bina mar jayegi....


Ashis.... For your kind information Mr Saroj, Nandani ki shadi pahle se tay ho chuki hai, wo bhi ussi ke pasand ke ladkey se. Aur uske liye isne mujh se 100 tarah ke jhoot aur 200 tarah ke kukarm karwaye hain isne. Dusri baat ye ki tum ek bhai ke samne khade ho kar ye jata rahe ho ki tum uski bahan ko pasand karte ho. Tum ek reason batao ki main tumhara muh kyon na tod dun.


Jivisha, Ashish ki baten sunte he chupke se kadam badha kar wahan se khisakne lagi, tabhi wahan Ashis ki awaz gunji.... "Pichhe se aap kahan nikal rahi hain mohtarma"


Jivisha.... Maine socha aap ke aur Nandu ke bich baat chal rahi hai, bhala yahan mera kya kaam.


Nandni... Bhaiya, aap apna jarra sawal jabaw baad me karoge. Mujhe abhi thoda hisab kitab karna hai...


Ashis... Thik hai kar lo...


Nandni.... Jisa tu ghar se kyon gayi....


Jivisha.... Bas mujhe realise hua ki maine aaj tak tumhare liye kuch kiya nahi, ulte padesani khari karti aayi hun. Bas yahi soch kar chali gayi....


Nandni.... Jyada over smart ho gayi hai na... kuch bol diya mazak me to tere dil me chhed lag gaya.


Jivisha.... Bas baba sorry... ab to khush.. chal hans bhi de. Mujh se tu muh fula kar rahe ye mujhe achha nahi lagta....


Nandni.... Mera ego satisfy nahi hua, chal murgi ban fir mera ego satisfy hoga.


Jivisha charo ore najar ghumayi.... Ashis, Saroj, Nischal.. sab hall me he khadey the..... "Nandu, yahan sab ke samne"


Nandni.... Haan yahan, abhi... sab ke samne....


Jivisha.... Tu sach me serious hai....


Nandni.... Haan sach me serious hun, aur jis tarah se tune mera dil dukhaya hai, yadi murgi na bani to teri kasam main tere se baat nahi karungi.


Jivisha..... Huhh ! Aisa bhi kya ego... sab ke bich murgi ban'ne kah di... tumhe yahi achha lagega to yahi sahi...


Jivisha bhi tau me aati apne dono kaan pakar kar position me aane he wali thi ki tabhi Nandni ne usse roka..... "Bas baba, aur sorry jo tumhe uss waqt ulta bola aur abhi tumhe aisi saza di"


Jivisha.... Ab formality band bhi kar... aur mujhe ye bata ki teri shadi ho rahi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....


Saroj, jo ab tak chup tha..... "Tum aise kaise kar sakti ho shadi, main tumhare liye he itni dur se aaya hun"


Ashish.... Tum dono ka bharat milap ho gaya ho to dono me se koi ye batayega ki ye ladka yahan kya kar raha hai....


Nandni, Jivisha ko aakhen dikhati.... "Ab tera ye kaun sa naya drama tha tu jarra samjhayegi. Subah tu aayi aur saam ko ye aa dhamka"


Jivisha.... Ab tune mujhe itna taunt kiya to mujhe laga mere wajah se tera pyar dur ho gaya, isliye maine Saroj ko call laga di. Kitna bhaw khaya ye jab maine isse call ki to. Lekin tere wajah se maine wo bhi sah liya....


Nandni apne hath jorti..... Sun meri maa aage se na tu meri yadi bhalai karna chahe to ek baar mujhe bata diya kar, ki main tere liye kuch achha karne ja rahi hun, taki main mentally prepare ho jaun ki mujh par koi bijli girne wali hai. Bhaiya iss namune ko kah do yahan se jaye.


Saroj.... Aisa to na kaho Nandni, tumhare liye main kitni dur se aaya hun.


Nandni.... Tumhe yahan aane ki jaroorat nahi thi Saroj, chup-chap wapas laut jao....


Saroj... Nandni ek baar meri baat to suno...


Ashis..... Suna na Nandni ne kya kaha, ab chup-chap bahar nikal jao....


Saroj.... Ye tum achha nahi kar rahi ho Nandni. Bilkul he galat ho raha hai ye....


Ashis usse ek thappad lagata...... Galat hai to galat he sahi, abhi tu nikal warna ab jute bhi parenge...


Saroj ko dhakke maar kar Ashis ne bahar kar diya. Nandni ke chehre par mayusi saaf najar aa rahi thi aur wo khud ke thake hone ka natak karti sidha sone chali gayi. Nischal bhi Ashis ke sath bahar nikal gaya, akeli bachi Jivisha...


Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.
Soooper lajawab dhmakedar update 5,6
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-7



Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.



"Hey bhagwan ye Pune me ho kya raha hai, chirag ko phone kar ke samjha dun ki bahar bikul na nikle".


Jivisha, apne number par call lagayi, par kai baar call connect karne ke baad bhi call waiting he show hua..... "Ye chal kya raha hai, mera phone busy kyon aa raha"


Jivisha soch he rahi thi ki tabhi wapas udhar se call back hua.... Jivisha call pick kar ke bas shant rahi aur udhar ki awaz sun'ne ki kosis karne lagi. Tabhi udhar se Chirag ne "Hello" kaha...


Jivisha.... Oyeee, itne der se mera phone busy kyon aa raha tha...

Chirag... Chhoro na di biti baton ko Di, abhi to maine call lagaya na. Aap thik to hai ki nahi. Khana pina thik se mil raha hai na. Paison ki jaroorat ho to batana, main bhijwa dunga. Thik hai bye Di, aap se baat karke achha laga…


Jivisha....Oyeeee, hoshyari haan. Beta mera hi sikhaya aaj tu mujhe ko padhane laga haan. Chal ab bakna suru kar, kis se baat kar raha tha?


Chirag.... Aap bhi na jabardasti puchhti rahti ho. Phone busy hai to samjhna chahiye na main apni gf se baat kar raha tha. Aap to mera breakup karwa kar manogi.


Jivisha.... Haynnn ! Tu apni gf se baat kar raha tha. Uske pass bhi phone hai kya ?


Chirag.... Nahi di, uske pass phone nahi hai, par maine usse class me he bol diya tha ki main raat ko baat karunga, to wo apne papa ka phone maar kar le aayi.


Jivisha.... Dekh rahi hun, tu bahut bara ho gaya hai...


Chirag.... Di aap bhi kahan mere pyar ki dushman bani ho. Aakhir meri uss se shadi hogi to wo sewa aap ki he karegi na...


Jivisha.... Bas bahut hua. Sun dhyan se meri baat, Pune me koi janwar ka humla ho raha hai, isliye aaj se bilkul tera bahar nikalna band. Jab tak wo pakra nahi jata tu bahar nahi khelne jayega.


Chirag.... Ye kya baat hui, janawar bahar khule me ghumega aur main ghar me band...


Jivisha.... Mera pyara betu hai na, mera kaha nahi manega...


Chirag... Ok Di maan liya aap ka kahna. Waise aap jaroori baat to suno.


Jivisha... Haan, puchhne he wali thi, udhar ki khabar bata. Sab kaise hain. Mamma papa, bhaiya bhabhi aur chote bhaiya, sab kaise hain. Jyada paresan to nahi. Mere vajah se unhe kitni paresaniyan uthani pari hongi. Unka samna main kaise kar paungi.


Chirag..... Nahi to di, itni to baten yahan hui he nahi. Haan, dadi ka bata nahi sakta, sayad wo aap ko dekhe to aap ke baal pakar kar sut de, wo alag baat hai. Idhar baki ke sare logon ko bas aap ki he fikr hai.


Jivisha.... Nahi re pagla, in mother india ko samjhna aasan nahi. Paresan wo bhi hongi. Khair tu wo sab jane de, aur jo boli hun wo karna. Apna aur sab ka khyal rakhna.


Chirag.... Di suno 2 min.


Jivisha.... Haan bol na...


Chirag.... Di wo hai na jin se aap ki shadi hone wali thi, wo aap ke sapno ke prince charm banege aise puri family ko kaha aur tab wo aap se shadi karenge...


Jivisha.... Chhor jane de usse. Usse jo ban'na hai bane, mere sapno ka prince charm jab mujhe milna hoga tab mil jayega.


Chirag.... Thik hai di. Aap aaram se kuch din wahin raho aur baat karte rahna, aap ki bahut yaad aati hai...


Jivisha.... Mujhe bhi tum sab ki bahut yaad aati hai. Rakhti hun phone, baad me baat karungi....



Ashis & Nischal... At walk....


Nischal ko lekar Ashis ghumne chala aaya tha. Ghumne kya aaya tha, usse to bas pata karna tha ki aakhir ye hai kaun. Usse bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki koi anjaan ladka uske ghar me rahe. Rah-rah kar bas itna he khyal aa raha tha.... Kaun hai, kahan se aaya hai aur pata nahi ye humare ghar me rah kar kya gul khilayega.....


Ashis, Nischal ko le kar apne doston ke group me pahunch gaya. Jahan Sudeep, Ajit, Manjit aur Ankit tha. Ashis, Nischal ko sab se milwaya. Sab apna naam ke sath apna short bio-deta bhi bata rahe the.... Wo kahan rahte hain aur kya karte hain.


Sab log apni-apni kah kar Nischal se puchhne lage..... "Apne bare me bhi kuch batao dost".


Nischal..... Meri sirf itni kahani hai ki main ek anath hun. Mujhe waqt ne pala aur haalat ne bara kiya hai.


Ajit.... Fir bhi koi to pahchan hogi...


Nischal.... Pahchan kya kah sakte ho. Dekha jaye to kuch bhi nahi...


Manjit.... Paglon jab wo anath hai to pahchan kahan se layega. Jane do Nischal, tum ye batao kaun si jagah se aaye ho aur Indore kaise pahunch gaye.


Nischal.... Jise jahan pahuchna hota hai, phunch he jate hain. Mujhe yahan ke jaghon ke naam pata nahi. Bas yun samjh lo bhatakte-bhatakte pahunch gaya.


Asis, Nischal ko apni jagah par rukne ka bol kar sare dost thodi dur khadey ho gaye... Ashis sare doston ke samne sawal rakha..... "To doston ye batao ki iss ka kya kiya jaye. Ye to pura doubtful hai".


Ankit.... Arre ye to humari baat sun raha hai...


Sab chaunk kar Ankit ki ore dekhe.... Phir Nischal jahan khada tha wahan dekhne lage..... "Oye pagal, wo to wahin khada hai apni jagah, ab kya urr kar aa gaya yahan"


Ankit.... Nahi yaar wo abhi yahin khada tha...


Ashish... Khair jane do usse, bharam ho gaya hoga... to tum sab batao ab iss ka kya kiya jaye.


Sudeep... Karna kya hai, bhagao isse... ghar par bol dena ki ladka kahin bhag gaya.


Manjeet... Nahi to kah dena kahin gum ho gaya. Kuch bhi bahane bana dena situation ke hisab se par main kah raha hun ki ye khatrnak hai... isse bhagao.


"Oho, to anjaan aadmi ka bhay sata raha hai inhe. Koi nahi kosis kar lo main bhagne wala nahi. Filhaal to nahi, jab tak main iss jagah ko samjh na jaun. Jab tak ki mujhe meri khoyi chijen wapas nahi mil jata. Fir tum kaun aur main kaun"


Idhar sare log meeting kar ke sidha pahunche Nischal ke pass..... "Dekho Mr. Ab tak jo bhi hua wo mahaj ek ittifaq tha, lekin ab tumhe apne raste jana hoga".


Nischal.... Kyon, meri galti kya hai... sirf itna na ki meri koi pahchan nahi, aur tum sab mujhe nahi jante.


Ashis.... Dekho dost tum kuch bhi kah lo sau baat ka ek jabaw, tumhe jana hoga...


Nischal.... Aur yadi maine naa kaha to...


Ashis..... Na kaha to... fir jute maar kar bhaga denge...


Nischal.... Sochna bhi mat, tum char logon se to nahi he ho payega. Ek kaam karo tumhare jitne dost hain sab ko bulao aur ek kosis kar ke dekh lo. Yadi tum jute marne me kamyab ho gaye to main chala jaunga. Warna main Jivisha ke sath he rahne wala hun, wo mujhe bahut pasand hai aur usse main nahi chhor sakta.


Sudeep.... Bahut bolta hai, maro sale ko. Ye sale sadak chhap bina jute khaye baat nahi man'ne wala.


Sudeep ka itna kahna tha ki Manjeet aur Ankit badhe aage.... bechare kitna aage badhte... daurte rahe dono par Nischal hath nahi aaya. Kya speed me bhag raha tha. Nahi hath aaya Nischal anth me dono thak kar sab ke pass pahunch gaye.


Ankit.... Sala pakka ye chor hai, kitna tej bhagta hai. Olympic me bhage to jaroor gold madel jit layega.


Nischal.... Juban sambhal kar, main koi chor nahi. Ye tum sab ke liye achha hoga ki mera ego hurt na karo, warna main wo tandav karunga ki fir tum sab usse sah nahi paoge.


Ashis.... Stadium khula hai isliye na, abhi kisi gali me hote, fir batate.


Nischal.... Kitni bari gali mile to mujhe pakar kar dikhaoge batao.... 2 fit chauri 8 fit lambi gali banao yahin. Yadi line se bahar gaya ya tum charo me se kisi ne mujhe pakar liya to main chala jaunga...


Ashis.... Rahne de bhai, main samjh gaya tu pakka veer hai. Par ye bata tu anjaan ladka hai, main tumhe apne ghar par kaise rahne dun.


Nischal..... Suno dost tumne bhai bola na, to bhai par viswas rakho. Tumhe kisi bhi waqt yadi aisa laga ki mere wajah se tumhe paresani hui to bata dena main ussi waqt chup-chap chala jaunga...


Manjeet, hafte huye.... Maan le iski baat, banda jab itna kah raha to ek baar bahrosa kar lete hain...



Idhar kamre me Nandni...


Saroj ko samne dekhte he uske purane dard samne aa gaye. Pariwar ke samne apni nam aankhen dikha to nahi sakti thi, par jab se kamre me ghusi uske aankhon ke aanshu tham he nahi rahe the.... Roti aankhon ke samne bhi kewal Saroj ka he chehra ghum raha tha.
Zabardast shandar update
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-9



Nandni jaise he usse dikhi, pyar se usse dekhte kahne laga...... "Nandni, main tum se uss din se pyar karta hun, jis din tumhe pahli baar dekha tha. Ab tak himmat nahi juta paya tum se kahne ka. Lekin ab chahe jo bhi tumhara faisla ho... but....


Iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii................ Loveeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee................ Youuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu.......


Nandni ander se chahak gayi. Khushi uske chehre par jhalak rahi thi. Nandni jor se chillayi...... "Aise he rahna, bas 2 min"


Udhar se Saroj ne ishara kiya, usse kuch sunai nahi de raha. Nandni ungliyon se 2 min rukne ka ishara ki aur bhag kar apne kamre me aayi. Nandni ne bhi wahi dress pahan liya jo pahle din pahan kar college aayi thi. Niche jab tak Nandni aayi Saroj khara ho gaya tha....


Nandni..... Khadey kyon huye, abhi maine reply nahi kiya...


Saroj "oh" karta fir se apne ghutno par baith gaya....


Nandni apni aakhen dikhati jor se chillati puchhne lagi.... "Haan to Mr. aap yun public place par apne ghutno par baith kar kya kah rahe the"....


Nandni ka badla reaction dekh kar Saroj ki dharkane badh gayi. Jaise pahle din ghabraya tha thik waise he ghabrahat uske chehre par thi.... Par himmat karta fir bhi bol diya....


"Nandu, I Love you... uss waqt se jis waqt se tumhe pahli baar dekha tha"


Nandni.... Achha ji, to aaj aisa kya ho gaya jo sab ke samne bol rahe ho. Koi muhrrat tha kya aaj he bolne ka.


Saroj apni aakhen sikorta..... "Nervous to na karo na please. Kai baar kahne ki himmat kiya par laga kahin tum "naa" na kah do, isliye tumhe khone ke dar se kabhi kah nahi paya. Nandni main tumhe dil se chahta hun. Mujhe bas tumhare sath rahna achha lagta hai".


Nandni..... Achha ji aisi baat hai. Kahin aur der kar dete kahne me, to kahin tumhara dar sach na ho jata.


Saroj.... Kyon, tum kisi aur ko.....


Nandni..... Buddhu kahin ke.... chhoro abhi ye baten...


Saroj... Nandu, ab main khada ho jaun...


Nandni.... Nahi, bilkul nahi.... abhi mere sawalon ka jabaw do....


Saroj.... Haan puchho....


Nandni.... Ye tumhara sacha wala pyar hai ya tumhe apne liye bas gf chahiye isliye purpose kar rahe.


Saroj.... Ji sacha wala, kaho to main apne daddy ji ko bhejun aap ke daddy ji se shadi ki baat karne ke liye.


Nandni.... Jyada explanatory nahi bas haa-na ya thoda sa explain... Ab batao kya tum mere har nakhre uthaoge...


Saroj.... Main to tumhe he uthana chahta hun, fir tumhare nakhre kya hain....


Nandni.... Huhh !!!!! Mujhe jo pasand hoga wo tumhe bhi hoga kya...


Saroj.... Haan baba jo tum ko ho pasand wahi baat karenge, tum din ko agar raat kaho, hum raat kahenge.


Nandni.... Bas-bas, itna explain nahi chahiye. Tumhe bhi kuch kahna hai to abhi kah do kyonki iske baad main tumhe kuch bolne ka mauka nahi dungi....


Saroj.... Kyon kya hua so....


Nandni.... Because I Love You too, aur main apne bf ko kuch bolna allowed nahi karungi...


Saroj..... Kya ????? You love meeeee.... wowwwww ... woo hooo.... baby I Love You too...


Saroj aisa khush hua ki khadey ho kar usse gale laga liya..... "Saroj kuch to sharm karo hum sadak par khadey hain"


Saroj.... Jisse sharm aaye wo apni aakhen mund le, main apne hone wali biwi ke gale laga hun.


Nandni.... Oye kisne kaha ki main tum se shadi kar rahi hun. Abhi jyada sapney nahi. Abhi main bilkul shadi nahi karne wali. Samjhe...


Saroj..... Haan baba samjh gaya. Waise ye batao kal ka kya programme hai...


Nandni.... Kal se wahi boring classes aur un boaring class ke baad apne entertaning bf se milna bas yahi.


Saroj.... To apne bf ke sath isse pura entertaining karte hain na. Kal subah se ghumne nikalte hain...


Nandni..... Kahan ...


Saroj.... Ab wo main samjhunga na bas kal tum taiyar rahna.....


Agli subah he dono ghumne nikle. Car se long drive par. Jab se izhar hua the dono ki najdikiyan kafi badh si gayi thi. Bahon me bahen dale dono din bahar ghumte rahe, bas ek dusre me kho kar.


Subah se saam tak long drive. Saam ko disco pub fir night show ki ek movie aur finally late night wapsi. Dono ko ek dusre ko bye bolte thodi mayusi ho rahi thi.


Nandni boundary se dhire-dhire ander ja rahi thi, aur Saroj apne car ke pass khada ho kar bas usse jate dekh rahe the.... Tabhi Saroj ne halki si awaz lagayi.... "Nandni"


Nandni uss awaz ko sun kar ruki, mudi aur mud kar khadi ho gayi. Saroj daurta hua uske pass pahuncha, usse bahon me le liya aur bahon me le kar uski aankhon me aaken dal kar dekhne laga. Najren dono ke ek dusre ke najron me jhankti hui.


Iss kadar dekhne se jo pyar umar raha tha usse chhipaya nahi ja sakta tha. Dono ek dusre me samate chale gaye aur pyar ke iss ehsaas s, dhire-dhire Nandni ki aankhen band hoti chali gayi.



Jab chehre par sasen takrayi, dharkane badh si gayi.... aur fir Nandni ke naram se hoton par Saroj ke hoton ka wo pahla asparsh. Jaise sukhe per par pahli barshaat ki fuhaar hui ho, Nandni ka rome-rome khil gaya. Sasen bikhri si ho rahi thi.... aur dhadkane bekabu.






Saroj pyar ke iss ehsas ko todte Nandni se dur hat gaya. Najren ek bar fir ek dusre ko he dekh rahi thi, aur pyar ke iss kamuk mahol me dono ki sasen chadhi aur labz khamosh the. Saroj sayad khud ko jyada der rok nahi pata isliye dhime se “bye” bolkar mud gaya.


Saroj ek kadam aage badha hoga, Nandni ne uske shirt ko khich'ti apne ore wapas mod di. Dono aamne samne khadey. Ek baar fir najren lagatar ek dusre ki najron se milti. Dhakne jor pakdey jaise hilkor mar rahe ho.... Nandni ne ek kadam aage badhaya.... Apne aeriyon par khadi ho kar Saroj ko behatasha chumne lagi.


Chumte huye Saroj ne Nandni ko gode me utha liya. Honton se hont jore, usse siddat se chumte huye dhire-dhire kadam badhate, uske flat ki ore chal diya. Dono flat ke ander aaye. Saroj kiss torta usse bed par lita diya aur wapas jane laga. Ek khumari ke baad jaise Nandni ne apni aakhen kholi ho. Aur jab usne apni aakhen kholi, Saroj gate se bahar ja raha tha.


Nandni daur kar bahar nikli, ek baar fir Saroj ke shirt ko khinch kar apne ore mod li aur kas kar uss ke gale lag gayi. Saroj ke pith par apni mutthi ko aise bhinchi jaise aaj wo usse kahin jane nahi degi.....


Saroj, Nandni ko khud se dur karta dabi si awaz me kaha..... "Raat bahut ho gayi hai, tum so jao"


Nandni, Saroj ke aakhon me dekhti kahne lagi...... "Aaj kahin nahi jao na... please"... aur itna kah kar apni najren niche jhuka li. Ajib he khumari iss raat me. Ek aakarshan jo Nandni ko Saroj ke ore khinch raha tha. Pyar aur samrpan ki ek raat.


Ek hasin jora bahon ki aagosh me leta, biti raat ke pyar ki khumari ke baad agli khili si subah me aakhen kholta. Nandni ki jab aakhen khuli, khud ki haalat dekh kar thodi sharma si gayi. Wo ab bhi bistar par uss ke aagomsh me leti thi.


Aisa najara dekh kar he Nandni ka badan sihar gaya. Apne upar se Saroj ka paun hata kar wo bistar se utarne he lagi thi ki Saroj, Nandni ka hath pakar kar khinchte huye, apne upar lita kar usse bahon me bhar liya.


Bahon me machalte huye, Nandni saroj se kahne lagi.... "Chhoro besharm, mujhe kapdey pahan'ne hain".


Saroj apne bahon ki pakar dhili karta.... "Aise he bahut khubsurat lag rahi ho, tumhe kapdon ki kya jaroorat".


Nandni.... Very funny, ab chhodo bhi, mujhe jana hai...


Saroj, Nandni ke badan par hath ferte.... "Ummmm abhi bilkul chhodne ka dil nahi, raat ki masti fir se ho jaye”.


Nandni apni aakhen dikhati.... "Hatoooo, mujhe college ke liye taiyar hona hai"...


Saam ko jab saroj usse pick karne aaya to Nandni ki chal dekh, hooting karte kahne laga.... "Badle badle se sarkaar ke chal najar aate hain"


Nandni, gusse me dekhti.... Ha ha ha very funny ... Jyada bano mat .. Apne josh me tumhe hosh bhi na raha. Kya haal kiya hai tumne wahan par wo main he janti hun...


Saroj.... Achha dikhana to jarra kya haal hua hai wahan, main bhi to dekhun jarra ...


Nandni.... Smart haan ... Chalo chupchap ab se kuch dekhna dikhana nahi. Tum ne to mujhe bhi behka diya.


Saroj.... Jhuti kahin ki, main to bye bol kar ja raha tha kisne mujhe roka jarra yaad to karna ....


Nandni.... Bas bas... Mujhe kuch yaad nahi karna, chalo chup chap.


Dono ki aapas ke pyare nok-jhonk aur fir ek dusre ko bahon me samate khud ko bhul gaye. Kahte hain pyar jab hota hai, to log duniyan jahan se be-khabar ho jate hain. Nandni ki haalat bhi kuch aisi thi. Sab kuch samarpan kar ke wo saroj ke pyar me aise khoyi jaise baki ki chijen, koi bhuli kahani si ho gayi ho.


Ghar par baat tabhi hoti jab ghar se call aata. Jivisha ki kabhi usse dobara yaad nahi aayi. College lagbhag jana band. Bas subah saam jiski khyalon me dubi rahti, wo tha Saroj. Aisa nahi tha ki ye mamla ektarfa tha, saroj bhi Nandni ke pyar me dub kar bilkul ussi ka ho kar rah gaya tha.


Din bitne laga, saroj aur Nandni jasmani aur mansik taur par ek dusre ke kafi karib aa chuke the. Ishq mohabbat chhipaye kahan chhipte. Dhire-dhire sare college ko unki love story ka pata chal chuka tha.


Nandni ki duniya bas ab sirf simat kar Saroj me he rah gayi thi. Chhoti si duniya jisme Nandni aur Saroj the. Dhire-dhire kuch din aur bite, ab pyar tha ya crush ya dono ki nasamjhi wo bhi samne aane lagi. Jis pyar ki aadat Nandni ko Saroj laga chuka tha ab ussi aadton se wo kabhi-kabhi paresan bhi hone laga tha.


Shuru-shuru me to sab achha tha, Nandni se jarra bhi duri barldast nahi hoti thi aur wahi baad me Saroj ko sab over lagne laga. Galat kise kahe kuch samjh me nahi aata. Jab tak Nandni mili nahi thi tab tak saroj usse pane ke liye din raat ussi me laga rahta tha aur jab aaj ye viswas ho gaya tha ki Nandni usse chhor kar kahin nahi jayegi to sare kaam important ho gaya the siway Nandni ko time dene ke.


Kabhi thoda to kabhi jyada bahas si chhir jati to kabhi baat iss had tak pahunch jati ki Saroj ka hath bhi uth jata. Har baar Nandni roti hui apne pyar ke aage haar kar halaat se samjahuta kar leti, aur Saroj ke najriye se sochti hui uske har kiye ko waqt ki majboori samjh kar manf kar deti.


Saroj ko bhi Nandni se jhagra karna achha nahi lagta tha, par bahas jab chhirti to pyar se jyada pagalpan hawi ho jata. Ek aisa pagalpan jisme ek he soch ubhar kar bahar aati... "Aakhir ye mujhe har baat par tokti kyon hai".


Inke pyar ke izhar ka ye teesra mahina tha, Nandni ka khincha-khincha sa rahna Jivisha se chhipa nahi tha. Halanki Jivisha ne khud ko puri tarah se Nandni se alag kar liya tha, par uske chehre ke dard ko wo bhanp chuki thi.


Nandni ka calss me chup-chap rahna. Kuch bolo to uth kar dusri jagah baitha jana. Aakhir kar Jivisha ne faisla kiya ki wo Nandni se mil kar uss ki iss haalat ki wajah puchhegi.


Agle he saam ko Jivisha, Nandni ke ghar pahunch gayi. Aur uss ne jo apni aakhon se dekha, usse dekh wo bardast nahi kar payi aur gusse me tamtamati Saroj ko ja kar do thappad laga di.


Darsal dono me fir se bahas si chhiri hui thi. Jab Nandni ne Saroj ko apne pregnancy ke bare me bataya, Saroj, Nandni par chillata hua kah raha tha..... "Jab sex karne nahi aata to kyon har raat bula kar uske samne nangi khadi ho jati hai".


Bare he gande aur wahiyat tarike se jab Saroj, Nandni ke baal pakar kar ye kah raha tha, tabhi Jivisha wahan pahunch gayi. Pahunch kar aankhon ke samne aisa najara, usne aaw dekha na tau aur gusse me laal hoti do thappad marte hui kahne lagi..... "Bhag ja kaminey yahan se warna achha nahi hoga. Abhi mera para garam hai, ek min bhi aur ruka to tere liye achha nahi hoga".


Saroj.... Tu hoti kaun hai mujhe thappad marne wali kamini, ye hum dono ke aapas ka mamla hai.


Jivisa ke liye apsabd Nandni se bardast nahi hua..... "You know what Mr. Saroj Sandilya, abhi ke abhi mere ghar se nikal jao warna itne jute parenge ki sir par baal nahi rahenge".


Kuch bhi tha lekin Jivisha ko Nandni dil se manti thi, aur uske liye kahe sabd wo bardast nahi kar payi..... Saroj gusse me uss ghar se nikal gaya, lekin jate-jate ye bhi kahta gaya..... "Iss ladki ke liye tum ne mujhe aisa kaha na Nandu, ab main kabhi wapas laut kar nahi aaunga"...


Saroj ke jate he Nandni fut-fut kar rone lagi. Jivisha usse apne kandhe ka sahara di. Usse chup karate huye usse viswas dilayi ki pregnency ka mamla ko itna seriously na le aur apne kaam par dhyan de, baki sab wo handel kar legi.


Nandni, roti hui kahne lagi..... "Pregnancy ki chinta nahi hai Jisa. Jo kuch bhi hua usme meri bhi marji thi. Bas rula ye raha hai ki wo mujh se naraj ho kar chala gaya".


Jivisha, apni aakhen dikhati....... "Khabrdar jo uss waihsi ke bare me itna socha to. Koi kisi se aise pyar karta hai kya ? Yadi wo tujh se pyar karta hai to usse apni galti ka ehssas jaroor hoga. Warna samjh le wo tere liye mar gaya, uske liye jitna rona hai aaj he ro le".


Waqt bahut bhari tha. Ab tak jo bhi hota aaya tha Nandni aur Saroj ke bich hua tha, par aaj jo kuch bhi hua usme Jivisha bhi samil thi. Upar se Nandni ne aaj gusse me he sahi par dil ki bhadas puri nikal di Saroj ke upar.


Saroj bhi daru ke peg lagata bas Jivisha ke thappad aur Nandni ke kahe sabd he yaad kar raha tha. Usse rah-rah kar baat tir ki tarah chubh rahi thi... "uski Nandni uss se dur ho rahi thi". Khud ke gusse ko kabu karta usne pahle socha Nandni se baat ki jaye aur baad me iss Jivisha ko dekha lunga.....


Nashe ki haalat me dhut wo Nandni ke flat par pahuncha... aur jor-jor se "Nandni, Nandni" pukarne laga.... Nandni to bahar aayi sath me Jivisha bhi bahar aa gayi. Jivisha ko dekh kar Saroj ka para aur chadh gaya.... Jivisha ko jaise he dekha, wo galiyan dena shuru kar diya.... Ye sun kar Nandni ka khun khaul gaya...


Nandni aage badhi he thi usse kuch kahne, tabhi Jivisha ne uska hath pakra aur usse ander khinch kar le gayi. Kuch der aur khadey rah kar Saroj wahan galiyan deta raha. Saroj ki harkat dekh Nandni ko fir se rona aa gaya.


Pyar ka ghinauna roop dekh-dekh kar uska kaleja to pahle se fata hua tha, aaj pyar par se viswas bhi uth'ta ja raha tha. Saroj wahan khadey ho kar thodi der aur galiyan diya hoga... tabhi wahan police aa gayi aur Saroj ko utha kar le gayi.


Saroj ne jab thane me pata kiya ki, kis ki complaine par usse arrast kiya gaya hai to pata chala kisi ladki ki complain thi. Halanki wo complane na to Jivisha aur na he Nandni ne ki thi fir bhi Saroj yahi smajhta raha ki wo complain Jivisha aur Nandni ne he kiye hoga. Baat aur bigar gayi, ab to mamla ego wala ho gaya.


Waqt bit raha tha. Jivisha jaise saye ki tarah har waqt Nandni ko sahara de rahi ho, aur Nandni til-til apne tootey ristey ko bikharta dekh rahi thi. Pyar ka tootna kaisa hota hai ye koi Nandni ke dil se puchhe. Aisa nahi tha ki Nandni kosis nahi kar rahi thi, par jab koi baat he na ho to baat kahan se bane.


Nandni ka dard, Jivisha se bhi nahi chhipa tha. Par Jivisha ke samne Nandni har waqt fiki muskaan he muskurati rahi..... Uss aakhri din, Saroj aur Nandni ke ristey ka aakhri din..... Jivisha se he raha nahi gaya, aur ussi ne call kar ke Saroj ke sath meeting fix ki.


Ek kosis apne dost ko khush dekhne ki, Lekin Saroj ke rawaiyye me koi badlaw nahi tha. Miltey he rob se kahne laga, aisa mano wo koi jung jita ho..... "Kaha tha na ek din tum pachtaogi, tum apne iss pagal dost ke bahkawe me aa kar mujhe jail tak bhej di. Ab aa gayi na akal thikane. Main apne har dard ka badla lunga"


Jivisha.... Jab kahte ho pyar hai to badla kaisa Saroj. Isne to pyar me apna sab kuch tumhe de diya, par kya tumne kabhi iss ki bhawnao ko samjha. Har waqt apna kaam, apne dost, apni padhai, apni taklif. Tumhare pass 100 reason the Nandni ko avoid karne ke, par kya usse samjhne ki ek baar bhi kosis kiye. Pyar hai to usse pyar ke sath jatao. Thoda pyar thoda Haq achha lagta hai. Par pura Haq aur kewal jismani pyar .. pyar nahi bas ek property ban kar rah jati hai. Aur meri Nandu kisi ki property nahi.


Saroj.... Nandu, iss se kah do ye yahan se chali jaye tabhi kuch baat hogi.


Iss se pahle ki Nandni kuch kahti, Jivisha khud he wahan se uth kar chali gayi......


Jivisha ke jate he, Saroj thoda normal hote bolne laga..... "Nandu jo kuch bhi hua usme kuch tumhari, aur kuch meri galti thi. Chalo ek nayi surwat karte hain"


Nandni, chehre par ajib si muskaan ke sath.... "Aur wo nayi surwat kya hogi. Roj raat ko bas 2 ghantey mere liye waqt hoga, aur pura din main tumhari raah takte rahun".


Saroj.... Baby I love you, try to understand my problems.


Nandni.... Aur mere problems ka kya ? Kya mere pass koi problem nahi...


Saroj.... Tumhare pass kya problem hai, mujhe batao. Paison ki koi paresani, ya koi tumhe paresan kar raha hai. Tum kisi baat ki chinta na karo.... main hun na.... bas tum khush raho. Aaram se college jao, ghar par enjoy karo aur main free hote he tum se milne aa jaunga...


Nandni.... You know what Saroj, Jivisha sach he kahti hai, you assume me like your property...


Saroj... Uss kamini ko humare bich mat lao, sara nafrat ka bij ussi ka boya hai. Tum abhi decide kar lo tumhe tumhara pyar chahiye ya wo ghatiya ladki.....


Nandni, hasti hui.... "Decide kar liya"...


Saroj.... Kya ????


Ek jhannatedar thappad Saroj ke gal par... Aisa thappad ki jiski gunj sun kar Jivisha bhi ander bhagi chali aayi....... "Decide ho gaya Mr. Sandilya.... and Don't dare to use any slang language for my friend".....


Nandni, Jivisha ka hath thame Saroj ko alvida kah kar wahan se nikal gayi.....


Nandni ke jahan me sari ghatnayen jaise ek-ek kar ke samne aa gayi ho. Usse Jivisha ka har wo kiya yaad aane laga jo wo uske gum bhulane ke liye kiya karti thi. Khud ka mazak tak banaya sirf Nandni ko hasane ke liye.....


Nandni, roti hui bas unhi pal ko yaad kar rahi thi, tabhi pichhe se Nandni ke kandhe par Jivisha ne apna hath rakha aur ek hath aage badhati uss ke aanshu pochhne lagi......
Behad shandar lajawab update
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-10



Nandni, roti hui bas unhi pal ko yaad kar rahi thi, tabhi pichhe se Nandni ke kandhe par Jivisha ne apna hath rakha aur ek hath aage badhati uss ke aanshu pochhne lagi......


Jivisha, Nandni ke aanshu pochh'ti... uss ke sir par hath ferti hui kahne lagi...... "Nandu, hum ne kya decide kiya tha, itni jaldi bhul gayi"


Nandni.... Kya karun Jisa, utne dino se to bardast he ki hui thi. Lekin aaj jab wo mere aakhon ke samne aaya, to sari yaden taza ho gayi....


Jivisha, apni kaan pakrte..... "Sorry, mujhe laga main ek kosis aur kar leti hun, sayad isliye wo tumhare darwaje par khada tha"


Nandni.... Nah jane de uss baat ko. Main itna janti hun tum kabhi mere liye galat nahi soch sakti. But please aaj rok mat, ji bhar ke ro lene de. Please....


Jivisha.... Na bilkul nahi, ab to jhagra ho jaye to ho jaye, par main tujhe rone dun aisa tune soch bhi kaise liya.


Puri raat Jivisha ki bak-bak chalti rahi. Halanki, Jivisha bhi samjh rahi thi ki jo dard se Nandni gujar rahi hai, koi bhi baten uss ke zakhmon par marham nahi laga sakta. Wo iss baat se bhi bhali -bhatin parichit thi ki abhi kuch bolna matlab Nandni ko chidhana hoga.


Par Jivisha ko na to Nandni ke tikhi baton ki parwah thi aur na he uss ke halaat ki, wo to bas itna janti thi ki uski dost paresan hai aur wo usse akele nahi chhor sakti. Waqt bit'ta gaya. Baton se ghaw to nahi bharte par uss khayalat se bahar nikalne me jaroor madad karta hai.


Nandni jab apne gum se bahar aayi to Jivisha ko dekh kar khud se itna he kahi ..... "Thanks god Jivisha ko mere zindgi me bhejne ke liye. Ek sache dost ki kitni jaroorat hoti hai wo Jivisha ne samjhaya hai"


Raat gumgin biti, par subah uss se bhi jyada bhari hota ja raha tha. Pata nahi kab se Nandni ki maa bahar hall se chilla rahi thi, par jab Jivisha ne time dekha to subah ke 5.30am baj rahe the. Darasal Dulhan ke bhai se rashmen shuru honi thi, isliye Durga devi subah-subah uthkar Saroj ko dhundh rahi thi. Ab Saroj ghar mein ho, tab to wo jawab de, aur jab Saroj nahi mila tab Durga devi, Nandni aur Jivisha ko chilla-chilla kar uthane lagi.


Hall se fir tej chillane ki awaz aayi Durga devi ki.... "Koi sun bhi raha hai, wo ladka kahan hai. Kahan chala gaya wo".


Subah ke 5:30am baje aur durga devi ji ki awaz hall se hote huye sare kamron me ja rahi thi. Jivisha aunghte uthi.... Nandni ke kandhe ko jor se hilati..... "Yaar itni khunkhar mother india ko kaise jhelti hai. Ja kar bol na so jaye.... Nandni... Uth na baba... Dekh to meri maa ki tarah teri maa ko bhi subah-subah daura par gaya".


Nandni, nind se bhari awaz me .... "So ja Jisa, boltey-boltey khud he chali jayegi"


Jivisha.... Yaar tu mother india ko raat ko nind ki goli kyon nahi de deti. Itni subah bhi koi jagta hai kya. Ye sari mother india ek jaisi kyon hoti hai ?


Nandni.... Dekh tujhe subah-subah itni bakwas karni hai to ja hall me, meri maa ke sath karti rah. Par mujhe abhi sona hai, kachar-kachar band kar.


Jivisha.... Kamini meri nind toot gayi hai aur tu bistar par pare-pare bhasan de rahi hai.


Jivisha pichhe se ek laat khinch kar mari aur Nandni ludhakti hui dhamn se, bistar se niche. Chot laga usse, gusse me Nandni chid'ti hui uth kar baith gayi. Gusse me pagal hokar idhar-udhar dekhne lagi .....


Jivisha.... Bhut ki tarah jamin par baith kar, look kya de rahi hai. Ja bahar aur dekh teri mother india subah-subah pura ghar, sir par kyun utha li hai.


Nandni, chidhi si awaz me... "Kamini sab tere action ka reaction chal raha hoga, jaroor tera he koi kand hoga. Kar tu aur nind meri kharab ho. Ruk abhi tujhe batati hun ....


Jivisha.... Tu gusse me aayegi aur main tumhe apna pyar dikhaungi, aa ja...


Nandni.... Ruk tujhe abhi batati hu...


Nandni, Jivisha ko marne dauri. Nandni gusse me badhi aur Jivisha mazak ke mood se Nandni ko daboch kar bistar par lita di. Jivisha, Nandni ke upar aakar uske paun me paun fasa di, aur dono hath ko apne hathon se daba kar, gol muh karti Nandni ke hont ke ore apne hont badhane lagi.... “Oye pagal, kya kar rahi hai .. chhod na re ullu”… Nandni niche padi Jivisha ko hatne ke liye bolne lagi….


Tabhi dharam se gate khula aur sath me chillane ki tej awaz bhi .... "Kab se main paglon ki tarah chillayeeeeeeee".....


Gate dharam se khula aur samne ka najara dekh kar Durga devi ki awaz uss ke muh me he rah gayi ...... Kuch der tak to Durga devi ko samjh me he nahi aaya ki dono ko kya kahe. Fir achanak he chillati hui kahne lagi ..... "Ye tum dono kya kar rahi thi"


Itna kah kar Durga devi ultey paun bhag gayi.....


Nandni.... Kamini ab mom ko kya bolenge….


Jivisha.... Bol dena, ab tumhe ladkon me intrest nahi raha….


Nandni..... Kuch to sharm kar besharm...


Jivisha.... Haye nandu, ab apni umr nahi rahi sharm karne ki…


Tabhi fir se bahar se Durga devi ki chhillqne ki awaz.... "Dono ander kya kar rahi ho"...


"Chal high court ka bulawa aa raha hai, jaldi kar warna aaj kahin mother india suli par na chadha de".... jaldi se dono bahar hall me aayi.....


Durga devi, aakhen dikhati.... "Ye tum dono kya kar rahi thi".....


Jivisha, dhime se .... "Wahi jo aap ne dekha aunty ji.... Chumma le rahi thi, jabardasti”….


Durga devi Jivisha ki baat nahi sun payi, lekin Nandni ne sab sun liya. Wo Jivisha ke paun par paun marti... "Bhagwan ke liye apna muh band kar"


Durga devi.... Tum dono ye khusur-fusur kya kar rahi ho, kuch puchha maine ...


Jivisha do kadam aage badh gayi, usse aage jate dekh Nandni ne apne sir par hath rakh liya ... "Sab syapaa"


Jivisha pure mood aur pure emotions ke sath.... "Kya bataun aunty. Aap to khud bhi ek aurat hain, to shadi ke baad ka mera dard aap nahi samjhengi to aur kaun samjhega. Bas ussi chakkar me maine Nandu ko Nishchal samjh liya"


Nandni, budbudati.... "Besharm kahin ki tu baad me mil, tera dard main mita'ti hun.


Durga devi... Bas-bas samjh gayi. Ye batao aadhe ghantey se main chila rahi thi, tum dono kya kaan me ruyi dale soye hui thi. Batao to, ye koi waqt hota hai uthne ka. Dono ki aadaten bigri hui hain. Der tak sona to jaise faishion sa ho gaya ho. Upar se dekho kaise besharmon ki tarah khadi hain.


Nandni.... Had hai mamma, 5:30 baje bhi koi uth'ta hai kya. Aap ko nind nahi aati to kam se kam hume to so lene do.


Durga devi.... Sab tere papa ki chhut ka natija hai. Ruk unhi ko sunati hun. Unhi ke lad pyar ka natija hai ye sab. Ye ladki to pure bigar gayi hai.


Jivisha..... Aunty ji aap koi jaroori baat ke liye hume jaga rahi thi na….


Durga devi..... Haan wo tera bhai kahan gaya, subah se dhund rahi hun mil nahi raha.


Jivisha.... Wo to chala bhi gaya....


Durga devi.... Kya mazak hai ye. Saam ko aata hai aur raat ko chala jata hai... ye kaisa bhai hai. Aaya tha to rukna chahiye tha na.


Jivisha ek baar fir full emotions me aati..... "Aunty, sab waqt ki majboori hai. Ab wo bhi bechara kya karega, mujhe dekhe bina rah nahi paya, tou karj lekar flight se aaya tha. Mujhe dekha aur dekh kar usse santusti mil gayi. Aap to janti he hain wahan ke haalaat, ghar par bhi to ek jimmedar mard ki jaroorat hai. Bechara mere karan usse kitna paresan hona para....


Durga devi.... Haan beta, wo to chehre se he bechara paresan dikh raha tha. Hmmm ! Koi baat nahi. Bhai ki rasham main Ashis se bol kar pura karwa dungi. Chal ab tu jaldi se sab kaam kar ke fatafat taiyar ho ja. 9am baje se ladies aana shuru ho jayengi....


Jivisha.... Kaisa kaam aur ladies kyon aa rahi hai...


Durga devi, Jivisha ke chehre ko apne sine se lagati, uske gal ko thap-thapate huye kahne lagi.....


"Tu abhi bachi hai beta. Shadi ke baad jodon me pyar sada ke liye bana rahe, uske liye hum kayi sare rashmen nibhate hain. Tu apni sasural me hoti to ye sab tumhari saas karti. Par tu chinta na kar, main hun na"....

"Sun pure ghar ki saaf-safai karke, 50 logon ke liye tumhe khir banana hai. Tabhi to subah se utha rahi thi... ab ja jaldi se, pure ghar ka jhadu-pochha karne ke baad kitchen me khir bana dena. Aur kitchen ka kaam jab khatam ho jaye tou kitchen ko ache se saaf karke, sare bartan bhi saaf kar dena. Sabhi kaam jaldi se khatam karke achhi tarah Dulhan ke jode me taiyar hokar 9am baje tak hall mein aa jana.


Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bahar aate jar ahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.
Waise jivu ka kirdar badhiya dikhaya h
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-11



Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bari hoti ja rahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.


Durga devi ke jate he Jivisha apna chhota sa muh banati.... "Oye ye teri mother India kya bol kar chali gayi"


Nandni.... Yahi ki aap ek nayi dulhan ki tarah aaj apne ghar ko apne hathon se saaf karengi. Rasoi me ja kar pahla vidhi purn karengi aur wo hai sab ko apne hathon ka bana mitha khilana.


Jivisha.... Iss se achha hota thodi zahar mujhe de deti, kha kar chain se so jati. Main aur itna sab karun.... aur ye khir kaise banti hai....


Nandni.... Online kisi bhi site se khir banane ki vidhi dekh aur lag ja apne kaam par. Bhag-bhag tere pass waqt bhi kam hai....


Jivisha paun hath patkati chal di safai karne..... "Hey bhagwan ye main kahan fas gayi. Nandu ki maa to riti-riwaj ke naam par meri bali he le legi. Hay ye meri kamar".....


Jivisha apne kaam me lagi, mathe ka pasina apne hathon se pochhti ro-ro kar gane ga rahi thi.... "Duniya me aaye hain to jina he parega"..... aur farsh par pochha laga rahi thi. Tabhi Nandni uske samne khadi ho kar..... "Kitni mehnat kar rahi hai, meri ful se komal Jisa"

Jivisha, apna sir utha kar madad ki pukar wali najron se dekhti... "Thanks, Nandu... tu he to meri pyari bahna hai. Kuch dur tu safai kar de... please"


Nandni.... O' meri pyari banno, wo kya hai na mamma ne kaha hai pados se dhol le kar aane ke liye. Isliye sorry, main abhi teri madad nahi kar sakti. Haan wo tune na, pichhe thik se saaf nahi kiya isliye maine sochi bata dun jarra... jab kar he rahi hai to thik se kar na.


Jivisha gusse me ghurti.... Chal bhag kamini, ja kar meri tamasa ka dhol pit. Bhag yahan se. Sala iss desh me riwaj ke naam par mujh jaisi abla ko tabla samjh kar bajate hain, aur kaminey ladkon ke liye koi riwaj he nahi bante, bas unhe bitha kar khilate raho aur unki charbi badhate raho......


Bechari kisi tarah mehnat kar ke pure ghar ki saaf-safai ki. Khana banane ki site par ja kar khir banana sikha, aur 50 logon ka khir bhi banai. Idhar 9 bajte he sari ladies pahunch chuki thi aur pit kar lok-geet gana shuru ho gaya tha.


Jivisha to ander se jal bhun kar pak rahi thi. Dhol par najchne ki thirak aur ladies ke kilkari ki awaz jab bhi uske kano me parti uska khun ubal mar deta..... "Besharmon naukar se bhi badtar kaam karwa rahe ho aur khud bahar naach ga rahe. Bhagwan, maine tuhara kya bigara tha jo aise din dikha rahe...."


10.30 am baj chuka tha, Durga devi kitchen me aa kar Jivisha se kahne lagi.... "Jaldi kar sari ladies ko jana bhi hai. Aur tu hai ki ab tak khir bhi nahi bana payi. Tu kab khir banayegi kab taiyar hogi aur kab sab ko paros kar apne hathon se khilayegi"....


Jivisha, khud me budbudate..... "Aao mujhe he kha jao. Itna karwa ke man nahi bhara jo ab parosne bhi kah rahi".....


Durga devi.... Kuch kahi kya...


Jivisha.... Haan kah rahi thi main, bas aadhe ghante aur intzar aunty fir main aap ko ab tak ki sab se best khir apne hathon se khilaungi. Bas chini dal kar main bhi ja rahi hun taiyar hone...


Jivisha ne dhund kar chini ka dabba nikala. Bechari lekin chini aur khane wale sode me fark nahi kar payi. Aur site par likhe instruction ke anusar..... Chini andaz se dalte huye usne do bare dabbe sode ke ulat diye khir me.


Nahate waqt bhi Jivisha ke tane kam na huye..... "Hay Ram, in jalimon ne to lut liya riwaj ke naam par. Pata nahi ab aur kitna jhelna hoga"


Saree pahan kar Jivisha fatafat nikli aur fir se lag gayi kaam par... Sab ko thali me khir paros kar dene lagi... Abhi 15 ladies ko khir di he hogi... tabhi ek lady "thuuuuuuuuuu" karti chillane lagi.... "Ye khir hai ya chuha mar kar dal diya hai khir me"...


Pura mahol shocking..... Jivisha ki to aankhen bari ho gayi..... "Itni mehnat ke baad ye kamini aisa kah rahi"... usne ek ungli se khir ko taste ki..... jaise he khir muh me gaya... wahin hall me Jivisha apne hath paun patakti.... "mammi-mammi" ... kar ke rone lagi.....



Kahin dur Himalya ki wadiyon me Uttrakhand, Nanital, Jim Corbett National Park.....


Apne group ke sath ghumne aayi Sweksha, Jim Corbett National Park (JCN park) me ghumte-ghumte apne group se kahin dur bhatak gayi thi. Jungle ke ander wo wild life photography me itni masgul ho gayi ki usse pata bhi nahi chala, kab wo apne group se dur nikal aayi.


Bhatakti hui wo JCN park ke ristricted area me pahunch gayi thi, jahan saaf akshron me likha tha… "Jungli janwaron ke atyadhik humle ke karan, pratibandhit kshtr"… Sweksha apne photography me itni mast thi ki wo notice board ko na dekhkar, sheron ke ek jhund ko dekh kafi excited ho rahi thi ...... "wowwww, it's look really awesome"


Sweksha sheron ke jhund se kafi duriyan banaye thi, jis wajah se usse photography mein clear view nahi mil pa raha tha. Uske aage jane ki himmat nahi thi, isliye wo ped par chadh kar, upar se unki tasveeren lene lagi. Har click par wo khud se kahti "nice click" aur agli tasveer lene lagti.


Yun hi jab wo tasveer le rahi thi, tabhi achanak uske kamre ke aage latakta sanp dikhne laga, Sweksha jab camera aakhon ke aage se hatayi, wo sanp bus aadhe fit ki duri par jhul raha tha. Apne dar ko kabu karti wo niche utri aur aas pass apne group ko dhundhne lagi. Kintu wo kafi dur nikal aayi thi isliye na to usse koi dikha aur na hi kisi ne uski awaz suni.


Isi kram me wo apne group ko dhundhte hui, us pratibandhit kshetr ke aur ander ghus gayi. Dhundhte dhundte wo achanak hi ek sher ke samne khadi ho gayi. Dono ke bich lagbhag 100 meter ki duri hogi aur sher apne samne shikar ko dekh kar jor ki dahar lagaya.


Khauffnak manjar tha wo. Uski dahar itni bhaybhit karne wali thi ki Sweksha ke hath paun kapne lage. Wo jan bachane ke liye piche palti aur uska paun mud gaya. Paun mein uske jabardast monch aur ladkhada kar wo jamin par gidi thi. Samne se sher dahar lagate huye uski ore teji se badha.… Dar se puri kanp-kanpi chhuti aayi. Hath paun fulne lage.. upar ki sans upar aur niche ki sans niche rah gayi…


"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" ek tej chinkh aur Sweksha ke hosh udd chuke the.... Uski jab aakhen khuli to bikul andhera tha aur ek lambi chinkh ke baad jaise halak me juban atak gayi ho Sweksha ki... wo kuch bol he nahi pa rahi thi.... kafi kosis kar rahi thi par muh se awaz nahi nikal rahi thi....


Tabhi uss jagah me raushni hui, koi tha jo wahan ke khidki ko khol kar ujala kar raha tha..... Sweksha ne jab usse dekha to uski aakhen bari hoti chali gayi..... "Tum kaun ho"... kahti hui wo bistar se uth kar khadi hone ki kosis ki, aur dard bhari chinkh ke sath..... ladkhara gayi....


Uss ladkey ne usse tham liya..... "leti raho, tumhare paun me moch ke sath kafi sujan bhi hai"....


Sweksha.... Main yahan kaise pahunchi, aur tum kaun ho....


Ladka.... Mera naam Uday hai, main iss jungle ka ranger hun. Tum par sher humla karne wale the aur tum dar se behosh ho gayi thi. Main tumhari chinkh sun kar wahan pahuncha aur firing kar ke un sheron ko bhagaya...


Sweksha.... Ohhh ! Thanks.... Aap please mujhe mere group ke pass chhor do, mere apne doston ke sath yahan aayi hun.


Uday..... Sorry miss, bare afsos ke sath ye kahna par raha hai ki, aap ko ek do din yahan rukna parega...


Sweksha, aashrya se.... "Kyon, kyon bhala mujhe rukna hoga"....


Uday.... Kyonki iss waqt meri jeep kharab hai, aur jungle ke iss hisse me koi aata nahi. Isliye jab tak machanic aa kar jeep thik nahi karta, yahin rahna hoga, aur koi upay nahi hai.


Sweksha.... Ab main kya karun...


Uday.... Humari mehman nawaji ka maza lijiye, aur yahan rah kar dekhiye ki kitni taklif hum jhelte hain. Oh by the way aap ka camra, jo uss jagah se mili thi. Sambhal kar agli baar se photography kijiyega. Warna kismat har baar sath nahi deti...


Sweksha.... Hmmm ! samjh gayi main....


Tabhi Sweksha ko apne niche kuch gila-gila ehsaas hua, aur wo hath laga kar dekhne lagi...


Uday.... Hota hai kabhi-kabhi dar ke mare...


Swekha.... Yakkk ! Please iss par baat mat karo. Aur mat yaad dilao wo manjar, mere pran mano gale me atak gaye the. Waise kuch pahn'ne ko milega....


Uday...... Mere pass kuch kapdey hain, yadi aap chaho to usse pahan sakti ho....


Sweksha.... Hmmm ! Dijiye....


Uday ne chhoti si almari se kuch kapdey nikal kar diye aur ek parda khinch diya. Sweksha un kapdon me se lungi ko nikalti usse apne kamar me achhe se lapet li....


Uday fir wahan se nikal gaya, aur jate-jate kahta gaya..... "Main aap ke yahan se nikalne ki vaywastha karwata hun. Mej par kuch fruites aur pani ki bottol rakhi hai. Jaroorat lage to kha-pi lena. Aur yahan se bahar nikalne ki kosis bhi mat karna warna apne sath hone wali ghatnao ke liye tum khud jimmedar ho"....
Dhanso shandar update bahi
Ab ye sweksha kon h
Let's see what happend
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Dhanso shandar update bahi
Ab ye sweksha kon h
Let's see what happend
Sweksha ka kirdar achanak aaya hai... Kisi concept ko samjhane matr ke liye.. aage aap samjh jayenge... Abhi kuch bata diya to maza nahi aayega..

Baki thanks a lot.... Aap kahani padh rahe hain iss baat ka pata mujhe chal rha hai aur khushi bhi utni hi ho rahi hai
 
  • Like
Reactions: Asif khan
Top