- 17,679
- 61,528
- 244
Thank youCongratulations bhai for completing 150 pages
And Waiting for next update....
Nice and superb update...Update 28Sonal: Kyaaa mera pyaar galat hai di. Kyaa maine galti kardiii.
Swati: Nhii Sonal. Pyaar kabhi galat nhi hota. Aur meri Sonal kabhi galti nhi kar sakti. Aur samaj le yeh tere pyaar ki pariksha hai. Tujhe Raj ko sambhalna hoga Sonal. Agar tu Raj se sachha pyaar karti hai toh tujhe uska woh toota hua ang banna padega.
Sonal: Par kyaa woh kabhi bhi Megha ki jagah mujheee....
Swati: Yeh galat hai. Raj ne Megha se jaisa pyaar kiya tha woh jagah tu kabhi nhi le sakti. Woh humesha se Raj ke dil mein rahegi. Tu apne liye Raj ke dil mein ek nayi jagah banani padegi. Uske liye uski Megha banna padega tujhe. Par Megha ki jagah kabhi nhi lena.
Sonal: Kyaa Raj kabhi mujhe pyaar karenge di. Kyaa woh Megha ki jagah mujhe pyaar kar sakenge.
Swati: Yehi toh teri pyaar ki pariksha hai. Agar Raj ne tujhe pyaar kiya toh tu pass hogyi. Aur tujhe pass hona hi hoga.
Sonal bas Swati ki kahi hui baato ko samajne lagti hai. Swati bhi usko uss waqt akela chorr deti hai.
Idher Raj apne kamre mein aake Megha ki tasveer apne haatho mein leke baitha hua tha.
Raj: Tumne dekha na Megha aaj kyaa hogyaa. Ab tum hi batao tumhari jagah mein kisi aur ko kaise de du. Kaise kisi aur ko main apni patni banalu. Yeh possible nhi hai Megha. Yeh possible nhi hai.
Smita: Rajjjj.
Raj apne aansu pochte hue. Mummyyy.
Smita jaake Raj ke bagal mein baith jaati hai.
Smita: Tune humsab ko itna paraya kardiya Raj. Jo itni takleef akele seh raha tha. Ekbaar apni Mummy ke paas aajata Raj.
Raj Smita ke gale lagke rone lagta hai.
Smita: Mat ro Raj. Jo hona tha hogyaa. Hum usse nhi badal sakte.
Raj: Kyaa Mera pyaar jhootha Mummy jo woh mujhe chorr ke chali gayi.
Smita: Nhii Rajjj. Tera pyaar bilkul sachha tha. Bas tere naseeb mein Megha ka pyaar nhi tha. Aisa samaj woh ek Angel thi jisne tujhe pyaar ka matlab samjhaya. Pyaar karna shikaya. Jiska kaam pura hua aur woh wapas chali gayi.
Raj: Uski bahot yaad aati hai Mummy. Nhi reh paaraha hu uske bina.
Smita: Aisaa nhi bolte Raj. Aur mera Raj kabse itna kamzor hogya. Woh toh aisa nhi thaa. Tujhe ab life mein aage badhna hogaa Raj. Tu aaj bhi wahi hai jaha 3 saal pehle tha.
Raj: Main koshish kar raha hu Mummy.
Smita: Mujhe toh nhi dikh raha. Achha mujhe bata Megha ne aakhri baar tujhse kyaa kaha thaa.
Raj: Apni Zindagi hasi khushi bitana.
Smita: Toh kyaa tune uski baat maani. Nhi maani naa. Kyaa woh tere aise karne se khush hogi. Nhii naa. Tu usko khush dekhna chahta hai naa.
Raj Haa mein gardan hilata hai.
Smita: Toh tujhe ab life meim aage badhna hogaa. Tujhe ab hasi khushi rehna hoga. Main yeh nhi bolrahi tu Megha ko bhul jaa. Bol rahega naa.
Raj: Koshish karunga mummy.
Smita: Woh toh tu 3 saal se kar raha hai.
Raj: Koi aapki tarah samjhane wala nahi thaa abtak.
Smita: Toh tu apni mummy ki ekbaat maanega.
Raj: Boliye.
Smita: Tu shaadi karle.
Raj: Nhi Mummy. Megha ki jagah kisi aur ko laana main soch bhi nhi saktaa.
Smita: Toh phir tu kaha Megha ki baat maan raha hai.
Raj: Main hasi khushi zindagi bitaunga mummy. Pas shaadi nhi.
Smita: Akele zindagi nhi bitayi jaati. Zindagi bitane ke liye ek Saathi ki jarurat padhti hai Raj. Isiliye please tu shaadi karle. Tujhe hasi khushi dekh Megha bhi toh khush rahegi naa.
Raj: Par Mummy. Main kabhi bhi usko Megha ki jagah nhi de paunga. Usko woh nhi de paunga jo Megha ka tha. Aur aise uski zindagi barbaad hojayegi.
Smita: Aur agar koi tujhse tere past ko leke shaadi kare tab. Usko Megha se tere past se koi problem naa ho tab.
Raj kuch naa bolta.
Smita: Toh bol karegaa.
Raj: Par Mummyyy.
Smita: Ab aur nhi Raj. Bahot rehliya tune akela. Ab main mere bete ko yeh akelepan ki zindagi aur nhi jeene dungi. Maine tere liye ladki pehle hi pasand karke rakhi thi. Aur usse hi teri shaadi karwaungi. Aur tu kuch nhi bolegaa.
Raj: Kuch sochke. Thikk hai mummy. Agar aisa karne se aaplogo ko khushi milti hai toh main taiyaar hu.
Smita: Mujhe pata tha mera beta meri baat kabhi nhi taalega.
Raj bas halka sa smile karta hai.
Smita waha se chali jaati hai.
Raj: Sirf Mummy aur baaki sabki khushi ke liye maine shaadi ke liye haa ki hai Megha. Tum khush ho naa.
Idher Smita jaldi se Meera aur Deepak ke paas jaati hai.
Smita: Meera.
Meera: Aree Smita aao naa.
Smita: Kuch jaruri baat karni hai.
Deepak: Haa haa bhabhi aaiye naa.
Smita: Tumlogo ne toh Raj ka past suna hi hoga.
Dono: Hmmm. Bahot jyaada akela hogya hai Raj. Usne jo khoya hai uski bharpai nhi hosakti.
Smita: Main abhi Raj ke paas gayi thi usko samjhane. Aur shaadi ke liye manane. Toh Raj ne shaadi ke liye haa kehdiya hai.
Dono: Yeh toh bahot achhi baat hai. Isse shayad uski zindagi ka khaalipan durr hojaaye.
Smita: Hmm. Toh isi silsile mein main tum dono se baat karne aayi hu.
Dono: Boliye naa hum kaise madad karsakte hai.
Smita: Mujhe mere Raj ke liye ek ladki pasand hai.
Dono: Areee yeh toh achhi baat hai. Kaun hai.
Smita: Woh actually ladki aapki beti Sonal hai. Main Raj ke liye Sonal ka haath maangne aayi hu. Kyaa aaplog Sonal ki shaadi Raj se karwayenge. Mujhe pata hai Raj Megha se jis tarah pyaar karta hai aur shayad aage bhi karta rahega par woh Sonal ke saath naainsaafi nhi karega.
Dono Smita ki baat sunke shock hojaate hai aur ekdusre ko dekhne lagte hai.
Deepak: Bhabhi agar Sonal aapke ghar aati hai toh humhe bahot khushi hogi. Par hum kuch nhi bolsakte. Sonal ki marzi ke khilaf hum nhi jaa sakte.
Meera: Haa Smita. Sonal agar Raj ke saath iss ghar mein aati hai toh yeh humare liye bhi bahot khushi ki baat hogi. Aur dono behen paas bhi rahegi. Par Sonal ki marzi ke khilaf hum nhi jaa sakte. Aur Sonal ki marzi Swati ki haa ya naa mein hai. Kyoki Sonal ke saare faisle humse jyaada Swati leti hai.
Smita: Main unse bhi baat karungi. Par kya tumdono raazi ho.
Dono: Sonal ko isse achha ghar kabhi nhi milega. Humhe koi aitraaz nhi hai. Par Sonal ki marzi ke khilaf nhi.
Smita: Thikk hai. Phir main unndono se bhi baat karlungi. Yeh bol Smita waha se chali jaati hai.
Idher woh aadmi jo jail mein the woh bahar aachuke the. Unhone apna ek aadmi jail mein jaane ke baad Raj ke pichhe laga diya tha.
Uss aadmi se unhe Vicky ke baare mein pata chala jo Raj se badla lene ke liye tadap raha tha.
Isiliye wohlog Jaipur aate hai aur Vicky se milte hai.
A1: Vicky maine suna hai tum Raj Kapoor se badla lene ke liye tadap rahe ho.
Vicky: Uss Raj ko toh main jaan se maardunga. Usne pure college ke saamne meri beizaati ki thi. Aur woh Sonal sirf aur sirf meri hogi. Uss Raj ko maarke usko apna banaunga.
A2: Toh agar hum isme tumhari madad kare kare.
Vicky: Tumlog kyo meri madad karna chahte ho.
A1: Tumne suna toh hoga hi dushman ka dushman dost hota hai. Toh humhe apna dost samaj lo. Aur hum bas apne dost ki madad kar rahe hai.
Vicky: Mere sir mein kyaa C likha hai. Tumhari baat se itna toh pata chal raha hai woh Raj tumlogo ka bhi dushman hai.
A2: Sabse bada. Uski wajah se humhe jail mein jaana padha tha. Humara pura business tabah hogya. Usse toh chorenge nhi.
A1: Usse jaan se nhi maarenge. Usko barbaad kardenge. Jis chiz ko pasand karega woh chiz chinn lengee. Toh batao kyaa tum humare saath ho.
Vicky: Raj ko tabah karne ke liye toh main kuch bhi kar jau. Par uska bhai jo Police hai uska kyaa karenge.
A1: Uska bhi intezaam hojayega. Aur waise bhi jo bhi karenge woh hum nhi karenge. Humare aadmi karenge. Fhasenge toh woh hi fhasenge.
A2: Abhi sirf uspe nazar rakhni hai aur sahi mauka dekh kar humla karenge.
Vicky: Thikkk hai. Aur yeh toh tumlog hi kar sakte ho. Kyoki main toh Jaipur se bahar nhi jaa sakta.
A1: Thikkk hai.
Vicky: Waise tumlogo ka naam kya hai.
A1: Main Rajesh aur yeh mera beta Ranjeet.
Vicky: Thikk hai.
Idher Mumbai mein Raat ko Dinner table mein sab the. Par sablog thode dukhi the. Raj waha pe nhi tha. Aur kisi ne force bhi nhi kiya. Sonal waha pe hoke bhi waha nhi thi.
Savitri: Raj se koi bhi abhi shaadi ki baat nhi karega. Usko abhi thoda time aur do.
Smita: Maa ji. Maine Raj se baat karli hai. Aur woh shaadi karne ke liye taiyaar hai. Maine ladki ke maa baap se bhi baat karli hai aur woh bhi taiyaar hai. Bas mujhe ladki se baat karni hai.
Smita ki baat ko sunnke toh Sonal ka jaise dumm ghutne laga tha. Usse ab waha pe ek pal nhi raha jaa raha tha. Woh waha se uthne ko hoti hai toh Swati uska haath pakad leti hai aur ishare se naa mein gardan hilati hai.
Sonal naa chahte hue bhi waha baithi hui thi aur apna rona rokee hue thi.
Savitri: Kyaa tumne baat karli. Aur Raj taiyaar hai kaisee. Aur kisse baat ki hai.
Smita: Raj ko maine taiyaar karwaya hai. Usko takleef hai but itne saal se uske andar jo dukh dard tha woh aaj bahar aagaya tha isiliye ab woh shant hai. Aur ladki se baat karne ke baad main bata dungi.
Savitri: Dekhlo bahu. Shaadi puri zindagi ka faisla hai. Kahi do jeevan mein dukh aur dard naa ho.
Smita: Jii Maa.
Phir sab apna khana khatam karte hai. Sonal se toh khaaya hi nhi jaa raha tha. Woh jaise taise khaa ke waha se chali jaati hai. Smita ne Raj ko uske kamre mein hi khila diya tha.
Sonal apne kamre mein naa jaake terrace mein chali jaati hai. Aur waha usse Raj khada dikhta hai. Raj ko dekhte hi uski aankho mein aansu aajate hai. Par woh apne aansu poch ke Raj ke paas aati hai.
Sonal: Rajjjj.
Raj: Tum yaha soyi nhi. Kal college jaana hai naa.
Sonal: Bas neend nhi aarahi. Aap thik hai naa.
Raj: Main mujhe kyaa hona hai. Main bilkul thik hu. Yeh bol woh apni nazre ghuma leta hai.
Sonal: Kaise Raj kaise aapne apne andar itna dard chupa liya. Sabke saath aur paas hote hue bhi kisi ko kuch pata nhi chalne diya.
Raj: Mera yeh dard sirf mera hi hai Sonal Aur yeh dard kisi se mein share nhi karsakta.
Sonal: Kyaa aapko aaj bhi uski yaad aati hai.
Raj: Uski yaad toh mujhe harwaqt aati hai. Tumhe pata hai jisdin usko pehli baar college mein dekha tha usne waisa hi dress pehna hua tha jo tumne uss din pehna tha jab hum ghumne gaye the. Tumhe jaise thand mein khulfi pasand hai usko bhi thik waise hi thand mein khulfi khaani pasand thi. Aur sabse ahem baat humne jab pyaar kiya tab aisi koi shart nhi rakhi thi ke woh mujhse jyaada jiyegi ya main usse jyaada jiyunga. Humne bas pyaar kiya tha.
Sonal: Kyaa aap aaj bhi usse pyaar karte hai.
Raj: Pyaar kyaa hai yeh usne mujhe sikhaya tha Sonal. Usse pyaar karna main chah ke bhi nhi chorr sakta. Kal ko mere jeevan mein agar koi aur aati hai tab bhi Megha ki jagah waisi hi rahegi.
Sonal aage kuch nhi bolti. Bas chup chap Raj ke chehre ko dekhti hai. Usko dukh toh tha ke uski har chiz jisko Raj ne achha bola woh usko yaad karke bola tha. Par ek chiz ki khushi thi Raj uske saath Loyal tha.
Raj: Okk Good Nighttt.
Sonal: Good Night.
Yeh bol Raj waha se chala jaata hai. Sonal bas usko jaate hue dekh rahi thi.
Sonal: Tum kitni lucky ho Megha jo Raj tumse pyaar karte hai. Kaash main bhi tumhari tarah thodi si lucky hoti toh shayad Raj mujhse bhi pyaar karte. Yeh bolte waqt Sonal ki aankho se ek 2 boond aansu nikal jaate hai.
Phir Sonal bhi apne kamre mein jaake sojaati hai
Thank YouKal bahut time bad xforum par aaya.. iccha thi ek romantic story padhne ki .. Hindi section me aakar romantic filter apply kiya or sabse upar ye kahani dikhi .. Kahani padhni shuru ki .. pahla update padha fir dusra or fir uske aage aage jaise badhta gaya is story ne aisa sama bhandha ki maja aa gaya ..
Good going ab dekhte hai aage kya hota hai ...
Nice update...Update 28Sonal: Kyaaa mera pyaar galat hai di. Kyaa maine galti kardiii.

Aaa okayThank you
Yeh pyaar mahobbat ki story hai isiliye isme meri baaki stories ke jaise haiwaniyat nhi dikhegi