"ha ha ha sir Aapne kya daanv khela hai,ye ladka to poora bhonpu nikla"arun haste hue bola
"Itna khush mat ho arun,abhi usse kaam nikalwana hai "pandit ji bole
"Lekin pitaji kya wo sachmuch khajana la payega??mujhe to doubt lagta hai,aur kya wo trishul ka nishan sachmuch tha ??"harsh bol utha
"Yun hi nahi ek ladke ko utha laya main harsh,wahi wo khajana la payega jo sadiyon se laapta hai"pandit ji bole
"Hmm aapne socha hai to kuch samajhkar hi socha hoga,khair ab mai thoda nikalta hoon pitaji"bol harsh chala gaya
"Jo bhi boliye pandit ji us bholu ki haalat dekhne layak thi,hai na"bol arun thahake maarkar hasne laga
Panditji muskurane lage
"Pandit ji mujhe ladka thoda hatkar laga,pata nahi kyun uski aankhon me ajeeb sa tha"Jugnu bola
"Abey Jugnu use darr Bolte hai,harsh sahab ka darr"bol fir hasne laga arun.pandit ji ne bhi saath diya
Wahi Jugnu ko pata nahi kyun ajeeb sa lag raha tha
"Wo factory jo is raja ne fir se naye tarike se chalane ke liye kaha hai,uska kya kare??"arun ne pandit ji se poochha
"Karna kya hai,band kar do ise"bol pandit ji bhi chale gaye apne kamre ki aur
-------------------------------------------------------------------------------
Bholu ko raat me ek alag se table me khana parosa gaya.
Jabki Panditji ,harsh aur baaki sab alag baith kar khana kha rahe the aur thahaka maarkar has rahe the
Bholu ne khana dekha
3 roti,ek daal aur ek sabzi
Chupchap khane laga wo.khana kha kar jaise hi uthne laga
"Wo raja sahab harsh sahab ka aadesh hai ki aapko apni thali khud lekar jaani hai,aur fir is table ko saaf bhi karna hai"naukar ne sar jhukakar kaha
"Thik hai tum jao,mai kar lunga"bholu bola aur dheere dheere thali uthakar table saaf kar chala gaya
Raat ko bholu ne apni gathri thik kiya aur let gaya
Na chahte hue bhi aankhon se aansu behne lage
"Raja bankar kaisa lag raha hai raja sahab??"
Fir wahi parchai
Bholu ne jhat se apne aansu ponchte hue uth khada hua
"Aap??"
"Haan mai,socha poochh loon ki kaise sab kuch seekha tumne charan singh se,lekin mujhe ye bhi pata tha ki harsh yahan aayega aur tumko zaleel karega"parchai bola
"Aap to antaryami hai"bholu hairani ke saath bola
"Wo to pata nahi par pata hai ki tumhe yahan khajana khojane ke liye bulaya hai,kaam hote hi tumhe khatam kar diya jayega??"parchai bola
"Khajana??kaisa khajana??aur wo mai kaise khojunga??mujhe khud nahi pata hai "bholu bola
"Wo to pata nahi lekin trishul ke nishan ke saath janme ho bhai,to musibat to gale padegi hi"haste hue parchai bola
"To mujhe kya karna chahiye??bhagna chahiye??"bholu bola
"Bhaagne to chahiye raja sahab,lekin pehra sakht hai,fir harsh ke Jaanwar cheete aur sher,bach payenge??"parchai bola
Ek lambi saans chor bed par wapas baith gaya bholu
"Haal chor diya kya???haar maan li??"parchai bola
"Jab aap keh rahe hai ki bhaagne ka koi raasta nahi tab inke haatho meri jaan jayegi lagta hai"bholu bola
"Kyun bhagoge,ye tumhara ghar hai,tumhara shahar,tumhare log aur tumhari bua jiske paas apna bolne wala koi nahi hai"parchai bola
"Mera....lekin wo kaise ??"bholu bola
"Wo samjhana mushkil hai,lekin samajh jaoge,khair tumhari bua.khud ki bua jo choti hi umar me vidhwa bani,unke pitaji yani tumhare dadaji ne uske baad is ghar me le aaye,lekin ye darindo ne unhen ghar se nikal diya aur gaushala me rakh diya,itni thand me ,baarish me ,garmi me wo budhi aurat usi haal me rehti hai"parchai bola
"Lekin ye to galat hai,na insafi hai"bholu bola
"Sahi galat,insaaf nainsafi sab darr ke aage khatam ho jaata hai raja sahab"parchai bola
Bholu ke mann me ek tees si uthi.
"Kya mai unse mil sakta hoon??"bholu bola
"Ped par chad sakte ho raha ji??"parchai bola
Bholu muskuraya
Apne kamre ke khidki khol kar saamne ek ped dikha bholu ko.
Ped chadhne me poora expert tha bholu ped se utarkar dabe paanv pehredaaro se bachkar gaushala me pohunchta hai bholu
Ander bohut gandagi thi aur usi haal me ek choti si charpai thi aur ek boodhi aurat leti hui thi
Thand se bachane ke liye chawal ke bore ko kambal ki tarah odh liya tha
Apna bolne wala sirf is boodhi aurat ke alawa koi nahi tha
Aisi haalat dekhkar aankhon me aansu a gaye bholu ke ,agar ye sachmuch bholu ki bua hui to
"Bua"halke se bol utha bholu
"Koun"ek kamzor si awaz lekar bua bistar se uth gayi
"Mai .....raja ..."itna hi bol paya bholu.gala roondh sa gaya
"Oh mera bachha,tu mujhse kyun rooth gaya beta??kyun tune mujhe kamre se bahar nikalwaya??thode hi din baad mai waise hi mar jaati.aur kamra khali ho jaata"bua boli
"Aisa na boliye bua ji"bholu bol utha
"Tere aadmiyon ne mujhe ye kehkar lekar aaye ki raja ji ka aadesh hai,lekin mai jaanti hoon hamare khoon me itni gandagi nahi hai,bol tune aisa aadesh nahi diya "bholu ka haath pakadkar boli bua
"Nahi bua maine koi aadesh nahi diya tha,aur haan kal tak aapko aapka kamra aapka haq sa mil jayega"bholu bol jhatke ke saath khada hua aur bina bua ko dekhe chala gaya
Peeche awaz sunai di,
"Pata tha mujhe mera baccha mera haq dilwayega,tera bhala ho beta,bhagwan hamesha tere saath rahe,mera aashirvad tere saath hamesha...."
Bholu ke aankhon se,kaan se naak se jaise chingari nikal rahi thi is waqt.gusse se uska darr kab ka choo mantar ho gaya tha
"Chaliye raja ji,ped chadkar wapas jaana hai"parchai bola
"Kyun??ped chadkar kyun??"bholu bola
"Kyonki pehredaaro ka khatra hai"parchai bola
"Ek raja chup chupkar nahi jaata nahi nikalta aap jaiye,mai aata hoon"bholu bola
Parchai jaane laga
"Aur haan, dhanyavad"bholu bola
"Kyun??"parchai ne poochha
"Aap nahi samjhenge ki aapne kitna bada eksaan kiya hai"bholu bola
Parchai kuch nahi bola aur chala gaya
Bholu ek ek kadam lekar purane talab ke paas gaya wahan ek purana sinhansan dikha bholu ko
Wahi wo baith gaya aur kuch hi der me uski aankh lag gayi