- 5,841
- 16,881
- 174
Last edited:
MEGA UPDATE
Update 72
Unanswered questions
[Some Past Memories]
Recap: In the previous episode humne padha tha ki kaise Arjun ne Keerthi ka problem apni Rashmika mausi ki help se solve kar diya tha aur Rohan ki puri family mein phir se smileaa gayi thi aur sath hi sath khushi bhi laut aayi thi. Sath mein humne ye bhi padha tha ki Arjun ne apni udarta ka parichay dete huye kaise Rachit ko maaf kar diya tha aur sath hi sath uski help bhi kiya.
Now next>>>
Arjun aur Kajal dono breakfastke baad college chale gaye.
Class room mein Sriya mam ne physics mein Electric potential ko select kiya jise Arjun aur Rashi ne bahut achhe se explain kiya.
***
[College Canteen]
Lunch break par sabhi friends ek sath canteen par baithe the.
Rohan: ThanksArjun tumne meri bhabhi ki problem ko solve kar mere ghar mein phir se khushi wapas la diya yaar.
Arjun: Ye kya bhai tum aise mujhe thankskaroge kya main kabhi musibat mein phasa to tum meri help nahi karoge kya?
Rohan: Kyon nahi karunga bhai definitely karunga.
Arjun: To bas bhul jao phir is baat ko aaj maine tumhare liye kuchh kiya hai, kal tum mere liye kuchh karoge yahi is jivan ka wasul hai mere dost, sabhi yahan par ek dusre par dependent hain koi akela survive nahi kar sakta hai yahan par.
Rashi: Tumne bilkul sach kaha Arjun par jo bhi ho tumhari wajah se mere Rohan ke face par smileaa gayi ye mere liye bahut hi khushi ki baat hai.
Krithi: Bhai kya tum hume bata sakte ho ki Rohan ki bhabhi ki kya problem thi jiski wajah se ghar mein itni problem ho gayi thi?
Arjun: Sorrydidi main aapko nahi bata sakta hoon ye kisi ki privacy ka sawal hai, I am sorry
.
Krithi: Thik hai koi baat nahi bhai yadi tum nahi bata rahe ho to jarur koi serious baat hogi, jo tum hume nahi bata sakte ho tum koi bhi chij bina kisi karan ke nahi karte ho I am proud of you bhai.
Wahin Nivetha ek baar phir se Arjun se impress hone se khud ko rok nahi payi ki Arjun kisi ki bhi private baat ko privacy(secret) rakhta hai aur kisi ki emotions ko hurt bhi nahi karta hai, jo jaruri hai wahi karta hai mera decision bilkul sahi hai ki maine Arjun ko chuna hai apni first time ke liye.
Aaj Arjun ne thoda sa aur Nivetha ke dil mein apne liye jagah bana liya tha aur dhire dhire Arjun Nivetha ke heart mein apni ek alag hi pahchan banane laga tha.
***
[KAJAL HOME]
College ke baad Arjun aur Kajal dono ghar laut aaye.
Dopahar ke bhojan ke baad sabhi family ek sath baithe the jisme Shreya bhi unke sath hi thi.
Arjun: Chachi ab to mujhe aapki mausi ka name bhi pata chalne ke sath hi sath Divya nani aur Pavitra nani ka milan bhi ho gaya hai ab main aap dono bahno ki story janna chahta hoon ki kaise Divya nani ne aap dono ko itna kabil banaya hai.
Kajal: Okay aaj hum dono bahne aap sabko jarur hamari story batayenge short mein jo janna jaruri hai baki unnecessary baten exclude kiya jayega.
***
[FLASHBACK: 26 Years Ago]
[Story of Kajal and Rashmika]
Kajal: Hum dono bahno ne tumhe pichhli baar yahan tak bataya tha ki hamare papa ki deathtab hi ho gayi thi jab hum dono bahne 4 years ki thi aur hamari abhi present age 30 years hai yani story aaj se 26 years pahle ki hai.
Rashmika ne baat ko aage badhate huye kaha.
Rashmika: Maa ke pass hum dono bahno ke alawa koi nahi tha dad ki to pahle se hi family nahi thi aur maa ki apni family mein unke maa aur papa ki death ho chuki thi aur unki badi bahan Pavitra mausi unhe chhod kar chali gayi thi, ab maa ke pass two raste the ya to maa tut kar bikhar jati ya phir hume is duniya mein jine ke kabil banati.
Kajal: Maa ne dusra option sangharsh ka rasta chuna lekin maa ke liye ye itna bhi easy nahi tha, kyonki maa ko hum dono bahno ko achhi education aur achhi tarah se palan poshan karne ke liye jo sabse jyada jaruri thi wah thi moneyaur iske bina maa hume na achhi tarah se padha pati, na achha bhojan de pati aur na hi hume achhe kapde dila pati jaisa ki tumne meri maa ki story mein jana tha ki kaise maa ko in sab chijo se dur rahna pada tha aur maa ki family kitni hi kathin paristhiti se gujri thi.
Rashmika: Maa ne hamara school mein admission kara diya aur sath hi sath apni electronics shop ko sambhal rahi thi jisse parivar ka kharch uthaya ja sake, ek sath maa ko kai sari chije akele hi karna pad raha tha, hum dono bahno ko schoolle jana phir chhuti ke samay wapas lana, ghar ka kaam karna aur sath hi sath hum dono bahno ka school ki homework karne mein sahayata karna.
Kajal: Maa ko iske alawa shop ki saman ko khatam ho jane par unhe dusri jagah se lana, maa ka pura din aur raat bas kaam aur kaam mein hi simat kar rah gaya, unhe apne liye kuchh karne ya sochne tak ka time nahi mila.
Rashmika: Lekin maa apni jimmedari puri tarah se nibha rahi thi aur hume achhe se sambhal rahi thi halanki ye maa bahut hi mushkil se kar pa rahi thi.
Kajal: Two years gujar gaye aur phir ek din maa ke life mein ek lady ki entry huyi kya tum bata sakte ho Arjun kaun ho sakti hai wo lady?
Arjun: Yes ye bahut hi easy question hai wo lady Seetha nani ke alawa aur koi ho hi nahi sakta hai am I right Chachi??
Rashmika: Bilkul sahi answer hai tumhara Arjun wo lady Seetha aunty hi hai.
Kajal: Lekin Seetha aunty ke hamare life mein aane se ek bahut hi bada parivartan aaya hamare life mein.
Rashmika: Ab Seetha aunty ne electronics shop ki jimmedari khud ke kandho par le li aur ab maa ka sirf kaam rah gaya hum dono bahno ki dekhbhal karna aur ghar ka kaam karna.
Kajal: Ab hum dono bahne 6 years ki ho chuki thi aur ab maa hum dono bahno ko education ke sath sath hum dono bahno ko ghar par hi exercise karane lagi, school ki homework mein hamari help karti aur dhire dhire time gujarta chala gaya aur hum dono bahno ne jo exercise kar rahi thi kab wo exercise karate mein badal gayi hume kuchh pata hi nahi chala aur hum dono bahno ne 10th class tak aate aate karate mein puri tarah se nipun ho gayi thi.
Ek din maa ne humse kaha.
Divya: Main tum dono bahno se bahut hi jayada impressed hoon tum dono na keval karate mein nipun ho gayi ho balki padhai mein bhi tum dono apni class mein behtar parinam hasil kar rahi ho.
Kajal: Maa ye aapki hi koshish ka parinam hai ki humne itni kam age mein hi karate mein nipun ho gayi hain aur jahan padhai mein behtar karne ki baat hai to.
Rashmika: Ruko didi mujhe maa ko batane do ye baat.
Kajal: Thik hai Rashmika tum hi bata do maa ko.
Rashmika: Maa hamare class mein ek ladka hai jiska naam hai Akhil padhne mein bahut hi jayada brilliant hai aur hamesha hum dono bahno ki help karta hai, jiske karan hum teeno hi class mein achha kar pa rahe hain.
Divya: Kaun hai wo ladka uske bare mein kuchh pata hai tum dono ko?
Kajal: Ha maa uski family mein uske bade bhaiya aur bhabhi hain aur unka ek 3 years ka baccha hai us bacche ke naam hai Arjun.
Divya: Lekin mujhe ek baat hajam nahi huyi Kajal beti ki ek bhai ki shadi ho chuki hai aur ek three years ka baccha bhi hai aur ek bhai abhi sirf 10th class mein padh raha hai ye kuchh ajib baat hai.
Kajal: Ye to main bhi nahi samajh payi maa ki dono bhai ke age mein itna gape kaise hai?
Divya: Chalo koi baat nahi raha hoga koi karan lekin Kajal ek baat ka dhayan rakhna kahin kuchh galat mat kar baithna us ladke ke sath.
Rashmika: Maa aap kyon chinta karti hain kya aapko apni parvarish par bharosa nahi hai, aap bilkul tension free rahiye Kajal didi koi bhi galat kadam nahi uthayengi ye promise main karti hoon aapse.
Kajal: Ha maa Rashmika sahi kah rahi hai main apna sar to kata sakti hoon lekin aapka sar jhukne nahi dungi kisi ke samne.
Divya: Mujhe pura bharosa hai apni dono betiyon par ki tum dono koi bhi galat kadam nahi uthaoge lekin paristhiti kab aur kaise badal jati hai iska koi andaza bhi nahi laga sakta hai.
Seetha jo shop se wapas laut rahi thi ghar ke andar dakhil hote huye boli.
Seetha: Paristhiti chahe kaisi bhi bane mujhe to apni dono betiyon Kajal aur Rashmika par pura bharosa hai ki ye dono kabhi bhi koi galat kadam nahi uthayengi jisse hum dono ko sarminda hona pade.
Hum dono bahno ne jakar Seetha aunty ko gale se laga liya.
Aur unse alag hote huye Kajal ne kaha.
Kajal: Aapne bilkul thik kaha aunty hum dono ko aap dono ne bahut achhe se shiksha di hai ki hume kya karna hai aur kya nahi karna hai, aap dono ne hume bahut hi achhe sanskar diye hain.
Raat mein bhojan ke baad hum dono bahne maa aur aunty ki pair dabati aur unki badan ke dard ka khayal rakhti.
Kajal: Time gujra aur hum dono bahno ne 10th class ki exam pass kar li jisme hum teeno ne pure Karnataka state mein top kiya.
Kajal: Jisme tumhare chacha Akhil ko 1st rank hasil hua aur hum dono bahno ko equal marks mile jiske karan hum dono combined roop se 2nd rank par rahe, wahi Shruti jo Kajal didi ki bestfriend hai usne 4th rank hasil kiya aur wahi meri bestfriend Pooja aur Amala ne bhi apni jagah top 10 mein banane mein safal huyi thi.
Rashmika: Hum sabhi Pancho saheliya main, Kajal didi, Shruti, Pooja aur Amala aapas mein result ki baat kar rahe the.
Rashmika: Result ke baad Akhil hamare pass aaya aur hum dono bahno se kaha congratulations aap dono ko pure state mein top karne ke liye.
Kajal: Thanksaur aapko bhi mubarakbad Akhil aapne pure state mein top kiya hai.
Akhil: Thank you Kajal aur mujhe tum dono se ek aur important baat karni hai.
Rashmika: Kaho Akhil hum sun rahe hain.
Akhil: Kajal maine apni bhabhi Ravina se tum dono ke bare mein bataya hai meri bhabhi tum dono se milna chahti hain.
Kajal: Okay main maa se puchh kar tumhe batati hoon mujhe apna number de do main tumhe call kar bata dungi.
Kajal: Akhil ne mujhe apne ghar ka number de diya uske baad Akhil apne ghar chala gaya aur hum dono bhi apne ghar aa gaye.
Hum dono bahne school se wapas aa gayi.
Rashmika: Ghar par maa akeli thi Seetha aunty shop par thi.
Divya: Kaisa raha tum dono ka result?
Rashmika: Ji maa bahut hi achha raha hai aur ha maa maine aur Kajal didi ne pure state mein top kiya hai hum dono ne hi 2nd rank hasil kiya hai aur aapko ek maje ki baat batau maa.
Divya: Kya kahna hai tumhe bolo main sun rahi hoon.
Kajal: Wo maa Rashmika ye kahna chahti hai ki Akhil ne pure state me 1st rank hasil kiya hai aur unki bhabhi hum dono bahno se milna chahti hai maine Akhil se bol diya hai ki main maa se puchh kar bataungi.
Divya: Ye to achhi baat hai ki tumhare dost Akhil ne pure state mein 1st rank hasil kiya hai par Akhil ki bhabhi tumse kyon milna chahti hai?
Kajal: Ab ye to mujhe bhi nahi pata maa ki Akhil ki bhabhi mujhse kyon milna chahti hain.
Divya: Okay main bhi tum dono ke sath jaungi unhe call kar bata do.
Kajal: Ji maa main abhi bata deti hoon hum kab ja rahe hain Akhil ke ghar??
Divya: Kal sham 5 pm ke baad Seetha aunty ke aane ke baad jayenge.
Kajal: Okay maa main call kar bol deti hoon.
Kajal: Maine Akhil ko call kar bata diya ki hum tumhare ghar kal evening mein aa rahe hain.
Rashmika: Wahin evening mein jab Seetha aunty ghar aayi to humne aunty ko apni result ke bare mein bataya, aunty bhi kaphi khush ho gayi ki unki dono betiyon ne pure state mein top kiya hai.
Kajal: Agle din hum sabhi Arjun ke ghar gaye jab Arjun keval 4 years ka tha.
Arjun: Mujhe kuchh bhi yaad nahi hai Chachi.
Rashmika: Humlog tumhari puri family se mile jisme sirf tum, tumhare chacha Akhil, tumhari maa Ravina aur tumhare dad Mahendra the.
Kajal: Hum sabhi ne ek sath bhojan kiya tum apni maa Ravina ke gaud mein the tumhari maa Ravina ne meri maa Divya ko apne pass bulaya.
[[[[Divya and Ravina]]]]
Divya: Ji kahiye kya kahna hai aapko jo aapne hume milne ke liye bulaya hai.
Ravina: Sabse pahle kya main aapko maa bula sakti hoon jab main bahut chhoti thi tab hi meri maa mujhe chhod kar is duniya se chali gayi thi.
Kajal: Kyonki meri maa Divya ne bhi apni maa ko bachpan mein hi apni maa ko kho diya tha, jab maa ka janam hua tha aur jis maa baap ne pala tha unki bhi deathho gayi isliye meri maa Divya bahut achhe se Ravina didi ki dard ko samajh pa rahi thi isliye meri maa Divya ne ha mein swikriti de diya.
Ravina: Phir thik hai maa main aapse ye kahna chahti hoon ki mera devar Akhil aapki beti Kajal se prem karta hai aisa mujhe lagta hai kyonki ghar par hamesha hi Kajal aur Kajal ke bare mein baat karta rahta hai aur yadi Kajal is ghar ki bahu banti hai to main Kajal ko apni bahan ke jaisa khayal rakhungi.
Divya: Wo to thik hai Raveena beti par Akhil aur Kajal ka kya decision hai ye janna hamare liye jaruri hai hume pahle unki raay jaan leni chahiye.
Rashmika: Raveena didi ne sabko ek sath bulaya.
Kajal: Puri family ek jagah jama ho gayi.
Raveena: Akhil kya tum Kajal ko pasand karte ho dekho jo bhi sach hai bol do darne ki jarurat nahi hai.
Akhil: Ji bhabhi main Kajal ko chahta hoon par mujhe ye nahi pata hai ki Kajal mujhe accept karegi bhi ya nahi.
Kajal: Tum aisa soch bhi kaise sakte ho Akhil main bhi tumhe pasand karti hoon par kya karun maa ki izzat ki baat hai aise kaise tumhe pahle hi ha kah deti.
Seetha: Lo ji ho gaya ye dono to pahle se hi ek dusre se pyar karte hain sirf kabhi ek dusre ko bata nahi paye.
Raveena: Phir thik hai aaj se in dono ka hum rishta pakka kar dete hain, lekin ek shart hai tum dono koi bhi galat harkat nahi karoge shadi se pahle.
Akhil: Ji main koi galat harkat nahi karunga jisse mere bhaiya aur bhabhi ki badnami ho.
Kajal: Maa main bhi aapko ek promise karti hoon main bhi koi galat harkat nahi karungi.
Rashmika: Didi ye aapka Arjun bilkul aapke gaud mein shant shant hai kuchh bhi bolta nahi hai kya, jab se hum sab aaye hain isne ek word bhi nahi bola hai abhi tak??
Raveena: Ab main aap logo ko kaise bataun ki Arjun mere alawa kisi se bhi baat nahi karta hai aur na hi kisi ke pass jata hai.
Kajal: Ye aap kya kah rahi hain didi aisa kaise ho sakta hai is age mein to bacche sabke sath easily ghul mil jate hain.
Raveena: Ha tumne thik kaha Kajal par mera Arjun aisa nahi hai, Arjun kisi ke pass nahi jata hai yahan tak ki Akhil aur apne papa Mahendra ke pass bhi nahi jata hai Arjun normal ladkon jaisa nahi hai.
Rashmika: Arjun idhar aao babu mere pass aa jao apni mausi ke pass aa jao main tumhe pyari pyari kissi dungi.
Kajal: Aur pata hai maa ji, Dhruv aur Shreya, Arjun ne kya kiya?
Shreya: Kya kiya didi?
Kajal: Arjun ne Rashmika ko aise dekha jaise Rashmika koi alienho aur Rashmika se Arjun ko koi khatra ho.
Raveena: Jao Arjun unke pass jao wo tumhe kuchh nahi karegi aur tumhe kissi bhi to milne wali hai jaise main tumhe kissi deti hoon.
Arjun: Nahi na mumma mujhe aapke alawa kisi ke pass nahi jana hai aur mujhe aapke kissi ke alawa aur kisi ki kissi nahi chahiye mujhe sirf aap chahiye.
Rashmika: Aao Arjun achhe bacche zidd nahi karte mere pass aao, main tumhe kuchh bhi nahi karungi aur tum jo bhi mujhse mangoge main tumhe jarur dungi.
Arjun: Nahi main aapke pass nahi jaunga aur mujhe jo bhi chahiye main apni maa se le lunga, mujhe meri maa ke alawa aur koi nahi chahiye aap gandi ho aap mujhe achhe nahi lagte ho.
Kajal: Chhod do Rashmika Arjun ko pareshan mat karo.
Rashmika: Aaj to main Arjun ko chhod de rahi hoon lekin ek din aayega jab main puri tarah se Arjun ka darr dur kar dungi.
Kajal: Uske baad hum sabhi wapas ghar laut aaye.
Rashmika: Hum sabhi ne same college mein admission karaya hum sabne Science mein Mathematics chuna sirf Shruti ne biology chuna.
Kajal: Hum sabhi college jate rahe aur ham sabhi ka dosti ek dusre se strong hota chala gaya is dauran hum kai baar Arjun ke ghar aaye aur Arjun se baat karne ki try karte rahe lekin kabhi bhi Arjun ne humse koi bhi baat nahi kiya ab Arjun bhi school jane laga tha.
Rashmika: Arjun school to jane laga lekin Arjun ko bacche kaphi pareshan karte koi uska bookphad deta, to koi Arjun ka pen le leta, to koi Arjun ko pit deta aur Arjun itna darpok tha ki kisi ko bhi kuchh na bol pata ghar aakar apni maa se kahta maa aaj ek ladke ne mera book
le liya, maa ek ladke ne mujhe mara, maa aaj ek ladke ne mera pen le liya ab main school nahi jaunga padhne ke liye, har ek din sirf Arjun kisi na kisi bacche ka shikayat hi karta rahta Arjun ko pata hi nahi tha ki wah khud hi apne in sabhi problem ka karan tha aur wo tha Arjun ka darr.
Kajal: Raveena didi sabhi se Akhil aur apne pati Mahendra se kahti ki Arjun ki problem ko solve kar do, par Arjun ki problem to Arjun khud tha wah kisi se kuchh bol hi nahi pata tha apni maa ke alawa yahi uski sabse badi problem thi, Arjun ke is problem ko dur hone ka matlab tha Arjun ka darr dur hona.
Rashmika: Aise mein ek din Ravina didi ne mujhe Arjun ke bare me6 kuchh sochne ke liye kaha.
Ravina: Rashmika main Arjun ka kya karun wo roj kisi na kisi ka complain karta hi rahta hai mujhse, Arjun ko pata hi nahi hai ki Arjun ko kya karna hai, yadi aisa hi chalta raha to Arjun kabhi mere alawa kisi dusre se baat hi nahi kar payega aur sabhi ko apne liye khatra(threat) samajhta rahega.
Rashmika: Didi mere pass Arjun ke problem ka ek solution hai magar aapko isme mera sath dena hoga bolo manjur hai.
Ravina: Thik hai mujhe kya karna hoga main kuchh bhi kar sakti hoon apni Arjun ke liye??
Rashmika: Didi Arjun kahan hai abhi?
Ravina: Arjun mere room mein hai wah hamesha mere hi sath rahta aur sota hai.
Rashmika: Didi main Arjun ke pass ja rahi hoon aap andar mat aayega okay, chahe kuchh bhi ho jaye jab tak main aapko andar nahi bulati hoon.
Ravina: Tum karne kya wali ho Rashmika Arjun ke sath jo aisa bol rahi ho?
Rashmika: Main kuchh nahi karne wali hoon, jo karega Arjun hi karega aap bas bahar rahiye baki sab mujh par chhod dijiye main sab sambhal lungi.
Ravina: Okay mujhe tum par pura bharosa hai Rashmika main andar nahi aaungi par dhayan rakhna Arjun ko jayada pareshan mat karna.
Rashmika: Thik hai didi aur main Arjun ke pass chali gayi Arjun apne bedpar baitha khel raha tha apne khilone ke sath, main Arjun ke pass jakar achanak se Arjun ko pakad kar uske sath jabardasti uske galon par kiss
karti rahi aur uske gaal ko dhire dhire apne danton se katti rahi aur Arjun ka rona dhire dhire badhta raha aur wahin Ravina didi kamre ke bahar Arjun ke rone ki aawaj sunkar bahar pareshan hone lagi par Ravina didi andar nahi aayi.
Rashmika: Aur jab Arjun se dard bardast karna mushkil ho gaya to Arjun ne apni daton se mujhe bhi wapas katna shuru kar diya hum dono hi ek dusre ko katne lage aur jab mujhe laga ki mera kaam ho gaya hai to maine Arjun ko chhod diya.
Rashmika: Didi ab aap andar aa sakti hain.
Rashmika: Ravina didi kamre ke andar aa gayi.
Ravina: Ye tumne kya kiya Rashmika tum Arjun ki problem ko solve karne ke bajay tum khud hi uske liye problem ban gayi, tumne mere Arjun ko rula diya ye tumne bilkul bhi achha nahi kiya, maine tumhe Arjun ki problem ko dur karne ke liye kaha aur tumne aur ulta Arjun ko hi dard de diya.
Rashmika: Didi sayad aapne gaur nahi kiya maine Arjun ki problem solve kar di hai.
Ravina: Ye tum kya kah rahi ho Rashmika?
Rashmika: Didi mere gaal ko dhayan se dekhiye.
Ravina: Ye kya Rashmika tumhare gaal se to khun bah raha hai.
Ravina: Ye tumne kya kar diya Arjun tumne Rashmika ke gaal ko katkar khun nikal diya aaj main tumhe iski saja dungi.
Rashmika: Ruk jaiye didi aur meri baat ko dhayan se suniye.
Rashmika: Arjun jis parkar abhi tumne mere gaal ko kaat liya jab main tumhe nuksan pahuchane lagi aur tumse dard bardasht nahi hua to thik usi parkar se jab koi tumhare sath koi gandi harkat kare koi tumhe mare, koi tumhe pareshan kare to tum bhi agli baar se bilkul waisa hi karna jaisa ki abhi tumne mere sath kiya aur ha tumhe mujhse darne ki jarurat nahi hai main bhi tumhari maa jaisi hi hoon, aur yadi tum mere sath rahoge to main tumhe waisi hi kissi dungi jaisa tumhe Ravina didi deti hai agli baar se tumhe koi dard nahi dungi.
Arjun: Kya ab se aap mujhe apni dant se nahi katogi.
Rashmika: Bilkul nahi balki ab main tumhe pyari pyari chumi dungi yahan aao mere pass.
Rashmika: Jo Arjun kisi se baat nahi karta tha kisi ke pass nahi jata tha us din mere pass aa gaya aur mujhse baat bhi karne laga jante ho Shreya aisa kyon hua tha us din?
Shreya: Nahi didi mujhe iska answer nahi pata hai.
Kajal: Arjun tumhe samajh aaya ki tum us din kyon Rashmika se baat kar rahe the aur Rashmika ke pass chale gaye the?
Arjun: Ji nahi my queenmujhe bhi Shreya bhabhi ke jaisa hi kuchh bhi samajh nahi aaya maine waisa kyon kiya tha?
Rashmika: Maine tumhe jayada hi dard diya Arjun jisse tumhara Darr mere liye khatam ho gaya kyonki jab kisi ko had se jayada peeda diya jata hai ya use pareshan kiya jata hai to ek samay aisa aata hai jab wah vyakti vidroh karta hai aur exactly tumne us din wahi kiya.
Arjun: Achha mausi aap to badi chalak nikli aap mere dard sahne ki shakti ko antim chhor tak le gayi aur jab mera sahan shakti khatam ho gaya to maine aapko wapas dant se kaat diya matlab jaise ko taisa(tit for tat).
Kajal: Exactly isi tarike ka istemal kiya Rashmika ne tumhara darr dur karne ke liye my king.
Rashmika: Phir tum mere pass aaye aur main tumhe waisi hi kisskarne lagi jaisi kiss
Ravina didi tumhe deti thi aur uske baad dhire dhire tum badalne lage aur mera kahna manne lage jaisa tum Ravina didi ka mante the aur dhire dhire tum sabhi ke pass jane lage kyonki ab tumhare darr ko maine khatam kar diya tha, jiske karan tum logo se kuchh had tak ghulne milne lage aur is baat se sabse jayada khushi tumhare dad aur tumhare chacha Akhil ko hi huyi kyonki wo dono hi tumhare pyar ke liye, tumhare sath khelne ke liye aur tumse baat karne ke liye 6 years se taras gaye the.
Kajal: Wahin jab tumne apne dad ko pahli baar dad kahkar pukara to tumhare papa ki ankhon se ansu ki dhara bahti chali gayi aur rukne ka naam hi nahi le rahi thi wahin tumhare chacha Akhil ka bhi haal kuchh waisa hi tha aur jab dono tumse gale lagkar alag huye to tumhare dad ne Rashmika se kaha.
Mahendra: Rashmika aaj se main tumhe Arjun ki jimmedari deti hoon, tum iska khayal rakhna aur iska har achhe aur bure ka decision main tumhe deta hoon.
Rashmika: Ji dhanyawad main Arjun ka pura khayal rakhungi aur maine apne ghar jakar sabhi ko bataya to sabhi ke face par ek gajab ki smileaa gayi thi.
Kajal: Uske baad to phir Rashmika jab chahti tumhe kisskarti rahti jab bhi Rashmika ka kiss
karne ka mann karta tumhare pass aa jati jaise tum Rashmika ke liye ek khilona ban gaye the.
Kajal: Wahin hum sabhi ne 12th mein achha score kiya aur hum sabhi ne engineering ke liye entrance ka exam diya.
Rashmika: Maine Computer science ko chuna, Kajal didi aur tumhare chacha Akhil ne chemical engineering chuna sath hi sath Pooja aur Amala ne bhi computer science ko chuna wahin Shruti dusri city chali gayi kyonki usne medical ko chuna tha.
Kajal: Hum sabhi apni apni studies kar rahe the aur finally humne 4 years ke baad apni B.TECH complete ki aur usi year mein Akhil ne UPSC ka EXAM clear kiya aur IPS ke liye select ho gaya.
Rashmika: B. TECH ke baad hi Kajal didi ki shadi Akhil se ho gayi jab didi ki age 22 thi aur Arjun 11 years ka tha.
Kajal: Aur ek maje ki baat bataun Shreya?
Shreya: Ji didi kahiye.
Kajal: Arjun ki dosti sabse ho chuki thi par Arjun sabse jayada close Rashmika aur apni maa Ravina didi ke sath tha.
Kajal ne apni baat ko aage badhate huye kaha.
Kajal: Maine apni pahli hi rasoi me6 chhole aur bhature banayi thi aur Arjun ko itna pasand aaya ki Arjun ka sabse favourite dish ban gaya aur isi bahane Arjun dhire dhire mere sath bhi close hota chala gaya aur meri baat bhi sunne laga.
Rashmika: Aage Akhil jiju is diamondcity mein aa gaye kyonki unki job yahi lag gayi thi aur Kajal didi ko wahin Pearl
city mein hum sabhi ke sath rahna pada kyonki Kajal didi ne wahin par M.TECH mein admission le liya tha.
[[[NOTE: Abhi Arjun jahan apni study kar raha hai us City ka naam diamondcity hai aur Arjun ke maa Ravina aur Kajal ki maa Divya jis city mein rahti hai us City ka naam pearl
city hai dono hi city Karnataka mein hai aur ye city real nahi hai my friends meri imagination ki hai okay, so don't try to understand ki ye dono city Karnataka me kahan se aa gayi]]]
Kajal: Wahin main apni study karne lagi aur Arjun ko maine fighting ki training dena start kar diya jab Arjun 11 years ka tha aur kabhi kabhi Rashmika bhi hum dono ko join kar leti aur ab Arjun lagbhag nipun ho hi chuka hai par hamesha apni skills mein sudhar karta hi rahta hai sath hi sath naye naye techniques aur moves sikhta rahta hai.
Nadhiya: Chalo Kajal aur Rashmika aaj tum dono ke karan mujhe Arjun ke bare mein bahut kuchh naya aur interesting janne ko mila.
Shreya: Didi kya aap sab ki story itni hi hai ya aur bhi hai?
Rashmika: Bahut hai Shreya sab kuchh ek hi din mein nahi bataya ja sakta hai sirf jo jaane ke liye sabse jyada important hai hum dono ne wahi bataya hai aage ki story kal batayenge.
Dhruv: Maa, mausi aur Arjun bhaiya aap sab ki story to mujhe bahut hi achhi lagi.
Arjun: Tumhe sabse jayada kya achha laga Dhruv is puri story mein?
Dhruv: Yahi bhaiya ki kaise Rashmika mausi ne aapke darr ko khatam kiya aur aapko nidar banaya.
Arjun: Mujhe bhi sabse jayada yahi pasand hai mere chhote bhai.
Arjun ne aage kaha.
Arjun: Aaj main jo bhi hoon apni mausi Rashmika aur Kajal chachi ki wajah se hoon.
Arjun: Meri maa Ravina ne mujhe janam diya,Rashmika mausi ne mere Darr ko dur kiya aur Kajal chachi mujhe fighting ki training dekar mere andar ek nayi confidence bhar di isliye hi ye teeno meri maa hain.
Arjun: Aap dono mere pass aaiye.
Rashmika aur Kajal dono Arjun ke pass chali gayi aur Arjun ne dono ko apne sine se laga liya Nadhiya, Shreya aur Dhruv bhi sabhi ke sath gale lag gaye.
Arjun: Chachi aur mausi aap dono mere liye kya ho main kabhi nahi express kar paunga main aap dono ke liye jinta bhi karun kam hi hai.
Kajal: Hum dono tumhari family ka part hain Arjun aur family ek dusre ke liye wo sab kuchh kar jate hain jo unke liye possible hota hai.
Jab story end huyi to evening ke 7 pm ho chuki thi Arjun aur Dhruv apne apne study complete karne Arjun ke room mein chale gaye wahin Shreya, Rashmika aur Kajal teeno kitchen mein dinner ready karne ke liye chale gaye.
Wahin Nadhiya phone par Pavitra se baat kar rahi thi.
[Nadhiya and Pavitra on Call]
Pavitra: Hello ha kahiye samdhan ji kaise yaad kiya aapne mujhe?
Nadhiya: Ji main ye janna chahti hoon ki aap kya kar rahi hai aur wahan par sab kaise hain?
Pavitra: Ji main sabhi ke liye kitchen mein dinner ready kar rahi hoon.
Nadhiya: Ji aap to pura apni bahan ke jaisa hi swadist bhojan banati hain to aapke hath ka bhojan Divya ji jaisa hi kamaal ka hoga kabhi hume bhi apne hath ka bhojan khane ka mauka dijiye.
Pavitra: Ji main aapko sabhi ke bhojan karne ke baad call karti hoon.
Nadhiya: Ji koi baat nahi hum dinner ke baad baat karte hain.
***
[AFTER THE DINNER]
Nadhiya: Ji aapne phir se dubara kabhi shadi karne ke bare mein nahi socha aapne to apni suhagrat bhi nahi manayi.
Pavitra: Ab kismat mein likha hi nahi tha to kya kar sakte hain aur mujhe dubara phir se shadi karne ka mann hi nahi hua halanki mujhe Ramya didi ne kai baar kaha tha ki main tumhari shadi kisi achhe ladke se kara deti hoon, lekin maine hi har baar mana kar diya.
Nadhiya: Phir to mere khayal se aap abhi tak kuwari hi hain.
Pavitra: Ye aap kaisi baten kar rahi hain mujhe sharm aati hai aapse.
Nadhiya: Mujhse sharm aati hai matlab dusre kisi se sharm nahi aati hai kya?
Pavitra: Mera wo matlab nahi hai hum dono ne kabhi aisi koi baat pahle kabhi ki nahi hai na isliye.
Nadhiya: Har kaam ka start ek din hota hi hai na to samajh lijiye aaj is baat ki starting ho gayi aur aap puri life tadap rahi hain wo wala pyar pane ke liye.
Pavitra: Wo wala pyar se kya matlab hai aapka?
Nadhiya: Wo wala pyar se matlab hai jo husband aapke sath pahli baar suhagrat mein karta hai.
Pavitra: Wo to pati hi nahi hai to kaise milega wo wala pyar?
Nadhiya: Arey aap badi bholi lagti ho Pavitra ji, achha aap ye batao aapki Ramya kaise dur karti hai apni tadap ko?
Ramya: Meri tarah wo bhi tadap rahi hai pyar ke liye.
Nadhiya: Sirf wo hi nahi tumhari bahan Divya bhi tadap rahi hai pyar pane ke liye apni shadi ke baad hi apne husband ko kho diya usne.
Pavitra: Ha mujhe pata chal gaya hum sabhi ko pati ka sukh nahi mila aur ye bataiye aapke husband bhi to nahi rahe aap bhi to tadap rahi hongi pati ka pyar pane ke liye.
Nadhiya: Ha bhi aur nahi bhi.
Pavitra: Ye kaisa jawab hai?
Nadhiya: Kuchh nahi main aapko abhi nahi bata sakti hoon kyonki aap mujhe kahin galat na samajh lijiyega khair chalo hamari baat to aage phir se hoti hi rahegi bye good night.
Pavitra: Bye Nadhiya ji goodnight.
[Call Disconnected]
[[[Lesson of this episode: hum logo ko apne andar ke chhupe huye darr aur negativity ko dur karne ki koshish karni chahiye hum khud hi apni pragati ki sabse bada enemy hote hain jisne apne andar ke darr aur negativity ko dur kar liya aur apne andar confidence ka vikas kar liya use apne life mein aage badhne se koi nahi rok sakta hai]]]
Aapko is update mein kai sare questions ke answers mil gaye honge ki kyon Rashmika aur Arjun itne close hain kyon Rashmika aur Kajal dono Arjun ke liye maa hain.
[Par sabse bada sawal abhi bhi hai kyon Arjun mein itna darr tha bachapan mein ye to aapko aane wale updates
Nice update sare past sequence awsome haimein hi janne ko milega]
***
Total words count: 5.7k.
That's all for this episode.
Thanks a lot brother, keep reading.Nice update sare past sequence awsome hai
Aage aur bhi suspense milne wala hai.Mast uptate hai story mai thoda bahut suspense bhi hai very good
Very nice update
Very nice update
Update 74
CLASH
[A NEW GIRL AT KRITI HOME]
Recap: Pichhle update mein humne padha tha ki Arjun 10th ke baad apni family se dur chala gaya tha padhne ke liye jahan Arjun ki dosti Srinidhi name ki ek ladki se huyi thi jo fighting mein bahut achhi thi aur Arjun ko help karti thi aisa Arjun ko feel hota tha, lekin Arjun ne Srinidhi ko exam ke time se hi dubara kabhi nahi dekha tha.
Now next>>>
Next day at college canteen sabhi friends baithe huye the Arjun sabhi ke liye coffee lene ja raha tha aur udhar se Anupama coffeelekar aa rahi thi aur jaise hi Arjun side hone ke liye left muda udhar se Anupama right mud gayi aur sara ka sara coffee
Arjun ke upar daal di.
*Ahhhhh*
Arjun ki jalan ke mare muh se karah nikal gayi jise puri canteen ke students ne suna.
Arjun aur Anupama ke jitne bhi friends the aur baki sare students jo canteen mein baithe the sabhi ne ye nazara dekha.
Arjun ke sabhi friends Rohan, Amit, Rashi, Nivetha aur Krithi bhi dono ke pass pahuch gaye.
Anupama ne Arjun se kaha.
Anupama: Sorrymujhe laga tum right turn loge, lekin tumne left turn le liya maine hi galat guess kar liya aur ye hadsa ho gaya, your bad luck(tumhari kismat hi kharab hai).
Arjun jo jalan se karah raha tha bola.
Arjun: Ji koi baat nahi meri hi galti thi mujhe right turn lena chahiye tha.
Rashi: Ye tum kya bol rahe ho Arjun sabhi left turn hi lete hain phir tum right turn kyon lete isne jaan bujh kar tumpar hotcoffee
dala hai, aaj main ise nahi chhodne wali hoon usdin tumne mujhe rok liya tha par aaj tum bich mein na aana.
Jaise hi Rashi ne Anupama ko thappad marne ke liye aage badhi ki Arjun ne bich mein hi Rashi ko rok liya.
Arjun: Nahi Rashi inki koi galti nahi hai mujhe right turn hi lena chahiye tha aur tum isse dur hi raho please tumhe meri kasam hai.
Rohan: Had hai yaar tumhe ise kuchh kahne ki bajaye tum ise hi sahi bol rahe ho aur jo tumhara support kar rahi hai use hi tum side kar rahe ho.
Amit: Ha Arjun ye dono Rohan aur Rashi bilkul sahi kah rahe hain, tumne left turn bilkul sahi liya tha tumhari jagah koi bhi hota to leftturn hi leta.
Arjun: Ab jane bhi dijiye bhaiya meri Krithi didi ki badi bahan hai isliye meri bhi didi hi hai phir kyon bekar ke pange lena, galti meri hi thi.
Anupama: Oh Hello mister main bhale hi tumhari Krithi didi ki bahan hoon par tum mere koi nahi ho samajhe aur ye panga na lekar koi tum mujh par ehsaan nahi kar rahe ho, ek din tumse galti huyi thi aaj mujhse ho gayi okay samjhe mister bhul sabhi se ho jati hai.
Arjun: Ji main samajh gaya aap jaiye yahan se aapki koi galti nahi hai in sab mein.
Anupama apne chehre par ek kutil muskan liye huye chali gayi aur uske pichhe pichhe Krithi bhi chali gayi aur jab dono bahne akele aakar ek jagah baith gaye to Krithi ne Anupama se kaha.
Krithi: Ye aapne jaan bujh kar kiya na didi ye jante huye bhi ki Arjun mera bhai hai.
Anupama: Bhai hai wo tumhara samjhi mera bhai nahi hai, mere liye wo mera shikar hai jisne mujhse panga liya hai aur meri hi bahan ko mujhse dur kar diya hai jo mere hi khilaf jati hai hamesha aur us chuje ka support karti hai har dam usi ke sath rahti hai.
Krithi: Ye aap kya kah rahi ho didi main Arjun ke sath sirf canteen par hi to hoti hoon aur baki samay to main aapke sath hi hoti hoon aur aapko itna sa bhi achha nahi lagta ki main Arjun ke sath rahun.
Anupama: Maine tumhe pahle hi kaha tha Krithi main tumhe Arjun ke sath rahne se nahi rokungi lekin maine tumse ye bhi kaha tha ki tum mere aur Arjun ke bich me nahi aana aur yaad hai tumne hi mujhse promise kiya tha ki tum mere aur Arjun ke bich nahi aaogi.
Krithi: Par aap mere hi bhai ko nuksaan pahucha rahi ho didi.
Anupama: Yadi tumhe peeda ho rahi hai to thik hai phir tum Arjun se dur ho jao main Arjun ko kuchh nahi karungi bolo dealmanjur hai.
Krithi: Nahi hargij nahi kabhi bhi nahi, aapko jo bhi karna hai kar lo Arjun ke sath lekin main Arjun se to ab is janam mein bilkul bhi dur nahi rahungi.
Anupama: Phir tumhare liye behtar yahi hoga ki tum mere aur us chuje se dur hi raho wo mera shikar hai samajh gayi ab jao apne chuje ke pass.
Krithi apni bahan se aur kuchh bhi nahi bol payi aur wapas Arjun ke pass aakar boli.
Krithi: Sorrybhai meri wajah se hi ye sab ho raha hai, yadi tum mere bhai na hote to sayad ab tak didi ka gussa tumpar se khatam ho gaya hota.
Arjun: Koi baat nahi didi main apni badi bahan ka diya hua har dard haste haste sah lunga aap chinta na karo, ek din hum dono jarur dost ban jayenge.
Krithi: Tum itne achhe kyon ho bhai kisi ke liye bhi thoda sa bura khayal bhi nahi hai tumhare mann mein.
Krithi ne Arjun ko apni bahon mein pure canteen mein sabke samne gale laga liya.
Rashi: Oye durr hato sabhi dekh rahe hain tum dono ko aur sath hi tumhari badi bahan bhi dekh rahi hai.
Krithi: Dekhne do mujhe koi antar nahi padta hai, maine apne bhai ko gale lagaya hai isse dusre ko kya problem aur achha hai didi ko bhi dekhne do, thoda unhe bhi jalne do jis ladke ko usne dard diya hai ab uski hi chhoti bahan apne bhai ka dard durr kar rahi hai apne pyar se.
Arjun ne Krithi ki bahon se alag hote huye kaha.
Arjun: Sach mein didi mera dard gayab ho gaya aapke pyar ne mujh par malham ka kaam kiya hai.
Rashi: Chal jhute kahin ke ghar jakar medicine kha lena aur malham bhi laga lena okaysamjhe mister.
Arjun: Arey nahi Rashi uski koi jarurat nahi padegi kyonki mujhe training ke dauran aisi peeda bahut baar huyi hai.
Rashi: Phir bhi medicinele lena okay.
Arjun: Okay my hottie friend.
Rohan: Par jo bhi ho yaar Anupama didi mein daring bahut hai jo tumse sidhe sidhe panga le leti hai, ye itihas mein pahli baar ho raha hoga ki ek MLA ki beti ek state ke CM ke bete par bhari pad rahi hai aur to aur sidhe sidhe Kajal mam aur Kriti mam se bhi pange le rahi hai aur dusri taraf ek bahan tumhe ghav de rahi hai to dusri bahan tumhe malham bhi laga rahi hai, sach mein kya kismat payi hai tune yaar kash meri bhi kismat tumhari jaisi hoti.
Sabhi apne apne class chale gaye aur koi baat nahi huyi inke bich.
***
[Anupama CLASS 4th Semester]
Kriti mam class ke andar aayi.
Kriti: Anupama stand up.
Anupama ko samajh to aa gaya tha ki Kriti mam mujhe kyon uthne ke liye bol rahi hai phir bhi Anupama ne khada hote huye kaha.
Anupama: Yes mam kahiye kya baat hai?
Kriti: Aaj tumne jo bhi kiya achha nahi kiya Anupama ye tumne jaan bujh kar Arjun ko peeda dene ke liye kiya hai na!
Anupama: Nahi mam maine jaan bhuj kar kuchh bhi nahi kiya hai bas ek chhoti si misunderstanding ho gayi thi hamare bich mein aur sara coffeeus par chala gaya.
Kriti: Nahi tumne jaan bujh kar Arjun par hotcoffe dala hai Arjun se badla lene ke liye.
Anupama: Agar aapko aisa lag raha hai to phir yahi sahi waise main jaan sakti hoon aap Arjun ka wakalat kyon kar rahi hain, jab Arjun ne mujh par coffee dala tha tab to aapne mera side nahi liya tha, phir aaj aap us chuje ka support kyon kar rahi hain boliye hai koi jawab aapke pass??
Kriti ko kuchh bhi samajh nahi aaya Anupama ke is question ka kya jawab diya jaye phir bhi Kriti ne sahas jutate huye kaha.
Kriti: Hello students main aap sabhi se kuchh kahna chahti hoon kya kisi se pyar karna gunah hai??
All students: No mam pyar karna koi gunah nahi hai balki pyarke bina ye duniya hi samapt ho jayega.
Kriti: Ek aur sawal kya apne se age mein kam age ke ladke se pyar karna gunah hai??
All students: No mam pyar age dekh kar nahi kiya jata hai pyar to wo beautifulchij hai jo kabhi bhi kisi se bhi ho sakta hai ispar kisi ka bhi jor nahi chalta hai.
Kriti: Bilkul sahi jawab aur aisa hi mere sath hua hai mujhe apne hi student Arjun se pyar ho gaya hai aur Arjun ke college samapt hone ke baad hum dono shadi karne wale hain.
All students shocked rah gaye Kriti ke is jawab ko sunkar (All students get shocked to know about loveof Arjun and Kriti).
All students: Bahut achha mam aap dono ki jodi lajawab hai bilkul Laila Majnu aur Heer Ranjha ki jodi jaisi hai god aap dono ki prem ko safal banaye.
Kriti: Thanksto all students meri emotions ko samajhne ke liye aur mere love
ko support karne ke liye.
Kriti ne aage Anupama se kaha.
Kriti: Ha to madam ab aapko aapka jawab mil gaya ki Arjun kaun hai mera, yahi tum sunna chahti thi na mere muh se lo ab maine khud hi accept kar liya ab tum mujhe bataogi ki tumne Arjun par jaan bujh kar hotcoffee
kyon dala?
Anupama: Ye aap kya kah rahi hain mam us chuje ne sabke samne khud hi accept kiya hai ki galti us chuje ki hi thi.
Kriti: Arjun ne bhale hi tumhe kuchh nahi kaha iska ye matlab bilkul bhi nahi hai ki tumhe koi bhi kuchh nahi kahega agli baar Arjun se jaan bujh kar koi bhi panga lene se pahlebaar soch lena ki main bhi yahin hoon Arjun ke liye.
Anupama: Phir aap bhi us chuje se bol dena ki ab se wah mere raste mein na aaye, kyonki jab jab wah chuja mere raste mein aayega tab tab aisa hi koi scene hoga aur ek baat hai chahe aap Arjun ko support karo ya Kajal mam, mujhe koi antar nahi padta hai, Arjun mera shikar hai aur main us chuje ko nahi chhodne wali hoon, main us chuje ko chhod bhi deti par nahi us chuje ne meri hi bahan ko apni bahan bana liya aur mujhse meri hi Krithi ko durr kar diya, isliye mam aapke liye bhi yahi achha rahega ki mere aur us chuje ke bich mein jo bhi aaya wo bhi us chuje ke jaisa mera shikar hoga, phir chahe wo koi bhi kyon na ho chahe wo Kajal mam ho ya aap main kisi se nahi darne wali hoon.
Aur Anupama apni seat par wapas baith gayi bina kisi baat ki chinta kiye bina ki abhi abhi usne kya bol diya sabke samne Kriti mam se.
Wahin puri class ne aaj Kriti aur Anupama ki daring dekhi jahan Kriti ne apne pyar ko sabke samne accept kar liya, wahin dusri aur Anupama ne sidhe sidhe Kajal aur Kriti dono ko challenge kar diya pura class in dono ki daring se kaphi shockedmein the.
Period end hone ke baad sabhi students sirf Anupama ki baat kar rahe the yaar kya gajab ki ladki hai ye, jo kisi se nahi darti hai sidhe sidhe isne Kajal mam aur Kriti mam dono se hi ek sath panga le liya, sach mein yaar gajab ki daring hai yaar is ladki mein.
Two boys to ye bhi bol rahe the sach mein yaar daring ho to Anupama jaisi jo sabhi ki band baja de, bhale hi Anupama galat hai par sach mein himmat kamaal ki hai bas apni galti ko sudhar le phir iske jaisi koi ladki nahi hogi yaar is pure college mein, kash mujhe bhi apni girlfriend iski jaisi hi daring wali milti jisme sirf apni galti ko accept karne ki quality hoti to kasam se maja hi aa jata apun ka life ek dam jhinga lala ho jata par sala apun ki girlfriend mein thodi si bhi daring nahi hai sala apun ki kismat hi kharab hai.
Dusra ladka: Ha yaar meri bhi girlfriend beautifulto bahut hai par sala darti bahut hai koi ladka uspar galat comment kar deta hai to bhi kuchh nahi bolti hai aur mujhe bhi shant kar deti hai.
Pahla ladka: Ha yaar yahi to galat baat hai ladki ko bolni chahiye galat ke khilaaf aur mujhe pura vishwas hai ki Anupama ke sath koi bhi ladka panga karega to Anupama us ladke ko chhodegi nahi.
Dusra ladka: Ha yaar lekin kabhi kabhi girlfriend ke jayada daring hone se hamari bhi watt laga kar rakhti hai.
Pahla ladka: Tumne bilkul sahi kaha bhai chalo hum dono ki kismat hi khoti hai sala girlfriend to mila par sala thodi si daring nahi apni apni bandi mein.
Dusra ladka: Chalo koi baat nahi bhai agle janam mein humlog bhi sala daring girlfriend batayenge is janam mein to hum kisi aur ke ho chuke hain.
***
[KRITI MAM CABIN]
Kajal, Sriya aur Kriti teeno hi baithe the aur yahan par bhi Arjun aur Anupama ka hi topic chal raha tha.
Kriti: Kajal mam Anupama ne aaj ek baar phir se apni had par ki hai aur Arjun ne ek baar phir se Anupama ko maaf kar diya hai.
Kajal: Ha mujhe bhi pata chal gaya hai Kriti aur jahan tak main Arjun ko janti hoon to hume Arjun aur Anupama ke bich mein nahi aani chahiye, Arjun khud samajhdar hai use kya karna hai aur kya nahi karna hai Arjun ko kisi ko batane ki jarurat nahi hai, yadi halat jayada kharab huye to Arjun khud hi Anupama jaisiladkiyon se ek sath nipat lega. Arjun ne Anupama ko maaf kar diya aur khud ki galti maan liya hai iska ye katai matlab nahi hai ki Arjun us chuhiya se nahi nipat sakta hai aur tumhare liye bhi yahi achha rahega ki tum Arjun aur Anupama ke raste mein na aao.
Kriti: Ji main koshish karungi ki main un dono ke raste mein na aaun, lekin jab jab Anupama apni had par kar Arjun ko hurt karne ki koshish karegi Anupama ko mera samna karna hi padega.
Sriya jo ab tak dono ki baten sun rahi thi bich mein kud padi.
Sriya: Wowwow kya baat hai Kriti jo kisi se aaj tak thik se apna aankh bhi nahi mila pati thi aur dekho aaj kaise apni pyar ke liye sherni ban gayi hai aur pure class ke samne apne love
ko accept kar liya hats off to you Kriti tumhari daring ko.
Kriti: Shukriya Sriya jab jab koi mere pyar ko aise insult aur peeda dene ki koshish karega use mujhse ulajhana hi padega phir chahe wo koi bhi kyon na ho.
Sriya: Tumhe kya ho gaya hai Kriti jab se tumhe Arjun ka pyar mila hai tum alag hi Kriti najar aa rahi ho mujhe, aur ye Kriti mujhe pahle se kahin jayada pasand aa rahi hai.
Kajal: Thik hai Kriti main tumhe bhi nahi rok sakti hoon ki tum kya karogi aur kya nahi ye tumhara decision hai ki tum kya karogi, ha agar tumhe kabhi mujhse koi help ki jarurat padi to beshak mang lena main hamesha hi tumhari help ke liye ready rahungi.
Kajal ne apni baat ko aage badhate huye kaha main isliye bhi bich mein nahi aa sakti hoon Kriti, kyonki Arjun ne Krithi ko apni bahan bana liya hai isliye ek tarah se Anupama bhi Arjun ki badi didi hai aur yadi aise mein Arjun ne Anupama ko maaf kar diya hai to mera bich mein aane ka koi matlab hi nahi hai kyonki main apne kingke decision ke against nahi ja sakti hoon.
Kriti: Kajal mam aap bhale hi Arjun ke decision ke against na jaye lekin jab jab aise halat kabhi bhi future mein banenge main bich mein jarur aaungi.
Sriya: Ab main aap dono se kya hi kahun main, aap dono hi apni apni jagah bilkul sahi hain koi bhi galat nahi hai dono ke decision mein Arjun ke liye beshumar pyar jhalakta hai jo koi bhi easily bata sakta hai.
Kajal: Tumne bilkul sahi kaha Sriya hum dono ka hi Arjun ke liye support karne ka style bhale hi alag alag hai lekin hum dono hi Arjun ka hi support kar rahe hain.
Kajal: Okay tum dono baten karo main ja rahi hoon mera lecture lene ka time ho gaya hai.
Aur Kajal ke cabin se nikalte hi Kriti ne apne hathon ko jor se table par patakte huye kaha, sali us Anupama ki bachhi khud ko samajhti kya hai jo har dam mere pyar se lafda karti rahti hai kisi din mere palle pad gayi na chhodungi nahi main us kamini ko.
Sriya: Hey hey hey calm down Kriti aaj kya ho gaya hai tumhe hamesha shant rahne wali aaj aise kaise raudra roop dharan kar rahi hai, baby shant ho jao tumpar ye gussa suit nahi karta hai aisa gussa sach kahun to Anupama par hi suit karta hai kya daring hai yaar ladki mein jo tumse aur Kajal mam se ek sath pange le liya, main to sach mein fan ho gayi hoon Anupama ki daring ki aur ek maje ki baat bataun pura college Anupama ki daring ki charcha kar rahi hai bhale hi Anupama ne galat kiya ho.
Kriti: Kamini tu meri bestfriend hokar us Anupama ki gun ga rahi hai chuhiya jaisi to hai aur baar baar mere Arjun mere pyar se bhid jati hai.
Sriya: Ab tum mujhe bhi gali de rahi hai Kriti, ho kya gaya hai tumhe aaj jo itni violent ho rahi hai, yadi Arjun ne Anupama ko maaf kar diya hai to kuchh soch kar hi kiya hoga chill babe Arjun ko khud hi nipatane do in sabse.
Kriti: Ha sara dosh to Arjun ka hi wo kuchh bolta hi nahi us chuhiya se aur main kuchh kahun to mujhe hi shant kara dega itna sidha hona bhi thik nahi hai.
Sriya: Arjun aur sidha hai![]()
jaise Arjun to gaay ke jaisa sidha hai isliye itno ko nipta dala aur abhi bhi tum aur Nivetha line mein ho.
Kriti: Tumhe bada yaad rahta hai Arjun kya karta hai kya nahi, tum bhi lag jao number mein tumhe bhi nipta dalega kamini kahin ki, mujhe to lagta hai tum bhi nipatane ke chakkar mein ho Arjun se.
Sriya: Ab meri aisi kismat kahan hai Kriti aaj tak Arjun ne to mujhse baat tak nahi kiya hai kabhi class ke bahar aur tum kahti ho mera number lag jaye aur phir Arjun ke liye sirf main mam hi hoon phir kaise.
Kriti: Ab tum meri bestfriend ho to bana lo Arjun ko jija akhir use ek sali ka pyar bhi mil jayega kamini kahin ki.
Sriya: Nahi kamini yadi maine Arjun ko apna jija bana liya aur mere jaal mein Arjun phans gaya to tumhara kya hoga isliye sirf mere liye student hi thik hai Arjun.
Kriti: Chal koi baat nahi phir mujhe mat kahna maine tumhe try karne ke liye permission nahi diya, waise mera ye proposal tumhare liye lifetime ke liye hai, yadi kabhi mann hua to bana lena Arjun ko apna jija main tumhe mana nahi karungi kabhi bhi, tum bhi kya yaad karogi kya dost mili hai tumhe jo tumhe apne hi pyar ka pyar de rahi hai.
Sriya: Chal ab bahut ho gayi baten ab college khatam hone wala hai.
***
[CCD After college]
College end ho chuka tha Amit aur Nivetha dono college ke bahar CCD par ek private cabin mein baithe coffeeenjoy kar rahe the aur aapas mein baat kar rahe the.
Amit: Nivetha baby hum dono ne Arjun ko chun kar koi bhi galti nahi ki na, aaj tak kitne hi din ho gaye jab hum dono ne Arjun ko chuna aur Arjun ne tumhe ek baar bhi kuchh nahi kaha us bare mein, kitni sahanshakti hai Arjun ke andar, yadi Arjun ki jagah par koi aur hota to ab tak tumhe pane ki koshish karta. Arjun tumhare har test mein pass ho gaya hai baby aur ab tumhara birthdaybhi jaldi hi aane wala hai khud ko taiyar kar lo Arjun ko apne aap ko dene ke liye.
Nivetha: Tumne bilkul thik kaha Amit, Arjun mere har test mein pass hua hai aur har baar Arjun ne khud ko sabit kiya hai aur aaj ek baar phir se Arjun ne apni sahanshilta ka parichay dete huye kitni aasani se Anupama ko maaf kar diya, yadi uske jagah par koi aur hota to kaphi pange ho jane the aaj phir se.
Nivetha ne apni baat ko aage badhate huye kaha.
Nivetha: Aur main bilkul ready hoon apni virginity Arjun ko dene ke liye.
[College Hostel, Krithi Room TIME: 3 PM]
Krithi aaj jo bhi college mein hua tha usko lekar pareshan thi, Anupama kahin bahar gayi huyi thi aur jab Krithi ko kuchh bhi samajh nahi aaya to apni maa Nayanthara ko call laga diya. Nayanthara ne call jaldi hi receive kar liya.
Nayanthara: Hello beta bolo kya baat hai?
Krithi ne apni maa se aaj college mein jo bhi ghatna huyi thi Arjun aur Anupama ke bich sab detail mein apni maa ko bata diya aur aage kaha.
Krithi: Maa ab aap hi mujhe bataiye main kya karun mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha hai main kiski side lu ek taraf mera bhai hai to dusri taraf meri hi bahan hai, maa aap hi meri is uljhan ko dur kar sakti hain.
Nayanthara ne Krithi ki puri baat ko dhayan se suna aur aage jawab dete huye kaha.
Nayanthara: Krithi beta mera manna hi ki tum Arjun aur Anupama ke bich mein na hi pado to achha rahega jitna tum dono ke mamle mein hastkshep(interfere) karogi utna hi aur mamla bigadta chala jayega, isliye tumhare liye behtar yahi hoga ki tum side hi raho aur neutral hokar ek darshak ki bhumika nibhao.
Krithi: Ji mom main ab se dhayan rakhungi aur kabhi bhi undono ke mamle mein nahi aaungi.
Nayanthara: Aur koi uljhan hai tumhe Krithi beta.
Krithi: Nahi mom aur koi problem nahi hai.
Nayanthara: Aur tumhari training kaisi chal rahi hai?
Krithi: Ji mom main hostel mein hi practice karti hoon aur meri training achhi chal rahi hai, thik hai mom mujhe syllabus complete karni hai baad mein baat karti hoon bye.
Nayanthara: Bye Krithi beta aur ha dhayan rakhna apna.
[CALL DISCONNECTED]
Wahin call disconnect hone ke baad Nayanthara soch rahi thi ye kismat bhi kya ajib game khel rahi hai, mere dono apne hi aapas mein lad rahe hain, kya hoga jab dono ko apne khud ke rishte ke bare mein pata chalega tab kya dono ek dusre ko maaf kar payenge.
Wahin Nayanthara phir se ek gahri soch mein chali gayi aakhir dono ko apne rishte ke bare mein kaise pata chalega jab itne varshon se pata nahi chala hai to.
Raat mein jab Nayanthara ke husband apne kaam se ghar laute to Nayanthara ne apne husband Jogendra ko aaj college mein jo bhi hua sari ghatna ko detail mein bata diya aur Nayanthara ne apne pati se kaha.
Nayanthara: Ye jo harkat Anupama kar rahi hai na main usse pareshan ho gayi hoon, meri to koi bhi baat sunti hi nahi hai sirf aapki hi baat ko manti hai, isliye ab aap hi use samjha dijiye ki wah Arjun se dur hi rahe wahi sabhi ke liye achha hoga.
Jogendra: Dekho main Anupama ko samjha dunga ki ab se wo Arjun ke sath aisi waisi harkat na kare aur jahan tak mera khayal hai sari galti us Arjun ki hi hogi, isliye Anupama ne jo bhi kiya bilkul sahi kiya hai aur Jogendra apne room ki aur chal pada aur yahan Nayanthara apne husband ko kosti rahi ki kaisa baap hai jo apni beti ki galti ko najarandaz kar raha hai in dono baap beti ko kya pata ki Arjun hamara apna khun hai.
Wahin Jogendra apne room mein sochne laga ab main tumhe kya bataun Nayanthara, Arjun aur Anupama ka is tarah ladna hi sahi hai aur umeed karo ki in dono ki kabhi bhi aapas mein dosti hi na ho jaise Krithi aur Arjun ka ho gaya hai, yadi aisa hua to phir pata nahi kya kya hoga hamare sath, tumhe kya lagta hai mujhe Arjun ke bare mein kuchh bhi pata nahi hai ki Arjun kaun hai arey mujhe Arjun ke pal pal ki khabar rahti hai.
***
[Anupama Friend Room]
Wahin Anupama apni friend ke room mein baithi thi aur apni friend se baat kar rahi thi aur topic yahan bhi Anupama aur Arjun ka hi tha, aaj jaise sabhi jagah Arjun aur Anupama hi hottopic bane huye the.
FOA(Friend of Anupama): Tumne jaan bujh kar Arjun par hotcoffee
dala tha na, dekho mujhe sach sach batana mujhse koi juth nahi samjhi tum.
Anupama: Us chuje ka name bhi mat le usne mera dimag kharab kar rakha hai sala khud to darpok hai aur meri bahan ko fighting ki training de raha hai aur ha maine us chuje par jaan bujh kar hi hotcoffee
dala tha, ek baar us chuje ne mere upar dala tha ek baar maine daal diya hisab barabar jaise ko taisa ise kahte hain tit for tat.
FOA: Yaar kya pata use sach much fighting aati ho aur ab kya tum usse panga nahi logi ab tumhara hisab yadi barabar ho gaya hai to.
Anupama: Maine aisa kab kaha hai tumhe, abhi to main us chuje ko aur dard dungi mera hisab abhi sirf coffeewala clear hua hai lekin us chuje ne meri bahan ko lifetime ke liye apni bahan banaya hai na to main us chuje ko lifetime aise hi koi na koi dard deti hi rahungi aur jo bhi mere bich mein aaya na mere aur us chuje ke bich mein wo bhi kaam se jayega.
FOA: Yaar kuchh to khayal kar Kriti mam usse pyar karti hai atleast Kriti mam ke liye to Arjun ko jane do.
Anupama: Dekh ab tum us chuje ka naam mat le, aise hi us chuje ne mere dimag ki dahi kar rakhi hai, sala jab se ek crickettournament mein achha kya khel liya sare students to students sabhi teachers bhi us chuje ka mala japte rahte hain, sala dance competition hota to main bhi apni college ko jita deti nahi magar inhe to cricket
match karani hai aur raha Kriti mam ka sawal to maine Kriti mam se nahi kaha tha us chuje se pyar karne ke liye, ab yadi mere shikar se Kriti mam ne pyar kiya hai to dard to Kriti mam ko bhi sahna hi padega.
FOA: Yaar kyon gussa ho rahi hai Ramya mam ne kaha tha na ab aise bahut kuchh hone wale hain sabhi ready rahe, phir dekhna kisi din tumhe bhi apni pratibha dikhane ka chance milega aur jab hoga na kasam se tu hi jitegi, dekhna phir kaise sab tumhari jay jaikar karte hain aur yaar tumhari bahan ko bhi to dard hota hai us chuje ke sath tum kuchh karti ho to.
Anupama: Main bhi us pal ka wait kar rahi hoon yaar jab us chuje ko pata chalega main us chuje se behtar hoon aur mujhe bhi isi baat ki thodi si problem hoti hai ki mere aur us chuje ke bich mein meri bahan ko bhi dard sahna padta hai par koi na main baat kar lungi apni bahan se ki mere aur us chuje ke mamle mein koi dakhal na de.
FOA: Thik hai yaar chal koi baat nahi jaisi tumhari marji waisa hi karo main sada tumhare sath hoon chahe tum achha karo ya bura.
Anupama: Oh Hello kya matlab hai tumhara main hamesha hi achha hi karti hoon okaysirf unlog ke sath bura karti hoon jo mera shikar hote hain aur jo mujhse pange lete hain, sala apun ka baap is city ka MLA hai to kuchh to power to dikhani banti hai na apni.
Anupama itna kah kar apne friend ke room se bahar chali gayi.
Wahin Anupama ki dost apne mann mein sochne lagi kya ladki se meri dosti huyi jo kisi se nahi darti hai aur aaj sidhe sidhe to Kajal mam aur Kriti mam ko challenge kar diya is ladki ne.
***
Kajal aur Arjun dono wapas college se ghar laut aaye the.
[TIME 2: 30 PM, KAJAL HOME]
Sabhi ek sath baith kar bhojan kar rahe the.
Bhojan karne ke baad Arjun ke kamre mein Rashmika aur Arjun baat kar rahe the.
Rashmika: Ha to ab batao Arjun tumne subah mujhse kya kaha tha ki aaj tumhara din achha jayega kyonki aaj tumne running mein almost meri barabari kar li thi aur hua kya tumhare sath uska bilkul ulta(opposite), college mein Anupama ne tumhare upar hotcoffee
daal di mujhe to tumhari kismat par hasi aa rahi hai jo bade se bade fighter ke samne na darne wala Arjun ek normal si ladki se darr jata hai.
Arjun: Wakai mera din achha hi gaya hai mausi kam se kam is ladai ke bahane hi sahi meri baat to ho gayi na didi se.
Rashmika: Bahut sahi ja rahe ho beta har chij mein positive hi nikal lo, lekin kab tak tum us Anupama ka diya dard sahte rahoge.
Arjun: Ab ye to mujhe pata nahi hai mausi kab tak mujhe uski narajgi sahni padegi, main to yahi chahta hoon ki jo bhi ho hamare bich ki ye duri jald hi khatam ho jaye.
Rashmika: Praykaro sayad tumhari ye wish jaldi hi puri ho jayegi.
Arjun: Okay mausi meri computermein thodi help kar do.
Rashmika: Wowkya baat hai aaj ek genius mujhse help mang raha hai.
Arjun: Genius to aap ho mausi main to abhi kuchh bhi nahi hoon aapke samne abhi mujhe bahut kuchh sikhna hai aapse.
Rashmika: Jarur Arjun main tumhari help nahi karungi to kaun karega waise tumhari premika ka bhi computerscience hai to tum Kriti se hi kyon nahi puchh lete ho.
Arjun: Ab main aapko kya bataun mausi waise aapki baat to bilkul sahi hai Kriti mam bhi computermein master hain aur aapko pata hai Krithi didi ka bhi favourite subject computer hi hai.
Rashmika: Ha sahi kaha tumne Arjun, sirf Kajal didi ko Chemistry mein jayada interest hai aur tumhe Physics mein tum dono hi hum sabse alag ho.
Kajal ne Arjun ke room mein enter karte huye kaha.
Kajal: Kya baten ho rahi hain tum dono mein?
Arjun: Kuchh nahi my queenhum dono bas aise hi normally padhai ki baten kar rahe the.
Kajal: Chalo badhiya hai kya main jaan sakti hoon ki tumne Anupama ko maaf kyon kar diya jabki usne to tumhe badle mein thappad masr kar apna hisab barabar kar diya tha.
Arjun: Ab jane bhi dijiye na my queenunka gussa jitna mere liye badhega utna hi jayada baad mein mujhe pyar bhi to milega, isliye main khush hoon mujhe koi bhi dikkat nahi hai.
Rashmika: Wah kya soch hai tumhari tum itni dur ki planning kar ke baithe ho aur yahan sabhi sirf aaj ki ghatna ke bare mein soch rahe hain.
Arjun: Ab kaun kya soch raha hai main kaise jaan sakta hoon waise ab ye topic bahut hua aap bas meri computermein help kar dijiye mujhe.
Rashmika: Okayjaisa tum kaho mere cute boy.
Rashmika ne Arjun ko computer ke bahut sare functions ke bare mein bataya aur Kajal nikal gayi apni room mein jahan par Dhruv, Shreya aur Nadhiya teeno the aur dono hi Dhruv ki help kar rahe the homework complete karne mein.
***
[TIME: 9 PM KRITI HOME]
Kriti ke ghar ke bahar aakar ek carruki jisme se ek bahut hi hot
ladki bahar nikali.
Girl: Kitne paise huye taxi ke chacha ji.
Driver: Ji 850 rupees bitiya.
Girl ne 500 rupees ke two notes driver ko dete huye kaha baki ke paise tip samajh kar rakh lo uncle ji, aap mujhe bahut hi imandar aur bhale vyakti lage jisne mujh jaisi hotladki ko akele itni raat mein safely pahucha diya.
Driver: Ji shukriya madam par main aapse extra paisa nahi le sakta hoon apun ek khudar vyakti hai.
Girl: Aur aapko kya laga uncle maine aapko paise aise hi de diye bilkul bhi nahi, aap mujhe itni andheri raat mein yahan tak bina ek baar bhi meri taraf dekhe bina yahan tak le aaye, yadi aapke jagah koi aur driver hota to mujhe ghurta rahta lekin aapne ek baar bhi mirror se mujhe nahi dekha isliye ye baki ke paise aapki imandari ke liye ab mana mat kijiyega mujhe beti samajhkar rakh lijiye.
Driver ladki ke extra paise lekar apni honthon par muskanliye chala gaya aur idhar girl ne Kriti ka doorbell bajaya.
Kriti ne doorkholkar bahar khadi ladki ko dekha aur surprise ho gayi.
Ladki: Aap aise kyon shockedho gayi jaise ki main koi alien
hoon aur aap mujhse pahli baar mil rahi ho.
Kriti: Nahi pahli baar nahi mil rahi hoon lekin aise achanak koi suchna diye huye hi aa gayi, isliye thoda surprise ho gayi, okay get inside, andar aakar baat karte hain.
Ladki ne andar aakar Kriti se kaha isi reaction ko to main dekhna chahti thi aap sabke chehre par, isliye maine mummy papa se bol diya tha kisi ko bhi mere yahan aane ki koi bhi information na diya jaye aur asli shockto maine abhi aapko diya hi nahi hai, tab aapka face dekhne layak hoga jab main aapko asli jhatka dungi kasam se wo pal dekhne layak hoga aap sabka reaction.
Kriti: Kyon suspense badha rahi hai ab bol bhi de asli baat kya hai jo tum mujhse kahna chahti ho.
***
This update comprises 5.7 k words biggest update till now.
Nice updateUpdate 75
Surprise Surprise Surprise
Recap: Pichhle update mein humne padha tha ki kaise Anupama aur Arjun ka college mein ek dusre se takkar hua tha aur pure college ka ek hottopic ban gaya tha aur late night Kriti ke ghar ek bahut hi khubsurat ladki ne entry mari thi.
[Bada hi interesting word hai surprise kabhi ye hume bahut khushi deti hai to kabhi hume aisi peeda de jati hai ki hum chah kar bhi us peeda ko bhul nahi pate hain ab story mein kya rang lata hai ye word kisi ke jivan mein ye aapko story padh kar pata chal hi jayega kuchh hi minutes ke baad]
Now next>>>
[KRITI HOME 9: 30 PM]
Kriti ka pura parivar ek sath dinner karne baitha tha.
Kriti: Ab to bata de Leela kya surprise dena chahti ho tum hum sabko.
Leela: Wo didi main bhi ab isi Diamond City mein aapke hi college mein admission lene wali hoon.
Kriti: Kyon tumhe tumhara city achha nahi laga kya jo tum yahan admission lena chahti ho?
Leela: No didi aisi koi bhi baat nahi hai, darasal baat ye hai ki mom bhi yahin aane wali hain, mom bhi apna transfer isi city mein le rahi hain hamara pura parivar ek sath hoga.
Shivangi: Kya kah rahi ho Leela kya sach mein Trisha mausi yahan rahne wali hai.
Leela: Ha bhabhi isliye mom ne mujhe yahan bhej diya pahle se hi aur main ab didi ke sath hi college jaungi.
Shivangi: Ye to bahut achhi khabar hai mere liye Leela, isse achhi khabar to mere liye ho hi nahi sakti ki mujh jaise ek anath ashram mein rahne wali ladki ko itni achhi family mili.
Shivangi ek baar phir se emotional hokar apne ateet ko yaad karne lagi ki kaise Trisha har Sunday ko anath ashram aati thi aur wahin par Trisha ki mulaqat Shivangi se hua karti thi aur Trisha ne Shivangi ko apni bahan ke bete Ranjan se marriage karne ka proposal diya tha, pura ashram Shivangi ke liye khush tha aur Shivangi ki shadi Ranjan se ho gayi, jahan Shivangi ko Kriti ke roop mein ek bahan jaisi nanad mili.
Sithara: Shant ho jao Shivangi beta aise dukhi nahi hote hain hum sab tumhare sath hain na.
Shivangi: Maa ye khushi ke ansu hain main bahut hi khush hoon ki Trisha mausi ke karan mujhe aap sab mil gaye, main god se praykarti hoon ki har janam mein aap sab mujhe meri family ke roop mein milo.
Sabhi ne ek sath Shivangi ko apne gale se laga liya aur kuchh der ke baad alag ho gaye.
Leela: Aur batao Kriti didi aapne boyfriend banaya ki nahi ya abhi bhi single hi ho?
Kriti: Nahi Leela maine abhi tak koi boyfriend nahi banaya hai.
Leela: Tension nahi karne ka didi ab apun aa gaya hai na, main aapke liye best boyfriend dhund dungi ek dam mere level ka hoga aapka banda.
Kriti: Thik hai Leela jaisa tumhe achha lage.
Is bich baat karte huye sabne apna dinner bhi samapt kar liya.
Leela: Mausi main aapke sath sona chahti hoon aaj.
Sithara: Thik hai Leela beti tum mere sath so jana.
Sithara aur Leela dono, Sithara ke kamre mein sone chale gaye aur wahin Kriti aur Shivangi dono Kriti ke room mein chale gaye.
***
[KRITI ROOM]
Shivangi: Kriti tumne Leela se jhuth kyon bola ki tumhara koi boyfriend nahi hai arey boyfriend to chhodo tumhare liye to dulha bhi ready hai wo bhi karodo mein ek.
Kriti: Bhabhi us Leela ki bacchi ne hum sabko surprise diya to main bhi apni chhoti bahan ko surprise dena chahti hoon.
Dono sone hi ja rahe the ki Kriti ka phonering hua Kriti ne phone check kiya to Trisha mausi name flash ho raha tha screen par.
[Phone Conversation]
Kriti: Hello mausi.
Trisha: Hello Kriti.
Kriti: Mausi aap fikar na karen Leela yahan pahuch gayi hai aur mom ke sath khana kha kar sone ke liye chali gayi hai.
Trisha: Kaisa laga Kriti beti Leela ka surprise aur main bhi jaldi hi tum sabke pass aane wali hoon.
Kriti: Aapka surprise to bahut achha laga mujhe aur aap fikar na kare, aap jab yahan aaogi to main bhi aapko ek surprise dene wali jo aapko bahut pasand aayegi.
Trisha: Aisa kya phir main wait karungi tumhare surprise ke liye.
Trisha: Kriti beti phone Shivangi ko do.
[Shivangi On Call]
Shivangi: Hello mausi.
Trisha: Hello Shivangi kaisi ho tum??
Shivangi: Main bahut achhi hoon mausi aapne mujhe itni achhi family jo diya hai.
Trisha: Ye sab tum deserve karti ho Shivangi beta, tum ho hi itni pyari ki koi bhi tumhe apne ghar ki bahu banana chahega, agar Ranjan na hota aur mera koi apna bada beta hota to main hi tumhe apni bahu bana leti, tum lakhon mein ek ho Shivangi beti aur ha tum kabhi bhi khud ko akela mat samajhna koi bhi problem ho yaad rakhna main hamesha tumhare liye khada rahungi okay.
Shivangi: Ji mausi ye mujhse behtar koi nahi janta ki aap mere liye kya ho, aap mere liye kisi devi se kam nahi ho mausi jisne mujhe aur hum sabko itna jayada pyar diya.
Trisha: Thik hai Shivangi beta phone rakhti hoon aur ha Leela ka khayal rakhna, tum sab janti ho na kitni jiddi ladki hai wo kisi ki koi baat hi nahi sunti hai hamesha apne mann ki karti hai.
Shivangi: Ji mausi aap Leela ki fikar hum sab par chhod dijiye hum sab use koi pareshani nahi hone denge.
Trisha: Bye Shivangi beta Goodnight
.
Shivangi: Bye mausi Goodnight
![]()
.
[Call Disconnected]
Dono nanad bhabhi so gaye wahin Sithara ke room mein dono Leela aur Sithara jag rahe the aur aapas mein baten kar rahe the.
***
[SITHARA ROOM]
Leela: Mausi aap bhi apna koi ek boyfriend bana lo mujhse aapka dard nahi dekha jata hai, kitne varshon se aap mausa ke yaad mein tadap rahi ho.
Sithara: Chup kar chuhiya abhi 2 din pahle hi 18 years ki huyi hai aur tum ye sab baten karna bhi sikh gayi.
Leela: Wo ho mausi aap bhi kamaal karti ho, aaj kal ki ladkiya bahut advanced hoti hain hum sab to aur bhi pahle ye sabh sikh jati hain, ab mujhe hi dekh lo jahan main padhti thi wahan ek bahut hi handsome ladka padhta tha main us ladke par line marti thi, par sala apun ka kismat hi kharab hai usne kabhi mujh jaise ladki par dhayan hi nahi diya aur phir 12th ke exam ke baad kabhi mila hi nahi, nahi to apun us bande par try karta rahta jab tak mujhse pareshan hokar mere pyar ko accept nahi kar leta.
Sithara: To tum kisi ko apna boyfriend banane ke liye pareshan karogi.
Leela: Dekh lo mausi apun ka sidha fanda hai, jo apun ko pasand aa gaya wo mera, phir chahe mujhe kuchh bhi kyon na karna pade.
Sithara: Chal thik hai ab so jao jab tumhe tumhari pasand ka ladka mil jayega to bana lena apna boyfriend samjhi chuhiya.
***
Next day Kriti aur Leela dono college ja rahe the car Kriti drive kar rahi thi.
[INSIDE THE CAR]
Leela: Didi aaj apun bahut hi khush hai aur sath hi excited bhi apni pahli class ke liye aur khush isliye ki ab aap hi apun ka lecture lengi.
Kriti: Okay chalo main tumhe is college ke kuchh students se introduction kara deti hoon tumhe un sabse mil kar bahut achha lagega.
Leela: Dekh lo didi apun dosti apne level jaise walon se karta hai, yadi aap unse mera introduction karana chahti hain to jarur wo sab sirf padhaku honge, arey mujhe to apun ke jaise hi log se dosti pasand hai sirf ek ko chhod kar jo aapke jaisa hi shant rahta tha aur main use apna boyfriend banana chahti thi, magar sala apun ka badluck mujhe phir se wo ladka dikha hi nahi.
Kriti: Thik hai Leela un sabse mil kar hi tum decide kar lena ki tumhe dosti karni hai ya nahi.
Leela: Hmmm.
[College Arrives]
***
[AT COLLEGE CANTEEN]
Arjun ka pura group ek sath baitha tha Kriti mam aur Leela dono chal kar unke pass pahuch gaye.
Kriti: Hello Arjun inse milo ye hai meri mausi ki beti Leela, aaj se ye tumhare hi class mein admission le rahi hai.
Arjun ne apna chehra ghuma kar dekha to Arjun ne us face ko pahchan liya aur wahin haal Leela ka bhi haal hua jo Arjun ko hua, Leela ke face par ek katili muskan aa gayi, Leela ko bhi believe hi nahi hua jise wo kahan kahan nahi khoj rahi thi wo mila to bhi Kriti didi ke hi city mein.
Kriti ne aage Leela se kaha Leela ye hai...
Leela ne apni badi bahan ki baat ko bich mein hi rokte huye kaha.
Leela: Iska naam hai Arjun son of Mahendra Agarwal (CM of the state) ye mere hi college se 12th kiya hai ise Physics mein sabse jayada interest lagta hai, cricketka champion
hai aur sath hi sath 10th aur 12th dono mein hi state topper hai.
Leela: Arjun kisi ladki se baat nahi karta hai sirf ek ladki ko chhod kar Srinidhi. Ye sirf Srinidhi ke hi sath rahta tha magar Srinidhi ne 12th ka exam hi nahi diya aur beshak Arjun ko chhod kar chali gayi, maine Arjun ko patane ke liye bahut hi try kiya tha magar isne kabhi mujhe dekha hi nahi aur ab jab Srinidhi ise chhod kar chali gayi hai to apun ka line clear ho gaya hai, apun 4 years tak sath padhne wale hain, to apun Arjun ko ek na ek din apna boyfriend bana hi lega, Arjun ko main tab tak pareshan karti rahungi jab tak ye mera boyfriend nahi ban jata hai.
Leela: Bas ho gaya aur ye chhore to bhi apne dimag mein ye baat daal le, tu sirf mujhse pyar kar sakta aur kisi se bhi nahi tu sirf mera hai samjha kya achhe se daal le apun ki baat ko apne bheje mein.
Leela: Ha to didi ab bolo aap kya kah rahi thi Arjun ke bare mein??
Kriti: Ab mujhe tumse kuchh bhi nahi kahna hai Leela tum to mujhse bhi jayada janti ho Arjun ke bare mein aur ha Arjun break par mere cabin mein aakar mujhse milna okay, mujhe tumse kuchh baat karni hai.
Arjun: Ji mam.
Kriti aur Leela chali gayi Leela ka admission procedure pura karne ke liye.
***
Rohan: Bhai ab to pakka tumhara band bajane wali hai Kriti mam, aaj to tu gaya dost, sale itna kuchh chhupa kar rakha tha hum sabse ab saja pane ke liye ready ho jao.
Arjun: Abe kyon dara rahe ho, ye ladki mere bare mein itna kuchh janti hai mujhe pata hi nahi tha sirf main ise college mein dekhta tha, ab mujhe kya pata tha ye mujhe kyon ghurti rahti thi, maine to isse kabhi baat bhi nahi kiya tha.
Krithi: Bhai koi baat nahi Kriti mam bahut samajhdar hai samajh jayegi tumhari paristhiti ko.
Nivetha: Ha Arjun chill Kriti mam samajh jayegi tumhari feelings ko okay.
Rashi: Don't get tensed Arjun kuchh nahi hoga sab kuchh achha hoga aur is Leela ki bacchi ko to hum sab dekh lenge.
Amit: Daro mat chhote bhai kuchh nahi hoga your loveis so pure for Kriti mam okay.
Arjun: Thanksto all guys meri paristhiti ko samajhne ke liye.
Rohan: Jo bhi ho yaar ladki mein bahut sahas hai sath hi sath mujhe bahut cool and calm lagti hai, dekho pure canteen mein sabke samne apne pyar ka ijhar kar chali gayi tumse apni pahli hi mulaqat mein, kal hum sabne Anupama didi ki daring dekhi thi aur aaj ek aur ladki aa gayi hai uski takkar ki.
Arjun: Dekh lo Rashi tumhare hote huye ye kisi aur ladki ki tarif kar raha hai.
Rashi: Kyon thik hi to kaha Rohan ne jo sach hai so sach hai, himmat to bahut hai ladki mein, magar ab dekhna interesting hoga ki jab Leela ko ye pata chalega jis ladke ko wah pana chahti hai us ladke ko to bahut hi pahle Kriti mam apna bana chuki hai, kasam se mujhe Leela ka chehra dekhna hai us samay kaisa hoga bechari ka to sapna hi tut kar chur chur ho jayega.
Nivetha: Hume is tarah se kisi ke feelings ke bare mein nahi bolna chahiye Rashi, pata hai na jab kisi ko kisi ka pyar nahi milta hai to kaisa lagta hai, tum to khud hi Rohan se pyar karti ho tumhe to is baat ko samajhni chahiye na.
Rashi: Sorrybhabhi mujhe pata hai jab kisi ko kisi ka pyar nahi milta hai to kaisa lagta hai, hamare samne hi Arjun aur Kriti mam ki example hai, jab Arjun ne Kriti mam ke pyar ko reject kar diya tha tab na to Kriti mam khush thi aur na hi Arjun khush tha dono hi kahin kho gaye the aur apna existence hi bhul gaye the.
Krithi: Chalo sabhi class ka time ho gaya hai.
Sabhi apne apne classes ke liye chale gaye.
***
[ARJUN CLASSROOM]
Sabhi students class mein baith gaye the.
Kriti mam class ke andar aayi.
Kriti: Hello students.
All: Hello mam.
Kriti: Sabhi students dhayan se sune ye ladki jo mere sath hai ab se isi class mein padhne wali hai, isliye sabhi students se meri vinti hai ki sabhi ise support kare aur ise apna dost banaye, ha magar ek baat ka dhayan rakhna ye kahin bhi, kabhi bhi, kisi ko bhi, kuchh bhi bol deti hai, yahi iski ek aadat kharab hai baki sab kuchh thik hai isliye iski baton ka bura mat manna.
All: No problem mam hum sab samajh gaye.
Rohan: Mam mera group Leela ko apni dosti ka proposal deta hai.
Kriti: Tum kya kahti ho Leela kya tumhe Rohan ka group manjur hai??
Leela: Mujhe accept hai kyonki jis group ka hissa Arjun hai main us group ka part definitely banna chahungi.
Kriti: Thik hai Leela phir tum apni seat par jakar baith jao.
Leela jakar Arjun ke left mein baith gayi jahan Arjun ke right side Rashi baithi thi.
Class end hone ke baad Arjun chala gaya Kriti mam ke cabin mein.
***
[KRITI MAM CABIN]
Arjun: May I come in mam??
Kriti: Come inside Arjun main tumhara hi wait kar rahi hoon.
Arjun andar chala gaya aur Kriti mam ke opposite ek chairpar baith gaya.
Arjun: Mam kuchh janna hai aapko mere bare mein.
Kriti: Ha kyonki aaj mujhe aisa lag raha hai ki main tumhare bare mein abhi bahut kam janti hoon.
Arjun: Mam koi bhi kisi ke bare mein itni jaldi sab kuchh nahi jaan sakta hai, phir hum dono ko mile huye abhi lagbhag 50 days hi huye hain, aise mein aap mere bare mein sab kuchh kaise jaan sakti hain, phir bhi aapke mann mein jo bhi questions aaye hain nischint hokar puchh lijiye main aapke sabhi sawalon ke jawab dunga.
Kriti: Kya tum Srinidhi se pyar karte the ya wo tumse pyar karti thi??
Arjun: Main Srinidhi ke bare mein kuchh bhi nahi bol sakta hoon ki wo mujhse pyar karti thi ya nahi, lekin main Srinidhi se pyar nahi karta tha, maine apni 11th aur 12th ke samay sirf Srinidhi ko hi apna dost banaya tha aur jahan tak mujhe pata hai Srinidhi ne bhi sirf mujhe hi apna friend banaya tha.
Kriti: Kya ab bhi tum Srinidhi se baat karte ho ya uske bare mein kuchh jante ho??
Arjun: Mam main Srinidhi se kam se kam ek baar to milna hi chahta hoon ki uske sath kya hua hai ki usne exam nahi diya aur 2 saal ke dauran sirf mujhe hi apna dost banaya aur kisi ko nahi, mujhe Srinidhi ke bare mein abhi koi bhi information nahi hai mam.
Kriti: Okay mera sabse kathin sawal mujhe Leela ko lekar hai, mujhe kya karna hai jis tarah se usne tumhe sabke samne challenge kar diya agar Leela ko nahi bataya gaya ki hum dono lovers hain to hum dono mushkil mein pad sakte hain, kyonki Leela bahut hi ziddi ladki hai apni baat ko pura karne ke liye kuchh bhi kar sakti hai.
Arjun: Mam mujhe Leela ke bare mein jayada pata nahi hai sirf mujhe uska naam hi pata tha college ke samay aur jahan tak mujhe lagta hai Leela ko jald se jald aap hum dono ke bare mein bata do nahin to baad mein aur jayada pareshani ho sakti hai, abhi to sirf usne mujhe apna banane ke liye socha hai magar uske dil mein ye chingari badhti hi rahegi har badhte din ke sath, isliye chingari ko aag banne se pahle hi aap us chingari ko samapt kar dijiye abhi use sirf thodi si hi taklif hogi.
Kriti: Thik hai Arjun jaisa tum kaho main waisa hi karungi main Leela ko samjhane ki koshish karungi ab tum ja sakte ho.
Arjun cabin se bahar chala gaya par Kriti ek gahri soch mein dub gayi ki wah apni chhoti bahan Leela ko kaise samjha payegi.
College ke samapt hone ke baad jahan Arjun apne ghar chala gaya Kajal mam ke sath, wahin Kriti aur Leela dono ghar chale gaye jahan Kriti ne apni chhoti bahan Leela ko kaise sab kuchh batana hai ki uska dil na tute uske liye soch liya tha, magar kya sach mein aisa hone wala hai ki Leela ka dil nahi tutega ye to sirf samay ke garbh mein hi chhupa hai ki aage kya hone wala hai.
Kriti ki carghar ke bahar pahuch gayi dono bahne ghar ke andar chali gayi.
***
[KRITI HOME, TIME 2:30 PM]
Sabhi ne ek sath baith kar dophar ka bhojan kar liya.
Kriti: Leela tum maa ke room mein ya apne room mein jakar college ke lecture ko complete karo, main tumse thodi der baad baat karti hoon okay.
Leela: Ji didi jaisa aap kaho.
Aur Leela uth kar apne kamre mein apne college ki lecture ko complete karne ke liye chali gayi.
***
Kriti: Bhabhi aap mere sath chaliye mujhe aapse ek help chahiye.
Kriti aur Shivangi dono Kriti ke room mein chale gaye.
Kriti: Bhabhi aap meri madad karo Kriti ne sare baaton ko Shivangi ko batate huye kaha jo bhi Leela ne Arjun se kaha tha college mein.
Shivangi: Bhabhi mujhe samajh nahi aa raha hai main kya karun, yadi maine Leela ko bata diya ki main aur Arjun lovers hain to uska dil tut jayega aur nahi batati hoon to aur jayada bura feel hoga, jab Leela ko hum dono ke bare mein pata chalega kisi tarah se.
Shivangi: Main baat karti hoon Leela se.
Dono hi Leela ke kamre mein chale gaye.
***
[SRI LEELA ROOM]
Shivangi: Leela mujhe tumse kuchh baat karni hai kya hum baat kar sakte hain abhi??
Leela: Kahiye bhabhi main sun rahi hoon.
Shivangi: Leela tumhe kaun si fruit pasand hai sabse jayada??
Leela: Bhabhi mangomujhe sabse jayada pasand hai.
Shivangi: Maan lo yadi tumhe mangona mile to tum kya karogi??
Leela: Arey bhabhi kyon nahi milega mangoto saal ke har mahine aur har din mil jata hai.
Shivangi: Koi sawal nahi sirf jawab do mangoagar tumhe nahi milega to tum kya karogi??
Leela: Main mangoko pane ki try karungi.
Shivangi: Agar phir bhi tumhe nahi na mile to tum kya karogi??
Leela: Dekhiye bhabhi jo bhi aapko mujhse kahna hai sidha sidha bol dijiye aap aise paheli mat sunaiye.
Shivangi: Thik hai Leela phir main tumse clearly baat karti hoon, agar tumhe Arjun nahi mile is janam mein to tum kya karogi??
Leela: Aise kaise nahi milega mere se best life partner use kahin mil sakta hai kya boliye, I am the best for him??
Shivangi: Kyon tumhari Kriti didi tumse best nahi hai kya??
Sri Leela: No maine aisa to nahi kaha, meri didi mujhse best hai.
Shivangi: Aur agar Arjun Kriti ko mil jaye to tum kya karogi?
Sri Leela: Arey aise kaise mil jayega Arjun kahan ek 19 years ka ladka hai aur didi 25 years ki ek ladki hai dono ka koi match hi nahi hai apun ki line clear hai.
Shivangi: Kriti badi hai to kya hua hai to ek ladki hi hai na.
Leela: Dekho bhabhi aap sidha sidha bol do, jo bhi bolna hai aapko, abhi bhi baat ko kyon ghuma rahi ho ki agar Arjun Kriti didi ko mil jayega.
Shivangi: Kyonki Leela dono ek dusre se pyar karte hain aur Arjun ke college end hone ke baad dono shadi kar lenge aur Arjun ki puri family ne Kriti ko apne ghar ki bahu banane ke liye accept kar liya hai.
Leela: Dekho bhabhi ye April nahi hai jo aap mujhe April fool bana rahi ho, yadi Kriti didi Arjun se pyar karti aur dono ki shadi fix ho gayi hai to mujhe abhi tak batayi kyon nahi hai aur na hi mom ko batayi hai aur na hi papa ko.
Kriti: Bhabhi bilkul sahi bol rahi hai Leela yahi sach hain, main sabko directly hi Arjun se milwana chahti thi isliye maine kisi ko nahi bataya aur yahan tak ki Ranjan bhaiya ko bhi maine Raksha Bandhan ke din surprise diya tha aur tum sabko bhi suprise dena chahti thi.
Leela: Mujhe believe nahi ho raha hai didi aap mujhe vishvas dila do ya prove kar do ki aap aur Arjun ek dusre se pyar karte ho main pichhe hat jaungi.
Kriti ne Arjun ko call laga diya aur call ko speakermode par daal diya udhar se Arjun ne call receive kar liya.
***
[Phone Conversation]
Arjun: Hello mam.
Kriti: Hello, I loveyou baby.
Arjun: I loveyou too baby.
Kriti: Arjun kya hum baad me baat karen abhi mujhe thoda important kaam yaad aa gaya hai.
Arjun: Okay sweetheart loveyou bye.
Kriti: Bye janu and loveyou too and I also miss you so much.
[Call Disconnected]
Jab call end hua to Leela ke ankhon mein ansu tha.
Kriti: Shant ho jao chhoti ab mujhe kya pata tha ki tum jise apne mann hi mann pasand karti ho usi se main pyar kar baithi hoon.
Leela ne rote huye hi kaha didi yahan aakar main sabko surprise dena chahti thi par yahan mujhe apne life ka aisa surprise mila hai ki main apni puri life kabhi bhi bhool nahi paungi, ye suprise mere 18 saal pura hone ka sabse bada gifthai.
Leela: Aaj samajh aa raha hai mujhe didi ki aap jisse pyar karo use turant bol dena chahiye nahi to wah kisi aur ka ho jata hai, par main aapke liye bahut khush hoon didi ki aapko Arjun jaisa pyar mila, main sab kuchh bhul jaungi kabhi bhi apne mann mein Arjun ke liye koi vichar nahi laungi, kahte hain na samay har dard ko bhar deta hai samay mera bhi dard bhar dega.
Kriti: Ye tum itni gyan ki philosophical baten kahan se karna sikh gayi Leela aaj main tumhara ek alag hi roop dekh rahi hoon, jo sayad aaj tak tumhare andar soya hua tha??
Sri Leela: Ye koi Gyan ki baten nahi hai didi aisi baten to aaj kal sabhi koi sikh jate hain samay ke sath.
Kriti: Main umeed karti hoon tumhe Arjun se bhi achha ladka mile.
Aur Kriti aur Shivangi dono ne Sri Leela ko apne gale se laga liya.
Sri Leela: Main thik hoon didi dekho mujhe kya hua hai, waise aaj tak maine Arjun se baat hi nahi kiya hai aur uske liye sirf mere dil mein ek attraction tha aur kuchh nahi aur ab wo bhi khatam ho gaya tumhe hi Arjun mubarak ho.
Shivangi: Okay Leela tum apna lecture complete karo hum dono bahar jate hain thik hai.
Sri Leela: Ji bhabhi main bilkul thik hoon aur ab aap dono mere room se bahar jao, main akele mein kuchh der rahna chahti hoon.
Kriti aur Shivangi dono Leela ke kamre se bahar nikal gaye.
Leela wahin ek gahri soch mein dub gayi, kya hua yadi Arjun mujhe na mil saka har koi ko kahan uska pyar milta hai, main bhi ab duniya ko apna ek alag hi roop dikhaungi jise aaj tak kisi ne nahi dekha hai, aaj tak sabne mujhe ek ziddi ladki ke roop mein jana hai ab main sabko aisa ban kar dikhaungi jise sab pasand kare, jo sabko sirf pyar degi aur badle mein kisi se bhi kuchh nahi chahegi aur main Arjun ki Meera ban kar pura life gujar dungi.
***
Wahin bahar Kriti apni chhoti bahan Leela ko lekar pareshan thi ki jo ladki kisi bhi chij ko pane ke liye apni puri zidd laga deti hai, aaj itni aasani se kaise maan gayi kuchh to jarur baat hai.
Shivangi: Kya soch rahi ho Kriti??
Kriti: Main Leela ko lekar pareshan hoon bhabhi, pata nahi Leela itni aasani se kaise maan gayi mujhe abhi bhi believe nahi ho raha hai jo usne mujhse kaha.
Shivangi: Bharosa to mujhe bhi nahi ho raha hai Kriti, jis ladki ko hum sab jante the ye wo Leela hai hi nahi jo baat baat par apne zidd par ad jati hai, aaj itni asani se kaise hamari baat ko maan gayi, wo bhi life ki sabse badi decision ko koi bhi virodh nahi dikhaya Leela ne aisa to aaj se pahle kabhi aisa nahi kiya usne.
Kriti: Dekhte hain bhabhi aage kya hoti hai mujhe to Leela ko lekar chinta hone lagi hai.
Shivangi: Pareshan mat ho Kriti samay ke sath sab kuchh thik ho jayega ye sabhi chije hamare control mein kahan hoti hai.
Kriti: Main bhi yahi aasha karti hoon bhabhi ki sab kuchh thik ho.
[Conversation Ends]
***
Dinner banane ka samay tha Shivangi aur Sithara dono dinner ready kar rahi thi Leela unke pass aa gayi.
Sri Leela: Mausi aap kab tak kaam karti rahogi aap jaiye, main bhabhi ki help kar dungi aur main bhi khana banana bhabhi se sikh lungi, aap sab mujhse bolti rahti ho main kuchh bhi nahi janti hoon.
Sithara: Tumhari tabiyat to thik hai na Leela aaj surajpaschim se kaise udit ho gaya, jis ladki ko koi kaam karne ke liye bolne par bhi kaam nahi karti hai wo aaj khud chalkar kitchen mein kaam karne ke liye aayi hai.
Leela: Oh ho mausi tab main chhoti bacchi thi ab main 18 saal ki ho gayi hoon 3 din pahle hi to huyi hoon main 18 ki, maan lo main kisi ke ghar shadi karke chali jaungi aur jab unhe pata chalega ki mujhe kuchh bhi nahi aata hai to sabhi mujhe gali nahi denge kya aur to aur mausi, maa aur aapko bhi to gali sunna pad sakta hai isliye main ab se kitchen mein main bhabhi ki help karungi.
Sithara: Jaisi tumhari marji aur khud hi kitchen room se bahar chali gayi.
Shivangi ne dinner ready kar diya jisme Leela ne unka sahyog kiya aur Shivangi ne bhi Leela ko kitchen ke kuchh kuchh tips diye.
Raat ke bhojan ke baad jab sabko sone ki bari aayi to Leela ne sabhi se kaha.
Leela: Mausi ab se main ek kamre mein akeli rahungi kyonki mujhe jayada der tak padhna hai aur mujhe apne college ke sare lectures complete karne hain sath hi sath mujhe padhai ke baad apni dance ki bhi practice karni hai.
Sithara: Jaisa tum kaho Leela beta.
Sabhi apne apne kamre mein sone ke liye chale gaye.
Shivangi: Kriti ek hi din mein humne Leela mein itna badlav dekh liya jis ladki ko sirf dance ke alawa aur kuchh sujhta hi nahi hai wo aaj college ke lecture ki baat kar rahi hai, kitchen mein meri help kar rahi hai.
Kriti: Main bhi yahi soch soch kar pareshan ho rahi hoon bhabhi.
Shivangi: Koi baat nahi Kriti jo bhi ho raha hai sab kuchh achha hi hoga.
Shivangi aur Kriti dono so gaye wahin Sithara pahle hi so chuki thi jabki isi ghar mein Leela apni padhai complete karne ke baad dance ki practice karne lagi aur jab thak gayi to Leela bhi neend ki wadiyon mein chali gayi.
***
This episode comprises 4.7k words. That's all for this episode.
Thanks bro....Nice update
Thank you....Jabardast update
Very nice update