UPDATE ::: 19
**************
Abb Takk
**************
khatiya ko dekhte hi mere saare dard ek saath ubhar aaye aur main badi mushkil se khatiya ke paas pohncha aur dhadam se khatiya par ja kar gir pada...
abb main koi shaktimaan to tha nahi. k mujhe kuch na hota apni life ka sabse khatarnaak "khel" khel kar aaya tha itni himmat juta to li thi lekin poora sharir dard ki inteha ko phnchne laga tha aur saath hi mujhe temprature bhi mehsoos hone laga tha....khatiya par girte hi mujhe apne chuttdon par bohat dard hua lekin abb uthne ki himmat khatam ho chuki thi. slow slow meri ankhen band hone lagi. aur mere apne hosh-o-hawaas kho betha.
pata nahi so gaya tha ya behosh ho gaya tha.
suba meri aankh khuli to maine apne aas paas dekha to pata chala k din nikal aaya hai aur mere sharir par ek lungi bandhi uhi hai.mere saare kapde uttre huye the. miane uthne ki koshish ki to aunty bol padi.
aunty .... beta lete raho abhi tum theek nahi ho...
***************************************************
UPDATE ::: 19
****************
Abbb Aaagggeeee
****************
aunty .... beta lete raho abhi tum theek nahi ho...
vijay .... aunty ji main to theek hoon mujhe kya hona hai. bhala changa to hoon.lekin mere kapde kis ne aur kyun utaare hain....???
phir aunty ne mujhe raat mere sath kya hua sabb bataya to main aunty ki baatein sunn kar heraan reh gaya. meri itni halat kharab ho gai thi.
hua ye tha k jab main khatiya par gira tha. to main behosh ho chuka tha. aunty mujhe khane ke liye pochne lagi lekin maine koi response nahi diya to aunty ne mujhe hila kar uthaane lagi. mujhe hath lagate hi aunty ko pata chala k mujhe bukhar aa gaya hai aur main apne hosh me bhi nahi hoon. aunty ghabra kar malikan ko bula laai thi.
malikan ek achi aurat hai aur uski ki ek beti bhi nurse hai. malikan ne apni beti ki madad se mujhe check kiya fir mere kapde utaar kar mere saare zakham dekhe.
mere zakham dekhte hi saari chaaron darr gai...meri halat hi itni buri thi.
pichle 5 din se meri kutte jaisi halat ho gai thi.
rekha baai ki maar phir rekha baai ke guards ki maar aur chutdon ka satyanash hona
kamar par bhi zakham aye the aur phir train me padne wali belt ki maar aur aaj hui ghatna ne mera jod jod hila daala tha.
mere sharir par kai jaga ghao aa chuke the.malikan ne apni beti ki madad se mere zakhmo ko antiseptic lotion dhoya aur phir un zakhmo par ek cream lagai. charon ne milkar meri aisi care ki jaise k main unme se ek hoon.(ye sun mere ankhen nam ho gai thi main kothe se kya nikla mujhe har qadam par bure logon ke saath saath ache log bhi mil rahe the. ye sabb bhagwan hi to kar raha tha mere liye shayad meri himmat aur dard ko dekh kar usko bhi mujh par daya aa gai thi)
malikan ne aunty se meri is halat ke baare poocha to aunty ne un gundon ke murder ke ilawa jo hua sab bata diya.malikan aur uski beti saari baat sun kar heraan reh gai k maine itni si age me hi aunty ki izzat kaise bacha li.ye sab jaan kar malikan aur uski beti ne dilse meri care ki.malikan ki beti ne mere zakhmo ki ache treatment ke baad mujhe usne apne paas se ek injection bhi lagaya...
"is daur me bhi aise log hain mujhe abb pata chal raha tha. warna mera to kisi se sahi bartao karne ka mann nahi raha tha. kothe par rehte mere andar aise hi vichaar ne janam liya tha lekin abb in sab ki mere saath mohabbat ne mujhe bohat kuch sochne par majboor kar diya tha"
jitna ho saka malikan ki beti ne meri treatment ki. raat ka waqt tha sab kuch sahi se to ho nahi sakta tha aur mujhe hospital bhi nahi lekar ja sakte the. unko darr tha kahin mere zakham dekh koi kuch locha na karde.aur baat police tak pohnch jaye is liye isi kamre me reh kar hi mere liye sab milkar sab kuch kar rahe the.raat ko jo ho saka wo kiya aur baaki ka mera treatment aaj karna tha...
aunty ne saari raat jaag kar meri fikar me hi guzar di thi....
sab kitna pyaar de rahe the mujhe"jo ek najayaz tha jiski kutte se bhi kam value thi. mian imotional hone laga lekin yahi to mujhe nahi karna tha kudh ko har tarha se badalna tha. par haan jo mujhse pyaar karte hain main unke liye apni jaan bhi de doonga"
khudko imotional hone se bacha liya maine abb sab kuch mujhe bohat hi acha lag raha tha aisa lag raha tha jaise main apni hi family ke saath hoon."family ki baat par mujhe phirse maa aur behne yaaad aa gai." lekin abb main pehle jaisa nahi raha tha abb main badal gaya tha. kal ke huye haadse ne mujhe badal diya tha abb main maa aur behno ko yaad kar ke dukhi nahi balke abb mujhe lag raha tha k main jald hi apni family ko le aaonga mujhe mere andar se awaz aa rahi thi. k jo raaasta maine kal ikhtiyar kiya hai aise hi raaste par chal kar main apni manzil tak pohnch sakta hoon."main aunty ki baat sunte sunte apne hi khayalon me kho gaya tha"
aunty ......(mujhe hilate huye) beta kya soch rahe ho..?
vijay .... (hadbadate huye) aan haan aunty ji mian malikan ke aur unki beti baare soch raha tha. kitne achi hain naa dono.
aunty ..... haan vijay beta bhagwan ka shukar hai jo malikan ki beti nurse thi. warna pata nahi kya ho jata. un sono maa beti ne tumhara bohat khayal rakha. dono bohat hi milansaar hain.
vijay ..... hmmmmm achi baat hai"intna bol kuch der chup raha"phir bola
vijay ..... itna kuch hua aur mujhe pata hi nahi chala... aapne apne apni beti ke liye kuch kiya ya nahi wo bhi to bimar thi naa.
aunty ..... beta rani abb theek hai malikan ki beti se rani ko medicine de di thi.
abb rani bilkul theek hai....
vijay ..... aunty ji mera naam vijay hai .. aap mujhe vijay bula sakti hain.
aunty ..... vijay beta tum bohat hi payare ho aur meri beti ka naam to tumne jaan hi hai liya aur mera padma hai... (ye bol aunty ki ankhon me aansu aane lage)
vijay ..... arre aunty ji aap rone kyun lagi , koi pareshani to nahi ho gai.sab theek hai naa.???
aunty ..... beta sab theek hai ye to khushi ke aansu hain jo nikal pade. abb to yaad bhi nahi kab khush hui thi zindagi me.
achi bhali zindagi thi hamari pata nahi kis buri nazar lag gai aur sab kuch ujad gaya. aaj itne saalon baad tumne mujhe aur meri beti ko sahara diya hai. to aisa lagne laga hai jaise main chhaaon me aa gai hoon. bohat thak hoon naa vijay beta to thodi si khushi bhi bardasht nahi hui aur ansu nikal pade....(ye sab bolte huye aunty ro bhi rahi thi)
mujhe aunty ka rona acha nahi lag raha tha to maine uth kar aunty ke beh rahe aansuon ko apne dono hathon ki ungliyon se saaf karke unko gale laga liya,
mujhe phir se maa aur behno ki yaad aane lagi aur main aunty ke gale lag maa ki mehak ko mehsoos karne laga. mujhe bohat sukoon milne alga maa to maa hoti hai"aunty bhi maa thi to maa jaisi mehak kyun naa aati"
aur wahan kothe par reh kar maine kabhi bhi khul kar apni maa se pyaar nahi kiya tha.kitna bad-naseeb tha main.meri aankhon se bhi aaansu bahar aana chahte the lekin abb meri life me aansuoon ke liye koi jaga nahi thi. is liye maine unhe behne nahi diya kuch der hum dono aise hi ek doosre ko dilasa dete rahe...
rani ......(jo paas doosri khatiya par bethi thi wo bhi aisi situation par khud ka control kho bethi aur rone lagi)
rani ke rone ki awaz se hum dono alag huye to aunty ne rani ke paas ja kar rani ko gale laga liya.apni maa ke gale lagti rani phoot phoot kar rone lagi....
"abb ye kya tha rani kyun rone lagi"
aunty ..... rani beti tu kyun rone lagi kya hua tujhe ..??
rani ...... maa ajj kitni badi khushi mili hai naa (hichkiyan lete huye) aaj humko bhi thoodi si khushi mil hi gai vijay bhai kitne ache hain naa maa(rani bolte huye roye ja rahi thi bechari pata nahi kabse dukhi thi)
maine jab se rani ko dekha tha tabse hi rani ko bohat hi dukhi dekha tha..
aunty ...... haan beti bhagwan hamari khushiyon ko kisi ki nazar na lagaye.
"kabhi kabhi thodi si khushi bhi kitna sukoon de jati hai. in dono maa beti ne kaisi dukh bhari zindagi guzari hogi" ?????
main un dono maa beti ke pyaar ko dekh apni titliyon ki yaad me jane laga k achanak se door knock hua... maine dekha to ek 20 age ki ladki kamre me dakhil ho rahi thi.
ladki ...... kya hua sab udaas kyun dikh rahe hain suba suba
aunty ...... aao aao pooja beti hum to bas aise hi maa beti gale mil rahe the..
pooja ...... hmmmmmmmmm chalo theek hai "aur phir meri taraf dekh kar" are uth gaya hamara hero..
main hadbada gaya...hero aur main
vijay ...... arre pooja didi main hero kaise ho gaya.
pooja ...... hmmm i like it k tumne mujhe didi bol diya iska matlab hai k tum sach me ache ladke ho. chalo batao ab kaisi tabiat hai tumhari. raat to bada pareshan kiya tha tumne hum sab ko ..
vijay ...... didi abb main theek hoon aur mujhe kuch nahi pata raat ko kya hua tha main to so gaya tha.
pooja ...... tum theeek ho??? "hmmm aur tum so rahe the raat bhar" mujhe style se dekhte huye aise jaise hum pehle bhi kai bar mil chuke hai..main to bas pooja didi ka chehra hi dekh raha tha. ik anjaaan ladke se aise pyaar bhare aur laad ke se andaaz me bol rahi thi.."mujhe dunya ke naye rang samjh aane lage jinse main ajnaan tha" mian har baat par bohat ghor kar raha tha.....phir didi boli
pooja .... tumne sab ko hila ke rakh diya itni si age me hi tumne itna kuch kar liya. tum to sach me hero ho... "phir jaise unko kuch yaad aaya" haan yaad aaya tumhare sharir par itne zakham kaise aaye. "aunty ko dekh kar phir mujhse boli" aunty to keh rahi thi k tum kal hi inko mile ho aur tumhare zakhamo ko dekh ke lagta hai k kuch din purane hain. kya hua hai tumhare saath..????
vijay ...... didi chot lagna to life ka hissa hai bass lag gai. ab kya bataaon main aapko....
pooja ...... ye chot nahi hai tumhare zakham dekh kar lagta hai jaise tum par kisi ne torture kiya hai. chalo mujhe bataao sab kuch "ache bache bankar"...pooja didi ki baat aur style se mujhe hansi bhi aa rahi thi lekin khud par control kar main ye sochne laga (abb inko kya batao peeeche hi pad gai hai)
vijay .... (kuch soch kar) wo .. wo to kuch din pehle jab main mumbai se delhi ki taraf aa raha tha to train me do ladke ek ladki ke saath zabardasti kar rahe the to ladki ko bachane ke chakkar un ladkon se meri jhadap ho gai thi. bass wahi se ye saare zakham aye hai.
(pooja mann me "lagta hai ye abhi sahi baat banana nahi chahta.kuch to locha hai. lekin hai bohat hi payara ladka aaj rehne deti hoon phir kabhi pooch loongi. pehle hi bechara zakhmi hai aur pata nahi is ke halaat kaise hain kaun hai kahan se aaya hai sab abhi nahi pochti main isse... parr chhodogi to main nahi ise bach ke kaha jayega)
aunty ..... pooja beti kahan gum ho gai ho. vijay beta ka checkup nahi karna kya??
pooja didi hadbada gai aur boli..... ha haan haan kyun nahi abhi check kar leti hoon...
pooja ..... (mujhse boli) chalo apne zakham dikhao mujhe ..aur ye lungi bhi nikalo.
vijay ..... kyun lungi kyun nikalon aapko sharam nahi ayegi.. mujhse lungi utrwa ke...
pooja ..... oo heeeeeeroooo raat bhar tere saath kya hua wo to sun hi liya hoga tumne.chal jaldi se lungi nikal warna me khench leti hoon..
ye bol pooja didi hansne lagi aur saath me aunty aur rani bhi.
unki hansi sunkar main jheemp gaya. abb raat to mujhe hosh nahi tha to sabb theek tha abb main kaise sab ke saamne nanga ho jaaon. mujhe ajeeb sa lagne laga.
main tha to besharam:"sharam naam ki cheez meri life me thi hi nahi" pata nahi aaj kahan se mujhe sharam si mehsoos hone lagi.....
""badalti hai zindagi rang naye naye""
mujhe nanga karne ki baat par mujhe meri titliyan yaad aane lagee kasie wo mujhse masti kiya karti thi. aur hum sab me koi parda bhi nahi tha. lekin yahan main phas gaya tha.main phir se socho me gum ho gaya tha. k mujhe kamre me phir se hansne ki awazen sunaai di.maine sab ki taraf dekha to meri lungi pooja didi ke hath me thi.
ohhhh terrriiiiii ye pooja didi bhi naaa kamaal ki hai besharam main tha aur sharam pooja didi bhool gai thi. chalo abb kya sochna jo hona tha ho gaya.
maine khud par kaabu paya aur apne pichhwade ko chhat ki taraf kar ke let gaya.mujhe let'te dekh sab phirse hansne lagee...
vijay ..... "bass karo sabb" abb mera sab kuch to dekh liya hai. kuch bacha hai to bata do wo bhi main dikha deta hoon..
hahahahahahahahahaha
sab ke kah-kahe phirse ke goonj gaye meri baat sunkar...
phir pooja didi ne antiseptic lotion se mere zakhmo ko dhoya aur mere sharir par bade hi pyaar se(jaise ke main unka apna hoon) aaj jo kuch mere liye le kar aai thi wo lagane lagi....is situation me main phirse se apni sochon me gum ho gaya....
(kitna pyaar kar rahe the ye pyaare log mujhse...abhi ek hi din hua tha aur mujhe aise treat kar rahe the k jaise hum barson se saath reh rahe hoon agar meri koi badi behen hoti aur wo bhi mujhse aise hi pyaar se bartao karti to meri life maa aur behno ke saath kitni khubsoorat hoti....padma aunty phir raani phir malikan aur abb unki beti sab ke sab ek se badhkar mohabbat karne wale log.
kitni khubsoorat zindagi hoti hai jab tak koi uljhan in jaise pyaar karne wale logon ki life me naa aye....
pooja didi ko dekh kar aur unke mujhse behaviour ko le kar mujhe itna sukoon mil raha tha k kya bataaon apne ghar(kothe) ko chhod dene se jo dard aur adhura pann sa tha, pooja didi ke meri life me aane se wo kam ho gaya tha, main bohat hi khush tha...
phir meri soch badalne lagi aur mera ghussa bhi badhne laga....
padma aunty ki dukh bhari life aur rani ke sath un dono gundon ne aisa kya kiya hoga,jo rani bechari har dum udaas rehti thi, mera khoon garam hone laga....samaj me aise logon ko jeene ka haq nahi milna chahiye jo bebas aur lachaar aurton aur ladkiyon par apne ghinone irade le kar chad daudte hain.... mera ghussa aise log ke khilaaf badhne laga....
rekha baai bhi inhi logon me shamil thi jo pooja didi jaisi najaane kitni hasti khelti ladkiyon ki zindagi barbad kar chuki thi.....
meri maaa bhi kabhi pooja didi ke jaisi hasti khelti hogi rekha baai ne unki hasti khelti zindagi me aag laga di,rekha baai aur un ke jaisi aurton ka to wo haal hona chahiye k phirse koi aise ghatiya vichaar apne mann me laane se hi thar thar kaampne lage.......
phir meri ankhon ke saamne pooja didi hasti hui dikhi main unke saath masti karte houe bazaar ki taraf ja raha tha aur achanak se rekha baai ke gundon ne pooja didi ko pakad liya......main chah kar bhi kuch nahi kar saka...)
maine chillane laga "chhod do meri pooja didi ko" "chhod do meri pooja didi ko"