• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Haunted ~~ " Game Of Rings " {Trilogy End}

In this trilogy series, for the readers what will be their favourite one?


  • Total voters
    33

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
This is the story i wish to finish, with so many things left to write when things ended in XP. Due to shortage of time i couldn't able to keep up with this one. But i would love to write and finish this one, though i don't have any backup of this one and i tried a lot but couldn't get so i decided to write again. The update will not be regular but i will try my best.

Ye kahani un viewers aur readers ke liye hai jinhone is part ki pehli 2 kahani padi hai.


Part 3
Haunted ~~ " Game Of Rings ": https://drive.google.com/file/d/1BBJcARRETOs4eRBH1Bcnc0T2RVNgwO3M/view

Part 2
Haunted (Dead Evil Returns): https://drive.google.com/file/d/1R357AMjniQ5o1p2_Dtm6VxE-C8Knwf90/view

Part 1
HAUNTED ( TUJHE MEIN PYAR KARU...... PAR KAISE): https://drive.google.com/file/d/1s5vKjbkWDNW-TPD-yWsb-fH0CrVqLSBf/view

Thanks spritemathews For the link :hug:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
wah kya baat hain welcome bhi ek bhutni ne kiya... btw wahan ke bhoot kaafi friendly hain... :D
Kahin woh nili ankhein us welcome karne wali ki to nahi joh inhe ghoor ke dekh rahi hai....
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:

Friendly bhoot hai :lol: vo jante hain ki ye bhuton ke baap se mulakat karke aye hain :D
Han welcome kar rahi thi jiski wajah se kitne log marre gaye :haha:

Keep reading thanks naina ji :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
Kya update tha..maza aa gaya :daru:
Mujhe lagta hai tu horror stories hee mast likhta hai:consoling:
Abb aayega kahani ka maza..yahan par toh aa gaye ye log..aur nili ankhon vali amma se mulakat bhi ho gayi...:cold:
Abb dekhte hai aakhir kon hai jani pehchani aurat:daru:
Waiting for nxt:smoking:

Akhir tera iman jaag utha aur tune yahan par review de hi dia :hippi:

kehna kya chahta hai sirf horror hi likh sakta hun :huh: aur nahi likhta matlab :huh:
Amma aa gayi ye sabse interesting part hai :cheers: keep reading ...
 
  • Haha
Reactions: chintu222

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
Kamal hain ye budhiya ab jaake samne aayi.. ab tak kya lukka chuppi khel rahi thi :sigh:
Khamkha becharo ko pure asylum ghumati rahin... very bad budhiya :sigh:
Khair.... ab yeh kis liye shreyas ke liye intezaar karne lagi... kahin... :hinthint2:
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji..... :applause: :applause:

Thoda darna bhi to jaruri hai na :D
Asylum par puri ek nayi horror kahani likhne ka nakki kiya hai par tame milega to :redface:

Kahin kya :hint:

Keep reading thank u so much naina ji :hug:
 
  • Like
Reactions: chintu222

chintu222

Sab Moh Maya Hai
3,171
6,204
158
Akhir tera iman jaag utha aur tune yahan par review de hi dia :hippi:

kehna kya chahta hai sirf horror hi likh sakta hun :huh: aur nahi likhta matlab :huh:
Amma aa gayi ye sabse interesting part hai :cheers: keep reading ...
Socha tu itna likhta hai..toh do shabd likh hee dun :D
Mera matlab hai ki horror padhne mein alag feelz aati hai..sci-fi mein vo thrill nahi aati:D..vaise vo bhi mast likhta hai tu:cheers:
Dekhte hain kya karegi amma:daru:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
Socha tu itna likhta hai..toh do shabd likh hee dun :D
Mera matlab hai ki horror padhne mein alag feelz aati hai..sci-fi mein vo thrill nahi aati:D..vaise vo bhi mast likhta hai tu:cheers:
Dekhte hain kya karegi amma:daru:

Are horror mein ghabrahat hoti hai Ab scifi padhne mein ye rehta hai ki ab kya hoga usme dar wala thrill nahi hota. Han agar ispar koi movie chal rahi ho tab jada maza ata hai :D
 
  • Haha
Reactions: chintu222

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
" amma kya aap janti hain mein kaun hun aur apke pas kisliye aya hun " shreyas ne sawal kiya. Anshika uske pass aa khadi hui thi.

" hmm tere bare mein aur iske dard ke bare mein bhi " amma ki awaz kafi bhari thi. Uska ishara anshika ki taraf tha. Koi kuch kehta use pehle amma ne anshika ka hath majbuti se pakad liya, dono ghabra gaye " is ladki ko us ruh ne behad dard dia tha uska dard aaj tak iske zehan mein hai " anshika ki ankhein jese us pal mein kahin khoti gayi. Shreyas samajh gaya ki amma ko sab pata hai yani uske sawalon ka jawab unke pas tha.

" to kya aap janti hain mere sapne ke bare mein ? " vo kuch nahi boli " apko pata hai kaun vapis aaya hai " usne agla sawal kiya par vo phir kuch nahi boli " kaun hai jo mujhse abhi bhi juda hai ? " uska tisra sawal sun amma ne anshika ka hath chhoda aur phir mud kar jane lagi. Shreyas ne anshika ki taraf dekha aur phir uski taraf jo sidiyan utar kar niche jane lagi thi.

" amma " usne awaz lagai par vo nahi ruki. Shreyas duvidha mein khada raha phir anshika ne dhire se chalne ko kaha to use khayal aya ki vo shayad apne sath chalne ke liye bula rahi ho. Lekin sidiyun par andhera tha aur shayad andar aur bhi andhera tha.

" anshika niche andhera hai " vo janta tha ki us raat ke baad se anshika andhere se ghabrane lagi hai.

" tum ho mere sath " usne uska hath pakad liya. Shreyas ne ek gehri sans khinchi aur anshika ka hath tham kar sidiyun se utarne laga. Vakai sidiyun se utarne ke baad sirf andhkar tha. Thand kuch jada hi thi, sans lete hue dono ke muh se dhuain nikal raha tha. Tabhi dono ko ek awaz ayi jo samne ek andhere se ayi thi. Dono andhere ke andar chal diye, har pal aisa lag raha tha mano koi unko hi ghur raha ho ya chalti hawa ke sath koi unhe chutte hue nikal raha ho.

Kuch dur chalne ke baad dono ki nazar amma par padhi jo ek kamre ke gate par khadi unki taraf hi dekh rahi thi. Unhe dekh vo kamre ke andar jaa ghusi.Shreyas aur anshika bhi piche piche kamre ke andar ghus gaye. Kamra bahut bada bhi nahi tha par kafi kuch tha wahan, ek taraf jal rahi aag ek palang aur bahut sa saman kuch zameen par rakha tha aur kuch bandh pada tha. Andar ghuse to dekha vo aag ke pas khadi thi unhone hume dekh kar palang ki taraf baithne ka ishara kiya. Do pal hum yun hi khade dekhte rahe aur phir palang par ja baithe. Thand ke sath ek ajeeb si khamoshi vahan maujud thi. Amma us aag ke pas baith gayi jisme unhe kafi samay laga phir apne kampte hathon se glass uthaya aur usme jug se kuch dal kar hamari taraf badhaya. Mei apni jagah se khada hua aur unke hath se lekar baith gaya. Glass shayad kab se dhule nahi the, chote chote kide unki dali hui chai mei gir rahe the. Kamre mein do laltain dono deewaron par lagi hui bich-bich mein lub-jhup ho rahi thi. Shanti ne jaise hume kaid kar liya tha.

" amma " shreyas bola

" tere man mein chal rahe har sawal ko janti hun mei. Ye andhkar dekh raha hai ? " vo bol kar chup hui. Kuch aisi batein ko vo pehle bhi sun chuka tha. " insan ab insan nahi raha, shaitan ne uski jagah apna ghar bana liya hai " vo hamari taraf ghurte hue boli.

" kya aap us shaitan se vakif hai ? " anshika ne sawal kiya.

" agar tum ye janna chahti ho ki vo kaun hai to tum galat jagah aye ho " pehle hi sawal ke jawab ne jaise umid todi aur bahut se prashno ko janam dia.

" to aap nahi janti vo kaun hai ? " shreyas ne sawal kiya. " par aap humare bare mein janti hai kaise ? " vo shuru se baat karna chahta tha.

" 105 saal se bahut dard mehsus kiye hain. Iski tarah kuch aise hi sapne liye zindagi bitai hai mene " amma ne shreyas ki taraf dekhte hue kaha. " Ye uppar walle ki kripa thi ya sharap nahi janti par tumhari kahani jaisa dard kabhi mehsus nahi kiya " vo zameen par rakhe matke ke andar ek dande se pisti hui boli.

" amma aap yahan kitne waqt se hain ? " anshika ne sawalon ko mod dia.

" 8 sal ki umar mein maa-baap ek sharap samajh kar chhod gaye the tabse yahin hun " amma ki baat sun kar dono chaunk pade.

" yani ki aap yahan ke hadse ke waqt maujud thi ? " anshika ne agla sawal kiya.

" han aur us hadse ke ghav aaj tak hai " amma ne apne chehre ki aaur ishara karte hue bataya.

" kya hua tha amma, vo hadsa yahan par kaise ? " sawal shreyas ki taraf se tha.

" bhayanak aag, kese lagi kyun lagi mujhe nahi pata par us waqt mein apne kamre mein kaid thi jab logon ke chillane sath vo aag mere darwaje tak aa pahunchi. Bahar ane ke liye mei khub chillai par koi madad karne ke liye nahi tha. Aag ki tapat kya hoti hai malum hai ? " vo sawal karke chup hui par hamare pas koi jawab nahi tha " shayad uppar walle ko abhi mujhse koi adhura kaam karwana tha isliye usne bas is chehre ko jalaya aur zindagi chhod di. Bahut waqt laga dia tune " vo phir apne pisne wale kaam mein lag gayi.

" par yahan kyun vo bhi itni sari ruh ke bich mein " kuch der baad amma ki baat sun anshika ne sawal kiya.

" sabke dard mujhse jude hain vo mujhse hi keh sakte hain "

" to phir vo log kaise mare jo yahan aye ? "

" sshhh " unhone chup hone ka ishara kiya hume samajh nahi aya kyun. " ek tumhare piche hi baitha hai " unke kehte hi dono ke dil ki dhadkan behad tez ho gayi. Vo dono fauran khade hokar palang ke piche dekhne lage par wahan koi bhi maujud nahi tha.

" tum dono abhi tak nahi samjhe tumhare pas waqt bahut kam hai " amma ki baat sun kar hum mude vo theek hamare samne khadi thi. Ek pal ke liye dono hi uski ankhon mein dekh ghabra gaye.

" samay nahi matlab ? par hamara kya rishta hai in kahani se aur kyun aa rahe hain mujhe vo sapne ? " shreyas sawalon se tang aa chuka tha use jawab chahie the isliye vo ukhdi awaz mein bola

" vo vapis aa gaya hai... " unke bolte hi dono ke sharir ke rongte khade ho gaye.
 

The_lost_love

Member
182
244
43
This is the story i wish to finish, with so many things left to write when things ended in XP. Due to shortage of time i couldn't able to keep up with this one. But i would love to write and finish this one, though i don't have any backup of this one and i tried a lot but couldn't get so i decided to write again. The update will not be regular but i will try my best.

Ye kahani un viewers aur readers ke liye hai jinhone is part ki pehli 2 kahani padi hai, jo ki yahan ke Pdf and Doc section mein available hai.

Part 1 - Haunted (Tujhe Pyar karun to kaise ??)
Part 2 - Haunted ~~ Dead Evil Returns

This time this one for all the old friends which i met and they are doing well in their life. Cheers, enjoy the story everyone.
Dhanyawad bhai aaj hi grp me pata chala milan ne bataya ye story continue ho rhi hai... Bahut bahut dhanyawad tahe dil se... bhagwan apka bada kare. ?This is my third best story to read after "The Time Machine" and "Arman wali" gyani bhai ki... ? Aaj hi sab update niptata hu jitne b update aye h.. xp band hone k baad milan se hi pata chala h xf pe sab purane writer h... Thanks once again Hariya kaka... ?
 
  • Love
Reactions: harshit1890

The_lost_love

Member
182
244
43
Thandi raat ke andhere mein jab koi sadak par ghumta hai to use sirf thandi hawa aur khud ke kadam hi mehsus hote hai. Na aage koi hota hai aur na hi piche sirf aap aur apki chalti garam sansein hoti hai. Aisi hi ek thandi raat jahan na sadak par koi tha aur na hi kisi ghar se roshni aa rahi thi, na koi insan aur na hi janwar sab is thand ke dar se chipe hue the, par koi tha jo is sard hawa ke sath apni manzil ki aaur badh raha tha.

Sayen-sayen karti sard hawa khamoshi mein khalal dalne lagi. Hawa apni awaz mein ek taraf badne lagi jaise kisi taraf khinchi ja rahi ho, jaise kisi khas maksad ke liye uska janam hua ho.

Hawa ka rukh akar ek aisi khamosh jagah pahunchi jahan zindagi bhi khamosh ho jati hai. Kabristan jo aisi jagah hoti hai jahan shanti itni jada hoti hai ki insan vahan biche kabron mein se bhi awaz khojne lagta hai. Us andhere aur khamoshi bhare vata-varan mein hawa ne akar apna dum tod diya, shayad vo apni sahi jagah pahunch gayi thi.

Kabristan par na to koi roshni thi aur na hi andhere mein koi bhi aisa jo ye dekh sake ki ane valla pal ek aise ghatak pal ko janam dene vala hai jiski kalpana karke hi insan ki ruh uska sharir chhod de. Vo pal jisme abhi sirf khamoshi thi ki eka ek us shor ne vahan ki khamoshi ko tod dia.

Ek kabar ke andar se ek hath uski parat ko cheerta hua bahar aa nikla. Bahar nikal kar usne apni ungliyu ko ache se khol-band kiya aur ungliyun se mitti jhad kar niche girne lagi. Jo hath kabar se bahar nikla tha use dekh kar bilkul aisa nahi lag raha tha ki vo kisi mare hue insan ka hai kyun ki us hath mein utna hi mans tha jitna ek jite hue insan ka hota hai, par jo baat sabse jada hairan kar dene vali thi vo ye ki vo hath ek chote bache ka tha. Ek aisa bacha jo shayad dubara jina chahta tha, ya phir kudrat ek baar phir shaitan ke aage kamjor padh gaya tha....

Eka-ek kabar ki puri parat mein darar padne lagi aur puri parat khokli ho gayi aur phir.....

Vo bacha kabar ki parat ko todte hue mein bahar aa khada hua. Andhere mein uska gora badan chand ki roshni mein chamakne laga, mitti uske sharir se fisalti hui uske kabar ke andar girne lagi, usne apni gardan uppar uthai aur chand ke aage kalle badal aa gaye aur dharti par aa rahi roshni band ho gayi. Usne apne kadam uthaya aur dhire - dhire aage badne laga, thandi hawein jo band ho gayi thi vo ek baar phir chalne lagi, jaise jaise vo aage badh raha tha ek ajeeb sa badlav uske sharir mein hone laga, uski choti - choti tangein badi hone lagi, uske hath lambe ho gaye, kad uncha ho gaya, chehra bada ho gaya aur dekhte hi dekhte vo 2.5 feet ka bacha takreeban 6 feet ka ho gaya... Ye ek aisa bhayanak drishye tha jo ane valli zindagiyun mein tabhai lane vala tha.

Kudrat iska pehlu ban chuka tha ab shayad insan ki bari thi.....
Update 1

Start solid tha bhai... ?? Sabse bhari seen last ka laga jab chalte chalte 2.5 feet ka bacha takreeban 6 feet ka ho gya... Gajab bhai... Unique... ??
 
  • Love
Reactions: harshit1890

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,071
16,047
219
Dhanyawad bhai aaj hi grp me pata chala milan ne bataya ye story continue ho rhi hai... Bahut bahut dhanyawad tahe dil se... bhagwan apka bada kare. ?This is my third best story to read after "The Time Machine" and "Arman wali" gyani bhai ki... ? Aaj hi sab update niptata hu jitne b update aye h.. xp band hone k baad milan se hi pata chala h xf pe sab purane writer h... Thanks once again Hariya kaka... ?
:welcome: bro :hug:
Lockdown ka acha asar dikh raha hai janta ke ane ka :D
Hahaha ye line H1-H2 mein bahut suni hai :D
Ha bhai aatte raho aur padte raho .. mulakat hogi roz :hug: keep reading and dhayanawad bhai :cheers:

:daru:
 
  • Love
Reactions: The_lost_love
Top