Update:- 99
Bilkul subah ka waqt tha… Jivisha muskurati hui Alfas grih se bahar nikli.. Kund me nahane ke karan uska chehra aur bhi jyada khila hua lag raha tha… Jivisha ne wahan ke dwarpaal ko bolkar sabhi ko turant hi sabha bahwan me bulwa li…
Ek ore NilBhut samuday ki pratinidhi Shwetna apne logon ke sath baithi hui thi, to dusri ore Jatin aur Baby Takshat samuday ka pratinidhitwa kar rahi thi… aur dono hi samuday ke logon ne jhuk'kar apni nayi shashika ka swagat kiya…
Jivisha:- Tum sab ki yah haalat ka karan, kewal aur kewal ye sar jhukana hi hai… Aaj se main yahan ka rajtantra khatm krati hun aur yahan par prajatantra ko bahal karti hun..
Dono hi pakshon ke logon ne badi utsukta se prajatantra ka matlab puchhne lage… kayi sare video Play huye jisme prajatantra ke working culture, ek saman adhikar, ek saman kanoon, satta aur takat kisi ek ke hath me na hokar balki sabko saman adhikaron ki vyawastha ko dikhaya jane laga…
Chunki Jatin prithvi par kafi lambe arse se raha tha aur usse yah kanoon vaywastha kafi pasand thi, isliye wah iss baat ke liye raji ho gaya… Jatin aur Shwetna ki aguwai me ek team ka gathan hua, jo iss pure Zoren ko 30 zone me vibhajit karke ek kusal prajatantra ko bahal karti…
Jivisha apni baat puri karke sabha ko Jatin aur Shwetna ke hawale kar'ke apne liye bus wo Alfas grih rakh li jo Shwetna ki dekh-rekh me Jivisha aur Nischal ki amanat rahti…
Subha ka waqt tha, Jivisha Zoren grah par shanti aur shashan vaywastha bahal kar'ke wapas chali aayi thi. Muskura to rahi thi lekin uski muskurahaton me bhi ek khamoshi si thi…
Jivisha apne anterman me jhanknti apni udasi ko bhanp gayi, isliye wo Nischal ke pass na ja'kar Chirag aur Aarsi ke pass pahunch gaye… dono daur kar Jivisha ke pass pahunche… Chirag subkate huye puchne laga… "Didi aap ke sine se khun nikal raha tha, dard bhi ho raha hai kya aap ko"..
Jivisha, uske sar ke baal ko bikherti hui, apne gaal se uske gaal ko ragarti hui, usse pyar se chumti kahne lagi… "Kya betu tu to bada ho gaya hai.. aur jarra mujhe apni bahu ko dekhne de… Aarsi tum bhi badi ho gayi haan"..
Aarsi:- Didi, didi jab hum dono bade ho gaye hain, to fir humari shadi karwa do na…
Chirag:- Abhi shadi ki baat nahi karni chahiye Aarsi..
Aarsi:- Lekin kyon baby..
Chirag:- Duffer, film me nahi dekhti, ghar me jab kisi ko chot lag jaye ya ghayal ho jaye to shadi ki baat nahi karte, sab kuch normal hone ke baad karte hain..
Aarsi:- Ohhh ! Mujhe nahi pata tha ye baat… koi nahi hum 2,4 din me thode aur bade ho jayenge fir shadi karenge..
Jivisha:- Oh ho.. aur shadi ke baad ghar kaise chalaoge..
Chirag:- Wo Kasak 2.0 bua hai na.. wo na ek bade se research centre ki master hai aur hum dono unke assistant. Hum dono ki to job bhi lag gayi hai…
Jivisha:- Baat to ye bhi sahi hai.. job to hai tunhare pass. Lekin kya Aarsi ke commissioner papa aur Chirag ki hitlar mammi manegi....
Aarsi, Jivisha ke mathe par apni chhoti si hatheli se dhakke deti hui kahne lagi… "Aap bhi na didi, sathiya gayi ho. Hum 2 sal pahle bhage the, wo log to ab tak apne nati-pote ke intzar me honge"..
Jivisha kya kahe aur kya na kahe, uske muh par to tala he lag gaya tha. Haalanki Aarsi kah to bilkul sahi rahi thi, lekin yadi ye case kisi aur ke sath hota to… lekin ab inhe kya jawab de…
"Band kar diya in chilgojon ne tera muh"… Nandni unke pass aa kar baith'ti hui kahne lagi… iss se pahle ki dono kuch bolte, Nandni dono se kahne lagi.... "Tum dono yahan kya kar rahe ho, tumhe to Serin ne bulaya hai"..
Dono Serin ka naam sun'kar hi wahan se uth'kar bhage.. unhe Serin ke liye aise bhagte dekh Nandni kahne lagi... "Tere dono bachon ka kafi karib se khyal rakhi hai usne"..
Jivisha:- Bahut dard jhele hain usne Nandu, shayad Nischal ke hisse ka dard bhi wo jhel gayi. Kal raat mili thi, khud to vyakul thi aur mujhe himmat rakhne ke liye kah rahi thi..
Nandni:- Ek kaam karenge, usse hum apne pagal gange me samil kar lenge..
Jivisha:- Wo to sahi hai Nandu, Lekin ye to lagbhag Kasak ki tarah dikhti hai…
Nandni:- Ye to aur bhi fayde wala rahega..
Jivisha:- Kaise..
Nandni:- Mujhe kya pata bus flow me nikal gaya…
Jivisha:- Haan ye flow me nikalna, jab normal the kitne khush the na… wo flow me kuch bhi kisi ko kah dena, fir har koi lag gaye uss betuke flow ko sabit karne me…
Nandni:- Haan yaad hai… Main tum dono ko miss karungi.. Behad..
Jivisha:- Dono ko miss karungi se kya matlab hai tumhara..
Nandni:- Main aur Aakash soch rahe the ki, kal hum dono Chirag aur Aarsi ko lekar Prithvi nikal jaye. Hum yahan dusron ke ghar ki samsya ka samdhan me to jute hain, lekin apne hi ghar ke log kin haalaton me honge, unki koi khabar nahi… Nandita bhabhi ne bure waqt me kitni madad ki thi aur 2 sal se apne bache ko dekhi nahi, wahi haal Aarsi ke papa ka bhi hoga. Uss bechare ki to badi beti ko bhi in logon ne maar dala tha…
Jivisha:- Thanks yaar … tere jane se kam se kam aage ke liye mera sar dard to kam ho jayega…
Nandni:- Haan so to hai, sabhi logon ke drame mujhe hi jhelne honge .. koi na raste me 2 din ka waqt hoga.. bahana soch lenge…
Jivisha:- Acha sun wo Nischal ne tere aur Ansh ke liye kuch apne hath se banaya tha, socha tha jab wahan Aizem par sab ko kuch na kuch deta, ussi waqt tum dono ko bhi wo deta, lekin ab to tum ja rahi ho, to wo bhi leti chali jao..
Nandni:- Tu kyon de rahi hai mujhe, main to uss kadus se hi le lungi. Waise bhi kal wo lashon ke dher ko hatwane me itni thak gayi ki uss se mil hi nahi payi.. abhi kaisa hai wo..
Jivisha:- Acha hai..
Nandni:- Baat kya hai Jisa… tu kya chhipa rahi hai..
Jivisha:- Uske sar me thodi si chot aayi hai.. aur..
Nandni, hairani se Jivisha ke ore dab-dabatyi najron se dekhti…. "Wo fir se coma me chala gaya kya? Ye iske sath hi aisa kyun hota hai? Main na grih shanti yagya karwaungi, ye baar-baar Nischal ke sath ghtna hona grahon ka koi dosh lagta hai.."
Jivisha:- Nahi wo coma me nahi hai. Balki brain cell damage hone se uske hath aur paun ke kaam karna band kar diya hai… ..
Nandni:- Arreee yaar ye kya ho gaya… Hey bhagwan kyon ache logon ko padesan karte ho.. kab usne kisi ka bura chaha hai…
Jivisha, Nandni ke aanshu pochhti…. "Yaar tu royegi to uska aur mera, hum dono ka husla toot jayega.. bura waqt hai ye bhi tal jayega"…
Nandni:- Kahan hai wo, mujhe abhi milna hai.. tu mujhe pahle nahi bata sakti thi, jab main yahan se jane ki baat kar rahi thi. Usne kabhi taklif me saath nahi chhoda, main usse kaise chhod'kar jane ki soch sakti hun…
Jivisha:- Ullu rona band karegi.. shant ho ja bahna… main kah rahi hun na bura waqt hai tal jayega… yahan par to sab hain lekin apne pariwar ke pass humari koi khabar tak nahi. Tumne bilkul sahi socha hai.. tu aaram se wahan nikal ja.. waise bhi 10-15 din baad hum pahunch he rahe hain wahan..
Nandni:- Shut up.. main usse chhod kar kahin nahi ja rahi..
"Bhabhi sahi bol rahi hai Nandni, rahi baat Nischal ki to main wada karti hun agle 10 se 15 din me hum sab tunhare pass honge. Ek wada maine bhabhi se kiya tha puchh lo usse nibhayi ki nahi"… Serin unke pass aati hui kahne lagi..
Nandni:- Hmmm ! Yaar ikchha to nahi thi jane ki.. dil nahi maan raha hai..
Serin:- Jab maine usse khud se alag kiya tha tab mera bhi dil nahi maan raha tha.. nahi mana tha mera dil ki wo bhola akele kaise iss duniya ko sambhalega… kaise survive karega.. lekin mujhe bhi dil majboot karna para tha. Dekho ussi ka natija hai ki aaj uske wajah se mujhe bhi pariwar aur doston ke bich ka sukh mila hai… warna aise pariwar ki kamna to kahin dur-dur tak sapne me bhi nahi thi...
Jivisha:- Tu aaram se hans kar mil Nischal se, fir kuch dino ki to baat hai.. aur haan kamini humare bagair shadi nahi kar lena…
Nandni:- Main to raji bhi ho jaun lekin ab to Ansh hi raji nahi hoga.. doston ke naam par to uske pass Nischal ke siwa koi hai bhi nahi.. aur humare yahan ladka apne baap ke bina ek baar shadi kar sakta hai, lekin dost ke bina to usse lagega shadi nahi maiyyat samaroh ka aayojan hua tha..chal chalkar mil leti hun uss khadus se..
Jivisha:- Serin, Nischal ko hosh aa gaya kya ?
Serin:- Haan kuch der pahle hi aaya tha.. ek baar batane aayi thi tab aap log nahi the..
Nandni:- Kaisa react kiya usne..
Serin:- Imandari bataun to wo thoda sa padesan hua, lekin bilkul normal tha.. kah raha tha bade-bade events me aise hadse hote rahte hain… mere hath paun sab to tum sab ho..
Nandni:- Haan sahi hi to kaha hai usne.. waise bhi bahut bhagta tha.. ab ek jagah kam se kam baitha to rahega..
Uski baat sun'kar sabhi hans diye aur hanste hanste achanak hi rone lage.. Kuch pal gum mitane ke baad teeno hi pahunchi medical section me… pura medical section ko khali dekh'kar Jivisha aaschrya se puchhne lagi… "Yahan ke ghayal log sab kahan gaye"..
Serin:- Jo gambhir roop se chotil the, unhe NilBhut ke hospital me rakha gaya hai… aur baki sab ko chhuti de di gayi hai.. iss ladai me in logon ne 2 carore log khoye hain.. lekin apne logon ko kisi ne ro kar vida nahi kiya, balki pure jashn ke sath unki aakhri vidai di gayi…
Nandni:- Batao ek ye log hain, aur ek tum sab ho… Nischal ke liye bus ro rahe ho..
Jivisha:- Haan pagal khali hum log hi roye the na.. chal ab..
Jaise hi teeno ander pahunche… "Kya hai khadus, suni tere hath paun chale gaye"… Nandni uske bistar ke kinare baith'kar puchhne lagi …
Nischal:- Matlab ye baat akhbar me bhi aa gayi kya?
Nandni:- Sir aap itne mahan hasti hain ki aap ke chhink ki charcha to pure universe me hoti hai, fir to ye aapke hath aur paun hain..
Nischal:- Haan durbhagyavash ye sahi khabar hai..
Nandni:- Bahut bhagta tha na… ab thik hua.. hamesa najron ke samne rahega.. waise iske muh par tape laga'kar iska rape kar dun to kisi ko pata tak nahi chalega…
Jivisha uske sar par pichhe se hath marti… "Jhalli kahin ki, ja tu apne doctor ko pakad.. mere maal par najar dali to dekh lena. Oye jiju apni biwi ko sambhalo yaar.. ye kuch jyada hi maze le rahi hai"…
Ansh:- Ab kya hi bataun pahle sirf suna tha ab dekh raha hun, ladkiyan shadi ke baad besharm ho jati hain..
Nischal:- Doctor sahab Shadi to Jivisha ki bhi ho gayi hai.. aap ke kahne ka kya matlab hai wo bhi besharm hai..
Jivisha apni aakhen dikhati… "Bade matlab nikale ja rahe hain haan"..
"Aaj ki subah aise khili si aaogi to main to pagal ho jaunga"… Aur Jivisha ke honton par Nischal ke honton ka sparsh …
"Had hai baby ye kya kar rahe ho… besharm to tum ho gaye"… Sab log Jivisha ke ore dekhte huye… "Kya hua aisa kya kar diya Nischal ne"..