Update 17
Jab guru ji aur CM aur MLA log chale gae tab Vinayak apna phone kan se Laga kar Kisi se baat kar Raha tha samne se pata nain admi Kya bol Raha tha ke Vinayak muskura Raha tha aur phir Vinayak ne call cut kar diya aur wapis v.papa ke pass AA gaya aur use pocha
Vinayak: haa uncle Kya hua mere kaam ka
V.papa : haa beta kaam ho gaya 1 ghante bad yeh college aur principal hamesha HAMESHA ke Liye band ho gaye ge
Vinayak: okay thanks you uncle
V.papa : it's okay Tum bi Vikram ki tarha ho bachpan ke dost ho dono toh ek baat yad rakna beta jab bi Kisi ki tarha ki madad chahiye ho to Bata Dena thek Hain
Vinayak : haa thek hain uncle thanks you
V.papa : okay ab main chalta ho apna deyan rakna thak Hain
Vinayak : thak Hain
Phir Vikram ke papa waha se chale Gaye aur vikram ko bi Apne Saath le gaye ke Kuch zarori Kam Hain
Abhi Vinayak wahi kada tha ke waha per Hina air uske maa bap AA gaye abhi woh Kuch kehne hi wale the ke Vinayak ke unko ignore Karke waha se apni bike per beth kar Chala gaya
Takreeban 30 minute bike chalane ke bad ek jungle AA gaya Kuch aghe Jane ke bad ek farmhouse dekha Vinayak sidha waha Chala gaya aur farmhouse ka main door kolkar Ander Chala gaya waha per ek side per ek gadi kadi thi Vinayak ne apni bike ek side per kadi ki aur Ander chala gaye Ander se ek ek karke 15 boxes Nikal kar is gadi ke back site per rak diye air phir gadi per bite per Chala gaya
Is bar Vinayak dad ganta drive Kiya aur ek Bangla ke samne ruk gaya aur gadi se utar kar doorbell bajai Kuch der bad ek hatta katta admi aya aur usne Main gate kolkar gadi ko Ander aane diya aur phir Vinayak jaisi hi gadi se utara waise hi 3 admi aur AA gaye Vinayak ne unko ishara Kiya ke Bach site ke boxes utar kar Ander AA Jao phir Vinayak Ander Chala gaya air waha per bohut sare admi bithe the Vinayak bi ek side per ek sofe per bith gaya air ek admi ko bola
Vinayak : kese ho ap sab thek toh Hain na
Admi : haa sab thak Hain ap kese ho boss
Vinayak : main thak ho Kuch problem toh Nahin Hain Yaha per
Admi : Nahin Yaha koi problem nahi hain
Vinayak: yeh toh acha baat Hain
Phir Vinayak 2 admiyou ko ishara karta Hain
Vinayak : ap dono best guards main se ek the training ke waqt Heena
Guard 1 : jee ha boss ap bolo Kya Karna hain
Vinayak: Tum dono ko Mumbai Jana Hoga thak Hain
Guard 2 : Lekin waha kyun Kuch problem hain Kya
Vinayak : Nahin problem toh Nahin hain Lekin waha per ap dono ko Kisi ko security deni Hain
Guard 1 : kisko security deni Hain ap bolo boss
Vinayak: Meri 2 behne Hain Mahreen aur mahanoor Naam Hain Unka
Guard 2 : boss Apke pass inki koi photo hain Kya
Vinayak: haa Hain ek minute
Phir Vinayak Apne mobile main se 2 ladkiyou ki photo Nikal kar dono guards ko dekha deta Hain
Vinayak : yeh Hain unki photo air haa chahe Kuch bi ho jaye Lekin in dono ko Kuch Nahin hona chahieye thek Hain
Guard 2 : thek hain boss ap fikar naa kare
Vinayak : aur Apne woh boxes Ander le aye Kya
Guard: jee haa le aye Hain
Vinayak: thek Hain ek minute
Vinayak um main se ek box kolta Hain jis main paise tha 5 lakh Vinayak utha kar apni jab main dal deta Hain aur Bolta hain
Vinayak : in boxes main paise air gold Hain paise ka toh thek Hain Lekin gold ko bich do air jitna bi paisa ho Apne pass raklo jitna bi zarorat ho utna karch karlo aur jab bi paise khatam ho jaye toh yeh Raha mere phone number mujhe call Karna main aur paiso ka jugad Laga lunga thak Hain
Guard: thek Hain boss
Vinayak : aur haa ap main se Kuch ******* adress per Jao yeh ex MLA ka Ghar hai us per Nazar rakho aur Kuch is CM aur MLA per Nazar rakho kyunke mujhe lagta hain Kuch TOH plan bana Rahe hoge chup toh Nahin bathtege
Guards : okay boss
Vinayak: thek Hain boss ab main chalta ho okay
Guards : okay boss apna deyan rakna
Phir Vinayak wapis waha se gadi main bith kar Nikal jata Hain us farmhouse per jaha per uski bike kadi thi Vinayak waha se apni bike per bith kar Nikal jata Hain aur wapis jab college aata Hain college per Kuch log kadi tha Jo college band Karne bi baat kar rahe the Vinayak Ander Chala jata Hain aur waha per Apne air Vikram ke aur shanaya ke South key documents collect karta Hain aur waha se sidha Ghar AA jata Hain jab Vinayak Ghar aata Hain toh Ghar main koi Nahin Tha Vinayak sidha Apne kamre main Chala jata Hain aur bister per late jata Hain aur sweety se baat Karne lagta hain
Vinayak: hello sweety kesi ho
Sweety: main thek ho boss so kese Hain
Vinayak: main bi thek ho acha ab mujhe mera status dekao air main konse level per ho
Sweety : boss ap level 3 per ho aur yeh Raha apka status
[ Name : Vinayak
Status student
Age 18
Level 3
[Stats:
Strength - 105/130
Intelligence - 100/130
Agility - 100/130
Endurance - 100/130
Appearance - 89/130
Remaining point 55]
[ Powers
1 agni tatva (unlock)
2 vayu tatva (locked)
3 akas tatva (locked)
4 jal tatva (locked)
5 prithvi tatva (locked) ]
Sweety: boss yeh Raha apka status boss apko jald se jald 5 tatva per apna kabo pana Hoga Kya pata bhavishya main Kya likha ho
Vinayak: Tum thek Keh Rahi ho sweety acha ab main Apne point invest Karna Chahta ho
Sweety: haa bolo
Vinayak: sweety Tum 10 point Strength aur 15 point Intelligence aur 10 point Agility aur 10 point Endurance aur 11 point Appearance main add kardo
Sweety : Okay boss
Todi der bad sweety boli
Sweety: boss ho gaye Hain ab bolo Kya ap apna status dekna Chahege
Vinayak: haa kyun nain dekhao
Sweety: okay boss with a minute
[Stats:
Strength - 115/130
Intelligence - 115/130
Agility - 110/130
Endurance - 110/130
Appearance - 100/130
Remaining point 00]
Sweety : boss yeh Hain apka status
Vinayak : thanks you sweety
Abhi Vinayak aur Kuch bolta use pahle Vinayak ko call AA jata Hain
Vinayak : ha bol Vikram kaha Hain tu
Vikram toda gabraya hua the
Vikram : Bhai tu please jaldi se city hospital AA ja please
Vinayak: Kya hua sab thek toh Hain naa
Vikram : papa per Kisi ne attack kar diya Hain jis main uski ek tang tot gayi Hain abhi woh hospital main Hain please jaldi AA jaa main with kar raha ho
Vinayak : haa thek hain bhai main abhi AA Raha ho tu fikar na kar bye
~~~~~ aj ke Liye itna hi baqi agli update main ~~~~~
Guys maine apna wada pura Kiya ke main Kal bi ek update Dunga toh update de diya Hain Pasand aye toh like aur comment Karna na bolna danyawad