Mene ye story puri padhi to ek baat kehna chahunga ki
Story agar Salil ki ha to jaisa emotional connection shuru me tha wo sara connection ant tak ate ate jaise khatam sa ho gaya ha Agar story wise dekhen to jab salil kabhi hero jaisa tha hi nahi to use last me ate ate power dene se kya matlab salil ki death hi in sabke liye ek sabak hoti ki hawas ke karan tum kisi apne ko is kadar tod dete ho ki wo fir apni jine ki ichha hi chhod deta ha jisse story ka emotional connection bana rahta or sabko fir salil ke nightmare ate tab inhe pata chalta ki inhone kya khoya ha kyonki fir sharirik nahi mansik aghat pahunchta ki in sabne kisi innocent ki jaan le li sirf apni hawas ke chakkar me Aise supernatural power dene me super villains me sara maja kharab ho jata ha agar salil ke paas double mind tha to iski bina power ke hi dimagi game khel kar bhi badla liya jaa sakta tha jisse wo in sabko emotionally tod deta or ek baat somya ke character ko bhi aise change karne ki jarurat nahi thi jo ladki shuru se ladko se dur rahi wo aise uske senior se hawas bujha rahi ha ant me ye bewajah laga Bas yahi kehna tha mujhe waise bhi pata nahi kab ye story start hogi , hogi bhi ya nahi