Badhiya update bhai
Ranjit bahut uchhal raha tha abhay ne uska sara plan chopat kar diya ab to ranjit aar par ki ladayi per aa gaya ha ranjit ka bhi boss ha lekin usse ladayi kar li ha ranjit ne ab ye boss wahi do thakuron me se ho sakta ha jo dada thakur ke dost the kher ranjit ne to puri paltan bula li ha lagta ha jald hi hamla karne wala ha
Or ye konse raj ki bat kar raha tha ranjit sinha kya khandhar me or bhi raj ha khajane ke siwa waise abhay us kamre me jyada achhi tarah se nahi dekha ha kya pata agli bar dhyan se dekhne ke bad kuchh or mil jaye
Ye haweli ki jo orat ha ek taraf to kahti ha ki sandhya se badla lena ha or fir kahti ha ki achha hua sandhya bach gayi ye to dono taraf se khel rahi ha kya pata iska maksad kya ha
Idhar munim ka torcher shuru ho gaya ha munim ko abhay ne dikha diya sone ke sikke to munim ko pata pad gaya ha ki abhay ne jarur wo darwaja khol liya ha idhar abhay ne josh me ake bata to diya munim ko lekin agar galti se bhi munim bhag nikla to wo to bata dega ki abhay ko pata pad gaya ha raj lekin aisa hona namumkin ha abhay to abhi tak or torcher karega ise
Or last me lagta ha king aa gaya ha abhay ke pas or sath me shalini ji bhi