• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,351
158
Update 131
Dheere dheere time guzarne lagta hai. Aur guzarte time ke saath Sonal ki delivery ka time bhi najdeek aane lagta hai.

Raj Sonal ka dhyaan ab thoda jyaada hi rakhne laga tha. Sonal ko ghumane le jaana usse uski pasand ka khaana khilana. Sonal ki bachhon wali jidd ko pura karna sabkuch Raj bahot hi achhe se kar raha tha.

Sonal ko toh ab kitchen ko dekhna bhi mana kardiya gaya tha. Usko bas ek jagah baitha diya jaata tha aur uska saara kaam Nandini Smita Ragini milke kardiya karte the.

Par jaise jaise delivery ka time najdeek aaraha tha waise waise Sonal ka mood Swing bhi horaha tha jisme woh sabse jyaada pareshan Raj ko hi karti thi.

Ekdin raat ko Raj aur Sonal dono aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend khul jaati hai aur woh uthke baith jaati hai aur bagal mein soye Raj ko dekhne lagti hai.

Phir achanak se rone lagti hai. Uska rona sunn Raj jhatt se uth jaata hai.

Raj: Areee kyaaa huaaa. Ro kyoo rahii hoo. Kuchh huaa kyaaa.

Sonal bas royee jaa rahi thi jisse Raj tension mein aajata hai.

Raj: Sonal ko apni baahon mein leke. Kyaa huaa meri Sonu ko kyoo ro rahi hai. Koi bura sapna dekha kyaa. Bolo mujhe kyaa huaa.

Sonal: Sisakte hue. Wohh mujhee naa bhukk lag rahi hai. Mujhe abhii chocolate Milkshake peena hai.

Sonal ki baat sunke Raj ka dimaag hi kharab hojaata hai. Usse samaj nhi aata woh kyaa karee. Sonal ko daant nhi sakta tha aur chup bhi nhi raha jaa raha thaa.

Raj: Tum pagal hogyi ho kyaa. Itni si baat ke liyee tumne rona start kardiyaa. Aur baat bhi kyaa thi. Chocolate milkshake peena hai. Kuchh nhii milegaa. Chup chap so jaao.

Sonal: Rotee huee. Aap humse pyaar nhii kartee. Mujhe aur mere bachhe ko bhukk lagi hai. Humhe Chocolate Milkshake peena hai.

Raj: Apna sir pitt ke. Aree merii jaan main tumse aur humare bachhe se bahott pyaar karta hu. Par itni raat ko Milkshake kaha se laau.

Sonal: Kitchen se. Mujheee kuch nhi pata humhe milkshake peena hai. Jaldii jaaiyee leke aaiyeee.

Raj: Kyaaa musibat haii.

Sonal: Rotee huee. Aapne humhe musibat kaha. Aap humse pyaar nhi karte. Bechara meraa bachhaa. Hum kal hi Jaipur chale jaayengee. Nhii rahengee yaha parr.

Raj: Ayeee chupp karoo. Laata huu Milkshake. Jab dekho Jaipur jaane ki dhamki. Laata hu tumhara Milkshake. Pareshan karke rakh diya hai.

Sonal: Jaldi laana aur sang Chips bhi lete aana.

Raj: Aur kuchh chahiyee madam.

Sonal: Nhii filhall itna hi. Aur jaldi.

Raj apne mein hi badbadata hua room se nikal jaata hai aur kitchen mein jaake Sonal ke liye Milkshake banane lagta hai.

Thodi der baad Raj room mein aata hai uske haath mein ek tray hota hai jisme ek glass mein Chocolate milkshake aur chips ka packet hota hai.

Raj: Lo thuso aur shanti do.

Sonal: Kyaa kaha aapne.

Raj: Kyaa kaha. Maine toh kaha lo peeyo aur so jao.

Sonal Raj ko ghurte hue glass apne haath mein leke peene lagti hai aur chips khaane lagti hai. Woh jaanmuzz ke ekdum dheere dheere pee rahi thi. Jisse Raj ko chidd horahi thi.

Raj: Thoda jaldi pee lo naa. Mujhe neend aarahi hai.

Sonal: Pee rahi hu naa. Shaanti se peene bhi nhi dete aap toh.

Raj bebas hoke Sonal ko ghurne lagta hai. Kyoki usse Karan aur Yash ne pehle hi warn kardiya tha ke aisa kuch hoga. Par tab usne yakeen nhi kiya tha.

Khairr thodi der mein Sonal apna Milkshake aur Chips khatam kardeti hai aur chup chaap glass table mein rakhke so jaati hai.

Raj bas thaga sa usko dekhne lagta hai. Sonal ne usko aise ignore kiya jaise woh waha hai hi nhi.

Raj: Yehh kyaa thaa.

Sonal: Kyaaa huaaa. Lights kyo on karke rakhi hai aapne. So jaaiye naa. Mujhe bahot neend aarahi hai.

Raj: Achhaa betaaa. Maine lights onn rakhi hai. Aur yeh kyaa naa. Naa koi Thank You naa kuch.

Sonal: Thank You kisliyee.

Raj: Kisliye matlab. Ek toh itni raat ko tumhare liye yeh Milkshake aur chips laya tumne mujhe jaanmuzz ke itna pareshan kiya.

Sonal: Masoom sa face banake. Mainee aapko pareshan kiya. Aap mere aur mere bachhe ke liye itna nhi karsakte. Aap humse pyaar nhi karte naa.

Raj: Pleaseee Sonu ab yeh nautanki start mat karo. Mujhe pata hai tum yeh jaanmuzz ke bolti ho. Aur yeh jaipur chale jaane ki dhamki bhi jaanmuzz ke deti ho. Tumhe pata hai tumhare bina main ek pal nhi rehsakta isiliye tum mujhe darati ho.

Sonal ishare se Raj ko kareeb bulati hai aur uska coller pakad ke ekdum apne chehre ke paas karke bolti hai. Jab aapko sab pata hai toh chup chaap darr jaaya kijiye. Aur aapko pata hai jab aap aise mere liye karte hai naa toh mujhe aapke upar bahott pyaar aata hai. Yeh bol uske honthon ko chum leti hai.

Raj: Tumhare isi adaa pe toh main ghayal hu. Tumhe achhe se pata hai mujhe kaise manaya jaata hai.

Sonal: Aapki biwi hu lover hu dost hu ab yeh baat mujhe nhi pata rahega toh kisse rahega.

Raj: Chalo ab so jaao. Kuch der mein hi Subah hojayegi.

Phir Raj lights aur gate band kardeta hai aur Sonal ke bagal mein aake let jaata hai. Sonal Raj ko kash ke pakad leti hai.

Sonal: Thankk youu so muchh. Aur Sorry bhii.

Raj: Tumhe pata hai tum kitni badi Pagal hoo.

Sonal: Sirf aapke liyee.

Raj: Aur mujhe bhi iss pagal se iske pagalpan se bahott pyaar hai. Yeh bol uske maathe ko chum leta hai aur usse pakad ke so jaata hai.

Agle din dining table pe Raj baithe baithe jamayi le raha tha. Uski neend puri jo nhi hui thi.

Smita: Kyaa baat hai Raj. Puri raat soya nhi kyaa jo abhi bhi neend aarahi hai.

Raj: Kaha Mummy. Aadhi raat ko uth gaya tha aur uske baad bahot late se neend aayi aur abhi subah jaldi utha diya.

Ragini: Aadhi raat ko uthke kyaa kar raha tha.

Ragini ki baat sunke Raj Sonal mi taraf dekh raha tha toh Sonal usse ishaare se kuch naa kehne ko bolti hai.

Raj: Sonal ko ghurte hue. Kuchh nhii badi mummy. Bas achanak se neend khul gayi thi.

Nandini: Yehh raat ko kisi ne Milkshake piya thaa kya aur Kartik ke liye chips ka packet tha woh nhi khaali dustbin mein padha hua hai.

Nandini ki baat sunke Raj khaashne lagta hai aur Sonal apni nazre ghuma ke dusri taraf dekhne lagti hai.

Smita: Aree kyaa hogyaa. Le paani pee. Milkshake ki baat sunke tujhe khaashi ko aagayi. Kahi raat ko tune hi toh nhi pi.

Apni maa ki baat sun Raj Sonal ko ghurne lagta hai par Sonal toh uski taraf dekhti bhi nhi hai.

Smita: Sonal ko kyaa ghurr raha hai. Boll.

Raj: Jii Mummy. Woh neend toot gayi thi aur thodi bhukk bhi lag rahi thi toh maine hi piya tha aur woh chips bhi maine hi khaaya tha. Mann mein. Kyaa zindagi hai karee koi bharee koi. Aadhi raat ko mujhe pareshan karke khudne Milkshake piya aur ilzaam mere pe aagaya.

Ragini: Choro ab pi liya toh pi liya. Chalo sab nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai aur uske baad sab apne apne kaam mein chale jaate hai.

Dopahar ke waqt achanak se Meera Deepak aur Samar Kapoor house aajate hai. Unhe aise achanak waha dekh sab hairaan hojaate hai.

Sonal: Mummy Papa aaplog yaha achanak. Sabb thikk hai naa.

Deepak: Haa betaa sab thikk hai. Swati ka call aaya tha kal usne bola ke humlog jaldi se Mumbai aajaye.

Sonal: Par didi ne mujhe toh aisa kuch nhi bola. Aur yeh bandar itna dara hua kyo hai.

Meera: Pata nhii. Kal jab se Swati ne call karke bulaya hai tab se hi yeh dara hua hai. Yeh toh aana hi nhi chahta tha hum jabardasti leke aaye hai.

Sonal: Samar kyaa kiya hai tune jo didi ne sabko yaha bulaya. Aur tu itna dara hua kyo hai.

Samar: Mujhe nhii pata didi. Aur main kaha dara hua hu. Main bilkul thikk hu.

Sonal: Toh Mummy kyaa bol rahi hai.

Samar: Mujhe nhi pata. Woh toh office mein bahot kaam tha isiliye main nhi aana chahta tha.

Sonal: Tujhe nhi pata toh thikk hai. Didi aayegi tabhi sab pata chal jayega.
Ab samar aur ishita ka bhi number lag jayega
 
Lib am

Well-Known Member
3,257
11,351
158
Update 132
Raat ke waqt Ishant Shruti Yash Swati Ansh Shristi Ishita sab kapoor house mein baithe hue the. Samar ki tarah Ishita bhi darii hui thi.

Meera: Swati kyaa baat hai tumne achanak se humsab ko yaha kyo bulaya woh bhi jaldi mein. Sab thikk hai naa.

Swati: Yehh tohh aap iss Samar se puchiyee. Iski wajah se hi maine aapko yaha bulaya hai.

Shruti: Sirf Samar se nhii Swati. Ishita se bhi. Jitni galti Samar ki hai utni hi galti Ishita ki bhi hai. Humne kabhi nhi socha tha yeh aisa karengee.

Ishita: Nam aankhon se. I am sorry bhabhii. Galti hogyii.

Shruti: Thoda gusse mein. Galti hogyi. Kyaa matlab galti hogyi.

Smita: Shrutiiii. Yeh kyaa baat hui. Tumhe koi haq nhi ke tum aise meri bachhi ko daanto. Aakhir inndono ne kyaa kiya hai. Ishu beta yaha aa.

Ishita daud ke aati hai aur Smita ke gale lag jaati hai uski aankhon mein aansu tak aagaye thee. Aakhir pehli baar kisi ne uspe gussa kiya thaa.

Smita: Shrutii dekho kaise meri ful si bachhi ki aankhon mein aansu aagaye hai.

Shruti ko bhi yeh dekh kar hairaani hoti hai. Woh uth ke Ishita ke paas aati hai aur bolti hai.

Shurti: Areee Ishu aise rote nhii. I am Sorryyyy. Pleasee aisee matt roo tum toh meri gudiyaa ho naa. Chupp hojaaooo.

Ishita: Shruti ke gale lag ke. I am sorry bhabhiii. Galtii hogyiii.

Meera: Shrutii Swatii ab bahott hogyaa tumlogo ka mazaak. Dekho tumhare mazaak ne humari beti ko rulaa diyaa. Ishita beta rona band ko aur tumne koi galti nhii ki. Chupp ho jaooo.

Swati: Haa Ishitaa. Hum toh bas mazaak kar rahe thee. Humhe nhi pata tha tum rona start kardogi. Chupp hojaaoo.

Sonal: Areee koii humhe bhi batayegaa aakhir baat kyaa hai.

Swati: Inn madam ka aur humare uss bandar ka pyaar ka chakar chal raha hai. Dono ne humari naak ke nichhe itna bada game khel diya aur humhe pata tak nhi chala.

Sonal: Kyaaaaaa. Samar aur Ishitaaaaa. Kabseeee.

Swati: Humari shaadi ke baad se hi hi chal raha hai. Yeh toh Shruti didi ne inki baate sunn li warna yeh toh batate hi nhi kabhii.

Meera: Aur inndono ne humhe yaha bulaya hai. Rishte ki baat karne ke liye. Par sabko pareshan karne wali ko inhone pareshan karne ka plan banaya thaa aur yeh usi plan ka hissa tha. Par Ishita ne ro diya.

Ishita aur Samar rishte ki baat sunke hairaan hojaate hai. Ishita ka rona toh rukh chuka tha wahi ab uske chehre pe sharm aur khushi aagayi thi.

Ishant: Uncle Aunty aaplog toh sab jaante hai ke maine aur Yash ne kabhi bhi Ishita ko maa baap ki kami mehsus nhi hone di. Isse humne bade hi pyaar se pala hai. Iski har jidd ko humne pura kiya hai.

Shruti aur Swati ke aane ke baad isko ek maa ka aur dost ka pyaar bhi mil gaya. Humne humesha iski har baat maani hai. Aur aaj hum apni iss beti ke liye aapke bete ka haath maang rahe hai.

Meera: Ishant beta Swati ne humhe sab pehle se hi phone pe batadiya hai. Aur tum bilkul bhi chinta mat karo. Ishita jaise yaha rehti hai waha bhi bilkul waisi hi rahegi. Yeh yaha pe Rajkumari ki tarah rahi hai toh waha bhi yeh ekdum rajkumari ki tarah hi rahegi.

Shruti: Ab toh khush hai naa humari gudiyaa.

Ishita: Thankkk Youu bhabhiii. Thankk youuu so muchhh.

Shruti: Aree aisa kabhi hua hai ke tumne kuch maanga ho aur humne tumhe naa diya ho.

Swati: Aur phir yeh toh tumhari zindagi ka sawaal hai. Aur agar yeh bandar kuch nautanki karta hai toh uske liye hum hai.

Ragini: Nandini meethai leke aao. Humari beti ka rishta tay hogya hai.

Shruti: Rukiye bhabhi. Hum meethai leke aaye hai. Yash meethai ka box do.

Phir Shruti sabko meethai khilati hai. Phir sab baithke shaadi ki baat karne lagte hai.

Ragini: Meri maano toh Aarav aur Samar dono ki shaadi ek hi din mein kardete hai. Lage haath dono kaam ek saath hojayengee.

Smita: Haa. Main bhi yeh chahti hu.

Vijay: Thikk hai toh kal hi hum pandit ji ko bula lete hai aur saari baat kar lete hai.

Ishant: Haa yehi thikk rahega.

Shruti: Thikk hai toh kal pandit ji ke aane ke baad hi aage ki baat karte hai.

Phir Ishant and family apne ghar chale jaate hai aur baaki sab apne apne kamre mein chale jaate hai.

Agle din sham ko Nandini ke maa baap Payal Ishant and Family sab Kapoor House mein baithe hue the. Pandit bhi aachuka thaa.

Vijay: Pandit ji humare do bachhon ki shaadi karni hai. Koi achha sa muhurat bataiyee.

Pandit thodi der tak apne saath laayi panjika mein dekhne me baad bolna start karta hai.

Pandit: Dekhiye abhi yeh pura mahina hi subh hai aaplog jab chahe tab shaadi karwa sakte hai. Par iss mahine ke baad agle 6-7 mahine tak koi achha muhurat nhi hogaa.

Nandini Mummy: Aree yeh toh bahot hi kam time hai. Itne kam samay mein kaise hogaa. Mere khayal se toh 6-7 mahine ke baad hi thikk rahegaa.

Nandini ki maa baat sunke Payal aur Ishita ka chehra thoda utar jaata hai. Par woh dikhate nhi hai.

Nandini: Aree Mummy hojayegaa. Humne Yash aur Raj ki shaadi bhi toh aise hi ki thi. Aur 6-7 mahine ke baad thikk rahega but woh late bhi hojaa raha hai.

Ragini: Thikk hai naa humlog 1 mahine mein hi shaadi ka kaam kardete hai.

Smita: Par Sonal ki haalat abhi thikk nhi hai. Abhi kaise kar sakte hai.

Nandini: Choti Mummy aap bilkul bhi chinta mat kijiye. Iska pura dhyaan hum rakh lenge.

Sonal: Haa haa hum abhi hi karte hai.

Meera: Tum toh chup hi raho. Humhe pata hai tum shant baithne walo mein se nhi honaa.

Sonal apna muh banake baith jaai hai.

Kuch der ke baat chitt ke baad yehi decide hota hai ke 1 mahine mein hi shaadi hogi. Yeh decision ke Payal aur Ishita bahott khushh thi jo unke chehre pe bhi dekhi jaa sakti thi.
Chole last ke jodo ki bhi baat ban gayi
 
Lib am

Well-Known Member
3,257
11,351
158
Update 133
Dheere dheere time guzarne lagta hai aur shaadi ka din najdeek aane lagta hai. Sablog shaadi ke kaam mein busy hojaate hai. Par Sonal ko toh sirf ek jagah baitha diya jaata hai aur uski nigraani mein sabhi bachho ko baitha diya jaata hai. Jisse Sonal chah ke bhi uth nhi sakti thi.

Raj Sonal ki iss halat ka pura maza le raha tha. Woh jaanmuzz ke Sonal ke saamne aake usko pareshan karta usko chidata jisse Sonal ko bahot gussa aata. Par Raj Sonal ka dhyaan bhi pura rakhta. Uski nazar harwaqt Sonal ke upar hi rehti.

Agar Sonal ko kisi chiz ki jarurat hoti toh Raj uske saamne hota. Time to time Sonal ko khaana khilana bhi Raj achhe se dekh raha tha.

Dheere dheere Sangeet ka din aajata hai. Sablog bahot khush the sivaay Sonal ke. Kyoki usko strict warning mili thi ke woh ek jagah chup chaap khadi rahegi.

Sangeet ke sham sablog naach gaa rahe the aur Sonal ek jagah khadi hoke bebas se unsab ko dekh rahi thi. Raj toh jaanmuzz ke Sonal ko dikha dikha ke naache raha tha jiss wajah se Sonal ko bahot gussa aaraha tha.

Sonal: Mann mein. Dekho toh kaise naach rahe hai mujhe dikha dikha ke. Kaha mere bagal mein khade hoke mujhe support karenge. Aane do kamre mein chorungi nhi.

Abhi Sonal yeh soch hi rahi thi ke tabhi Raj uske bagal mein aajata hai aur dheere se uske kaan mein bolta hai.

Raj: Kyaa huaa meri baby ko.

Sonal: Gusse mein. Bhaad mein gayi baby. Aap aaiye raat ko kamre mein aapko batati hu main.

Raj: Areee itnaa gussa nhi karna chahiye. Tum itna gussa karogi tog humare bachhe pe iska bura asar hoga.

Sonal: Aapko parwaah hai meri aur mere bachhe ki. Aapko bilkul bhi parwaah nhi hai humlogo ki. Agar hoti toh humne dikha dikha ke naachte nhi. Humare paas khade rehte.

Raj: Aree meri jaan toh bura maan gayi. Main toh bas tumhare saath thodi masti kar raha tha.

Sonal: Achha mujhe takleef deke aapko maza aaraha hai. Yehi aap pyaar karte hai mujhse.

Raj: Achha baba Sorry galti hogyi. Maaf kardo. Ab harwaqt tumhare saath hi rahunga khush.

Sonal: Koi jarurat nhi hai. Aap jaaiye enjoy kijiye. Biwi ko toh aap bhul hi gaye hai.

Raj: Aree meri jaan tumhe kaise bhul sakta hu. Tum toh meri nas nas mein ho. Pleaseee maaf kardo. Galti hogyi.

Sonal kuch nhi bolti bas muh fula ke wahi khadi rehti hai. Raj wahi Sonal ke paad khada hojaata hai aur uske saath chedkhaani karne lagta hai.

Sangeet ka program khatam hone ke baad sablog apne apne ghar chale jaate hai. Sonal apne kamre mein aati hai toh woh Raj se koi baat nhi karti.

Raj Sonal ko apni baahon mein leke usse maafi maangne lagta hai. Par Sonal koi baat nhi kar rahi thi.

Raj: Sonuu maaf kardo naa. Galti hogyi. Aage se aisa nhi karunga. Tumhe pata hai naa tum aise chup rehti ho toh mujhe bilkul achha nhi lagta. Pleaseee maaf kardo.

Sonal: Aap abhi bol rahe phir aisa nhi karenge. Par kal shaadi mein phir se aap mujhe dikha dikha ke naachenge.

Raj: Kal main harwaqt apni Sonu ke paas rahunga. Uske saath hi khada rahunga. Pleasee maaf kardo. Tum toh meri achhi Sonu ho naa. Meri pyaari Sonu ho. Pleaseeee.

Sonal: Achha achha thikk hai. Maaf kiyaa. Par aage se aisa kiya naa toh main aapse phir kabhi baat nhi karungi.

Raj: Kabhii nhii karungaa.

Phir dono so jaate hai.

Agle din shaadi thi toh sablog subah se hi busy the. Par Raj apne waade ke mutabik harwaqt Sonal ke saath hi thaa. Woh usko ek pal ke liye bhi akela nhi chor raha tha. .

Dekhte dekhte sham hojaati hai aur shaadi ka time bhi hone lagta hai. Sablog apne apne kamre mein taiyaar horahe thee.

Raj apne kamre mein aata hai toh dekhta hai Sonal ready horahi hai. Woh apne blouse ki dori baandhne ki koshish kar rahi thi par usse nhi horaha tha.

Raj: Agar tumse nhi horaha hai toh main baand du.

Sonal: Seriously Raj. Biwi ke blouse ki dori baandne ke liye bhi aap puch rahe hai. Yeh nhi ki aake meri help kardee.

Raj Sonal ke pichhe aake uske blouse ki dori baandhne lagta hai par beech beech mein sararat karke Sonal ki peet mein gudgudi bhi kar raha tha.

Sonal: Aapko koi kaam bolna hi bekaar hai. Ek toh yaha late horaha hai aur aapko masti suj rahi hai.

Raj: Ek baat bolu. Aaj kal tum bahot chid chid karne lagi ho. Meri Sonu aisi toh nhi thi.

Sonal: Achha main chid chid karne lagi hu ab. Pehle toh aapko yehi baate pyaari lagti thi.

Raj: Pyaari ab bhi lagti hai. Par tum jaise karti ho naa woh achha nhi lagta. Har baat pe tum pareshan hojaati ho. Choti choti baat pe gussa hojaati ho.

Abhi Sonal kuch bolti ke tabhi pichhe se Smita bolti hai.

Smita: Woh isiliye ke iss waqt Sonal ki jo halat hai usme mood baat baat mein change hota hai. Har choti choti pe chid jaana gussa karna yeh hoga hi. Isiliye complain karna band karo aur enjoy karo.

Sonal: Par yeh samajte hi nhi hai Mummy. Har waqt bas mujhe pareshan karte hai.

Raj: Ab Mummy ke samne nhi Sonal.

Smita: Achha ab bas karo tumdono. Sonal tum ready ho naa.

Sonal: Jii Mummy.

Smita: Toh chalo chalke Aarav ki aarti utaro. Tum uski bhabhi ho.

Sonal: Par yeh toh Nandini bhabhi ka haq hai naa woh badi hai.

Smita: Haa. Tum dono hi karne wali ho. Woh tumhara hi wait kar rahi hai. Chalo jaldi.

Phir sab nichhe aajate hai aur shaadi ke pehle ki saari rashm karne lagte hai aur uske baad sablog marriage hall ke kiye nikal padhte hai.

Sablog Aarav aur Samar ke aage naachte hue jaa rahe the par Raj Sonal ke saath gaadi mein baitha hua tha. Aur yeh chiz Sonal ko achhi lagti hai ke uska pati uske saath hai.

Kuch der mein sablog marriage hall aajate hai. Aarav aur Samar ko stage pe baitha diya jaata hai.

Thodi der mein waha Neha Vishal Soniya aur Varun aajate hai. Rashmi bhi apne pati ke saath aayi hui thi. Neha ne toh shaadi karli thi par Soniya ne sirf engagement hi ki thi. Wohlog aake charo ko congratulate karte hai aur stage mein unke bagal mein khade hojaate hai.

Tabhi waha Mr. And Mrs. Khanna bhi aajate hai. Deepak aur Meera ne unhe bhi invite kiya tha. Sonal unhe dekh kar khush thi. Par jab woh Mrs. Khanna ko dekhti hai toh usse unke chehre pe thodi udaasi bhi dikhti hai.

Sonal: Uncle Aunty kaise hai aaplog.

Dono: Hum achhe hai beta. Aur tumhe bahot bahot badhai ho. Tumhare Mummy papa ne bataya tha ke tum maa banne wali ho.

Sonal: Thank You Uncle Aunty.

Phir unke beech koi baat nhi hoti. Mr. And Mrs. Khanna stage se utar kar baaki mehmaano ke beech aajate hai. Par Sonal ki nazar jaise unpe hi tham gayi thi.

Kuch der baad Raj Sonal ke paas aata hai toh Sonal Raj se bolti hai.

Sonal: Raj mujhe waha mehmaano ke paas jaana hai.

Raj: Tum waha jaake kyaa karogi Sonal. Tum yaha aaram se baitho naa.

Sonal: Mujhe waha thoda kaam hai. Pleaseee le chaliyee.

Raj: Achha thik hai chalo.

Phir Raj Sonal ko leke mehmaano ke beevh aajata hai. Sonal sidha Mr and Mrs. Khanna ke paas aati hai aur bolti hai.

Sonal: Uncle Aunty kyaa baat hai. Main bahot der se dekh rahi hu aaplog kuch udaas se hai.

Mr. Khanna: Nhii nhii Sonal. Aisi koi baat nhi hai.

Sonal: Nhii Uncle. Kuch toh baat hai. Main bahot der se dekh rahi hu. Bataiye naa kyaa baat hai.

Mrs. Khanna: Woh beta hum Vicky se milne gaye thee. Usse apni galti ka aihsaas hogya hai. Bahot ro raha tha aur maafi bhi maang raha thaa. Bhale hi humne usse boldiya tha ke humse uska ab koi rishta nhi hai. Par beta hai woh mera. Mere se uski woh takleef nhi dekhi gayi.

Mr. Khanna: Beta bhale hi woh jaisa bhi hai par humara ek lauta beta hai. Agar tumlog usse maaf karke uski saza kam karwa do toh bahot achha hota. Maana usne jo kiya hai woh maafi ke kaabil nhi hai.

Sonal: Uncle Aunty main isme kuch nhi keh sakti. Yeh sab mere haath mein nhi hai. Aur maine Vicky ko maaf kardiya hai. Mere dil mein uske liye koi gila shikwa nhi hai.

Phir Sonal waha se wapas stage mein aajati hai. Par uske dimaag mein Mr. And Mrs. Khanna ki baat hi chal rahi thi.

Thodi der baad shaadi ki rashm start hoti hai. Aarav aur Samar ko mandap pe baithaya jaata hai. Kuch der baad Payal aur Ishita ko unke paas baitha diya jaata hai.

Phir unka kanyadaan kiya jaata hai. Payal ka toh uske mummy papa ne kiya tha aur Ishita ka Ishant aur Shruti ne kiya tha. Phir phere hote hai sindoor aur mangalsutra bhi pehnaya jaata hai.

Dekhte dekhte shaadi puri hojaati hai aur bidaai ka waqt aajata hai. Payal apne maa baap ke toh Ishita apne dono bhai aur bhabhi ke gale lag khub roti ha. Ishita toh Khaash kar Ishant aur Shruti ke. Kyoki uske maa baap ke marne ke baad undono ne kabhi bhi usse maa baap ki kami mehsus nhi hone di.

Bidaai ke baad sabki aankhein nam thi par dil mein khushi thi ke unki beti ab apne asli ghar chali gayi aur apni nayi zindagi ki suruaat karne wali hai.

Payal jaha bidaai ke baad Kapoor House aati hai wahi Ishita ek hotel mein jaati hai jaha aaj ki raat wohlog rukhne wale the. Ishita ke swagat ke liye Swati aur Yash wahi Hotel mein chale gaye the. Unke saath Rashmi bhi wahi thi. Idher Payal ka swagat uski badi behen cum jethani karti hai.

Swagat ke baad Payal ko uske kamre mein bhej diya jaata hai. Udher Hotel mein bhi Ishita ke swagat ke baad usse ek room mein bhej diya jaata hai aur baaki sab bhi apne apne room mein chale jaate hai.
Lagta hai sonal ab vicky ki saza kum karwaane ke liye bolegi.
 
Lib am

Well-Known Member
3,257
11,351
158
Update 134
Raj jab apne room mein aata hai toh Sonal khidki ke paas khadi thi. Raj Sonal ke paas aake usko apni baahon mein le leta hai aur bolta hai.

Raj: Humare bachhe ne aisa kaun si galti kardi jo tum usse aise khadi rehke saza de rahi ho.

Sonal: Aisi koi baat nhi hai Raj. Main bas kuch soch rahi thi.

Raj: Achhhaa. Toh kyaa soch hai mere pyaari si biwi.

Sonal: Agar main aapse kuch maangu toh kyaa aap mujhe dengee.

Raj: Tumhe maangne ki koi jarurat nhi hai tum bas order diya karo.

Sonal: Kyaa aap Karan Bhaiya ko bolke Vicky ki saza kam nhi karwa sakte. Aaj Uncle Aunty aaye the toh unse baat karne pe unhone bola ke usse apni galti ka aihsaas hogya hai. Aur maafi bhi maang raha tha. Isiliye please uski saza kam karwa dijiye. Mujhse Uncle Aunty ka dukh dekha nhi gaya.

Raj: Tumhe pata hai tumhari isi achhai ka faiyda log uthate hai.

Sonal: Pleasee maan jaaiye naa. Kyaa aap apni biwi ki itni si baat nhi maanenge. Pleasee.

Raj: Achha thikk hai. Main karta hu bhaiya se baat. Khushhh.

Sonal: Thankkk youuu. Aap bahott achhe hai. I Lovee Youuu.

Raj: I Love You Too. Par agar usne bahar aake phir se kuch kiya toh main usse nhi chorungaa.

Sonal: Thikk hai.

Phir dono so jaate hai.

Agle din subah Ishita jaha Samar ke saath apne ghar aati hai wahi Payal bhi Aarav ke saath apne ghar jaati hai pagfhere ki rashm ke liye. Sham ko Samar aur Ishita apne parivaar ke saath Jaipur chale jaate hai. Jaipur jaate waqt bhi Ishita khub roti hai.

Dekhte dekhte inki shaadi ko bhi kuch mahine guzar jaate hai aur Sonal ki delivery date bhi bahot hi jyaada najdeek aajati hai. Kisi bhi din usko admit karna padh sakta tha. Raj ne Karan se baat karke Vicky ki saza bhi kam karwa di thi.

Ek din raat ko sablog aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend toot jaati hai uske pet mein dard bhi hone lagta hai.

Sonal: Rajjjjjj Rajjjjj uthiyeeeee.

Par Raj gehri neend mein so raha thaa isiliye uske bulane ke baad bhi nhi uth raha tha.

Sonal: Dard se chillate hue. Rajjjjjjjjj. Uthiyeeeeeee.

Sonal ke aise chillane se Raj ki neend toot jaati hai aur woh jhatt se uthke baith jaata hai.

Raj: Kyaaa huaaa chilla kyo rahi ho.

Sonal: Timeee aagya haii meraaa. Jaldi se Mummy ko bulaiyeee. Aaaahhhhhhh Mummyyyyyyyyy.

Sonal ki baat sunke Raj jhatt se bhaagta hai aur apni maa ke kamre ke paas aake jorr jorr se darwaaza khatkaane lagta hai.

Kuch der mein Smita darwaza kholti hai aur Raj ko waha dekh kar woh samaj jaati hai kyaa hua hai.

Smita: Jaldi se sabko utha. Main Sonal ko sambhalti hu. Yeh bol woh Sonal ke paas bhaagti hai.

Raj jaldi se Ragini Nandini Payal sabko uthata hai aur Sonal ke paas bhaagta hai.

Smita: Raj jaldi se gaadi nikal. Nandini Sonal ke doctor ko call karo aur bolo hospital aajaye. Aarav Swati ko bhi call karke bolde.

Sonal: Rote hue. Aaaahhhhhh Mummmyyy bahottt darddd horaha haiiii. Kuchhh kijiyeee naaaaa. Aaaahhhhhhhh.

Ragini: Bas bas Sonal. Thodi der hum hospital jaa rahe hai naa. Rajj jaldi karrr.

Karan: Main gaadi nikalta hu. Raj tu Sonal ko leke aa. Yeh bol woh bahar bhaag jaata hai.

Raj jaldi se Sonal ke paas aata hai aur usse godd mein uthake nichhe jaane lagta hai.

Smita: Rajj sambhal kee.

Raj Sonal ko leke bahar aata hai aur usko gaadi ke backseat mein sula deta hai. Smita Sonal ka sir apni god mein le leti hai aur Ragini uske pairon ko. Karan Car drive karne lagta hai aur Raj uske paas baith jaata hai.

Payal: Bhaiyaa yeh bhabhi ka bag le lijiye. Isme sab jarurat ka samaan hai.

Raj woh bag le leta hai aur Karan gaadi ko hospital ki taraf bhaga deta hai. Aarav bhi Payal aur Nandini ko leke pichhe pichhe nikal jaata hai.

Udher Swati ko jab Aarav call karke bolta hai toh woh bhi Yash ko saath nikal jaati hai. Ishant aur Shruti ghar mein hi rehte hai bachhon ke saath.

Thodi der mein Sonal ko leke hospital pahonch jaate hai aur Sonal ko OT mein lejaaya jaata hai. Thodi der baad sablog aajate hai. Raj toh tension mein idher udher ghume jaa raha tha.

Smita: Raj ek jagah baith jaa. Kyo aise ghum raha hai.

Raj: Mummy Sonal ko kitna dard horaha tha. Woh thikk toh hogi naa. Mujhe bahot tension horahi hai.

Smita: Aree kuch nhi hogaa usse. Aur yeh dard toh har aurat ko sehna hi padhta hai.

Nandini: Aur nhi toh kyaa. Tumlogo ko kyaa lagta hai bachhe ko janam dena aasan hota hai. Bachhe ko janam dete waqt jo dard hota hai naa uss dard ko sehne ki himmat aur taqat sirf hum aurato ke paas hoti hai. Aur tum chinta mat karo. Sonal bilkul thikk hai. Bas kuch hi der mein bachhe ki awaaz sunayi degi.

Sablog Raj ko samjhane lagte hai par Raj ka tension kam hi nhi horaha tha woh bas OT ke saamne idher udher chal raha thaa. Tabhi waha ek nurse aati hai aur bolti hai aap mein se OT mein jo patient se unka family member kaun hai.

Raj: Kya hua sister. Sab thik hai naa. Main uska pati hu. Sonal thikk hai naa.

Nurse: Jii aap tension naa le. Woh thikk hai. Abhi delivery mein time hai aur doctor aagaye hai. Tab tak aap yeh admission form bhar dijiye.

Aarav: Aap form mujhe dijiye. Main fill kar deta hu. Yeh bol Aarav form leke reception pe chala jaata hai.

Nandini: Swati tumne Jaipur call karke bataya yaa nhi.

Swati: Oo sorry bhabhi main bhul gayi. Mujhe jaise hi pata chala main turant aagayi. Main abhi kardeti hu. Yeh bol Swati thoda durr jaake Ishita ko call karti hai.

Ishita: Kyaa huaa bhabhi itni raat ko call kiya sab thikk hai naa.

Swati: Haa sab thikk hai. Samar kaha hai.

Ishita: Samar toh so rahe hai. Unhe uthau kyaa.

Swati: Tum baad mein utha dena. Maine bas yeh bolne ke liye call kiya hai ke Sonal ko hospital mein admit kardiya hai. Tumlog kal aajana.

Ishita: Kyaaa. Admit kardiya. Matlab main phir se bua ban gayi. Aur Mami bhi.

Swati: Bani nhi ho banogi. Tum Mummy Papa ko boldena.

Ishita: Thik hai. Hum kal subah tak aajayengee. Yeh bol call cut kardeti hai aur jaake Samar ko uthati hai.

Ishita: Samar Samar uthiyeee. Samarrrr.

Samar: Kyaa hai Ishu. Sone do na.

Ishita: Aree Sonal bhabhi ko Hospital mein admit kardiya hai. Swati bhabhi ka call aaya tha. Uthiyee naa.

Samar: Jhatt se uthke. Kyaaa Shinchan hospital mein.

Ishita: Haaa. Aap uthiye aur tickets dekhiye Main Mummy Papa ko batati hu. Yeh bol woh Meera ke kamre ki taraf bhaagti hai.

Ishita Meera ke kamre mein aake darwaaza knock karti hai toh kuch der baad Meera darwaaza kholti hai aur saamne Ishita ko dekh hairan hoti hai.

Meera: Aree Ishu beta kyaa baat hai itni raat ko. Sab thikk hai naa.

Ishita: Mummy woh Mumbai se call aaya tha. Sonal bhabhi ko admit kardiya hai. Kal chalna hai waha.

Meera: Sachhhh. Bhagwaan karee sab achha ho.

Ishita: Jiii. Kal subah subah hi nikalna hai toh samaan pack karlijiye. Samar tickets check kar rahe honge.

Meera: Thikk hai.

Idher Hospital mein Sonal ka dard badhta jaaraha tha doctor uske reports ko ekbaar phir se recheck kar raha tha. Reports check karne ke baad woh bahar aata hai aur bolta hai.

Doctor: Dekhiye delivery mein thoda time baaki hai. Par Patient ki body mein khoon ki thodi kami hai. Toh humhe khoon chadana hoga.

Raj: Doctor Meri Sonal aur mera bachha toh thikk hai naa.

Doctor: Haa Patient aur bachha bilkul thikk hai. Aaplog jaldi se khoon ka intezaam kardiye.

Raj: Kis group ka khoon chahiye doctor.

Doctor: B+.

Raj: Mera bhi yehi group hai. Aap mera khoon le lijiye.

Doctoe: Sister inko le jao aur blood check karke khoon le lo aur patient ko chada do.

Nurse: Yes Doctor. Phir Raj Nurse ke saath chala jaata hai.

Thodi der baad Sonal ki delivery time hojaata hai toh Doctor bhi apne kaam mein lag jaata hai. Bahar ab sabko thodi tension horahi thi.
Bahut tension hai bhiyaa pata nahi kya hoga.
 
  • Haha
  • Like
Reactions: Destiny and Jaguaar

dhparikh

Well-Known Member
13,720
15,853
228

Nice update....
 
Top