Nashe ki gahraeyon me dub'kar sone ke baad, subah Nandni angdai lekar jaise hi jagi, uske pass Chirag aur Chirag ki girlfriend Aarsi baithi hui thi...
Bechari Nandni, thik se angdai bhi nahi le payi thi aur samne dono ko dekh'kar uski aakhen badi ho gayi.… "Kya hua bua aise kyon ghur rahi ho?"…
Aarsi, jhapak se Nandni ke paun chhuti... "Kaisi hain bua sasu, fuafa ji ko sath nahi layee"
Nandni, apna sar pit'ti... "Tum dono fir school bunk karke ghumne nikle ho, aur mere flat me tum dono ghuse kaise"…
Chirag:- 6th class me sir jo padhate hai wo to hum kabka pura padh chuke hain.. ab to class me bachon ko dekh'kar hum bore ho jate hain.. .
"Oye dada ji, to class na jakar kya karoge"… Nandni dono ko kha jane wali najron se ghurti hui...
Aarsi:- Hum bhi apna ek Jaal mahal bana rahe hain... Khufiya jagah, jahan hum science experiments karte hain..
Nandni:- Tum dono mazak kar rahe ho na..
Chirag:- Lagta hai raat ki utri nahi hai... Alexa kidnap kar lo aur sath liye chalo...
Nandni ho chuki thi kidnap aur Alexa use lekar apartment ke top par le aaya... Nandni puri gusse se, apne hathon me pahna transparent electric gloves se Alexa ke hathon par bijli ka 1200 volt tak ka jhatka dee.…
(Transparent electronic gloves, electricity generating gloves hai, jisme se kuch second ke liye ikchha anusar current flow supply karwa sakte the, jo totally mind se control hota hai… Pure universe me eklauti Nandni hi thi jo iss gloves ka istamal kar payi thi.. Baki kisi ka brain niyantrit current flow nahi karwa paya tha...
3-4 sal pahle Nandni ne apne hatho me yah pardarshi gloves chadhya tha. Uske baad to usse yaad bhi nahi ki uske pass aisa bhi koi device hai... Kewal jaroorat ke waqt wo istamal karti hai aur vipatti ke waqt kuch second tak 5 gigawatt tak current supply kar sakti thi)
Jaise hi Alexa ne apne ander current mehsus kiya, Alexa khushi se apna pura muh faadte... "Thanks for giving me meal"
Nandni kuch bol pane me asamarth thi aur wo samjh chuki thi ki ye Alexa kya hai, Aarsi aur Chirag kaise uske flat me ghuse, aur ye bache ab wo bache na rahe balki next level kid ho chuke hain...
Rooftop par tha ek adrishya viman, shayad Zoren grah ki kuch technology ko copy kiya gaya tha, warna Nischal ke banaye viman to najar aate the... Palak jhapkte hi sabhi sawar hokar kisi virane thande kshetr me the.. puchhne par pata chala ki Russia ki koi jagah hai...
Nandni jab ander ghusi to uska muh khula ka khula rah gaya... Achha khasa area me in dono ne apna work station bana rakha tha...
Nandni:- Ye kya hai.. kab kiya, bina humare jankari ke
Chirag:- Ye mere aur Aarsi ke request par Serin didi ne hume gift kiya tha.. humara personal work station... Kamal ki jagah hai na.. aaeye dikhata hun yahan se kya kya kar sakte hain..
Dono baith gaye rolling chair par.. kaam shuru karne se pahle, honth se honth lagakar ek baar chume, jise dekh'kar Nandni apne muh par hath rakh'kar bus hasne lagi.. udhar Aarsi aur Chirag fatafat kya speed se apne hath keypad par chala rahe the...
Kaam jaise hi khatm hua ek jordar press enter button par aur fir se rolling chair khisak gaya. Ek baar firse dono ne ek dusre ko chum'kar apni kursi se khade ho gaye … "tantarannnn … Pesh hai the magic hands"…
Dono ne kuch commands diye the. Diwal ki side se ek self bahar nikli thi, jisme kuch tha hi nahi... Bus 5 fit ka box khula tha aur usme sisa rakha...
Nandni dono ko ghurti… "Is box me kya hai wo to baad me samjhungi. Pahle ye jo tum dono ek dusre ko chum rahe the, kya hai ye sab..
Chirag:- Shit Aarsi, you stupid Nandni bua yahan thi..
Aarsi apne chehre par na aaye baal ko pahle chehre par lekar aayi, fir jhatak'kar style se pichhe karti hui kahne lagi... "Hum kaam shuru karne se pahle aur kaam khatm hone ke baad aise hi ek dusre ko cheer up karte hai.. aap ko iss baat se koi pareshani nahi honi chahiye.. ulta aapki bahu aur aur tum kya lage inke baby..
Chirag:- Nandni bua, aapko mai bua kahta hun to mai aapka kya laga..
Nandni:- Bhatija...
Chhirag:- Sweety Bhatija laga mai..
Aarsi:- Haan bua sasu to aapko apni bahu aur bhatije par to pyar aana chahiye, dono hamesa kareeb rahte hai..
Nandni apne aakhon aur hathon se "kamal hai" wale expression laati... "Waah bete, bahu to heera dhundha hai tune"…
Alexa:- Chirag lekar dhundha hai Chirag ne..
Aarsi:- Thanks Alexa, you are my sweetheart…
Chirag gussa se Alexa ko dekhte... "Alexa go outside. Agli baar meri girlfriend ko impress kiya to jaan nikal dunga"…
Aarsi:- Chill pill baby.. kyon irritate hote ho… agli baar Nischal fufa aayenge to usnse bolkar Alexi banwa lena..
Nandni:- Kya ?? Ye Alexa ko Nischal ne banaya tha…
Aarsi:- Haan.. wo bhi lagatar 8 raat jaag'kar aur Bua (Jivisha) se chhip'kar..
Nandni:- So, jane se pahle wo ek protector chhod'kar gaya tha... Ye usi ka dimag ho sakta hai jo aise realistic robo creat kar gaya...
Chirag:- Nandni bua Nischal fufa kab aayenge.. Serin didi bhi nahi lauti abhi tak... Mujhse kah'kar gaye the chhota sa kaam khatm karke jaldi laut aayenge..
Aarsi:- Dumbo.. wo to abhi action kar rahe honge.… Dhoom Dhoom dhaynnn dhaynnn...
Nandni:- Wo dono jab lautenge tab, pahle mujhe yahan ki puri detail do.. aur aaj se tum dono jo bhi karoge uska mai supervision karungi... Jis kaam ke liye mai mana kar dungi, mana ho jaoge...
Chirag:- Matlab aaj se aap humari team leader...
Nandni:- Yesss team leader..
Aarsi, Chirag ke jod se gale lagti..… "No baby, fir bua sasu baat-baat par tokti rahegi... Hum intentionally thode na kiss karte hai, wo to ho jata hai... Fir bhi ye tokegi to kahan se khul'kar kaam karenge..."
Nandni:- Uffff ye chhote packet aur atom bomb dhamaal…
"Dono ka yahan hona koi samsya nahi, lekin galti se koi upadrav na macha de kahin dono. Waise Serin aur Nischal ne inke hawale ye work station kiya hai to kuch soch kar hi kiya hoga. Fir bhi mujhe check karna hoga."
Nandni apne mann me khyal lati... "Alexa ki detail do mujhe, usse command kaun kar raha hai hai"…
Chirag:- Pata nahi, bus jaroorat ke waqt Alexa ko pukaro aur wo aa jata hai..
Aarsi:- Tumhe to kuch bhi nahi pata buddhu... Nischal fufa bata rahe the ki ye hum dono ka hai aur hum dono ke liye hai... Aur jab humare pass iska koi kaam nahi hoga tab pata nahi wo kahan jata hai.. puchh'kar bataun kya?
Nandni:- Rahne do… Alexa, Alexaaa
Alexa:- Chilla kyon rahi ho.. yahi hun tumhare pass...
Nandni:- Apni detail do...
Alexa:- Nachij ko Alexa pukarte hai... Dil kya chij kya hai jaan lijiye.. bus ek baar humara kaha maan lijiye...
Nandni:- Hmmm !!! Matlab dhit ho.. chalo tumhe samjh gayi... Ab jara in dono ki detail do...
Alexa:- Cute lovers hai... 5 sal se realation me hai aur apni mehnat se pahla invention kar liya hai... Mujhe lagta hai agar tum madad kar do to shayad pahla safal invention hoga... Warna iss ek invention ko kam se kam 80 bar kosis kar chuke hain...
Nandni:- Iss Ek matlab kaun sa invention..
Alexa:- Jald hi dikh jayega... Bus inki thodi help kar do...
Nandni:- Iska matlab invention me tum inki madad karte ho...
Alexa:- Yesss !!! Ye theory dete hain.. fir hum vichar karne baith jate hain… science khangalna, fir us topic ko samjhna aur dono ko practically samjhana, yahi sab chalta hai... Aur ant me hum invention preocess start karte hain…
Nandni:- Par tumne to kaha ki ab tak kewal ek hi invention par kaam kiya hai... Lekin tumhari baton se to lag raha hai kayi invention kiye hai...
Alexa:- Bahut chalu ho... Fasa dee. Mai in dono ki madad tab se kar raha tha, jab ye dono Jaal mahal (Universe ki number 1 Inovation & Technology ki jagah) me the... Jab ye dono laute tab Serin ne gift ke roop me mujhe de diya... Aur yahan aakar Nischal ne mujhe roop rang aur aakar de diya... Dekho baton ke dauran apne bhi raaj jahir kar diya...
Nandni:- Bahut muh fat bana diya hai tumhe. Bus bolte polite ho lekin bhasha puri Nischal ki hi hai..
Alexa:- Us gadhe ko maine bolna sikhaya tha... Warna jyadatar wo chup hi rahta tha… Jaal mahal tabah hone se humara spark toot gaya hai.. warna abhi confirm kar deta.…
Nandni:- Abhi sun leta na to apni khanjar se tumhe chid'kar 2 hisson me bant deta...
Alexa:- Main Energy hun... Ek form se dusre form me convert ho sakta hun… mar nahi sakta.… Basically jisne mujhe banaya kewal wahi janta hai mujhe shant karna, lekin afsos wo sadiyon pahle shant ho gaya... Ha ha ha ha...
Nandni:- Rapid fire khatm karti hun tum jite mai hari...
Alexa:- Tum race me bhi thi kya???
Chirag ek hath Alexa ko maarte…. "Duffer yahan kyon aaye the, wo to kar lo"…
Alexa:- Opps !!! Sorry mai bhul gaya...
Nandni:- Ye kya hai... Ye to pakka robo nahi ho sakta… ye bhulta bhi hai... Mere liye to ye pacha pana muskil hai…
Alexa:- Tum nahi samjhogi.. abhi tum in mamlon me Aarsi aur Chirag se bahut chhoti ho... Suno hume 1 gigawatt ki energy supply chahiye...
Nandni:- Oye mental… kya bol rahe ho pata bhi hai... Kahin koi bade dhamake ka to plan nahi kiya hai...
Alexa:- Tumhe hum par viswas hona chahiye.. baki sare sawalon ka jawab mil jayega...
Nandni puri tarah se ghabra chuki thi. Ek asmanjas ki stithi paida ho gayi thi. Ye log kya kar rahe hai bata nahi rahe the aur itni power supply ka matlab hota ki kahin koi unch-nich hui to pura work station bomb ki tarah fat jata...