• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy HEALER

Tri2010

Active Member
1,552
1,314
143
UPDATE 1
Retrieval Mission



“Charlie, will it be our last day?”

“Come on dude don't be a pussy. Live by sword, die by sword…. And Tom don't stress about it, we are going to execute this mission without any casualties like we always do.”

Charlie ki baat sunkar Tom thoda rahat ki saans leta hai. Fir bhi uske dil me dar to tha hi, kyuki aaj tak usne jitne bhi missions kiye hain unme se ye sabse mushkil aur khatarnak hone wala tha.

2 ghante pahle,

Location: Libya

Ek room me 6 SAS (UK special force) apne gear ready kar rahe the. Sabhi ne apne guns, knives, aur kayi sare equipment ko check kar apne sath rakh liye. MI6 ne is mission ka anjam dene ke liye in 6 khas soldiers ko chuna tha. Aur in sabko lead kar raha tha ‘Healer’. In chhavo ke agar total mission mila diya jaye to 150 se upar honge.

Tabhi Samuel khada hota hai aur team ko debrief karta hai.

“Boys, I know you all have done so many missions and are probably one of the finest soldiers in the world. But this is going to be the most important mission of your life. Millions of lives depend on this mission. Just think that this mission is even more important than our life. We are going to secure the package and retrieve important information as much as we can. We will follow Healer’s lead and boys we are going to do this mission, we had enough drills for this.
Any questions?”

“No” sab ek sath jawab dete hain.

“Alright Boys, Let's move.”




Sabhi ne apni positions Healer ke bataye anusar jagaho par le li thi. Charo taraf banjar jamin ke alawa kuch nahi tha. Suraj nikal raha tha jis karan se lalima chhayi hui thi. Healer aur uske sathiyon ke gear aas paas ke vatavaran me dhal rahe the jiske karan unhe acha camouflage mil raha tha. Un logo ne road se kuch dur hi uchayi wale jagah patharon ke piche cover lekar unke aane ka intazar kar rahe the.

“So Sam, how many missions did you do with Healer” Tom samuel se intercom par puchata hai.

“I think it's more than 30.” Samuel Healer ki taraf dekhte huye bolta hai “Isn’t it Healer?”

Healer koi jawab nahi deta wo apni ankho ko band kiye huye baitha tha. Uske glasses helmet ke upar the, uska chehra puri tarah se dhaka hua tha sirf ankhon ko dekha ja sakta tha jo ki band thi.

Jawab na milne par Tom healer ki taraf point karke bolta hai
“Is he like this or can not speak?”

“He only prefers to talk when it's necessary” Jack jawab deta hai.

“How does he look, has anyone seen him? I have heard nobody really knows him, not even in MI6.” Tom dubara puchta hai.

“Yeah that’s true.” Mathew bolta hai.

“Jack, you worked with him much more than any of us combined. How strong is he?” Tom ne utsukta se pucha.

“He can kill all of us within a minute in a knife fight” Jack apni gun ki magazine check ki aur use reload karte huye bola “I have seen him killing 6 russian assassins with bare hands.”

“Then I think we are pretty much safe. And even if”



Tom aage kuch bolne hi wala hota hai ki intercom me awaj aati hai

“5 minutes. They are coming.”

Healer apni ankhe kholta hai, uski ankhein ekdam katilana thi jispe ladkiyan mar mite lekin kisi ke andar darr paida bhi karne ke liye kaafi thi. Usne apne glasses ko lagaya au fir bhari awaj me bola
“Be ready. It's time.”

Kuch der baad 5 black G Wagon aati hai, usase 20 ke karib soldiers utarte sabhi black color gear me the, sabhi adhunik american hathiyaron se laish the. Kuch hi der baad ek white color ki car aati hai, usase karib 40 saal ka ek sakhsh utarta hai jo dikhne me koi scientist lag raha tha. Uske hath me sealed box tha, wo box kholke unme se ek aadmi ko dikhata hai jisase saaf pata chal raha tha wo us unit ka captain tha.

Healer sabhi ko hatho se positions badalne ka ishara karta hai. Sabhi ne apni apni jagah badal ke thoda aur karib aa gaye the.

Tabhi Jack bolta hai
“What the fuck they are doing here”

“Who?” Sam ne pucha.

“Black sun. They are Black Sun.”

“Are you sure” Sam ne dubara pucha.

“110%”

“I have heard them for the first time. Who are they?” Tom puchta hai

“They are retired special forces from the US, UK and Germany. They work for money. They can be hired for anything, I mean literally anything.” Sam ki awaj me ghabrahat thi.

“Guns for hire?”

“Yes”

Box ko Black Sun ka captain le leta hai aur apne ek soldier ko ishara karta hai. Thodi der me gaadi se ek 3 saal ki ladki utarti hai jiske haath aur muh par patti bandhi huyi thi. Unme se ek ladki ki bandhi huyi patti kholta hai aur use chhod deta hai aur, wo ladki daudate huye scientist ki taraf badh chalti hai. Scientist ghutno ke bal baith ke apni baahein faila deta hai aur ladki uski bahon me sama jaati hai. Dono ki ankhon se asnun thamane ka naam nahi le rahe the. Wo kabhi uska chehra sehlata to kabhi uske baal banata. Healer ki nigahe unpe tiki huyi thi, uska dhyan Black Sun ke upar se hat chuka tha.

Tabhi Black Sun ka ek soldier ladki ko nishana banata hai, jiska andaza scientist ko bilkul nahi tha.

**Phew**


Goli chalne ki awaz sunkar scientist ki cheekh nikal jati hai. Kuch pal ke liye samay tham sa gaya tha.

Lekin kuch hi pal baad wo soldier wahin dham se gir jata hai, goli uske gale se paar ho gayi thi. Sabhi ki nazar wahan gayi jahan se bullet fire hoti hai. Ye goli Healer ki bandook se nikali thi. Healer apne sathiyon ko hath se ishara karta hai, aur sabhi ek sath attack kar dete hai. Lagbhag sabhi Black Sun ke soldiers khatam ho chuke the. Tabhi

“Stay there soldiers or I will shoot this girl” Black Sun ka captain ladki ke sar par banduk rakh kar dhamki deta hai.

Sabhi ke kadam wahin tham jate hai. Lekin Healer ke kadam abhi bhi aage badh rahe the. To captain ne Healer ke samne goli marte huye kahta hai
“Drop your weapons,... all of you” sabhi ki taraf banduk se ishara karte huye ladki ki bahon ko aur kaskar pakad leta hai.

Healer sabhi ko Guns rakhne ka ishara deta hai aur khud bhi apni AR aur pistol ko nikaal ke niche rakh deta hai.
Healer uski taraf dhire dhire badhta ja raha tha.

“You must be Healer, I have heard a lot about you. I just want to see what you look like..... Take off your helmet”

Healer kewal usase 3 feet ki duri par tha.

“On your knees. I said on your knees” Healer ghutno ke bal baith jata hai. “Now take off your helmet”

Fir captain apni gun healer ki taraf taan deta hai aur trigger dabane ke liye ready tha.

“What is he doing, we need to act now” Tom ghabrate huye bolta hai.

“Wait, don’t do anything stupid” Jack Tom ko warn karta hai

Healer apna hath helmet utarne ke liye le jata hai aur achanak uchhal kar captain ke hath se gun chhuda leta hai aur ladki azad ho jati hai. Sabhi apni gun uthate aur rahat ki sans lete hain.

“Are you alright?” Healer ladki se puchta hai aur ek hath se captain ko pakad kar rakha tha.

Ladki han mein apne sar ko hilati hai. Aur fir daud kar apne dad ke paas chali jati hai. Healer kaske captain ko pakdta hai aur puchta hai.

“What were you going to do with it?”

Captain ek majak udane wali muskan deta hai. Healer captain ki hi gun se ek goli marta hai aur wo captain ke kaan chirate huye nikal jati hai. Captain dard se karahne lagta hai

“I don’t like to repeat myself and next time it will go through your head….. What.. were.. you.. going.. to.. do.. with.. it?”

“I don’t kn…… aaahhh….. I swear I don’t know. We were paid… aahh … to receive.. the box and….. and they asked to drop this box at the airport.”

Healer use chhor deta hai, wo abhi bhi dard se karah raha tha, uske liye kuch bolna bhi mushkil ho raha tha. Healer apni gun uthata hai aur use rakh leta hai, fir box ko khol kar dekhta hai. Uske andar chaar yellow kanch ki bottle me chemical tha. Shayad kahin chemical attack hone wala tha.

Captain dard se karahate huye bolta hai “They won’t…..” usne itna bola hi tha ki Healer use apni pistol se shoot kar deta hai. Goli mathe ke bicho bich lagti huyi sar ke aarpar ho jati hai, use dekhkar choti ladki ekdum se dar jati hai.

“Healer, come on dude. At least, now show your face. Or you look like a girl and are afraid to show your face to men… hahaha” Tom Charlie ke kandhe par hath rakhte huye bolta hai. Aur sabhi hasne lagte hain. Sabhi ne apne helmet utar diye the. Obviously healer ko chhodkar.

Healer un chemicals ko leta hai aur bolta hai
“Charlie, take this chemical and hand it over to the chief.”

“Do you think they won't use this chemical? It can kill millions. They will use this in countries like ours” scientist ke awaj me chinta saaf jhalak rahi thi.

Healer scientist ki taraf badhta hai aur uski beti uske pairo ke piche chhupkar khadi ho jati hai.

“Hey little one don’t be afraid. Come here” Healer apne ghutno par baith ke bacchi ko bulata hai. Aur wo apne dad ki taraf dekhti hai to uska dad han me sar hila deta hai aur wo uske paas chali jati hai. Scientist aur Healer aapas me kuch baat karte hai aur baki sab ek dusre se baat kar rahe the.

Healer box kholta hai uske andar se ek choti si red capsule nikal kar jeb me daal leta hai aur baki ka box charlie ko thama deta hai

Aur tabhi goliyan chalne ki awaj aati hai aur jaise hi sab palat ke dekhte hai to Tom, Charlie aur Scientist jaamin par pade hote hain, goli unke sar se paar ho jaati hai. Healer Tom ki body ko khichta hai to dekhta hai Tom ka adha sar ud chuka tha aur uska dimag bahar nikal gaya tha….

“No… No… No” Healer khud se bolta hai

Ye sab dekh ke ladki chikhane lagti to Healer usko pakad ke cover me laata hai aur use chup karane lagta hai.

“Sweetheart, don't look there. Look at me…… Just don't be afraid. okay?” Healer ladki ke ansu pochate huye use chup karane ki koshish karta hai.

“My dad…. The.. they killed my dad.”

“Don’t look there, everything will be alright.” “Jack, what's wrong with the communication system?”

“We have lost the connection healer. We are definitely fucked up. And Who the hell are they?”

Kafi advanced armor ke sath 8 soldiers niche utarte hai, un sabki height karib 7-8 feet ki thi aur dekhne me kafi jyada strong lag rahe the aur unke paas modern weapons the jo kisi bhi armor ko penetrate kar sakte the.


Healer bhi unko dekhta hai use kuch samajh nhi aata,

“Jack take this box to the captain, and promise me you will keep her safe.” Healer box aur ladki ka hath jack ke hath me thamate huye bolta hai.

“I am not going to leave you behind. Not this time.”

“Promise me you will keep her safe and now go” Healer thoda shakti se bolta hai. “Sam, Mathew and I will try to hold them off.”

Jack apna sar han me hilata hai aur Sam, Mathew bhi use thumbs up karte hain. Jack wahan se us ladki aur box ko lekar nikal jata hai. Ab kewal teen log bachte hain… Healer, Samuel aur Mathew.

“Be ready guys, we will try to give time to Jack as much as possible”

Dono han me sir hilate hain.

“I am going to kill at least one of these motherfuckers” Sam apni gun ko reload karta hai.

Wo soldiers aage badhte ja rahe the. Healer aur uske sathi unpar tactically shoot kar rahe the

“These bullets are useless against them and we are getting short on bullets.” Mathew frustrate hokar bolta hai.

Healer 2 min sochta hai “Target their neck, I think armor is weak there.”

Aur teeno gale ke paas wale area par attack karte hain aur wo teen ko maar girane me saskham hote hain.

Mathew kafi khush ho jata hai.. “You ain't that tough fucking bastards … hahaha” tabhi ek goli uske sine ke aarpar nikal jati hai. Sam aur Healer ko kafi jyada jhatka lagta hai kyuki wo goli ek ache khase armor ko chirati huyi nikal gayi thi. Aur fir kuch goliyon ki barsat hoti hai aur Sam bhi dher ho jata hai.

Ab kewal akele bacha tha Healer aur apne aap se kuch bolta hai.

Aur Healer baki 5 me se 2 ko maar deta hai par uski goliyan khatam ho chuki thi aur wo ghir chuka tha jaise hi ek soldier uske paas aata hai to Healer chusti se use pakad ke uska sir deewar se jor se marta hai. Tabhi dusre soldier healer ko ek laat marta hai hai to healer thoda dur ja girta hai.

Aur fir teesra Healer pakad ke sir me helmet ke upar se hi khub jor se gun se marta hai jiske karan Healer ke helmet ke glass chatak jate hai aur uske sar pe lagne ki wajah se use thodi der ke liye sab kuch dhundhla dhundhla dikhai de raha tha. Aur fir 2 soldiers Healer ko pakad lete hain.

Fir armored vehicle se ek aurat utarti hai jiska chehra dhaka hua tha, aur uski akhon me kala chasma tha, uske sath 2 aur soldier utarte hain.
Teesra soldier Healer ke pet me jordar laat marta hai aur puchta hai.
“Where is the box” aur fir ek jordar mukka Healer ke muh me marta hai.

“He helped one to escape with the box.” right wala soldier bolta hai.

“We are going to find him and will kill him like we are going to kill you”

Aur jaise hi wo soldier Healer ka mask aur helmet utarne hi wala hota hai ki wo left wale soldier ko khich ke samne wala se lada deta hai. Aur jaise hi right wala gun chalata hai to Healer gun ko dusre soldier ki taraf mod deta hai aur chaku nikal ke sidha uske gale me ghonp deta hai.

Aur chaku gale se nikal ke dusre wale soldier ke ghutno me chaku se war karta hai jiske karan soldier ghutno ke bal gir jata hai aur apne sathiyon ko is tarah marte dekh Healer ke andar kafi gussa tha isliye Healer piche khade hoke us soldier ka sar pakdke samne se throat me chaku ghusa deta hai jo gale ke aarpar ho jata hai aur fir ek side se chaku khichkar gale ko kaat deta hai. Ye manjar dikhne me kafi darwana lag raha tha aur fir gusse se Healer us soldier ki body ko jor se laat marta hai.

Ise dekhkar wo Aurat bhi kanp jati hai wo apne kadam piche kichne lagti hai tabhi Healer us aurat ko pakdta hai Lekin ek soldier usko jor se marta hai to Healer dur ja girta hai aur aurat ke chehre pe dhakha hua kapda uske hath me aa jata hai. Jaise hi Healer fir se ladne ke liye uthane ki koshish karta hai tabhi uski nazar us aurat ke shakal ki taraf jati hai aur use khud yakeen nhi ho raha tha wo kya dekh raha hai.

“You fucking bitch. I am going to kill you today.” Healer ki awaz me nafrat aur gussa bhara hua tha aur jaise hi ghutno ke bal uthane lagta hai ek goli uske pet ko cheerti huyi aarpar ho jati hai. Aur aur fir dusri goli uske seene me aakar lagti hai. Healer zamin par gir jata hai.

“There is so much mystery behind this mask” aurat healer ki taraf dekh kar bolti hai. “Unmask him” ek soldier ko adesh deti hai

Jaise hi wo unmask karne wala hota hai ki piche se helicopter se firing hone lagti hai. Unme se ek soldier bolta hai “We need to go mam. We will find the box later.”

Aur fir teeno soldier aur aurat apne vehicle me baith ke nikal jate hain helicopter us vehicle ko chase karta hai par wo Libya ke sadko me kahin kho jate hai.

Jack ek gadi se wapas aata hai to dekhta hai sab mar chuke hote hain uske ankhon me ansu aa jata hai. Wo healer ke paas aata hai uska wo helmet utarta hai wo abhi bhi jinda tha par uski ankhein band thi.

“Healer… healer ... Look, I came back to take you back with me. Open your eyes buddy.”

Tabhi helicopter ke pilot ki awaj Jack ke intercom me aati hai. “We lost them. I followed them to the city, but I can’t see them right now.”

“Healer is still alive.” Jack ki awaj me kafi ghabrahat thi.

Captain command center se health monitor pe Healer ki status check karta hai to uski pulse gir rahi hoti hai. “Sorry Jack, I don't think we could save him. His pulse is going down. We completed our mission. He completed the mission.”



Present Day,

Tring Tring…Tring Tring… Table par rakha hua telephone bajta hai … andar ek vyakti apni ankhein band kiye huye kisi gehri soch me duba tha .. uske table par ek nameplate rakha tha jis par likha tha

AARUSH
Managing Director

Aarush apni aankhein kholta hai aur phone uthata hai.. udhar se ek ladke ki awaj aati hai.. Is ladke ka name Luv hai jo ki Aarush ka PA hai.
“Sir, aapse milne Shivam aaye hai.”
“Tell him I am busy.” Aarush phone rakhne hi wala hota hai to…
“Wo request kar rahe hai.. bol rahe hain unhe Chairman Sir ne bheja hai”

Shivam company ke Chairman ke office ka employee hai. Chairman ke office me gine chune hi log hai aur wo sabhi kafi wafadar hain.

“Ok” Aarush jawab deta hai aur Luv Shivam ko andar bhej deta hai.

“I am really sorry sir disturb karne ke liye, aapko aur Ritik Sir ko Chairman sir ne bulaya hai.”

Aarav apni chair se uthata hai aur khidki se company me bane garden ko dekhta hai aur puchta hai
“Use bula diya? Aur dada ji ne kuch aur kaha”

“Han sir maine unhe bula diya hai … wo to Soniya ke sath rangrali…” Aarush use ghur kar dekhta hai “Chairman sir ne aur kuch nahi kaha, bas jaldi aane ke liye bola hai.”

Aarush ka phone bajne lagta hai,
“Tum ja sakte ho.” aur wo shakhs office se nikal jata hai.

Aarush phone pickup nahi karta, phone dubara bajne lagta hai aur kafi der tak bajne ke baad usne call ko pick kar liya…

“How is she?” Aarush puchta hai. Udhar se kafi der tak koi kuch bolta hai

“I don't know, but not anytime soon.” Aarush itna bolke call cut kar deta hai.
Aur fir wo Chairman yani ki apne dada ji se milne nikal padta hai.




To be continued....
Wonderful update
 
  • Like
Reactions: SHOTO

Tri2010

Active Member
1,552
1,314
143
UPDATE 2
Persuasion

Kuch vakt pahle,
Subah 7 baje,
Rao Villa.Harshvardhan Rao apni patni Savitri ke sath puja path karke common dining table par nashte ka intezar kar rahe the.{
Harshvardhan Rao:- Age 73 years. Rao enterprises ke Chairman. Bahut hi suljhe evam shant swabhav ke vyakti hain. Apne grandchildren se kafi jyada pyar karte hain. Ye apni aadhi se jyada sampatti charity me de dete hain. Rao trust naam ka charity bhi khol ke rakha hai. Harshvardhan rao ki izzat pure pradesh me hai, neta ho chahe aam insaan, inki baat talne se hichkichate hain.Savitri Rao:- Age 72 years. Harshvardhan Rao ki dharam patni. Ye kafi jyada padhi likhi mahila hai. Pati patni dono ne milkar Rao enterprises ki sthapna ki thi. Sabse pahle inhone shuruat (The Palace) Hotel chains se ki thi jo ki India me sabse best service de. Bahut dino tak company ki vice president thi baad me inhone retirement lekar ghar sambhalne ki soch li.Inke 3 bachhe hain: Sabse bade Anant Rao, majhle Anupam Rao aur sabse chhote Atul Rao.Anant Rao:- Age 51 years. Inhone kam umra me hi college time love marriage kar li thi. Ye ek scientist the ab inhone retirement le li hai. Inki patni Diksha Rao ka dehant kafi pehle ho gaya tha. Diksha bhi ek jani mani Quantum Physicist thi. Anant apni patni se behad pyar karte the. Diksha ke gujar jane ke baad, wo abhi bhi is gam se nhi ubhare hain aur iska kasurawar apne bete ko mante hain. Inhe business me koi dilchaspi nahi hai isliye ye ek college me padhate hain.Inke 2 bachhe hain : Badi beti Aditi Rao aur chhota beta Aarush Rao.Aditi Rao Mittal:- Daughter of Anant
Age 30 years. Research Scientist. Apni maa ki tarah khubsurat. Height 5’7”.
Nimish Mittal: Husband of Aditi
Age 28 years. SP. Height 5’9”. Love marriage.Aarush Rao:- Son of Anant
Age 25 years. Advertising, Designing aur PR department ke MD. Rao family ke sabse jyada handsome aur hot member. Body aisi jaise koyi Greek Sculpture ho. Height 6’.Anupam Rao:- Age 49 years. Ye apne pita ke marg darshan me chalte hain. Ye company ke President hain aur isi saal chairman banane wale hain. Inhone ne apni MBA ki padhai IIM se ki hai.Neha Rao:- Age 47 years. Anupam Rao ki patni. Inke pita ek rajneta hai, aur inki shadi kewal political aur business power badhane ke liye huyi thi. Dikhne me kafi sundar hai., gora rang, bade baal aur gym jakar fit hain isliye 47 ki hone ke bawjood 35 se jyada nahi lagti. Ye apne sahar ki mayor hai.Anupam aur Neha ke 2 bachhe hain: Ritik Rao aur chhoti beti Tanvi Rao.Ritik Rao:- Son of Anupam and Neha.
Age 26 years. The Palace aur Rao Infrastructure ke MD. Height 5’10’’. Dikhne me handsome.Nikita Rao:- Wife of Ritik Rao, Anupam Rao ke dost ki beti.
Age 25 years. Board of director in Rao Enterprises. Height 5’7”. Behad hi sundar aur bold aurat.Tanvi Rao:- Daughter of Anupam and Neha
Age 23 years. CA & Advisor to the Finance Department of Rao Enterprises. Height 5’6”. Gora rang, lambe baal. Khubsurat chehra.Atul Rao:- Age 45 years. Ye company ke Vice President hain.Kavita Rao:- Age 42 years. Ye housewife hai. Ye dikhne me kafi jyada sundar aur hot hai.Inke 2 bache hai: Bada beta Raunak Rao aur Chota Beta Rahul Rao.Raunak Rao:- Son of Atul and Kavita
Age 22 years. MBA 2nd year. Height 5’9”Rahul Rao:- Son of Atul and Kavita
Age 20 years. MBBS. Height 5’10”
}“Good morning baba, good morning amma” Anupam ne apne maa baap ke pair chhute huye apni maa ke bagal wali kursi par baith gaya. Wo apne pita ke sath office jane ke liye ready ho gaya tha.“Khus raho anu, ab tumhari tabiyat kaisi hai?” Savitri anupam ke mathe ko chhute huye puchati hain.“Thik hai amma”“Kahan thik hai, aur maine aapko bola tha na ki isko 1 hafte ke liye rest lene do.” Savitri Harshavrdhan ke upar gussa karte huye boli.“Maine to bol….”“Aur aap bhi is budhape me tirath jane ki umar me office jaa rahe.” Savitri ne Harshvardhan ki baat katate huye boli.“Main bhi in sab se is saal fursat ho jaunga” Harshvardhan ne Savitri se thoda pyaar karte huye bola.Savitri pet me ek mukka mara aur dhire se kaha “Aapko sharam naam ki cheez bhi hai, bacche yahan baithe hain.”Tabhi apne room se bahar Tanvi aati hai “Good morning dad, good morning dada, good morning dadi” aur aakar samne wali kursi par baith jati hai.“Good morning betu, Neha abhi bhi so rahi kya.” Savitri ne pucha.“Aaj minister aane wale hain na isiliye wo subah subah hi nikal gayi hai.” Anupam ne jawab diya.“Lijiye bhaiya bhi aa gye, aur bhabhi kahan hain” Tanvi, Ritik ko dekhte huye bola.Ritik ne bhi sab ko wish kiya aur khane ke table par baith gaya.“Pata nhi mujhe” Ritik rukhe mann se jawab diya. Sab ek dusre ka muh dekhte rah gaye.Tabhi Nikita bhi aa gyi..Dekhte hi dekhte sab aa gaye sivay Aarush ke.“Aarush aaj phir nhi aaya.” Savitri chintit svar me boli.
“Are aa jayenge bhaiya” Tanvi jawab deti hai
“Waise dada ji apne nashte ke liye kya bola hai.”“Aalu paratha aur Gajar ka halwa”“Are wah dadu, Aarush bhaiya ka favorite, unhe maska lagaya jane wala hai… matlab kuch hone wala hai” Rahul utsukta se bolta hai.Tanvi rahul ke sar par ek thappad marti hai “Pagal wagal hai kya tu…jab dekho ulta sidha bakta rahta hai.. waise dadu kya baat karne wale hain.”Harshvardhan gahri sans leta hai aur bolta hai “Shadi”
“Kiski?” Tanvi puchti hai aur glass uthakar pani peene lagti hai..
“Aarush ki” Harshvardhan jawab deta hai.Jawab sunte hi Tanvi surprise hone ke karan uchak jati hai..“Bhul jaiye dadu.. Aisa sapne me bhi nhi hone wala” Rahul bolta hai.“Laad sahab ko ashiqi ladne se fursat ho tab to shadi karenge…” Kavita tane marti huye kahti hai..“Are chachi aap bhi un sab news ko manti hai… sab fake hai” Tanvi Aarush ka bachav karte huye bolti hai..“Par didi un actress ne to bola hai ki unhone date kiya hai Aarush bhaiya ko… Matlab 2 saal ke andar 5-6 bollywood actress aur model ko date kar chuke. Gajab” Rahul utsakta se bolta hai.“Are sab bakwas hai tujhe samajh nhi aa rha” Tanvi ab chidh rahi thi“Are to mera pota hai hi itna handsome ki uske piche ladkiyon ki line lagi hai.” Savitri mahaul ko thanda karne ke liye hans ke bolti hai.Atul aur Ritik ko ye sab baat sunkar kafi gussa aa raha tha, tabhi Anant bolta hai “Use jo karna hai kare hame kya karna hai… Kaka aap nashta lagaiye.” Thodi der sab apas me gapsap karte hai. Tab tak nashta bhi aa jata hai.Itne me Aarush aa jata hai aur dadi dadu ko wish karke Tanvi ke bagal me baith jata hai.
“Hii Tanu” Aarush tanvi ki taraf dekhkar bolta hai.“Good morning Aaru bhaiya” Tanvi uthkar gale lagne lagati hai to Aarav use bich me hi rok liya “Are subah subah chipak kyu rahi hai”Aur sab hasne lagte hai. Tabhi Nikita bolti hai “Devar ji kabhi aise hans khel ke ham logo se bhi baat kar liya kariye.” Lekin Aarush koyi jawab nahi deta aur chupchap nashta karne lagta hai.“Aarush tujhse ek baat bolni thi” Harshvardhan bolta hai… Aur sab nashte ko chhorkar dhyan Aarush ki taraf dekhne lagate hai par Aarush ka dhyan sirf plate ki taraf tha “Han”.“Aarush maine tere liye kaafi achi ladki dhudhi hai”
“Dadu maine kitni baar kaha hai mujhe shadi nahi karni”“Are baba kyu us bechari ladki ki bhi iske sath jindagi barbad karne me tule hai” Anant apne bete par khisiyate huye bolte hain. Bas itna hi sunana tha ki Aarush uth ke gusse se Anant ko ghurta hua office nikal jata hai.“Tu apne bete se kabhi pyar se baat nahi kar sakta kya” Savitri Anant se puchti hai. Aur idhar Atul aur Kavita andar hi andar kafi khush hote hain.“Par dadu ab kya karenge?” Rahul puchta hai.
“Shadi to isi ladki se hogi aur chinta na karo is baar maan jayega”“Are kaun hai ladki… matlab maine kisi ko itna ladkiyon se nafrat karte nahi dekha jitna bhaiya karte hain” Tanvi utsukta se puchti hai.“Baad me pata chal jayega” Harvardhan jawab deta hai… “Chalo chalo office nikalne hai” Sabhi apne apne kaam par nika jate hai… Harshvardan aur Anupam sath jate hai, Atul aur ritik sath office nikalte hain aur Nikita akele. Anant apne college ki taraf chala jata hai.Present time:Aarush chairman se milne unke office jaata hai aur jaise hi andar aata hai to dekhta hai Ritik already wahan tha, aur sath me Harshvardhan ka secretary Keshav bhi maujud tha..
“Aao Aarush baitho” Harshvardhan bolta hai.Aarush sofe par baith jata hai aur samne ritik baitha hota hai.
“To tumne Saxena case ke bare me kya socha.” Harshvardhan puchta hai.Aarush Ritik ko gusse se dekhta hai aur banwati muskurahat ke sath bolta hai “To dada ji se sifarish lagwa rahe” Fir Harshvardhan ki taraf dekhte huye kahta hai “Bhul jaiye uska case hamari company nahi handle karne wali.”“Par beta wo sirf PR ke liye itne paise dene ko tayyar hai aur fir advertising bhi milegi.”
“Aur dadu hamari company aur uski company me aapsi sambandh hai aur waise bhi wo mera khas dost hai. Musibat me dost kaam nahi aayega to kaun aayega.” Ritik bolta hai.“Dost…. Huhhh” Aarush jale pe namak chidakne wala kaam karta hai.. “Use bol do dusri PR agency hire kar le ham kaam nhi karne wale. Aur jab tak mai MD hu to ye hoga bhi nhi”“Uske upar allegations hi to lage hai… aur rahi baat..” Ritik itna bola hi tha ki Aarush bich me kaat deta hai..“Allegations?…. He r*ped his employee when she was drunk.” Aarush kafi gambhirta se bolta hai uski awaj me gussa tha. “Aur isase aage mai baat bhi nahi karna chahta”“Dadu aap kuch boliye” Ritik Harshvardhan se ummid bhari nazaro se dekhte huye bolta hai“Mai in sab me kuch nhi kah sakta. Ye Aarush ka decision hai ki kis case ko handle karna hai kise nhi”Ritik gussa ho jata hai aur khud se kahta hai “Aarush tu iski bahut badi keemat chukayega.”“Ab tum ja sakte ho”Ritik gusse se bina kuch bole nikal jata hai… Aarush nikalne wala hi hota hai ki Harshvardhan use rokta hai..
“Aarush tumse kuch baat karni hai” Aur fir Harshvardhan Keshav ki taraf dekhta hai to wo ishara samajh ke bahar nikal jata hai aur gate band kar deta hai. Aarush vapas aakar baith jata hai..“Aarush ab tum 25 ke ho gaye ho.. Ab meri tabiyat bhi thik nahi rahti.. To mai apne akhiri samay me tumhe dulha bante huye dekhna chahta hun.”“Dadu maine aapko kitni baar bola hai mujhe shadi nhi karni… Aur aap jid lagaye baithe hain.”“Are to puri jindagi aise hi bitayega… hame apni life me ek sathi chahiye jisase hum apne sukh dukh bejijhak baant sakein, pyar bhara jeewan rahega.. Aur jo ladki maine dhudhi hai .. She will love you a lot.”Love shabd sunte hi Aarush ko gussa aane lagta hai “Dadu mai aapko ye akhari baar bol raha hu shadi ki baat mere samne ab dubara mat laiyega warna…” itna bolkar Aarush uthkar chal deta hai….“Aruhi se bhi nahi karoge”Aruhi ka naam sunte hi Aarush ke kadam wahin tham jate hai…. Ye naam usne dasko baad suna tha aur ekbar Aarush apne dadu ko palat ke dekhta hai aur apne office ki taraf nikal jata hai,Harshvardhan khud se bolte hain “Dekhta hu kab tak bhagta hai shadi se.”Keshav andar aata hai aur kehta hai “Sir aapne Aarush se shadi ki baat ki kya… Kaafi gusse me yahan se gaye.”
Harshvardhan thoda emotional hote huye bolte hain “Keshav use lagta hai ki uska manobhav koyi nahi padh sakta hai.. Lekin main use dekh kar kah sakta hu uske andar kaafi dard aur gussa bhara hua hai… Aur shayad in sab ki dawa Aruhi hai.”“Sir bolna to nahi chahiye par Aarush ke bare mai jitna mai janta hu uske hisab se to aisa lagta hai hai ki us ladki ko is rishte me sirf dard milega”“Mujhe pata hai Keshav… fir bhi mai pahli baar apne pote ko lekar swarthi ban raha hu…. Par mujhe pura yakin hai Aruhi ise badal degi”“I hope aap sahi ho sir..” Keshav Harshvardhan ko ek file deta hai “Sir ye Nikita beti ne di hai… unhone Aarush ke department me working environment ko lekar complain ki hai.”Harshvardhan file ko padhta hai usme Aarush ke kaam karne ke tarikon ko kafi criticise kiya gaya tha aur use change karne ke suggestions bhi likhe huye the…. Jise dekhkar Harshvardhan ke chehare par muskan aa jati hai.Aur idhar Ritik aur Aarush dono ka dimag kharab tha…. Ritik ka gussa Soniya apne tarike se shant kara deti hai wahin Aarush gusse ko thanda karne ke liye cigarette sulga leta hai.
_____________________________________________“Didi MacD… mujhe burger khana hai please chalo na.” Ek ladki dusri ladki ko Mall me bane MacD ki taraf khich rahi thi.“Nyra nhi na… late ho jayenge to mom datengi.”“Didi please waise bhi itne dino baad mall aaye hain.”Akhirkar haar manke andar chali jati hai. Nyra apne liye burger, fries aur cold drink order karti hai aur apne didi ke liye ek paani ki bottle. Wahan baithe sabhi in dono ko chupke chupke dekh rahe the aur ho bhi kyu na. Jahan Nyra natkhat aur sundar ke sath sath bold and hot thi wahin uski didi itni khubsurat thi mano bhagwan ne sachen me dhal kar tarasa ho, wo na kewal ladko ka balki ladkiyon ka bhi dhyan khich rahi thi.“Main isi liye kahin nahi aati sab hame hi ghur rahe.” ladki Nyra se shikayat karti hai.Nyra idhar udhar dekhti hai to pati ladke use aur uski didi ko najre churate huye dekh rahe the wahin ladkiyan uski didi ko dekhe ja rhi thi to Nyra ki hansi chhut jati hai…“Didi aap ho hi itni sundar. Kisi ka bhi dhyan khich leti ho” Nyra apni didi ko chedte huye bolti hai.“Nyra pitegi bhi tu” thappad dikhate huye bolti hai.Itne me order aa gya tha aur Nyra ne le aaya. Usne pani ki bottle apni didi ko thama diya. Jaise hi wo pani peene lagi usko kisi ka dhakka lag gaya aur thoda se pani kapdo par gir gaya.“Oye hero… galti karke sorry nhi bolte aata… tumhare parents ne yahi manners sikhaye hain.” Nyra 2 ladko ko teji se bolti hai. Wo dono idhar udhar dekhte hai ki kise bula rahi. Unme se black shirt wala ladka uski khubsurati me kho jata hai jab firse awaj aati hai to uska dhyan tutata hai“Hello Mr. Tumhe hi bol rahi hu”“Nyra chhor na kya behas kar rahi hai”“Are didi ye log galti karte hain fir sorry bhi nahi bolte.” Uski didi use kuch kehne hi wali hoti hain ki Nyra unhe fir se bolti hai “Tum dono bahre ho kya …. Idhar aakar sorry bolo.”To black shirt wala ladka confused bhare expression ke sath bolta hai “Pagal wagal hai kya… maine kya kiya to sorry bolu.” Aur fir Nyra ki table ki taraf aa jate hai.“Ek to galti karte ho upar se sorry bhi nahi bolte hai” Nyra unhe gusse se bolti hai.“Nyra chhor na”... Nyra ke didi ki awaj sunkar wo dono ladke kho se jate hai kyuki awaj hi itni pyari thi. Aur wo undono ladko ki taraf palatati hai aur bolti hai “Ho gaya tum log jao… jyada der tak khade rahe to ye peetegi bhi” itna bolkar hasne lagti hai.Usko dekhkar wo dono ladke murti ban jate hai unke muh khule ke khule rah jate hai jaise koi asman se utri hui pari ko dekh liya ho.“Chalo sorry bolo” Nyra fir se kahti hai…“Chhor na Ny…”“We…. Arrrre …. Rrrreally sorry” Dono haklate huye bolte hai.“Its ok.” Nyra ki didi bolti hai “Tum dono ka name kya hai”To black shirt wala haklate huye bolta hai “Rrraahul… Rahul.”“Aur mera path….. I mean Parth”“Tum dono ko haklane ki bimari hai kya” Nyra puchti hai. Tabhi uski didi baju me ek thappad marti hai aur use ankh dhikati hain. Rahul aur Parth wahan se jane lagte hainTabhi bahar se ek ladki smile ke sath aate huye awaj deti hai “Aruhiiii dii….” aur aakar jaise hi gale lagne lagti hai tabhi“Oye hello… Aruhi didi se gale kewal mai lag sakti hu aur koyi nahi” Nyra us ladki ko side kheechte huye bolti hai.“Dii.. Nyra ko dekho na.” wo ladki chote bacho ki tarah muh banate huye bolti hai.“Pallavi… idhar aa” use bulakar Aruhi gale laga leti hai.Pallavi naam sunte hi Rahul aur Parth dubara palatate hain. Aur Parth bolta hai “Pallavi?”Pallavi Aruhi ke gale ko chorkar dekhti hai to Parth fir se bolta hai “Kahan gum ho gayi thi kab se dhudh rahe ham dono aur phone bhi nahi lag raha.”“Bhaiya phone ki battery khatam ho gayi hai.” Pallavi batati hai.“Tune kabhi bataya nhi tera bada bhai bhi hai… aur bahut battmeez bhi.” Nyra Pallavi se puchti hai.“Ye meri bua ke ladke hain” Pallavi parth ki taraf ishara karti hai “Aur ye bhaiya ke friend Rahul.”Jab Parth Pallavi se Nyra aur Aruhi ke bare me puchte hai to wo bolti hai “Ye hai meri best friend Nyra aur ye iski pyari didi Aruhi.”Itna sunte hi Rahul aur Parth fir se sorry bolte hain. To Aruhi bolti hai “Tum log bhi kuch kha lo.” Fir sab baith jate hain aur Rahul jakar order de deta hai. Wahin Parth ki to mano Aruhi ne neend chain sab chura liya hai wo bas usi pe mantramugdh ho gaya.Rahul order lekar aa jata hai aur fir sab khane lagte siway Aruhi ke to Pallavi bolti hai
“Didi aap bhi kuch khao na.”Aur Parth uthkhar kisi sewak ki tarah uthkar dono hathon se french fries offer karta hai. Lekin Aruhi mana kar deti hai. Par jab Parth firse insist karta hai to Nyra bhadhak jati hai…“Didi ne jab mana kar diya to baar baar kyu offer kar rahe ho…. Aur Pallavi tujhe to pata hai na didi dusre ke hatho se bana hua kuch bhi nahi khati.”“Sorry didi … sorry Nyra dimag se nikal gaya tha” Pallavi bolti hai. To Aruhi use kahti hai “Koyi baat nhi Pallavi.”Aur Parth ka bhi chehra murjha jata hai aur wo bhi sorry bolta hai.“Its okk Parth.” Aruhi uske hath par apna hath rakhte huye kahti hai. Aur jaise hi Parth ko Aruhi ke hatho ka ahsas hota hai to uski sanse ruk jati hai.Khane ke baad Rahul sab ki payment zid se kar deta hai. Aruhi aur Nyra, Pallavi ko bye karke nikal jati hain. To Pallavi Parth se puchti hai ki use Nyra batmeez kyu bol rahi thi to Parth use jo bhi kuch hua use bata deta hai jise sunkar Pallavi hasne lagti hai aur bolti hai…
“Nyra apne didi ke liye bahut protective hai….. aur gussa bhi bahut karti hai”Aur Rahul ke muh se nikal jata hai “Lekin hai to cute.”To Pallavi bolti hai “Rahul bhaiya Nyra se dur hi rehna wo ladko ko peetati bhi hai.”Jab Aruhi aur Nyra ghar pahuchate hain to ek aurat Aruhi ke upar tut padti hai…
“Jis tarah iski maa besharam thi usi tarah ye besharam hai. Khud to bigdi hai, meri beti ko bhi bigad degi.”“Mom bas bahut hua” Nyara bachav karte huye kahti hai.“Tum chup raho” wo aurat Nyra ko bolti hai “Itni der kaise ho gayi.”“Mom wo.. ” Aruhi kuch bolne wali hi hoti hai ki bich me Nyra bol padti hai “Mom mujhe Burger khane ka mann kar raha tha to mai didi ko jabardasti le gayi.”“Thik hai thik hai…. Nyra tum jakar padhai karo” aur fir Aruhi ko kahti hai “Aur tum jaldi se ghar ke sare kaam finish karo. Aaj sare housekeeper ki chhutti hai.”“Par mom didi thak gayi hai”“Nyra tum jao padhai karo…” Aruhi muskura ke bolti hai.“Par didi” Nyra kuch aage bolti ki Aruhi use uske room ki taraf jane ke liye dhakelti hai aur Nyra gusse se apni maa ko dekhte huye jane lagti hai.
“Pata nhi is ladki ne Nyra par kaunsa kala jadu kar rakha hai” Aruhi ko dekhte huye bolti hai aur Aruhi use ek smile deti hai jise dekhkar aurat ko gussa aata hai aur wahan se tunak kar chali jati hai. Aaruhi apna kaam chehare par muskan ke sath chalu kar deti hai.To be continued....
Nice update
UPDATE 4
Contrast

Jaise hi Tanvi bathroom pahuchi to dekhati hai Aarush bathtub me pada hua tha… usne bathtub ke kinaro ko kafi majbuti se pakad rakha tha.Ye najara dekh ke Tanvi ke dil ki dhadkane band ho gayi aur ankhon se ansu bahane lage….“Bhaiya …. Bhaiya” chillate huye bathtub ki or badhi aur shirt ka collar pakdke use bahar khichne ka prayas kiya chuki Aarush ne bathtub ko pakad rakha tha to uski sari mehnat bekar ja rahi thi.“Bhaiya … please… ” Tanvi rote huye use khichne ki har koshish karti hai par sare prayash bekar the…. Tabhi achanak Aarush apni ankhein khol diya jise dekhkar Tanvi ne darr se apne kadam piche khich liye. Aur fir Aarush bathtub se bahar nikalta hai, body me oxygen kam hone ki vajah se wo ladkhada jata hai to Tanvi ne use sahara diya.“It was…. intense.” Aarush Tanvi ki or dekha “Tu.. yahan.. kya kar rahi” Aarush lambi lambi sanse le raha tha.“Aap kamre me chaliye fir batati hu” Tanvi apne ansu pochte huye gusse se boli. Aarush bas use nervous smile deta hai.“Chhor… mai khud chal sakta hu.” Aarush use side hatata hai, uske kapde gile the to change karne ke liye wo dressing room ki taraf chal deta hai. Wo fir ladkhada jata hai, Tanvi sahara dene ke liye badhati hai to Aarush ishara karke use rok deta hai aur darwaje ka sahara leta hai. Tanvi jakar bistar pe baith jati hai aur thodi der baad Aarush bhi kapde change karke room me aa jata hai aur jakar Tanvi ke bagal baith gaya. Uske baal bade the to wo abhi bhi geele the jise dekhte hi Tanvi uthi aur cupboard se towel le aayi.“Chaliye neeche baithiye” Tanvi ankhon se ishara karti hai
“Kyu?”
“Baithenge..” Tanvi ne hath pakadke Aarush ko niche baitha diya aur khud bistar par baith ke towel se Aarush ke baal sukhane lagi.“Care to explain, what was going on?”
“Pehle tu ye bata tujhe ye sab kaise pata chala” Aarush ne sar piche karke Tanvi ko dekha.“Uski wajah se” Tanvi Aarush ke ungli me pehni huyi ring ki taraf ishara kiya.“Very clever… matlab tune health monitor karne ke liye birthday gift di thi?”
“Han….. kyunki aap meri jaan nikalte rahte ho…” Tanvi ki awaaz me gussa saaf jhalak raha tha.
“Fir to meri fikar ke karan kayi baar jaan atak gayi hogi.. hai na?” Aarush ne majakiya andaaz me bola.Tanvi Aarush ke kandhe par ek thappad marti hai
“Ouch..”“Aapko hamesha majak lagta hai…. Kab se paani ke andar the?”“4-5 minutes.”
Tanvi ne ankh nikal ke ghura to Aarush ghadi ki taraf dekh ke bola “18-20 minutes I guess.”“Aapko pata hai na 10 minutes me death ho jati hai… Kahin aap suici…” Tanvi ki awaaz kanpne lagi.“Pagal hai kya… Suicide wo bhi Aarush Rao…huhh” Aarush smirk karta hai. “Bas dimag jyada daud raha tha to usko oxygenated blood se deprive kar raha tha.”Tanvi ab samne aakar ghutno ke bal baith jati hai aur Aarush ka chehra dono hatho mein thamkar “Bhaiya kuch to btao aap kis dard se jujh rahe ho please…. Us raat ke bare me kam se kam thoda sa to baat karo.”Aarush kuch pal ke liye khamosh ho gaya, uski aankhein nam hone lagi lekin khud ko control karke usne Tanvi ka hath apne chehre se hataya “Tu kyu tension le rahi…. Tujhe pata hai na agar tu stressed rahegi to mujhe chain kaise milega”Aur fir apni ungli se ring utarke Tanvi ke hath me rakh diya “Ye pakad aur chal is room se nikal.”“Par bhaiya….”Aarush Tanvi ka sar sehlate huye kahta hai “Tanu mai nahi chahta ki mujhe lekar tu hamesha chintit rahe. To meri pyari behna mujhe lekar khudka blood pressure high na kar. Trust me I won't ever harm myself.”“Aur chal jakar aram kar” Aarush uthata hai aur jamin pe pade hui cheezo ko table par rakhne lagta haii.“Bhaiya, can I sleep with you?”“N..” Aarush mana karne hi wala hota hai ki wo ruk jata hai, wo use chedna chah raha tha…. “Ohh… to meri behan ko apne bhai ke sath sona hai…” aur Tanvi ke karib aa ke uske chehare par ungli ferte huye “aapke boyfriend ko agar pata chal gaya to dear..”“Pervert…. ” Tanvi majak me Aarush ke pet me kohni marti hai, lekin ab maje leni ki bari Tanvi ki thi to wo Aarush ke gale me apni bahein daal ke uski ankhon me dekhte huye “To aap bataoge Naitik ko, ki hum dono sath soye the.”Aarush khamosh tha jisase Tanvi uske honthon par chota sa kiss kar leti hai aur uski bahon se nikal kar darwaje ke paas khadi hanste huye bolti hai “Ye bhi bataoge Naitik ko.”“Tanvi….. ruk tu abhi btata hun..” Aarush gusse se bolta hai aur uski taraf badhta hai ki wahan se Tanvi haste huye bhag jati hai “Bye bhaiya…”“Ye ladki bhi na … abhi bhi iska bachpana nhi gaya” Aarush khud se bolta hai aur darwaje ko band karta hai tabhi uski najar dustbin me padi huyi files par gayi. Lekin use ignore karke aage badh jata hai fir kuch soch kar wapas muda aur sari files utha kar table par rakh diya… Jab usne ghadi ki taraf time dekha to 5 baj rahe the. Fir usne ek ek kar sari files ko padhna start kar diya.___________________Tring…. Tring …… Tring…. Tring
Luv ki neend tut jati hai aur wo side me rakhe huye alarm ko band karke bathroom jakar fresh hota hai aur aaj deal ke liye Bangalore nikalna tha to mirror ke samne khade hokar kapde pehan raha hota hai tabhi uski nazar apne upper body ke upar cuts ke nishan par jati hai aur 2-3 goliyon ke nishan ko apne hatho se mehsus karta hai ki uska darwaja knock hota hai to jaldi se Luv ne shirt ki button band kiya.“Dad… dad… mujhe aaj school nahi jana.” Ek 5 saal ki masoom si ladki daudate huye Luv ke paas aati hai aur Luv use apni god me uthake pyar karte huye bolta hai
“Kyu nahi jana meri princess ko?”Tabhi is ghar ki caretaker Lata jo ki karib 50 saal ki thi wo aati hai “Dekho Luv babu aaj Pari jid kar rahi ki school nahi jayegi , bol rahi ki use aaj dad ke sath pura din khelna hai.”“Aapko pata hai na mujhe office jana hai. Aarush uncle wait kar rahe honge.” Luv ne Pari ko manate huye bola, uska chehra utar gaya tha.“Aap Aarush uncle se itne rich ho fir bhi unke liye kaam kar rahe ho.” Pari muh banate huye bolti hai.“Kyuki aapke dad ko kaam karna pasand hai” Lata ne bola“Mera bacha zid nahi karte na. School jaogi tabhi to padh likh kar scientist banogi aur waise bhi kal sunday hai to pura time aapke sath hi rahunga.”“Hmm..” Pari ne udas sa chehra bana liya.“Ab jake ready ho jao nahi to school ke liye late ho jayega.” Luv Pari ko apni god se utar diya aur Lata se kaha “Aunty khayal rakhna iska” jispar Lata ne han me sar hilaya. Aur kuch hi der me Luv bhi nikal jata hai.

________________________
Rao Enterprises ki general meeting shuru hone wali thi.{
Rao Enterprises - Founded by Harshvardhan and Savitri
Valuation - 5 Billion Dollar.
Chairman - Harshvardhan Rao.
President - Anupam Rao.
Vice president - Atul Rao.Stakeholders :
60% shares Rao family ke paas hain.
13% - Harshvardhan Rao; lekin 10% shares Rao trust ko belong karte hai par abhi bhi 39% voting rights Harshvardhan ke paas hi hai.Sabhi bhaiyon ke family ke paas 15-15% shares hai.[ Anant Rao’s Family
15% - Aarush Rao - Anant Rao ne apne shares apni beti Aditi ko transfer kar diye the, fir baad me jab Aarush ne company join ki to Aditi ne sare 10% shares Aarush ko transfer kar diye.][Anupam Rao’s Family.
5% - Anupam Rao; 5% - Ritik Rao; 5% - Tanvi Rao]
2% - Nikita Rao[Atul Rao’s Family
10% - Atul Rao, 5% - Kavita Rao]5% - Manoj Gupta -Age 34 years. Inke pita is company ke early investor the aur inhone apni MBA wharton university se ki hai. Kafi samay tak The Palace ke MD the. Ab board of directors me se ek hain.Baki ke 35% kayi sare investors ke paas the.
}Bade se room ke andar kafi sare log baithe huye the, sab apas me khusur pusur kar rahe the tabhi gate khulta hai aur sabhi log apni chair se uthkar khade ho jate hai. Kamare me Harshvardhan ke sath Keshav aur Anupam dakhil hote hai. Baki ke board members aur kayi sare investors aa chuke the shivay Aarush ke. Harshvardhan jakar apni kursi me baith gaye aur sabhi apni seat le lete hain. Meeting start hoti hai kayi sare agenda pesh hote hain. Kuch accept hote hai to kuch reject.Fir baat shuru hone wali thi The Palace par. The Palace pichle 3 saal se nuksan jhel raha tha aur pichle quarter uska nuksan company ke baki subsidiary ke profit ko chat kar gaya. Is topic ki shuruat Manoj karte hain, unhone The palace ko ek nayi uchaiyon tak pahuchaya tha, baad me MD ki position Ritik ko de di gayi. Manoj ko is baat se koyi bhi narazagi nahi thi lekin The Palace ka is tarah se girna unke liye dukhad tha.“Mr. Ritik aapke in losses ko lekar kya excuses hain” Manoj 2 report file, ek chairman aur ek ritik ki taraf fekate hain.Harshvardhan report ko dhyan se padhte hain aur wo bahut sari aisi cheeze observe karte hai jo unhe bahut khatakti hain.“Abhi market down chal raha, to logo ke paas paise kam hai kharch karne ke liye. Aur dusri baat hamare hotel ki services bahut costly hain aur common logo ke liye accessible nahi hai.” Ritik jawab deta hai.“Par jahan tak mai dekh sakta hun premium hotel sector India me kafi teji se badh raha recession ke bawjood, to loss hone ka ye karan to nahi ho sakta.” Manoj ki awaj me frustration saaf jhalak rahi thi.“Dekhiye Mr. Manoj aap board of director isliye aap ki respect karta hun, to aap hame hamara kaam hamare hisab se karne dijiye”Tabhi Harshvardhan report ko teji se table par patkate hain.
“Ritik tum The Palace ke MD ho to sabhi sawalo ke jawab tumhe hi dene padenge. Tum ham sabhi ko ye batao ki The Palace ko wapas profitable kaise banaoge.”“Hame hotel ke expenditure me katauti karni padegi aur staff ko kam karna padega.” Ritik ne jawab diya. Baki ke kuch investors bhi agree kar rahe the.Tabhi Ritik ki biwi Nikita bol padti hai.
“The Palace hotel pure desh me apni services ke liye famous hai aur agar ham use hi degrade kar denge to ye na kewal The Palace ke liye nuksandayak balki Rao enterprises ko bhi effect karega. Shayad aap is position ko hold karne ke liye eligible hi nahi hai”Ritik ko apni biwi ke upar bahut gussa aa rha tha par wo kuch kar nhi sakta tha. To Atul Rao ne bich me tokate huye bola “Loss ke liye Ritik nahi balki employees jimmedar hai aur hame samay ke sath apni strategy bhi change karni chahiye. Mai Ritik ki baat se puri tarah sahmat hu.”“Lekin ye strategy flawed hai aur rahi baat” Nikita ki baat Anupam ne katate huye bola
“Tanvi iska financial impact kya hoga”“Short term me ham losses ko cut to kar denge shayad profit bhi generate kar de lekin long term me shayad ye hamare liye faydemand na ho.” Tanvi ne jawab diya.Harshvardhan ne kuch sochne ke baad apni baat rakhi.“Ritik tumhare paas 3 mahine aur hain, agar koyi badi improvement nahi dikhi to hame drastic steps lene honege.”Ritik kewal unki baat se han milata hai. Aarush ke is meeting se miss hone ke karan kafi log naraz the to isi baat ka fayda uthate huye Atul bol padta hai.
“To Aarush fir se is meeting me unupasthit hai. Ham logo ne use kafi chhut de rakhi hai. We need to take some strict actions on him.”“Aarush ek deal ke liye bangalore gaye huye hain. Iski information unhone pahle hi de di thi” Keshav, Harshvardhan ke secretary ne bataya.To Anupam bolte hain “Wo is meeting me ho ya na ho hame isase koyi matlab nahi bas apna kaam dhang se kare. Tanvi, Aarush ke departments ki kya reports hai.”“He is doing really well. Pichle saal se revenue 74% aur profit 58% badha hai. Aur pichle quarter revenue 110% aur profit 94% badha hai. I think these numbers are quite impressive.”In numbers ko sunkar sabhi board members kafi impress ho jate bas kuch ko chorkar, is baat pe Manoj bolte hain
“Mr. Chairman mujhe lagta hai Aarush ko hame aur power deni chahiye usne dusri subsidiary ko matra 2 saal me hi kayi guna badha diya hai.”To bich me Nikita bol padti hai “Aarush bhale hi company me kafi profit generate kar rahe par unke kaam karne ka tarika bilkul sahi nahi hai. Kafi employees ki complain hai ki unke under unpar kafi pressure rahta hai. I think we need to do something about his department’s work culture. Ye employees ke liye toxic hota ja raha hai.”To ek investor bol padta hai “Mrs Nikita aap lucky hai ki Mr. Aarush aaj meeting attend nahi kar rahe.”Ispar Nikita jawab deti hai “sawal karna hamara kaam hai agar ham sawal nahi karenge to kaun karega aur rahi baat Aarush ki to wo koyi Mr. Perfect nahi unme bhi bahut kamiya hain.”Anupam ne dekha mahual bigad raha to unhone ne bolla “Agar meeting me aaj ke liye koyi aur mudda na ho to is meeting ko over kiya jata hai.”________________T-Mobile Headquarters,
BangaloreBuilding ke niche ek Audi A8 aakar rukti hai usase 2 sakhs utarte ha. Jaise hi wo gate andar entry karte hai sabhi logo ki nazar unpe jati hai. Vo koi aur nahi balki Aarush aur Luv the. Luv ke hath me ek file thi. Sabhi log aapas me khusurfusur karne lagte hai to wahin ladkiyan unpar dore dalne lagti hai fir chahe kuwari ho ya shadishuda.Unme se ek receptionist apni colleague se kahti hai “Yaar wo navy suit wala kitna hot hai. Isake samane to sare superstar feeke hain..”Tabhi dusri wali bolti hai “wo file wala bhi kam nhi hai.”“Ek second wo navy wala Aarush Rao hai na.” dusri wali ne gaur se dekhte huye bola.“Are han… wow real life mein aur bhi jyada hot dikhta hai”
“Chup chup… wo file wala idhar hi aa rha.” Dusari wali ne Luv ko apni taraf aate huye dekha to chup karane lagi.“Hi… Sima. We have an appointment with Miss Kavya today. We are from Rao enterprises.”“Ohh… han …. But aapko mera naam kaise pata hai.”
Luv Sima ke nameplate ki taraf ishara karke muskara deta hai.. Jiske karan Sima bhi blush kar deti hai.
Sima ek ladke ko bulati hai aur kahti hai Kavya mam ka office dikha de. Aarush waiting room ke sofe par baithkar kisi se baat kar raha tha, itni der me Luv us ladke ke sath aa jata hai aur wo teeno Kavya ke office ki taraf nikal padte hain.Kavya T-Mobile ki CEO hai. Is company ko khule huye kuch hi saal huye hai. Iske pichle launch kiye huye phone flop ho gaya jis karan se, T-Mobile ke stakeholders ne phone ki designing aur advertising ke liye Rao Enterprises ko hire krne ka decision banaya kyuki pichle 2 saal se Rao Enterprises ka design and advertising department pure desh me bahut mashoor ho gaya tha.“Mam, Mr. Rao aa chuke hain” Ladka Kavya ke office ke andar jakar Kavya ko inform karta hai. Aarush aur Luv bhi room ke andar dakhil hote hain.Kavya ek young aur behad hi khubsurat ladki hai, aur kafi jyada hoshiyar bhi“Ohh Mr. Rao aapko dekhne ke liye aankhe taras gayi…. Baithiye” Kavya samne rakhe sofe ki taraf ishara karti hai.“Kafi suna hai aapke bare me, aap ankhon ke samne vakayi kafi jyada hot hai” kahte huye kavya ne aankh maar di.“Miss Kavya, hame business ke bare me discuss kar lena chahiye. Ye kaam managers bhi kar sakte the par aapne milne ke liye jid kiya?” Luv ne narazaki jatate huye kaha.“Ohh aap jarur Luv honge. Aap bhi kafi cute ho. Aur rahi baat bulane ki to agar aap logo yahan nhi bulati to mulakat kaise hoti…. Especially Mr. Aarush se” Kavya Aarush ki taraf akhiri me dekhte huye boli.To ispar Luv jawab deta hai “I see… par mujhe lagta hai Mr. Aarush ko business me jyada dilchaspi hai.”“Achha.. itni haseen ladki jab samne ho to bhi business ki baate… so boring” Kavya uthati hai aur 3 glass me vine dalti hai… fir Luv aur Aarush ko glass thamati hai… aur jab Aarush ke hath me glass deti hai to dhire se uske hathon ko sehla deti hai jisase Aarush Kavya ki ankhon me dekhna lagta aur Kavya muskura deti hai.“You know Aarush agar sirf business ke liye bas bulaya hota to ye kaam kewal ek contract bhej kar kiya ja sakta tha.” Aur kavya fir jakar baith jati hai.“And for your kind information Miss Kavya” Aarush ek vine ki sip leta hai aur fir Kavya ki taraf dekhta hai “My time is valuable. Each minute is quite expensive.”“Uff… aisi hi baato pe hi to shayad aap pe ladkiyan fida hain.”To bich me Luv tokate huye bolta hai “Mujhe lagta hai ab kaam ki baat kar li jaye.”“You are no fun Luv.” kavya muh banate huye bolti hai.Aur fir Luv mobile ki designs explain karta hai aur kaise advertising handle karenge ye explain karta hai. Karib 1 ghante beet chuke the.“Impressive indeed.” Kavya tarif bhare lahje se bolti hai. “Ab mujhe 40 million dollars ki deal faydemand lag rahi hai.”To Aarush uthata hai aur samne rakhe huye bookshelf se ek book nikalte huye kehta hai “As I earlier said, each minute is quite expensive. Isliye ab deal me thoda sa change hai. Now it's 50 million dollars.”“You must be joking right?”“No, absolutely not. Aap ye deal ek mahine phle hi close kar sakti thi but aapne apna aur mera time waste kiya … sath hi sath hame yahan tak bulaya. It's a fair price for that.” Aarush book ko wapas shelf me rakh deta hai.“Maine to aap logo ko isliye bulaya taki thoda jaan pehchan ho aur dosti badhe.” Kavya Luv ki taraf dekhti hai.To Luv bolta hai “Miss Kavya, sir ko unka koyi time waste kare ye bilkul pasand nahi hai.”“Everything is valuable Miss Kavya, so never take things for granted.” Aarush book shelf pe tik ke bolta hai.“Agar aap aise karenge to ham kisi dusre firm ko hire kar lenge” Kavya deal se pullout karne ki dhamki deti hai.“You can try. But aap khud se puch ke dekho ki baaki log aapko profit generate karwa payenge bhi ya nhi. We are promising you a revenue of at least 250 million dollars, half of your company's valuation.” Aarush bolta hai.“Isiliye to bol rahi hu 40 million dollars. 10 million dollars extra faltu me le rahe hain.” Kavya plead karti hai.“Everything has a price, Kavya. I won't make you an exception” Aur Aarush Luv ki taraf ishara karta hai. To Luv contracts paper ko khol ke Kavya ke samne sign karne ke liye rakh deta hai.“40 million dollars please?” Kavya cute sa muh banati hai.Aarush Kavya ki table ke paas aa jata hai “Tumhe stakeholders ka darr hai” to Kavya han me sar hilati hai. “Don’t worry dear, sabse pahle unhe hi bataya hai and they have accepted. To ab tumpe hai accept karna hai ya nhi. You know, each minute has some price.”To Kavya udas mann se sign karti hai aur file Luv ko handover kar deti hai. Jise wo check karta hai aur sab thik hone ka ishara Aarush ko kiya.Aarush Kavya ko dekhta hai to wo uska chehra murjhaya huya tha. To Aarush Kavya ka vine glass uthakar use thamate huye kahta hai…“Ab itna bhi udas mat ho… we will also handle PR….… for free.”“Really?…” Kavya ka chehra khil uthata hai aur Aarush han me sar hilata hai…Fir Kavya apne chehre par muskan ke sath boli “Aarush jii aapse ek baat kehni thi.”“Han bolo.”“Marry me. We will run this company together.” Kavya majakiya andaz me bolti hai jiske karan Luv ki hasi chhut jati hai par Aarush abhi bhi serious tha aur jakar kavya ke samne table par baith jata hai aur uska chehra apni taraf uthakar kehta hai“Thank you for your proposal, Miss Kavya. But it doesn't excite me, even a bit.” Aarush uthakar chalne lagta hai par ruk kar muskurate huye bolta hai “Lekin agar Luv karna chahe to kar sakta hai.”“Are sir mai beech me kahan se aa gaya.”“Stop making fun of me.. warna abhi contract cancel kar dungi.” Kavya jhutha gussa dikhate huye boli.“Uske liye bhi price hai Kavya.” Aarush akhiri shabd bolte huye Luv ke sath bahar nikal jata hai.Aur fir Kavya ki secretary andar aati hai aur puchati hain “Mam deal huyi kya aur Mr. Rao kaise vyakti hai”“Hmm deal to ho gyi … aur rahi baat Mr. Rao ki to” Kavya kuch pal sochti hai “He is a very fascinating person.”“Kahin pyar to nahi ho gya mam?” secretary chedte huye puchti hai.“Jao apna kaam karo.”
Secretary haste huye room se nikal jati hai aur kavya ke gaal puri tarah laal ho chuke the.Car ke andar Luv Aarush ko puchta hai “Sir maine expect nhi kiya tha ki aap sach me 50 million dollars quote karenge.”“Use aur uski company ke liye PR bhi chahiye.”“Matlab aap itne heartless bhi nhi ho”“What did you say?”“Nothing sir” Luv haste huye bola aur fir driver ko airport ki taraf chalne ke liye kaha._______________________Raat ke 10 baje ke karib Jay Saxena apne room me jane ke liye darwaja kholne laga lekin wo pahle se hi khula tha, use kamre ke andar kisi ke hone ka sandeh hone laga. Wo kamre me aakar light chalu kiya to dekhta hai uski chair me koi baitha hua tha, aur chechra dusri taraf tha.“Kaun hai wahan” Saxena ki awaaz me ghabrahat thi. To kursi par baitha huya shakhs Saxena ki taraf ghuma.“Kaun ho tum aur yahan kaise aaye” Saxena ko ab darr bhi lagne laga us shakhs ke chehare par mask tha “Security… Security” Saxena awaj deta hai.“Saxena.. Saxena… You have crossed the line, which you shouldn't have” Us shakhs ne bade hi aram se bola.“Kaun ho tum.”Shakhs ne gun nikal kar table par rakh di jispar silencer laga hua tha aur uthkar bola “You need few lessons. So I thought to give you some.” aur uthkar Saxena ki taraf chal diya.
To be continued....
Excellent update
UPDATE 3
Trauma



1 hafta nikal chuka tha Harshvardhan Aarush se 2-3 baar shaadi ki baat krne ki koshish karte lekin Aarush kuch na kuch kahkar taal deta.

Raat ke karib 10 baj rahe the sabhi pariwar dinner karke apne apne room me sone chale gaye. Harshvardhan ko padhne ki aadat thi to wo apne study room me padh rahe the. Tabhi unka gate knock hota hai.

“Dada ji andar aa jau”

Harshvardhan ne awaj pehchan li “Aarush beta… han aa jao” aur book band karke side me rakh di.

“Aapko disturb to nhi kar diya”

“Are nhi mai to bas novel padh raha tha…. Kuch baat hai kya?”

“Kuch khas nahi bas ye batane aaya tha ki kal mai general meeting attend nhi kar paunga.”

Harshvardhan apna chasma utar ke table par rakh diye “Aisa kyu?”

Aarush rakhe huye sofe par baithata hai “Wo kal deal ke liye Bangalore nikalna hai.”

“Acha thik hai” Harshvardhan thodi der ke liye ruke fir bole “Aarush ab shadi ke liye razi bhi ho ja … zid par kyu ada hua hai.”

Aarush bolne hi wala hota hai ki, Anant behad hi gusse me kamre ke andar dakhil hote hain.

“Baba ise aap ne sar par chadha rakha hai, ek din ye pure pariwar walo ki jaan le lega.” Anant Rao Harshvardhan se apne bete ko lekar behas kar hi rahe the ki itne me Anupam aa gye.

“Kya hua bhaiya…. aap itne gusse me kyu hain?” Anupam surprise hote huye apne bade bhai se pucha.

“Han Anant tum Aarush par kyu badhak rahe?” Harshvardhan bhi thoda chintit huye.

“Baba aap ko to sab pata hai.”

Anupam ek baar apne bade bhai ko dekha fir Aarush aur fir apne Baba ko “Hua kya mujhe bhi koi batayega.”

Anant ka gussa aur badh gaya tha “In laad sahab ne saxena ka case lene se mana kar diya.”

“Case lene se mana kar diya to kya hua?” Anupam abhi bhi confuse the.

“Saxena ne dhamki di hai ki rao family ko bhari kimat chukani padegi. Isake chakkar me pure pariwar ko khatre me daal rahe hain. Maine to pahle hi kaha tha ise company me rakhna hi nahi chahiye tha.” Anant aag babula hote huye bole.

Ab tak Aarush ka bhi para chadh chuka tha, wo khada hua aur Anant ki taraf dekhte huye bola “Dr. Rao aapke liye yahi achha hoga ki aap mere kaam me dakhalandazi na karein”

Anupam aur Harshvardhan mahaul ko thanda karne ki koshish kar hi rahe the ki Aarush ki ye baat sunkar Anant ko aur gussa aa gaya aur unhone ne thoda unchi awaj me kaha

“Mujhe bhi maar daal, ham sab ko maar daal. Jis tarah tune apni maa ko maar dala hai usi tarah sab ko marwa de”

Ye sunte hi kamre me sannata chha gaya… gusse ki wajah se Aarush ki hathon ki nashe aise lag rahi thi ki mano bahar aa jayengi, ankhein bilkul laal ho chuki thi aur use pata bhi nhi chala ki kab usne rakhi huyi glass ko pakad liya aur jaise hi wo apne hath ko uthata hai uski nazar darwaze ki taraf jati hai to dekhta hai ki Tanvi khadi sab sun rahi thi. Uske ankhon se ansun bahe ja rahe the. Tanvi ko aisa dekh kar Aarush glass ko teji se deewar par maar deta hai aur room se bahar nikal jata hai.

“Bhaiya…. Bhaiya … ruko kahan ja rahe ho” Tanvi rone lagti hai aur Aarush ko rokane ke liye darwaje tak aati hai lekin Aarush rukta nahi.

“Anant tu pagal ho gaya hai kya… isme Aarush ki kya galti hai us bechare ko to kuch pata bhi nahi. Kabhi kabhi to mujhe apne parvarish par sandeh hone lagta hai.” Harshvardhan Anant se kafi nirash the.

Anant kuch nahi bolta aur chup chap apne kamre me chala jata hai. Tabhi Tanvi rote huye aati hai.

“Dad please… Aaru bhaiya ko call kariye wo pata nhi kahan chale gye.”

“Han mai karta hu… Tanvi tu ro mat, tujhe to pata Aarush ko aisi baato se koyi farak nahi padta wo mentally hum sabse kahin jyada strong hai” Anupam Tanvi ko chup karate huye kahte hai… aur fir Aarush ko call karne lagte hai par wo pick nahi karta.

Anant ka behaviour Aarush ke liye aam baat thi. Aisa pehli dafa nhi tha ki Anant Aarush par bhadhke ho, lekin pehli baar unhone aise direct apni patni ki maut ka zimmedar Aarush ko thehraya tha.

1.5 ghante nikal chuke the Harshvardhan, Anupam aur Tanvi ne 50 baar se bhi jyada call kiya lekin Aarush ne ek call bhi pick nahi ki.

“Dadu dekho bhaiya phone bhi nhi utha rahe…. Kahin” Tanvi aur jor se rone lagti hai.

“Tu bhi pagal hai… wo Aarush hai abhi kuch der se aa jayega” Anupam apni beti ko sambhalte huye bole.

“Han Tanu … wo aa jayega… aur ab ja sone aur Anu tu bhi ja.”

“Ji Baba” Anupam bolte hai aur apni beti ko chalne ki liye kahte par Tanvi zid karke wahan ruk gayi ki jab tak Aarush nahi aa jate tab tak sone nahi jayegi. To Anupam apne room jane lage to Harshvardhan ne bola…

“Jo aaj hua iska jikr kisi se bhi nahi karna …. Neha se bhi nhi”

“Ji baba” kekhar Anupam nikal gaye.

Ek ghante aur nikal chuke the Aarush na to wapas aaya na hi phone utha raha tha. Tanvi ne ghadi ki or dekha to raat ke 12:30 baj chuke the.

“Dada Aaru abhi tak nahi aaye” Tanvi jab jyada emotional hoti hai to wo sirf Aaru kehkar bulati hai.

Harshvardhan bhi lachar the. Agar wo kisi se madad mangte to ye baat faiil jati. To Tanvi ne achanak kaha…

“Didi … Aditi didi … unhe call karti hu.” Tanvi jaldi se Aditi ka contact search karti hai aur call karne hi wali thi..

To Harshvardhan use tokte hain “Tanvi ruko wo bhi pareshan hogi aur use pata chala to wo Anant par bhadak jayegi”

“Dada ji mai unhe kuch nahi bataungi.” Itna bol kar Tanvi ne number dial kar diya… Kafi der ring hone ke baad call pick hua…

“Hello”

“Hello… jiju”

“Tanvi itni raat ko phone… kuch problem hai kya” Nimish neend me hi puchta hai…

“Jiju didi se baat karaiye… emergency hai”

“Thik hai ….abhi karata hun” “Aditi …. Aditi utho” Nimish Aditi ke kandhe hilate huye jagane ki koshish karta hai.
Aditi hath jhithakte huye neend me hi bolti hai…

“Sone do yaar.”

Nimish Aditi ko firse jhinjhodta hai aur Aditi isbar uthke baith jati hai. “Nimish agar tumne bina matlab ke jagaya hoga to aaj tum mere hatho se pitoge bhi”

Phone pe ye sunkar Tanvi ki hasi chhut jati hai. Tanvi ko dekhkar Harshvardhan ke bhi dil ko thoda chain milta hai kyuki Tanvi dhai ghante se sirf ansu bahaye ja rahi thi.

“Tanvi ne phone kiya hai” Nimish Aditi ko phone thamata hai aur khud let jata hai.

Aditi aankh malte huye phone le leti hai

“Han Tanu, tujhe itni raat ko kya musibat aa gayi.. jo subah tak nahi ruka gaya” Aditi jawahi lete huye boli

Tanvi Aditi ki awaj sunkar apne aap ko rok nahi payi aur “Didi … didi wo” kehkar fir se rone lagi.

Aditi ko jaise hi Tanvi ki rote huye awaj aayi uski sari neend gayab ho gayi.

“Betu ro mat kya ho gaya tujhe… aise mat ro betu bata mujhe kya hua… fir sab ki class leti hu” Aditi laad karte huye bolti hai

“Dii … dii wo Aaru bhaiya...”

Bas itna sunte hi Aditi ki dilo ki dhadkan kafi teji se badh jati hai aur aisa ho bhi kyu na Aditi ki jaan Aarush me basati hain.

“Betu kya … kya hua Aaru ko.” Aditi ki ghabrahat aur jyada badh gayi

“Dii Aaru ghar se gussa hokar chale gaye… maine aur dada ne 50 baar se bhi jyada call kiya fir bhi nhi utha rahe” itna kahkar firse rone lagi.

Ye sunkar Aditi ki jaan me jaan aayi par phir bhi kaafi chintit thi.
“Ghar chor ke chala gaya… kyu chala gaya… wo aise bhagne walo me se nhi hai… mujhe saaf saaf bata kya hua?” Aditi thoda serious hokar puchi.

Ab Tanvi bhi batane me hichkicha rahi thi “Dii bade papa aur Bhaiya ke bich me behas huyi aur Aaru gusse me chale gaye.”

Ab Aditi ko sandeh hone lagta hai ki jarur Anant ne maa (Diksha) ke bare me baat chedi hogi.
“Kya kaha dad ne” Aditi ne gusse se pucha.

Tabhi Harshvardhan sar hilakar Tanvi ko naa batne ka ishara karte hain.

“Mujhe nhi pata dii kya baat hui …. Aap Aaru ko call karo na” Tanvi aur emotional hokar boli

“Han chal thik hai karti hun aur baad me mujhe sab sach sach batana kya hua”

Aditi ne call cut kar diya. Tabhi Harshvardhan bole “Tanu Aditi ko mat batana nhi to khamkha wo bhi pareshan hogi aur apne baap se naraj ho jayegi.”

“Ji dada jii”




Idhar Aarush ek pahad ki uchai par kinare baitha hua niche khai me pathar fek raha tha aur gahri soch me duba hua tha tabhi uska phone bajne laga… jaise hi screen pe Dii naam dekhta hai to kinare se hat kar call pick kiya.

“Hello dii… apne itni raat ko call kiya” Aarush normally bola

“Tu kahan hai Aaru aur ghar se kyu bhaga” Aditi gussa karte huye puchti hai.

Jab koyi jawab nahi aaya to Aditi ne pyar se pucha “Aaru… meri jaan … dad ne kuch kaha tujhe… tu bata bas achi pitai lagaungi unki”

Ispar Aarush hans deta hai jise sunkar Aditi ko chain milta hai… “Are dii aap bhi khamkha pareshan ho rahi ho.”

“Pareshan kaise na houngi … tu bata ghar se aise chala aaya… aur” to Aarush beech me hi baat katate huye bola

“Chill dii… bas thoda ghutan si mehsus ho raha tha to hawa lene chala aaya.”

“Acha thik chal ab jaldi ghar jaa … dada aur tanu pareshan ho rahe hain”

“Han jata hu thodi der se” Aarush itna hi bola tha ki

“Thodi der se nhi abhi jaa… kitna time lagega ghar pahuchane me?” Aditi puchti hai

“Adhe ghante”

“Adhe ghante kahan hai tu… kitni dur gaya hai” Aditi ki bechaini firse badhne lagti hai…

“Mumbai se 30km dur…. Lekin aap tension na lo mai abhi ghar pahuch raha.” Aditi ke kuch bolne se pahle Aarush ne bol diya.

“Thik hai …. Lekin Tanu ka dubara call na aaye.”

“Aap tension na lo aur ab aap bhi so jao.”

Aditi fir nishchint hoke let jaati hai lekin uski need gayab ho gayi thi, use is baat ki fikar thi ki kahin sach me Aarush apni maa ki maut ka jimmedar khudko na manane lage. Uska jee fir se ghabrane laga to wo khud se kahti hai “Jitna Aarush ko mai janti aur samajhti hu uske hisab se wo khudko tabtak kasoorwar nahi manega jab tak use puri baat pata nahi hogi…. Par kahin Dad ne usase sab bola to nahi….. Nahi nahi wo aisa nahi karenge … Kar bhi to sakte hai unka kya bharosa…” Aditi ko ab frustration ho rha tha jisase jhillate huye khudka baal khich ke let jati hai.

Aur karwat leti hai to Nimish ka chehra dekhkar uske chehare me smile aa gayi, “So cute..” aur uske honth ko chumkar ussase chipak gayi aur kuch pal baad hi neend ne use gher liya.

_______________________________



20 minute baad Aarush jaise hi ghar pahuchta hai to Tanvi aur Harshvardhan uska wait kar rahe the. Aarush apni harkato ko lekar dono se maafi mangta hai. Tanvi abhi bhi naraz thi use kuch vakt manane ke baad goodnight bol ke use bolta hai ki jakar so jaye kyunki kaafi raat ho chuki thi aur Tanvi Aarush ko ek baar hug karke wahan se chali jati hai. Fir Aarush bhi apne room ki taraf chalne hi wala tha ki apne dada se bolta hai.

“Dadu, vo keshav jii kisi file ke bare me bol rahe the?”

“Acha han .. wo Nikita beti submit ki thi… tu ja abhi aram kar baad me padh lena.”

“Wo file dijiye.. waise bhi abhi mujhe neend nhi aane wali.”

Harshvardhan us file ko dene se hichkicha rahe the kyunki Nikita ne us file me Aarush ke department me working environment ke bare me baat ki thi, lekin Harshvardhan use aur naraz nahi karna chah rahe the to wo apne study room ki taraf chal dete hain aur unke piche piche Aarush bhi chala jata hai.

Harshvardhan wo file nikal ke de dete hain, lekin Aarush ki nazar drawer me padi kuch files par jati hai jinme dhul jami thi. Aarush unme se ek uthata hai to dekhta hai wo bhi Nikita ne submit kiya tha, to wo baki ki files bhi check karta hai jinme se 8 files pichle 3 saalon me Nikita ne submit ki thi.

“Nikita ne itni sari reports apko submit ki?”

“Nahi, ye sab anupam ko ki thi. Jo file abhi maine diya wo bas Nikita ne mujhe di thi.”

Aarush thoda confuse tha “Par ye aapke paas kya kar rahi aur inme dhul kyu jami huyi hai.”

Harshvardhan books ko wapas bookshelf me rakhne lage “Ye Anupam ke office me padi thi, aur maine anupam se inke bare me pucha to usne kaha kuch khas nahi likha hai, inhe fekne wala tha to maine rakh li.”

Aarush wo sari files uthata hai jisase Harshvardhan thoda surprise huye “Inhe kahan le jaoge?”

“Ye dekhne ki kitna kachra likha huya hai…. Goodnight dadu aur sorry aaj ke liye.” itna bolke Aarush apne room chal deta hai aur Harshvardhan bhi chupke chupke apne room me jakar Savitri ke bagal me let jate hai, unhe darr lag raha tha ki agar Savitri jaag gayi to aaj uski khair nahi.

Aarush apne room me ghuste hi un sari files ko cupboard me fek deta hai aur jakar chair me baithke kuch sochne lagta hai. Use gussa aa rha tha, apni muthhi jor se kasta hai aur akhirkar table par teji se mukka marta hai to kuch saman niche gir jate hain. Apne aap ko distract karne ke liye wo ek file ko nikalkar padhne lagta hai jo Nikita ne Harvardhan ko diya tha.

“Kya bakwas hai…” Aarush page palat raha tha uske chehre par expression change ho rahe the.

“Badi fikar hai employees ki..” Aarush gusse se khud se kahte huye file ko dustbin me fek deta hai aur yahan tak ki sari files fek deta hai.


Aarush ne ghadi ki or dekha to 2 baj chuke the, itna late sona uske liye koyi nayi baat nhi thi fir sideboard me rakhe huye sleeping pills ka box ko uthaya aur usase 1 tablet nikalta hai par use pata tha aaj kewal ek tablet se kaam nahi chalne wala to wo 2 tablet aur nikala aur teeno tablet kha kar bina kapde change kiye shirt aur trouser me hi let gaya.



“Please… please open your eyes…. I am so sorry…”

Ek sakhs baithe huye apni bahon me ek ladki ko pakde huye roye ja raha tha uski ankhon se ansu thamne ka naam nhi le rhe the. Wo ladki kaafi jyada injured thi uske pet me chaku laga hua tha wahin uska chehre par kiye gaye waar se uska chehra puri tarah se bigad chuka tha, chehra khoon se sana tha. Uske muh se khoon bahe ja raha tha, wo hath utha ke us sakhs ko touch karna chah rahi thi.
Tabhi piche se ek aurat ki awaj aati hai “You don’t deserve to be loved.. She is going to die because of you.”




Aur is khatarnak sapne se Aarush uth jata hai, uski dil ki dhadkan kaafi badh chuki thi wo kafi bechain tha, aur kuch pal baad apne hatho se apna chehra dhak kar “I am so sorry…. I am really sorry… I couldn’t..” bolte huye rone lagta hai. Uski bechaini kam hone ki vajay bs badhti jaa rhi thi, ab use sans lene me bhi taklif hone lagi. Wo bistar se uthkar jaldi se antidepressant ki tablets sideboard me dhudhne laga. Use wo tablet mil jati hai jispar likha hua tha
“Dosage : 1 to 2 tablets for anxiety attacks.” Aarush muthi bhar tablet nikalta hai aur use kha kar sidhe bathroom ki taraf chala gya. Wahan bathtub khali pada hua tha to Aarush ne nal chalu karke bathtub ko full kar diya.



“Ting
1 minute baad
“Ting

“Sukun se sone bhi nahi dete log” bagal me rakhe table par Tanvi idhar udhar hath marke neend me hi phone dhund rahi thi. Phone milne ke baad apni aankhen kholne ki koshish karti hai…

“Yaar subah ke 4 baje kisko samat aa gayi” Tanvi abhi bhi apni ankhein mal rahi thi. Wo phone ko unlock karti hai to dekhti hai 5 notification the.

“Ting.
1s ago..
Emergency!! Oxygen level dropped to 30%. Health: Critical.

“Ye faltu notifications kyu aa rahe” Tanvi is notification ko padhkar chidhte huye phone bistar me hi fek kar fir let gayi.

“Shit…. Shit…. Shit….” Tanvi jhatke se dubara uthi aur hadbadhat me phone dhudhne lagi. Uske hath kanp rahe the aur jaise hi usne notification dekha to uske hosh ud gaye.

25 minutes ago..
Warning: High stress.

20 minutes ago..
The ring is 0.5 meter deep in the water.

10 minutes ago..
Alert : Oxygen is dropping.

4 minutes ago..
Warning: Oxygen level is low.

3 minutes ago..
Warning: Pulse is dropping.


Sare notification padhte hi Tanvi ka haal aise ho gaya tha mano uske sharir me jaan hi na ho. Wo turant apne kamre se nikalke sidha lift ki taraf bhagi, 3rd floor aur gate close ka button daba di.

“Come on… jaldi” Tanvi kafi ghabra rahi thi aur jaise hi lift ka darwaja khula wo sidha Aarush ke room ki taraf bhagi aur passcode enter karke sidhe room me enter ho gyi


“Bhaiya… bhaiya… Aaru” Tanvi sidha bathroom me chali gayi aur wahan ka nazara dekhte hi Tanvi ki sanse ruk gayi, uski tange kamjor padne lagi aur uske anshu bahna chalu ho gaye.


To be continued....
Beautiful update
 
  • Like
Reactions: parkas and SHOTO
Top