• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,514
70,690
354
Is this some kind of joke ... Story likhate rahna ... Hehehe... Saste nashe chale hain ya aaj kuch kha kar aaye Rahul...

Ya fir piche se koi bol raha likh kar aao aise thread par ....
aapko jo bhi samjhna ho samjh lo sir aur hum wo hain jo koi nasa nai karte kabhi na kisi me itna dam hai ki jo hamse kuch bulwa sake baki ham to yahan naina ji wajah se aate hai unki dosti hamne unke piche le aati hai bhul jate hain hum kahan hai aur majaak me aapka dil tod baithe uske liye sorry
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Rahul

Kingkong
60,514
70,690
354
Aisa lag raha hai thread par hi bharm jaal chhaya hai.. pahle kuch aata hai... Baad me kuch aata hai.... Aur sorry kahin se wo post mujhe mazak me to nahi lagi
to kar lo jo karna hai mera sir fod deo
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
aapko jo bhi samjhna ho samjh lo sir aur hum wo hain jo koi nasa nai karte kabhi na kisi me itna dam hai ki jo hamse kuch bulwa sake baki ham to yahan naina ji wajah se aate hai unki dosti hamne unke piche le aati hai bhul jate hain hum kahan hai aur majaak me aapka dil tod baithe uske liye sorry

Dost meeting hall me baitha... Dost ghar ke hall me baitha hai... Dost class room me baitha hai .... Har jagah dost hi baitha hai... Kya milne ka tarika ek jaisa hota hai...

Yadi aapka jawab haan hai .. to jaroor aap nashe me hain ... Aur aapka javab na hai to maine kuch bhi galat nahi likha...

Rahi baat dil toot'ne ki to usme apni PhD hai.. fark ni padta ...

to kar lo jo karna hai mera sir fod deo

No comments
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,690
354
Dost meeting hall me baitha... Dost ghar ke hall me baitha hai... Dost class room me baitha hai .... Har jagah dost hi baitha hai... Kya milne ka tarika ek jaisa hota hai...

Yadi aapka jawab haan hai .. to jaroor aap nashe me hain ... Aur aapka javab na hai to maine kuch bhi galat nahi likha...

Rahi baat dil toot'ne ki to usme apni PhD hai.. fark ni padta ...



No comments
bp ki dava le high ho gawa hai aur gf ka gussa mujhpar na utaro nainu unkil ab kitni baar sorry boun thoda sa majaak bhari pad raha hai aaj mujhe ek baar fir se sorry gussa shant kar leo
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
bp ki dava le high ho gawa hai aur gf ka gussa mujhpar na utaro nainu unkil ab kitni baar sorry boun thoda sa majaak bhari pad raha hai aaj mujhe ek baar fir se sorry gussa shant kar leo
Bp ki dawa ... How u said like that.... 120/79 ... Abhi 5 minute pahle ki reading hai...

Yadi aapke suggestions par BP ki goli lunga to bp drop down hoga aur ... Mai upar .. and u jail ..
Jis baat ka gyan nahi ... Usse kyon kyon kyon .. kaun sa nasha chal raha hai ye...

Kab kiya mazak ... Mujhe dikhta to kya main aisa kahta
 
Last edited:

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,118
158
Naah aap mujhe bataeye kaise marne jayenge... Wo sale toot'kar bikhar jate hain ... Jo marne jayega khade khade hilaata rah jayega :hehe:... Pata chala sare move hawa me ho rahe aur Astak-Arhcemia ki jodi udkar aapas me hi lage hain :D ...

Baki aapke sambhavna love wali uska kya hua uidate me dekhiye aur chip wali baat bilkul sahi hai
astak - arhcemia k sath to hawai romance krna padega :ecs::ecs::ecs:
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,862
32,718
259
nice update ..nischal ne chip nikal diya aur orja kabhi soti nahi thi isliye usko1 month ke liye sula diya tha ..
par ye nischal ka guru kaun hai jo teleportation jaanta tha 🤔🤔..

itne waqt baad ek planet mila jispe sirf paani hi tha aur hero ka vimaan waha khich liya gravity ne .

ab orja hi sab kaam kar rahi hai 😍..un bade jeev se bacha liya ..

aur ab ye raja aisa kya chahta hai ki nischal aur baaki log uski madad kare 🤔..
aur serin bhi wahi par hai ..dekhte hai kaise nikalte hai waha se ..
par lagta hai raja ki madad kare bina waha se nahi nikal sakenge ..
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,118
158
Update:-24



Zindgi kab kahan kise kis mod par chaunka jaye kise pata. Jis doctor Vyas ko Nischal aur Serin uss science exhibition ke baad dhundte rahe, uska javab Orja ke dimag se mil gaya tha...


Aur Orja jo kisi remote se chal rahi jivan se pareshan thi, uski pareshani wahi ladka dur kar gaya, jise dekhne ke baad Orja ne pahli baar muskurana kya hota hai, wah mehsus kee thi...


Niyati bhi khel apne hisab se rachte rahti hai, jiska sarthak matlab to aane wale waqt me hi chhipa tha, lekin shayad Orja ka ek lambe se bure daud ka anth ho chala tha...


Orja hall me khadi ho'kar apne ander ke badlav ko mehsoos karti, chahakti hui Nischal ke gale lag gayi.… "Tumne mere dimag ke ander se wo chij hata dee"…


Nischal:- Haan, nikal diya. Micro chip kahte hain usse... Sath hi sath tumhe nind ki bhi jaroorat thi, isliye ek chhota sa nind tumhe gift kiya tha...


Orja:- Kitni der tak main soyi rahi..


Nischal:- Kitni der tak soyi rahi wo to pata nahi, lekin maine tumhe 1 mahine tak jaagne nahi diya... Shayad tunhare liye jaroori tha...


Orja:- Main teleportation kar sakti hun...


Nischal:- Haan mai tumhe dekh'kar samjh gaya tha..…


Orja:- Lekin tum mujhe dekh'kar kaise samjh sakte ho...


Nischal:- Kyonki mere guruji aisa kar sakte the...


Orja:- Kamal hai jis shakti ke liye Astak pagal bana hua hai, usse tumhare guruji kar sakte the... Kya tum bhi kar sakte ho..


Nischal:- Nahi mai to aisa nahi kar sakta aur naa hi abhi mujhe ispar koi baat karni hai... Bus tumhe itna batana tha ki uss din tum log aise hi science exhibition me nahi pahunche the. Tumhare dimag me jo micro chip laga tha wo scientist mere hi grah ke the, jo science exhibition ke din gayab ho gaye the.…


Orja:- Oh to matlab Arhcemia ka failaya jaal tha...


Nischal:- Mujhe puri baat batao... Shuru se..


Orja ne jab apni puri kahani aur Astak ke Drak Universe me chal rahe muhim ke bare me bataya, tab Nischal ke paun tale se jamin khisak gayi...… Usse samjhte der na lagi ki aane wale 1000 salon baad ka bhavishy kya hoga…


Kafi vichlit karne wala Orja ka itihaas raha tha. Nischal, Orja ki kahani sun'kar jaise kisi gahre sadme me chala gaya ho... Fir Nischal apne bachpan aur Serin ke bare me batata chala gaya…


Dono hi apne haal-E-Dil ko bayan kar rahe the… Bite waqt ki baat saajha kar'ke dono hi ander se kafi sukoon mehsus kar rahe the... Orja Nischal ke kandhe par sar rakhe, uske aur Serin ki kahani sunti rahi...


Viman apne auto-pilot mode me chalti rahi aur Orja kuch apni dil ki baat Nischal se kahti rahi aur kuch uske dil ki baat sunti rahi…


Pure 1 mahine 15 din ho gaye the black hole me bhatakte huye.… Black hole sach me ek rahasya tha. Itna waqt bita, lekin ek bhi planet ya space station kahin najar nahi aaya…


Roj ki tarah hi Orja aur Nischal mukhya hall me baith'kar kuch aapas ki, to kuch idhar udhar ki baten karte huye black hole me apna samay bita rahe the. Tabhi Nischal ko apne screen par kisi grah ka vayumandaliya kshetr ka aabahsh hua...


Nischal:- Orja kya tumhe kisi jiv ke hone ka aabhash ho raha hai... ..


Orja:- Ruko ek minute, dhyan lagane do...


Kuch der tak dhyan lagane ke baad.… "Kafi vichitr jagah hai ye... Ek hi tarah ki awaj charo ore se aa rahi hai... Aisa lag raha hai jaise koi tej-tej shwans le raha ho".…


Nischal:- Aas pass kisi grah ka vayumandaliya kshetr radar par najar aa raha hai.…


Orja:- Chal'kar dhundhte hain fir.…


Nischal ne viman grah ke ore le liya. Orja kafi utsukta se control room me Nischal ke sath baithi thi. Dono hi black hole ke pahle planet ko dekh rahe the. Bhumi to kahin najar hi nahi aa rahi thi. Aisa lag raha tha ki kisi mahasar planet me pahunch gaye the, jahan kewal aur kewal pani tha...


Milo fasla tay karne ke baad bhi ek tapu tak nahi dikha. Dono ek dusre ka muh dekhte.… "Kya yahan aaye honge"… Orja jigyasawash pucchi..


Nischal:- Lambe safar ke baad to koi bhi ek chhota sa stop lene yahan pahunchega hi, lekin rukega nahi... Chalo chalte hai...


Orja bhi Nischal ko baton par sahmati jatayi. Lekin unka viman vayumandaliya kshetr chhodta, uss se pahle hi gurutwakarshan ka itna tej asar tha ki viman khinchti hui mahasagar me girne lagi.


Nischal ne bahut kosis ki lekin gurutwakarshan itna tej tha ki wo kuch nahi kar sakta tha.…. "Viman se kud jao, warna hum bhi doob jayenge"


Nischal:- Kudne se jyada surakshit viman hai. Satah par milo tair'kar kis ore jana hai pata nahi. Viman me honge to sochne ka mauka milega...


Chhapak ki bahut tej awaj aayi aur viman pani me ghusta chala gaya. Kafi gahrai me jane ke baad viman ek chattan se kafi tej takrayi aur ludhakte-dhulakte chattan ke ek satah par jakar ruki.


Pura viman hi ulta para hua tha. Viman ulat-pulat hote hi, Orja aankhen band kiye tej-tej chinkhe ja rahi thi... Nischal apni kaan me ungli diye, Orja ko kandhe se hilate.… "Bas bhi karo, tumhari awaj to tumhare teleportation se jyada khatarnak hai, sidha dimag me chhed karta hai"…


Orja aankhen khol'kar charo ore dekh'kar fir apne hath paun aur sar ki salamti check karne lagi…. "Bach gayi"…


Nischal uski baat sun'kar hanste huye samjha hi raha tha ki iss jahaj ka pura system 360⁰ rotataion hai, tabhi upar chhat par... "Dhammmmmmmmmmm"… pura viman me kampan.… Dono chaunke.… Fir se …. "Dhammmmmmmmmm"…. "Yahan chal kya raha raha"… Nischal apna screen dekhte apne aap se kaha…


"Areeee kuch chal na raha hai, koi chhat tod raha hai"…. Orja chinkhti hui kahne lagi..


Nischal:- To tum kya party me aayi ho, dimag kharab karke dur bhagao na...


"Oh haan mai to bhul hi gayi thi... Ruk ja mahabali, tere dimag me machati hun khali bali"….


Orja apni baat kahti hui sidha uske dimag me ek madur sa sangeet dal dee. Wo jo bhi jaliya (aquatic) jiv tha, apne dono panje se sar ko pakde wahan se kinare ho gaya...


"Ab ye kya hai"…. Screen par jo dikh raha tha usse kahte the yamdut... Antriksh ke kisi bhi planet par na paya jane wala... Daityakar kaal jiv bhi jiske samne baune lage.… Muh tha ya koi highway 500 meter dur se wo jiv aa raha tha, lekin camera me uska pura muh cover nahi ho raha tha.


Jo screen par najar aa raha tha wo kewal bada sa khula muh, jiske right to left ki lenth to najar hi nahi aayi... Jo najar aa raha tha wo unche lambe nukile dant. Itna bada jibh ki uss par 1, 2 hazar bachhe, aadhe fit ki duri bana'kar slide karte huye water world ka maza le sakte the... Pura viman ko to wo tinka samjh'kar khinch le.... Jaise-jaise wo karib pahunch raha ya rahi thi, dono (Nischal aur Orja) ki aakhen badi hoti ja rahi thi...


Nischal apne dono hath Orja ki kandhe par dal'kar usse jod se hilate.… "Arre bhullakad, ab kya har jaliya (aquatic) jiv ke liye alag se teleportation karne ke liye kahna hoga"...


"Areeee main bhi kya karun, inhe dekh'kar nirbhik Nischal ki dharkane badh gayi... Main to fir bhi darpok hun"…


Nischal:- Orja janeman baad me dar lena, abhi jara himmat se kaman sambhalo...


Orja ka hatash-bhram toota. Agle hi pal wo jaliya jiv ne apni disha mod lee. Screen par 6 ghante tak kewal chamkta silver skin hi najar aata raha. Wah jo bhi jiv tha ya thi, viman ke 1 miter fasle se jaise hi apni disha bayen modi, screen par uska mudta hua sarir hi dikh raha tha… Andaje se kuch bhi kaha nahi ja sakta ki wo jaliya jiv ka sarir kitna mota tha aur wo kitna lamba tha... Bus aadhe ghante lag rahe the usse pura sarir hatane me aur kul 12 ke jhund me pahunche the...


Orja:- Ab pata chala ki black hole se log laut'te kyon nahi...


Nischal:- Haan kewal pata hi chala hai lekin ye baat hum bhi kisi ko bata nahi sakte...


Orja jhatke se apna look deti... "Kyon nahi bata sakte. Tum to palak jhapkte hi ye pura mahasagar ko upar se niche tak aur pichhe se aage tak naap loge...


Nischal, uske sar par ek haath marte... "Ye aquatic medium hai... Bhagne ke liye jamin chahiye, yahan main samanya hun"...


"Bure fase fir to"….. Orja apna chehra ghumaye Nischal se baat kar rahi thi. Wo bol hi rahi thi aur Nischal ki aakhen fir se badi ho gayi. Lekin iss baar dar ya bhay se aankhen badi nahi hui thi, balki samne ka najara dekh'kar aakhon me chamak aa gayi aur Nischal apni aankhen badi kar'ke pure najare ka luft utha raha tha…


Uffff kya najare the. Najre to hatne ka naam hi na le, ati-aakarshsk, ardh nagan manmohini, jalpariyon ka bada sa jhund ... Nischal to samne ka najara dekh'kar hi mantr-mugadh ho gaya. Nischal to khota hi ja raha tha tabhi wahan ke jalpariyon ki bhid titar bitar ho'kar gayab ho gayi. Nichal apna sar ghuma'kar, ghurti najron se dekhte.… "Iss baar teleportation yaad raha"


Orja ghuma'kar ek mukka uske chehre par jamaati.…. "Chhichoda kahina ka, stano ko aise ghur raha tha mano noch lega... Hawsi"…


Nischal:- Ye to had hi hai. Pahli baar aquatic insan samne tha. Uska bhi thik se tumne adhyan (study) nahi karne diya...


Orja:- Haan sab pata hai tunhari najren kis baat ka adhyan kar rahi thi...


Nischal:- Bahas band karo, aur yahan ke sabhi jivon aur manushyon se sampark kar'ke inke shasak ko dhundo...


Orja:- Pahle se sampark me hai... Hume bahar nikalne bol raha hai...


Nischal:- Thik hai tum yahin ruko mai bahar jata hun...


Orja:- Jab marna hi hoga to ghante, do ghante jyada jivit rah'kar kya kar lungi… ek baar sath mar'kar bhi dekh lete hain, marne me kya maza aata hai...


Orja muskurati hui apni baat kahti, Nischal ko pyar se niharne lagi. Nischal ki najren bhi Orja par tik gayi. Dono kuch pal ek dusre ko muskurate huye dekhne ke baad, apne najron ka sampark tod diye...


Nischal pahle Orja ke chair ka safety belt nikal'kar, apna safety belt nikala..… Nischal apni jagah se khada hua... Pyar se apna hath aage badhate huye.… "Kya mere sath ek romanchak safar par chalna pasand karogi"…


Pyara si muskaan apne hoton par la'kar, Orja, Nischal ka haath tham lee. Sukoon se kuch pal dekhne ke baad apni najron se pyar bikherti.… "Chalen kya"…


One way door open hua. Nischal aur Orja, hathon me hath thame, ek dusr ke najron me naren uljhaye, apni khile se chehre par pyari si muskaan ke sath, ek dusre ko dekhte, dhime-dhime kadam darwaje ke ore badha diye.


Dono ki muskaan aur najre bahar aane tak bani hi rahi. Jaise hi darwaje ke bahar aaye, dono pani me dube huye the. Nischal apni shwans thame charo ore dekh raha tha.


Kuch hi pal bite honge, tabhi Nischal ke gardan par ek starfish aa'kar chipak gayi.. pani ke ander Nischal ke pass itni bhi takat nahi thi ki uss starfish ki majboot pakad ko samanya takat se bhi nikal sake...


Nischal kafi jaddo-jehad me laga hua tha... Tabhi dimag me jaise awaj gunji ho.… "Tum bus mujhe dekho, usse chhod do. Nischal jane do usse, hath hata lo"


Awaj jaise hi dimag me gunjni shuru hui, Nischal ki najre ek baar fir Orja par thi. Pani ke niche uska roop aur bhi lubhavna tha... Lambe baal pani me lahrate huye tair rahe the. Geela chehra jaise chamak raha ho aur chehre ke upar uska khila roop... Moh gaya Nischal ko..


Wo roop me aisa khoya ki uski aakhen band hoti chali gayi... Aur jab aaken khuli to najron ke samne kafi vichitr drishya tha… Dhuyen ke rang ke chhote-chhote jaliya jiv. Aisa lag raha tha 3 inch size ka, dhuyen rang me jinn tair raho ho, jiski bindi jitni kali aakhen chamkti hui dikh rahi thi.


Aisa katai nahi socha ja sakta tha ki ye chhote hain to khatarnak nahi honge... Ek to pani me aise jhund banaye the ki aakhon ke samne chhoti-chhoti kali bindiyan charo ore saja di gayi ho... Upar se kisi ek ko thoda bhi dhakka lage to sabhi ek sath muh faad lete the...


Muh ke ander ke daant uffff. Kya dant the uske.… Yadi do danton ke bich gaps na hota to aisa lagta, jabre me ek majoot blade ko curve karke upar aur niche laga diya gaya ho. Wo bhi koi aam dhardar blade nahi tha jo sabjiyan ya sarir ka maans kewal kaat sake. Wo chhote jaliye jiv apne dant se hire tak ko kutar sakte the...


Upar se ye puri jahah, gurutwakarshan ke sangam ka anokha mishran tha. Nischal jis jahah par tha usse yadi Point Zero maan le, to uske sir par niche dhakelne wali gurutwakarshan bal (gravitational force) lag rahi thi, aur paun par upar dhakelne wala gurutwakarshan bal lag raha tha...


Aasan bhasha me kahe to Nischal 2 vayumandaliya kshetr ke bich me tha. Yun kah le ki 2 duniya ke bich me tha. Ek jahan se wo aaya tha wo duniya... Jiska vayumandaliya gurutwakarshan ne Nischal ko niche khincha.…


Dusri duniya niche ke raste se jati. Wo uss duniya ke liye upar ka hissa hota... Aur yadi Nischal uss duniya ke hawai kshetr ke upar hota, to gurutwakarshan usse khinch'kar niche issi zero point tak duba'kar laati… Yah baat kewal Nischal ya Orja ko hi nahi, balki yahan fase har kisi ko pata thi ki wo 2 duniya ke bich me hain….


Zero point, purntah ek rahashymayi duniya, jiska chhota sa aaklan karna bhi aadhe universe ko jan'ne ke barabar tha. Jis jagah Nischal aur Orja khade tha wahan kewal wo chhote jinn ke saman jaliya jiv ke alawa koi bhi najar nahi aa raha tha.


Jis sthan (place) par Nischal khada tha, usse maidaniya bhag kahna galat nahi hoga. Jahan bich me ek golakar bahut bada chattan ki ek satah (surface) thi. Uss sapat chattan ki badi si satah ke bich me, chattano ka hi kuch aasan bana hua tha, jo darsha raha tha ki yah koi aam sabha ki jagah hai, aur bich me kuch pramukh log baithte honge...


Chattan ki iss satah ke aas-pass ka 500 meter ka dayra bilkul khali tha aur uss khali jagah ke aage charo ore se shuru hota tha ek garden... Parwat shrinkhla ka ek anokha garden jo hazaron kilometer ke khetr me faila tha...


Pahle hi bataya tha rahashymi jagah thi... Iss parwat shrinkla garden me ek parwat jo tha wo aade-tirche dhanche (Zigzag shape) me kisi minar ki tarah tha, jiske upar ki unchai gardan uthakar dekhne par bhi nahi pata chal rahi thi.. aur niche ki gahrai gardan jhuka'kar bhi nahi dekhi ja sakti thi...


Ek parwat 40 fit mota gol-aakar ka tha, jiske shurwaat aur anth ko nahi dekha ja sakta tha. Pura ilaka hi aise 40 fit mote parwaton se bahada hua tha. Nischal yahan ki banawat me hi khoya tha tabhi achanak har patwat par tare ki tarah rang-birange log tim-tima rahe the. Ji haan rang-birange log jo parwat ke khoh yani ki maand (cave) se bahar aakar khade the, aur ek parwat par aise kitne maand honge jiska ginti kar pana muskil tha.


Aisa lag raha tha, rang birange log apne chhat ki bolcony se, apne chhote se pariwar ko le'kar Nischal aur Orja ko dekhne aaye the. Dur-dur tak charo ore jahan bhi najar jaye, kewal chamkte aur timtimate log najar aa rahe the.


Nischal aur Orja wahan ke charo ore ke mahol ka jayja le rahe the… tabhi Nischal apne mann me bola.… "Hum mar gaye hain kya"???


Orja:- Nahi, yahan ka Raja aane wala hai, isliye ye timtimate log bahar nikle hain…


Nischal:- Hum shwans kaise le rahe...


Orja:- Starfish apne garadan se chipak'kar ander hawa supply kar rahi hai...


"Tum humari duniya me kyon ho"….. Ek awaj pani me gunji. Haan ye bhasha Nischal ko samjh me nahi aayi thi, lekin Orja puri tarah samjh gayi thi…


Samne is aquatic samrajya ka shayad Raja khada tha... Dekhne me bhavya aur koi divya roop hi tha…. Orja uske samne apna sar jhukati hui kahne lagi…. "Shashak hum yahan apne sathi ko dhundhte huye pahunche hai"… ..

Raja:- Tum yahan eklauti aisi ho jiski shaktiyan aur siddhiyan kaam kar rahi hain... Tum alokik ho... Lekin tunhare sath ye ladka dushit hai... Thik uss ladki ke jaise, jo kuch din pahle yahan pahunchi thi... ..


Nischal bus muk darshak bana hua tha kyonki… "chai, chu" ki awaj to ek ore ki sunai de rahi thi, lekin uska matlab nahi pata tha. Aur Orja sare sawal javab mann me kat rahi thi. Tabhi Orja, Nischal ke mastishk tak sandesh pahunchane lagi.… "Serin aur tumhare sabhi sathi yahin hai"…


Nischal, hadbadi me Orja ka hath pakad'kar hilate huye jor jor se kahne ki kosis karne laga ki puchho wo kahan hai, lekin wo vyakulta me bhul gaya ki pani me bol nahi sakta tha....


Orja, Nischal ko shant kar hi rahi thi ki wo Raja fir bola.… "Tum log khud yahan se nikal sako to chale jao. Kisi ne nahi roka. Yadi niklne humari madad chahiye to jitne log yahan se nikalna chahte hain, humari madad ke badle wo bhi humare liye madad kare. Yahan kuch aisa humare liye kare jise dekh'kar hum unke liye kuch karne ko raji ho jaye. Yahan se nikalne ke dono sujhav maine de diye hain. Yadi dono me se koi pura na kar pao, to inhi parwaton ke kisi maand me apna pariwar basa lena, tum sab yahan surakhit ho"…


Raja apni baat kah'kar wahan se lagbhag gayab sa ho gaya. Orja hairani se uss Raja ke prastav ko sun'ne ke baad, Nischal ko dekhne lagi.….
lazwab update bro..................
orja ki nind puri krne k bad uske sath bitaye kuch hal - e - dil byan krne wala wkt khtm hua.............
or dono 2 duniya ke madhya anthin samundar m jaliya jivo ki nyi duniya m aa gye...............
kher orja ki teliportation kafi kam aayi dono ko.................bde jivo se bachane m bhi or unse sampark krne m bhi..................

dekhte h ab ye inki madad krke kb tk serin or team ko bacha kr le jate h................
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,877
143
Ha to ye pehuch gaye kisi andiyare panial grah me jaha rakh di gayi dimand ,ab wo dimand kya hai wo ye timtimta shasak hi Jane, aur ye puri bhi ho hi jani hai ,magar ek bat jo khatak rhi hai ki char - char jodi bana lene wala apna nishchal kya orja ki taraf bhi aakarshit ho rha hai. Aur uska atit janne ke bad ek tarah se uske liye fikramand bhi hai hi. Nandu aur nishchal ka rishta bhi kuch aese hi shuru hua tha jaha dono ek dusre ke liye chintit rehte hai jaha sab hai magar sex nahi ,ker dekhte hai inka ye man ki bato wala rishta kaha tak pehuchta hai. Bhivshya me nishchal ka dark universe jana nishchit hai hi to waha bhi usey orza jesi sathi ki jarurat to padne hi wali hai ... Aur bat jaha tak is charo namuno ki hai hmm kya kehte hai supraaa .. whatever ,ye pehla shikar honge nishchal and company ka ...lekin ussey bhi pehle jaruri hai un logo ka khatma jo dost ke rup me dushman hai uski charo jodiya unke pita aur un jodiyo ke boyfriends.. kher jivisha ki kahani lagta hai rok hi di hai lagta hai wo bhi vyom ke sath apni pyar ki pinge badane me vyast hogi .. aur agar sachmuch aap nishchal ka vansh aage badane ka midium un 4 sundriyo ko bana rhy ho to ye thik nahi lagta ..uska vanshaj jivisha se hi hona chahiye .. baki jald se jald dono ki yade wapus aaye aur ek sath hi aaye ..to thik rehega .. villain villain bahut ho gaya hai ab jara hero heroine ka bhi tandav hona chahiye
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top